॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

paramarth mein yah shpath lena zaruri / sache sadhak mein prakt hote hain ye 33 divya lakshan // 31/03/2026

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm premamart makrand rasog purnam haditam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashryam param shi shital maya dol jhulat dulahni dulha ho udat kumkum chhir ta khel paraspat shul ho dol jhulat dulahni dulhu [khansne ki aawaz][gala saaf karne ki aawaz] bajat taal raba bap aur bahu tarni tanyakul ho shri haridas ke Swami shyama kunj bihari ko an tatab naah ne phool ho kunj bihari shyama kunj bihari shri haridas [chikne ki aawaz] ke Swami shyama kunj kunj [gana gane ki aawaz] bihari ko an tatab nahine [gana gane ki aawaz] phulhu dol jhulat dulahni dusna ke marg mein upasak ko aisi dridh bhavna banani hai ki chahe hamare sharir ko bhayanak pida mile, apman mile, tiraskaar mile, chahe hamara man hamare khilaf ho jae, bhogon mein akarshit kar de ya vishv hamari ninda karne lage, mujhe kinchin matra bhi koi bhay nahi.

apne marg mein atal rehunnga. Yah shpath purvak marg chalna chahiye. Prarambh mein hi yah shpath kha leni chahiye. Ab main prabhu ke marg ko nahi chhod sakta. Chahe jitni pida di jae ya pralobhan diya jae. Har sukh ka pralobhan maya degi. Prabhu ko nahi chodna hai. [nak se ki jane wali aawaz] jo upasak sukh ka lakshya karke is marg mein chalta hai, wah bhrasht ho jaata hai. Vasnae sadhna se dab jati hai. Mitti hai. Bhagwat sakshatkar ya brahm bodh se. Bhagwat sakshatkar ya brahm bodh tak pahunchne ke liye upasak ko bahut hi swabhav mein gambhirta sahenshilta ye lani hi hogi.

agar wah gambhir swabhav ka nahi hai. Apni baten dusron se bataega to paramarth se vanchit ho jaega. Anubhav ki baten ya apni kami ki baten donon nahi batani. Isht dev jaan rahe hain. Gurudev jaan rahe hain. Dusra koi hamare hriday ka parivartan nahi kar sakta. Agar hamare hriday ka parivartan kar sakta hai to hamara aradhya dev kar sakta hai. Aradhya dev sarvagya hai. Isliye mujhe kahne ki zaroorat nahi. Jo anubhav ho raha hai use gupt rakho kyonki wahi anubhav paramatma sakshatkar ki manjil dridh kar dega.

agar anubhav batane lage to khali ho jaoge. Paramarth mein chalne ki yogyta kho doge. Is baat ko dhairya purvak samjhiye. Chahe jitna kasht hamen mile shareerik ya mansik ham prabhu ke marg ko ab chhorne wale nahi. Yah shpath khani chahiye. Ham prabhu ke marg mein jaise hain waise hi chalenge. Jitna sudhar prabhu karate ja rahe hain utna hota ja raha hai. Ham prabhu ke marg ko nahi chhodenge. Chahe jaisi paristhiti aa jae. Ham gir sakte hain, phesal sakte hain, ladkhda sakte hain. Par na to ruk sakte hain aur na laut sakte hain.

yah shpath khani chahiye. Agar yah nishtha nahi hai to phir bahut bada bhayav drishya upasthit karegi maya bhitar aur bahar se samay aayega aap ladkhda jaenge aapko pralobhan aisa milega ki aap ise chhodkar ke maya mein raman karen. Pralobhan mein bahut mithas nazar aati par hota bahut jahr hai. Skamta utpann hote hi jo jalan hoti hai wah sakami purush nahi jante. Wo bhagwat marg ke pathik jante hain ki kamna kitna bada jahr hai aur kaise jalati hai raat din. Isliye upasak ko nishakmata par hi apni sthiti sthaapit karni chahiye.

skamta ko tatkaal katna chahiye. Agar skamta rahi to 20on varsh sadhan karne ke baad bhi wah bhrasht ho jaega. Is shabd ko bahut sukshta se anubhav purvak bol rahe hain. Chhoti si dabi hui vasna 20on varsh sadhan karne ke baad bhi wah apna prabal rup dharan kar legi aur sadhak ko gira degi. Dhundhdhundhkar andar ki vasnaon ko naam jap ke dwara bhasm kiya jaata hai. Bhajan ke bal se unka hriday se purn anadar karna hota hai. Anadar hi unka nash hai. Aadar karna hi apna nash hai. Bas yah dhyan rakhna hai. Skamta hi hamara patan hai.

nishakmata hi hamari sthiti hai. Dhairya purvak sahan karna hi yatra hai. Sahan na kar pana tut gaye ya pralobhan mein aa gaye to is marg se gir jaenge. Dekho shripad Prabodhanand ji maharaj kaisi nishtha ka varnan karte hain. Dham ki nishtha kah rahe hain ki chhid khadsa idam yadi mein shareeram ghora vipatyo yadiva ahant haant na tathap bhaya vrindavan tar tuchch pade pipasa bahut uchh koti ki Vrindavan ki nishtha hai shripad Prabodhanan ji ki balhari hai in mahapurushon ki ki inheen ke vachno ki juthan pakar apne hriday mein kuch nishtha aati hai.

[khansne ki aawaz][gala saaf karne ki aawaz] nahi to yah sharir rag hamen dham nishth guru nishth naam nishth bhagwat nishth yah nahi hone deta. Is sharir sambandh hi bhagwat sambandh dridh nahi hone deta. Anant janmon se ham bhtak rahe hain inhi shariron ke sambandh mein. Yah patni, yah putr, yah pita, yah mata, yah rishte, yah nate, yah samgri, yah bhog, yah bank balance isi ka aashray lekar ham bhagwan se vimurkh ho chuke hain. Kaisi adbhut nishtha chhidat khasa idam yadi mein shareeram ghora vipad vit yadiva patti yadi mere sharir ko pida pahunchai jae Vrindavan mein astr shastron ke dwara chhedan bhhedan kiya jae to bhi main kabhi Vrindavan ko nahi chhod sakta.

yah baat samjhni chahiye. Bahut badi uplbdhi hai. Bahut bada saubhagya hai. Yadi aapko yahan ek din bhi vas karne ko mil jae. Phir jinko aajeevan vas mil gaya hai. To durbhagya hai ki wo Priya pritam ka chintan nahi karte hain. Satsang nahi sunte. Shri ji ki lilaon ka gayan chintan nahi karte. Vyarth mein samay nasht karte hain. Divya kripa ho gayi Vrindavan vas ki par uska labh nahi le pa rahe. Vrindavan bas ke itno bo sayan jugal charan ke bhajan bin nimish na deeje jaan. Palak jhapakne ke samay ko nimish kahte hain.

itna bhi samay Priya pritam ke bhajan se agar khali gaya to hamara durbhagya hai, hani hai. Vipatti hai. Agar nirantar hamara smaran Vrindavan mein chal raha hai to vastvik tan man ke van se ab Vrindavan vas ho raha hai. Isiliye upasako se prarthna karte hain ki uthte baithe chalte phirte naam jap karte raho. Priya pritam ko mat bhulo. Yah tumhara bank balance tumhare saath nahi jaega. Yah tumhari pravinta sansaar ke vihaar kiye nahi jaegi. Yah tumhara sharir sukh ya sampatti sukh yah tumhen Priyalal se vanchit kar dega.

iska bharosa mat karo. Yah mayakrit hai. Bharosa karo prabhu ka. Bhale sab kuch bana rahe. Uska bharosa mat karo. To ye sab tikau nahi hai. Parivartnshil hai. Ye sharir nashvan hai. Isko itna pyar mat karo ki prabhu ke pyar ka marg hi chhut jae. Kaisa mand buddhi ho jati hai upasak ki. Aisa vichar ho jaata hai ki wah sharir poshan ke liye indriy bhogon ke liye prabhu ko chhod deta hai. Dham ko chhod deta hai. Aisa hai wo dham ko chhod deta hai. Prabhu ko chhod ek vishay ek indri man ke saath milkar aisi thagai ki ki prabhu se vimurkh kar diya.

dham se vimurkh kar diya. Guru se vimurkh kar diya. Tabhi kaha shpath purvak kis marg mein chalna chahiye? Ham to aae nahi hamen laya gaya hai. Yadi laya gaya hai to ab samjh mein aaya ki mere upar kripa hui to main shpath khata hoon ki apne pran tyag sakta hoon lekin apna marg nahi pakka. Par aajkal shpath bhi aise hi kha li jati hai. Uski satyta uska nirvah karna bahut kathin ho jaata hai. Pratigya shpath ye sab mein khavai jati hai. Agar kisi bhi department mein hai to usko shpath khavai jati hai. Aap yah gupt baat kabhi kisi ko nahi bataenge.

aap aise chalenge. Aap rashtr ki raksha karenge. Aap shpath khaaiye ki dharm purvak satya purvak apne rashtr ke liye pran samarpit karenge. Aap to paramarth ke pathik hain. Anant bramhandon ke Swami ke charnarvind ke samip param pad prapt karna hai. To aapko to shpath khani hi hogi. Kyon? Yadi shpath purvak nahi chaloge to aapko maya bhrasht kar degi. Shpath purvak chalne par hai ki girunga ladkhda jaaunga lekin pair se nahi chal paunga to ghasil ke chaluga lekin chaluga prabhu ki taraf hi arthat bilkul yogyta na rah jane par bhi ham prabhu ke hi marg mein rahenge hamko prabhu se ab koi alag nahi kar sakta ye nischay karo ismen bahut badi samarth hai yadi ham paramarth ko sweekar kiya hai chahe grihasth mein mein ho chahe virakta mein ho ab chahe hamare sharir ko kaat diya jae to bhi antim samay ham Radha hi bolenge hamare jeevan ka uddeshya prabhu hi hai shri dham Vrindavan ke vas ki nishtha ka prichay de rahe hain dhruvdas ji khand khand hoe jae tan ang ang sat tuk Vrindavan nahi chhadiyo chhadbo hai badi chuk badi badi chuk ye jo bahar se bhakt jan ate hain inke upar shri ji ki kripa hai.

par aapka durbhagya ho jaega yadi inse aap ghanishtha apnapan kar liye. Ghanishtha sambandh shri ji se aur shri ji ke sambandh se inse sambandh direct hamara koi sambandh nahi hona chahiye. Shri ji ke nate se hai. Shri ji ke sambandh se hai. Ek bahut achhche brajraj sevi mahatma isi sambandh mein chuk ho gaye. Kuch log bahar se aae. Aisa kabhi kisi ko nahi karna chahiye. Bahar se ane walon ko. Unke 500 sugar thi. Bahut achhche braj raj upsevi aur saral swabhav santo ka ho jaata hai kyonki hamari swamini ka swabhav hai.

atyant dayalu karunamay sahaj saral kinhin kin santo ka bahari swabhav nariyal ki tarah hota hai. Nariyal upar se kathor hota hai. Wo andar se dekho to bahut mithas wali gari hogi. Usmen mitha jal hoga par bahar se kathor rahta hai. Niras rahta hai. Yah swabhav hona hi chahiye. Nirvikaar param pad ki prapti ke liye har sadhak ka swabhav is nariyal ki tarah hona chahiye. Bahar se niras, jatil, kathor, andar se sukomal. Agar bahar se sukomal ho gaye to mare jaoge. Is marg mein mare jaoge. Bahar se Rudra drishti hriday mamta shunya hriday mamta nirmamo nirhankar sam dukha sukha chhami shri bhagwan ka adesh hai.

nirmamo nirhankar yadi param pad ki taraf kadam badha rahe ho to soch lo tumhara marg kya hai? Nirmamo nirhankar kisi se koi mamta nahi. Wah aae aur prarthna ki ki aapki 500 sugar hai. Yah kidney phayl kar sakti hai. Yah dil phayl kar sakti hai. Lever phayl accha hamare yahan bahut doctor badhiya hai. Le chalte hain. 101 din seva karenge. Aap svasth ho jaenge. Phir aa jaiye. Dawa ban jaegi. Chalti rahegi. Unhone swikrati de di. Wo nahi wapas aae. Wahi sharir pura ho gaya. Aap log bahar se ate hain Vrindavan labh lene ke liye.

agar aapko shraddha hai aur koi sant bimar hai to yahi uski vyvastha kijiye. Usko mumbai Kolkata Delhi le jane ki koshish mat kijiye. Usne apne jeevan ko shri dham ki raj mein diya hai. Kasht se pidit hone ke karan prabal nishtha na hone ke karan ho sakta hai wo hami bhar de to aapko nahi le jana hai. Wo kahe bhi to nahi le jana hai. Nahi maharaj ham yahi vyvastha karenge aapki. Tab to aapki seva mani gayi. Aap unko dham chhudrva diye to kaun si amravti pila denge aap? Kya mrityu par vijay aap dila sakte hain?

kya shri dham Vrindavan dila dega? Haan yah hai ki rajosevi priyal ke charnarvind ke kahin bhi sharir chode wo to Priya pritam mein sthit hai par wo labh jo ham log yachna karte hain ki jai shri bhatt dhul dhasar tan yah asha udhar kuch visheshta hai pakka maniya is raj mein sharir chhorne ki kuch visheshta hai man loge to jaan jaoge tabhi kah rahe khand khand hoe jae tan ang ang sat tu Vrindavan nahi chhadiyo chhadbo hai badi chuk yahan kah rahe hain chhidat khasa idam yadi mein shareeram ghara vipad vityo yadiva patti yadi dhar wale astr se bhi mera sharir kata jae to main Vrindavan ka kabhi tyag nahi kar sakta ki bhai Vrindavan mein to bahut dukh mil raha hai.

ab to chalte hain yahan se. Shpath purvak isiliye kaha hai ki agar shpath purvak nahi rahoge to badi vichitra dasha hai. Hamara dham aur dhami shyama Shyam bade kripalu hain. Yadi aap jana chahte ho rokenge nahi aur nahi jana chahte ho to kabhi jana nahi padega. Kisi bhi karya ke liye nahi jana padega. Ye apne anubhav ki baat kah raha hoon. Kisi bhi karya ke liye nahi jana. Aur aapne nischay kiya hai ki bahar jakar hi hamara kam chalega to pakka bina bahar jae aapka kam hi nahi chal sakta aur aapne nischay kiya hai ki shri dham Vrindavan nahi chhodunga chahe mar jaun to har vyvastha jo tum bahar se nahi kar sakte ghar baithe ho jaegi kyonki swamini ji ke charnon mein swayam anant loko ki siddhiya lutti rahti hai.

vishwas, dhairya, sahenshilta yah chahiye is marg mein. Agar sahnseel nahi ho, vishwas nahi hai to phir aap tut jaoge. Kitna kasht so aapko vishwas dilate hain is sthan ka vishesh prabhav hai dham ka ki yahan vishesh kasht prabhavit nahi kar pata. Kalah kalesh na vyap thor vishv te nyari yahan kasht bhi aayega to bahut simit rup rakhkar aayega. Wahi bahar jab aapke upar prabhav daelga to bada bhari dukh hoga. Praarabdh bhi aayega to shasit hokar aayega priyaju se wo swatantr rup se aakraman nahi kar payega.

bahar swatantr rup se aakraman kar dega. Yadi ghor ghor vipattiyan akar hamko gher le to bhi ham Vrindavan nahi chhodenge. Yah shpath purvak rahna chahiye. Ghor vipad vityo yadiva patti ghor vipatti aa jae to bhi main apni nishtha se nahi girunga. Kaat dala jaun to bhi ghor vipattiyan dukh aa jae to bhi main shri dham Vrindavan ko nahi chhorne wala. Ha hant hant na tathap bhaya Vrindavan tar tachchha pade vipasha hai hai shripad kah rahe hai hai jo Vrindavan ka vas mila aur use chhod ke kisi bhi labh ke liye bahar jaate hain to hai hai hari Ram vyas ji ne ek pad mein likha hai itni badi kripa ho gayi aur iske baad bhi tum Vrindavan ka aashray vas ka prabhav na janne ke karan anya aashray lete ho anya sahara lete ho aur yahan chhodkar jaate ho to mano apne sir par paduka chala rahe ho accha swayam patit patrakav sudha bhakshay tasha mir Nandini such payajli bhi pivan kada madhur Radhika raman raas ke sthal bilokya ras mag dheesam Vrindavan ye prayah tayyari ki jati hai.

dhyan rakhna jaise kisi ko army mein jana hai to daud bhag ye sab pahalwani karna hai to dand baithak khanpan aur yuddh ki kalaen kushti ki kalaen seekhta hai. Aise hi ham bhagwat marg mein chal rahe hain. To hamen pusht bhi hona hai aur yuktiyan bhi seekhni ki shatru ko kaise parajit karna hai. Kyonki hamare shatru antar mein baithe hue hain. Hamara ek bhi shatru bahar nahi hona chahiye. Kisi se rag dves nahi. Andar ki vritti se hamari dushmani hai jo bhagwat vimurkh karne wali hai usko pachhadna hai to kah rahe swayam patit patrakaranya mrit vat sudha bhakshayan agar Vrindavan mein hamen bhojan nahi mila to ham sukhe patte kha ke yahan amrit ke saman bhojan ka bhav rakh ke pran tyag denge lekin dham nahi chhodenge.

sukhe patte kha ke ki mano main amrit pa raha hoon. Aisi bhavna se par ham Vrindavan nahi chhod sakte. Ye apne logon ne abhyaas kiya. Janbujh ke abhyaas kiya hai. Aisi vritti dharan ki gayi ki agar hamko bhojan na mile to kai din tak ham bhukhe rah sakte hain aur hamare bhajan mein vikshep nahi padna chahiye. Aur uska abhyaas pure jeevan chalaya gaya. Jab tak ham sadhan paksh mein hain tab tak abhyaas pura dridh kar lena chahiye ki agar hamen char panch din bhojan na mile to ham bhajan mein vikshep na pare aisa abhyaas kar le.

ham ekant mein baithkar bhajan karen. Ham samaj mein baithkar bhajan karen. Ham bazar mein khade hokar bhajan karen. Ham yamuna ke kinare bhajan hamara bhajan ka abhyaas kahin bhi hamen badha na pahuncha pave. Aisa hona chahiye. Kai kai din ganga ke to ekantik tha hi yahi hit dham mein hit dham tak chala hai. Jab ye dialysis ho phir ab himmat nahi hai ki jaise prabhu chalave ab wo to prabhu ke upar rah gaya. Dialysis hone ke baad sharir ki dasha badal jati hai. Ab jaise prabhu chalave waise ho gaya. Nahi to darwaza band. Chhoti kutia mein jab tak koi nahi juda tha darwaza band.

ab yah darwaza teen char din ke liye band. Bahar se tala lagva diya ki hai nahi jaise koi ki jal pan karke chupchap shant char din bhagwadakaar vritti karni hai. Ye maun kisi se milna nahi. Brajvasi unse thodi priyata rakhte the ki aap itne baje tala khol dijiega. Chabi ham de denge. To shauch snaan kar liya. Phir andar ho gaye. Apni vritti ko bhagwadakaar karna hai. Sab upasthit hone par bhog bhi hamko apni tayyari karni hai. Ye thodi ki roz hamen bhojan mil raha hai. Roz vyvastha ho rahi hai. To aap dekho aapko wo bhajan nahi ho raha hai.

jo hai hai wala bhajan hota hai. Bhari vyakulta wala bhajan hota hai. Kaise bhagwat prapti ho. Chilla chilla ke rone ka man ho. Wo isliye nahi hota ki aap har samay jab indriyon ke hi poshan mein lage hue hain. To bhagwanand ki vritti ka poshan kaise hoga? Uske liye to thoda tayyari karni padti hai, abhyaas karna parta hai, jalna parta hai, bhukhe rahna parta hai, kasht sahna parta hai. Sachchi maniye abhyaas mein bahut badi takat hai. Aapka sharir svasth hai. Aap is samay kas sakte hain apne aap ko. Teen ghante vishram iske baad aap kuch samay aasnan mein har samay seva mein nind ko uda do bhojan ki ek sima rakh lo batchit ke liye maun rah jao uchit sharir poshan ki vyvastha bas naam par drishti do nahi khanpan te bhave hai nahi komal van subhave hai sab vishay lage te khara hai hari asik ka mag nyara jab vritti bhagwadakaar hoti hai aur ye hota hai ab bhojan pane jana hai to aisa lagta hai jise saja di ja rahi ho hamari vritti doob rahi hai ab iske liye hamen bhage kabhi to dubna sikho abhyaas karke kabhi to aise aao ki 10 panch minute ke liye sharir bhul jao 10 panch minute ke liye jagat bhul jao keval Priya pritam ke chintan mein wo aise nahi hota ki time bye time bhojan sadhak ki dincharya 12 mahine right time se pehle har cheshta aapko dikhayee degi.

agar yahan khade hona hai 6:00 baje khade ho to panch minute pehle se khada hai. Uski dincharya mein chuk nahi ho sakti. Wahi sadhak wahi sanyami aur jo apni dincharya ko sambhal nahi pata to wo apne aap ko sambhal nahi sakta. Kaagaz mein likh lo chahe dimaag mein likh lo. Jab tak sadhak ki dincharya nahi. Ham grahasti mein dekhen aise aise sadhak ki trikal sandhya karte hain. Jab piche guru ashram mein the 20on subah 4:00 baje tadke ke akar ke snaan karke sandhya grahasti mein rahte hal jotne wale log agar hamari dincharya bhagwat marg ki hai to use kahin bhi ki ja sakti hai.

kaise bhi ki ja sakti hai. Yah bahut pravachan nahi yah aap samjh lijiye. Aapko apne aap ko kasna hoga. Saikadon bar prarthna ki hai ki chahe grihasth ho chahe virakta ho vyayam atyant avashyak hai. Jaise bhojan pana avashyak hai aise vyayam avashyak hai. Bhagwat prapti ke liye atyant avashyak hai vyayam kyonki aapka sharir svasth rahna aniwarya hai. Pranayam atyant avashyak hai. 10 minute 15 minute baithkar ke pranayam do-teen prakaar ke sahaj pranayam ki vrittiya bataiye. Kaun kar raha hai? Sahaj bataiye.

kuch hath lagane ki zaroorat nahi. Nak mein yah anubhav ki wo ki hui baat kar rahe hain. Aram se baith gaye. Dhire se shwas khinchte chale gaye. Donon nak se jitni ja rahe band kar li. Ab mantr jap rahe hain. Phir dhire se chhod di. Koi pakdna nahi. Phir khincha phir band kar li. Ise antarik kumbhk kahte hain. Ekdam khali kar diya. Rok diya. Mantr jap rahe hain. [gahri sans lene ki aawaz][nak se ki jane wali aawaz] phir khali kar phir mantr ise vah kumbhk kahte hain. Har aant phephda har nas nadi ektiv ho jaegi.

aap kya samjhte ho? Yah lohe ki masheenen thodi lagi hai. Yahan unko pranayam ke dwara ektiv kiya jaata hai. Aapka sharir svasth, aapke vichar svasth aur brahmcharya ke liye 45 minute pasina girne wala vyayam atyant avashyak hai. Koi nahi karne ke liye tayyar hai. Kaise tum brahmcharya rah sakte ho. Kaise tum bina pranwayu ka sansodhan kiye ekaagr rah sakte ho. Aisa nahi ki ham prem marg mein hain to hamen pranwayu ke sansodhan ki avshyakta nahi. Nahi. Hamne pujya Gurudev bhagwan ko dekha atari mein jakar ke ekant mein baithkar wo pranwayu ka sansodhan kar rahe hain.

hamne bujurg santo ko dekha jinki 80 varsh ki avastha hai. Vyayam panch minute 10 minute hath pair hila rahe hain. Vyayam kar aur vyayam ka ek prakriya hai. Aapne panch din vyayam kiya to aapke sharir dard honge. Kyonki unko thkit kiya ja raha hai. Ab 8 10 din mein phir rava ho jaenge. Aap karte rahie. Ab dard nahi hoga. Panch din kiya dard shuru hua. Band kar diya aur dard shuru hua. Aapka vyayam ka anubhav hi nahi hoga ki wo yahi lagega ki usse to dard hota hai. Nahi. Aise sanyami sadhak thodi mana jaata hai.

kai minute sir ke bal khade hote the. Har samay isko tayyar karke sadhan mein lagae rahte hain. Aap log dekh rahe hain aap logon ka sharir svasth hai. Aap kaise brahmachari? Kaise aap sanyami? Kaise aap ekagrachit ho payenge? Bole hamare paas samay nahi. Kai baje aap jagte hain. Usse ek ghanta pehle jagie. Aap madhyan mein thoda vishram kar lijiye ya jab aapko samay mile tab aap vishram kar lijiye. Thoda apni dincharya ke anusaar. Lekin ratri hamari sadhna ka samay hai. Adhik se adhik ham jap karke pranayam vyayam karke apne sadhan bhajan mein lage.

sadhan ka matlab hota hai ek bar jiddi swabhav bankar har indra par vijay prapt karke age badhe. Haan hamko utna vyayam pranayam karna hai jo hamari bhakti mein badha na pahuncha de. Wah bhi agyaa ke anusaar jitna kaha jae utna hi kyonki pranwayu ka sansodhan karne ki yadi prakriya nahi pata hai aur ulta sidha padh ke pranwayu to wo aapko rog paida kar degi. Ham isiliye pranayam paddhti nahi kah rahe keval bahya kumbhk antarik kumbhk ya anulom vilom isse koi hani nahi hone wali. Lekin rechak kumbhk purak uski prakriya hai.

wo aisa nahi ki keval aise khinch karke kiya jarur karna chahiye. Yah shas ka sansodhan pran ka sansodhan sharir ki nas nadiyon ka vyayam ke dwara to brahmcharya pusht yadi aap aisa nahi karte to brahmcharya rah hi nahi sakte brahmcharya rahne ke liye sharir ko bahut ektiv karna hota bahut ektiv aur usmen khud itni bijli hoti hai wo baith hi nahi sakta shanti se kathor aasnan mein baithna swabhav ban jaata hai uska tab jakar ke brahm prapti ke liye udhgami chitt vritti hoti hai. Mujhe keval bhagwat sakshatkar chahiye.

sinh swabhav sadhak ka hota hai. Ek pravachan nahi kar rahe hain. Ye hriday ki baat kah rahe hain. Har kasht ko sahakar sinh yahan kya sardi lagegi tum logon ko kamre mein khule mein ganga ke kinare jab aisi ki sharir mein keval sardi hi sardi vyapt ho rahi hai. Lag raha hai ki ab nahi sambhlega to ganga ji mein ja khade ho gaye. Ganga ulta uske khilaf ganga ji ka kafi jal jaise pravahit ho raha hai yah to roz ka anubhav tha hath dedh hath jo jal hai wo bhishan thanda hoga phir uske niche thoda sa jag khade ho gaye mantr jaap kar rahe phir ganga ji ne power di phir bahar nikle phir chale pura jeevan ek yuddh hai aaj bhi ek yuddh hai aise thodi ye sukh prapti laukik sukh ke liye nahi ye adhyatma sukh ke liye hai.

kitni badi baat kah mera sharir kaat diya jae, bhari vipattiyan aa jae tab bhi main apne marg ko nahi chhorne wala. Apni nishtha ko nahi chhorne wala. Swayam patit hua, gira hua, patta khakar ke main ji lunga lekin apni nishtha nahi chhodunga. Ye hamari nishtha kitni hai jara vichar karke dekho kitni hai. Trishahi Nandini such payanjli bhi pawan agar pyas lagegi to use jal se bujha denge. Gangajal mein badi samarth rahi hai. Ab ka to hamen pata nahi lagbhag 25 26 varsh ho gaye Vrindavan ki nishtha ka jo swaroop Gurudev aur rajrani ki kripa se aaya palan ho raha hai.

age shri ji jane Gangajal ke pan karte hi jaise maa ka doodh pan karte balak ko bhojan ki avshyakta nahi hoti. Chhote balak ko aise hi ganga ji dular karti thi. Ganga ji mein kabhi hamen nadi bhav nahi aaya. Kabhi jal bhav nahi aaya. Bas yahi lagta tha maa aur maa ka amrit. Andhere par jakar jab gale se khade ho jaate to kabhi-kabhi man kahta magarmachch na jae to kahte uske upar hamari maa bhi virajman hongi. Magarmachch sawari hai ganga maiya ki. Tu chinta kyon karta hai? Jab ganga ji hai to tere ko kya chinta? Khade hue mantr jap kar rahe nishthaen aise thodi paripakva hoti hai.

har suvida prapt ho gayi. Kabhi apne ko kasne ki koshish nahi kar rahe to man tumko kas raha hai. Aaj ye mil jaata to accha. To kabhi ekant mein ro ke bole ki aaj shri ji mil jati to accha. Jeevan ki yatra purn ho jati. Ka aaj kahin Shyam sundar mil jaate. Kahin ladli lal mil jaate. Kabhi aisi akanksha bada dukh hota hai hriday mein ki sadhak akanksha vishyon ki karta hai, vastuon ki karta hai. Wo Priyalal ki kyon nahi karta hai? Kya priyal ko tumne apna nahi mana hai? Kya jagat ke bhog tumhari sukh samgri hai?

kaise tum sadhak ho? Kaise tum bhagwat marg ke pathik ho? Kada madhur Radhika raman raas kel sthal vilokya ras mag dhi radhivsam Vrindavan meri aisi vritti kab hogi ki main Vrindavan ko dekh dekh kar rounga ki yah wahi sthan hai jahan hamare Priya pritam rah rahe hain aur khel rahe hain aur mere netr dekh nahi pa rahe hain kab aisa Vrindavan kripa karega ki main dekh ke magan hoon ki mere Priya pritam kaise raas kar rahe mere Priya pritam kaise van vihar kar rahe mere Priya pritam kaise jhula jhool rahe mere Priya pritam kaise jal vihar kar rahe nauka vihar kar rahe sakshat pur shri purushottama seva rasad ko shakha sande vrinda vipine drisht Radha Radha priyav sakshi Purushottam bhagwan Vasudev Devki nandan ka nirantar sanidhy prapt karke bhi jinko prem ka prichay prapt nahi ho paya aur wah jab Vrindavan ki raj mein aae to bina kisi sadhan ke prem prapt ho gaya.

iske sakshi Uddhav ji hain. Shripad kah rahe hain koi unko sadhan nahi karna para. Gopi janon ke darshan sambhshan charan dhul iska sparsh hote hi prem ka pradurbhav ho gaya. Kyonki tayyar bhumi thi. Bhumi tayyar thi. Bij ke ankuran mein der nahi lagi. Apne logon ke upar kripa hai. Usi raj mein baithe hain. Usi raj mein vas karte hain. Par bhumi tayyar nahi hai. Roz satsang ho raha hai to mano kisan jaise apni kheti ko jot karke use tayyar karta hai aise mano satsang aapke hriday ki bhumi ko tayyar ye jo shpath purvak chalie ye bhumi tayyar ki ja rahi hai lekin aap dekhiye kahan sadhak bhumi tayyar kar pata hai apne hriday ki jahan thodi si pratikultaa ki chhaya bhi ai ki bhag khada hua pratikultaa ta nahi ai abhi pratikultaa to jante nahi pratikultaa ki chhaya ai ki bhag khada hua jo Radha priy is Vrindavan mein vas sweekar karke rahne se rahta hai to bina kisi anya sadhan ke uske hriday mein prem pravahit ho jaata hai.

is baat ke sakshi hain Uddhav ji koi sadhan nahi hua jab Vrindavan aae to is raj ki kripa se aise maha premi hue bhagwan ki kripa se aaj bhi giriraj ji ki talahti mein wah avyakt rup se virajman rahte hain. Kabhi talahti nahi chhote. Prakt mein badri ban gaye. Lekin aprakat mein yahi rahte hain giriraj ji ki dalahti mein Uddhav kund parikrama marg mein milta hai. Usi kshetra mein shri Uddhav ji maharaj virajman rahte hain. Hamare hriday mein yah anubhav hona chahiye ki hamare upar prabhu ki vishesh kripa hai.

bas us kripa ka avgan kabhi divyta ki taraf sochiye. Apni indriyan aur man ye parthiv bhogon ki taraf hi sochta rahta hai. Koi parthiv vyakti anukul ho jae to ham nach padte hain. Priyal tumhen pyar kar rahe hain. Tumhen nahi dikhayee de raha. Tumhari samjh mein nahi aa raha ki tumhen shyama se ham pyar kar rahe hain. Itna pyar kar rahe hain. Ham maang kar rahe hain parthiv vyakti ke pyar ki. Koi pragat mein manushya hamen pyar karen. Ham maang kar rahe hain indriyon ke bhogon ki. Sacchidanand sukh dene ke liye hari guru tayyar hai.

hamen wo nahi chahiye. Yahi durbhagya hai hamara. Upasak savdhaan bahut janm bhog bhog chuke ho. Bahut janm tum kisi na kisi ke hote rahe ho. Is bar keval shri ji ke is sharir ko dharohar ki tarah hari guru ko samarpit kar do. Yah aapki vastu hai. Is par ab mera koi adhikar nahi. To hari guru aapko samarpit kar denge. Lo hamara sampurn vaibhav aapka hai. Aap karke to dekho bada sasta sauda hai. Sharir to tum maya mein kitni bar samarpit kar chuke ho. Ek bar mayadheesh prabhu shri jugal sarkar ko apna jeevan samarpit karke to dekho.

pujypad shri odiya Baba ji maharaj bhagwat prapti ka marg anugman ka marg hai. Bade mahapurush ke shabd hain. Ek ek shabd par dhyan dijiye. Bhagwat prapti ka marg anugman ka marg hai. Anugman kisi adarsh mahapurush ko apna Swami bankar unka anugman karna. Tabhi aap bhagwat prapti kar sakte hain jab kisi bhagwat prapt mahatma ko apna adarsh mankar age badha jae. Yah vani hamara jeevan rahi hai. Pujypad odiya Baba ji ke updesh yah balyvastha se hamari guru rahi hai. Baba adarsh rahe hain.

aaj bhi jo Baba ka sthan tha hai. Hai rahega aajeevan. Aisa nahi hota hai ki chhut jae. Jagrit mein, swapna mein, sushupti mein kai bar pujya Baba ki kripa hui hai. Jab tanmayata hoti, pita ki tarah odiya Baba ne dular kiya hai. Yah hamare keval likha padhi ka vishay nahi hai. Jab ham apna man lete hain to ye avyakt mahapurush avyakt nahi rahte. Ye anubhav karate hain kyonki brahm swaroop vyapt hai. Jaise koi kan aisa nahi jahan brahm na ho. Arthat wo kan bhi brahm hi hai. Sarvam khalmidam brahm ne nanast kinchna aise hi pujya Baba har kan mein virajman kyonki brahm swaroop hue.

jab ham kisi mahapurush ko adarsh mante hain vyakt ya vyakt tab uski mahima hamare hriday mein prakashit hoti hai. Abhi to hamara adarsh vishay hai. Dhan hai. Parivaar hai to wahi tumhare samne anubhav mein aayega. Tumhare jagrit mein, swapna mein, sushupti mein jab koi divya mahapurush hota hai to divya anubhav aaenge. Yah marg anugman ka hai. Kisi mahapurush ka anugman kiya jaata hai. Anugman ka tatparya hota hai unki agyaa ke anusaar chalna. Apne jeevan ko kisi mahapurush ki agyaa par de do. Aap jaisa kahenge.

sevak ji maharaj kah rahe hain. Ab jo kahe karen ham soi ayas liye chale nij dasi. Bina agyaa ke ek kadam bhi nahi chahe wo paramarth ka ho chahe vihaar ka ho wo prem ras ko prapt kar leta hai. Bhagwan ki maya badi prabal hai. Yadi kisi mahapurush ka anugman nahi kiya to aap is marg par chal nahi payenge. Satsang suna gaya. Satsang mein aisa samjh lo bazar hai. Bazar ya medical stol hai. Donon baten samjh sakte ho. Bazar hai ye sankhya marg bhakti marg karm yog hari yog ki charcha hogi. Yahan aapko hari yog ki baten sunni hai.

keval aapko apne hriday mahapurush ke hriday ki baat samjhni hai. Mahapurush ne sab ras gayo dekhno yo hai ki unko ha ka thahrano tako gahno usko pakdo. Ab us jaise kisi ne bhagwat aashray tatv mein guru kripa se apni nishtha prapt ki ki ham to bhagwat ashrit hain. To chahe jitni badi-badi baat ho sun lijiye. Aapko andar se yahi hona chahiye. Hamare mai shyama aur raj wo aapke andar sawal nahi paida hona chahiye. Kyonki satsang hai. Ismen har yog ka varnan hoga. Har siddhant ka varnan hoga. Bhagwan mayapati hain.

inki maya badi vichitra hai. Sab mayadas hain. Haridas to koi birla hi banta hai. Jo haridas hota hai uske piche maya chalti hai. Aur jo mayadas hota hai uske age maya hoti hai. Kabhi pakar mein hi nahi aati. Kisi ek ne likha tha ki sansaar mein agar koi sukhi hai vinod jo kataksh ka to sant jan sukhi hai. Vastvik dhanya hai teri baat. Agar sukhi hai to sant sukhi hain. Jinke hriday mein bhagwan ka aashray hai unke piche maya chalti hai. Baba varnan kar rahe hain. Bhagwan mayapati hai. Lagbhag sab mayadas hai. Koi haridas hota hai.

jo haridas hota hai uske piche maya chalti hai. Aur jo mayadas hota hai uske age maya chalti hai. Kyonki Swami age chalega na to pakar mein nahi aati kabhi. Haridas ke age hari hote hain. Piche maya hoti hai. Mangal hi mangal hai. Har vyvastha maya karti jati hai. Aur sankat nivatt karke param mangal hari age chal rahe hain. Bhagwan ki sharan liye bina maya ko na koi pakar saka hai na isse bach saka hai. Mayapati koi nahi ban paya aaj tak. Isliye maya ki sharan nahi hari ki sharan lo. Aur kisi haridas ka anuran karo.

jo hari ki sharan mein hai uska unke aacharan unke updesh wo anugman aapko hari ke prem mein pahuncha dega. Jab upasak pujya Baba raste mein aae hue bhay aur pralobhan ko sweekar nahi karta. Kadam nahi ladakhdata. Tab uske andar yah 33 gun prakashit ho jaate hain. Yah jiske andar hai wo bhagwan ajit ko apne adhin kar leta hai. Jab kisi ka sahi marg tay hone lagta hai to do baten usko girati hai. Bhay ya pralobhan jo bhay se bhi nahi ladakhdata pralobhan se bhi nahi rukta. Usmen 33 bhagvatik sadgun prakashit ho jaate hain.

pahla ahimsa man vachan karm se bhi kabhi wo kisi ki hinsa nahi karega na man se na vachan se na karm se dharm ka alag-alag updesh hai. Sthan vyakti yogyta adhikar ke anusaar ahimsa hamare liye hai. Ham nivitti marg ke hain. Aap ek veer yodha hain rashtr raksha ke liye to aapke liye kathorta chahiye hriday mein. Yadi aap dayaluta dharan karenge to hamara rashtr sankat mein par jaega. Aapke liye mala chalana nahi aapke liye goli chalana bhajan hai. Aap apne dharm se yukt rahie. Arjun ji kah rahe main sanyaas lekar bhiksha maang kar kha lunga.

yuddh nahi karunga. Bhagwan kah rahe galat par dharm bhayabha swdharm ka palan kar is samay nahi bhay ko prapt ho jaega. Yah paramarth ke path par jo bhagwat prapti ke marg mein chala hai jisko bhagwan ne yah marg diya hai uske liye pahla sadgun ahimsa man se vachan se karm se kisi ki hinsa nahi karna hinsa aur ahimsa ka nirnay sthan avsar dharm ki sthiti ke anusaar diya jaata hai na ki sarvbhaum sarvbhaum ahimsa ka siddhant nahi chalega hamare dharm ka nash karne aa rahe ho. Ham ahimsa vrat lekar baithe.

hamari mariyada hamare rashtr hamare dharm ka nash karne ja raha hai. To is samay hinsa hi ahimsa se badhkar ke bhi hai. Ye samjhna hoga. Isliye bahut vivek paramarth mein chahiye. Jo nivitti parak sadhak hain unke hriday mein ahimsa dharm ka pradurbhav hota hai aur ahimsa dharm bhi apna rup alag dharan karta hai. Jaise ven raja ne bhagwan ke virudh acharno ki sthaapna karni chahi to santo ne jo ahimsa vrat ke param pujari unhone uski hinsa kar di kyonki us samay hinsa hi sabse bada dharm hai aur uske sharir se phir mat kar bhagwan prathu ko prakt kiya ye bada sukshm vishay dharm bada sukshm vishay hai dusra satya man se jo socha gaya vani se wahi bola gaya aacharan mein wahi kiya gaya use satyavadi kahte hain.

satya vachan mein jarur hona chahiye. Tisra asteh chori na karna. Kabhi bhi kisi ki chori na karna yah bhagwan ke bhakt mein aa jaata hai. Chautha brahmcharya agar grihasth hai to sanyam ke anusaar brahmcharya ek niyat samay ke anusaar brahmcharya virakta hai to aajeevan akhand brahmcharya ye lakshan prakt ho jaata hai. Pancha apshu kabhi kisi ki chugali na karna. Yah sadhak dhyan de kabhi kisi ki chugali na karna kaise tum suna usne aisa aisa aisa aag laga di phir uski baat tumhen suna jiski baat thi wo to aisa kah raha hai donon ko bhida diya muskura ke chal diya to tumko aisi jagah bhidaya jaega jahan muskura hi nahi paoge kyonki wo dekh raha hai tisra koi dekh raha hai wo aisi jagah bhidaega ki tumhari mahino ki muskurahat gayab ho jaegi hosh mein.

nahi kisi ki bhi charcha nahi karni. Inki baat unse kahna, unki baat unse kahna ise chugali kahte hain. Shastri bhasha mein apshu nahi karna. Ye hriday ko malin kar deta hai. Kisi ki varta nahi. Kabhi shri ji ki varta char khade hokar karo. Bodh hanta paraspat ladli ji ka aisa swabhav aisi sundar aisi to chati thandi ho jae kabhi shri ji ki charcha nahi sunte aapas mein jab do milenge to charcha hogi to prapanch ki hogi wo sadhak nahi prapanch hi kaha jaata hai are jaise Harivansh prapanch banch sab kal vyal ko khayo yah ja Shyam shyama pad kamal sang sirnayo chhathwa hai lajja lajja kahte hain paap karm karne mein bahut sankuchit ho jana.

nahi man se hi ghrna ho jana. Nahi nahi nahi hamen nahi chahiye. Ham prabhu ke marg ke pratik hain. Satva amanyata ye lakshan uday hote hain. Man ki bilkul chah na rah jana. Aur yah bahut khtrnak hai. Bahut khtrnak. Sabse pahla lakshan hai brahm bodh mahapurush ka man rahit hona. Nirman amoha jit sang dosh man sab man prad apmani man kabhi sweekar nahi karna chahiye mahapurushon ko dekho aaj bhi Gurudev bhagwan aarti karke sabko panchang pranam karte hain. Sabko panchang pranam karte hain. Apne log guru ji acharya charan sar vastu taksha param swadhya Buddha mam kwaah tachchha param adhma acharya charan kya kah rahe tachchha param adhma sabko pranam kar rahe hain Gurudev sabko pranam kar rahe to hamko shiksha leni chahiye amani na man den sab man prad aap amani ye amanta ye satva lakshan upasak ke andar andar jagrit hota hai.

athwa pavitra, sharir pavitra, vastr pavitra, chintan pavitra, vihaar pavitra, chhal kapt se vihaar dushit ho jaata hai. Are bahut bahut agar aap bhagwat marg mein to kabhi aisa mat karna kyonki jisse kar rahe ho aur aap uske beech mein ishwar virajman hai. Usi ki aradhna ke marg mein to chale ho. Pavitra sharir pavitra ho aur vastr pavitra ho. Ye aapka log shanka mal tyag aadi bahut savdhani se pavitra ka nirvah karoge to sharir rag ka nash ho jaega. Dhyan rakhna jitna pavitra rahoge utna hi sharir rag ka nash hoga.

ye ulta lakshan hai. Sharir ko pavitra rakhna sharir rag ka nash. Sharir ko apvitra rakhna atyant mamta asakti sharir se ho jaegi. Dekho isiliye atyant mamta asakti sharir se hai. Nava santosh jaisi paristhiti prabhu ne di usmen raji rahna. Joi pyaro kare soi mohi bhave. Koi chah na rakhna. Ye santosh dhan hai. Isi se sari kamnayen nasht ho jati hai. Bin santosh na kam na sahi aur achat kam sukh sapno na. Bina santosh ke kamnao ka nash nahi hota. To upasak ke hriday mein santosh aa jaata hai. Jaisa prabhu ne diya.

aaj sabji bhi nahi hai. Prabhu ki badi kripa hai. Roti akele pa li. Aaj roti bhi nahi hai. Jal se kam chala liya. Kisi sant se kisi ne pucha ki prasad paya to unhone kaha nahi madhukri nahi mili. Phir kya paya? Bole pa liya hai. Kya paya? Bole bhookh ko pa liya hai. Aaj prabhu ki ichchha hai aise bhookh ko pa liya hai. Santosh kahu so kachu na chaho santosh daswa tatiksha mahan sahnseel dusre ke kat vachan sharir ki pida rituon ka prabhav andar ki jalan santusht kenva titaksha ye mahan lakshan hai bhagwat prapti ke marg ke pathik ka jara si baat mein viksipt ho jana chidchida swabhav kar lena nana prakaar ki asat vrityio mein daud jana yah sadhak ka swabhav nahi hota.

bade se bade kasht ko hanskar sahna. Bade se badi viparit paristhiti ko muskura ke sahna. Ye bhagwan ke parsad ka lakshan hota hai. Aap bhagwan ke parsad hain. Bhagwat marg ke pathik chahe grahasti ho chahe virakti 11wa nishkapatta sant saral chit jagat hit jaan swabhav sane santo ka swabhav unka sneh unke chitt ki sthiti saral hoti hai. Kapt nahi nishkapatta unke hriday mein jagrit ho jati hai. 12wa sant sang mein atyant gadh prem asakti yah paida ho bhagwat kripa patr ke andar barwa sant sang satsang bhagam bhag mach jaega kaise main satsang mein age baithun jisse main vakta ke mukharvind par chatak ki tarah drishti rakh ke unke vakyo ka pan swati ki bund ki tarah karun.

sache surta ka lakshan main bhag kar jaun aur unko dekhta rahun aur unke vakya jo nikal rahe hain unka pan karun shravan indri ke dwara teva sant seva ki bhookh ye prakt ho jati hai pakka main sadhu hoon aisa nahi rahta yahi rahta hai bhagwan kab aisi kripa karenge ki sant seva ho jae ek sadhak kah rahe the ki jab sant seva hoti hai unke darshan seva ko avsar milta hai to aisa lagta hai ki ye kabhi band na ho aur jeevan bhar mujhe sadhu seva milti rahe. Bahut accha laga ki ham log jab unki seva mein khade hote hain to ek alaukik anand milta hai.

sant sant seva ki bhookh jag jana. Bade bhavuk jan hote hain. Bade bhavuk jan hote hain. Isse bahut bada prabhav parta hai. Bahut bada hriday mein prabhav parta hai. Ek sant the jin jo kabhi seva sweekar nahi karte the to bahar us samay soch jane ko hota tha. To jahan wo bahar soch jaate the the. Ek bhagat the wo kabhi shishya nahi banate the. Sant to kaise seva karen? Kahin kutia mein seva ko to avsar hi nahi tha. To jab shauch ho jaate to shauch ko gadha khod karke upar se rath se faad dete to pehle jis area mein soch jaate the to unko dikhayee deti thi padi saphsaph ekdam aise mahino ho gaya to ek din chhup karke dekha to nazdik gaye kaha bhai aisi ye vritti aap karte ho mujhe pasand nahi aap kyon karte ho kaha bhagwan mujhe laga tha ki sant seva karna chahiye aap pragat mein koi wahi unhee ko shishya banaya aur apni sari antarik dharohar unko seva se bahut par seva aisi chhup kar ya koi jaan na pave ya usko jalane ki cheshta na ho usse man sammaan priyata prapt karne ki ichchha na ho yah seva ka bhav badi kripa se prapt hota hai.

Sandipni ji apne guru ji ki seva ke pratap se hi jagatguru bhagwan shri Krishna ke guru banne ka pad prapt kiya. Seva mein badi samarth hai. Swayam Raghunath ji guru seva sant seva ke itne ichchhuk ki vishvamitra ji ki agyaa mein rahe. Unke saath saath rahe. Unke charan dabae. Unke jinki agyaa ka palan samasth vaidik brahm rishi siddhant purvak karte hain. Wah prabhu agyaa palan kar rahe hain. Vishvamitra ji ki har kadam par agyaa lekar ja rahe hain. 14wa tap tap kahte hain man mein aae hue vikaro ko sah jana uske anusaar bhog kriya na karna wah jo tap hota hai use sah jana tap kahte hain.

apne paramarth marg mein chalne mein jo kasht milta hai usko hans ke sah jana use tap kahte hain. Jaise kisi ko bhi nind na aati ho to is samay aram se aa jaegi. Ghar mein aram se lekin aap nind ka tyag karke to pranam karte hain. Kahte hain kalyug chal raha hai. Pranam karte hain. 10 10 20 hazar log marg mein agar ham wahan se sava do baje nikelte hain to wo kai baje se lage honge. Kai baje khade rahe honge. Kahan se aae honge? Aur kisi ke chehre mein koi nirasha nahi. Nachte hue utsahit hote hain. Mujhe to Satayug dikhayee de raha hai.

sahab Radha Radha Radha Radha Radha kahan unki nind hai? Kahan unki suvidhae chhote-chhote god mein bachchhe liye dhakka khate hue khade hue. Baliyari unko pranam hai. Kya dekhne ke liye khade hain? Kya mil jaata hai unko? Na ek chai milti hai, na ek laddu milta hai. Na unko aise aise bhi to nahi hota ki aise hai hi bhi kya? Aaya kya kuch tumhare paas? Ae aise kuch aaya kya kuch nahi kuch nahi to ham kar to rahe hain nahi log aise nahi agar kuch aaya ho to batao kuch nahi aaya Radha Radha Radha aaya bolo ya na bolo Radha Radha Radha kan mein aaya shravan mein suna tumhara mangal ho gaya kaise bhagwan ke kripa patr jan hai apne to sant nahi hai santo ke charan dhul ke ashrit hain.

wo keval sant darshan matra ke liye dur-dur se gadiyon se akar ke rod mein khade aap sachchi maniye jab drishya dekhiye wahan parka udhar jab mudte hain to dona pattal kichad jahan kuda hai wahan wo khade hain. To unke charnon mein man pranam karta hai ki unko yah nahi ki main kichad mein ghusa khada hoon ya yah ashudh done pattal unke upar khada hoon aur kahin se bhi darshan ho jae main khada hoon. Pranam hai tap apne dharm ke palan mein jo kasht milta hai usko sahna apne dharm ke palan mein jo kasht hai usse jaise aap sanyam se chal rahe hain to kam vedna jagrit ho rahi koi aapko kat vachan kah raha to krodh vedna aa rahi aap apne parivaar ke moh ka poshan nahi kar rahe to moh jala raha hai aapke paas arthvyvastha nahi to lobh aapko sata raha kai tarah ki aisi vednaen tap hai par sadhak udhar dhyan na dete hue wo bhagwan ki taraf badhta use hi tapasvi kahte hain.

bhari tapasya ise kahte hain. 15wa swadhyay apni vani ji ka gayan aur shastr siddhanto ka swadhyay yah agar aap nahi bhi karte hain to sunne ko mil raha hai aap sabko. Swadhyay karne ki ruchi badh jati hai. Dekho jinka hriday apvitra hai jab vani ji hogi yahan baithenge nahi yahan nahi baithenge aapko bahar milenge kyonki man bardast nahi kar pa raha vani ji ke shravan mein aur jinka man nirmal hai shant vani ji mein drishti udhar gayan ho raha hai kan mein par rahi hai aho bhagya baithe raho yah band karo jo udandta hai man ki band karo sam dum sam indriyon ko bahirmukh hone se bachao aur antarmukh rakho.

dum man ka nigrh karo. Man jo bhogon ki taraf ja raha hai use prabhu ki taraf lagao. Bar-bar hatakr bhogon se prabhu ki taraf lagana manonigrah. Aur indriyon ko vishyon se hatakr ke bar-bar prabhu ki taraf lagana indriy nigrh. Sam dum dan vinay yah 17wa dan agar aapke paas ₹1 hain kisi ko bimar dekh rahe ho kasht mein dekh rahe ho ya sadhu seva ya gau seva jo hamare dharm ke stambh hai agar ek rupaye bhi de dete ho dharm ki kamai ka to bahut bada udan hai beimani karke aap ek lakh dete ho uska koi mahatva nahi hai kyonki wo wo beimani karne jiske paas jaega uski buddhi ko bhrasht karega.

dharm ke dwara kamaya hua yadi ek roti bhi de dete ho to wo dan mana jaata hai. Aur agar kahin yah mankar de dete ho ki aapki vastu aapko samarpit to seva ban jati hai. Vinay aapka vihaar vinay purvak hona chahiye. Sab man prad apmani vinay isi mein aayega. Has bole bahumaan de taru sam sahenshilta hoe. Param udaar kahe sab koi soch naman kabahu kare kab jab vritti bhagwadakaar ho jae tab nahi pehle pravachan mein kaha hai ki nariyal jaisa swabhav hona chahiye upar se jatil aur kathor aur andar se mridu agar upar se mridu rakhoge to ghyal ho jaoge tumhari samarth nahi ki maya ke aakraman ko sah pao ek bar jo tumhari taraf dekhe dobara priyata bhari nazar se na tum dekho na wo dekhe jab tak bhagwat sakshatkar isiliye ke uttam sadhako ko dekha gaya gambhir mudra himmat hi nahi padegi ki tum unse sambhshan kar lo pakka tumhari himmat nahi padegi ki baat kar lo agar tumhen shri Harivansh bhi kahna hai to ek bar sochna padega wahi jakar siddhvastha ko prapt hote hain pehle hi vihaar mein vinamrata aur hans bole bahumaan de to tumhari samarth nahi ki tum vihaar ke prem ko pcha pao vinay 18wa arav arav kahte kahte hain saralta ko.

andar ki saralta bahut uttam hai. Bahar ki kathorta ati avashyak hai. Sadhak ke liye bahut zaruri. Bahut zaruri hai. Agar bahar se saral hue to dhokha ho jaega. Ye isiliye shastr anubhavi jignyasu tabhi le payega jab anubhavi milenge. Nahi to shastr ko saral hona chahiye. To kaisa saral hona chahiye? Bahut savdhaan hriday saral hona chahiye. Bahar bahut vivek purvak bilkul koi aisa saral nahi hai ki sadhak se aap sambhshan kar le. Aisa swabhav banana chahiye. Saral hriday sant saral chit jara shabd par dekhiye. Saral chitt mein saralta ho vihaar aapka niskapat nishchal aur vihaar thoda shushk ho kab tak jab tak bhagwat prapti na ho jae.

nahi to agar shushk nahi to phir ras mein makkhiyan bannane lageng. Antarik ras badao bahar shushk raho. Jab bahar thakur ji shri ji adesh karen ki ab bahne do ras ki dhara to wo phir sambhal lenge. 19wa daya daya bina sadhu kasai daya kari to aphat ai ye odiya Baba ke vachan hai daya bina sadhu kasai daya honi chahiye lekin wahi daya tumhen mukt karegi wahi daya tumhare andar honi chahiye daya ka ulta kya hai yad bhagwan ki yad bhula de aisi daya kabhi mat karna jaisa bharat ji ne kiya bharat ji ne daya kiya mamta saath mein jod di.

bhagwan ka bhajan chhut gaya. Agla janm hiran ka bane tab bhajan shuru hua. Daya karni hai. Par dayalu bhagwan ka smaran karte hue jo daya ho jae. Aisi daya nahi karni ki bhagwan ka smaran chhut jae aur ham phas jae. Us daya mein. Bahut aisi jagah hai jahan daya mein fansa jaata hai. Phir nikalna bahut kathin hota hai. Bhagwan hi nikaalte hain. Daya aur 20wa hai prabal shraddha. Ek hoti hai shraddha. Hamen aap par bahut shraddha prabal shraddha. Kisi ke kuch bhi kahne par bhi hamari shraddha mein koi fark nahi hai. Kuch bhi jaise shri bali ji ki prabal shraddha shri bhagwan par.

Gurudev kah rahe hain ki inko teen pag dene ko kaha hai. Tumhari sari sampatti nasht ho jaegi. Yah tumhen ek inch jagah nahi chhodenge. Yah tribhuvan pati bhagwan hari hai. Wapas le le sankalp. Main kah raha hoon. Prabal shraddha Gurudev ki baat nahi mani. Aur prabal shraddha shraap de diya ja ishwar bhrasht ho ja. Phir bhi koi bhay nahi. Sankalp kiya prabhu ne apna vistar kiya nap liya sab kuch aur phir dant lagai dekho prabal shraddha bol teen pad prithvi dan ke liye kah raha tha aap kahan guru ne mana kiya tha nahi mana na bada dani banta tha Varun paas se bandh diya jo pratiphal mahan kasht deta hai ab bol tisra pa kahan pura karega bali ji ki prabal shraddha mein koi fark nahi para Prahlad ji ke nati hain maha bhagwat Prahlad ji ke nati vochan putr maharaj bali unhone kaha prabhu abhi to aapko pranam bhi nahi kiya hath bandhe nahi aapko pranam karta prabhu ham apne vachan se piche nahi hatne wale teen pag kaha tha do pag mein sab nap liya utne hi bade bano jitne bade mein manga tha aur tisra pag mere sir par rakho aur mujhe nap lo do pag mein sampatti aur tisre pag mein sampattivan ko bhagwan bik gaye.

ise kahte hain prabal shraddha. Guru ne shraap de diya. Guru ne mana kiya. Bhagwan ne bandh diya, kataksh kiya par shraddha pe koi fark nahi para. Ise kahte hain prabal shraddha. 21wa vivek. Yah vivek bahut bada sadhak ka bal hota hai. Yah kahin phasne nahi deta. Har jagah se vivek bacha leta hai. Bahut sundar astr hai vivek jo har samay kaata rahta hai. Moh, mamta, rag, kam, krodh, lobh, mad sabko kaat ke bhagwan ki prapti karane mein bahut bada hath hai vivek ka. Aur yah vivek kisi bazar mein nahi milta hai.

yah keval sadhu samagam mein milta hai. Bin satsang vivek na hoi. Aur Ram kripa bin sulabh na soi bina satsang ke vivek nahi hota. Bina Ram kripa ke satsang nahi prapt hota. 22wa dridh vairagya dridh vairagya tyag kahte hain. Bhog samgri ki bhogne ki ichchha hai par bhogung nahi kyonki bhagwat prapti karni hai. Ise tyag kahte hain. Bhog samgri ki bhogne ki ichchha ka hi nash ho gaya hai. Bhog samgri aaspas hai lekin nahi. Ichchha hi nahi hai. Uska naam vairagya hai. Dridh vairagya. Yahan se lekar brahmlok tak ke kisi bhi bhog ki samarth nahi ki us upasak ke man ko lacha de.

chalayman kar de. Use dridh vairagya kahte hain. Ye jagrit ho jaata hai. 23wa ekant sevan ki ruchi. Antarmukh ekant sevan ki ruchi antarmukh. Bahar ke liye kamre ki baat nahi hai. Yahan kamre mein bhi baithkar aap ekant nahi rahenge. Yadi antarmukh nahi hai. Vishay chintan kar rahe hain to aap bahar hi hain. Ekant nahi. Ekant apne isht ke chintan mein nirantar lage rahna. 24wa kisi bhi tarah ka koi bhi parigreh na rakhna. Apne liye koi bhi parigreh apne liye nahi rakhna. Jisne aaj diya hai wahi kal dega. Jo pure vishv ka bharan poshan karta hai wah is sharir ka bhi bharan poshan karega.

chinta kya karni hai? Ham apne kartavya ka palan karte hain. Chinta nahi. Ham prabhu ki agyaa mein apne jeevan ko samarpit karte hain. Bhogon ki sangrah mein nahi. Aprigrah aprigrah do prakaar ka hota hai. Ek bahar se liya hua dan aur ek andar chintan na hamen bhogon ke agar aaj jo hai yah khane ko mil jaata agar aisa vastr mil jaata aisa aisa na andar se chintan aur bahar se prapt hone par jitna hamare sharir ka bharan poshan iske alawa nahi hai. Hamen nahi chahiye. Agar wah us par mahat buddhi hai to parigreh parigreh hai to bhagwan ke anurag mein badhak hai.

aprigrah bahar aur antarik donon jagah se asha shunya ho jana. Asha hi param dukham narashya param sukham aprigrahi ka lakshan hai. Bina asha ke jo bhog prapt hua hai usmen bhi pehle vivek ke dwara dekhna hai ki dharm yukt hai ki nahi. Phir vivek ke dwara nirnay karna hai. Sadhna mein sahyogi hai ki nahi. Phir kitni avshyakta hai utna upbhog karna. 25wa samadhan. Kai bar kaha hai satsang mein ki sadhya aur sadhan ke vishay mein sadhak ka samadhan ho jana chahiye. Aapko pata hai aapka sadhan kya hai? Aapko pata hai aapke sadhya kaun hai?

bas sadhya nischit kiye shyama Shyam sadhan unke Gurudev ke dwara jo diya hua upasna ka marg hai bas usi par. Ab sadhya sadhan ke vishay mein koi prashn nahi, koi sanshay nahi. It chitt ka bhagwadakaar ho jana apne aradhya dev mein samarpit ho jana hi vastvik samadhan kaha jaata hai. Ab is isht ke vishay mein ya sadhan ke vishay mein koi shanka nahi use samadhan kahte hain. 26wa uprati vairagya ke upar ka hissa hai. Vairagya mein to bhog samgri hai par bhogne ki ichchha nahi hai. Uprati mein bhog samgri hai aisa bodh bhi nahi rahta.

ekmatra keval paramatma buddhi yah uprati jagrit ho jati hai. 27wa bhagwat tej jisse sabhyabheet rahte hain use bhagwat tej kahte hain. Koi bhi truti galti karoge koi bhi dharm virudh aacharan karoge tumhara man samne ane ke liye nahi kah payega. Tum katoge samne nahi aoge. Tumhara agar zyada aparadh ban gaya to ninda karne lagoge, dves karne lagoge gurujanon se kyonki tumhare nash ka karan banega. Bhagvatik the jaise shri kapil ji maharaj se sa ke jo 60 hazar putr the wahan ashram mein ghoda bandha hua tha.

unko to pata hi nahi tha. Dhyan mein the. Kisi ne bandh diya. Unko laga ki inhone to upadroh macha diya. To keval dekha tha, socha nahi tha. Itne mein sab ke sab bhasm ho gaye. Ise bhagwat tej kahte hain. Dusra bhagwat tej ka swaroop ghor vishay pamar nich aacharan karne wale ki chittritti ka parivartan karke paramarth par khada kar dena. Bhagwat marg mein chala dena. Isko bhagvatik tej kahte hain. Ye tej mahapurushon mein apradhiyon ke aparadh ko rok dena. Malin vritti ko uthakar bhagwadakaar kar dena. Yah jo tej hai yah bhakt mein jagrit hota hai.

santo mein jagrit hota hai. Isi se jagat mangal hota hai. Isi tej se jaise kisi ek vaigyanik ne kal doctor cancer ke aur vigyan sampann the. Unhone kaha mera vigyan aapki is pravachan mein ek baat jo ai usko sweekar nahi karta ki kisi sant ne thuk diya to cancer theek ho gaya. Main uska bahut bada marmagya hoon. Cancer ka uska operation kiya jaata hai. Phir wah badhta hi rahta hai. Wah mar ke hi chhota hai. Chahe ek do varsh char varsh use marna parta hai. Par aapne kaha ki cancer ka unhone thuk diya to cancer theek ho gaya.

to tumhen ascharya laga tumhara gyan vigyan kam nahi karta. To ek saath mein aur baat suni hogi kal ki unhone phir apne pair par uske liya aur us pair mein wo cancer itna badha ki usko apna charan jo hai wo katwana para. Puri baat sunoge to prashn uttar nahi hoga. Ab tumhare andar yah samarth nahi ki tum dusre ke praarabdh ko transfer kar lo apne upar. Lekin un mahapurushon mein samarth hai. Ise bhagwat tej kahte hain. Tum vigyan padh likhkar buddhi ki dhara se prakritik vastu ke keval jankar ho sakte ho.

lekin jisne buddhi sacchidanand mein laga di hai. Wah prakrit divya chidanand bhav ko tum prakritik buddhi se kaise tol sakte ho? Tumko kya pata? Agar ham yah ghatna bata di to tumhen samjh mein aa raha hai hazaron ke dosho aur papon ko swayam sant lekar kuch sankalp se kuch bhajan se kuch bhog kar nasht karte hain kar rahe the aur karte rahenge tumhen kya pata hai isko tumhen pata hai jo bhagwan ke bhajan mein lage hue hain unke praarabdh ki dhajhiyan to bhajan se ud jati hai wo jo kshan kshan kasht bhogte rahte hain ye sharanagati ka prabhav hai aapko sweekar karke aapke sare papon ko bhasm karte tabhi aap kadam age badha pate ho paramarth mein is rashi ko

bataya nahi jaata ye jitne bade bade mahapurush hain jinki sharan mein apne log hote hain wo pehle hamare praarabdh ko bhogte hain usko katte hain bhajan ke dwara tap ke dwara jo prabal hote hain unko sharir mein bhog karke yah vigyan kya jaan payega is vishay ko aaj bhi karah mein patthar pujraj jismen Baba Ramdas ji baithkar bhajan karte the kaise tum santo vigyan jaan payega santo ki mahima kyonki jitni tum buddhi laga rahe ho wo sab prakritik brahma ke dwara rachi hui hai aur jahan brahma ki bhi buddhi kam nahi karti hai jaise bhagwan bal rup jo jab the to sakha bhi bane aur bachra bhi bane un bhagwan mein jinki buddhi lagi unko kaise jana ja sakta hai koi ascharya nahi hai sant jan bhagwan ke vidhan mein apne man ko rakhte hain nahi to ham aapko sachchi batayen vishv mein unke jo hriday ki baat hai to na koi rogi ho na koi maya mein fanse.

bhai ji hanuman prasad podar ji se kaha aap bhagwat sakshatkar kara sakte hain. Unhone kaha pakka lekin prabhu ka aisa vidhan nahi ham sachchi kahte hain. Kisi se nahi kahte ki bhajan karo. Ham sabko Radha Krishna ke darshan kara dete hain. Par malik ka vidhan nahi hai. Kyonki malik jaisa khelnaa chahta hai jamura waise hi uske saath khelega. Ham unke das hain. Prahlad ji ne spasht dekh lo. Narsingh bhagwan se kaha mujhe aapki kripa hai paryapt mujhe nahi chahiye ab koi vardan. Aapke charanamrit aur naam jap aapki katha se hamara sab ho jaega.

ham inke liye ro rahe hain jo maya mein fanse inko to bhagwan ne bula ke lao kisi ko jo Baikunth chalna chahta ho. Ye koi nahi tayyar hua. Baikunth mein koi nahi tayyar hua. Sachchi mano sant jo bhagwat prapt mahapurush hai abhi bhagwat sakshatkar kara de par aapke andar chah rahi nahi hai aap maya mein aa ek sukri mili sukri se kaha ki tu yahan kitna kasht sah rahi chal Baikunth bole chal to tu Baikunth lekin yahan jo vistha milta hai Baikunth mein milega bole nahi wahan nahi milega bole nahi jana Baikunth hamari asakti vistha kul bhogon mein itni ho chuki ki ham Baikunth ko bhi tiraskrit kar rahe hain.

haan kar rahe hain. Dekh lo ye jeevan bhagwan ki prapti ke liye mila hai. Santo ki samarth mein sanshay nahi hai. Ham unke samarth ka sadupyog karna nahi jante. Agar karuna mein santo ki agyaa par keval chal do to param pad prapt ho jae. Priy pritam prapt ho jae. Ye unmein tej jagrit hota hai. 28wa kshma bade se bade aparadhi ko kshma kar dena. Ye sant swabhav mein 29wa mahan dhairyashali 30wa adroh kisi se kabhi bhi kahin bhi dushmani nahi unki hoti kahin bhi droh nahi hota. Bade-bade santo se droh ki leela is jagat ne ki hai.

wah apne aap ko kasht lekar ke sah gaye lekin kisi ko kasht nahi diya. Pakka bhari se bhari jeevan mein dekha gaya santo ke droh karne wale bhi bhagwan ke bal se balvan ho jaate hain aur droh karte. Are yahan tak ki antim leela tak prhar ki leela hui. Jaise pujya pahadiya antim leela karke dikha diya. Jis sir par saikadon bar abhishek hua chandan, tulsi patr aadi chadhe rahe unhin par gadasa chala to bhi Om aur bhagwat prapti. Adroh aur 31wa abhay bhakt mein kabhi bhay nahi rahta. Jab tak papa aacharan karoge tab tak nirbhay nahi ho sakte.

koi bhi ho, kahin bhi ho, kaisa bhi ho. Bhakt mein abhay sthiti jagrit ho jati hai. Aur 32 wahan hai. Kinchit matra ahankaar nahi rah jaata. Ahankaar bhagwat swaroop ho jaata hai aur 33wa param shanti ko prapt ho jaata hai. Yah sahi dhang se marg mein chalne wale upasak ke andar 33 sadgun jagrit ho jaate hain jo sakshat bhagwan se ansh matra mein utarte hain. Bhakt par ahimsa satya astey brahmcharya apshun lajja amanita soch santosh tatiksha nishkapatta satsang sadhu prem sadhu seva aur tapasya swadhyay sam dum vinay ar daya shraddha vivek vairagya ekant sevan aprigrah samadhan upti tej kshma dhairya adroh abhay nirhankarta aur shanti yah sadgun jo bhagwan mein virajte hain wah ansh rup se bhakt mein aa jaate hain.

hamen chahiye man vachan karm se is bar ham nikle is maya daldal se apni dainyta jo bhogon ki banae hue hain jo apne mein hin bhav ham grihasth hain. Ham vishay hain ham papi hain. Are kuch nahi. Ham bhagwan ke hain. 100 bar har karke bhi agli chhalang bhagwan ki taraf marenege aur ham nikelnge is prapanch se. Koi bhi ghabrane ki zaroorat nahi. Galtiya sabse hoti jo is bhumi mein paida hota hai. Bhumi par dhavar pani tim ji maya laptani nahi piche nahi hatna nirash nahi hona udas nahi hona. Har kadam Radha Radha Radha age badhana hai aur hamen isi janm mein bhagwat prapti karni hai.

vishesh charcha age shri Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi