॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwadprapti ka ye gupt rahasya jaan lo ! // 23/05/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

gita ji mein bhagwan ne ek shlok mein kaha bantas bhutana macham chame sukshm tagam durastham cha bant naam achram cha sukshma tadwiyam durastham cha main bahar bhi hoon andar bhi hoon samasth charchar jagat mein vyapt hoon bahut dur bhi hoon bahut nazdik bhi hoon yah baat dhyan dene yogya hai durastham cha itne nazdik hai ki ham apne swayam nazdik nahi hai. Ham swayam nazdik nahi hai. Kyonki ham deh mein fanse hue hain. Bahut dur hai apne se lekin prabhu shanti ke tatv bahut nazdik hai. Durastham cha bahut dur hai. Aisa kyon kaha bant naam cham chav cha sukshma tikam durastham shanti ke chat main bahar bhi hoon bhitar bhi hoon charachar jagat mein vyapt hoon aur bahut nazdik bhi hoon aur bahut dur bhi hoon.

yah baat bhagwan ne gita ji mein kahi. Hamen do baton mein samjhna hai. Bahar bhi hai, bhitar bhi hai, charachar jagat mein hai. Ye to hai man liya. Lekin durastham shanti ke tatv bahut dur hai. Bahut nazdik shanti ke tat bahut nazdik hai. Ismen rahasya hai. Jo buddhi ke dwara sadhna karta hai. Bahut dur paramatma hai. Jo sharanagat hokar kripa ke dwara sadhna karta hai. Sadhna usse bhi hoti hai. Shanti ke chaturat bahut nazdik hai parbrahm paramatma jab tak apne mein karta bhav rahta hai to wo sadhna nahi hoti wo kriya hoti hai.

jab kripa bhav aata hai tab wah sadh na bole hamari sadh puri ho gayi. Sadh ka matlab kya hota hai? Chah bole hamne amuk devta ko manaya to hamari sadh puri ho gayi. Sadhna mane chahna yahi sadhna hai. Chahna yahi sadhna hai. Do arth samjhe iske chahna yahi sadhna hai. Aur chahna yahi sadhna hai. Isht se jagat se hamara koi sambandh koi chah na rah jae. Isht ko hi ham keval chahe. Isht ke hi bal balvan bane. Isht ki hi kripa manave. Isht ke vidhan mein dosh darshan na karen. Ham log bahut shadra buddhi ke hain. Bahut nich buddhi jise kahte hain.

ham apne isht ki kripa ko kripa na mankar usmen apne baudhik star se dekhte hain ki meri uplbdhi meri ki hui. Isht ke vidhan ko vidhan na mankar kripa na mankar phir vanchit ho jaate hain. Jahan apni buddhi lagate hain. Isht nazdik ghaseetna chahta hai. Par hamari buddhi hamko isht se bahut dur kar deti hai. Bas mav man aadat ma buddhim niveesh mere mein man aur buddhi arpit kar de to tu mere mein nivas karega. Ab sharanagati ki itni shuddh varta sunne ke baad yadi ham apne sharir mein main buddhi apni kriyon mein karta buddhi achhche vidhan mein sukh pratikul vidhan mein dukh to ham sadhak kis baat ke rah gaye isht ke vidhan mein dosh darshan bhagwan ko aisa nahi karna chahiye.

prabhu ko aisa nahi karna chahiye. Aisa nahi. Nahi ham aapke hain. Nahi to ham prabhu se prashn kar sakte hain. Ki bachpan se abhi tak lage hain. Abhi koi chah rah gayi hai kya? Kuch pana, kuch milna, kuch bhogna, kuch dekhna. Kabhi prashn nahi kiya. Jaise tum khiladi ho khilao. Jaise tum chaho waise jo ra tumhara ishara chahiye bas ishare par chalte ham kathputli hai ham waise nachte hain jaise tum nachate ho yadi tum nachana chahte ho dakshan ki taraf to ham uttar ki taraf nahi nachenge aur tum nachana chahte ho uttar ki taraf to dakshan ki taraf kadam nahi rakenge.

bar-bar satsang mein ham yahi kahte the hamen sirf prabhu ke ho jana hai. Yah avsar bar-bar nahi milta hai. Jo shanidhya mila hai, jo kripa mili hai, use gulab ke phool mein kante bhagwan ko nahi dene chahiye the. Kitna sundar, sugandhat, komal aur kanton mein. Kichad mein kamal nahi khilna chahiye tha. Kisi sugandhat padaarth mein kamal khilna chahiye tha. Kuch ye hai aise kuch kante rakhte hain jinme gulab rakh diya hai. Kanton se bacha ke gulab tak phucho. Jaldeebaji karoge to kanton mein hi phas jaoge. Gulab nahi mil payega.

aise hi kuch prakritik badhae rakhi bhagwan ne apne milan ke liye. Tabhi ham itne lalayat hai agar bhagwan se hamare jaise mil jae na to koi mahatva hi na rakho aap log koi matra to na rakho bhagwan khalne lage na to avhelna ho jaegi gopi janon ke man mein aa gaya ki main vishv mein sabse sundari hoon jisse bhagwan mere ishare par nach te isliye antdhan ho gaye bhagwan bahis bhut naam cham cha sukshma tad durastam shanti ke chat dur kin ke liye hai ham sabke liye isiliye dur hai aur shanti ke chat kaise bata saath khelte hain dimaag mein hriday mein bahar bhitar saath khelte hain.

drishya badal jaata hai. Chashma badal jaata hai. Par wo aise khiladi hai ki itne shahar mein kahan milti hai? Matlab ye nakli hai. Agar aapko sone ka har diya jae to phir kya pahan lo. To aapko lagega maine mehnat to ki nahi aur mujhe aise de rahe to ye nakli hoga aur jab pasina chue khub mehnat kiye salo aur phir agar de to usko isiliye bhagwan puri zindagi ki zindagi nak ragadte vyatit ho jati hai aur wo jhalak bhi nahi dete muni man dhyan dharat nahi pavat lekin karat vinod sang balak bhat jo sambandh mane hue sharanagat jan hai unke saath bhagwan vinod karte hain khelte hain leela leela karte hain.

isliye sabse prarthna hai hamara marg sharanagati ka hai. Hamari drishti keval sharan prabhu par rahe aur unke vidhan pe rahe. Bahut sukshm vidhan hote hain bhagwan ke. Wah hamara bharan poshan karte hain. Wah hamari sadhna badhate hain. Wah sadhna ki raksha bhi karte hain. Yogkshm mahamyam bhagwan kah rahe yog jo prapt hai usmen aur jo prapt hona hai wo main karaunga. Aur jo prapt hai uski raksha bhi main karunga. To apne log sharanagat hai. Koi anath to hai nahi. Apni sampatti aisi tijori mein rakhi koi lut nahi le ja sakta.

purn sharanagat raho. Har samay naam japne ka prayas karo. Sharir se jitni bhi cheshta ho rahi hai. Yah dekho ki mere dwara karwaya ja raha hai. Vastvik aisa do hai maya to yata ruu mam maya aur bhakti to umadar jo ki nai samay nachavat Ram gosai bhagwan kathputli ki tarah sabko nacha rahe hain to usi mein ham bhi hain. Yadi aap bhakti nahi mante to maya ke dwara jaisa nachaya ja raha hai vaisa nach raha hai jeev aur bhakti ke dwara dekho to jaisa bhagwan nacha rahe hain. Main to tere nachae nachun. Radha vallabh lal.

main to tere hi nachae nachun. Jaise wo nachwa rahe hain waise nach rahe hain. Aham ka galit ho jana deh bhav ka galit ho jana hi sadhna ki paripakva avastha hoti hai. Deh bhav rahit paramatma chintan mein har samay baitha hua hai ya chal raha hai ya para hai ya khada hai. Bhagwat chintan mein tanmay hai. Bhagwat chintan paraayan raho. As kisi se nahi rakhni. Purnata prabhu se hoti hai. Bas shant jo shishya hai wo sharanagat hai. Jo sharanagat hai uska bhaar isht aur guru ke upar hai. Isht aur guru samarth hai. Wo aapka nirvah karenge.

tan se, dhan se, man se aap nishcint dekhiyega kyonki ham log sharanagat hain. Hamara bharan poshan hamse thodi ho raha hai. Hamare isht se ho raha hai. Aur khub tanmayata purvak khali mat raho. Har samay bhajan pranay jo seva seva bani Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri harivam aur sharanagati par dhyan do. Hamara josh aapko sharanagati par pahunchana hai. Sharanagati ho gaye to baji jit gaye. Dekho bada sukshm vishay hai. Kaha jaata bhajan karo ham bhi kah bhajan karo. Lekin hariram vyas ji bhajan ko dusre number par rakha hai. Bole kan ke bal bhajan ko kan ke acharya vyas bhrose kunwar ke so bhav prasar ye bharosa jo hai sharanagati hai.

ham shri ji ke bhrose purn sharanagat hai. Mera koi adhikar nahi. Tan man pran par meri ladli ka adhikar hai. Mere Gurudev ka adhikar mere prabhu ka adhikar kahan? Ab kalyan mein kahan kami rah gayi? Jab sarvasv aapka prabhu to phir kalyan mein kami ho gaya. Isi mein apnapan tha. Usi ko to hatana tha. Kan keval bhajan ko kisi ko bhajan ka bal hota hai. Lekin hari Ram vyas ji kah mujhe shri ji ke bhrose par bal hai. Goswami ji ne bhi dusre number par bhajan rakha hai. Kaha bigdi janm anek ab sudhre aaj ab abhi aaj sudhar jaegi.

aaj abhi abhi sudhar jaegi. Aaj aur abhi mein koi sadhna hai kya? Bole bigdi janm anek ki ab sudhre aaj ho Ram ko Ram ka ho jao pahli baat phir naam jap dusre mein bhajan aur tisre mein taj kuma kuma apne aap tyag jaegi tab log khub naam jap karo ye dusri baat pahli baat tan man pran sarvasv ladli Gurudev ko samarpit kar do. Hamari Gurudev ladli hai radhem sampraday karta acharya Radha mantrada saguru mantro Radha y sarvatma vande Radha pa pradhanam meri ladli samudra ke saman hai ham avguni nich hai hamse koi avgun ban sakta hai koi nichta ban sakti hai par wo mahan hai wo hamen kshma karke apni taraf kheenchenge apni taraf taraf na khinche.

to jaise ham kahte hain ki amrit kund mein yadi nali ke kide ko dala jae to wah samjhega mujhe dand diya ja raha hai. Mujhe nali se nikala ja raha hai. Wo nali hi pasand to ham hai aise par ladli aisi kripal hai ki hamko pratiphal kheenchti rahti hai. Apne charanamrit ki taraf, rupamrit, leelamrit, namamrit ki taraf aur ham usi sansaar ki taraf bhagna chahte hain. Isliye sharan mein raho jo sharanagat ke samasth shubh ashubh ka nash kar dete hain. Aise Harivansh mahaprabhu ke ham sab hain. Khub anand purvak bhajan prayan raho. Bilkul chinta na karo.

ham mile na mile bole na bole ham aap sabko bahut pyar karte hain. Yadi tumhen pyar par vishwas hai to ham aap sabko pyar karte hain. Hriday se pyar karte hain aur sabko chahte hain ki shri ji ki kripa prapt ho aur sab shri ji ke charnon tak pahunche kyonki jaise bhi ham kami kroadhi lobhi hain. Ghaseeta to aapne hi hai. Jitna aap hamen ghasit rahe ho utna hi main aapki taraf ghasit raha hoon. Jitna aap chhod rahe ho utne sansaar ki taraf ja raha hoon. Agar aap pura ghasit le to pura aapki taraf aa jaun. Main to aise hath uthae baitha hoon.

aap ghaseeto na mujhe. Aapki ghaseetne ki samarth anant samarth hai. To aap apni samarth se mujhe apni taraf bula lo. Meri samarth nahi ki main aapki taraf aa sakun. Aur antim baat yahi bilkul chinta nahi karni. Main milun na milun bolun na bolun aun na aun. Na ye chinta karni ki kaise kaise hamara utthan hoga. Bina bole tumhare dimaag mein ham honge. Dekh lena bina bole tumhare dimaag mein ham honge. Tum wahi karoge jo Gurudev kahenge. Yah bhagwat marg hai. Aisa khilwad ka marg nahi hai.

hota hai. Kabhi-kabhi hota hai. Bhagwan ka khel aisa hota hai. Aap bilkul nishcint rahiyega. Jo jahan jis seva mein hai us seva mein rahiyega. Kisi ki as mat rakhiye. Isht ki as rakhiye. Isht ka bharosa rakhiye. Guru kripa se sab theek ho jaega. Isi janm mein hamen bhagwat prapti kar rahe hain. Isi janm mein hamen shri ji se prapt hona hai. Khub naam jap karo. Ham rahe na rahe aae na aae mile na mile. Tumhara mangal hoga. Tumhare Gurudev tumhare dimaag mein baithe rahenge. Tumhara bharan poshan isht ke dwara hoga.

hamari ganth bandh lo. Tumhara bharan poshan isht ke dwara hoga. Kisi vyakti ke dwara nahi aur jab lage ki is vyakti ke dwara ho raha hai to chhod dena. Isht ke dwara bharan poshan ho raha hai. Isht hi sabko sambhalega. Ham mein bahut kamia hai. Ham mein bahut galtiya hai. Unko shri ji hi kshma karke sudhar karke apne aap mein layenge. Hamari samarth rahi shri ji tak pahunchne ki. Pura jeevan ho gaya. Unhin ke charnon ke ashrit ab wo jaise chah taise chalave. Unhin ka bal lekar ke ham aap logon se baat karte hain.

hamare mein kya bal hai? Aap nirbhay nishcint nishok khub bhajan prayan raho. Hamara jab man hoga tab ham bol denge. Nahi ham maun chupchap shant ekant vas kar rahe hain. Aur wo ekant aapke liye hi hai. Hamare liye ham ekant nahi hai. Hamare liye ham bhajan nahi kar rahe. Hamare liye hamara maun nahi hai. Ham aapko sahi batayen. Hamara jo kuch hona tha wo ho gaya hai. Sab jo kuch ho raha hai wah sab aap sabke liye ho raha hai. Khub bhajan karo, naam jap karo, ashrit raho aur sukhi raho, prasann raho aur dekhna guru prasad kya hota hai?

ye pravachan vachan in sab se kuch baat nahi banti. Wo baat jo banti hai andar ke sankalp se banti hai. Guru prasannata guru prasann sahab anukula guru prasann sahab anukul ho gaye. Miti sakal kalpit bhay sula samasth kasht samasth dosh nasht ho gaye guru prasann hai sab baat ban gayi shri Radha vallabh lal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi