॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhakt alhaji aur kolhaji ka charit | An AI Short Video | Pujya Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

shri kol ji aur al ji in donon bhaion ka charit suno. Iske sunne se prabhu mein vishwas aur bhakti badhti hai. In donon mein bade bhai shri ko ji the jo sansaar ke vishyon se bilkul param vairagywaan. Tamsi padaarth to chhute bhi nahi the. Khane pine ki to baat jane do. Har samay bhagwan naam bhagwat rup gun bas inheen ka gaan karte inheen ke dhyan mein rahte the aur inke jo dusre bhai the chhote alha ji wo sab kuch khate pite rajsi bhog bhogte the aur raja ke saath rajkumar ke saath hi baithe uthte aur rajaon ke hi gun gate rajoguni rup ki mahima gate wo badi sundar thi wo bada sundar aisa vaisa kabhi wo bhagwan ka gungan karne mein ruchi nahi rakh rahe the.

par khas baat thi ki wo bade bhai ka bahut aadar karte the. Jo bhakt the bade bhai unka aadar karte the. Kabhi-kabhi bhagwan ki koi charcha sun liya koi aise pad ga diya ruchi nahi ruchi to rajaon ke rup gun ka gaan karna unke bhog vilas mein waise hi sab sab khate jo nahi khana chahiye. Par khas baat kya hui? Bole bade ke adhin rahe. Unke samne jaate hi namr rahte. Ishwar aur apne bade bhai bhakt mein koi antar unki drishti mein nahi tha. Itna aadar karte the. Yah bahut badi baat ho gayi. Unke samne jis din der rahte bahut danya rahte.

bilkul mano ekdam sadhu baad mein to sab rajoguni bada bhai dekhkar ke andar se bada dukhi hota hai ki samne to bahut danyata karta hai piche ye sab manmani aacharan karta hai kya karen isko le chale ek bar bhagwan ke samne isko le chale shayad iski buddhi badle chalo Dwarikpuri dwarikadish ke darshan karo unko sashtang pranam karo tumhara mangal hoga kyonki shri Krishna ko ek bar sashtang pranam karne wale ka jo saubhagya uday hota hai wo bade bade yagno ke karne wale ka bhi nahi hota chalo prabhu shri Krishna dwarikadish ke charnon mein sashtang pranam karo chalkar ke al ji to kol ji ko ishwar ki tarah mante the jo agyaa unke saath chal dijiye Dwarika Puri pahunche prabhu ke samne dwarikadish ke samne ek vilakshan ghatna ghati jise kan lagakar sunie.

kyon kah rahe kan lagakar? Kyonki isse tumhara vishwas badh jaega. Isse tumhari bhakti badhegi. Tumhen samjh mein aayega ki hamare prabhu ki bhakti kitni samarthyshali hai. Ko ji ne sundar pad prabhu ko sunaya. Al ji hath jode chupchap khade hue hain. Bhagwan ko jo bahut priy baat hai wo yah hai ki bhakt charan dhar bhav tart bhav sindhuga. Agar bhakton ke charnon mein bhav aa jae to tarne mein der nahi lagti hai aur bhakt ke charnon mein bhav rakhne wala dainya hota hai. Ye do vishesh lakshan al ji mein hai jo yadyap kumargh gami aacharan kar rahe hain.

par ye do baat hai. Bhakt bhai ko bhagwan ke saman mante hain aur apne ko bahut nich mante hain. Main bahut nich hoon. Isliye da shri ko ji ne pad sunaya. Dwarika ke nath sab nathan ke nath prabhu devan ke divya dev sankat sahae hain. Brahma shiv dev daitya dano aur manav aadi sab hi ke rachaiya aur sab mein samae hain. Ja ke karan o tatwan ke tatv aap maya ke adheesh i alakh lakhae hain mahima mahan gawe ved aur puran kul par nahi pave hari shish ko navave hain dwarikadish ko pad sunane ke baad kaha bhai tu bhi to bahut badhiya gayak hai rajaon ki sabha mein gata hai dekh suna dwarikadish ko wo sukh jaate hain ham kaise sunae hamare andar to bhakti hi nahi hai jisse prabhu prasann hote hain wo baat hi hamne nahi ham jab kah rahe to sunao na to unhone prabhu ki braj leela sambandhi pad sunae.

bada sundar unka swar tha kyonki rajaon ki sabha mein sab rajoguni kam tha. Dwarikadish ke samne bade bhrata bhakt ki agyaa hui to galeen mein Gokul ki gasi gasi gopeen ko goras goras ko dan le siyo hai sariyal beleen ko naval nabeleen ko gay ke gavayo aru nach ke nachayo hai ab lal an man pran ki haran hari bansuri bajae ghar bar bhulwayo hai ye Yashoda ke chhaiya ye raas rang ke rachaiya bhaiya neh ki nadi mein te naha o aur navayo hai desh videsh dekhe nareshan rijh ki ko jo bujh karego yaat tne tan jat giro gun saugun avgun gathi pargo bansuri wo bo rijhwar hai Shyam june sudhar dhare ye lad lo chhail chhabi lo aheer ko peer hamare ha ki hare wo vah vah vah dwarikadish bol vah vah sab ashcharyachkit ho gaye prabhu ke shri vigrah se sakshat dwarikadish bol pare vah vah braj ki leela prabhu chit chor ke bhi chitt ko churane mahmmahim shri Jagannath ji ka jo aap rup dekh rahe hain braj leela shravan ka parinaam hai.

prem vikalp vihal swaroop jo Jagannath ji ka hai yah braj leela maha prem swaroop hai. Prabhu ne hunkar bhari vah kol ji ne gaya Dwarika ke nath ho sab mahima al ji ne kaha pura mandir ashcharyachkit ho gaya ki vah vah vah pahla ascharya to ki aaj tak kabhi kol ji ke samne koi bhagvatik chamatkar nahi prakt hua tha al ji kabhi darshan karne nahi aae the wahi updrav rajoguni par aaj darshan karne aae bhagwan ne hua kah diya pehle hi chubha ek bar ham itna aae roz aae darshan kiye gaye kabhi vah vah nahi ham to jante hain na aap bhi jante ho ki sharab wo sab vah vah vah chalo theek thodi tasalli

ab dusra program mala prasad jao jo ang se unse pahnao jake al ji ko nazdik gaye al ji kiska naam ji ye mala nahi hamen nahi di hogi main to nich aadmi hoon ganda aacharan karta hoon ye mere bhai ko di hogi ye janm se bhagwat bhakti mein lage hain prabhu ke inhi ke charnon ke ham ashrit inko de nahi bhagwan ne naam lekar kaha al ji ko dena al ji tumhara naam haan mala pahna di prasad ab to kol ji ki drishti badal gayi aur bhagwan ki taraf pranay kop se dekh matlab apman hi karna tha to thoda halka karte itla ki ham itla gate rahe kabhi vah vah nahi kaha aur isne gaya aur mala prasadi hriday mein ekdam inko nahi diya aapko diya hai aapka ji naam pahla yah hai thoda bhi agar kahin dastv mein kami rah jati to yah baat aa jati hai are hamare Swami hai yahan prasannata honi chahiye ki ham leva ke laye to is nate se prabhu kitna isko aadar de rahe hain prabhu al ji ke kahne par pujari ne kol ji ko saaf kah diya yah mala tumhen nahi al ji ke liye hai gol ji ko laga bahut bada apman bhagwan

ne kar diya. Bas yah baat suno bhagwan mangal bhavan hai. Bhagwan se sammaan chahte ho. Unki har cheshta mangal swaroop hai. Yah yah rahta hai. Pakka rahta hai aur yah bahut bura rog hai. Bade bado ke andar rahta hai. To unko laga ki bhagwan ne bahut bada hamara apman pure is Dwarika ke mandir mein sabha mein kar diya. Ab to jeena jiske liye ham bhakti karte the usi ne apman kaisi dekho leela kaisi vichitra hoti hai kolya ji ne apna apman samjh ke atmhtyaa karna uchit samjha itna jalan ho gayi ab theek nahi hai to samudra mein jakar kud gaye ab samudra mein dubte chale gaye jab niche gaye to divya bhumi jal ka prabhav khatm sundar oxygen sundar vayu se dwarikapur mein pahunch gaye.

aise doob bhakt dubna bhi chahe to bhagwan dubne denge kya? Dwarikpuri pahunch divya Dwarika ka darshan parmanand ki anubhuti hui. Par andar hi andar jal rahe hain ki hai to wahi dwarikadish jo mala usko di thi hamen nahi di. Andar jalan hai. Bhul nahi pa rahe the. Jaise talwar ka ghav ho to kar sakta rahta. To prabhu ke prati thoda gussa ki chhoti hi mala hamen bhijwa dete hain. Yah mala wali bade chakkar hai. Ab wo ghav ki tarah unko andar anand to aa raha hai divya Dwarikpuri ke darshan mein. Aa gaye bhagwan ke parsado ne aie.

prabhu aapko bulaya aur anand hua. Bhagwan ke parsado ne agwani ki aur anand mila. Bada sukh mil raha hai. Badi shanti badi divyta ka anubhav ho raha hai. Bhul gaye jo apne bhai ke sammaan ki irshya jagi thi. Shant si ho gayi. Akhil lok chudamani bhagwan dwarikadish ke sakshat darshan kar rahe hain. Parmanand ki baat aa gayi. Kole ji se kaha aao parsado se kaha sabse pehle hamara inhe ishta pawa baitho. Baitha le gaye do pattal lagao to socha koi aur bhagwat aaya hoga paas do tab tak to unko kuch nahi phir pucha ki jab unka paros gaya prasad to dusra pattal bhi paros gaya prabhu ismen kaun bole al ji ke liye phir aur matlab yahan bhi abhi hamne paya uske liye patthar lagva diya wo phir andar jo hai puri jalan tumhare chhote bhai al ji ke liye hai aur wo tumko bhi to bahut pyara hai.

ab andar aise masos ke rah gaye ki matlab baat kya hai itna prabhu itna usko pyar karte hain ki yahan bhi aaj ekdam chehra badal gaya prabhu ki taraf phir wahi pranay kop se dekh prabhu naraz mat ho tum jante nahi ho tum abhi ke bhagat ho wo hamen kitna pyar karne wala bhakt hai tum abhi suno ham tumhen bata rahe hain wo kaun hai jo tumhara bhai bana hai aake aaj jise tum rajogun mein dekh rahe ho ek vasna ka aadar karne se uska marg ruk gaya. Wo jitna tum bhajan abhi tak kiye ho na bahut chhota hai uske bhajan ke age jitna usne bhajan kiya hai.

kol ji se kaha ki tum apne bhai ki baat jaan jaoge to kabhi aisi irshya usse nahi karoge. Tum uski barabri kar hi nahi sakte. Jante ho bada priy mera bhakt hai wo. Wah purv janm mein rajputra tha aur usne bachpan se rajputra rajkumar hote hue sab bhogon ka tyag karke bairagi ho gaya. Raj pad ka adhikari tha. Raj pad raj bhogon ka tyag karke wo ekant van mein nirantar kasht sahte hue mera bhajan karne laga. Man buddhi lagakar satat mera bhajan kar raha tha. Dhyan purvak sunna. Bahut samay vyatit hone ke baad us jangal mein ek raja apne pure parikar ke saath manoranjan ke liye aaya.

tab raj vaibhav yadyap ye rajkumar hi the. Bachpan se vairagi ho gaye. Ekant sevan karte the. Ab raj vaibhav inhone dekha. Bahut si sundar sundar yuvatiyaan sas sab bhog vilasita inke man mein vishay sukh ka aadar hua ki agar Baba ji na bante to aisa hi hamko bhi sukh milta. Aadar ho gaya. Ab wo vasna itna jor pakri ismen der nahi lagta. Samudra banne mein tarang ai aur aapne aadar kiya aur pure hriday par adhikar kar liya. Ab to bas bhajan ruk gaya ke vidhi mile sundari bala jaise narad ji ke man mein aise ab ye sab kaise bhog prapt hua sansari sukh bhogne ki prabal lalsa ho gayi aur usi ko lalsa ko liye hue sharir chhuta bhagwan varnan kar rahe hain to maine bada svasth aur tejasvi inko sharir diya bhogo vishay ko lo malik hai hamare tumhara man hua tumhari vasna jagrit hui aur raja ke rajkumar se mitrata karai aur janm diya aise mahabhagvat ke ghar mein kolha ji ke bhai bane aake dekho kaisa vidhan kaisa kavach hai bhakti

ka vasna hai to sangrajak kumar ka waise ki jo bhog dekhe the wahi bhog rajkumar ke saath khub bhogo khao piyo duniya ka ab bhakt ka sang aur vasna dekho bhagwat kaisa yahi sanyog hota hai ab bhakt ke sang ne us vasna se khincha hai jeevansar chal na dwarikadish samne gaye aur jahan se ruka tha sadhan wahi jagrit ho keval to prabhu ka swabhav surdas ji varnan karte hain ki vimurkh bhay nimashhu na akpa jab chit tab aise prabhu beech wali baat nahi dekhte hamko chhodkar vishyon mein yahi to agar wo aisa dekhe to apne log to kabhi age hi nahi badh sakte bhagwat marg mein chal hi nahi sakte bhagwan ne bataya ki tumhara abhi to bahut chhota bhajan hai.

iska bhajan dekho. Par ek vasna ka aadar karne ke karan uski yah gati hui ki usko aisa sanyog mila. Shiv bhagwan ne kaha wo purnata mein hi tha. Par yah vasna keval aa gayi. Isliye vasna ka drishya dikha diya is janm mein. Ab wo phir purn ho gaya. Bhajan ka ek baat hai ki wo badhta hai. Jaise bhagwan ka rup badhta hai. Bhagwan ki mahima aise bhajan hai. Wo vasna to mili hi aur jo bhajan stak mein tha wo badha aur sidhe bhagwat prapt bana diya. Abhi abhi pad gaya sidhe bhagvatik sampark aur tanmayata ek bhi vishay chintan nahi hai unke hriday mein.

jo bhoga uski koi bhi punravti sanskar nahi. Yah khas baat hoti hai aur bhagwan ne kaha dekho tum is janm mein bhakti kar rahe ho par kaisi tumhari bhakti rang lai hai ki tumhare hi ashrit tumhare hi bhai ka aadar hone par tumhare andar kitni jalan hai tum pran tyagne ke liye aur wo tumhen ab bhi kitna pyar kar raha hai jis din tum samudra mein kude usi samay samudra mein kudna chahte the logon ne pakar liya aaj bhi unhone ann jal nahi paya pran tyagne ke liye tayyar hai aapke liye aur aap kitni irshya se yukt hai.

aap sochiye aap kis kot ke bhakt hain. Yah prasad lo aur jao prasad. Tumhare viyog mein tumhare chhote bhai ne ann jal tyag diya hai. Tumhare viyog mein wo pran tyag dega. Agar tum nahi pahunche shighr jao bhagwan ji ne wo prasad de diya. Jao unko dena. Aur prabhu ki wo shankh chakra ke chap lekar ke aae. Ab wo jo apmanaj dukh tha kshan mein nasht ho gaya kyonki agyaan ke karan tha. Apne bhai par apaar prem hua. Al ji ne jab suna ki kol ji ko dwarikadish ke darshan hue to bhumi par let kar unko pranam karke unka swagat kiya.

donon bhai ankhon mein aansu barkar mile. Bhagwat prasad paya aur wahin se aajeevan ke liye donon vanwasi hokar bhagwat prapt hue. Dekho vasna ka aadar karne se itna vighna para par nash nahi hua patan nahi hua phir wahi bairagi bane aur bhajan ki purti ho to aap jo bhajan kar rahe na ek ek minute prabhu dekh rahe hain

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi