॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jo kahte hain ki prayas ke baad bhi bhajan nahi hota, ve dhyan se sunen // 12/02/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri hari Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashyam nirvapay param shital mashray param sacchidanand ghan anand samudra prem samudra dra gyan vairagya bhakti aishwarya anant shaktyon ke Swami prabhu shri Krishna chandra jo arjun ji ko nimit bankar samasth deh dhariyon ko aisa updesh kar rahe hain jo shraddha vishwas purvak shravan kiya jae mahatva buddhi rakhkar manan kiya jae aur apne jeevan mein utara jae to isi janm mein bhagwat prapti ho jae.

isi janm mein samasth karm bandho se mukt hokar param sukh shanti jo hamara swaroop hai ham use prapt kar le. Prabhu kripa karke varnan kiye ki bhajan kabhi durgati nahi hone deta. Vartman mein aapka praarabdh bhog sukhad hai ya dukhad wah aayega jisse sanchit karmon ke dwara sharir ki rachna hui hai wo do hi prakaar ke karm hai shubh aur ashubh shubh punya phal anukulta ashubh paap phal pratikul bolta jise sukh aur dukh kahte hain. Yah avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhashubbam jis sanchit karm se kuch karmon ka parinaam nikal kar ke is sharir ki rachna hui hai usmen jo shubh ashubh mishrit hai wo sukh dukh aayega.

par jo aap bhajan kar rahe hain, yah aapko aisi samarth dega ki aap us sukh mein abhiman mein nahi aaenge aur dukh mein aap shokit nahi honge. Aapko dukh sukh se bachakar akhand anand mein yah bhajan vishram dega. Par bhajan praytn purvak karen. Satat karen aur mahatva buddhi rakhen ki isse bada koi sampatti nahi hai. Bhajan se bada koi mitra nahi hai. Bhajan se bada koi hamara rakshak nahi hai. Bhajan se bada koi anand nahi hai. Aur yah satya hai. Iske alawa jitna bhi brahma ke dwara racha hua prapanch hai yah maya krit hai.

mayakrit jo hai nahi par dikhayee de raha hai. Satya hai sacchidanand prabhu ka naam rup leela dham prabhu shri Krishna chandra jo bhut bhavishya vartman sabko vartman ki tarah hi dekh rahe hain. Unhen sab dikhayee de raha hai. Ye jeev kya tha? Kya hai? Kya hoga? Kya kar raha hai? Kya kiya tha? Kya karega? Sab unhen pata hai. Wo adesh kar rahe hain. Prayatna mansu yogi sanshuddha kil vish anek janm sansiddha tato ya param gatim jo upasak praytn purvak yatna karta hai bhajan ka. Prayah varta mein aise bolte hain ki hamara to bhajan hota nahi.

kuch bolte hain hamse bhajan nahi hota. Donon baten aap swayam apna nash karne ke liye bol rahe hain. Aap raji hain man buddhi ki chal mein chalne se. Isiliye aap aisa bol rahe hain. Yah bhav samudra sansaar tumhen duboega, dukh dega. Koi tumhara sathi nahi hai. Bhajan hi tumhara sathi hai. Bhajan jo pahli baat ki hamse hota nahi to bhajan hota hai siddh mahapurushon ka. Jinhone shwas aur naam ko ekam ek kar diya hai. Shwas shwas sumiran kare duwidha raha na koi. Pratyek kshan naam mein dube hue hain. Ab unko naam japna nahi parta.

swabhavic chalta hai. Jo kahte hain hamse bhajan nahi hota hai. Yah aapki mani hui pramad sthiti hai. Kyonki aap mein kriya shakti hai. Aap us kriya shakti ka prayog shastr virudh acharno mein karte hain. Aapka man malan ho gaya hai. Paap adhik matra mein ho gaya hai. Isliye aapke andar aisi bhavna ban rahi ki mere se bhajan nahi ho sakta. Yah paap ka lakshan hai. Papvant kar sahaj subhau bhajan murt te bhavan kaun. Jab hamare paap adhik ho jaate hain to bhajan karne ki bhavna ka hi nash kar dete hain. Hamse nahi ho payega yah sab.

paap adhik ho gaye. Agar kahin paap hai par wah punya ko daba nahi pa rahe to aapko sadhu sang shastr swadhyay aur samne ki drishya paristhiti aise vichar mein dal degi ki aapka bhajan hone lagega kyonki aapke punya jordar hai agar punya ko daba ke paap upar badh gaya hai to phir yahi baat aayegi hamse bhajan nahi hota iske liye bhi upay bhajan hi hai. Zabardasti bhajan karo. Zaruri thodi jab ham paisa kamane jaate hain ki hamen manokul hi kam mile. Ab hamko wo le gaya apni levri karane ke liye. Aath ghante ke hamko ₹00 dega.

ab wah jo chahe jhaddu lagwave, int patthar dhulave, kuch bhi karen to ham man ko raji kar lete hain ₹00 ke liye. Aath ghante mein ₹00 milenge. Iski gali bhi sah lete hain. Iske kahe hue anusaar kriya bhi kar dete hain. To hamen param pad milega. Mahan sukh milega. Samasth dukho se nivitti ho jaegi. Yah jeevan ki sham hote hote aapko mil jaega. Sahi dhang se bhajan karo. Ta balak nahi bhar sayan kahe Krishna bhajat nahi neeke theek se bhajan karo. Kya theek se kutsitwad vikar par dhan sunas mand parti bancho gandi baten sunna bolna band karo.

kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar yah vikar tumhare nash mein tatpar hain. Inko mitra mat samjho. Inse hatne ki cheshta karo. Vikaro ka tyag karo. Dusre ke dhan se sukhi hone ki bhavna ka nash kar do. Nahi to tumhara nash kar degi. Dusre ki maa bahan ki taraf gandi drishti dekhkar ke unmein dosh bhavna utpann ho jana. Sadhak ke patan ka lakshan hai. Kisi bhi mata bahan ko bhog drishti se dekhna yah sadhak patit ho chuka hai. Patan ho jaega nahi patit ho chuka hai. Isliye uski aisi drishti hai. Kutsitwad vikar pardhan sunsik mand parti bancho jab tak ham asadhnon ka in asadhnon ka tyag karne ke liye praytn nahi karenge tab tak bhajan kaise ho payega isliye tu balak nahi bhare shayan tere mein badi chaturta bhari hui hai dusre ki beimani karne ke liye dusre ke chhal kapt hinsa vibhchar in dosho mein us chaturta ka prayog kar rahe ho.

bhajan mein karo. Bhajan mein inse bachne ke liye karo. Chaturta ka prayog sayanap inme lipt hone ke liye nahi. Inse bachne ke liye karo. Theek se bhajan karo. Shri bhagwan adesh kar rahe hain. Prayatnadat manas yogi sanshuddha kilwish sare paap nasht ho jaate hain. Jo praytn purvak bhajan karta hai. Upasak ko praytn karna padega. Jab tak hamare paap jama hai tab tak wah bhajan mein ruchi nahi hone denge. Yah baat baitha lo. Ab wo kitne jama hai to prabhu jante hain aur naam janta hai. Prabhu ka naam jo ham mantr naam jap rahe hain wo pura ka pura paap aur uski pravriti jahan se paap prakt hote hain jab donon ka nash kar dega to aapka hriday prasannata purvak bhajan mein aasakt ho jaega.

yah pavitra hriday ka lakshan hai. Chhut hi nahi sakta naam. Pran pyara lagne lagega. Tadpita khilacharita tasmaran param vyakul teti ek ek aacharan ek ek cheshta bhagwan ko samarpit jara sa bhul jane par bhari vyakulta ye pavitra hriday ka lakshan hai. Par ye pavitra bahari tirth avgan se nahi hogi. Nahi hogi. Vishwas kijiye. Yah hogi bhagwat chintan se. Bahar se aapka sharir dham mein rah raha hai. Isse bada koi tirth hai kya? Vichar karke dekhiye. Bahar se sharir dham mein rah raha hai, satsang mein hai, sadhu vesh mein hai ya sadhu samagam mein hai?

isse bada koi parmarth vidhan mangalmay ho sakta hai kya jo apne logon ko mila hai? Par kya hamara hriday pavitra ho gaya hai? Pavitra ka lakshan hai swabhavic bhagwat smriti mein dube rahna. Jis samay sanshuddha kilwish samasth paap nasht hokar hriday shuddh ho jaega to aasakt ho jaoge bhajan mein naam itna amrit mein lagega ki pran chhod dena accha lagega par naam chhod dena nahi yah hai nishpap sthiti ki pehchan aap nishpap ho chuke hain. Iski pehchan yah hai aur aap mein paap ki vrittiya hain. Paap hai.

iski pehchan bhajan mein aruci hona aur bhogon mein achchai dikhayee dena. Bhogon mein sukh dikhayee dena. Bhogon ki ichchha hona yah paap ka lakshan hai. Prabhu kah rahe hain praytn purvak bhajan. Bhitar ki baat hai bhitar ki dehabhmani bahar dikhave ke liye sara praytn karta hai. Bhagwat prapti bahar dikhave se nahi hoti. Chitt ke parivartan se hoti hai. Bada tandav hai kalyug ka. Ham prayah bahari dikhave mein hi apna jeevan nasht kar dete hain. Log hamen vidvan kahe, gyani kahe, mahatma kahe, bhagwan ka avatar kahe, sarkar kahe jo bhi iske liye pura jeevan nasht kar dete hain.

log kahe par prabhu mujhe ek bar apna kahe iske liye pure jeevan mein prayas nahi karte. Kabhi is baat ko aap lakshya mein laie ki ek bar mere Swami ek bar to mujhe samne akar kah de tu mera hai. Bas ham iske iske liye prayas nahi karte. Ham iske liye prayas karte ki log kahe bhajnanandi hai. Log kahe hamara naam ho jae. Are bhagwan ka naam nahi log le rahe to tumhara naam kya lenge? Bhagwan ka naam jo ved se lekar ke sab puran shastr brahm rishi mahatma jinke yash ka gaan karte hue thakte nahi par kabhi par nahi paye unka naam nahi le rahe tumhara naam tum ho kya wah kam se kam sab kuch chhut jaega naam bana rahega are sacchidanand naam nahi le rahe tum sacchidanand naam ke prati logon ki bhavna aur shraddha nahi hai to prakritik sharir ke naam ka tum kahan bhi yah kahan tak sthaap sthaapna kar paoge.

itihas mein likhe hain bade-bade samraton ke naam. Kaun? Kahan sab mitti palit ho gaye. Bhumi mein mil gaye. Kahin unki rab kahin unki wo mahima nahi. Vichar kijiye. Shant bhav se vichar kijiye ki hamare jeevan ka lakshya kya hai. Yah maya hai. Agar aap yash chahoge to aapko yash mil jaega. Lekin tikau nahi kyonki aapne chah ki hai na milega yash par aisa milega akash mein udoge dharm se niche gir jaoge koi janega bhi nahi ki tum kya the aur bhagwan ka yash gane wale bano keertani sada hari to sada sada ke liye pavan yash tumhara bhale mrityu lok mein na gaya jae lekin bhagwat dham mein gaya jaega tumhara jaise bhakt jan bhagwan ki charcha sunte hain aise bhagwan bhagwan bhakton ka yash sunte rahte hain.

bade bade mahapurush virajte hain aur bhagwan ke bhakton ki charcha hoti hai. Bhagwan ki sabha mein. Usi sabha mein to Durvasa ji ko pata chala tha ki sarvshresht mahan bhakt is samay amrish ji bhutla par virajman. Tabhi to unki pariksha ke liye aae the ki mera naam nahi liya gaya. Sarvshresht mein amrish ji ka naam le. Jaise ham bhakton ka ek vyasan hai, ek asakti mein jeevan hai ki ham bhagwat charcha kiye aur sune bina nahi rah sakte. Aise bhagwan ka ek vyasan hai. Wah apne bhakton ki baat sune bina nahi rah sakte.

wo bhakton ki charcha sunte hain. Socho akhil lok chudamani jinke liye ved neti neti kah ke mahima ka gaan karte wo prabhu apne bhakt ki mahima sunte hain. Yah milega aapko. Mrityu lok ke prani to kuch chand dino ke liye hain. Ye ye sab marenge kyonki iska naam mrityu lok hai. Inke shariron ka parivartan hoga. Ye sthai nahi hai. Adhik se adhik 100 varsh. 100 varsh kitna hai? Brahma ki ayu mein aise kamal mein pankhudi mein sui chheda gaya. Yahan ka ek varsh ho gaya. Kya hai tumhara jeevan? Praytn purvak bhajan.

jinke liye hamara janm hua hai un prabhu ke liye. Ham kaise bhramit ho jaate hain. Char log pranam kar liye. Ham isi ko apna lakshya man lete hain. Char log vahwah kah diye. Ham isi ko apne jeevan ki tapasya ka phal man lete hain. Kaisi hamari abhi mudhta gayi nahi. Abhi hriday malinta gayi nahi. Are ek bar Priya pritam samne ave. Donon hamko muskura ke dekhen apna kahe. Yah hamare jeevan ka lakshya hai. Sansaar apman karen, ninda karen. Kya fark parta hai? Hamare pritam hamen pyar karen. Isse bada sukh kya?

pritam ki taraf se vimurkh ho. Sab vahwah kar rahe to kya kuch hath nahi lagega. Theek se praytn karo. Tu balak nahi bhar shaan kahe Krishna bhajat nahi ke theek se bhajan dekho mahaprabhu kah rahe hain tan hi rakh satsang mein manah prem ras bhyo satsang mein ana koi sadharan baat nahi hai jab dravah din dayalu raghav to sadhu sangati pai bhagwan jis jeev par kripa karte hain kitne brahmand hai. Kitne lok hain? Unmein se ek mrityu lok kitne jeev un jeevan mein kitne manushya un manushyon mein kaise-kaise swabhav wale kitne log satsang is samay sun rahe hain.

adhiktar is samay sab moh nidra mein soe hue hain. Tamoguni nidra mein moh nidra mein sab aap sab saubhagyshali hain. Prat kal brahm muhurt ke pehle hi aap bhagwat charcha sun rahe hain. Param pavan mahmmahim shri Vrindavan dham ki bhumi mein baithkar yah saubhagya aapke karmon se nahi hai. Yah priyaju ki ahetu ki kripa se hai. Hamara praytn shithil nahi hona chahiye. Hamen yah vichar karna hai ki dekho hamen prabhu ne kaisa sanyog diya hai. Sahi rona aa jaega. Yadi aap is baat ko gambhirta se le tumne diya sada hi mujhko apna pyar dular mahan maine sir na chadaya usko kiya nirantar hi apman main krit ati nich naradham sabhi bhanti ati hi malan din bandhu ne dosh na dekhe apna liya jaan jan din jaise sneh maeema shishu ka mal dhoti nahlati aap sneh sindhu tumne waise hi kiya vishuddh mita maltap par meri nipat nichta atishay daya tumhari amit apaar sahaj dayavash bhasm kar diya tumne mera ag sambhar charan sharan mil gayi sada ko chhaya sudhand sab or uday ho gaya prem surya ab mita moh maya tam ghor he nath jab se smriti hai tab se dekha hai aapne keval kripa hi kripa ki hai.

pyar hi pyar aap jante ho jahan aap baithe ho. Tarste hain bade-bade mahapurush. Sachchi maniye ye aap jaan nahi pa rahe ki Priya ji ne aapko kya de diya. Manushya sharir aur is durant maya se aapko hatakr param pavan shri dham Vrindavan ka darshan kuch kshan baithe ka saubhagya aur kahin vas to aho bhagya aho bhagya dhanya dhanya dhanya dham ka upasi naam ka upasi Priya pritam ke rup ka upasi dhanya dhanya dhanya te ye inke upas hai par kya pyari ji ke pyar dular ko aap sammaan de rahe hain? Unke pyar dular ki taraf dekh pa rahe hain aap ki unki kitni kripa hai.

sadaiv koste rahte hain aap. Main sab kuch chhodkar Vrindavan vas kiya. Aapka bhajan kiya. Aapke liye parivaar chhod diya. Kaisi mudhta? Parivaar tum chhod sakte ho. Tum Vrindavan vas kar sakte ho. Tum ek bar bhi Radha naam bol sakte ho. Tumhari samarth hai? Nahi. Agyaan ki dhara mein aap keval bol rahe hain. Shri ji ne ahetu ki kripa karke shri ji ne aapko yah sab saubhagya diya hai. Use aap apne aham mein le ja rahe hain. Maine sab kuch tyag kiya. Maine main chodo is main ko. Yah main pakde rahoge to anubhav nahi hoga kripa ka.

yah sirf kripa se ho raha hai. Dekho mahaprabhu kah rahe hain bar-bar isiliye is baat ko aapko sunate hain ki aap samjho kah rahe hain ki kwaham tuchchha shabd dekho jara hit sajni jo hai hit sajni jo pyari ju ko bhi haan tu to sakhi sayani te meri ekko na mani ho tu so kahat hari jugti jugti so meri ek bhi baat aap man nahi rahi dekho pyari ji ko kah rahe hain ogi mangi rahat garb ki mati ye kitni badi samarth hai pyari ji ko wo sajni ji kah rahi hain jab Radha naam ki baat ai kwaah tachchha param adham pran gar karma y naam mahima hare vrindavnas kaha mein tachchha adham apra dh karne wala aur kahan hai mahmmahim Radha naam yah to keval Vrindavan ki kripa hai mahima hai jo Radha naam meri jibhya par mere hriday parit ho raha mahaprabhu bol rahe hain jo data Radha naam ke hain.

shri dham Vrindavan mahaprabhu ka tan hai. Yah hit ka tan hai. Nav nivat nikunj mahal unka hriday hai. Aur usmen vihar karne wale Priya pritam nirantar maha sukh lete rahte hain. Jinka tan Vrindavan hai. Tan vipin Harivansh ko socho wo kah rahe hain ki pratham yathmati pranam shri Vrindavan atiram main jaisa varnan kar raha hoon aisa hi itna hi nahi hai. Jaisa meri mati mein aa raha. Pehle to main mahima ko pranam karta hoon Vrindavan ki. Phir jaisa Priya meri mati mein de rahe jitna utna hi bol pa raha hoon kyonki shri Radhika kripa bin sabke manan agam mein kaun ye bol rahe hain jinka tan hi Vrindavan hai jinka man lal jo hai jinki atma Priya jo hai kishori mahatum jinka hriday nikunj hai aur nirantar inko dular karte rahte hain wo hit jo kah rahe us dham mein aap vas kar rahe hain us naam ka aap kirtan karte hain, jap karte hain, dhyan karte hain, seva karte hain.

jis naam ki seva swayam akhil lok chudamani bhagwan shri Krishna karte hain. Y namankit mantr japan par preetya swayam madhwa swayam Madhav ye tumhare bhagya mein likha tha kya? Nahi nahi ye karunamay kishori ki kripa hai. To kya aap sir jhuka ke is kripa ko kabhi roye? Is kripa ke liye kabhi aap samarpit hue ki aha meri ladli ki kitni kripa nahi koste rahte hain. Hamne ye chaha ye nahi kiya wo nahi kiya. Ye kam karo kishori ye kam karo ye kam karo. Kya kya tum aradhna kar rahe ho? Ham to atho pahar aapki seva mein lage.

aap hamara ye kam kar do na. Kam kar do tum. Tum sevika ho ya unko sevak banana chahti ho? Andar ki vritti se dekho. Tum to unki dasi ho. Tum unki sevika ho. Phir aap kya bolte ho? Shri ji hamara kam kar de. To kya mana shri ji ko aapne? Bihari ji yah kam kar do. Adesh de rahe ho. Bade-bade lokpal jinke age sir jhukate unko tum adesh kar rahe ho. Tumhari buddhi mand ho gayi. Ye kam kar do bihari ji. Akhil koti bramhandon ke data tumhare kuch chand rupaye chand bhog chand phal jinhone anant bramhandon ke jeev ka bharan poshan unki rachna ek second mein ki hai un prabhu ko tum kya samjh rahe ho ae phool bangla bana denge tumhara bhog laga denge hamara ek kam kar do ghas har jagah chalti prabhu ke yahan nahi chalti satya ke yahan ghoosh nahi chalti satya ke yahan samarpan chalta hai satya ke yahan samarpan chalta hai ghoosh nahi chalti wo tumhare ishwar hain, malik hain.

unse theek se baat karo. Wah to kuch nahi bolenge lekin unki shaktiya tumhen raund dengi. Unke parsad tumhen raund denge jo tum zyada abhiman mein ho. Bihari ji 10 lakh ka ham kal bhandara karvayenge. Aap ek kam kar do. Kya samjhaya bihari ji ko? Kya samjhae prabhu ko? Hanste hain. Prabhu hanste hain hamari mudhta pe ki itni ahetu ki kripa phir bhi samjh nahi pa raha. Jalte rahte hain. Dham mein jara jara si anukulta bhang hone par prabhu ki taraf rosh drishti se dekhte hain. Anukulta ke pujari ho ya Priya pritam ke pujari ho.

dhyan dekar dekhiye. Maine sir na chadaya usko kiya nirantar hi apman. Apne prabhu ka apman karte ho. Tum das ho. Jara socho vichar karke. Dekho agar isko pragat mein khol ke na kahe to aap kahoge kaun bhagwan ka apman kar sakta aap karte hain kaun hai Priya pritam Priyaju ki ek mand muskan ek chitvan ke liye akhil koti bramhandon ka Swami vinay karta hai sakhiyon se jinke charan rakhne ki chauki ko brahma shankar aadi vandan karte charan sparsh bhi nahi prapt kar pate muni man dhyan dharat ne wo prabhu hain aur hamare aise yugal sarkar unke saath bartaav kya karte hain?

aap hamara yah kam kar do. Aap hamari ye ichchha purn kar do. Aap aisa kar do to main aisa kar dunga. Kya ho tum? Mudh ho. Mudh saral bhasha mein pagal ho. Pagal kisse baat kar rahe ho tum? Unse baat karo. Prabhu se. Kitna badhiya avsar mila hai. To unko ichchhae samarpit kar do. To aisa anand wo aapko pradan karenge ki aapki ichchha mein wo tha hi nahi anand. Jo aapne ichchhae ki thi unmein anand tha hi nahi. Aap apni ichchha samarpit karke unke ho jao. Yah samarpan ka sthan hai. Yahan jo kuch bhi prapt hota hai samarpan se hota hai.

aur samarpan dainyta se hota hai. Abhiman se nahi hota. Isiliye tanad suni chen tar sahna amanna man den kirtan sada hari aap hari sevak ho haridas padvi pe ho aur apne Swami se kaisi abhadr varta karte ho ye aap andar se dekho ham sab apne aradhya dev ka apman karte hain aur unki keval ahetu ki kripa hi kripa ham par baras rahi hai agar wo roz karen to hamen narak mein bhi thor na mile bolo ham Vrindavan dham rahne layak hai. Jahan ki raj prapti ke liye Uddhav aadi bade-bade mahapurush yachna karte hain.

wahan ham sadharan manushya krit aacharan karte hain. Aap sadharan vishay purush jaisa aacharan karta hai. Ham dham mein vaisa aacharan karte hain. Aparadh nahi hai ye. Yah Priya pritam ka apman nahi hai. Unke nij mahal mein prem samudra Vrindavan mein rahkar sansarik cheshta sansarik bhog vasna ki kriyaen ye kya hai? Ye upasak ka lakshan hai. Aap vichar karke apni dincharya par dekhiye. Apne jeevan ko dekhiye. Apman ke shiva aradhya dev ka aap kya sammaan kar rahe hain? Aradhya dev se kya chah rahe hain aap? Unko mana aapne aradhya dev bas keval baton mein mana hriday se man loge to rona aayega rona unki kripa se aayega shikayat thodi hogi jab tan samarpit antahkaran samarpit phir aapka shikayat karne wala vastu kya rah gaya hai kya aapka rah gaya hai kya hai aapka aapka kuch hai nahi to aapke Priya pritam hai aur wah sacchidanand bapu hai sarvagya hain.

aise param pyare hain ki karuna ke samudra ne kahun na ris kahun bhu na hot sakhi rahit prasann sada he mukh hahas hai. Aisi sukumari jo ki upasna to aapka hriday kahin asantusht ho sakta hai. Aap apni agyaan ki kalpna karke aap bhayabhit hote hain. Asantusht hote hain aur apne Swami ka apman karte hain. Bolo agar aapne kisi sant ko guru mana hai to aap use kahenge suno tumhen bhojan ki vyvastha kar rahe hain jara aap ye kam kar dijiye himmat hai aapki kahne ki waise anant santo ke bhi guru hain lal ji maharaj anant santo ke jitne bhi mahapurush hue hain sabke mathe par inhi ke charan raj hai dharm sada paribhashta doham abheeshta pradan karne wale inhi ke charnarvind dhey sada jinhone inka dhyan kiya uske abheeshta ki prapti inhi charnon se koi bhi ho tirth padam shiv viranch natam sharanyam jitne bhi tirth inhi ke charnon se hain aap vichar karo aise prabhu ke prati aapka ka kaisa vihaar hai?

Swami ke saath kaisa vihaar sevak ka hota hai? Jitne bhi sant mahatma hain sabke guru shri Krishna sabke guru agar koi gyani bhi hai to tadatma bhav karta hai. Agar premi hai to apne in bhavon mein bhi charta hai. Koi dasy bhav, koi shakya bhav, koi vatsalya, koi kanta, koi sahachari aur in prabhu ki guru hai hamari Priya jo pi ko na chal shakhwat pyari sakal vidya vidit rahas Harivansh hit milat nau kunjwar Shyam ba bhag ri Shyam ba bhag ri Shyam ba bhag ri milat nau kunjwar Shyam ba bhag ri aisi mahmmahim jugal jori ko aap kya adesh karte hain aapki kshamta hai adesh karne ki wo aap karte hain adesh dekhiye aisa kar do na Priya pritam kar do.

aap sevak ho. Aapka rah kya gaya hai jiske liye aap karvana chahte ho? Aapka kya hai? Na vihaar hai, na paramarth hai, na sharir hai, na antahkaran hai. Tabhi samarpan samarpit ho. Phir kya kar bik gaye ho. Priya pritam ke naam rup mein rasikon ne kharid liya aapko. Hariram vyas ji kahte hain ab to rasikon ke hath bik gaya ho aur mol mein Priya pritam. Priya pritam ke liye rasikon ab hamara kya to aap apne Swami ka apman hi karte hain. Sammaan to ek keval natak hota hai. Ham pranam bhi karte hain to piche koi hamen dekh raha hai ki nahi?

haan agar dekh raha hai to sashtang kar rahe hain. Bahut badhiya bhagat dekho sashtang pranam. Ham ye sunna ham unko sukh nahi dena chahte. Ham unke liye nahi kar rahe. Shringar karte hain to char log vah kya shringar hota hai wahan. Nachte kya log Priya pritam pata nahi drishti mein hai ki nahi hai yah hamen dekhna hoga hamara praytn Priya pritam ke liye hona chahiye kaun ho aap yah dhyan rakho aap Priya pritam ke ho aap Priya pritam ke liye ho aapki pratyek cheshta Priya pritam ke sukh ke liye hai to aap maha sukh mein nimgn ho jaoge sachariyo ki cheshta Priya pritam ko sukh pahunchana hai to sahchariya kahan nimgn hai?

badho anand mod sabke maha prem maha prem surang rangi ye maha prem ke rang mein rangi hui hai. Apni upasna ko samjho. Apne Swami ko adesh mat karo. He Swami aapki kripa ka hamne apman hi kiya. Main bahut krit hoon, nich hoon. Kiye hue ko na manne wala. Gurujanon ne aapse kya liya hai? Aapko updesh diya, aapko naam diya, aapko mantr diya, aapko apnapan diya. Jinhone vishv ke sampurn apnepan ko sametkar prabhu ke charnon mein diya. Unhone aapko apnapan diya. Aap unki avelna. Aap unka nirader aap kahoge nahi karta to unki baat na manna unka nirader hai.

bhajan ke liye jude bhajan nahi kiya yah unka apman hai. Yah unko klesh dena hai. Aapne jis baat ke liye apnapan sambandh banaya jiske liye unhone amog jivni shakti naam di mantr diya. Agar aap usko nahi japte to guru ka apman karte hain. Manmani aacharan karte hain to guru ko santapta karte hain aur uska parinaam hoga ki aapki durgati aap nana prakaar ke prapanchik bandho se jalte rahenge. He din bandhu itna hone par bhi aapne hamare dosh nahi dekhe. Sadaiv mujhe apna hi mana. Aha yah mera jan hai aisa hi mana.

agar mere aparadh dekhte sach yahan ka aparadh jante ho dham hai narak mein bhi thor na mile jaise kaha jaata hai na narak mein bhi thor na mile wo hamari durdasha ho jae hamse aisi galtiya ho jati hai ham yahan jhooth bol dete hain hamare dwara yahan vybhchar ho jaata hai papachar ho jaata hai hinsa ho jati hai gandi baat ho ab uska parinaam ye dham hai mahapurushon ne bahut savdhaan kiya mat jana Vrindavan ek din ke liye jana upvas karke parikrama karke naam jap karke chupchap chale ana koi aparadh na bane aise shiksha di jati kabhi brajvasyon par vaishnav par dosh darshan na kar lena hamen kitni kripa mili jeevan yapan karne ka ladli ji ne avsar de diya aur aisa avsar diya mahal mein rah rahe hain shri ji ke mahal mein par ham kar kya rahe hain kya mahli shyama Shyam ko dular kar rahe hain.

unka chintan kar rahe hain. Unke anukul chal rahe hain. Kya ham mahal mein rahne layak hai? Phir bhi hamare sari galtyon ko galti hi nahi mana. Dular badhta gaya. Kaisa? Jaise snehmai maa apne bachchhe ko mal yukt dekh ke ghrna nahi karti. Uske mal ko dhokar nahlati hai aur sundar sundar shringar karti hai. Aise hi hamare prabhu hamare dosho ko apardhon ko is dham mein karne par bhi unhone mana hi nahi ki yah dosh hai. Nahi to ham raat din jalte mana hi nahi. Aur hamare malon ko unhone saaf kiya. Bina kahe ham jante hi nahi hamare mal hai.

unko saaf kiye. Sneh samudra prabhu aapne jaisa pyar diya mere mal mere paap tap ki taraf na dekh ke aisa koi nahi kar sakta. Main phir bhi nipat nich aisa aacharan karta hoon ki aapko dukh pahunche. Dekho kisi bhi prani mein hamare prabhu virajman yadi ham kisi se irshya karte hain, dves karte hain, kisi ko dukhad vachan bolte hain, dukhad cheshta karte hain. Ham apne prabhu ko hi pida de rahe hain. Par tumhari amit apaar daya hai. Dayavash aap hamare sare apardhon ko bhasm kar rahe hain. Badi kripa hui jo mere apardhon ki taraf na dekhkar aapne mujhe charan sharan di.

ab to prabhu aapke charnon ki sharan mein ane par anand hi anand amritmay sudha anand chhaa raha hai. He nath aapke charnon ke aashray se ab mera hriday shital ho raha hai aur prem Bhaskhar ka uday ho raha hai. Yadi aap apni taraf se kripa na karte to yah nahi ho sakta tha. Hamen jo prabhu ne kripa purvak saubhagya diya hai, ise hamen apmanit nahi karna chahiye. Ham apne prabhu ki kripa ka apman karte hain, avhelna karte hain. Kitni hamari chhoti dhara hai. Jara si pratikultaa hui to prabhu ko kosne lagte hain. Aur jara si anukulta hui to ahankaar badhkar ke sir mathe bolne lagta hai.

maine ye kiya isliye aiseise aisa hua. Are aap kya samjhte hain? Jeevan bhar bhajan hi karte rahe. Abhiman chadkar ke bolta hai aur jara sa pratikultaa ho gayi to prabhu ko kosne lagte hain. Kya aap itna nahi kar sakte the? Agyani jo ahit hone wali baat hai wo prabhu kaise kar de? Jaise andha kue mein girne ja raha ho to koi netr wala girne nahi dega. Aise hi param sauharda se bhare hue prabhu wahi vidhan karte hain jisse hamara param mangal ho. Bhagwan adesh kar rahe hain. Praytn purvak bhajan karo. Yah bhajan tabhi aapke anubhav mein aayega jab aapke samasth paap nasht ho jaenge.

tab tak aapko bina swad ke bina ruchi ke japna hoga. Hamari ruchi bhajan mein nahi hogi. Pehle sun lijiye. Hamen bhajan ka swad nahi milega. Samjh lijiye. Tab tak jab tak hamare paap aur paap ki pravriti ka nash nahi ho jaega. Isliye hamen nirantar praytn purvak bina sukh bina swad ke bhajan karna hai. Abhi prarambh mein aapko jiddi swabhav banana padega. Sahnseel swabhav banana padega. Agyaa palan matra yah aapko lakshya mein sthit kar dega. Nahi mujhe bhajan karna hai bas sukh mile dukh mile sadgati mile durgati mile iski mujhe koi parvah nahi hai prayatnadat praytn purvak tatparta purvak din pratdin bhajan badhna chahiye sajagta badhni chahiye savdhani badhni chahiye sanshuddha kilwish sampurn antahkaran ke dosh nasht ho jaate hain ab prabhu ki prapti ki aisi lagan bhitar lagti hai ki jo bhog sangrah man badhai aadi ki ichchhae thi wo sab bhasm ho gayi.

agar bhog sangrah man badhai ki ichchha hai to abhi bhagwat prapti ki lagan nahi lagi. Abhi piche jo aapne charchaen suni mahabhagvat janon ki khas baat usmen thi. Unke hriday mein bhagwat prapti ki baat ai. Nahi pahunch paye. Bhagwat prapti ki baat hai. Kahin atak gaye to bhagwat prapti ho jaegi. Samay jarur lagega. Unka lakshya bhagwat prapti hai. Khas baat jinki charchaen suni. Lakshya bhagwat prapti hai. Man badhai nahi hai. Lok parlok nahi hai. Lakshya bhagwat prapti hai. Upasak lakshya ko dridh. Hamara lakshya bhagwat prapti hai.

agar lakshya theek hai to beech mein phesal gaye ya rukavat ho gayi to aapko rukne nahi diya jaega. Age hi badha diya jaega. Jaisa piche aapne shravan kiya. Hamen apne marg mein jo bhajan marg hai pratikshan vishwas purvak chalna hai. Utsah purvak bole kuch anubhav mein to nahi aa raha hai na. Kah diya na jab tak aapke paap aur paap pravriti nasht nahi hogi tab tak anubhav nahi hoga. Antahkaran shuddh hone par anubhav hota hai. Ye adhyatma hai. Ye turant thoda hai ki abhi bola aur abhi sab kuch anubhav hone lage.

janam janam muni jatan kara. Bhagwan kah rahe anek janm sansto yaat param gati bahut janmon ki sadhna se tab sthiti prapt hui hai. Aap sab ek janm se thodi lage ye badi kripa hai. Ye jo aap saubhagya prapt karen pata nahi kitne janmon se sadhna prarambh mein karte karte aise aae. Kai jagah baat padi hai ki kisi janm mein itne bhagwan ki bhakti phir kisi aur bhagwan ki aise karte karte phir braj ke thakur ki bhakti phir nikunj aisa wo kram bye kram aisa aur yah sab isi janm mein ho sakta hai bhagwat premi mahatma ki kripa ho jae to isi janm mein to ham ye man lete ki hamare janm anek ho chuke ab mujhe anek janmon wali line mein nahi khade hona ab isi janm mein bhagwat prapti karni hai iske liye hamen pryasrat rahna hai.

hamen anubhav mein nahi aa raha lekin ham Radha Radha bol rahe hain. Hamare bhav nahi hai. Hamen sukh nahi mil raha. Par jinka naam le rahe hain wo to sun rahe na ki ham pukar rahe hain. Wo to sun rahe na. Pragya chaksu ek mahatma bihari ji ke darshan karne roz ate the. To kisi ne unse kaha ki aapko to bahar se kuch dikhayee nahi deta. Ankhen to aap kya darshan karte hain? Bole hamari ankhen nahi to bihari ji ki ankhen nahi kya? Ham roz unko darshan dene ate hain. Ham nahi dekh pate to wah to hamen dekh rahe hain na.

do mein koi premi mein ek hi dekh le to kam ho jaata hai. Wo roz hamen dekhte hain na ho gaya. Ham unko apne darshan dene ate hain ya ham bhi hain. Aapke charan sevkon mein aankh se andhe the par gyan mein param praveen the. Wo samne roz niyam se darshan karne ate to kisi ne vinod mein pooch diya ki Swami ji aapke to netr hai nahi aap roz darshan karne ate hain to kya darshan karte hain hamare netr nahi to bihari ji ke bhi netr nahi hai kya unke to netr hain unko darshan dene ate hain roz dekho ki tumhara bhi koi ek hai tum dekho hamen roz hamen aise hi hamare bhav nahi hai hamare prem nahi lekin priyaju to prem samudra hai na to unhin ko to pukar rahe hain Radha Radha Radha Radha kabhi bhanak padegi kan kabhi dekh lenge ki koi mujhe pukar raha hai bas usi din ham nihal ho jaenge hamen pukarna band nahi karna naam jap karna mantr jap karna mano pratishwas ham unko pukar rahe hain aur wo bahut karuna samudra hai bahut jaldi kam ban jaega bas hamko unki karuna par vishwas karke tato yati param gatim wo param gati ko nischit prapt ho jaata hai jisko param param gati kahte hain wo anubhav gamya hai.

jiske prapt hone ke baad kuch bhi prapt karna nahi rahta. Jis labh ke baad koi bhi labh nahi bachta. Sab kuch wo param gati wo param labh use prapt ho jaata hai. Bhaykar se bhaykar dukh jwala bhi uske hriday mein tap nahi pahuncha sakti. Wo param labh use prapt ho jaata hai. Shri bhagwan kahte hain tapsabhyo adhiko yogi gyanabhyo pamto karmabhdho yogi tasma yogi bharjun shri bhagwan kahte he arjun tapaswa adhik yogi tap tapaswiyon se bhi shreshth hai yogi gyaneebhya matodhik gyanyon se bhi yogi shreshth hai aisa mera mat hai bhagwan kah rahe karmabh karmabhya chadhiko yogi aur karm kand mein param praveen karmathon se bhi shreshth hai yogi tasmat yogi bhavjun he arjun tum yogi bano yogi naam sarve madagtetmana shraddwan bhajte yo mam sam yukt tamo mat ab prabhu kah rahe sampurn yogiyon mein bhi jo shraddwan bhakt mujh mein tallin hokar mera bhajan karta hai, wah mere mat mein sarvshresht yogi hai.

bhagwan ke mat mein jab sarvshresht hai to sare mat inheen se nikle hain. Prabhu se prabhu kah rahe hain tapaswiyon se bhi adhik gyanyon se bhi adhik aur karmakandiyon se bhi adhik jo karm mein praveen hai shastr ke anusaar unse bhi shreshth hai yogi to prashn hota hai ki yogi kaun sa to bole jitne bhi bhagwat marg mein chalne wale siddhant hain gyan karm yoga jitne bhi un samasth yogiyon mein yog naam madte shraddha bhajte yom sa yukt tamota bhagwat marg mein chalne wale sadhan siddhanto ka sar baat bhagwan bata rahe hain ki sampurn yogiyon mein sarvshresht yogi mere mat mein kaun hai?

bole jo shraddha purvak mujh mein tallin hua tanmaya andar se naam chal raha hai usi ko dekh raha hai usi ko sun raha hai bas ekmatra prabhu ke smaran mein tallin aisa hota hai ye prarambh mein nahi hota hai jab aap abhyaas rat rahoge hriday nishpap hoga to aisi sthiti hoti bina kisi prayas ke sab thap ho gaya sab thap man, buddhi, chitt, ahankaar sab ekdam bilkul jaise ghadi se sel hata lo sab jao jahan bas dhol baj raha hai. Sab hahkar avajen sab kuch nahi. Bas wahi chal raha hai. Samne wahi chhaya hua hai. Wo ye sadhan ka phal mil raha hai.

ab ye sadhan ye sadhan nahi hoga. Yah sadhan ka phal prakt ho raha hai. Achanak aisi sthiti ek second, do second, ek minute, ek ghanta, ek din ek yah kripa badhti chali jaegi. Waise baat karte karte ab usmen tumhari samarth nahi. Wo tumhare praytn se nahi hua. Tumne praytn kiya kripa ne dubo di. Ise kahte hain dubna. Koi pad chal raha hai, pankti ai ekdam jhak chhod diya aur bas rup prakashit aur doob gaya. Aisa maha sukh age milta hai upasak ko phir wo chhod nahi pata. Talleenta ye shabd bada jordar hai.

tanmaya smriti khatm anya keval aradhya dev. Ab aisa aap soch bhi nahi sakte ki aisa kaise ho sakta hai. Sab shantit chintan shunya buddhi nischay shunya man sankalp vikalp shunya aham kriya shunya pura antahkaran bas keval mantrakaar ya namakar ya rupakar ab ye sthiti kitne second kitne minute kitna samay adhik se adhik ye kripa se hota hai. Jaisa aapne abhyaas kiya bhajan ka usi ke anusaar sthiti aati. Ladkhda gaya. Aankh khuli hai ya band hai? Ekdam shant ekdam shant. Koi halchal nahi. Kisi bhi tarah ki koi anya tarang nahi.

anya koi vikshep mal vikshep awran tino nasht ho gaye. Ekdam wo ek ras anand ek bar yadi milega aapko to lacha jaoge. Chhod nahi paoge. Phir isi ki khoj thi. Isi ki khoj thi. Socho sab kuch karte ho lekin vishram aapko nind mein milta hai kyonki aap sansaar ka chintan us samay chhut jaata hai aur aap char panch ghante tamogun ki sthiti mein nind mein hote hain tab aapko accha lagta hai agar aapko nind na aae to aap vichlit ho jaenge kyonki aapke chintan ke tar band nahi honge aap pareshaan ho jaenge aur agar jagte hue kahin aapki aisi sthiti ho ho gayi ki kahin bhi sansaar ka chintan nahi ho raha.

socho usko kitna parmanand hoga. Aap tamogun nind mein jab sansaar ka chintan chhut jaata hai to aap kitne apne ko vishram sthiti mein mante hain aur kahin jagrit mein aisi sthiti ho ki aap jag rahe par bilkul sansaar ka chintan nahi ho raha. Jaise gadh sushupti aise gadh sthiti apne aradhya dev mein to aap kalpna bhi nahi kar sakte ki us samay upasak ko kaisa anand hota hai. Ye tamoguni to mithya hai jismen aap itne relax ho jaate hain ki subah phir puri chetna se aap apne karyrat ho jaate hain. Socho agar yah hamari indriyan ye hamara man jis sukh ki khoj janm janmantar se karta raha hai.

wah sukh jagrit avastha mein use aisi gadh sthiti mein la de ki usko kuch sunai nahi de raha, dikhayee nahi de raha. Jaise nind mein para hua aur gadh chintan mein yadyapi wo jag raha hai par bahar ki prakritik sari cheshta shunya hai aur wo sacchidanand yahi to aao samadhi bhitar Swami ji kah rahe aao samadhi chitt ko hetu mat bhagao agle janm ki vyvastha mat karo karm karke aa jao samadhi mein aa jao talleenta yog naam sarve madagte nana shraddha bhajte yom sam yukt tamo mata pujya shri Radha Baba kah rahe bhai jab aapne yah nischay kar liya ki mujhe Vrindavan vas karke Priya pritam ki prapti karni hai to tera nischay amog kyon nahi hua?

dridh kyon nahi hua? Teri rasna Radha naam ke siva aur kyon bolne lagi? Isko katne ki ichchha kyon nahi hui? To isko danta kyon nahi apni ras indri ko jismen vak indri bhi virajman hai. He Radha naam ke siva Priya pritam ke jas ke siva kuch bol rahi ho. Tumne nischay kiya tha Vrindavan vas karke Priya pritam ka hi jas gaunga. Priya pritam ki prapti karunga. Nayan yadi unki chavi ke siva aur kuch dekhna chahte to kya fayda aise netron ka Vrindavan mein rakhna? Shravan indri yadi Priyaju ke suyas mein aasakt nahi hui anya baten sunne ki ichchha karti hai to phod dalne yogya hai.

aisi shravan indri yah baat Harivansh mahaprabhu kah rahe hain pujya Radha rasna kato jo an rato nirkhan phuto nain shravan phuto jo an suno binu Radha jas bahan aapne nischay kiya ki Vrindavan vas karke Priya pritam ki prapti karenge to aapko sahi upay Harivansh mahaprabhu bata rahe sab so hit nishka kam mati Vrindavan vishram shri Radha vallabh lal ko hriday dhyan mukh naam sab mein apne prabhu ka bhav karke sabko sukh pahunchane ki bhavna mein kisi se kisi bhi tarah ki koi swarth buddhi nahi aur hamari vishram sthal shri Vrindavan dham hai Vrindavan ki prem bhumi hamari vishram sthal hai aur hriday mein shri jugal rup Radha vallabh lal ke rup ka dhyan aur mukh mein unka naam bolo.

isse badhkar Priya pritam ki prapti ka kya upay ho sakta hai? Isiliye Harivansh mahaprabhu kahte hain ki din raat shri Radha vallabh lal ke mukh kamal ko bhavna mein dekho. Dekho aisa kaisa vilakshan kunj hai jiske charon taraf Ashok kadamb kachnar bahut sundar sundar sugandhat pushp wale kusumit vriksh latae hain. Sundar sundar guchchhe foolon ki kunj sthal ki shobha badha rahe hain. Kaise kaise Vrindavan ke rang rangeele chhabeele ye pakshi hain. Nitya nikunjeshwari shri ladli ji ka darshan pakar yah utkantha purvak unka naam gungan karte rahte hain.

kaisi sundar manohari Vrindavan ki bhumi hai jahan mayur nachnach karke harshit ho rahe hain. Kokila kuhu ku karke Vrindavan mein apni swar guja rahi hai. Aise sukhad kunj mein galavhiya diye hue yugal sarkar bahar nikal rahe hain. Aur yah tumhen dikhayee de nikas kunj thade bhae bhuja parasparash Radha vallabh mukh kamal nirakh nayan Harivansh iske liye Vrindavan gaye ho. Aapko bura lag sakta hai par aapse ham yah kah rahe hain ki Vrindavan jakar jo aapko karna chahiye wah aap nahi kar pa rahe hain. Vrindavan bihari ke mahal mein rahkar bhi Vrindavan bihari ko nahi dekh pa rahe hain.

aapko jagran swapna sabhi samay adhikansk Vrindavan mein sansaar dikhayee de raha hai. Yahi karan hai ki jaisa jeevan aapka hona chahiye vaisa nahi hai. Isliye Vrindavan mein nikas kunj thade bhay bhuja paraspat ansh yah na dikhayee dekar sansaar dikhayee de raha hai. Pujya shri Radha Baba jab tak aap purn dridta purvak aisa nahi chaenge tab tak kisi ka ashirwad aapko aisa darshan nahi kara sakta. Koi anya upay jeevan ko aisa sthiti pradan kar de asamabhav chahe nak dabao chahe Padmasan mein baitho sir keval khade ho jal mein khade ho koi tapasya karo yah baat banni keval isi mein sab so hit nishkam mati Vrindavan vishram Radha vallabh lal ko hriday dhyan mukh naam yah bhajan aapko karna hoga aapko pramad karoge aaj kar lo chahe kal kar lo chahe mrityu ke baad agle janm mein kar lo chahe hazar janm ke baad kar lena karna aapko hi padega vishay tyag karke bhajan aur bhajan se Priya pritam ke prem ki prapti bhajan bina nahi prem chhinhu bhajan na chhadie dharie ya dhrunem bhajan na hoi sang bin bhajan bina nahi prem prem aur bina prem ki is jodi ka sakshatkar nahi ho sakta.

manav janm pakar yadi kal ke liye bhajan ko chhote hain to bahut badi mudhta karte hain. Savdhaan. Anek janmon ke garbhavas ka kasht, anek janmon mein mrityu ka bhayanak kasht, budhape ka kasht, rogon ka kasht sab bhogte aae ho. Ab kyon punah bhogna chahte ho? Tum asamabhav ko bhi sambhav kar sakte ho. Naam jap karke mita do is kal chakra ko, janm maran ko, dukh shok ko, ashanti ko bhajan se mita do. Yah bhajan se hi mitega. Yah tum pramad kar rahe ho. Isiliye aapko hamare vachan kathor lag rahe honge. Par tum pramad kar rahe ho.

isliye Vrindavan mein rahte hue tumhen nikas kunj thade bhay yah nahi darshan ho raha. Hamari baat man lo. Kan se keval Priya pritam ki charcha sunne ka swabhav banao. Dusri baat ho to kan mein ungli dal lo. Mat suno. Aisa karte hain kya aap? Jahan kisi ki ninda hui to pure kan khule kar lete hain. Kisi ki avhelna, kisi ka uphash, kisi ke dosh bhari baat ye Vrindavan aae hain ham Priya pritam ki prapti ke liye. Kahan hai? Bahut savdhaan. Bahut jaldi hamara hriday angan ganda hota hai in khidkiyon ke khule rahne se.

kan, aankh aur jaban teen ka bada yogdan hai bhagwat prapti mein. Pujya shri Radha Baba kah rahe hain kan se Priya pritam ki charcha ke siwai kuch bhi nahi sunna. Dusri koi baat hone lage to kan mein anguli dal lo. Nahi sunna. Yahi to kahega bahut natki hai. Kan mein ungli. Accha hai. Sansaar rupi natak mein yadi hamen Priya pritam ke anurag karne ke liye yah natak karna pare to hamen koi baat nahi. Aise nahi sunna tumhari baat. Hamen gurujanon ke rasik mahapurushon ke paas tumhara prapanch baithe raho.

tum apni baat sunna hai. Ankhon se Priya pritam ke prem badhane wali hi vastuon ka vyaktyo ka shri vigrah ka darshan karen. Anytha ankhen jhuka ke rakhen. Vrindavan dham hai yah to vaishnav sant janon ka jinse hamen bhagwat smriti ho prabhu ke shri vigrah ka gurujanon ka anytha netr jhuke rahne chahiye. Thoda parda para rahna chahiye. Har samay aankh rupi khidki khuli nahi rahni chahiye. Ismen alaukik camera laga hua hai. Jaise seesi camera hamen pata bhi nahi chalta ki hamari photo khinch rahi kya wo to pura video ban raha hai.

aise ye pura video bana leta hai aur ekant mein chintan karata hai. Agar sahi hua to bhajan badhta hai. Galat hua to phir bhrashtata aati hai. Vani se sirf Radhavallabh Radha vallabh ki pukar lagi rahe. Vyarth ki koi baat karne ki ichchha ho maun ho jao. Zabardasti maun ho jao. Nahi bolna dant pees ke baith jao nahi bole nahi bolna praytn ise kahte hain prayatnsil aap prayatnsil hai aap sachchi maniye aapka jeevan badal jaega Vrindavan ke kisi bhi kone mein khade hue tum bihari ji ko dekh loge keval mandir mein hi nahi hai bihari ji yah unka ghar hai kahin bhi galbiya diye yugal sarkar aapko dikhayee denge ki viharan kar rahe hain.

sampurn Vrindavan mandir hai prabhu ka. Jaise ham mante hain ki yah mandir hai. Aise pura Vrindavan mandir hai. Pura mahal hai. Kahin bhi kisi bhi jagah ho unka ghar hai. Yah aisa kiya to nischit nischay aap Vrindavan bihari ko arpit ho jaenge. Aapki jeevan ki aisi rahni nischay hi Priya pritam ko vivash kar degi darshan dene ke liye. Aap unke darshan pakar krit krit ho jaenge. Prabhu ki aap par atishay mahti kripa hai ki aapka panch bhautik sharir shri dham Vrindavan mein rah raha hai. Oo par aap apne upar aur kripa kar lijiye ki man mein bhi dham basa lijiye.

sharir panch bhautik to rah hi raha hai. Man ko bhi dham mein basa lijiye. Yah bhiksha mango shri kishori ji se ki he maharani ji anant asim anurag ki dhara aapke shri charnon se pravahit hoti rahti hai. Aap aisi kripa kar do ki mera man aapke chintan ke siva aur kahin na jae. Bisri ho na bisari ho yahi dan mohe dev shri Harivansh ki ladli mohe apni kar leo. Aap dekhna maharani jo bahut kripalu hain. Aapki hriday dhara Radha ke sanmukh ho jaegi. Dhara Radha hriday dhara Radha ke sanmukh ho jaegi. Prem mein doob jaegi.

anurag ka srot khul jaega. Aur yah srot kabhi phir band nahi hota. Badhta hi rahta hai. Aapko shri dham aur apne mein ab bhed nahi rakhna. Yah Baba antim sadhak ki parinti ka aap dham mein ho gaye hain. Aap apne mein aur dham mein ved ka tatparya ab aap dhammay ho gaye hain. Sharir dham mein, man dham mein, buddhi dham mein, pran dham mein tabhi to yah sthiti aati ki khand khand hoe jae tan ang ang sat tuk Vrindavan ne chhadeebo chhadeebo hai badi chuk dhammay ho gaya. Nischay aap maha bhagyawan ban gaye hain. Aapko ek divas wo milega jismen aap dekh payenge Priya pritam kaise yahan sukh barsa rahe hain.

bas apne man ko apni vani ko netron ko shravan indri ko bhagwan adesh kar rahe hain. Praytn purvak bhajan mein lagaiye. Sabse bada upyogi wahi hai. Tapaswiyon se bhi, gyanyon se bhi, karmiyon se bhi. Kaun jo shraddha purvak nirantar prabhu ka bhajan karta rahta hai. Shyama Shyam shyama Shyam shyama Shyam prabhu swayam shri mukh se kah rahe hain shraddwan bhajte mam shyame yukt tamo mata mere mat mein isse bada koi yogi nahi ab aur kuch nahi dhundna shastron mein kuch nahi janna bahut badhiya baat mil gayi tapasvi adhiko yogi jagatguru bhagwan bol rahe hain tapaswiyon se bhi adhik yogi shreshth gyanabhya matodhik kaha mere mat mein gyanyon se bhi shreshth yogi karmachadhik yogi karmakandiyon se bhi shreshth yogi tasmat yogi bhav arjun he arjun isliye tum yogi ho jao kaise yogi bole yogi naam sarve madtetmana shraddha bhajte yoma sa yukt tamota mere mat mein sab yogiyon mein shreshth yogi wahi hai jo shraddha purvak tallin hokar nirantar mere bhajan mein laga rahta hai.

sab shastron ka sar yahi hai. Yahi hai vishram bhumi. Hriday ki yahi hai vishram bhumi. Har samay prabhu se jude rahna. Prabhu ke naam rup leela dham har samay prabhu mein jude rahna yahi jeevan ki sarthakta hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi