॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jeevan ko param sukhi bana dene wali 16 amulya baten ! // 11/01/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavan tav padarvindm prema makrand raso purnam hrid itam madhupte smarta mugram nirvapay param shital mashyam nirva payat param shital mashray Radhe chali hari bolat kokila alapat surat panchhi rag bano surat panchhi rag bano jahan mor kaachh bandhe nritya karat megh mridang bajavat bandhan gano Radhe chali ri hari hari bolat kokila alapat prakriti ki ko na yate surat ke unman ga ai main jaan shri haridas ke Swami shyama kunj bihari ko atapti bani aur kahat kachu aur bhan shri haridas ke Swami shyama kunj bihari ki atapti bani he aur kahat kachu aur bhyo Radhe chali ri hari bolat kokila alapat surat panchhi rag bano ye acharyon ki vani shravan aur kathan matra se hriday ko param pavan karke priyal ke prem yogya bana deti hai.

jo bihari bihari jo ki rup madhuri leela madhuri nitya vihar ras hai wo kisi anya sadhan se prapt nahi hota. Vani ji ke gayan matra se hi aisi buddhi mein yogyta aa jati hai ki yah leela chintan mein ane lagti hai. Nahi to bade-bade yogendhr munindron ke bhi chintan mein leela nahi aati. Jo shri Lalita avatar Swami shri haridas ji maharaj kemal ji mein gayan kar rahe hain. Vashi avatar hit sajni swaroopa shri hitju maharaj Shrimad chaturashi ji mein gayan kar rahe hain. Ye adbhut maha prem ras swaroop hai.

prayas karen ki yah leela hamari kabhi vani se hamari shravan indri se hamare chintan se kabhi dur na ho. Inme ek adbhut ras bhara hai. Abhi hamari har indri dushit ho gayi hai. Vishyon ka bhog karne se, vishyon ka chintan karne se jo malin antahkaran malin indriyan hain. Ye vani ji bahut jaldi nirmal kar deti hai. Ek ek shabd shyama Shyam ke prem ras se bhara hua hai. Ek ek shabd ye prem ka bij mantr hai. Shyam shyama pragat pragat akshar nikat pragat ras shravat ati madhur vani. Jaise koi arth janna chahe ki iska arth kya hai to na vani se bola ja sakta hai aur na kisi ki samarth ki buddhi ke dwara tarkana ke dwara jaan sake.

yah prem samadhi mein jo sakhiyon ne darshan kiya wahi priyal ki lilaon ko likha to aap bhi jab tak prem samadhi mein nahi pahunchte tab tak in lilaon ka rahasya nahi jaan sakte jaise shri Lalaju maharaj braj leela mein vashi mein kleen kya arth hai iska agar aap is bij mantr ko dekhen to sampurn sampurn prem ismen samaya hua hai. Yah arth ka vishay nahi hai. Yah kripa ka vishay hai. Kripa se vani ji prakashit hoti hai. Isliye ham Vrindavan vasi shyama ji ke charan upasi nitya vihar ras ke bhajan mein apni man buddhi ko lagane wale vani aur naam do ki pradhanata apne jeevan mein bana le.

parinaam aisa jo aap soch nahi sakte wah aapko milega par anya sang na hone pave nahi to naam vani mein nishtha nahi aa paegi. Alag-alag bhavanon ke sant bhagwan hain, bhakt hain. Apnipani bhawnaen acharya parampara se theek se chala jae to siddhvastha ki prapti hoti hai. Par yah samasth bhavanon ka sirmaur swaroop hai. Jaise sarvam khalmidam brahm to hamare yahan shant ras phir dasy ras phir shakya vatsalya gopi phir sahachari ab hamen jab Vrindavan nitya vihar ras ka bhajan karne wala koi rasik mile tabhi apni shravni deni hai.

tabhi apna man buddhi dena hai. Nahi to bas jo hamen guru pratap se mantr mila hai, naam mila hai, vani ji mili hai, usi mein ham apne hriday ko raman karaen. Raat din ek kar de zyada samay nahi hai. Pata nahi kis kshan mrityu aa jae. Yadi leela gayan shravan manan ab phir koi parvah nahi. Pakka maniye koi parvah nahi. Aap chinta na kijiye. Aapko wah prapt hoga jo bade-bade yogendhr munindra vandna karte hain aur yachna karte hain. Wah vani ji pradan kar degi. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain isi thesak mein bol rahe hain.

kah rahe kamam vaso bhavtu narke chen mahanand kand kaisi adbhut baat kah rahe hain. Kah rahe hain ki meri ek kamna hai. Yah maha anand kand kand kahte hain mul ko. Jo maha anand ka mul shyama Shyam ki leela hain. Inka naam hai inka mantr hai. Shravendra bar-bar andar se inka pan karti rahe. Shrimad Vrindavan gunag puryatam te karan randhra kahin mujhe Vrindavan ka aashray mil jae aur vas mil jae aur meri shravanri in vaniyo ka gayan shravan karti rahe mujhe ab koi parvah nahi meri ek hi kamna hai priyal ki lilaon ka shravan karna gayan karna manan karna gate wa smriti path mathu yati wa nanyatha mein main shravan karun gayan karun meri smriti mein aur kuch aae na to kamam vaso bhavat narke agar meri ye kamna purn kar di jae to mujhe narak vaso mujhe iski koi parvah nahi kya adbhut nishtha yahi khas baat hai isi mein masti aati hai bhagwanand ki shri vaikunthe pya ruchidam shri pret dasyam vaikunthnath ka vaibhav aur lakshmi ji ka aishwarya mujhe bilkul nahi chahiye mujhe narak mil jae kamam vaso bhavat narke bada gadh vishay hai.

itne bade mahapurush kaisi baat kah rahe hain? Kamam vasu kamna hai meri. Meri shravendra priyal ke gunon ko sune. Meri wakendra priyal ki lilaon ka gayan karen. Aur smriti path matho yati vanyatha mein mere smriti mein koi aur baat ave na to he prabhu main kamna karta hoon ki mujhe narak de dena mujhe koi parvah nahi par yah na chhute main vaikunth ka vaibhav lakshmi ka aishwarya nahi chahta Priya pritam ki rup leela gun madhuri naam mantr bas isi mein meri sthiti bani dekho kya hamen chahiye. Sevak ji maharaj kah rahe hain yadi tumhen param sukh chahiye tab sukh Harivansh gun naam rasna ratat aur bahuvchan ati dukh dari vani ko shasan mein le lijiye wakendra ko tab sukh Harivansh gun naam rasna ratat naam chal raha hai mantr chal raha hai ya leela gayan ke pad chal rahe hain iske alawa hamari vani maun bole tab sukh tab wah sukh milega jo sukh aur dukh donon se pare hai.

kitni der aap sthiti mein rahte hain apni. Hamari upasna ki sthiti hai. Upasya dev ke samip pratiphal rahna. Naam chintan, mantr chintan, leela gayan, leela chintan, leela shravan, seva yah har kshan ham apne aradhya dev ke samip rahte hain. Aap dekho kitni der aap sushupti mein rahte hain. Kitni der prapanch mein rahte hain. Kitni der deh mein rahte hain. Kitni der bhogon mein rahte hain. Napo apni sthiti ko ye kasauti hai. Agar aapki sthiti naam vani mein hai to kah rahe mujhe koi parvah nahi. Meri kamna hai naam vani har samay chalti rahe aap mujhe narak rakh dena theek mahaprabhu Harivansh chandra jo yatra yatra mam janm karm bhin narke parme pade athva premi kahan parvah karte hain narak swarg ki prem mein apne sukh ki smriti hi nahi hai.

apni smriti hi nahi hai. Apne premaspad prabhu ke smaran mein kho jana yahi prem path ki purnata hai. Apni sudhi na rahi ek raho Nandlal ye naam vani se prapt hota hai. Shripad kah rahe hain he kam he krodh ab daro mat main tumhara swagat karta hoon. Re kam krodh lobhado mein bhavant bhavant aa jao tumhara udhar kar denge kam aao mere hriday mein he dekho darte hain sab nahi darte kam krodh lobh moh mad matsar ye kya kah rahe hain re kam krodh lobhad sudo main bhavanto bhavant tyajyana deh pat satat mati samaling manandu aao main tumhara aalingan karta hoon kam krodh lobh moh mad matsar meri deh mein vas karo koi fark nahi parta kyon ab tumko bhi prem mein dubo denge hamari priyaju ke charan hamare hriday mein aa gaye aao pehle darte the ki kahin tum hamko priyaju se alag na kar do ab dar dar nahi hai kyonki gore charnarvind ki thesak aa gayi hai.

aa jao tumhara swagat hai aur pure jeevan bhar tumhen rakenge apne andar. Tyajyana deh patam jab tak sharir nahi chhutega tab tak tumhen kabhi nikalenge nahi. Aur satat map samaling manandyantu sadaiv tumhara aalingan kiye rahenge. Kam krodh lobh moh madad matsar aao tumhen ham prem mein dubo dete hain. Yah sthiti mahapurush ki sab darte hain kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar se. Shripad priyaju ke prem mein dube hue kah rahe hain ki tumhara sab jagah tiraskaar hota hai na sadhako ke dwara. Aao main tumhara aadar karta hoon.

jab tak mera sharir rahe, mere andar raho. Ab koi fark nahi. Tumko bhi prem mein bana dunga. Kyonki Priya lal ke charnarvind hriday mein hai. Ab hamko koi parvah nahi. Cheshta bhe nijabh kathap param bandma padya vrindan dhanyan waise to tum apni cheshaon se sadaiv bandhan pradan karte ho. He kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar jiske hriday mein tum jaate ho usko maya se bandhkar durgati karate ho. Tumhara swabhav hai. Par main tumhen prem bandhan mein bandhunga. Ye yah hai priyal ke charnarvind ki prem ki sthiti.

aavahan kar rahe hain. Ai kam, krodh, lobh, moh, mad matsar tum aao. Hamare hriday mein raho. Tab tak raho jab tak mera deh pat na ho jae. Waise to tum jinke hriday mein rahte ho unko bandhkar ke durgati pradan karte ho. Par mere hriday mein priyal virajman hai. Tumhara bhi mangal ho jaega. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar ka bhi mangal karne ki samarth bhagwat premi mahatma mein hai. Shri dham, Vrindavan koi bhagyawan purush aashray leta hai to ai kam tum bhi bhagyashali bano. Hamari deh mein akar vas karo.

kitni badi baat hai. Ye bahut badi baat hai. Sab darte hain in shatruo se. Lekin premi mahapurush inko amantran kar amantran ka matlab samjh rahe ho sansarik bhasha mein yuddh karne ka jaise chailenj diya jaata hai na ye mano ek chailenj de rahe hain ai kam hai krodh hai lobh mad matsar aao mere hriday mein aur jab tak sharir rahe aram se raho tum kuch nahi bigad sakte ab tumhara mangal karunga tum jahan jaate ho wahan bandhan pradan karte ho lekin lekin Radha naam ke bal se dham ki raj ke bal se priyal ke prem bal se tumhara bhi mangal ho jaega.

aao hamare hriday mein vas karo. Jab tak hamara sharir hai tab tak mere hriday mein vas karo. Main tumhara aalingan karta hoon. Oo kshma ling manandu tumhen bhi aandit kar dunga apne aalingan se. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar bhav kya hai? Yadi aap vani ji ka gayan karte hain, naam jap karte hain, priyal ke vastvik hriday se sharanagat hai. Dekho jab upasna ke marg mein chalte hain to do nahi rah jaate hain. Bahirmukh purushan ki baten nahi sunni chahiye. Ek hi tatv hai. Wo shyama Shyam ke rup mein khel raha hai.

na yahan koi stri hai na purush hai. Upasak ki drishti apne aradhya dev ke siva srishti mein koi hai hi nahi. Yah upasak ki antarik drishti hoti hai. Uttam ke bas as man mahi sapne an purush jag nahi swapna mein bhi koi aur hai aisi smriti hi nahi rahti aur hai hi nahi koi aur inke siva koi aur nahi. Ab jab inme itni asakti ho jae ki aaj kaun sa war hai, kaun si tithi hai, kya tyahar hai, kuch smaran na rahe. To vihaar ka bhi Priya jo nirvah karti hai aap sachchi mano na Priya jo nirvah karti hai keval Priya jo acharya Gurudev isht ek hi hai wahi nirvah karte hain aise upasak ki smriti path mein na koi sankalp hota hai na koi vikalp hota hai.

bina sankalp vikalp ke sab vihaar ka theek nirvah aradhya dev karate hain. Phir in vikaro ki gunjaysh kahan rah jati hai ki yah andar akar vikar paida kar sake. Shripad kah rahe tum aao main tumhara aalingan kar raha hoon. Arthat tum hamare hriday mein akar ke swayam rasmay ho jaoge. Hamare ras mein tum badha nahi pahuncha sakte. Kyonki Priyaju ka naam chal raha hai. Priyaju ki leela gayan Priyaju ka leela chintan. Itne mein bandh lo apne aap ko. Zyada bhagne ki zaroorat nahi hai. Zyada sochne ki zaroorat nahi hai.

zyada samjhne ki zaroorat nahi. Jo zyada shastr swadhyay karke bhagti rahti hai na buddhi wo kabhi aasakt nahi hoti. Aradhya dev mein dhyan rakhna pujya pad shri odiya Baba ji maharaj ai upasak shastr dekhte dekhte tumhara janm nasht ho jaega bahut dhyan se samjhna shastr dekhtede tumhara janm nasht ho jaega samjhte samjhte tumhari svase samapt ho jaengi parantu laksh hath hath nahi lagega. Isliye Sadgurudev ka varan kiya jaata hai. Sadgurudev ke vachno mein vishwas karke unke anusaar bataai hui upasna mein samarpit ho jaya jaata hai.

to lakshya hath mein aa jaata hai. Jo Gurudev ke vachno par kutarka karta hai usko trikal mein kabhi siddhvastha prapt nahi ho sakti. Ekmatra shraddha aur vishwas karke Gurudev ke dwara bataai hui upasna mein jab shishya samarpit ho jaata hai to Gurudev apne hriday ki upasna ki sthiti uske hriday mein padhra dete hain. Jaise nabha ji ke hriday mein apne aap avyakt satta se guru ki sthiti pahunch gayi. Gurudev ko bhi pata nahi hai ki shishya mein aisi sthiti hai. Wah to jab unhone antar mein jakar kaha ki Gurudev seva ho gayi.

jis karya ke liye aap chintan kar rahe the. Ab aap apni seva mein aa jaiye. Wo mansik seva mein the. Kya samarpan se sthiti ai hai. Wahi pujya Baba kah rahe jo Gurudev ke vachno mein kutarka karta rahta hai to trikal mein bhi use koi siddhi prapt nahi hoti. Siddhi ka matlab hai bhagwanand. Nirantar bhagwadakaar vritti jisne apne man buddhi ko Gurudev ke charnon mein samarpit kar diya. Usi kshan uska param kalyan shuru ho gaya. Guru bhakti guru pradatt upasna bas isi mein aasakt hona hai. Gurudev bhagwan ne jab sanyaas marg se is marg mein chittavatti ko samarpit to kaha pahla vani ji dusra mantr tisra pragat seva chautha mansik seva bas itne mein apne ko simit kar lo raat din mantr naam vani prakt seva aur mansik seva ye upasna ki purnata hai jab Gurudev bhagwan bole the to usi kshan laut ke akar kutia mein likhte the aisa aaj bhi ho jaise nitya path mein kabhi to pahla vani mein atyant asakti ho jae.

varsho gate rahe hain. Sukh ki taraf dhyan nahi diya gaya ki hamko to anand nahi mil raha. Nahi hamen adesh hua hai hamen bas chaturasi ji gani kabhi uchh swar se ga rahe hain kabhi mansik puri ho rahi hai vani ji aur nij mantr ya sharanagat mantr jo mila hai guru pradatt bahut mahima hai guru pradatt mantr ki aap log dekho kitna nij mantr chalate ho ki kitna amog vastu hai jise aapko kah rahe hain ki bij mantr mantr hota hai agyaa shakti ka kling kleem kya arth hai kleem kya arth hai arth nahi dekha jaata ye siddh mantr hai jinse pura nikunj prakashit ho jaega jaise nij mantr hai arth thodi dekha jaata hai kya arth hai sampurn nitya vihar usi ka arth hai wo bij mantr hai nitya vihar ka usi se nitya vihar rupi vriksh pura prakashit hota hai.

aapke paas hai. Kitna japte hain aap? Kya prakashit ho raha hai aapke andar? Khule netron mein priyal ki bhavna chalne lagti hai. Gurudev bhagwan ne kaha tha jab bina kisi chintan ke aansu chalne lage. Kyon ro rahe hain? Hamen kuch pata nahi. Tab nij mantr prabhav dal raha hai. Dekhna. Jo mantr diya gaya hai usko ramana hota hai. Wo siddh mantr hai. Acharya parampara se mantr hai. Par aapko ramana hai. Aap kitna raman karte hain mantr mein. Dekhiye aap hriday se dekhiye kitna sharanagati mantr mein raman karte hain.

kitna aap vani ji mein samay dete hain. Khas baat kitni pragat seva karte hain. Mansik seva prakt seva ke baad hi prarambh hoti hai. Jab prakt seva mein asakti ho jati hai to mansik apne aap hone lagti hai. Jaise shri ji ka shringar ho raha hai to ek bahar shringar ho raha hai. Ek antarik shringar ho raha hai. Bahar utni sauj nahi hai seva sauj samgri antar mein ek se ek divya har jo divya manyon se chamak rahe hain dharan karva bahar foolon ka har andar se manyon ka har bahar se phul ka daal sabji rakh di andar se vivid prakaar ke bhog padaarth thal mein sathsa chal rahi mansik seva guru bhakti aur guru pradatt upasna mein jab shishya ki as asakti ho jati hai to uski prem unnati hoti hai.

vardhmaan prem hriday mein badhne lagta hai. Jiska apne Gurudev aur ishwar mein kinchin matra bhed dikhayee de raha hai. Abhi bahut kachchai hai. Hamare Gurudev hi sakshat hamari ladli jo hai hamare prabhu hain. Hriday mein bhav hona chahiye. Vani se bolne ki zaroorat nahi. Vani se bolne se accha nahi rahta. Apni bhavna ko kabhi vani se nahi bolna chahiye. Ham apne Gurudev ko sakshat prabhu mante hain. Bolne ki zaroorat nahi hai. Hriday mein rakhne ki zaroorat hai. Vani se to vihaar mein aise hi andar se aapka bhav hona chahiye.

vani se bol diya aap mere bhagwan hain. Aur aacharan mein bilkul nahi dikhayee deta ki aap shraddha rakhte hain. Kis koti ki. Fayda kya hua? Aapka jeevan batayen ki aap Gurudev ko samarpit hain. Guru aur ishwar mein kinchin matra bhed nahi hai. Guru Govind na bhed karai. Praarabdh hamare hriday mein Gurudev ke vachan Gurudev ki cheshta pratikul nazar ave. Hamari buddhi malin hai. Koi aisi ghatna ghati Gurudev pratikul bol rahe hain. Kathor bol rahe hain. Us samay tumhari shraddha aur prabal honi chahiye. Tumhari buddhi aur pavitra honi chahiye.

abhiman na jagne pave. Nahi to tum guru kripa se vanchit ho jaoge. Ab wo kyon dhakka mar ke hamen bahar kar rahe hain? Jeevan unka samarpit hai. Hamara tan, hamara man pran chalo bahar niklo. Nikal gaye bahar. Ab baundri se khade ro rahe hain ki aapke siva koi nahi hai. Aap hamen hamari seva wapas kijiye jo ham seva karte hain. Nahi nahi chalo tum. Hamara ekant man hai. Nahi nahi ab to ham nahi rah sakte. Hamara jeevan hi seva hai. Aap seva se hata denge. Kya bar-bar bar-bar phir chalo abhiman ki dhajhiyan ud jati hai.

ham kinchin matra apne abhiman ka poshan na karen. Guru ke samip jo jitna nirabhimani rahta hai utni jaldi uske andar vastu tatv prakashit hoti hai. Apni swatantrata aur swadheenta ka jo partyag karke Gurudev ke adhin ho jaata hai to guru kripa shighr hi uske hriday mein phal ko prakashit kar deti hai. Ham shastron se bhagwat prapti nahi kar sakte. Shastr ek davakhana hai aur sadguru ek vaidya hai. Sadguru hamari yogyta dekhkar ke hamko upasna paddhti batte hain. Wahan koi tark nahi uthna chahiye.

jaise vaidya dawa deta hai to ham yah nahi khaenge. Yah kyon khain? Aisa vaisa kuch nahi. Jaisa anupan bola usi ke saath ham dawa lete hain. Aise hi ham Gurudev se koi tark na karte hue kam se kam vaidya ya doctor ke saman to unka sammaan kar le. Doctor se koi tark karta hai kya? Yah injection nahi lagwaenge ham. Yah dawa nahi khaenge ham. Nahi aram se le lete hain. Paisa deke fees deke aur hath jod ke rog nivitti ke liye. To bhavar rog nivitti ke liye wah mand buddhi hai jo guru ki upasna se bilak thoda bhi chalte hain.

uttam shishya jab Gurudev ke aashray ko pushta purvak ye darsha deta hai ki main sirf aapka hoon. To Gurudev ke chintan matra se guru ki antarik shakti shishya mein aa jati hai. Usko vishesh sadhna nahi karni. Sadhna karni padti hai. Guru yah anubhav kar le ki mera tan man pran sab kuch unki agyaa mein hai. Bas itni sadhna hai. Vastu to guru kripa se hai. Isiliye dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyamm moksh mulamm guru kripa uttam shishya jab yah adhikar prastut kar deta hai ki mere tan man pran sab aapke ashrit hai meri sadhna aap hai to guru ke chintan matra se guru ke hriday ke adhyatma shakti shishya ke hriday mein jagrit ho jati hai madhyam shishya Gurudev ke agyaa par seva karte hue to unko Gurudev apne darshan aur vachan ke dwara shakti pradan karte rahte hain.

uttam shishya jab ye yogyta sabit kar deta hai ki tan man pran samarpit to chintan matra se Gurudev ke adhyatmik shakti uske andar jagrit ho jati hai. Madhyam shishya jiska samarpan kamzor hai, wah agyaa ka intazar karta hai. Agyaa hone par phir wo cheshta karta hai. To Gurudev ke darshan aur vani ke dwara usko shakti prapt hoti hai. Aur jo agyaa par bhi tatparta purvak waise aacharan nahi karta. Bahut samay nasht ho jaata hai. Kripa ka anubhav nahi hoga. Manmani aacharan karne wale ko guru kripa hai. Kya aapne diya?

Gurudev ne mantr diya. Pran hai jeevan hai mantr. Aap uska aadar kitna karte hain? Sachchi baat itni bhul mein hai ki kabhi-kabhi bahut vyakulta hoti hai ki aap samjh nahi pa rahe aapka ek ek second jo vyarth ja raha hai jeevan mein wapas lautne wala nahi aur isi mein nij mantr jap sakte the. Badi karuna hai jinko mantr prapt hai sharanagat mantr nij mantr naam aap usko bar-bar dhan ke rup mein dekhiye na param dhan yah naam hai ye mantr hai uski bar-bar avritti bar-bar uska chintan bar-bar uska manan jinko na to guru ka sanidhy prakt mein prapt hai na guru ka nirantar chintan hota hai na guru ki prakt seva ho pa rahi hai.

unko chahiye ki guru mein bhav kar le. Mere sab kuch Gurudev hai. Unki kripa se ho jaega. Ab dur rah rahe hain bahut. Yah bhav dridh kar le. Apne guru mein anannya bhav kar le. Mere Gurudev hain. Unhin ki kripa se ek do bhakton ko dekha hai aise vachan. Ab andar se bhi shri ji bhav pradan karen. Mere se to bhajan nahi hota. Mere se koi sadhan nahi hota. Par mere Gurudev bhagwan ke siva koi hai nahi. Ek thesak andar jinki baith gayi. Bas wo phir yah nahi dekha jaata ki wo kaisa hai. Ismen apni taraf se hai to ki kripa se Gurudev uska mangal karte hain.

sacha shishya wahi hai jo apne man aur buddhi ko Gurudev ko bech de. Mantr Gurudev ne de diya aur badle mein guru dakshina de di man aur buddhi bhagwadakaar mav man aadat ma buddhim nivash ye guru dakshina nahi dete 112 rupya chadne wali guru dakshina ka to ho sakta hai bhav lekin man aur buddhi Gurudev ko de diya hamne dakshina mein ab hamare paas bacha kya Gurudev dev hamare man aur buddhi ke shasan karta hua jo adesh hua waise hi hamara jeevan bahut mangalmay bhagwat prapti shighr ho jati hai. Aajkal Gurudev to bahut banae ja rahe hain par agyaa ka palan nahi ho raha.

aisa hai bhi. Saikadon log guru bana lete hain lekin guru ki baat nahi mante. Manmani aacharan Gurudev bana liya to hamen lagta hai ki isse accha hai ki Gurudev na banate. To ek rasta to tha aapke paas param kalyan ka. Aapne guru bankar manmani aacharan shuru kar diye. Bilkul avhelna karte hain. Mahatva hi nahi samjhte. Ab kalikaal ka aisa prabhav hai ki gurjan apne star se jhukte ja rahe hain. Ki utha de shayad shayad utha de ab ye uth jae to unko lagta hai inki garaj hai inko kuch hai hamse wo apne sthiti se utarte hain utar kar hamari jaisi sthiti mein hamse hanste hain baat karte hain akarshan karna chahte hain tumhare man ka tumhare chitt ka ki tum unki agyaa ka palan karo par uski avhelna hoti hai chahe chahe jitna koi vidvan ho jab tak Gurudev ki agyaa ka palan nahi karta tab tak adhyatma jagrit nahi hota.

guru seva ka bada mahatva hai. Par seva agyaa palan par hi sthit hai. Seva ka matlab keval unki shareerik seva se nahi hai. Unki antarik ichchha janni hai. Kya Gurudev ki agyaa hai? Kya ruchi hai? Ruchi milakar ke chalna. Lakho kosh dur hoge to bhi tumhen dikhayee dega. Gurudev bhagwan tumhare manas patal par virajman hai. Agyaa chakra mein Gurudev virajman hai. Jaise arjun ke rath ki bagdor shri bhagwan liye aise bhagwan Gurudev hamare jeevan ki bagdor pakde hue hain. Sachchi ek ek kadam par pehle ke samay mein hamne dekha pujya padudiya Baba ji kahte hain Gurudev ka atma bhav purvak samarpan Gurudev ne kuch nahi rakha hamko kar diya samarpan naam mantr sab upasna jeevan aur ham vishay jeev aise Gurudev ki avhelna isiliye rang nahi hamne dekha ki pehle log itni jor se Gurudev ke charnon mein atma samarpan karte the bina padhe likhe unke andar adhyatma vidya jagrit ho jati thi.

aajkal bahut padhe likhe guru ke vakyo mein tark karte hain. Wo vastu unhen prapt nahi ho pati hai. Hamne dekha hai ki jo hamari sadhna se theek nahi hua, guru ke ashirwad se theek hua. Pujya padudiya Baba jis din se bhakt Gurudev ki sharan mein chala jaata hai us din se uska naya janm mana jaata hai. Gurudev mata hai. Gurudev pita hain. Gurudev hi hamare aradhya dev hai. Shishya ki guru mein aradhya bhavna agar dridh nahi hui. Usne yah samjha ki guru sadhan hai aur isht sadhya hai to wo sadhya ko nahi prapt kar pata.

jab yah bhavna ho jati ki sadhya hi apna prichay dene ke liye Gurudev ke rup mein virajman hai. Jo hi Gurudev andar se prasann hue ki shishya guru ke saman sthiti ko prapt kar leta hai. Guru dhan se jo prasann hote hain, bhojan se prasann hote hain, vastr se prasann hote hain, wo guru hi nahi hote jo apni vastu pradan kar sake. Wahi guru hote hain jo adhyatma ki agyaa palan karne wale par prasann hote hain. Guru ki pehchan bata rahe hain. Koi bahut dhan de diya to usko adhyatma vidya thodi mil jaegi.

agar sache Gurudev hain to sirf agyaa jo ki adhyatma ki uske palan se honge. Nahi to dhani logon ko Gurudev ki kripa prapt ho jati hai. Aur jinke paas dhan nahi unko Gurudev ki kripa kaise milti hai? Dhan se bhojan se vastradi se jo prasann hote hain Gurudev wo Gurudev hi nahi. Jo adhyatma agyaa ka palan karne se prasann hote hain. Wah Gurudev bhagwan hamare andar adhyatma shakti jagrit kar dete hain. Yadi koi shishya snaan karne ko jehi snaan ghar mein gaya aur pehle Gurudev ke charnon ka dhyan karke je sir par jal dala to vishv ke jitne tirth snaan karne ka punya use tatkaal mil jaata hai.

sarv teerthavgahasya samprapno phalam nar guru pada bhujo smritwa jalam siras dhar snaan karne ke liye gaye pahla patr mein jal lekar je bhi dalne ke liye hue to pehle guru charnon ka dhyan kiya guru charnon ka dhyan karte hue jal dala to guru pada bhujo smrit jalam siras dhat to sarv teerthavgas samasth tirthon ke avgahan ka use punya isiliye bahut jaldi bhagwadakaar vritti hoti guru bhakt ki dekho ham tumhen hriday ki baat batte hain. Ishwar ne to jeev ko maya mein fasaya par Gurudev maya mukt karte hain.

isliye ishwar se bhi badhkar Gurudev hai. Aur bhagwan ne bhi kaha mote adhik guru hi jiy jani. Agar ek taraf Gurudev bhagwan ho ek taraf parbrahm paramatma prabhu apne swaroop mein virajman ho to hamara uncha bhav Gurudev ke prati hi hona chahiye. Pahli dandvat Gurudev ki phir dusri dandvat aradhya dev ki. Bhagwat prapti ka matlab hai atma samarpan. Ham to atma samarpan karna bhi nahi jante. Isiliye Gurudev hamen atmsamarpan karate hain. Hamare Gurudev adarsh hain aur ham unke anugami hain. Bhagwat prapti ab durlabh nahi hai.

param tatv ka sakshat swaroop Gurudev hai. Waise to charachar jagat hi hai. Bhagwat swaroop hai. Par ek jagah man lo to sawal hal ho jaega. Param tatv ka sakshat swaroop Gurudev ek jagah man lo to ek se ham anek mein badhte chale jaenge. Usi ek ka anubhav akhand mandlakar vyaptam mein characharam guru kripa patr aisa darshan karta hai. Param tatv ka sakshat swaroop Gurudev hai. Jo Gurudev ki bataai hui sadhna ko chhodkar anya sadhan karta hai. Kabhi usko siddhvastha nahi prapt ho sakti. Guru seva taj kare ban ya adharm ya sab kan na rasikan merae agar guru pradatt upasna ka tyag kar diya jae manmani kiya jae to kabhi bhagwat prapti nahi bhagwat siddhi nahi ho sakti guru kripa patr ka antarik pratiphal vairagya yukt hriday hota jaata hai sacha marg hriday mein prakashit hota hai guru kripa patr ke hriday mein Gurudev shishya ko jagat tarne wala bana dete hain.

satar satar sa lokant Gurudev sadharan manushya ko mahatma bana dete hain. Atah Gurudev anek prakaar ke sadhan margo ka nirupan karte hain. Bahut khas baat dekho samjho Gurudev anek prakaar ke sadhan margo ka nirupan karte hain. Tumhen keval apni nishtha par date rahna hai ki Gurudev ne mere ko kya upasna bataai hai. Ek prasang Gurudev ke hi dusre prasang ka khandan karne wala hoga. Shishya ko kabhi shanka nahi karni chahiye. Dhyan dena yah bahut khas baat hai. Gurudev anek prakaar ke sadhan margo ka nirupan kiya karte hain.

ek bar aise masti mein charcha hui thi khadekhde ki jab ham vivid sadhno ka updesh karte hain to tumhari sthiti kahan hoti hai? Kir hamko bhi yah sadhan karna hai. Yah sadhan karna hai. Yah shri ji mein hoti hai. Mahapurush ne sab ras gayo dekhno yah hai ki unko hayo kaha thahrano tako gahno. Gurudev anek prakaar ke sadhan siddhanto ka nirupan karte hain. Ek prasang dusre prasang ka khandan karta hai. Unhin ke vachan se aapne us satsang mein ye kaha is satsang mein ye kaha to us samay wo siddhant tha. Is samay yah siddhant lekin tumko kaun sa siddhant diya gaya hai?

na wo na ye tumhara alag siddhant hai. Tumhen apne siddhant par rahna hai. Sunna hai sunna hai lekin chalna wahan hai jahan guru ne marg diya hai. Kabhi sanshay nahi hoga. Jaise ek upasak hai sharanagati ekant mein bahut jor ki bhari gayi. Ab unko lakh siddhant aap updesh karo. Wah apni hi baat par rahte hain. Aap kahoge ham galti man lenge. Aap kahoge ham hath jod lenge, kan pakar lenge, uth baith lenge lekin manenge nahi. Antar ki baat wahi manenge ki bas aapke siva hamara koi nahi. Ham aur koi siddhant nahi.

ho gayi baat. Aapke siva ab hamara atmasran par purn rup se kabhi aapke virudh koi cheshta ho nahi sakti. Aur ab ham anya koi cheshta kar nahi sakte. Ek anannya nishtha. Kyonki ab jis samay jaisa adhikari jis samay jaisa prasang jis samay jaisa siddhant vaisa varnan to tum sanshay mein na ho jana bahut savdhaan rahna aapko sunna hai chalna hai apni hi paddhti mein jo apni raso upasna paddhti chalna wahan hai yahan sab parosa jaega yahan shant das sakhya vatsalya kanta sab parosh aa jaega. Par aapko chahiye kya?

aap kis marg ke pathik hai? Kabhi na bhule to shanka nahi hogi. Ek prasang ko dusre prasang se jode na to kabhi sanshay nahi hoga. Bahari agyani jeev yahi karte hain ki aapne usmen ye bola tha. Ismen yah bola tha. To us samay adhikari is baat ka hai. Us samay adhikar us baat ka hai. Samne prasang kya chal raha hai? Siddhant kya chal raha hai? Prashnakarta ki sthiti kya hai? Bahut praveen hona chahiye is baat ko samjhne ke liye. Aur sabse badi pravinta hai ki hamko aur kuch samjhna nahi. Hamko itna samjhna hai jo aapne ekant mein hamen updesh kiya hai.

bas usi ko hamen apne jeevan mein raman karna hai. Yah hamari dincharya hai. Ham dincharya mein hain. Lekin hamare hriday ki jo sthiti hai wah aapke dwara batae hue aradhya dev ke naam mantr upasna mein. Iske alawa aur nahi. Shishya guru ki sanidhi bhav mein adhik se adhik samjhe dhyan dijiye guru ki sanidhy avastha bhav mein adhik se adhik samjhe tabhi kam banega. Jaise ek upasak ne prashn kiya ki gaushala mein jap karen to itne guna itne guna wo akhri mein tha ki Gurudev ke sanidhy mein jap karen to anant guna phal milta hai.

to vaisa kaha hai ki har samay guru baitho ham aapke sanidhy mein jap kar rahe hain. Guru ke sanidhy ka tatparya dekho ismen spasht Baba kah rahe hai ki guru ke sanidhy ka adhik se adhik bhav mein aap naam japne ke liye baithe to pehle guru ka dhyan kiya Gurudev bhagwan akar hamare manas patal mein virajman ab mantr chal raha hai to guru ke sanidhy mein path mein baithe guru ke sanidhy mein prasad pa rahe hain to guru ke sanidhy mein shayan kar rahe hain to guru ke sanidhy mein jage to guru ke hamari cheshta guru ke sanidhy mein ho rahi hai ham kabhi kabhi ek kshan bhi apne Gurudev se alag nahi hai.

dekho jara rahte hain ham guru sanidhy mein. Sanidhy ka matlab samjha jaata hai pragat. Pragat sanidhy kitne minute ka hai? Lekin antarik sanidhy har second ka hai. Antarik sanidhy Baba adesh kar rahe hain guru ke sanidhy ka bhav ke dwara adhik se adhik anubhav karen ki ham guru ke samip hamare Gurudev dekh rahe hain. Hamare Gurudev hamare paas hain. Ham Gurudev ki agyaa mein hai. Ek kshan bhi ham Gurudev se vilag nahi hai. Jab koi upasak Gurudev ko atmsamarpan karta hai to ye 16 adhyatma ki baten uske hriday mein jagrit hone lagti hain.

jab koi upasak Gurudev ko atmsamarpan kar deta hai to ye 16 adhyatma ki baten usmen jagrit ho jati hai. Sikhna nahi parta. Agar yah nahi hai to aapke atmsamarpan mein kami hai. Aapka apnapan Gurudev se alag sharir mein sharir sambandhi mein kahin hai. Nahi swabhav mein aa jaega. Pahla brahmcharya bhog vasna ka nash apne aap hi ho jaega. Grihasth mein hai to aruci purvak dharm ka palan karne ke liye kam ka sevan aruci purvak ek antarik rahasya hai. Yadi aapke andar bhog ichchha nahi hai aur aap grihasth dharm mein hain aur aisi cheshta hui hai wo andar koi fark nahi dal paegi.

jo kamnayen bandhkar durgati karati hain wah us upasak ki nahi ho paegi. Jo guru charnarvind mein atma samarpan kiye hue hain. Ye bada sukshm vishay adhyatma ka hai. Ichchha ka na hona aur phir koi kriya hona to uska koi prabhav nahi parta. Koi kriya nahi hui lekin ichchha hai uska prabhav padega. Kriya hai dharm purvak ho rahi kam ki par koi prabhav hriday mein nahi padega. Yah antarik adhyatma ka sutra hai. Ichchha hi bandhan karak hai. Jo Gurudev ka param brahm bhav se atma samarpan karte hue chalta hai sataarg mein to pahla lakshan jagrit hota hai ki uski bhog vasna par ankush ho jaata hai.

wah brahmcharya par dhyan dene lagta hai. Brahmcharya yah samasth sadhno ki niv hai. Jiska brahmcharya theek nahi uski dincharya to ek jaisi barabar chal hi nahi sakti. Pakka do-char din ki baat nahi kahte. Right time par bahut kal tak jiski dincharya theek chale pakka. Brahmcharya theek hai. Nahi chal hi nahi sakta. Chal hi nahi sakta wo. Right time par uski dincharya bahut kal tak nahi chal sakti jo brahmachari nahi aur wah grihasth brahmachari hi hai jo santan utpatti ke liye keval bhagwat agyaa palan karne ke liye grihasth dharm ka nirvah karne ke liye wo dharm yukt kam uski upasna mein badha nahi pahuncha sakta.

par vybhchar bhavna yah guru sharanagat hote hi pahla ankush indriyon par lagta hai ki wo bhog vasnaon se nivraat brahmcharya dusra ahimsa man se vani se sharir se wo kisi ko dukh pahunche aisi cheshta nahi karta jo guru samarp arpit hota hai. Pahla brahmcharya par bahut amrit hai. Yah agar yah amrit pi liye to bhagavda amrit premamart gyanamrit ab kuch durlabh nahi hai. Koi bhi ho bhagwat aashray lekar guru aashray lekar is amrit ka pan karo. Bahut kathin hai. Khanpan, drishya, sang, bolchal inka bahut prabhav parta hai aapke sanyam par.

yadi aapka khanpan sahi nahi hai, aapka dekhna sahi nahi hai, sunna sahi nahi hai, bolna sahi nahi hai to aapka brahmcharya sahi nahi hoga. Brahmcharya ko aap ek param dhan ke rup mein dekhiye to aapke andar shobh paida hone lagega. Jis khanpan sang se brahmcharya nasht hota hai uske liye wo bardast nahi hoga. Nahi bardast hoga. Aaj ham brahmcharya par mahatva nahi de rahe. Vybhchar par mahatva de rahe hain. Kisi ka sanyog na ho. Agar aap brahmcharya ka mahatva nahi de rahe to aap apne hath se apne aap ko nasht karte rahenge.

yah bahut badi vastu hai. Bahut badi vastu. Bahut jaldi adhyatma mein aapka pravesh ho jaega. Bahut anand prapt ho jaega. Har rog, har prakriti ke war ko sahne ki samarth brahmachari mein swayam jagrit ho jati hai. Brahmcharya ka matlab ye nahi hota ki bahut mota ho jaega. Nahi nahi aisa nahi hai. Brahmcharya adhyatma shakti ko pusht karti hai. Brahmcharya hinta mein mota ho sakta hai. Brahmcharya hin hua to charbi badh sakti hai. Motapa badh sakta hai aur sthulta aa sakti hai. Lekin brahmachari mein nahi aayegi.

brahmachari mein jitna hoga bahut powerful adhyatma shakti sankalp shakti uski shakti badhti hai. Agar kahin balyvastha se kuch varsho tak brahmcharya theek rakha jae aur pran vayu ka sansodhan pranayam hota rahe to bhagwat chintan karne wale upasak ki phir urdhagami brahmcharya ho jaata hai. Bas jahan urdhagami hua phir bhagwat marg mein sahjta aa jati hai. Ab wah adhogami jo uski gati thi ab wah jaldi nahi hogi. Aise aise upasak hai 10 10 varsh ho jaate hain kabhi swapna dosh nahi hota. 10 10 varsh kyon?

kyonki uska chintan nahi hona chahiye. Manovah nadi jo sharir ke andar hai jaise doodh mein ghee samaya hua hai wo kahin ek sthan par nahi hai aise pure sharir mein samaya hua hai wo jaise doodh ko ham otakar garm karke dahi bankar phir usse makhan nikaalte phir ghee nikalta hai aise ek nadi hai manovah usmen itni chintan se garmi garmi paida hoti hai ki tatkaal pure rakt se wo usko ghasit leti hai aur manova nadi phir use bahar kar deti hai. Chintan aapka theek ho tabhi kaha hai ichchha rahit to kuch nahi bigdne wala.

sant Sadgurudev ka aashray lene par sabse pahla kadam brahmcharya par hota hai. Agar brahmcharya theek hai to aapki dincharya theek hai. Sardi, garmi, barsat, rog, shok, man, apman, dukh sukh sab kuch anand purvak sahne ki samarth aati hai. Jitna brahmcharya ksheen hota jaega utni aapko adhik sardi lagegi. Adhik garmi lagegi. Chidchida swabhav ho jaega. Kuch karya karne ka man nahi. Pare rahne ka man rahega. Aapke ang pratyang ye pramadi ho jaenge. Indriyan pramadi ho jaenge. Brahmcharya mein ek alaukik tej rahta hai.

har indra cheshta har kriya jo Bhagvati vyavahrik usmen ek naveen utsah bana rahta hai. Isliye paramarth ke vihaar ke jo bhi karya karne hain hamen jo power chahiye brahmcharya se ab yah jo sutra jab gurukul mein bharti hote the guru sharan hote the to sabko 2025 varsh tak brahmcharya hi rahna hota tha. Ab yah aaj ka jo aadhunik padhai ismen brahmcharya ka koi mahatva hi nahi hai. Yah to bhagwan ki kripa se kuch sant mahatmaon ke aise vachan to unse pata chalta hai ki brahmcharya bhi koi hai. Nahi to kisi ko pata hi nahi ki brahmcharya kise kahte hain.

bas manmani aacharan karna. Naye-naye bachchon mein sanskar aise bigad gaye. Wo jante hi nahi ki main kya khilwad kar raha hoon apne jeevan ke saath. Guru ke paas atma samarpan karne se pahla lakshan jagrit hota hai brahmcharya. Dusra ahimsa kisi ko bhi man vachan sharir se hamen dukh nahi dena. Apman nahi karna. Man se bhi hamen kisi ka amangal nahi sochna. Nahi. Man se agar ham kisi ka mangal sochte hain to uska mangal hoga ki nahi hoga. Pata nahi aap kitne bade tapasvi hain. Par aapka mangal jarur ho gaya. Usi kshan ho gaya jis kshan aapne dusre ka mangal socha.

ye hamne sant mahapurushon se suna hai. Man ke dwara jab kisi ka mangal socha jaata hai ki iska aise dukh pahunche aise iska nash ho. Hoga ki nahi uska wo to bhagwan jane. Lekin tumhara abhi ho gaya. Tumhara patan ho gaya. Tumhara man malin ho gaya. Kitna sadhan karne par wo pavitra hoga. Tisra jab ham Gurudev ke sanidhy mein rahte hain to sukh aur dukh donon ko saman bhav se sahne ki samarth prapt hoti hai. Jo Gurudev ka kripa patr hota hai. Wah sukh dukh mein saman bhav rakhta hai. Prayah aisa nahi hai.

sukh mein to hamari anukulta rahti hai to guru buddhi bani rahti hai ya kripa hai ham par aisa lekin jab dukh aata hai tab Gurudev ki kripa hai prabhu ki kripa hai aur ham anand purvak khush dukh khush hain aisi kshamta keval guru ko atmsamarpan karne wale par hi avtrit hoti hai. Yah kshamta utarti hai. Yah samarth hai andar dukh sukh ko sahne ki samarth kisi bhi sthiti mein matlab aisa swabhav ho jaata hai kisi bhi sthiti mein kadam piche hatana ye us Shurvirr yodha ke swabhav mein nahi hota jo adhyatma ka guru samarpit pathik hota kisi bhi sthiti mein ye har samay naveen utsah har dukh ko sahakar apne lakshya par rahna apni dincharya par rahna ye sukhdukh ko saman bhav se sah sukh mein to sab jai jai bol rahe hain.

jab dukh mein jai bole aur sukh dukh saman sthiti jaisi dincharya tumhari sukhad waisi dukh paristhiti mein bhi waisi hi dincharya jaisa tumhara bhav anukul sukh mein Gurudev ke prati waisi dukh paristhiti mein pratikultaa mein bhi vaisa hi bhav yah guru kripa se prapt hota hai. Chautha jo guru sharanagat hota hai usko sarvatra bhagwat darshan ka bhav jagrit hota hai. Mere aradhya dev jaise acharya charan kah rahe hain sarvang vastu taya nireeksh param swadhya buddhim mere aradhya dev sabke hriday mein hai. Pancha ab is sansaar mein mujhe kuch prapt karna nahi.

mujhe keval bhagwan ki prapti karni hai. Yah guru kripa se aata hai. Guru kripa patr ke hriday mein bhagwat prapti ka lakshya dridh ho jaata hai. Bhagwan kaivalya vastu hai. Param tatv hai. Ab to bhagwat prapti karni hai. Jo guru sharanagat hai usmen pancha lakshan jagrit hota hai. Ab to bhagwat prapti karni hai. Pakka is janm mein mujhe bhagwat prapti karni hai. Aisi gyan ki vritti jagrit hoti hai ki wah keval param pad ka adhikari ho jaata hai. Guru kripa patr chhathwan sadaiv akela rahne ka swabhav hone lagta hai uska guru kripa patr ka koi paas nahi ho agar paas bhi hai to koi mitrata nahi koi shatrutha nahi na kisi bhi tarah ka lagav hai na kisi bhi tarah ka dves bhav hai shunya ek bhi mitra nahi hona hona chahiye sansaar mein shatru ki to baat kya hai ek bhi mitra nahi hona chahiye sab mein bhagwat bhav bhagwat bhav se sab mein apna prichay nahi hona chahiye apna koi dost nahi hona chahiye dushman ki to baat hi kya hai ajat shatru dushman ka to sawal hi nahi uthta par dost bhi nahi hona chahiye akela chalna sikhen apni kutia mein ya aap jahan bhi rah rahe ho jaise piche bhi panch panch sat sat sant sant bhagwan ke beech mein asan lagane ko milta.

ab koi kamra thodi akele mila hai kabhi. To kabhi ham paas wale sant ko jante nahi ki kahan ke hain kya hai. Aur kabhi koi poochne ki cheshta ki to unse kahe ki aap adhyatma ke vishay mein pooch sakte hain. Aap vihaar ke vishay mein nahi pooch sakte. Tumhara baat karne ka swabhav nahi hai kya? Nahi. Hamen pucha gaya tha ek ashram mein ki aap bol lete hain kuch? Matlab bolna aata hai aapko ki nahi? Aise rahe to us lagta tha ki inki matlab jaban hai ki nahi hai? Unhone pucha aap bolna jante hain ki nahi jante?

kai mahine ke baad kaha ji bol lete hain par kya bole? Kisi se koi mitrata nahi. Vrindavan mein itne kisi se mitrata nahi. Kisi se shatrutha nahi. Jaise wah jangal mein ekant rahta hai. Aise samaj mein ekant rahta hai. Guru kripa patr yah swabhav mein laie. Asangta ek charan rahsit manan te se ek drishti ho jati hai. Lakho chehron ko dekhne ke baad bhi ek bhi is camera mein chavi nahi aayegi. Ek bhi agar ekant mein baithe par kisi ki yad aa rahi to tumhara sadhan badhit ho raha hai. Camera khula kyon rakha?

jaise camera khula hai, off kar do ise. To logon ki nazar mein aayega ki camera laga hai lekin off hai. Aise hota hai camera. Off andar se ekmatra apne lakshya mein aur lakho logon ko dekh liya. Ek bhi chavi nahi ai. Chahe wo jangal mein rahe ya ekant wo asang rahta hai. Guru kripa patr. Mridu vihaar kisi se mitrata nahi kisi se shatrutha nahi yah dekh lo agar isi janm mein bhagwat anand ka anubhav karna hai to bahut zaruri sutra hai jo pujya Baba kah rahe hain. Satwan aprigrah uska sanchay karne ka swabhav nahi sanchay karne ke swabhav se wo rahit ho jaata hai.

jab jo avshyakta hogi prabhu de denge sanchay kya karna hai aur aap den ya na de hamari chinta nahi hai. Wo kah rahe yogkshm bham wo khud dekhen. Hamare jeevan ka lakshya unki agyaa ka palan karna. Ab is jeevan ka bhaar unke upar hai. Koi kah sakta hai grahasti mein aisa kaise? Grahasti mein jisne kar diya mahan sant charit likhe hue hai. Padh ke dekh lo. Beti ke yahan bhat bharne ja rahe hain to thakur ji bhar rahe hain. Bete ka byah to thakur ji chal rahe hain. Sapha bandhe koi jaan nahi pa raha ki thakur ji hai.

bhaar aapko hamara kartavya aapka chintan aur aapki agyaa ka palan aap sab dekhen bahut achhche se sambhal lete hain. Akhil koti brahmand nayak hai aur virakta ko ekdam akashti hai. Yah bahut amritmay vritti hai. Madhukri vritti se bhi shreshth akash vritti aap jo hamare samne bhejenge wahi payenge anytha nahi aise bhi nahi ek hai madhukri vritti aur ek ye hai akash vritti matlab bhagwat vidhan se aayega jo aayega jaise apne log samay akash vritt mein hai ab prabhu ki ichchha se to aaj wo aisa pawa de rahe hain unki ichchha hai aaj aisa aur jab unki ichchha na ho to sab baithkar ke charanamrit ke Radha naam kirtan karen.

unhin ki vyvastha se hai. Kisi se kisi ka kisi ka yahan aisa nahi hai ki amuk ke dwara nahi hamare priyal se prerit hokar koi jaise to chal raha hai. Hamara kisi vyakti se nahi chal raha. Priyal se chal raha hai. To priyal jab jahan se jaise ate hain jis rup mein jo dete hain usi se vyvastha akash vritti tab mani jaegi akash vritti jab kisi ko sanket bhi na kiya jae. Ye aisa thoda sanket bhi nahi aur is baat ke liye bahut kadai se yahan hai ki agar kabhi kisi ko koi sanket karte mil jae to yah samjh lena ki wo hamare siddhant ke viparit aparadh kar raha hai aur wo jarur hamen suchna di jae.

sanket bhi nahi ki aaj aap santo ko bhojan kara dijiye. Sanket bhi nahi. Haan, koi prarthna karta hai. Theek hai bhai aap jo de dete hain usi se ham santo ko pawa dete hain. Agar ek aata hai to ek rupaye mein bhi bhandara ho jaega. Ek rupaye ka namak le aao. Daal mein dal do sab santo ko pawane ko ho jaega. Hamara bhagwat vidhan se chale. Akash vritti bahut amritmay vritti hoti hai. Aur badi nishchintita hoti hai ismen. Aur badi kshamta hoti hai ismen. Kai kai din na milne par bhi koi nirasha nahi hoti thi. Kashi mein aprigrah apne liye sharir sukh ke liye sanchay na karen.

yah vritti aa jati hai. Grihasth mein bhi rahte hue apne liye nahi. Ye parivaar hai, atithi hai unke liye. Apne bhog vasna ka guru kripa patr ke hriday mein sthan nahi rah jaata hai. Tabhi koi jhagda nahi, koi ashanti nahi. Har sthiti mein shant rahta hai. Mridu swabhav rahta hai. Jo aham liye to bahut usmen crurta hoti hai. Kathorta hoti hai. Badi usmen jalan hoti hai. Kahe ko jalo anand magan raho. Aprigrah athwan param santosh uske hriday mein jagrit ho jaata hai. Kyon? Kyonki usko yah bodh ho jaata hai ki anant bramhandon ka Swami prabhu wah mera hai.

jis samay jaisi paristhiti usko sambhalna bahut achchhi tarah sachchi kahte hain. Aap keval nishcint hokar sharanagat rahe. Bahut achhche se vyavharo karate. Hamen to dekh ke ascharya hota hai. Ek ek vastu ko sambhalna unka karya. Ek ek har jagah shri ji ki kripa aur shri ji ka vidhan dikhayee deta hai ki o ho kaisa unka vidhan hai kaisa unka mangal vidhan hai athwan hai ki guru kripa patr ke hriday mein santosh jagrit ho jaata santosh ye bahut bada dhan hai bin santosh na kam na sahi achat kam sukh sapne nahi jaisi paristhiti usmen santusht rahna santusht en kenva bahar ki ya andar ki santosh ka matlab keval bahar se nahi hai.

andar bhi viksipt hai to anand hai. Shant hai to anand hai. Koi jaan na pave ki aap viksipt hai. Hriday aapka ya shant hai. Santusht en kenva bahar ya andar donon paristhiti mein santusht rahna. Jaisi prabhu ki dwara is samay di sthiti hai. Jal raha hai shant. Kisi se kaho mat. Aandit hai foolon ma chup shant gambhir santosh andar aur bahar donon jagah nava nava number hai bhagwan aur santo ke vakyo mein purn shraddha jaise Shrimad bhagwat gita ji bhagwat ji ya bhagwat premi mahatmaon ke vachan to usmen koi kutarka nahi guru kripa patr jyon ka tyun us vishwas purvak use sweekar karta hai.

jaisa bola gaya vaisa hi usmen apni baat lagana nahi. Jo atma samarpan nahi kiye hote dur ki shraddha hoti hai uska kuch aur lakshan hota hai. Jitna bola gaya utna wo pehle apne anukul nikaalte hain usmen se ki aise bhi to ho sakta hai. Aisa thodi hota hai. Aisa hota aur phir anukul baat sweekar karte hain. Gurudev ya shastr kabhi man ke anukul nahi hote. Man ko unke anukul banana padega. Man to bahut vichitra hai. Ham log shastr aur guru ke vakyo ko apne anukul man ke banate hain. Itne mein chal jae.

itna bata denge, itna chhupa lenge. Itna kar denge, itna nahi karenge. Itna anukul hai, itna nahi. Lekin jo atmsamarpan kiye hota hai wah bhagwan aur santo ke vakyo mein ja ka tyun vishwas usko hota hai. Dawa wo nind par vijay prapt kar leta hai. Yah bahut samay ko barbad karne wali nidra hoti hai. Bahut se aise sadhak hain jo isse bahut pareshaan hai. Agar aapka niyam pakka ho jae to aap is par vijay prapt kar lenge. Balyvastha mein jo sadhan kal mein bahut pareshaan karti hai. Nahi mala chal raha hai jaise Gayatri anusthan tha to hamne khud dekha hai.

ab wo kap chhut gaya mala. Ab jap rahe hain mala bada gussa aata hai bar-bar vighna paida kar ye jo nidra hai bahut badi shatru hai sadhak ke liye guru sharanagat ka nind par vijay prapt ho jati hai aisa hai ham apne Sadgurudev bhagwan ki dincharya dekhi wahi rah ke wahi rahe na kafi samay tak Gurudev bhagwan ke paas hi rahe 1:00 baje ratri tak pujya ji maharaj ji bhajan karte the ratri mein darshan ke aake thoda jo kuch shri ji ko shayan bhog lagaya shayan karaya aur jo paya do roti rajbhog mein din mein aaj bhi maharaj ji apne hi kar kamal se do aajeevan ka pura niyam hai do banti bhog lagti ratri mein 1:00 baje tak 1:00 baje ke baad let gaye char sava char uth gaye.

yah hamne barabar ki dincharya dekhi. Barabar ki dincharya. Apni dincharya ko itna simit nind mein lao ki kam samay nind mein jae. Jo bahut grahasti ki mehnat karte hain to unko chha ghanta sona theek hai. Lekin sadhako ko chha ghanta sona theek nahi hai. Aap log dekho kitna sote hain. Kitne aise sadhak hain jinko ham man se pranam karte hain. Dekho ban ke tayyar ho gaya hai. Puri raat sadhak naujawan sadhak hai. Jab sab sote hain tab wo lage. Koi kirtan kar raha hai. Akhand kirtan chalta hai. Jago kab tak sote rahoge? Yah nind ka shatruvat vihaar hai aapke jeevan ko nasht karne ka.

bahut is par bahut lada gaya hai nind par. Haan. Sachchi kahte hain ye daridrata hai. Ye bahut badi jeevan ki hani hai. Aapka sharir aswasth rahega. Aapke sab ang jo kriyasheel hone chahiye. Aap sushupti mein aap un jeevan ko jivni shakti ko nasht kar rahe thoda sa yuktahar vihar se thoda sa nind le lo zaruri hai teen ghante le lo char ghante le lo ye padhe rahna bahut daridrata hai ye nind jo hai ye hamen bhagwat prapti mein badi badha pahunchati hai. Tamogun ka lakshan hai. Ismen uthna chahiye. 11wa hai jo guru kripa patr hai uske hriday mein teen dand prakashit ho jaate hain.

teen dand manodand vakdand aur karmadand ye prakashit ho jaate hain. Manodand uski takat nahi man ki ki kuch viparit sochwa sake vakdand vani ki takat nahi ki kuch bulva sake galat aur karmadand sharir ki takat nahi ki kuch galat karva sake ye teen dand uske andar prakt ho jaate hain aur aap prya dekhte hain kashi ke sanyaas marg mein jo dand diya jaata hai unhen tandi Swami kaha jaata hai. Ekadash skand mein bhagwat mein likha hai yahi man ka nisankalpa hona dand, vani ka maun hona dand aur karm ka nyaas kar dena, tyag kar dena.

agar ye teen dand hai to tidand lena sarthak hua. To yahan kah rahe guru kripa patr ke andar teen dand jagrit ho jaate hain. Manodand man ki takat nahi ki agyaa ke viparit chal sake. Vagdand vani ki takat nahi ki phajul ki varta bekar ki varta galat ashleel bhashan ya aisa prapanch varta gram mein katha ninda stuti ye sab nahi vakdand karmadand shastr virudh aacharan usse ho hi nahi sakte bhul hi na de kumarak pav barwa guru kripa patr ke dhyan mein aradhya dev jhalakte hain jhalakne lagte hain yah guru kripa se hi hota hai.

aradhya dev uske dhyan mein jaise ham aankh khule hue hain to aise aankh khuli ho to aapke bhav mein wo virajman hai. Wahan yah dhyan nahi karna ki aankh mundkar kaise charnarvind aise khuli aankh mein sanvle charnarvind gore charnarvind unka Pitambar nilambr pura guru kripa se har samay bhav deh mein agar andar se dehabiman deh dharm to phir yah nahi aayega. Jab andar se apne bhav mein to bhavsa bhajta ras kam dhenu chahe aankh khuli ho chahe band ho chahe bahirmukh ho chahe antarmukh ho usmen koi fark nahi parta guru kripa patr mein prabhu ka aradhya dev ka unka dhyan bas wahi rup chhake ghumat rahe tan ko tanik na bhan har samay rup virajman ho jaata hai guru kripa patr mein teva prabhu ki charcha sunne mein, prabhu ka naam kirtan sunne mein uski asakti ho jati hai.

bhagwat charcha sunne mein bhagwan bhagte hue hamne dekha budhe budhe janon ko ye Vrindavan dham hai. Bhagte hue ki ham ek minute agar let ho gaye. Ek shabd bhi chhut gaya to hamara aaj ka din ham amangal manenge ki ek shabd chhut gaya. Satsang mein kya suna wo pakar nahi hoti. Pakdo satsang ko pakdo. Jo guru kripa patr hota hai uski shravendra asakti purvak charcha sunti hai. Satsang ki bhagwat charcha naam kirtan aur 14 stri putr ghar sampatti in sab se uska rag khatm ho jaata hai. Guru kripa patr ka narsi mehta ji ka jab putr padhara to kartal lekar nach rahe.

Shrivals ji ke ghar mein jab putr padhara tab kirtan mein unmatt ho rahe kyonki mera nahi prabhu kaha tha itne dino ke liye aaya tha ab wo chala gaya uska rag nahi rahta guru kripa patr ka stri putr grah evam sampatti pe rag nahi rahta to jo virakta hai unka rag na sharir mein hona chahiye aur na kisi vastu sthan par hona chahiye sachchi kahani kahin kinchin matra apnapan nahi hona chahiye. Bas shri ji ka idhar shri ji ka idhar kahin bhi apnapan nahi hona chahiye. Jahan apnapan hoga wahin aa jaoge.

apnapan keval ladli lal se ho aur jaise wo rakhe unka vidhan apnapan andar wala kahin nahi hona chahiye. Ye guru kripa patr mein yah apnapan surakshit aradhya dev mein lagta hai. Isiliye stri putr grih sampatti makan inme unki asakti nahi hoti. Jo guru kripa patr jan hote hain. 15wa bhakton se kaise prem kiya jaata hai? Yah bhav aa jaata hai. Bhakton se kaise prem kiya jaata hai? Bhagwan se bhi badhkar jinke andar bhakton ke prati bhav aa gaya dhanyat dhanya ho gaye. Bhagwan swayam kah rahe mote adhik sant kar le.

oo vas to mere bhagwan ke parsad premi janon ke darshan aho vastvik anand ki prapti hoti hai. Jab bhagwat anuragi santo ka sanidhy milta hai to din bhar ek fulan hoti hai. Jis din ekantik mein koi sant nahi aata us din hamara man nirash ho jaata hai. Pragat mein aaj adhura ekantik raha sant bhagwan nahi padhare aur jis din sant bhagwan ke waise kripa hoti hai chahe ek do sant bhagwan aae par darshan ho jaate hain par bye chans kabhi agar darshan na hue to hriday jalta hai ki hamara ko theek hai updesh satsang sab lekin sant darshan sant bhagwan kripa karke padhare ye jeevan ki hamari uplbdhi hai jo prabhu moh anugrah kina to tum aae daras ha dina apni taraf se akar jab darshan dete hain to man nach parta hai mere prabhu meri ladli lal ki kripa na hoti to sant darshan kaise dete akar bhakt janon se prem bhakt janon ka aadar bhakt janon ke prati bhav ye guru kripa se aata hai guru soi jo sadhu sevave aur sadhu soi jo vishay chhudave hari Ram vyas ji ne kaha aur 16wa charachar jagat ke prati sevak bhav apna prakt ho jana jaise goswami ji Siya Ram main sab jag jani karo pranam jor jug pani pura jagat hamare Priya pritam ka swaroop hai sab jagat ke jitne bhi charchar hain in sabka main sevak hoon.

yah akhiri guru kripa patr mein lakshan prakt hota hai. Charachar jagat ka sevak yah bahut badi baat hai. Charachar jagat ka sevak sirf shri bhagwan hi hote hain. Ya shri bhagwat bhav ko prapt hua wo mahapurush hota hai. So anannya gati jake as mati na tare Hanumant main sevak sachrachaar rup Swami bhagwant yah bahut antim vishram sthiti charachar jagat mere aradhya ka rup hai aur main sabka sevak hoon. Yah guru kripa patr mein aata hai. Nahi to sabka Swami banne mein sukh man ko hai. Sevak banne mein nahi hai. Vastvik parmanand ki baadh sevak banne mein hi aayegi.

par sevak wahi hai jo sukh ki chah chhod de. Sevak sukh cha man bikhari vyasni dhan shubhgat gati vibhchari sevak to Swami ko sukh pahunchane mein hi aandit rahta hai usko susukh wanchha hoti rahi wahi sevak hai pujya shri odiya Baba ji maharaj chalte phirte brahm sakshat to yah 16 baten apne jeevan mein sadhak ko utarni pahla guru kripa patr ke hriday mein brahmcharya ka sanyam prakt hota hai. Sadhan brahmcharya dusra ahimsa kisi ko man vachan karm se dukh na pahunchana. Tisra sukh dukh mein saman bhav. Chautha bhagwat prapti ki prabal lalsa.

pancha ekmatra mere aradhya dev sabke hriday mein baithe hain. Chhathwa chahe jangal mein ho ya sabha mein asang rahe. Ekant bhav andar rakhen. Sab mein bhagwat bhav na kisi se mitrata na kisi se shatrutha. Satva aprigrah apne liye kuch na chahe na sangrah karen. Hamara jeevan prabhu ke hawale hai. Gurudev ke hawale athwa santosh rupi param dhan us upasak ke hriday mein jagrit ho jaata hai. Nauva bhagwan aur santo ke vachno mein dridh vishwas ho jaata hai. Daswa wo nidra ka tyagi hota hai. 11wa manodand, vagdand, karmadand ye teen dand uske hriday mein prakashit ho jaate hain.

samarth hai ye. 12wa apne aradhya dev ka dhyan har samay guru kripa se uske bhav mein bana rahta hai. 13wa wo bhagwan ki charcha aur naam kirtan sunne mein bahut asakti rakhta hai. Yah hanuman ji ke liye aaya hai. Jahan koi naam kirtan karne lage jahan katha hone lage to maharaj wahan aansu pravah karte hue baithe rahte hain. Yatra yatra Raghunath kirtanam tatr tatr kritmasta kanjilam vashpa va paripurn lochnam maruti namat rakshasantkam hanuman ji maharaj aansu bahate hue katha sunte hain naam kirtan sunte hain bhakt mein yah asakti hoti jahan kahin bhagwat charcha jahan kahin naam kirtan puri ekagrata se shravan indri se sunna 14 stri putr grah sampatti makan aadi ki asakti ka tyag guru kripa se 15wa bhagwat premi bhakton se kaise hamara vihaar hona chahiye 16wa sampurn charachar jagat ka main sevak hoon aur mere sab Swami hai.

itni danyata sampurn charachar jagat hamara Swami hai aur ham sevak hain. Yah 16 lakshan sharanagat ke hriday mein jagrit ho jaate hain. Apne ko bar-bar inka chintan karke apne mein jagrit karna hai. Jab ye lakshan andar aa jaenge to purn parmarathi ho gaya aur vastu hriday mein hai. Anand ki baadh hriday mein hai. Ye sab lane ke liye ek baat pakar lo. Man lage na lage shraddha ho ya na ho naam jap karte raho. Sab aa jaenge. Radha Radha Radha Radha nirantar naam jap karo to jitne bhagvatik sadgun batae gaye hain ye sab hriday mein apne aap jagrit ho jaenge.

shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi