॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

silpille bai ji ki katha | An AI Short Video | Pujya Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

namavli ka jab gaan karte hain to shilpile bai ka smaran aata hai. Usmen sut vish diyo puj silpile bhakti raseeli paye. Dekho kitna vishwas hota hai bhakt ko. Kaisa wo shraddwan hota hai. Ek Rajkumari aur dusri ek zamindar ki putri. Donon ko mitrata thi. Ek din raja ke yahan bhagwat premi mahatma aae. Wo sant sevi raja the. Mahatma jan ate rahte the. Aur mahatmaon ka karya hi hota hai nirantar apne prabhu ki seva aur sumiran mein magan rahna. Seva sumiran yah bahut badi samarth hai. Agar ham har samay seva aur sumiran mein rahe to kabhi koi maya prapanch hamen parast nahi kar sakta.

jahan ham seva sumiran se alag hue wahi maya ka prabhav parta hai. Bhagwan ka Shaligram swaroop unke paas tha. Khub bhav se seva kar rahe the. Aur naveen avastha ki komal hriday wali yah donon sakhiya dekh rahi thi. Inke man mein aaya aise ham bhi thakur seva karenge. Dekhne se sunne se hamare hriday mein prabhav parta hai. Gandi baten dekhenge. Gandi baten sunenge. Usi ka chintan hoga. Hriday gande acharno ki prerna wala ban jaega. Agar ham bhagvatik baten sunenge, bhagvatik darshan karenge to bhagvatik chintan hoga.

hriday bhagvatik prerna wala ban jaega. Kai din sant bhagwan ruke roz seva kirtan katha saral hridya. Un donon sakhiyon mein baat ai ki chalkar ke sant bhagwan se kahte hain hamko bhi thakur ji dijiye. Donon ne charan pakar kar prarthna ki. Gurudev hamare hriday mein bhi ichchha ho rahi ki hamen thakur seva mile. Ab donon bachchhe hi the. Sant bhagwan ne vichar kiya seva paddhti mein bahut savdhani ki avshyakta hoti hai. Abhi ye bachchhe hain. Kahin seva aparadh na ban jae. Seva par aadmi hota hai. Ab itna dridh vishwas ki yah bachchhe hain seva bhav kaise purn kar payenge?

to un sant bhagwan ne donon bachchiyon se kaha kal thakur ji layenge ham aapko de denge. To ganv mein ghume to aaspas gole gole se patthar mile. Patthar laye do aur kaha ki ye lo tumhare thakur ji donon ko diya. Dekho guru vachno par aur guru pradatt seva vastu par kitna bhav hona chahiye. Unhone dridh vishwas kiya ki mujhe bhagwan Gurudev ne diya. Ye bhagwan hai mere. Donon ne apne hriday se lagaya. Ab ek jameedar ki putri thi. Ek Rajkumari swarn ke simhasaan mein aur unka naam rakha silpile thakur.

sil ma patthar to unka tumhare thakur ka naam silpile Govind hai. Donon simhasaan par rakhkar aradhna kar di. Bhav pratiphal badhta gaya. Naam nirantar jap guru pradatt thakur par vishesh chamatkar hriday mein prakt hota hai. Yadi unhin ki niyamavli se chalo apne man se bazar se kharid laye virajman kiye hain kabhi seva ki kabhi nahi ki wo bhi accha hai. Kam se kam bhagvatik bhav to hai lekin siddhi jo prapt hoti hai wo guru kripa se guru pradatt thakur se jaise dhananna ji ko bhang ke batte mein thakur ji prakashit ho gaye guru pradatt ab yah sakhiya jab badi hui to inke byah ki baat hai.

to jo Rajkumari thi unka rajkumar se kisi se byah tay hua. Byah ho gaya. Apne mata-pita se jab vidai li to apne thakur ji ko jo simhasaan mein the. Simhasaan sahit ek sundar peti mein aise aur god mein rakhkar aur andar hi andar jal rahe hain ki prabhu maine pritam aapko mana hai. Sansaar ke vihaar mein yah pritam bana hua hai. Par prabhu hamare pritam do nahi ho sakte. Hamne hriday se aapko mana. Isi vichar mein wah badi udas hai. Pehle palkiyon mein aisa raj sainik chal rahe hain. Palkiyon mein wo bahu ja rahi hai aur rajkumar ghode par rajkumar bar-bar palki ke samip jaata darshan karne ki ichchha hoti hai na.

to udas dekhta man mein badi glani hui. Usne kaha ek nadi thi. Usne kaha yahan ham thodi der vishram karna chahte hain. Rajkumari ki palki rakhi jae aur sainik dur khade ho. Wo rajkumar waise hi agyaa hui to baat karna chahte hain. Par wo na dekhti hai aur na baat karti hai. Aur itna sundar rup kyonki brahmacharini aur bhagwat aradhna. Ab uske hriday mein jalan hui ki aisa kya hai jo hamse baat nahi kar rahi. Bas bar-bar aise pitari khol ke aise thakur ji ko dekhti. Naam jap aur seva ke prabhav se wo shil nahi rah gaya tha.

wahan usko sanvre Shyam sundar ki jhanki milti thi. Jab apne shilpille thakur ji ko dekhti to lalit tribhangi shri lal jo maharaj Shyam sundar dikha atyant asakti guru pradatt kisi bhi shabd mein kisi bhi vastu mein divyta hoti hai bas hamari bhavna honi chahiye are bole ye ham nahi de sakte ye guru pradatt hai nahi ham pran de sakte hain lekin ye nahi jiska guru vachan par guru pradatt vastu par guru pradatt thakur par dridh nishtha ho gayi. Wahi siddh ho jaata hai. Ab usne samjh liya ki pitari mein jo kuch hai yahi hamare aur Rajkumari ke beech mein badha hai.

do char dasiyom ko bulaya aur kaha inko baton mein aljhao pitari piche hamen do. Wo praveen dasiyan unko vinod bhasha mein hansi majak mein baat lekin wo udasin dhire se god mein peti thi le li. Ham liye hue hain. Aap batchit mein peti unko de di. Rajkumar ne Rajkumari se kaha yahi peti to hamare aapke beech mein bandh phenk di nadi mein. Ab to uske hriday mein pida hui. Bhari vyaa ab rajkumar hai. Sainikon ke saath turant palki uthwai. Main le gaya. Par wo aasakt hai. Itni sundar Rajkumari kyonki bhagvatik tej se sampann mein akarshan hota hai.

Rajkumari ne kaha yadi hamare thakur nahi to main nahi aaj se ann jal tyag pran tyag dungi agar hamare thakur ji hamare samip nahi to aaj se ek bund pa kaise piye apne thakur ko bhog laga ke pala hai aur thakur ji phenk diye gaye bhari vyakulta jaise Meera ji kahte drishya bin dukhan lage nahi na raat mein nind hai na din mein ann jal hai vyakulta ab bhayabhit ho gaya rajkumar. Pura mahal is vishad se ho gaya ki agar naveen Rajkumari pran tyag deti hai to kya hoga lok samaj mein ki abhi naveen Rajkumari gayi.

yah log aise nirdayi hai ki aisa vihaar kiya ki usne pran tyag diya. Rajkumar ghutne mein aa gaya. Ghutne tek kar Rajkumari se kaha main tumhen dukhi nahi karna chahta. Par main tumko chhod bhi nahi sakta. Ab hamen aap wah upay batao jisse aap muskura do. Aap prasann ho jao. To unhone kaha ham apne thakur ke bina jivit nahi rah sakti. Yadi aap hamen jivit dekhna chahte to hamare thakur ji la ke do. Thakur ji ko nadi mein phenk diya tha. Pariviarik janon ke saath rajkumar us nadi ke tat par gaye.

aur Rajkumari se kaha tumhen itna prem thakur ji se to tumse thakur ji kitna prem karte hain? Agar tumse thakur ji prem karte hain tum mujhe pramanit kar do to main jeevan bhar tumhari agyaa mein rehunnga. Accha to tum yah dekhna chahte ho ki thakur ji hamse kitna prem karte hain. Hath failaya aur ar bhav se pukara ki Govind ab aapke bina maine jivit nahi rahna. Andar se je hi prarthna ki to jal se simhasaan sahit mil bhagwan jaise koi vayu ke pravah mein aa raha ho aise aae aur chati se chipak gaye.

pura parivaar rajkumar yah dekh raha tha. Hriday se thakur ji jeevan bhar ke liye dastv sweekar kar liya aur kaha jaisi aap agyaa karoge jaise Meera ji jab rana ji se byah hua to pratham milan ki raat mein Meera ji ne kaha savdhaan tum hamare pati nahi ho mera suhag Giridhar se hai Shyam sundar hi mere pati hain vihaar mein tum pati bane ho. Yadi hamari baat samjh pa rahe ho to jeevan mein kabhi hamara sparsh mat karna. Yah jeevan keval Giridhar ke liye dusre ke liye nahi. Utar gaye saiya se aur jaise sevak hota hai.

bole aho bhagya mujhe saubhagya mila ki itni maha bhagyavti ki seva karne ka ekant mein main sadaiv tumhare shishya ki tarah bartaav karunga. Par samaj mein tumhen bahu ki tarah bartaav karna hoga. Nahi to log jine nahi denge. Samaj mein patni ki tarah aur ekant mein guru shishya ke tum hamari guru hogi aur ham aisa hi bartaav rana ji ne aisa hi us rajkumar ne diya. Hamari bhagvatik nishtha aisi honi chahiye ki jo guru ji ne mantr diya hai, jo guru ji ne upasna di hai, usmen dridh vishwas hona chahiye.

hamare andar kinchin matra phislav nahi hona chahiye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi