॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Radha naam aur mantr ka adbhut prabhav / janiye kaise isht se asakti sare dukh mita sakti hai // 21/03/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvapay param shital ma Shyam param shital maya aisi to vichitra jo bani aisi kahun dekhi suni na bhani aisi kahun dekhi suni na bhani aisi to vichitra jori bani manhu kanak suda kari kar deh adbhut thani manohhu kanak suda kari kar deh adbhut thani shri haridas ke swa Swami Shyam tamal uchhangi baithe dhani aisi to vichitra jori bani aisi kahun dekhi suni na bhani upasak apne aradhya dev ke charnarvind ki priti prapt karne ke liye aise kabhi sang ka aadar na karen jo tark aadi ke dwara apne aradhya dev mein ashradha paida kar kar de.

bahut savdhani ki zaroorat hai. Apne Vrindavan ras ki upasna yah atyant durlabh vishay hai. Yah bogi aur yogi donon ke liye bhi agamya vishay hai. Jo keval vishyon ki maang usi ki purti wahi jeevan ka sukh wo becharey kya jane ki vairagya mein kya sukh hai gyan mein kya sukh hai arthat rag rahit hokar swaroop sthit hone mein kya sukh hai ya rag rahit hokar prem mein kya sukh hai yah jaan hi nahi sakte. Isiliye aise log prayah agar bhagwan se judte bhi hain to kuch samay baad unki ashradha ho jati hai kyonki bhari dhairya ki avshyakta hoti hai is marg mein.

yah hriday ki baat kah raha hoon. Jaise kisan apne kheti mein bij bokar dhairya dharan karta hai. Wah samay par ankurit hokar bahar aa jaata hai aur kisan aandit ho jaata hai. Meri fasal jag gayi. Aise hi naam rupi bij hriday mein dal rahe hain. Bar-bar hamko khod ke dekhne ki zaroorat nahi ki ankuran hua ki nahi. Nahi to bij asfal ho jaega. Jo aap naam jap kar rahe hain vishwas kijiye yah param sukh pradan karega. Sare dukh mita dega. Par aapko dirgh kal tak naam jap karte hue dukh sukh ko sahna hoga. Agar yah siddhant samjh mein nahi aata to adhyatma ki thodi jalan na sahne ke karan mahan jwala dava nal bhadak raha hai sansaar mein.

ismen jalna padega. Jahan kahin bhi nistar nahi hai. Ismen thodi si jalan hai. Isko sah jaoge to mahan sheetalata ka anubhav kar loge. Ate hain navni nikunj mein. Aaj bahut sundar shripad swamini ji ke mantr naam aur rup aradhna ka varnan karte hain. Aste Vrindavan van katra gam nikunje kachit devi madhur prakti [gala saaf karne ki aawaz] durwityubhava kritjalya vinym divya gandh pras shyama parichar parikam bhyo namtam ye jo main tumhen batane ja raha hoon aaj shripad kah rahe hain. Yah bada gadh bhav hai.

pehle kah diya ye agam nigam puran agochar sahaj madhuri rup nidhi ise tum praman nahi de sakte ho. Pujya shri ruplal goswami ji jis samay unki mahima prakashit hui to vartman kalin us samay ke Jaipur ke raja ne kaha ki ham sunte hain aapke upasna mein vrat nahi hai. Grahan nakshatra nahi mante aap. Aap vaidik siddhant ko nahi mante to aap pramanit kijiye akar ke ki aapka upasna ka marg shastr sammat hai. To unhone ek patr likh ke bheja ki shriman kya aap hamare ras ke granthon ka kabhi swadhyay kiya hai?

kaha nahi ham keval vaidik siddhant ko jante kyonki hamare yahan bade-bade brahmin virajman rahte hain. To kaha phir asmarth hain ham aapko apna siddhant samjhane mein. Alaksham Radha nikhil nigam rapat Ram rasam bho sharam kimpumaram vijayate ved bhi jiska lakshya nahi kar pate hain alaksham radhyam wo hamari shri ji hai jinko Radha kaha gaya jinki aradhna swayam shri Krishna chandra ji karte hain shripad kah rahe hain nigun bhav hai ye bina ras rasikon ki kripa ke Vrindavan raj ki kripa ke maharani ji tak nahi pahuncha jaata.

koi ek ishara kar rahe koi ek wo kaun hai ek jo pahunch pata hai? Nabha ji bhi maharaj kah rahe hain shri Harivansh gosai bhajan ki sakrit riti ko jaan sakat koi birla aur mahapurushon ne varnan kiya jo kaho Harivansh ras birlo samjhanhar ek doi jo pai khoji sab sansaar ismen ek do kaun ate hain wo vidvan honge gyani honge bade bhagat honge yahan aisa nahi yah andar ki baat aapko kah raha hoon. Yahan keval samarpan ki baat hai aur samarpan prayah nahi kar pate. Apnatwa mahatva akankshaen ye sab bani rahti hain. Anyatra hamari shri ji ko sirf apnapan chahiye.

avgun kare samudra sam ganat na apno jani [gala saaf karne ki aawaz] aur rai ke sam bhajan ko manat Meru saman isse pata chalta hai ki anya yogyataon ki yahan hamari pyari ji ke samne koi bhi pratap nahi chalta ki tapasvi tejasvi jitendra buddhiman aadi aadi ek baat chalti hai yahan main bhori meri bhori kishori ab jaisi hoon main aapki hoon bas dhairya purvak dhairya purvak ye baat abhi upar kah rahe the ki koi samjh nahi pa raha hriday ki baat yah jeevan ka lamba safar hai. Yah ugtae hue purush ko yog prapt nahi hota.

aisa tum man lo ki ab hamko paramarth mein hi jeena hai. Dukh ave, sukh ave, labh dikhayee de, hani dikhayee de. Jaise pativrata apne pati ka varan kar leti to swabhav ka kaisa bhi ho nirvah karti hai. Bas aisa kuch manna hoga. Hamen koi anand nahi mil raha. Hamare koi vikar nasht nahi ho rahe. Hamen koi labh nahi dikhayee de raha. Par ham chhod nahi sakte. Aapko ham narak jaenge. Aise lakshan hai hamare par ham aapko nahi chhod payenge. Jit gaye. Hamari baat samjh lena. Agar samjh pao to agar yah baat hriday mein baith gayi na ki maharani ji ke siva hamara nistar hamara kalyan hamara param hit ab aur kahin nahi hona kyonki ham kisi kabil nahi ab ham maharani ji ko nahi chhod sakte bas itni baat hamen chahiye ham aapse jitendra hain manonigrahi hain bane rahie hamare yahan keval apnepan ki maang hai aapki aur sab kuch aap ho sakte hain lekin apnapan nahi de sakte.

mat tat sutdar dar deh mein mati arujh hai mati manda aur hit kishor ko hoe chakor tu lakh Vrindavan sidhe lakh Vrindavan chanda ekmatra priyaju ka aashray adesh vidhan sab kuch sweekar grih tyag kara rahe hain acharya charan putr patni vaibhav sammaan tribhuvan pujit adesh hota hai ki Radha vallabh ji ko un do sakhiyon ko prashnavachak chinh nahi aaya ki prabhu abhi to tyag ke hi aa rahe hain. Kya kahenge devwan wale ki hit Harivansh mahaprabhu yahan to grih tyag kiya accha kahin spharan bhi nahi hua kyon joi joi pyaro kare soi mohi bhave aaj usi vansh se unhee aradhya dev se lakho ka nikunj mein pravesh hua ho raha hai age hota rahega Nityanand mahaprabhu balyvastha se languthi wale param vairagi digambar avdhut kaisi-kasi sthitiyan mahaprabhu chaitanya dev ne adesh kiya aapko vivah karna hai aur aisi santan prakt honi hai jisse lok mangal hoga dobara prashn nahi kiya ki aap grihasth se virakta mein padarpan gaya aur yahan balyvastha se virakta abgrihastha ki agyaa sarkar ye kaisi agyaa kabhi prashn nahi kiya naam japak hai mar mar ke khal khinch di gayi unke hriday mein prashn nahi hua ki aisa vidhan kyon banaya hari bahut vichar karne par upasak ko bahut dhairyvan hokar ke is marg mein chalna hai aise aise chala jaata hai.

yah marg aise chala kuch pakdna mat to wo aapko pakar lenge. Giroge nahi. Kyon main prashn uttar ye sab nahi jiska hriday aradhya dev ke charnon mein samarpit ho jaata hai. Wahi iske rahasya ko janta hai. Ye sab sadhan ek prakriya hai. Agar prabhu se apnapan nahi hua to koi khas baat nahi. Sadhan ka koi khas sadhan ka sab sadhan kar yah phal sundar prabhu pad pankaj priti nirantar abhi kaise vishay purushan ko samjh mein aayegi bahut sulajhne ki zaroorat hai nahi jeevan vyarth chala jaega durwkanu bhav yukta devi nikunj devi shri swamini jo bade bade-bade tarkikon ke bhi tark se pakar mein ane wali nahi hai.

jaise vedant darshan tark ke dwara shraddwan tark karen to uske dwara wo sthaapit hota hai. Kah rahi yahan nahi yahan sidhe swikrati karo meri maharani shri Radha rani to aapke hriday mein bal prakt hoga. Jake bal mein sabso tori lok riti aur ved riti donon se jake bal mein sabso tori lok ved aur kul ka lok riti ved riti kul riti in sabka tyag karke ras riti mein pravesh paya jaata hai. Kiske bal se meri maharani shri Radha rani jake bal mein sab sori lok ved kulkani meri maharani shri Radha rani ye tark ka vishay nahi yahan swikrati ka vishay hai ab upasna bata pehle to ye kah rahe hain ki yah bahut nigun bhav hai ise ved pramanit bhi nahi kar sakte aap shraddha aur vishwas karke rasik ki baat man lo.

yahan tark vitarki ki koi gunjaysh nahi hai. Yah bhav desh hai. Yah tark desh nahi hai. Ab hamari swamini jo keval hath jodne matra se prasann ho jati hai. Itni karunamay isiliye lal jo maharaj jab seva mein pravesh hote hain to aise pravesh hote hain. Karbaddha bahut kripalu hain. Dayaluta ki saralta ki murti hai swamini jo jo bade-bade siddhanto ki rachna karke updesh karne wale aur unke phal ko dene wale prabhu hain. Yah unke adhin hai. Pyari jo ki ek bhakuti ke ishare se ghor papi ko bhi wah pad prapt kara denge jo badi-badi sadhanao se nahi milta hai.

vishwas kijiye. Aapko lagega keval baten hi hai ki praman bhi hai to narvahan ji koi bhi sada aacharan nahi tha. 84 kos braj mandal ka murdhanya raja jara bhi braj 84 kos mein unke khilaf ya unki adhinta na sweekar karne par prandand milta tha. Sidhe prandand koi kshma yachna nahi aisa unka swabhav aur prabhav tha. Mahaprabhu Harivansh chandra jo Radha vallabh lal jo palki mein virajman rasik janon ke saath gun kirtan naam kirtan jai jaykar hote hue aae aur lata bhavan mein virajman kiya. Sevkon ne suchna di ki koi mahan tejasvi purush abhushan aadi lekar ke apne isht dev ke saath padhare hue hain.

par unka tej aisa hai ki ham logon ki himmat hi nahi ki unke samne ja sake. Yah aapse nivedan karte hain. Narvahan ji ne vichar kiya ki aisa kaun tejasvi braj mandal mein jo hamare agyaa par krur hinsa kar dene wale kathor hriday wale bhi bhay dharan kar rahe hain. Samne nahi gaye. Ham swayam chal ke dekhenge. Ek bhagvatik abha hoti hai. Ek bhagvatik bal hota hai. Wah jis par kripa honi hoti hai usi ko anubhav mein aata hai. Jaise apne Gurudev bhagwan ke paas jab jaate hain to ek bhagvatik bal wahan sthaapit hai. Wo shayad hai ki ladli ji ki kripa se aapko dikhayee dega.

rom rom us samay bilkul alert rahta hai. Savdhaan ek adbhut ki jab Gurudev shri ji ko dekh rahe hain to ham Gurudev ko dekh sakte hain. Lekin jab Gurudev hamari taraf dekhenge to hamari himmat nahi ki ham dekh sake. Netr jhuk jaenge aise. Wo ek adbhut bal hota hai. Narvahan ji par kripa honi thi. Hit jo maharaj kisi bhi bhav se koi ave to usko shri ji pradan karte hain. Itne adbhut data hain. Mahima teri kaha kahun shri Harivansh dayal tere dwrae batat hai sahaj ladli lal. Bada vichar kar raha tha.

kaise honge? Kya prabhav hoga? Jab darshan karne ke liye aae to himmat nahi padi samne jane ki. Lata bhavan ki oth se dekha jaise Priyaju ke netr aise hitju maharaj ke netr atulit ras barsat sada sukh nidhan vanvas adbhut mahimam pragat sundarata ki raas sundarata ki raas kanak dati deh ruchi jaise swamini jo ki shri ang ki kant sat Kumbh tan gori aise hit sajni swaroopa mahaprabhu prabhu Harivansh chandra jo ki azaan bahu kamal nayan sundar nasika sundar thodi yugal charnarvind pan kiya aur bas unmattata chhaa gayi abhi Radha vallabh ji ko dekha hi nahi tha keval mahaprabhu ko dekha tha bas hriday mein baitha liya wahan rasik jan kirtan kar rahe the Radha vallabh shri hariv shri Vrindavan Shri vachand baitha liya Radha vallabh shri harivant Radha vallabh shri Harivansh yah naam japte hi kuch dino mein aisa lagne laga ki main bahut adham hoon.

ab nahi karunga. Apne hath se kisi ki hinsa nahi karunga. Kabhi chori nahi karunga. Kabhi kisi se kar nahi lunga. Aisa aur ek tarah se param vairagi hokar rah rahe. Par karyakram unka wahi chal raha hai. Unke anugami janon ne ek jaini vyapari ki badi nauka ko roka aur kaha yahan se nikalne wale ko kar dena parta hai. Uske saath kai 100 sainik balvan the. To sainikon ke bal ke karan usne kar dena aswikar kar diya. Yuddh hua. Samasth sainik mare gaye. Jaini ko bandi bana liya. Puri sampatti nav ki hadap li.

chhoti-moti nav nahi jismen aath nau se sainik suraksha mein ho to kitna aishwarya hoga. Pehle navon se hi vyapar hota tha. Nauka puri japta kar li gayi. Usko bandi bana liya gaya aur usmen jo mukhiya the kyonki narvahan ji to Radhavallabh shri Harivansh atho pair jap mein lag gaye the. Kaisi asim kripa hui thi. Pehle darshan mein hi lut gaye the. Ab wah kaise lutenge? Unke anuyayiyon ne us jaini se kaha ki agar aap jitni sampatti hai itni dobara nahi mangate hain to aapko phansi ki saja di jaegi. Utni sampatti uske paas thi nahi.

dhire-dhire phansi ka samay nischit ho gaya ki kal phansi di jaegi. To raat mein 9 10 baje swayam bhog lekar ke ek dasi gayi aur usse kaha ki tum savdhaan kal tumhari mrityu ka din hai. Ro para mera kya aparadh? Unhone kaha yahan aparadh nahi gine jaate. Yahan koi nirnay nahi hota. Mare jaoge kal tum. Uska koi upay bachne ka. Bole ek upay hai ratri ke 12:00 baje Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh jor se ucharan karna mujhe pura vishwas hai yah naam tumhen bacha lega are to marne wale ko jaise sanjivni buti mil jae thodi hi der ke baad uchh swar se shuru kiya Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh wo awaz narvahan ji jahan ekant mein jap kar rahe the wahan pahunch are ye to aparadh ban gaya.

mere guru ji ka koi shishya bandi bana liya gaya. Tatkaal gaye khulwai jail andar gaye. Hath joda pranam kiya aur kaha mujhe kshma karna. Mujhe pata nahi tha aap hamare guru bhai hain. Apne sainikon ko bulaya aur kaha tatkaal puri sampatti di jae aur adhik sampatti inko di jae. Unse hath jodkar kaha kabhi guru ji ke samne yah charcha mat chalana ki aapko is tarah se pratdit kiya gaya. Aaj se bilkul adesh lagu ho jaega. Kuch kisi ke saath aisa nahi hoga. Nahi to bahut badi galti ho jati. Jahan usko phansi ki saja milni thi.

wahan naveen vastr dharan karakar sari sampatti uske man mein aaya ek bar to unse milun. Jinke naam ke bal se mujhe sammaan mila jahan mrityu milne wali thi aur vyapar mein jo labh milta usse adhik dhan mil gaya unka mul to mila hi aur bhi sampatti narwan ji ne di is baat ki ki mera guru bhai hai lata bhavan mein aae pata laga ke mahaprabhu ke darshan ki sari sampatti bhet ki mahaprabhu ne kaha nahi aap iska prayog swayam kijiye aur kahin laga dijiye hamare Radha vallabh lal lata bhavan mein virajman hai. Hamen itni sampatti ki zaroorat nahi.

par aap dena kyon chahte hain? To unhone kaha aapke naam ke karan mera jeevan bach gaya. Puri ghatna bataai. To main to nahi janta narvahan kaun hai. Mahaprabhu ko itni karuna uday hui ki keval Radhavallabh shri Harivansh naam sunkar aisa bulawa kahan hai? Ab narvahan ji ko bulaya gaya to kampte hue aae ki pata nahi ab unke hriday mein to tha mere Gurudev Harivansh chandra jo mere isht Radha vallabh pata nahi Gurudev kya dand vidhan karenge kyonki galti ho gayi samne gaye mahaprabhu ko dekhkar ro pare aisa saundarya aisi karuna mahaprabhu ke swaroop se charnon mein gire mahaprabhu ne kaha narvahan aaj tumne kharid liya mujhe.

ab unko atambal prapt hua. Unhone kaha tumne kabhi hamse diksha nahi li. Kabhi aisa sang nahi kiya keval sunne matra se. To dekho main tumhen apne nitya vihar ka sarvasv pradan karta hoon. Vilas ras aur raas ras. 11wa pad vilas ras ka hai. Manjul kal kunj desh Radha hari vishad vesh raka nav kumud bandhu shrad jamini saval duti kanak ang birat mil ek sang ye vilas ka pad hai aur 12wa pad chaleh radhike sujan tere hit sukh nidhan raas rach Shyam tat Kalind Nandini iske akhri narvahan prabhu nihar lochan bhari ghoshna nakshik saundarya kam dukh nikandni dekh hamare Priya pritam kaise hai jo anant janmon ki sadhanao se bhi nahi banta kshan mein mahaprabhu ne wo baat ham aise acharya ki sharan mein hai jo karuna samudra ladli ka sakshat swaroop hai.

hamari shri ji aur hamari hit sajni jo ek hi hai. Aap dekho siddhant vichar mein dhruvdas ji kahte hain tahan shri ke shri mukh ki vani shri ji ke shri mukh ki vani hit ji ko sambodhan karte hain ta shri ji ke shri mukh ki vani ye gadh vishay hai acharya kripa karen rasik jan kripa karen to ghor papachari ko bhi nitya vihar ras pradan kar de hamari swamini jo badi kripalu hai hath jodkar namaskaar karne matra se hi prasann ho jane wali priyaju hai. Kya karo? Bole nikunj devi ki seva virajman karo.

nikunj devi priyaju ki seva priyaju ye naam seva Radha naam seva Radha vallabh rup seva ye Priyaju hi hai. Radha hi jahan ki vallabh hai. Yah hai prem upasna. Yahan ki vallabh kaun hai? Pritam kaun hai mere prannath shri shyama shpath karo tan chhie raho ko kahu man liye hamari Priya ji ko Shyam varn bahut pasand hai pritam ke shri ang kant ke karan to shripad kah rahe hain yadi Shyam varn ka pushp aur Shyam varn ke gandh ka ale kasturi priyju ko bahut priy Shyam shyama mave parichar parikam bhyo namtam krijalyanti suvinyam divya gandh prasun sundar pushp Shyam varn ka ho Shyam kamal ya aur bhi Shyamta liye hue bahut priy hai priyaju ko kasturi aadi ka lepan aur sugandhat dravy aadi arpit karke hath jod jud ke hriday se apnapan karke parikram mein char parikrama karke bhuyo namtam bhumi mein mastak rakhkar ke namaskaar kar do to swamini jo apna sarvasv prem pradan kar deti hai.

bahut karunam mein aisa kuch nahi likha jo sab koi na kar sake. Grih mein apne swamini ji ki seva virajman karo. Radha naam Radha vallabh rup Gurudev acharya ye sab swamini jo hi hai acharya bhi swamini jo hai Gurudev bhi swamini jo hai jaise hit jo maharaj ko sevak ji kah rahe hain mam swamini dhani meri swamini aise hi acharya hi Gurudev hai to Gurudev mam swamini Gurudev mam swamini acharya mam swamini isht mam swamini koi antar antar nahi hai. Seva virajman karke hamari ladli jo ko sabse zyada jo pasand hai wo apnapan pasand hai.

yah andar ki baat hai. Meri ladli dekho apne jaise adham ke paas to seva ke liye kuch tha hi nahi. Itr bhi maang ke Gurudev bhagwan se late the. Wahi itr bhi dete the apne paas. Keval Gurudev hi the apne paas keval Gurudev hi the hain rahenge jo hai wo Gurudev ka diya hua hai andar aur bahar bhi itni mishri ka bhog lagta tha jo Vrindavan ke pushp wo samarpit aur sabse badi baat kripa ki yah thi ki parda laga ke aur jab mishri itni rakhte the tab rudan hota tha swamini ji aapke liye kuch nahi hamare paas aur ham jaise hain aapke kabhi-kabhi roti maang ke jo sukhi mili wo samne aise raj ke patr mein rakh ke jab dikhate the to jo bhog lagta tha ham tumhen kaise batayen ki roti rakh gayi aur ghanto aise baithe hain bhav utsaven bhajta raska hamari priyajon ko are vaibhav kya vaibhav jinka hai wah to unke mahawar lagate hain aur kaun sa vaibhav Priya ji ko pasand aayega jinka vaibhav hai wah to mahawar lagane ke liye yachna karte hain unko kaun sa vaibhav bas namaskaar Priyaju ko mastak rakhkar bhumi par hath jodkar aur jo priyaju ko pasand hai Shyam yadi aapke paas Shyam pushp nahi hai, Shyam mrigmad nahi hai, kasturi to Shyam sundar ka naam aur gun to hai.

sunao unko Govind katha Govind naam kirtan pyari ji ko bahut priy hai. Jab aap sunaoge na gopal sahasra naam Shrimad bhagwat ke shlok jinme rup madhuri shri Krishna chandra jo ki ya jo mahan rishikon ke kyonki spasht samjh lijiye mere tan man pran hote pritam priy muko to bhavati thor pyare ke nainan mein aur khas baat nand ke lal har man mor bas ye hai hamari shri ji ki puja agar samjh pao pakar pao shri ji ki puja ye hai to bole Shyam varn ke pushp aur kasturi aadi arpit karke char parikrama karke agar aapko kutia mein aisa vidhan nahi hai ki aap parikrama kar sake to aap yahan kar lijiye char parikrama Radha vallabh ji ki char parikrama kar lijiye ya apne thakur ko aisa simhasaan rakhiye ki seva ke baad aisi jagah virajman kijiye jahan piche se parikrama kar sake.

bada mahatva hai parikrama ka. Puja ki purnata parikrama se hi hai. Kah rahe hain parikamyo aur phir bhu namatwam char parikrama karke bhumi par mastak rakh ke stri sharir hai to panchang purush sharir hai to sashtang ye bahut pehle adesh ho chuka tha shri ji ki prerna se ki har sadhak 11 21 51 108 jitni sharir mein samarth hai dandvat karenge to ye to sakhi bhi kar sakte hain pragat jinka stri sharir hai panchang kiya phir khade ho gaye mantr japa phir pranam kiya panchang phir khade ho gaye panch sat 11 ye to kar hi sakte hain na isse nischit aap dekhna bahut anand ka marg hai shri ji ki char parikrama accha seva aap sab aap nahi kar rahe to darshan kar rahe hain na sab sammilit hai seva mein nikunj mein seva kaise ek sakhi patraavli laga rahi hai to shastron sakhiya tanmay ho rahi hai usi patraavli to sabki patraavli ki seva ho rahi hai.

ek pan ki bidi pawa rahe. Sab tanmay ho rahi to sabki bidi seva ho rahi hai. Ye antarik vishay hai. Age jab man pavitra hokar seva mein jaega to aap dekh lenge. Usmen thoda hota hai ki maine patraavli nahi ki tu hat main patraavli karungi. Kal tune ki thi. Aisa nahi sab sakhiyon mein ek hi man hai. Agar ek priyaju ko chvar kar rahi hai to ananton sakhiya chvar kar rahi. Yah baat tab samjh mein aayegi jab wahan pravesh hona par man lo sun ke ye sunne ko hi mil raha hai badi durlabh baat hai shripad age jo kah rahe hain chhip divyahar nishka kostabhadi chandrikam gandh lip vaksha aat radhikang pallavam Radhika vichitra vesh bhushnad tatparam radhyabhingat rom vigraham ang ang se rup kant prakashit ho rahi hai hamari swamini ji ki parashwa mein virajman kaustup mani dharan kiye hue shri lal jo maharaj aur pallavon se akshadit lata bhavan mein aur pallavon ki saiya mein jo hamari Priya jo virajman adbhut veshbhusha Shyam tamal ke samip mano kanchan beli lipti hui ho aisi gun swaroop wali priyaju labdham bhajan vibhav chak chor nishthe bahut jor ki baat kah rahe chori chori bhajan karna sikho shri kah rahe chor nishthe nish kahte hain ardh ratri ko 12 baje chor ka program 12:00 baje se shuru hota hai.

nahi hota kyonki 12 aur do ka jo samay hota hai ismen sab beshuddh hone lagte hain. Char tak to jisko nind na aati ho to do se char ke beech mein aa hi jaegi. Aur yahi hota hai bhajnanandi ka bhajan ka samay. 12 sa 12:30 ismen dincharya prarambh ho jati hai. Aath aur nau ke beech mein shayan bhaiya kamane aae hain yahan over time bhi karna hai sab so rahe hain aur us samay jab ho raha hai lanam bhajan vibhav apne Gurudev bhagwan ki dincharya kafi samay tak jab wahi rahe tab dekh paye seva to bahut varsho mein unki kripa se saubhagya mila nazdik rah ke lagbhag wo do dhai baje shayan karte the aur 4:30 baje dincharya prarambh ho jati thi abhyaas to 2 baje ka purv ka tha hi jagne ka apne ka jaise 12:30 ek baje uthe to dekha shant baithe to are Gurudev is samay baithe hue jahan dhai teen

baje 4:30 baje 100 la kya jeevan ko kaise Priya ke charnon mein samarpit kiya jaata hai gurujanon se samjh mein aata hai kabhi koi bal bhog kabhi kabhi koi byahula koi utsav 20on varsh nahi ye sab yahan ho raha hai wahan darshan koi guru ji ki shri ji ki nahi sambhshan nahi aankh utha ke dekhna nahi ye paas rahkar ye ab jo hai na to barsant mein sahjadbhut saukhya dharm sahaj mein sukh varsha kar rahe hain dekh rahe hain sambhshan kar rahe hain aarti kar rahe hain sab darshan kar sakte hain pravesh nahi lam bhajan vibhav chor nishte adesh kar rahe hain hamari shri ji ka bhajan chor chor karo chor chor chori chori koi jaan na pave ki aapki kitni unchi avastha hai bhajan ka swaroop samjho andar hi andar aapke aag jal jae bhajan karne ki jitna nind ko kam kar pao dheeredheere aisa wo kam karna nahi mana jaega ki satsang mein so gaye mala chalate samay so gaye phir ye theek nahi ye vikshep nahi hona chahiye jis samay se jage to bas jage phir jhapak nahi ani chahiye tab mana jaega ki aapka abhyaas theek hai ab udhar to aapne tod diya nind apni aur idhar

puri kar rahe ho to fayda kya hua todne ka satsang mein nind puri kar rahe ho kirtan mein nind puri kar rahe ho aur aap to yah upasna mein aisa theek nahi hai. Utna aap soie jisse jagne ke baad phir aapke jhaatke na lagne pave. Theek right time pe bina kisi alarm ke pure jeevan mein uthne ka swabhav banao to waise hi uth jaoge. Wo ghadi dimaag mein chalti hai apne aap. Panch minute nahi kahte age piche nahi do yadi aap isi janm mein us maha prem ras swamini ko prapt karna chahte to adhi raat ko utho nishe aur chorau chor ki tarah chupchap cura ke bhajan karo jaan na pave koi ki bhajan aisa tumhara chal raha hai tab anand aapke andar prakt hoga vibhav bhajan vibhav bhajan ka vaibhav prakt ho gaye.

dekho na kar yahi anand lene ke liye uthe ho jo tumhen uthaya gaya hai prapanch daldal se tabhi kah kahe ko badi durdasha hai. Ek swatantrata divas mein rashtrapati ji jail mein padhare. Sab kaidi samne aae. Aaj main bahut khush hoon. Maang lo tumhen jo mangna ho. Ek uthe sir [gala saaf karne ki aawaz] sardi mein ek kambal milta hai. Do mil jaenge kya? Paas do kambal aaj se har kaidi ko sardi mein ek uthe nahane wala sabun bahut ghatiya aata hai. Accha mil jaega kya? Paas aise sab ne apnipani maang ki. Ek utha kaha shriman ji aap apne shabd par sthit hain.

haan jo mangenge to aaj swatantrata divas hai aapne kaha denge to sir mujhe jail se mukt kar do bole mukt kar do ise sab bole nahi nahi hamko bhi mukt bole nahi tumhen sabun chahiye na jail mein rah ke tumhen kambal chahiye na ham log aise hi hain hamare prabhu ne avsar diya sadhu sang satsang chalo satsang ka phal kya hai bade bhag pai satsanga vinay prayas ho bhanga to yahan yahi maang rahe hain isi jail mein sansaar rupi jail mein hamara mukadma jit jae hamari nokri lag jae hamari patni hamare anukul ho jae beta ho jae jail mein koi ek kahta hai ki mujhe sansaar se mukt kar do hamari durdasha wahi tihad jail mein gaye hue rashtrapati wali hai ye rashtrapati se ham maang rahe hain to jail ke andar hi rahne wali baat maang rahe yah nahi maang rahe ki jail se mukt kar do mujhe is maya prapanch se mukt nahi mujhe yah de do to amar ho jaoge kitni der chalegi tumhari ye maang hosh mein itne bade mahan prabhu ko rijhakar aisa mango ki mangna mit jae phir mangne ki chah na rah jae yahi samjh

mein nahi aati anand ka mul bhajan hai tum is bhajan sampatti ko badao aur nitya chhup chhup karke iska anusthan karke isko badhate raho. Chalte phirte uthte baithe naam chal raha hai. Ek din dekh lena ta shri Radha swamti rasat prapt do bandham kathe krtva iska bhav hai ki maha karunamay swamini apne pritam ke saath akar ke donon bahen arthat ek lal ji ke Priyaju ke beech mein aap honge kaisa sukh hoga anant bramhandon ka Swami gale laga raha hai idhar meri priyaju idhar Lalaju man jao man jao yah dhoke mein maya ke jal ko mat apne gale mein phansi bandho ki prabhu mujhe yah de do are jitna diya hai utna to raunde de raha hai aur de denge to bhul jaoge bhagwan ko bhi

badi kripa hai ki unhone nahi diya to kam se kam yah apman ye tiraskaar ye abhav sadhu sang tak to pahuncha diya nahi jinke paas khub vaibhav hai unko samay nahi Vrindavan mein panch minute baithkar satsang sunne ka maya ki daud daud daud tat shri Radha sumati rasat prapt durbal bandham kanthe krtva o ho ho aur bhi nahi nahi jih teti kabhi nahi chhodenge satyam main satya bol bol raha hoon shripad satyam satyam brahm main satya bol raha hoon kyonki unke saath ye ghatna ghati tab wo kah rahe satyam main satya bol raha hoon vishwas maniye shri ji lal jo akar gale se laga le kabhi nahi chhodenge age nij mantr ki baat kar rahe hain hit jo maharaj ki vishesh kripa shripad Prabodhanan ji par thi kah rahe mantram hrishya akhil nigma gam mein prave bahut gadh vishay hai bade bhagyashali hain jo is vishay ko samjh pave yah jo nij mantr hai rahasya shri kishori ji ka ye kisi shastron mein nahi hai agamya nigma agamya brahmi jitne bhi ved puran shastr hain inki takat nahi wahan tak pahunchne ki jo priyaju ka

jahan nij mantr pahunchata hai kisi aap ko agar khol ke na samjhave to aapko ascharya lagega ki aisa kaise ho sakta hai. Aaj tak jitne bhi bharat ke granthon mein mahapurushon ka varnan hai wo sab ishwar koti ke hain. Ismen koi sanshay nahi hai. Par is shlok par aie. Patraavli rachit kuchyo kapole bum vichitra kabim navamlika bhi iska adhikar kabhi kisi mahapurush ko prapt hua ho to hamen bata dena kabhi nahi. Last mein sameepastha Radha Krishna ke darshan ek ratri gopi bankar shri mahadev ji muni indra vrind vandite ye wahan ki shobha dekh ke varnan kar rahe hain nau niv nikunj wahan mahawar lagane ka saubhagya Lalu ko mila hai wah bhi sahachari rup mein dhyan rakhna bahut gadh anand jahan aap baithe hue Vrindavan dham samasth nigma gam brahm ye main swayam anubhav se aur mahan rasikon ke anubhav se kahta hoon braveem ki mantram hasya akhil nigmagamyamev brammi yah akhil ved puran shastron mein bhi nahi hai aur unke agam mein hai yah mantramasya jo nij mantr hai y prakatyam kach kritam no rahasya gameshu jiske prapt ho jane par aur siddh kar lene par ye siddh acharya parampara se chala aa raha hai par aapke andar siddh ka tatparya nirantar chalna abhyaas ke dwara to bole is mantr ko y prakatyam kachit kritam no rahasya gameshu uske liye koi bhi nikunj ka rahasya agamya nahi rah jaata.

jiske hriday mein nij mantr siddh ho jaata hai. Siddh mane hota hai nirantar chalna. Pad prate vilti maha siddhi sangh japta uske charnon mein karodon maha siddhiya lautne lagti hain jiske hriday mein nij mantr chalta hai mahaprabhu Harivansh chandra shri Radha kinkri naam luthti charnabhta siddh koti pad prate viluthti maha siddh sangh japta ho mahan karodon siddhiya uske charnon mein lautti hai jiske nij mantr nirantar chalta hai. Tumhen kya mila hai pata hai? Khilwad samjhe ho. Swad nahi le rahe hain.

chand rupaye chand bhog samgri chand naam mahima hamari ho. Is par ham pareshaan ghum rahe hain. Y prakatyam kachap kritam na rahasyagme koi bhi nikunj ka aisa rahasya nahi hai jo nij mantr japak ke hriday mein prakashit na ho jae. Pad prantte vilti maha siddhi sangh japta uske charnon mein maha siddhiya lautne lagti hai jiske nij mantr chal raha hai Shrimad bhawa ap bhagavto yat prabhavat kar shri bhagwan ka jitna bhi bhav desh hai yat prabhavat kar uske hath mein sab ho jaata hai jaise anvle ko rakhe charon taraf se dekh sakta hai aise bhagwan ke bhav rahasya mahima mahima aishwaryurya sab ka gyan nij mantr mein chhupa hua hai.

nityam y japini nan jane no vidhi niyadh is mantr ka jo nitya jaap karta hai wo vidhi nishedh se upar uth jaata hai. Uske liye koi shastr vidhi ya nishedh lagu nahi hota. Ved sanasta sa kevalam anurag labhte akhand prem nij mantr pradan kar deta hai aur vidhi nishedh se pare ho jaata hai nityam yapini nan jane no vidhi no nishedh na vidhi na nishedh donon se nabha ji maharaj vidhi nishedh nahi das anannya utkat vrat dhari mahaprabhu Harivansh chandra ji ke liye kaha yahan nij mantr ke liye kah rahe hain nityam y japin nan jane no vidho nishedh jo jan nirantar is mantr ka jaap karta hai wo vidhi nishedh donon se pare ho jaata hai aur nij mantr prapt aur bhtak rahe hain kyon tumhare gale mein rakhi bandhi hui hai paras mani lekin tum do rupaye ke liye bhtak rahe ho usko jaan nahi pa rahe ho age jo varnan badi mahima tat pada yug rajo ved tatv gyan punat uski charan mahima ke age samasth vedon ka gyan dhul dharit ho jaata hai.

raj kan ke saman jiske andar nij mantr ka prabhav jagrit ho gaya to aise lagega ki aisa kyon kah rahe hain? To ved jise neti neti kahta hai wo uske adhin ho gaya hai. Bhave mohe joi soi soi karen pyare ab ye nahi ki joi joi pyaro karen yah sthiti nij mantr mein aati hai bhave moh joi soi soi karen pyare yugal sarkar donon waise hi to bole tat paam bo yug rajo ved tatv gyan param pavitra brahm gyan ved shastron ka sar uske charnon ke age lutta hai. Arthat moksh uske charnon ke age lutta hai.

nij mantr jiske hriday mein prakashit ho chuka hai. Jiske hriday mein y prakatyam kuchit kritam rahasya gameshu nij mantr ka nirantar aise avrat ho raha. Bar-bar nij mantr chal raha hai. Priya pritam prakt ho gaye. Prem prakt ho gaya. Unki ras riti prakt ho gayi. Nikunj ka koi bhi rahasya agochar nahi raha. To bole ta pado yugo upar ke shlok mein kaha pad prate vilti mahasaddhi sangh japto uske charnon mein mahasiddhiyan karodon lautti hai dusre shlok mein kaha tat pad yug rajo ved tatv gyanam punati tatv gyan param punit mahmmahim vedon ka sar uska phal hai moksh wo moksh lutta hai aise maha premi ke charnon ki raj mein y peeyushti sumdhuram mangalam mangal naam wo premamart jo mangal ka bhi mangal karne wala hai yah pan karne ko us upasak ko milta hai nityam y japin jo nitya jaap karta hai nan janeno vidhi nishedh jo vidhi nishedh se pare nij mantr ka nitya jaap karta hai wo y piyushadti sumdhuram mangal mangalam mangal naam mangal ka bhi param mangal karne ki samarth jis premamart mein hai us premamart ka sumdhur pan karta hai sarwit mahim sadhkam sadhak naam bade bade sadhako aur siddho ke liye bhi sarwamay sthiti jo hai wo asim mahima yukt is nij mantr ke sadhan se prapt ho jati hai.

yah jo nitya vihar ka bij mantr nij mantr hai jinko prapt hai tum aho bhagya nahi mana rahe ho kyonki tumhen pata nahi paye ratan cheen nahi di karte dar ye maya shri Krishna ki moh sab sansaar age dhare tevam jo ise dharan karte hain to sadhya naam y param param sadhya mat mda naam mananda naam pich param Premand mahu sarwasa y param su rahasyavli naam rahasyam radhevam jap tad nishi sartha sansmrit anannya jo is nij mantr ka jaap karte hain wo samasth sadhyon ka param sadhya hai nij mantr sadhya naam sadhna naam nahi sadhya naam param sadhno ka sadhya kya hai hari brahm paramatma unhee ko kahte hain unka bhi sadhya kya hai bole mantr khud hari japte hain yamuna ke pavan puli kunj mein baithkar ke ashubh pravah karte hue Radha Radha Radha Radha Radha to kahenge nij mantr ke yahan to charcha ho rahi hai.

man lo hamari baat Radha Radha Radha Radha age sab khul jaega. Man lo ham aapko jo baten bata rahe hain man lo Radhe vestam sampraday karta acharya Radha mantr sadguru mantro Radha yas sarvatma vande Radha pad padam pradhanam sadhya naam y param param sadhya matad naam unmad sadhya ke hriday mein paida kar de. Aisa hai yah naam. Aisa hai mantr jo sab sadhno ke sadhya hain prabhu unko bhi unmatt kar de. Wo hai yah nij mantr Radha naam anda naam pich param Premand maho. Anandon ko bhi anand pradan karne wale prabhu ko jo Premanand mein dubo de.

wah hai Radha naam jo Premanand naam hai yah hari ko bhi unmatt kar deta hai Shrimadd Radha sudhanidhi de naam bhakt mukt suda mat dur cha Premand rasam maha sukhkarmaritam premta ucharan karte Radha Radha aur aansu bahte hain unka naam hai Premanand Govind sharan jo yahan sharan hai to Premand Govind wahan se hai de naam bhakt mukt suda mat duram chat Premanand rasam maha sukh karam kaun Govind jo Govind Premanand mein unmatt hokar Radha Radha ratte hain to Premanand kaun hai Radha aur unmattata kiske chadhi Govind ke to sharan mein kaun hai Premanand Govind sharan deva naam bhakt mukt sudant duram Premand rasam maha sukh karam chitam ye aapko jo mil raha hai Radha naam aapki samjh mein abhi nahi aa raha hai shri ji kripa karen samjh mein aa jae atyant duh atyant gadh atyant amrit ganishtha mil raha hai agar pan kar pa jao to nihal ho jaoge aap kahte ho purannon mein nahi likha hai puran hai raj darbar ke kanun aur yah hai mahal ka kanun aao tumhen mahal ke granthon mein dikhae alag-alag jo raja raj darbar mein baithkar

tumne uska prabhav dekha jaise Harivansh pratap rup gun bhay bal Shyam ujagar jiske bhay se bhayabhit hokar vayu chalti hai. Jiske bhay se bhayabhit hokar mrityu apna kam karti hai. Jiske bhay se bhayabhit hokar surya tapta hai. Jiske bhay se bhayabhit hokar kal chakra chalta hai. Wah hamari Priya jo ke nirdan bhakut badan ambuj mridu saras has madhubulan ati aasakt lal al lampt bas ki bin molan jaisi dharivansh pratap rup gun vaibal Shyam ujagar jaki bhu vilas bas pasuri din vith ki tar sagar dekho mai sundarata ki sima kaise tum janoge bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina koi samjh sake kahna raj darbar mein jis raja ka vaibhav dekha aao hamare saath aur mahal ke bhitar jhaank ke dekho us raja ki jo mahima tumne dekhi agar dhul dharit na lagne lage to batana jab Uddhav ji prabhu ke paas the to gopiyan agyani nazar aati thi aur jab gopiyon gopiyon ke paas aae unki charan dhul mathe par lagi to prabhu bade kathor nazar aae ki aise premi janon se vilag rah raha hai.

are kaise wah ji rahe hain inke bina ulta ho gaya yahan aae tab aao mahal mein to pata chalega ki jiske hukum par prant ke prant nasht kiye ja sakte hain wo yahan kisi ki bhakuti sanchan se bhi bhayabhit hota hai. Sun bhayabhit vajr ko panjar surat sur randheer surat sur randheer aur kisse bhayabhit hai jaise dharivansh param komal chit param komal chit chapal chali piy tir to sun bhayabhit vajr ko panjar surat sur randheer yashya kataksh sarpat vimurchhitas kaha ho kaise janoge bhagwat rasik rasik ki baten rasik bina koi samjh sake sat sadhya naam yat param param sadhya mat mada naam sadhno ke param sadhya jinhe brahm kaha gaya paramatma kaha gaya bhagwan kaha gaya unko ye unmad avastha pradan kar de kaun bole ye Radha naam mananda naam pich param pradanand mahu bade bado ko unmad pradan kar dene wale jaise bhagwan shankar sarkad inko prem unmad mein chhaka dene wale shri Krishna aise shri Krishna ko jo chhaka de Premanand mein wo hai Radha y ja sakdev Gokul pate rakarsha takshana tatkaal shri Krishna ko adhin karne ki samarth Radha naam mein tumhen kya chahiye dharm arth kam moksh jo chahiye mil jaega thoda dhairya rakh pehle paap nasht hone de dhairya nahi bilkul hath mein dahi jamana chahte hain.

are bhai samjho anant janmon ke dushkriton ka nash pehle hone do. Dhairya purvak lago bahut bhagyashali ho jo roz satsang mein tumhen savdhani mil rahi hai aur dhairya purvak chal sakte ho. Nahi to itni andhi chalti hai ki ek kadam paramarth mein nahi chal paoge. Ladkhda ke gir jaoge. Tabhi kaha gaya hai ki sant samagam hari katha tulsi durlabh do. Sut dara dhan lakshmi papi ke ghar hoe paramarth par khade karna phir chalana aur chal ke bacha ke siddh kar dena yahi rasikon ka khel hai tabhi kaha gaya ki guru Govind do khade to kake lago paye to bole balhari guru aapne Govind to pehle bhi the lekin ham maya mein piste rahe wo muskurate rahe lekin jab guru rup mein aae to bacha liya guru rup mein aae tab to isliye balhari guru aapne jo Govind diyo batae he bhai agar ye mahima sunne ke baad tumhen Radha naam mein priti na ho nij mantr mein priti na ho to pandit ji wali baat yad rakh lena abhi tumhare kapar mein aur kuch likha hai nahi musar se abhi kuch likha hai haan bole sarwash y param su rahasya bal naam rahasyam khud kah rahe hain ki jitne rahasya un samasth rahasyon ko param rahasya hai ye Radha naam param rahasya hai bas bhagwat kripa guru kripa rasikon ki kripa ho jinko ye hriday mein baith jae Radha Radha Radha kuch bhi ho ab chhorne wale nahi sarwasham yat param surasya valeena rahasyam tum kuch aur janne ki koshish mat mat karo.

yah ati rahasya hai. Param rahasyon ka bhi rahasya tum nahi samjh paoge. Kahan likha hai Radha naam? To tum kitna padhe ho? Kitne granth padhe ho? Yahan ek truck le aao to hamari ras vaniyan usse zyada niklengi. Ek ek rasik char char lakh na jane kitne pad ke rachne wale hain. Abhi ras vaniyo ko dekha hai kya? Jahan ved bhi hath jodkar namaskaar kar deta uske age hamari padhai shuru hoti hai. Vasudeva swaram ke age hamare school mein bharti shuru hoti hai. Ye phd hai kahara nahi hai. [gala saaf karne ki aawaz] yahan sidhe nitya bihar ras Priya pritam ka adbhut agar tum yahan ki baat samjhna chahte ho to rasikon ki baat suno jahan ved bhi nahi.

ved to jo ras neti neti shruti bhakhyo aur tako te adhar sudharas chakhyo jah biranch umapti naye tape ta te ban phool binae kahan jaan paoge bahut kripa hai jo samjh jao to bole Radhe tevam jap tad nisho sartha sansmrit anannya ye rahasyon ka param rahasya hai Radha Radha iti bole yadi jap tadansham raat din isko japo aur saath mein smaran karte raho jap ke saath mein kaha sartha sansmrit anannya teen baten kahi dhyan do pehle kaha ki jap karo iska raat din phir dusra kaha sartha saath mein sansmriti smaran ra dha tisra kaha anannya isi ke anannya ho jao rasna kato jo an rato abhi anand aa jaega Radha naam kaise sweekar karna hai bole raat din japna hai dusri baat dhyan karte hue japna hai Radha sansmaran smaran ke sahit tisri baat is naam ke anannya ho jae phir kya hoga to bole ye ulta ho jaega Radha ka ulta kya hota hai?

dhara aapke andar ras dhara bahne lagegi. Uska age ka shlok saudik madhan madhuri sardhara premando madras chamatkar sarwaswadhara asmakam vaswa ved kos vas kasya pesha param hridyas dharetha jo is Radha naam ko dharan karta hai to uske hriday mein sayushad madin madhuri sardhara uske hriday mein mahan premamart ras ki dhar bahne lagti hai. Radha naam sudha rasam aur yahan rasdhara prem ras dhara hriday mein bahne lagegi. Pata kaise chalta hai? Jab rasdhara bahti to chhalakne lagti hai. Ankhon se chhalakti hai. Hriday ki rasdhara kanth hote hue ankhon kanth ko avrudh kar diya.

ankhon se asur bahra romach chora Vrindavan ki raj lagi hai. Nihal karne wala ho gaya. Gadgad sur Naina sajal aur dampati ras rahe bheen igat vrinda vipin mein phire prem taleen sau sadik madhit san madhuri sardhara utkrishturya ka sar premamart uske hriday mein pravahit ho jaata hai. Kiske hriday mein jo Radha Radha ye jab premamart pravahit ho gaya to bacha kya? Log yahi nahi samjh paye. Hamen prem nahi chahiye. Hamen prabhu nahi chahiye. Hamen moksh nahi chahiye. Hamen kalyan nahi chahiye. Are ye wo baat kahi ja rahi hai jiske prapt hone ke baad kuch nahi chahiye.

sab kuch ho jaata. Prabhu mil gaye to anant brahmand hamare kabje mein ho gaye. Tum samjhte nahi. Ek ek chij pakdoge to anant vasnae kabhi purti nahi hogi. Anant ko pakar loge kuch aap purti rah hi nahi jaegi. Jiske pane ke baad kuch pana baki nahi rahta use bhagwat prapti kahte hain. Isiliye kah rahe bhagwat prapti lakshya rakho. Is Radha naam dhan ka prayog bhagwat prapti ke liye karo. Anant janmon se bhtak rahe ho. Samjh nahi aa rahi. Yah char din ki samasyaen hain niptangi lekin anant janmon ki age ki jo samasyaen hain unko niptaega Radha naam tum chinta kyon karte ho vartman ko bhi sambhalega par dhairya to rakhiye dhairya nahi rakhoge to phir is marg mein khade nahi rah paoge premanando madras chamatkar sarwaswadhara ye Premanand unmad prakt karke ek adbhut chamatkar prakt kar degi kya Radha naam ki dhara Radha Radha Radha asmakam vas subhag tava ved kus vasyat shripad kah rahe kaun janta hai meri is baat ko ved nahi

unki pahunch nahi hai kaun janta hai meri is baat ko jo main kah raha hoon abhi tak jo sun rahe ho kaun janta hai to bole ved praman bole ved nahi jante is baat ko are phir ved ko to bhagwan ne gita ji mein kah diya trigun vishay vedagun bhavjun vedatit hone ke liye devrshi narad ji bol diye ye to nau nivatt nikunj ka prem hai kaun janta hai asmakam isko kaun janta hai vasubhag is mahan saubhagya ko kaun janta hai kos jab ved nahi jante to anya kaun bacha kashyapesha Shyam hai koi tumhari nazar mein jo ise janta hai bole ek hai param hriday laas dhare do arth jiska do arth nikla Radha aur dhara bole wahi wahi jaan pata hai jo is dhara ko chala raha hai Radha Radha Radha Radha to chal padi prem ras dhara wahi keval jaan sakta hai dusra nahi jaan sakta dusra ka koi praman nahi de sakta.

hriday laas dhare tad is mantr ka sidha arth hai hriday mein prem ras dhara prakashit kar dena. Ye para vidya hai Radha para vidya hai bij mantr hai ye maha prem ka nikunj shri Vrindavan kunj dev nisham gopadhirajatmaje shri Vrindavan ki nikunj devi hai hamari swamini jo tum yadi prati ratri nabhta dinammagtam prakshat atma vate ratri ka matlab keval ratri se mat le ise moh ratri mein le sab moh ratri mein swapna dekh rahe tum jag jao swapna dekhna kitne log hain kah rahe hain ki hamari jo hamare kuch swapna hai unko ham pura karenge are bavare swapna kabhi pure hote hain kah raha hai swapna arthat jhutha jhuthi ki kalpna aur wo kah raha hai ki bhagwan to tabhi jo hamare kuch swapna hai wo pure kar de.

are bhagwan to jagrit ko bhi swapna kar rahe hain. Maa kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna kaise samjh mein ave sote hue swapna dekhne walon ko lakh lakh jagao pani dal ke jagao chahe jaise dhakka laga ke jagao ye karavat badte phir so jaate hain. Kaise jagenge? Accha kuch to aise hain jo jag ke sone ka natak kar rahe hain to unko to jagaya hi nahi ja raha. Jo asli mein so rahe hain wah to jag sakte hain lekin jo jag kar sone ka natak kar rahe hain unko jagana bada kathin hai. Jag jao bhaiya. Dekho tum akele aae ho.

tumhen akele hi jana hai. Jag jao. Kamai karne aae ho. Ye pardesh hai. Tumhara ye ghar nahi hai. Ghar tumhara Vrindavan dham hai. Ghar wale Priya pritam aur sahchariya hai. Tum bhul gaye ho. Yahan tum aae ho. To ab apni bhul mita do. Yahan tumhara na koi janani hai, na koi Janak hai, na koi bandhu hai, na koi surad hai, na koi rishta hai, na koi nata hai. Tum Baba ji ho. Isiliye bolte ho ham to grihasth hai. To tum bhi nata kiye ho to Krishna se kiye ho. Dusre se nahi kiye jaan nahi pa rahe. Nahi us sharir se jab Krishna antardhya ho jaate hain to kyon jala dete ho?

rakh lo sharir ko. Krishna ko to dekha nahi jana nahi lekin anjane mein bhi shri Krishna se hi pyar karte ho. Krishna akarshan jo sabke hriday mein ek power rup se virajman paramatma tatv usi ka aap aadar karte ho. He akele aae ho. Akele jaoge. Raat mein utho aur khub bhajan karo. Atma mane is moh nidra se utho aur bhajan mein lago. Bhajan karke hi aap is maya ke jo andhkar hai yah vidhvans kar sakte ho. Anytha kuch ka kuch aapko dikhayee dega. Thooth ka bhut nazar aayega. Rassi mein saanp nazar aayega. Yah bahut bura andhkar chhaa gaya hai.

andar kuch nahi hai. Kisi bhi bhog mein sukh nahi hai. Kisi bhi sangrah mein sukh nahi. Par buddhi malin hai isiliye isi mein lagi. Hamare aradhya dev ki ham par bahut kripa ho gayi hai. Ye jo satsang aap sun rahe ho mantr mahima naam mahima ye bade-bade mahan ras mein dube hue hamare liye ye ga rahe hain. Isliye pakar lo. Jo tumhen mantr mila hai, jo naam mila hai, iski paripakva avastha tumhare aur kripa se donon se hogi. Tumhari kripa zaruri hai. Waise sabki kripa ho gayi hai. Bas aapki kripa bakaya rah gayi.

aap apne upar kripa kar lo. Kisi ke ashirwad ki zaroorat nahi. Aap apna ashirwad apne upar kar lijiye. Dusre ke to bahut ashirwad hai. Aapka ashirwad aapko nahi mil raha hai. Bas isiliye aap pareshaan hain. Aapka ashirwad haan apne upar kripa kar lijiye. Aap apna apne ashirwad se apna udhar kar lijiye. To isko to tum wahi karm karva rahe ho jisse narak prapt ho auron ke asheerwadon ki akanksha karte ho to nahi ho payega bhai nahi ho payega dekho aaj kuch aisi havaen chal padi hai paramarth ko janna mushkil hai kaise kaise nautanki natak matlab ascharya hota hai ki tum updeshak ke manch par baithkar aise kaise bol sakte ho agar agar bolne ko tumhen saubhagya mila hai to jo Sukhdev ji ne bola hai vyas bhagwan ne bola hai shri Krishna chandra jo bole wo baat bolo jisse wo kan mein jae samjhe na samjhe mangal hoga aisi varta to na bolo jisse satya marg ka astitva hi lupt ho jae sunne wale ke hriday se aaj bahut sankat mein dhire-dhire hamare dharm granthon ka rahasya parta chala ja raha hai kyonki inke inke liye jo ham mantr jaap karke buddhi pavitra hoti so arth bata sake.

nahi to keval manoranjan rah gaya ki samne wala keval prasann ho jae. Iske liye shastr rache gaye hain. Hamare samne to hamara kam ban jae. Ye shastr hai. Shastr ka ye swaroop nahi hai. Tumhari jeb bhar jae jo janmjanm se khali rahi. Kisse? Naam se bhar jae. Tumhari naam mein rati ho. Bhagwan mein rati ho. Tumhara yah jeevan mangalmay sukhmay jae. Agar kahin agla janm ho to tum maha bhagvato ke rup mein janmo. Tumhen maya fansakar raund na sake. Isliye satsang hai. Isliye dharm shastron ki rachna bhagwan ko kuch bolne ki zaroorat thi.

kya jinhone is maya prapanch ko racha unhone maya mukt karne ke liye sutra rach diye. Aise chalo to phasoge nahi. Kaise chal gem hai gem ye bhagwan ne apne aap se apne aap mein khel racha hai. Tum bhi usi apne aap mein apne aap ko dekho mukt ho jaoge. Ab yahan keval samne vastue rakhi hain. Keval bhog samgri keval pad pratishtha keval sansaar ka astitva aur yah sansaar ka astitva in sabko mitane wala hai. Aur ham sajane wali baat karte hain. Bahut bahut apne kano ko prayah bacha karke rakho. Jahan satya marg ki charcha mile to suno nahi to naam jap karo.

ekant sevan karo. Aisi koi baat mat suno jo naam rup leela dham se aapko vilag kar de nahi to jeevan ki badi bhari hani ho jaegi aur upasak apne aradhya dev ko sabke darshan se bachave ye badi gadh baat ham aapko kah rahe hain ab jab khulkar ke jaise yahan seva ho rahi ho baat alag hai jab unka adesh ho jae nahi to apne aradhya dev ke darshan se jaise kahte hain na sabki shri ji sabki shri ji nahi to hamari shri ji hai. Ham chaenge to aapko darshan karne denge anytha nahi karne denge. Is par tumhara adhikar nahi hai.

apni jo shri ji hai is par keval apna adhikar hai. Pujypad shiv Baba ji maharaj paramatma sarvvyapi sabki vastu hai. Pakka par pyare ladle prabhu apni vastu hai. Jo hamari puja mein virajman hai. Ham chune de na chune den. Puja karne de na karne de. Darshan karne de na karne de. Ismen mera purn adhikar hai. Yah sabki vastu nahi hai. Ye sirf hamare hain. Jaise prithvi par sabka adhikar hai. Lekin us prithvi mein hamne makan bana liya. Ab mera adhikar ghusne de na ghusne de. Ane de andar na ane de.

prithvi par sabka adhikar hai. Paramatma par sabka adhikar hai. Lekin jo hamne prabhu ki seva virajman ki is par sirf mera adhikar hai. Ham chahe to tum chu lo. Ham chahe to tum dekh lo nahi parda laga denge. Ye tum nahi kah sakte ki kholo shri ji sabki hai. Nahi sabki shri ji dhundho jake. Ye hamari personal shri ji hai. Ye hamare personal thakur hai. Jaise prithvi sabki makan hamara jitne mein hamara makan ban gaya hai. Iske andar ane de to ham ane de na ane de to na ane de. Isliye upasak jab tak bhagwadakaar vritti na ho jae.

apne aradhya bhagwadakaar vritti ki apne aradhya dev apne se baat karne lage. Tab tak apne aradhya dev ko pradarshn na baname. Kokil sain kabhi kisi ko darshan nahi karne dete the. Jab koi vishesh premi mahabhagvat tab le jaate the. Ye kahte the ki hamare ladli lal se kuch kah mat dena. Kuch kahna nahi to ham darshan kara denge. Kya matlab? Wo murti samjh rahe hain. Dekho jara wo khel rahe hain. Tum kuch bol doge wo tumhari taraf akarshit ho jaenge. Paraspat unke khel mein kuch bologe nahi bas chupchap darshan kar lo to o maha bhagvato se anya ka to pravesh hi nahi tha iska kuch rahasya hai apne thakur ji ko pradarshn na banae apni seva ko pradarshn na banae apne bhajan ko pradarshn na banae upasak yadi vihaar mein utar dega apni upasna ko to phir siddh nahi ho payega jab tak apne aradhya dev se baat na hone pave tab tak aradhya dev gupt hi rahne chahiye aur jab aradhya dev se baat hone lage phir unki ichchha hai ki chalo ham mangal to baat alag

ye Gurudev bhagwan ko bhi dekha ab wo darshan aise jo naam seva hai ghanton aise ghanton shri ji ka naam seva aise le ghanton aise kya unko dikhayee de raha hai bar-bar bar-bar aur yah sab hota band band karke darwaza kabhi seva prakt wo to seva mein the isliye darshan nahi kisi ka aur dekho aaj wahi pragat mein seva ho rahi hai pragat mein sabko ye sadhak ko ye savdhani hai kuch gun rashi isliye mahapurush jan kah rahe hain usmen kyon ma na karke apni bhavna ko pusht karna chahiye aur yah dhyan rahe ki bhagwan ko bhog pane ki ichchha nahi kyonki wah nitya tript purn kam hai.

bhakt ka bhav bhagwan ki bhookh lagata hai. Jaise bhojan ki khushbu jo hai bhookh na lagi ho to bhi lag jaegi na. Badhiya aise bane ho to dekh ke lage. Chalo bhai aise hi bhagwan ke andar bhookh paida hoti bhav se. Bhakt ka bhav agar bhav nahi hai to pujya Baba kah rahe bhagwan nitya tript purn kam hai unmein kabhi bhookh paida nahi hoti jab seva karne wala dekha hai hamne ki do roti se bhog laga garam garam roti ghee laga ke daud ke ja rahe hain ek ek paroste ja rahe hain aise ek sadh chhote-chhote tukde karke pawate ja rahe hain ek vyajan kar rahe hain pankha kar rahe beech-beech mein thoda anukul jal pilate kabhi mitha pawar bhav ye nahi ki thal aise rakh diye parda laga diya chale gaye aise aur kuch log to subah chirori aur glas

mein pani rakh diya sham ke hata diya aisa tumhare saath bartaav ho kisi rishte natedar ke yahan to kya hoga jis kamre mein ho usi char pai ke samip akar ke ek table rakh de ek glas pani thodi chirauri rakh de parda laga de bahar se ya to darwaze mein tala ab kaisa lagega aap to pao bal bhog mein halwa aur chai biskut aur ye wo aur thakur ji ke age chhoti katori mein chirori rakh di parinaam kya hoga jante ho haan aparadh banega kyonki seva virajman kiye ho parinaam mein aapko phir sankat gherenge pareshani aayegi agar thakur ji ghar mein virajman kiye ho to apne personal thakur ji hain to waise hain jaise ladla putr apna apna putr kaise koi mahanubhav to ki ab ham bahar ja rahe hain padosi ko de diye kabhi do putr apna padosi ko doge putr agar dene ki bhi baat aa gayi to hriday hamara kahega nahi wo kaise pyar karega jaise ham pyar karte hain hamare saath thakur ji jaenge ya thakur ji ki vyvastha hoke ghar mein hi koi ek rahega ab ham kahte hain saath rakho par theek hai phir unka sammaan bhi rakho.

unko aise sammaan se rakho thakur ji ko saath le jaate hue jaise thakur ji ko rakha jaata hai. Seva ka matlab hai Swami adhin ho jaate hain. Bahut badi baat hai jo seva virajman karna hai. Dekha jaata hai thakur ji bahut aise ho gaye. Aise to seva batati hai ki tum thakur ji ko pyar nahi karte. Tum to upar se bahut chikne sab lagae. Thakur ji kaise hain? Unka kaisa chehra hoga iska seva batati hai ki tum kaise seva isi seva se prabhu ki prapti ho jaegi bhav purvak bhog lagao tumko bhookh lag jaegi bhav purvak abhushan pahrao to tumse kahne lagenge kitne bhakton se thakur ji baat karne lagte hain jo tanmay hue hamko aaj ye is rang ki poshak chahiye aaj hamko aisa bhog chahiye aaj hamko yah padaarth chahiye agar bhul gaye shayan mein jal rakhna to swapna mein akar bole dekho aaj tumne shayan mein jal nahi rakha aaj tumne rajaaai to wahan jakar dekha to nahi thakur ji baat karne lagte hain apne isht ke siva anya kisi isht vigrah ka apman na karen upasak yahi vichar karen ki hamare isht hi in vibhutiyon ke rup mein virajman hai.

jaise ham rasik anannya upasna mein hain. Ab ham ja rahe hain parikrama laga rahe to kesi ghat mein hanuman ji ka archa vigrah virajman ab aarti ho rahi hai. To ab yah nahi hai ki ham nahi khade ho gaye hath jode do char aarti Radha vallabh lal ki jai ho mere prabhu aur chal pare. Kabhi kisi shri vigrah ka apman na karen. Kahin aarti ho rahi hai kahin man lo aapki drishti nahi padi baat alag ho agar drishti par gayi ki amuk thakur ji yahan virajman hai to gareeba jhuk jani chahiye Radha vallabh lal ki jai prabhu age nikal jae kyonki hamare hi prabhu vibhinn rupon mein virajman hai upasak ko thoda gyan bhi hona chahiye is baat ka ki ham aur hamare prabhu se hamara kya sambandh hai.

ek bar sabha mein hanuman ji se pucha gaya ki tum prabhu se kya sambandh rakhte ho? Tum gyani ho ya bhakt ho? Kya kahoge apne aap ko? Do prashn prabhu se kya sambandh rakhte ho? Tum gyani ho ya bhakt ho? Hanuman ji ne vichar kiya ki main prabhu ka sevak hoon to seva ka gyani kaise ho sakta hai? Gyan samudra prabhu ka yadi main apne ko agyani kahta hoon to mere prabhu par dosh aata hai ki gyan samudra prabhu ka sevak agyani kaise ho sakta hai? Hanuman ji bole sharir drishti se main bhagwan ka bhakt hoon.

sevak hoon aur yah hamare Swami hain. Jeev drishti se main ansh hoon. Yah hamare anshi hain. Aur tatv drishti se jo yah hai wo yahan hai. Itna gyan Gurudev bhagwan aarti aise kar rahe the. Pucha prabhu idhar aarti wo samjh mein aa raha tha par shri mukh se sunna to unka jo simhasaan mein virajman hai wo yahan bhi virajman aise janna kathin hai bhav ka vishay bhakt ko sadhna avastha mein bhale prichay na mile lekin siddhvastha mein prichay mil jaata hai ki jo mandir mein virajman wahi yahan virajman hai. Ab koi bhed nahi rah gaya.

upasak ko chalte phirte uthte baithe khate pite har samay jab apne isht ki smriti mein rahega tab ishtkar vritti hoti hai aur ishtkar vritti jab hi hui to bhut bhavishya vartman tino kal ka gyan ho jaata hai use kya hua hai kya ho raha hai kya hoga ishtkar vritti hoti hai kiska ka jagat ka nahi jagat ka chintan to kab chhut gaya apne isht ka purv mein kya leela hui vartman mein kya ho rahi age kya hone wali hai yah gyan prapt ho jaata hai jahan krishnakar bhagwadakaar ishtkar vritti hui phir uske liye kuch durlabh nahi rahta sab gyan sab rahasya sab prem sakshatkar sab kuch leela darshan sab khas baat hai ishtkar vritti wo kaise hoti hai bole uthte baithe chalte phirte khate pite har samay isht ki smriti isht ka dhyan upasak kab samjhe ki hamari bhakti charm lakshya mein sthit ho gayi hai.

bole jab keval prem hi prem ki maang rah jae. Dukh sukh man apman inki koi bhan vritti na rah jae aur keval prem hi prem prem mein prem ki chah tab samjhe bhakti ka charm lakshya jagrit ho chuka hai. Tumhen koi gali de tumhari bhasha mein khub achhche se samjhte ho. Tumhen aise dukh na ho jaise koi tumhari videshi bhasha mein tumhen gali de jis bhasha ko nahi jante to tum uske muhn ki taraf dekh ke bas chal doge muskura kuch bol raha hai bas aise tumhari bhasha mein tumhen gali de muskura ke chal do to samjho bhakti ka charm lakshya jagrit ho raha hai tumhara apman ho tumhari ninda use bahut amrit hai sachchi kahte hain tiraskaar apman ninda ye bhagwan ki prapti kara ke hi rakhti hai bhakt ko anukul lata namaskaar sammaan pranam bhagwan bachave ye jahr kabhi pine ko na mile agar yah jahr mil jaata hai to phir age kadam nahi badh pate paramarth ke ye deh buddhi kab nasht hoti bhakt ki ki main stri hoon main purush hoon.

bole jab bhagwat buddhi jagrit ho jati hai sabse pahli pyari chij hai bhagwat smriti itni yad mein kho gaya ki deh ki smriti nahi rahe aur purn rup se deh bhav ka tyag hota hai bhagwat sakshatkar ke baad maharaj ji bhagwan mein prem hona to bada kathin hai wo dikhayee to dete nahi dikhayee de to zyada jaldi prem ho jae. Ab dekha to hai nahi to kaise prem karen? Unke naam se unke naam mein bahut samarth hai. Us naam ka nirantar chintan yadi karoge to tumhare chitt ke sare vikshep nasht ho jaenge.

shri Krishna ko kaha gaya hai akarshankari lekin naam mein itni samarth hai ki shri Krishna ka akarshan kar le. Yah baat anubhavi mahapurush hi bol sakte hain. Shri Krishna ka akarshan tribhuvan ko akarshit kiye aur naam shri Krishna ka akarshan kar leta hai. Isliye bina dekhe bhi param siddhi ko wo prapt hote hain jo nirantar naam jap karte hain. Maharaj kahte hain ki kripavan hi bhajan karta hai. Kripa to sab par hai. Phir sab bhajan kyon nahi karte hain? Sab par mori barabar daya mahatma aur bhagwan ki kripa sabke upar saman hoti hai.

uttar par jo bhagwan ya mahatma ki agyaa ka palan karta hai wahi us kripa ka patr bankar kripa ko rok pata hai. Anytha pravah hai nikal gaya. Jo mahatma ya bhagwan ki agyaa mein sthit rahkar paristhiti ke anusaar na chalkar usmen antar na ane de paristhiti ke anusaar bole dukhad paristhiti ai bhajan chhut gaya agyaa ka palan nahi ho pa raha aisa nahi sukhad paristhiti ai bhul gaye prabhu ko bhul gaye unki agyaa aisa paristhiti ke anusaar nahi wo bhagwat prasad wo mahapurushon ka prasad prapt karta hai jo unki agyaa mein purntya sthit rahta hai.

ye mahatmaon ki ninda kyon hoti hai? Bade-bade mahatmaon ki ye ninda kyon hoti hai? Jab is koti ke mahapurush hote hain to unki ninda sansaar mein log kyon karte hain? Do swaroop hai. Ek hai bhakti dusri hai maya. Jab wo bhakti ya gyan ke dwara siddh hote hain to jo maya ke siddh hote hain unke hriday mein apne aap dves ho jaata hai. Maya siddh kami kroadhi lobhi mohi ye dekhte hain jab santo ko to apne aap inke aankh paida ho jati hai. Ye kuch hai aisa ki ye maya ke parsad jo hai ye aae hain dekhne ke liye thermometer dalne ke liye.

par wo thermometer bhakton mein hota hai. Mayaviyon mein to hota nahi. Bhakti se jaan sakte ho maya ke dwara nahi to mahapurushon ki jab prabhav aur yash ka vistar hota hai to jo mayavi jan hote hain maya ke das hote hain unke hriday mein bhaykar droh paida ho jaata hai dves paida ho jaata hai itni jalan unko hoti hai ki wo kisi bhi tarah mita paye bas ye baat hoti hai kisi bhi tarah mita pave par seem ki chap sake kutasu ba rakhwar Ramapati jasu jinke bhagwan rakshak hai unko kaun nasht kar sakta hai? To isliye upasak ko yah bhi tayyari rakhni hai ki apman ninda tiraskaar yah hamare is marg ke puraskar hain.

milega milta raha hai. Mila hai milega. Pakka jaise apne log hain na to bahut achhche se milte rahe pure jeevan pura abhyaas raha hai inka unki kripa rahi hai prabhu ki ki aise aise mahina do mahina mein ek do tablet milte rahe hain ki aapka man sammaan yash kirti se jo jahr badha hai wo ek tablet mein niche utar jae utarte rahte hain kisi na kisi mahapurush ko bhej ke maya ke mahapurush aur wah aisa bartaav karate hain phir puchte hain ab kya hota hai aapki badi kripa to age nikal gaye ham hi the aur koi nahi tha ham hi the aur koi nahi tha ye to ham aapse prashn kar rahe the sadhak is baat par savdhaan rahe ki jab uski ninda ho apman ho to samjhe ki mere prabhu mere samne padha ke jagatguru ab wo prashn kar rahe hain.

mujhe sahan karke age nikalna hai. Aaj ke satsang ka sar kuch samjh mein ave janave jo mantr mila hai naam mila hai har samay japo ye sab kuch prakashit kar dega aur khas baat ham kaise hain hamen ye bhulna hoga hamari priyaju kaisi hamen yah yad rakhna hoga agar ham apni yad rakhen to barbad ho jaegi pakki baat hai aaj tak ki tumhen baat bata rahe hain bhai apne ghar mein jaise baat ki jati hai agar is marg mein chalna hai to yahan kya ho raha hai? Yahan kya hona chahiye? Aur yahan kya hoga? Yah tino jimmedari hamne apne prabhu ko de rakhi hai.

aur ham chain se sote hain. Jo ho raha hai wah aap karao. Jo hona ho wah bhi karva lena. Jaise bhi hai ham aapke hain. Aapke siva hamara koi hai nahi. Aapko ab ham chhorne wale nahi. Pakki yah hriday mein baitha lo. Isliye bar-bar kah raha hoon ki bahut tufan chalte hain maya ke. Kabhi dakshan vayu kahin utra rahi uttar ki kabhi pachhiya kabhi purwaiya sadhak idhar tatiya lagave to udhar uda ja raha hai. Udhar lagave to udhar uda ja raha hai. Bahut gambhirta se vichar purvak ye sab nirnay ki baat ham aapko kah rahe hain. Hamko apne chintan ki vritti chhodni hogi.

tabhi age badh paoge. Nahi aapko bichbich mein lagega ki parivartan to hua nahi. Aisi maya hai. Yah ham khub ekant mein vichar karke bol rahe hain. Isliye sabse prarthna hai. Prarthna hai ki apne ko bhulna hoga. Is marg mein apne bhakti marg ki baat kar raha hoon. Hamare aradhya dev ka swabhav kaisa hai? Unka prabhav kaisa hai? Wo kitne karuna mein? Yah yad rakhna hai aur apne mein kya hai yah bhulna padega nahi to bar-bar aap vikshep ko prapt honge. Yahan maya aapko aise vichar degi aise aapko darshan karayegi jisse aradhya dev ka sanidhy chhut jae.

unka bharosa chhut jae. Ab ham jaise hain. Agar sharanagati ke satsang ko yad karo aap. To usmen yah kaha gaya tha upasak jab apni chinta karta hai to sharanagati par kalank lagata hai. Theek hai? Ab ham kya kar sakte hain? Ham to aapki sharan mein hain. Ham jaise bhi hain malin vichar, achhche vichar aapne hamko varan kiya hai na. Ham to aapko varan baad mein kiya. Pehle aapne hamen varan kiya hai. Vakalt mein ham log jit jaenge. Hamne aapko varn nahi kiya hai. Ham to jante bhi nahi the aapko. Aapne chayan kiya pure sansaar se. Alag-alag bulaya.

koi Haryana se aaya, koi punjab se aaya, koi uttar pradesh se, koi to pakar ke mangaya na apne apne bhav dwara ghaseeta. Jab unhone chayan kar liya hai to kya dekh ke chayan kiya hai? Ham mein koi visheshta thodi dekhi hai. Ham mein adhamta dekh ke chayan kiya hai. Ye bechara sadhan karke bhagwat prapti nahi kar payega. Ab hamko sadhan se kya matlab hai? To kisse matlab hai? Jinhone hamko pakda hamko unse matlab hai. Unka swabhav kaisa? Unka prabhav kaisa hamari baat man lena ham hanste hanste wo baat kah rahe hain jisse aap nihal ho jaoge apne ko dekhoge kadam ladkhda jaenge unki taraf dekhoge bhag padoge apne dekhne se kabhi kalyan nahi hoga unki taraf dekhne se hi kalyan hoga apne dekhne se bahut dukhi ho jaate hain unki taraf dekhte hain to bahut sukhi ho jaate hain hamen sukhi hona hai hamen aandit hona hai hamen apni taraf nahi dekhna ham nahi sambhal payenge nahi sudhar payenge kab tak jab tak unki taraf nahi dekhenge.

ham apne ko dekhkar pavarheen hote hain. Unko dekhkar ke hamare andar power aati hai. Jab bharat ji apni taraf sochte hain to kadam ladane lagte hain. Jab Siyaram ji ki taraf sochte hain to utsah sampann hokar chalte hain. To ham apni priyaju ki taraf dekhen. Jaisi paristhiti roz kat raha hai. Roz ke roz ayu ksheen ho rahi hai. Mrityu ke nazdik ja rahe hain. Hamare paas Radha naam dhan hai. Hamen durgati ki koi parvah nahi hai. Hisaab nahi kar payega koi tribhuvan mein itna mal hamare paas hai. Bole aapke paas hai kyonki aap bhajan karte rahe.

ham ek naam ki baat kar rahe hain. Ek bar to sun hi liya na abhi Radha bhale na bola ho to iska bhi hisaab nahi kyonki gavat shravanam sunat sukhakar vishv durit dhwani bolne wala aur sunne wala barabar phal ka adhikari hota hai. Khub naam jap karo mantr jap karo jaise bhi hai isse buri sthiti mein hamko pakda gaya hai. Isse buri sthiti mein hamko chayan kiya gaya hai. Aaj to ham ghere ke andar nahaye dhoe baithe hain. Kal to kichad mein khel rahe the tab hath milaya. Jab ham kichad mein khel rahe the tab hath milaya.

ab to naha dho ke baithaal diya to ab kyon chhod denge? Aur chhod de aisi unmein takat nahi. Unhone aaj tak jise pakda hai itihas sakshi chhoda nahi to hamen kyon chhod denge? Aap samarth ho. Ham aapko chhod sakte hain lekin aap hamen nahi chhod yah vishwas hai to moh pari odh moso na bigaran ko to so na ae bhai ham ye isliye bahut danya hokar bol rahe ki maya hath chhodwa ke tumhen apni taraf apne pale mein na ghaseetwe dekho tum bure ho tum jaise ho hamari shri ji ke ho pakka shri ji milenge ham sab usi pankti mein khade hain sahi yahi kah rahe hain wo pakde hain isliye ham khade hain.

nahi aisi hawa chal rahi hai ki na khade rahe aapki drishti mein bhi nahi aaenge. Aise pare ho jaenge. Aise gir jaenge. Wo pakde hain. Gurudev pakde hain. Shri ji pakde hain. Ye jab hamko pakde to aapko bhi pakde. Aapko nahi lag raha ki wah pakde hain to itna man lo ham aapko pakde aise aise nahi bahut jor ki pakar hai wo hamko pakde aur aise pakde to puri line bach jaegi maya uda nahi paegi akele par jaoge to uda le jaegi ek dusre ko pakde hue ham sab shri ji ke paas chalte ab dekho is janm mein sauda beech mein mat karo yar shri ji chahiye is janm mein prabhu chahiye ye is janm mein hamen ab maya se mukt hona hai.

thoda to utsah banao. Sharir to chhutna hi hai. Ye chhod ke jana hi hai. Utsah bana loge to dhani hokar chaloge dhani ke paas. Nahi phir aaenge yamanraj ke dut to mar dando le jaenge. Bematlab galat disha mein. Isliye hamara koi anya yoni na mile. Agar hamen janm mile to manushya janm mile aur bhagwan ki aradhna karun. Aradhna karke punah unko prapt karun. Waise to isi janm mein mil jae bahut accha hai. Isliye naam na chhutne pave. Ae bhai Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi