savdhaan ! Ye dosh aapke bhajan ko nasht kar denge ! // 06/05/2026
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand rasop ma hridpitam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashray nir param shital mashray param sacchidanand ghan anand samudra prem samudra gyan vairagya bhakti aishwarya anant shaktyon ke Swami prabhu shri Krishna chandra jo kripa karke arjun ji ko nimit bankar samasth deh dhariyon ke param sukh ke liye param kalyan ke liye amritmay updesh kar rahe hain. Yadi ham shraddha vishwas purvak shravan karen ekaagr buddhi se mahatva bhav rakhkar ki amritmay vachan hamen samasth papon se mukt karke parmanand ki prapti karayenge.
aise bhav se manan karen aur apne aacharan mein utare. Jeevan mein jab tak bhagwat vani, guru vani, sant vani ko utara nahi jaata tab tak wo aise hi samjho. Jaise vaidya ne aushadhi de di. Par aapne aushadhi pai nahi to rog nivraat nahi hoga. Manan aushadhi pa li par kupathya ka tyag nahi kiya to jab aap updesh ka manan karenge to uske virudh varta virudh shravan indri se shravan karna virudh aacharan inka tyag mano amrit vani ko supathya dena hai parinaam mein mangal bhavan prabhu ke ansh ho apne anshi ke samip jakar krit krit ho gaye.
anand samudra mein gote laga rahe hain. Jis shanti ke liye, sukh ke liye, pyar ke liye hamara hriday tadap raha hai, wah keval prabhu se hi purn ho sakta hai. Swarthi manushyon se nahi. Kyonki yahan kapt ka rajya hai, chhal ka rajya hai. Dhurtata hamari buddhi ko malin kar rahi hai. Sushukh vasna hamare bhav ko asuri bhav mein badal rahi raaksasi bhav mein bas mujhe sukh mile dusre ko nasht karke to koi baat nahi yah hamari malinta tabhi dur hogi jab ham satsang ko sune to aap kahenge ham roz to sunte hain ise sunna nahi kahte sunna tabhi sarthak mana jaega jab aapka jeevan aapke aacharan badle shrota soi param sujan sunat chit rati kare sunte hi us baat ko hriday mein dharan kar liya ab aap kah do ki kripa se ho jaega aur ham baithkar prapanch karen ham baithkar unchneech kriyaen karen to bhai bhagwan ne aapko swatantrata di aap chahe yahan paap kama lo, chahe punya kama lo ya paap punya donon se upar uthkar ke bhajan kama lo jisse tumhara mangal ho jaega.
abhi aapke upar hai. Aap kya pasand karte hain? Papacharan, punya aacharan ya bhagwat aacharan? Agar satsang sunne ke baad tumhara man prabhu mein nahi laga to satsang ka phal kya mila? Satsang ka sidha phal hai satsangati sanshrati kar anta sanskriti kahte hain aavagaman ke chakra ko tumhara agla janm na ho aise tum nishpap ho jao yah satsang ka phal hai tumhara hriday prakritik akarshan se rahit hokar sacchidanand bhagwan mein doob jae yah hai hamare jeevan ka param phal agar ham savdhaan na rahe to jis bhav se bhavit rahenge wahi hamara antim parinaam hoga.
shri bhagwan kah rahe hain yam yamwa smaran bhavam tajatte kale varam tam tame vikte sada tad bhav bhavit he Kunti nandan arjun manushya jeevan mein jo jo karta hai usi bhav ka parinaam use antim samay milta hai. Dekho phir ham punah aapse prarthna karte hain. Maya ka prichay hai ki jo hai use dhak dena. Jo nahi hai use prakashit karna. Bhakti ka rahasya hai jo hai use prakashit kar dena. Jo nahi hai use mithya anubhav karana. Aap bhakti marg ke liye shri dham Vrindavan aae hain ya rah rahe hain. Nain achat deshat nahi. Yah maya kar rup.
yah maya trignatmika apni aisi bhav darshan drishti se karayegi ki aapko dham mein bhi dosh darshan ho jaega. Dham vasiyon mein aapko dosh darshan ho jaega. Yah maya karayegi. Maya jo dikha rahi hai agar wahi dekh rahe ho to jo guru dikha raha hai wah kab dekhoge? Jo dekhne aae ho wah kab dekhoge? Tumhari ankhen kharab hai. Ankhon ko sudharo. Kunj bihari biharni jo ka mahal hai. Unki asim ahtu ki kripa se hi yahan pravesh hota hai. Koi bhi ho shri Radhika kripa binu sabke manan agamya man se bhi nahi soch sakte.
Vrindavan aisa bol bhi nahi sakte. Ane ki baat jane do. Yah sansaar nahi hai. Yah dham hai. Pyari ju pyare ju ka mahal hai. Yahan sainik raksha nahi karte. Yahan subhat senapati lage hue hain. Jaise rashtrapati ke suraksha vishesh kamando ke dwara hoti hai. Aise hi dham mein swayam kam raksha ke liye khada hai. Swayam krodh khada hai. Irshya, dves, moh, abhiman yah murtiman hokar border par khade hain. Marg ke gira diye jaoge. Sainik nahi lage yahan. Yah anant bramhandon ke Swami ka nij mahal hai.
yah bhayanak bhayanak dand dene wale senapati yahan lage hue hain. Bahar tumhen kam kam sataega. Vrindavan mein zyada sataega. Bahar krodh bhale kam ave yahan zyada aa jaega. Bahar dosh drishti kam hogi yahan zyada ho jaegi. Kab? Jab abhiman se pravesh karoge, dainya hokar pravesh karoge to vrinda devi ki drishti tumhen pyari jo tak pahuncha degi. He savdhaan hokar sunie. Yahan agar aapka sadhan bhajan kam bhi hoga to jo bade-bade sadhna karne walon ko durlabh hai wah tumhen prapt ho jaega. Vrindavan mein jo kab kachu bhajan nahi hoe raj to ud lage tne peeve yamuna toe param pavan mahamoh bhanjni Priyaju ki priy sakhi shri yamuna ji ka sparsh karke vayu yahan ke vasiyon ko param pavan kar rahi hai.
yo brahm Rudra sukh narad Bhishma mukhya sahsa purushas tas vashikaran churn anant shakti tam Radhika charan ren manusmaram bade-bade mahapurush jinhe apne dhyan mein dharne ka prayas karte hain, dhyan nahi kar pate, un sacchidanand prabhu shri Krishna ko vashbhut kara ke bhakt ke hriday mein krida karane ki samarth rakhne wali Vrindavan ki rajrani hai. Vayu ka sparsh karke raj jab tumhare sharir mein ek kan bhi lagega. Mahamod mahamangal yahan bhajan na bhi ho to bhajan ho raha hai. Par vaishnav aparadh na ho. Shripad Prabodhanand ji kah rahe hain swaand sacchidanand ghan rup tamti yaav Vrindavan vas jantu tavat pravishto na tatravite tato para padvi parat aapko Vrindavan ane ka saubhagya mila aap Vrindavan vasi bane Priya pritam ke sharan sharanagat hue.
yah sab alabhya labh hai. Alabhya labh jo tum prapt nahi kar sakte. Kripa se tumhen prapt hua hai. Shri dham Vrindavan mein jitne bhi jeev jantu prani vriksh ghas tinka ye sab mahan bhajan karne wale mahapurush yahan akar in rup mein virajman hai. Dekho Uddhav ji mangte hain ki meri asha hai ki mujhe Vrindavan ki ghas lata aushadhi bana di jae. Yahan ke jo jeev jantu hai sab ek din hari Ram vyas ji ki vani mein padhaya ki kabutar sanakaad ki samanta rakhte hain. Ye jo guturga bolte hain na kabutar jaise sankadi ke darshan se param mangal se yahan ke kabutron ke darshan se yahan ki jo sukh sarika kokila aadi hai pakshi ye sab ras mein dubi hui shri ji ki sahcharya hai.
karod kalptar ko he kar dene wale yahan ke tumhen neem bambul jhadiyan jo dikhayee de rahi yah dham hai gupt rup se mahapurush is rup mein virajman hai shripad kah rahe hain tato paradhat padam parat param jo shri dham Vrindavan akar ke shri dham Vrindavan ka vas sweekar karke yahan ke vasiyon mein dosh darshan karta hai unki ninda karta hai. Use kishori ji ki kripa kabhi prapt nahi ho sakti. Vrindavan mein rahte hue bhi badi kripalu hain. Ho sakta hai aapko dham se bahar na karen par aap par raji nahi hogi kyonki aap unke nij janon mein dosh drishti kar rahe hain.
aap kah do hamen to dikhayee deta hai tumhari aankh kharab hai. Agar tumhari aankh theek ho to bhagwan bhagwat mein gita ji mein aur bhagwat prapt santo ki vani mein khub uchh swar se kaha hai ki mere siva kuch nahi hai. Dekh pa rahe ho tum? Bole maine satya dekha wo aisa kar raha tha. To tumne satya ko jana hi nahi. Jo kar raha tha wah sacchidanand shri Krishna yahi dekhne ke liye tum sant bane ho ya vaishnav bane ho ya dhamwasi bane ho unhin ka sakshatkar karne ke liye maya usi ko nahi dekhne degi bhakti usi ko dikhaegi aap bhakti marg ke prathik hain.
aap kisi ke bhi dosh darshan dekhen aapko dikhayee de raha hai. Laut padie apne ghar mein aie arthat hriday mein aur mera darshan galat hai. Meri drishti galat hai. He priyaju mujh malin ki drishti pavitra kar do. Drishti pavitra ho gayi to sampurn Vrindavan kya brahmand mein ek shri Krishna ke siva ek Priya pritam ke siva kuch nahi. Chid chid lakshanam sarvam Radha Krishna mayamm jagat swanand sacchidanand ghan rupta mati yah shri dham Vrindavan apne swaroop ki prapti kara deta hai yahan ke vasiyon ko. Yahan ke vasi sadhna karke swaroop ko prapt hote hain.
aisa varnan nahi hai. Sadhna ke liye to kaha bhrata samastan sadhnani vihay Vrindavan swastra yatha tatha pra vasna vasata shareeram vani hridayam vichtam aa kitna pyar kar rahe hain. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe ae bhaiya yadi tumhen isi janm mein bhagwat prem prapt karna hai to bhrata samastanya sadhnan vihay bhaiya sab sadhno ka tyag karke Vrindavan ka aashray le lo dhyan dijiye ye wo mahatma bol rahe hain jo hazaron ko brahm bodh karakar mukt kar diya hai. Ek do ko nahi hazaron ko brahm bodh karakar Akhandanand ki padvi pradan karne wala mahatma bol raha hai.
aise koi bole to bole pata nahi inko sadhno ka gyan ho ki na vedant ke adbhut vidvan adya guru bhagwan shankaracharya ke marg ke marmagya mahapurush swayam moksh padvi ko prapt aur hazaron ko mukt karne ki samarth rakhne wale Vrindavan ki raj ka jab unko mahatva pata chala to kya bol rahe hain bhrata samastan sadhna vihae anya jo shastron mein sadhna varnan ki gayi hai. Bahut badi mahima ki baat kar rahe hain. Aa jao chhod ke Vrindavan mein aa jao. Vrindavan swashrayaswa akar ke Vrindavan ka aashray grahan kar lo.
jaise maa ki chhaya mein balak ko kabhi bhi kahin bhi koi kasht nahi pahuncha sakta. Maa apne pran de sakti hai. Apne balak ko aanch nahi ane degi. Aise hi tum Vrindavan ko apni maa samjho. Vrinda bhi maa hai. Vrindavan prabhav sun apno hi gun det jaise balak malin ko mat god bhar le. Mal lagae hue balak ko shabd utkarenge. Lekin ek wo karunami maa hai jo us mal yukt balak ko apni god mein utha leti hai. Aise hi ham janm janmantro ke paap malin vichar wale jab Vrindavan ka aashray lete hain to maa ki tarah Vrindavan use sweekar karta hai.
use tapasvi jankar premi jankar ke nahi mera beta hai. Aisa mankar ham sab malin hai. Agar nirmalta hai to kripa se hai. Kripa ka bhi hath hat jae to hamari kya sthiti ho ham jante hain. Ham sab agar kisi ki manovatti priyal mein lag rahi to apaar kripa hai. Ye hamara sadhan bal nahi ye kripa se hai. Kah rahe hain ki praarabdh vashat Vrindavan mein tumhare sharir ko pida pahunch sakti hai. Vani ke dwara koi tumhen bura kah sakta hai. Tumhare hriday mein bhi jalan ho sakti hai. Par tum apne sharir ko, apni vani ko, apne hriday ko, Vrindavan ko de do.
ab jaise rakhoge waise rehunnga. Vani ko de diya. Aapka naam jap karunga. Aapka jas gaunga. Iske siva kuch nahi boluga. Hriday ko he hriday aradhya aap is hriday mein abhyahar karen. Is par mera adhikar nahi rah gaya. Yah jale ya prasann rahe aap jano nath main aapki sharan mein hoon. To age kya likh rahe hain ki Vrindavan phir uski kabhi upeksha nahi karta. Itna nich aisa nahi kahe. Par aap Vrindavan aae. Vrindavan vas kar rahe hain. Shri ji ke charnon ka aashray liye. Par aapki buddhi mein yah nahi aaya ki sab ladli ke ladle hain.
ladli jo ne pasand kiya hai. To ladli jo ki pasand ko aap napsand karne wale kaun hote hain? Agar aap na pasand karenge to aap bhi napsand ho jaenge. Aapko manana hai ki dekho kitni kripalu ladli hai ki iska aacharan bhi sahi nahi hai. Iski buddhi bhi theek nirnay nahi karti. Ye koi accha bhajnanandi bhi nahi par shri ji ise Vrindavan rakhe to iska matlab mera bhi chans lag sakta hai. Hamen yah sochna hai. Hamen ye nahi sochna are Vrindavan mein rahkar aisa karta hai. To phir aap kaise ho? Aapki janch hogi to phayl ho jaoge.
sansaar se jab aap shri dham Vrindavan ate hain to aapke paap bhayabhit ho jaate hain. Wah aapko nasht karne ke liye prayas yahan bhi karenge. Jaise aapne grahasti mein prayah aise bhaykar aparadh ho jaate hain jinko jante nahi. Koi mata bahan birli hi aisi hogi jisne garbhahatya, bhrun hatya yah sab na karwaya ho. Koi birla hi aisa ho. Ham pranam karte hain jinhone na karwaya ho. Aapne garb hatya karaya, bhrun hatya karaya. Yah vishisht mahapradh hai. Jaise aise ladai jhagde mein, hinsa mein tumhare dwara kisi ka vadh ho raha hai.
mahapradh hai. Nahi hinsa honi chahiye. Par usmen vichar ho sakta hai. Nyay mein krodhavesh mein aisa kar diya. Par garbhsth shishu ke liye nahi usne kuch nahi bola aapko wah abhi aapka tanik bhi amangal nahi kiya tumhare karm ke karan wo tumhara balak bana ya balika bani akar ke aur tum uski janch karwakar usko nasht kar diya keval tumhara aparadh hai us bachchhe ka aparadh nahi garbhsth shishu ka yah aparadh tumhen kha jaega bhago kahan bhag ke jaoge grahasti mein in apardhon ko mana hi nahi jaata ki ham aparadh kar rahe hain.
kyonki unko lagta hai garbhapat karana, bhrun hatya karna ye ek normal si baat hai. Hamen do chahiye ye char kyon to sanyam se rahte garb jab rah gaya to usko phir palan poshan karo. Apne karmon ka wahan nash hoga. Chahe jaise pagal bachchha hai jeevan bhar uski ham seva karenge to hamare jo purv paap karm ksheen ho jaenge. Uska bhi kalyan ho jaega. Mera bhi kalyan ho. Ham andar garb mein dekha yantron ke dwara ki svasth nahi hai to janmega badi davaiyaan karane mar do. Theek hai abhi aap mar do. Ab ye karm bij jab aapka safal hoga to jahan aapka kalyan ke liye kadam rakhoge tab wo aapke samne khada ho jaega.
ab usko agar koi mita sakta hai to hari guru kripa mita sakti hai. Apne ko bahut Paramhans mat mano. Aap kripa se Vrindavan aae ho. Kripa se aap bhagwat marg mein chal rahe ho. Agar aapki pol khul gayi to aap kya ho aapko hi pata ho jaega. Aapke karmon ko aapke aradhya dev, aapke Gurudev apne shasan mein lekar aap tak pahunchne nahi de rahe. Nahi to aap dhajhiyan udangi aise karm kiye hue ho. Shripad kah rahe Vrindavan mein kisi ke prati bhi aparadh buddhi mat karo. Nahi to yahan vas karte hue bhi aap kishori ji ki kripa ko prapt nahi kar payenge.
spasht likha hai tavat pravishto na tatravite tato parra pad parat parat padvi kahte hain shri Radha charnarvind ki dasata ko Priyalal ke shri samip shri angon ki seva ka adhikar prapt karna nahi prapt ho payega yahan ke pratyek pashu pakshi ki vandna acharyon ne ki hai. Hit sajni swaroopa Harivansh mahaprabhu kahte hain ha kalindi tam nidhi prashalito bhut bhoobh divyabhat tarultas tatkar sparsh bhaja he radhaya rati grih sukha he mriga he mayra bhyo bhaya prantih prarthukam he shri dham Vrindavan ki latao he yamuna ji he khag mrig pashu panchhi brajvasi jan ham sabke charan dhul apne mathe par rakhte hain.
bar-bar aapke charnon mein prarthna karte hain. Aap kripa karo priyaju ham par prasann ho jae. Arthat hamare aacharan aradhya dev ki prasannata wale ban jae. Pranat phir prartha anukampam main aapke charnon ki sharan mein hoon. Aap ham par kripa karen anukampa karen. Main prarthna karta hoon. Hari Ram vyas ji khag mrig pashu panchhi je ya banke charan sharan rakh leej vyas swamini ki chavi nirkat mahal tahalne ki aur ham hamare acharya to aise bol rahe hain aur ham yahan ke pashu pakshi ki to baat jane do sant mahatma sadhak upasako ka kis bhav se darshan karte hain apna apna patan mat kijiye.
ek siddhant aapko bata rahe hain. Yadi aap dusre ki galti ko kshma kar doge to aradhya dev aapki sab galtyon ko kshma kar denge. Jaise aapne apni hazaron galtyon ko daba ke koi jaan nahi paya. Aise hi aap jo sahi dukh par chhidr durava bandhni je jag jas pava mud mangalmay sant samaju jo jag jangam tirth raju agar aap bhagwat kripa patr banna chahte hain yadyapi samne wale ki cheshta se aapko dukh pahunch raha hai par jo sahi dukh par chhidr durava chhupa liya uske dosho ko nahi varnan kiya nahi mana ki ye doshi hai yadyapi wo usko dukh diya hai to bole kya bole bandhneey hai jai yahi jag wo vandneey mahatma ban jaega aur sansaar mein uska pavitra yash bhagwan phailaenge.
ham kya karte? Galti hamari hai. Kya ham sab mein apne prabhu ko nahi dekh pa rahe hain. Sab mein sacchidanand prabhu ko na dekh ke mayakrit darshan karte hain. Phir hamen kaise bhagwat prapti hogi? Hamen kaise prem prapt hoga? To hamen yah savdhaan rahna hai ki hamara bhav prabhu ki prapti mein badhak na ban jae. To ham apne bhav ki shudhi karte hain. Hamare prabhu ko sabse priy vastu kya hai? Itr chappan bhog sone chandi ke simhasaan chvar ya phool nahi ye sab kuch priy nahi ye sab parthiv vastue prakritik vastue ye to prabhu ke bhajan karne walon ko bhi priy nahi to prabhu ko kaise priy ho jaenge to prabhu ko kya priy hai sabse priy vastu kya hai prabhu ki bhav bhavotsaven bhajtam ras kam dhenu tam Radhika charan yah bhav na bazar mein milta hai aur na swayam ki upaj hoti hai.
yah bhavuk mahapurushon ke adeshanusar jeevan banane se bhav ki prapti ho jati hai. Bhav mila to aapka bhav badh gaya. Aapka bhav badh gaya to bhav utsav mein aap pahunch gaye. Bhav utsav mein pahunch gaye to ras kamdhenu shri Priyaju ki prapti ho gayi. Prabhu swayam kahte hain ki mujhe bhookh lagti hai. Aisa nahi ki mujhe bhookh na lagti ho par mujhe padartho ki bhookh nahi lagti. Bhav ka bhukha hoon main. Bhagwan ghoshna karte hain patram pushpam phalam tayam ye mein bhakt bhakt bhav bhav purvak yadi koi ek chhulu pani de de ek tulsi patr chadha de ek koi phool chadha main itne mein raji ho jaata hoon patram pushpam phalam toyam jal hai phool hai phal hai tulsi itne se bhav prabhu ko bhookh lagti bhav ki bhav ka bhukha hoon main aur upasna ka sar kya hai?
upasna ka bhav. Bole bhai yah to sahachari bhav ko prapt sant hai. Ye to sakha bhav ko prapt sant ye gopi bhav ko kya prapt hua upasna se? Bhav. Bhav hi ek sar hai. Shri bhagwan ke vachan. Bhav ka bhukha hoon main. Bhav hi ek sar hai. Wo bhav se mujhko bhaje to bhav se beda par hai. Bhav bin suni pukare main kabhi sunta nahi. Bhav purit terror hi karti mujhe lachar hai. Hamen shri dham Vrindavan mein bhav se rahna hai. Bebhav nahi ho jana hai. Hamara bhav kya hai? Acharya charan ke vachno ke anusaar sarvan vastu taya nireeksh param swadhya buddhim lakho bar kaha hoga yah shabd lakho bar ye shabd satsang mein kaha hoga aap sab bhagwat kripa patr jan hai kin ke liye kah rahe kish aradhya buddhi mam mahatma ke liye nahi kah rahe wo to hai hi un bhav hamara ki hamare prabhu ke bhajan karne wale prabhu mein hi hai ye krura ap papino nach satam sambhas drishtya inko bol rahe hain jo krur hai papi hai ya nich aacharan kar rahe hain acharya charan kah rahe hain tumhare samjhane
ki zaroorat nahi acharya kah rahe kaun acharya kah rahe jinke adhin bhagwan hai wo chahe to ghor papi ko tatkaal sakshatkar karva de narvahan prabhu nihar lochan bhari Gosh nari acharya ke adhin bhagwan hote hain jagaai Madhai ko aise bhagwat sakshatkar kara diya mahaprabhu chaitanya dev ne wo adesh kar rahe hain krur papi jo dekhne layak bhi nahi hai sparsh karne layak nahi sambhshan karne layak nahi aise nich aacharan wale inme bhi mere Radhavallabh lal sakshat virajman hai aisi meri dridh mriti hai aise hi aap dekho
sarwanu vastr taya nireeksh adesh kar rahe hain nireeksh aisa aisa dekho swadhya buddhi mam mere aradhya dev Radha vallabh lal in sab mein virajman aap kahan adesh palan karte hain shri dham ka vas karke aap kam se kam shri dham vasiyon mein bhagwat bhav kar lijiye dheeredheere ek jagah se shuru karoge puri srishti mein pahunch jaega kyonki shri bhagwan kah rahe hain tam tamev kaute sada tad bhav bhavit aap jis bhav se bhavit rahenge ant mein wahi final aapko prapt hoga to ham apne bhav kyon bigade? Bazar mein vastu ka mahatva tabhi badhta hai jab uske bhav badh jaate hain.
tumhara mahatva tabhi badhega jab tumhare bhav ban jaenge. Aur ham kya karte hain? Bhav bigad dete hain. Apne bhav bigadne ke liye aae ho kya bhagwat marg mein? Are bhav banane ke liye aae ho. Agar bhav bigad rahe to gurujanon se milkar turant sambhalo. Bhav agar khatm ho gaya na to saman mari ghumti hai. Uska koi ka hak nahi hota. Bole ab kya karen? Bahut bhav gir gaya hai. Bahut barbad ho gaye ham to hamne to kharid ke isliye rakha tha ki bhav badhega. Bhav badha nahi gir gaya. Ghata hi ghata pareshaan.
kahe ko ghata kar rahe ho? Apna bhav gira ke bhav badhane ke liye bhagwat marg mein aae ho. Bhavatsaven bhajta ras kam dhenu shripad kah rahe hain ki hamen Vrindavan mein agar aise rahna pare varam vrindane hari hari kare khar parabhto bhramamo bhikshartha swapach gath sunsa tathapi prachin param sukrit ratra militam nyatra kachap kathan chapurdam hari hari vrindavan hari hari he hari he hari rakh lo mujhe Vrindavan prabhu main koi suvida nahi chahta. Mujhe mitti ka patr lekar ke pratdin yahan ke swapach graham mein swapach graham mein unke tukde maang ke khane ka saubhagya mile.
aha kitni badi baat kah rahe aur maha punya se prapt hone wale jitne bhog hai unki main upeksha kar du. Arthat sansarik sukho ka tyag karke main apne ko nich man karke yahan ke swapach grah se bhiksha pa prapt karke main yahan aapka sumiran karta hua para rahun. Aisa kripa kijiye. Vyas rasik tei bade brajte anat na jae Vrindavan ke swapcho juthan mange khae aise mahmmahim shri dham Vrindavan mein prabhu aap kripa kar do ki mera sharir yahan pura ho jae. Shripad maang rahe hain. Kisi bhi paristhiti mein koi mere sharir ko yahan se bahar na le jae.
aisi kripa rakhna prabhu. Badi baat hai. Chhoti baat nahi. Agar hamare hath pair tut jae, hamara sarvasv nash ho jae to hamen yahi manana hai. Prabhu Vrindavan na chodna. Nath yah akhiri baji mili hai kripa se. Ab mera sharir isi dhul mein dhashit ho jae. Kabhi nahi. Prabhu bhul se bhi kabhi aisa hamare andar bhav na ave ki main dham chhodkar ke kisi bhi labh ke liye jaun nath nahi. Aap mahapurushon ke vachno ko nahi samjh payenge. Ek bar hari Ram vyas ji ki vani padh rahe the. Kuch mahapurushon ki baten aisi hoti hain jo lok vihaar mein bilkul nahi hajam kar sakte.
beti haat shringar ke kar Vrindavan vas. Ham zyada vyakhya nahi kar payenge iski kyonki yah chintan ka vishay hai. Aap log sah nahi payenge is baat ko. Par ham aapko itni prarthna jarur karte hain. Yah maharani ji ka mahal hai. Yah anath nahi hai. Malik har samay dekh raha hai. Jo bhi hoga param mangal hoga. Na tum apne ko na apne parikar ko sambhalne ki takat nahi rakhte ho. Aise ho jao. Kuch bhi ho aise ho jao. Parinaam mein ladle lal dekhna. Parinaam mein dekhna ladle lal muskurate hue aa jaenge. Badhiya sauda hai.
ek janm hamari ladli ko de do. Ab hamari izzat ladli ladli koi lut nahi sakta. Ham to lutana chahte hain. Luto. Hamari izzat ladli lal hai. Log kahte hain na ki izzat na lutne pahuncha. Gardan katwa le. Ham kah rahe hain hans hans ke ham izzat dena chahte hain. Lo luto. Hamari izzat ladli lal. Ham dena chahte hain. Aap lo par jholi phailao. Abhiman tyag karo. Ekmatra shyama Shyam ke hone ki bhavna mein aa jao. Mahima teri kaha kahun shri Harivansh dayal tere dwrae batat hai sahaj ladli lal ladli lal bat rahe hain.
he bhai sharir tumhari izzat nahi hai. Ye tumhari beijjti karva raha hai. Kya karva raha hai? Sacchidanand prabhu ka ansh hokar ke kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar mein fansakar hamari durgati kar raha hai. Ye ye dhancha ye dhancha hamari durgati kar raha hai. Main purush hoon. Bas isi ka abhiman aapki durgati ko pahuncha raha hai. Yah izzat nahi hai. Iski izzat tabhi mani jaegi jab iska bhav chhodkar shyama Shyam mein ham tanmay ho jae. Pyare aap azaan bhav ho. Aap hamari bhi raksha karo. Hamare parivaar ki raksha karo.
jo bhi yahan dham mein unki buddhi ki raksha karo. Nath sabki buddhi aap mein lage. Koi bhi maya ka drishya buddhi ko phisla na pave. Hamen aisi bhavna se rahna hai. Shripad Prabodhanand ji maharaj kah rahe hain nij sarvnash karatma sut sutdar dar mitra parivaar ganam parivay kar dridh buddham praplai yam hari kevnam kuch baten aisi hoti hai jo uchh koti ke mahapurush hi samjh sakte hain. Nahi to aap logon ka bhav nahi ban payega. Laukik buddhi wale ho na isiliye baten kai aisi paramarth ki unchai ki hoti hai jinko bahut saral bhasha mein kah ke aur unka antarik gadh raj se chhupa liya jaata hai.
kyonki uska adhikari ho to uska varnan kiya. Adhikari wahi hota hai jismen main nahi rah gaya hai. Agar main hai to adhikar un baton ki sunne ka nahi rahta. Kah rahe bhai main tumse satya kahta hoon. Tumhari vanchna ki ja rahi hai. Tumhen chhala ja raha hai. Shripad prabhund ke kaun chhal raha hai? Bole sud sut dar mitra parivaar ganam. Yah jitne sambandh isi ko saral bhasha mein goswami ji kah rahe man pachta hai avsar bheete durlabh deh pai hari pad bhaju karm vachan ar jite man pachta hai ausar bite sut batadi jaan swarth rat na kar neh sabhi te ant hi to hi tajenge pamar tu na taje ab te man pachta hai ausar bite par aap inheen mein rati kiye hue hain.
inheen ko apna kartavya mante hain. Inheen ko param lakshya man rahe hain. Inheen ke sukh mein aap sukhi ho rahe hain. Moh, asakti, rag aapko pata hi nahi hai ki chhup karke aapka bhagwan inheen rupon mein aapke saath khel raha hai. Pahchanie chhupa chupi ka khel hai. Ye aapki sab vanchna kar rahe hain. Parivay to kar dridh buddhi raham tu apni buddhi ko dridta mein la kya shri hari ke kevan yam hari kevnam Vrindavan ki nishtha sweekar kar aur desh ke basat hi ghatat bhajan ki baat Vrindavan mein swarth ulat bhajan wah jat aapke mukh se kaise nikal sakta hai kisi paristhiti mein ki dham chhod sakte hain.
dham chhorne ki chij hai. Sharir chhorne ki chij hai. Chhutega. Sambandh chhorne ki chij hai. Chhutega. Dham chhorne ki chij nahi. Bhag bado Vrindavan payo. Abhagi shabd se ab tumhara prichay nahi hona chahiye. Tum bade bhagyashali ho. Shri dham aae ho. Priya ji ke mahal aae ho shri dham vasi ho ab nahi bole parivaar parivaar hamara shri ji hai Lalaju hai Lalita vishakha hai tum thage ja rahe ho pyare samjho to ham vridh hai Vrindavan vas karenge hamari seva kaun karega shri ji ki sakhiya aap vishwas karo wo dhoti pahan ke nahi ayengi wah pa shirt pahan ke bhi angi aap kya jante ho?
aapko jo bhojan dekar gaya, aapko jo sambhal ke gaya, aapko sikha ke gaya, aapko lagta hai koi purush aaya tha, nahi shri ji ki sakhi ai thi. Tumhare de drishti nahi, tum pehchan hi nahi paye. Wo vivid rupon mein aake aapko sambhal lenge. Aap aham karoge ki mere rishtedar, mere natedar to wahan dhokha mil sakta hai. Lekin mere rishte natedar shri ji shri ji ke sakhiya dhokha nahi milega. Anya bharosa rahe yah sab vanchna karenge tum yam hari ke vanam Vrindavan ka bharosa karke Vrindavan ka dridh aashray le lo rin grasto ya katham Vrindavan taje vavagti pitau daras sukhan katham vanjeeva va parihre nij jan sala bhut phal kalno muhti ku Vrindavan vas ke liye jab sochoge to kubuddhi tumhen chain se nahi rahne degi kaun si kubuddhi rin grasto yayam are bhai matra rin hai pit mitra rin hai hamara kartavya hai ye ye ham kaise Vrindavan jae aur logon se bhi udhar lekar ke kuch kuch kam vyapar kiya ye sab
ab ye sab nipta ke hi age sochenge bhajan ka tab tak tumhen kal nipta diya jeevan ka koi bharosa nahi kaise Vrindavan jaun hamare parivaar ki vyvastha to hai hi nahi sab chhodchhad ke Vrindavan kaise ja sakta hoon abhi chhote-chhote bachchhe hai parivaar budhe matapita hain taje vriddhav gati pitr daras suka chhota bachchha kaise ye bhajan to Baba ji ke hamare logon ke bhajan bhagwan jab chaenge to kara hi lenge bade buddhiman log the ham apne bachchhe ka kaise poshan kar payenge Vrindavan hamara vishwas abhi prabhu ki mahima ko nahi chu paya isliye isliye aisi baten hoti hai.
agar vishwas hamara to anant bramhandon ka palan poshan kaun kar raha hai? Bole sab apne apne parivaar ke poshan mein lage hain. Aise jeev hain jinko aap jante bhi nahi. Unke paas kahan se unka ahar ja raha hai? Wo kaise jivit rah rahe hain? Charachar jagat ka bharan poshan Vishvambhr bhagwan kar raha hai. Shodha ji ke man mein satsang sunte sunte vairagya hua. Naveen patni abhi naveen balak prakt hua. Unhone dharm ke anusaar bartaav kiya. Ratri mein patni se kaha main hath jodkar aapse prarthna karta hoon ki aapka pani grahan kiya hai.
aur ab mera hriday prabhu se milne ke liye vyakul ho raha hai. Main ji nahi sakta. Yadi aap hamare saath chalna chahti hain to sadar aap chalie kyonki aapka pani grahan kiya. Aap nahi chalna chahti to putr sahit sampatti hai. Aap isi ka bhog kijiye. Ab main ruk nahi paun. To unhone kaha prabhu main aapke bina nahi rah sakti kyonki hamare aradhya dev bhi aap hain. Hamare pati bhi aap hain. Jeevan sathi bhi aap hai. Unhone kaha hamne pehle nivedan kar diya. Aisa Shastri siddhant bhi hai. Par aapko saath mein kuch lene chalna hoga jo age ab us ardh ratri ke baad hi nikle kafi dur chale to piche awaz pair ki aa rahi thi itne piche kyon mud ke dekha to god mein balak le liye thi wah kaha tha kuch nahi le chalna bole isko kiske sahare chhod de god ka balak hai to niche cheentiyan reng rahi thi bole yah kiske sahare hain ab chinti aur balak mein to antar hai na.
wah cheetiyon ko paida thodi kiye. Balak ko paida kiya. Uski mamta hai. Agar tumhen balak se mamta hai to hamne kaha tha le jao. Sampatti hai hamari uske saath upbhog karo. Yadi tumhen hamara saath dena hai to balak ko chodna hoga. Yahi chodna hoga. Hamare adesh ka palan karo. Jangal mein chhod do isko. Chhod diya. Chal diya. Ab wo to satsang ke prabhav se nirmal hui buddhi ke dwara bhagwadakaar vritt ekant mein bhikshatan ke dwara sharir nirvah karna tirthon mein bhramn karna par us maa ka hriday bar-bar kas sakta tha kya hua hoga mere balak ka ab ye vairagya ke bal se moh rahit the par wo inka aashray liye thi vairagya ka nahi wo apne pati ko nahi chhod sakti thi par antarik jo mamta saathiyon bar-bar prashn karti thi kya hua hoga us balak ka?
kai varsh vyatit hone ke baad jab unhone dekha ki iska chintan bhagwadakaar nahi hai. Iski vritt ek vishay mein atki hai. Uska nivaran karna chahiye. To unhone kaha chalo tumhen le chalte hain janmabhumi. Ab 12 varsh mein bal badh gaye the. Bhesh bhi jab zyada sharir ki suraksha vyvastha nahi ki jati to malin ho jaata hai bahar se ganv ke bahar gaye to kuch log jo kheton mein kam karte the wapas aa rahe the dekha sant hai nazdik gaye pehchan nahi to unka bhai hamne suna hai tumhare ganv ke shojha ji ek the wo vairagya le chale gaye bole haan to unke koi santan bhi thi kya bole haan haan ek ladka tha wo jangal mein chhod diya tha aur shojha ji ke mitra raja the.
badi shraddha rakhte the. To unhone bhi khojwane ki koshish ki to raj sainik ghode ke dwara piche kiya par soja ji to mile nahi. Unka ladka mil gaya. Jab unko pata chala ki soja ji ka ladka chhod ke chale gaye to raja ke paas putr nahi tha. Unhone bola ab wo 810 varsh ka rajkumar hai aur wo raja ke yahan rah raha hai. Accha accha accha patni ko bole samjhe wo rajkumar bana baitha hai. Agar ham palan poshan karte to kabhi usko wo sukh nahi de sakte aur Vishvambhr bhagwan ne dekho usko raj ko chal chupchap bhagwadakaar vritti kar sachchi mano agar aap aise rahoge to pranat kutumb pal raghura aapke parivaar ko kaise hari sambhalnge pakka vishwas rakho rinasto yayam kath Vrindavan maham main aise kartavyon ko chhodkar ke aise kaise ye maya krit vritt ham yah nahi kahte tum sojagi ji ki tarah itna vishwas itni vairagya vritti tumhare mein na ho to aao do char din ke liye Vrindavan aa jao satsang suno bhagwat vigrah ke darshan karo parikrama lagao raj aur charanamrit yahan se le jao khub naam jap karo jeevan ko bhagwat bhajan yukt kar lo tum sukhi ho jaoge kyonki jeevan mein jo jo kiya yam yam vaap smaran bhavam tajatte kalevram jo jo tum bhav kar rahe ho wahi tumhara antim final hoga.
hamara antim sudhar jae. Hamara jeevan sukhmay shantimay anandmay ho jae. Iske liye bhajan avashyak hai. Bhajan ke liye Bhajnandi santo ka sang avashyak hai. Aur iski bahulyta dham mein hoti hai. Gali gali yahan ek se ek mahapurush virajman. Ek se ek unche bhav mein dube hue mahapurush virajman. Unki charan raj milegi. Unke vachan milenge. Apna mangal hoga. Jantam vih galam bhanje swayam bandham aha badi badhiya baat hai agar samjh mein aa jae tum sun rahe ho to jaan bhi rahege tum amrit ka tyag kar vishpan kar rahe ho prabhu ka namamrit prabhu ka rupamrit leelamrit dhama charanamrit vachnamrit in amrit ka tyag karke tum mrit vishar kar rahe ho dekho tum kahan rah rahe ho mrityu lok iska naam kya hai dhyan hi nahi dete aap mrityu lok jaise kasaeevada kasaeevade mein kya hota hai chahe jo pashu jae aise ham kis lok mein mrityu lok arthat marna hai kab number aayega pata nahi jaise saikadon pashu bandhe jitni avshyakta hai katte chale ja rahe aise hi kal ka ye kasai wala hai sansaar dekh lo na sabko kaat raha hai hamara bhi number hai hari hari ghas dal ke badhiya shani chara diya ja raha hai ye poshan ke liye nahi diya ja raha hai jab tak gadase mein number nahi aa raha tab tak kha lo kaat ke phenk dekh jao.
marna to hai hi yar. Ham sabko marna hai. Kyon? Mrityu lok mein aae marna padega. Aaj tak koi aisa nahi yahan hua ki mara na ho. Wo bhagwan hi hai. Nahi to sabko sharir tyagna parta. Bhaiya sharir tyagne ke pehle kuch aisi baat kar lo ki ab dobara sharir na mile. Ye dobara dukh na bhogna pare marne ka. Accha ek bar marna ho to hai. Karodon bar mar chuke hain. Phir marna hai. Yah kab tak marte rahenge? Chalo kahte hain ek hi bar to marna hai. Yahan prati minute mar rahe hain. Kabhi kam mar raha hai. Kabhi krodh, kabhi lobh, kabhi moh, kabhi yah chinta, wo chinta, yah pareshani, yah samasya kitna ham mar rahe hain.
kab tak marte rahe? Kabhi dekho kabhi thoda thako in vicharon se. Aao shanti ke marg mein aao. Tyaga nirantram tyag ke marg ka anusaran karo. Andar se bhogon ka tyag karke jab prabhu ke marg mein aoge to amrit milega. Naam amrit mrityu nahi yahan sab mrit hai. Mrityu lok yahan kuch bhi theek nahi hai. Sab gadbad hai. Man lijiye ye sab jadu ka tamasha hai. Jahan aapko fansa diya gaya hai. Ek jadugar apne aap ko itne rupon mein faila ke aapko phansae. Aapko pakdna hai wahi hai wahi hai wahi hai wahi mukt ho jaoge badi samasya hai jise aap samjh nahi rahe badi samasya hai is khel se nikal chalo nikal chalo agar nahi nikle to bahut bura khel hai dekho aise aise khel hai jara si galti hui aajeevan kar avas pashu ki tarah jail mein band na parivaar se mil sakta hai na hans sakta hai na khel sakta hai na bol sakta hai bhaykar rog paida ho gaya aap marenge tab marenge lekin jab tak jinda hai tab tak jalenge aur bhogenge.
kaisa ye fas kaisa fasav hai? Kisi ka dil kharab, kisi ki kidney kharab, kisi ka lever, kisi ko cancer, hai blood pressure, lo blood pressure, 500 sugar kya hai ye? Is sharir ko tum sukh samjh rahe ho. Kitni davaiyaan khaoge? Maroge to hai na. To ek upay aisa kar lo ki ab jo kuch hua age wala sudhar jae. Bhagwan kah rahe hain tajte kalevram sharir chhote samay yadi tumhara chintan mera ho gaya to mere ko prapt hoge to jiska ho jaega tam tame kaute yam yam vaap smaran bhavam antim samay jo tumhare bhav aa jaenge wahi tumhari gati ho jaegi ab hamen bhav banana hai bhai chuko mat agar aapka bhav ban gaya to unche uth jaoge badi badhiya bikoge khareedne wale shri hari honge bhav ke grahak keval bhagwan bhav grahi janardana tumhare bhav ko dusra nahi samjh sakta keval tumhara prabhu samjhega asha bhi mat rakhna ki koi tumhen sammaan de ki tum bhajan Anandi ho asha mat rakhna nahi to rona padega asha ek Ram ji se duji asha chhod de nata ek Ram ji se duja nata tod de ye keval pravachan nahi hai.
andar ki baat kah rahe hain. Raho sabke beech mein lekin prabhu ke hokar raho. Vihaar karte nazar aao lekin asha keval bhagwan se rakho. Nath aap sambhalna aap dekhna. Kisi se asha mat rakho ki tumhen koi support de dega. Jisse asha rakhoge wo kahega jarur ki ham tumhen sahyog karenge lekin tang pakar ke unche se niche girane ka kam karega. Unche chadne ka kam keval hari karenge. Dusra nahi man lo meri baat bharosa rakhoge rooge bharosa tutega ek bharoso ek bal ek as vishwas ek gram Ghanshyam hit jatak tulsidas prarthna man lo kisi vyakti ka bharosa mat karna kisi vyakti se asha mat rakhna kisi vyakti ka bal mat rakhna ekmatra prabhu shri hari se rakhna dekh lena yah bharosa kabhi todte nahi hai.
ye aap vishwas karoge age chaloge to aapka bhi aise anubhav ho jaega jaisa santo ka anubhav hota hai. Bade kripalu bade dular karne wale prabhu aise aswabhav kahun sune na dekho gazab ka swabhav hamare prabhu ka hai. Usi se hamari chati phuli rahti hai. Agar wah jaise aap log dosh darshan karte hain na agar wah aise dosh darshan karen to ghor narko ke siva hamen kuch nahi milega ham sabko kyonki aise aparadh ban gaye hain. Anant janmon se ham aparadhi aparadh karte chale aa rahe hain. Par vah mere Swami mere apardhon ko na dekh kar ke mere rone ko dekh main ro raha hoon sansaar ke dukh se.
lekin wo kripalu sarvagya hote hue yah jal rahe ki chalo roya to mere aao meri god mein aja balihar kisi ki patni mar gayi thi uski patni ka naam tha kishori ab wo itna aasakt patni mein tha ki wo patni mari to pagal ho gaya pagal bhikshit bas thodi thodi der mein aise haan kishori kitna badhiya saubhagya hota hai jab ghar walon ka bhagwan naam rakh rakha jaata hai. Putr ka naam rakha Ajamil ne narayan to bhagwat prapti ho gayi. Agar chintu pintu rakha hota. Altam mein kahta are pintua to Yamraj ke dut gala daba ke mar ke le hi jaate.
are ab apni parivaar mein naam badlo bhaiya. Ye appu gappu mat rakho. Thoda naam pavitra rakho. Ab uski patni ka naam kishori tha. Kamal dekho kishori naam ka. Ab kuch log barsane aa rahe the to wah bhi viksipt aise piche laga. Ekant mein premi ko hriday mein virah tap zyada badhta hai. Ratri ka samay tha barsane ke gahwar ban ke aisi sundar lataon ko dekhta hua chilla ke rone laga. Haan kishori tumhare bina jiya nahi ja raha. Aa kya matlab amritmay baat ban gayi hamari bhori sarkar ladli jo ne kaha lalitaju koi mujhe pukar raha hai kah raha hai mere bina jiya nahi ja raha to unhone kaha ladli jo aapko nahi pukar raha uski patni ka naam kishori hai wo mar gayi hai isliye ro raha hai aadi naam mane pahla naam mera naam kishori hai na mera hi to naam kishori hai.
nahi nahi wo dekho bar-bar kah raha haan kishori haan kishori lao usko leva ke o ho pyaro kshamte sukhad naam dhyanam bhagwan shiv sukhad ke dhyan mein jo Radha tatv nahi aata aaj dekho bilkul nahi janta kishori ji kaun hai uske man mein bhi nahi ki kishori jo mile koi matlab nahi wah to apni patni ka dhyan karke bol raha hai haan kishori Lalita jo ai chal swamini jo dayalu ho gayi tujhe bula rahi to Lalita ji ka darshan swamini ji se kam thodi hai jo hi Lalita ji ko dekha nishpap ho gaya santo ke darshan se paap nasht ho jaate hain sant daras ji mein patak daras paras agnas phir ye to shri ji ke saman balshali aur shri ji se badi balshali hai kaise aap kahoge ki praman kya hai ki sakhiya shri ji se balshali hai.
jab lal jo prem vikal hote hain to Lalaju ke lawanya aur prem ko dekhkar ladli jo shithil ho jati hai aur ladli ji ke rup aur prem ko dekhkar lal jo murchhit hone lagte hain aur ladli lal donon ko dular karte hue sakhiya chaitanya hokar savdhaan hokar inki seva mein rahti hai. Bolo balvan hui nahi. Jis prem ne ladli ji ko vikalp shithil kar diya. Lalaju ko kar diya. Unhee donon sukumar tattvo ko sakhiya apni god mein apne dular karti chaitanya hokar kitni jaise aapka vatsalya umta hai apni naveen bahu aur naveen bete ko dekhkar donon dulha dulhan kamre mein virajman hai aur aapne ekant se dekha ki hamara putr hamari putravdhu donon baithe khel to aapka man kya kahta hai he bhagwan ye joriya vichal rahe sukhi rahe to rasikon ki jo hriday vritti hai na jo akhil bramhandon ke ishwar prabhu shri Krishna dulha aur prem samudra ka sar murtiman swaroop ladli
dulhan ye dulha dulhan jab baithe baat kar rahe hote hain to sakhiya chal pasar kar ashish deti mangti he vidhna meri ye jugal jodi chiranjeevi rahe aise hi rang karo nishwasar vrinda vipin ko kaisa maha ras hai kaisa mahabhav hai ishvaro ko ashirwad de rahe hain ladli jo tharo hachal raho suhag ye samarth kisi mein hai kya ladli lal ko ashish deti hai ladli lal da ashish Harivansh prashansat kari anchal ki chor gavat sundar hari saras dhar pulkit khag mrig bahat na bar jaise Harivansh hans hansini samaj aise hi karo mil
jug jug raj jug jug chiranjeevi bhav ye samarth ye samarth sab jinke age hath pasarte hain unko sahcharya ashish deti hai jug jug chiranjeevi bhav aise hi khelte the Lalita jo Shyam samne chal shri ji ne bulaya ek second mein sacchidanand bhav ko prapt ho gaya ek second mein koi sadhna Lalita ka sakshatkar hote hi bina sakhi ke darshan ke shri ji ke darshan asamabhav ho hi nahi sakte shri devrshi narad ji ne jab suna ki Lalu maharaj sacchidanand prabhu nand grih mein avtrit hue to darshan karne gaye to vichar kiya ki ladni Priyaju bhi kahin ayengi kyonki lal jo aae to Priyaju bhi khoj kar rahe the pata chala vrishabhan ke yahan beti je mahal mein pravesh ki pata chal gaya haan ladli jo ai hai kyonki hriday mein apaar anand dehri ko pranam kiya andar gaye Vrishabhan ji ne dekha narad ji sashtang dandvat kiya prabhu apaar kripa prabhu ki hui ki aapke darshan hue mahatmaon ke darshan bhagwat kripa se hote hain.
ham jaise grihasth ko pavan karne ke liye aap jaise mahatma vichran karte hain. Apne putr ko lakar dandvat karaya. Narad ji to bas hamne suna hai aapki koi naveen santan haan kanya hui darshan karao. Bheel hai gaye to dekha chhoti si ladli mano kanchan varn ka kamal virajman ho. Sat Kumbh dhan gori vichar kiya ye abhi nav balika ke rup mein itna saundarya to shri Krishna ko mohit karne wala jo kishor avastha ka swaroop hai wo ladli jo aankh munde hue shant ekdam palne pe lete narad ji ne kaha dekho ham is balika ke mangal ke liye kuch karna chahte hain aap sab hat jao sab jao mahal se bahar darwaza band kar liya andar bhi ladli use rog kahne lage Priya ji ek bar main us rup ke darshan chahta hoon jo nand nandan ko mohit karke apne vashbhut rakhta hai.
jake adhin sada hi sanvro ya braj ko sir taj hamare mai shyamaju ko raj aisi shyama je hi prarthna ki te asht sakhiya prakt ho gayi char is baj Lalita vishakha champak chitra tung vidya rang devi indralekha aur sakhi ye pradhan asht adhikarini sakhiya hain. Inheen ki kripa prasad se shri ji tak pahuncha ja sakta hai. Anytha kisi ki samarth nahi kisi ki samarth nahi atyant durlabh Radha tatv sakhiya prakt hui sakhiyon ka jab darshan hua devrshi narad ki samarth badhne lagi sakhiyon ke darshan se shri ji ke darshan ka adhikar prapt hi shri ji prakt hui palne se palna gayab aur dekha nau kishori neelakmal liye hue o ho aap sachchi sachchi samjhiye hriday phat jae yadi acharya kripa na ho bhawnatmak shri ji ka saundarya ane par hriday phat jae hriday ki kshamta nahi ki ladli ji ko rup ko dekh ke hriday dhadak pave lal jo murchhit ho jaate hain venu kara patilitmandam bhrashtam chapeet vasnam Brajraj suno jinka naam mohan jo kahin nahi mohit hote sabko mohit kar lete Madan mohan muni man mohan vishv Manmohan un lal ju ko mohit kar leta hai jo rup wo Radha rup hai.
shri ji ka jo rup prakt hua narad ji ke ankhon ke samne tej hi tej hai. Shri ji nahi dikhayee de rahe. Murchhit hokar gir gaye. Shri ji ko nahi dekh paye. Sakhiyon ko to dekh liya. Sakhiyon ne shri ji ka charanamrit utara aur narad ji ke mukh mein dala aur kaha devrshi utho utho tumhare maha saubhagya se hamari swamini prakashit ho rahi darshan kar lo nahi to dobara darshan karne ka adhikar prapt nahi hoga charanamrit pite samarth jo shri ji ka rup dekha acharya hai vikal ho gaye narad ji vrishabhan bhavan mein rup darshan matra tabhi kaha gaya y Narda suk ragam shri ji ke charnon mein mahawar lagane ka saubhagya nahi mila darshan karne ab usi maha saubhagya ko bina sadhan karne wala
ladli jo ki karuna se prapt kar raha hai Lalita ji ne kaha chal swamini ji bula rahe Lalita ke darshan matra se wo apne swaroop ko prapt ho gaya tha darshan matra se jaise bhagwan shri Ram kahte mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa to aise Lalita jo ke darshan matra se swaroop bodh ho gaya unko nazdik gaya o anant sahcharyon ke mandal mein shri swamini jo gavarna viharan karne ai thi o saundarya dekh lut gaye oo maharani ji aise mahan rishi kya unka naam tha ali kishori ji maharaj mahan
kaun rasik sant usi kshan se he ye hamari hai swamini jo apne patni bhav se kishori naam ko pukar raha hai itna bade maha aisa nahi ki usi samay pran haan sakhi ki kripa ho gayi na isliye pura jeevan ladli ka jas gate hue hamari swamini ji itni kripalu hai yadi aap kisi ki ninda nahi karenge kisi ka durdarshan nahi karenge shri dham vrind Vrindavan ya brajwas kar rahe hain to hamare malik bahut karunam mein hai. Aapko wo gati milegi jo sadhna se bhi nahi milti. Isiliye kah rahe hain janan napritam vihay garam bhanje swayam bandham are tum jaan rahe ho sun rahe ho.
amrit ka tyag karke vish kha rahe ho. Mukt hone ki jagah bandhte chale ja rahe ho. Kya bandhan? Swayam tumne bandhan sweekar kiya hai. Ham inke bina nahi ji sakte. Is vastu ke bina nahi ji sakte. Is bhog ke bina nahi ji sakte. Baten banana alag baat hai. Vairagya se rahna alag baat hai bhai. Bairagi pratiphal bhathi mein chadhi hui agni ke saman jalta rahta. Tumhen kya pata wo bhagwat anand jab milta hai wo to baat alag hai. Jab tak nahi milta to uski kya dasha hriday ki hoti? Yah sadhak jante hain. Isiliye kaise ham tumhen batayen ham inko kitna pyar karte hain.
ham hriday se kahte hain. Ye jo bhagwat marg mein chalne wale naujawan bachchhe bachchyan sab utsah purvak chal rahe hain. Hriday se ham pyar karte hain. Hriday se ashish dete hain. Tumhari sadhna ke bal se tumhen shri ji nahi. Tumhen kripa bal se shri ji milenge. Bas chupchap shant apne marg mein chalte raho. Ek ek second ka hisaab hoga. Aisa hisaab hoga ki nihal ho jaoge. Shri dham Vrindavan amrit pan karata hai. Premamart dham hai keval aashray matra se par jo hamen shanti nahi milti jo hamara man jalta hai jo hamare man mein nana prakaar ki bhavanon ka uday hota hai uska karan hamari galti hoti hai.
agar ham yah keval ek baat hamne saikadon bar satsang mein kahi aap keval prapanch mat karo yahan tumse Priya pritam ki anya baat kar raha hai Priya pritam ke aap kaise sun liye Priya pritam ko dekhne ke liye aap aur kaise dekh rahe ho netron ko mundo inko danto ki bahut dekha sansaar ab to Priya pritam ke dekhne layak bano vani ko roko shri ji ke jas ke siva aap nahi bolenge hamen shri dham Vrindavan kamban vasi hai Priya pritam ke upasi hai rasna kato jo an rato tumhen yad nahi hai do rasna kato jo an rato to aapko lagega ki ham sudhar kar lenge aisa kah ke tumhara hi sudhar jinki kripa se ho raha hai unhin ki kripa se sabka sudhar hoga tum sudhar nahi kar paoge tum apna sudhar karo apna kalyan karo pehle jag ka kalyan swayam hoga.
jab tum bhagwadakaar vritt se hoge to hazaron ko bhagwadakaar vritti karane ki samarth aa jaegi. Tum hi mein samarth nahi to pehle apni drishti badlo. Nirakh nayan Harivansh guru ki drishti se dekhoge to priyal dikhayee denge. Maya ki drishti se dekhoge to bhagwan mein bhi dosh dikhayee dene lagega. Ham nirdosh drishti ke liye shri dham aae. Janbujhkar jahr mat piyo. Amrit ka pan karo. Janbujhkar ke bandhan sweekar mat karo. Yah moksh marg hai. Mukt hone ka dwaand mukta. Dukho se mukt hone ka yah marg hai.
nana prakaar ke dwaand peeste rahe. Tumhen avsar mila hai. Nikal ja. Pyar vaat nibandhnam dridhatram kur sud suvat tumhare sundar netr phir bhi tum andhe hokar kue mein girne ja rahe ho tumhen pata nahi hai ye bhavkup hai sansaar ko kya kaha gaya bhavkup andhkar mein kua gir gaye nikalna mushkil hai mahan dukho ka samuh is kue mein bhara hua hai dukhalayam ashasvatam jahan jahan tumhen isse nikala ja raha hai wahan tum aur hath chhudakar usi mein ghusna chahte ho. Pyar vrat nibandhnam dridhatram tum usi bandhan ko dridh kar rahe ho.
kurwe sudwat andh ke saman tum usmen punah girne ja rahe ho. Shri vrinda maji swayam yam vikrishya janta swashya ab ek hi asha dekh rahi hai he vrindavneeshwari he Vrindavi mujh nich ko sweekar kar lo yah bolo yahan nich hai koi ye mat bolo mujh nich ko sweekar kar lo. Meri jeevan ki ek hi asha hai ki main kabhi pyari ji ke charnon mein matha rakhkar roun. Ek wo kab din aayega? Jab gore charnarvind ko pakar ke ham sab ro rahe honge aur shri ji dular kar rahe honge. Yah tum nahi soch sakte. Tum yah sochne ke liye Vrindavan aae ho ki kaun kya kar raha hai?
tum Vrindavan ke malik ho kya? Are yah sab bhagwan ke premi jan hai. Inki bah cheshta kuch idhar udhar dikhayee de. Aankh mundo bhajan karo. Shri ji jaise tumhen sambhal rahi aise unko sambhal lengi. Unke mahal mein ye unke jan hai wo jane. Agar unse shikayat karoge to tumhari janch baith jaegi. Shikayatkarta ki pehle janch hoti hai. Yadi aap dosh rahit ho to aapko koi doshi dikhayee nahi dega. Dekh lena jab hamare andar dosh hote hain tab dosh dikhayee deta hai. To bhaiya hamen khud rona hai. Shri ji he Vrindavi mere jeevan ki ekmatra asha bas aapki kripa hai aur koi hamare mein gun nahi.
pujyapiya Baba ji maharaj maine bahut sadhna ki unke vachan maine bahut sadhna ki par ham vikaro par vijay prapt nahi kar paye par guru aashray aur guru kripa se mujhe pata hi nahi chala ki vikar kab nasht ho gaye pujypad Baba bade-bade mahapurushon ne kripa se paya hai apne ko nirvikaar sadhna se nahi aur apne log kitne sadhak hain kis koti pujya Baba 18 18 ghanta Padmasan mein 18 ghanta Padmasan aap dekh lo ek ghanta baith ke dekho Padmasan mein 18 ghante Padmasan bhojan kitna ek gras daal roti aise sani aur ek kaval aise bas ast matra chavi lagi hamare bhajan room mein pujya Baba ki aise kamdal ek langoti ast matra hoe rahe sharir wo kah rahe bahut sadhna karke prayas kiya par vikaro par vijay prapt nahi kar paya.
andar vikaro ko dekha par jab guru aashray guru kripa hui to kya pehle guru aashray nahi tha? Nahi tha. Guru aashray tha par sadhna pradhan thi. Jab pata chala ki mere banae na banegi koti kalap lo aapke banae banegi. Tab asli sa aashray hua. Aur jahan aashray hua to Baba ne kaha ki mujhe pata hi nahi chala ki vikar wo kab chale gaye. Pujya Baba ke samip rahne wale Swami shri Akhandanand ji maharaj kahte hamne kabhi Baba ko Rasendra aur Jnendra ke vishay mein kabhi hamne unko dheela nahi paya. Rasd aur Jnendra ke vishay mein kabhi Baba par kai kuch nirlep mahatma aur wah mahatma kah rahe hain ki hamne guru kripa se vikaro par vijay par to hamari guru hai ladli jo kam dukh nikandni karuna kar udaar chanchal chit akarshani lalan u par charan dharni wo hamari swamini hamari guru ham sabki guru ladli jo hai aur koi guru nahi ho sakta.
guru ladli ladli guru guru ladli ladli guru kyonki yah dham hai yahan guru ki guruvai nahi chalti sabke guru kaun hai jante ho shri Krishna vande krishnam jagatguru aur jagatguru ke guru kaun hai ladli jo maharaj piy ko nachan sikhwat pyari lal ji maharaj ka varnan shastron mein aata hai kitni kalaon se yukt hai hamare hamare maharaj shri Krishna chandra jo sodas kala maharani jo 64 kala praveen 64 16 aur 64 16 chauko jagat guru se char guna 16 chauko 64 tabhi ja ke adhin sada hi sanvro Radha tatv ko isiliye agam nigam puran ne varnan nahi kiya kahin padh ke dekho chhota mota sutra milega.
jaise upnishdon mein darshan kiya to radhopnishad chhota sa Upnishad hai. Purannon mein brahm vaivarta puran chhoti chhoti point hai. Keval kishori ji kisi ke samarth nahi Radha tatv ka varnan kar le jo ko koti kalp lag jive rasna kotik pave to ruchir badnarbind ki shobha devlok bhulok rasatal sun kabhi kul mat darie kaise varnan karen pahunch hi nahi to varnan kya karen accha ek rup dikhayee de raha hai to uska varnan ho yahan kaise varnan ho ye kaun baat jo ab aur abre do ek saiya par virajman hai. Anadi kal se anant kal tak donon ladle khel rahe.
aaj tak pehchan nahi hui. Do adant bihar kah to lal Priya mein bh na tumhari buddhi kam karegi. Are brahma ki buddhi kam nahi karegi. Auron ki to baat ja lete. Hamare ladli jo maharaj hain. Jagat guru ki bhi guru hai. Ham sabke guru ladli jo hai. Ham sakhiyon ki ham dasiyom ki hamari swamini jo guru hai. Hamare guru hamari swamini ju hamari swamini jo hamari guru abhed hari Harivansh bhed nahi hoi. Prabhu ishwar jane sab koi do kahe na ananyata. Guru Govind na bhed karae. Shri Vrindavi matra maji swayam y sneh vik janta swakam samanesi he vrinda tavi jaise aapne mujhe ghaseeta hai aise thoda aur ghasit lijiye bahut ghasit liya sansaar ke prapanch se ab andar ki vasnaon se nikal dijiye mera hriday nirwasnik ho jae he snehmai maa Vrindavi bhi mujhe shri ji tak pahuncha dijiye.
aise dainya rahoge Vrindavan ka aashray loge to tumhare antim samay mein hamari maharani ji ki kripa chhaa jaegi. Shri ji jaisi kripalu ham tumhen kaise kahe matlab shabd hi nahi hai na shabd hi nahi hai. Maharani ji ko kabhi gussa hi nahi aaya. Aaj tak kabhi gussa nahi aaya. Kabhi ne kahun na rish kahun bhuli ho na ho saki. Par ham logon ko is kripaluta ka durpayog nahi karna chahiye. Apni swamini par koi anguli utha de aise vihaar nahi karne chahiye. Hamne bahuton ko galiyan dilai apne mata-pita ko dilai aur aur bhi sab ab apni aisi pyari sukumari ladli ko nahi.
itna to tum izzat rakho ki tum kinke ho? Tum shri ji ke ho. Ab aisi koi baat aisa koi aacharan aisi koi cheshta jisse koi hamare guru ko hamare isht ko gali de aise nahi ho isi janm mein ye dham tumhen shri ji se mila dega dekh lena aisi ghatna ghategi maharani jo ruk nahi paengi bhag padgi aapki taraf wo dayaluta ki samudra hai Vrindavan aisi vyvastha kar dega ki aapka ar bhav aur ladli jo ka bhag ke aapke paas ana aati hai haan haan nischit wo ye nahi dekhti ki bhajana bata rahe na patni ko pukara mil gaye bhaiya ham to us ladli ji ko pukar rahe hain na jaan ke pukar rahe ha swamini ha Radhe ha Priya hamko nahi milenge wo patni ko pukar raha hai use mil gayi wo putr ko pukar raha narayan bhagwan ke mil gayi to ham kaun dushman hai kya unke ham to Radha Radha pukar rahe hain bhaiya jaan ke pukar rahe meri swamini hai vishwas karo na jo itni udaar hai itni kripalu hai wo to tum janbujh ke bhog unko laga rahe ho.
janbujh ke unki sharan mein ho ki hamari Swami tumhare udhar mein sanshay hai. Wo nahi jaan raha tab pukar raha kishori to use shri ji ka sakshatkar hua. Tum Vrindavan vasi ho. Shri ji ke upasi ho. Vishwas karo tumhen kyon sakshatkar nahi hoga. Aviswas ki koi jagah nahi hai. Hamari sadhna se ham shri ji ko prapt kar paye. Kabhi nahi ho sakta. Lekin shri ji ki kripa se hamen shri ji milengi. Ismen sanshay kabhi nahi ho sakta. Pakka shri ji mileng. Garv mein raho ladli ju ke aur khub naam jap karo.
mast raho. Gandi baten gande acharno ka tyag karo. Ladli ji ke bal se sab sambhav hai. Sab sambhav hai. Hamare bal se sab asamabhav hai. Ham to kabhi bhi gir sakte hain. Lekin agar ham daud rahe hain. Hamari tangon mein bal nahi par ham daud rahe hain to ladli ke bal se. Agar wo bal hat jae to ek kadam nahi chal sakte. Dharm se gir jaenge. Maya mein bahut badi phislan hai. Isliye shyama ji ka bal lekar naam jap karte hue jitni shase hain pavitra se vyatit karo. Dhanyata se vyatit karo. Bahut kripal isi janm mein mil jaengi.
hamari ye dukh parampara nasht ho jaegi. Shesh charcha ke shri Radha lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…
- Vrindavan ki diksha ka kitna bada phal hai? / bhagwan shrikrishna ka prakty // 20/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand [gala saaf karne ki aawaz] raso purnam hrid pritam madhupte smarta mugam nirvapay param shital masya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj…