॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhakt jadabhrat ji ka charit | An AI Short Video | Pujya Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

chakravarti samrat pad par bhagwan Rishabhdev ji ke bade putr maharaj bharat ji virajman the. Bhagwan Rishabhdev ne apne sankalp matra se unhen prithvi ki raksha karne ke liye samarth dekar raja pad par virajman kiya. Maharaj bharat ji ka vishv rup ki kanya panchajni se vivah hua. Panchajni ke garb se unke sumati rashtrabhat sudarshan awran aur dhoom kritu naam ke panch putr hue. Jo bharat ji ke saman hi the. Is varsh ka jiska naam pehle adnabh varsh tha. Bharat ji ke naam se hi iska naam bhartvrsh hua. Bhagwan Rishabhdev ji ke putr bharat ji ke naam se hi pehle Rishabhdev ji tak ajnab varsh isko kaha gaya.

bharat ji jab raja bane to unke naam se is desh ka naam bhartvrsh hua. Shrimad bhagwat ke anusaar maharaj bharat ji to swabhav se hi bhagwat bhajan paraayan aur bahugna sab shastron ka gyan rajniti ka gyan jaise unke pita pitamah rajya karen waise hi bharat ji rajya kiye. Bade vatsalya bhav se dular karte hue apni praja ka palan kiya aur chhoti badi bahut si yagno ka anusthan kiya. Jab tanmay hokar ke bhagwan ke liye yagya karte unke bhav mein har samay Shri vsa kosta mala cham chakra shankh aur gada dharan kiye hue bhagwan ka bhav nirantar bana rahta mano samne bhagwan virajman aise bhav se yukt hokar ke yagya karte dinondin inki veg purvak utkrisht bhakti badhne lagi ek karod varsh tak svasth rah ke rajya shasan kiya.

ek karod varsh tak. Ab man mein rajya se udasinta badi. Ab bhagwan ka bhajan karen. Waise to yagya aadi ke dwara sab apne jo putr the unko yatha yogya rajya sampatti de di aur aap nikal pare rajmal se pulashram harihar kshetra mein akar ke bhajan karne ka dridh nischay kiya. Wahan chakra nadi hai. Gandki nadi jinme Shaligram bhagwan prakt hote hain. Upar niche chakra ka chinh hota hai. Bahut hi pavitra nadi gandki nadi. Bade-bade rishiyon ke ashram. Usi pulha ashram mein ekant mein akele rah ke bhagwan ka chintan karne lage.

bharat ji maharaj jangli patr, pushp, tulsi dal, jal aur kand, mul, phal se bhagwan ki aradhna karte. Ab to bhajan mein itna anand prapt hone laga ki sari abhilashaen, sari smriti jati rahi. Main raja tha, rajpat ye sab jaata raha. Sari abhilashaen jati rahi. Ekmatra bhagwan ki paricharyaa aur usmen doob gaye. Bhagwan ka chintan karte karte romach ho gaya. Ankhon se ashru bah rahe. Hriday dravi bhut ho gaya. Drishti stabdha ruk gayi bhagwan ke shri charnon ke dhyan mein aisi sthiti bharat ji ki sharir romanchit ankhon se ashru bah rahe ek kakar vritti dekh lo maya kahan se ghaseetti hai.

parmanand ki baadh hriday doob raha hai. Ab yah bhi smaran nahi ki bhagwan ki puja karni. Bhagwan ki smriti mein dube hue. Is prakaar roz gandki nadi mein snaan karna. Sharir par Krishna mrig charm dharan karna aur trikal teen kal snaan karna. Trikal snaan ke karan unke jo kesh hai wo jataon mein parinit ho gaye. To ek din snaan karne ke liye gaye snaan kiya aur nadi mein hriday tak khade hokar chati tak teen muhurt tak dhara mein khade hokar jap karte isi samay ek harni pyas se vyakul ho jal pine ke liye ai aur wo garbhvati thi.

nadi ke tir par jahan dhara mein khade jap kar rahe the wahi wo piche aise jal pine ai. Abhi wah jal pi hi rahi thi. Bahut bhaykar sinh ki dahad sunai di. Aur wo darpok swabhav bhi hota hai. Aur harni wo dar gayi. Ab wo bhishan shabd aisa laga ki usko laga ki mere piche hi sinh hai. Badi unchi chhalang hoti hai hiran ki. Ab use laga mere prannon par banai. Ekdam kinare se chhalang mari ki dhara ko gandki nadi ki par kar jae. Ab wah jo chhalang marne ki prakriya thi usse garb yoni dwaar se nikal kar ke jal ki dhara mein gira.

ab wo mrigi garbhvati thi to chhalang mar ke par to nahi ja pai. Wah bhi gir gayi. Dari hui thi. Wahi mar gaye. Ab yah drishya bharat ji jap karte hue dekh rahe the. Unhone dekha ki harni to mar gayi. Jo bachchha tha jal mein pravahit hua. Daud pare. Raj bharat ji daud pare mantr jap chhod ke aur daudna hi chahiye. Aur dayavash usko god mein utha liya hin ke bachchhe ko aur apni kutia par le aae jo phus aadi ki bani hogi. Chhota bachchha to bada accha lagta hai. Phir mrig ka to aur bharat ji ko aisi sheetalata mili mano jaise rajpat putr sab chhod ke aae the to ek virah hota hai.

wo jaan nahi paye ki wah abhi virah kitni unchi sthiti ka varnan kiya hai. Bhagwan ke charnarvind ke dhyan mein sharir pul ki to romach aur aisi sthiti ki ab kya puja karni ye bhi shuddh nahi rah gayi. Ab us bachchhe ko raat din chati se laga ke rakhna aur dular karna doti din mein wo to chalne to do char ghante mein lagta hai do-teen din mein to chhalang marne laga ab usi ke liye hari hari ghas bin ke lana aur chati se lagae hain gale mein baitha le hain puchkarte chumte hriday se lagate ab sab yam niyam puja chhut gayi.

bhagwan ka chintan chhutne laga. Ye ye khas baat aisa vichar karne lage. Dekho kalchakra ka prabhav ye apni maa se alag hokar meri god mein aa gaya. Ab ye mera sharanagat hai. Ab main ise nahi chhod sakta. Kyonki main hi iska mata-pita bhai bandhu hoon. Main iska sangi hoon. Mere siwai is jagat mein iska koi hai nahi. Aur yah bhi mujh par bahut vishwas karta hai. Aur wo bhi chhota bachchha to apne chhote-chhote sir se aise karta bharat ji ke kandhe pe prem hai. Ab pure parivaar ka prem chhodkar ekant bhajan kar rahe the.

bhagwan se prem hata hiran ke bachchhe mein. Ab uske pyar dular ke liye kandhe par chadha ke le jaate jahan hari hari ghas hoti tod ke uske pawate dular karte harin ke bachchhe mein aisi asakti ho gayi ki uthte baithe sote tahalte bhojan karte jo bhi har samay usi ko paas rakhna godi mein baitha le rahna dular karna ab unka jo bhi bhav tha wah pura hiran mein lag gaya aur ek bhay sata gaya kahin maine chhod diya bhediya kha gaya to kahin vyaghra kha gaya to mujhe to bada dosh lagega ki sharanagat ka tyag kar diya nahi nahi to wo van mein tahlane ke liye le jaate kutia mein usi ka dular kar are itna dular ho gaya ki bhagwan ka bhajan sab chhut gaya ye bade ascharya ki baat hai ki jis bhajan ke liye unhone ne raj raniyon ka putro ka tyag kiya.

wahi bhajan ka tyag ho gaya hiran ke bachchhe se. Kabhi-kabhi hriday mein itna dravit ho jaata ki hiran ke bachchhe ko chati se lagate dular karte kandhe par baitha lete god mein lete bas usi ke dular mein agar kuch nitya naimitik karm karna mano snaan karna hai to ab mantr jap karte hue nahi hiran ko dekhte aise usko pakde hue aise dubki mari hiran na chhut jae aur jab snaan karke nikelte to usko kahte beta tera mangal ho tera sarvatra kalyan kaise mahapurush kaisa hriday hota hai mahapurushon ka beta tera sarvatra mangal ho bharat ji ka chitt vyakul

rahne laga mrig shravak ko itna pyar kiya ki praarabdh mein mrig shravak aa gaya yah dekho praarabdh ban gaya mrig shravak bahut bhagwat aradhna rup yoga anusthan pura khatm ho gaya pura khatm ho gaya wahi mrig ka chintan wahi mrig ka ye bahut sa ek hiran ke bachchhe ne puri ki puri yog nishtha gira di to manushya ke sharir mein asakti ho jae ya bhogon mein to kaun si badi baat nahi to socho parikshit jinhone moksh marg mein bhagwat prapti ke liye apne hriday se utpann putr patni aadi ka pyar tyag diya wo hiran shishu mein aise kaise aasakt ho gaye shabd likha hai raj rishi bharat hiran rupi vighna ke vashbhut hokar bhagwat yog marg se bhrasht ho gaye.

bhrasht ho gaye. Yog marg se bhrasht ho gaye. Us mrig chhaune ke palan poshan lad pyar mein bhul gaye bhagwan ko. Aur jiska talna atyant kathin hai wo vegshali karal kal sir par chadaya. Bharat ji ki mrityu ka samay aaya aur bhagwan ki leela ki us samay hiran sirane hi baitha tha. Shokatur bharat ji hiran ki taraf dekh rahe hain. Chitt pura hiran mein laga hai ki mere marne ke baad iska palan kaun karega? Isko dular kaun karega? Bas yahi chintan hote sharir chhut gaya. Ant kal ke anusaar bilkul sadharan purush jaisi mrityu hui bharat ji ki sadharan purush asdhran mahapurush ki sadharan purush jaisi mrityu hui shabd likha hai bhagwan ki smriti nahi hui mrig ko dekhte hue mrig ki smriti mein sharir chhoda to unko mrig sharir ki prapti hui yah khas baat antkaal ki bhavna ke anusaar unko mrig sharir ki prapti.

sadharan purush jaisi mrityu sadharan purush jaise vishay sansaar ka chintan aise hi mrig ko dekhte hue mrig ki smriti mein sharir sabse bada ghata ho gaya. Unki smriti aur chintan agla sharir mrig ka mila. Parantu bhagwan ka bhajan kabhi vyarth nahi jaata. Isliye us yoni mein unko apne purv janm ki yad rahi ki main maharaj bharat ek mrig ki asakti ke karan mrig bana. Ab to bahut pashchatap hua ki are mera ek janm mrig ki asakti mein bade khed ki baat main sanyamsheel mahanubhavon ke marg mein bhagwat aradhna karne wala bhrasht ho gaya.

ek mrig ke maine dhairya purvak bhagwan ke liye sari asakti chhodkar ekant mein pavitra bhav se bhagwan ke bhajan ka aashray liya van mein lekin main bhagwan ki aradhna se bhrasht ho gaya. Main ek nanhe se harin shishu ke piche apne bhagwan ko bhul gaya. Lakshya se chit ho gaya. Ab nahi. Rajshi bharat ji mrig ke sharir ko bhi gandki nadi mein khada karke bhajan karte aur hari ghas khane mein bhi darte ki kahin asakti na ho jae. Kal ki pratiksha karte rahe. Kuch samay baad sukhe patte khakar ke gandki nadi mein bhajan karte hue mrig ka sharir chhuta.

praarabdh. Jab mrig sharir chhoda to bhagwan Sukhdev ji kahte hain he rajan parikshit angiras gotr mein jo bahut hi brahm sambandh se yukt aur brahm karm se yukt aise brahm rishi ke yahan janm hua bharat ji ka yahi naam para jad bharat angiras gotr mein sam dum tapasya swaadh adhyay vedadhyayan tyag atithi seva santosh tatiksha vinay vidya Anusuya atmjyan evam anand sabhi gunon se mahan shreshth brahmin ke kul mein janm hua. Waisi hi inki mata vidyasheel achar rup udarta se sampann patirat dharm dharan karne wali aisi jagah janm hua.

nau putr hue aur dusri patni se ek putr aur ek kanya. Inme jo putr the wah maharaj bharat ji the. Mrig sharir ka partyag karke is janm mein brahm bodh sampann mahapurush ke rup mein janme. Adhyatma gyan padhna nahi para kyonki mrig sharir mein hi bhajan purn ho gaya. Yadyapi pashu sharir mein bhajan nahi hota. Lekin yah rajsha bharat ke rup mein jo bhajan kiya aur parhit ke liye apna jeevan arpit kar diya uske prabhav se mrig sharir mein bhi purv smriti aur bhajan yah bana raha uske prabhav se ab jo janm hua brahm bodh sampann mahapurush ke rup mein puri yad hai main rajshi bharat tha chuk ho gayi mrig bana ab akar ke main is brahm rishi ke kul mein janma hoon purv janm ka pura smaran hone ke karan ab koi vighna na ho jae isliye paaglon jaisi vritti mein rahte hain.

balyvastha se har samay bhagwat smaran paraayan hoth band aur paaglon jaisi cheshta shri bhagwan ke charnon ka smaran murkh pagal andha bahra aisa apne ko dikhane lage bachpan se hi kyon koi pyar na kar baithe kahin kisi se apnapan na ho jae. Pita ko bada prem tha inke upar kyonki brahm bodh sampann mahapurush the. Par sabko pata chal gaya tha ki yah balak pagal hai. Shastranusar samavartan paryant jo purv ke arthat vivah ke purv ke jitne sanskar brahmanatwa ke hain wo sab upanne sanskar aadi se yukt kiya.

par dekhen yah to beta pagal hai. Pita ka kartavya hai putr ko shiksha dena. Isliye bade pyar se samjhate soch ke baad aise pavitra hua jaata hai. Aise achman kiya jaata hai. Aise aise rahna chahiye. Bharat ji bilkul updesh ke virudh aacharan karte hain. Jaisa updesh uske virudh aacharan karte hain. Kyon? Pita ki asakti ham par na ho jae. Hamari asakti pita pe na ho jae. Bahut upay kiya ki Gayatri mantr yad karva de. Char mahine pura prayas kiya. Varsha kal bhar ek bhi chhnd yad nahi karva paye. Phir basant, greeshma, chaitra, vaishakh, jashtha, ashadh Pranav sahit Gayatri mantr yad karane ka pura prayas kiya.

lekin pagal jaisi cheshta purn vidvan bada hriday mein dukh hua ki mera beta pagal hai aur yah pata le ki yah beta aisa hai ki kul ke kul param pavan kar dega. Par bahut pyar tha bharat ji ke prati unke pita ka. Isliye bar-bar wo putr ko achchhi tarah shastron ki shiksha dete. Shauch veda adhyan vrat niyam guru seva agni seva brahmcharya palan in sab ki kuch nahi theek viparit cheshta paaglon jaisi murkhon jaisi wo har gaye aur kuch samay baad unka sharir pura ho gaya pita ka ab to swatantr ho gaye kyonki aur koi pyar hi nahi karta tha.

pita hi pyar karte the in mahapurush ko pagal murkh samjhkar koi pyar nahi karta. Keval pita pyar karte the. Wah bhi padhar gaye. Ab to koi bolne wala nahi. Jo bhai the wo samjhte the murkh aur pagal hai. Wo karmkand ko sab kuch samjhne wale vidvan brahmin the. Ab brahm gyan rupi para vidya ka siddh mahapurush bharat ji ko kaun jane? Isliye wah bharat ji ke prabhav ko na janne ke karan yah murkh hai. Aisa samjhkar upeksha karte. Pita ke parlok sidharne par badi avyvastha bharat ji ke saath kyonki bhai log murkh samjhte the.

pagal samjhte the. Bacha khucha basi ann jaise pashu ko fenka jaata hai. Aise unko de wo aram se sharir ka praarabdh hai aisa man ke pa lete koi kam batte wo kam kar koi mar raha hai koi apman kar raha hai koi thuk raha hai wo bilkul waisi pagal brahm bodh para vidya ke siddh mahapurush bharat ji ke andar koi man apman ka vichar hi nahi rah gaya tha sadharan log jo nar pashu kahe jaate hain nar pashu manushya rup mein pashu rup jo bhagwan se vimurkh keval sansaar ke rag mein lage wo unko pagal karke apmanit karte hain.

koi thuk deta, koi int marta, koi bharat ji parah vidya ke gyani mahapurush par paaglon jaisi vritti koi unko murkh kahta, koi pagal kahta, prayah pagal karke hi pukara jaata hai. Aur brahm bodh sampann mahapurush to bharat ji bhi theek waise hi swang rachte ki sab pagal samjhe. Usi ke anurup bhashan karte bharat ji. Jaise log unko murkh aur pagal samjhte to waise hi cheshta karte ki haan vastvik ye pagal aur murkh hai. Koi koi to inko apne kam mein laga leta. Ham jawan hai. Chal chara kaat rahe hain. Gobar phenkwa rahe hain.

jaisa wo kahte waisi kam koi apne kam ke liye khet mein le jaata. Koi majduri karata aur baad mein jala bhuna basi ann de phenk dete samne. Kya sthiti mahapurush ki? Usi ko aise he sharir tera praarabdh. Ab wo bal brahmachari akhand sharir aise hi pusht balvan jibh ke swad ki koi vastu hi nahi jali sadi basi aise dete ho khub din bhar mehnat karate bharat ji se ye kisi karan se utpann hone wala Shastri gyan nahi swatah siddh bhagwat swaroop gyananand mein nimgn mahapurush atma bodh prapt mahapurush kyonki bhajan ke bal se atma bodh prapt hua isliye bas ek mota yagya pavitra sharir mein pita ne jo pahna diya tha jab se wo yagya pavitra aur niche ka vastr bas aise hi rod mein pare raste mein pare hain koi de diya khae koi kam mein laga liya paaglon jaise bahut asht pusht svasth sharir sardi garmi barsat sab khule pe sahna apman aadi kyonki dehabhmani nasht ho chuka hai isliye koi klesh nahi.

jaise aag rakh se dhak jae par andar aag hai. Jaise mani ke upar dhul lag jae. Aise hi maharaj na kabhi snaan karte hain na koi sharir safai sardi garmi barsa andhi ismen likha hua hai nahana dhona koi matlab bhagwat swaroop sheetoshna vaat varsheshu garmi thandi hawa varsha vrish ivana vatang saand ki tarah khule sharir sahte prithvi par pare rahte hain kabhi snaan nahi karna kabhi hath pair nahi muhn nahi dhona kabhi nahi sthiti inko prapt ho gayi teen bar snaan sadhan mein karte the piche gandki nadi mein teen bar sharir par angulon mail jam gaya tha kya sundar sthiti hai.

kya sundar sthiti hai. Brahmatesh aise jaise dhul se dhaka hua mahamni ek maila kuchaila kapda hai kamar mein bas aur ek maila yagyapwit sab log yahi jante the ki murkh pagal hai. Murkh pagal hai. Bahut tiraskaar karte bharat ji ka. Kam karate, marte hain. Itna bada mahapurush aise sah rahe. Jab unke bhaion ne dekha ki log aur log majduri karakar ise bhojan de dete hain. Tab bulaya chal aur khet mein apne kam mein lagaya. Yahan khudai karo. Pure ko barabar karna hai. To kah rahe hain ki na sammam visham nyoon madhamti jahan saman khudai karni thi wahan kuan jaisa gadha kar diya.

jahan laga diya khodo to wahi khodte chale gaye. Kyonki yah pata nahi chalna chahiye ki yah buddhiman hai. Murkh hai ya pagal hai. Yahi pata chal kyariyan theek karne mein laga sab ulta kar diya. Sab kyariyon mein kuan jaisa khod diya. Bhai unko dantte dhakka marte aur bhojan mein kya dete khali bhusi bhune hue udad aur chaval ki kanki sukhi aise jaise janvar ko di jati hai ya pake hue ann ki jali hui khurchan kaise mahapurush hai jinko vishv ka param pavitra bhog sab milna chahiye wo wo kaisi chij hai? Spasht likha hua hai ki unke ahar mein chaval ki kani khali bhusi bhune hue udad aise sukhe wo aise chba lete ya pake hue ann ki jali hui khurchan jali hui wo de dete.

bade amrit ke saman use sharir ka praarabdh samjh kar kha lete. Bhaga diya bhai. Dhakka mar kam layak dusre bhai ne pakar liya khet ki rakhwali karo khet ki ab wo khet ki rakhwali kya karen khet idhar asan lagae idhar mein pare unse khet se matlab kya hai viparit wo jo bhi karya karte to uske viparit jisse se pakka sabko samjh mein aaya ki pagal hai. Wahi pare hue the aur ek dakuon ke sardar ne bhadrakali se kamna ki thi ki putr ho jaega to narabli chadhaenge. Narabli matlab manushya ko katenge aapke samne. Aur sanyog se putr ho gaya to bhadrakali ko manushya ki bali dene ke liye ek purush ko pakadwa mein gaya wo to raja tha dashyaraj ab us purush ko chhod diya gaya bazar mein khub jo chaho kha lo usko pata nahi hai wo jalebi gulab jamun jo jo badhiya pasand sabko kha raha tha ek dukandar ne dhiraj se kaha khub kha lo ab inhe gardan kategi jake tumhari kyon bole to aise free thodi khane ko mil raha daraj ne aaj utsav manaya hai.

tum unke bali pashu ho. Tumhari gardan kategi. To usne dona pattal jo hota hai wo saath bhaga wahan se nikal gaya. Bhag gaya. Ab jo rakshak the unko wo to khula chode hue the ki kha pi lega pakar lenge. Jab dekha ki wo aadmi bhag gaya to socha agar raja se kaha jake to ham hi kisi ko bhi bali chadha dega. Isliye turant koi nar pashu pakdna chahiye. Davshu wo to bhag gaya jisko pakar ke laye the. Charon or sevak daude ki ab koi manushya mil jae nahi to ham logon ki bali chadha dega raja. To raat ke samay tak da yog drishti padi.

angras gotri brahm prapt mahapurush shri jad bharat ji ke upar. Ab jangal mein dekha to khet mein to pare aise are bole devi bhi prasann ho jaegi aur raja bhi prasann ho jaega kyonki bahut tagda aadmi hai asht pusht balvan aur us samay veer asan mein baithe hue the ratri ke samay nazdik aae pakar liya koi virodh nahi bole hamare Swami ka karya isse bahut siddh ho jaega devi bahut prasann ho jaegi. Rassiyon se bandh liya bandhwa liya aapne. Koi roka nahi. Bilkul paaglon jaisi cheshta jo sharir ka hona hai wo pakka hona.

jo nahi hona hai wo nahi hona. Rassiyon se bandh lenge. Le gaye bhadrakali ke mandir mein. Ab bazar mein nahi chhoda. Ek to nikal gaye. Ab dobara agar wahi sidhe mandir le gaye. Paddhti ke anusaar badhiya upan lagaya gaya. Aaj jeevan mein upan lag raha hai maharaj ke. Jeevan mein koi pyar se to upan lagaya nahi. Bharat ji ne aur lambe hath kar diya. Aa badhiya upan laga ke. Ab ye nahi ki gyan nahi pata hai. Talwar bhi rakhi pata hai donon sharir ka hai. Jo sharir ka praarabdh hai usko bhogna hoga. Vidhi purvak badhiya itr phule laga ke snaan sab naye naye vastr pahnae gaye.

chandan lagaya gaya. Mala jaise ab gardan katni hai to mala bhi phir sundar khir pua bhojan dat ke bharat ji ne koi chinta nahi pata hai. Agyani thodi param gyani hai. Phir dhoop deep se aarti ki gayi kyonki bali chadna hai. Iske baad shuru hua dhol bajna. Mridang dhol aur bhadrakali ji ke samne inko le jaya gaya bharat ji ko aur kaha gaya sir nicha karke aise jhuka ke baith jao ghutne ke bal sir nicha karke aram se baitho koi pareshani nahi aur aadmi hai to chillae lagte are chillae kyonki sahab bhari talwar wajan wali pujan ki hui rakhi hui thi bharat ji ne dekha praarabdh sir jhuka diya.

jab se raja aaya aur abhimantrit wo bahut wajan wali khatag uthyi talwar. Ab ye to brahm swaroop mahapurush wo raj aur tam se mishit swabhav wala dashraj unmatt hokar ke je hi aise talwar uthyi. Ek to brahm rishi dusre brahm bodh sampann sharir rag rahit brahm bodh sampann mahapurush ke jehi gardan par talwar prhar karne ke liye ki bhadrakali ke sharir mein brahm tej se aag paida ho gayi. Bhadrakali ashniya ho gayi. Chikh padi murti faad kar nikal padi aur wahi talwar lekar ke apne jitne puja karne wale the sabki gardanen uda di bada bhayanak hahkar macha diya bhadrakali hai vikral attahas ye dekho brahm bodh sampann hua rassi se bandh laye to bandh ke aa gaye naha diya to naha liya khwa diya khwa diya gardan jhuka gardan jhuka di amba prakt hui sabko kaat dala ab koi bandhne wala le to chal diya.

yah hai brahm bodh sampann mahapurush ki sthiti aur mata ji athas karke garaj rahi. Keval bharat ji wahan jinda hai aur sabko mar dala. Sabko kaat diya mata ji ne satya hai eval mahachram kasne nane phalti satya hai ki jo mahapurush ka aparadh karega sarvnash ho jaega koi bhi ho mahapurush ke aparadh se darna chahiye daivi shakti bhi raksha nahi apne upasako ki hi gardane kaat di mata ji ne bhagwat bhakt paramhansa ke liye dekho sir katne ka avsar ane par bhi koi bhay nahi aur bach gaye to koi harsh nahi uthe aur chal diye aram se masti se ja rahe the khub puje tilak lage khae pe naye kapda pahne the masti se udhar sindhu soveer desh ka raja raghugan

ye wahi raghugan hai hiran bharat ji ke kar kamal se dwara posit ab ye bhala akar sindhu shauveer desh ka raja aur ye ja rahe the kapil bhagwan se satsang karne palki mein baith ke kaha tha na bharat ji ne hiran ke rup mein jab ye the ki beta tera sarvatra mangal ho arthat main tera sarvatra mangal karunga palki par chadkar ja raha tha jab imti nadi ke kinare pahuncha to palki uthane wale kaharon ke jamadar ke ek kahar ko bukhar aa gaya aur wo dagamgane lagi palki asmarth to kaha bhai naya kisi ko khoj lo raja hai wo to hukum pe to inheen ko dekha badhiya naye kapda pehle khir paye tilak lagwae aa rahe the socha ye bahut hasht pusht manushya hai jawan hai bail jaisi takat hai bahut badhiya kahar ka gokhar buram bo malamti purwavashta gahit ye to apaar bal rakhta hai jaise bail mein jaise pusht janvar mein ye bojha to badhiya dho sakta hai ae chalo chal aaj tak abhi updesh nahi diya pakde hue karon ke saath inko laga diya.

ab wo kahar jo raja ki palki mein hote hain wo shikshit hote hain. Maharaj to ab mast bahut badhiya kahar mil gaya. Mahatma bharat ji is karya ke yogya to bilkul nahi the. Chupchap char kahon ke beech mein ek mein inko ek taraf laga diya. Ab yah keval prithvi mein dekhte the ki koi jeev pair ke niche dab na jae kyonki mahatma aise hi chalte hain drishti niche karke ab dusre ka har to keval ek baan prithvi thodi dekhte wo to pura wo shikshit hai aur ye to aram se dekh ke aur ye itne tagde balvan hai ki agar kadam rok diye to tino ke kadam ruk gaye kyonki balvan hai pakde hue agar wo sambhal ke lambi tang mare to tino muhn bhara ho raja ragan ne kaha ai pramad hai palki dol rahi palki hil rahi hai ye unchi ho rahi hai karon ne dar kar kaha maharaj ki jai jai ho aap chahe to hamen dand de sakte hain par ham nirdosh [gala saaf karne ki aawaz] hai ye jo naya kahar aaya hai sara dosh isi ka hai maharaj hamara pramad nahi ham to niyam ke anusaar palki chala rahe hain.

yah naya kahar jo aaya hai ye bahut balvan hai. Yah jaisa hila dula deta hai waise palki hil dul jati hai. Yah jaldi-jaldi theek se hamari tarah nahi chal raha hai maharaj. Raja raghugadh ne socha sansarg dosh utpann ho jaega to phir sab mein dosh aa jaega. Isliye isko dand dena chahiye. Iska pratikar karna chahiye. Ye apni to chal bigad hi raha hai. Hamare aur karon ki chal bigad raha hai. Rog krodhit hokar yadyapi usne mahapurushon ka sevan kiya tha. Likha hai mahapurushon ka sevan kiya tha. Matlab kapil bhagwan se satsang karne ja raha hai to koi chhota mota thodi satsangi to kaun hai?

bharat ji ke dwara satsang prapt kiya hua. Dular prapt kiya hua. Thoda krodhit hokar ke vyang bhare vachan kaha ki naye kaha are bhaiya hamen lagta hai tum bahut duble patle ho kyonki bahut hashtapushta the vyang vachan hamen lagta hai tum bahut thak gaye ho accha accha tumhare saathiyon ne sahara bhi nahi diya accha aisa lagta hai tum pura bal lagakar akele palki dho rahe ho tumhara sharir to bahut patla hai motaja to hai nahi hamen lagta hai tum jawan bhi nahi ho. Budhapa ne gher rakha hai. Bar-bar tana marta jad bharat ji ke upar.

chup waise palki utha kuch nahi na mano sunai hi nahi diya. Bharat ji ki drishti mein jaise palki waise sharir panch bhauton se rachit palki panchbhuton se rachit sharir aur donon avidya ke karya aur bolne wala bhi avidya mein yukt isliye kuch nahi bole kintu palki ab bhi sidhi nahi chal rahi thi ab jaise kai kai jagah panch panch line chinti chalti hai aise mari chhalang to ye to kaho pakde chhed nahi to niche aa jaate palki ke Radha raghug ko bahut krodh aaya aag babula hue are yah kya tu jita hi mar gaya hai tu mera nirader kar raha hai mera ullanghhan kar raha hai malum deta hai tu pramadi hai jaise dand pani Yamraj ka dand nishphal nahi jaata aise main tujhe dand dunga tera ilaj karunga tere hosh thikane launga jad bharat ji le ek bar dekha ilaj to guru hamne tumhara kar hi diya hai ilaj to ho hi gaya hai tumhara kyonki tumko kandhe pe le liya pehle bhi kandhe pe liya tha aur ab bhi kandhe pe liya hai hamen teen janm lage ab tumhara ilaj pakka ho jaega anap sanap baten rahug unko bada panditya ka abhiman tha ki main bahut gyani hoon lahu gan ko.

jad bharat ji ne dekha ki kacchi buddhi aur muskurae aaj zindagi mein pahli bar bole maharaj bhar shri bhagwat rishik ji kahte hain ki bole na bole to hriday ki granth hi khole. Aaj pravachan shuru hai maharaj jad bharat ji ka. Tumne jo kaha sab yatharth hai. Jad bharat ji ne kaha main koi ulahna nahi de raha hoon. Kitna aho bhagya ki aaj zindagi mein aaj jad bharat ji bole nahi abhi talwar chalne ki sthiti mein bhi nahi bole aaj tak nahi bole maun aaj bole bhaar namak koi vastu hai to dhone wala koi hai hi marg hai to chalne wala koi hai motapan patlapan yah sab sharir ke liye hai atma ke liye to nahi na kya gyani jan aisi baten karte hain jaise tum karte ho kaise samjha rahe jaise beta ko samjhaya ye sthulta motapan krish patlapan adhi vyadhi bhookh pyas bhay kalay ichchha budhapa nind asakti krodh abhiman shok ye sab dehabhmani ko prapt hote hain.

atma swaroop mein nahi. Kya sundar baat kya sundar baat ye sab dehabhmani ko prapt hote hain. Atma swaroop ko nahi. Rajan tum jo kahte ho ki main tumhen dand dunga, mar dunga. Ye vikari padartho ko nirvikaar swaroop ko nahi mere swaroop ko nahi bahut jad bharat ji ki drishti aur vachan aur tatv ka updesh ab to raghug kud para palki se sashtang dandvat hua kyonki aisa koi brahm bodh sampann mahapurush hi bol sakta hai namo namah namo namah bar-bar charnon mein gir raha rahoge prabhu main aapko bar-bar namaskaar karta hoon.

bar-bar namaskaar karta hoon. Main samjh hi nahi pa raha aapke gyan ko. Vishuddh atma bodh. Aapne jagat ka udhar karne ke liye deh dharan kiya. Yogeshwar parmanand swaroop aap to bahut uchh koti ki avastha ko prapt mahapurush hai. Ek jad brahmin ka vesh dharan kiye hue nitya gyanmay swaroop ko jan sadharan ki drishti se ojhal kiye hue apne ko pagal jaisa dikhane wale he avdhut shiromani namo avdhut dwij bandhu ling nigun nityanubhway tabhyam main aapko bar-bar namaskaar karta hoon prabhu jaise pyase ko pani amrit jaisa mil jae aise aapki vani mujhe shital safalta pradan jaise jwar pidit ko theek aushadhi mil jae.

prabhu main dehabiman rup vishaile sarp se das liya gaya tha. Aaj aapke amritmay vachan aushadhi ka kam kar rahe hain. Maharaj jadabhrat ji ke updesh se agyaan ki granthi ka bhhedan hua rahag ka aur wo param pad ko prapt hua. Rajsha bharat ke vishay mein gyani jan aisa kahte hain [gala saaf karne ki aawaz] ki jaise Garud ji ki hod koi makkhi nahi kar sakti. Aise mahatma bharat ji ki hod koi raja man se bhi nahi kar sakta. Jaise Garud ji ki hod koi makkhi nahi kar sakti. Aise jad bharat ji ki hod koi rajsha nahi kar sakta.

unhone yuva avastha mein hi apni patni putr aadi sab ka tyag karke bhagwan ke liye sadhan kiya aur tisre janm mein bhagwat prapt mahatma hue. Jo maharaj bharat ji ka jad bharat ji ka pavan charit sunega uski akaal mrityu nasht ho jaegi. Wah akaal mrityu ko prapt nahi hoga. Uska yash badhega aur yadi wah bhagwan ka aashray lekar bhajan karne wala bane to moksh ya prem ko bhi prapt hoga. Jo jad bharat ji ke pavan charit ko sunega ya sunaega usko yadi koi anya kamna bhi hai to us kamna ki purti ho jaegi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi