॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त कथा · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab gay ne diya manushya ko janm – chaunka dene wali kahani

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

Shrimad bhagwat ke mahatum mein jo Atmadev brahmin ka prasang varnan kiya jaata hai to wo putr ki prapti ke liye bahut se pavitra sadhan bhi kiye lekin unko putr prapt nahi hua wo nirash hokar ke karne ke liye jangal mein gaye the. Dev yog se bhagwan ki kripa se unhen sant mil gaye. Pranam kiya. Sant ne kaha aap udas kyon dikhayee de rahe? Bole hamare santan nahi hai. Sab kuch hai. Sundar patni hai. Vaibhav hai. Sab hai. Santan nahi hai. Santan na hone ke karan maine bahut se upay kiye santan prapti ke.

ab main nirash hokar ke yahan kya karne aaya hoon. Aisa jeevan kis kam ka? Ghar mein jaata hoon. Sab suna suna nazar aata hai. Sant ne unke bhagya ki rekha ko padha aur kaha sat janm tak tumhare praarabdh mein santan nahi hai. To unhone kaha hamen praarabdh se matlab nahi. Yadi aap santan de sako to main jivit rahun, aap santan na de sako to main sharir pura karne aaya hoon. Abhi aapke samne hi kar lunga. Sant ne kaha ye to bahut vichitra baat ho gayi to lo phir apne tapoval se ek phal pradan kiya aur kaha yadi aapki patni yah phal pa lenge to bada susheel sadgun sampann bhagwan ka priy bhakt prakt hoga.

bade prasann hue. Dekho praarabdh ka khel phal lekar ke aae aur apni patni dhundhli se kaha ki yah phal aap pa lijiye. Sant bhagwan ne pradan kiya isse putr avashya hoga. Wo thoda viparit chintan karne wali thi. Unhone socha abhi main jitna khati hoon utna nahi kha paungi kyonki pet badh jaega. Phir chalna phirna mushkil hoga aur vivid prakaar ki viparit bhawnaen wo karke phal ko rakh diya. Itne mein unki bahan aa gayi aur bahan bhi unse kam nahi thi. Viparit bhavna sochne mein unhone donon ne salah kiya aur kaha pariksha ke liye ye phal gay ko pawa de praarabdh ne kaisa mara jhatka ki siddh mahapurush ke dwara diye hue phal ko gay ko khwa diya aur bahan ne kaha main garbhvati hoon aap garbhvati ka natak kijiye jab hamare santan hogi main aapko pahuncha dungi aap apne pati se hamen dhan dila dijiega baat ban jaegi gay se Gokarn ji prakt hue aur unki bahan se jo putr liya dhundhli ne to apne naam ke anusaar dhandhkari rakha jo mahan patki dusht aacharan wala jiske liye Shrimad bhagwat ka shravan Gokarn ji ne karakar aur use mukt kiya to is prasang se pata chalta hai ki sant bhagwan ne to praarabdh badalne ki puri cheshta ki lekin kya badla kya praarabdh jo ka tera dhundhli ka garb mein koi bhi santan nahi ai aur wo phal gay ko nahi to agar pa leti to pakka pakka santan hoti kyonki kyonki us sant ke dwara diya hua phal wo nishphal nahi

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi