bar-bar asfal ho rahe ho ? Ghabrao nahi—bas ye baat samjh lo // 25/11/2025
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirva param shital mashyam nirvapay param shital mashyam param sacchidanand ghan Premand swaroop navnit nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal chandra pranaaradhy shri Priya pritam jo samasth hit parikar nij parikar hamara hriday sadaiv aradhya dev ke chintan se hi surakshit rah sakta hai.
nahi to ismen koi na koi vikar, koi na koi dwaand apne prabhav mein lekar hamen harshit aur shokit karta rahega. Bahut dhyan se samjhiye. Agar hamare hriday mein aradhya dev ka chintan chal raha hai to mano hamara hriday surakshit hai. Bahut samarth pahredar khada hai jo kisi bhi vikar ko ghusne nahi dega. Agar ham tanik bhi chuk gaye apne aradhya dev ke chintan se to usi samay koi na koi shatruvat vihaar karne wala vikar andar apna prabhav dikha dega. Jis hriday mein nirantar chintan chalta hai, ek din uske hriday mein aisi parmanand ki baadh aati hai.
phir koi vishay, koi vyakti, koi ghatna, koi paristhiti uske hriday mein tanik bhi vikar paida nahi kar sakti. Par jab tak aisi sthiti nahi hai tab tak hamen bahut savdhani purvak tel dharavat bhagwat chintan karne ka abhyaas karna hai. Chintan sansaar ka chhuta ki aap paripakva avastha ko prapt ho gaye. Jise siddhvastha kahte hain. Kinchin matra nanatwa ka chintan na rah jana yahi paripakva avastha hai. Jagrit swapna sushupti sphurat mein Radha padajat chhata yahi paripakva avastha hai. Chahe jagrit avastha ho, swapnavastha ho ya sushupti avastha ho apne aradhya dev mein sthit hai.
kyonki teen gunon se hi avasthao ka srijan hota hai. Jo nirantar chintan karta hai wah trigunnatt ho jaata hai. Trigunnatt avastha mein in avasthao ka koi prabhav nahi rahta. Jagrit mein dekhne wale snanatma ka swapna mein jo man ke dwara racha hua jagat hai. Sushupti mein jo tamogun ka avesh hota hai. Nahi tino avasthao ka prabhav us upasak par nahi parta. Dekho sovat hu rasna rate Radha Krishna sunam kya fark para sushukti mein mano mahan samadhi mein sthit hai jibhya sote hue bhi sovat hu rasna rate Radha Krishna sunam aho bhagya dhanyati dhanya kaisa abhyaas kiya koi prabhav tamogun ka nahi par raha lag raha hai ki wo nind mein pare hain koi prabhav bhav nahi tamogun par vijay prapt kiye to sushupti mein bhi Radha Krishna Radha Krishna aisa chal raha hai aur swapna maha anandmay ho jaata hai.
pyari jo pyare jo uske swapna ka vishay hote hain. Unki rup madhuri leela madhuri swapna mein dekhta hai. Jagrit mein jidhar drishti jati hai wah apne aradhya dev ko chid chid lakshanam sarvam Radha Krishna mayamm jagat uske ab sukh ka varnan kaun karen jisko aisi sthiti prapt hai par ye sthiti usi ko prapt hai jo savdhaan hokar apne chitt ko surakshit rakhta hai ham bahari nashvan vastu sthan aadi ki suraksha mein to prannon ko arpit kiye hain lekin apne chitt ko surakshit rakhne ke liye ham bilkul asavdhan hain.
Sadgurudev sat shastr isi par drishti rakhte hain. Tumhara chitt vishram ko prapt ho jae. Tumhara chitt surakshit rahe aur chitchor use cura le. Ye jeevan ki sarthakta ho gayi. Shripad Prabodhanand ji maharaj bahut savdhani ki aur nirbhayata ki donon baten isi shlok mein kah rahe hain. Agar yah savdhani rahegi to nirbhay ho jao. Tumhen nischit bhagwat prapti ho jaegi. Shripad kah rahe hain shri Vrindavan vasti vidhitso mein dehata vadhi vadhte shrate dosh naam shravan vidh parasya jibhya mukam bhati suddha gahe jada stu he bhai yadi ladli ji ki aap par kripa ho gayi hai aur aapne mrityu paryant shri Vrindavan dham ka akhand vas sweekar kar liya hai.
yah durlabh baat hai. Bahut durlabh hai. Ladli ji ki kripa se aise sulabh ho gayi jaise koi bauna akash ko sparsh kar le. Durlabh hai akash ka sparsh karna. Isliye bahut durlabh vishay hai. Anant janmon ki bigdi bans matra se ban jaegi. Bas jo savdhani age varnan karte hain wo yadi ham apne jeevan mein utar le. Shripad kah rahe hain mrityu paryant shri Vrindavan mein vas karne wala nischit param pad ka adhikari nischit Priyalal ko prapt hota hai. Jaise bhagwan devdhidev mahadev ki jo param pavan anandwan kashi hai nischit wahan ka prabhav hai ki kit patanga bhi moksh ko prapt hote hain.
devdhidev mahadev ki kripa prasad se devdhidev mahadev jinki charan raj ki vandna karte hain wah yah bhumi hai priyal ki. Aaj bhi bhagwan mahadev ji jo ganga ji dharan kiye hain wah hamare prabhu ka charanamrit hai. Gangam wari manohari murari charanchitam jo kashi mein chhote-chhote jeevan ko bhi moksh pradan kar dete hain. Wo is dham ki raj ko mathe par dharan karte hain. Jo raj shiv shankadik yachat suraj shish chadhaun kishori tere charan ki raj paun aise mahmmahim dham mein jisne apne jeevan ko samarpit kar diya yah bahut badi baat hai bahut badi baat yah keval jinko vrinda vipin hai kripa tinhi ki hoe Vrindavan mein tab hi to rahan pai hai soe badi hetu ki kripa ladli jo ki jo aashray liye hain aur upasna paddhti ke anusaar chalte hain to bhale Vrindavan ke bahar hain lekin unki antim sthiti Vrindavan hi hogi.
par jo pragat mein Vrindavan vas kar rahe hain aho bhagya dhanyati dhanya mano ab kuch prapt karna baki nahi rah gaya. Vrindavan mil gaya. Shripad kah rahe hain dehta sharir jab tak chetna mein hai tab tak dham se vilag nahi yah thoda kathin vishay hai. Sharir ki kaisi bhi paristhiti ho aap agar apni nishtha mein bane rahenge to sab theek ho jaega. Sab ban jaega. Pratyaksh mein dekha hai kai upasako ke jeevan mein ki ab unko jana hi padega. Koi dusra upay nahi. Hamne bhi prarthna kar di. Koi baat nahi aap chale jaiye.
par unki nishtha unhone kaha maharaj ji nahi ab ham mrityu ka varan karke rah rahe hain. Ab ham nahi ja sakte. Nahi us sthan sad raha hai aur wah keval wahi jahan operation hua hai wahi theek ho nahi ab hamen marna hai par ham dham nahi chhodenge sachchi kah rahe hain apne aap jo mawad bana hua sukh gaya apne aap theek ho gaya wo apni mrityu samay ane par gaye wo karan nahi bana ladli jo hamari sarv samarth hai hamen ghabrana nahi ki koi paristhiti sharir ke aa gayi to ham ghabra jae. Nahi theek hai. Bulawa aaya hai agar isi rup mein to ham isi baat ke liye yahan vas kar rahe hain ki ham yahan Radha Radha pukarte hue sharir chode raj mein tadpate hue pyari jo ki smriti mein pyari jo ki charan raj mein aur hamara antim vishram sthal ho gaya.
dhairya rakhna padega. Ismen bahut dhairya ki badi vichilta ki paristhitiyan thi. Badi vichilta ki dehatavdhi mujhe marna hai hamen nahi chahiye dawa nahi chahiye suvida jinke liye jeevan arpit kiya hai ab kalank nahi lagne denge ab unhin ke liye ye unhin ke bal se apna bal nahi unhin ke bal se anant bramhandon ke Swami unke adhin hai hamen chinta nahi karni jab ham ye dekh lete hain ki are yahan wahan koi suvida dene wala nahi. Ghar mein to suvida hai phir chuk ho jaegi. Isiliye is marg mein chalne wale pathik ko pichle kadam ko purn rup se hata lena chahiye.
nahi paristhitiyan aisi aati hai ki phir agla kadam hatana parta hai. Sacha bhagwat marg ka pathik agla kadam nahi hata sakta. Chahe kaat diya jae. Nishtha nishtha hoti hai. Kaisi bhi paristhiti ho sharir chhutna hai na bas itna hi to hoga na theek hai. Are dil mein bimari hai hamko bahar jana padega to bahar jakar jis din swas puri honi hai bacha nahi lega koi nahi theek hai ye bhagwat rishi ji maharaj kah rahe hain jo kachu likho lilat dukh sukh deh sang bhugat wo jago ya siddhant abhang ya siddhant abhang tajat kyon dhiraj prani Vrindavan parihre Priya pritam rajdhani jis samay ham tadap rahe honge to hamare Swami muskura rahe honge kya wo dur baithe rahenge kya?
are bahut pyar karne wale tumhare manas patal par chhaa jaenge. Phir dukh kisko hoga? Man to Priya pritam ke anand rang mein rakh jaega. Vishwas kijiye. Vishwas kijiye. Kabhi vichlit mat hoiye ki koi hamara sahyogi nahi. Koi nahi tha. Koi nahi hai. Koi nahi rahega. Wahi hamare hain. Wahi hamare the. Wahi hamare rahenge. Ham pehchan nahi pate. Vishwas kijiye. Bar-bar isliye kah rahe hain vishwas kijiye ki ye vishwas se hi aapka dhairya pusht hoga. Nahi to hath pair marna band nahi hota. Aur hath pair mar ke bhanvar se bach nahi sakte.
aur hath pair marna band kar do. Bhanvar hi khatm ho jaegi. Ye aisa marg hai. Vishwas kijiye. Bin vishwas bhagat nahi. Shripad kah rahe dehantavadh yah maha vrat hai mahavrat bas ab jeevan hamne Vrindavan ko de diya ab nahi koi prashn nahi jeevan ka prabhu se koi prashn nahi aap hamare sharir ko vyvasthit rakh rahe hain ya avyavasthit rakh rahe hain badi dukh ki paristhiti hai ya sukh ki paristhiti hai koi na dhanyavaad aapko aur na shikayat aapko kyonki dhanyavaad dusre ko diya jaata hai. Ham to bik chuke hain aapke.
dhanyavaad kya? Aapne kharid liya. Dham vas dekar apne charnon ki upasna dekar kharid liya. Ham to bik chuke hain. Ab hamara adhikar nahi ki ham aapko dhanyavaad den. Ab aapki vastu kaise rakho. Jo kuch likha lilat dukh sukh deh sang bhugat jahan jaego. Yah siddhant abhang abhang siddhant hai. To bole yahan ka fayda kya hoga? Bole kalah kalesh na vyapetha yah thor vishwate nyari agar yahan vas kar rahe ho to bhayanak praarabdh jo mahan dukh dene wala tha wo vyapega hi nahi bahut sadharan mein nikal jaega. Bahut sadharan mein vishwas maniye dham ka bada prabhav hai.
satsang mein bade-bade mahapurushon se suna tha ki asadhya rog bhagwan ki vishesh kripa se aata hai. To kamp gaya man sun ke ki bhaiya sharir svasth hai to ham aasnan mein baithe hain. Sadhan karen aur agar asadhya rog to kaun si kripa hai? Lekin jab hua tab samjh mein aaya ki jo sadhno se nahi banta is asadhya rog ne sadhya kar diya us tatv ko kisi se ham kal kah rahe the he bhai hamara prayas rahta hai ki jo hamen hath pakda de use anath bana du use asran bana du anashrit bana du aur phir ye bana ke phir nath anathan hit samarth mohan shri Radha unke hath mein de du.
aap sambhalo aapki vastu aapko samarpit hai. Postamain ka kam hamara karya hai tumhare andar yah baith jae koi mera nahi. Tumhare andar anya aashray na rah jae. Tumhen lagne lage ki prabhu aapke siva main asmarth hoon. Anath hoon nath. Yadi aapne sweekar nahi kiya to mera koi nahi. Yah hamari antarik yukti hai. Jis yukti se Priya pritam ka akarshan hota hai. Nath anathan hit samarth mohan shri Radha yah tabhi ho sakta hai jab vishwas purvak nishtha purvak ham dham ko Gurudev ke vachno ko naam ko sweekar karen.
dehata vate shratim dekho badi karuna karke kah rahe hain main tumhari stuti karta hoon kiski Vrindavan ki nahi jo akhand Vrindavan vas le liye hain mrityu paryant shrutistam main stavan karta hoon tumhare stuti karta hoon hath jod ke prarthna karta hoon ki meri baat man lo kya man lo dosh naam shravan vidh paras tum kabhi kisi ke dosh apne kano se mat suno. Hath jod ki stuti karta hoon. He akhand Vrindavan vasi tumne jo jeevan paryant Vrindavan vas sweekar kiya bahut jaldi tumhen anand ki anubhuti ho jaegi.
meri prarthna man lo. Shripad kah rahe hain kah rahe dosh naam shravan vidho parasya dusre ke dosh ki baat kan se sunna band kar do dham ke rahni mein aa jao zyada vihaar karna zyada logon se milna julna bhagwat bhav agar nahi bana hai to phas jaoge isiliye siddhant lagu kar diya jaata hai ki aap is niyam ke anusaar chale aap mil kyonki aap bhi jit sang dosh nahi hue koi bhi vishay koi bhi vyakti koi bhi ghatna koi bhi paristhiti aapke ko phasa legi nahi aapko is sima mein rahna hai aur sima mein rahte rahte jab paripakva ho gaye to aap pure vishv mein tumhen koi nahi phasa sakta jitang dosh vishyan grahan munch kaisi mahima hai wo vishyon ke beech mein rahte hue bhi nirvishay rahta hai.
abhi ekant mein rahte hue vishyon se hatke bhi vishay chintan hota hai. Bahut kamzor sthiti hai. Par ninda kete aavat nahi kachu hath. Murkh parvat paap ko le chal apne saath. Jo kathan karte hain aur shravan karte hain dusre ke dosho ka donon ek hi aparadh mana jaata hai. Jaise leela gayan aur shravan donon ka ek hi phal hai. Ek hi phal hai. Gavat shravnan sunat sukhakar vishv durit davni. Priyal ki leela ka gayan karna aur leela shravan karna donon barabar phal pradan karte hain. Aise hi par ninda karna aur par ninda sunna donon barabar phal pradan karte hain.
kya phal? Paap ki gathri. Kyon? Aapka lakshya Vrindavan vas karke Priya pritam se milna hai to kyon kisi ki ninda suno? Agar koi ninda kar raha hai Radha Radha Radha Radha kan mein anguli dala. Aisa adesh hai sant samu shri pad apwada kahi suni ta as mariyada kati jibh tas jo basai shravan mund nat chale parai bhagwan ki ninda bhakton ki ninda santo ki ninda bhakti ki ninda aadi aadi jo kar rahe hain to bole mariyada hai aisi ya to uski jaban band karo aur ya kan mein ungli dalo chal do bhakt ka swabhav ladna jhagadna nahi hamen uske prati koi vihaar nahi karna.
katu na priy. Hamen udasin ho jana hai. Kan mein ungli dale Radha Radha Radha chal diye. Bahut jaldi aapka bhajan badhne lagega. Ye jo bhajan viksipt hota hai na to aap ninda nahi karte par sun lete hain. Yah bahut badi hani ho jati hai. Ham kisi ki jab bai karenge to savdhaan rahe. Dekhna shabd rapat jaega. Kisi ki ninda kar baithega. Isiliye kaha gaya hai tat suno mayakrit gun dosh anek gun ya ubhay na dekhi dekhi so vivek he tat ye gun aur dosh mayakrit hai sabse bada gun vivek yah hai ki ham kisi ke bhi gun dosh ki charcha na karke bhagwan priyal ki lilaon ka gayan shravan karen unki varta karen bodhta parsparam kyon ham kisi vyakti ke gun dosh ka varnan karke aparadhi bane ham apne man ko malin karen paap buddhi badhaye.
shri pad hath jod ke prarthna karte hain. Kitni karuna hai inki. Stuti karta hoon tumhari kyonki tum Vrindavan vas sweekar kiye ho. Par meri baat man lo. Dosh naam shravan vidh paras kisi ki bhi dosh wali baat aap kan se tere bhave jo kare bhlo buro sansaar narayan tu baith ke apno bhavan buhar. Pahli baat to sab bhagwat swaroop hai. Mujhe apne hriday mein yah prapt karna hai. Gun dosh mayakrit hai. Jaise koi bahut gun hai to kiske hain? Maya janit hi to hai. Gun mani sansaar aur sakal gun priti binu bhagwat prem nahi to un gunon ko kya karenge leke?
to hamen na kisi ke gun ki taraf dekhna hai na kisi ki dosh ki taraf dekhna hai. Kyon? Gun varnan karne mein koi dosh nahi hai. Lekin jahan ham kisi ek ke gun varnan karenge to jibhya phesal kar udaharan mein chali jaegi aur wo dosh varnan kar de hi degi dusre ka. Bas ham chuk kar baithe aur phir aap dekhna bhajan mein vikshep padne lagega. Aap samjh nahi payenge. Aruci hone lagegi. Zyada ninda aparadh ban gaya to jahan se tumhara kam banna hai wahi dosh darshan guru pe hone lagega. Guru ki baton mein ashradha hone lagega.
aur wo aapko dur kar de aur jahan dur ki bas pahunch gaye maya ke pali pe ab wo raudegi kyonki bchane wala koi nahi maya ka daldal moh kalil ye aisa vyapt ho jaega nikalna mushkil hai isiliye hath jod ke kah rahe hain socho itne bade mahapurush ki tumhen ladli ji ne kripa karke Vrindavan vas diya he bhai main tumhari stuti karta hoon ki tumhare bade bhagya ho gaye ab tum apni shravendra ko bachao dusron ke dosh sunne se paras jyaa mukam bhi jab dusre ki ninda karne ki andar veg ave aata hai are usi samay tum muhn kho jao maun dharan kar lo mat bolo paras jibhyastam bhitu jab tumhari jibhya bolne ke liye tayyar ho dusre ki ninda karne ke maun dhan dant se dant dabakar jaban ko andar nahi veg ko sah jao nahi to yah buddhi ko bhrasht kar dega bhakt ninda ati buri bhul kare jin koi ke sukrit bahujanma ke kshan mein dal phir bahirmukh hokar ghumta rahta hai antarmukhta aa hi nahi sakti aur phir aap khula ninda varnan karo to socho aapko kaisa parinaam milega bhajan mein hi nahi ruchi
jaise aankh mein jara sa bhi kan bardast nahi hota aise pavitra hriday mein thodi si chuk pahar jaisi dikhayee deti are galti ho gayi galti ho gayi kahan kah mausam kaun kutila khal kami kaun jinke samne prabhu virajman hai divya leela jinke netron mein chal rahi mahasagar lilaon ka jinhone rachna kiya wo shri surdas ji maharaj aur ham pahar jaise aparadh karke bhi muskura rahe hain kyonki malin hriday hai galti nahi hone pave mukam mookh ho jao maun ho jao jab kisi ki ninda karne ki baat ave maun nahi bhulna hat jao wahan se apne ko bacha lo prayah sadhak shareerik aparadh vishesh savdhaan rahta hai ki na ho vani se aparadh ban jaata hai shravan indri se aparadh ban jaata hai isliye shripad yahan kah rahe hain hath jodkar tumse prarthna hai mano aap gande aacharan nahi karte pakka kyonki sadhak ho ab aap sunne mein chuk kar diye dusre ki ninda sun rahe hain dusre ki ninda kar rahe hain.
to kah rahe par dosho ka yah jo grahan karne ki vritti hai dheer grahe jadastu tumhari buddhi jo jadta ko prapt ho gayi hai ki dusre ke gun dosh ka wo darshan kar rahi hai varnan kara rahi hai shravan kara rahi hai chhod do agar yah chhod diye tum to kah rahe shri Vrindavan vatim Vrindavan vas matra se tumhare hriday mein Priya pritam prakashit ho jaenge yah divya dham hai. Yahan kishori ji ka naam kan kan mein chhaya hua hai. Sachchi maniye ye Radha naam kaise tumhen batayen? Jab tumhari asakti ho jaegi is naam mein to tumhen sunai dega.
vayu chal rahi to usmen Radha Radha ek ek patta ek ek kisi bhi disha mein to bas Radha hi Radha Radha hi ye dham hai Radha dham hai ye ye Radha naam yadi jibhya mein tumhari chalta rahe to ye jitni par ninda karna par ninda sunna ya par dosh dekhna hat jaega Radha naam ratat rahe soi dhanya kal mein taake pad pankaj ki renu mein bali mein aa ha jiski jibhya se Radha Radha Radha to kah rahe dhanya hai is kalikaal mein main uski charan raj ki vandna karta hoon aur uski balhari leta hoon wo wo Radha naam ucharan kiya.
soi sukrit so punit soi kulwanta jako nish bas hi Radha naam chinta wahi mahan punyashali hai. Piche satsang mein kai bar varnan kiya gaya hai ki naam se badhkar koi tirth pavan karne wala nahi. Naam param gyan hai, naam param vrat hai, naam hi param pad hai. Sarvasv naam hai. Ye mahapurushon ne anubhav kiya hai. Aur bade-bade mahapurushon ko dekha hai. Chahe wo Pranav naam ho ya Ram Krishna hari koi naam ho. Wo bina bhagwan naam ki unchai par nahi pahunche hain. Nirantar naam chintan ka adhar lekar wo chahe nirakaar ki upasna kyon na ho naam ka adhar lekar ke wo us tatv mein sthit ho gaye hain.
bole sabse bada wahi punyavan sukriti mahadani mahagyani jiski jibhya pe naam chal raha hai. Radha Radha soi sukrit sabse bada punyavan so punit param pavan param pavan dekho tirthon ko bhi teerthatwa pradan karne ki samarth naam jaap mein aati hai kaisa naam sudha rasam Radha naam sudha rasam kahan fursat hai kisi ki baat sunne ko dekhne ko bolne ko fursat unhin ko hai jo pramad kar rahe hain. Naam jap nahi kar rahe. Naam jap chal raha hai hamari ruchi hi nahi hogi. Dekh lena aap naam so punit sharir bhi pavitra aur hriday bhi pavitra jiski jibhya pe naam aa savayabhyantar suchi bahar aur bhitar donon jagah se pavan ho jaata hai jiski jibhya pe naam chal soi kulavta jo naam jap raha hai Radha Radha Radha hoto yajya warte naam tabhyam wo swapach bhi sabse shreshth hai jiski jibhya pe naam chal raha hai.
soi kulwanta jako nishwas rahi Radha naam chinta raat din chintan ho raha hai Radha naam ka aur ek hi chinta hai kahin naam chhut na jae ta smaran param vyakulte dhanya ho gaya dhanya ho gaya jiske hriday mein Radha naam ki chinta hai ki kahin mera ye param dhan Radha naam adhar vismaran na ho jae chhut na jae jo yagya tirth vrat Radha naam mahi Radha naam bina aur kal upay na chahe jitna chahe jitna aur kuch kar lo kalikaal hai siddhvastha nahi prapt ho alag-alag yugo ka yug dharm hota hai. Ismen kalyug keval naam adhara sumir sumir nar utrah para naam naam kah rahe hain ki yog yagya waise bhi jitne bhi yagya hai sab yagno mein bhagwan ne swayam varnan kiya hai ki jap yagya main hoon.
yagya naam jap yagya Radha Radha isse badi koi yagya nahi hai. Yah bahut badi yagya hai. Par yah ismen tumhari prarambh mein prashansha nahi hogi. Bahari yagya mein to prashansha hogi. Ab ye jo sabse shreshth yagya bataai gayi. Yagya naam jap yagya ye age chalkar bistare. Sab jag Vimal kirti sadhu sangati na tare jab aap nirvikaar sthiti mein ho jaenge tab aapko wo bulana nahi padega janana nahi padega aap khud jaan jaenge sab aradhya dev hai phir sabse pyar milne lagega kyonki sab mein mera pyara hi basa hua hai jog jagagya tirth aap jahan hain jaise hain jo bhi hain Radha Radha Radha Radha aap sabse bade tirth mein avgahan kar rahe hain.
samay mile chale jao koi baat nahi. Lekin aapke andar yah nahi hona chahiye ki ab hamko matlab tirth avgahan karne ki avshyakta hai. Nahi naam chal raha hai param tirth mein. Param tirth mein aur naam ka tumhare hriday mein nahi hai. Naam pe priti nahi hai to tirth bhi jaoge. Abhiman aur pusht karo. Wahan se ye ye kiya ye kiya aisa kiya vaisa kiya wo aham pusht hota rahega jo pavanta chahiye ki aham galit hokar prabhu ke charnon mein lag jae wo naam se hoga kah rahe ki jitna phal yog mein yagya mein tirth mein aur vrat mein bade-bade anushthanon mein wo naam ki barabri nahi kar sakta.
piche bhi varnan hua hai ki wo 16va ansh ke barabar bhi nahi hai jo naam japak ko labh milega naam bina aur kal upav nahi agar naam nahi chal raha to phir kalyug ki aisi chal hai ki wo sukshm tatv par pahunchne hi nahi degi. Adhyatma ek bada sukshm marg hai. Ismen bahari koi dikhava, bahari koi man prashansha ki chah aisa nahi. Ye antarmukhta ka hai aur gupt marg hai. Antar hi iska marg chalta hai. Usko bahut chhipaya jaata hai. Antar ki vritti ko jisse ham us param tatv mein sthit ho jae ya usse hamen prem ho jae.
wo adhyatma ek bada gupt marg hai jo ham bahari ko adhyatma ki taraf le jane wala nahi banta. Uska antarik uddeshya bahya hota hai. Nahi to chhipana hi chhipana hota hai. Chhipana hi chhipana. Bahut bade mahapurushon ke sanidhy mile hain. Ganga ji ke bhi kinare pavan dham mein bhi chhipana hi chhipala hota hai. Agar guru kripa hai to drishti se pehchan lo ki kis koti ke mahapurushon ko kripa karke samjhave nahi unke bahya leela se to samjh hi nahi sakte hain. Bole jo sthiti hai wah naam pradan karta hai.
Radha naam bina aur kalyug pana sabko sar Radha kabahu nahi birie sabko sar sar ke sar Krishna chandra jo Krishna naam wahi Ram wahi vaman wahi narsingh sab rup unhee ke unhin ke naam wo swayam jap rahe hain. Shrimad Radha sudhanidhi aur hamare rasik mahapurushon ki vani mein yahan ved praman nahi hai. Yahan ved ka jo swaroop hai ras swaroop hai wo rasik janon ne dekha hai. To bhagwat rishik ji kahte hain yahan ved rasikan ki vani jo brahm tatv sar vastu hai uska bodh kiye hue mahapurushon ne jab Krishna rup ka kripa purvak avgahan kiya swad liya to bole krishna param kimap tatv mam na jane Krishna se badhkar koi aur tatv hai main param tatv shri Krishna shri madudan Saraswati ji aur shri Krishna swayam hari rasna Radha Radha rat y japa sakradev Gokul pati ra takshana ye Vrindavan ka ras hai ye gadh vishay hai Vrindavan ke dal dal pat pat mein ek ek kan mein yahan Radha Radha samaya
hua hai hamara malin hriday isliye ham nahi samjh pa rahe Radha bole sabko sar jaise unhone kaha krishna param tatv ham na jane to Krishna ka sar har hai kishori ji Krishna ka jo prem swaroop hai jo unke hriday ka alahad hai wo jab rup dharan kiya to Radha rup hua sandranand ghan prem murti kishori isiliye japat hari vivas tav naam pratipad Vimal Radha Radha Radha Vanshi se aur apni jibhya se bhi Radha Radha Radha sabko sar Radha kabahu nahi basie Radha naam leke ab bhav sagar tarie bahut mitha bahut saral sar ka sar swayam param tatv shri Krishna jis naam ko japte Radha Radha Radha aapko Vrindavan ane ko mila aapko Vrindavan mein satsang mila Radha Radha naam mahima sunne ko mili.
ab tum kahe ko kam ganda karoge dusre ki ninda sunkar kahe ko vani ganda karoge jismen hamen naam chalana hai. Yadi naam japak vaishnav ki ninda hui ya kisi ki ninda hui to naam bhagwan nahi chalenge. Dhyan rakhna naam keval shabd hi nahi hai. Jo Krishna naam hai wahi Krishna hai. Jo Radha naam hai wahi Radha kishori hai. Mano kishori jo kripa karke Radha naam ke rup mein hamari jibhya mein virajman. Ab is jibhya se yadi ham ashleel vachan bolenge, gande vachan bolenge, kadwe vachan bolenge, ninda ke vachan bolenge to hamari jaban mein kaise naam chalega?
bahut savdhaan. Jahan aisi koi baat ho ham muhn ko ho jae. Hamen bahut badhiya avsar mila hai. Chalte hain bhagwan shri Krishna chandra jo arjun ji ko updesh kar rahe hain. Yadi tum karm phal ka hetu banoge to tum dukhi sukhi ho jaoge. Prayah ham koi bhi karm karte hain to pehle phal samne rakhte hain. Vichar karke dekhna. Ham kartavya man ke nahi karte. Ham phal samne rakhte hain. Isiliye karm karte hue wo karm yog nahi ban pata. Ham dwandon se upar nahi uth pate. Anukul paristhiti aa gayi, phal mil gaya to ham itne phool gaye, nach pare aur agar hamare pratikul phal ki to phir ham itne udas ho gaye ki aisa lagne laga ki ab jeena hi bekar hai.
nahi bhai yah manav desh isliye nahi mila. Bhagwan kah rahe karan vadhikaraste ma fale kada chan ma karm phal hetu bhume sango karmani tum keval apne kartavya karm ko dekho tumhare mangne na mangne se koi fark nahi padega tumhara kartavya tumhen phal deke hi rahega. Par tum phal par yadi drishti rakhoge to nirash ho jaoge. Yahan vicharneey vishay hai. Manushya sharir mein do baten hain. Ek hai purane karm ka phal bhog aur ek hai naya karm karna. Manushya yoni chhodkar shesh jitni yoniyan hain wah keval purane karmon ka bhog kar sakte hain.
naya karm nahi kar sakte. Jaise kit patang pashu pakshi devta brahma tak brahmlok tak jitni bhi dev yoniyan ishwar koti ki yoniyan wo sab naya anusthan nahi kar sakte ek keval manushya tabhi to durlabh ho mansudev aisa kaha gaya hai yah karna hai yah nahi karna hai yah vidhan keval keval manushya sharir mein lagu hai. Aur jo kar rahe hain pashu pakshi aaj jitne bhi wah apne purv punya ya paap se prerit hokar waise karm kar rahe ho. Naya anusthan nahi ho sakta. Jaise koi pashu dauda kisi ko mara ye uska naya karm nahi hai.
uska sharir bhog aur usse praarabdh se prerit hokar wo use dand de raha hai. Karm uske upar savar ho gaya hai. Manushya mein ek aisa hai ki wo vivek ke dwara naya anusthan kar sakta hai. Bas isiliye iski durlabhta hai. Sadhan dam moksh kar dwara paye na je parlok sambhara kabahu ka karuna nar deh det i binu het sane yah sharir jo mila bahut durlabh sharir aap kuch bhi ban sakte hain lekin aapka dhyan keval udhar hi hai vishyon ki taraf sansaar ke bhogon ki taraf sambandho ki taraf vaisa lagta satya hai yah sharir satya hai yah sharir satya hai yah bhog satya hai yahi hamari buddhi ko avidya ne gras liya phasa liya hai.
pashu pakshi kit patang jitni bhi aur yoniyan hain yah naya karm kuch nahi kar sakte. Wah purane karm ka phal bhog bhog rahe hain. Bura ya accha jaisa jaisa karm aata ja raha hai. Uske dwara yadi tumhen dikhayee deta hai ki koi naya karm hai to wah naya karm nahi hai. Uska purv praarabdh karm hai. Anukul paristhiti pratikul paristhiti sukhad paristhiti dukhad paristhiti anya yoniyon mein wo keval karm ke anusaar aa rahi hai. Purv karm naya karm nahi manushya sharir ek aisa hai jo apne purusharth se yah jo sharir bana hai itne bhar ka bhog hoga.
purv jitne jama un sabko bhasm kar sakta hai. Age jo naye karm wo nishphal kar sakta hai. Praarabdh ko bhogne ki kshamta prapt kar sakta hai aur isi janm mein bhagwat prapti kar sakta hai. Manushya sharir mein do vibhag hain. Ek hai uske samne purane karmon ka phal. Anukul pratikul paristhiti matra keval aati hai purane karmon ke phal se jisko ham labh hani kahte hain. Jisko ham sukh dukh kahte hain. Aur dusra hai naya karm. Naye karm ke anusaar ham apne bhavishya ka nirman karte hain. Pashu pakshi devta ye nahi wahan keval ksheen ho raha hai.
paap ksheen ho raha hai. Punya ksheen ho raha hai. Yahan hamare samne do paristhitiyan aati hai. Ek anukul ek pratikul jo hamare paap aur punya ke anusaar jo sharir bana hai uske bhogne mein. Ab ham swatantr hain. Ham un paristhitiyon mein pise nahi. Dukh aa gaya hai to ham pashu ki tarah usmen doob na jae. Anukulta aa gayi to ham pashu ki tarah itne phool na jae ki prabhu ko bhul jae. Hamara kartavya kya hai? Isko bhul jae. Prayah aisa hi hota hai. Harshit hue to itne harshit hue ki bhul gaye aur dukh para to itne dukhi hue shokit ho gaye ki jeena mushkil ho gaya.
ye ye adhyatma ka pravesh nahi hua aapke hriday mein gyan ka isliye aisa hai aap kaun hai samjhiye aapko kaun si yoni mili hai is yoni ki vandna devta bhi kahte hain bade bhag man pa sur durlabh devtaon ko durlabh bhai kya bhog tumhare paas shreshth hai jo devtaon ke paas unko durlabhta yahan ka koi bahut accha jitendra mano nigrahi wahan ka thoda sa ek bhog upasthit ho jae to vichlit karne ki samarth rakhta hai. Kya bhogon ke bhogne ke karan isko kaha gaya kya ki sur durlabh nahi bhagwat prapti ke liye naveen anusthan karke sare sanchit karmon ko bhasm karke aur ham apne praarabdh ko sahne ki kshamta prapt karke is janm ko akhiri janm karen.
yah manushya janm ka bhavishya ka nirman kaise hoga? Shastr aur santo ke sang se do par ruchi hi nahi rah gayi aaj ki samaj ki. Hamare brahm rishiyon ne bhagwan ne jo shastr ki rachna ki baithkar 10 minute ekant swadhyay karne ki vritti nahi rah gayi kyonki mobile aisi srishti ho gayi. Sara samay usi mein chalo aho bhagya hai jo mobile se sat shastron ki baten santo ki baten sunte hain to sadupyog ho jaega lekin durpayog na hone pave to savdhani yah aapko age badha degi sab kuch hai usi mein agar aapko santo ka sang mil gaya aur shastron ki gyan bhari varta sunne ko mili to tumhen pata chal gaya ki kya karna chahiye aur kya nahi karna chahiye chahiye.
ab aap shastr anushasan guru anushasan se chale to aapko bal milega adhyatma bal aur aap apne man ko durwasnaon se galat karmon se bacha loge. Galat karmon se jahan bachaya aur pavitra karm hue to pavitra karm ka ek prabhav hota hai. Aapka hriday nirmal hone lagega aur adhyatma marg dikhayee dene lagega. Adhyatma ka marg andar prakashit hota hai. Dekho hamen jana bihari jo hai aur ham bahut daud rahe hain viparit disha mein chathi kala ki taraf to us daudne ki prashansha hogi kya wo agyani prashansha kare kya baat hai kitna apne lakshya ki taraf daud nahi lakshya to uska bihari ji the wo galat disha mein ja raha hai uski daud ka koi mahatva nahi aur ek aram se let let ke ja raha hai lekin bihari ji ki taraf ja raha hai pura aise pahunch jaega har kadam uska lakshya ki taraf badh raha hai aur har kadam uska badi teevrata se badh raha hai.
phir lakshya ke virudh chal raha hai. Antarik lakshya bina satsang ke dridh nahi hota. Kal ki charcha mein tha jaise mahan jalashay ke prapt hone ke baad phir chhote-chhote gadhon ka mahatva nahi rah jaata. Aise hi mahan bhagwat aashray paramatma aashray hone par phir anya aashray sab chhut jaata hai. Nana prakaar ke punyushthan karmushthan ye sab inka aashray chhut jaata hai aur jeevan mein yah sab hota rahta hai. Lekin aashray keval prabhu ka rahta hai. Manushya purusharth ke liye mila. Keval purusharth ke liye char purusharth rakhe gaye hain.
dharm, arth, kam, moksh. Agar dharm se aap arth kamaenge to tumhare andar pavitra kamnayen hongi. Pavitra kamnao ki purti hogi to moksh ki taraf chal padoge. Aur dharm hata diya. Keval arth aaj samne rakha jaata hai. Pehle kya hai? Dharm phir hai arth. Dharm ki sima ke antargat arth ko prapt karo. Ab kya hai? Dharm ko ekdam hata diya. Ab rah gaya arth. To arth jo kamnayen paida karta hai wo asuri bhav ki karta hai. To idhar dharm hata idhar moksh hata. Ab do baten rah gayi. Purusharth to kar hi rahe hain lekin purusharth ke pratham sidhi aur antim baat do ko hata diya gaya hai.
keval arth aur kamnao ki purti rah gayi. Dekh lijiye aap hriday mein vichar karke. Khub arth kamae aur manmani kamnao ki purti karen. Unko bhoge to pahla dharm chala gaya aur piche jo parinaam ana chahiye moksh hat gaya. Ab bar-bar janm bar-bar maran wahi durgati purusharth ke liye manav deh mila hai. Naye karm karne ke liye manushya sharir swatantr hai. Ismen praarabdh kuch nahi kar sakta. Aap apne kartavya ko ismen ye nahi ki jo hona hoga so ho jaega. Praarabdh mein ye pashuta ki buddhi hai. Yah pashu mein lagu hota hai.
manushya mein nahi. Ek asflata hamko nirash kar de. Nahi hazar asphaltaen hamko nirash nahi kareng. Ham avinashi ke bachchha hain. Ek bar ham kamar kas len. Asflata har asflata hamko savdhani deti hai. Kahan chuk ho gayi? Kahan chuk ho gayi? Aur ham us chuk ko sudhar kar ham akhiri manjil tak paunchenge. Nahi pahunch paye to manjil hamare samne aa jaegi. Is shabd par dhyan dijiye. Ham prabhu ki taraf chale hain to unke vachan yad kijiye na bhakt prannasati ham nahi pahunch paye to wah aa jaenge hamare paas aur ana unhin ko padega hamari itni chal jor ki nahi hai unko ana padega aur wo ate hain wo ate hain aap pukarte rahie chinta mat kijiye ab wo antim vishay aisa to nahi hai ki sartiphiket ban gayi ho dikha diya jae nahi wo jane mori chati wo hriday janta hai.
aapka hriday gavahi hoga par bata nahi paoge. Vishwas kijiye jab vastvik baat aayegi to bata nahi paoge. Usko praman nahi de sakte. Yah koi degree nahi hai. He ye degree nahi. Haan bahari kriyon ko aap degree bana sakte hain. Itne din se bhojan nahi paya. Itne din se ye nahi kiya. Ye nahi kiya. Ye nahi kiya. Yah sab bahari prakriti janny sharir prannon ki balta ho rahi hai. Adhyatmik ki nahi adhyatma inke chhorne ki hai. Sthul sukshm karan aur yahan sari charcha sthul ki kriyon ki wo chahe jis rup mein ham prakashit karen wo prakriti janny hi hai.
paramatma janny antarik inko chhod ke age badhna. Inko chodna hi apne mein sthit ho jana hai. Bada sukshm adhyatma marg pichle karmon ka phal dukh sukh rup mein aayega. Tumhen badalne mein prayog nahi karna apne bhajan ko. Adesh ho raha hai. Tum bhagwat bhajan itna badha do ki wah dukh tumhen parast na kar pave aur sukh tumhen abhiman mein na lene pave. Itna harshit na hone pao ki aap mariyada bhul jao. Dekho kisi bhi karya mein jab chalo aap to ek bindu rakho ki 99% to ham vijay ka prayas kar rahe hain.
par ek percent agar ham asfal ho gaye to to usi samay hriday mein josh ana chahiye. Phir agli bar prayas karenge. To ek point mein aapne apne ko majbut kar liya. Par ham kya karte hain ki pura aur jab asflata aati hai wo phir nirash ho jaata hai. Ab kya nahi nirash hona ye kya hamara jeevan tha safalta nahi jeevan ki hamari safalta ko koi nahi rok sakta. Har har hamko vijay ki taraf pahunchaegi. Bas thoda samjhna adhyatma ko hai. Ham adhyatma ko to samjhte nahi. Sidhe keval visham sansaar ki prakriti paristhitiyon mein ab pratikultaa ai to ham bahut nirash ho hatash ye nirasha khokhla kar degi aapko ye nirasha aapko jeena mushkil kar degi nahi nahi ye nirasha hamen dharan nahi karni bhagwan varnan kar rahe hain anukul pratikul do hi paristhitiyan paida karenge tumhare purv ke karm lekin tum inko badal nahi inko sahna sikho nahi to jo age bhajan kar rahe ho inke badalne mein lagaoge to tumhare paas rah kya jaega?
hamari yatra ke liye punji tayyar karni hai. Isiliye jo bade-bade sant maha bhagwat jan dekhe gaye ki bada kasht pa rahe hain aur to lagta hai inke bhajan ka inko kya prabhav mila? Teen parikrama giriraj ji ki aur 108 gopal shastr naam ke path roz karte the. Ek sant bhagwan. Socho jara kya sadhna. 108 gopal sahasra naam aur parikrama teen giriraj ji ki aur unko lakwa mar gaya wo pairalis kya kah haan aise adhe sharir mein to pujypad odiya Baba hari Baba us samay pragat rup se virajman the jab suna to gaye donon mahapurush aur jakar ke baithe aur kaha Baba mujhe pata hai aap sankalp kar lo to vishv ka pairalis theek ho jae pure vishv ka aap itne param dhani hain aur aap aise kasht ko to bole vinod kar rahe ho na kyonki donon mahapurush the vinod kar rahe ho na are Baba machchar marne ke liye Brahmastra ka prayog nahi hota ye to sharir mein hai bhog lete hain iske liye bhajan ka prayog nahi ye chatur sujan Ram bhaje chatur ye nashvan hai aaj nahi to kal chhutega iske liye hamen bhajan nahi hamen hamen bhajan prabhu ki prapti ke liye karna hai to karm phal dukh aur sukh dekar nasht ho jaega.
apne aap nasht ho jaega. Tumhen anukul pratikul ya dukh sukh paristhiti mein dubna nahi hai. Ham logon ko yahi kala nahi aati. Sukh aaya to phule ghum rahe hain. Dukh aaya to itne itne nirash ki kaise samjhave hamko? Itne nirash nahi nirasha hamen khokhla kar degi. Hamen matlab jite ji ekdam ekdam asmarth kar degi. Ye nirasha ko chune mat do. Satya vastu ki asha vijay ki asha itni prabal karo ki tum itne abhyasi ban jao ki ye har tum ham har gaye. Theek hai. Ham age abhyaas karenge. Aise dridh baenge. Nahi ye har vijay mein badlegi.
aur agar satya marg mein aap chal rahe ho to vijay antim hamari hi hai. Hara diya yudhishthir ji ko. Bade phule hain Duryodhan aadi 12 varsh ka vanvas ek varsh ka agyatvass mahan kasht paya. Par unka kya hua? Pure vansh ka nash hua. Aur vijay shri yudhishthir ko mile. Nirash nahi hatash nahi. Hamko apne marg ko samjhna hai. Ham bhartvassi adhyatma ko janne wale adhyatma mein sthit hone wale ye param dharmamay desh hai. Jai aur parajay ye pahlu hai. Din aur raat jaise hai. Theek hai. Ho gayi. Hamen phir majbut banna hai.
hamen nirasha nahi aur ek dusre ko utsahwardhan karna chahiye. Yah nahi ki padhai mein koi phayl ho gaya to ghar wale usko itna bhaar de de ki wo apni har ko puri har man jae. Kisi bhi vishay mein chahe wo kisani ho, vyapar ho, nokri ho, krida ho, padhai ho, adhyatma ho phesal sakte hain adhyatma mein. Are tumhari maya baji pasari vichitra surmuni mohe kaki kod badi vichitra maya devi hasa gunmai mam maya daratya adhyatma mein bhi phesal sakta hai to phesal gaye to iska matlab har gaye ham gir gaye ham bekar ho gaye nahi nahi ham us jagah ko dekhenge ki hare to kaise hare hamari phislan chuk kya hui kya hamare abhyaas mein kami hui hamari savdhani mein kami hui ham usko sudhare age badhe ye manav dekh keval dukh dukh sukh bhogne ke liye nahi hai.
vishwas kijiye aap itne mahan hai ki dukh sukh aapko chu hi nahi sakta. Aapne dukh sukh ko pakar rakha hai. Pure udhar ki samgri bhagwan ne aapke andar rakh di hai. Ek din bataya tha ki tijori andar hai. Chabi bhi andar hai. Jo anand ki khoj kar rahe wo andar hai. Lekin ham bahar dhund rahe hain. Pure janm ke janm vyatit hote jaate hain. Bahar dhund rahe hain. Nahi milne wala. Sarvatma vijit bahir indriyaan aao andar aao. Aao samadhi bhitar chit na dulai tu Swami ji andar to aap mal bhara hua hai anand sindhu madhya to vasa tu anand ke kan khoj raha hai anand samudra tere andar virajman hai ham log bahut jaldi nirash ho jaate hain bahut jaldi bahut jaldi phool jaate hain aisa nahi hona chahiye dhairyvan banna chahiye ye donon chijon bade-bade mahapurushon ke jeevan mein dekhi gayi swayam bhagwan bhagwan avatar lekar ke leela dikhate hain.
mahan Ayodhya saji hui hai. Utsav badhave ki dhoom mach rahi. Kyon? Kal prat kalin chakravarti samrat pad par bhagwan shri Ram ji ka abhishek hoga. Bhagwan ne bhi suna. Taiyariyan ho rahi hai. Sab samgri tayyar kar li gayi hai. Bade-bade vipr brahmin vedagya sab upasthit hokar ke vidhan bana rahe hain. Idhar badla pahlu maharaj dashrath ji ke bhagya ka pahlu badla. Kitna phule hue hain dashrath ji. Bahut pyar sabse zyada kaikei ji ko karte hain. Isliye sabse pehle kaikei ji ke mahal mein ja rahe hain. Ab yahan badal raha hai.
praarabdh badal raha hai. Bada vichitra karm ka phal hota hai. Praarabdh badal raha hai maharaj ka. Bade anand mein umagte hue ja rahe. Je hi kaikei ke bhavan mein to wahan ka vatavran dekha ki hamare pran priy Raghunath ke tilak ki baat sunkar ke yahan utsav nahi hai. Yahan sab nirash das das yahan maharani kahan hai? Kop bhavan kop bhavan sunte hi jaise dharti khisak gaye ho pairo ko kyonki atishay pyar karte the kop bhavan jane ka kya matlab ho sakta hai nazdik gaye dekha malin vastr dharan kiye mano roos gaye ho aise priy is samay tumhen rusne ka avsar are tumhara tumhare ko Ram ji to prannon se bhi adhik priy hai.
hamne dekha hai kai bar ki tum Ram charcha karte hue ashubh pravah karne lagti ho aur unhee mere aur tumhare pran priy Ram ka prat kalin rajya abhishek hai aur tum aise malin vastr dharan karke kop kar rahe ho. Karan kya ho sakta hai? Karan aap hain. Aapne kaha tha vardan o mera bhulne ka swabhav hai. Ek vardan, do vardan, char vardan jo tu mange agar kah de to main balpuk kisi devta ka bhi vadh kar sakta hoon. Kyonki inko amantrit kiya jaata tha. Devta apne paksh mein lekar asuron se yuddh karte the.
mahabali the dashrath ji maharaj. Tum kaho kisko jeevan dan de de tum jo kaho kar de lekin is samay udas hone ki zaroorat nahi haan tu sunu main do vardan maang shri Ram ko 14 varsh ka vanvas aur bharat ko is rajgaddi par abhishek maharaj tum murchhit hokar mere pran priy Ram ko 14 varsh ka vanvas us dasha mein wo kah main tere charan sparsh kar raha hoon. Hath jod raha hoon. Mere pran nikal jaenge. Tum ek baat jo kahi subah hote hi bharat ko bula ke rajtilak kar mere Ram ko vanvas aap dekho paristhiti kaise badli ham tum to kya hai socho bhagwan ke pita ka saubhagya aur swayam bhagwan raj tilak hona hai sab je suchna pahunchti hai ki pita shri ne yad kiya to wahan gaye wahan drishya ji bataya ki yah to bataenge nahi ye to aise hi murchhit pare hain aapke usmen lekin inhone mujhe vachan diya hai aapko 14 varsh ka vanvas tapasvi vesh mein kisi gram nagar mein nahi jana 14 varsh vishesh udasi udasi bhav se bahut prasann hue bhagwan mano rajtilak mein utne prasann nahi hui thi.
us samay sankoch mein ho gaye the ki ham charon bhai ek saath prakt hue hain. Phir mera hi raj tilak kyon? Sab bhaion ka raj tilak ho khuna chahiye. Bhagwan ka swabhav. Lekin je bhi suna bharat ko rajtilak mera lekin hua kya? Puri Ayodhya aur maharaj ke pran visarjit ho gaye. Ram Ram Ram kah ke ham usi mrityu lok mein janme hain. Hamen manav deh mili hai. Ye dukh sukh aayega. Aap iske prati savdhaan pehle se rahe. Sukh mein itne na bhul jae ki age dukh ane wala hai. Dukh mein itne na doob jae chinta mat karo age sukh ane wala hai.
aur hamen to lagta hai ki aise balvan bano ki ye sukhdukh ka sadupyog kar lo. Dukh aaya hai. Bhagwan ne kripa ki mere kisi paap ka mochan ho raha hai aur ham naam jap karke use sah lete hain. Sukh aaya hai. Use char logon ki seva mein bant dete hain. Bhagwan ne mujhe saubhagya diya hai to char milkar ke us sukh ka upbhog agar ham uske bhogta baenge to dukh ka bhog hamen karna hi padega. Ek vishesh baat samjhne ki hai ki manushya jeevan mein praarabdh ke anusaar jo shubh ya ashubh paristhiti aati hai jo sukh aur dukh pradan karti hai vastav mein dekha jae agar aap uska bhog na karen to yah sukh aur dukh aapko vyapenge hi nahi.
are jab kisi agnestra, varunastra, vayostra, divyastr ki pahunch nahi hai aap tak to sukhdukh kaise pahunch jaenge? Ham log uske itne bhokta ban chuke hain ki yahi hamara jeevan ho gaya hai. Thodi si vyapar mein hani ham apne prannon ko tyag dete hain. Ek fasal nasht ho gayi to ham apne ko ekdam jeevan vyarth samjh lete hain. Ek class mein ham phayl ho gaye to nahi bhai nahi. Yah jeevan amog padvi prapt karane ke liye tum kahan chhote chhote vishyon mein phaskar aap itne nirash ho gaye har vijay prapt hogi aap vishwas karo keval aap thoda adhyatma ko samjhe thoda dhairyvan bane dukh ki baat kaho to dekho Devki vasudev ji bhagwan ke mata-pita banne ka saubhagya prapt kiye sarvlok maheshvar padhar rahe hain lekin kahan kade shasan mein raaksasi pravriti ke pahredar kans ke hathkadi bidi jakdi hui aa kaun rahe samasth bhav bandhan se mukt karne wale prabhu aisa to kisi ka janm nahi hota hoga vichar karke dekho bhagwan swayam jab avtrit hue hain to leela karke dikhaya hai yahan do pahlu hai dukh aur sukh donon dekhne ko mile bhagwan swayam vijay shri hai lekin ranchhod bhi naam para leela karke dikhaya hai.
wo kai bar aakraman kar chuka tha Jarasandh aur itne mein hi devrshi narad ji se pata pooch ke ki koi mere saman yodha hai us kalaywan usne bahut se karodon makshon ko lekar chadhai kar di Dwarika mein. Ab shri bhagwan to sarv samarth hai na lekin ek naam rakhwane ke liye bhag pare. Ran shor bhagwan ki jai bola jaata hai haan kahe ke liye bada rahasya hota hai bhagwan ki leela mein muchkund ji ko apna sakshatkar karvana hai aur muchkund ki drishti se usko bhasm karvana hai bhag pare bhagwan wo kah raha are ruko ruko Vasudev tumhara bada yash hai jara hamse lad ke tum bhag kyon rahe ho aur Pitambar phahrate hue thakur ji bhag rahe aur wo piche lalkaar raha hai bhagte hue usi gufa mein gaye jahan Mukund maharaj devtaon ke saath yuddh sahyog karke yuddh mein asuron par vijay prapt karai thi.
to devtaon ne kaha aap jo vardan mange bole mujhe aapse kuch aur nahi chahiye. Mujhe nind lag rahi main bahut thaka hoon. Main so jaun aur mujhe koi vikshep na pahunchae. Unhone kaha jo tumhen vikshep pahunchaega drishti khulte hi bhasm ho jaega. Aram se gufa mein so rahe the. Bhagwan gaye apna Pitambar uda diye. Ab wo aaya aur dekha ki dekho mujhe to dauda dauda kar thaka diya aur lada hai nahi apna aake yahan so raha hai. Ek lat mari je hi lat mari to aankh khol ke dekho bhasm ho gaya. Ab jab bhasm ho gaya to aap prakt nihal kar diya muskund ji ko vistavan kiya.
prichay bhagwan ne apna diya. Phir bhagwan ne kaha ki tum jis is ras ko prapt kiye ho yahi jagat mein anya jeevan ko bhi pradan karo. Isliye tumhare ek janm aur lena padega. To narsi mehta ji ke rup mein wahi Mukund ji prakt hue. Bhagwan ka naam ran chhod para. Dekho yah mrityu lok ki leela hai. Jab aap parde par koi seen dekhte hain to usmen sukhdukh ka anubhav nahi karte hain. Aapko pata hai ye jhutha hai. Ae ye jhutha khel chal raha hai. Tum sacchidanand prabhu ke sacchidanand ansh ho. Tum is jhuthe khel ko itna satya man lete ho ki aap itna dukhi ho jaate ho, itna nirash ho jaate ho.
nahi. Isiliye adhyatma ki zaroorat hai. Har buddhi mein adhyatma yog hona avashyak hai. Agar buddhi mein adhyatma yog nahi hai to yah bahut dukhi karta hai sansaar. Ye visham hai. Ye kabhi ek ras rah hi nahi sakta. Nahi re sab din hot na ek saman. Kisi ke nahi hue. Kisi ke nahi hue. Sadaiv vijay kisi ka varnan nahi karti. Sadaiv har mein koi nahi bana rahta. Yah chalta rahta hai. Is par thoda drishti dali jae. Ham thode-thode har par thode-thode vijay par itna nirash, itna udas, itna harshit, itna abhiman nahi thoda adhyatma ko samjhne ki koshish karo.
shri bhagwan kah rahe hain dukhi sukhi hona yah karm ka phal nahi agyaan ka phal hai. Bhagwan kah ye dukhi sukhi jaise ab dukh aa gaya hai. Ab Radha Radha Radha Radha kyon aaya hai? Kaise jaega? Hamko is jhanjhat mein nahi phasna. Jaisi paristhiti di usmen hamen kaise bhajan karna hai? Kaise apne kartavya karm ko karna hai? Pakka samjh lijiye aap. Aap yadi apne satya marg par sthit hain to koi aapko dukhi nahi kar sakta. Agar yah dukhi kar de to yah sab band ho jae. Aap dhyan dena. Ye agar dukhi kar de to yah nahi ho sakta bhai.
kartavya karm ka palan dukhi bhav se nahi ho sakta aur na abhiman bhav se ho sakta hai. Harsh shok se kartavya ka palan nahi hota. Kartavya ka palan harsh aur shok donon ko tyag karke hota hai. Parinaam kya hoga hari jane mere ko kartavya mila keval kartavya. Kartavya se chuk nahi hone denge aur parinaam jo aayega wo hari ki taraf se aayega aur uska ham swagat karte hain joi joi pyaro kare soi moh bhave hamare kartavya ki chuk ye hamen bardast nahi hogi kartavya par karmane vaste ma fale kadach kyon kah rahe hain tumhen dukh se bchane ke liye kah rahe hain koi bhi karm bina phal diye nahi jaega tum chinta kyon karte ho keval apne kartavya par agar ham kahin apne kartavya mein abhyaas mein chuk karenge to hamen phir har ka mukh dekhna padega.
karta ham bade pryasrat hai. Hamara prayas theek hai to hamen nirash nahi hona hai. Hamari chuk ho gayi to hamen nirash hona hai. Hamare kartavya mein chuk nahi to hamen nirash nahi hona hai. Aur kartavya ka palan karne wale ke andar bhagwan aisi samarth dete hain ki wo har mein bhi nirash nahi hoga. Bhagwan yahi yukti sikha rahe hain. Gita ji hamen param sukh pradan karne ke liye bhagwan ne gai hai. Yah sukhi aur dukhi ho jana agyaan ka phal hai. Karan paristhiti to bahar se ai aur sukhi dukhi tum bhitar se ho rahe ho.
paristhiti ko tumne apna itna gadh bhav se tanmayata se sweekar kar liya. Paristhiti ke anusaar tum dukhi sukhi ho rahe ho. Bahut sundar baat hai. Aap apne swaroop ko nahi jante. Isiliye hai apne log apne swaroop ko bhul gaye. Apne prabhu ko bhul gaye hain. Ye koi vijay vijay nahi. Ye koi har har nahi hai. Ye har aur jai hamen sparsh nahi kar sakti. Ham keval bahari hi vichran mein itne nirash itne harshit nahi hona chahiye. Nahi hona chahiye. Dekho manav deh keval itne ke liye nahi mili. Agar aap is baat ko nahi samjhenge to aapki buddhi aapka man aapko galat salah dene lagega.
isi mein bhagwan kahte hain ki tum yah bhi mat socho ki main aaj se karm nahi karunga. Vijay nahi mili tumhen kar nahi tu na karne mein bhi ye to nahi banega. Karm karna hi hai. Bahut bahut bhagwan bol rahe hain. Bilkul anandmay jeevan ho jaega. Ham dukh sukh ke saath apna tadatma bhav kar lete hain. Isiliye paristhiti hamko parast kar deti hai. Agar dukhdai paristhiti ai hai to ghabrane ki zaroorat nahi savdhaan hone ki zaroorat hai. Hamse kya chuk hui hai? Koi poohe ab jaise to hamse koi paap hua. Hamse koi chuk hui.
uska parinaam hai. Bhishma ji banon par hain. Haan koi chuk hui par hamen nahi dikhayee de rahi. To bhagwan unko dikha rahe dekho yah chuk hui hai. Hamse chuk hui hai. Chuk hona bhi swabhavic hai. Are manushya sharir mila hai. Ho sakta hai. Koi bhi chuk ho sakti hai. Jab ham us chuk ko apne sudharne ki vritti na lake us par doob jaate hain ki ab kya hoga? Ab to chuk ho gayi. Ab to har gaye. Tab ham dukh ka bhog karne lage. Nahi nahi tumhen dukh ka bhog nahi karna. Ye aaya gaya. Jaise koi bhi dukh aata hai aap dekho dhire-dhire ksheen ho raha hai.
dhire-dhire vritt usse ubhar rahi hai. Aur agar kahin aap bhagwan ka aashray liye hain, adhyatma ka aashray liye to second mein nikal sakte hain. Minute mein nikal sakte hain. Ghante mein nikal sakte hain. Aur koi koi jeevan bhar nahi nikal pata. Nikal hi nahi pata. Adhyatma ki yukti ke dwara bade se bade shok se upar nikla ja sakta hai kyonki wah shok aapko dubo hi nahi sakta. Aapko chu hi nahi sakta. Aap shok ko pakar liye hain isliye aap dukhi ho rahe hain. Hamare ko ma phaleshu kadachan kinchin matra bhi phal ki chinta nahi karni chahiye.
aur ham sab phal ki hi chinta mein rahte hain. Ham yahan ja rahe hain to hamko kya phal milega? Ham yahan jae. Agar wah kam nahi bana to mujhe phal nahi mila. Ham yah punya karen ya yah karm karen. Yah phal ki akanksha hi hamen dukhi sukhi kar rahi hai. Ab kaise samjhaen? Bina phal ke kuch soch hi nahi hai. Agar hamari koi soch bhi banti hai to uska phal kya hoga? Chalo accha phal ke hi dekhne wale ho to phir adharm aacharan mein kyon nahi dekha? Ki ye jo main karne ja raha hoon iska udhar nahi dekhenge. Phal mein udhar phal mein nahi dekhenge.
vybhchar mein madirpan mein mans bhakshan mein hinsa mein dat kida mein phal pe drishti nahi dali lekin thoda bhi agar dan punya satkarma us par phal pe hamne havan kiya ham vijay kyon nahi prapt kiye hamne dan kiya ham koi labh kyon nahi aur udhar ab wo udhar jo kiya hai jiske phal ka tumne chintan nahi kiya wo phal akar ke tumhen aisi paristhiti mein phansaega tumhen dukh dega yah siddhant hai siddhant hai siddhant ko ismen tumhara tark kam nahi karega. Phal ko bhagwan ke upar chhod ke apne abhyaas aur apne kartavya ko itna dridh kar do aur aisi sam sthiti mein raho.
sukh dukh samay krtva labha labh jaya jai labh hani mein jai parajay mein sukhdukh mein thoda sam hona sikho. Manushya sharir mein tutne ke liye nahi mila. Phal ki ichchha na rakhkar ke jo kartavya karm karta hai karm usko bandh nahi pata. Karm bandhan se mukt ho jaata hai. Prayah ham phal ki ichchha mein hi bandhkar karte hain. Phal ki ichchha ka tyag hi nahi kar. Koi vishesh parmarathi aisa jo kartavya karm ka dhyan rakhte hue phal ki ichchha nahi rakhta. Phal ichchha bhoktatwa bhav paida kar degi aur dukh sukh bhogna padega.
bhoktatwa bhav mein hi kartva bhav tika hua. Janm maran nischit ho gaya. Yah bhagwan kanun varnan kar rahe hain. Siddhant varnan kar rahe hain. Phaleksha ka tyag bhoktatwa bhav tyag to karta bhav mit gaya. Jeevan mukt ho gaye. Karm bandhan bandh hi nahi paya. Phaleksha sarvatha mitne se kartva bhav mita. Kartva bhav mita. Jeevan mukt hua. Jeevan mukt har samay parmanand mein nibandh. Bada gadh vishay hai. Par ham kya karte hain ki phaleksha ka tyag nahi kar pate to bhog tatv apne aap ban jaata hai. Bhogna padega.
nahi aae to nirash ho gaye. Ashradha ho gayi. Ham kai bar prarthna karte hain ki karm karke phal ko bhagwan ke upar chhod do. Theek samjho jo nirnay hota hai wah hamare hi abhyaas aur karm ka hota hai. Pakka samjhiye kahin bhi koi vijay prapt karta hai uska abhyaas bahut dridh ho gaya hai. Wah abhyaas se age nikal raha hai. Abhyaas usmen aap aisi bhavna na soche ki ham koi aisa dan punya ki wo wo ek alag karm ban gaya. Wo aapka ek alag karm ban gaya. Nahi aapki ashradha ho jaegi prabhu mein. Ham abhyaas se jo hamen jitna hai usko ham soche ki yahan dan kar dete hain aur wahan ham vijay prapt kar lenge to ek naya karm shubh karm aapka phlibhut hoga age lekin vartman mein wahan abhyaas kam karega aapko ham kabhi goli nahi chalai jante hi nahi ab ham manaye ki prabhu yah nishana hamara jo hai theek lakshya pe lag jae abhyaas karo aur nishana nahi laga to hamen ashradha ho bhagwan hamne kaha tha tumse ki nishana sahi lag jae aisi murkhta aisi agyanta nahi karni hai jo abhyaas arjun ko kya
bol rahe hain bhagwan abhyaas yog yukt samne khade hain sarkar abhyaas yog yukt hai na chetsa gamina lakshya par aapki drishti rahe dridh abhyaas rahe bas yahi baat samjhni hai chahe paramarth ho chahe padhai ho chahe vyapar ho chahe nokri ho chahe koi krida ho abhyaas pramad sthiti nahi bhogon mein manoranjan nahi abhyaas abhyaas vijay dilaega yahi abhyaas bhagwat swaroop hai bhagwan ki prapti ke liye bhi kaha hai ki man ko yadi mere mein lagana hai to do upay hai vairagya aur abhyaas abhyaas mein badha dene wale se rag rahit ho aur abhyaas mein dridh ho jao kya nahi prapt ho sakta kya nahi ho sakta hamari abhyaas ki itni pravinta ban jae ki jis lakshya par ham lage usko ham par karen.
us par ham pahunche nirash hone ki zaroorat nahi. Shri bhagwan kah rahe hain karmon mein nishakmata siddhi hai par bahut kathin hai. Ham koi bhi karm bina kamna ke karte hi nahi hai. Isliye bandhte chale jaate hain. Abhi adhyatma hai. Samjh bina phal diye jaega hi nahi. Tumhen kamna karne ki zaroorat hi nahi hai. Par kabhi-kabhi aisa hota hai ki aise vishisht aparadh hote hain, bade aparadh hote hain jo hamare bahut sadhan karne par bhi nasht nahi hote. Wo hamare upar havi ho jaate hain. Phir hamko lagta hai ki hamari sadhna, hamara bhajan, hamara sadhan agar ham bahya sukh ki akanksha karte to ashradha hone lagti hai.
ham aapse prarthna karte hain. Aap kabhi ashradha mat karna. Apni astikta ki niv ko mat hilne dena. Yah aaya hua praarabdh nasht ho jaega aur aap jo kar rahe hain, iska mahan phal milne wala hai. Yah tatkaalik kriya ka phal nahi milta hai. Tatkaal abhi koi hamara kanun virudh aacharan ban jae to turant thodi phansi par chadha diya jaega. Uske liye bahut karwaeeya hoti hai. Bahut nirnay hota hai. Wo kai kai varsh vyatit ho jaate hain. Phir jakar nirnay milta hai. Aap yahi dekh lo na. Agar sabke samne turant dand mile to bahut sudhar ho jae.
nahi ho jae ki isne yah kiya dekho aise aise kiya gaya turant nahi hota. Aise hi hamse yadi papacharan ho rahe the turant unka phal nahi mil raha. Hamse aise satkarma ho rahe to unka turant nahi fasal bhi turant nahi tayyar ho jati. Are turant ke liye aapki chittritti jis sataarg mein lagi hai. Aap thoda dhairya dharan karo. Thoda vishwas karo. Phal diye bina jaega hi nahi. Chahe asat karm ho chahe satkarma ho. Par agar tum phal ke hetu ban jaoge to bahut nirash ho jaoge, udas ho jaoge, hatash ho jaoge.
kyonki ek ras sansaar nahi hai. Kabhi sukh, kabhi dukh, kabhi labh, kabhi hani, kabhi jai, kabhi parajay. Inhi dwaand se jitne ke liye adhyatma marg hai. Shubh kriya mein phal ki ichchha yadi na ho to har shubh kriya bhagwan ki prapti karane mein samarth ho jae. Phal ki ichchha karte hain to uska kuch phal milkar ke nasht ho jaata hai. Bahut bada labh le lo. Patram pushpam phalam toyam chhoti si chhoti vastu bhagwat prapti kara sakti hai. Par ham log itne sakami hain. Itne kamna mein rat hain ki hamko yah pata nahi ki nishkam ka kitna mahan phal milta hai.
isiliye prya jab koi prashn karta hai. Bada dukhi hokar prashn main unka hit karta hoon. Wo hamare saath aisa bartaav karte hain. Wah itne kamzor hriday hamare ho gaye hain. Adhyatma vidya ke bina adhyatma gyan ke bina bahut kamzor ho gaye hain. Shri bhagwan usi shakti ko jagrit karen jo aapke andar hai. Nishkam mein itni samarth hai ki aapko koi dukhi kar hi nahi sakta. Hamari kamna hi hamko dukhi karti hai. Sachchi baat hai. Hamari ichchha nahi hai aapse prashansha sunne ki. To aap ninda karo. Hamen dukh pahunega nahi.
hamari ichchha nahi ki aap hamara man karen to aap apman karo hamen dukh pahunega hi nahi aur jab agar kahin bhas bhi hua andar dukh ka to turant vivek jagrit ho jaega. Mere kisi aparadh ka marjan karne ke liye yah bhagwan leela kar rahe hain. Shri bhagwan kah rahe hain yogastha kurkarman sangam taktwa Dhananjay siddh asiddhayo samo bhutwa samatwam yog uchchate ab kaise samjh mein aayegi sarkar kah rahe hain ki he Dhananjay tu asakti ka tyag karke siddhi asiddhi mein sam bahut abhi prasann ho jaoge akhand prasannata jagrit tabhi hoti hai itne din ho gaye bhajan karte abhi to kam nahi mita abhi to krodh nahi mita abhi to ye nahi mita udhar dekh kahe ko rahe ho udhar dekho prabhu ki taraf jidhar lakshya banaya hai Radha Radha Radha Radha ham satya pe chal rahe asat cheshta hone nahi denge aur ye jo man mein kuda kar kar jagrit ho raha hai jagte raho dekhte apne aap nasht ho jaega apne aap saman ho jaega bhagwan adesh kar rahe hain siddhi asiddhi mein sam sangam taktwa kisi bhi karm ko ham ekdam tadatma bhav se karte hain ab to ye milega hi nahi mila phir halat kya ho jati hai bhagwan yukti de rahe hain bachne ke liye karm to karna hi padega rahega.
bina karm kiye koi ek kshan bhi nahi rah sakta. Aur wah karm hamen bandhta hai. Kisse? Asakti se. Phal ichchha se. Tum parmanand swaroop ho. Agar karm bandho se mukt ho jao to abhi nihal ho jaoge. Koi bahari sukh ki zaroorat nahi. Apne andar itna sukh bhara hua hai. Bhagwan kah rahe sangam tatva. Kisi bhi karm mein, kisi bhi karm ke phal mein, kisi bhi desh, ghatna, paristhiti, vyakti, antahkaran, baheekran mein yadi asakti na ho to abhi jeevan mukt ho jao. Ab yahi smetna kathin par raha hai. Ham log bikhar gaye hain.
bikhar gayo man simtat nahi indra leeno jit. Ab adhyatma ka pata nahi isliye ye baten samjh mein nahi aati. Bhagwan spasht kah rahe hain karm karne mein tera adhikar hai. Phal mein kabhi tera adhikar nahi hai. Tu karm phal ka hetu mat ban aur karm na karne mein bhi teri asakti na ho tab tu sangam takt sthiti ko aa jaega. Agar koi vyakti milta hai to uska prabhav hamare upar parta hai. Koi padaarth dekhte hain uska prabhav parta hai. Koi ghatna dekhte hain uska prabhav parta hai. Ye kaisa tumhara hriday ho gaya?
har sang ka prabhav to dukhi sukhi chintit kleshit jit sang dosh vastvik teri sthiti hai sthiti hai koi bhi tumhare swaroop ko sparsh nahi kar sakta ab bhul ke swaroop ko deh mein lage hue hain har vastu aasakt kar rahi har karm aasakt har vyakti aasakt kar har ghatna aasakt kar rahi is par vichar jo pavitra thoda bhajan ho raha hai buddhi pavitra wahi samjh sakte hain yah antahkaran ya bahir yah tu nahi hai. Teri asakti ho gayi. Isiliye tu dukh sukh bhog raha hai. To vastvik tu nirlipt hai. Nirlipt ho ja.
antahkaran dharm mein aasakt sharir mein asakti isiliye dukhi sukhi ek ek vritti jalati hai. Bahut vichitra khel hai. Chhoti-chhoti baat chhoti-chhota vishay ekdam chitt mein aisa chhaa jaata hai. Ab ab kya? Ab kya bahut kamzor ho gaye ham log adhyatma shakti vihin ho gaye boli badi durdasha hriday ki ho rahi hai yah jo chipakne ka swabhav hai man ka vastu vyakti drishya sthan isi ke sudharne ke liye ye janm mila hai chipakne ka swabhav asakti ka swabhav kisi bhi vyakti vastu sthan ko dekho man man ke chipakne ka matlab usmen drishya aa jana uska uska prabhav aa jana, uska chintan hona, koi hamen kis bhav se dekh raha hai, kaise kriya ho rahi hai, kaisi vastu hai, kaisi uska sabka prabhav par raha hai.
asang abhi jeevan mukt kisi ka koi prabhav man pe nahi. Kab? Jab man mein naam chalega buddhi mein vivek jagrit hoga. Nahi pees raha hai. Sansaar bhaiya sabko pees raha hai. Jal raha hai. Hriday. Anand sindhu hokar jal raha hai. Siddh siddh samo bhutwa sadhak savdhaan bhagwan varnan kar rahe hain. Tumhen chinta nahi karni ki siddh hue ki nahi hue hain. Ham ye jo karya kar rahe hain bhajan kar rahe hain iska labh mil raha hai ki nahi. Tumhen itna pata hai satya hai. Bas tumhen itna pata hai guru ka adesh hai. Bas tumhen itna pata hai shastr agyaa kar raha hai.
bas phal se tum nishcint ho jao. Siddhi asiddhi mein sam ho jao. Yahi sthiti hai. Yahi siddhvastha hai. Khas baat samjho. Jahan sam hue swaroop prakashit hua. Yahi siddhvastha hai. Jab tak visham rahoge prakriti ka akarshan aapko bakhshega nahi. Hamara karya pura hua. Kartavya pura hua. Phal nahi mila. Hamen nirash nahi hona. Bar-bar bhagwan samjha rahe hain. Sansaar ki drishti se phal nahi mila par aapko kartavya ka mahan phal milega. Aap vijay ko prapt honge. Nirash nahi hona. Karm karne par tera keval lakshya hona chahiye.
koi tere karm karne par aadar kare ya ninda aur dekho sansaar hai jai hogi to phool mala pahnaegi aur parajit hua to yah nahi dekhega ki ji jaan ki takat lagakar usne koshish ki abhyaas kiya nahi safalta hath lagi asflata mein jo saath de wahi sacha mitra hota hai. Safalta mein to sab saath dene par pakki baat samjh lo. Asflata mein koi birla hi saath deta hai. Dhairya bandhata hai. Nahi to yah pata nahi ki uske hriday mein kya ho raha hai. Kitna usne prayas kiya. Chahe adhyatma mein ho, chahe padhai mein ho, chahe krida mein ho, kisi bhi khel mein ho koi bhi chahta hai kya parajay?
abhyaas uski puri koshish ab parinaam uska uske anukul nahi aaya to ham sabko chahiye ki saath dena chahiye ek dusre ka utsah vardhan karna chahiye lekin jinko shuddh buddhi prapt nahi hai wo utsahwardhan ki jagah aur nirash kar dete hain bachchha phayl ho ke aaya agar mat aa itne paise laga diye tu khilwad mein samay nasht kiya phayl ho gaya aur wo waise uske mitra jo paas ho gaye hai wo waise hi aith ke chal rahe the. Wo waise hi dukhi ho raha tha alpabuddhi aur upar se akar aapne ab wo kya uski nirasha kahan pahuncha degi usko?
aise kisi bhi vishay mein sabse prarthna hai koi bhi parajit ho raha ho uthane ki koshish karo. Usko us parajay ke dukh se niklne ki koshish karo. Usko sahyog do. Mansik sahyog do. Vani ka sahyog do. Tabhi ham vastvikata mein mitrata ka vihaar tabhi ham ek dusre ko sukh pahuncha sakte hain. Par prayah aisa nahi dekha jaata. Asflata par are nahi bhai koi nahi chahta asflata. Kaun chahta asflata? Pura prayas karne par yadi asfal hua hai to pujniya hai. Prashans nahi uski prashansha karo. Tumne bahut prayas kiya.
nirash hone ki zaroorat nahi. Ye abhyaas ye prayas ek din safalta tumhare charan chumegi. Tumhen nirash nahi hona. Bhagwan kah rahe hain tumhara aadar kare koi ya nirader prashansha kare ya ninda antahkaran shuddh ho ya na ho siddhi mile na mile tumhen bilkul parvah nahi. Bhagwan kah rahe hain to phir kahe ko chinta karte ho? Tabhi to sharanagat mast rahta hai. Nishcint rahta hai. Maharaj aapki nav mein baith gaye. Ab aap dekhna par yahan nav ka prichay hi nahi hai. Isiliye ham nirash ho jaate hain. Hatash ho jaate hain.
dukhi sukhi ho jaate hain. Bahut sundar marg hai bhagwan ka aashray. Nihal kar dete hain. Sachchi kahte hain bhagwan ka aashray na ho to phir wo durgati hoti hai. Antar mein hoti hai. Sab suvidhae lekin jal raha hai hriday usko kaise shant karoge? AC nahi shant kar paegi. Thanda jal nahi shant kar payega. Vichar shant karenge aur wo vichar bazar mein nahi milte. Wo bhagwat aashray se ate hain. Bhagwat ashrit se bhagwat ashrit ko vichar dekar bhagwan bacha lete hain. Bhari se bhari dukh ki paristhiti hai par itna uttam vichar hai ki dukh use chu nahi pa raha hai.
shri bhagwan karuna karke kah rahe hain yog kurkarman. Karm keval tumhen nahi bacha payega. Karm yog bacha lega. Yogastha kurkarman karm ke saath yog bhi jod le. Bhagwan se sambandh rakhna aur kartavya ka palan karna yah yog ho jaata hai. Aham se sambandh rakhna aur karm ki phal ki ichchha rakhte hue karm karna yah bandhan karak karm ban jaata hai. Bhagwan kah rahe yogastha kur karman siddhi asiddhi mein sam ye tabhi hoga jab thoda sa gyan prapt ho jae. Thoda adhyatma gyan prapt ho jae. Nahi siddhi asiddhi mein sab hona bada kathin hota hai.
labh ke liye karte ho jab hani hoti hai to dekho ham sab nirash ho jaate hain. Theek nahi hai. Yah nirasha hamari unnati mein badhak ho jaegi. Hamare jeevan ko jine mein bahut badha pahuncha degi. Itna durlabh jeevan ham nirash hokar jie. Ham hatash hokar jie. Aisa nahi hai. Aisa nahi hai. Isiliye adhyatma ki kala ani chahiye. Adhyatma ki yukti honi chahiye. Koi yah na samjh le ki arambh mein ek bar main gir gaya to girta hi rehunnga. Ye aise amritmay vachan hai chalne wale ke liye. Jo nahi chal rahe wo kya samjhenge?
kabhi yah na samjhe ki arambh kiya aur gir gaye to ab kya? Nahi. Jaise jitne wale ko utsah hota hai use hazar guna utsah badhkar ham badhaenge. Ham yahi nahi samjh pa rahe hain. Vijay to hamare charan chumegi. Are avinashi ke bachchhe hain. Hamen bilkul nirash nahi hona. Ek bar arambh mein yadi ham gir gaye hain. Chuk ho gayi chadna hamara phesal gaya pair hamen bilkul piche nahi hatna. Ye prayah girane par hi hai. Koi utsah badhane wala nahi milta. Apni baat kahte koi utsah badha nahi wo keval hari guru hai badh badh age badh nahi yahan sansaar chamatkar ka namaskaar wahwahi tabhi tak hai jab tak tumhare gun dikhayee de rahe hain aur gun mein chuk hui phir tum tayyar ho aise tumhen aisa majbut tayyar hona hai ki kisi ki prashansha aur kisi ki ninda tumhare kadam na rok pave asflata bhi tumhare kadam na rok pave ae sadhak ae upasak ae manushya deh mein virajman bhagavdansh koi asflata tumhare kadam na rok pave chalna hai hamen hamen us divya vastu ko
prapt karna hai hamen vijay prapt karni hai ek bar tumne yadi asflata mein bhi kadam badha diye to Mahavir ban jaoge ye asflata kadam rok deti hai ab kya hoga ab wahi hoga jo hona hai bas jiddi swabhav chahiye yahan jiddi swabhav chahiye jeevan mein dekha hai jahan kahin bhay jahan kahin parast hone ki baat man ne khadi ki hai wahi ab kar parast tu aur har tarah se dekha hai ki cross kar gaye nikal gaye wo ahankaar nahi hota wo bhagwat aashray aur apne abhyaas usmen dridta usmen phisaddi swabhav nahi rone wala swabhav nahi hona chahiye nahi ham ro nahi sakte rulaenge ye kam krodh bahut rula chuke hain.
bhagwan ka aashray lekar har vikar ko bhagaenge. Ye veer purush ke liye nahi. Ham sab Mahavir ke ansh hain. Mahabali hai hamare prabhu abhay bhuj dand mul pina ansh sanukul unke sharanagat hain. Ye keval baten ya pravachan nahi kar rahe. Ye chati ki baat kar rahe hain. Kadam kadam par parajay parast karne ke liye daudti hai aur upasak dekh raha hai. Par ghabrae nahi. Har kadam uska vijay shri ki taraf badhega. Kyonki ham satya vastu ki taraf chal rahe hain. Ham apne kartavya ka palan ek bar asfal ho gaye to kya hua? Hamko apni safalta prapt karni hai.
nirash nahi hona. Aur ek bar yadi tum aisa kar le gaye sam siddhi asiddhi mein to samjh lo ki tumne paramatma prapti ya unchai par chadne ke liye kamar kas liye tumhen koi nicha nahi dikha sakta. Isiliye bhagwan swayam kah rahe hain yogastha kuru karman samatwam yog uchchate shesh vyakhya shri Radha vallabh lal ki
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…