jab bhagwan har jagah hain, to hamen darshan kyon nahi dete? Karm aur akarm mein kya antar hai?03/04/2026
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tavairwindam premik makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugram nirvapay param shital mashyam param shital masya pyari ab kyon hoon kyon hoon ai hai pyar ab kyon hoon kyon hoon ai hai it tum shramit adhik Manmohan main koti jatan samjhai hai. Main koti jatan samjhai hai. Pyari ab kyon hoon kyon hoon ai hai utath karti bahut navnari taise ye nai thurai hai shri haridas ke Swami shyama kunj bihari karjori mon hoe dubre ki randhi khir kaho kaun khai hai kunj bihari kar jor maun hoe dubri ki randhi khir kaho kaun khai hai pyari ab kyon hoon kyon hoon ai hai suni dhun Murli ban baje hari raas racho hari raas racho sun dhun Murli ban baje kunj kunj dhrumbeli prafulit mandal kanchan manan khach man mandal kanchan khachit shri pyari jo pyare jo jis maharas mein nimgn hai sakhiya us ras ka pan kar rahi hain.
usi ras mein apne chitt ko lagane ki jo samarth nahi hai. Bade-bade rishi munio ki jahan samarth nahi hai. Apne logon ko us param pavan raas bhumi mein baithe ka raas ras ki rasaswadan vritti prakt hone ka avsar mila hai. Yah bahut durlabh ras hai. Jaan gaye ki main brahm hoon to kya? Wah to pehle bhi the, ab bhi hai, age bhi hai. Charcha uski bhi hoti hai. Lekin janne matra se kam nahi bana. Uska rasaswadan yah kathin vishay hai. Janne wale to ho sakta hai ki lakho mil jae. Par uska rasaswadan rati atma krida atmavan aise hi bahut se bhagwat avtaron ki charchaen bhagwat lilaon ki charchaen par maha prem ras mein dube hue shri Radha bihari ji ka pavan leela vilas usmen chitt ka lagna bahut kathin baat hai sadharan bhakti chalna ya vaidh siddhant se chalna karodon mein lakho mein koi aise ek lekin jahan bade-bade devta rishi bhakt bhagwan ke surat sakha nij jan inka bhi pravesh nahi hai.
us maharas mein apne ko akarshit kiya gaya. Yah keval gayan karne se aur mahan rasacharya jo ras ko prakt karne ke liye rasik mahapurush jan hamen apni sharan mein liye usi se prapt hota hai. Yah ras apna adhikar kar leta hai sadhak ke hriday mein. Kis samay kaisi dasha aati hai usko khud pata nahi. Ek sthiti hoti hai jismen kahin karta nahi rah jaata keval hota hai. Swayam mein dainya bhav ki baadh aa jati hai. Kahin kinchin matra aham nahi koi aham ki vritti nahi. Leela vilas prabhu ka swayam prakashit ho jaata hai.
usmen kahin kinchin matra swabal nahi, sadhna ka bal nahi, tap ka bal nahi. Kisi bhi prakaar ka jab tak bal rahta hai tab tak in lilaon ka gayan karne ka bhi saubhagya nahi milta. Agar aap saubhagya se gayan karenge bhi to aap pakar nahi payenge nikal jaenge. Pad ke pad nikal jaenge. Jab aapko aisa anubhav hoga ki main to gayan karne ka bhi adhikari nahi hoon is ras ka. Bade-bade mahapurushon ne bada gupt ras kaha hai ise. Abhi hamen iski mahima nahi pata hai isliye bahut halke mein le lete hain. Jaise gayan ho raha hai to ham apne chitt ko shravan mein na lagakar gayan mein na lagakar anyatra lagate hain.
par yadi ham kripa ka aashray lekar ke gayan karte rahe to siddh ek ek akshar aise mantr hain jo prem ras mein dubo denge. Inka arth kya hai? Hamari aapki kya samarth hai? Bade-bade mahapurushon ke liye durlabh ras hai jo iska arth hai jo iska bhav hai. Wo shabdartha nahi hai. Ye inka gadhartha hai. Rahasyartha hai. Wah gadh wo rahasya keval acharya kripa se jo sakhiya hain acharya rup mein unki kripa se spit hota hai. Jo likha hai wahi dekha ja raha hai. Jab dekha ja raha hai to samarth nahi hai. Na bolne ki samarth rah jati hai na kuch sochne ki samarth rah jati hai.
dekho swayam bihari jo maharaj itne mahmmahim samarthyshali kar jor maun hoe hamare shri ji ke samne hath jodkar ke maun hokar keval dainyta darshate hain. Dainyta ka bhav keval akhil koti brahmand nayak paraatpar ishwar jahan hath jodkar maun hokar keval agyaa palan ke liye dainya hai wahan hamari pahunch hone wali hai. Yadi ham apne saubhagya ko samjh pave pakka samjh lijiye yahan apna koi bal kam nahi karta. Yahan keval acharya kripa isht kripa wahi isht hai wahi acharya hai wahi Gurudev hai jaise gayan hua suni dhun Murli ban baje hari raas rachyo ab aapko wahi Vrindavan ki kunj nikunj netron mein jhalak rahi hai aur bihari jo maharaj apne adhon par ras ki mul Vanshi ras mul murlika anandini ras ki mul hai Harivansh mahaprabhu ne kaha kyonki swayam wahi hai isliye jankar ke varnan karte hain chale radhike sujan tere hit sukh nidhan raas racho Shyam tat Kalind Nandini nirtat yuvati samuh rag rang ati kutuhu bajat ras mul murlika anandini ras mul ras jahan se prakt hota hai jise ved kahte hain raso vai ras swaroop hai rasam hevayam landi bhavtu jo us ras ko prapt kar leta hai wah sadaiv anandmay ho jaata hai.
anand swaroop ho jaata hai. Wah ras jise ved kahte hain wo prakt ho raha hai bansi ji se. Ras mul murlika anandini. Adhon par Vanshi virajman hokar ke jab lal jo vadan karte hain to samasth premi jan jo braj sundari jan hai unka chitt aphit ho jaata hai aur sab kuch vismaran karke tyag vairagya uprati jinki pahunch nahi hai yahan tak usse bhi uchh koti ki avastha hai ai brajna nar sunat bansi ro grihapti bandhu bisare sidhe bansi ji ki kripa se sidhe darshan Madan gopal manohar manushaj tap nivare hriday ke manushaj tap ka nivaran karne wali banshi dhvani sab kuch bhula dene wali bansi dhvani shri Krishna milan ki prabal lalsa jaga dene wali bansi dhvani raas ras mein akarshit karke pravesh kara dene wali banshi dhvani jis raas ras mein param gyan samudra bhagwan shankar ek ratri ke liye gopi rup dharan karke pravesh pate hain.
wah raas ras bansi ji ki kripa se apne jaise adhmon ko prapt hone ka avsar hai. Yah jo pad hai yah leela hai. Ismen jo leela hai wah bahut vistrit hai. Jaise mantr bahut chhota hota hai par samarth itni hoti hai ki mantr ke adhishthatra devta ko adhin kar le. Jaise ankush bahut chhota hota hai par mat wale hathi ko adhin kar le. Aise shabd yahan jo prayog hai shri kemal ji Shrimad chaturashi ji aur bhi ras vaniyo mein ye aapko dekhne ko shabd lag raha hai par ye sab ras samudra hai chitt vritti mein jab yah leelit hogi to yahi dasha ho jaegi kar jor bhae rahe maun bas hath hath jode maun hokar uska ras aswadan kaun ras badho jahan boli boi bhari hari Priya do nahi hai ek param tatv hai wahi nirgun nirakaar ke liye prabhu jaisi wo aradhna karte hain vaisa hi anubhav ban jaate hain.
sagun sakar ke liye avatar liye hue prabhu ki jo leela hai wah spit hoti hai. Lekin yah nirgun sagun brahm te nyaro jo Priya pritam ka nitya vilas hai yah sabse vilag hai. Jab acharyon ki kripa hogi tab samjh mein aayega. Yah nitya bihari hain. Yahi se avatar hota hai. Par inka vihar nitya nirantar chalta rahta hai. Aho bhagya aisi upasna mein chitt jod diya gaya. Ab hamen chahiye ki hamare man ki jo chanchalta hai, jo vrittiya hai, ham mein jitni samarth hai, ham usko samet ke do baat mein laga den.
kah vani Harivansh ki kah Harivansh naam ya naam jab chal raha hai ya vani gayan chal raha hai gayan ho raha hai aapki samjh mein nahi aa raha tab bhi dhyan purvak shabdon ko sunie ye shabd hriday mein jake nirvikarta paida kar denge. Isi nirvikarta se Priya pritam ke prem ras ka rasaswadan hone ki yogyta aati hai. To aisa nahi ki jo nirvikaar hai wah Priya pritam ke prem mein prapt lilaon ka anubhav kar le. Aisa nahi hai. Par yahan ki nirvikarta acharya kripa se leela mein pravesh kara deti hai.
aisa nahi koi jitendra hai nirvikaar hai to leela mein pravesh pa jaega. Wo shri ang seva ka saubhagya prapt kar lega. Agar aisa hota to yah shlok na gaya jaata ki y Narda su agamyam inke liye agamya kyon kah diya gaya? Ye to ishwar koti ke mahapurush hain. Acharya kripa se bhagwat eeshwarya ka vismaran atyant priyata mere shyama Shyam yah kripa se aata hai. Nirvikaar sthiti mein bahut shighr leela ka smurna ho jaata hai. Isliye yahi nirvikaar bhi karegi leela. Jaise jaise aap leela ka gayan karenge to jo bhari dwaand hai sab apne aap mit jaenge.
jo bahumaan kare ko mero ke bahumanat na bai jo apman kare ko ku ke apman nahi lagtai. To aapke upar ye man apman ka prabhav kyon nahi par raha? Sevak ji kah rahe mere upar nahi par raha. Jo bahumaan kare ko mero bahut mera koi man kare to hamen koi harsh nahi hota aur bahut koi apman kar de to hamen koi shok nahi hota arthat main man apman harsh shok sukh dukh shatru mitra labh hani jai parajay in dwandon mein nahi hoon. Arthat inka prabhav mere upar nahi hai. Kyon? Aisa kyon hai ki aapke upar in dwandon ka prabhav nahi.
bole shri Harivansh gira ras maajh magan sab paye. Main har samay vani ji mein duba rahta hoon. Harivansh gira Shrimad chaturashi ji ka main gayan aur chintan karta rahta hoon. Uske prabhav se na hamen man ka na apman ka na labh ka na hani ka na shok ka na harsh ka. Inka koi bhi bhan hi nahi hota. Koi man kare ya apman kare. Shri Harivansh gira ras sagar ye ras samudra hai. Maajh mane beech mein ham anukul pratikul mein nahi. Jaise nadi ke do kinare hote hain. Kul mane kinara aur madhya mein ras hai aur kinare kinare mein anukulta pratikultaa labh hani sukh dukh man apman ninda stuti to inke kul mein nahi hai ham madhya mein hain.
ras mein hai to ye kinare dwaand ate rahte hain. Unka koi prabhav nahi par pata. Jo vani ji ka nirantar gayan aur chintan shravan hai. Yah bahut jaldi prem ras prakashit karta hai. Yah guru kripa se pata chalta hai. Pehle agyaa ka palan karne ke liye bilkul tatpar rahe. Niyam purvak gayan karen. Bada saubhagya hai ki aap log vani gayan mein baithe hain. Isi se shri ji jaegi. Aap mano yahan kripa se sab kuch ho jaata hai. Bahut jaldi Priya pritam ki leela spurit hone lagti hai. Ye shri Sadgurudev ji ke vachan hai.
jo ras siddh mahapurush hain. Ye unke vachan hai. Vani gayan vani ka chintan aur vani ki lilaon mein pravesh ye vani hi ji kara denge. Ye jaise aapko sunne ko mil raha hai aho bhagya hai. Brahm muhurt ki bela aur ras siddh pado ka shravan Priya pritam ki charcha siddhant ki charcha ab to hamara mangal hai hi ab to hamara param kalyan hai hi hamare upar Priya pritam ki asim kripa hai suni dhun Murli ban baje hari raas racho kunj kunj dhrum bel prafulit mandal kanchan manin khach hari raas racho nirat jug kishor juvti jan kaisi kripa ki varsha hoti hai nij janon par nritat jugal kishor Swami nritya kar rahe hain.
aur unke charan ashrit iska pan kar rahe hain. Socho aap to maya janit nritya mein raji hain. Maya janit hav bhav nritya ne aapke chitt ko cura lete aur ekdam samadhan mano ho gaya ho samadhi mein sthit ho gaye ho aisi dasha ho jati hai aur yahan to sakshat prem murti Priya pritam anant bramhandon ke Swami aur rasaswadan charan dasiyan kar rahe hain aur sarkar nritya kar rahe hain. Jinki charan nakh kant prakt ho jati hai to shivadi mahapurush tandav karne lagte hain. Wah sakshat bihari bihari nritya kar rahe hain.
adbhut sangit baj raha hai. Sakhiya rasaswadan karti hai iska. Ye brahmanand mein kinchin matra nahi hai sukh. Jis sukh ka rasaswadan shri dham Vrindavan ki kripa se rasik janon ki charan dhali ke pratap se milta hai wo kahin bhi nahi samadhi mein bhi nahi hai. Kyonki in samadhiyon ki prapti shripad prabuddhand aadi bade-bade mahapurushon ko hui. Wah bhi unka tyag karke Vrindavan prem ras samadhi mein sthit hue. Nirtat jugal kishor juvti jan man mil rag kedaro machyo shri haridas ke Swami shyama kunj bihari neeke aaj pyaro lal nacho kunj bihari ni ke aa pyaro lal nacho suni dhun Murli ban baji hari raas racho shripad bodhanand ji maharaj kah rahe hain aisi maha mahimamay rasmay raas bhumi ki prapti yadi aapko ho gayi hai to tenakar samasth ev bhagwat dharmop tenabhut kaise batave shri ji ki kripa ki baadh hai aur hamari dushtata ki donon ki hod lagi hui bhi hai.
wah hamen ras ki taraf khinch rahe hain. Ham vishay ki taraf ja rahe hain. Wah hamen bandho se mukt kar rahe hain. Ham swayam ko bandhte ja rahe hain. Jabki aisa sahyog milne par hamen mukt ho jana chahiye. Par ek taraf hamari dushtata ki baadh hai aur ek taraf ladli ji ki kripa ki baadh hai. Donon ki hod chal rahi. Sachchi maniye ham had kiye ja rahe hain. Hamara man, hamari indriyan, hamara chitt prabhu se vimukhta ki taraf aur wo hamko apni taraf ghasit rahe hain. Bas unki kripa hi kripa hai. Agar unki kripa na ho to sachchi kahte hain.
ek bar bhi koi Radha nahi bol sakta. Aisa maya ka durant prabhav. Ek kadam bhi prabhu ki taraf nahi chal sakta. Aisa akarshan maya ka yadi hamare upar kripa na hoti ham sabke upar to yah saubhagya na milta. Kitni badi vastu mili hai. Are yahan ho gaya sadhan. Jo vastu mili hai uska agar swad karne swad lene lago. Garv karo is baat ka ki hamen kaun si vastu mili. Ek ek shabd jo hai wah hriday ko vikal karta hai ki kahan hamari pahunch thi yahan tak jaise ham jante nahi hamko bada kimti hira mil gaya jab jahri ne uska keemat bataai par tab laga ho bhagya to ham jante nahi the ki hamen anjane mein bhi kya mil gaya aise Gurudev acharya jan mahapurush jan johri hai hamen batte hain ki hamen hamen kya kimti vastu mili?
yadi ye jahri na mile to sadharan kanch uthakar ke hire ko phenk de. Aisi hamari buddhi hai. Hai aisi hi hai. Paye ratan cheeno nahi deeno karte dari. Ye maya shri Krishna ki moho sab sansaar ratan ko phenk ke kanch utha lena. Yah ham logon ke swabhav mein hai. Par wo to jab jahri bata deta hai hosh mein yah bahut kimti vastu hai jise tum kanch ke badle mein le rahe ho. Bahut kimti vastu hai. Dekho suno tumhen kya mila hai? Jahan baithe ho tumhen kya mila hai? Iska phal kya hoga? Kah rahe tenakar samasth ev bhagwat dharmo tenabhut sarwasmat purusharth top param kaschit karastha krita tenadha samasth murdhan padam brahmadastam naman tya deha dhare vasto shri Vrindavane nishchayam bahut durlabh baat mil gayi.
dhyan se suno. Jisko Vrindavan ane ko mil gaya, Vrindavan kuch din rahne ko mil gaya, uske to bhagya hain hi. Par is shlok mein kah rahe hain ki uske mahabhagya hai jinko Vrindavan ka vas mil gaya aur usne nischay kar liya ki main Vrindavan mein hi murunga. Yahan tenakari samasth ev bhagwat dharmo tenata usko jisne nischay kar liya hai tya dehant madhan vasto shri Vrindavan nishchayam meri deh ka pat isi Vrindavan mein hoga dridh nischay isse praarabdh badal jaata hai jaise hamare bhagya mein janm se lekar mrityu tak ka likh likh gaya hai.
aap amuk jagah marenge. Praarabdh mein likh gaya. Kisi ke praarabdh mein dham naam rup leela ka sanyog nahi likha hota. Dhyan rakhna. Praarabdh do hi prakaar ka hota hai. Ek shubh praarabdh, ek ashubh praarabdh. Shubh praarabdh punyamay sukh pradan karne wala, ashubh praarabdh, paap mein dukh pradan karne wala. Aur wah sab prakriti ke antargat hota hai. Paramatma swaroop dham naam rup leela kripa se prapt hota hai. Yah praarabdh se nahi prapt hota hai. Shri Radhika kripa bin sabke manan agam mein yahan pravesh pane mein aur akhand vas mein to jinko vrinda vipin hai kripa ta nahi ki hoe.
jab tak ladli ji ki kripa nahi hoga to yah hriday mein hi nahi aayega ki main vas karun. Vas karne ki to baat jane do hriday mein nahi aayega agar aapko vas mil gaya tya dehant madhan vasat shri Vrindavan nishchayam yah nischay kar liya ki ab apne sharir ka pat Vrindavan mein karenge to praarabdh palat gaya jo praarabdh likha tha ki tumhen amuk jagah jakar marenga wah sab nasht ho jaega. Is sankalp se nasht ho jaega. Kya prapt hota hai? Jo deh tyag purvak Vrindavan ka vas sweekar karta hai use kya prapt hota hai?
to bole samasth ev bhagwat dharme tena bhata bhagwat dharm ki samasth mahima usmen swayam prakashit ho jaegi. Dham vas matra se bhagwat dharm kise kahte hain? Man se, vachan se, karm se, indriyon se, ahankaar se, anek janmon ki swabhav se jo jo karm ho rahe hain, wah sab param purush bhagwan narayan ko samarpit kar dena. Nirantar bhagwat chintan karna. Ise bhagwat dharm kahte hain. Bhagwat samarpit karm aur bhagwat chintan swabhavic Vrindavan dham ke vas ki kripa se jagrit ho jaega. Shripad kah rahe hain par jisne yah nirnay le liya hai ki apne sharir ka tyag Vrindavan mein hi karunga age use bole tenabhta sarwasmat purushartho param kaschit karasta krita uske hath mein ye charon purusharth aur param purusharth ye panch aa jaate hain.
char purusharth dharm arth kam moksh pancha param purusharth prem dev yah chij Vrindavan ki kripa se shraddha aur vishwas karo ye jo shastr mein likha hai jo mahapurush kah rahe hain aksharsha satya hai ye keval lubhane wali phal stuti nahi hai ki kisi path mein rag paida karne ke liye anurag paida karne ke liye phal stuti likh di gayi ho aisa nahi jaise phal stuti ka swaroop hota hai ki jo ham path kar rahe hain uska kya phal hai. Aise likh dene se hamare hriday mein us path ki ruchi paida hoti hai. Iske karne se itna itna milta hai.
to phal stuti ruchi wali nahi hai. Yah jo vastvik param satya hai wah varnan kar rahe hain ki jisne maran paryant Vrindavan ka niyam le liya akhand vas ka uske hriday mein samasth bhagwat dharm ka jagran ho jaata hai. Dharm, arth, kam, moksh charon purusharth prapt ho jaate hain aur param purusharth uske hath mein aa jaata hai. Prem tenadha samasth murdhan padam brahmadastam naman aur bade-bade devtaon ke sahit swayam brahma ji uske charnon mein namaskaar karte hain. O brahmadastam naman usko namaskaar karte hain jo akhand dhamwasi Vrindavan ki rahni se rah raha hai jismen samasth bhagwat dharmon ka jagran ho gaya hai.
jo arth, dharm, kam, moksh aur prem panchon purusharth ka adhikari ho gaya hai. Use samasth devta aur brahma ji namaskaar karte hain. Keval yah niyam le liya ki aaj jeevan Vrindavan vas karunga aur is deh ko is pavan bhumi pe dhul ban jae samarpit kar dunga. Ye bahut badi mangalmay baat ban gayi hai. Jise aap log mahatva nahi de rahe hain. Bahut badi chij mil gayi hai. Gyan vigyan ki baten karte raho. Man ka akarshan dekho. Vastvik imandari se dekho. Gyan vigyan ki baten karne se man nahi rukta. Nij sukh bin man ho ki thara bina bhagwat sukh ke man sthit nahi hota.
aur bhagwat sukh ye kripa se hai. Koi birla ye baat samjh pata hai ki kripa se yah gun sadhan te nahi hoi. Tumhari kripa pao koi koi badi mahima ye charon purusharth ke liye bade-bade lage hue hain dharm arth kam moksh ke liye yahan swabhavic dham vasya to kah rahe jinka hriday pavitra hoga jo thoda bhagvatik honge unki baat kah rahe honge shripad kah rahe nahi ushmap hari bhakt nana Durg nishthapya dhamam adhmam ushap hriday kaisa hai bole ushar bhumi jaisa ushar bhumi mein chahe jitna khad pani laga do usmen tan nahi jamega ush varsh tan nahi jama nahi jamta bole hari bhakti ke liye uska hriday ush bhumi ke saman hai ki chahe jitna samjhao sikhao padhao wo ush bhumi samjhna hi nahi chahta matlab ankuran hi nahi hoga bhakti ka aise hriday wala hai durmarga nishth gande marg ki nishtha hai uske andar jaise bhakti nishtha naam nishtha nishtha purvak bhakti kar raha hai nishtha purvak naam jap kar raha hai aise wo kaisa hai bole durmarga nishtha wo nishtha purvak paap aacharan karne wala raha hai.
yah keval dham ki hi kripa ki baat hai. Nishtha purvak shripad kah rahe hain nana prakaar se dusht aacharan jo nishtha purvak karta raha jiska hriday usar bhumi jaisa hai. Vrinda vipin machintyam prabhav suno mere Vrindavan ka achint prabhav aise ke bhi hriday mein mumad premna premmad paida kar dega ye baat dham ki kripa adbhut dham ki kripa yahan phire swarth apne bhajan gahe phire ba aur desh ke basat hi ghatat bhajan ki baat Vrindavan mein swarth ulat bhajan hoe jat yahan swarth ke liye ja rahe ho Vrindavan mein bhajan mana jaega dosh karo ham gun le sahi sarwa dhamo durlabh vastukakshi vrinda tavi mujjal bhakti sar beejam kada prapt bhava purn main nikhil dosho ki khan hoon.
mere mein lesh matra gun nahi hai. Jitni adhamta hai wah sab ham mein hai. Isliye main sarwadham hoon. Par mere hriday mein Vrindavan vas se ek akanksha jo badi durlabh hai wah jagrit ho chuki hai. Priya pritam ki ujjwal prem rasmei dasata main kab apne ladli lal ka apne hath se shringar karun. Kab bhog lagaun? Kab unki pratiphal paricharyaa karun. Yah saubhagya hai. Mujhe vishwas hai ki shri dham ki raj meri is kamna ko purn kar degi. Vrindavi mujjal bhakti sar bij kada prapt bhavam purn yah jo mere hriday mein kamna jagrit hui hai aho bhagya dhanya bhagya us hriday ka jiske hriday mein Priya pritam ki seva ki kamna jagrit ho gayi hai ye dham ki kripa se bhagwat premi mahatmaon ki kripa se seva bhav jagrit hota nahi aur sab lekin seva bhav jagrit khub gyan gyan ki nagri se hi aae khub gyan batchit bahut yah jo Priya pritam ke Shri ga ki seva ki bhavna hai yah badi durlabh hai.
yadi aapko thodi bhi seva mil chuki hai to usko gavana nahi. Yahi kram kram karke aapko pahuncha degi. Lal ji maharaj kahte hain ki bahut yugo se main sadhna kar raha hoon. Pyari jo aapki seva ke liye kram kram kari ladhe aaj mujhe mila hai aapki seva ka avsar. Bihari ji maharaj kah man jao to jaan jaoge jaan jaoge to nihal ho jaoge. Yah jo Priya pritam ki Vrindavan mein seva hai jo aap jugal sarkar virajman karke ya Radha naam virajman yah sakshat seva hai yahi aapki divya seva mein pravesh vritti ho jaegi kara degi jo aap pragat seva kar rahe hain yahi aapko divya seva mein pravesh chidanand seva mein pravesh kara degi bhav iska dosh karo ham chahe jitne dosh ho harna nahi ham aapko hriday ki baat kahte hain.
aisa koi na samjhe ki char din ki sadhna se dosh sab nasht ho jaate hain aur mahatma ho jaata hai. Bhram mein mat rahna. Jiske tum ho usi ki maya bahut unchai tak iska pravesh hai. Jahan garv karoge wahin tumhen maya apna prabhav dikha degi. Yahan se jo nikal paya hai wah bahut dainya hokar nikal paya hai. Danya ke liye maya maa ho jati hai. Thoda bhi aham wo maya ke dwara jarur badhit hoga. Badha uske jeevan mein pahunch jaegi. Aham bahut kadva hai. Isi se sab jivit hain. Isi aham se isi aham mein sab sukhi apne ko man rahe hain.
garv yahi aham jab prabhu ke charnon mein lagega tab sukh ka prichay milega. Isliye sukh ka prichay nahi milta. Kal ek kahin wo gyan ki baat kah rahe the ki jab sab brahm hi hai yah baat satya hai to phir wo bahut santo ki avhelna ninda kar rahe the sab sant tab lag raha tha ki iski durgati pakki hai ye kaun se gyan ke bhram mein bhtak raha hai kabhi-kabhi agyaan ko ham gyan samjh lete jaise swapna mein dekha ki ham so rahe the ab jag gaye hain. Wah swapna mein dekh raha hai aur ab main amuk cheshta kar raha hoon. Lekin wah swapna mein hi dekh raha hai.
wo abhi jaga nahi aur jab jagega tab use samjh mein aayega ki wah bhi swapna tha. Aise hi agyaan hai. Kisi ki bhi ninda aadi ka dosh andar hona agyaan ka pratik hai. Gyan mein jab sarvatra brahm hai to ninda stuti ka koi aur wahi brahm main hoon to ninda stuti ka koi sthan hi nahi. Bina guru kripa ke vedant padh lene se koi gyani nahi ho jaata. Ye mahan vedanti mahapurush hai jinke vachan sun rahe ho. Kah rahe hain yadi aap dosh karo wo to aham kah rahe hain main mein mahapurush apne ko le baat karte hain to bhi aap chinta mat karna yadi gun lesh heena lesh matra bhi gun nahi hai tum mein to chinta mat karo sarwadhmo yadi sab adhmon mein bhi aap bade adham hai to bhi aap chinta mat karo durlabh vastu kashi tumhare hriday mein durlabh prem ras ki akanksha paida kar dega.
vrinda tavi mujjal bhakti sar shri dham Vrindavan aao Vrindavan ka sevan karo to ujjwal prem lakshna bhakti ka pradurbhav ho jaega. Bhavam purn aap purn purush ho jaenge. Aap purn ho jaenge. Aap tript ho jaenge. Janm janm ki pyas aapki mit jaegi. Jab bhagwan sarvatra hain to hamko kyon darshan nahi dete? Bahut mangalmay aisi vritti aa jae jiske andar ki jab hai kaha ja raha hai roz suna ja raha hai vasudeva sarwamti bhagwan Vasudev hi sab rup mein hai shri Krishna swaroop mein virajman hai to mere ko kyon nahi dikhayee dete hai to sarvatra bahut sundar baat hai agar aap ise samjh le dhyan se sunna bhagwan ne jo yah shlok kaha yathama prapadte taath bhajamyam mam vartman warte manushya Parth sarvsa bhagwan yahan kah rahe hain ki main sansaar mein sakshat virajman hoon.
maya se dhaka hua nahi. Sakshat jyon ka tyun ye sab bhagwan bane hue hain. Jaise kumhar nirman karta hai patron ka to kumhar alag, chak alag, patr jisse bane wo dhatu alag. Lekin yahan aisa nahi hai. Yahan banane wale bhagwan, banne wale bhagwan aur mitne wale bhi bhagwan. Wo apne aap se apne aap mein leen ho jaate hain. Apne aap se apne aap ka vistar kar dete hain. To mujhe kyon nahi dikhayee de rahe? Jab sakshat bhagwan hai bahut sundar hai. Magar samjh jaoge to bhi anand aa jaega. Mujhe kyon nahi dikhayee de rahe?
to kah rahe bhagwan ke rup mein tum dekhna kahan chahte ho? Apne ko sharir man karke apne liye jo jo chahiye wah wah dekh rahe to bhagwan usi rup mein aapke paas hai. Aapne bhagwan ko bhagwan ke rup mein kab dekhna chaha? Yah prashn apne andar phir uttar tumhen mil jaega. Isiliye nahi dikhayee dete. Sarvatra bhagwan hai to mujhe kyon nahi dikhayee de rahe? Bole sab kuch swayam bhagwan bane hain. Par hamne apne ko stri mankar, purush mankar, sharir mankar apne liye jo priy hai, bhog priy hai, vastu priy hai, pad priy hai, saman jo jo to mere bhagwan wahi wahi aapke samne rup rakh ke aa rahe hain.
aap dekh rahe hain. Mujhe ghadi ki avshyakta hai. To ye ghadi sakshat shri Krishna hai. Na yah pehle thi na baad mein rahegi. Vartman mein wahi hai jo pehle the aur baad mein rahenge. Beech mein bhi wahi hai. Pakka unki darshan vritti tumhare andar nahi hai. Tumhare andar hai vastu vyakti sthan ke rup ki sanidhy ki. To tumhare paas jo jo vastu vyakti sthan hai wo swayam shri Krishna bane hue hain. Par tumne kabhi shri Krishna nahi mana. Tumne patni mana, pati mana, putr mana, vastu mana, padaarth mana, ghar mana, drishya mana.
isiliye bhagwan tumhare netron mein rahte hue bhi dikhayee nahi de rahe. Ham bhagwan ke dwara vistrit kiye hue apne swaroop ko bhagwan ne apne swaroop ko ham use nahi dekhna chahte. Ham apni chah wali vastu chahte hain. Jo chah karoge hari usi rup mein aapko jaise aap jab kisi mahapurush ka prabhav sunte hain to lagta hai aisa kaise ho sakta hai? To aapko batayen yah sab kuch bhagwan bane hue je bhi tanmay hokar sochta hai jitni tanmay ki ab iski jagah yah hona chahiye to bhagwan ye tha mam prapaddyate ta bhajamyam bhagwan usi samay usi rup ka tyag karke wo rup dharan kar lete hain jo wo sankalp kiya ab aapko dikhayee de raha hai abhi to mike rakha tha aur abhi yahan amuk vastu aa gayi ye to bada chamatkar ye chamatkar nahi hai ye tanmayata hai.
aap mein kaun si siddhi hai? Lekin aap jo chah rahe hain bhagwan wahi rup rakh rahe hain. Bahut sundar baat hai. Ye shayad aap samjh paye. Jaise balak khilauna chahta hai to mata-pita yadyapi use god mein baithana chahte hain par hatkar use khilauna de dete hain. Aise hi param dayalu bhagwan yadyapi apne ko pradan karne ke liye tumhen manav janm diya par tumhen khilauna chahiye. Vivid prakaar ke khel khalne ke liye to unhee khilone ke rup mein shri bhagwan aa jaate hain. He aaj tum jinse jo bartaav kar rahe ho sidhe bhagwan se kar rahe ho kisi aur se nahi kar rahe.
agar hamare andar chah mit jae to bhagwan kabhi bhi bhog aur vastu ke rup mein tumhare samne nahi banavti rup nahi dharan karenge. Sacchidanand rup se prakashit ho jaenge. Goswami ji ne isi baat ko dohe mein kaha ja na chah kabahu kachu tum san sahaj sneh bashu nirant tas sur sora ur nij geh jise kabhi kuch nahi chahiye uske hriday mein nirantar bhagwan ka vas hota hai gupt rup se nahi prakt rup se to jidhar dekhta hai use jad chetan jag jeev jat sakal Ram main jani bhagwan bade kripalu hain. Jo bhagwan par shraddha rakhte hain, wah to kripa ka anubhav karte hain.
par jo bhagwan ki ninda karte hain. Bhagwan un par waise hi kripa karte hain jaise shraddha rakhne wale par kripa karte hain. Jeev ka durbhagya hai ki wah bhagwan ke akarshan se rahit hokar ke bhogon ke akarshan mein hai. To bhagwan bhog rup bankar ke hain. Kyonki jab vasudeva sarvam siddhant hai waise param satya siddhant vasna vasudevas vasitam bhatra sarvabhut nivasosma Vasudev namostute jeev ka durbhagya hai ki wo ichchha kar raha hai. Agar ichchha bhogon ki tyag de to abhi sab bhagwan hi bhagwan bane hue hain.
yah anubhav mein aa jae. Sachchi baat aur wo jeevan mukt ho jae. Bhagwan mein akarshan bhagwat bhav se ho jae to yahi bhagwan bane. Anubhav mein aa jaega. Jab bhagwan mein akarshan bhog bhav se ho raha hai to bhagwan bhog rup se aa rahe hain. Vyakti rup se aa rahe hain. Padaarth rup se aa rahe hain. Rag dves ki vritti to bhagwan mein rag dves ki vritti ham kar rahe hain. Ye bhagwan hi hai charachar jagat. Jab bhakt bhagwan ki taramta mein bhul jaata hai sab kuch to bhagwan sab kuch bhul karke vaisa hi pyar usse karte hain. Jaise vidurani ji bhagwan ke akarshan mein bhul gayi to bhagwan bhi vidurani ke prem akarshan mein bhul gaye.
vidurani ji chilka khwa rahe. Bhagwan chilka pa rahe hain. Yatham prapadte ta bhajam astik se astik vyakti par jaise bhagwan sneh kripa dular karte hain aise nastik se nastik par bhi karte hain. Aisa nahi hai ki nastik bhasm ho jaega. Wo prithvi mein hi rahega. Vayu usko milegi. Akash usko avkash dega. Ye sab bhagwan ki vyvastha aur kitne kripalu hain. Agar jeev sharira abhimani na hokar ke bhagwan ke akarshan mein aa jae to abhi usko parmanand ki prapti ho jae. Ye jo satsang ho raha hai akarshan paida karta hai bhagwan ki taraf.
jab bhagwan ne bataya mujhe jis bhav se sweekar kiya jaata hai main usi bhav se uske anubhav mein aata hoon. Yathama prapadte ta bhajamyam dhyan rakhna aaj aap putr bhav patni bhav sansaar bhav to bhagwan ye anubhav kara rahe hain sansaar bhav aur abhi yah bhav andar se nikal jae bhajan aur satsang ke prabhav se bhagwat bhav aa jae to tum patni mein dekhoge muskurate hue shri Krishna tum putr mein dekhoge muskurate hue shri Krishna jaise namdev ji ne kutte mein dekha bhagwan vitthal bhut mein dekha bhagwan vitthal to ye kyon aise karunamay bhagwan ka log aashray kyon nahi le pa rahe?
jab bhagwan itne kripalu hai ki nastik se nastik par bhi kripa karte hain to log bhagwan ka bhajan kyon nahi karte? Anannya kyon nahi ho jaate bhagwan shri Krishna ke? Nirantar bhagwan shri Krishna ki aradhna kyon nahi karte? Kyon bhtak rahe hain? Jab itne kripalu bhagwan hain to sab koi kyon nahi bhajan karta? To bhagwan uttar de rahe swayam kakshata karmana siddhim yaj devta chhip manush loke siddh bhavti karmaja ye chah bhatka rahi hai dhyan rakhna ka kamna chah bas dhyan dijiye paramarth bhagwat swaroop bhram swaroop maya brahm swaroop maya ke marg mein chal rahe hain.
iski pehchan char ek shabd mein abhi aap maya ke marg mein hain. Pehchan chah kiski? Bhogon ki. Sharir sukh ke nana prakaar ke laukik chah to aap maya path ke pathik hain. Akanksha akanksha paramarth ka pathik chah donon mein chah chah shri bhagwan ke bhajan ki chah bhagwan ke darshan ki chah sansaar se mukt ho jane ki chah Priya pritam ki shri ang seva ki donon mein chah hai dhyan rakhna ek chah param durlabh paramarth ki aur ek chah jismen anant jeev fanse hue pravahit hote chale ja rahe hain. Usi ke baad bhagwan kah rahe ki meri sharan mein kyon nahi ho pata?
main itna karunamay hoon phir bhi meri sharan mein kyon nahi ho pata? Kakshata karnam siddhim yajte devta. Yah kamna karke sochte hain ki yah karm kar lun to mujhe yah siddhi prapt ho jaegi. Yah phal prapt ho jaega. Isiliye wah devtaon ki aradhna karte hain kyonki is manushya lok mein karmon se jaldi phal mil jaega, siddhi mil jaegi. Aisa unko bhav hai. Isliye meri sharan mein nahi hote. Bhav ka karmana siddh yajti devta manushya mein karne ki shakti hai dhyan rakhna yahi prabhu ka nahi hone deti bada sukshm vishay hai ye agar samjh pao kuch baten hoti hai jo ekdam hriday par shabd nahi milta karne ki shakti ko hone mein aa jae.
yah Gurudev karate hain. Karne ki shakti mein ham sambandh banate chale ja rahe hain. Kriyaen karte chale ja rahe hain. Shubh ashubh kriyaen hoti chali ja rahi. Phaaste chale ja rahe hain aur hone ki Gurudev ki kripa shakti to samarpit hote chale ja rahe hain. Ye jo karne ki shakti hai ismen naveen karm ho rahe hain aur manushya ke antahkaran mein dridh baat baith gayi hai ki main yah karunga to yah phal mil jaega. Yah karunga to yah phal mil jaega. Wah sansarik vastuon ki chah rakhta hai. Isliye karmon par vishwas rakhta hai.
yah karm karunga to yah phal mil jaega. Agar kahin bhagwan ki bhi baat aati hai prapti ki to usko bhi yahi baat aati ki jaise karmon se har phal mil jaata hai aise karmon se bhagwan bhi mil jaate hain. Nashvan padaarth ki kamna aur nashvan sharir se kiya hua karm yah to ho sakta hai. Lekin nashvan sharir se kiya hua karm tumhen bhagwat prapti kara de. Ye nahi ho sakta hai kyonki wah aadi ant wala anant ko kaise prapt kara lega. Bahut dhyan dene ki baat hai. Ek desh sharir parivartnshil sharir aur simit karm abhi prarambh hua kuch samay nasht ho jaata hai.
bhagwan karm janny nahi hai ki ham karm karke bhagwan ko prapt kar lenge. Bhagwan aprivartansheel nitya paripurn isliye bhagwat prapti mein karm karte jab har jaata hai aur prabhu ka ho jaata hai to bhagwat prapti ho jati hai. Ab kitne janm vyatit ho gaye abhi tak hare nahi. Are ab hath uthakar kaho main har gaya Govind ab sweekar kar lo. Par yah dehabhmani harta nahi. Bas yahi samasya hai. Bhagwan kah rahe yajti devta apni kamnao ki purti ke liye devtaon ka yajan karte meri sharan mein nahi aa pate bhagwan saralta se samjh lijiye pita ke saman hai.
devta dukandar hai. Jaise dukandar ke paas vastu lene jao jara hamko ye mitha dena kitna kitna den? Bole bhookh lagi bharpet pawa do. Haan to kitna paoge? Lagbhag ek kilo payenge to ₹500 nikalo. Nahi rupya to nahi. Chal bahar. Theek hai. Pita ke paas gaye. Bhookh lagi hai yah pawa hai to wahan yah nahi puchega ki paisa nikalo kyonki beta hai aise isiliye ham kabhi-kabhi vinod mein kaha ki bade hi bachchhe ho tum bhagwan ke paas ja kahte ho 11000 ka bhog laga denge hamara kam kar do are aisa kaise tum sochte ho bhagwan ke charnon mein mahalakshmi unke shri charnon ko sahlate hue hriday se lagate rahti hai un prabhu ko tum kuch chand rupaye dekar karke ghas dekar kam karana chahte ho.
are apne pita apne Swami yadi maang hi ai hai to sidhe mango na. Jaise balak apne pita se hatkar ke mangta hai. Usko uchit lagega de deta nahi jhidak deta hai. Nahi denge. Tumhare gande vichar hain. Tumhen paisa denge. Gandagi mein kharch kar doge. Nahi denge. Bhagwan pita hai, devta dukandar hain. Pita se adhikar purvak manga jaata hai aur dukan mein paise dekar liya jaata hai. Dukandar ko jaise paise diya jaata hai. Aise devtaon se kam karane ke liye aapko karm karna hoga. Uska sangopang tab wo devta tumhare karm ke anusaar wo phal pradan karega.
par bhagwan ko aisi zaroorat nahi hai. Bhagwan ko keval apnapan manne ki zaroorat hai. Prabhu mere bas itni baat hai. Par ismen dusra koi nahi hona chahiye. To abhi aapko param labh mil jae. Isiliye goswami ji ne kaha bigdi janm anek sudhre aaj hoi Ram ko mere prabhu mere to Giridhar gopal dusro na koi yah lani hai siddhi bhagwat prapti ke liye ismen tumhara koi pasina chuhana kam mein nahi aayega. Wah to harne ke kam mein aayega. Lage raho. Phir jab har jana ki nath main har gaya tab kahenge mera ho ja.
bas yahi se paramarth ka divya swaroop prakt hota hai bhakti marg mein. Dusri baat dukandar se kaho ki aap chaku de dijiye. Paisa dijiye, chaku le lijiye. Lekin pita se kahiye chaku de dijiye. To kahega kis kam ke liye kya kam karna hai pehle bolie avshyakta kya hai agar aap avshyakta siddh nahi kar paye to aapko nahi dega lekin dukandar avshyakta nahi puchega aapko chaku de dega aap ahit kar lo apna wo tum jano aise devta hai hamare bhagwan aise nahi hai mangoge agar avshyakta siddh hoti hai to theek hai agar unko lagta hai ki dukh bhog kar ye hamari taraf badhega to nahi denge bhog dukh aur meri taraf badh aur apna param kalyan kalyan kar lekin devta aisa nahi agar aapne sakam anusthan
kiya hai to aapka hit ho wahi to isse matlab nahi wo vastu aapko de denge jaise dukandar de deta hai pita sadaiv apne balak ka hit chahta hai aise hi bhagwan sadaiv apne sharan mein aae hue ka hit chahte hain he bahut kripalu hai agar unse mango bhi to unke upar chhod do jaisa aap chaho vaisa karo prabhu chhipam hi manush loke siddh bhavti karmaja ye jitni bhog bhumiyan hain jitne bhog ke lok hain jitni bhog vastue hain manushya chahta hai main karm karke inhi bhogon ko bhogu kripa nidhan bhagwan aisa nahi hone dete tumhen manushya sharir mila hai meri prapti ke liye jeevan mukt hone ke liye tum phir phasne wali baat mangte ho isiliye bhagwan jaldi bhog logon ki kamnao ki baat nahi sunte to log kya karte hain?
bhagwan ka aashray na lekar devtaon ka aashray le lete kyonki unko isse koi matlab nahi ki tumhara kalyan hoga ki nahi hoga. Uske anusthan karo aur wah tumhen phal pradan kar dega. Karm sangis jayte. In sabke dimaag mein baith gaya ki yah karunga to isse yah phal prapt hoga aur us phal ko bhogung. Main sukhi ho jaaunga. Aisa nahi hota hai. Chahe jitna aapko vaibhav mil jae, chahe jo pad mil jae, sukhi nahi ho sakte, sukhi tabhi hoge jab man ko sacchidanand mein laga doge. Iske alawa aur koi sukh ka upay nahi hai.
yah kai bar charcha mein ho chuka hai. Man vishram tabhi payega jab sacchidanand prabhu mein judega. Yah prakriti mein kabhi vishram prapt hi nahi kar sakta. To yah jo log karmon ke dwara prapt hone wale phal devtaon ki aradhna ke dwara prapt hone wale nashvan phal hain ye isi mein aasakt rahte hain. Bhagwan ki taraf nahi badhte hain. Bhagwan ne kaha ki yadi karm hi karna hai to apni jo dharm sima ke antargat hai wah karm karo. Mere ko samarpit kar do to isse bhi tumhara kalyan ho jaega. Chaturwa mayashtam gun karm vibhag tas kartarma vidh kartar mayam namam karan limpati name karm phaleha imam yo janatati karmabh nate bhagwan kah rahe mere dwara ye charon varn ki vyvastha ki gayi hai.
purv janm ke karmu mein in charon varnon mein janm deta hoon. Yah mere dwara ki gayi vyvastha hai. Kalyug mein nahi chalegi. Kalikaal ise bhang kar dega. Ksheen kar dega. Yug dharm ka prabhav hota hai. Charon varnon ki rachna mere dwara ki gayi hai. Purv janm ke tap, bhajan, sadhan, karm ke anusaar uska janm varn vyvastha mein hota hai. Srishti ka rachnakar adta main hoon kyonki mere se brahma aur brahma se man shatra Rupa aadi sab srishti ka vistar to adita main hoon maine racha hai ye char varn mujh avinashi parmeshvar ko in sab ka pradurbhav karne wala hone par bhi akarta hi jaan karan ki karm phal mein meri koi asakti nahi mujhe kabhi koi karm bandh nahi sakta hai.
is prakaar jo tatv se mujhe jaan leta hai wah karmon mein kabhi nahi bandhta hai. Yah purv janm ke karm ke anusaar varn mein pradurbhav hota hai jeev ka. Satogun, rajogun, tamogun in tino gunon se hi puri srishti rachi gayi hai. To in gunon ki pravriti ke anusaar karm bante hain. To jiski bahut satvic pravriti bhagwat aradhna purv mein hui wo pratham varn mein jiski rajogun satogun mishrit vrittiya hui wo dviti varn mein jiske raj adhik aur tam mishrit wo tritiya varn mein aur jiski tamay vritti wo chaturtha varn mein mere dwara rachi gayi hai.
karm ke anusaar purv janm ke tap sadhan ke anusaar agar koi apne dharm ke anusaar bartaav kare. Purv mein mahan bade-bade bhagwat mein apne dharmon ko nahi chhoda. Apne dharm ke anusaar unhone siddhi prapt ki hai. Ab kalikaal ka aisa prabhav badhta chala ja raha hai ki dharm ki vyvasthaye hain sab bhang hoti chali ja rahi hai. Yah sanatan hai. Ye sanatan paddhti hai. Puratan paddhti hai. Dharm vyvastha usko anya bhav mein na le jae. Dusht bhav mein na le jae. Bade pavitra bhav hai. Shri bhagwan kah rahe hain ki is vibhag ko maine is karm ke anusaar kiya hai.
agar chhota bhai bade bhai ke charnon mein jhukta hai to ek priyata hoti hai. Wo ek mariyada ka palan kar raha hai. Na ki bada bhai itna mahan ho gaya ki chhota jhonk raha hai. Nahi ek dharm ki vyvastha hai ki bade bhai ko bhagwat swaroop man karke charan chhwa jaata hai. Uski agyaa mein swayam bhagwan jab leela karte to avatar lete to dekhiye ki agar lakshman ji chhote bhai bane to kaise anushasan mein wahi jab Balram ji rup mein bade bhai bane to charan chu ke bhagwan baat karte hain ki dada dau dada ismen arjun ka koi dosh nahi hai.
hamen lagta hai ki ismen subhadra ji ki hi anumati hai. Aisa aur jab lakshman rup mein hote hain to bhagwan ki bhrikut ke bhagwan swayam leela karke dikhate hain. Par kalikaal ki aisi malinta badhti ja rahi hai. Dharm ka hraas hota ja raha hai. Koi dharm ki vyvastha ko nahi samjhta hai. Bina dharm ki vyvastha ke satkarma hona bada asamabhav. Bada asamabhav. Isiliye sab bahte chale ja rahe hain. Koi matlab nahi. Keval ek vishay rah gaya. Apni indriyon ko tript kar le. Udar poshan ho jae badhiya kapda latta pahan lo le manmani bhog bhog le bas itna rah gaya isiliye koi param pad moksh jignyasa bhagwat bhav bahut kam rah gaye shri bhagwan kah rahe hain ki mere is rahasya ko koi jaan jae ki jaise main karm karta hoon lekin koi phal ki akanksha nahi koi karm mujhe bandh nahi sakta aise hi tumhen koi karm nahi bandh sakga yadi apne dharm ke anusaar aacharan karte hue use bhagwat bhav mein samarpit kar de evam jatwa kritam karm purv mumaksha bhi kur karm tasmat purwatram kritam purv kal mein mumukshuon ne isi prakaar jankar karm kiye hain.
isliye arjun tu bhi purwajon dwara sada se kiye jane wale karmon ko hi unhin ki tarah kar. Mumukshu mane hota hai mera kalyan ho jae. Main mukt ho jaun. Yah hazaron janmon ki pavitra sadhna ke baad utpann hota hai. Isiliye yah kisi ke hriday mein jaldi nahi utpann hota. Bhari vyakulta ki main mukt ho jaun. Bahut kathin hai. Jab tak sansaar ke kisi bhi bhog mein raji ho to mumukshta nahi jagrit hogi. Kahin raji nahi hai. Ab mujhe mukt hona hai. Jaise bachchha kisi bhi khel mein nahi khel raha.
par rona hi rona hai. To maa use god mein utha legi. Mumukshta ab main mukt hona chahta hoon. Kaun mukt hona chahta hai? Birla koi ye mumukshta hi badi durlabh hai. Moksh aur bhagwat prapti. Mumukshta hi main bhagwat prapti karna chahta hoon. Ub gaya sansaar se nahi uba. Vridh sharir ho gaye. Phir bhi nahi ubaga mrityu nazdik aa rahi phir bhi nahi uba akhri shwas tak ub jaata to bhagwan ki prapti ho jati akhri shas mein Radha bol de bhagwat prapti ho jaegi abhi raste mein ek shlok likha kisi vign ne dikhaya aise likha bhagwan shiv Parvati jise kahte hain jo Radha Radha kah ke pujan karta hai Radha Radha kah ke dandvat karta hai abhi dikhaya tha shlok bole chhoti si puja vastu hai Radha Radha Radha ke bahut badi ho gayi.
hari usse prasann ho gaye. Kitna sundar hamko mila hai Radha naam. Bhagwan arjun ko kahte hain ki mumukshta main mukt hona chahta hoon. To kaise mukt hoge? To kahte jo tumhare bade mahapurush jis marg mein gaye usi mein chalna. Purv mane bade mahapurush jo gaye hain. Mahajno gan swap pantha mahapurush jismen gaye. Aaj sab apne naye panth ka nirman ho raha hai. Pehle aisa nahi hota tha. Jis marg mein gurjan ja rahe hain unhee ke pad chinnon par chalna. Manmani aaj manmani adhik matra mein koi mahapurush birla hi acharya parampara ki mahima ko lekar ke chalte hain.
nahi to apne man ke anusaar man ke anusaar kabhi paramarth nahi hota. Paramarth ke anusaar man banaya jaata hai. Siddh banne ke liye siddho ke anusaar chalna hota hai. Tab siddh hota hai. Yahan man mani adhik ho raha hai. Guru mani shastr mani bahut kam. Apne kartavyon ka jo hamare purwajon ne mahapurushon ne kiya waise karoge to aap mukt ho jaoge. Aapka kalyan ho jaega. Anytha bandhan hi hai. Aap kar rahe ho mukt hone ke liye lekin man mane to bandhan hi hai. Jaise piche bhagwan ne udaharan kiya tha jankadi aadi ka vivan ka naam liya Manu ka ichchhad ka bhagwan kah rahe hain mumuksha ko jo sansaar se mukt hona chahta hai.
bahut dhyan dene ka vishay kah rahe hain. Use mahapurushon ka anugman karna chahiye jo acharya parampara se hai. Yah parampara isiliye bani hui hai ki hamen koi bhul chuk nahi hogi. Manmani se ham apne man ko na jode. Ham acharya parampara se jode. Aap jis bhakti mein abhed bhakti mein chalna chaho to adya guru bhagwan shankaracharya ji hain. Sakha bhav mein chalna chaho mahmmahim shri bhagwan Vallabhacharya ji hain. Jo bhav log mahmmahim nibarkacharya ji ramanandacharya ji ramanujacharya ji shri hitacharya ji shri Swami haridas ji mahaprabhu chaitanya ye bade-bade mahmmahim swaroop bhagwan ne dharan kiye marg prashasth karne ke liye hamen mahapurushon ke pad chinnon par chalna hai manmani nahi bhagwan kahte hain ki mumukshuon ko jankari karke jis marg mein ham chal rahe hain acharya parampara se siddh hote chale ja rahe hain.
acharya parampara se upasna aa rahi usi par ham apne chitt ko jode jo bhav hamare andar ho shant bhav dasy bhav sakh bhav vatsalya bhav kisi bhav se to wahi chala jaata hai shant bhav ka matlab moksh ka bhav mukt ho jana jo apne kartavya karmon ka palan nahi karta mahapurushon ka anugman nahi karta wo siddh nahi ho pata wo mukt nahi ho pata hai karm karta rahta hai par wo jaise bahut dino se koi vrat rah raha hai aur bahut ek dosh badh raha hai aham main itne dino se aisa bada sukshm vishay se sansari nahi jalenge prabhavit ho jaenge itne dino se keval pani lekin jo tasmat shastram prmanam iska koi mahatva nahi garv kar rahe ho anya ki ninda kar rahe ho kya gyan hai dev bhav hi to hai to dev bhav mein chahe jo kuch karo uska deh bhav tyag karke phir wo jo karm karte hue yog mein sthit rahta hai wahi karm yogi bhagwat prapt hota hai.
karm karte hue yog mein sthit rahna yog kise kahte hain? Sat naam bhajta priti purvkm dadam buddhi yogam tam yadi aapki jibhya se Radha Radha Radha aisa nikal raha hai aap karm kar rahe ho us karm ko bhagwan ko samarpit karte ho karm yog ho raha hai yog mein sthit hote hue karm ho raha hai phal ki akanksha bhagwan par chhod do kartavya karm karo Radha Radha japo mukt ho jaoge baat man lo karmon ko karna ya na karna donon bandhan karak hi hai. Donon bandhan karak main yah nahi karta to wah main pusht ho raha hai.
nahi main main karta to usmen bhi pusht ho raha hai. Bada sukshm adhyatma ka vishay hai. Donon ki pravriti hai. Karm main nahi karta. Main karta donon ki pravriti hai. Nivitti kartavya karm ka palan ho raha hai. Phal ki ichchha nahi. Bhagwan ko samarpit jeevan naam jab chal raha hai. Yah nivitti hai. Purn nivitti ki koi avastha nahi hai ki itni avastha mein itne karm mein aap abhi isi kshan sweekar karo. Koi bhi karm karo bhagwan ko arpit karo. Karm karte samay Radha Radha andar se naam bhagwan ka prabhu ka smaran karte raho.
sharir indriyan man aadi karm ki samgri apne se bhinn hai. Ye main nahi hoon. Yah sansaar se abhinnn hai, hamse bhinn hai. Inke dwara jo prakritik karm hote hain, wah hamko bandhne wale hi hain. Yadi bhagwan ko arpit nahi karte ya prakriti mein unki sthiti nahi dekhte. Prayah bada sukshm vishay hai. Prakriti mein sthiti dekhna to bhagwan ko arpit karna saral hai. Aap arpit kijiye. Apne karm man ke apne liye jab kiya jaega to yog nahi hoga. Keval karm hoga. Bhagwan ke man ke bhagwan ke liye kiya jaega ya sabko bhagwat swaroop mankar sabke sukh ke liye kiya jaega use yog kahte hain jo bhagwat smriti se yukt hota hai.
dekho karm yog se udhar hota hai. Karm se bandhan hota hai. Karm kise kahte hain? Jab prakriti ke in ansh sharir man indri aadi ke dwara jo karm hote hain wo apne liye kiye jaate hain. Main karta hoon. Yahi bandhan hai aur jab prabhu ke liye hai prabhu ke liye kiya jaata hai to wah bandhan mukt ho jaata hai. Sampurn karm keval prabhu ke liye kiya jae. Karmon se hamara koi sambandh nahi hai. Hamara sambandh prabhu se hai. Karm prabhu ko samarpit hai. Yog nitya siddh yog ho gaya. Kim karm kim karmati kavyatra mohita ta karm pravaksham yadi gyatwa moksh se subh karm kya hai akarm kya hai is prakaar is vishay mein bhi bade bade vidvan mohit ho jaate hain.
atah karm tatv main tujhse bhaleebhanti kahunga jisko jankar tum is ashubh se jo ashubh tumhen dukh de rahe hain unse tum mukt ho jaoge. Kim karm karm kise kahte hain? Kim karm kim akarmeti kise karm kahte hain? Kise akarm kahte hain? Sadharan manushya sharir aur indriyon ki kriyon ko karm man lete hain. Sharir aur indriyon ki kriyaen rok di to use akarm man lete hain. Lekin aisa nahi hai. Sharir aur indriyon se kriyaen na ho to bhi kriya ho rahi hai. Sharir vani man ke dwara jo jo bhi ho raha hai wo sab kriyaen hain.
sharir vang manobhir yat karm prarabdhate nar raha. Arthat ek second bhi koi karm kiye bina nahi rah sakta. Agar hamari karm ki vritti satvic dikhti hai ki yah main karm kar raha hoon to satoguni karm rajsik vritt to rajoguni karm tamsik vritt to tamoguni karm rajsik tamsik ye fasane wali hai. Satoguni vritti yah mukt karne wali hai. Jaise satoguni vritti mein shuddh satoguni vritti mein kabhi krodh ka pradurbhav nahi hoga. Jaise ek din army ke kuch jawan aae the to khanpan ke vishay jaisi paristhiti ho us paristhiti mein rahkar bhagwat smriti karte hue rashtr seva karo hamare antarik lakshya mein tha pyaaj lahsun ham sansaar ka to ki agar kahin aisi paristhiti hai ki aapko pyaaj lahsun yukt bhojan mil raha hai aap chahte ho main satvic bhojan karun to aapke andar raj aur tam ki purn vritti bani hai.
trigunnatt nahi ho gaye ho. Satoguni bhojan ki vyvastha ka tatparya bahut unchi hoti hai. Dharm ke dwara kamaya hua satvic patron mein satvic rasoi mein satvic vritt ke dwara bhagwat chintan karte hue banaya hua phir use bhagwat arpit ab satoguni bhojan hua. Bhav kahne ka ki aapki kaisi bhi paristhiti mein yadi naam chal raha rashtr seva ka bhav hai to in chhoti baton se aapka bhav bigdne wala nahi. Dusri baat jaise kahi thi ki jaise moong ki daal hai, roti hai, bade satvic vritt se banaya gaya hai to aapke andar krodh ka pradurbhav nahi hoga.
to kaha jaata hai ki jaise bahut se satoguni jan dekhe gaye unmein krodh aata hai to us samay rajogun hota hai. Unmein rajogun hota hai. Raj ka tatparya hota hai kam. Kam ka matlab hota hai kamna. Kamna ka matlab hota hai main chahta hoon aisa hona chahiye. Nahi hua to usmen krodh aa jaega. Main chahta hoon ki yah hona chahiye. Jab usmen badha padegi to krodh aa jaega. To ismen rag aur rag rajogun rajogun aa gaya. Chintan matra se rajogun aa gaya. Jaise koi kisi devi ki upasna kar raha hai. Upasna shabd bada satvic hai.
parantu karta kamna ki siddhi ke liye sansarik kamna karte to kamna karte hi wo rajsik vritt ho gayi. Ab wahi rajsik vritti tamsik vritt hone mein der nahi lagegi yadi kusang ho jae. Bole devi prasann karne ke liye amuk vastu tamsik vritt uske andar badhti chali ja rahi hai. Ab yah nahi samjh pa raha hai ki maa hai. Maa ko kisi apne santan ki bali se kabhi prasannata nahi hoti. Yadi karta ki phaleksha mamta asakti nahi hai to jab karm karega to usmen bandhega nahi aur isht devta bahut jaldi prasann ho jaenge.
keval satvic aacharan se bahari kriya se antarik gyan ka prakash nahi ho jaata hai. In vishay mein shastron ko janne wale bade-bade vidvan mohit ho jaate hain. Jis kriya mein karm mante hain wah karm bhi ho sakta hai, akarm bhi ho sakta hai, vikarma bhi ho sakta hai. Karan ki karta ke bhav ke anusaar karm ka swaroop badal jaata hai. Jaise upar bhagwan ne ki vyakhya ho rahi ki jaise aap kisi devi ki upasna kar rahe hain to maa agar aapko bali ka bhav hai to neembu hai nariyal hai satvic bali dijiye bhog lagaiye aarti kijiye puja kijiye pyar se pukarie maa to aap unki kripa prasad ke bhajan ban jaenge rajoguni bahut bade-bade aishwarya bhog samagriyan tamoguni ab aa gaya ye to bole wo karm bhi ban jaata hai akarm bhi ban jaata hai vikarma bhi ban jaata hai aur jaan nahi pate bade-bade vidvan mohit ho jaate hain.
isliye bhagwan kah rahe hain ki vastvik karm kya hai? Wah kyon bandhta hai? Kaise bandhta hai? Is isse mukti kaise ho sakti hai? Main iska swayam vivechan karta hoon. Yadi manushya mamta asakti aur phal ichchha rakhkar ke karm karta hai to bandhega mamta asakti aur phal ki ichchha bandhega koi bhi karm use bandh lega yadi mamta asakti fale ichchha ka tyag kar de satsang ke dwara prapt vivek se to karm karta hua bhi karm mein nahi bandhega jaise bhagwan bhagwan kah rahe hain ki mujhe kuch nahi chahiye. Mujhe kuch prapt karna hai.
kya phir bhi main dharm purvak karya karta hoon. Jab bhagwan avatar lete to karm karta hoon. Wo karm bhagwan ko nahi manta kyonki karta bhav nahi phaleksha nahi mamta nahi. Yadi mamta shakti aur phaleksha nahi hai to karm karte hue bhi karm nahi ho raha hai. Nahi bandh raha hai. Jaise ek bar udaharan mein bataya tha ki Durvasa rishi ke darshan karne gopiyan gayi dher sara pua puri kachori khir le gayi aur unko pavaya to sab pa gaye. Iske baad jab wapas ke to kaha prabhu wah ai thi ham yamuna ji mein baadh thi to prabhu ne kaha tha main akhand brahmachari hoon to marg de dena de diya ab aap kaise wapas aapke yahan se jae unhone kaha kah dena Durvasa ne apni jibh mein doob ke ras ke siva kuch na rakha ho to marg de de unhone kaha abhi to ham khir pua sab pavaye hain aapko aapne paya hai are par ye kya dhoop ke ras ke siva jaban mein nahi rakha aisa bujha ke yamuna ji se boli marg mil gaya prabhu se baat ki ki aisa kya tab yahi baat phaleksha mamta asakti rahit bhogta karta bhav rahit tum mano prasad pa gaye aur shpath purvak kaha ki Durvasa ne apni jaban par doob ke ras ke siva kuch nahi rakha ho to marg de dijiye ye karta bhav lil hai prabhu mein koi phal ichchha nahi to koi uska pa gaye lekin pate hue bhi nahi paye yadi karta nirlipt hai to karm use phasa nahi sakta.
har karm bandhan mukt karne wala hota hai. Agar karta lipt hai to na kare to bhi fansa hai kyonki chintan ho raha hai andar se. Kim karmati karm do prakaar ke batae karm aur akarm. Karta bhav se lipt bhav se phal ichchha se jo kiya jaata hai wo karm. Karta bhav lipt bhav phal ichchha ka bhav tyag karke jo kiya jaata hai akarm akarm mane koi phal nahi dega koi bandhan nahi hoga karm se jeev bandhta hai aur akarm se jeev mukt hota hai karmon ka tyag karna akarm nahi hai bhagwan ne moh purvak kiye gaye karmon ke tyag ko tamas bataya shareerik kasht ke bhay se kiye gaye karmon ke tyag ko rajas bataya tamas aur rajas tyag mein karmon ka swaroop se tyag hone par bhi karmon ka sambandh aur karta bhav ka tyag nahi hota hai.
karmon mein phal ichchha aur asakti ka tyag kar dena satvic tyag hai. Isi se bhagwat prapti hoti hai. Isi se moksh pad prapt hota hai. Phir ham tumko saransh mein bata rahe sabka jo karm karo wo shastr sammat ho dharm yukt ho. Yah satsang ke dwara jankari kar lijiye ki mera kya dharm hai? Mera kya kartavya hai. Aur use bhagwan ko arpit kar do. Naam smaran karo. Pura janne ki tumhari kshamta agar nahi ki karm kya hai? Akarm kya hai? Vikarma kya hai? Ye sab theek ho jaega. Naam chal raha hai.
dharm purvak karya kar rahe ho. Gyan ka prakash hota jaega. Mukt hote jaoge. Par agar naam nahi chal raha aur karm par karm jaise log kahte hain ham to karm karte hain bhajan nahi karte to karm ka bandhan hai chahe satoguni karm ho rajoguni karm ho tamoguni karm ho rahoge prakriti rajya mein hi kyonki tino gun prakriti ke hi hai paramatma rajya mein thodi pravesh pa jaoge to janm maran se thodi mukt ho jaoge isliye kavyopatra mohita sadharan manushyon ki baat kya bade-bade vidvan bhi ismen mohit ho jaate shastron ke gyata bhi is vishay mein bhul kar dete hain.
karm aur akarm ka tatv janne mein unki buddhi chakra jati hai. Sare karm akarm ho jae to mukt ho jao. Kaise ho jaenge? Do prakaar. Ek to gyan ke dwara ye samjh ke ki yah karm samgri man buddhi indra aadi main nahi hoon. Yah prakriti ke hain. Prakriti ke dwara prakriti ke hi kriyaen ho rahi. Gunanugun warte main karta nahi hoon. Main phal bhogta nahi hoon. Yah bahut unchi baat hai. Yah nahi aayegi samjh mein jaldi sabke ek baat to bilkul samjh mein aa rahi yah sab kuch shri bhagwan ka hai shri bhagwan ki agyaa ka palan karne ke liye karm kar rahe ho aur shri bhagwan ko samarpit kar dete ho Radha Radha samjh mein aa rahi sidhe bhagwan ko arpit kar do ye to sarwan karman sanas mat para wahi sthiti aa jaegi tumhara koi bhi karm tumhen bandh nahi payega kyonki bhagwat arpit ho gaya age iska bhi varnan aata hai bhagwan varnan karte hain ta karm pravakshami jeev ko bandhe hue hain karm to karmon se usko mukt hona hai.
yah mukt hone ke do hi upay hain. Ya to gyan ke dwara karta ya bhakti ke dwara karta bhav ko samarpit kar dena. Bhagwan pratigya karke kahte hain ki yadi tum aisa karoge to bandhan se mukt ho jaoge. Karm karne ki kala bhagwan sikha rahe hain. Pravriti marg nivitti marg do bhagwan ne banae hain aur donon karm karte hain. Donon ko karm karna hota hai. Ek karm karte hue bandhta hai aur ek karm karte hue mukt hota hai. Jo apne liye karm karta hai, ahankaar purvak karta hai, bhog ichchha se karta hai, wah bandhta hai.
jo bhagwan ke liye karta hai ya dusron ke sukh ke liye karta hai, dharm purvak karta hai. Aur us kartapan bhav ko bhagwan mein arpit karta hai wo mukt ho jaata hai. Karmasu kaushlam ye karm yog ka kaushal hai. Kushalta hai jisse karm karte hue bhi wo usmen nahi bandhta hai. Bhagwan karm ke tatv ko janne ki prerna karte. Kya karm tatv ka swaroop hai iski charcha age karte. Shri Radha vallabh lal ki, jai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…