ekantik vartalaap evam darshan #1213 · 23 march 2026
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha [gana gane ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha [gana gane ki aawaz] [hausla badhane ki aawaz] Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha [chikne ki aawaz] Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki samasth sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki satgurudev bhagwan ki jai stuti ji Gujarat se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ye prashn ham isliye pooch rahe hain ki bahut sare jane jo prabhu ke vidhan se koi patla hai, koi mota hai, koi kala hai, koi gora hai.
to maharaj ji waise hi inka prashn hai ki maharaj ji matlab log bahut tippaniyan karte hain ki main patli hoon aur yah hai aur usse phir mera man tut jaata hai. To maharaj ji aise hi bahut sare aise prashn ate hain ki main mota hoon to aisa to maharaj ji aise mein man ko are bhai hamen log kya kahenge ye hamen chodna padega. Kisi ka sharir karmu gora hai. Kisi ki ek aankh hai. Kisi ki donon aankh nahi hai. Koi kala hai. Koi patla hai. Jaisa hamara karmu sharir ho hamko is par kisi ki tika tippni par dhyan nahi dena chahiye.
bhagwan ki aradhna karni chahiye aur paryapt prasann rahna chahiye. Hamen bhagwan ne jitna diya, jo rup diya, jo sharir diya wo main nahi hoon. Bhagwan ne diya hai. Waise hi hamare karm ke anusaar hamen prasann rahna chahiye. Kuch log hain jo apne sharir ko lekar pareshaan rahte hain. Jaise aap pareshaan ho. Are kya ismen log hain kya kahe? Log kuch bhi kahe hamko apni masti mein mast rahna hai. Sharir ka mota hona, patla hona, sundar hona, kala hona ye koi khas baat nahi. Dil ka accha hona khas baat hai.
aap dil ki achchhi bano. Bhagwan naam jap karo. Bhagwan ki bhakti patla sharir to accha hota hai. Abhi mote dukhi ho jaenge marji aapne aisa ham ye ham ye kah rahe hain ki chahe patle ho chahe mote sabka sharir dukhdai hai. Aap accha bano aap apne ko accha mano. Dukhi mat mano. Ham aapki badhai karte hain. Khub naam jap karo. Bhagwan ko bhajan karo. Lekin maroge ye bhi baat jaan lena. Chahe mote sharir wale ho, chahe patle sharir wale ho bharoge. Iska naam mrityu lok hai. Kya sharir par prem karna? Kya sharir pe guman karna naam jap karo jaisa sharir bhagwan ne diya Radhe-Radhe vijay ji Jammu se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sant Kabir das ji maharaj ji kahte hain ki chidiya chonch bhar le gayi nadi na ghatiyo nir dan diye dhan na ghate kahi gaye das Kabir maharaj ji jaise dan karne se dhan ghatta nahi balki badhta hai to kya yahi baat bhajan par bhi lagu hoti hai jaise kisi ke kalyan ke liye agar apna apna bhajan dan karen to hamara bhajan badhega.
bole bhajan karo to bhajan ka matlab to samjho sab mein prabhu dikhayee de isi ka naam to bhajan hai. Shri Ram main sab jag jani karo pranam jor jug pani ye lalsa hi khatm ho jae tumhari. Ye jo lalsa hai is lalsa ko bhi mita do. Dusre ka kalyan nahi karna dusre bhagwat swaroop hai ye janna hai bahu naam janm navte gyanvan mam prapaddyate vasudevit sa mahatma su durlabh bahut janmon ki sadhna ke baad ye gyan prapt hota hai ki sab mein hamare shri bhagwan virajman hai sabke hriday mandir mein jab sab bhagwat swaroop hai to hamari drishti mein sab kalyan swaroop hai yahi bhajan ka phal bhajan ka phal hai jad chetan jag jeev jat sakal Ram main jaan bandh sabke pad kamal sada jopa ab dusre star ki baat ye pratham star ka uttar hai dusre star ka uttar hai ki ham bhagwat bhav to dekh nahi pa rahe jeev bhav dekh rahe ye jeev bade kasht mein hai.
yadi ham apna bhajan isko de dete hain, iska kasht nasht ho jae, yah sukhi ho jae, to hamare bhajan ki sarthakta hai. To sant jan jab apna bhajan dusre ko dete hain aur uska kasht dur hota hai to bhagwan ki un par kripa hoti hai aur bhagwan ke prem ko prapt hote hain. Wo palat karke kuch nahi chahte. Wo usko sukh dena chahte hain. Jo palat karke kuch chahta hai, wah sahi parmarathi nahi hai. Lene ki bhavna hi khatm ho jae usi ka naam paramarth hai. Jah na chah kabahu kachu tum san sahaj sneh bashu nirantar tas sur sur ra nij ga jaise raat din jo bhi seva bhajan banta hai wo ham apne deshwasiyon ko dete hain.
vishv ko dete hain. Kis rup mein dete hain? Vishwatma bhagwan ke rup mein sab svasth rahe. Sabki buddhi nirvikaar rahe. Sab shant aur aandit rahe. Badle mein kuch nahi chahte. Yahi chahte hain ki ham roz bhajan karen aur roz apne deshwasiyon ko dete rahe. Jab tak jivit rah apne desh ki seva karte rahe. Samaj ki seva karte rahe. Yahi hamen mil raha hai. Yahi hamen mil raha hai ki ham seva kar pa rahe hain. Yahi hamare hamari fees hai. Yahi hamari pees hai ki ham apne samaj ki seva kar pa rahe hain. Isliye ham bhajan ka dan karen.
badle mein kuch hamen aur mile ya aur hamara bhajan badhe to hamen bhavna karni chahiye ki jisko ham de rahe hain accha dena use kahte hain to dum vastu Govinda tyo samarp aapki di hui vastu aapko de raha hoon main data nahi hoon he Govind lene wale bhi aap ho aur dene wale bhi ho ek bar rahim das ji kuch ashiya bant rahe the to aise bant rahe the to ek vyakti ne pucha ki aapko to aankh mein aankh dal ke dena chahiye. Aap aankh jhukae kyon ho? To unka denhar koi aur hai. Det rahat din nain log bhram moh pe kare taso niche nain.
log kah rahe hain rahim das ji bant rahe hain isliye mere netr niche hain ki denhar to koi aur hai jo det rahe din rahan to apne ko data na samjhkar bhagwan ki vastu bhagwan ko de rahe hain bhagwan ka bhajan bhagwan ko samarpit kar rahe hain sarvottam bhav yah hai paramarth ka adhyatma ka par ji ek anya siddhant mein aapne bataya tha ki sadhak ko vardan aur shraap se bachna chahiye. Jaise kisi ko vardan dene ki bhavna tabhi uthti hai ki jab unko ham hamen karuna aa jae to vardan to maharaj ji wo siddhant sadhako ki koti par dipend karta hai.
haan jab tak bhagwat prapti na ho jae tab tak swayam pehle lage rahna chahiye. Pehle apni vrityio ko sudhar kar bhagwadakaar kar lena chahiye. Aur jab bhagwadakaar vritti ho gayi to ashirwad aur shraap aur vardan iska koi mahatva nahi rahta. Wo to ek khilwad rahta hai. Isliye pehle chhup ke bhajan kiya jaata hai aur bhagwat prapti ki jati hai. Phir samaj mein utra jaata hai. Phir lok kalyan mein utra jaata hai. Pehle apna kalyan karo. Pehle swayam gyan prapt karo. Pehle swayam bhagwat prapti karo. Phir age ka karya samaj seva wo khud bhagwan karva lete hain.
astha ji vilaspur Himachal se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji shastron mein ham dekhte hain ki sadhna ke marg par chalte hue kabhi-kabhi bade mahapurushon ko sukshm pareekshaon se gujarna parta hai. Jaise bharat ji ko hiran ke prati asakti hui. Wahin Ajamil ji ki katha hamen yah bhi sikhaati hai ki ant samay mein naam smaran hi raksha karta hai. To maharaj ji in prasangon ko dekhkar man mein bhay aata hai aur aashray ki avshyakta bhi anubhav hoti hai ki ham jaise nich jinka man sthir nahi hai ve aise kya karen ki hamara man antim samay idhar udhar dekho bhay use lagta hai jo guru ki sharan mein nahi hai.
Harivansh bhrose bhae nidar aur nit garjat Harivansh bal acharya aur guru ke bal par ham garajte rahte hain aur hamara bal banka bhi nahi bigad sakta koi ye hamen vishwas hai hamara koi bal banka bhi nahi kar sakta kyon ham asurakshit nahi hai samud aae sharan te darat na kal dar jo samjh ke sharanagat ho gaye wo kal se bhi bhayabhit nahi hote aur to aur jane do. Kya bigad lega koi? Kya bigad lega? Bigadne wala bhi wahi hai aur banane wala bhi wahi hai. Main usi ki sharan mein hoon. Yadi wo mujhe bigad ke rakhna chahta hai to main nachna ke bigadunga.
aur bigad ke rehunnga. He hari moso na bigadan ko toso na savaran ko toh moh padi hod. Kaun jo jite kaun do hare par badi na tod tumhari maya baji pasari vichitra sun muni mohe kaki kod kahe haridas tum hare ham jite tau na tod agar aap hamen bigadna chahte ho to ham bigadne ke liye tayyar bhayabhit kyon ho jaisa nachaoge vaisa nachenge ham aapke hath ki kathputli hai agar aap hamari ninda karana chahte to hamse se galat kam karva doge. Aap hamari prashansha karvana chahte ho to accha kam karva do.
ab main aapki sharan mein hoon. Nirbhay raho. Daro mat. Bhagwan kahte hain karo sada tinke rakhwari. Ji balak rakhe mahatari. Balak to gandi chij chuna chahta hai. Maa thappad markar balak ko god mein utha leti hai. Use bacha leti hai. Aise bhagwan apne sharanagat bhakt ki raksha karte vishwas karo. Koi tumhara bal banka nahi kar sakta. Seem ki chap sake kotasu ba rakhwal Ramapati jasu ye bharat aur Ajamil jaise prasang hamko dhandas banane ke liye savdhani ke liye prasang hai vastut bhagwan apne sharanagat ki raat din raksha karte hain bhaktan piche yo phirat jo bachra sang gay jaise bachra age age piche rati hui gay aise aur bhi adhik baat jahan jahan bhakt mero charan rakhe wahan wahan rakhun hath pache pache main peeru kabhi na chhanu saath kya bhay hamare hriday mein naam chal raha hai prabhu hamare saath hai hamara koi bal baka kya kar sakta hai mukh mein ho Ram naam Ram tere hath mein bande tu akela nahi Ram tere saath mein agar naam chal raha hai to naam hi hamare saath mein naam vani jahan Shyam shyama tahan aur jahan prabhu hai to phir kya dar phir kya dar jaise sinh aur singhini ke beech mein uska khelta hua chhana nirbhay rahta hai.
aise Priya pritam ki sharan mein rahkar ham sansaar se nirbhay rahe dare nahi. Agar hamen dar hai to iska matlab abhi bhagwan ki sharanagati mein kami hai. Nahi dar nahi. Haan dar is baat ka keval ki kahin bhagwan ko bhul na jae. Kahin vismaran na ho jae. He nath aapko bhulun nahi. Bas itni baat hai aur koi dar nahi. Aur to aap jo man ave so karao ab joi joi pyaro kare soi moh bhave yadyapi din par aap mere isht kah rahe ho raat hai to main raat hi boluga ki raat hai raat hai aap mujhe pareshani kya aap jo kaho joi joi pyaro kare soi are bas hamari samjh mein abhi aaya nahi bhagwat sharanagati pusht nahi hui daro mat ye ashiki hai ashiki hari se ashiki hai.
Krishna se ashiki hai. Yah koi sadharan nahi hai. Yah prem hai. Ismen mar ke chala jaata hai. Mar ke jivit mar jae. Ulat aap mein samae yah dilgiri hai. Jivit mar jae. Mar ke chala jaata hai. Aap ye mat samjho keval pravachan kar raha hoon. Har samay pag pag par vipatti hai. Pag pag par lekin mauj itni hai, masti itni hai ki wo kisi nashe mein masti nahi hogi, kisi pad mein masti nahi hogi, kisi dhan mein masti nahi hogi. Isliye bhagwan ka sharanagat kabhi bhayabhit nahi hota. Par yah jarur hai agar pyar ke marg mein kadam rakhte ho to mar ke chala jaata hai.
is marg mein jivit nahi chala jaata. Chadh ke main turang pe chalbo pavak may prem panth kathin hai sabko nibhat na prem aur swarth ki upasna mein antar hota hai mera ek kam ban jaiye ek alag upasna hai aur main aapse pyar karta hoon aap chahe mere tan ki dhajhiyan uda do chahe mere man ko jaisa malin kar do chahe nirmal kar do chahe ninda karao chahe apman karao nath main aapka hoon ye nirbhay ho gaye nishok ho gaye param pad ko prapt ho jaoge hamari baat ko keval samjh lo darne ki baat nahi wo sab mein samaya hua hai jab hiranyakashyap ne kaha aaj tak tera Ram tujhe bachata raha aaj bachhae to main janu tera Ram kahan hai to unhone kaha tumhare mein tumhari talwar mein is khambe mein jismen mujhe bandh rakha hai bola is khambe mein tera bhagwan hai ek ghase ka prhar karne ki cheshta ki.
aisa avatar bhagwan ne khmbe se liya. Tribhuvan kamp gaya. Narsin avatar bhagwan ne dharan kar talwar aur sab chhut gayi. Kanpne laga keval bhagwan ke sinhnath se. Ham unke das hain. Wo jo kan-kan mein virajman hai. Unko kahin ana jana nahi hai. Koi kan nahi aisa jahan prabhu na virajman ho. Ham bhayabhit kyon ho? Hamat isiliye hote hain ki hamen prabhu ki sharanagati pusht nahi hui. Prabhu ki mahima ko pata nahi. Prabhu ke bhakton ke sang se abhi hamari bhakti pusht nahi hui. Hamen darna nahi. Hamen nahi darna hai.
mujhe moksh nahi chahiye. Nali ka kida bana dena. Lekin Vrindavan ki nali ka kida banana. Rasikon ka charanamrit rasikon ki juthan paunga. Isse badhkar mujhe aur kuch kutta bana dena. Lekin dham ka bana dena. Bahar mat banana. Aapke rasikon ki charan raj padegi. Aapki vani, aapka naam, aapka gun hamare kano mein parta rahega. Hamen nahi chahiye paramp. Yah sharanagati. Kya prashn? Kya pareshani? Jab ham shri bhagwan ke hain. Koi pareshani nahi. Abhi ham log pyar ke path pe chal nahi rahe. Isliye pareshani mehsus ho rahi hai.
apne kalyan ki chinta hai. Kya kalyan ki chinta? Jab main aapki sharan mein hoon to meri chinta aap karo aur unke vachan hai anannya chinte mam ye jana parpasate tesha nityabhakta naam yogkshm vam jab wo kah rahe hain main yogam ka vahan karunga to tumhen shri Krishna par vishwas nahi hai chham mane jo prapt hai uski raksha yog mane jo aprapta hai usko prapt karana donon kamon karenge mera keval kam mein shri Krishna shri Krishna ratna Radha Radha ratna bas unki sharan mein pare raho aur naam jap karo sab theek ho jaega tejasvi Tiwari ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji man ki awaz aur antratma ki awaz ko kaise pahchane wahi awaz hai jo kahti hai mala karen phir wahi kahti hai tv dekho phir maharaj ji kaise pata chale ki kaun si dekho waise atma ki koi awaz nahi hamari baat samjhna antahkaran chaturshty hai.
antahkaran chaturshty hai. Ismen char hai. Buddhi, man, chitt aur ahankaar. Atma ka inke upar prakash par raha hai. Ye usi se prakashit ho rahe hain. Usi se chalayman ho rahe hain. Atma ki koi ichchha nahi. Atma ka koi agyaa updesh nahi. Atma ki koi awaz nahi. Dhyan rakhna andar buddhi mein do buddhiyan hai. Vibhishan ji ne Ravan ke samne varnan kiya. Sumati kumti sabke ur rahi nath puran nigam as kahani. Jahan sumati tahan sampatti nana aur jahan kumti tahan vipat nidana. To umti basi vipreeta vibhishan ji updesh kar rahe Ravan ko to hamari buddhi mein do buddhiyan hai.
ek hai achchhi buddhi jise sumati kahte hain aur ek hai gandi buddhi jise kumti kahte hain. Jab hamare man mein aaya ki yah karya ham karen yadi ganda karya hai aur kumti jordar hai to wo kah degi ki haan karo. Par sumati andar se kahegi nahi galat karya hai par jordar kumti hai isliye sumati ki baat na mankar wo karya kar baithegi aur yadi satsangi ho naam jap kar rahe ho achhche aacharan se chal rahe ho aapke man mein aaya ki ye galat karya karen to sumati jordar hai turant aapko bhayabhit kar diya jalane lagi hriday jalne nahi karna ab kumti andar se kah rahi kar lo to zyada accha rahega sukh mil le jaega.
matlab nahi agar koi phas gaye to aisa ho gaya to aisa ho wo itne tark rakh degi sumati ki man bhayabhit hokar kumargh se jaega nahi. Atma ke yahan koi role nahi hai. Yahan buddhi ka role hai. Sumati aur kumti. Man sumati aur kumti ke ishare par chalta hai. Jiski kumti jordar hoti hai uska man ganda hokar gande acharno mein badhta hai. Jiski sumati jordar hoti hai wo gande acharno se backar achhche acharno mein chalne lagta hai. To ye sumati aur kumti ka khel hai. Ismen atma tatv ke prakash se buddhi prakashit hai.
na ki atma ki koi awaz hai. Atma nirvikaar nirwikalpa wo tej swaroop mahan uska kya varnan karen uski koi chah nahi uska koi nirnay nahi nirnay buddhi sankalp vikalp man chintan chitt kriya ko sweekar karna aur bhogna ahankaar Om ji Bengal se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapne apne ek video mein kaha tha ki 8 karod mein jap karoge to prabhu ke milne ka sahyog hoga. Maharaj ji kripya batayen ki maharaj ji kah rahe hain ki aapko pana chahte hain to uske liye kitni sankhya jap karen maharaj ji ham to mile hue hain yar ham kab duri hai hamari shri ji se milne ke liye naam jap karo Radha dekho ham aapko batayen ek udaharan dete hain karodod ke chakkar mein mat pado ek udaharan dete hain do mahatma bhajan karte the ek peepal ke niche ek bargad ke niche to wahin se devra narad ji nikle to pehle bargad ke vriksh wale mahatma ne pranam kiya argh patr aadi se pujan kiya aur kaha devrshi narad ji se prarthna ki ki Maharshi aap kabhi-kabhi bhagwan narayan ke paas bhi jaate hain to kabhi meri charcha chalana ki wo mujhe kab milenge.
theek jab peepal ke vriksh ke paas se nikle to us kutia se nikalkar mahatma charnon mein unke vandna ki. Devrshi narad ji ke devrshi narad ji se pranam karke kaha prabhu se puchna ki wah hamen kab milenge? Donon ne ek hi prashn kiya sanyog vasa. Narad ji bhagwan ke paas gaye aur bhagwan se pucha to bhagwan ne kaha bat vriksh ke niche jo bhajan karta hai usko isi janm mein milunga aur jo peepal vriksh ke niche bhajan karta hai usko jitne peepal ke patte itne janm lena padega tab ham usko darshan denge. Narad ji ne socha lage hath bata dete hain.
aae to donon prasann hokar ke charnon mein pranam kiya. Vat vriksh wale ne pucha aapne pucha bhagwan unka ha bhagwan ne kaha isi janm mein tumhen darshan ho jaega. Wo bade aandit hue. Peepal ke vriksh wale se kaha ki tumhen bhagwan tab darshan denge jitne peepal ke patte hain utni bar janm loge tab wo nath para rone laga itna roya aur pukara he nath he karuna sindhu he patit pavan aap mujhe jante hain ki main aapka bhajan karta hoon he prabhu main to nihal bhagwan prakt ho gaye bhagwan prakt ho gaye aur peepal wale ko darshan diye.
wah bat wala kutia mein chala gaya tha. Devrshi narad ji ne kaha maharaj aapne to hamen jhutha sabit kar diya. Aapne to kaha tha jitne peepal ke patte hain utni bar janm lega, tab darshan denge, yahan to minute nahi hua, aap darshan de diye, bole jo bhav sthiti iski ani thi, itne janmon mein, wo bhav sthiti ek minute mein aa gayi. Isliye bhagwan ek minute mein mil gaye ek bar jin naam liye hit so hoe ati din tako sangan chhan hi dhruv apno kar leen karodon naam japak ek taraf aur aa bhav se pukar kar rota hua ek taraf to bahut jaldi bhagwan mil jaenge Kabira hansna chhod de rone se kar priti bin roye kin pya prem pyara mit ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro ro roro ke naam jap aur bahut jaldi bhagwan mil jaenge.
ye karodon ki sankhya mein ham kya sankalp karen aur kya vishwas karen sham tak jiyenge ki nahi hamen bharosa nahi. Ham kah de ham itne karod japenege to hamari murkhta hi hogi kyonki aaj sham tak ham jiyenge is baat par hamen vishwas nahi hai. Hamen abhi isi kshan bhagwan ko pukarna hai. Rudram rajan Krishna darshan lalsa bhagwan ke darshan ki lalsa ke liye ham roye tadpe bilkhe bhagwan mil jaenge. Ismen karodon ki ganna ki zaroorat nahi hai. Aur aise to chalte raho. Chalte raho janm janm muni jatan kara janm janmantar muni jan jatan karte rahte hain phir bhagwan ka smaran karke kahin mukt hote hain to japte raho lekin bhagwan ki prapti rud sum rajan Krishna darshan lalsa bhagwan ke darshan ki lalsa ke liye rona tadpna isi se bhagwan jis par bhagwan prasann hote hain to kya dete hain rona tadpna sisakna o ki jageer haan priyaju haan Radha haan haan kishori kab karuna karogi haan giriraj dharan haan Lalaju ha nand nandan ha Krishna kab miloge ye dete hain uska hriday
ar bhar ke jab pukarta hai bhav se to bhagwan ka sakshatkar ho jaata hai sumit ji karnal se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapne kaha tha ki agar sansaar priy lage to natak nahi karna chahiye byah kar lena chahiye maharaj ji ab byah kar liya to ab sansaar natak lagne laga hai maharaj ji phas gaya to natak hi karo na kya pareshani pati ka natak karne mein kya pareshani pati to prabhu hai wo patni jo prapt hui hai uske samne pati ka natak karo pati ke kartavya ka palan karo dharm purvak dhan kamao uski kamnao ki purti karo Radha Radha naam jap karo badhiya par ho jaoge hamen seva karni hai kyonki bhagwan ne di hai to aapko bhagwan ke patni parivaar parivaar rupi seva di use karo bhago mat jo bhagwan ke dwara diye hue seva karm ko chahe wo paddhikari ho vyapari ho kisan ho nokri wala ho imandari se apne kartavya ke dwara dhan kamae aur apne parivaar ka poshan karen aur naam jap kare use bhagwat prapti ho jaegi vishwas man lo vishwas man lo uchit brahmcharya ka palan karo aur naam jap
karo bilkul bhagwat prapti ho jaegi. Hamari baat par vishwas karo. Kai kai raniyaan thi. Bahut vaibhav tha. Lekin sarvshresht Ambrish ji bhakt kahe gaye ki nahi? Chakravarti samrat Ambrish ji aur bahut si raniyaan thi. Ek do raniyaan nahi. Lekin bhagwan ke charnarvind mein chittritti lagakar nirantar bhagwat aradhna mein rahne ke karan wo itne bade raja hote hue bhi Durvasa ji se shreshth unki bhakti nikli isliye ham grahasti ko chhota na mane ham jitne virakta hain paida kahan hue hain grihasth mein ham jitne virakto ke kapde kahan se ate hain grihasth se ham jitne virakta hain inka bharan poshan kahan se hota hai grihasth se ae grihasth mul hai mul mane jad grihasth mul hai har ashram har vyvastha ka mul hai agar hamko yagya karni hai to grihasth se bhandara karna hai to grihasth se mandir banana hai to grihasth se hamen samaj seva karni hai to grihasth aap wo grihasth hain.
haan ab sharab ki botal ladao mans khao parai bahan bitiya ki taraf gandi drishti rakho to narak jaoge chahe jo koi ho gande aacharan karoge to narak ki prapti hogi durgati ki prapti hogi yadi satdharma ke dwara kamae hue dhan se samaj seva parivaar seva kar rahe hain aur naam jap kar rahe ho to aapko nischit jaise ek virakta ko bhagwat prapti hoti hai waise aap grihasth ko bhagwat prapti hogi aap chinta na karen aapko anand purvak jie mauj masti se jie par gande aacharan na karen. Paap aacharan na karen. Naam na chode dharm purvak rahe.
subodh ji Mithila Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji vastav mein guru aur bhagwan mein kya bhed hai? Bhed hote hue bhi abhed hai aur abhed hote hue bhi bhed hai. Bhed hote hue guru parthiv panch bhautik sharir mein virajman hai. Yah bhed hai. Bhagwan ka sharir chidanandmay hota hai. Aur guru ka jo pragat sharir hota hai wo panch bhautik hota hai. Yah bhed hai. Tatv mein jo bhagwan hai wahi Gurudev hai. Guru sakshat param brahm tasmai shri guruve namah bhagwan ka deh prakriti ko adhin karke prakt hota hai. Aur guru ka deh prakriti ke adhin hota hai.
bhagwan karm bandhan mukt prakt hote hain. Aur Gurudev ka sharir karm bandhan yukt hota hai. Kyonki kidney phayl ho gayi, cancer ho gaya. Chahiye. Ye sab karm bandho ka hi to hai. To abhed hote hue bhed sharir ko lekar aur bhed hote hue bhi abhed tatv ko lekar tatv rup mein gurur brahma gurur Vishnu gurur dev Maheshwara guru sakshat param brahm tasmai shri guruve namah bhagwan se bhi badhkar hamare Gurudev hain. Kyonki bhagwan hamare bhi hriday mein sabke hriday mein har janm mein rahe aur aaj tak kalyan nahi hua.
hamari durgati hi hoti rahi aur jab wahi hriday wale bhagwan guru rup dharan kiye aur ham unke charnon ka aashray liya aur unhone updesh kiya to maya mal ka nash ho gaya. Moksh mulam guru kripa unhin ki kripa se moksh ho gaya. Kalyan ho gaya. Bhed hote hue bhi abhed aur abhed hote hue bhi bhed. Yadyapi bhagwan hi Gurudev ke rup mein hai. Gurudev hi bhagwan hai. Koi bhed nahi par pragat mein itna bhed hai. Shri Radha vallabh lal ki
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…