॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya mere jeevan ki katha kahi jaegi?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

maharaj ji sabhi bhakton ko kah rahe sunte hain to maharaj ji hamare andar bhi chahat uthti hai ki hamari bhi koi katha karega kabhi he bhagwan yah dehabiman pind to maharaj ji kabhi log hamari bhi baten karen ki kitni badi bhakt aati are aisi baat mango ki kabhi in bhakton ke charit shravan se mere bhi hriday mein bhakti jage aur main bhagwan ke liye roun. In bhakton ke aacharan apne jeevan mein dharan karun. Bhagwan ke prati samarpan karun. Jaisa in bhakton ka samarpan hai. Kya kabhi kinchna matra mera bhi prabhu ke prati samarpan hoga?

ye is nashvan sharir ka yash gaya jae to kya isse labh milta hai? Badi wahwahi hai. Ek minute mein sab raddi kaagaz mar gaye. Kis kam ai wahwahi? Bade-bade chakravarti samrat hue, bade-bade veer hue, bade-bade dharm dhwaji hue. Sab gaye kagjon mein likhe rah gaye. Yah kahe ko malin vasna dharan karti ho? Nirmal vasna dharan karo. Kabhi kya in bhakton ki kripa se main bhi bhagwan ke bhakton ki shrani mein aungi. Kabhi bhagwan mujhe apna manenge. Kabhi main bhagwan ke liye roungi. Kabhi bhagwan ke nirantar chintan mein dubungi.

jaise bhakt jan dube tab to baat samjh mein mera charit gaya jae. Ye to thoda hamen kam accha laga. Isse dehabiman pusht hota hai. Apne ko bhakt manne wala bhakt hi nahi hota. Jitne mahan bhakt hue sab apne ko adham mana. Aur ham kahe ki hamara bhi koi charit gawe tab to khula deha abhiman ho gaya. Is dehabiman jab tak rahta hai tab tak wo charit gane layak nahi rahta hai. Is darbar mein dainya ka aadar hai. Abhiman ka nirader hai. Pehle bhagwan se prarthna karo ki aapka deh bhav nasht ho. Yah galat dharana aisi dharana nahi honi chahiye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi