॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwat Bhaskhar shri Krishna chandra Shastri ji ne pujya maharaj ji ko kya prasang sunaya ?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

bahut kripa kari darshan de age bahut kripa kare das to Vrindavan mein jab rahta hoon to nitya usmen darshan hote the darshan hote the to nitya bhramn mein nikalta hoon savere to pujya shri ke darshan darshan hote the darshan hote the bhagwat katha tatha sevaaon mein desh videsh mein jana rahta hai. Par yahan rahta hoon to prayah aur social media ke madhyam se to darshan ham nitya karte hi hain. Aapke pravachnamrit ko bhi shravan karne ka sashta saubhagya prapt hota hai. Lala indresh to do bar padhare. Wo bahut wo to hriday hai maharaj ji wo hriday ham sab vaishnnon ka hriday hai.

aapka aisa kripa prasad hai ki indresh ji par hamare jitne bhi sant mahatma vaishnav jan hai sab atma ki tarah pyar karte hain aur unka swabhav aisa hai ki lut leta hai. Unka ek bar jiske paas gaye usko apna bana liya. Unka swabhav aisa mridu aur aisa maha bhagwat swaroop hai aur aapki aisi vishesh kripa hai unke upar ki vani mein amrit virajman hai. Jab bhagwat charcha karte hain na to chitt ko ekagrata karni nahi padti. Chitt swabhavic ekaagr jaata hai. To ham kaha unke upar guru kripa pita shri ki kripa hai.

aap sab mahapurushon ki bahut kripa hai. Abhi badrinath mein katha chal rahi hai. Unki kal puri ho gayi shayad aajkal mein ai. Kisi ek shlok ki charcha maharaj ki kisi bhi ek shlok ki jisse hamare shravan pavitra ho jae. Yamlarjun ka udhar jo Govind ne kiya kuber ke ve putr hain. Santap aparadh ho gaya tha unse to jad vriksh ki unko yoni mili. Lekin bhagwat kripa se wah vriksh nand bhavan ke dwaar par bankar ke rahe. Govind ke stri ang ka jab sparsh unhen prapt hua to ve prakt ho gaye. Gopal ji swayam bandhan mein hain.

damri bandhan kamar mein bandhi rassi ji aur unse puchte hain kya chahiye? Ji to unhone badi sundar baat kahi ki vani gunanukathne shravan kathaya hast chak suman pad smritya sirastav nivas jagat pranam drisht satam darshane bhavat tanu naam Govind ek ashirwad mile. Vani aapke gunon ka gaan kare. Vani ki safalta isi mein hai. Aur kan to mile hi isliye hain. Inko shravan naam isiliye mila ki ye shravan karen. Yah kripa aapki prapt ho. Hathon se aapki seva seva karya mein lage rahe. Hast cha seva karm hi karen aur manastav pad aur namakam hamara man aapke charnon mein us chintan mein rahe chinta se chintan ki yatra yahi to bhagwat dharm hai to chinta se mukt hokar ke chintan mein shiv yugal charnon ke alawa aur kuch na rahe aur hamara sir he jagat pranamya Govind hamara sir aapke charnon mein jhuka rahe aur drishti hi satam sabse mahatwapurn baat yahan kahi drishti hi satam darshanne bhavat tanu naam hamari drishti santo ka darshan kare mahapurushon ka darshan kare to bhagwan bole hamara kyon nahi ji santo ke darshan ki baat aapne kyon ki?

ji bole sant koi alag thod hi hai. Bhavat tanu naam wah to aapke tanu hai. Aapka shri vigrah hai. Mote adhik sant kare lekh bhagwan kapil ne Shrimad bhagwat ji mein santo ki mahima bataai hai. Titav karunika surad sarv jantu samatwa sarwa tmaa bhagwan sam prasti sadhuan ke lakshan titav bade se bade kasht ko muskura ke sahna parso kuch log mere paas aae the to maharaj ji jab log ate hain to aapki charcha hoti hai aur usmen man hamara bada hriday dravit hota hai aur aladit ho jaata hai aapki ki charcha ate hi to bole Baba maharaj ke bare mein aap kya kahenge?

maine kaha Baba to svasth hai. Baba purn svasth hai. Ji sharir ki swasthata aur aswasthata bani rahti hai. Ye to ham logon ke saath mein bhi chalta hai. Ji ab maharaj 66 varsh pure ho rahe hain sharir ke. Ji ji aur 50 varsh bhagwat ki katha seva karte karte 10 february ko purn ho gaye to maine kaha Baba to svasth hain. Wo to shri ladli lal ji ki nij seva mein rahte hain. Nitya nivrit nikunj ke wo nivasi hain. Aur maine kaha Baba to mujhe aisa lagta hai ham to brajvasi hain. Maine kaha main jahan tak samjhta hoon sant kripa se wah to Priya ji ki sahachari hain.

is bhav mein wah logon ka margdarshan karne ke liye logon ko shiksha pradan karne ke liye shri radhav lal ke charnon mein unka aashray bane. Unka man lage. Isliye is rup mein padhare hain. Shrimad bhagwat mein ek badi sundar charcha hai maharaj ji. Vasudev ji kans ko updesh kar rahe hain bhagwat mein mrityu janmata veer deh sahjayte ava sata mrityu pran naam dhruv kans se bole ye mrityu kya hai hamari bahan hai khas bahan mrityur janmata veer deh sahjayte yah hamare sharir ke saath mein janm leti hai aur jis samay sharir janm leta hai saath mein mrityu aati hai bahne khas hamari ava shatam teva mrityur prannam dhruv aaj kal 15 din baad 100 varsh baad mrityu ye hogi prani naam dhruv ye dhruv hai nischit hai ye hogi aur ham ham to sharir hai hi nahi ham to divya atma hain natma jajan namashti nedte bhagwat mein nav Yogeshwar samvad mein Yogeshwar mahapurush raja Janak ko bata rahe hain natma jajan namti nete nakshatechar naam hi atma na jaja aur namashti ji atma na kabhi janm leti hai aur na marti hai naksheetechari naam hi ye jo kuch bhi prakriyaen aur jo hoti hain wo sharir ki hai jayte asti viparnamte vardhate apaksheeyte aur vinashchati ye sharir ke panch dharm hai isiliye to isko maran dharma kahte hain to ye sab prakriyaen sukh hota hai, dukh hota hai.

ye man ki sthiti hai. Janm lena, bade hona, mote hona, duble hona, kabhi rugan hona baad mein mat jana. Ji yah sharir ki prakriya hai. Nidra, tandra, bhay, klesh, lobh, hani, labh aur ye jo prakriyaen hain wo sab hamare man, buddhi aur indriyon ki hain. Indriyon se isko ham bhogte hain. Ham to nitya, shuddh, Chinmay, shashwat aur avinashi hain. Jisko atma kahte hain. Bhagwan Sukhdev ne bhagwat ji ke viram se pehle rajarshi parikshit se ek badi sundar baat ki maharaj ji rajan wo sat din pehle ab yahan atri vastan arashta nem bharangi ra parasrogadto Ram ut pramad bahu bhagwat mein likha hai wahan Sukhdev ji maharaj ke pitaji baithe hain Baba baithe hain par Baba baithe hain aur par Baba Vashisht ji baithe hain.

ji ji Vashisht ke putr hue shakti shakti ke Parashar Parashar ke vedabhyas unke Sukhdev to shakti ji ko chhod ke baki to sab baithe hain wahan pe aur parasrogad sutoth Ram bhagwan parshuram baithe hain ji gadhi tan to in sabke madhya pata nahi main bhi aa gaya Sukhdev ji bole aur sat din pehle tumne ek prashn kiya tha ji jaldi marne wale ki mukti ka upay kya hai? Jisko keval sat din mein mar jana hai, uski mukti ka upay bataiye. Ye parikshit ka prashn tha. Ji ji to ab sat din ho gaye. Katha ho gayi. Aapko takshak sarp dasega aisa shraap laga tha.

phir hazaron prashn hue. Hazaron aapne unke uttar shravan kiye. Ab bhaiya satva din hai takshak to aayega akar ke dasega aur tumne mujhe pata nahi saikadon prashn kiye aur kathaon kathantar ke madhyam se unka yathadhit yathmati maine prayas kiya jawab dene ka tumko kaisa laga? Bole accha laga Gurudev to ek prashn main kar du bole haan to bole tum maroge pucha ji kya tum maroge ji to parikshit ne maharaj ji ek second bhi vichar nahi kiya aur turant jawab diya maine janm hi nahi liya tha to murunga kaise swaroop ho gaya bas ho gayi katha to Sukhdev ji ne ant mein kaha tam ta rajan marishti pashu buddhim imam jahi main murunga aise vichar ko pashu buddhi kahte hain.

ji ji aisi pashu buddhi yadi tumhare man mein ai hai isko tyago isko chodo tumne katha suni hai sat din aur suno ab chalte chalte main aur tumhen bata du ghate bhinne yathakash akashasya yatha pura evam deh mte jeewo brahm sampadte punah mitti ka khali ghada hai. Parikshit bole ji us ghade mein kya hai? Mitti ke khali ghade mein andar kya hai? To parikshit bole akash hai. Vedanti bhasha mein usko bolte hain ghatakash. Pata nahi mujhe kya hua. Maine jor se danda mar diya. To khada foot gaya. To akash kahan gaya?

Sukhdev ji bole wo akash kidhar gaya? Ji bole mahakash mein mil gaya evam de mte jeewo brahm sampadte punah aise hi jo atmajnani mahapurush hote hain bhagwat charnanuragi mahapurush hote hain rasik jan hote hain unka sharir rupi ghada foot jane par brahm sampadte punah ye prabhu ko prapt ho jaate hain. Jo rasik jan hain wah Priya lal ji ke charan seva mein rahte hain sahachari bhav mein aur jo vati tat tatv vid tatvam y gyan adwayam brahmati parmatmati bhagwan iti sate tatv vid tatvam vadti yat adwayam gyanam brahm tatv vedta usko tatv kahte hain.

gyani use brahm kahte hain. Yogi unse paramatma bolte hain aur bhakt usko param apna bhagwan kahte hain, lal ji kahte hain. Priya ji kahte hain is bhav se unko to unki prapti ho jati hai. Brahm sampadte punah aur main chalte chalte phir tumhen bata du yah kya hai? Sukhdev ji kah rahe hain swapne yatha sirdam panchatma swayam evam pashyati dehasya tat yatma yajomar to Sukhdev prabhu ne kaha ham sapna dekhte hain kaisa kaisa sapna aata hai bilkul antim updesh kar rahe hain ham jangal mein ja rahe hain badi shobha dekh rahe hain ye aam hai ye vriksh hai ye hai wo hai samne dikh gaya jhadi mein babbar sher sher ne hamko bhi dekha aur hamne sher ko dekha to ham to ulte ho liye accha hai iski nazar na padi ho apan nikal le sher ne dekha bole brekphasta mila hai taja chhodenge kaise to ham jara tej chale to sher bhi tej chala ek jharna sa mil gaya hamne kaha isko kaun par kar saath mein jhat se par ho gaya usne to chhalang lagai hamko pakar liya aur apna mukh khol ke meri gardan apne muhn mein le li aur to aur jaise hi usne apne dant gad ke mujhe marna chaha chahad bada ke nind khuli to dekha ham to palang par aise mein so rahe hain.

lekin jis samay ham swapna dekh rahe the us samay yah pata nahi tha ki ye swapna hai. Bilkul bilkul yadi us samay ye pata ho jae ki swapna hai to ham bhage kyon ye to sapna hai phir jage are bhagwan badi kripa ham to surakshit hai koi sher der nahi hai to Sukhdev Swami kahte hain swapne yatha sir chhedam panchatma swayam jaise swapna mein koi sir kaat de to jagne par hansi aati hai ye swapna tha aise evam pashcha des yah sharir jo hai ham apne man se buddhi swapna dekhti hai kyonki sab so jaate hain wo nahi soti hai to jagne par hansi aati hai to swapna hai moh nisha jag so banhara dekh sapan anek prakaar goswami ji likhte hain to ye swapna hai aur tumko bas antim mein Sukhdev ji kah rahe hain main prabhu ka hoon prabhu mere hain.

aisa sankalp man mein le lo. Brahm bhut prasann atma gita mein Krishna bata rahe hain brahm bhut prasann atma na sochti na kakshati same bhuteshu mad bhaktim labhte param para bhakti ki badi vichitra vyakhya ki hai Govind ne Shrimad bhagwat gita mein Yogeshwar ne to is para bhakti ki prapti jise ho jae para bhakti jisko mil jae kay ka janm aur kahe lekin bilkul to maine un logon ko bataya bahut der tak baat chali hamne ki Baba to hamare ladli lal ke bade priy hain aur unke sahachari bhavapan sakhi hain aur ye sharir rup mein ve padhare hain ham logon ke kalyan ke liye aur sharir to agma payno nityam takshas bharat Krishna kah rahe hain gita mein kab aae kab aae.

yah mera sadbhagya hai maharaj ji ki bachpan se ham santo ko hi sunae. Unki god mein hi pale aur mahapurush bada pyar karte hain. Bahut aadar dete hain. Jiske ham yogya nahi hai. Bhagwan Ram ne shri ramayan ji mein do baten kahi hai. Kisgandha kand mein Bali ki patni ko updesh dete samay kah rahe chit jal pavak gagan sameera panch rachit ati adham sharira prithvi jal tej vayu akash in panch tattvo se banne wala sharir tak charm mans rudhar med majja asthi in sat dhatuon se nirmit ye sharir adham hai Ram ji kah rahe hain wahi Ram ji uttarkand mein kah rahe hain guru ji ke ashram mein Vashisht ji ke samne hazaron avdh vasiyon ki upsthi mein sadhak sant bhi baithe hain.

to bhagwan Ram kah rahe hain yah sharir kya hai? Bole sadhan dham moksh kar dwara ye sharir sadhan ka dham hai. Aur mukti ka dwaar hai. Payan jeh parlok samara. Aaj main kutta hota to aap shri ke sanmukh baithkar main bhagwat ki kuch charcha kar pata. Prabhu ne kripa ki na hamko sharir diya. To sharir vyarth kaise hai? Aur moksh kar dwara mukti ka dwaar hai ye. Ji ji bhagwat mein bhagwan Krishna Uddhav se kah rahe hain ekadash skand mein na deh madhyam sulbham sudurlabham plam sukalpam guru karan dharm mayanukle nastetam paman bhava natret atma atmya ki baten kyon aati hai shastron mein rail ke niche kut kar li pati patni mein jhagda ho pati ko bada bura laga.

aise bol gayi, aise bol gayi. Are pankhe par phir kar atmhtyaa kar li. Bachchhe ko khub pitaji ne padhaya. Vidvan banane ki cheshta kari. Becharey dhakel lagate hain. Kamai kar kar ke uski fees di. Phayl ho gaya. Tisri bar pitaji ne thoda dant diya. Dekho pankhe par latak ke mar gaya. Atma kar li. Atma ki hatya to kabhi hoti nahi. Ji atma to nitya hai shashwat hai nanam chand shastraan nain dahti pavak nach kledo nashoti marta aur aap kah rahe ho atmatya to kisi ne kaha aap nahi wo to bole nahi kabhi nahi to bole meri atma tmaa shabd kyon bana shastron mein itni charcha kyon atman gati jae phir ye atma shabd hai hi kyon jab atma ki hatya hoti nahi to prabhu bole nahi hoti hai chitjal pavak gagan sameera panch rachit ati adham sharira unke liye hai jo satsang nahi karte jinko satsang sulabh nahi hai ya satsang mein jinki

ruchi ban nahi pai hai aur jinko satsang sulabh ho gaya hai sant darshan mahapurushon ki vani shravan karne ka sashta saubhagya prapt ho raha hai unke liye unke liye to sharir sadhan ka dham hai moksh ka dwaar hai to phir atmhtyaa kya hai to Krishna bhagwat mein bata rahe hain prabhu Uddhav ko ki na deh madhyam sulbham sudurlabham plabham sukalpam guru karan dharm maya anukul nastetam paman bhavi natrit atma atma ye sharir hamen sulabhta se mil gaya hai lekin Krishna kah rahe hain sudurlabham bada durlabh matlab hai mil

gaya sahjta mein plav sukalpam guru balki main to kahun bhagwan bole main to kahunga nav hai bhavsagar se par jane ki nav hai bhavsagar ki nauka hai isse bhavsagar apan par ho sakte hain katha sun sakte hain jeevan mein utar sakte hain bhagwat charnon mein priti jagrit apni uttarottar kar sakte hain to yah kripa hai na sharir mila tabhi to hai bole wah to theek hai. Aapki nauka bhi majbut hai. Par bhavsagar bhi koi chhota nala to hai nahi. Isko par karna koi majak hai kya? Maya ke usmen rahta hai ye pura davi hasa gunmai mam maya daratya mameje prapadte maya eta tarte Krishna to maya ki badi prabhuta bata rahe Shrimad bhagwat gita mein ki ye koi aisi waisi nahi hai maya aur ye kaise par karenge?

bolo guru karan dharm is nav ko dene wale chalane wale sadguru hain. Iske karandhar sadguru hain. Gokaras andhkarasyat rukar tan nirodhak andhkar nirodhatwa guru nit vidhte ga andhkar hai rup prakash hai agyaan andhkar se nikaalkar jo gyan ka prakash deve wah guru hai. Guru bin bhav nidhi deta rahe na koi guru karan dh hain iske wo to theek hi bol rahe hain aap Uddhav ne kaha lekin kitni bhi majbut nauka ho maaf karna kanhaiya ab pratikul vayu chal jae to phir samne se andhi aa gayi chalao haan pratikul vayu anauns ho jaata hai ki udhar kevat log nahi jae sunami aa rahi hai to prabhu ne ek badi mithi baat kahi ki mayanukle navastem Gurudev to chala rahe the par guru ki kripa se main anukul vayu bankar piche se usko dhakka de raha hoon phir bhi vyakti bhavsagar par nahi ho jae sa atmah ye atmhtyaa hai isko atmhtyaa kahte hain sharir marna padna atmhtyaa kya nahi hai?

to Uddhav ne kaha maharaj ji gazab baat to ham log kitne bade bhagyavant hain. Aho ameesh kimkar shobhan prasann aisa swayam hari devta bhi prashansha karte hain. Yahi janm labdh natajre ajir meens angan. Ye kitne bhagyavan hain log. Bharat ke angan mein inhone janm liya hai. Jahan sant darshan jahan satsang swarg mein sulabh kahan hai? Hai nahi. To in sabko prapt karke ham bhavsagar par na karen. Ji yahi to atmhtyaa hai. Ji ji to maharaj ji aap to purn svasth hain. Aur sharir ki jo avastha hai wo to utarchav aata rahta hai.

aap to shri ladli lal ke charnon mein virajte hain. Prabhu aur aapke darshan se ham brajvasi log bhi aandit aur kritkrit hote rahte hain. Main zyada thoda pravriti aisi hai par chhup chhup ke main khub darshan karta hoon. Idhar se jab bhi niklun to keli kunj ki chaukhat ko man hi man pranam karke jaata hoon. Roz bahut abhilasha thi. Baba ka darshan karen. Badi kripa karen. Badi hamare baikunthotsav guru ji ka prativarsha hota hai. 15 se 21 december usmen bharat ke sab sant kripa karke ate hain das ke upar. Aur shri maluk pith wale maharaj ji ne teen bar wahan katha ki.

ek bar Bhaktmal ji ki katha aur ek bar bhagwat ji ki katha aur isi sal unki hui thi to hamne kaha maharaj ji ab ke sukh ramayan sunaaiye wo maluk pith wale maharaj ji bade adbhut sant hai maharaj ji aur bade vidvan sant hai shri Rajendra das ji maharaj is bar unhone sukh ramayan sunai bhagwat ji mein jo ramachritra hai kaisa anand varsh to prativarsha koi koi sant sant kripa karke padharte hain aur wahan sab shravan karne wale bhi 90% to vakta hote hain aur das bhi baithkar ke niche shravan karta hai. Ye sukh jeevan ka prapt ho raha hai.

maharaj to bhagwat charcha bhagwat charcha aur vastav mein to bhagwat ki katha mujhe to lagta hai usmen bhagwan ki katha nahi hai. Bhakton bhakton ki adhik to bhakton ki bhakt naam bhagwat naam katha iti bhagwat katha ji ji ji yadi wah bhagwan ki katha hoti to uska naam hota bhagwat katha ji pranam to bhagwat katha haan bhagwat katha ji bhagwan ke bhakton ki katha maharaj ji wahi ham log shravan karate hain aur aap sab mahapurushon ke charan raj ke ashirwad se jab tak vani chal rahi hai tab tak yah seva bahut amrit hai. Bahut amrit maharaj bahut aaj main kab hua aur aapse baat karte

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi