chuk mat kijiye, yah mouka bar-bar nahi aata ! // 30/04/2026
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
vrindavnshvri tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam nirvai param shital masya Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha param sacchidanand ghan anand samudra prem samudra gyan vairagya bhakti aishwarya anant shaktyon ke Swami prabhu shri Krishna chandra jo arjun ji ko nimit bankar aisa amritmay updesh kar rahe hain jise ham shraddha vishwas purvak shravan karen. Ekagrata purvak mahatva buddhi rakhkar manan karen aur apne aacharan mein utare. Sabse kathin samasya acharno mein utarna hai.
pravachan kar lena, pravachan sun lena yah sahaj ho sakta hai. Par aacharan pavitra karke bhagwat dharm ya prem dharm mein us rahni se rahna ye bahut kathin hai. Bhagat kahla lena ya vesh bana lena bahut saral hai. Par bhakti yukt hriday kar lena bahut kathin hai. Kyonki anek janmon se ye maya krit akarshan bhog vilasita ke prati sukh buddhi yah pind nahi chhodti. Varsho viteet ho jane par bhi yah chingariyan dabi rahti hain. Anukul jahan avsar vishay ka aaya to yah chingari hi jwala ban jati hai. Koi bhi ho jab tak Priya pritam ka sakshatkar nahi ho jaata tab tak bahut savdhaan aur apne ko bachao aur samne wale ko bhi bachao.
samne wala tumhen bacha dega. Aisa bilkul nahi sochna. Apne ko bachao, dhyan dijiye aur samne wale ko bachao. Bilkul aisi asha mat rakho ki samne wala tumhen satmarg mein tike rahne dega. Ho sakta hai bhagwan ki maya se prerit hokar tumhen bhrasht karne ke liye aaya hai. Isliye bahut savdhaan satarka. Satsang ka tatparya hai asatsang ke tyag ka bal aur sat ka bodh. Yadi roz satsang sunte hain aur asat vishyon ke prati tumhara vairagya nahi hua to satsang kya phir bakwas hai? Keval varta matra hai.
varta ka phal hai ramyant cha tasyati cha mitra madgat prana bodhta parsparam kath mam nityam tashti cha ramant cha jo ham bhagwat charcha kar rahe hain. Bhagwat charcha sun rahe hain. Usi mein hamen anand ka anubhav karna hai. Usi ka chintan karna hai. Usi mein dubna hai. Aur keval sun ke hi dubna nahi hai. Hamen wah leela bhi dekhni hai. Keval dekhna hi nahi hai. Hamen leela mein sammilit hona hai. Yah uddeshya agar aapka uddeshya vihin jeevan hai. Lakshya nahi bana shyama Shyam ki prapti to bahut kal tak vesh dharan karne par bhi aap sadhuta ke marg mein nahi chal payenge.
vesh tumhari raksha nahi karega. Uddeshya tumhari raksha karega. Tumhara uddeshya dridh ho jae. Mujhe bhagwat prapti karni hai. Yah bhagwat marg dekh sunkar ke sab log ja rahe hain to ham bhi jae. Yah aisa marg nahi hai. Yah vivek vichar purvak kadam badhaya jaata hai. Chahe jaisi paristhiti ho, chahe jo galti hamse ho jae, hamen rukna nahi, tutna nahi, jukna nahi. Bahut mrityu hi to hogi. Iske age koi dand hai nahi. Mrityu to bahut bar dekh chuke hain. Ab mujhe mrityu ka bhi bhay nahi. Age badhna hai.
agar ham kahin phesal jaate hain to koi ascharya ki baat nahi hai. Yah bahut phislan ka marg hai. Bahadur bano. Tatkaal utho. Age badho. Arthat apni phislan ke vishay mein chintan karke apne ko nirutsahit mat karo. Bahut janmon ke baad danv laga hai bhagwat prapti ka. Maya bhi danv phenkegi aapko phislane ka, aapko girane ka nahi girna. Gir jaate ho to utho. Rukne ka samay nahi hai. Prabhu azaan bahu abhyad bhuj dand mul aapse milne ke liye aapko chayan kar liya hai. Vichar karo to rona aa jaega ki unki kitni kripa hai.
par apne vichar shunya bhogon mein sukh buddhi rakhne wale apne Swami ki baat na manne wale phir bhi hamare paas hai ek marg hamen kaise bhi paristhiti mein apne prabhu ka aashray nahi chodna kahin bhi gir jae aashray nahi chodna ye jo vishad hota hai dukh hota pashchatap hota hai, nirutsah bhav aata hai. Yah aapki kami hai. Pahli baat jo agyaa mein rahega vishv mein kisi bhi shakti ki takat nahi ki use gira sake. Likh lo dimaag mein likh lo. Yadi aap guru agyaa par rahoge, shastragya par chaloge to vishv brahmand mein kisi ki takat nahi.
daivi shakti ki bhi ki aapko paramarth se bhrasht kar de. Aap wahin giroge jahan agyaa ka ullanghhan hoga. Phir bhi sudhar karo. 100 bar gir jao to bhi rukne ki man mein vritti nahi ani chahiye. Gir gaya. Chuk ho gayi. Bhagwan se kshma mangkar phir age badho. Prabhu yah janm to ab aisa nahi ki galti ho gayi to gir gaye to ab pare rahenge nahi yah janm to aapke liye nath aap sambhalo wo sambhal lenge yadi jeevan mein bhi bhajan nahi kiya antim samay tumhen bhagwan ka kisi bhi tarah se smaran aa jae to tumhen param pad ki prapti ho jaegi.
shri bhagwan kah rahe hain ant kale chamame smaran muktava kalevram yah prayas samad bhavam nast sanshay jo manushya antkaal mein kisi bhi tarah se mera smaran karke sharir chhota hai. Wah mere swaroop ko prapt ho jaata hai. Arthat bhagwat prapt ho jaata hai. Ismen bilkul sandeh na karna. Swayam bhagwan kah rahe hain. Nastatra sanshay sanshay ki koi gunjaysh nahi. Kisi bhi tarah se bhagwat smaran ho jae. Kisi ko bahane se ham prabhu ka naam pukar le ya koi akar kripa karke antim samay hamen naam suna de prabhu ka chitrapat dikha de, prabhu ki charcha karne lage, naam kirtan karne lage to us maranaasan vyakti ko bhagwat prapti ho jaegi.
agar bhagwat premi mahatma kisi ka shav jaate hue dekh le chita ki dhue ko dekh le chita ki rakh ko chu le us jeev ka kalyan ho jaata hai. Socho jin bhagwat charnarvind ka aashray lene wale mahapurushon ka aisa prabhav hai kya aap bhagwat ashrit nahi ho sakte? Aap bhi to bhagwan ke ansh hain. Prabhu ke bachchhe hain. Kyon apne jeevan ko dukh mein dal rahe ho? Bade ascharya ki baat hai ki ham log janbujhkar ke gadhe mein girte hain. Janbujhkar patan ke marg ko apna lete hain. Yahi hai bhagwan ki vishv vimohini maya.
yah maya aap par prabhav na dal sake. Isiliye kaha jaata hai nirantar rato Radha Radha. Par sune kaun? Sab apne man ki sunte hain. Guru hazaron banate hain. Lekin guru ki koi nahi sunta. Bade-bade sant vyakul hokar ke har prayas karke nirash hokar ke apmanit hokar sansaar se gaye. Jagat mangal ki samarth rakhne wale mahatmaon ko yahan apmanit kiya gaya. Mara gaya. Ninda ki gayi. Apman, ninda, pida, prhar sab sahakar wo jagat ke mangal ke liye apne jeevan ko nyochhavar kiya. Ham log aise mudh atma hain ki unki baat na mankar narkgami kriyaen, narkgami cheshta nahi chhod pate.
mahatmaon ko agar dukh hota hai to keval isi baat ka dukh hota hai. Itna divya jeevan ban sakta hai aapka ki aap pure bhavan ko pavan karne ki samarth rach sakte hain. Aap aise bhagwan naam se bhagwat charnarvind se vimurkh hokar mal mutron ke dvaron mein bhtak rahe hain. Isi baat ka dukh hota hai. Are ye tera vishay nahi hai. Pyare tu sacchidanand prabhu ka ansh hai jo maha sukh rashi hai swaroop ki taraf laut is jagat ke vishay bhogon mein na kisi ko sukh mila hai na milega man ja meri baat ye jitne bhi shastr hain ye sab aapko sukh dene ke liye hai inki jitni bhi agyaa hai ye aapko dukh se niklne ke liye hai aisa nahi ki manmani dhang se likhe aap dekh lo jahan aap shastr agyaa ka guru agyaa ka ullanghhan karte ho wahi pit jaate ho wahi tumhen muki khana parta hai wahi tum gir jaate ho nahi tumhen koi nahi gira sakta vishwas kijiye jab ham guru agyaa ka ullanghhan karte hain bhagwat vismaran karte hain bhagwat vimurkh acharno ki pradhanata chitt mein rakh lete hain usi samay hamara patan ho jaata hai kriya to baad mein hoti hai chintan pehle hota hai chintan hote hi tumhara patan ho gaya ab to uski uski kriya hogi baad mein.
phir bhi bhagwan hamen avsar dete hain. Jitna samay bacha hai use prabhu ke naam mein prabhu ke dham mein laga dijiye. Bhajan karna bada kathin hai. Baten banana saral hai. To bhajan hamara swabhavic hone lage aur kaisi bhi paristhiti ho par hamara kalyan ho jae iske liye samarth upay hai. Dham ka aashray. Yah jo shri dham Vrindavan hai yah samarth hai. Yah tumhare bhajan prabhav se nahi apne prabhav se tumhara kalyan kar dega. Par iski rahni to seekh lo. Jahan raha jaata hai wahan ki paddhti ke anusaar chale to anand prapt hota hai.
Vrindavan vidhiv taj ke sab abhiman tante neecho aapko jane soi jaan. Are mahmmahim anant bramhandon ke Swami shri yugal sarkar ka mahal hai. Yah bade-bade tirth bade-bade rishi muni bhagwat koti ke mahapurush yahan ki charan raj ki chah karte hain. Wahan apne ko saubhagya mila aashray aur vas ka. Yahan hamko sabse din bankar rahna hai. Bahut badi jagah mil gayi hai. Hai kya tumhare andar? Abhiman karne yogya tum na apne sharir ko surakshit rakh sakte ho. Na apni buddhi ko shastr siddhant se chala sakte ho.
na ek swas tum apni ichchha se le sakte ho. Kya hai tum mein ahankaar karne layak? Vichar karo. Kya hai tumhare paas? Ahankaar karne layak agar hai to keval prabhu hai. Ham unke hain. Is baat ka ahankaar badhiya ho jaega. Mangal ho jaega. Sab vidhi ekmatra bharosa kahin koi abhiman ki vritti nahi. Aise raha jaata hai dham. Jagat mein jo hamse papacharan ho jaate hain dham ane matra se wah sab bhasm ho jaate hain. Bada prabhav hai shri dham Vrindavan ka. Shri dham Vrindavan aake yahan ki galiyon mein ghum ke Radhe-Radhe bolkar chale gaye.
aapko pata nahi chala aapke kitne ashubhon ka nash ho gaya. Agar kahin yahan koi dand vidhan ho jaata hai, aapki jeb kat jati hai, chain kat jati hai ya kuch aapko thokar lag jati hai, chot lag jati hai. Aisa kuch nach pado bahut badi baat ho gayi. Yah baat samjh mein aapki nahi aayegi ki hamare to jeb kat gayi. Hamen to chot lag gayi. Tum kah rahe ho bahut badi mangal baat ho gayi. Aisa ashubh jo tumhen varsho bhogna parta kshan mein bihari ji nasht kar diye apne dham mein bada mangalmay hai vaikunth ki mahima shastron mein bahut varnan ki gayi hai.
bhagwan shri narayan dev ji ka jo dham Baikunth hai. Yah jo 84 kos bhumi iske age uski bhi mahima laghu ho jati hai. Baikunth ki vuth hote te adhik hai Mathura mandal jaan ta mein tahu te adhik ye braj mandal sukh khani ati sudesh maya rahit 21 jo jan bhumi jahan sahai brajwas ki rahit Krishna din jhumi vaikunth se bhi shreshth Mathura mandal hai. Mathura nitya Krishna ko vas nishdin Shyam na chhadat paas tas sakal leela kahi shri hari ki nirantar upsthi Mathura mein varnan ki gayi hai badi mahima hai purannon mein bhi par Mathura mandal se bhi mahmmahim 21 yojana bhumi ek yojana char kosh 21 yojana 84 kosh ye 84 kos jo bhumi braj mandal hai yahan shri Krishna ki vishesh kripa hoti hai jo vas karta hai prabhu shri Krishna ki mano god mein rah raha hai jo braj 84 kosh mein rah raha hai ye aapke punya bal se nahi milta ye hamari pyari jo pyare ju ki kripa se milta hai aap kripa patron ki pankti mein akar ke bhi manmani aacharan bhagwat vimurkh aacharan socho roz samjhate hain aapko ki aap kripa ko thukraie mat nahi to pachhtaoge abhi hawa chal rahi hai anukul nauka bade veg se bhav samudra se tumhari prabhu ki taraf ja rahi hai halchal mat karo baithe raho chupchap kumarggami pravrittiyon ka protsahan jo aap apne antahkaran mein dete hain yah aap kripa ko thukra karke akpa ka varnan kar rahe hain.
patan ka marg itni mahima hai is braj mandal ki braj raj mein vas karne ki ki shiv sanakaad yachna karte hain is raj ki jo raj shiv sankaadik yachat sur raj shish chadhaun kishori tere charan ki raj paun ladli kripa kar do dham vas de do kahin bhi kisi kone mein para rehunnga baith raho kunjan ke kone Shyam Radhika gaun kya karunga is raj mein Shyam Radhika gaun Priya pritam ki ras bhari leela gate hue apna jeevan yahan vyatit kiya jaata hai. Yah bhagwat prapti ka prem gadh hai. Aap yahan akar kuch cheshta gandi baten ganda chintan paye ratan cheen nahi din karte dari yah maya shri Krishna ki moh sab sansaar mahmmahim dev durlabh manav deh braj chaurasi kosh mein brajwas dham Vrindavan phir bhi aapki cheshta wahi sansarik wahi lalach wahi bhog pravriti bhaiya chuk mat karo nahi to rote nahi banega.
sambhal nahi paoge. Abhi agyaan ki dhara mein ho isliye aapko parinaam nahi dikhayee deta. Parinaam ki taraf drishti rakho. Sudhar jao. Jeevan kritarth karne ka tumhen avsar mila hai. Anmange anchahe dhang se tum mahapurushon ke marg mein aa gaye ho. Kripa patron ki pankti mein aa gaye ho. Ab apne ko durbhagya se yukt mat karo. Yah avsar chuk gaye to pata nahi kis kalp mein kabhi avsar milega bhi ki aisa nahi milega. Jaisa bhi mila hai madhrajat jo mukut mani Vrindavan raskand ras mein sukh mein tej mein jhalkat kotik chand yah mathur mandal Baikunth se bhi shreshth usmen shri Krishna ka sakshat swaroop braj chaurasi kosh aur mukut mein jaise mani hoti hai to mukut hua braj aur mani hai Vrindavan madirajat ja mukut mani Vrindavan ras ras kand kand kahte hain mul ko ras ka mul hai Vrindavan jise ved kahta hai raso vai wo ras swaroop paramatma hai aur usko prapt karke sab anandmay ho jaate hain.
rasam havay labdh Anandi bhavat sidhe is ras ko jo prapt hua wo Anandi bhavat wo anand vishay ras bhogte hue to anant janm bit gaye ab ye hamen bhagwat ras ka saubhagya mila jisko jante bhi nahi hai apne log shant ho jao indriyon ke dwara akarshan kiye hue bhogon ki akarshan vritti ko sah jao. Sahat sahat baadh bhagti jitna sahoge utna hi bhakti aapke hriday mein badhegi aur aap sache sant ho jaoge. Bhale aap pat shirt mein raho par aap mahan purush ho jaenge. Kapde se koi mahan purush nahi hota. Sthiti se mahan purush hota hai.
wah sthiti tumhare ghar ki sampatti hai. Maniye tumhare hriday mein har gyan har vaibhav bhakti ka lok parlok ka sab chhupa hua hai. Tum jagrit keval karo. Vishyon ka chintan, vishyon ki kreedaen, vishyon ke liye lalayit hona. Yah tumhari shakti ka raas hai. Jeevan ka bahut bada wah nikrisht bhav hai jo aapko apne swaroop tak parmanand tak raskand tak nahi badhne de raha. Shri dham Vrindavan mein aae ho ya rah rahe ho ya aashray liye ho aap bahut bade kripa patr hain. Ye sadharan baat nahi rona para hai bade-bade mahapurushon ko.
hariram vyas ji ro karke kahte hain mujhe brajvasi bana do. Mujhe Vrindavan ka vas do. Ro-ro ke kahte hain ham kab hue hain? Brajvasi. Aisa saubhagya kab hamen mil jae kishori jo aap kripa karo mujhe aur kuch nahi chahiye kishori moh apni kar lijiye aur diye kachu bhavwat nahi Vrindavan raj dijiye he Vrindavan ke khag mrig pashu panchhi ham par kripa karo hamen dham ka vas do bade-bade mahapurush mangte hain aapko an mange mil gaya ab aap apni rahni nahi sudhar lijiye man jaiye rahni pramadwash aap bigad denge dham mein rahne ka bhav nahi rah jaega aapke andar utsah nahi rah jaega man aapko bhaga dega sansaar mein yah maya shri Krishna ki moh sab sansaar sara sansaar isi maya chakra mein yantravat ghum raha hai Vrindavan rasmay sukhmay aur tejmay hai.
shri priyal ki nakh kant se shri Vrindavan prakashit hota rahta hai. Jhalkat kotik chand shri yugal chand ke pratibimb Vrindavan ki swarnnim bhumi par usse pratibimb vriksh lataon ke patte pushpo par jhalkat kotik chand jidhar dekho yugal sarkar hi dikhayee de rahe hain. Patr prasun beech pratibimb nak Priya dhanave ban ki leela lal bhave ek rang ruchi ek ras adbhut nitya bihar jahan kishori ladli kari lal urhar nish din to pahre rahe rup ki mani ujiyar ras mein latki chhake rahe adhar sudha adhar shri dham Vrindavan mein abhi isi kshan yahi Priya pritam virajman hai.
yah ghar hai Priya pritam ka koi kahani nahi hai ki the. Koi prakriti ki rachna nahi hai Vrindavan ki tha. Yah tha mein nahi hai. Yah hai mein hai. Aaj gopal raas ras khelt aaj khel rahe. Aaj bhor mein hi Priya pritam abhi uthe. Aaj vanrajat jugal kishor nand nandan Vrishabhan Nandini uthe nind bhor. Aaj shri ladli aisi maha premmai hai. Radha tatv ko bina Vrindavan ki raj ka sevan kiye koi jaan hi nahi sakta. Nahi jaan sakta. Agam nigam puran agochar rup madhuri saham yah sahaj Priya pritam ki jo jugal jodi iska rahasya yahi raj rani aur rasik janon ki kripa se prichay milta hai.
Lalaju ko premadheen kaha gaya hai. Aur Lalaju ke hriday ka sampurn prem samudra jab sar rup dharan kiya priti murti mati ras sindhu sar sampad vimla wo hamari ladli jo isliye lal jo sadaiv ladli jo ko hriday har banae rahte hain. Ye ladli lal koi stri purush nahi hai. Rasoya parmanand ek dudha sada yah parmanand ras sadaiv do rupon mein khel raha hai. Yugal sarkar jab paraspat galavya dekar ke viharan karte hain. Upasak unke charan raj ke pratap se unko dekhta hai. Aa kaisi shobha hai. Aaj prabhat lata mandir mein sukh barsat ati haras yugalwar gaur Shyam abhiram rang bhare latak latak pag dharat saundaryata ke samudra nav kishori kishor paraspat bah dale prem ki latkan mein yugal sarkar amrit baras raha hai premamart nish din to pahre rahe rup ki man ujiyar ras mein latak chhake rahe adh sudha ang ang man man mile nainneen nain vishal rup beli pyari bani to chavi ke lal tamal yahi yahi ho raha hai yahi virajman hai aisi rup madhuri hai yugal sarkar ki bina inki kripa ke aap bhavna bhi nahi kar sakte jise laukik shabd mein kalpna kahte hain aap kalpna bhi nahi kar devlok bhulok rasatal sun kabhi kul mat darie sahaj madhuri ang ang ki kah kaso patri sankadi shri narayan ke charnon mein chadhi hui tulsi ki gandh se matvale ho gaye jo hamare prabhu nikunj bihari lal ji ke ansh se narayan sampurn saundaryurya nikunj mein virajman hai shri hari ka in yugal sarkar ke shri ang ki sourabh inke shri ang ki sundarata inki shobha inki leela aur inke samipita ye saubhagya hamen milne wala hai.
ab agar nahi mila hai to nischay karo aap logon ko yah saubhagya milne wala hai. Isiliye priyal ne aapko dham bulaya hai. Apne ghar bulaya hai. Aap nahi aae hain. Aapko bulaya gaya hai. Pyari jo pyare ju ne aapko bulaya hai. Kya ham pyare jo pyare ju ke ghar mein akar ke aise krit karen jisse unke nij jan nij shaktiya aapko vichlit karke yahan se bhaga de itna bada saubhagya aap apne durbhagya mein badal rahe nahi chukie mat prarthna hai chukie mat pachhtaoge yah jo avsar mila hai tum samjh nahi pa rahe bahut bada avsar mila chukie mat sharir ke liye, indriyon ke liye, man sammaan ke liye bahut janm nasht kiye ho.
ek janm Priya pritam ke liye de do na. Par ham dekhte hain sharanagati ka satsang hazaron bar suna hai in logon ne. Par jab sharanagati ki kasauti aati hai to bilkul dur rekha se khade dikhayee dete hain. Kahin sharanagati nahi hui. Bas apni lok mariyada apne sharir priyata apne aham priyata mein hi kasauti mein nazar ate hain. Nahi khand khand ho jae tan ang ang sat tuk Vrindavan ne chhadiyo chhadbo hai badi chuk jara si sharanagati jhalakti nahi nazar aati jahan dekho aham aur vasna ka rajya dikhayee deta hai ham kahlate sharanagat sharanagat kise kahte hain jiske tan par man par vachan par keval sharan ka adhikar hai bika hua.
abhi keval sharanagati ki baat jaban se kah lena alag baat hai. Rasik anannya mal mein charit aata hai. Gurudev ne kaha sant seva se tumhen bhagwan mil jaenge. Prarambh ki sant seva kaise karen? Paddhti bhi bata di thi. Santo ko sakshat bhagwan ka swaroop mano. Jab aae unka charanamrit utaro. Pranam karo. Aarti puja karo. Bhog prasad jaise bhagwan ko aise unko pavao. Unke prati bhagwat bhav rakho. Ek din santo ke Swami swayam aa jaenge. Aisa hi wo karne lage. Kisi dushtit wale ne dekha ki inke ghar mein to sant bhash mein jane se bada sammaan milta hai.
bhet bhi milti hai, khane pine ko bhi milta hai. Sant bhash banane mein panch minute lagte hain. Ya to mood mudwa lo. Tilak lagae. Ek minute lagta hai. Mood mudwaya kapde badal lo. Sant ban gaye aap. Yah aisa bhash hai ki bade-bade papatma bhi ismen chhup jaate hain. Durachari bhi chhup jaate hain. Isiliye phir log kahte hain sant aise hote hain. Sant aise nahi santo ko to abhi samjha hi nahi. Tumne jana hi nahi. Pran tyag dena sahaj hai. Dharm ka tyag nahi karte. Sant jan jo sant hote hain. Ush varsh tan nahi jama.
sant hriday jim upaj kama sadhu aise par yah bhash aisa hai ki ghor kumargh gami bhi ek kshan mein is bhash ko dharan kar sakta hai. Us dushtit jawan vyakti ne sadhu ka vesh dharan kiya. Guru agyaa ke anusaar keval sant aae. Bas yah bhav sashtang pranam charanamrit liya. Ghar mein chhut sant hamare bhagwan hai. Ab us sant to hai nahi. Unki to drishti hai parthi. Ek akela ladka aur jahan sant seva hoti hai wahan aishwarya ki bharmar ho jati hai. Pakka yah aisa vyapar hai jismen kabhi ghata nahi mangal hi mangal hai. Kahin bhi jahan sant seva prarambh hui eeshwarya wahan charnon mein lautne lagta hai.
kyonki bhagwan ke daso ki seva bhagwan ko adhin karne wali hoti hai. Jaise kisi garbhvati maa ko achhche-achhche padaarth pavao to balak ko apne aap pushta prapt hoti hai. Aise santo ke hriday garb mein bhagwan virajman hai. Santo ke mukh se jab aap jo bhojan pawate hain to pusht bhagwan hote hain. Sant sundari hai aur unka garb bhagwan hai. Unke hriday rupi garb grih mein sakshat Priya pritam virajte hain. Ab uski drishti gayi us akele ladke par to sone ka har aur achhche-achhche abhushan pe usne socha andar chori karna to bada mushkil hai.
is ladke ko hi mar dete hain. Abhushan utar karke yahan se nikal lete hain. Kyonki sadhu to tha nahi. Do char din khub khir pua paye. Ek din dekha kyon? Jo seva karne wale the wo kisi karya se bahar gaye. Ab wah ladke ko bulaya to aise bhakt hriday ke putr bhi to bhakt hriday honge. Bahut saral swabhav abhi nabalik bachchha usko kya gyan ki kaun kis bhav se bula raha hai. Ekant mein le jakar ke gala daba diya. Usko jaan se mar diya. Uske abhushan chhin liye. Bakshe mein band kar diya bachchhe ko. Nikla.
bahar se jab ganv ke bahar ja raha tha udhar se bhagat ji aae. Unka jarur koi hamari truti ho gayi seva mein maharaj isliye aap ek bar aap punah ghar padhare chale aur ek din aur ruke agar koi hamse galti ho gayi ho to kshma karen jarur koi seva mein truti ho gayi hamari patni ne ya kisi sevak ne aisa kuch prabhu mujhe kshma unke to hosh ude kyonki wo hatya karke aa rahe wo sadhu hai hi nahi keval vesh dharan kiye ab kuch bol nahi pa rahe wapas jana hi para kyonki ki bhakt mein aisi samarth hoti hai. Uski shraddha ka tum durpayog karo to tum apne aap jaloge.
tumhen koi barf shital nahi kar sakti. Dhyan rakhna agar sache santo ki agyaa ka ullanghhan karoge to tribhuvan mein kahin bhag ke chale jao. Jalan se nahi bach sakte. Aur yah jalan tumhara nash kar degi. Aae baithe maharaj kya truti ho gayi thi? Aap kyon ja rahe the? Ro pare ho. Dekho sant ka prabhav us bhakt ki sadhuta. Unhone kaha main sant nahi hoon. Main bahut dusht hoon. Nich hoon. Uska hriday vikal ho gaya. Main kitna nich aur kitna bilkul sadhu nahi hoon. Abhi abhi besh banaya do char din pehle keval khane pine ke liye.
main bahut nich papi hoon. Bhagwan meri pariksha mat lijiye. Aap mere bhagwan hain. Sant hain. Nahi hoon sant tumhare bachchhe ko mar dala. Dekho bakse mein aur ye sona le bhag raha. Yah hai sadhuta ka prabhav. Us bhakt ka prabhav apne aap usko chhupane nahi de raha. Mujhe dand dijiye. Main nich hoon. Baksha khola dekha balak utha ke balak charnon pe bhagwan pariksha mat lijiye. Mera balak hai hi nahi to aapka hai. Mera kya hai? Main to keval guru agyaa par yahan sevak rup se rahta hoon. Yah ghar Gurudev ka parivaar Gurudev ka ye aap sab santo ka hai.
charanamrit utara aur kaha man vachan karm se guru agyaa ka palan karte hain. Santo ko main bhagwan samjhta hoon. Iske prabhav se balak jivit ho jae. Jo charanamrit dala baith gaya balak. Ab murkhadhiraj ko laga ki mere charanamrit ka bada jor ka prabhav hai. Wahan se puja path le chal pare. Bilkul uski bhakt ke man mein bilkul nahi ki yah sadhu nahi apni drishti hai. Sadhu ko sadhu hi nazar aata hai. Dusht ko dusht hi nazar aata hai. Pdos mein gaye aur kaha ek raat rukna chahte hain dusre mohale mein wahi ganv ke.
unko laga mere charnon ka prabhav hai yah charanamrit. Ek ladke ko mar dala. Dusht swabhav aur kya vichar karega? Unke chalne lage dande aur thappad unhone kaha tum jante nahi ho hamare charanamrit ka prabhav abhi tumhara balak ji jaega bade bujurg the bole dekh lo bhai charanamrit dhoya gaya balak ka kuch nahi hua ab to aur pitai shuru hoga ki un bhagat ji ko bula ke pooch lo ki hamare charanamrit ka kya prabhav hai ye suchna unke paas wo daud ke aae ye bhagwan hai pariksha le rahe phir wo sankalp man vachan karm se santo ko main bhagwan manta hoon aur iske prabhav tab unko samjh mein aaya mere charanamrit ka prabhav
nahi bhakt ka prabhav usi din se wo bhagwan ka sacha sant ban gaya hamari sharanagati mein hamari kaisi bhi pariksha ho hamen khare utrna hai wo dekh raha hai jagat ka jeevan palan karne wala arjun ji jab Abhimanyu ji ka veeragti ko prapt hone ki baat sah nahi paye vilap karke rone lage bhagwan samjha rahe nahi sah paye arjun se kaha mera bhi to bhanja hai koi ashubh gati ko prapt thodi hua veer gati ko prapt aisa aapko vilap karna uchit nahi hai prabhu ek din bhagwan jaise kabhi prasannata hoti hai to apne hriday ki baat kah bhagwan ne kaha moradhwaj jaisa bhakt is srishti mein nahi hai samay vyatit hone par arjun ji ne kaha prabhu aap muradhwaj ki baat kar rahe ho aap kabhi hamari bhi to baat kiya karo kyonki sakha bhi bhav hai aapke siva hamara hai kaun bhakt to ho hi arjun par mor vridh jaisa nahi kaha prabhu kya kami hai ham mein kya kami hai bole aao chalte hain sant vesh rakha arjun ji ko yog maya se sinh banaya gaye bhiksham de nikle wo sant bhagwan padhare sashtang pranam kiya bhagwan adesh kijiye ye
hamara niji sinh hai bhukha isko bhojan ki vyvastha kijiye. Kaha bhagwan sinh to mans khata hai. Ham to vaishnav jan hai. Ab dekh lo. Bole phir samay dijiye hamen kasaeevade jana hoga. Wahan se mans kharid ke la na na kasaeevade jana hota to tumhare yahan kyon aae? Yahi mans ki vyvastha karo. Bhagwan yahan kaise kaise kya wo vaishnav jan hai kaise kaun-kaun hai parivaar mein ek beta hai patni hai ham hai haan chal jaega kam bete ko kaat ke de do sinh bhukha hai kha are se katna do bhag karna aise par tumhare ashru nahi ane chahiye to unka kaha bhagwan ashru kyon aaenge?
ham tino to bhagwan ko samarpit hai. Sharanagat hai. Bhagwan ka hai. Abhi aapki agyaa ka aksharsha palan hota hai. Aur beta bhi muskurate hue ki aaj jeevan kritarth hua. Sant agyaa mein mera balidan hoga. Ho gaya. Ara chal raha hai. Bhagwan dekh rahe hain. Ab hriday mein prem to putr ke prati hota hi hai. Par bhav hai ki ham sab prabhu ko samarpit hai. Jaisa deenana chahe vaisa karen. Hamara koi astitva bhagwan ne kaha ruk jao. Main koi sant nahi hoon. Ye koi sinh nahi. Arjun se kaha khade ho jao. Apne rup mein dekha Abhimanyu mera bhi bandh jaata.
veeragti ko prapt hua to samjhane se bhi nahi samjh rahe the. Dekha iski sharanagati chala diya aa raha wahan kuch nahi. Are jinke ek sankalp se anant bramhandon ka sajan ek second mein hota hua kya kuch nahi hansta khelta balak yah koi chhoti moti nishtha tanwa manobhal soham tavita sharir man vani se main aapka hoon kah dena saral hai ara chalana parta hai ye bhagwat tab param pad mil Priya lal isse sahi akhirkar katega to hai ye jalenga to hai ye nasht to hoga hi na ek janm Priyalal ke liye shri dham Vrindavan ko apni rahni se vyatit karte hue kya ghata lag jaega antim ban jaega janm janmantar ki bhatkan mit jaegi ab prabhu aisi pariksha nahi lete ab waisi samarth nahi to waisi prabhu pariksha bhi nahi lete lekin baat sachchi yahi hai ki tan man vani aradhya dev ji ke charnon mein samarpit ho kabhi bhi kisi bhi tarah se dekhna chahe to ham ham is baat mein khare utre ki na mera sharir hai na mere pran hai na mera man hai.
yah to priyal ka hai. Jaisa chahe vaisa vihaar karen. Bhala unki ichchha ke virudh srishti mein yam kal koi bhi nahi kar phir aise kaise koi kar sakta hai? Ye swatantr sansaar thodi hai. Ishwar ke adhin hai aur aap us ishwar ke bande ho. To aapki sharanagati ki pariksha mein aapko khare utrna hai. Phayl nahi hona. Bas sharanagati se bhagwat prapti ho jaegi par apna adhikar nahi rakhna apna adhikar pyari jo pyare ju ke charnon mein hai shri dham Vrindavan samarth hai antim banane ke liye aap kaise ho kaun ho yahan is baat ki baat nahi hai yahan nav kishorta madhuri sabgun leene sang jugal charan sevat rahe rangi prem ke rang jo bhi tumhen purush yahan dikhayee de rahe hain yah abhi bahya rup hai.
antarik rup hai ki Vrindavan mein Priya pritam ki kripa patr sabse sahcharya hai. Ek bar raman riti mein ek sant bhagwan 25 varsh pehle mile sanyaas vesh mein ham the to kaha Baba tilak radhavli bhi bh sanyasi ka us samay tha Baba shri ji ke ho gaye ho ji ham kaha hamen samjh mein nahi aata hai shachri bhav kya hai unka kisi ki samjh ki baat nahi hai yahan di jati hai yah vritti yahan Vrindavan deta hai agar yahan pakshi bhi akhand vas kar le to shri ji ka sahcharya ban jaega phir aap to manushya sharir mein is baat par hamare hriday mein bada sukh hua ki pakshi kya sadhna karega jo yahan vas karega
matlab bas matra se Priyaju ki dasata sahachari bhav mil jaega aisa hi hai shri dham Vrindavan samarth hai bas ham chuk na karen hamari galti ho jati hai ham rahne se nahi rah pate dham ki rahne se rahe yahan kisi se prichay nahi banana hai aap yahan sab Priya pritam se prichay banane ke liye aae raho jaise jal mein kamal ka phool rahe aise raho sabke beech mein raho par kisi se hamari pehchan nahi honi chahiye Vrindavan aise rahe mano chinharo lekin yahan to ham prapanchi jan waise hi prapanch faila lete hain jaise ganv gali mein hota hai waise hi sab baithkar prapanch ki baten vihaar sab nahi ye vihaar ka kshetra nahi vastvik pocho to paramarth ka bhi kshetra nahi ye vihaar aur paramarth donon se pare prem samudra Vrindavan hai.
bade-bade parmarthiyon ka bhi yahan pravesh nahi hai. Aapko pata nahi ladli jo kaise reech ke yah saubhagya diya hai. Is shri dham Vrindavan mein jo rah rahe hain bina bhagwan naam sune ya kahe rah nahi sakte. Ham kahte hain kisi bhi dharm ka avlamban karne wala ho. Sunai to dega na banke bihari lal Radha vallabh lal Ranganath ji Radha raman lal ji yahan jana hai to kahan jana hai yahi to jana hai kan mein sunai de raha hai yahan ki hawa mein Radha Radha gunj raha hai aapki shravan indri jab pavitra hogi na to sunai dega vayu ke jhakoron mein Radha Radha nikalta yahan ke pakshi chahchate hain Radha Radha bolte ye bada pavan dham hai yahan yahan ki sahachari ka adesh hai vrinda sakhi ka dharmraj ko dharmraj so kahi tahan mero vachan sun lehu jake ranchak bhakti hai tah kasht jin dehu bhakt nichhade saban ko tere age nyau hari hari jan te vimurkh je tan ko tu samjhau yahan bhagwat parsado ka bhi pravesh nahi jai vijay ka bhi pravesh nahi yahan maharani jo ki anant shakti sampann sachariyo ka shasan hai dharmraj hath jode khade sahachari ne adesh kiya dharmraj meri agyaa suno is vrat 84 kos mein jo bhi vas kar raha hai ranchak bhakti bhi hai.
kabhi samne mat par jana uske le jane ki to sawal hi baat nahi. Mat tumhara dusron ke paas nyay hai. Braj 84 kosh mandal ke antargat nahi. Aur ek bar bhi Radha bola hai, ek bar bhi Krishna bola hai to hosh mein rahna. Wo tumhare nyay se bahar ho chuka hai. Tum uske ab nyayadhish nahi ban sakte. Yah mahima hai. Pyari ji ke dham ki pyari ji ke naam ki jo hari harijan te vimurkh je jo bhakt sang nahi karte harijan hari harijan te vimurkh je jo hari ki bhakti nahi karte aur bhagwat premi mahatmaon ka sang nahi karte bhagwat vimurkh hokar malin aacharan kar rahe hain tumhara nyay unke paas unko dand dijiye unko sambhaliye lekin jisne gale mein kanthi baang li hari naam uchh ucharan kar raha hai.
braj 84 kosh ka aashray liye. Bhulkar bhi samne mat chale jana. Kal prasang mein bata rahe the ki Yamraj ke duto ne Yamraj ke paas jakar kaha ki bhagwan bada ascharya hai. Is srishti mein kitne shasankarta hain. Yadi bahut shasankarta honge to shasan theek se nahi hoga. Aaj mujhe sanshay ho raha hai abhi tak to main manta tha tribhuvan ka dand vidhan aapke hath mein aap Swami hain. Lekin do siddh mahapurushon ne akar ke aapki yam paas ko kaat diya aur hamen dant ke bhaga diya. Aaj tak kabhi aisi ghatna nahi ghati aur wah mahapapi tha jisko ham lane ke liye gaye the Ajamil mukh se keval narayan naam nikla ki dosh siddh mahaparshad wahan prakt ho gaye aur aisa kiya to kai Swami hai is srishti mein kal prasang mein bata rahe the Yamraj ji ne kaha paro madanyo jagtasta protam protam patwatra vishwam yad satit janm nasa nas tav yas vase chalo he duto main to unka ek chhota sa anuchar hoon jise tum tribhuvan ko Swami samjh rahe ho mere Swami to bhagwan shri Krishna hai jinka prichay tum nahi jante ho.
unhee mein sampurn jagat sut mein vastr ke saman protaprat hai. Unhee ke ek ansh se brahma Vishnu aur bhagwan shankar prakt hokar srishti ka srijan palan aur sanhaar karte hain. Ye sara jagat unhee ishwar shri Krishna ke adhin hai. Bhagwan ne dharm mariyada ka nirman kiya hai aur usi ki raksha ke liye avatar lete hain. Koi bhi aisa siddh nahi hai jo purn rup se bhagwan ko jaan sake. Bhagwan jitna jante hain utne soi jane je dev janai jitna manushya vidyadhar charan rishi muni devta asur kisi ki samarth nahi ki purn rup se bhagwan shri Krishna ko jaan sake.
bhagwan ke dwara nirmit bhagwat dharm param shuddh aur atyant gopneey param mangal karne wala hai. Use janna kathin hai. Jo bhagwat dharm ko jaan jaata hai wah bhagwat swaroop ho jaata hai. Puri srishti mein bhagwat dharm ko keval ham 12 jan hi jante hain. Yamraj ji ne kaha ki ke purn rup se bhagwat dharm ka rahasya ham keval 12 jante hain. Puri srishti mein brahma ji dev rishi narad bhagwan shankar sanak sanandan sanatan Sanat kumar kapil dev swayambhu Manu bhaktaraj Prahlad videhraj Janak Bhishma pitamah param bhakt bali ji maharaj aur Sukhdev ji aur main dharmraj yah 12 bhagwat tatv ka rahasya janne wale hain.
bhagwat dharm ka bhagwan ko purn rup se isliye koi nahi jaan sakta kyonki anant hai sima hi nahi hai. Is jagat mein jeevan ke liye yah sabse bada kartavya hai. Param dharm hai ki ve prabhu ke naam ka jap karen, kirtan karen aur isi naam jap naam kirtan satsang ke prabhav se apne ko sansaar se hatakr prabhu ki prapti kar le. Priy duto bhagwan naam ki mahan mahima hai. Tumne dekha Ajamil ne putr ke liye pukara narayan aur mahapapi tha aur bhagwan ke parsad aa gaye aur mrityu paas ko kaat diya. Socho jo balak ke bahane se narayan bola to yah gati hui aur jo shraddha purvak jhumjhum ke bhagwan ke naam ka kirtan karte hain.
prabhu ki leela ka gayan karte hain. Shraddha purvak prabhu ki charcha sunte hain. Ye aap logon ko jo saubhagya mila hai na brahmavela mein baithkar Vrindavan ki pavan raj mein bhagwat charcha sun rahe ho. Yah durlabh baat hai. Yah atyant durlabh baat sut dara dhan lakshmi yah papiyon ke ghar ho yah durlabh nahi hai ki badhiya patni mil gayi khub badhiya bhog samgri hai ladka bachchha parivaar jo sansarik vastue chahiye wo sab hai bole ye to papiyon ke paas mein sutara dhan lakshmi papiyon ke ghar ho sant sang bhagwat prem premi mahatmaon ka sanidhy yah hamare punya bal se nahi hota.
yah kripa se hota hai. Satsangati durlabh sansara durlabh vishay satsang hai. Agar sant samagam hari katha to samjh lo ki aapke bhagya khul gaye. Yah satsang atyant durlabh vastu hai. Par iski durlabhta tabhi sarthak hogi jab aacharan mein utaro. Nahi to hathi snaan hai. Hathi snaan karke nikla. Dhul bhala dal liya. Lagbhag lagbhag apne log aise hi satsangi hain. Hathi snaan wale. Suna dusre ko suna diya. Samjha diya. Dusre ko samjhane mein bade praveen hai. Apne man ko samjhane mein takat kam nahi kar rahi. Itni buddhi praveen nahi ki man ko samjhakar vishyon se hatakr prabhu mein lagave.
kya fayda satsang ka? Are astr tange ghum rahe ho aur ek sadharan aadmi thappad mar ke chala ja raha hai. Tumhare us astr ka phal kya raha? Tangne ka pradarshn kya raha? Astr to isiliye hai ki apna bachav paksh kar sake. To ye shastr shastr ke vachan satsang ke vachan ye astr ke saman hai. Inke dwara vikaro ko katkar bhagwat anand mein sthit hua jaata hai. Aae vikar thappad mare gir gaye. Kis baat ke satsangi? Kis baat ke parmarathi? Kya tumhare paas vivek hai? Abhi tak kya karte rahe?
kya sunte rahe? Samjh mein nahi aata. Socho jo ek putr ke bahane narayan bulaya to aisi durlabh gati hui aur jo nachnach ke bhagwan ke naam ka kirtan karte hain. Vichar karne ka vishay hai. Bhagwat leela gate hain. Bhagwat charcha sunte hain. Unke papon ka vinash ho jae. Bhagwat prapti ho jae to koi ascharya ki baat hai. Are jisne stanon mein jahr lagakar bhagwan ko marne ke liye gaye bhagwan ko apne stan pilae to jo Yashoda maiya ko gati mili wahi usko mili aur jo pyar se doodh ka bhog lagate hain unko kya hoga jo pyar se unko shayan karate hain unke charan chapte hain pankha karte hain aap log chhoti moti bhagyavritti mein maharani ji ki paricharyaa mein unke mahal mein rahkar bas ye rahni sudhar lo pyare ye jo thoda sa kalank laga lete ho vasna ka isko hatao.
yahi tumhen prabhu se dur karta raha hai. Koi ascharya ki baat nahi hai. Daudne wala hi ladakhdata hai. Daudne wala hi thakta hai. Kripa patr ho tum. Lang jaoge. Age badho. Chhoti si bhi apne andar ki truti ko bardast mat karo. Aise mat socho ki kya bigad legi. Anukul vayu milne par wo samudravat tumhare hriday mein fail jaegi. Phir bhi ghabrao mat. Bahut bada bal hamare paas hai. Mere bal shri Vrindavan rani. Iska matlab kumarggami mat bano. Is bal ka aashray lekar chadho. Yah chadhai hai bhagwat marg ki.
namabhas matra se sare paap bhasm ho jaate hain. Bade-bade vidvannon ki buddhi bhagwan ki maya mohit kar leti hai. Ye dharmraj ji kah rahe bhagwat raas ko janne wale mahapurush ye mithe mithe vishay bhog itne achhche lagte hain bade-bade mohit ho jaate hain. Bhagwan se milna na baad mein milenge pehle hai kuch nahi kuch nahi hai pyare man lo kuch nahi kichad ke siva hath mein kuch nahi lagega ek aadmi raja ki agyaa se raja ke mahal ka ek har kho gaya rajya mein ailan kar diya subah ki sham tak jo har khoj ke le aayega to use ham apne saman rajya sukh pradan karenge sab bhage bichbich mein aisi bazar lagae hue the raja aisi vyvastha kiye hue the sab free khao piyo mast koi to dhundna bhul kar ke usi mein lag gaye koi birle dhundne ke liye age badh paye
bhogon ko tyag kar to ek nadi ke kinare khoj rahe the to achanak drishti padi jal mein har dikhayee diya kud gaye niche se kuch nahi mila phir bahar aae hai thodi der phir khade rahe shant jal hua phir dikhayee diya har subah se sham ho gayi usi par nishana laga ki kudte par har nahi milta hath nahi aata itne mein ek sant bhagwan wahan nadi ke kinare bhramn kar rahe the unka bhai kafi der se dekh raha hoon aapko bar-bar aap cheshta kar rahe hain nadi mein kud rahe hain kya hai to bol nahi raha tha kyonki usko laga tha inam ham hi le ham aapka sahyog karenge hamen kuch chahiye nahi to unka har wahan dekhte hi unhone kaha are murkh agar har wahan hota to subah se khojra mil jaata idhar nahi aur ghuma ke dikhaya wo dekh khajur ka ped hai baj pakshi ne ghonsle mein rakha uski chhaya par rahi hai samjh paye wo raja hai shri bhagwan har hai swaroop bodh maha sukh khoj rahe hain bhogon mein kichad ke siva hath nahi lagta jise tum sukh samjhte ho yah sukh nahi sukh ki chhaya hai tumhen tumhen samjh padti nahi mere Giridhar
ki maya hai. Sukh to jidhar tum mukh kiye ho udhar nahi nadi ki taraf nahi back piche hato dekho wo unchai par bhagwat sukh virajman hai jahan kam krodh lobh moh mad chu nahi sakte par us sukh ki chhaya par rahi idhar vishay nadi mein ham bar-bar vishyon mein kud kud ke gande ho rahe hain ki sukh milega kinchin matra aaj tak kisi ko nahi mila isliye kah rahe ki yah bhagwan ki badi divya maya hai jo bade-bade vidvannon ko bhi mohit kar deti hai. Isiliye log bhagwan naam jap na karke bhagwan naam kirtan na karke vivid prakaar ke anushthanon mein lage rahte hain.
bhogon ki prapti ke liye. Priy duto vicharvaan purush ko yah chahiye ki sharir pura hone ke pehle hi bhagwat prapti kar le. Bhagwat prichay bana le. Bhagwan naam jap kar le. Khas baat hai. Jo prabhu shri Krishna ke naam ka kirtan karte meri samarth nahi ki main unko dand de sakun. Te dand marhant yadyasha patkam tadap hantu gay vada aha kahte hain ki jo prabhu ka naam le rahe hain meri samarth nahi ki main unko dand de sakun aparadh kiye papacharan kiye hisaab bhagwan jane meri samarth nahi main unko dand de sakun kyonki Krishna naam bole wo Radha naam bole vishwas kijiye kitni mahima hai.
aap bach jaoge bhav se kubhav se kisi bhay se chahe sneh se jaise bane naam jap mat chhodie. Kah rahe pahli baat to unke dwara koi paap hota nahi jo naam kirtan karte hain, naam jap karte hain. Yadi kusang vasata koi paap ban jae to unko aur koi prayashchit karna nahi parta. Bhagwan naam se hi sare paap nasht ho jaate hain. Wah mere dand ke patr nahi rahte. Jo bhagwan naam jap karte hue apna sadhya aur sadhan donon bhagwan ko samjhkar un par adhinta sweekar karke nirbhar ho gaye. Gadh baat sadhan aur sadhya hamare donon shyama Shyam hai.
nischit bhagwat prapti nirbhar mane pura bharosa pakka hai. Mere banae na banegi koti kalp lo. Aapke banae banegi pal pav mein. Pura bharosa hamen hai ki hamare shyama Shyam karuna karke hamko bhatakne nahi denge. Sweekar kiya hai to par bhi wahi kar denge. Pura bharosa rakho. Aur wo prabhu ke charitra ka bas gayan karte rahte hain. Dhyan dijiye hamare sadhan shyama Shyam hamare sadhya shyama Shyam ab hamara jeevan kaise vyatit ho prabhu ke leela gungan ye jo aapki dincharya chal rahi ek minute bhi fursat nahi aapko Lalita lalit bajavat beena gun gavat soi jeevan jeeje ham kaise jeevan jie priyal ke naam gun kirtan karte hue jo prabhu ke charitra ka gaan karte rahte hain sunte rahte hain prabhu prabhu par nirbhar rahte hain.
to bhagwan ki komod ki gada charon taraf ghum ghum ke unki raksha karti rahti hai. Bhul karke bhi tum kabhi unke samip bhi mat jana. Nahi bhagwan ki komod ki gada ki mar se tum sab nasht ho jaoge. Yamduton ko Yamraj ji savdhaan kar rahe hain. Unhen dand dene ki samarth sakshat kal mein bhi nahi hai. Jo bhagwan ka naam kirtan karte hain aur bhagwan ke yash ka gaan karte hain. Pakdo baat pakdo. Phir hamari kya baat hai? Ham yam kya unhen dand de sakte hain? Kal bhi dand nahi de sakta jo bhagwan ke ashrit aur bhagwan naam kirtan karte hain.
bade-bade Paramhans divya ras ke lobhi jinhone apni ahmta mamta hatakr swaroop bodh kar liya hai. Wah bhi bhagwan shri Krishna ke padar makrand ras ka pan karne ke liye unki charcha karte rahte hain aur sunte rahte hain. Moksh padvi ko prapt mahapurush bhi jinke liye koi kartavya nahi rah gaya wah bhi bhagwan shri Krishna ki leela gayan leela shravan aur naam kirtan karte rahte hain. Jo prabhu shri Krishna se vimurkh hain. Jo ghar grahasti ko hi apna keval kartavya karm samjhte hain. Aise trishna ka bojh uthane wale bhagwat vimurkh patkiyon ko hi bandhkar mere paas lana.
aur jo koi naam jap karta hai, naam kirtan karta hai, bhagwat charcha sunta hai inke samip bhi mat jana. Yamraj apne duto se kahte hain jin bhakti bhagwat gun naam dheyam chetasrat charnarwindam krishna no namdapi tana na y mast to krit Vishnu krutya dhyan se suno iska arth jiski jibhya kabhi bhagwan naam ucharan nahi karti Krishna Krishna Radha Radha jinhone apne kano se kabhi bhagwan ki charcha nahi suni baithkar jinka chitt kabhi prabhu ke charnarvind ka dhyan nahi kiya chinta chintan nahi kiya. Jinka sir kabhi bhagwan ke shri vigrah ke samne jhuka nahi un bhagwat vimurkh papiyon ko hi mere paas lana unhee ko ham ghor dand dene ka adhikar rakhte hain.
par jinki jibhya se naam nikla jinhone kano se bhagwat charcha suni jinhone ekda ek bar bhi bhagwan ko pranam kiya hai. Oo aise ke samip kabhi mat jana. Yamraj ji apne duto se kahte hain. Tabhi ham kahte hain ki bhav ko bhav kaise bhi tum Radha Radha bologe baji jit jaoge. Register mein tumhare itne naam jama honge ki nyayadhish ki khopdi kam nahi karegi. Aapki jai ho jaegi. Naam aapko bacha lega. Naam aapko surakshit rakhega. Par ham dekhte hain ki prayah aise bhi upasak hai jo nirantar rath hai. Bada santosh hota hai unke darshan se par prayah bahirmukhta mein samay zyada katte hain.
khali baithe vishay prapanch chintan kar drishti se pata chalta hai. Chehre ko jaise dekho agar aap bhagwat chintan paraayan hai to aapka chehra bolta hai. Wo bolta hai ki ham bhagwat chintan kar rahe hain. Aisi drishti jaise jati hai na to apne logon ko guru kripa se guru prasad se sant darshan karte karte darshan karne ka aisa abhyaas hai jaise aapko dekha aur aap bhagwat chintan nahi kar rahe to aapka chehra bataega ki aap bhagwat chintan nahi kar rahe bhagwat chintan kar rahe hain to ek drishti mein pata haan chal raha hai inke naam chal raha hai wo hota hai aisa kahe ko jeevan barbad kar rahe ho jab aae hi ho bhagwan naam to khali kyon rahte ho ye bahut badi truti hai.
isiliye aap log dhokha kha jaate hain naam jap mein. Matlab kabhi-kabhi bahut gussa lagti hai ki tum apne pairo ko apne hath se kulhadi se kaat rahe ho. Itna badhiya avsar mila hai. Ekant mein baithkar vishay chintan karte ho. Are bhagwat chintan kyon nahi karte? Man nahi lagta to Radha Radha bolo na. Kya chala jaega? Aae ho jis kam ke liye kaise samjhaen? Kai bar lagta hai bhai ji maharaj jo baat kah rahe the wahi baat satya hai. Bhai ji ne kaha kisi ne kaha mujhe bhagwat darshan kara do. To bhai ji ne kaha bhai main tumse sachchi kahta hoon ki agar hamare karwane se bhagwat darshan hota to main kisi ko nahi kahta bhajan karo.
sabko bhagwat darshan kara deta. Par bhai jab tak tum bhajan nahi karoge, jab tak tum prabhu ke liye rooge nahi, tab tak prabhu ka darshan tumhen koi nahi kara sakta. Ye siddhant hai. Lakh upay karo. Lakh agar aap nahi chalna chahte to ham sir ke bal khade hokar upay karen to bhi nahi ban payega. Bade-bade avatar hue mahapurushon ke. Aapka kalyan nahi hua. Kyonki aapne nahi chaha agar aap aisa soche ki hamara parivartan kisi ke prabhav se ho jaega to ek hi prabhav hai vani. Aap vani man lijiye aapka parivartan ho jaega.
vani nahi manenge to aap aisa kuch mat samjhiye ki kisi ke chune se, kisi ke ashirwad se aapka parivartan ho jaega. Nahi kyonki yah sab chuna ashirwad bahari baten hain. Chittritti ka parivartan chintan se hota hai. Chintan ka abhyaas kiya jaata hai. Nahi bhagwan kyon arjun ji ko adesh karte abhyaas yog yukt chetsa gamina tum arjun aisa abhyaas karo ki tumhara chitt mera chintan chhodkar aur kahin jae na. Kyon adesh karte? Usi ko divya param purush ki prapti hoti hai. Yah aapka paksh hai.
aap sochte rahie sansaar ke vishay mein aur bhagwat prapti kaise hogi? Hriday mein baithe prabhu dekh rahe hain ki na hamse pyar hai na naam jap karta hai na hamari baat manta hai. Na hamse milna chahta hai. Keval bahari vesh hai to kaise wo reej jaenge? Antar ki prabhu sab kuch janne wale. Bahar se chuk ho rahi hai. Andar se bahut savdhani nirvah kar rahe ho. Wo maaf kar denge raat na prabhu chit chuk kiye ki karat surat sah barar ha ki hriday ki baat ye to chalna chahta hai par phesal gaya meri maya durant hai wo kshma kar dete hain age badhate par apne log prabhu ka smaran chhodkar maya ka chintan bhogon ka chintan kaisi baat banegi isliye savdhaan yah mera bhari aparadh ban gaya ki tum bhagwan ke parsado ke samne samne prashn uttar karte rahe.
yamduton ne ki tum aisa kaise kar sakte ho? Yah papi hai aisa. Main bhagwan shri hari ko pranam karta hoon. Namaskaar karta hoon. Sevkon ka aparadh Swami ka hi aparadh mana jaata hai. Isliye main kshma yachna karta hoon. Yamraj kah rahe hain. Prabhu hamen kshma kar den. Ham agyani hain. Jinko dharm ke rahasya ka gyan hai wo kya kah rahe hain? Prabhu ke samne main agyani hoon. Agyaa palan ke liye har samay anjali bandhkar tatpar rahta hoon. Yah mere duto se truti ho gayi isliye main kshma chahta hoon. He mahmmahim prabhu shri Krishna aap chaho to mujhe kshma kar do ya aap chaho to mujhe dand do.
main bar-bar aapko namaskaar karta hoon. Samjho naam ki mahima. Lokpalon ke bhi ishwar bhagwan shri hari ka naam itna mahan hai. Bahane se bula diya to yah halat hai ki pura system kshma maang raha hai. Bhagwan ka kanun vidhan pura ki aap agar shraddha se naam jap karenge, prabhu ka kirtan karenge, prabhu ke liye jeevan arpit karenge. Kahe ko kalank laga rahe ho arpit jeevan mein kuch nahi milega tumhen tumhare bhagya mein vishay sukh nahi hai likh lo tum narki purush nahi ho tum bhagwat parsad ho apne swaroop ko jagrit karo kahe ko unchai mein chadh ke niche dekh rahe ho narkgami ban rahe ho nahi hai tumhare bhagya mein Priyalal hai vishay purush nahi ho jago sinh ke bachchhe bhedon ke beech mein apne ko bhed samjhne lage lage ho mansho mera ansh hai yah bhed hai mana kastan indran prakriti sthani karti tu jag paramatma ka ansh hai vishyon mein aisa dainya hokar gir raha hai uth tu swayam sukh rashi kisi sukh ki zaroorat tere ko nahi sukh rashi bhagwan ka ansh sukh rashi hai par pravachan se nahi hoga na sunne se na kahne se aacharan mein utaro.
ek bhi kshan bhai naam ko mat chodo. Apni maharani ji ka to aisa amritam mein saral naam hai. Radha Radha Radha ismen bik jaate hain shri Krishna. Jab shri Krishna bik jaate hain to kaun sa vaibhav tumhen nahi milega. Bas antray mat karo. Sabse ham bar-bar prarthna karte hain. Aap apna patan swayam karte hain jab aap prabhu ka naam smaran chhodkar sansaar ka chintan karte hain. Abhi tumhari samjh mein nahi aaya ki tumhen kaun pyar karta hai. Agar ek kshan bhi khali rahoge to mahan gyani maha bhagwat hanuman ji kah rahe hain kahe Hanumant vipatti prabhu soi aap nahi jaan pa rahe ho vipatti ka matlab kya hota hai aur aap dekho apne jeevan mein goswami ji kah rahe hain hari jo mero man hath na taje ye kutte ki tarah jahan jaata hai pad traan sir baje phir bhi wo wahi jaata hai ye satsang kis liye hai manoranjan ke liye man ka nash karne ke liye iske bal par inke vachno par tum chalo abhi dekh kaun parast karta hai ye andar kyon gandagi pale hue ho kyon pale hue ho aapka lakshya nahi hato hai to dato do hi baat hai jab okhli mein sir rakh diya to musar ginne hai kya ki kitne padenge chal diya aapke liye to phir har gam tumhara sahenge khushi se kabhi bhi shikwa na karenge kisi se pyar ka marg hai jab chal diya pyare nahi dekha hai par tumse pyar karte hain.
ab ye ankhen kisi aur ki taraf uthe to phod denge. Kisi se aur se kah de ki ham tumse pyar karte hain. Jaban kaat denge. Aise ek bar kah diya shyama Shyam se ki main aapse pyar karta hoon. To yah janm ab kabhi kisi se nahi kah sakte ki ham aapko pyar karte hain. Agar pyar dikhayee de raha hai to shyama Shyam ke nate se dikhayee de raha hai. Koi hamara pyara nahi. Aur sab hamare pyare wo hain jo shyamashyam se pyar karte hain. Yah siddhant hai. Bhtak rahe ho. Aisi karunamay swamini tumhen apna banane ke liye tayyar hai.
tum idhrudhur chamdon ki chiknahat dekhkar phesal rahe ho. Kab sudhroge? Kab sambhaloge? Mrityu aa jaegi tab? Ya maya thag kar tumhen aise chaurahe par khada kar de jahan tumhen koi rasta na sujhe. Tab abhi hath ki pakar mein ho to bach jaoge. Hath ki pakar ke bahar gaye to pyare phir kisi ki takat nahi tumhen bacha sake. Yah Bhagwati prachnd maya dhajhiyan uda deti hai. Dhyan rakhna aankh khol ke dekh lo. Bade bado ko dekh lo. Tum kuch nahi ho. Bade-bado ko jhaank ke dekh lo. Isi mrityu lok mein isi bharat mein dekh lo.
hosh mein kadam soch soch ke chalo. Soch soch kar ke ek-ek kshan vyatit karo. Bhagwan kripa patr tumhen bana liye hain to age ka marg tumhari wahi raksha karenge par manmani aacharan karoge to phir aap jano phir ye samjh lo aap kaho ki hari guru kahan hai bacha lete chikh chikh ke kah rahe hain savdhaan savdhaan ek guru ji ne sikhaya sab mein bhagwan hai wo ja rahe the ek pagal hathi aa raha tha mavat ne kaha bhagna Baba ji hathi pagal mar dega gaye hathi ne uthaya patak diya hath pair tut gaye lad ke gaye guru ji ke paas guru ji ne kaha kya hua maharaj aapne hath pair tudwa diye kyon aapne kaha tha bhagwan sab mein hai to hamne socha ki hathi mein bhi bhagwan hai kisi ne roka nahi bole rog to mahavat pehle se hi raha tha ki hathi pagal hai bhag ja to tumhen hathi mein bhagwan ho mahavat mein mahavat mein bhagwan nahi dikhayee diya to bogo chadao patti baithe raho samjho aap kah rahe ho bhagwan raksha nahi karte.
bhagwan hi to bar-bar mere hriday ko jalakar tumhen updesh de rahe hain. Bhaiya kyon girne ja rahe ho? Kyon bhrasht hote ho? Kyon manmani aacharan karte ho? Kyon nahi bhagwan naam nirantar japte? Are auron ka saubhagya nahi aapka saubhagya hai. 24 ghante mein koi karya nahi. Sirf bhajan hai. Bolo kya karya tumhare liye? Na kisi se milna hai, na kisi se mangna hai, na kahin jana hai. Samay se bhojan, samay se vyvastha. Aap agar bhajan nahi kiye to durgati nischit hai. Ise chhupane wali baat nahi. Koi bhi sadhak sadhika ya aaya hua agantuk bhagwat marg ka pati tumhara jeevan bhagwan ke liye hai.
tumne nischay kiya hai is marg ko. Isliye mujhe bardast nahi hota jab aap bhagwat vimurkh aacharan sochte bhi hain. Kar lo to phir wo to bahut badi baat. Tumhara sochna bhi hamen accha nahi lagta. Tum soch kaise sakte ho? Jis marg ke prati tumhari cheshta aur kriya to bahut dur ki baat hai. Kam samay hai. Hamari baat man lo. Man loge to jaan jaoge. Jaan jaoge to wahi ban jaoge jisko janna chahte ho. Brahmavi brahm shesh charcha aa gayi. Shri Radha vallabh.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…