॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhakt khoji ji ka charit | An AI Short Video | Pujya Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

ek bar chaturdas ji naam ke mahapurush apne Gurudev ki seva mein rahte bade bhagyashali hote hain jo guru ki seva prapt ho jati hai. Bade bhagyashali hote hain. Rasik Gurudev ki seva to shri chaturdas ji apne Gurudev ki seva mein rahte the. Bade ahobagy hai jinko Gurudev ke agyaa palan karne ka saubhagya milta hai. Unke punya ki kya mahima jinko Gurudev adesh karte aap aisa kijiye aho bhagya aho bhagya jinhe Gurudev ki agyaa mil gayi. Inheen ka naam khoji ji para. Chaturdas ji ka naam khoji ji para.

yah Gurudev ji ke seva mein ab jaise Gurudev laghu shanka kar rahe to pani liye khade hain. Gurudev ko hast prakshal achman agyaa kab kya ho jae to jal ki seva liye khade the. Gurudev ji laghu shanka mein hi samip baithe. Bada bhari peepal ka vriksh dur tha to vayu ke dwara uske phal aur patte bij sab pare the. Laghu shanka kiye aur hansne lage aur hanste hanste hath prakshaln kiya achman kiya to itni jor ki mast muskurahat aur hansi thi shri chaturdas ji ne jinko khoji ji baad mein kaha gaya achman kara rahe the kaha Gurudev koi madhur prasang prabhu ka yad aaya ya koi ghatna ghati aap bahut muskura rahe hain bahut hans rahe hain is samay bah prasang to koi aisa hai nahi kaha tu kaisa shishya hai re seva mein rahta hai meri hansi ka karan nahi jaan paya main kyon hansa itna bhi tujhe gyan nahi aur meri seva mein

rahta hai kaisa shishya hai jo guru ke man ki baat na jaan pave guru ke ishare ko guru ke manobhav bhav ko na jaan paye shishya kya chalo seva chodo main kyon hansa iski khoj karke aao ab batao gurujanon ke prati seva kar bahut kathin hai bahut kathin hai yahan kaha ki chodo seva main kyon hansae batao aake khoj karo ab guru agyaa tumhari buddhi ab seva ke adhikari nahi yadi tum ye nahi jaan sakte main kyon hansa hase guru ji aur fase chela ji aap samjho matlab kitna kathin vishay hai guru seva bahut kathin yahi to amoghas jo jit gaya amoghas tumhari buddhi vivek rahit hai jab tak tum hamare hansne ka karan gyaat karke na aao tab tak tumhen hamare paas kabhi nahi ana chahiye chalo jao yahan se ashram se hamare man ki baat jab jaan jaoge ki main kyon hansa uska karan sahi bataoge akar ke aur jo main man mein soch raha tha to phir seva mein rakh lunga tab main manunga ki tum mere sache shishya ho aur sevak ho sashtang dandvat kiya jo agyaa Gurudev ab chal diye jahan sant mahatma milte to vinamrata purvak

dandvat karte kahte hamare guru ji laghu shanka karte samay hans diye. Kya karan tha? Sab kahte gita ki baat pocho, bhagwat ki baat pocho, vedon ke tumhare guru ji hai to laghu shanka mein hans diya. Ham iska kya matlab batayen to aur uphash hota. Bhala koi is prashn ka kya uttar de? Koi suljhe hue mahatma the. Unhone kaha ramayan, gita, bhagwat ka prashn ho to abhi main uttar de du. Lekin aapke guru ji laghushank karte hue kyon hanse? Iska hamko gyan kaise hoga? Ham kaise uttar de aapko? Yah to guru ji se hi pocho jake.

bole nahi guru ji ne kaha jab tak iska uttar na mil jae hamare samne mat ana. Mukh mat dikhana. Are sant jan bahut pehle aur har unki agyaa mein bahut bada rahasya hota tha. Ab ye roz jalte ki guru seva se vanchit ho gaya. Guru seva chhut gayi. Sadhak ko is baat ki bahut pida honi chahiye. Jisko guru seva to yah hona chahiye ki kaun sa aparadh ban gaya. Durbhagya aa gaya ki guru seva chhut gayi. Wo raat din jalte isi prakaar aur santo se jakar puchte par koi samadhan nahi mila. Ab unhone vichar kiya guru ji ke samne jana nahi seva hai nahi to ab sharir ko rakh ke kya karen?

sharir ko nasht kar dete hain. Sharir ka partyag kar dene ki thani ki ab sharir rakh ke kya karen? Guru ji ne seva se nikal diya. Uttar mil nahi pa raha to sharir kis kam ka hai? Ab wo ekant mein nirjan van mein jakar baith gaye aur naam jap karne lage aur socha bas bhookh pyas se pidit hokar yahi sharir chhod dunga. Kuch khana nahi, kuch pina nahi. Raat din bhagwan naam jap karna sharir chhod dunga. Guru ki agyaa par the. Jignyasa prabal thi. Seva chhut gayi thi. Pida bahut thi. Abhi kuch hi din hue the. Na ann na jal raat din naam jap aur sharir chhorne ka sankalp mahmmahim Kabir das ji prakt hue kaha ae bhai aankh kholo aankh khola to dekha Kabir das ji sashtang dandvat kiya haan kya prashn hai tumhara kyon itna kasht sah rahe ho iska matlab samjh rahe ho jab koi sachchi bhavna se bhagwan ka bhajan karta hai to bhagwan apne divya parsado ko bhej dete hain samasya ka samadhan.

suno jab tumhare guru ji laghushank kar rahe the to unke laghushank ki dhaal mein peepal ka bij bah raha tha. Bij ko bahte hue laghushank mein dekhkar guru ji vichar karne lage ki oo dekho is bij mein peepal ka pura vriksh chhupa hua hai. Lekin jab yah bij peepal mein tha to kitna bandhneey aur kahan suvyavasthit tha aur jab ye peepal se alag hua to laghu shanka mein bah gaya. Iska matlab peepal ka vriksh sakshat brahm hai. Aur uska ansh jeev hai. Jeev jab avidya ke karan brahm se alag ho jaata hai to malmutr ke dvaron mein bah jaata hai asakti hokar aur agar wah brahm se juda rahe to brahm mein pujniya aur brahmamay ho jaata hai.

brahmavi brahm bhavti Kabir das ji ne vyakhya karke bataai ki jab wo brahm se juda rahta hai to brahmamay rahta hai. Jab brahm se alag ho jaata hai to malmutr ke sharir mein aasakt hokar malmutr ke dvaron ke bhogne mein pura jeevan nasht kar deta hai. Jeevtma jab prabhu se vimurkh ho jaata hai to uski yahi durgati hoti hai. Jaise peepal ke vriksh se phal se wo bij alag ho gaya to laghu shanka ke pravah mein bah gaya. Nahi to itna mahan vriksh usmen chhipa hua hai ki agar use suvyasthit kiya jae.

are mere guru ji ke hansne ka itna gadh rahasya khoji ji ka sanshay mit gaya aur Gurudev ke paas aae sashtang dandvat kiya unka uttar kaha Gurudev mahmmahim shri Kabir das ji ne aisa aisa aisa bataya Gurudev punah muskurae aur kaha ek prashn Krishna ne tumhen siddh bana diya kyonki siddh mahapurush ka darshan siddh hi bana deta hai. Ab aaj se tum hamare saman siddh ho gaye ho. Ab tum aaj se hamare man ki sari baten jaan loge. Shishya ke man ki baat jaan lena to har siddh purush ka lekin apne guru ke man ki baat jaan lena bahut badi baat hoti hai.

kuch samay baad khoji ki badi mahima prakashit hui. Guru bhakt the. Aaj tak kisi ko kahin bhi agar vishesh kripa prapt hui to Gurudev ke bal se khoji ji ke Gurudev ka jab antim samay aaya bhagwat chintan paraayan rahte the. Unhone ek ghanta bandh diya aur kaha jab mera moksh ho jaega to ghanta baj jaega. Jab mera bhagwat milan ho jaega to ghanta baj jaega. Shisyo se kaha ghanta swayam bajega jab mera sharir chhutega bhagwat prapti hogi. Parantu ascharya hua guru ji ka sharir to chhut gaya par ghanta nahi baja. Sab jitne aur shishya the bahut chinta mein ho gaye ki kya guru ji ki gati nahi hui?

guru ji kah rahe the jab mera gati ho jaegi bhagwat prapti ho jaegi sharir chhute hi to ghanta baj jaega lekin ghanta to baja nahi aur guru ji ke vachan param satya iska matlab guru ji ko bhagwat prapti nahi hui bhramn mein gaye the kuch samay baad khoji ji aae to badi samaj mein udasinta thi shisyo mein sab aur khoji ji se kaha guru ji ki sadgati nahi hui kyon Guruji guru ji to swayam brahm swaroop hai. Bole unhone ghanta sthaapit kiya tha ki jab sharir chhutega bhagwat prapti hogi to ghanta baj jaega.

to ghanta to baja nahi to guru ji ke vachan asatya nahi ho sakte. Matlab guru ji ka moksh nahi hua. Khoji ji kahan guru ji ka sharir chhuta tha. Bole aam ke ped ke niche gaye jahan guru ji lete the mujhe batao. Bole yahan lete the. Let gaye aur samne dekha to ek paka hua aam tha upar. Unka kaha is aam ko todo. Aam ko toda aur je us aam ko cheera to ek kida nikla. Aur bas wo kida antardhya hua so ghanta baj gaya. Kida adrishya ho gaya aur ghanta swayam baj gaya. Bahut vichitra baat hai. Bhala itne siddh mahapurush kya inki gati mein antar amne dal diya?

bole haan do iske bhav prakt kiye. Bole iske do bhed ho gaye. Pahla jiske shishya itne siddh hain unki guru ki bhala gati bigad jaegi par dikhaya do bhav ismen prakt kiye gaye hain. Pahla dikhaya gaya chanchla hi mana krishna pramad balav dridham tasyaham nigrh manne vayar sudarkaram ye man bada chanchal hai pramtham swabhav wala hai bada balvan hai isko vash mein karna mano tufan ko rokne ke saman hai man ko bahut sambhalna kathin hai | kah rahe sumer parvat ko koi ukhad sakta hai 4 lakh yojana ka par man ko bas mein nahi kar sakta itna balvan ban koi bijli ko hath se pakar sakta hai par man ko nahi pakda ja sakta bahut vichitra chanchalta hai is man ki isko halke mein na le itne siddh mahapurush aur jab unka ka antim samay to paka hua aam dekha.

pake hue aam mein man chala gaya. Kahin bhi bal fas sakta hai. Itne siddh mahapurush aam mein to ghanta nahi baja. Yah pahla jan sadharan ke liye aur asdhran baat thi ki aam mein to man gaya par vaishnav ka man swayam bhogta hota nahi wo to koi bhi achchhi chij dekhe to bhagwan mein to tatkaal bhagwan ka dhyan kiya ki ab asmarth hoon sharir chhutne wala hai ye aam bahut bagiche ka hamare sundar tha ham sochte aapko bhog laga dete isi soch mein pran nikal gaye to bhagwan ne antim ichchha purti karne ke liye kit rup dharan karke aam pane aa gaye to bhagwan se milan hua nahi jab aam ko chhedan kiya aur wah bhagwan antardhya hue tab jakar khoji ji se mile to ghanta baj gaya iska antarik rahasya bataya to yahan yah bataya gaya ki man bada chanchal hai bhagwat prapti karne wale upasak ko kahin bhi apne man ki vritti na atak jae ismen antim tak savdhaan rakhna hai antim tak kabhi bhi fas sakti hai.

aur dusri baat hai jiska swabhav ban gaya har vastu har vyakti mein bhagwan ka darshan bhagwan ko samarpan to uski durgati nahi ho sakti. Tisri baat jo Gurudev ki sharan mein rahkar Gurudev ki agyaa anusaar chalte hain. Aapko sachchi batave guru apne se bhi upar mahimashaali use bana deta hai. Is prasang se samjhiye ki agar khoji ji ko Gurudev ne agyaa di to siddho ke param siddh bana diya apne shishya ko. Isliye chahiye ki apne Gurudev ki agyaa mein sampurn jeevan samarpit karte hue priyal ke naam rup leela dham mein nirantrit ko lagae aur isi janm mein bhagwat prapti karen.

vishesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi