॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwan par vishwas ka kya tatparya hai ? Do mahan bhakton ki katha

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

maharaj ji bhagwan par pura vishwas iska kya tatparya hai? Pura vishwas ho jana. Haan iska tatparya yah hai ki hamen bhari dukh ki samay vipatti ne gher liya. Bhari dukh ka samay aa gaya. Hamen dridh vishwas hai ki mere bhagwan mera param mangal karenge. Mera param hit karenge. Ye dukh nahi hai. Ye vipatti nahi. Bhagwan ka kiya hua vidhan. Ismen param mangal hoga. Jaise ek shri Ram naam ke bhagat the. Shri Ram naam tha unka. Wah bhagwan ke param bhakt the aur nishkam bhakt the. To unko pehle ek raj karmchari ke yahan nokri mili.

unki nishakmata dekhkar mantri ji ne apne paas rakh liya. Aur nishakmata aur pravinta dekhi to badshah ke samne pesh kar diya. To badshah ne unko nishakmata ke karan hi khajanchi bana diya. Ab wah itne dayalu hriday ke the. Vishwas ki baat kahta hoon. Itne dayalu hriday ke the ki jaise koi aaya aur kaha shri Ram ji hamari beti ka byah hai to khajane se chupchap rupya le de dete. Koi bimar hai, koi garib hai, koi bhukha hai. Aise pareshaan logon ki wo seva karne lage. Khajanti the aur yah baat kazi ko pata chali.

to waise hi wah jalta tha ki itne uchh koti ke pad par baith gaya. Usne turant badshah se shikayat ki ki shri Ram aapke khajane ko aapki bina anumati ke logon ko bant raha hai. Unko bulaya gaya to ab jhooth to bolenge nahi. To unhone kaha hujur ham kisi ko dukh hi nahi de sakte. Isliye to unka anumati leni chahiye. Baat to sahi hai. Anumati leni chahiye. To aap aparadhi ho na? Anumati to nahi li kaha to kazi se kaha tum iski dand vidhan karo to unka phansi ki saja wo to jal hi raha tha turant phansi ki saja unko vishwas tha bhagwan param mangal bhavan hai amangal hone hi nahi de sakte ab badshah ki taraf se phansi ki saja paas ho gayi aur unko hathkadi billiyon se jakad liya gaya aur bad ke sthan ke liye le jane ke liye pehle unko ghumaya gaya bazar se hote hue ki aparadhi inhone yah aparadh kiya isliye inko phansi ki saja idhar unko le gaye idhar jo hai ek jholi tange hue Shyam varn ka 14 varsh ka balak akar khada hua aur kaha salam hujur dekha to dekhte hi ashcharyachkit ho gaye itna sundar rup bole kaun ho to bole main shri Ram ka naukar hoon kaise aae ho bole hisaab chukane aaya hoon khajane kaha tumhara jo bhi chala gaya hai aise jholi paltai to wah divya hire ki ek hire ki keemat uski khajana pura nahi kaha ye sab rakh lo aur turant mere malik ko chhod do uske hosh kharab ho gaye ki naukar mein itni samarth aur wo tumhara naam kya hai?

unhone kaha bitu aur idhar unse pucha gaya ki ab akhiri tumhari ichchha kya hai? To maharashtra mein vitthal bhagwan hai. Unke wah sevak the. To unka ek bar keval jhanki karva do. Idhar hisaab kitaab udhar kah rahe ek bar jhanki kara do. To vitthal bhagwan ke paas gaye aur kaha raji ho? Itne mein ghode se daudte hue wo aadmi aae rajkiy aur kaha shri dham ko mukt kar diya jae. Aur badshah ne turant bulaya hai. To badshah ne bulaya aur kaha ki wah tumhara naukar wah hire dalkar pata nahi kahan chala gaya.

main dobara dekhna chahta hoon. Ek bar uska deedar karna chahta hoon. Tum itne dhani the. Hamen kya pata ki ham tumhare gulam ban sakte hain. Aise hire tumhare paas hain. Tumhara naukar lekar ke aaya. Tum pehle kyon nahi bataya? To unhone kaha hujur ham aapke hi naukar hain. Hamara koi naukar nahi hai. Aap vishwas man bole kaise vishwas man wo kah ke gaya. Bole kya naam batayen? Bole mitthu are bole maharaj wo hamare vitthal bhagwan hai. Wo hamare isht hain. Wo isliye to wo ro para. Usne kaha ek bar deedar kara do.

bole hamari samarth nahi. Wo swatantr hai. Agar wah chahe to darshan de sakte main to vishwas ki jo main dharm ka karya kar raha hoon bhale phansi mili hai lekin bhagwan meri raksha karega to bhagwan ne raksha ki ki nahi hamari antim sthiti tak vishwas nahi tutna chahiye. Ek sansarik gane mein bhi hai aisi shakti hamen dena data man ka vishwas man ka vishwas he bhagwan mujhe aisi samarth pradan kijiye ki kisi bhi paristhiti mein mera vishwas na tute mera vishwas pura jaise ek jameendari pehle chalti thi to bada atyachar karte the garibon ke upar zamindar log to ek garib kevat tha to usne kuch rupaye apni beti ke byah ke le liye the.

to sal do sal mein mehnat karke paisa ekatrit kiya aur zamindar ko de diya jake apni kheti se kama ke zamindar ne wo rupya liya aur phail se naam nahi kata. Karja ka jo hisaab tha wo kata nahi. Do char mahine baad uske aadmi gaye aur kaha zamindar sahab ne bulaya hai. To zamindar ne kaha karja dijiye. To kaha sahab ham to de gaye the aapko. Are bole vyarth ki baat karte ho hamari kopi mein waise likha abhi kata nahi bole aap ab na kato to aapki baat waise to ham de gaye the ab wo zamindar apne hath mein apne hath mein to zamindar ne report kar di aur wo mukadma pahuncha zamindar ne register pesh kiya pura din ka ab wah garib aadmi usne kaha sahab hamne de diya hai to bole gavahi to unka Raghunath ji Raghunath ji arthat bhagwan Ram to unka Raghunath ji to bole agli peshi mein Raghunath ko liva ke lana usne kaha haan theek hai ekant mein gaya aur roya ki ham garib aadmi hain aur hamare parivaar ka poshan usi kheti se hota hai prabhu yadi aapne gavahi na di to hamara to sab barbad ho jaega hamari baat jhuthi ho jaegi aap kahan nahi ho jis samay wah paisa diya tha us samay aap the kyonki aap sarvatra hain to aap us jagah bhi the isliye aapko gavahi deni padegi.

pahuncha unka apni gavahi pesh karo. To unhone kaha bulao uska naam Raghunath hai. Raghunath hajir ho. Lathi tekte hue aae aur zamindar se kaha 100 ka note wo 200 ka note wo itne sone ke sikka us jagah tumhare rakhe wo isi ke to diye hue hain hamne dekha uske hosh ud gaye uske hosh ud gaye ki ye to bilkul aur ab zamindar ki bhagwan ke samne himmat nahi jab aankh mein aankh dal ke baat ki na to uski himmat nahi bole haan haan haan haan to 400 beesi mein jameedar dar ke upar dand jurmala laga aur wo chhod vishwas ki bhagwan hai meri raksha karenge bhagwan hai mera sahyog karenge dridh vishwas kisi bhi sthiti mein vishwas na talne pave aisi shakti hamen de na data man ka vishwas kamzor hona har sthiti mein bhagwat vishwas bana hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi