॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

nishtha kaisi honi chahiye/ naam mahima par dadu dayalji ke amrit updesh / man ki ashuddhiyon ka ant kaise karen ?

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh vrinda Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam had madhupte smarta mugram nirvapyt param shital masya param shital mashyaje mohi eso vas braj mahi kaise ham braj mein rahe hamari rahni kaisi honi chahiye gori sakhi shri ji se aisa maang rahe hain deeje mohi vas braj mahi jugal naam ko bhajan nirantar jugal naam ko bhajan nirantar aur kadam ban chhahi dijiye mohiso vas braj mahi mujhe brajwas mile par aisa nirantar meri jibhya se yugal naam chalta chahiye Radha vallabh Radha vallabh Radha vallabh lal ko hriday dhyan mukh naam agar kahin Vrindavan ki lataon ke niche baithkar ke naam kirtan vani gayan ka saubhagya kuch kshan bhi mile to Vrindavan ki latae ashish deti hain.

Priya pritam ki priti ka ashish deti hai. Jaise koi Radha aisa ucharan karta hai to sunkar ke hriday mein lagta hai kya de du isko kaise sukh pahunchaun yah to ek shuddh thodi si priti guru kripa se acharya kripa se naam yat kinchit jo apaar priti mein dubi hui latae hain jinke patte patte se Radha Radha nikalta hai. Unko jab ham naam kirtan sunate hain, pad mahima jo leela gun se bhari hui hai to hamen ashish dete hain. Tumhare hriday mein yugal sarkar ke prati apaar prem prakashit ho. Pakka maniye.

yah latae sidhe prem prakashit karti hai hriday mein. Isiliye Vrindavan ki lata sam koti kalp tarunah raj ki tul vaikunth nahi aur lok ki mahi karodon kalptar samanta nahi kar sakte Vrindavan ki lata ke brajwasin ke juthan tuka aru yamuna ko pani rasikan ki satsangati dijiye sunbo ras bhari vani he priyaju aisi kripa karo ki mujhe Vrindavan vas mile brajwas mile nirantar jab tak hamare sharir mein chetna hai ham naam jap karte hue apne shwason ko vyatit karen koi bhi shwas bina naam ke na he priyaju Vrindavan ki lataon ka sevan seva karne ka saubhagya mile aur brajvasyon ki juthan pane ko mile.

unke tuk pane ko mile. Yah bada antarik rahasya hai. Brajvasyon ka ek tuk bhi Priya pritam ki taraf akarshit karne mein samarth hai. Hariram vyas ji ne kaha hai bhookh lage wo maang khaun gino na saajh savero brajwasin ke bhookh tuk aur ghar ghar chhach mahro eso kab kar ho man mero jab bhookh lage brajvasyon ki tuk mangkar udar mein dal liye yugal naam japte hue Vrindavan ki lataon ka sevan kar rahe yamuna ji ka darshan yamuna ji ke tat par baithkar lilaon ka gayan yamuna ji ka achman ye sab Priya pritam ke prem ko pradan karne wala hai.

vyas rasik tei bade brajte anat na jae Vrindavan ke swapach lo jathan mangan khae yadi rasikon ki sabha mein bade rasik jo kahe jaate hain to wo kaun hote hain bole jinhone nishtha le li hai ki braj chaurasi kos se bahar nahi jaenge kuch mahapurush purush to aise hain jo shri Vrindavan ki sima ko par nahi karte. Vyas rasik tei bade brajte anat na jae. Brajvasi jitne hain unmein jati paksh nahi dekha jaata. Ye bhagwat parsad hain. Vrindavan ke swapach lo juthan mange khain. Swapach lo. Ye adesh hai. Bahut bade mahapurush hain.

acharya hain. Kabhi aisa nahi sochna chahiye ki ye amuk varn ke hain. Yahan varn nahi hai. Yahan bhagwat parsad hai. Bhagwat dham hai. Dham mein keval bhagwat kripa patr jan hi rahte hain. Chahe wo pashu ho, pakshi ho, kit ho, patinga ho, lata ho, mahatma ho, koi grihasth ho, koi bhi ho, sab kripa patr kripa patr mein koi varn bhav nahi dekha jaata. Jati bhav nahi dekha jaata. Jaise loha tabhi tak loha kaha ja sakta hai jab tak paras ka sparsh nahi hua. Paras ka sparsh hote hi wah swarn ho jaata hai. Use loha nahi kah sakte.

aise hi param vaishnav dham Priyaju ka nij mahal ismen jo aata hai us shri Radhika kripa bin sabke manan agamya man se bhi nahi soch sakta kaisa hoga Vrindavan to wah aa chuka hai to ladli ji ki apaar kripa hui hai jab kripa rupi paras mani chu gayi to ab sharir sambandhi jati varn aadi ki bhavna ka tyag kar dena chahiye sab chid swaroop hai bhagwat swaroop hai bhagwat par parsad hai brajwasin ke juthan tuka aru yamuna ko pani rasikan ki satsangati deeje sunbo ras bhari bani badi kripa bhori sakhi jo priyaju se yachna kar rahi hai apne ko pata bhi nahi tha.

mangna bhi nahi aata tha. Jab mahatva jante tab to mangte. Bina mange an mange de diya shri ji ne. Manushya sharir mein Vrindavan ka aashray aur vas aur brajvasyon ke tuk anmange de diya. Yamuna ras rani to hamari priy sakhi hai. Unki to apaar kripa hai. Hamare yahan maharani shri ladli jo hai aur ras rani yamuna ji hain. Bahar bola jaata hai yamuna pat rani ki jai. Hamare yahan ras rani hai. Ras pradan karne wali shri ji ki priy sakhi hai. Jab rasikon ki sangati mil jae to samjh lena chahiye hamara antim janm hai.

yadi samjh theek ho jae aur rasikon ki sangati par mahatva buddhi ho jae to samjh lena chahiye ab hamara akhiri janm hai satsangati sansti kar anta goswami tulsidas ji kah rahe hain bade bhag pai satsanga to bin prayas ho bhav bhanga yadi satsang mil gaya to sanskriti chakra aavagaman ka ant hai. Isiliye sant ka sang mil gaya. Rasikan ki satsangati dijiye sunbo ras bhari vani. Kyonki unki ras bhari vani sunne se hamara jo malin man hai wah swabhavic nirmal hone lagta hai. Sadhna mein naveen utsah ane lagta hai. Jahan hamari galti hoti hai wahan hamko chubhte hain.

satsang ke vachan jalan paida karte hain. Bar-bar hriday ko jlate hain to hamari galtiya bhasm ho jati hai. Galtyon ka aparadh ka jo paap ka dand milna tha wah sab nasht ho jaata hai aur punah galti hone ki sambhavna nahi rah jati. Aisa prayashchit hota hai satsang sunne se. Kunjan ko nit doli boje deejo bho buhari milbe ki ma chatapti priti hi ati bhari Priya jo aisi kripa kar do ki hamara deha abhiman galit ho jae roz main Sohni lekar ke sarvjanik sthalon par Sohni lagaun. Sarvjanik jahan hamara seva ka bhav deh bhav ko galit karta hai.

parikrama marg hai. Jahan bahut se log ekatrit hote hain. Jahan bahut se log aa ja rahe hain. Wahan ki safai yah bahut badi seva dham ki hai. Sohni seva par dehabiman aise labh ko nahi lene deta. Ek aadmi karodon rupaye ka dan karen aur ek aadmi jahan se sab log nikelte hain, baithe hain, uthte hain, aisi jagah Sohni laga de uski samanta nahi kar sakta. Sohni lagane wale ki samanta kyonki uske andar kahin na kahin rahega ki main ek karod dan kiya hai. Lekin jo Sohni laga raha hai usko rona aayega.

dainyta aayegi. Raj udegi uske sharir mein lagegi. Sare paap nasht honge. Yah raj brahmeshwar aadi shuddh rup padarwind ki hai. Priyaju ki raj hai. Charan raj. Yah aapke hriday ko prem prakashit karne mein bilkul nirmal kar degi. Yogya bana degi. Agar dham aae ho to kahin bhi char hath Sohni jarur laga do. Tumhara saubhagya hoga. Yahan gandagi mat phailao. Yah Priyaju ka mahal hai. Yahan jo bhul chuk se gandagi faila dete hain usko saaf kar do. Badi kripa hogi. Aapke upar badi kripa hogi. Yadi aisa aap karenge par wo dehabiman nahi karne deta.

dhul lag jaegi. Jo tumhare karmon ki dhul dhul chatane ke liye tayyar hai usko mitane ke liye yah braj dhul hai. Jai shri bhatt dhul dhasar tan yah asha udhar bade wo mahan bhagyashali hain jinhone brajar ke dwara samasth karm bandho ko chinn bhinn kar diya hai. Ye jaldi samjh mein nahi aayega. Brajar lagane ki himmat nahi padegi. Papatma ko dekhte hain ki agar aise hua bhi to aise braj raj lekar aise lautne ki lagane ki ye bahut mahapurushon ke gadh vachan hai. Raj ka jarur sevan kijiye. Bahut prarthna ye amulya samasth bramhandon mein kahin bhi braj raj ki samanta karne wali kahin ki raj ki mahima nahi kahi gayi.

brajar ki mahima varnan ki gayi. Swayam shri bhagwan ek varsh tak shastron bakshon ka rup dharan karke sampurn braj 84 kos ki raj ka swad liya. Jab brahma ji ne aphrn kiya tab bhagwan hi swayam bachhde bane. Yah raj bahut apaar karunami hai. Sohni lagane se swabhavic hi raj ka abhishek ho jaata hai. Aur Priya jo dekhti hai ki mere mahal ki tahal kar raha hai. Bahut kripa hogi. Sampurn Vrindavan sampurn braj hamare prabhu ka nij ghar hai. Nij ghar hai. Kahin bhi Soni laga rahe ho to prabhu ke ghar mein laga rahe ho.

amrish ji aur Durvasa ji agar sadhna mein dekha jae to Durvasa ki samanta kadpi tribhuvan mein koi birla hi kar sakta hai. Amrish ji ki to baat hi jane do. Agar sadhan paksh mein dekho to Durvasa ji aur samarpan paksh mein dekho to amrish ji apne hath se Sohni lagate hain. Apne hath se pocha lagate hain. Chakravarti samrat hote hue bhi to sudarshan chakra unki raksha mein hai aur unko pata bhi nahi. Durvasa ji durwa ras pan karte hain. Keval valkal ki langoti lagate hain. 60 60 hazar varsh ki samadhi dharan karte hain.

koi sadharan mahatma nahi lekin kahin na kahin sadhan paksh ka bal hai. Aur amrish ji ke hriday mein sav man Krishna padarwind keval shri Krishna charnarvind mein man arpit karke nirantar chintan dainya bhav yah atma samarpan bahut jor ka hota hai. Ye Sohni lagana prabhu ke liye pocha lagana yah bahut badi baat hai. Dehabiman isi se galit hota hai. Kunjan ko nit dolbo deejo deejo bhor buhari roz Soni lagave kahin na kahin lagave ek niyam bana le thoda Soni lagane ka apne logon ko niyam tha pura hit dham ko karte hue parikrama marg Madan terror ke samne tak aise pura saaf kar pad gungunate hue jo Sohni lagane mein sukh milta hai na alag-alag swad hota bhajan ka jaise ek hi khoe ko bahut prakaar se ham swad lete hain.

kuch peda bankar, kuch laddu bana ke, kuch usi khoe ke vivid prakaar ki mithaiyan banti hai. Aise hi bhajan ka vivid swad hai. Mala lekar ekagrata purvak jap karna, satsang sunna, Sohni pocha lagana, bhagwat seva karna, sadhu seva ye vivid prakaar se usi bhagwanand ka rasaswadan hai. Shri bhori sakhi ji kahti hai Priya jo aisi kripa karo ki braj mein vas mile Vrindavan vas mile aur aapke kunjon mein roz Sohni lagane ka saubhagya mile ye sampurn Vrindavan braj ye kunj nikunj hai koti pran nit bari bo deeje dekht charan chhatari waise waise to mukhya panch pran hain aur panch pran sahayak hai to 10 pran kah gaye hain.

lekin agar karodon pran hote aur nyochhavar karte us nyochhavar ke badle mein shri ji ke gore charnarvind ko ek bar dekhne ka saubhagya milta to sasta sauda hai. Pran diye yah prem na pa kyonki shri ji ke charnon se prem pravahit hota rahta hai. Sat prem sindhu makrand rasog dhara prem dhara gore charnarvind se hi pravahit ho rahi hai Priyaju ke charnon se Lalaju ka prem hi Priyaju hai. Isliye ek rasik mahan purush ne kaha ki shri Krishna ka prem bina Priyaju ki kripa ke mil hi nahi sakta.

unhone vinod mein kaha shri Krishna ke paas to prem hai hi nahi. Wo to Priya ji hain. To ek upasak ne prashn kiya age dham mein ki unhone aise kaise kah diya hamen badi jalan hui ki shri Krishna ke paas prem hi nahi hai. To shabd bolie aap wahi shabd bolie jo wo bole wo kyonki aap milavat kar doge to arth nahi nikal payega. Aur jo ke ta shabd wo bole dekho unke shabdon mein jhaank ke dekho kya kah rahe shri Krishna ke paas to prem nahi kyonki shri Krishna ka prem to murtiman priyaju ke rup mein virajman hai to bina Priyaju ke charnon ki aradhna ke prem kaise prapt ho jaega kyonki prem rup to sandranand ghan prem murti kishori lalit rangili gaiye tate prem rang ras paie Priya ji koi aur thodi lal ju ke hriday ka prem jab rup dharan kiya to ladli ju ke rup mein hua koti pran nit bar bo deeje dekht charan chhatari jaise jo keval shri Krishna upasna mein abhi pravesh nahi paye hain par bhakti karte hain wo jab sunte hain ki lal jo mor mukut padhrate hain shri ji ke charnon mein to hamne dekha wo kyonki abhi prarambh hai unki bhakti ka bhagwan aisa kaise kah sakte hain bhagwan kaise aisa kah sakte hain theek hai lekin priyaju to Lalu to bhagwan hai na bhagwan se yahi yahi hai tumhari prambhik dasha jisse tum nahi jaan pa are wah sen nai ke liye raja ke charan chapne pahunch gaye.

wah apne bhakt ke liye sarathi bane baithe hain. Wah apne bhakt ki mal bhari langoti dho rahe hain. Priyaju ke charnon mein mahawar lagave to koi ascharya ki baat hai. Are prem samudra prabhu apne prem ka dular kar rahe hain. Tumhen ascharya lag raha hai. Kinchin matra kisi bhakt mein prem aa jaata hai to mere prabhu hath jode uski sevkai ke liye khade rahte hain. Bhaktadheen man pujya bhakt naam bhaykar kaise kaise samjhoge thodi si priti aa jae to jahan mera bhakt charan rakho wahan rakhun main hath piche piche main phiru kabhi na chhanu saath phir wo priyaju ke charnon mein matha rakh de kaun ascharya ki baat hai nanddas prabhu chavi vilokat priti ke pratipal chapat charan mohan lal koti pran pran nit bari boje dekht charan chhatari itni as pujavhu pyari bhori bali balhari deej mohi eso bas braj mahi jugal naam ko bhajan nirantar aur kadam ban chhahi deejo mohi eso bas braj mahi he pyari rup aisi meri asha hai aur aap atyant kripaluta dayaluta ke samudra ho meri as puri karo main aapki aapke gore charnarvind ko dekh paun.

aapki paricharyaa mein rahun. Yugal naam jap karun aur Vrindavan ki vithiyon mein aapka sumiran karte hue netron se aansu bahate hue raj abhishikt hokar apna jeevan vyatit karun. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain bhai bahut bhog liya hai bahut janm bhog liye hain. Ek bar meri prarthna man lo to aaj tak tumhen jo shanti aur vishram nahi mila wah mil jaega. Bhraat bhoga subhakta ka na bhata na sansaar madhya ae bhai tumhen pata nahi ki tumne kya-kya bhoga. Bahut kuch bhog liya hai. Sab bhog bhog liye hain.

kagbhundi ji ko bhagwat prasad se shastron janm ki smriti hai. Shastron janm kya shastron yugo ki smriti hai. Kai bar unke samne kalyug aa chuka. Kitni bar chaturyugi vyatit ho gayi. Wah kah rahe hain Garud ji maharaj se ki satya kahta hoon he paksheeraj harivahan aapke samne satya kahta hoon. Koi aisa karm nahi jo maine kiya na ho. Koi aisa bhog nahi jo maine bhoga na ho. Lekin aaj mujhe jo bhagwan ki smriti mein sukh mil raha hai wo kisi mein sukh nahi mila. Sab kuch karke dekh wo anek janmon ki smriti se sab dekh rahe hain.

sakal karm kar thake gosai sukhi na bhyo aaj ki aaj jo main bhagwan shri Ram ki pavan charcha karta hoon. Unka naam jap karta hoon. Unke dhyan mein magan rahta hoon. Isse bada sukh mujhe kisi bhi sadhan mein, kisi bhi bhog mein, kisi bhi karm mein nahi mila. Shripad kah rahe hain bhratar bhoga subhakta khub bhog bhog liye tumhen yad nahi hai. Jaise kai bar hamne smriti dilai ki nau mahine maa ke garb mein isi janm mein rahe. Kuch yad hai? Ek percent bhi yad hai tumhen? Zyada samay nahi hua. Koi 50 varsh, koi 40 varsh, koi 30 varsh, 25 varsh aise sab baithe ho.

aap vichar karke dekho ki zyada lamba samay nahi gaya. Isi janm ki baat hai. Kya aapko yad hai ki maa ke garb mein tumne kya dukh bhoga? 100 mein ek percent yad hai? Nahi yad hai. Phir piche janm ki kya janoge? Na bhavtana sansaar madhya. Is jagat mein na tum kabhi sukhi hue ho na sukhi ho paoge. Yadi bhajan nahi karoge. Dekho jab bacchapan to sikhaya jaata hai khub badhiya padho likho dhan kamao aise yogya bano. Badhiya hai. Kabhi adhyatma nahi sikhaya. Kabhi naam jap nahi sikhaya. Kabhi yah baith ke nahi sikhaya ki bado ka aadar kaise kiya jaata hai.

kabhi yah nahi sikhaya ki manushya jeevan ka lakshya kya hai. Ab wo padhai likhai mein gaye, vyasan seekh gaye, vybhchar seekh gaye, achchhi naukriyan pai, paise hain. Aur phir ghar mein akar ke un budhe mata-pita ko jo chalne layak nahi hai. Darwaza band karke aisi durdasha karte hain, marte hain. Pocho mat. Jab yah drishya dekhne ko milte hain na tab lagta hai bhagwan kripa karo in mata-pita ko jo apne bachchon ko shiksha nahi de rahe hain ki dharm kise kahte hain? Tum samjhte ho ye dhan kamane layak ban jaenge to tumhen sukhi karenge.

aise jaise janvar ko marte hain na krur karma log aise budhi mata ko marte hain. Pita ko marte hain. Pocho mat. Tab lagta hai yah janvar paida hue hain. Yah manushya rup mein pashu paida hue. Pashu kya Rakshash hai. Mane mat pita nahi deva sadhun te karvawe seva jinke ye aacharan Bhawani. Bhagwan shankar kahte te nishchar sam jano prani. Nishchar kahte Rakshash ko wo Rakshash hai. Tum apne santanon ko Rakshash mat banao. Yah jo keval tum mat pita balak bulawe udhar bhare so jatan sikhave tum Rakshash banane ki cheshta kar rahe ho bahut sajjan beta ek aaya tha abhi do char din ke antargat ekantik usne kaha meri maa kahti hai ki tumhara mobile tod denge yadi tumne satsang suna mera bap kahta hai ki tumhare tumko hamari kasam hai yadi Vrindavan gaye yahi bachchhe jab sataarg se vimurkh ho jaenge aur sharab pikar ghar aaenge tab tumhari puja karenge tab tumhen apni kasam dhyan aayegi ki agar yah Vrindavan jaata sadhu samagam karta to aaj laton se na marta aaj ye meri durdasha na kar chikh raha hai kya hai bhratar bhogas bhukta bhuktoge ye jo kar rahe ho karm bhuktoge tumhare beta beti dekh rahe hain ki buddhe ke saath kaisa tum kar rahe ho wahi intjam tumhare liye rahega.

wahi intjam usse badh ke byaj sahit chinta mat karo. Isliye ham sabse prarthna karte hain. Yah karm bhumi hai. Jo bij booge wahi phal katoge. Aaj dekhne mein lag raha hai ki mata-pita ke saath bada anyay ho raha hai. Lekin satya pocho to yah unke karm ka phal unko dekhne ko mil raha hai. Na kabhi Ram bole na Krishna bole na hari bole pura jeevan keval isi mein lagaya to dekh parinaam jinke liye jeevan lagaya wahi tera jeevan lene ke liye tatpar ho raha hai. Wo wahi tera nash kar raha hai. Jisko tune sajaya wahi tujhe dand de raha hai.

kyon? Bhagwan ka virodhi bhav rakhne wala kabhi sukhi nahi ho sakta. Hanuman ji maharaj Ravan ko kahte hath jodkar vinati karta hoon Ram ji ki vimuktata ka tyag kar de nahi shankar sahas Vishnu aj tohi san rakh Ram kar drohi. Main sabha mein kah raha hoon ye hazaron hazaron bhagwat swaroop mahapurush bhi teri raksha nahi kar payenge. Tera vinash ho jaega. Yadi tu bhagwan se vimurkh rahega. He bhraat bhoga bhavta na sansaar madhya sansaar ke beech mein tune kya kya nahi kiya bahut se paap kiye bahut se bhog bhoge ab buddhi thikane laga lo savdhaan ho jao abhi sab mita sakte ho sab galtiya mita sakte ho abhi bahut achhche ban sakte ho abhi bhagwat prapti kar sakte ho pura jeevan galti karta raha jamil antim mein narayan nikal gaya to bhagwat prapt ho gaya apna pata nahi kab antim ab sudhar lo.

agar hamari awaz aapke kan mein pahunch rahi hai chahe aise samaksh baithe hue ya YouTube mein aapke mata-pita kaise bhi ho hamari prarthna hai. Yadi wah vayovriddh hain. Chalne phirne mein asmarth hain to pehle samjh lo unki buddhi bhrasht ho gayi hai. Tumhen manna padega. Ye bhrasht ka matlab hota hai sthiti se gir jana. Ab wo theek nahi bolenge. Wah aapko gali denge. Aap ghee, chupdi, roti, sabji, daal sab denge. Phir bhi wah aapko gali denge. Aapke rishte natedaro se aapki ninda karenge. Par aap unki is bigdi hui buddhi ka rosh purvak anugman karte hue unko pitna, unko marna, yah aacharan mat karen.

kyonki unki karmu buddhi bigad chuki hai. Ab apne karm aap mat bigadie. Wo aapke bhagwan hain. Sachchi maniye unmein bhagwan baithe hue hain. Aise asmarth mata-pita ko bhagwan ki tarah dular karoge to tum sadaiv shri sampann rahoge. Lakshmi tumhare ghar se nahi jaegi. Aur jin gharo mein mata-pita ko tras diya jaata hai. Jin gharo mein aae hue pani grahan karke patni ke saath anarth nana prakaar ki dosh vrittiya wo ghar kabhi shri sampann nahi ho sakta. Sukh sampann nahi ho sakta. Aap satsang sunne aae ho.

isi ka sudhar karna chahiye. Mata-pita aapke saath kya vihaar kar rahe hain? Bilkul mat dekho. Ye man lo ki ye pagal hai. Unki baten mat suno. Tumka apna kartavya dekhna. Tumhara kya kartavya? Hamko keval apna kartavya dekhna. Hamen bahut kasht hota hai. Jab yah baat dekhte hain ki budhe asmarth mata-pita ke saath aisa vihaar tab lagta hai ek kaleja hai iska. Iska hriday hai ki bhagwan ne patthar ki rachna ki iske hriday mein. Are aur kaun jisne nau mahine garb mein rakha jisne apne rakt ka doodh bankar tumhen pilaya.

jisne tumhare mal mutr saaf kiya. Aaj tum hathi jaise jawan ho to lat marte ho. Danda marte ho. Unko gali dete ho. Chinta mat karo. Tumhare liye byaj sahit vyvastha hai. Byaj sahit dand milega. Agar tumhen thoda bhi yah pata hai ki bhagwan hai to itna samjh lo unke vachan bhi hai avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhashubbam shubh aur ashubh karmon ka bhog bhogna parta hai phir mata pita ye to sakshat bhagwan hai inke prati aisa ye kuch bhi bole hamne dekha hai vayo vridh aadmi ki buddhi patit ho jati patit agar jeevan bhar bhajan nahi kiya na to patit ka matlab hota hai sthiti se gir jana bhrasht hone ka matlab gir jana.

ab usko jo bolna chahiye wo nahi bol payega. Us samay hamko krodh nahi karna ki ham to itna khavate pilate hain. Ye hamari ninda karte hain. Ye ham bahut gadh baat aapko kah rahe hain. Jisne apne mata-pita ki seva kar li usne bhagwan ko prasann kar liya. Unke naraz rahne par unke gali dene par unke tiraskaar karne par bhi par hamari prarthna hai. Ham jo shabd kah rahe hain use dhyan se sunie. Jo mata-pita asmarth ho chuke hain, chalne phirne layak nahi hai, unke vartav aur unke katu vachno par dhyan na diya jae.

unhen bhagwan ki tarah pujan karke unki seva ki jae. Jitne din jie khub mehnat karke kamao, unko khao, piyo, kapda, latta sukh purvak jeevan to tumhara lok aur parlok donon ban jaega. Yah shabd ham shart isliye rakhte hain ki jo mata-pita apne kartavya ka palan karna nahi jante hain aur abhi chal phir rahe hain. Manmane aacharan karte hain. Gande vicharon ka poshan karte hain. Poshan karne walon ka shoshan karte hain. Aise mata-pita ke liye nahi kah rahe. Ham un asmarth mata-pita ke liye kah rahe hain ki jinki vastvik buddhi bigad chuki hai.

sharir seva mein samarth swayam nahi rah gaya hai. Ab hamara kartavya banta hai wo gali den. Wo pare pare hage to bhi hamen unki seva karni chahiye. Nischit bhagwan prasann ho jaenge. Nischit hamne aapko kai bar udaharan mein bataya hai mahabharat ka prasang. Ek mahatma Kashyap naam ke the. To ek vriksh ke niche baithe dhyansth the. Jab ek baguli beet kar diya to aise mathe se gira to aise dekha aur rosh purvak dekha to bhasm ho gayi aag lag gayi aur jalkar rakh hokar gir gayi unko laga meri tapasya bahut powerful ho gayi ek ghar mein gaye bhiksham de ek sadhvi bhagwat bhav paraayan pati ko bhagwan manne wali pati pativrata devi nikli pranam kiya brahman kuch kshan rukie abhi main aapko bhog lai je hi wo ghar gayi to dusre darwaze se uske pati aa gaye bilkul dhyan se sunna apne pati ko sakshat bhagwan manna apne pati ki hi aradhna mein tanmay rahna ye pateevrat bada mahan dharm hai.

isi se bhagwan shankar brahma aur Vishnu ko chach mahine ke balak Anusuya ji ne bana diya tha. Lekin ye bahut durlabh baat hai jo apne deh ko pavan karke ek pati ko samarpit karke aajeevan wo devi ye bharat yati aur satiyon ka desh hai. Dharm ki yahan jai jaykar sadaiv hoti rahe hoti rahegi. Haan thoda kam zyada antar parta rahega. Ab aaj kya dharm ko samjhe jo boyfriend girlfriend yah dalit duraen dimaag mein baith gayi hai. Yah kya samjhenge ki dharm kise kahte hain? Pativrat dharm kise kahte hain? Ek patni vrat kise kahte hain?

jiska pani grahan kiya aajeevan nirvah kiya. Ab wo pati seva mein pati ko baithana unko jal pilana. Phir iske baad kaha bhagwan aapke ghar mein ek atithi bhagwan us darwaze par aae. Adesh ho to main unka swagat karun. Bhiksha de du. Kaha tatkaal jaiye tatkaal jaiye wo kuch phal phool anadi le gayi itna vilumb kyon kiya wo to us rosh mein the ki hamara tap badh chuka hai maine baguli ke dekha tha bhasm ho gayi to kaha bhagwan shant shant vilumb ka karan main ek pativrata hoon mere prabhu mere patidev aae main unko asan diya jal pilaya phir unki anumati se aapko dene aae ho unhone kaha tumne hamko aisa vaisa mahatma samjh liya liya kya?

to usne kaha maharaj tumhare us vriksh ki baguli nahi hoon ki tumhare dekhne se bhasm ho jaoongi. Main ek pativrata hoon jo baithe-baithe tino loko ka darshan kar rahi hoon apne patirat dharm ke vrat se bahut bada bal hota hai patirat dharm mein. Ye koi khilwad nahi hai. Grahasti koi sadharan dharm nahi. Aap log jise bilkul avhelna kar rahe hain ki are ham to grihasth hain. Ham to vishay hain. Are bhagwan ke ansh ho. Tum jahan ho wahin se bhagwat prapti kar sakte ho. Itni samarth aap mein hai.

ab to hosh ud gaye unke ki yah baat to keval main hi janta tha ki baguli ko dekhne se bhasm hui. Dusra koi nahi. To hath joda aur kaha devi tumhen kaise pata hai? To unhone kaha itna hi nahi pata. Mujhe sab kuch pata hai aapka. Mujhe purv janm ka bhi pata hai aapka. Main apne pati ki seva ke prabhav se trikalak bhi ho chuki hoon. Jao abhi tumhen sacha gyan prapt nahi hua. Sacha gyan prapt karane ke liye amuk prant mein jao aur wahan jo mans bechne ka vyapar karte the. Kasai ke rup mein wo janme the us kul mein lekin wo kharid karke mans vyapar unke kul parampara ka wahan jaiye aur wah tumhen dharm ka updesh karenge.

vichar kiya ki itne siddh mahapurush hai apne pativrat dharm se mujhe jana chahiye. Wahan gaye to kitna chahiye jo jitna ho vaisa ghrinit yah updesh karega dharm ka chalne lage to kaha Kashyap ji bina prichay ke prichay Kashyap ji rukie rukie aapko amuk ganv ki pativrata patni ne bheja hai na haan pehle phone to tha nahi ki phone kar diya hoga bole aap rukie main apna vyapar rupi puja karm kar lun phir aapko main updesh nirdesh karta hoon. Ashcharyachkit ho gaye. Itna malin karya karne wala aur trikalgya hai.

yah bhi bina prichay ke prichay janta hai. Aur wo patni ne kya kaha yah mujhe kaise baad mein jab apni seva se nivraat hue to dukan ko apni pranam kiya, pair chhwa aur wo karm bhagwan ko samarpit kiya ki main mujhe jis kul mein janm diya wo main karm kar raha hoon aur naam jap nirantar chalta. Unhone kaha pehle to main puchna chahta hoon aap itna nindniy karm kyon karte hain? To kaha meri kul parampara se chal raha hai. Phir tumko itna pavitra gyan kaise ho gaya tino kal ka? Bole main nirantar naam jap karta hoon.

apne karm ko bhagwan ki puja samjhta hoon aur aao aur ghar le gaye aur dikhaya ki shwet palang par budhe mata-pita baithe hue hain. Jakar sashtang dandvat kiya. Bole jo usse dhan milta hai usse main apne in bhagwan ki seva karta hoon. Raat din mata-pita ki seva ke prabhav se naam jap ke prabhav se apne vyapar ko bhagwan ki puja samjhne ke prabhav se mujhe tino kal ka gyan hai. To unhone kaha meri tapasya apurn kyon hai? Kashyap ji ne unhone kaha isliye ki tum apne mata-pita ki avhelna kar chuke ho aur wah vridh mata-pita bhtak rahe hain.

unki seva chhodkar unki anumati ke bina tum ye aisa jao pehle unki agyaa ka palan karo. Aap samjho mahabharat mein padh ke dekhna bhagwan shri krishnan vyas dev ji ne likha hai aaj unhee mata-pita se jinse param siddhi prapt hoti hai param kripa prapt hoti hai ye nadan log nahi jaan pa rahe aur apna karm nash kar rahe hain. Karm nash kar rahe hain. Pura jeevan nasht kar rahe hain. Ham is vishay mein isliye bol rahe hain ki aajkal bahut bachchhe udand ho rahe hain aur byah hua to wahi nai bachchyan jinko apne mata-pita ka sammaan karna nahi aaya wo apne pati ke mata-pita ke saath duryvhaar karti hain.

pati ke adhin karke donon milkar unko pida phuanchte hain. Ham vayovriddhi ki baat kah rahe hain. Ham unki baat nahi kar rahe jo samarth hai kar sakte hain. Jo shoshan karte hain ham unki baat nahi kar rahe. Ham unki baat karen jo asmarth hai. Chalne mein bhi asmarth hai. Ab unke upar dande ka prhar unki pitai bilkul theek nahi. He bhratar bhoga subhakta jo tum karm kar rahe ho subhakta tumhen bhogna padega. Aur bahut bhog chuke ho. Jaise maa ke garb mein kitna bada dand bhoga tumhen yad bhi nahi hai. Isliye bhatana sansaar madhya dobara is sansaar ke beech mein janm na ho aisa upay kar lo.

kya vidya dan dhara kati kati jagat khyati puja labdha isse tumhara janm maran nahi rukegaa. Bahut padh likhkar vidvan ho gaye ho to tumhari khyati ho jaegi. Bahut dan de doge to tumhara yash ho jaega. Bahut bhog samgri ahar vihar bant doge bahutayat rup mein tumhare paas aa jaegi. Lekin tumhara janm maran nahi rukegaa. Janm maran rukegaa. Adhyahare piyik uran van samatma Shrimadd Vrindavan satat mat sake sarvto mukt sang ahar vihar ki chinta chhod do yogakshemya hamam ka theka bhagwan lete hain apne kartavya ka dharm purvak palan karo dhan ki chinta mat karo aa jao shri dham Vrindavan satsang suno uske anusaar aacharan karo sadhna bhajan karo tumhara param mangal ho jaega aavagaman se mukt ho jaoge he sakhe vrindanyam taje pravti yadi kopas jim chhin Shrimad Vrindavan mam yadi nati balat kopitam hyavashyam yadi kisi ne mujhe Vrindavan se bahar jane ki baat kah di to main uski itni anannya nishtha hai shri pad ki.

bole aap ek bar aie. Phir use kahna parta hai ki kshma kijeyega. Shri dham Vrindavan ka kshetra sanyaas hai. Kshetra sanyaas ka tatparya hota hai main jis kshetra mein sanyaas le raha hoon us kshetra ka kabhi tyag nahi kar sakta. Ise kshetra sanyaas anannya nishtha. Aur kah rahe hain yadi koi mujhe rishte nate ya kisi sambandh se balat Vrindavan se bahar karne ki koshish karega to main usko Shrimadd Vrindavan mam yadi naiti balat kopitam hyavashyam bahut jor ki baat hai bahut hosh mein sunna ye do baten to ho gayi anannya nishtha ki ab rahne ki baat kar rahe hain ek gazab ki Vrindavan ki nishtha hai shripad baat prabhudand ji ki jaban katne ka matlab hota hai main tumhari baat nahi manunga.

dekho nahi jaise gurjan baat kar rahe ho to wo nahi kahte kyon bar-bar hamari jaban ko kaat raha hai jo main bol raha hoon baat man jaban katne ke do arth hote hain. Ek murkhta purvak arth nikala jae to bole jaban pakar ke katna aur ek hota hai baat na manna. Is saral shabdon mein sant kisi ki jaban nahi katte. Sant unki baat nahi mante. Yahi hai jaban katna. Bole hamari juban ko bar-bar kaat rahe ho. Ham jo kah rahe hain usko nahi manna matlab jaban katna. Usko saral shabdon mein samjhiye. Aur marna ka tatparya hota hai ham aapko aaj se apna nahi mante.

jaise dhruvdas ji ne ise saral bhasha mein kaha mata mitra sutaditya taj dhruv tinko paas Vrindavan ke vas ko jinke na ullas wo koi bhi ho ham apna sambandh nahi mante hain jo hamen Vrindavan se bahar kar sake aise iska arth lo ab jo kah rahe hain wo bahut gadh vishay hai kamam beshyam upya nakhal pranya ya toyam kammam cham kur dhan na pad Vrindavan kaise arth padhe himmat nahi par rahi kammam veshyam khal parinya yaat yam kammam bahut unchi nishtha hai isliye samjh pana bahut kathin hai. Ye bahut badi baat kah rahe hain ki Vrindavan mein main vaishya gaman karke bhi rahna sweekar kar sakta hoon.

lekin Vrindavan ke bahar mein bahut badi baat kah rahe hain. Matlab uska arth karna kathin hai kyonki unki bahut unchi nishtha se baat kar rahe hain. Bhala brahm bodh sampann mahapurush ke andar kahin kamna ho sakti hai. Bhala aise antahkaran wale mahapurush jo prem mein nishth hai unke andar kahin kamna ho sakti hai. Lekin nishtha ki charm sima ka swaroop hai. Ye nishtha ki charm sima samjh pana bahut kathin baat hoti hai. Bahut kathin baat hoti hai. Rasik anannya mal mein ek charit aata hai ki wah unke Gurudev bhagwan Harivansh mahaprabhu the.

unhone bataya jaise hari Ram vyas ji ko Shyam shyama pad kamal sang shanayo Shyam shyama ke charnon ki jo aradhna karne wale bhakt jan unki aradhna se nischit Priya pritam ki prapti hui. Unhone grihasth mein the wo apne ghar mein sadhu seva vistar karne lage. Jo jahan jaise sant sunte unke ghar ate to ek naujawan aadmi ne jo bilkul koi matlab bhajan sadhan se nahi dekha bahut sadhu vesh mein halwa puri khawaya jaata hai aur dakshina bhi milti hai to pakhand vesh dharan karke wo sadhu nahi tha wo wahan gaya to unhone uska pujan kiya waise hi jaise sant seva karte hain ab wahan koi rok-tok nahi thi to jaise yah nishtha hai aise wo bahut unchi nishtha usko sab log nahi kar sakte bhi nahi chahiye.

ab unke ghar mein ek navyuvti bachchi thi jo byah yogya thi aur matapita aur sab khub vaibhav aishwarya aur sadhu seva karte the. Ratri mein chat mein garmiyon mein shayan hota hai to sant jo sant nahi the keval vesh matra tha wo kuch aisi cheshta bada prasangam saransh nishtha ka swaroop subah hua ab angan mein mata pita aur wo samjh gaya tha ki dekh ab wo ghabra raha tha uske pran vyakul the ki mare gaye ham. To hath joda donon ne kaha prabhu main sadaiv santo ko bhagwan manta raha hoon aur aapko bhi bhagwan manta hoon.

aapne jo bhi cheshta ki main samjhta hoon mere Radha vallabh lal ka hi ishara tha. Aap is beti ka pani grahan karen. Sara mahal aur ye sab ishwar aapka aur mujhe adesh karen. Ab main apne guru Harivansh chandra ji ke paas Vrindavan jakar aur chal diye sab chhod ke. He aisi nishthaen kahin hazaron mein nahi hoti koi birla to jaise shripad kah rahe bahut unchi nishtha ki baat hai ise sadharnatya na le liya jae kyonki jo brahm bodh sampann mahapurush na swatma Ram vishay tashna bhramti aur dusra jo prem mein wahan kahin gunjaysh hi nahi hai yah nishtha ki keval baat hai kah rahe ki yadi to bhale chori karke kha lun choram kuram dhanartham nat chalti padam ant Vrindavan mein ek kadam Vrindavan se bahar nahi hoga chahe mujhe chhin ke khana pare chahe chori karke khana pare chahe Vrindavan Vrindavan Vrindavan isiliye iski vyakhya zyada nahi ki ki ye agyani jeev nahi samjh payenge parihase panya priy kathan mukto ba hi raha.

dekho dekho ab samjhna agar main kabhi hansi majak mein bhi bura bolne ki baat aayegi to gunga ban ke rehunnga. Kabhi kisi ko kasht dene ke liye hansi majak bhi nahi karunga. Parihase aise mahapurush bhala jara sochna. Isiliye wahan ruk rahe the ki shayad hai bahut log bahar ke bhi baithe na samjh pave. Itni unchi sthiti ki baat aur mahapurush ki baat ka uphash karne lage. Parihase pyyaa priy kathan muti bara yadi kisi ka apriy dukh bhara mera vachan unke kan mein pahunchne ka ho apni wala ho to main zindagi bhar maun rehunnga kab boluga nahi parihas mein bhi nahi boluga jisse kisi ka hriday dukhi ho aur pareshaan dosh shrati Manu vilo nayan yadi Vrindavan mein koi galat kar raha hai aisa mere netr dekhenge to kabhi dekhne layak nahi rakhunga apne netron ko.

Vrindavan ka dosh main nahi dekh sakta. Vrindavan vasi ka main dosh bhav kabhi apne pareshaan doshan main sununga bhi nahi. Man se bhi nahi chintan karunga. Aur vilokendra nayna dekhte hue bhi main andha ban jaaunga. Apne netron ko dekhne layak nahi rakhunga. Yah nishtha Vrindavan aur Vrindavan vasi shilavan nishcha badha lav vidh yadi koi hamare sharir ko pitne lagega to main bilkul patthar ki kaasht ki tarah ban jaaunga peet lo praarabdh hai is sharir main palat kar usko thappad nahi marunga itni badi sthiti ko samjhna hai aisa dekha hai mahapurushon ko dekha hai dekha hai aap log is samay se aadhunik vatavran mein hai ki jahan wah kasht nahi mile hain.

nicha apmane sudha nich purushan dwara kiya hua apman amrit ke saman saha jaata hai. Ye avsar hote hain. Ye kripa hoti hai. Aap kaise samjhoge ise kripa kahte hain. Ye pariksha hoti hai. Bhumika badalne ke liye aise bhumika badti hai adhyatma ki. Bade-bade mahapurushon ki. Chahe koi kitna bhi mujhe kasht de pite main patthar ke hriday rakhkar ke sah jaaunga kabhi shilavan nishchashta koi cheshta hi nahi karunga patthar mein jaise danda maro kuch nahi bola aise par vapush bala lav vidho lesh matra bhi pitne wale ko kasht nahi hone denge ye Uma sant ke yahi bai mand karat jo kare bhalai he pyare aise Vrindavan vas karo.

aise Vrindavan vas karo. Aisi nishtha do. Akhri janm hai. Vrindavan mein satsang sun rahe ho. Naam jap karo. Nahi Vrindavan vas hai to aashray le lo. Par itne sahnseel raho. To ye akhiri janm hai. Bar-bar janm maran ke chakra se mukt ho. Manav jeevan keval achchhi kamai ke liye hai. Santo ke mahmmahim vachno ke anusaar jo chalta hai wah punya ekatrit karta hai aur jo kumarggami buddhi ke anusaar chalta hai wah paap ekatrit karta hai. Bhagwan ke siva suno mahapurushon ke vachan hai. Bhagwan ke siva tum kisi aur ka sahara loge to ant tak tumhen pachtana padega.

bhagwan ke siva kisi aur ka sahara loge to ant tak tumhen pachtana padega aur narak jaisa jeevan ho jaega. Narak jaisa jeevan bhagwan ke aashray mein jo apaar sukh hota hai kaise ham tumhen batayen. Ye jeev sochta hai dhan ka aashray, parivaar ka aashray bilkul sab natak dhokha hi dhokha sachchi wali hai. Bhagwan ke siva dusre ka sahara loge to antim mein tumhen pachtana padega. Narak jaisa kasht hoga aur agar bhagwan ka sahara hai to sache mane jeevan param mangalmay dekhne ko mil raha hai. Narki sthiti se jeevan param mangalmay dekhne ko mil raha hai.

dusra sansaar ke manushyon se jo prem kiya jaata hai wah agle janm ka nimantran hai. Agla janm ka aur yadi bhagwan se prem kiya jaata hai to paramdhaam jane ka agla janm ka khatm. Ab dekho tumhen pasand kya karna hai. Tisra jis sharir mein jitni asakti kar loge agla wahi janm usi sharir ka milega. Jaise hiran ke sharir mein asakti kar li to bharat ji hiran ban gaye. Puran ne stri mein asakti kar li to puran ban ke agle janm mein stri bankar ke janma. Isliye jis sharir se adhik prem kar jo makan se zyada pyar karta hai wo chhipkali bankar makan mein rengta hai.

dhyan jo jisse adhik waise yoni ko prapt he tum yoni prapt karne ke liye nahi aae. Tum bhagwan ko prapt karne ke liye manav deh prapt kiya hai. Naam jap karo. Sachchai se naam jap karo. Tumhen khud dikhayee dega jo likha hai. Koi kisi se pyar nahi karta. Sirf natak sirf natak pyar ka chal raha hai. Koi pyar jo rag aur dves purvak jeevan vyatit karta hai. Wo durgati ka patr bankar ke nana prakaar ki narki yoniyon ko bhogta hai. Prayah rag dves mein hi jeevan ja raha hai. Yah 18 dosh bhogne hi padte hain jo bhagwan ka bhajan nahi karta hai.

bhookh, pyas, bimari, budhapa, rag, dves, moh, ninda, chinta, bhay, khed, vishad, janm, maran, vismay, shok, mand, arti. Kahin man nahi tik raha. Ghor, ashant, depression mein, arti. Yah 18 dosh bhagwat vimurkh ko bhogne hi padte hain. Aur yadi wah bhagwan ke ashrit ho jaata hai to usmen jaise bhookh hai, pyas hai, bimari hai, budhapa hai. In sab mein bhagwan ka ek vishesh kripa prasad rahta hai. Dekho beta aur bahu ki katha sun chuke hain. Ek sant bhagwan ne kabhi shishya nahi banae the. Shridhar Baba aur jab vriddhavastha ai to apne log aath da santo ki hod lagti thi ki dekho aapne ek ghanta seva ki hai.

ab aap hatie ab ham sevak aur jante unko kaise soch karai jati thi. Aise tang liya jaata tha dosh aise hath mein karai jati thi. Kyon? Kyonki bhajan karte the. Saubhagya tha kisko shauch karane ko mile kisko snaan karane ko mil jae kisko vastr dharan yah saubhagya bhagwan ke siva kisi ko apna nahi mana to aise god mein santo ki god mein unki seva hoti thi aur antim samay Radha Radha mukh se nikal raha tha sab sant kirtan kar rahe the aur aise padhare pocho mat ye hai na koi shishya na koi jagah na koi ek rupya to aise bhagwan ki tarah antim samay unki ki puja hui jab unka sharir asmarth tha duty lagti thi alag-alag duty lagti thi kai sant bhagwan apne duty mein lagi thi ki itne baje se itne aur ladai hoti thi dekho aapne sava ghanta aaj kar liya 15 minute zyada kar liya ab aap hatie aap mujhe to kahte yar thodi der aur kar le lobh lagta ki jitna adhik main seva kar paun kyon kyonki bhajan paraayan the aur wahan paida kiya hai sampatti di hai lat mar rahe hain bhagwan se vimurkh jo hai use vishesh 18 dosho ko bhogna parta hai.

jo bhagwan ke kripa patr hote hain unhen sant sang milta hai. Jinhe sant sang milta hai. Unmein antkaal mein jaise bhagwat prapti hogi vaisa sanyog bana diya jaata hai. Ant kal mein dadu man hi somal upje man hi somal dhoi seekh chale guru sadhu ki to tu nirmal hoi naam jape ruchi sadhu ko sadhu jape ruchi naam dadu donon ek tak yah arambh yah kam kah rahe man ganda ho gaya hai ab man hi nirmal ho tab baat banegi. Kaise nirmal ho? Bole guru ka updesh sadhu ka sang yah sabun hai. Bahut jaldi man ko nirmal kar deta hai.

bole jab naam jape tab ruchi sadhu ki jab naam japo kahe to santo mein tumhari priti ho jaegi. Aur jab sant naam denge tab bhagwan mein priti ho jaegi. Ye niyam hai. Ye siddhant Gurumuakh ke prapt naam se hi bhagwat sakshatkar hota hai. Dadu hari sadhu yo paie avigat ke aradh sadhu sangati hari mile hari sangat su sadh. Bole jab hari ki kripa hoti to sadhu milte hain. Aur jab sadhu ki kripa hoti hai to us avigat paramatma ki aradhna shuru hoti hai tab wo hari milte hain. To hari ki kripa ka phal sadhu aur sadhu ki kripa ka phal hari darshan hari jab avyakt kripa karte hain tab sant darshan milta hai.

ab moh bhav bhros hanumanta bin hari kripa mile nahi santa to man bhang bahu vish bhyaa nirwish kyon na hoi dadu miliya guru garuni to nirwish kiya soi bole ye man bada vish phailata hai kam krodh lobh moh mad matsar bada vishay bana diya to bole ab ye vish kaise utre bole guru garuni vish utarne wale Gurudev hain. Jo Gurudev ne naam mantr diya hai, usko japo to man ka sara vish utar jaega. Nirvikaar man ho jaega. Puja man badhaiya aadar mange man Ram kahe sab parihre soi sadhu jan sabke man mein hoti hai.

hamari puja ho, hamari man ho, hamari bai ho, hamara aadar ho. Lekin sadhu wahi hai jo man badhai aadar ko sweekar nahi karta ichchha nahi karta sab mein mere prabhu hai sabko prabhu ko bhav se pranam itne virat rup bhagwan itne rup mein akar darshan dete yah bhav nahi rakhna man bardai aadar iska kahin bhi nahi mere prabhu akar mujhe darshan dete hain karuna karke itne rupon mein darshan dete hain jo bhagwan ko prapt karna chahta hai. Wah sadhu kaisa hota hai jo man badhai aadar aadi ko bhi sweekar nahi karta.

vish sukh mahi ram raha maya hit chit lai soi sant jo ubhre swad chhod gun gai sansaar ke vishay bhogon mein ram rahe jeewo ka udhar kaun kar sakta hai bole sant bole kaun sant jo bole keval bhagwan ke gun ga raha uske badle mein kuch nahi chahta hai agar kuch chah hai rupya paisa bhog samgri swad man badhai pratishtha to uski vani ka prabhav nahi padega. Vishyon mein fanse hue maya mein fanse hue jeevan ka udhar kisse hota hai? Bole sant se. Bole kin sant se? Bole soi sant jan uya jo swad chhod gun gay swarth swad inko chhodkar koi bhi chah nahi keval swata sukhae tulsi Raghunath gatha bole aise santo ki vani se maya mein fanse hue logon ka udhar hota hai sadhu mile tab upje hriday hari ko dhyan dadu sangati sadhu ki abhigat purwe aa bahut shighr paramatma prapti hoti hai.

aise sant mahatma ke sang se unke batae hue dhyan naam gun kirtan se bahut jaldi bhagwat sakshatkar hota hai. Prem katha hari ki kahe kare bhagat la lai piv pivave Ram ras so jan mil ai bole bade santo ki pehchan kya hoti hai? Bole jinke paas baithe se keval bhagwat charcha hi ho. Hamare aacharan sudhre, hari naam mein priti ho, hari charnon mein priti ho, bhakti ka hriday mein pradurbhav ho, wah swayam bhagwat ras piye hue hain aur wahi bhagwat ras hamen pila sakte hain. Sahab so sanukh rahe satsangati mein ai.

dadu sadhu sab kahe so nirla kyon jai? Bole sahab ke sanukhta bani rahegi yadi sant sang rahega sahab hari hari ke sanukh ho jaoge aur sanukh hoe jeev moh jah janm koti yag nash tah karodon janmon ke paap us jeev ke nasht ho jaate hain jo bhagwan shri hari ki sanukhta prapt kar leta hai wo sanukhta sadhu sang se prapt hoti sadhu sang kabhi nishphal nahi ho sakta amogas nirairi sab jeev so sant jana soi dadu ek atma bairi nahi koi sant wahi kisi bhi sampraday ki me pura vishv Vishvambhr sab jag abhas ek hi paramatma tatv anant bramhandon mein hai phir mrityu lok ki baat kya nirweri sab jeev so sant jana soi sab kisi se bair nahi.

sab apne hain. Sab apni atma hai. Dadu ek atma bairi nahi koi. Kahe ko dukh dijiye ghat ghat atma Ram. Dadu sab santoshie yahi sadhu ko kam. Ghat ghat mein hamare prabhu rame hue hain. Jo uska sakshatkar kar leta hai. Wahi bhagwat prapt hota hai. Kaise sakshatkar hota hai? Ek akshar peev ka soi sat kar jani hari naam satguru kaha dadur so parwani jo Gurudev ne akshar bola bas usi pakar liye bahut jagah mahapurushon se mila hai guru dwara diye gaye naam mantr ka adbhut chamatkar hai bas usi mein lag jao jitna japoge utna hi labh milega dadu ni ka naam hai teen lok tar jae raat divas ratbo kare raat din bade bhagyashali jinko yah pata hai ki jana hai mujhe to khub adhik dhan kama le naam rupi dhan Radha Radha Radha Radha vallabh Radha vallabh daduni ka naam hai hari hriday nasari murti man mahi base sans sans sambha bhari tab janna ki hamara naam rang la raha hai.

jab har swas mein naam chale aur samne naam hi ki chavi virajman ho. Dadu ji sahab kah rahe murat man mahi base sanse sans sambhari. Dadu ni ka naam hai aap kahe samjhai aur arambh sab chhan de hari naam lo lai. Keval lagan laga lo naam mein sab purti ho jae. Jitna naam adhik japoge shri bhagwan gita ji mein kahte hain ki kai prakaar ke hamne yagno ka varnan kiya shreya dravy maya yagya gyan yagya par tap sarvam karmakhilam Parth gyan parismapte badi yagya abhi kal charcha ki thi ki shri bhagwan ne bataya hai brahm yagya dravy yagya swadhyay yagya tap yagya pranayam yagya bhagav darpan yagya abhinnata yagya kartavya karm rupi yagya vishay havan rup yagya samadhi rup yagya yog yagya stambh pravriti ye sab yagya hain.

in sab yagno mein bhagwan kah rahe hain jo dravy yagya hai rupya paisa se jo yagya hoti hai yah jitni bhi yagya hain in sab mein gyan yagya shreshth hai sarvam karmakhilam Parth gyane par samapt isliye shreya dravy maya gyan yagya param tap param kalyan jo hota hai wo gyan hone se hota hai itna to gyan ho jana chahiye ki hamara swaroop bhagwan ka ansh hai. Bhagwat swaroop hai. Ham sharir mein phas gaye aur mujhe mukt hona hai is sharir se. Is sharir se mukt hona hai. Agar is sharir se mukt nahi hue to bahut ghatiya sharir milne wale hain.

kida, makuda kitne yoniyan hain. Jo rupaye se yagya hoti hai usmen mahta dhan ki hoti hai. Isliye wah param labh nahi prapt ho pata dravy yagya ke dwara. Dravy yagya mein sab padaarth aa jaate hain yagya ke kyonki wah sab arth se prapt hote hain. Ek dravy yagya karen 10 ashvmedh yagya aur ek ek bar shri Krishna ko bhav se pranam kar le to 10 ashvmedh yagya karne wala shri Krishna ko pranam karne wale ki barabri nahi kar sakta. Ab aap vichar karo dravy yagya kitna chhota hai jisko bahut bada mana jaata hai.

yahan bhagwan kah rahe hain dravy yagya se shreshth hai gyan yagya. Kyonki sabhi yagya karm janny aur karm karne wale mein yah rahta hai ki maine ye kiya. Ek hamne dekha hai yagyakarta ko abhiman rahit. Andar ke kitne vishuddh bhav hote hain. Dharmik purushan mein unki maida ki kai phaiktriyan thi. Wah ate the. Purv guru ashram mein jab sanyaas marg mein the da gaadi unke saath hoti thi bahut dur se gaadi aur paduka utar karke sabko wahi rok kar akele unhone jab yagya karai sab jo yagya ke ek hath mein tokri ek hath mein Soni jahan koi kha pi ke phir har suvidhae sab pavitra vaidik siddhant se hona aur unka kam keval yahi tha jhaddu aur tokri li pure kilometer mein yagya mandap tha puri sab vyvasthaye aur akele kisi ka chanda nahi khub arth tha aur wo swayam ye karte the jab koi unse puchta yagya koi

kahin bhi koi poster bainar nahi aur koi puchta yagya kaun karate to hamen to pata nahi ham to yahan dona pattal fenken ki seva mili bas wo jante hain koi nahi janta tha yagya kaun kara raha khub anandam aise aise koi koi dravy yagya karne wale birla hote hain jo bhagwat samarpit hote hain par unko gyan hai is baat ka ki taday vastu Govinda tyam samarp denhar koi aur hai det rahte din rahan log bhram mope kare taso niche nain aise wo grihasth mein rahte hue bhi wo mahan yagya the yagya karne wale to jab dravy yagya karai jati hai to usmen kahin na kahin aham spurit ho jaata maine itne karod arpit kiye maine itne logon ko pya to jeevan mukt hone ke liye wo paryapt nahi rah gaya kyonki aham ka lay hona chahiye.

isiliye bhagwan kah rahe hain sarvam karmakhilam Parth gyane parismapta gyan mein kya hota hai? Aham ka nash ho jaata hai. Isliye bhagwan yahan kah rahe ki sabse badhiya yagya hai gyan yagya. Antahkaran mein teen dosh hote hain jinke karan bhagwat sakshatkar nahi ho pata. Mal mal kahte hain sanchit paap ko. Jo sanchit paap hote hain unke karan bhajan mein man nahi lagta. Jahan bhajan shuru karoge bhagwat marg ki baten shuru karoge to paap akarshan shuru ho jaega. Ise mal kahte hain. Dusra hota hai vikshep. Chitt ka chanchal hokar bar-bar bhoge hue vishyon ka chintan karna.

ise vikshep kahte hain. Awran awran kahte hain ahankaar, agyaan. In teen ke karan jeev ki bhagwan mein ruchi nahi hoti aur bhagwan ki prapti mein badha ye teen phuanchte hain. Mal, sanchit paap, vikshep, bhogon ke prati chitt ka chanchal hona, awran, ahankaar, agyaan. Jab ham koi bhi karm karte hain to usmen ye awran dhak jaata hai. Ahankaar maine ye kiya aur jahan ye hua maine ye kiya to uska kalyan nahi ho pata. Yah khas baat hai. Uska phal milega use bhagwat prapti nahi ho paegi. Ahankaar vimudhatma karta mante ahankaar mein mudhta bani rahti hai aur yah rahta hai ki maine yah kiya aur jab maine ye kiya to avashya bhogna padega.

chahe shubh ho ya ashubh ho bhagwat prapti nahi hogi. Jab hamen kisi mahapurush ka aashray milta hai sant mahatma ka aur wah jab hamen updesh karte hain tab hamen samjh mein aata hai ki sare karm bhagwan ke liye karne hain. Hamare paas jo shareerik bal rupya paisa bhog samgri sab shri bhagwan ki to ham bhagwat bhav se jab karm karke bhagwan ko samarpit karne lagte hain to hamare andar ke dosh nasht hone lagte hain. Mal pehle nasht hoga. Sanchit paap bhasm ho gaye. Ab hamko thoda vivek ane laga ki jitne bhog bhoge unmein koi sukh to hai nahi.

to bar-bar chitt jo bhogon ki taraf ja raha tha use wapas karne lage. To vikshep nasht hone laga. Ab ahankaar bhagwat arpit hokar ke charnon mein chala gaya. Tino theek ho gaye. Mal vikshep awran jahan hata samne sacchidanand bhagwan ka usko anubhav ho jaata hai. Ab bole yah mal vikshep awran hatane ke liye jo sadhu sang chahiye guru ka sang chahiye wo kaise prapt ho bole jab vivek vairagya samadmad sat sampatti mumukshta shravan manan nidhyasan tatv padaarth sansodhan ye jo daivi Bhagvati gyan ke sadhan hai inki jab prapti ki ichchha hoti hai to guru banane ki ichchha hoti hai.

koi aise sant mile, koi aise sadguru mile. Dekho bhagwan samne virajman hai arjun ke aur kah rahe hain ki jab kabhi mal vikshep awran hatane ke liye gyan ki avshyakta hoti hai to guru ki prapti ki ichchha hoti hai. To apne mal vikshep awran ko hatane ke liye kalyan prapti ke liye mangal ke liye sukh prapti ke liye gyan yagya ke liye tatv gyan ke liye kisi sant ka aashray lo. Kaise bole tadwa pranipaten parishna sevya updesh te gyanam gyan tatwadarsha bhagwan se pehle prarthna karo ki hamko tatv gyani mahatma mil jae bada mushkil hai tatv gyani mahatma milna ye chhoti chhoti me aisi ban gayi hai ladai jhagda ek dusre ki ninda stuti samjh hi nahi pa rahe.

jaise jamin mein khade hokar dekho to koi sat khand ki koi kuch koi kuch aise building aur thoda heleekoptar mein baith ke dekho upar ud ke to sab ek jaisa dikhayee dene lagega. To jo unchai mein chadha hua mahapurush hai wah ek jaisa dekhta hai. Sab jagah ek hai. Dekho shastron mein hamne vaidik siddhanto mein bhi paya aa brahm hai. Aa ab aap kuch bhi bolo aa niklegaa. Sarvvyapi brahm aa hai. Ye hamne shastron mein paya. Ka kh ga cha t gya ka se le gya tak koi bhi akshar bolo aa niklegaa. Ab jo akshar hai wo brahm mein hai.

aise charachar jagat brahm sarvam khalmidam brahm. Ab ye ved siddhant padhte hain. Ladai jhagda kahan rah gaya? Kahan ninda stuti rah gayi? Kahan rag dves rah gaya? Kahan chhota bada rah gaya? Kahan apna paraya rah gaya? Yahi samjh sanatan akash ki tarah hai. Dhyan rakhna. Sanatan dharm akash ki tarah hai. Sanatan dharm vayu ki tarah hai. Sanatan dharm jal ki tarah hai. Sanatan dharm prithvi ki tarah hai. Sanatan dharm surya ki tarah hai. Jahan dekho wahi sanatan surya. Sanatan vayu, sanatan jal, sanatan bhumi, sanatan akash, sanatan agni, andar aur bahar ye hai sanatan.

to brahm sanatan paramatma sanatan to dharm sanatan usko samjho ye chhoti chhoti me nahi sanatan sanatan akash ki tarah hai sanatan vayu ki tarah hai sanatan agni ki tarah hai sanatan jal ki tarah sabka bharan poshan sanatan bhagwan sabse pahli baat kah rahe hain gyan tatwadarshana kiska sang karna hai tatv gyani Harivansh mahaprabhu kah rahe hain kaise Priya pritam ke prem mein jaoge bole ye krura papino na sabhas drishya sar vastut nireeksh param swadhya buddhim sabko aradhya rup mein dekho chahe papi ho chahe punya atma sab mein Radha vallabh lal virajman hai ye acharya ka adesh hai yah hai gyan tatv darshana sab jagah apne isht ko dekhna yah kahan milenge yah bhagwan milaenge bhagwan se sabse pehle prarthna karni chahiye ki mujhe aise sant ka sanidhy dijiye jo aap mein raman karta ho.

main to nahi pehchan paunga. Prabhu aap mere hriday ko bhi jante ho aur sant ko bhi jante ho to mujhe sant sang dijiye. Ab moh bha bhros hanumanta binu hari kripa mile nahi santa aur jab sant mile tab kya karo to bole tadwa pranipaten parish sevya arjun pehle un mahapurushon ke paas jae to jakar unko sashtang dandvat karen. Sampurn atma samarpan ka bhav sashtang dandvat mein mana jaata hai. Aisa bhagwan kyon kah rahe hain? Kyonki bina shraddha ke aapko gyan prapt nahi ho sakta. Shraddwan labhte gyanam agar shraddha kamzor hai to gyan nahi prapt ho sakta.

agar vastvik kisi sant ka labh lena hai to shri bhagwan ne adesh kiya pehle ahankaar chodo pehle kore kaagaz ki tarah unke paas jao. Yahan itni likha padhi karke ate ki dastar chalane ka man hi nahi hota. Itni likha padhi pehle se hi rakhi hui hai. Bilkul bekar. Aap sachchi maniega 70 70 varsh jeevan ke ho gaye abhi tak yah nahi nirnay kar paye ki mujhe chalna kidhar hai aho bhagya aap logon ka jinko yah chitt ka samadhan ho gaya ki mera marg kya hai nahi 70 70 varsh ho gaye aur abhi yah nahi pata ki chaurahe par khade ki jaun kidhar gyan marg mein jaun ki dhyan marg mein jaun ki yog marg mein jaun bhajan marg mein jaun ki abhi tak yah nirnay nahi bhagwan kah rahe hain kisi gyani mahapurush ka aashray lena hai to shrotri aur brahmanishtha do baten kahi hai.

shrotri kahte hain jinhone khub gurujanon ke charnon mein baithkar shastron ka shravan kiya hai aur brahmanishtha jo usi tatv mein sthit ho chuke hain. Aise mahapurushon se nivaran hota hai sansaar ka jinka ek hi uddeshya keval shri bhagwan aur bhagwan mein sthit hai. Bhagwan adesh karte hain pranipaten un mahapurushon ke paas jae hath jodkar sashtang dandvat karen. Neechwat sevet sadguru apne ko sabse neechwat man ke sadguru ka sevan karen. Kabhi bhi sharir se guru ka nirader na karen. Tiraskaar na ho. Isliye guru ke samne namr saral aur jignyasa ke bhav se unki agyaa purvak seva karen.

apne aap ko guru ke charnon mein sabse chhota adhin sevak samjhe. Sharir aur vastue donon guru ke agyaa ke anusaar hai. Sashtang dandvat pranam ka matlab hai mera sharir guru ki agyaa par chalega. Aham guru ke charnon mein arpit hai. Sevya bhagwan kah rahe hain parip prashnen ke liye sevya sharir aur vastuon se guru ki seva gad mukhya hai guru ki agyaa ka palan karna jisse guru prasann ho bas wahi karya karna unki prasannata prapt ho gayi unke man ke sanket ke anusaar tumhari cheshta hui unki agyaa ke anukul tumne karya kiya to prashn karna hi nahi padega.

uttar tumhare hriday mein apne aap aa jaega. Dekh lena sant mahapurushon ki sabse badi seva hoti hai unke sanket ke anusaar chalna. Unke ishare ko samjhna. Wo kidhar chalana chahte hain? Wo kya chahte hain? Apna jeevan unki agyaa mein arpit karna. Santo ko jitna siddhant priy hai utna apna sharir priy nahi hai. To ek aadmi sant ki sharir seva karen. Unki agyaa ka ullanghhan karen aur ek aadmi keval unki agyaa ka palan kare to sant kripa uske paas zyada phlibhut hogi jo agyaa ka palan kar raha hai.

sant siddhant ki raksha ke liye apne pran tyag sakte hain. Isliye sacha santo ka sevak wahi hai jo unki agyaa ka dridta purvak palan karta hai. To pehle pranipat sashtang dandvat sevya tan man vachan se unki seva phir parishna tab prashn banta hai keval prashn hona chahiye paramatma ki prapti ka ab jaise laukik sansarik baton ko aap hamara bhi samay nasht karenge apna bhi samay nasht karenge wo to aap bhog hi rahe ho aap unse se kaise nikal paun iske liye to sant samagam mila hai aur wahan akar bhi prapanch ki charcha ab ham kaise batayen ab hamse akar ke man lo vot ka samay chal raha hai ham to khuli baat karte hain hamara uddeshya bhagwat prapti ka hai.

ab hamare paas aae sashtang dandvat kiye baithe abhi bot mein khade hain. Aapka ashish chahiye. To bhai jai vijay is par dhyan na dekar rashtr seva par dhyan do. Bahari jai vijay koi vishesh baat nahi. Rashtr seva ki priyata hi vijay shri hai. Tum har hote hue bhi haroge nahi. Yadi rashtr seva ka bhav hai aur yadi rashtr seva ka bhav nahi pad bhog ka hai to vijay hote hue bhi tumhari har hai. Wo koi khas baat nahi. Maharaj shri ne vijay shri ka ashirwad diya. Ham kahte hain bhaiya hamari baat ko samjho.

hamara updesh keval dharm, rashtr aur bhagwan ke liye hai. Vijay shri usi ke paas hai jo utsah sampann hokar hamare rashtr ki seva ka bhav rakhta hai. Ye praja bhagwan ka swaroop hai. Jab aap praja ko pyar karoge, unke beech mein jaoge, unki samasyaon ko dekhoge, wahan samasyaon ka nidan karoge. Apne aap aap hamare bharat ke priy rahenge. Hamara uddeshya bhagwat prapti. Hamara uddeshya neta aur mahan janon ko guide kar sake. Aisi meri samarth nahi. Ham to unke guide ke liye hain jo is sansaar se chhak gaye hain aur bhagwan ki prapti karna chahte hain ki ab main bhagwan ko prapt ham na kisi ke vot jita payenge aur na kisi ke ham sahyog kar payenge.

ham itne bade mahatma nahi hai ki vijay shri nahi hogi. Kah to diya kiski vijay ho gayi? Kuch nahi hogi. Haan hari sharanam hari sharanam Radha Radha Radha pakka sansaar se vijay prapt kar loge. Maya par vijay prapt kar loge. Ye baat hamko bada chubhta hai chhal kapt ka vihaar. Ham to siddhant ki baat karte hain. Aap use ghaseete ho party bandi mein. Aap use ghaseete ho apni netagiri mein. Hamare paas yah sab nahi. Kam se kam santo ko to bakhash do. Bhagwan ke marg mein chalne layak unko to rakho. Hamare liye sampurn bharat pran priy atma swaroop hai.

hamare liye na koi shreshth hai, na koi laghu hai, na koi priy hai, na apriy hai. Sab hamari atma hai. Jitni bhi partiyan jitne bhi bharat deshwasi sab hamari atma hai. Hamare liye koi ek nahi hai. Isliye prarthna hai ki ye jo paksh lekar aaya jaata hai ki hamko vijyashri ka ashirwad mile. Ye aisa yahan bilkul nahi hai. Kadpi mat aie. Yahan aie to apna prichay mat dijiye ki ham neta ji hain. Aap aie bhagwat charcha sunie aur aankh mund kar pranam kijiye shri ji ko aur chale jaiye. Yahan parishnan kis baat ka prashn?

bhagwat prapti ka prashn. Iske alawa hamari prarthna hai aap apna samay barbad mat kijiye. Mera barbad mat kijiye. Khilwad mat samjho sadhu mahatmaon ko. Ki aap unki baat ko ghasit kar ke apne paksh mein agar likhne ki koshish karoge to paksh nahi rah jaega. Bahut savdhani se yah party bandi nahi hai. Sadhu mahatmaon ka khel hai. Inme bahut raja jogi aganjal inke ulti reet parshuram inse bach ke rahie. Inse karie thodi priti sambhal karke raj yog hath yog ye bade-bade to aap satsang ke liye aae. Sirf ekantik bhagwat prapti ke prashn ke hi karta ave.

wo koi bhi ho sakta hai. Uske liye hamare paas koi yogyta ki baat nahi. Koi bhi ho chahe aap abhineta ho, chahe aap neta ho, chahe gramin ho, chahe aap koi paddhikari ho. Hriday se aapka swagat hai. Lekin aap apna prichay bata karke aap apni vot bank pushta ke liye, ashirwad ke liye hamare mein yogyta nahi. Ham mike se kah rahe hain. Mike se kah rahe hain. Mere mein yogyta nahi ki mere hath dhar dene par koi paddhikari ban jaoge. Nahi ham hath dharenge to Baba ji ban jaoge. Paddhikari Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi