bade se bade mahapapon se mukti pane ka saral marg // 04/04/2026
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital ma Shyam param shital maya hasat khelt bolat milat dekho meri ankhin ko sukh hansat khelt bolat milat dekho meri teri ankhin ko sukh bi paraspat let khwa ja ghan damini chamachmat shobha bahu bha sukh shruti bhar rag kedar daro jamo adhra nishar rom rom sukh rom rom sukh shri haridas ke Swami shyama kunj kunj bihari shyama kunj bihari ke mil gavat sur det mor bhyo param sukh hasat khelt bolat milat dekho meri ankhin ko sukh upasak pratyek indriy ko jab aradhya dev ke hi prati kriyanwit karta hai tab 100 indriyan param pavan ho jati hain.
prakritik indriyan bhi divya ho jati hain. Jaise hamari vak indri jab ham vishay chidanand naam jap karte hain. Chidanand leela ka gayan karte hain to vani bhi chidanand ho jati hai. Shravnendriy jab isse ham naam kirtan sunte hain, naam jab sunte hain, bhagwat leela sunte hain to shravan indri chidanand ho jati hai. Aise samasth indriyan jab keval aradhya dev ke prati samarpit hokar kriyanwit hoti hain to unmein yah samarth aa jati hai ki upasak ki shravendra nikunj mein Priya pritam kya baat kar rahe hain yah sunai dene lagta hai nikunj mein Priya pritam kaisi shobha se virajman hai yah dikhayee dene lagta hai.
aaj kaun se sourabh ka lep kiya gaya yah ghanendra se pata chalne lagta hai. Priya pritam ki divya leela ka indriyan anubhav karne lagti hain. Jo ki indriy man se bilkul agochar hai. Agar upasak in indriyon ko thodi bhi swatantrata de dega to inka swabhav hai prakriti sthan karshti. Yah prakriti ke vastu vyakti sthan ke akarshan mein phas jaenge. Phir yah maha sukh jiski hamare hriday mein lalsa hai wah prakriti se purn hone wali nahi wah paramatma se hone wali hai. Jab hamari indriyan prakriti ki taraf jati hai to malin ho jati hai.
shripad Prabodhanand ji maharaj varnan karte hain stri Rupa medhya pind mumrit dhiya nitya lobhyamanam chakshu kshadra jeev vihit mrisha manna magn jyaa nishtha vimti namna sang anuchitam ha vrinda kanya bhavtim gati daham tat he Vrindavan dham meri badi durdasha hai. Jahan indriyon ko divya karna hai, wahan ham inko aur malin kar rahe hain. Jnendriay ka veg na sahne ke karan ham paraspat shariron ke akarshan mein bhog vasna mein lipt ho gaye. Man aur jnendriay sampurn rup se kam vasna se yukt hone ke karan malin ho gaye.
yah deh pind chahe purush sharir ho chahe stri sharir ho koi khas baat nahi ismen ismen khas baat hai bhagwan ki prapti kar lena khas baat hai tumhara chintan divya ho jana khas baat hai is sharir se sabki seva ban jae matapita bhai bhai bandhu parivaar samaj rashtr dharm bhagwan sab ki seva ban jae to ye sharir sarthak hua nahi kya mans ka pind hai rakt sanchrit nas nadiyan haddi tvacha aur ismen jo dalo malmutr ban gaya jitne dwaar hain unka sabko prichay hai hi hai kaun se sukh ke paraspat sharir mein akarshan hota hai.
sacchidanand sukh ki lalsa wala shareerik sukh ke bhog mein yadi anek jeevan vyatit karne ke baad yah bhi jeevan vyatit kar diya to hath kya lagega? Itna jeevan vyatit kar diya. Kya hath laga? Bahut vivek vichar ki zaroorat hai. Dharm yukt kam bhagwan ne apna swaroop bataya hai. Srishti sanchan ke liye yadi vivah vani grahan sanskar karke santanotpatti ke liye vidhan kiya gaya hai to wah dharm yukt kam hai. Vybhchar wahan bhi nahi dharm yukt kam anytha dharm virudh yadi kam ka sevan kiya jae to ghor papacharan banne lagta hai aur malinta pe malinta hoti chali jati hai.
stri Rupa medhya pinde muhn ramrit dhiya hamari buddhi itni malin ho gayi hai ki mal mutr ke dwaar ko amrit pan ka swaroop samjhte hain. Kitni nikrisht buddhi hai. In shariron par hai kya? Upar ke dwaar dekho. Aankh se kichad nikle. Nak se kitni khaar ke thu ko vaman karke dekho. Niche ke dwaar to durgandh yukt malmutr ke hi hai. Kin bhogon mein tum amrit pan karna chahte ho? Stri Rupa mein pind mu ramrit dhiya nitya lobhyamanam nitya tum lubhayaman ho rahe ho ki agar yah sharir bhogne ko mil jae yah sharir mil jae to hamara jeevan dhanya ho jae nitya lolubhyaman hai kya thoda vivek se vichar karke dekho dharm yukt santanotpatti ke liye bhagwan ne adesh kiya hai manmukhi chal chal ke manoranjan karne ke liye yah nahi bana hua hai.
phaaste chale jaoge. Amrit ki lalsa se mrit hote chale jaoge. Tumhare vichar mrit, tumhare aacharan mrit, tumhara sharir mrit, tumhari cheshta mrit. Kyonki mrit lok mein. Iska naam mrityu lok hai. Aur khoj rahe ho amrit. Chakshur kshadra ji vihit yah netr mithya rup mein lubhayaman ho rahe hain. Chamdi upar se gori pili jaisi bhi usi mein ham aasakt ho rahe hain. Itne aasakt ho rahe hain. Parso ek navyuvak bhai prashn ekantik mein kah rahe jiya nahi ja raha. Hamko hamari mitra ne dhokha de diya aur halat bhi aisi thi ki karuna lag rahi thi ki kripa karen prabhu aur inki buddhi ko is daldal se nikale wo jeevan se hara hua vyakti baitha hua hai.
keval ek baat mein ki usko uske kisi mitra ne matlab stri sharir ne usko dhokha dekar dusre se byah kar liya. Dhokha deke matlab man ki gati hai. Ismen dhokha aur sahi ka kshetra nahi hai. Yah to vichran karta rahta hai. Aaj ye aaj ye aaj ye iska koi birla iski is gati ko rok de wahi sadhna paraayan sadhak kaha jaata hai. Par aisa nahi hota hai. Jahan tumse badhkar koi mila to wahan drishti uski jam jaegi. Tumhen chhod dega. Sansaar ka khel yahi hai. Tumhara pyar agar sahi thikane par pahunch jae to sarthak ho jae.
wah pyar murti prem ke khilauna do khelt hai prem khel priyal inse prem ho jae to nihal ho jaoge. Par inse prem karne ke liye kathinata hai. Pehle sarvatra se rag hatave to inse prem hota hai. Anytha nahi. Sarvatra ki mamta bator kar inke charnon mein tab prem hota hai. Bole netr dushit ho gaye bas yahi dekhte hue yahi durdasha hai jeev ki. Samne bhagwan hai charachar jagat ke hriday mein. Unko koi nahi dekhna chahta. Aur bahari keval chamde ko dekhkar ke ham akarshit ho rahe hain. Ye chamdi zyada din nahi tikegi.
jiski tum dekh rahe ho uski aur tumhari bhi yah nasht hone wali hai. Inheen ko shasan mein sadhak rakhta hai. Netrendar ham jahan chahe wahin jaegi anytha nahi jaegi. Abhyaas kijiye naam jap ke dwara aise thodi ki baat kar rahe ho kisi sant se bhagwat charcha aur tumhari drishti ja rahi bar-bar aur itni himmat tumhari ki bhagwat bhav ke vatavran mein tumhari ashudh vritti udhar dekhne ki koshish kar rahi kya dekh rahe ho chup ho ekdam shant chakshur kshadra jeev rup vihit mrisha manna atyant mag ye kshadra jeev samjh nahi pa rahe ki netr kiske liye mile hain.
ye netr mile bhagwat sakshatkar ke liye. Ye vichar karo panch minute aankh band karke. Agar aise hi tumhari ankhen chhin li jae to socho kaisa tumhara jeevan hoga. Jin ankhon se tum gandi baten kar rahe ho. Gandi baten dekh rahe ho. Yahi ankhen bhagwan chhin lete tumhari to kya tumhara jeevan hota? Aaj tumhen bhagwan ne aankh di hai. Tum ise dharm ka darshan karo. Sab mein bhagwat darshan karo. Shri vigrah ke darshan karo. Sant darshan karo. Netr pavan karo. Netron ko dushit kar liya. Aur mithya deh sammaan ko tumne sukh man liya.
char log namaskaar kiye to tum apne ko shreshth samjh liye. Kinchin matra bhi koi shreshth nahi hai. Yah panchbhut sharir sabke usi samgri se bane hue hain. Andar jo jeev ansh hai bhagwan ka bilkul barabar hai. Ab jo sammaan aur apman hota hai gun aur avgun ka hota hai. Aur gun aur avgun donon mayakrit hai. Suno tat mayakrit gun aur dosh anek. Ye donon maya karte to tum kiska sammaan maya ka kiska apman maya ka tum to man aur apman donon se pare ho agar koi tumhen pranam kar raha hai to tumko uski shraddha ko pranam karna hai tum khas thodi ho gaye ki wo tumhen sashtang pranam kar raha hai to tum mahan ho gaye mahan wo hai jo sashtang pranam kar raha hai uski shraddha prabal hai nahi koi antar nahi jo is deh mein panchbhut wahi us deh mein panchbhut jo ismen parma paramatma ka ansh wo usmen paramatma ka ansh uski shraddha badi hai isliye wo aapki taraf pranam kar raha hai.
bole bahut bura ho gaya. Mithya mrisha manna atyant magna main jhuthmuth apne ko bada mankar sammaan prapt karne ki lalsa sammaan sweekar kar liya to hriday apvitra ho gaya. Ham bada man hai phansata rahta hai wah makdi ki jal ki tarah phasne wala nahi janta hai sant Sadgurudev shastr inke sutro ko jab sweekar karen to pata chalta hai main phas raha hoon ya mukt ho raha hoon. Shripad kah rahe hain ki dekho jnendriay ne phasa diya kam bhog mein netrendar ne phasa diya rup mein sachchi agar savdhaan na rahe to aise aise fasav hai ki jeevan hi nasht ho jaata hai.
pura jeevan ab usko lakh samjha rahe the kuch samjh mein nahi aa raha tha. Bas wo ye samjh raha tha koi ashirwad mil jae, jadu tona mil jae ki wo jo hamari mitra hai wo wapas hamko mil jae. Wapas bas usko itna hi lakshya tha aur ham gyan vigyan varnan kar rahe the. Sun baitha tha keval kyonki samjh mein aata hai na aap hamari baat pakar rahe ho ki nahi pakar rahe. Netrendar ne rupon mein fansa diya. Hriday malin ho gaya sammaan prapt karne ki lalsa se aur kah rahe jibhya mishthan nishtha vimti nana saguchitam jaban aa gayi bhojan ke swad mein yah mishthan hai, yah chatapta hai.
yah bada swadisht hai. Jibhya Rasendra yadi bhojan ke swad mein magan hai to Radha naam sudha rasam ka swad nahi le paegi. Uchit ahar jo bhagwat prasad rup hai usko dal lete hain. Uske prati ham aasakt nahi hote. Swad drishti nahi rakhte. Purv ke sant bhagwan ke darshan hote the. Khappar rakhte the nariyal ka. Narayan narayan daal khir roti jo bhi mila khapar mein dala milaya. Swad se matlab nahi pran poshan se matlab hai. Aur yahan dhaniya ki chatni alag, tamatar ki chatni alag, bharwa mirch alag, yah alag, yah alag.
to phir Radha naam sudha rasam bhul jao. Yah do angul ki jaban hai. Bas itne mein sara khel hai. Yahan se niche utarne par koi swad nahi hai. Bhai itne mein ghumane ka swad hai aur achhche achhche isi mein phas jaate hain. Jiski rasendriy vijay nahi hua rasendriy se wo har indriy ka vijay hone par bhi vijay nahi mana jaata. Rasendriy vijay Jnendra vijay jarur hoga aur rasd jnendriay vijay sampurn indriyon ka vijeeta mana jaata hai. Dhairyvan use hi kahte hain jo do indriyon ko kabu mein kar le.
rasendriy aur Jnendra rasd mishthan aadi bhog pakwan pane ke liye lolup jeevan ho gaya. Pet badh ke chati se ek bita uncha ho gaya hai. Uthne baithe mein dikkat hoti hai. Par pane ke samay aur kitna adhik paya ja sake yah swad wo swad wo swad kitna paoge mar jaoge pate pate phir bhi tripti nahi hogi. Bahut vichitra vasna hai. Bahut vichitra vasna hai. It vitt sag dhanuchitam yah vichar hi chhod diya ki uchit kya hai anuchit kya hai? Bas dhan milna chahiye jaise dhan mile. Sachchi baat aaj charit bhagwat dharm mariyada iska mahatva dhire-dhire samaj se hatta ja raha hai.
dhan ka mahatva hota ja raha hai. Jaise dhan ki prapti ho, chahe charit ka nash ho, chahe dharm ka nash ho, chahe jeevan ka hi kyon nash ho jae. Kya durdasha hai? Bole mana vitt sa dhanuchitam anuchit rup se dhan kabhi sukhi nahi ho sakta jo anuchit rup se dhan prapt karta hai ha vrindaran kanya bhavti mam gati ched tat sthop meri kya gati hogi jab meri indriyan aur mera man aisa hai main aapka aashray leta hoon. Aapka vas sweekar karta hoon. Main samjh gaya ki mere se ab kuch nahi hone wala. Meri anannya gati aap ho.
he Vrindavan aap mera sudhar kar do. Ab main kahin kisi ki or nahi dekh sakta. Sirf aapka aashray liye hoon. Bhav yah hai ki ham sab tarah se hin hai. Har indriyan ham par vijay prapt kiye hui hai. Ulta indriyon par hamen vijay prapt karna chahiye. Indriyan ham par vijay ho gayi hai. Ab ham kaise mukt ho? To bole dham ka aashray le lo. Bada mahatva hai. Dham kripa karke aapko satsang pradan karega. Yadi aap satsang ke anusaar sujh ke chal pave to kya hota hai? Janm janmantar se malin buddhi hoti hai aur bahut bhagti hai buddhi.
jaise jangli neel gay dekha ho gardan uthyi bhagti chali ja rahi. Aise ye bhagti hai buddhi. Agar isko koi rok sakta hai to ganv mein ek langad banda jaata tha. Langad samjhte hain. Do tangon ke beech mein ek mota sa lakdi ka. Ab wo bhag nahi paegi. Kaise guru kripa guru adesh guru shasan yah buddhi ke upar langad ka kam karta hai. Tumhen pata hi nahi guru ke hriday mein anant matao jaisa pyar hota hai. Jaise bhagwan gali dene wale ko bhi param pad dete hain. Unhin ke das hai wo. Kisi ka amangal sant ke dwara Gurudev ke dwara nahi.
aapka vichar aapki soch aapko amangal ke raste par khada karke aur aisa dhakka degi ki shayad phir bacha pane ki sthiti na rah jae. Shagar ke jo putr 60 hazar the bhagwan kapil dev ji ka aparadh kar diya. Ashram ko vidhvans karne lage. Ghoda wahi bandha hua tha. Kisi ne bandh diya tha. Unko pata bhi nahi tha. Unko laga ki inhone hi aisa kiya hoga hamara vishv vijeeta ghoda inhone pakar liya. Bada updrav kiya. Kapil bhagwan ne koi shraap nahi diya. Unki taposhakti ne unko nasht kar diya. Bhasm kar diya.
jinke udhar ke liye unhin ke vanshjon mein kramash aradhnaen hui. Phir prasiddh kar paye bhageerath ji aur Bhagwati ganga ko laye aur apne purkhon ka udhar kiya. Jo thoda bhi apni buddhi ko tum bhagwat marg se vimurkh karoge wo aapko fasane ke siva aur koi marg nahi bata sakti. Yahan smetna hai. Apne astitva ko mita dena hai. Prabhu ke charnon mein purn ashrit ho jana hai aur jeevan mukt ho jana hai. Yah rasta hai. Yadi ham bhagwat marg ke pathik hokar ke thoda bhi apne man ke anusaar chalenge to marg badal jaega.
guru agyaa taj kare je ban yah hai adharm yah hai sabhan kan na rasikan mera par jaise jangli neel gay hoti hai na usko upar koi shasan bardast nahi wo jab daldal mein phansti hai tab uski chal rukti hai anytha nahi to maya prapanch ka daldal jab aisi buddhi walon ko rokta hai tab unko yad aata hai ki kya main kahin galat marg par chal para kya? Par jab tak fansa nahi tab tak use pata le jaata. Maya aisi bachav paksh se usko le jati hai ki itni dur pehle le jaun ki ye laut hi na sake tab baat banegi. Shripad kah rahe hain ki sab indriyon ne man ne hamko apne adhin kar liya.
ab to he Vrindavan aapka sahara hai. Banaya hua siddhant hai. Raheeman dekhi ban ko laghu na dijiye dari jahan kam ave sui kaha kare tarbari aur siddhant unhee ka banaya hua hai. Agar guru charnon mein laghuta aa gayi to vishv brahmand mein mahta sparsh hi nahi kar sakti tumhara. Ye hamari buddhi ye hamara man aisa sochta hai ki shortakat se chale dhani ban jae. Shortakat se chale param pad mil jae. Shortakat se chale bahut uttam sammaniay ban jae. Hai bahut shortakat hai. Sarvasv tyag aur ekmatra prabhu ka aashray.
abhi jo chaho ban jaoge par sarvasv tyag aaj tak jitne bhi mahapurush hue hain sarvasv tyag se sarvasv tyag ka swaroop kisi ke naam mein kar dena sab property nahi apna astitva mita dena amrish ji chakravarti samrat hai par apna astitva nahi hai to kya hua sudarshan chakra unki raksha mein hai aur bhagwan Durvasa ji ko dwij kahte aur amrish ji ko bhakt kahte hain. Aham bhakt paradheeno ashwatantra yuddh to maine Vrindavan ka aashray liya. Ab Vrindavan sambhalega to Vrindavan kis rup mein sambhalta hai?
sant rasik sadguru dev ke rup mein sambhalta hai. Yadi ham na unki agyaa ka palan karen avhelna karen to bade kripalu hriday ke hote hain. Jo sant hain sant saral chit jagat hit jaan swabhav sane. Tum kya jaan paoge ki hriday mein tumhare hi prati kitna dular hai. Saanp ko chahe jitni prarthna karo aarti utaro dandvat pranam kar lo kah do sidhe chalo to kabhi nahi chalega wo uski chal hi tedhi hoti saanp ki tarah aise jo kutila buddhi ke hote hain hath jodo pair chuo dular karo gale lagao jeevan de do lekin wo saanp ki tarah hi kutila buddhi se chalenge unka jo vishaila swabhav hai unki adhyatmik shakti ka nash karta hai.
unko lagta hai main bahut bada adhyatma kar raha hoon. Adhyatma kahan se hota hai? Guru agyaa se hota hai. Adhyatma kahan se hota hai? Guru mantr ke nirantar sumiran se hota hai. Adhyatma jiske andar hai to tribhuvan ka sampurn vaibhav usko mrit tully lagta hai. Mrit tully na par na mahendra desham aapko lagega bharan poshan kaise hoga? To bhagwan unke vachan yahi bhakt ka aashray hote hain. Bhagwan ne kaha anannya chinto mam tumhari ek hi jimmedari hai. Tum keval mera anannya chintan karo. Aur jo anannya chintan karta hai ye jana parpasate jo aisi upasna karta hai anannya chintan se to yogkshm bhamyam main uske yogkshm ka vahan karta hoon aprapti ki prapti aur prapti ki raksha ye main karta hoon shuddh paramarth ko jaan lo jeevan mukt ho jao phasne mein der nahi lagti hai ye man kabhi bhi kahin bhi kaise bhi acharno mein fansa sakta hai.
Ajamil ji apni indriyon ki chanchalta ko shasan mein lekar ke apne pita ki seva mein guru bhav se lage the. Bade dharmatma pita the. Ek din wah sanvidha lene ke liye gaye to jangal mein dekha ek sharab piye hue vyakti kisi vaishya se sahwas kar raha hai. Achanak drishti padi. Shastr agyaa karta hai. Aise drishya ko ek bar achanak drishti padne par dobara na dekha jae aur namaskaar vritti ki bhagwan ki maya hai. Age badh jae. Par wah to seva ko chhodkar ke usi ko keval dekhne lage. Dekhte hi chintan badha.
chintan badhta hi sangaste pajayte sang ki ichchha asakti prakt hui. Jab wo purush chala gaya to us vaishya se mile. Aur kaha main aap par aasakt ho chuka hoon. To usne kaha mere jeevan ka uddeshya hi hai aasakt purushan se dhan lena unko sukh pahunchana. Kaha puri pita ki sampatti sab vaibhav luta diya. Akhirkar usi ke paas rahne lage. Uske das bankar rahne lage. Kya kya amangal karya karne lage. Jahan sanvidha lene gaye the yagya ke liye wahan pashu ka hinsa karke aur mans randhna khana ye sab bahut ganda jeevan ek bar thoda bhi koi dharm ka anusthan kare to dharmo rakshti Rakshita dharm usko bchane ki koshish karta hai.
raksha karta hai. Ganv mein sant mandli ai. Mandli ne pucha yahan koi pavitra udaar sant sevi ka ghar ho to batana. Wahan aaj ham rukna chahte hain. Puri sant mandli thakur ko bhog lagaenge aarti puja aur subah chale jaenge. Haan unhone kaha sabse zyada pavitra jamil hai ganv ke bahar jo wo bagichi bhi samne wala unhin ka hai. Wo vaishya ka tha. Sant swabhav vishwas se hota hai. Santo ka swabhav jo siddh hota hai wo vishwas se hota hai. Aaj tak kabhi aisa sanshay nahi hota ki aadmi aisa bol raha hai to ismen kuch jhooth bhi ho sakta hai kya?
nahi. Par baad mein aisa lagta hai ki inko satya bolna aata hi nahi hai. Sansari aadmi ko acharya ki baat phir yad aati hai. Paye jaan jagat mein sabjan kapti kutila kalyugi tanchu kapt aur kutilta ke bartaav ke siva kuch aata hi nahi. Kai bar satsang mein prarthna ki ki ek jagah aisi rakho jahan jhooth mat bolo. Kapt mat karo. Guru darbar dand do ya puraskar do aapke hain galat hai ya sahi hai aapke samne hai ek jagah to par aur jagah sab fit ho sakta hai ek jagah jarur chhal kapt karega kyonki patan wahin se hota hai jeev ka patan wahin se hota hai jahan gurujanon se kapt aur chhal kiya gaya maya jo kapt ka jal aur chhal ka bichti use koi nahi kaat sakta.
maya ke jal ko koi nahi kaat sakta. Katne ke liye guru prasann shah anukula. Jaise hamse bola jaata hai, santo se bola jaata hai, aksharsha lagta hai. Satya bol raha hai. Sanshay hi nahi kyonki vishwas ki dhara se hi chala jaata hai. Vishwas hi hota hai. To sant janon ne jakar wahan dera laga diya. Thakur ji virajman ki aarti puja shuru. Itne mein dekha ek malin vastr pahne aur ek hiran kandhe par tange aur astr liye hue Ajamil ne jeev hi santo ko dekha to sant drishya ji mein patak kat rahi hriday ekdam ar bhav se ro para aur yad ai wo baat ki jab main jawan tha to kaise dharm ka anusthan karta tha kaise main pita ki agyaa se bhagwat aradhna mein hai mere mera jeevan kis tarah nasht ho gaya.
nazdik gaya. Sashtang dandvat. Dekhte hi santo ne samjh liya. Unhone kaha bhai ye bagichi aapka hai. Bol bhi nahi pa rahe the. Bas ishara kiya. Haan. Bole bataya gaya tha ki ganv ke bahar ek brahmin hai. Bade pavitra hain. To aapka hi naam Ajamil hai. Bole prabhu ye to aapke saath uphash kiya gaya hai. Main pavitra nahi bahut nich papi hoon. Aisa dharm ka tyag karke papacharan mein vaishya ke mal jaise ann se udhar poshan karta hoon. Ye dekh rahe ho aap hinsa mere jaisa patki bhrasht koi nahi hoga. Yah to aapke saath uphash kiya gaya.
unka bhai ab ratri mein to thakur ji nahi hataenge yahi virajman karenge par aapka kuch payenge bhi nahi to charnon mein laut gaya maharaj kya ab bhi mera udhar ho sakta hai kaha haan akhiri shwas tak jeev ko bhagwat prapti ka avsar diya jaata hai. Ek upay hai. Main dekh raha hoon tumhare dwara vaishya se ek abhi putr hoga. Tum uska naam narayan rakh dena. Bas ab aap yahan se jae. Hamari thakur seva hai. Ham sab sant apne ek naam kirtan path aur dhyan aadi aap jae aapka mangal hoga. Samay ane par balak hua.
usse atyant asakti ho gayi. Jara si indriyon ki chhut di to ek sanyami brahmachari niyam nishth aise bhrasht acharno mein phas gaya. Pita ne phir byah bhi karwaya tha. Par drishti jahan phas gayi phas gayi. Kusang hua to jeevan barbad ho gaya. Satsang hua to dekho kaise param pad milta hai. Ab to usi chhote putr ko god mein lekar ghumna. Usi se pyar, usi se dular. Usko kya pata ki ek bhayav samay hota hai jiska naam mrityu hai. Wah kabhi bhi kisi par aakraman kar sakti hai. Aur jab yahan se jaoge na to kuch bhi tumhare saath nahi.
tumhara kiya hua dharm aur adharm ye donon tumhare saath jaenge jise shubh aur ashubh karm kahte hain. Achanak usko dikhayee diya do bhaykar yamdoot kanpne laga. Yamduton ki drishti matra se uske malmutr chhut gaye. Itne bhayanak. Ab uski asakti apne putr pe thi. To aisa laga ki main akhiri mein ek bar apne putr ko bula ke dekh lun. Bulaya narayan bas mangal ho gaya. Dekho sant sang apvarg kar kami bhav kar panth sant ka sang sidhe moksh pradan karne wala hota hai. Narayan ek bar ji pukara narayan pe jaban pahunchi ki do divya parsad bhagwan ke chaturbhuj narayan swaroop shyamal kant he Yamraj ke duto ko danta aur phansi kaat di.
ab tum is jeev ko sparsh bhi karne ka adhikar kho chuke ho. Bada sundar prasang hai. Agar ise bar-bar ham sune aur ise hriday mein baitha le to jeevan mukt hone ke liye paryapt sadhan hai. Naam mahamangal mood mein Ajamil ji ki chetna lupt hone wali thi. Phansi par chuki thi yamduton ki. Yadyapi usne bhagwan ko nahi pukara. Apne balak ke sneh vasata usko pukara narayan. Par santo ne naam rakhwaya tha. 88 varsh ki ayu tak paap hi paap hote rahe. Uske yamduton ko dantkar bhagwan ke parsado ne kaha ab tum sparsh bhi nahi kar sakte isko.
unka aap bade tejasvi dev swaroop dikhayee dete hain. Par aapko pata hai ye maha nich papi har kshan paap karta raha hai. Yah murkh apne putr ke bahane narayan bulaya hai. Yah mahapapi hai. Bhagwan ke parsado ne kaha ham dekhte hain ki tumko koi gyan nahi hai. Jis samay putr ke bahane narayan bulaya usi samay nishpap ho gaya. Sare paap iske bhasm ho gaye. Yamraj ke duto ne kaha aapko dekhne se lagta hai aap koi siddh hain kyonki tatkaal upasthit hue hain. Aapke kamal dal ke saman netr hain aur Pitambar dharan kiye hue hain.
sir par mukut hai. Kano mein kundal hai. Gale mein har lahra rahe hain. Sabki nav kishor avastha hai. Charchar bhujaye hain. Aur kar kamlo mein dhanush, tarkash, gada, shankh, chakra, kamal aadi sab dharan kiye hue hain. Aap hamen kyon rok rahe hain? Hamari seva hai papiyon ko dand dekar maharaj dand pani Yamraj ki agyaa ke anusaar inko nark le jana. Yamdoot bhagwan ke parsado se sab bhule. Parsado ne hanskar gambhir vani mein kaha, yamduton yuyam dharm rajas yadi nirdesh karan brad dharmas nastatwam y dharmas lakshanam tum log sachmuch dharmraj ke parsad ho agyakari ho batao dharm ka lakshan kya hai dharm kise kahte hain dand kis kis prakaar diya jaata hai aur dand ka patr kaun hai?
manushyon mein sabhi papachari dandni hai ya unmein se kuch? Uttar dijiye. Bada sundar prasang dhyan purvak sab sunie. Yamduton ne kaha mere maha bhagwat Swami bhagwan dharmraj ham sabko paripakva shiksha diye hue hain. Aisa nahi hai ki ham tanik bhi kuch bhi manmani bole ya manmani aacharan karen. Aapne pucha dharm kise kahte hain? Ved pranito dharmo dharmaparya vedo narayan sakshat swayambhuti sushrum ved swayam apaurushe bhagwan ka swaroop hai. Apurush ka tatparya hota hai kisi ke purusharth se ved ki rachna nahi hui.
swayambhu swayam prakt hui hai. Vedon ne jin karmon ka vidhan kiya hai ki yah yah karm kiye jae use dharm kaha jaata hai aur jiska nishedh kiya ki yah na kiya jae use adharm papacharan kahte hain. Bhagwan ke shas pravas se vedon ka pradurbhav hua hai. Maharaj yah jagat teen gunon se racha gaya hai. Satogun, rajogun, tamogun. Isi mein sabhi padaarth, sabhi prani teen gunon se hi hai. Satogun, rajogun, tamogun. Ved, gun, naam, karm, rup aadi ke anusaar unka yathochit vibhajan karta hai. Aapko yah karna hai. Aapko yah karna hai.
aapko yah karna hai. Vibhajan kiya hai ved ne, shastr ne. Yah jeev jab sharir mein aata hai to yah man ki vrityio ko saath lekar gnyanedryo ke saath jo jo papacharan karta hai to usko kisi gavahi ki zaroorat nahi dand dene ke liye. Yah gavahi har samay uske saath rahte hain. Suryogna khar gav som sandhyahni dis kam ku kalo dharmati rete das sakshan surya agni akash vayu indriyan chandrama sandhya raat din dishaein jal prithvi kal dharm ye sakshi rahte hain. Raat mein paap kiya to akash hai, vayu hai, chandrama hai, sandhya hai, ratri ka swayam gavahi hai.
din mein to surya hai, dishaein hain. Jal, prithvi kahin to paap karoge. Samay, dharm ye sab sakshi wahan tumhen ye gavahi ki zaroorat nahi padegi. Praman ki zaroorat nahi hoti. Jahan paap karoge to ye sab hain. Dekh rahe hain ek ek second ka. Inke dwara tatkaal pata chal jaata hai ki kitna papi aur kitna adharm kiye hue hain. Aur dand pani bhagwan Yamraj ek second ke kam hisse mein pura nirnay kar dete hain. Paap karm karne wale ko sabhi ko sabhi ko avashya avashya mahan dand nark mein bhogna hota hai. Prashn kiya tha kya aaj sabhi papi dandni hai?
to yamdoot kah rahe sabhi ko sabhi ko he nishpap purushan jo prani karm karte hain unka gunon se sambandh rahta hai. Satogun, rajogun, tamogun se. Isliye sabhi se kuch punya ban jaate hain aur kuch paap ban jaate hain. Sabhi se dehwan hokar koi bhi karm kiye bina ek kshan bhi nahi rah sakta. Aur karm tino gunon ke antargat hote hain. Isliye sabhi se kuch punya hota hai aur kuch paap banta hai. Is lok mein jo jitna adharm karta hai uska aur jo jitna dharm karta hai uska vaisa hi bilkul waise ka vaisa hi phal usko milta hai.
aap to bade tejasvi dev shiromani hain. Aap jante hain satogun, rajogun, tamogun in teen gunon ke bhed ke karan is lok mein teen prakaar ke prani dekhe gaye. Punyatma papatma aur punya paap mishrit punya atma swarg lok papatma narak lok paap punya mishrit mrityu lok punya atma laukik sukh papatma nark dukh manushya lok dukh sukh donon bada ekdam spasht varnan hai. Agar dhyan se sunoge to tumhare prashan ka samadhan ho jaega. Vartman mein hi nischit kar diya jaata hai ki age kya banega.
ye vartman ke aacharan hi nischit kar dete hain ki tumhari kaun si gati hogi. Uska akar nischit ho jaata hai. Bhut aur bhavishya ka anuman vartman se hi laga liya jaata hai. Vartman mein jaise wo punyatma hai to nischit ho chuka hai ki ab age chalkar ke yah banega. Nyay nyayalay mein jo bhagvatik nyayalay hai papatma hai. Tatkaal nirnay ho gaya ki marne ke baad is gati ko prapt hoga. Maharaj hamare Swami ajnma bhagwan sarvagya Yamraj sabke antahkaran mein virajman hai. Kisi ki gavahi ki zaroorat nahi hai.
wo sabko dekh rahe hain aur man se hi uske agle rup ko tay kar lete hain ki suar banega, kutta banega, bhut banega, pret banega, kya banega? Bhavi rup ka vichar kar lete hain. Jaise soya hua agyani purush swapna ke samay pratit ho rahe kalpit sharir ko apna vastvik sharir man leta hai aur apna jaga hua jo sharir sthul tha usko bhul jaata hai. Theek aise hi jeev naya sharir prapt karke purane janm ko bhul jaata hai. Bilkul bhul jaata hai. Piche janm mein ham kya the bhul gaye. Vartman sharir ke siva vartman sambandho ke siva kuch yad nahi rahta.
siddh purushan bahut dhyan se sunna. Is sharir se panch karmendriyon ke dwara lena dena chalna phirna bhogna yah kam hota hai. Panch gnyanedryo ke dwara gyan hota hai. Rup ras shabd sparsh rup ras gandh ka man inheen ke saath milkar ke gyanendra aur karmendra se yah vishyon ko bhogta hai. Yah teen gunon ke dwara prerit hokar ke waise hi karm karta hai. Bar-bar janm pe janm mrityu par mrityu yah bhogta chala ja raha hai aur paap karm punya karm aise bante chale ja rahe hain. Jo jeev agyaan vash kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar in chhah shatruo par guru kripa se vijay nahi prapt kar leta.
use ichchha na rahne par bhi vibhinn vasnaon ke anusaar paap karm karna parta hai aur paap karm ka dand avashya use narak mein bhogna parta hai. Bahut ekaagr aur dhyan purvak bahut nirnayak baat kahi ja rahi hai. Yah vikar nasht kar dete hain. Resham ka kida jaise apne ko hi nasht karne ke liye resham paida karta hai. Kyonki resham niklne ke liye use ubala jaata hai. Aise hi karm jal mein phaskar apne aap ko jalata hai. Narak aadmi bhaykar pida prapt karta hai. Apne hathon hi apna shikar ban jaata hai karm ka.
koi sharir dhari jeev bina karm kiye ek kshan bhi nahi rah sakta. Pratyek sharir dhari karm karta hai to teen gunon ke antargat satogun, rajogun, tamogun, satogun to koi virlay hota hai. Nahi raj, tam papacharan hi karate rahte hain. Apne purv janm ke paap punya sanskaro ke anusaar usko sthul sukshm sharir prapt hota hai. Aur usi ke anusaar kabhi wo stri sharir kabhi purush sharir aur usi ke anusaar sanskar swabhav waise naveen karm usse sanskar swabhav sanskar swabhav naveen karm naveen janm phir maran phir janm ye chakra chal raha hai.
prakriti ka sansarg hone se wo bhul jaata hai ki main stri nahi main purush nahi main sacchidanand bu bhagwan ka ansh hoon. Prakriti ke sansarg se, sharir ke sansarg se bhul jaata hai. Yah viparyay keval ek se dur ho sakta hai. Yah bhram keval ek se dur ho sakta hai. Shri bhagwan ka naam jap bhajan. He dev siddho aap jante hain ki Ajamil pehle bada shastragya tha. Vratdhari tha, sadachari tha, vinay tha, jitendra tha, satya par chalne wala tha aur pavitra bhi tha. Isne gurujanon ki bhi seva ki, agni ki upasna ki hai.
par ek ganda aacharan dekhkar ke apne ko sambhal na paya aur bhrasht ho gaya. Dekh lo shastr hai. Ek din yah pita ki agyaa se van mein phal phool samdha lene gaya aur laute samay ek kami purush ke dwara hote hue vaishya se sahwas ka darshan karke kam se yukt ho gaya. Bas yah apni indriyon ko sambhal na paya aur usi nichta mein jakar phas gaya. Yadyapi isne bahut dhairya dharan karne ki koshish ki par bhrasht ho gaya. Kam pisach ne vaishya ko nimit bankar is dharmatma ko bhrasht kar diya. Ab ye sari shastr maryadaon ka ullanghhan karke manmani papacharan karne laga.
vaishya ka sang, vaishya ka chintan, vaishya ka sahwas purn bhrasht malin ho gaya. Yah vaishya ko prasann karne ke liye sundar sundar vastr abhushan kaise de to chori karne laga hinsa karne laga. Swakshand charni vaishya isko tirchhi chitvan se adhin kar liya. Ab isko yahi pata nahi chala ki main paap karm se iska bharan poshan kar raha hoon. Anyay se, ghor hinsa se, chori se wah chhin chhin kar dhan lata aur us vaishya ko deta. Is papi ne jeevan bhar shastragya ka ullanghhan karke paap kiya hai. Nindniy karm kiya hai.
yah vaishya ke mal saman apvitra ann aur sharir ka sevan karta raha hai. Isliye main is papi ko yam paas mein bandhkar bhagwan dand pani Yamraj ke paas le jaaunga. Ghor narko mein isko tadna dekar pavitra karunga. Bhagwan ke niti nipun evam dharm ke marm janne wale parsado ne jab yamduton ka yah updesh suna bhagwan ke parsado ne kaha yamad duto aho kashtam dharm dasha dharm spate sabha yatra dand papeshu dando dhate vatha yah to bada ascharya ka vishay hai. Aap apne ko dharmraj ke dut kahte ho. Dharm ka bhi updesh kar rahe hain.
lekin tumhare jeevan mein dharm ke dwara adharm nahi hona chahiye. Ab to ghor adharm hone ja raha hai. Ab to tum nirparadh ko dand de rahe ho. Bhagwan ke parsado ne kaha jara dhyan dekar dhyan dekar sunna isiliye kah rahe ab yah nirparadh hai, adandneey hai. Tumhari samarth kya tum isko dand de sakte ho? Nirparadh ko dand nahi diya jaata. Dekho satpurush jaisa aacharan karte hain sadharan log vaisa hi anuran karte hain. Apne aacharan ke dwara satpurush jisko pramanit kar dete hain use dharmaacharan kahte hain.
usi ka log anuran karte hain. Sadharan logon ko gyan nahi hota. Wah to pashu ki tarah hote hain. Unko dharm adharm ka gyan nahi hota. Wah kisi satpurush par vishwas karke uski agyaa ke anusaar chalte hain. Uske charnon mein sir rakh ke nishcint hokar beparwah kar hokar ke wah bhagwat marg mein chalte hain. Ab hamen gyan nahi kya dharm kya dharm? Ab sir rakh diya jo aap agyaa karen waise chale. Bhala wo dayalu purush uska mangal kaise hone de sakta hai? Jisne atmsamarpan kar diya hai kisi sant ko. Agyani jeev hai.
theek hai. Mana par wah vishvasaghat kaise kar sakta hai? Yamduton bahut dhyan dene yogya baat hai ayam hi krit nirwesho janm kotyasapi yad vyajahar vivsho naam swastanam hare suno isne is janm ka nahi karod karod janmon ke papon ka raas raas adharmon ka pura pura prayashchit kar liya. Jis samay ye putr ke bahane se pukara narayan dhyan dijiye yah hai naam. Kah rahe hain ayam hi krit nirweshu janm kotya hasamap karod karod janmon ke papon ka prayashchit kar liya. Jis samay isne ucharan kiya yada narayan jagat chaturaksharam char akshar narayan in char aksaron ka ucharan kiya usi samay keval itne matra se uske sare paap bhasm ho gaye tumhari ab samarth kya ki tum isko dand de sako bhagwan ke parsad bol rahe bahut dhyan se suno jinse galtiya ho chuki hain bahut dhyan se sune age galtiya na ho savdhaan rahena surapo mitra dhruv brahma gur talpag stri raj pitra gohta ye patkino pare mahapapi hai ye jo dusre ki sampatti ki chori karta hai jo sharab pita hai jo mitra droh vishvasaghat karta hai mitra se jo brahmaghati brahm hatyara hai jo guru patni gami hai jo aise papiyon ka dost hai jo stri raja pita gay inki hatya karne wala mahapapi hai in sab bade-bade papiyon ko bhi param pavitra karne ke liye bhagwan ka naam garaj raha hai.
agar tumse aise mahan paap ho gaye hain to kah rahe hain bas keval bhagwan ka naam shuru kar do. Naam lena. Harivansh mahaprabhu kahte hain jaise Harivansh vichar ke manuj deh guru charan gah sak to sab parpanch taj Krishna Krishna Govind kah Krishna Krishna Krishna Govind Govind Govind jaise log akar prashn karte hain hamse paap ho gaye kya ham pavitra ho sakte hain dhyan se suno aise mahat paap ho jane par bhi yadi aapke hriday mein laga mere se paap ho gaya ab mera udhar kaise ho to guru charnon ka aashray lekar naam japna shuru kar do naya janm ho jaega tumhare naam japne matra se koti koti janmon ke paap nasht ho jaenge bhagwan naam ke ucharan se manushya ki buddhi jaisi shuddh hoti hai nishpap hoti hai aisi aur kisi sadhna se nahi bhagwan ke gun leela aur swaroop mein buddhi pavitra hokar ram jati hai aur use bhagwan mein atyant prem ho jaata hai.
bade-bade brahmavadi rishiyon ne paap ho jae to uske prayashchiton ka varnan kiya hai. Jaise chandrayan vrat hai. Chandrayan vrat hai. Se pratipda se shuru hua ek kaval chhota gras dwiteeya do kaval triteeya teen kaval amavasya 15 phir 14 13 12 11 10 nau aath sat chha 5 char teen do ek pure mahine mein aise raho use kahte hain chandra chandrayan vrat bada kathor vrat hota hai. 24 ghante phir aur kuch khana pina nahi. Ek bar ek kaval bas kitna aise kai mahatmaon ko dekha hai ast matra shareeray chandrayan bade-bade brahmavadi rishiyon ne papon ke bahut se prayashchit batae hain krichchha chandrayan aadi vrat par unse paap to nasht ho jaate hain par papon ki jo jad hai paap pravriti wo nasht nahi hoti par bhagwan naam ucharan se to paap aur paap paap ki pravriti donon ka nash ho jaata hai.
pavitra kirti bhagwan ke charnarvind mein prem ho jaata hai. Nakantikam tadh krite nishkrite man punardhavti che satpathe tatkarma nirhar mapsitam hare ganuvad khalsat bhavan jaise aur koi prayashchit kar lo paap to nasht ho jaenge phir nai kheti tayyar kar dega paap paap pravriti hai wo prayashchit nahi mana gaya sacha prayashchit to yo hai pura pura ki phir paap pravriti hi nasht ho jae paap hi na ho wo keval hota hai jo vasnaon ko jad se ukhad ke phenk de wo bhagwan ke naam ka kirtan bhagwan naam jap isiliye chilla chilla ke kahte hain naam jap karo naam jap karo usse jo chitt ki shudhi hoti hai aur papon ka nash hota hai.
aisa aur kisi prayashchit se nahi hota. Isliye yamduton tum log Ajamil ko chu bhi nahi sakte. Ab le jane ki to baat jane do. Isne sare papon ka prayashchit kar liya kyonki isne marte samay mere Swami bhagwan shri hari ka narayan naam ucharan kiya. Ab tum chu bhi nahi sakte ho. Bade-bade mahatma purush ye baat jante hain. Ki sanket mein parihas mein ya isko tan alapne mein ya kisi ki avhelna karne mein saketam parhasyam vastobham helan menva vaikunth naam grahan mashesh gharam vidhu hansi majak mein bhi he Radha Radha he Radha avhelna karne mein tana alapne mein sanket mein kisi bhi abhipray se naam ucharan hua tatkaal uske paap bhasm hona shuru ho gaye.
jo manushya patitli bhag sandashtata hari vasena naam pair phisla Radha jab hua Radha koi bhi bhay ka shri Radha vivash tavash bhaywash kaise bhi hari hari aisa ucharan kar leta hai to wo kabhi yam yatna ka patr nahi rah jaata bhajnandi ki baat nahi kah rahe naam ucharan karne ke girte samay jamhai ke samay kisi bhay ke samay hari hari bol diya Radha Radha ab wo Yamraj ke khate wala dandniy nahi raha wo ek do char naam agar le liye hain tum to usi se tumhara mangal prarambh ho jae. Par aise naam ka ham nirantar jap karke anubhav karen.
yah deh bhav chhut kar ham jite ji bhagwat prapt ho jae. Maharshiyon ne bahut samajhbujhkar bade-bade papon ka chhote chhote papon ka alag-alag prayashchit batlaya hai. Ismen sandeh nahi. Tapasya se, dusron ki seva se, mantrushthan se prayashchit hota hai. Paap nasht hota hai. Parantu malin hua hriday shuddh nahi hota. Uske liye naam jap naam kirtan prabhu ke naam jap se naam kirtan se prabhu ki charan seva se jaisa nishpap hota hai hriday vaisa aur kisi sadhan se nahi hota. Yamduton jaan ya anajan mein jaise agni sparsh kar jae to bhasm hi kar deti hai.
aise shraddha ya shraddha jaan ya anajan kaise bhi naam kirtan suna jae, naam kirtan kiya jae, naam jap kiya jae to dahe do yatha nalha deh ke dwara hue samasth papon ko bhasm kar dega. Jaise agni pahar jaisi rui lagi ho jara sa lag jae to bhasm kar degi. Sankeertatam agam puso dahe de yatha nala naam ucharan karte hi paap bhasm hona shuru ho jaate hain. Yathagdam veeryatam muktamdachchhaya jaise koi shaktishali amrit ke prabhav ko na jankar anajan mein bhi pi le to amrit to amar kar hi dega na ya bhav se pi le to amar to kar hi dega naraz hokar pi le to bhi amar kar dega waise hi anajan mein bhav se kubhav se jaise bhi hai bhagwan naam ucharan kiya to tumhari shraddha ki apeksha nahi naam apna prabhav dikha ke rahega har harti pa dushtit rup smata anachchhya sanshto dav pavak dushtit hai papi manushya hai par jaise hawa ke sanyog se tinka mandir mein choti par baith jae.
aise hi bhagwat kripa hui. Chalo dekhte kya hai yar satsang mein kya hai Baba ji yadyapi dushtit hai. Koi usko satsang se matlab nahi. Bhagwan se chalo dekhte hain. Aa gaye suna. Ab unke chitt mein aaya. Paap nasht ho jaate isse. Ram Ram Krishna Krishna hari hari Radha Radha aisa ucharan karne se. Dekhte hain yar do char din jap karke kya hota hai. Agar wah aise pareekshartha uphaspad kaise bhi bhav se shuru kar diye anachchhapi koi ichchha nahi hai par sang ho gaya to dekhe bhai jab karke bhala kam ban jaega kya yahan dekhoge hari harti paap dushtit rup smrita dushtit se wo smaran kar raha hai bhagwan uske sare papon ko nasht kar dete hain.
anajan mein anachchha se naam lene par bhi jaise agni anajan mein anachchha mein bhasm kar aise bhagwan uske dukho ka nash kar dete hain. Sakradritam hariksharyam baddha parikasten mokshay gamnam prati satsang suna ab vichar kiya gaya jeevan bhar to sab gadbad hi hota raha aaj se ham niyam lete hain ki bhagwan ke naam ka smaran karenge ab Radha Radha japenege ab hari hari japenege bole bole itna socha ki mano usne moksh pad prapt karne ke liye phent kas li, kamar kas li. Yah vachan siddh hai ki jo bhagwan naam ka aashray le leta hai bhagwan naam samasth dukho ko mitakar maha sukh moksh pad pradan karta hai.
dharm arth, kam, moksh jo chahoge naam pradan kar dega. Trivarga ki siddhi dharm arth kam agar moksh nahi bhi chahte to yah naam pradan karega par naam pehle paap nasht karega paap pravriti nasht karega aap intazar karo dhairya purvak japte raho na ganga na gaya setur na kashi na cha pushkaram jibhyagre warte yas haridwayam jo apni jibhya se ucharan karta rahta hai. Hari sharanam hari sharanam hari sharanam hari hari hari Radha Radha Radha bole use ganga gaya setu bandhu Rameshvar kashi pushkar kare tirth to koi baat nahi lekin avshyakta nahi usko wo jo naam ucharan kar raha hai wo mahan sat tirthon ko bhi pavan karne wala wala ban raha hai.
jab ganga ji ko bhageerath ji ne prasann kiya to unhone do shart rakhi ki jaoongi yahan brahmlok se to rasatal mein utar jaoongi. Tumhen mrityu lok mein rokne wala koi chahiye. Aisa tayyar karo ki koi mujhe rok sake. Aur dusri baat jab main jaoongi to mrityu lok ke papi mera sparsh karenge. Dher sara paap mere mein ekatrit ho jaega. Mujhe nishpap kaun karega? Bhageerath ji ne mahadev ko prasann kiya to unhone jata par roka aur dusre prashn ka uttar diya ki jo shant brahmanishtha mahapurush hain nirantar bhagwan ka naam jap karte hain wo jab apna charan aap mein rakenge to aap nishpap ho jaenge.
ganga ko bhi nishpap karne ki samarth bhagwat premi mahatma mein hai. Isiliye kah rahe hain na ganga na gaya setur na kashi nach pushkaram jibhya warte yas hari nitya sharadyam hari hari hari sharanam hari sharanam hare namah Ram Krishna hari jinki jibhya se bhagwan naam nikal raha hai wo jae ya na jae ganga ji gaya ji Rameshvar kashi unke paas sab apne aap tirth aa jaenge wo param pavi teerthi kuravti teerthan tirthon ko tirth pradan karne ki samarth naam japak mahatma mein hoti hai rigwed yajurwed samwed adhtam haridwayam rigwed yajurwed samwed atharwaved inke path karne ka jo phal hai wo hari hari hari Radha Radha Radha Krishna Krishna jo japte rahte hain unko apne aap mil jaata hai.
unko char vedon ke path karne ki avshyakta nahi. Ashwamedha yagya narmedh yadim tenoktam harikshayam jisne hari hari aisa ucharan kiya to dakshina sahit ashvmedh yagno ke dwara usne sab yagya yajan kar li jitni yagya hai sab yagya waise bhi shri bhagwan kahte kahte yagya naam jap yagya yadi naam jap kar raha to sab yagya usne kar li kyonki sab yagno mein mahan yagya jap yagya main hoon pran prayan patheyam sansaar vyaa bhashjam dukh klesh paritranam haridwayam yahan se jana hai kuch le nahi jana hai. Hari hari Radha Radha Radha ye sampatti tumhare saath jaegi.
pran prayan pathe sharir sansaar chhutne ke baad jo tumhen malamaal kar denge wo pathe wo sampatti wo marg ka bhojan samgri vyvastha sab mari ghumegi aapke lok parlok mein kya hai bole dhan kaun param dhan Radha naam adhar sansaar rupi rog ki achuk aushadhi aur jeevan ke dukh aur kleshon ko kshan mul se nash karne ki samarth naam mein virajman hai. Agar ab bhi naam mein priti na ho to bhagwan ki maya badi vichitra hai. Koi bhi ho, kisi bhi kul ka ho, kisi bhi avastha ka ho, ekmatra prabhu ka naam bhagwat prapti karane mein samarth hai.
paap aur ye sab nasht hona to bahut sadharan baat hai aur ismen aisa nahi hai ki aap amuk jagah nahi jap sakte aap amuk avastha mein nahi jap sakte na desh kal niyam socha soch vinirnay param sankeertana dev Ram rameti muchte ismen na to desh ka bhumi ka samay ka soch asauch ka koi aap kahin bhi ho kaise bhi ho apvitra ho ya pavitra ho naam jap kar rahe ho sab mangal hai dekho tasma shastram prmanam chhote-chhote bachchhe aae the vidyarthi unhone kaha ham kab naam jap karen hamen padhai mein bahut samay lagta hai to ham kaha jab aap shauchalay jaate ho jab aap manjan karte ho jab aap snaan karte ho jab aap laghu shanka karte ho us samay Radha Radha Radha Radha Radha japo to kisi kisi ko prashn utha ki Radha naam itna pavitra shauchalay mein kaise jap kar yahi uski mahima hai na kal niyam socha asoch vinirnay param sankeertana dev aap us samay naam jap kar kaise ucharan nahi aise andar andar Radha Radha chal raha hai maun hokar ke shauch snaan aadi kiya jaata hai apvitra pavitrova sarwavastha piva yah pundri kaksha vayabhyant suchi apvitra
ho avastha ya pavitra ho aap jis samay hari hari Krishna Krishna Radha Radha jap rahe ho aap param pavitra ho prabhu ke naam ka samanta karne wala na yagya hai na dan hai na tirth snaan hai chalte phirte uthte baithe khate pite kriyarat kriya rahit jaisi bhi avastha mein ho naam ucharan kar sakte ho krishnati mangalam naam yas vaach pravartate bhasm bhavti sastu maha patak kot jiski ji par Krishna Krishna Krishna Krishna ye naam nritya karta rahta hai karod karod mahapaton ko bhasm karta rahta hai. Sarwesha lakshan tirth snaan sar tapas nach sare yagya lakho vrat samasth tirthon mein snaan bhari tapasya anekon anusthan hazaron ved path prithvi ki sampurn prithvi ki saikadon pradkshina ek saath ki jae.
ek sadhak naam jap raha hai. Radha Radha Radha Radha Krishna Krishna uski samanta karne wala tribhuvan mein koi nahi. Ye sab 16va hisse ke barabar bhi nahi hai. Ved path sahastran pradakshinyam bhav satam Krishna naam japasyas kalam narsi tas shastram prmanam prithvi ki saikadon pradkshina lakho vrat sare yagya tirth snaan tapasya upvas hazaron ved path anusthan naam japak ki samanta nahi kar sakte. Naam ke saman naam hi hai. Wah chahe kirtan karo, chahe jap karo, chahe smaran karo, phal uska wahi hai. Ascharya wa bhay shoke chhateva mam naam vyaje wa smarestu saya parma gati prayane cha prayan y naam smarta nanam sad nasti paap namasta chidatmane ascharya mein bhay bhay mein shok mein kshati hani mein chot lagne mein kisi bhi avsar mein jo bol uthta hai Radha hari main use param gati pradan karta hoon.
bhagwan kah rahe main use param gati pradan karta hoon. Chahe mrityu ka antim samay ho, chahe jeevan ka jo bhi kshan ho, tum naam ko mat bhulna. Tumhen nischit bhagwat prapti hogi. Kya chinta tumhen? Man nahi lagta yah jalan wo Radha Radha Radha lage ya na lage aapko isse kya dekhna man apne aap lag jaega paap raas tatkaal nasht hoti hai bhagwan naam se kyonki jaise bhagwan chidanandmay aise bhagwan ka namastas chidatmane bhagwan ka naam bhi chidanand swaroop hai shratwa naam tat hare dwaj narka narkan mukt sadev maha mune koi narak gami hone wala hai aur sanyog baith gaya koi bhagat vas nikla Krishna Krishna Krishna Krishna Krishna Krishna Krishna he Radha Radha Radha uske kan mein par gaya ab wo narak nahi jaega usne bola nahi hai suna hai keval he naam mahima hai naam mahima hai naam japak ke aaspas ke pashu pakshi bhi param pad ko prapt hote hain.
isiliye dham ke kutta shukar aad bhi sab bade-bade Paramhans hain. Yahan ki raj mein lutte hain. Khub naam kirtan bhagwat charcha unke kano mein padti hai. Naam ki mahima agar yah sunkar tumhen naam prem nahi ho raha hai to bhagwan jane kya gati hogi. Itna mahmmahim naam. Ab hamen aur kya chahiye. Bhagwat prapti gyan param pad sarv paap nash sarv dukhnash dhairya purvak japo tumhara paisa lagta hai free hai na jaban hi to hilani to wo to aise hi tum gali bakte rahte ho prapanch bakte rahte ho ulta sidha sochte rahte ho are Radha Radha socho Radha Radha bolo kya paisa lagta hai phir dekho tumhara mangal hota hai ki nahi mangal charan choom lega to samjh mein nahi aati maya ki aisi pravah gati hai rupaye mein to vishwas hai ki itne lakh bank mein jama ho gaye.
itne se itna aisa aur prophit itna iske baad iske baad kya hoga? Satya vishay yah hai ki itna naam ho gaya. Aaj itna aur naam kamaya itna aur naam jama kiya prabhu ki bank mein. Yah baat hai. Mehnat karo khub aur jaban se Ram Ram bolo, Radha Radha bolo, Krishna Krishna bolo. Kya ghata lag jaega? Fawda chalao jo bhi karya karo karya karte hue naam jap jo karta hai bahut mangalmay pavitra hota hai sharir se pasina chu raha hai aur mukh se naam hai usse jaisa pavan karne wala kaun hoga ye naam jap ke liye na koi paise ki zaroorat hai na nahane dhone ki ham baat kar rahe hain na ham kisi niyam sanyam ki baat karen jo ho jahan ho jaise ho Radha Radha bolo haan guru mantr lene ke liye aur anya karyo ke liye to kuch sharten hain lekin lekin naam ke liye koi shart nahi hai.
tum jaise ho naam bolo. Jo khate pite ho jaise chal rahe ho shuru karo naam. Nahi chhod pa rahe ho naam pakdo. Dekho naam sab chhudrva dega. Mangalmay kar dega tumhen. Pakdo naam ko hamari prarthna man lo. Apvitra pavitra chahe tumhara bhojan apvitra ho. Chahe tum apvitra ho. Naam shuru karo. Naam tumhare hriday ko sharir ko sabko pavan kar dega. Eeshoham sarv jagta naam naam Vishnu japka satyam satyam badam mein haryagtam dekho main tumse satya kahta hoon mahadev ji kah rahe hain Parvati ji se eeshoham sarv jagtam main sampurn sansaar ka ishwar devdhidev mahadev hoon par naam Vishnu japka kaha satyam satyam badam mein har nyaa gati nanam main bhi naam jap karta hoon tumse satya satya kahta hoon ki jo bhi main kalyan gati param pad deta hoon sab naam jap ke prabhav se deta hoon.
jab main naam jap karta hoon to aur socho sabko naam jap karna chahiye. Jab is prakaar bhagwan ke parsado ne varnan kiya to Ajamil dekha ki yamdoot wahan se yampa se chhodkar Ajamil ko Yamraj ke paas gaye aur kaha bhagwan is sansaar mein aapke siva aur koi bhagwan hai kya? Ham to aaj tak yahi samjh rahe the ki aap hi bhagwan hain. Idhar Ajamil jab yam paas se chhuta to aansu aa gaye bhagwan ke parsado ko dekhkar aur hath joda. Mano kahna chahta hai ki jiska putr ke bahane se naam liya to yah labh mil gaya. Agar mujhe kuch hi kshan mil jae to main kai bar naam jap kar lun.
itna avsar mil jae. Parsado ne dekha hai kuch prarthna karna chahta hai. Usi samay antardhan ho gaye. Wo to antarjami sab janne wale. Ajamil ne sun liya tha naam ki mahima. Bas sampurn manovatti naam mein ekdam laga di. Sarv paap hari bhagwan ke naam ki mahima sunkar Ajamil andar hi andar bhari prayashchit kiya ki o ho aise maha mangalmay naam ko bhulkar main kitne nich aacharan mein lag raha tha dhikkar hai mujhe dhikkar hai main bar-bar apni ninda karta hoon hai hai maine kitna bada aparadh kar diya apni patni putr parivaar mata pita dharm sabka tyag agar vaishyagami hua par aaj ek bhagwan ke naam ne mujhe bacha liya ab nahi ab to is ek ek shwas mein naam hi naam keval chalega agyanwash maine jo jo aparadh kiye ab ek bhi kshan naam ko nahi chhodunga dekho jaise Ajamil ji bol rahe hain waise apne ko bhi bolna hai agyanwash maine bade aparadh kiye ab ek kshan bhi naam ko nahi chhodunga naam har samay chalaunga.
bhagwan ke parsado ki kripa se naam ki mahima sunkar Ajamil naam jap karke param pad ko prapt hua. Bhagwan ki kripa ham sab par hai jo hamko naam mahima sunne ko mil rahi. Kalikaal hai. Bahut hi shravan mein kripa ho rahi jo ye baten sunne ko mil rahi. Pakar lijiye. Yamdoot gaye Yamraj rishi ji se kaha ki bhagwan aaj tak tum yahi samjhte rahe ki aap hi hamare bhagwan ho. Aapke siva aur koi hai kya? Sansaar mein teen prakaar ke karm dekhe jaate hain. Punya paap donon mishrit un sab ka dand dene wale aap hain. Agar bahut se shashak honge to vyvastha bhang ho jaegi.
ye kaun tha? Main phansi mein bandhkar usko la raha tha aur divya tejasvi prakt hue aur phansi kaat di aur mujhe dant laga di aur pucha ki dharm ka swaroop kya hai? Muskura diye dharmraj ji. Aur prasann hokar ke pehle to bhagwan shri hari ke charnon mein namaskaar kiya. Yamraj ne kaha duto mere atirikt mere jaise kitne lokpal jinki agyaa par chalte hain wo Swami hain wo hain bhagwan shri hari unhee bhagwan shri Krishna ke ansh se brahma Vishnu aur Mahesh aise utpatti hoti hai alag-alag bramhandon mein ye alag-alag sevae ho rahi hai.
duto jaise kisan apne bailon ko chhoti-chhoti rassiyon se nath se aur badi rassi se bandh kar rakhta hai waise hi Jagdishwar bhagwan shri Krishna sabko ved dharm in rassiyon se bandh kar rakhe hue hain. Dekho main indra naitit Varun chandrama agni shankar vayu surya brahma baro aditya vishv deva aatho Vasu sadhya 49 marat siddh 11 Rudra rajogun tamogun bhrigu aadi bade-bade devta sab ke sab jinke adhin hokar agyaa ke anusaar kam karte hain wo hai bhagwan shri hari sabke Swami tumne jinke darshan kiye unhin ke wah parsad the bhagwan shri hari ke alaukik bhagwan ke bhakt par jab koi vipatti aati hai to yah bhramn karte rahte hain bhagwan ke parsad tatkaal unki suraksha karte hain.
dekho narayan nikla aur aa gaye. Swayam bhagwan apne parsado ko is srishti mein taynaat kiye hue hain. Isiliye nirbhay nishcint hokar ke naam jap karo. Unke vidhan ke viparit kuch nahi ho sakta. Bhagwan ka dharm janna bada gopneey hai. Use jo jaan leta hai wah bhagwat swaroop ho jaata hai. Ham 12 hai srishti mein jo jante hain us rahasya ko brahma ji devrshi narad bhagwan shankar Sanat kumar kapil dev swayambhu Manu prahalhad Janak ji Bhishma pitamah bali Sukhdev ji aur main dharmraj ye 12 hain jo bhagwan ke dharm ke rahasya ko jante hain.
yah dwadash mahabhagvat hai. Priy duto tumne dekha namon ki mahima Ajamil jaisa ghor papi ek bar putr ke bahane narayan bola to mrityu paas se chhut gaya. Aur jo shraddha aur bhav se bhagwan ki gun leela ka gayan karte hain, naam kirtan karte hain, naam jap karte hain to unko bhagwan apna prem pradan karte hain aur prem adhin bhagwan hain. Bhagwan ki maya se bade-bade vidvan mohit hai. Isiliye wo shastron ke karmon ke mithe mithe phalan mein arth vad rupni ved vani mein phas jaate hain. Bhagwan ka naam jap nahi kar pate.
dharmraj priy duto bade bade Paramhans jis parmanand ke lobh se bhagwan ki aradhna karte hain dhanya bhag hai jiski jibh mein bhagwan ka naam virajman hai dhanya jibhyakti bhagwat gun naam adhikar hai uski jeevan ko uski jibhya ko jiski jibhya mein naam nahi bhagwan ke gun nahi leela nahi kya jeevan hai? Narak tully jeevan hai. Jara jara si baat mein chinta shok mein ghabra rahe ho. Are naam jap karo. Bhagwan ke gunon ka gayan karo. Dekho tumhen aaj ke baad bata dete hain. Bhul se bhi jisne bhagwan ka naam ucharan kiya ho uske samip mat chale jana.
nahi to aparadh ban jaega. Mera mere Swami ka. Jinki jibh naam nahi jap karti. Jinke kan bhagwan ki charcha nahi sunte jinka chitt bhagwan ka chintan nahi karta jinka sir ek bar bhi bhagwan ke shri vigrah ya santo ke samne jhuka nahi aise logon ko yampas mein bandhkar pigte hue mere samne lao lekin jinka sir ek bar bhi sant ya bhagwat archa vigrah ke samne jhuk gaya hai jibhya se naam kano se bhagwan ke gunon ko suna bhul kar unke paas mat pahunch jana Yamraj ji ne kaha aaj aparadh dh ban gaya mujhse ki kyonki bhagwan ke duto ka aparadh bhagwan ka hi mana jaega.
isliye main bhagwan aur bhagwan ke duto ko namaskaar karta hoon ki mere agyani parsad yamdoot na janne ke karan unse varta kar liye. Itne bade bhagwan ke parsad se prashn uttar parikshit isliye mahmmahim bhagwan ka naam jo jap kar rahe hain samjho unhone sab kuch kar liya he bhai yah prasang sunane ka tatparya yahi hai ki aapse jo bhi galti ho gayi hai jo bhi aparadh ho gaye hain prayah is maya ki phislan mein sabse galti ho jati hai nikalne ka bahut sahaj upay upay hai. Dekho bade-bade jo upay batae gaye hain wah karna bahut kathin hai aur unse keval paap nasht hote hain.
paap pravriti nahi ismen paisa nahi lagna. Ismen tumhen koi ham upvas ki baat nahi kar rahe. Ismen aisa nahi ki trikal snaan karne ki baat kar rahe hain ki dhule kapde pahne ki baat kar rahe hain ki Padmasan lagane ki baat. Jaise ho tum koi shart nahi hai. Jaise ho tum keval bhagwan ke naam ka ucharan karo. Radha Radha Radha Radha pakar lo na bhai koi ghate ka sauda ho to tumhen pareshani ho ki do-teen mahina ho gaye kharch karte hue abhi kuch kam bana nahi aise to ujad jaenge koi kharch nahi swas to aa hi ja rahi hai usi mein bas ucharan karna hai Radha Radha Radha aapko Radha Radha japne mein swad nahi aa raha hai aap Ram Ram japo Krishna Krishna japo hari hari japo mere prabhu ke anant naam hai koi bhi naam jap karo lekin jo Gurudev ne diya wah japoge to bahut hi mangal ho jaega.
bahut karunamay bilkul free hai aur koi shart nahi. Isliye bhai agar ab bhi naam jap mein tumhari ruchi na hui to bhagwan jane ki ab tumhare bhagya mein kya likha hai. Galtiya hamse hongi. Hoti rahi hai. Pata nahi kab nach jano chhin ant kavan buddhi ghate prakashit. Kis samay buddhi kya nirnay kar de. He bhai koi bharosa nahi. Radha Radha Radha Radha nikal chalo roz ayu nasht ho rahi roz subah hokar sham ho rahi hamare jeevan se wo din gaya wo tithi gayi wo shwas gayi ek ek shwas ja rahi akhiri shwas mein hamara kam ban jae Radha Radha Radha vishwas kar lo aap vishwas kar lo koi bhi lenden ka vishay nahi isliye tumhen vishwas karne mein sahjta honi chahiye vishwas ki baat tab kahi jae ki bhai itna de tab vishwas yahan free sab baat hai.
aapko keval sweekar karna hai. Aram se sofa mein pair faila ke baitho. Radha Radha Radha Radha bolo tum Radha Radha tumhara mangal ho jaega. Tumhara param mangal ho jaega. Tum jo na chhod pate ho chinta na karo. Hamare andar ki baat samjhna. Ham andar se jo kah rahe hain usko samjhna. Tum jo na chhod pa rahe ho pareshaan mat ho battery discharja ho gayi hai usko power mein ane do sab chhut jaega Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha aur jahan power mein ai to apne aap sab chhut jaega aap dusron ke chhudwane wale ban jaoge dekh lena yadi naam chal raha hai to asat aacharan chhudwane wale ban jaoge apne mitron ka sudhar kar doge satar sa lok tarti pehle tum naam ko pakdo yah chinta mat karo kai prashn karte hain ki ham japna to chahte hain par dar lagta hai ki aisa aisa ham karte hain kahin paap to nahi ban jaega naam japne are wo tumhara papi man hi darwa raha hai ham khuli chhut de rahe hain aapko kis baat ke liye tum jo ho jahan ho jaise ho shabd yad kar lo Radha Radha Radha Radha japna shuru kar do.
koi shart tumhare upar nahi hai. Jab aap yah naam pakar loge phir kuch din baad aap batana naam ne aapko kya bana diya. Bas itna samjh lo. Ek krur karma hinsak swabhav wale ko agar kahin vrat niyam upvas batte to shayad na samjh pate. Kaise kalyan hoga? Bole Ram Ram kaho. Bole ham nahi kah payenge. Bole wo mara bolo. Marne mein praveen hua na mara bolo bole mara mara mara mara mara mara aa gaya na brahm ke saman sthiti ho gayi is raas ko samjhiye koi vrat koi niyam koi pavitra batte to nirvah na ho pata naam jap karo sidha nahi jap paye ulta jape to do teen ke baad sidha ho gaya aur aisa siddh mahapurush ki bhagwan ke avatar ke pehle bhagwan ki leela isliye ham sabse prarthna daro mat mat daro mat.
naam japne se kabhi kisi ka amangal nahi hua hai. Yah tumhara andar ka malin bhav tumhen darwa raha hai. Tum jo ho jahan ho jaise ho tum adhikar rakhte ho bhagwan se apnapan karne ka. Bhagwan ke bachchhe ho. Bhagwan ke ansh ho. Tum bhi usi mahan ke ansh ho. Bhul gaye ho apne aap ko. Tum naam jap karo. Jahan ho jaise ho. Naam jap bas naam jap se sab theek ho jaega shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…
- Vrindavan ki diksha ka kitna bada phal hai? / bhagwan shrikrishna ka prakty // 20/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand [gala saaf karne ki aawaz] raso purnam hrid pritam madhupte smarta mugam nirvapay param shital masya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj…