॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त कथा · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

nal-Damayanti ji ki katha(Part-1) | An AI Short Video | Pujya Premanand Govind Sharan Ji Maharaj

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

sunate hain man mein kasht kise kahte hain. Maharaj nal ka prasang yudhishthir ji ko suna rahe hain. Bada dharmik prasang hai aur shikshaspad prasang hai. Maharaj nal ismen varnan hai. Bhagwan vyas dev ji varnan kah rahe hain. Maharaj nal sarwagun sampann hai. Bhaleebhanti jab tak byah nahi hua brahmcharya ka palan kiya. Maharaj nal brahmcharya se rahte the. Charon vedon ko kanthsth kiye hue the. Pancham ved swaroop samasth itihas aur purannon ka gurukul mein rahkar adhyan kiya tha. Sab dharmon ke gyata the maharaj nal.

aur jab wahan se apne ghar aae to panch yagno ke dharm ke anusaar sampurn devtaon ka nitya home karte hain. Havan ke dwara bal vaishy de aur panch yagno ki ahuti apne log jab naisthik brahmcharya mein the to ye sab adesh the gurujanon ke ye sab karte the ahimsa paraayan sadaiv satya bolte dridta purvak jo niyam lete uska palan karte aise tejasvi the ki dakshata dhairya gyan tapasya soch sham dum yah swayam unmein nivas karte the. Aise raja nal ke prabhav ko dekhkar ke kalyug ne kaha hamare rajya mein aise ko sukhi nahi rahna chahiye.

Damayanti ji jaise nal ji brahmcharya se rahte Damayanti ji jinke saath inka panigrah sanskar hua. Brahmcharya se rahti thi. Devi swaroop hai. Sat karyo ka anusthan brahmcharya se rahna aur jab byah ke yogya hue to inhone dharmatmaon ke mukh se maharaj nal ke rup saundarya dharmatma hone ki baat sare gunon ki baten suni to man mein nischay kar liya ki agar pati rup se varan karungi to maharaj nal ko bada prasang hai. Ham udhar piche nahi jaate. Devtaon mein lalsa prakt ho gayi ki aisi nishtavan Rajkumari ka varan to jo devi swaroopa hai.

ham devtaon ko chahiye. Devta gaye. Jab unko pata chala ki maharaj nal ke prati inki asakti hai to sab ne nal rup dharan kar liya. Nal ji ko bhi nimantran gaya tha. Yah bhi gaye the. Par is panch devta jo the unko pranam karke kaha main aapka das hoon. Mera jeevan aapke charnon mein samarpit hai. Main aise kabhi galti nahi kar sakta ki aapke age swayamvar mein main khada hoon. To unka ham tumhari is dainyta se aur is prarthna se prasann hai. Hamara adesh hai. Tum khade hoiye aur wo jiska varan karegi wahi le jae.

Damayanti ke samne nal nal nal nal Damayanti ne kaha man vachan karm se hamne kabhi dharm ka ullanghhan nahi kiya to he devtaon aap hi mujhe batao ki mere asli nal kaun hai inme se tatkaal hriday mein aaya ki devtaon ki chhaya nahi hoti aur manushya rup mein chhaya hoti hai to jis nal mein chhaya par rahi thi jis sharir ki jaymala hone ke sab devta prasann ho gaye ki ham tumhari patirat dharm nishtha par prasann hai ki jiska varan kiya usi ke gale mein mala dali. Yahi tumhare dharm ki pariksha thi. Kalyug inke is prabhav ko dekhkar ki devta bhi jis swaywar ke liye gaye usmen inki vijay hui.

itna dharmatma gunvan hai. Irshya ho gayi. Kalyug ko irshya ho gayi. Jab devta log wapas ho rahe the to kalyug ne kaha ki yah main kabhi sah hi nahi sakta ki hamare rajya mein koi itna gunvan dhanvan dharm se chalne wala sukhi rahe main isko har tarah se raund dunga. Kalyug ne kaha devtaon ne kaha tumhen krodh nahi karna chahiye. Dharmatma purush bole aapka kam ho gaya. Aap jaiye ham apna kam shuru karte hain. Isko kisi kam ke layak nahi rakenge. Isko nasht kar denge. Kalyug ne kaha main apne krodh ka upsangar nahi kar sakta.

ab mera chamatkar dekhna iski khopdi mein baithta hoon isi raja ki aur iska sarvnash karta hoon. Main inke bhitar nivas karunga. Inko rajya se vanchit karunga. Inko inki patni se vanchit karunga. Sukho se vanchit karunga aur sarvnash kar dunga. Is prakaar kalyug ne un devtaon se kah ke maharaj nal ke piche chal para. Par wo sparsh nahi kar sakta tha. Kyonki kahin bhi adharm aacharan nahi tha. Bina adharm aacharan ke kalyug kisi ko sparsh nahi karta. Uski samarth hi nahi hai. Ab wah nal ke dosh dekhne ke liye tatpar rahta.

koi galti aisi mile dharm virudh jisse main iske andar pravesh kar jaun aur iska nash kar du. 12 varsh bit gaye. Koi bhi galti nahi mili. Ek kumar, ek kumari ka janm bhi hua. 12 varsh ho gaye. Ek bhi galti nahi mili. Ek din kisi raj karya se bahut shithil the. Sandhya ka samay tha surya argh dene ka to laghu shanka gaye hath dho liya par na charan dhoe aur na achman kiya aur argh mein bas chhidr mil gaya kalyug ko pravesh karne ka dosh mil gaya aur avishta hote hi buddhi badli nasha jaise chadta na kalyug ka avesh hote hi buddhi badal jati hai.

udhar ek pushkar the jo inke kajan bhai the par raja ye bane hue the. Bada raja hota tha. Uske paas kalyug unki buddhi mein pravesh karke vichar karwane laga. Ki mera bhi to adhikar rajya pe hai. Yah bada hai to raja ho gaya to kya fasaya jae isko? Abhi tak nahi tha. Jakar lalkara ki tum bahut bade raja bante ho. Hamare saath juaa khel lo. Maharaj nal vichar shunya ho gaye the kyonki kalyug ka pravesh ho gaya tha. Raja nal kuch sochne vicharne ki samarth rahit ho ke kaha ki yadi dharm purvak juaa kheloge to ham tumhare saath khelnge.

juaa kahin dharm purvak hota hai kya? Juaa mein chhal aur kapt ka rajya hota hai. Da krida ke liye pushkar ne aavahan kiya. Raja nal juaa khalne lage. Buddhi mein kalyug ka pravesh ho gaya tha. Raja nal harte chale ja rahe hain. Juaa ka ek josh hota hai. Jitna harta utne uske andar aur jitne ki lalsa prabal hoti hai. Sab ratna har gaye, swarn har gaye, rajkiy vahan har gaye, bahumulya wastron ko danv par laga diya. Kuch bhi ab aisa nahi dikhayee de raha hai ki jo lagaen mahal bhi danv mein laga diya ab wo juaa hai aur is samay kalyug ka sankalp hai inko nasht karne ka to wahi pasa parta hai pushkar ke hath mein jisse raja nal har jae ek bhi bar nahi jite par josh inka badhta chala gaya sarathi ne mahal mein jakar ke Damayanti se nivedan kiya ki samasth purwavasi log aapse prarthna karna chahte hain.

aapki hi baat maharaj man sakte hain. Rok dijiye inko nahi to nasht ho jaegi. Puri praja nasht ho jaegi. Agar pushkar raja hoga to dusht swabhav ka hai. Aise dharmatma raja ko parast karke jue ke dwara agar wah raja bana to praja dukhi ho jaegi. Maharaj bhavi sankat ko na dekh ke keval jue mein magan ho rahe hain. Theek nahi hai. Da krida mein Damayanti bahut shokit hui ki apne pati ko ham adesh karen. Aisa ho nahi sakta. Par aisi paristhiti mein mujhe nivedan karna chahiye. Dwarpalon se kaha ki jakar ke maharaj se prarthna kar do.

unke charan darshan karna chahti aur kuch nivedan karna chahti. Kitna dharm hai. Ab jakar ke bar-bar wahan kah rahe hain Damayanti ji aapse nivedan kar rahi hain. Wo aapse milna chahti hai. Unko sunai nahi de raha. Bas pase par manovatti lagi harne pe. Damayanti ne dekha ki maharaj to unmat ho gaye hain. Asavdhan hai. Bhay aur shok donon ka tyag kar apne pati ka hit karna patni ka param kartavya hota hai. Agar maharaj ka sab kuch chhin gaya to maharaj sankat mein par jaenge. Isliye ab mujhe yah mariyada nahi rakhni chahiye ki wo adesh de tab unke paas jae.

agar Swami sankat mein phasne wale hain to unke adesh ki zaroorat nahi. Apne mein sharir se vachan ke dwara ya jaise bhi bane sankalp ke dwara unko sankat se nivraat karna sevak ka param kartavya hota hai. Wahan adesh ki zaroorat nahi hoti ki adesh nahi hua. Swami sankat mein fanse hain. Mantriyon ko bulaya Damayanti ji ne aur kaha pradhan pradhan kya-kya hara gaya mujhe batao. Mantri ne sab kuch bata diya. Amuk amuk dhanraj khajana mahal raj parivaar ki suvidhae sab kuch har chuke hain. Shok se vyakul hui Damayanti maharaj ke paas jakar prasann mudra mein kah rahi dekho ye dharm kahta hai yadi samne wo nirash aur hatash ho rahe hain to apne ko aisa samne pesh nahi karna ki aur dukhi ho jae.

prasann mudra mein kaha ki maharaj aapko pata hai aap kya-kya har chuke hain aur aap kis gati ko pahunch rahe hain. Prarthna hai aap savdhaan ho jaiye. Jo hua chhod do. Jitna bacha utne mein ham rah lenge. Dharm purvak jeevan vyatit karo. Ye adharmacharan aapko parast kar raha hai. Juaa khalne se maharaj ka sara ka sara gyan choupat ho gaya tha. Damayanti ji lakh samjhae maharaj ne aankh utha ke bhi nahi dekha. Sab kuch harte chale gaye. Ab lagane ke liye kuch nahi bacha. Kuch nahi. Chakravarti samrat ke paas kuch nahi bacha.

tab pushkar ne hans ke kaha ki tumhare paas Damayanti rah gayi hai jaise Duryodhan aadi ne prerna ki. Aur to maine jit liya sab kuch. Tumhari agar ichchha ho to ek danv par final ho jaega. Ab Damayanti ko rakh do ya to tumhari rajya sahit aur ya phir meri maharaj ke ankhon mein aansu aa gaye nahi itna nahi kar sakte rajya har gaya sab kuch har gaya itna nahi kar sakte aisi dharm se chalne wali patni ko tum jaise kumargh gamiyon ke hath mein nahi thoda kam kiya buddhi maharaj ne kaha ki mera hriday vidarna ho gaya tumhari ye baat sunkar ke mere mein itni samarth nahi ki main aisa kar sakun.

mere abhushan bache hain. Kya yah danv mein lag sakte hain? Sab kuch to chala gaya. Aur abhushan ko danv mein lekar ke aap ek bar dekh lijiye. Abhushan laga wo pasa to kalyug ke prabhav ko khatm. Maharaj ne kaha mere vastr vastr bhi le liye. Bada vichitra bhagwan ka khel itna gyani itna sanyami raja aur kalyug pravesh kar gaya to kahan kuch nahi digambar kapde utarwa liye aur adesh kiya isi wakt hamare rajya ki sima ke bahar nikal jaiye pushkar ne Damayanti ji ke sharir par koi abhushan nahi hoga. Ek vastr ka adesh karte hain aur tum aise niklo rajya se bahar.

puri praja mein hahkar maharaj nal teen raat teen din chalne ke baad us nagar ki sima ke bahar jangal mein pahunche. Pushkar ne ghoshna karva di maha maharaj nal ko jo koi bhi pani bhojan vastr dega use mrityudand diya jaega rajya mein koi bhi pani bhojan vastr bhi nahi dega sammaan ki to baat jane do koi bhi praja ki takat nahi thi ki unke ab adhikar uske hath mein hai. Pushkar ke vachan ke anusaar koi bhi purwasi thoda bhi sahyog nahi kiya. Kisi sarovar mein jal lekar ke teen ratri teen din barabar chalkar ke wo jangal mein wahan pahunche.

bhookh se pidit hain. Raja rahe hain. Kuch kand mul phal jutae. Damayanti ji unke piche piche chal rahe hain. Damayanti ji ne samjh liya tha ki jo buddhi shastr virudh chalti hai wo sarvnash kara deti hai. To apne kumar aur kumari ko maharaj ke sarathi se kaha ki tum hamare mayke mein le jakar ke inko de do aur yah maharaj ka divya ashv hai. Iski suraksha ki jae. Kabhi samay aayega to ho sakta hai maharaj ki seva mein aur tum gupt rup se rahna. Tum maharaj ke sarathi ho. Maharaj ke saman buddhiman ho. Tum apne ko prakashit mat hone dena ki maharaj nal ke sarathi hain aur hamari putri aur putr ko hamare mayke mein kundanpur bhagwan ka bada vichitra khel hai.

yadi bhagwat aashray na ho to kitna dukh hi dukh hai. Ab Damayanti ji saath chal rahe chhudha se pidit maharaj kand mul phal ekatrit karte hain. Par kandmool rishiyon ka ahar hai jinhone swad ko nasht kar diya hai. Ab yah raja the samne inko dikhayee diya kuch pakshi hain jinke swarn ke pankh hain. Unke man mein aaya ki yadi yah pakshi phas jae aur swarn ke pankh ham nikal kar bech den to ann aadi mil jaega to bhojan to ho jaega. Mere bhojan ki vyvastha isse ho jaegi. Ab wahan jal to hai nahi. Maharani sari hai bada vastr hota hai.

kaat ke usko se un pakshi ko baithe hue the. Fenka wo pakshi nahi the. Wah pase the jo pakshi rup mein akar akarshit kar rahe the wah aadha vastr uda ke le gaye aur kahne lage khoti buddhi wale naresh jo dharm ka tyag kar deta hai usko main pag pag par dand deta hoon. Main koi pakshi nahi hoon. Main pushkar ke hath ka pasa hoon jo pakshi bankar aapko dhokha dene aaya tha. Yah maharaj yudhishthir ko prasang sunaya ja raha. Bhagwan vyasdeo ji ne rachna ki. Ab mujhe chain mil raha hai. Aap itne kasht mein ho. Ab accha lag raha hai.

maharaj nal ne Damayanti se kaha tum sati ho, sadhvi ho. Dekho mera ab na to krodh kam karega na bal kam karega. Kyonki main balheen ho chuka hoon. Sudha pidit hoon. Pata nahi mera jeevan ab kis taraf jaega. Mujhe kuch pata nahi hai. Meri praja bhi bhayabhit hai aur mujhe koi aadar nahi degi. Dekho main itna nirbhal ho gaya ki wo vastr bhi pakshi le ja rahe. Main unko rok nahi pa raha. Aaj hamare jeevan mein aisi paristhiti aa gayi hai. Meri chetna lupt ho rahi hai. Main tumhara pati hoon aur tumhara mitra bhi hoon.

isliye ek tumhen bahut hit ki baat bata raha hoon. Yah jo marg ja raha hai, yah dakshan ki disha ki taraf hai. Iske age ek rikwan parvat hai. Use lang karke jana. Wahan ek avanti rajya hai. Wahin ek bam parvat dikhayee de raha hai. Wahan payoshni nadi hai. Bade-bade maharshiyon ke ashram hai. Wahan Maharshi gan sundar sundar faila aadi ki pehchan bhi jante hain. To wahan jakar kuch din rukna. Unki suraksha mein aur phir wahan se vidarbha desh ka rajya ka marg wo tumhen bata denge. Tum us marg se jakar ke apne mayke mein chale.

ekagrachit hokar main tumse tumhare hit ki baat kahta hoon. Ab mere jeevan ka to kya bharosa? Kahan jaega? Kya hoga? Kaisi paristhiti hogi? Damayanti ji vikal hokar ke boli ki maine sukh ka varnan nahi kiya. Maine kisi raja ka varn nahi kiya. Maine aapko varan kiya hai aur aapko varan kiya hai to aap jis paristhiti mein ho main aapke saath hoon. Unka hriday bahut vyathit hua. Kaha maharaj rajya chhin jane par, dhan nasht ho jane par, apman hone par bhi mujhe utna dukh nahi hua jitna aapke vachan sunkar dukh hua.

aap mujhe alag karne ki baat karte hain. Mujhe asahay banana chahte hain. Abhi main asahay nahi hoon. Aapke saath hoon to maharaj chahe jaisi paristhiti mein aap ho jab aap thake honge nirash honge to ham aapke charan dabakar aapko vani ke dwara santwana denge. Aapka utsah vardhan karenge. Aap mujhe chhodiega nahi. Sabse badi chikitsa vachan chikitsa hoti hai. Davaiyaan to hoti hai lekin kisi ko agar utsah badha diya jae to sabse badi dawa hoti hai. Koi kitna bhi bada rog ho agar uska mansik utsah badha diya jae to rog ko aise sadharan samjhkar sah lega aur mansik star gira diya jae to svasth purush bhi rogi ho jaega.

svasth purush bhi Damayanti ji ne kaha mera vachan aur mera sahyog aapko sadaiv prasann rakhega. Isliye aap mujhe tyagie mat. Nal ne kaha tum jaisa kahti ho aksharsha theek hai. Patni ke saman koi mitra nahi hota. Kyonki apne jeevan ko samarpit kiye hue hai. Par mera kartavya mujhe tumhen saath rakhne ke liye adesh nahi karta. Kyonki mujhe pata hai mujhe bhaykar ab kasht pana hai aur main tumhen kasht se yukt dekh nahi sakta. He priy main sharir ka tyag kar sakta hoon par tumhen kasht mein nahi dekh sakta.

yah pati ka dharm hai. Samjhe? Main sharir ka tyag kar sakta hoon. Par tumhen kasht se yah pati ka dharm hai. Patni ka dharm kya hai? Ki mera jeevan mera vachan aapko har samay prasann rakhega. Kaisi bhi paristhitiyon mein ho maine aapka varnan kiya hai rajya ka nahi aapke sadgunan ka nahi aapki mahima ka nahi ye tabhi aise sad grihasth mahatma kahe jaate hain aise sad grihasth mahatma kahe jaate hain maharaj mujhe pakka pata hai aap tyag denge kyonki aapne jo vidarbha desh ke marg ka varnan kiya isse mujhe pakka pata hai ki aap mujhe tyag denge par mahipte badi se badi apatti mein bhi apne sharanagat ka tyag nahi kiya jaata aur main aapki sharan mein hoon.

aapko tyag nahi karna chahiye. Yadi aapka abhipray hai ki main bandhu bandhuon ke yahan sukhi rahungi to kadpi nahi. Main aapke charnon ke samip sukhi rahungi. Maharaj nal ne kaha ki is samay tumhari yah baten mujhe suhati nahi kyonki mujhe keval ek baat dikhayee de rahi hai. Mere samne bada dukh khada hai aur main us dukh ko akele bhogna chahta hoon kyonki mere hi karm ka hi phal. Maine juaa khela tumne to nahi khela na. Isliye ham tumhen dukhi nahi karna chahte. Tum pativrata ho. Tumhen kabhi koi kisi bhi tarah se hani nahi pahuncha sakta hai.

mujhe vishwas hai. Raja nal ne anek prakaar se unko bodh karaya ki tum sati ho. Pativat dharm se yukt ho. Ghabrana nahi. Damayanti ne kaha iska matlab meri bhakti mein abhi kami hai. Agar bhakti mein kami na hoti to aap mujhe kyon tyag dete? Maharaj ne kaha yah to ham aapko bata rahe the. Koi tyag thodi rahe hain. Chalo Damayanti ko saath lekar ke jangal mein dhundh rahe ki koi sthan mile jismen ratri mein shayan ho. To ek khandhar jaisa tha. Wahan dekha. Kaha aaj ratri yahi shayan karte hain. Par phir ham tumhen sambodhan karte hain ki yah marg amuk amuk jagah se aise jaata hai.

waise to samjh hi gayi thi ki maharaj ka kya sankalp hai. Par thaki itni thi ki unko nind aa gayi to unka thoda vastr kaat ke aise hi apne sharir ko dhaka aur ek bar laut ke dekha aur bas chal pare chhod ke va se raja nal yadyapi bahut hriday se dukhi. Sab kuch chhin jane par bhi aisi priy dharmatma patni ka is tarah se tyag karna bilkul theek nahi hai. Par unko yahi lag raha hai pata nahi kaun sa sankat mujhe bhogna pare. Agar ye chali jaengi to surakshit rheng. Achanak ratri mein aankh khuli to dekha maharaj ne vilap karne lagi.

kya koi apne is tarah samarpit patni ka tyag karta hai maharaj aap jaise nath hone par bhi mujhe anath karke kyon chhodkar chale gaye aur mera aadha vastr sharir se lapta hua hai. Iska matlab aadha vastr aap apne sharir ke liye jisse tan dhak jae. Yah hinsak pashu se bhara hua van hai. Aur mujhe akela chhodkar aap jane ki soch kaise liye? Aise wo vilap kar rahe hain. Raja nal ki buddhi mein kalyug savar hai. Ashanti paida ki hui hai. Kalyug ke sparsh se maharaj ki buddhi dharm nirnay karne mein shithil ho gayi. Nirnay theek nahi ho pa raha kyonki buddhi kalyug se grasit ho gayi.

wah apni aisi pativrata patni ko akele hi nirjan mein chhodkar ke chal diye. Nirjan van mein apne Swami ko na dekhkar ke Damayanti bahut bhayabhit ho gayi. Vilap karne lagi. Jo dharmagya hain, satyavadi hain, bhalao mujhko kaise chhod sakte hain? Bar-bar prashn aata hai. Aisa kaise kar sakte hain? Kyonki mera koi dosh to hona chahiye. Mrityu asmay mein nahi aati. Aise hi tumhen mujhe tyagna nahi chahiye. Agar parihas kar rahe ho to maharaj prakt ho jaiye. Kahan ho? Agar vinod kar rahe ho to prakt ho jaiye.

main bahut dar gayi hoon. Aap mujhe darshan dijiye. Bhookh, pyas, parishram, dukh yah mujhe parast nahi kar sakte. Par aapka sang tyagna ab main parast ho jaoongi. Ab mere dukh ki sima nahi rahegi. Yah sab dukh mein sah sakti thi. Prachnd shok se Damayanti dukhi hokar chilla chilla kar rone lagi aur van mein khojne lagi. Damayanti dirgh svase lete hue haan maharaj haan maharaj aisa kah rahi thi vilap karti hui us janm jangal mein ghum hi rahi thi ki ek vishal bhari bharkamp ajgar jo bhookh se vyakul tha Damayanti ji ko dekha aur usne lambi shwas khinchi jo jangal mein bade-bade ajgar hote hain wo daud ke nahi khate muhn faila diya aur shwas khinchi.

jaise prabal tufan se koi bhagta chala jae. Aise unki vayu ke akarshan se wo unke mukh tak aa jaata hai. Vishal ajgar hote hain. Chakkar katti hui Damayanti uske mukh ke samip aa gayi. Uski aisi khinch hui ki beshuddh hokar chakkar katti hui uske mukh ke samip aa gayi. Aur wo nigalne ki cheshta karne laga. Vilap karti hui kahne lagi ki yahi uchit hai. Aapse viyog hone par is sharir ka nasht ho jana hi theek hai. Kyonki aaj main anath ho gayi aapke bina. Wo aise vilap kar hi nahi rahi thi. Ajgar aadha lel chuka tha. Aise wah dhire-dhire apne shikar ko lelta hai.

wahan ek vyyadh tahal raha tha jo jangal mein hi rahta tha. Pashu ko mar kar khata tha. Aise hinsak usne karun krandan suna to bhag ke aaya to dekha itna sharir ajgar lil gaya tha. Bade veg se aaya aur ajgar ke dwara nigli jati hui Damayanti ko bacha. Unke paas astr bhi hote hain. Turant us ajgar ko kaat ke mar ke Damayanti ko nikala. Damayanti se kaha aap chinta mat karo. Ab aap svasth hain. Wo mara ja chuka hai ajgar. Tum kis prakaar se itne sundari hote hue is jangal mein kaise Damayanti ne sankshep mein apna vritant sunaya.

vid vidarbha kumari Damayanti ke adhe vastr se sharir dhaka tha. Aadha maharaj le gaye the. Aur itne sundar devta jinke varan karne ke liye to phir vyyadh vyyadh kamatur hokar ke unse baat karne laga Damayanti ji se Damayanti ji jaise balak ko samjhati hai aise kaha ki dekho main aapki bhavna ko dekh rahi hoon tanik bhi dushit bhavna mat karna hamare prati bada tumhara upkar hua jo tumne ne is sharir ko bachaya par is sharir par kam bhav mat kar lena. Jante ho main pativrata hoon. Pahli bar jo tumne hamara sparsh kiya wo bchane ke liye kiya tha.

isliye tumhara mangal nahi hua. Nahi mere chune matra se tumhara mangal ho jaega. Ab wo vyyadh bechara kya jane pativrata kya jane. Bhagwat ki baten Damayanti ne kaha bas ek kadam bhi age nahi vani ke dwara rokne par bhi wo vyyadh atyant avishta ho gaya kova madandho madna to rova andhon mein andha kaun hai arthat sabse bada madda kaun hai bole jise kam chadh gaya hai kam veg aa gaya wo ye nahi dekhta hai kya karna chahiye kya nahi karna chahiye koi dekhta hai ki nahi dekhta paap hai ki punya kuch ko maddo madna to rova je age kadam badhaya unhone phir kaha shant ho ja aur wapas ho ja sparsh mat kar lena par wo samjhne ki buddhi kho chuka tha smriti nasht ho jati buddhi bhrasht ho jati jahan kam ka avesh hota hai age badhkar jo hi Damayanti ka sparsh karne ko kiya.

Damayanti ji man mein sankalp kiya apne pati ke siva aaj tak hamne kabhi kisi ko agar kam bhav se chintan bhi nahi kiya hai to wahi pratap hamari raksha kare. Yahi aisa ki uske sharir mein jaise petrol dal ke aag laga di gayi ho aise aag lag gayi. Dekhtede jalkar bhasm ho gaya. Koi shraap nahi diya. Koi cheshta nahi ki. Yah hai pativrata ki samarth. Agar man vachan karm se maine kabhi kisi ke prati gandi bhavna nahi ki to meri wahi bhavna meri raksha kare. Tatkaal us vyyadh ke sharir mein aag lag gayi aur dekhtede bhasm ho gaya.

ab us nirjan evam bhaykar van mein asahay Damayanti ji jahan sinh cheeta ru mrig vyaagh bhayanak swabhav wale bhainse reech bade-bade sab jangli pashu unki awaz jo bhay pradan karne wali vrikshavliyon ki panktiyan semal jamun aam khair shaku bet padm ka anvla pakar kadamb gular ye bade-bade vrikshon ki jahan aise bhayanak pashu aise vriksh ab apne ko chhup chhup karke un pashu se bachhate hue vidarbha Rajkumari akeli dhund rahi hain. Kaha hai maharaj nal pati ka virah sankat hriday mein jala raha hai. Ek gufa thi usmen baithkar ke vichar karne lage ki shayad mere hi kisi karm ka phal aisa uday hua hai ki jo mujhe bhogna par raha hai apne pati se vilag hokar par jis marg ko mere pati ne adesh kiya hai mera kartavya banta hai usi marg mein chalna.

dekho kaisi bhi paristhiti ho dharmatma purush kabhi bhi apne pujya janon ki agyaa ullanghhan nahi karte. Man mein vichar kiya ki agar unhone chhoda to uske pehle mujhe marg bhi bataya ki is marg se jana hai. Us marg mein wo bhayabhit hote hue chal rahe. Kitna kasht aata hai jeevan mein. Dekho apne chhote-chhote kashto mein ub jaate hain. Chakravarti samrat ki aisi sukhad mahal mein rahne wali maharani aisi paristhiti ki tan dhakne ke liye pura vastr nahi, koi astr-shastr nahi, koi paas nahi, aisa bhaykar jangal jo pritam pati hain unhone bhi unko chhod diya hai.

vidarbha Rajkumari Damayanti akeli pati ki khoj mein bhtak rahe hain. Shok se pidit hai aur van se prarthna kar rahe ki mujhe sahas dijiye. Aap sab chaitanya ghan hai. Jarur vriksh rup mein hain lekin mujhe sahas dijiye ki main apne pati ke batae hue marg par chalun. Vivid dhatuon shila khandon ko par karti hui age badhne lagi. Jab koi dharmatma purush sankat mein hota hai to bhagwan apne aap koi na koi vyvastha kar dete hain. Lagataar kuch ratri aur din barabar chalti rahi. Wahan dekha ki bade tapasvi jan virajman hain.

sadhu mahatma jo ekant tapasya karte hain. Wo unmein se kuch keval jal pikar rahte hain aur keval koi vayu pikar ke rahte hain. Kuch aise hain jo sukhe patte khakar rahte hain. Wo vkal ki langoti vrikshon ki chhaal ki langoti lagae. Aise tapasvi mahatmaon se bhare us ashram ko dekha to danti ke hriday mein sheetalata hui. Sadhu te hoe na karaj hani. Tapovriddha mahatmaon ke samip jakar unko sir rakhkar ke pranam kiya aur vineet bhav se khadi ho gayi. Tapasvi mahatmaon ne kaha devi tumhara swagat hai. Aap nirbhay hokar ke vishram kijiye.

aap hamen bataiye ki ham aapka kaun sa karya siddh kar sakte hain jisse aap sukhi ho sakte ho. Damayanti ne unse kaha bhagwan aap sab kushal se hain. Aapki sadhna kushal se tapasya kushal se hai. Mahatmaon ne kaha bhagwan ki kripa se sarvatra yahan kushal mangal koi badha nahi. Mahatmaon ne kaha tumhare rup saundarya ko dekhkar ke aisa lagta hai ki tumhen shokit nahi hona chahiye. Tum devi ho dhairya dharan karo. Unhone pucha ki aap yahan jangal mein akeli kaise? Tab vistar purvak apni baat bataai ki vidarbha desh mein bhim naam se prasiddh ek bhumipal hain.

unhin ki main rajputri hoon. Nishad desh ke raja sangram vijay maharaj nal mere pati hain. Jo sadaiv dharm ka palan karte hain. Brahm rishiyon ka aadar karte hain. Par aaj wah juaa khelkar apna sarvasv har gaye hain. Aur wah bahut dukhi hokar hamen tyag karke van mein bhtak rahe hain. To main unki khoj karte hue unke batae hue marg se chal rahi hoon. Kya aap bata sakte hain ki mere maharaj nal kahan hai? Kaise hain? Kya aapne dekha hai? Ya kisi pashu aadi ke dwara aakraman karne par wah ghyal ho chuke hain, dukhi hain.

agar aap kripa karke mujhe maharaj nal ke darshan karva den to meri hriday ko jo prasannata hogi wah kisi aur ashirwad se nahi hogi. Main un mahapurush ke bina apna jeevan dharan karna vyarth samjhti hoon. Rishiyon ne kaha kalyani main tapobul se sab kuch dekh raha hoon. Maharaj ko na kisi pashu ne chhwa hai aur na koi unke angon ko koi kasht pahuncha sakta hai kyonki dharmatma purush hain. Abhi to darshan tumhen nahi ho sakta. Par tum intazar karo. Tumhare pati tumhen prapt honge. Sare dukh mitenge.

sampurn rajya milega. Beech mein abhi kuch samay hai. Usko tum saho kyonki jo dharm ka aadar karta hai uska kabhi nash nahi hota. Dharmo rakshti rakshata Rajkumari Damayanti ham log agnihotra aur ashram mein rahkar tapasya karte hain. Yah hamari kripa se tum hamen dekh pa rahe ho. Abhi tumhare dekhte dekhte sab antardhya ho jaega. Na ashram rahega na rishi rahenge. Yah hamne prakt kiya hai keval tum ki darshan karke santusht ho chuko. Yah ham pragat mein nahi hai. Ham sab avyakt mahatma hain. Yah ashram nahi hai.

yah keval hamare sankalp se prakt hua hai. Usi samay Damayanti ne ascharya ki baat dekhi ki na wahan koi kutia na wahan koi mahatma hai. Jangal hi jangal. Aap samjho apne log jo bhagwat marg mein thoda bhi theek se chal pa rahe hain. Ahankaar mat karna ki apne se chal rahe ho. Jo apni parampara ke gurjan hain, mahapurush jan hai wo hamen apni karuna drishti se dekh rahe hain ki mere sharanagat jan hai. Ye mere hi ashrit hain. Unhin ke dular se ham chal pa rahe nahi. Hamari samarth nahi hai. Ab wo jo nadi thi uske kinare kinare wo chalne lagi.

vishal ek parvat aaya. Samip Ashok ke vrikshon ko dekhkar kaha he Ashok vishokam kurma prashok priydarshanam he Ashok tumhara naam Ashok hai mere shokon ko dur kar dijiye adhi sari ke tukde se apne sharir ko dhke hue wo age badh rahi hai chakravad aaj pakshi mriga aadi unko dekhne ke liye daud kar akar ke gher gher lete hain. Samuh ke samuh shobhayaman pakshi isliye unko gher lete ki bhayav jantuon ka bhay na rah jae aur wo marg mein chal rahi hai. Age badi to ek yatriyon ka dal dikhayee diya. Ghor jangal mein pehle yatreeg nav se ya ghode aadi se vyapar karte the.

to ek yatriyon ka samuh jo vyapariyon ka dal tha. Bahut se log unke saath hathi ghode bhi unmein sab samgri ladi hui thi. Us vishal samuday ko dekhkar ke dhamti ji ko sahas hua ki chalo accha koi to mila jiske saath ham chalenge. Piche piche unke chalne lage. Yatri age aur wah piche piche akeli chal rahi. Vyapariyon ne ek mahan sarovar padm saugandhik naam ka wahan indhan bhi tha, phal phool bhi the. Sarovar jal pine ke liye bhi tha. Wahan apne dal ko rok diya. Wahan padav dala gaya. Jitne bhi unke dal ke log the 26 ab Damayanti ji man mein vichar kiya ki inke samuday ke saath to hamen rahna par dur kyonki inheen ke saath kahin na kahin kisi nagar mein jaate honge to jangal se to nikle ab wo ekant mein baithi raat mein apne pritam ka chintan kar rahe hain.

idhar matvale jangli hathiyon ka ek samuday aaya. Aur jitne sab padav pare the wo sab yatriyon ke dal ko hathiyon ne raund diya. Kisi ko faad diya aise jangli aadmi jitne bhi unke saath ghode suraksha dal ab wo jage hote to ab to vishram ki sthiti mein the aur jangli hath akar veg purvak aakraman kar diya bahut log mar gaye usmen se bahut se unke ghode nasht ho gaye vyapar ki samagriyan us dal ko kuchal diya. Koi dharti par kada kara raha hai. Koi jor se chilla raha hai. Koi ghyal ho chuka hai. Koi mar chuka hai.

unke saath jo unt the, ghode the wah bhi mare gaye. Artanad ho gaya. Badi bhaykar wahan avajen aa rahi hain. Aur ratna bikhra hua para hai. Kyonki vyapari ke dal the. Unmein se kuch log jo bache to unka sardar apni ankhon se sab dekhkar ke usne kaha aisa kaun amangalkari hai? Aaj tak to hamare dal mein aisa nahi hua. Ham devtaon ka pujan karte hain apni suraksha ke liye. Par koi to aisa hai amangalkari jis jo hamare saath ho gaya aur hamara pahli bar aisi ghatna ghati hai. Koi aisa amangal hai janch ki jae to Damayanti ji aadha vastr se sharir dhke hue aur wo man mein socha ki agar yah mujhe pa gaye ki to yahi manenge ki mere dwara hi mangal hota hai.

shok se yukt ho gaye ki maine kaun sa paap kiya hai. Kis nirjan van mein mujhe yah sahayata mili thi ki inke piche piche chalti inke sang hui to mere karan pura jhund mara gaya. Mujhe lagta hai ki mera bhagya hi amangal yukt hai. Kya meri man vani kriyon dwara aise paap hue hain ki main jinke saath ho jati hoon unka nash ho jaata hai? Kya aparadh ban gaya? Ab wah unke jhund se chupchap alag hui ki agar yah log pa gaye to mujhe amangal samjh kar marenege. Age badi to dekha ki kuch vaidik brahmin kisi nagar mein kisi uprohit karya ke liye ja rahe hain.

granth liye hue. Yah dekhkar ke unke hriday mein jaise chandrama shital prakt ho to tap se mukt karta hai. Aise unke hriday mein sheetalata hui aur brahmano ke piche piche gupt rup se chali. Satyadarshi chedraj subahu ki rajdhani mein pahunchi. Jangal se par hokar. Adhi sari sharir mein lapete hue hain. Sir ke bal khule hue hain. Kyonki bahut dino se snaan hi nahi kiya hai. Aisa dekhne se lagta hai jaise unmat ya koi pagal ho. Gramin balak unhen pagal samjhkar unke piche daud rahe hain. Khilwad kar rahe hain.

jaise Sukhdev muni ke piche koi kankar mar raha hai. Koi digambar dekhkar aadha vastr sharir mein Damayanti aur snaan nahi kiya. Jangal mein itna kasht pati to aisa lag raha hai koi pagal hai. Damayanti ji jab rajamhal ke samip gayi to jansadhaaran log ghere hue the Damayanti ji ko. Rajmata upar se dekh rahi thi. Dekhte hi ki yah to koi mahan bhagyashali hai. Iske sharir ke chinh aise bata rahe hain ki yah koi maharani koi sadharan nahi hai. Par aisi dasha ko kaise prapt ho gayi? Dhaay ko adesh kiya turant jao in sab logon se hata ke us yuvati ko hamare samip lao.

ye jo tang kar rahe hain log inko dur hatao. Iska vesh unmatt jaisa hai. Parantu yah vishal netron wali lakshmi ke saman saubhagyshali dikhayee de rahi hai. Dhae gayi logon ko hataya aur unse nivedan kiya ki aap rajmal par chale. Maharani ji ne aapko bulaya hai. Rajamhal ki atalika par unko le gayi. Rajmata ne je hi dekha kaha ascharya hai tumhare to lakshan aise hain ki tumhen chakravarti samrat ki maharani hona chahiye. Tum aise viksipt paaglon jaisi galiyon mein ghum rahi ho. Tumhare sharir ki badi kant prakt ho rahi.

isse pata chalta hai tum pativrata ho. Tumhare sharir par abhushan nahi par phir bhi tum itni vibhushit saundarya se yukt ho. Yah divya kant yah divya rup is asahay avastha mein bhi prakashit ho raha hai. Damayanti ji ne kaha ki main koi devi nahi hoon. Manav kanya hi hoon. Main apne pati ke charnon mein anannya anurag rakhne wali pativrata nari hoon. Par mera is samay bhagya badal chuka hai. Mere pati mujhe chhod chuke hain. Pati ka rajya chhin chuka hai. Kya mujhe sevika ke rup mein yahan jagah mil sakti hai? Main aapki seva karun aur yahan rah jaun.

agar mujhe jeevan nirvah ke liye kuch samay ke liye mujhe yahan rakh liya jae to sab kalaon mein main praveen hoon. Jo bhi aap seva kaheng wo main seva karungi. Jaise chhaya sharir ko nahi chhodti. Aise hi meri sevavritti mujhko nahi chhodti. Arthat main dekh ke samjh jaoongi tumhen kya avshyakta hai. Tumhari kya seva honi chahiye. Aapko kahna nahi padega. Itni praveen is samay main bhookh se pidit hoon. Mere sharir par vastr bhi theek se nahi hai. Yadi aap aisa kar sake to aapka bada anugrah hoga. Bas ek baat tumhen dhyan rakhna hai ki main apne pati ke siva kisi bhi purush ka na darshan karti hoon na sparsh karti hoon.

aise dekhna alag baat hai. Rani se kaha ki main sevika ka karya karungi par kabhi aapki juthan nahi paungi. Aur kabhi kisi purush ki seva ke liye kabhi adesh na diya jae. Yadi is tarah mujhe mahal mein rakh liya jae. Kuch samay tak to hamara samay gira hua hai. Age jab samay aayega jaisa prerna hogi phir ham age karenge. Chalo yahi vishram karte hain age shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi