prabhu aur devtaon se mangne mein kya antar hai? Prabhu se mangne par kya milta hai?// 15/04/2026
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
vrindavnshvri tav padarvindm prema makrand raso purnam had pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashray nirva param shital maya param sacchidanand ghan anand samudra prem samudra gyan vairagya bhakti aishwarya samasth shakti yon ke Swami prabhu shri Krishna chandra ji kripa karke aisa amritmay updesh kar rahe hain. Ham sab dhyan purvak sune manan karen aur aacharan mein utare. Yadi hamara jeevan vishyon ke pravah mein bahta hi raha to is dukh mein sansaar se mukt hone ka phir hamen age avsar kab milega hari jane 84 lakh yoniyan hain aur inme keval ek yoni ke dwara hi ham mukt ho sakte hain.
manushya yoni aur wah hamen prapt ho gayi hai. Manushya yoni mein bhi jo atyant durlabh vishay hai bhagwat varta sunna bhagwan naam ki mahima sunna apne jeevan mein dwandon se upar uthne ki sadhna ki bhavna jagrit hona yah sab durlabh baten hain. Wah bhi bhagwat kripa se prapt hai. Ab apne ko savdhani purvak pramad na karte hue isi janm mein bhagwat prapti karni hai. Bhagwat prapti mein badha hai kamna. Yah bahut bada shatru hai. Adhyatma marg ka bahut bada dushman hai. Pura jeevan nikal jaata hai sataarg ki cheshta karte hue par yah kamna hi hamen anubhav mein nahi ane deti.
sadhna ka jo phal hai prabhu pad pankaj priti nirantar yah sab sadhan kar phal sundar samasth sadhanao ka sundar phal hai. Aradhya dev shri hari ke charnon mein nirantar anurag bhari vritti se hamara sampurn antahkaran usi mein doob jae. Aham inhi charnon ki dasata mein buddhi yahi nischay ki prabhu hi sukh hai. Man inhi ki seva ka chintnit ek ek vritti ke dwara inheen ka pujan karen. Yahi jeevan ka sar par kamna aisa nahi hone deti. Kamna ka swaroop hai prabhu ke siva aur kuch bhi chah karna. Bole phir jeevan kaise chalega?
yah jeevan to kamna se hi chalta hai. Hamen yah chahiye, yah chahiye, yah chahiye. To aapko bharosa nahi hai kya? Ek deseey sharir mein mamta karne wali maa apne bete ki chahe jitna sayana ho jae wo chinta karti hai. Kab use kya chahiye? Wah apni samarth ke anusaar prayas karti hai. To kya akhil shaktyon ke Swami sarvagya sarvatra vidyman sarvshaktiman prabhu ham jinke bachchhe hain jinke ansh hain kya hamko batana padega ki prabhu meri avshyakta hai. Avshyakta wo khud purn karenge. Anavashyak mange hamen pareshaan kiye hue avashyak mange.
jeevan jine ke liye jo avashyak hai wah prabhu pehle se pehle bhejte rahenge. Vishwas kijiye wah diye hain. Par anavashyak mange jo ahankaar ki pushta ke liye indriyan jo bhog sukh ke liye lalayit hai. Anavashyak yah mange hamen bhagwat vimurkh kar deti hai. To kahan phir ham is maang ko kaise mitaaye? Chalo mango par keval inhi se mango. Bhagwan ne rasta de diya. Ar artharathi jignyasu gyani char hi prakaar se mere ko bhajne wale hain. Bhagwan ne usmen kaha ki jo gyani hai wah mujhe bahut priy hai. Bahut priy hai.
to phir aisa laga ki ye jo teen hai ar artharathi jignyasu ye aapko priy nahi hai. Shri bhagwan mano isi bhav ko age pusht karte hue kahte hain udara sarwate bhagwan udaar kah rahe hain jo inse mangta hai dekho kaise udaar shiromani hai. Prabhu se jo mangta hai prabhu use udaar kahte hain. Daridra nahi kah rahe bikhari mangta hi rahta hai. Yah de do ye de do. Jaise koi sampattivan mata-pita ho aur uska putr usse maang rakhe bar-bar to use accha lagta hai ki isi ke liye to vaibhav hai. Accha hai. Aur kya chahiye tere ko?
aur kya chahiye? Unko aur dular aata hai. Phir ye to anant shaktyon ke Swami hain. Par shart hai keval inhi se. Is shart mein ham sab phayl ho jaate hain. Agar keval ek baat rahe ki inhi se to aap nihal ho jaoge. Yah shabd yad kar lo. Keval inhi se intazar karo. Aisa nahi ki abhi bola abhi ho jae. Bahut bachchhe hain unke ek do thodi hai. Aur pukar to abhi aapki pahunch jaegi. Abhi paas ho jaega. Par wah pukar nahi abhi ar nahi hai, dainyta nahi hai, priyata nahi hai. Isliye hamari pukar wahan tak pahunch nahi pa rahi hai.
pukarte rahie. Keval inheen ko pukarie. Jis din sun lenge na. To is darbar ki baat hi kuch aisi hai ki ek bar is darbar ka aashray lene wale ko kabhi dusri taraf dekhna bhi nahi para. Aur aise udaar data hai ki mangne walon ko kah rahe hain udaar hai. Udara sarv ete gyaneetma mein matam asthit sahyuktatma mamevattamam gatim kitne kripalu hai uttamam gatim jo mangoge wo to milega hi aur ye apni taraf se ek baat denge uttam gati de denge. He anya ki taraf mat dekho. Ekmatra prabhu ka bharosa kar lo to kamna ki bhi purti ho jaegi aur jo nishkam dharm ke aacharan se phal milta hai uttam gati wo uttam gati bhi de denge.
kitne kripalu hain. Bhagwan kah rahe hain ki aisa na samjho ki gyani hi mujhe priy hai aur to sab bekar. Kah rahe nahi udara sarv ete ye jo ar hai ye jo jignyasu hai artharathi hai ye bade udaar hai. Kai kaisi karuna hai? Bhala mangne wala udaar kaise ho sakta hai? Lekin ye ati udaar vi sundar ye aise Priya pritam hai aise mahmmahim hai ki inke darbar mein jo manga to usko udaar kahte hain. Bada udaar hai. Bada ladla bachchha hai. Idhar udhar na bhtak kar sidhe hamse kah raha hai. Prabhu ka pyar dekho. Ham bhtak rahe hain agyaan ki dhara mein.
prabhu satsang ke dwara hamare hriday ka mod kar rahe hain. Apni taraf unko zaroorat nahi hai. Hamare mangal ke liye ye jo udaar bhakt hain par inme jo premi bhakt hain mere se pyar karte hain aur kuch nahi chahte hain. Main kaise batau wo meri atma hai. Wah mera swaroop hai. Aisa mera mat hai. Jo kuch yahan dikhayee de raha hai wah sab hai prabhu hi. Par jab tak trignatmika maya ka hamare antahkaran mein prabhav hai tab tak ham anubhav nahi kar payenge. Jab trigunnatt avastha jagrit hoti hai tabhi bhagwat anand ka sakshatkar hota hai.
prabhu ka naam, prabhu ka rup, prabhu ki leela, prabhu ka dham yah trigunnatt avastha hai. Jo isi mein raman karta rahta hai, wah nistragunya ho jaata hai. Jisko ek bar bhagwanand ki anudbhuti hui phir antahkaran dharm se wah upar uth jaata hai. Sansaar ka manan chintan, sansaar ka akarshan, bhogon ki dasata yah sab khatm ho jati hai. Prabhu ne kaha hai ki waise to mera siddhant hai ye yatha mam prapaddyate ta bhajamyam mujhe tum jaise bhajoge waise main tumhen bhajunga. Shiv bhagwan yah siddhant kah rahe hain. Par yahan bada dular bhara unhee ke vachan ki ara ye bada udaar hai jo mere darbar mein akar ke apni kamna ki purti chahta hai.
santo ne to nishedh kiya hai. Kyonki wo inke rahasya ko jante hain. Bhala sacchidanand prabhu ke sanmukh hokar ke vishay bhog mangna kitni nindniy baat hai. Prabhu ko na are param pad jab dhruv ji ko mila to unko glani ho gayi aise prem ras se bhare hue shri ang wale prabhu ki dasata na mangkar maine param pad maang liya. Ab kya hoga? Ab to prabhu ne tathastu kah diya. Aisa hi ho. Tumhen jo chah thi wo tumhen prapt hui. Yah chah ne mujhe gira diya. Param pad mein arudh hone par unko anubhav hua main gir gaya.
prabhu ki dasata se chuk gaya. Nirantar prabhu ke samip rahta. Inke mukh madhuri ka darshan karta aur inki seva sukh mein nimgn rahta. Isse bada kya sukh? Ye ab anubhav hua. Socha ki chuk ho gayi. Kaise chuk ho gayi? Bahut kal satsang nahi hua. Isliye baat chubh gayi ki mujhe aisa pad prapt karna hai ki sab ashcharyachkit ho jae. To isiliye prabhu se kaha prabhu jo chah thi wah puri kar di. Par ek baat aur maang raha hoon. Mujhe apne premi bhakton ka sang dijiye. Kyonki mujhe mangna hi nahi aaya. Agar premi bhakton ka bahut kal tak sang hua hota to ham aapka prem mangte.
aapki aviral bhakti mangte. Aapki shri ang ki seva mangte. Yah jo prabhu se chah ki jati hai, santo ne ise pasand nahi kiya. Jo premi jan par bhagwan uska bhi swagat karen. Aao aao tum aao to hamari taraf aao. Kitne kripalu hain. Ham sab inki kripa ko nahi dekh pa rahe hain. Prabhu kahte hain kisi bhi tarah se tum mere se sambandh jod to lo. Tumhen beparwah kar dunga. Kisi bhi tarah se dhan ki chah se, sankat nivitti se, kisi bhi kamna se kamat dves bhayat sneha yatha bhakteshware man avesh tadgham hitwa wah gati gata kam se, dves se, bhay se, sneh se, kisi bhi bhav se, yadi prabhu ka apnapan sweekar kar liya jae.
mere Swami ab meri baat aapse hi banegi. Kahte ek nahi anek jan param pad mein arudh ho gaye. Jaise bhakt bhakti se bhagwan ko adhin kar leta hai. Vaisa sukh inko vartman mein to nahi milta. Ab bhagwan se dves karega. Aur ek hai ki sneh mein barkar unko bhog laga raha hai, naam kirtan kar raha hai, nach raha hai. Usko jo vartman mein sukh mil raha hai, usko jo dves se bhaj raha hai, usko thodi anubhav mein aayega sukh par parinaam sabka ek hi hoga. Kitne kripalu? Kitne kripalu kam se kisi bhi kamna se prabhu hai na Swami hai akhil koti bramhandon ke adheeshwar hai sarvlok maheshvar hai kisi bhi kamna se wahi param pad denge wah vastu to denge hi param pad de denge yadi inke siva aur kisi se jaise koi bhi bada se bada devta hai, wah vidhi vidhan dekhega aapka.
agar vidhi mein truti hai to aapka anusthan safal nahi hoga. Sangopang anusthan hona chahiye. Aur usi ke anusaar aapko phal dega. Aap jahr mango to jahr de dega. Jo mango wo aapki jitna tapasya hai jitna sadhan hai. Usmen agar truti hai to nahi milega. Sangopang anusthan ho phir jo chahoge de dega. Par hamare prabhu aisa nahi karte. Jo chahoge nahi denge. Tumhara jismen mangal hoga wahi denge anytha nahi denge. Aur truti ho jane par bhi tumhari anusthan ki vritti se phal nahi denge.
tumne prabhu ke liye prayas kiya apni kamna purti ke liye prabhu ko wah is baat par reej ke anusthan se bhi badhkar de denge. Is rashi ko sab koi nahi janta isiliye jaldi prabhu ki sharan mein nahi hota. Yah aisa karuna mein darbar hai. Kahin nahi suna. Kahin nahi dekha. Ek shri hanuman ji maharaj ki siddhi kar rahe the. Bataya bhi hai satsang mein Bhimsen unka naam tha aur the bhi bahut balvan hanuman ji ki siddhi aur bhakti mein antar hai. Dhyan rakhna kisi bhi mahan mahimashaali devi devta ya jo bhi bhagwat parsad hai sahaj bhav se inki aradhna karo.
safalta hi safalta milegi. Wah aapko age badhate chale jaenge. Aur siddhi ka tatparya hota hai unko adhin karna mantr ke dwara. Ab usmen agar anusthan mein truti hui to tumhari aisi taisi bhi ho jaegi. Param kripalu shri hanuman ji maha bhagwat hain. Aap khub bhagwan ke charit sunaaiye. Unko naam jap kijiye. Unki seva kijiye. Badi se badi truti ho jane par aapka mangal nahi hoga. Mangal bhavan tak pahuncha denge. Par yadi aap kisi mantr ke dwara hanuman ji maharaj ke jo mantr hain unke dwara aap unko siddh karke apna chamatkar dikhana chahe to sangopang hona chahiye.
nahi phir sab bigad jaega. Ab bahut kal tak niyam nishtha mein rahna kathin hota hai. Us samay balyvastha thi. Tabhi suna tha ki ek ganv paas mein hai wo brahmin ghar mein janme the aur mantro ka unko gyan tha anusthan hanuman ji ka kar rahe the siddhi ka khambe mein bandhe gaye dekh rahe janjir se lohe ki janjir se khmbe mein bandhe aise peshab karte aise dalte aise phenkte pagal ekdam maha shakti sampann shri hanuman ji ko mantr ke dwara tum adhin karke apni kamnao ki purti aap unki seva karo Siyaram naam ka kirtan suno sunao prabhu ke charit sunao swayam asht siddhi nau nidhi ke data hai wo wo
kripa kar denge ek se ek siddhi aap mein prakt unko adhin prem se kiya ja sakta hai aap shakti ke dwara to phir sangopang paas hona padega ek bahut bade mahatma ke guru bhai wo shri adya shakti Tripura sundari Bhagwati ki upasna ki shri Radha Baba ne bhi ki par unki prasannata ke liye kiya Radha Baba ne koi maang nahi ki aapki kripa se shri Krishna hamen pritam rup mein prapt ho gopi janon ne bhi adya shakti katyayni ki upas Baba ne bhi ki par wo is bhav se nahi kar rahe the wo daivi shakti ko siddh karne ki bhavna se kar rahe the aur bahut savdhani wo jo bade mahatma the unhone unko kaha ki dekho aap aag mein kudne ja rahe ho maa bhav se karoge to dular karte hue sari kamnayen purn karti rheng aur shakti ko adhin karne ke baad sochoge to aapko kasauti mein kasna padega unka tayyar hai bahut alp doodh lekar ke mantr ka jaap utne hi mantro ka havan aur us bhavan mein kisi ka pravesh nahi badi savdhani se kar rahe the.
jab unki siddhi ka samay aaya to ek makkhi unke aaspas ghumi. Mata ji ka ek naam bhramri hai. Itni bhanamnahat paida hui ki dimaag kahna control ke bahar ho gaya kyonki daivi shakti thi. Ab beta ho to maa maa pukare. Lekin wah to adhin karna chahte the shakti ke. Dimaag kam samne dekha atyant sukumar avastha aur ek sundari khadi hai pujya bhav hat gaya jo pujya bhav hata ya devi sarwabhuti buddhi rup gayab buddhi buddhi khatm jo footpath mein aise pagal jaisi ghumta hai sthiti ho gayi khatm to jo devi shaktiya hai bade-bade devta hain ye mantr ke adhin hai.
aisa nahi mantr ke adhin hai. Agar sangopang anusthan ho gaya jitna mantr ka anusthan hota hai to aapki kamna pakki siddh kar denge. Agar unko adhin karna hai ki bole inke aisa inki amuk shakti adhin hai. Amuk shakti adhin yah hamne darshan bhi kiye hain. Brahmin mein bade anubhav hue hain. Ek jagah Gayatri mata ka jo siddh bhav hai unko prapt tha. To aise hi hazaron ki lakho ki sabha lagti thi. Aise kar dete to aise kharkhar khar kar sone chandi ke sikke girte. Jaise ye sab daivi shaktyon ke chamatkar agar aap nishkam bhav se Gayatri jap karenge to shri Krishna prem pradan kar denge kyonki Gayatri Krishna swaroopa hi hai.
bhav alag-alag hai. Yahan kah rahe hain ki jo devtaon ka sakam bhav se anusthan karte hain agar anusthan ki purti theek hui to aap jo chahte hain wo de denge aapko. Parinaam kya hoga? Koi matlab nahi. Tumhara parinaam kya hoga? Unka parinaam kya hoga? Iska bhi matlab nahi. Aapke paas hai tap rupi dhan utna kar lo. Ab aap dekho auron ki to baat jane do. Devdhidev mahadev wo asur shakun putr vakash ho. Narad ji se pucha aisa koi devta batao jo jhatpat siddh ho jae. Prasann ho jae. Hamen vardan de de.
bahut jaldi prasann hone wale Ashutosh to bhagwan shankar hain. Sahaj bhav mein upasna karo. Atyant durlabh prem pradan kar denge. Narsi mehta ji pujya Radha Baba bade bade mahapurushon ko bhagwan shiv ne Priya pritam ka prem pradan kiya hai. Mantr ke dwara jo chah karoge wo ashtosh hai aur dar dani isiliye vichar nahi karte ja. Usne dekha ki prabhu ko prasann karna bada kathin hai. To apne sharir ka mans katkar agni mein havan karne laga aur bhagwan shiv ke mantr ka ucharan bhagwan shiv prakt hue aur kaha kahe bhai aisa kashtprad karya kar rahe ho?
ham to ek anjuli jal mein prasann ho jaate hain. Kya chahiye? Bole maharaj jiske upar hath rakh du wo bhasm ho jae. Agar hari se aisa mangte to dant kar hari antardhya ho jaate. Hat jiske upar hath rakh de. Aisa par wo to aaj to dar dali magan rahte hain hari prem duniya se ma jao tathasta usne socha pariksha pehle guru se hi karni chahiye inhi ke upar hath rakh dete bhasm ho jaenge to Kailash ka vaibhav hamara ho gaya buddhi hoti hai bhagwan shiv bhage bhagwan shiv apne hi vardan se ab wo bhagwan shiv ke jab dekha ki ab usko asuri shakti se wah bhi sampann tha.
bhagwan jaise bhagte waise hi wah piche bhagta. Unhone socha bacha sakte hain to is sankat se bhagwan shankar is sankat se agar bacha sakte hain to shri hari bacha sakte hain. Andar se chintan kiya hari sambhalo aake to bas beech mein hi prakt ho gaye. Pranam prakash ji hamen kaun pranam prabhavshali bhagwan ke vachan inke piche bhag rahe ho haan haan kyon inhone vardan diya hai ki jis par hath rakh doge bhasm ho jaenge to ham inhi ko are bole tumhen vishwas hai daksh ne inko shraap diya tha inki ab baat satya nahi hoti suno ham bhi tumhare sathi hain tum apne upar hath rakh karke dekho na agar jhooth nikle to abhi donon milkar ke haan theek yah nahi socha ki agar satya hua to wo bhagwan ki baat mein phas gaya usne hath rakha rakh ka dher ho gaya mahadev ji ne laut kar dekha ab maharaj bacha liya nahi to kahan kahan bhagte ho sab hanste ki dekho shiv ko khede hue shiv ko bole prabhu kuch vichar bhi to kar liya karo aap aise ye vardan de diye ki aapko khud bhagae dol raha hai vichar karke vardan dijiye.
nahi to yah ashu bhav ke jan hai. Yah sab sadhu janon ko devi sampdavan ko jab aapko hi vardan data ko hi bhasm karne ki soch raha hai. Prabhu kah jinda rahta to kya karta? To unhone kaha prabhu ham isliye almasta rahte ki aap ho na aap sambhal loge. Sab sambhal loge. To jo devta jan hai wo ye nahi dekhte kis mein jagat mangal hoga ki nahi. Aapka anusthan sahi hai. Aap jo mangenge wo de denge. Par hamare hari aisa prabhu aisa nahi karte aap aur dabal anusthan kar lo usmen aapka amangal hai to nahi denge nahi denge nahi denge anusthan mein truti ho gayi hai uska phal nahi milna chahiye jo devtaon ki aradhna mein truti hone par nahi milta hari ke anusthan mein aisa nahi hota milega tumhara mangal hona hai na wo nahi dekhte ki truti kar di galti kar nahi bachchha hai chal anand lo yah baat kahin aur nahi milegi.
bhagwan ke darbar mein yah baat hai. Agar iska rahasya samjh mein aa jaata hai to bhul karke bhi phir kisi anya ka aashray nahi leta. Sansaar ke bhog rupaye paise yah pratyaksh vartman mein keval mahatva buddhi hone ke karan hai. Jaise hamko 2000 ka rupya dikhayee de bahut anand le. ₹000 aur agar abhi 1000 ke ek bora rupya pare ho 1000 jo piche band ho gaye ek bora pare ho to rupya hi to hai piche mahatva tha unka par sarkar ne unko amanya kar diya to aap kya wo 1000 ke jo bora bhar pare hue hain raddi kaagaz se zyada aapki nazar nahi hogi matlab rupaye ka mahatva nahi aapke andar dhyan dena mahatva hai un rupaye se bhog samgri milti bas isliye mahatva hai.
theek hai. Bhog samgri kiske liye? Bole indriyan prasann rahti hain. Matlab anand rahta hai. Jo chaho khareedo jahan chaho ghum aao. Bada jo chaho pahno sone ki chain vain sab aur sharir hi nasht ho jaega. Pyare tumhen marna hai. Tumhen dhyan nahi ab tumhare marne ka samay sone ki janjir parai jae. Aapke kaph, pitt, vayu pida pahuncha rahe hain. Pran nikalne ke liye tayyar hain. Aur aapke samne rabri rakhi jae. Duniya ke bhog ya phansi ki saja suna di gayi aur sone ke har tumhen la de jae to kya lagega?
mithya. Kyon? Jab jeevan hi nahi to inka kya mahatva hai? Jab vivek jagrit ho jaata hai aur shri Krishna prapti ki chah jag jati hai to brahmaadik ke bhog sab visham lagat. In bhogon ka kya mahatva hai? Agyaan ke karan hi to mahatva hai. Ek ne kisi devi shakti ki aradhna ki ki mujhe sona mile aur jitna chahun khub sona mile. Theek. Mantr anusthan purti hui. Usne kaha theek hai. Jahan tumhen sona jama karna ho wahan khade ho jao. Ham tumhen sone se theek. Wah samjh nahi paye kamre mein ki kho kamra laak kar diya aur sona hi sona ikttha ho gaya.
ek din do din teen din phir un devta ka chintan kiya. Pyas lagi. Bole nahi sona yahi khao. Yahi hai dusri chij nahi mili. Bole bas hamko ek lota jal de do. Sab sona hata do. Ek lota jal de do. Pyas se pran nikal rahe hain. Ye ye sona kis kam ka? Na bhookh mit pa rahi na pyas mit pa rahi. Kis kam ka nahi chahiye mujhe har vastu niswar niswar hai usmen koi dum nahi aap keval ahankaar vash mudhta bas usko mahatva diye hue hain jab prabhu ke charnarvind ka mahatva jagta hai to sam lushtasma kanchna patthar ka tukda mati ka dhela aur sone ki thapiya mein koi antar nahi hota kya antar hai keval agyaan ki mudhta hai itni moti dale khula ke batan dekhe koi ke haan sona sona jo tum samjh rahe ho wo nahi hai.
yah koi ahankaar ka karan nahi hai. Are garv karne ka vishay ke prabhu ke dastv se yukt hai. Yah garv ka ye shashwat garv hai. Kis kam mein aayega? Prayah log in bhog samagriyon ko vartman mein sukh dene wali samjhte hain. Sansaar ke pratyaksh bhogon ko wahi chhod sakta hai jiske hriday mein Krishna lalsa jagrit ho gayi. Bhagwat charnarvind ki prapti ki baat aa gayi. Nahi to lagta hai samne bhog hai. Bhog lo na thodi der sukhi ho jao. Thodi der to sukh bij to itna hi bada hota hai jab uska vriksh hoga tab kriya to itni lekin us kriya ka jab parinaam aayega tab phir nahi sambhal paoge agyaan ki vritti mein lagta hai kaun dekh raha hai kya hai kar lo manmani thodi der man prasann manmani man prasann kahan bhul kar rahe ho dushman ko khurak de rahe ho tumhara nash karega aur jo kriya kar rahe ho wahi kriya tumhare bandhne ka agle janm ka karan banegi par prabhu ke darbar mein yadi bhogon ki bhi maang karen to anand ka anubhav prabhu kara dete hain.
bhogon ki bhi maang karen. Bahut bar isiliye kahte hain ki koi bhi kamna hai to prabhu se kaho. Bahut sundar patni mile. Aisi kamna kardam ji ke hriday mein thi. Unhone kisi anya ka aashray nahi liya. Sundar patni chahiye. Bhagwan ka aashray liya. Bada bhajan kiya. Bhagwan prakt hue. Kya chahiye? Unka sundar patni bhagwan ke aansu gir pare. Itna kathin bhajan karne ke baad mera sakshat karne ke baad sundarata ki sima bhagwan hai sundar patni se wo bindu sarovar banao bhagwan ki ashu ka theek hai aadi samrat maharaj man ki putri shri dehudi ji le aaenge aapko de denge param sundar ho aur tumhare kalyan kalyan ke liye main swayam tumhara putr banunga.
manga nahi manga tha sundar patni bhagwan kapil dev ji ke rup mein akar ke divya saank yog ka updesh karke unko moksh pad par virajman kiya. Yah hai bhagwan ke darbar ki maang. Jo chahe jo chahe prabhu sabke data hai bas hriday mein baitha le ki keval prabhu se mangna to prabhu use udaar kahte hain. Bhakt ki laukik parloulik kamna ki purti karke bhagwan uski is baat par nahi dekhte. Isne mera bhajan karke laukik vastu mangi. Maine de diya fursat ho gayi. Nahi wo nahi janta par ham to jante hain na ki jo vastu di hai wo nashvan hai.
mera aashray mera bhajan nashvan nahi hai. Kya uska phal itna hi hota hai? Nahi to main use param gati pradan karta hoon. Apni taraf se param gati pradan karte hain aur uski maang vastu pradan kar dete hain. Goswami ji kah rahe hain aur ka mie ko mangeebo nivare abhimat datar kaun dukh daridra dare dharm dham [khansne ki aawaz] dharm dham Ram kam koti rup ruu sahab sab vidhi sujan dan khadag suro sushmay din dwa nishan sabke dwaar baje kusum main dashrath ke dan te garib nivaje seva binu gun vihin dinata sunae je te nihal kiye phule phirat paye tul tulsidas jachak ruchi jaan dan di [gana gane ki aawaz] Ramchandra [chikne ki aawaz] chandra tu chakor mohi ki jai prabhu aapki kripa se aapke darbar mein aa gaya hoon.
jaise tinka hawa ke sanyog se kahin bade sthan mein par jae aisi apne logon ke upar kripa ho gayi. Nahi is prapanch sansaar ke daldal se nikal pana apne bas ki baat nahi thi. Nikal diya. Agar sansaar se bhage bhi to sharira abhiman mein fansa hua jeev nikal nahi pata. Prabhu hi nikaalte hain. Prabhu aapki kripa se aapke darbar tak aa gaya. Yahi saravat ati kathinai Ram kripa binwai na jae grih karaj durgam janjala te ati durgam shail vishala ye bade-bade pahar hain moh ke kam ke krodh ke lobh ke mad ke inko par karke grahasti ki bediyon ko kaat ke inke darbar tak koi aa pave bahut kathin baat hai bina inki kripa ke inke darbar tak nahi aaya jaata ane ka tatparya hai anya aashray tyag kar bhagwat ashrit hona.
ab jab aapke darbar mein aa gaya to kisi aur ke age hath phailaun to aapki bhi baat aa gayi. Prabhu dekho bhakt kitne praveen hote hain. Prabhu ko prabhu apni maya se sabko fasaye. Prabhu pradatt vivek se gyan se prabhu ko phasa lete hain. Aapki kripa se aapke darbar mein aa gaya. Ab aapke darbar mein ane ke baad kisi aur ki taraf hath phailana pare to ismen aapki bhi hai. Matlab samjho aap. Ab hamare sarvlok maheshvar prabhu ke darbar mein ane ke baad phir kisi aur ke age hath phailana pare. To bole usne diya kya hai?
itna bada tha. Tumhare andar abhi kuch kami rah gayi. Mangna para to itne bade se mangne ke baad phir prabhu mujhe to nahi lagta ki aapke darbar mein ane ke baad kisi ke age hath phailana padega. Pehle hi baat hai ki aisa dijiye ki phir aur chah na rah jae kyonki aapke darbar ki yahi hai. Aapke darbar ki ali nirali shaan ye dekhi sakhavat khud teri galiyon mein bhatkte dekha. Yahan sukh mara ghum raha hai kyonki sukh sindhu ka darbar hai. Yahan ka tatparya bhagwat aashray mein failaya hath jisne tere darbar mein akar tujhe dete nahi dekha magar jholi bhari.
Sudama ji jab wapas so rahe the to kah rahe the bade kripalu hai. Ek sone ki ginni bhi nahi di hai ki yah bhikshuk kahin suvida mein akar ke hamara vismaran na kar de. Mere Krishna kitne kripalu hai dubte chale jae ek din ka bhojan bhi nahi diya hai mere hi ashrit rahe bade kripalu hai unhone badi kripa jab pahunche to wahan Dwarikpuri jaisi sudamapuri khadi thi tujhe dete nahi dekha magar jholi bhari di nihal kar diya prabhu aisa aaj tak koi data nahi ved puran sab sakshi hai ki jiske darbar mein ek bar maang liya jae phir dobara mangna hi mit jae wo to keval hari ka darbar dusra koi nahi ko mangeebo nivare aisa koi nahi hai darbar jismen mange aur mangna mit jae ab nahi chahiye ab kachu nath na chahi prabhu bhi de rahe hain nahi ab ab kachu nath na chahiye aapse bhi nahi chahiye aisa de dete hain.
dusra aisa koi bhi tribhuvan mein nahi hai jo manovanchhit phal ko pradan kar sake. Sada sada ke liye dukh mita sake, daridrata mita sake, mangna mita sake. Ki wo keval prabhu shri hari ka darbar hai. Prabhu aap to sampurn dharmon ke mul hain. Aapse hi sare dharmon ka pradurbhav hua hai. Isiliye bhagwan kahte hain sarwadharman paritaj mamekam sharanam kyonki yahi se sare dharm prakt hue hain. Aur aap karodon kam devon ke bhi saundarya ko lajane wale mahmmahim saundarya se yukt hain. Prabhu main jidhar dekhta hoon sab aapki maya se akarshit hai.
koi aisa nahi hai jo mere man ko santosh pradan kar sake. Sab prakaar se mere Swami samarth ho. Mere man ko achchhi tarah aap dekh rahe ho, jaan rahe ho. Jaise koi Shurvirr talwar chalane mein bada praveen ho. Aise bade-bade vishay man ke vishay bandhan ko kaat karke use maha sukh mein nimgn karne mein aap bade praveen ho. Prabhu achhche samay mein to hazaron log mitra ban jaate hain. Badhiya sab chal raha ho. Hath milaenge akar baithenge chai nashta karenge kahenge koi ek seva ho to batana kabhi avsar pare lekin jab kusmay aata hai to mohalla gali chhod di jati hai ki agar jaenge to kahin koi baat na kah de maang na le lekin kusmay mein jo nihal kar de wo ek hi darbar hai aapka kyonki apna bachchha ghar kabhi bhi wapas ave usko to waise hi pyar milega.
yah sansaar apna nahi hai. Shri hari apne hain. Jab mud ke dekhoge to waise hi tumhen pyar milega. Tumhare acharno se tumhara tiraskaar nahi kiya jaega. Yah darbar aisa hai. Tumhare acharno se tumhara hat nikal bahar yahan se. Aaj tak pura itihas sakshi hai. Kahin bhi aisa shabd nahi aaya ki jo bhagwan ke aashray ke liye chala ho wo chahe vaishyagami krur papi bada hinsak mahat aparadhi ho. Is darbar mein usko gale lagaya gaya hai. Yah hari ka darbar isliye bade-bade patkiyon ko bhi mahan paramhansa ki sthiti prapt hoti hai.
yahan yahi baat samjh mein aa jae. Bas bhagwat ashrit kaisa hai? Yah kabhi prabhu ne nahi dekha. Apne ashrit ko nihal kar diya hai. Yahan sada gale lagaya gaya. Koi kaisa bhi ho, kaisa bhi ho. Mahaptit ko bhi pavan kiya gaya hai. Par is darbar mein aa wahi sakta hai jisko inke darbariyon ka sang mil gaya hai. Inke darbari kaun hai? Bhagwat premi mahatma. Ek bar ek ganv se sant mandli pehle sant mandli chala karti thi. Jagat mangal ke liye yug dharm ka prabhav hota hai. Ab aisa nahi hai. Aisa nahi hona bhi chahiye. Kyonki jab sunne ko milta hai ki amuk jagah santo ko aise pita gaya aise mara gaya.
bas keval sambhavna kar li bachchha chori aadi aadi hriday mein kasakta hai hamara shasan vibhag samarth hai aap usko agar aapko sanshay hai to aap bandi bana lijiye phir aap usko kanun ko samarpit karen wo janch karenge kya hai aap turant usko pitne lage mar den yahan tak ki hatya kar di jab baad mein to hriday kash kaise bhi ho bhagwat vesh dharan kiye ham tumhen lag raha hai ki pakhandi hain, chor hain, daku hain. Theek hai. Tum sanshay atma ho. Aisa ho sakta hai. Aap bahut log ho unko aap bandi bana lijiye aur unko kanun ko samarpit kijiye.
kanun uska nyay karega. Aise pashuv hinsa kar dena. Koi unhone pragat mein aparadh nahi kiya. Pragat mein koi hinsa ki hoti. Kisi ko aisa aapko dikhayee diya ki praman mil gaya ki aisa kar rahe the. Tab aisa phir bhi kanun ko samarpit karna chahiye. Hamara raj samvidhan kanun banae hue unko dand dega. Koi bhi ho kanun ke age kisi ki nahi chalti. Chahe mahatma ho chahe duratma ho. Kanun ke sikke mein barabar nyay hota hai. Wahan thodi nyayalay mein thodi dekha jaata hai ki tum kaun si poshak pahne hue ho.
kaun se pad mein baithe ho. Nahi. Nyayadhish to uske praman ke anusaar usko dand deta hai. Lekin aaj ka samaj kya ho gaya? Ek ne bol diya bachchha chor saikadon ne milkar ke aise pashuv mar dala. Jaise pashu kisi ko mar dale aise pashuv milkar ke mar. Ab kaise sant mandli vichran karen? Pehle sant mandli vichran karti thi jagat mangal ke liye. Ab to bada samay bhayav aa gaya hai. Ganga kinare akele ghumte the. Ab to kaise dekh ke ki bhai aisa to ab sadhu mahatma phir dham ka tirthon ka aashray le liye bhagwan jaisa mangal karen unki vani anya yantron ke dwara sune log aur usko apne aacharan mein utare mangal ho to mandli sant mandli ganv se nikal rahi thi pucha yahan koi shraddwan hai aaj ham raat mein rukna chahte hain koi mandir koi bagichi devalay jahan apne thakur ko virajman karke raat bhar shayan karaen subah chale jaenge ge to unhone uphash karne ke liye ek vaishya ka bagichi tha.
wah bataya bahut badhiya pavitra sthan hai. Wahan jao wo uska chhota bagichi tha. Bada sundar saja hua tha. Uske mitra jan ate aisa hasy vinod wahi wo gaye bahut sundar bagichi dekha. Thakur ji virajman kiye jo 101 sant the phir kirtan kirtan ki dhvani gunji. Vaishya ne mahal bana hua to wahan se dekha are mujh nich ke bagiche mein kirtan ki dhvani wahan khidki se dekha to sab sant mahatma nach pare hriday uska nach para ki mujh nich aacharan karne wale ko aisa saubhagya mil sakta hai phal meva aadi aur kuch arth aadi lekar ke rakha pranam kiya dur se aur kaha bhagwan yah bagichi isi dasi ka hai par pehle hamara prichay sun lijiye ham sharir bechkar jeevan yapan karne wali vaishya hai yah phal ye arth thakur seva mein aap sab laga dijiye aur aansu chal rahe anand kyon paap nasht hue sant darsh ji mein paak tare paap nasht hue itna shok yahi yahi hai ki na jane kab daya nidhan kiska mangal karne ki soch le.
jo sant mein pradhan mandli ke the unhone kaha tumhara kuch kha to nahi sakte par beti tumhara param mangal ka avsar aa gaya. Kyonki hamare thakur tumhare bagiche mein virajman ho gaye aur tum bhav se thakur ji ke samne laye ho. Thakur seva sweekar karega. Ham log to nahi pa sakte. Ham mein to itni samarth nahi ki aise apvitra ann ko pachakar bhajan kar pavenge. Par beta tum chinta mat karo. Tumhara param mangal hoga. Koi beta ya beti bole use sansaar ke deh ko sukh manne wale log kaisa kaisa bartaav aaj use koi beta bola koi beti?
wo chilla ke ro pare. Ab to kripa par kripa hoti jae. Bole yah bhi dhan uthao aur jo tumhare paas dhan hai usko becho aur thakur ji ke liye ek mukut banao hiro se jatit aur Ranganath ji ko pahnao thakur ji ko to unka prabhu wo sweekar karenge haan ham prarthna karenge ye dekho ham prarthna karenge prabhu se bhi aur nij sevkon se bhi thakur ji ke sakshat bhaal par tumhari sab sampatti lag jaegi nihal ho jaugi aur aaj se beta ab aisa aacharan mat karna ka shpath leti hoon aaj band deh vyapar badi uman sab bech ke saath bhagwan kaise leela bihari hai is darbar mein kisi ka bhi apman nahi hota koi kaisa bhi ho wahan kuch vartaen hui ki ab wo acharya koti ke mahapurush the ki vaishya to vaishya bhagwan ki nahi hai bhagwan ke to sab jan hai bhagwan ne adesh kiya duracharu bhajte ma aapko mukut dharan karvana hoga thakur ji ko wo laegi ab thakur haan theek hai mukut tayyar ho gaya sant sabha ke samne mukut lekar thal mein nazdik pahunchne wali thi kadam rok diya.
kya hua beta? Bole prabhu durbhagya saath nahi de raha. Kya hua kya? Bole masik dharm se yukt ho gaye. Vaishya upar se masik dharm se yukt hath mein mukut hai. Ekdam bhagwat avesh mein. Unhone kaha tu age badh. To jo sevak jan the unhone virodh kiya nahi dharm ke virudh hai. To unka dharm ke virudh agar hai to praman denge thakur ji. Agar dharm yukt hai to gva jhuk jaegi sarkar ki aur yah mukut pahnaegi apne hath se aur dharm virudh hai to greeva nahi jhukegi. Sab ne dekha ki shri vigrah ki gva jhuk gayi aur usne swayam mukut dharan karaya.
yah aisa karuna mein darsha siddhant ek taraf bhagwat premi mahatmaon ka sankalp ek taraf wahan baat vaishya gile baat bhagwat premi mahatma ke nischay ki is darbar ka darbari yadi mil gaya nihal ho jaate tabhi mat sang durlabh ho bhagwat premi mahatmaon ka sang durlabh hai to kah rahe hain prabhu achhche samay mein gunwanon ko bahut log mitra mil jaate hain. Lekin durguni ko aur kumay mein keval aap hi saath dete hain. Dusra koi saath dene wala nahi. Seva karne wala achhche gunon se yukt sab pyar karne ke liye tayyar.
lekin hin seva mein dene ke liye kuch hai nahi. Sabse apmanit wah apna dukhda kisko sunae koi sunna bhi nahi chahega tiraskaar kar de ek darbar hai jao uska bahut aadar se dukh suna jaega wo shri hari aapka darbar hai aur jisne aapke darbar mein dukhda sunaya sabko aapne nihal kar diya aaj tak hamne aapke darbar se jitne bhi sabko phula phula paya hai goswami ji kah rahe hain jinko vastvik darbar ka tatparya aashray jinko bhagwat aashray mil gaya sab chati chaudi karke dolte hain anand mein magan hokar prabhu ka garv hriday mein aa jae to bhay main prabhu ka das hoon main shiv ye ham samaj ki bal abhimani ye dehabhmani vishay abhimani vidya abhimani gyanabhimani aur yahan tak jabki bhajan abhimani ke bhi pa se abhiman nahi hota.
ek kripa patr ke andar jagrit hota hai. Ham shri shyama ji ke bal abhimani. Yah abhiman aam brahmasam se bhi age ki baat hai. Ham shri shyama ji ke bal abhimani. Maine unhen anand se phule phule phirte paya hai. Jitne bhi aapke honge kisi bhi sambandh se kisi bhi aashray se prabhu aapke darbar mein tulsi ki bhi hajiri ho gayi. Aapki kripa se pehle hi kaha hai prabhu aapki kripa se aapka darbar to tulsi ki bhi hajiri ho gayi hai. Nath aur to koi maang nahi hai. Aur koi chah nahi par bikhari hoon. Ab to aapke darbar mein ate hi koi chah nahi rah gayi.
koi maang nahi rah gayi. Par bhikhariyon aur aapko dena hi hoga. Kya aapka shri mukh chandra ki bhanti aur mere netr chakor ki bhanti nirantar pan karte rahe. Aapki rup madhuri mere netron mein bas jae. Bas yahi chahiye. Is darbar mein sankat nivitti. Are is darbar mein aa gaye to sankat rahega hi nahi mangna nahi padega sankat nivaran ke liye jo pe kripa bahut dhyan se anand aa jaega koi bhay nahi rahega jo pe kripa to aap kahoge jin pe hai unki baat aap kar rahe ho na bhai sadhan karte hain bhajan karte hain. Prabhu mein leen hai.
unke paas sankat kya hai? Prabhu ham to prabhu se dur hain. Bhajan bhi nahi karte hain. To prabhu ke ho na? Yah baat to sweekar kar lo. Ab batao sachchai se kya prabhu ke nahi ho aap? Are sari srishti prabhu ki hai. Tumhare hriday mein prabhu baithe hain. Keval tumhen sweekar karna hai. Yahi se kripa shuru ho jaegi. Jo kripa hai wah aashray se hoti hai. Waise to sab par mori barabar daya par kripa shabd kuch daya se alag hai. Daya se alag hai. Badi samarth hai. Kripa idhar jeev ko ghaseetti hai aur udhar eesh ko bhi ghaseetti hai.
kripa ek aisi shakti hai jo donon ki duri mita deti hai. Eesh ko idhar ghaseeta jeev ko idhar jeev ke jivtv ko hata diya is ketwa ko bhula diya aur donon ko mila diya daya sab par hai unki par kripa patr koi birla hi banta hai kaun jo anya aashray tyag kar bhagwan ka aashray le liya kisi bhi bhav se juda ho keval prabhu se jud gaya jo pe kripa kripa Raghupath kripalu ki bair aur ke kaha sare hoi na bako bar bhagat ko jo ko koti upay kare kah rahe ki yadi aapne prabhu ke darbar ka aashray le liya hai kripalu ki kripa ke sahare ho gaye ho bair aur ki kaha karen koi bhi tribhuvan ka davi shakti sampann bhi ho bal banka bhi nikal sakta uska vishwas kar lo yadi hamne andar se bhagwat aashray nahi liya keval bahar bhesh banae to baat alag hai baat dhyan deni hogi phir wahan apne logon ko sanshay ho jaega ki bhagwan ne kyon nahi bachaya.
yah baat chati ki hai. Yah baat bahari kisi lakshan se nahi pahchana ja sakta. Jo kripa patr hriday ka vishay jisne bhagwan ka aashray le liya andar se. Yadi bhagwan ka aashray le liya hai aur ant samay mein aisa kuch hota hai to anant janmon ka koi vidhan hai jiska bhagwan nivaran karke sidhe apne paas bula rahe hain nahi to nischit samjh lo tribhuvan mein aisa koi nahi ki bal banka bhi kar sake ek bar bhi ukhad sake pakka samjh lo jo pe kripa Raghupath kripalu ki bair aur ke kaha sare ho na bako bar bhagat ko jo koti upay kare karodon upay kar le bal banka bhi nahi ho sakta karodon upay kar le aur baat badi mahima ki take neechu jo meechu sadhu ki so paah meechu mare ved vidit Prahlad katha suni ko na bhagti path pav dhare kayadu ji ne bahut sundar shringar kiya panch varsh ke balak hain.
kudte hue hiranyakashyap ke samne aae. Sashtang pranam kiya. Kyonki devrshi narad ji ke ashram mein janm hua. Devrshi narad ji ke garb se hi inko shiksha prapt hui. Maha bhagwat hai. Sashtang pranam. Utar para simhasaan se. Prahlad ji ko uthaya. Chati se lagaya mastak chuma. Bada sukh mila Prahlad ji ko. Beta tumhen kya pasand hai? Jaise chhota bachchha to pyare tumko kya tophi? Tumhen kya pasand? Khilauna koi choklet tum kya chahoge wo pooch tumhen kya tribhuvan pati tapasya ka dhan adwati tapasvi adwati tapasvi hiranyakashyap brahma ji ko bhi divya drishti se dhundna para hai kahan hiranyakashyap wahan ghas jami hui thi uske upar kusha jama hua tha deemak ki bam lag gayi thi mantr mein tan hai tabhi to kisi devi shakti ki bhi samarth nahi thi ki usko prapt kar sake aise dular ka kya chahiye beta?
tumhen kya pasand hai? Kaha mujhe nau baten bahut pasand hai. Shri hari ke prati yah jo navdha bhakti hai shravanam kirtanam smrnam Vishnu pad sevnam archanam vandnam dasyam sh atma nived jaise saanp ekdam kud para ho aise shiv ekdam kya bola patak diya niche kyonki hari se dves karte the patak diya niche kisne shiksha di is balak ko tharthar kaap rahe hain kayadu ji sandamarga ji aae kuch samay ke liye hamen avsar dijiye ham shiksha pradan karenge balak hai buddhi sandamar ji panch varsh ke balak ko kam shastr ki shiksha de rahe hain aur bhi rajneetiyon ki kutneetiyon ki itne chatur shiromani hain ki jo wo bolte hain uska uttar tatkaal de dete hain mane padhai mein bahut truti hai aisa adhikar aur jahan hate dhyansth hai naam kirtan paraayan hai.
bhagwat rup mein dube hue hain. Kafi samay baad phir bulaya. Ab utna pyar nahi kiya. Haan beta tumhen kya pasand hai? Kya padha guru ji se? Sunao. To bhagwan ki mahmmahim baat sanda ye sikhaya. Bole prabhu aap jiski shpath le lo. Hamare yahan to charcha nahi hui hai. Kisne sikhaya tere ko? Prahlad ji se kisne nasha mativra spamtha masha pad rajo abhishekam nishkinna naam nitwat ai Daitraj bhav badal gaya hari se dves karta pita kaise ho sakta hai ye padhane likhane se buddhi nahi hoti ye mahapurushon ki charan raj abhishek se hoti hai ye hari mein jaisi meri rati hai ye padhane likhane mere guru devrshi andar ki baat bahar nahi bole mere guru devrshi narad ji ke kripa kataksh se hari prem jagrit hua ye padhane likhane se nahi bandi bana liya jae ise panch varsh ke balak ko adesh kiya hamare samne ise nukeele shastron se chheda jae mar dala jae wo shastr marte unki tvacha mein kahin kharoch bhi nahi hoti bole maharaj bade-bade nukeele astron se prhar kiya ja raha hai aap dekh rahe hain koi prabhav nahi parta hamare samne mat wale hathiyon se rauda diya jae.
hathi upar se kachar ke chale jaate. Prahlad ji aram se baith jaate. Aisa lagta hai jaise koi sukomal foolon ka sparsh kar raha ho. Marega kaise ye? Jahr pilao. Saanp se daswao. Parvat ke niche daba do. Bade-bade daitya aur parvat uthakar Prahlad pahar ka tukda bandhkar samudra mein phenk do. Mrityu bhi nahi chu rahi. Agni mein jalaya kuch nahi bal bhi nahi jhulsa kah rahe ved vidit Prahlad katha suni ko bhagat path pav dhare bole wo to Prahlad ji the satya mano prabhu ki drishti mein aap aur Prahlad ji mein itna antar nahi ye to dusre log antar kar sakte hain ki padha likha bachchha hai aur wo murkh hai lekin us maa se pocho uski chati mein barabar pyar hai har bachchhe ke liye pyar hai aise hi mere pita hai prabhu mere parmeshvar hai prabhu meri maa hai prabhu tum mata cha pita tum ho tum bandhu sakha tum ho tum vidya dravin tum sarv mam dev dev prabhu hamko waise hi pyar karte jaise Prahlad ji ko par ham vaisa prabhu par bharosa nahi rakhte jaisa Prahlad ji rakhte hain antar hamari taraf se prabhu ki taraf se nahi gaj udhar hari thapo vibhishan dhruv vichal kabahu na tare Ambrish ki saap surat kare aj mahammuni glaan kare kah rahe ki dekho Gajendra mahan balshali hai ye bal jante isko kahan se ho hari bhajan se August ji maharaj bhramn karte hue ja rahe the to dekha ye bhajan mein lage hue the.
aankh mund baithe na khade hue na pranam kiya na aisa. August ji nazdik gaye aur kaha rajan yah uchit nahi hai. Na tumhen kisi rishi ne adesh kiya hai. Tum rajdharma ka tyag karke aise na tumne guru sweekar kiya hai. Aur yahan ane par tum rishiyon ka swagat bhi nahi kar rahe ho. Hathi jaise baithe ho. Theek nahi hai. Bina kisi guru parampara ke updesh paye kisi Maharshi ke dwara bina adesh diye gaye apraj pad ka tyag kar aise aur kisi bhi rishi ka koi bhi swagat nahi tumhen dand milna chahiye jao garjaj yoni ko prapt ho bhale hi man yukt hokar bhajan kar rahe the guru ne hi kiya tha kisi mahatma ka adesh nahi liya par hari ka bhajan kabhi vyarth nahi jaata.
yah khas baat bhagwan ke bhajan mein hai. Wahi akar ke garjaj ke rup mein prakt hue. Samay aaya jab grah ne unko ye grah sabko pakdta hai. Kal rupi grah janm se hi pakar leta hai. Janm se hi maya pakar leti hai. Bhumi parwa dhavar pani tim ji maya laptani. Pure jeevan bhar prayas karta rahta hai apni vasnaon ki purti ke liye dukh nivitti ke liye lekin kabhi nahi nikal pata par usko hari ka prichay nahi isliye pukar nahi pata aur phir kal us par prhar karke agle janm ki vyvastha kar deta hai dukh hi grah hai aur yah dubo hi dega dukh samudra mein garjaj ne apne pure pure bal ka prayog kiya phir hathniyon ka sahyog hathiyon ka sahyog sab chale gaye akela wo jalchar jeev balshali aur hota gaya jab dekha ki marne ka samay aa gaya ab to isi jhaatke mein soond
bhi doob jaegi tab purv ka bhajan ye bhajan ki khas baat ek bar viram Krishna hari ka hai tumhen dubne nahi dega isliye kah rahe ek bar Radha bola hai tumhari durgati ruk gayi pujya shri Radha ek bar Radha Krishna bola mangal ki niv par gayi mangal ki niv par gayi to itni kimti jiski mahima hai naam ki phir ham chhodenge kyon ham to raat din japenege ek baat kah ki phir vishay chintan thodi karenge phir to isi ka chintan karen hari aisa je hi hari to ye dekha aap bahar aur uska udhar kar diya gaj udhari hari thap vibhishan koi sathi nahi vibhishan ka lat mara sabha mein bada updeshak banta hai.
jab lankadhipti jaisa lat mar de to usko sharan kaun de sakta hai? Yah bhi baat hai antarik lankapti virodh kar raha hai to koi devta bhi aashray nahi de sakta vibhishan ko ab kyonki maha balvan hai wo lanka mein bhi phir kaun unse halchal pooch sakta hai vibhishan ke paksh mein ab koi nahi khada ho sakta kyonki lankadhipti virodh mein khada ho gaya kya hua mitiya met kar diya vibhishan ji ko usi simhasaan par bhagwan ne virajman kiya aur apni aviral bhakti di nirantar bhagwat prem mein dube hue ab bhi vibhishan ji shasan kar rahe bhagvatik chintan se mast hote dhruv avichal kabahu
na tare avichal padvi par dhruv virajman amrish ji ko krutya prakt ki Durvasa ji ne bada bhay Durvasa ji ko hua aaj bhi jab yad karte hain to chati jalti hai maine amrish ji ke saath aisa kyon kiya amrish ji ki udarta dekhkar ke unko aansu aa gaye maine to itna pratikul vihaar kiya amrish ji jano kya bole the hath mein jal liya aur kaha aaj tak jitna bhajan punya aur bhagwat sevan hua hai us sab ka phal Durvasa ji ko pradan karte hain jo krutya prakt ki thi amrish ji ko marne ke liye sara bhajan pure jeevan ka Durvasa ji ko arpit kar diya aansu aa gaye Durvasa ji ke oo haridas mein itni samarth hoti hai maine apni tapasya ka prayog inko nasht karne ke liye kiya aur inhone apne bhajan ka pura ka pura phal mere ko dan kar diya.
yah bahut badi baat hoti hai. Abhi bhajan dene ki baat ave jo aap 100 200 mala 10 mala jo bhi kar rahe ho to aapko bhajan kaise de sakte hain? Pure jeevan ka bhajan de diya. Sudarshan ji shant ho gaye. Antardhan ho gaye. Durvasa ji charnon mein gire ki main nahi samjh paya hari charnarvind ke aashray walon ki aisi bhi mahima ho. Pure jeevan ka bhajan de diya to uska bhi to phal hota hai. Yah antarik baat hai. Bhajan karke jagat mangal ho to iska bhi to phal hota hai. Jagat ka ishwar uske adhin ho jaata hai. Jo pura ashrit nahi wo darega ki bhajan ham karen mangal inka ho.
lekin jo bhagwat ashrit hota hai wo janta hai ki Swami ko kaise prasannata prapt hogi. Bole charachar jagat mein sabke sukh ki bhavna karo to bahut jaldi bhagwan prasann ho jaenge. Yah antarik baat hai. To mahapurushon ka hriday sabka mangal. Jaise apne bete bachchon se pyar hota hai. Aise santo ko sampurn vishv se pyar hota hai. Sahab sukhi rahe. Koi bhi rog se yukt na ho aur apna bhajan sabko dete rahe. To bhajan to de diya. Ab kya hoga inka? Ab hari inke adhin ho jaenge. Kyonki apne bhajan ka phal wah apna nahi sab ka mangal chahte ho.
sab mein baithe hari hai to hari unko apni god mein baitha lete hain. Par yah wahi samarpit kar sakta hai jo hari samarpit hai. Nahi to itni takat kisi mein nahi ki apne bhajan ko dusron ko de de. Shodho kaha na kiyo sujodhan abudh aapne man jhare. Kya kya nahi kiya Duryodhan ne aisi vipatti se to koi nikal hi nahi sakta tha abhi prarambh ki hi baat thi Hastinapur mein pravesh hua jab pandavo ka maharaj pandu padhar chuke the bheeshma aadi ne swagat kiya aise sundar the kyonki devtaon ke devi ansh se prakt hue to aise dharmatma the ek-ek shabd ek ek chal ek-ek aacharan dharm yukt puri praja lattu ho gayi kuch hi dino mein panchon pandavo se.
yah dekhkar ke Dhritarashtra ke bhi hriday mein jalan hui aur Duryodhan bhi jal gaya ki jiski praja wahi raja banega aur raj mukut to pandu ke hi mathe par virajman tha. Unke padharne par Dhritarashtra ji ke bal par hua. To mukhya adhikari to yudhishthir hi aur praja bhi pyar kar rahi thi. Ab andar hi andar inki planning hui ki mata sahit ye panchon bhasm ho jae to akantak rajya ho jaega. Theek hai. Unhone bulaya ki varanavat mein bahut sundar sthan hai aur wahan ki praja ke paas apne logon ka jana nahi hota.
Dhritarashtra ji ne beta yadi kuch samay wahan rahte yahan dekhte hain puri Hastinapur ki praja tumse agar wahan ki bhi praja prem karne lagegi to unko bhi bada sukh milega aur aapka ek chhattar rajya ho jaega rajya to nahi par aapki jaisi agyaa ho aapki bade dharmatma the unko raji kiya haan ham tithi bataenge tumko kab jana hai tayyar ho gaye udhar unhone pura plan banaya ki ek mahal banao inke liye vishisht aur wo wo sab prajvalit agni karne wala hona chahiye. Jara si aankh chhute hi pura petroliyam se yukt hona chahiye.
bade hi agnidahak padaarth usmen gugal ye wo wo sab padartho ko moti moti deevalen upar se divar dikhae. Andar sab agni ko bhadkane wali vastuon se aise koi jaan na pave. Dusra koi karmchari wahan pravesh na kare. Bahar se aise raja hi the. Puri suraksha kar di. Sab samgri bhijwa di. Pura mahal tayyar kiya ja raha hai. Vidur ji ne vichar kiya ki itni chaturi se wahan mahal ka nirman kuch to gadbad hai. Unhone apne jo guptach char the unse kaha hamen sanshay ho raha hai ki jo pandavo ke liye mahal nirman ho raha usmen kuch na kuch to gadbad hai.
suchna hai ki aapka vichar pakka hai. Wahan pandavo ko nasht karne ke liye mahal banaya ja raha hai. Itni dahika shakti ko prajvalit karne wale padaarth lagae gaye hain ki koi bujha bhi nahi sakta. Ek saath pura bam ki tarah phat jaega. Pure sab mahal mein aag lag jaegi. Koi nahi bach payega. Theek hai. Vidur ji ne ek aise vishv kyonki mahamantri bhi the. Unhone vishwasneey aadmi ko apne fit kiya aur bhej diya un karmchariyon ke saath. Kaha jab wahan ka pradhan karya karane wala jante the wo jab vishram ko jaata hai so amuk jagah amuk khmbe ke niche se tum wo surang banana aur wo surang nadi ke kinare nikle jake ganga aur wahan se yahan tak ban jani chahiye surang bahar se andar se tum usko darwaza dena aur bilkul upar se khamba hi lage niche se surang wo bhim ke ek gada mein wo dhah jaega aur surang khul jaegi wo nikal chal jaenge.
aisa bilkul fit hua. Yudhishthir ji jab varanavat ke liye tayyar hue chalne ke sabse mile. Vidur ji wahan nahi mile. Ekdam ekant yudhishthir ji ko bulaya aur kaha wahan aisa dahika shakti se sampann wahan makan bana mahal banaya gaya hai. Ek jagah aag soegi to bam ki tarah pura phat jaega. Pura mahal aag se to kya bole ye marne ka hi upay karenge. Agar tum nahi jaate to bhi dusra karenge aur is samay mujhe pata hai ki aap bach sakte ho. Hamne surang ki vyvastha kar di. Itne khambe ki gintin karna. Us khambe mein jo wo amuk jagah khambha milega pura unko nakshe mein bataya.
iske niche se surang hai. Bhim isko gadha ke dwaar tod denge. Surang ka dwaar khul jaega. Tum nikal jana. Aisa vidhan ho gaya. Ab jo andar gaye bada utsav manaya gaya. Varanavat ke log ki hamare raja ke rajkumar aae. Pandu maharaj ke putr aae bada to us din bada utsav nagar ka rakha gaya to panch putro sahit ek dekho bhagwan ka vidhan ek jangli bheelni bhi ai hui thi uske panch jawan putr the bhojan milega aisa aisa wahi sanyog vasata wo wahi ruki khub accha bhojan paya aur wahi let gayi Bhimsen ko pura bata diya gaya tha aisa avsar pate hi Bhimsen ne vyvastha aisi fit kar li ki ab jana hai yahan se nikal ke jana hai.
wo soch hi rahe the itne mahal mein aag laga di gayi. To aag ki dur lapton se wo itne nind mein the ki panchon putr aur bheel andar ki taraf bhagi mahal ki taraf bachne ke liye mahal sabka shakti se wo aake usi mein bhasm ho gayi aur surang se nikal gaye aur dhahkar sab surang ka dwaar band aur ganga ke kinare ki taraf badh gaye. Jab wahan janch ki gayi to ek stri aur panch wo mare. Bada santosh hua kaurvon ko ki hamare dushman jinko ham bhav se dushman man rahe wo to mar gaye. Kaise bhagwan ne bachaya. Ek bar balwatsa vrikshon mein chadne wala khel khel rahe the.
to jab bhim ka number aaya ki chune to kurav chadhe hue the. Niche se pakda hila diya to sab aam ki tarah niche gir pare. Vichar kiya unhone ki agar yah jinda raha to kaun isse jit payega? Bole pehle isi ko maro. Kai jagah Bhimsen khane pine ko bahut swad rakhte the to khir ka nirman kiya gaya. Alag se unko pandavo ko bithala gaya ki inko to kabhi bhi char ko ye bahut balvan hai. Bhim isko do. Bhim se kaha tumhare liye ek vishesh khir bani hui hai. Aur bada pyar dular karke baitha lo. Puri kadhai ki khir kha gaye.
are brakodar aag jalti kitna bhi kha jae jab koi bhiksha maang ke late thela to adhe mein hote the Kunti ji aur ye sab arjun akele bhim ko aadha diya jaata tha tab wo kahte the aur nahi milega kya bole kabhi aisa avsar aaya unka pet hi vidh aur usmen halahal jahr tha turant sharir nila ho gaya phenk diye gaye ganga ji mein aur yah kisi ko pata nahi chala. Ye bhi fenke gaye to to ye sab bhagvatik shakti se sampann pawan putr hain. Koi sadharan thodi hai. Ek nag unko le gaya nag lok mein. Wahan wo parichit the. Dekha are ye to bheemdev hai.
bal bal avastha ke the. Haan hamen samjh mein aa gaya kaurvon ne aisa upay kiya hai. To jaise saanp kaat khae to kritrim jahr ke dwara use shant kiya jaata hai. Aise kritrim jahr ko shant karne ke liye unke paas jahr hai. Khatm jahr shant. Bole suno hamen pata hai tumhen marne ka upay kya hai. Ham tumhen aaj itna balshali bana dete hain ki kaurvon mein kya prithvi mein koi tumhari jod ka yodha nahi rahega. Ye 10 da hazar hathiyon ke bal se sampann amrit se yukt padaarth hai. Tum jitni kada pi pao 60 hazar hathiyon ka bal aa jae aise aise unko chhah kada pi gaye.
bole aram se so jao. So gaye sab pa bole ab koi bharat mein aisa nahi ki tumhen is avastha mein parast kar sake. 60 hazar hathiyon ka vishal bal unke phir ganga ji ke upar. Tabhi to dekh ke jalat ki marenge kaise? Bhagwan ke bhakt ko marne wale is baat se pareshaan ho jaate hain ki marega kaise? Aur ulta kya hota hai? Take nich jo meech sadhu ki so pamar te meech mare vansh ka vinash ho gaya unke. Prabhu prasad saubhagya vijay jas Pandav bariya bhare Hastinapur ke simhasaan par bhagwan ke bhakt ye Pandav jan hi raja hue beech mein bhale unko kitne kasht mile joi joi kup khago par kaha sosat phirte kup par yadi bhakt ke liye kuan khodoge to vans sahit usi kuan mein giroge jakar ke bhakt ka tum agar dukh ka vidhan sochoge to hari tumhen aisa dukh denge ki sapne sukh na sant drohi kaho surtar so vish pharan phare yadi kalpavriksha ke niche bhi uska vas ho jae jo bhakton ka nash chahta hai bhakton ko dukh
dena chahta hai to kalptar vish ke phal hi usko dega kabhi shanti pradan nahi kar sakta kyonki bhagwan ka das hai sapne sukh na sant drohi ko swapna mein bhi us shanti ko prapt nahi kar sakta hai ka ke dwa shish i ke jo hath jan ki seev chare kaun paida hua do khopdi wala aisa do shish wala jo bhagwan ke bhakt ki sima ko bhi chu sake [khansne ki aawaz] ye baat jab hriday mein baith jaegi na to chaudi chati karke ghumoge aa bas bhagwat dastv se bhagwan ke bhakt ka jo ahankaar hota hai wo jagat mangal karne wala hota hai.
main shyama Shyam ka hoon. Yah ahankaar hona chahiye. Garv hona chahiye. As abhiman jae jan bhore bh sevak Raghupath pati more ye garv hona chahiye. Is garb mein jante koi kamna tumhen parast nahi kar paegi. Tumhare andar koi daridrata nahi rahegi. Tumhare andar ye ghagiyana band ho jaega. Dekho to aap is garv ko dharan karke. Kaun hai do shish wala aisa is brahmand mein jo bhagwan ke bhakti ki sima ko bhi chu sake. Vishwas karo jab yahan wo kya aurangjeb aaya hua tha wo bahut atyachar kiye to kuch mahmmahim santo ka bhi usne vadh kiya.
[khansne ki aawaz] Vrindavan das chacha ji jab sune ki ghananand ji aur amuk sant ko talwar ki ghat utar diya gaya to bahut unke hriday mein dukh hua ki hari ye mujhse bardast nahi ho raha aapke vachan hai tab kisi ne unko bataya tha ki jab is shashak ke jan katne ke liye samne gaye to unka kaat dekh kaat karke tere astr kam karen. Wo donon hathon se talwar mar rahe chu bhi nahi rahi. Bhag pare ki ye to koi matlab kya hai? Bole aao aao maro aake. Ghananand ji aaj mahapurush aao aao koi unko bole dekho mujhe shri ji bula rahe hain isliye main ja raha hoon.
teri talwar mein dum nahi ki kaat sake. Aja aap tu mar mere ko. Aur aankh mund li. Sharir chhod diya aur sharir ko kaat diya. Wah aise nahi gaye the ki unke paas Vrindavan das acharya ji ko yah sab accha nahi laga unka aisa kaise ho sakta prabhu aisa nahi hai aapke jo jan hai Vrindavan vasi itne prem upasi aur aisa makshu ko itna power de diya ki wo itna kar le aur aapke jo das hai usi dukh mein aise baithe the ki bhav samadhi lag gayi dekha to shri ji hans hans karke ghananand naam se hi pukar rahi thi jisse prichay Vrindavan das ji jaan shri ji ki seva mein lage hue hai khub khel khel rahe muskura rahe hain.
shri ji Vrindavan das chacha ki taraf dekhkar mano ishare se kah rahe ye meri ichchha hi thi. Inko bulana tha. Nimit keval wo bana hua hai. Aisa kaun paida ho gaya jo bhagwan ke bhakt ko kasht de sake. Kisi nagreedas naval navaldas ji kis ke vishay mein aata hai rasikan ne mal mein ki unko bandh karke le gaya. Adhikari tha aur janjeeron se wahan bandh diya. Phir jab khol ke unko dand dene ke liye gaye dekha janjir padi Vrindavan phir bheja sainik phir bulvaya phir bandh diya kai bar to charnon mein gira maharaj kuch aapka ham kisi tarah se bair virodh nahi karte ham aap par dves nahi rakhte par yadi aap dand dene ki baat kahe to aap mein itni samarth nahi kal mein bhi itni samarth nahi ki mujhe dand de sake kyonki main Radha vallabh lal ka hoon isliye kal ki bhi takat nahi ki dand de sake vastvik baat hai jab hari apne bhakton ko bulate hain.
ab wo antim leela kya karte hain? Jaise odiya Baba ji maharaj are aise brahmaleen mahatma ko koi anguli se bhi chu sakta hai. Par unki antim dekho bhagwan antim leela mein ja rahe hain. Unke charan mein baan mar raha hai. Wo bahliya mar rahe hai na ye leela hai bhagwan ki. Is par apne ko aviswas nahi karna. Yadi yah baat satya hai to wo kaise ho gaya? Ye unki leela hai. Wo swayam ja rahe hain. Dekho na ja rahe prabhu viman aaya hua hai. To pehle us bahelie ko viman mein bheja ki kisi bhi tarah se hi tum hamare paramdhaam jane ka hetu ho rahe ho to pehle paramdhaam tum jao.
kitle kripal usko narak bhejna chahiye. Prabhu ke shri charnon ko mrig ka mukh samjhkar sidhe baan sandhan kiya. Prabhu ke charnon mein baan laga. Prabhu ne viman mein bailkar use paramdhaam bheja. Phir aap gaye. Paramdhaam leela mein shri lal ji maharaj shri Krishna dwarikadish ji maharaj ye leela dikha rahe hain ki antim to unke janon ki bhi kahin koi aisi leela dekhne ko mile to yah shraddha na karna ki yadi inme bhagwan ki bhakti hoti to yah likha satya hota. Agar yah likha satya hota to bhagwan ke bhakt ke saath aisa kyon hota?
ye kyon me ka uttar to keval hari hi jante hain. Par itna vishwas rakh lijiye ki yadi unka vidhan nahi hai to koi tumhen chu bhi nahi sakta. Tribhuvan mein hai kake dwa shish i ke jo hath jan ki seev chare sima nahi chu sakta marne aur iski to baat jane do tulsidas Raghuvirr bahubal tulsidas Raghuvirr bahubal sada abhay kahu nare abhay dand jisne prabhu ke charnon ka aashray le liya nirbhay ho jaata hai nischit ho jaata hai prabhu jaisa pyar karne wala koi nahi hai. Bhale ham nahi samjh pa rahe par hamare pritam hai.
itna ham hriday se sweekar karke hamen jo chahiye apne Swami se chahiye. Apne pritam se chahiye. Apne pyare se chahiye. Pyare ki dhya di hui vastu prasad hoti hai. Aur wo prasad dukho ka nash karke param anand pradan karti hai. Aradhya dev ke bal par nirbhay raho. Kabhi mat daro. Kyonki jo bhay dene aaya usmen bhi mera aradhya dev virajman hai. Wo soch bhi nahi sakta. Wah chal bhi nahi sakta. Wo kuch kar bhi nahi sakta mere aradhya dev ke siva. To agar prabhu apne jan ko apne paas bulane wali koi leela karna hai wo wo jane.
anytha anya koi samarth nahi ki uski sima ko bhi chu sake. Isliye chahe sankat nivitti ke liye, chahe dhan prapti ke liye, chahe bhagwan ko janne ke liye ya bhagwan mein bhagwat swaroop hokar unse prem karne ke liye hamen keval prabhu ka aashray lena hai. Prabhu bade kripalu hain. Wo hamari har chah ko purn kar denge. Shri Radha vallabh lal
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…