॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1284 · 2 june 2026

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai samasth sant sant hari bhaktan ki shri Vrindavan dham ki Sadgurudev bhagwan ki jai doctor urja sachdeva ji haridvar se ji maharaj ji shri Harivansh maharaj ji ham sabka janm hari naam japne ke liye hua hai.

parantu hamen aksar aisa mehsus hota hai ki kuch aur bhi karan avashya hoga. Us karan ko kaise dhundhe? Meri zindagi ka parpas kya hai? Keval jagna hai bas. Swapna ka jo dukh sukh hai wah keval jagne se jaega. Na aap stri ho na yahan koi purush hai na yahan koi kartavya hai. Swapna ka koi kartavya hota hai kya? Bada mehnat kiya. Swapna mein jage tab tab sab jhutha hua na. Swapna mein aapne 100 logon ko bhojan pavaya aur 100 logon ko jaan se mar diya. Jo jagne ke baad aapko kya punya lagega ki paap lagega?

kuch nahi lagega. Kyon kiya to tha swapna mein bhandara kiya swapna mein mara to kya us samay kya jhutha lag raha tha swapna mein nahi lag raha tha na jag gaye tab laga na to Uma kahun main anubhav apna sat hari bhajan jagat sab sapna to ab aapko lag raha hai aur koi kartavya hai to ye swapna mein lag raha hai agar jag ke dekho to swapna mein ek aap hi the na koi vastu tha na koi vyakti tha na dushman tha na koi dost tha yah pata pata tab chala jab aap jage swapna mein jaise ham kai bar kaha samudra mein doob raha ho koi ab usko kaise bachaya jae bahut se taik bula liye jae nauka bula li jae sab vyvastha kar li jae to kya swapni purush ko bachaya ja sakta hai kya jo swapna mein samudra mein doob raha hai kuch upay nahi karega upay ek karega usko pakar ke jala jaga do ae na ek bund pani hai na wo doob raha hai na koi pareshani hai samjh rahe hain na lekin us samay samay usko pareshani hai jab doob raha hai.

jab bina jage usko yah dukh se dur nahi kiya ja sakta. Aise hi ham log apne ko stri man liye purush man liye. Ye swapna hai. Ab hamara kartavya ban gaya ki pati ki seva, patni ki seva, putr ki seva sab. Ab yah pura swapna chal raha hai. Aur jab akhiri mein yahan se to na koi pati, na koi putr, na koi kuch jeev akela uda. Duniya mein lakho ka mela juda aur hansa jab jab uda to ab to kya kartavya tha? Ab wo bhul karke phir nana prakaar ki maya ka chintan karke agle janm ki vyvastha kar li.

hamara to uddeshya yah hai ki apne kartavya ka palan karo swang ki tarah. Swang mein jaise nahi thodi der ke liye aap kisi ki patni bane ya thodi der ke liye aap mitra bane. Thodi der ke liye aap jo bhi bane to badhiya swang karte hain na to director inam deta hai. Paisa deta hai. Aise ham hamen bhagwan ne ek swang bheja hai. Man lo hamen guru ka swang diya kisi ko shishya ka swang diya, kisi ko prashnakarta ka, kisi ko uttar dene ka bahut se swang hai. To apne swang ko achchhi tarah nibhao.

lekin swang ko swang rahne do. Natak ko natak rahne do. Role ko role rahne do. Agar aap jo ek ghanta kisi ki patni bani swang mein aur iske piche to aap use yahi kahoge mariyada mein rahna. Aise hi ye 60 70 varsh 50 varsh ka swang mila hai. Pita ka, putr ka, patni ka, mata ka alag-alag. Hamko is swang mein kami nahi rahne dena. Jo swang hai usko yathavat karna hai. Par ye dhyan rakhna hai. Swang karne wale ko yad rahta hai ki main sab kuch nahi hoon. Main kuch aur hoon. Keval thodi der manch par main kar raha hoon.

to jagannatak vaibhava is sansaar rupi manch mein hamen jo swang mila hai wo ham karen. Par ham yah yad rakhen ki main swang nahi hoon. Main satya sacchidanand ka swaroop hoon. Na stri hoon na purush hoon. Par ab yah bina jane agar swang mein phas gaye to agla swang tayyar hai. Wo chahe suar ka mile, kutta ka mile, gadha ka mile, kaun yoni mein jana pare aur agar jaan gaye apne aap ko badhiya swang kiya do baten swang badhiya aur apne ko yad rakha ki main yah nahi hoon to director jo hai paramatma wo is tumhen swang se hata dega aur apni leela mein divya leela mein sammilit kar lega.

apne swaroop mein samaahit kar lega. Hamara janm hua hai apne ko jagane ke liye, apne ko janne ke liye, apne ko pane ke liye. Ham parae mein fanse hain. Yah sharir apna nahi hai. Yah man apna nahi hai. Ye indriyan apna nahi hai. Jagat ke sambandh apne nahi. Hamara pura jeevan parae pe ja raha hai. Apne pe nahi. Ham apne ko pane ke liye, apne ko janne ke liye, apne anand ke liye hamara janm hua hai. Ab ham sharir anand ko apna man rahe hain. Rupaye ke anand ko apna man rahe hain. Nana prakaar ke rishte bhogon ke to par mein phas gaye na.

prakriti mein phas gaye na mana kastan indriyaan prakriti sthan ka ab isi se jitna hai. Ab man ki dekho to ye bahut chahte hain. Sabse badi chahat hai ki koi hamen pyar kare. Sab jeev mein pashu pakshi mein sabke andar kyonki bhagwat ansh hai na to prem swaroop hai na to lagta hai koi mujhe pyar kare aur wo mujhe jo lagta hai wo sharir ko leke hai dekhna sharir ko lekar hai koi mera aisa sathi ho jo aajeevan keval mujhe pyar kare aur main kabhi marun na dekho hamari jo chahte hain main mere ko koi pyar kare mera sathi aisa ho jo kabhi bichhre na aur main kabhi maru na.

teen baton par dhyan dena. Jo jis department mein jahan hai wah sabse bada banna chahta hai. Yahi bhagwan ka swaroop hai. Kyonki sabse bade bhagwan hai. Maruna avinashi bhagwan hai. Prem kare koi bhagwan prem samudra hai. To ham bhagwan se hi prem karke bhagwan ko hi pakar ke bhagwan ko hi jankar ke tript ho sakte hain. Jagat ko nahi. Jagat mein yahan apne ko jo lagta hai ki samne wala prem karta hai to uske layak kuch hai isliye prem karta hai aur jis din aapse badhkar koi mil jaega aapki taraf dekhega nahi jis din aapke paas jo wo dekh raha hai wo nahi hoga to us din wo aapse prem nahi karega lekin sab tyag de to bhi bhagwan kabhi apne jan ka tyag nahi karte prem ka nirvah to sirf bhagwan karte hain jagat mein to rona padega aur thokren lageng yahan koi kisi ko pyar nahi karta.

jab tak swarth ki purti tab tak pyare re kyon aisa lagta hai ki ham Baba ji hain ham hi ko lagta hai. Aap sahi batao sansaar mein sabko ek prem ki bhookh hai aur wo kisse purn ho rahi hai? Aap dekho bola kahin prem ki purti ho pa rahi hai kya? Ab kya chah raha hoon wo nirnay to nahi kar pa raha par usko lag raha hai ki nahi yar matlab jo main soch raha tha wo nahi hai jo main chah raha wo tab milta hai jaise kevat bhagwan ke jab charan dho raha hai tab wo kah raha hai bahut kal mein keen manjuri aaj din sab vidhi bhal puri ab kachu nath na chahi more nath ab mujhe nahi chahiye jiske liye main tadap raha tha wo mil gaya ati anand umag anurag charan charan saroj pukhar jab bhagwan ke charan mile tab hriday se nikla ab kachu daath na chahe mo goswami ji kah rahe payo param

vishram Ram saman prabhu na hi kahun aaj main param vishram prapt kar liya kyonki mujhe Ram ji mil gaye to mujhe lagta hai ki hamare andar jo ye rahta hai ki kuch prapt karen wo laukik nahi hona chahiye wo shri bhagwan hone chahiye nahi to aaj sharir svasth hai kal ho sakta bhayanak kasht se pidit ho jae to yavat svasth kalevar yaav dur jara jab tak tumhara sharir svasth hai tum bhajan kar lo nahi aswasth hone par bhajan nahi hota phir to chintan unhin ka kasht ka hota rahta hai yahan dard yahan pareshaniyan yahan ab apne logon ko kya hai bachpan se bhagwan ki kripa se lage rahe to sari baten samjh mein aa gayi to ab ye thodi ki kasht hai to chitt khinch lega jaise tumhare sharir mein kasht ho aur mujhe pata ho aise mere sharir ke kasht ka utna hi hai jitna tumhare sharir ke kasht ka pata ho to lagega nahi bada kasht hai bas aise hi lagta hai aur har samay anand rahta hai agar bhagwan se na jude hote to durgati ho jati isliye ham sabse prarthna karte hain abhi sharir svasth hai jitna bane utna naam

jap kar lo aur itna to gyan prapt hi kar lo ki sharir tikega nahi balyvastha nahi tiki to yauvan avastha kaise tik jaegi yauvan avastha gayi to budhapa aa gaya bhari dukh dukh wala phir mrityu aa gaya. Isliye bhajan karke pehle sharir rag ka tyag kar do. Jite ji jeevan mukt ho jao. Khub naam jap karo. Satsang suno aur apne kartavya ka palan karo. Isi se kam ban jaega. Bhagwan bahut kripalu hai. Bina bhagwan ki sharan ke shuddh gyan nahi hota. Soi jane je dehu janai. Janat tumhen tumhen ho jai.

bhagwan se pyar karo. Bhagwan ka naam jap karo. Unhin ki sharan mein raho. Vishvanath ji Delhi se. Jai Jagannath jai vishvanath jai Jagannath ji bolie kya prashn hai karm kya hai vikarma kya hai akarmanya kya hai karm ko akarm aur karm ko karm yog mein kaise badla ja sakta hai akarm ko karm yog bhi kaha jaata hai kya ham karm ki gati ko kaise jaan sakte hain karmana gahno gati pahli baat samjh jo ham vasnaon se prerit hokar ke kriya karte hain use karm kahte hain. Jo shastr se prerit hokar ke kriya karte hain use shubh karm kahte hain.

jo ham vasnaon se prerit karte hain na jaise hamare andar kam ki, krodh ki, lobh ki, moh ki vrittiya hai to unse pehle andar sankalp vikalp banta hai. To jo kriya hoti hai wo karm banta hai. Wah ashubh ho jaata hai. Aur jo shastr sammat hota hai wahi kam shastr sammat bhoga jae. Wahi kriya shastr sammat ho to shubh ho jaata hai. Shubh aur ashubh yah jab tak hote rahenge tab tak hamara janm aur maran hota rahega. Ab pahli baat to hamen nishiddh karm ka tyag karna hai aur shubh karm ka karta bhav tyag karna hai to akarm ho jaega.

karm hote hue bhi wo shubh karm aapko bandh nahi payega. Jaise bhagwan ne kaha avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhashubbam do prakaar ke karmon ki baat kahi shubh aur ashubh karm jo akarm hai wo akarta ke dwara hota hai karta ke dwara kahi jo akarta hai kya karta hai gunangun warte manushya Parth sarvsa gunon ki prerna se prakriti janny karan aur unhin se kriyaen ho gayi main drashta matra hoon aur shubh karm karta bhav rahit to wah akarm ho gaya aur yah jeevan bhar bade-bade mahapurushon se bhi hota rahta hai.

shubh karm karta bhav rahit aur jo ashubh karm hai wo to vasna se prerit karta bhav se hai hi hai. Lekin jo shubh karm karta bhav se wo bhi bandhan karak hai. Punya chhan mrityu ke basti lekin yog to nahi hua na karm yog tab banega jake jab hamara karta bhav na ho na hamara sharir hai na hamari indriyan hai yah sab bhagwan ki di hui hai aur yah srishti bhagwan ki hai parivaar bhagwan ka hai isse seva kar rahe hain aur wah seva dharm bhagwan ko samarpit hai jab bhakti marg ka bhav lekar naam jap karte hue sare sare karm bhagwan ki prasannata ke liye karte hain to bandhan kat jaata hai ya nishkam bhav se sansaar ko bhagwat swaroop man karke aur yah pura sharir indriyan sab bhagwan ki di hui aapki thodi hai bhagwan ki di hui hai na ye bhagwan ki puri srishti hai to prakriti ke dwara jo hamari seva bani is wo nishkam bhav to karm yog ban jaata hai sukh dukh labhhan jai parajay ismen sambhav rakhne wala aur sampurn nishakmata har kriya mein wo karm yogi hota hai.

prakriti ka jitna bhi karya ho raha hai prakriti se hi ho raha hai. Kabhi dekha hai kabhi swaroop mein kabhi koi karta bhav hai kya? Swaroop mein kabhi koi halan chalan, koi abhav, koi chahat swaroop mein kabhi nahi. Aap thoda samjh pa rahe nahi hamari baat. Jitna antahkaran aur sharir mein hai. Antahkaran aur sharir yah maya dwara rachit hai. Sthul sharir, sukshm sharir, karan sharir aur aap jo hain in tino shariron ko janne wale hain. Aapke dwara in tino shariron mein halachlan ho rahi hai. Par aap karta nahi hai. Jo sab kar param prakashak joi jaise vishay ka prakash indriyon se indriyon ka prakash man se man ka prakash buddhi se aur jo buddhi ka bhi prakashak hai wah aap hai atma sabkar param pra lekin asang hai wo koi kamna nahi hai to kamna nahi hai jo hamare swaroop mein usi baat ko hamko sakshatkar karna hai brahm bhuta prasann atma sochta akanksha aur kamnayen kitni hai antakran mein aur unhin se prerit hokar karm ho rahe hain.

koi shubh koi ashubh aur wah uska karta ban raha hai to yahi punarpi jannam punarp maranam punarpi janani jathar shayanam ab akarm ho jae karm hote hue bhi akarm ho jae phal dene layak na rah jae wo hota hai nishkam bhav se bhagwat samarpit to jaise bhuna hua dana punah usmen ankuran nahi hota aise jo karm bhagwat arpit hote hain ya jo karm nishkam bhav se kiye jaate hain wo yog ban jaate aur aise jo karm kiye jaate hain wah bandhan karak hote hain. Use avashya mein bhoktuvi kritam karm shubha ashubham shubh aur ashubh lekin wahi karta bhav tyag karke ab karta bhav aise tyag dega bina antahkaran pavitra hue bina sadguru ka sevan kiye bina tatv gyan hue karta bhav chhut jaega kya lakh samjhao lekin rahta hai na main kha raha hoon main dekh raha hoon main pi raha hoon main chal raha hoon main aur wo purush kaisa hota hai wo dekhta hua sunta hua khata hua pita hua chalta hua bhogta hua bhi kuch nahi karta vishay grahan to munch hua ab yah tedhi khir ke liye

hi sadhna bataai gayi hai ki pranipaten mahapurushon ke samne jao sashtang dandvat karo aur unke dwara bataai hui sadhna ko karo jaise gyan marg mein chalna hai to vivek sat asat ka purn nirnay karne wala shuddh vivek vairagya lok parlok ke samasth bhogon se vairagya sham indriyon ka nigrh dum man man ka nigrh tatiksha mahan sahnseel samadhan chitt ka paramatma chintan mein nirantar raman karna mumukshta isi janm mein mujhe bhagwat prapti ho main mukt ho jaun ye sampatti hona avashyak hai bhakti mein nirantar bhagwan kah rahe mat madgat prana bodhta parsparam kathit mam nityam tyant cha ramant tesham satat yukt naam bhajta priti purvkm dada buddhi yogantam in mam pant ho gaya buddhi yog mere mein chitt arpit kar de mere mein pran arpit kar de meri hi varta kar mera hi chintan kar aur satat mera naam jap kar agar satat jap karega to tumhari buddhi mere mein sthit ho jaegi main tumhari buddhi mein sthit ho jaaunga yog ka matlab ye hota hai paramatma sthiti bhagwan kah rahe hain man adso main

buddhi niveesh ye chahe karm yog se chalo to sharir indriy antahkaran se sambandh rahit hona hai chahe gyan yog se chalo to isse alag ho raha hai aur chahe bhakti yog se chalo to ismen samarpan yog aa jaata hai. Yet sarwan karman sanas mat paraha anannya yog mam dhyaste te samudta mrityu sansaar sagrat samarpit ho jae bina bhagwat samarpit hue bina nishkam hue bina swaroop bodh hue yog nahi banta hai kyonki wo kamna vasna ichchha isi ko lekar ke karm hote hain aur phal par itni asakti hoti hai ki anukul aaya to harshit pratikul aaya to shokit wo dwandon ke antargat rahta hai.

lekin dwaand vimuktata yah sthiti to yogi ki hoti hai. Karm yogi ki aur jo sukh dukh samay krtva labha labh jai jai yah karm yogi ka bhav hota hai. Sukh dukh mein labhhani mein jai parajay mein saman bhav rahta hai. To jo karm ki badi sukshm gati hai. Par mota-mota itna samjh lijiye ki jab tak karta hai tab tak uska yog nahi ho sakta. Wo bandhan ka rakhiye. Chahe use akarm kaho, chahe vikarma kaho, chahe shubh karm kaho, chahe nishiddh karm kaho. Karta hai wo bandha hua hai. Uncheche loko mein karta hata sab khatm.

jaise bhuna hua bij kabhi ankurit nahi hota. Aise uska karm se bhagne se karta hateega kaise? Bhagwan ki ek ek second mein chintan vritti bana lo. Wo kah rahe hain mat. Man aad buddhim niveesh mere mein man buddhi laga do saaf bhagwan kah rahe hain anannya chintan theka mera hai yog yukt main kar dunga to kahe pareshaan ho tesham satat yuktan bhajtam priti purvkm Radha Radha Radha Krishna Krishna Krishna naam jap karo aur ye bhav dhyan mein to itna to aa hi jaata hai jab paramarth mein chaloge ki sharir tumhara racha to hai nahi ye indriyan tumhari rachi to hai nahi ye man tumhara racha to hai nahi ye jagat tumhara racha to hai to vyarth ka ah ahankaar kahe karen.

ek train chal rahi hai. Usmen sab baithe hue hain. Ek aadmi daud raha tha dibbe mein. Usne bole kyon daud raha hai? Bole amuk station jana hai. Bole ba re train chal rahi tu baith ja. Tu baith ja. Ye gunon ka chakra chal raha hai. Gunanugun vartan the. Sab daud raha hai. Antahkaran ek kshan bhi bina kriya kiye nahi rah sakta. Sharir hath pair bandh do to antahkaran se kriya ek kshan mein wah har samay aur jo samadhast ho gaye mahapurush wo kriya rahit hai. Kriya karte hue sharir se ho rahi par wo karta nahi hai.

bada matlab is samay hamko bahut badi avshyakta pehle antahkaran shudhi ki hai. Aur hamare anya sadhno mein antahkaran shuddh hone mein bahut samasya hai. Aur bhagwan naam jap bahut jor kalyug mein isiliye yah kalikaal mla yatan man kar dekh vichar se shri Raghunath naam bin nahi nana adhar kis sadhan ki jis sadhan ki taraf dekho vikshep hi vikshep kalyug dale hue hain vybhchar ka itna andar maang badh rahi hai vyaktitva mein aap sab baithe ho aap sab baithe to bhagat hi to baithe ho bhakt hote hue bhi aap dekho man mein kitna indriyon mein vybhchar dosh hai maang andar ki kal kalyug ka prabhav dekho.

yug dharm ka prabhav rasendriy ka apna swabhav dekh lo. Jnendriay ka apna swabhav dekh lo. Netrendar ka apna swabhav dekh lo. Hamen lagta hai kalikaal hai. Naam jap karo aur jitne karm karo unko bhagwan ko samarpit karte jao. Jo jo samay hai samay ke anusaar ya ek-ek vritti ke anusaar bhagwan ko samarpit kar do. Sab mangal ho jaega. Chahe wah hamse agar bhulchak se ashubh bhi ho jaata hai. Jaise aag mein dala gaya chandan ya loha ya vistha tino aag swaroop ho jaate hain. Ho jaate hain na. Aag bhed to nahi rakhti na ki ye chandan hai, yah loha hai aur yah vistha hai.

tino ko apna swaroop pradan kar deti hai. Aise saanp bhagwan ke charnon ka aashray lekar ke sab kuch samarpit kar do. Ye to Sharma karan yat karoshi bhagwan kah rahe na yat karoshi nipat jaoge ham kahan tak bhed lagaenge kabhi-kabhi satya bolna bhi nark ka hetu ho jaata hai kabhi-kabhi asatya bolna bhi bada uttam loko mein jane ka asatya bolna bhi bada sukshm vishay karm ka hai. Kai aisi ghatnayen hamne shastron mein padhi ki ek gau vadh ke liye gau ke piche ja rahe aur satya bolne wale the mala chala kaha gau kidhar gayi bole wo hai gau narak gaye kisi ke pran bach rahe ho aap jhooth bol diye to aapko uttam kai bar hinsa karne wala bhi wah bada pavitra ho gaya hinsa karne wala matlab to karm ki badi sukshta yahi pooch rahe the Draupadi ji Bhishma ji se kya yah dharm hai to kahte the dharm ka sukshm swaroop yudhishthir janta hai beti bada sukshm swaroop dharm ka hai aise karm ka bada sukshm swaroop hai sankadi se ek bar nimi ji ne prashn kiya tha wo maun ho gaye the uttar nahi diya wahi prashn jab nav yogeshwaron se kiya bhagwat mein tab wo uttar de rahe hain tab unhone pucha ki pehle mujhe batao sankadi ne kyon nahi bataya bole us samay aap anadhikari the.

aaj aap adhikari hue hain to aap jo prashn kar rahe hain uska main uttar de raha hoon. Bhagwat mein bada varnan hai aur gita ji mein bada sundar varnan hai. To ham karm yog ke dwara ham bhakti yog ke dwara ham gyan yog ke dwara tino ke dwara ek kam jarur sab karte hain. Sharir sansaar se rag rahit hokar paramatma ka chintan chahe wo brahm rup mein ho, chahe bhagwan rup mein ho aur chahe wo paramatma rup mein ho. Yogi paramatma kahta hai, gyani brahm kahta hai, bhakt bhagwan kahta hai. Aur karna sabko yahi hai.

rag rahit hona hai is sharir aur sharir ki kriyon se aur bhagwan ka chintan tabhi paramatma prapti hogi. Nishkam bhav se bhagwat preetartha kiya hua karm karm yog ho jaata hai jo bhagwat preetartha hota hai aur jo apni durvasan se shastr virudh hota hai ashubh karm hota hai aur jo hamari shastr vidhan ke tasmat shastram pramante karya karya vyvasthit jo shastr pramanit hota hai wo shubh karm ho jaata hai aur jo bhagwat samarpan ke liye hota hai wo hamen sansaar sagar se jarur par kar deta hai to nishkam karm bhagwat samarpit karm ya gyan ke dwara karta rahit gunangun warte sab karmakarma ho jaate hain.

koi bhi use dand nahi de sakte. Kai kai jagah aisa hota hai ki jo punya karm mana jaata hai wo paap ho jaata hai. Kabhi-kabhi paap karm bhi punya karm ban jaata hai. Bahut shastr mein karmon ki sukshta ka varnan hai. Isliye hamen to itna laga hai ki bhagwan ki sharan mein hokar naam jap karte hue aur jitna hamen lag raha hai ki ye paap karm uska tyag karke satkarma jo kar rahe hain wo bhagwan ko samarpit kar den to isi janm mein hamen bhagwat prapti ho jaegi. Kyon? Samjh rahe ho? Haan. Kyonki bada sukshm vishay karm ka hai.

bada sukshm vishay hai. Uske liye jo hamen bhagvatik buddhi chahiye wo bhagwan hi dete hain. Dadam buddhi yogamtam ye mamyate to ham khub naam jap karen aur jo karya karen wo bhagwan ko samarpit karen aur jo jante hain ki ye paap karm hai wo bhul karke na karen to bhagwan kripa karke buddhi yog de dete hain. Phir wo apne aap nirnay hone lagta hai. Phir jaise arjun ke rath ka ligam bhagwan par pakde ghodo ki baithe na aise yahi bhagwan hriday mein baith jaate hain. Phir usse galti nahi hoti. Bhagwan hi gyan swaroop hokar baith jaate hain aur wo sambhal lete hain.

tab ek-ek sukshm baat samjh mein aati hai. Aise bahut buddhi malan hai. Bahut sthul buddhi ho gayi. Bhog buddhi ho gayi. Socho kamna ke bina ham rah kaise sakte hain? Aisi buddhi nirnay de rahi. Karm karna, kartavya palan karna, samaj seva karna lekin bhagwat prapti ke liye wah vasna ki purti ke liye nahi. Lekin hamen lag raha hai ki 100 mein koi ek adh bhale vicharvaan ho nahi to 100 ke 100 hi keval vasna purti ke liye karm ho raha hai. Bhagwat prapti ke liye nahi. Karm yog nahi ban raha. Karm ban raha hai.

nishkam bhav se kahan? Agar ham kisi ko pani bhi pila dete hain to asha rakhte hain. Dhanyavaad bole. Nahi asha rakhte. To phir karm nishkam kahan hua? To hamen lagta hai ki is kalikaal mein bhagwan ka naam jap aur jo karm jaise wo bhagwan ko samarpit to bhagwan hamari buddhi shuddh kar denge phir hamen samjh mein aa jaega ki hamara kalyan hamara bhagwat prapti ya tatv gyan bilkul sahaj saral ho jaega. Nahi to bahut kathin hai. Chhoti-chhoti aise aparadh ki pravritti hai ki janm bhar ke kiye hue sukrit karm sab bhasm ho jae.

man lo ek vaishnav ninda kar do to kiye sukrit bahu janm ke kshan mein direct ek karm sare karmon ko bhasm kar dega jitne sukrit bhagwat prapti to atyant durlabh isliye kalyug mein ya har yug mein bhagwan ke charnon ka aashray aur bhagwan ke bhagwat premi mahatmaon se satsang charcha aur naam jap aur sare kartavya karm ghar parivaar makan nokri jitna bhi jo wo sab bhagwan ko samarpit to isi janm hamen bhagwat prapti ho jaegi agar hamari baat samjh mein aa rahi ho samjh mein aa rahi ambika pandya ji Kolkata se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein sadar pranam maharaj ji Bhaktmal ke bhakton jaisa bhagwat prem aur bhagwat sharanagati hamare hriday mein kaise jagrit ho sakti hai?

sharanagati to tabhi jagrit hogi jab bhagwan vyvastha kar den aisi ki sharanagati ke liye hamara man tayyar ho jae. Wo bhagwan ki vyvastha se hota hai. Jab tak manmani bhog bhogne ko milte hain. Jab tak manmani yar mitra yahan hamare hain. Jab tak manmani hamari ho rahi to bhagwan ki sharanagati nahi ho sakti. Sharanagati tab hoti hai jab anya koi hamara na rah jae. Hamare man ka bada chipku swabhav hai. Wo vastu vyakti, sthan jahan jo kuch mil jae usse apnapan kar leta hai. Jab sab jagah se har hoti hai tab bhagwan ki sharanagati hoti hai.

asli mein pakka samjhna. Drupdi ji mahan bhagwan ki bhakta hain aur koi manushya se nahi prakt hui. Yagya kund se prakt hui hain. Devi hain. Phir bhi sharanagati mein kamzori rahi. Jab Dushashn bal pakar ke ghasit karke sabha mein le gaya. Tab unke man mein bhagwan shri Krishna ke bal ki yad nahi ai. Panch Pandav Bhishma pitamah aadi dharmatma in sabki yad ai ki bhala inke beech mein hamare saath duryvhaar kaise ho sakta hai jiske panch mahabali aise Pandav pati hain par khali gaya yah soch Pandav sir jhukae baith gaye Bhishma aadi mahapurushon ne koi uttar nahi diya bas itna kahte the beti dharm ka bada sukshm swaroop hai aur yudhishthir achchhi tarah se janta hai raksha wala koi apne hath se pakar li.

ab bhi shri Krishna ke bal ki yad nahi ai. Phir dant se pakar li. Jab dekha ki ab mahabali Dushashn ke dwara ek jhaatke mein dant se vastr hat jaega aur main nirvastro ho jaoongi. Mahabal ki yad ai. He shri Krishna dwaar ab sharanagati hai ab sharanagati hai jo sharanagati hai wo ek bharoso ek bal ek as vishwas ek Ram Ghanshyam hit chatak tulsidas chatak ki tarah apne isht dev ke prati purn samarpan ek bharosa sa ek bal ek as ek vishwas abhi hamare kai bhrose kai vishwas kai mitra kai na kitne kitnon ke samne bola hai ki ham aapko pyar karte hain ye ham prabhu se bhi bolte hain aur jagat se bhi bolte hain to moh kapt chal chhidr na bhawa isliye prabhu nahi mil rahe ye sharanagati matra hi bhagwan ka pradurbhav karne ke liye samarth hai je hi Draupadi sharan mein hui to yahi vastravtar bhagwan ka ho ho gaya na dekho Gajendra kab pukara bhagwan ko jab sab tarah se har gaya yah jeev ka swabhav hai pehle hathi hathiniyon ka bal phir apna bal aur jab dekha ki ab soond dubne wali ab to koi bal nahi to pukara hari yahi jeev ki dasha hai jab tak aaspas pdos mobile number kuch bal rahta hai tab tak hari ko nahi to hamen lagta hai sharanagati ki vyvastha bhagwan hi karte hain.

bhagwan kripa karen aur mere is agyaan ko dur kar den ki mera koi hai is jagat mein aur yah hamare dimaag mein baat aa jae mere to Giridhar gopal doos dusro na koi bas ye dusra jo hai yahi sharanagati la chahe wo vyakti ho chahe vastu ho chahe sthan ho kuch hai kuch dusra jo kuch hai wahi badha hai dvait hi badha hai dusro na koi mere to Giridhar gopal ab bhagwan se prarthna karen ki mere man ko gher kar aap apne charnon ki sharan mein le lijiye dusra prashn hai prem kya hai prem prapti bhagwat prem prapti kaise hoti hai haan pehle pehle sopan pe kadam rakho sharanagati sharanagati ka swaroop kya hai bole tadpita akhilacharita ta smaran param vyakulte the bhagwan ko samasth karm samarpit karke har samay bhagwan ki smriti mein bhagwan ki smriti se badhkar koi sadhna nahi hai.

puri gita ji sunne ke baad gita ka prarambh sharanagati se hota hai. Shishyastam sadhimam tam prapnam yahan se aur purnata hoti nashto moha smriti labdha tat prasad mayachita kya prapt hua smriti to har samay jo bhagwat smriti mein hai uska sansaar bandhan nasht hota hai yas smaran matre janm sansaar bandhnat vimuchte nam tasmai vishnve prabhu vishnve jinka smaran matra janm mrityu ke pravah ko rok deta hai. Un bhagwan ki smriti hamare andar pehle jagrit ho. Madhur madhur smriti atho pahar jaise ganga ki akhand dhara samudra mein ja rahi aise hamare chitt ki sab pravritti sab vrittiya ekmatra bhagwan mein bole kisi ki hai aisi vrittiya bole haan gopi jan yatha braj gopika naam murari padarpit chittavatta ek ek vritt bhagwan mein tab prem prakt ho abhi to bahut badhae hain abhi to shabd sparsh rup ras gandh rupi jal maya ka jo hai panch gyanendrriyon sahit jo man inke bhog mein hai isi se nahi nikal paya.

abhi isi ka rag nahi chhuta to prem to bahut unchi baat hai. Pehle ham prayas karen sharanagati ka aur ham prayas karen akhand bhajan ka. Phir apne aap hi prem rupi mahan siddhi apne aap jagrit hoti hai. Ya gun sadhan te nahi hoi. Tumhari kripa pao koi. To naam jap par kiska prashn tha? Naam jap par dhyan do. Adhik naam jap karo aur bhagwan ki sharanagati mein raho. He nath main aapki sharan mein hoon. Aapke siva hamara koi nahi aur khub naam jap karo. Isi se sab kam ban jaega. Naam hi prem mul yah naam hai. Premi rasik japtiha naam.

prem magan nij ban vishram. Jitna naam jap karoge utna hi prem. Prem mul yah naam hai. Prem ka mul kya hai? Naam. Jitna naam jap karoge bhajan karoge utna hi prem jagrit hoga utne hi hriday nirmal hoga utni bhagwan ki sharanagati hogi agar bhajan nahi hai to sab ved shastr kanthsth kar lo phir bhi kalyan nahi hoga bhajan naam jap zaruri hai naam jap ke bina kakahra na padhe ho Ram Ram Radha Radha Krishna Krishna hare hari japne lage sab gyan ho jaega bahut samudra se par ho jaega sab kuch ho jaega aur bhagwan ka bhajan nahi hai aur khub saaf gyan vairagya khub kam nahi banega.

maya aise thappad aa ke gira degi. Naam jap bhagwan naam sankirtana bhagwan naam jap ye jeev ke liye amokh baat hai. Amokh baat hai. Jiske dimaag mein baith jaega to jaan lo anant janmon ke punya hamare phlibhut ho gaye. Agar yah dimaag mein baat baith jae ki nirantar naam jap aur bhagwan ke bhrose ho jana. Yahi bhav samudra se par hona. Yahi bhagwan se prem kara dega. Jo chahoge prapt ho jaega. I parlok sakal sukh cha pavat meri so bhaiya Krishna gun sun Krishna ke gunon ka gayan karo naam jap karo is lok mein bhi sukhi raho parlok mein bhi sukhi raho prabhu ke das sab jagah sukhi rahte hain udas nahi hote damini raghuvanshi ji Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ye kah rahe hain ki ek bahut achhche sant the un unke prati inka dosh darshan ho gaya tha sabhi jane kahte the wo bahut achhche hain bat ye vishwas nahi karte the inke aparadh ban gaya bat abhi wo is dharadham pe nahi rahe to inke man mein ek glani si hai ki main unke prati dosh darshan kar liya.

isse main kaise mukt ho paun? Unhin se prarthna karo. Unhin ka dhyan karke unhin se prarthna karo. Wahi kshma karenge tab aisa hai. Dekho hamne kai bar baat swabhavic charcha mein bahut ise dhyan se sunna. Shuddh sone ka koi abhushan nahi banta. Pahli baat samjh lo. Kuch na kuch milavat hoti hai tabhi wah abhushan banta hai. Kyon? Aisa hota hai na? To yah jo manushya sharir bana hai yah milavat se bana hai. Paap aur punya. Punya ka sharir jo hota hai wo devtaon ka hota hai. Paap ka sharir jo hota hai wo narki purushan ka hota hai.

jo narak ki yantrana bhogte hain. Aur jo mrityu lok mein sharir milta hai wah paap aur punya mishrit hota hai. Kisi ka bhi ho yah banai milavat se hai. To donon hai donon ka hai. To in donon ke acharno ke sanskar bhi hain. Ham chal rahe hain bhajan ke liye. Abhi wo pahuncha to nahi aur agar pahunch gaya hai to phir jaise bhune hue chane mein kabhi ankuran nahi ho sakta. Aise na swatmaram vishay mrig trishna bhramti atmaram purush kabhi vishay mrig trishna mein bhramit nahi hota. Par agar wah siddh nahi hua, bhagwat prapt nahi hua to galtiya hona swabhavic ho sakti hai.

kam zyada alag baat hai. To chalne wala hi to phesal sakta hai. Chalne wala hi ladkhda sakta hai. To ham logon ko chahiye ki agar ham chalne wale sadhak ko dekhen to usko is bhav se pranam karen ki vah re veer jahan saikadon log parast hokar muhn bhara gir jaate hain wahan to ladakhdata hua aisa hi par chal to raha hai. Hamen dosh darshan wahan bhi nahi karna aur jo siddh hain jo bhagwat prapt mahatma jan hai unki bahya cheshta aisi hoti hai jinko ham apni mansik buddhi se nahi samjh sakte to hamen dosh darshan nahi karna chahiye jaise ek vayovriddh mahatma bimar sharir ab unki seva mein matayen bahne koi tha hi nahi to wahi uthana wahi unko sochana wahi ab un par ek sadhak ki drishti gayi to guru bhav rakhte the to unki andar bhav aaya ki striyan chhuti hain maharaj ab man lo vayovriddh to aise tang karke aise aise sara bhajan unka khatm ho gaya sochne matra se kyonki ab jaise man lo apne pita ki putri seva karen ab bhyo vridh sant hai unko uthana baithana to waise jaise ab wahan stri purush bhav tumhare andar dekhne mein unke andar to ek mera mera bhagwan is rup mein seva kar raha hai.

wo unka sara bhajan to unhone santo se pucha ki mera chintan bhajan sab band ho gaya. To unka vaishnav aparadh bana. Unka ham kisi vaishnav ka to aisa aparadh par unhone kaha guru ji ke prati aisa bhav ho gaya ki aisa to unhone kaha jaldi unse kshma mango. Nahi koi upay nahi hai. Baad mein jalte rahoge kuch upay nahi rahega. Unhin se jiska aparadh bana wahi kshma kar sakte hain. To hamen lagta hai ki pahli baat to santo mein dosh darshan karna hi nahi chahiye. Aur agar kahin dosh darshan ho bhi raha hai to hamen yah sochna chahiye ki bhagwan ke jan bahut bade ke jan hai.

aaj thodi kami rah gayi hai to kal bhagwan isko bhi puri kar denge. Hata denge. Bhai bhagwan ki sharan mein hai. Dekho janm se ab man lo aaj hi koi Baba ji bana hai to ab aapko to pata nahi ki aaj hi bana hai to usmen sansarikta to hogi hi kyonki wo dhire-dhire unchai par chadega. Ab aap agar uske prati dosh darshan kar lenge to aapka marg ruk jaega. Uska to chalta rahega. To isliye hamen lagta hai ham dosh darshan na karen. Kisi se bhi agar hamara milan ho aur usmen hamen dosh dikhayee den to apne ko duri bana leni chahiye.

lekin uski ninda nahi karni chahiye. Apne ko nahi suit kar raha sang aapka aur bhi hai ham age dekhenge par ninda karne ki zaroorat nahi rahe. Ninda karne se phir apni hani ho jaegi. Ho sakta hai wo bhi naye-naye bhagwan ke marg mein chale to unmein kamia ho sakti hai. Wo apni sudhar aur naye-naye kya bade-bade purannon ko bhi maya pareshaan kar deti hai. Shiv viranchika moh ko hai wo puran. Bade bado ko mohit kar leti bhagwan ki maya. Bahut kathin hai. Sansaar bakhashne wala nahi bhai. 50 sal brahmcharya rahe.

50 sal ladte rahe maya se aur panch minute phayl ho gaye to 50 sal ki ladai wali baat tumhari koi nahi dekhega. 5 minute ki phayl hone wali baat dekh ke tum par prhar kar dega. Koi aisa nahi hai ki yar 50 sal se ye lad raha hai maya se. Aaj chuk ho gayi hai. Niklo. Chalo age badho. Koi kshma nahi karega. Usi samay tumhen dand dega. Isliye babagiri bahut kathin baat hai. Are socho kitna kasht sahte sant log aap kya jano santjan kitna kya keval kapda mil jana bhojan mil jana yahi sari baat hoti hai kya are andar tum dekho na apne andar dekho jo tumhare andar hai wo unke andar bhi to aata hai kam ka veg krodh ka veg lobh ka veg har tarah koi pyar se baat nahi karta koi pyar se baat nahi wo to jab age vaibhav prakash hota hai to sab nahi sadhna kal mein koi pyar se gali milti hai apman milta hai kai kai din bhukhe rahna kasht sahna dekh nahi sakte aap agar dekh rahe the Baba ji tu kaise dekh raha hai idhar dekh nahi sakte sansaar aur wah phir jab kasht sahakar bhagwan ko tab sara sansaar jhukta hai uske age le jhata hai to isliye hamen lagta hai santo mein dosh darshan to karo mati dekho kuch hote hain jo is vash ka prayog keval vasna purti ke liye karte hain wo ekdam pakhand alag hota hai lekin jo sachchai se chalta hai to chadne wala hi phesal sakta hai daudne wala hi gir sakta hai aur girne wala hi uthkar lakshya ko prapt karta hai.

to hamen lagta hai dosh darshan nahi karna chahiye aur agar dosh darshan ho raha hai to hamen hat jana chahiye. Ninda nahi karni chahiye. Agar ham ninda nahi karenge to hamara marg pusht ho jaega. Wo bhagwan ke jan hai to sam dam dand bhed se bhagwan ek din unhen sacha bhagat bana lenge kyonki bhagwan ki sharanagati vyarth nahi jati. Par hamko apne bachav ke liye kisi ki ninda nahi karni chahiye. To aap unhee sant ka dhyan karte hain. Unhin se prarthna kijiye. Wo bhagwan ke swaroop hain. Jarur kshma kar denge.

sant bade dayal hote hain. Ji rajeev kumar Sharma ji Radhe-Radhe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji duniya mein burai kyon hai? Bhagwan ka bagichi hai. Bhagwan ke bagiche mein teen prakaar ke beejon ka ek satoguni ek rajoguni ek tamoguni kahin tamogun ki leela ho rahi hai. Kahin satogun ki kahin rajog aap kya dekhna chahte ho? Bhalai bhalai ho maharaj ji aap dekho bhalai bhalai to bhalai dikhayee degi. Aapne burai ka chashma kyon pahan rakha hai? Burai hai hi nahi. Goswami ji ne chashma apna badla to dekha jad chetan jag jeev jat sakal Ram main jani sakal Ram main jani bando sabke pad kamal sada jor jug pani gopi janon ne dekha jit dekhun tit Shyam mai hai aap to burai mai kah rahe ho burai hai kyon sab kahan hai burai ki satta hi nahi hai na sato vidhte bhav na bhav vidhte sa aap kyon satta de rahe hain satta hi nahi hai rassi padi hai saanp aapko dikhayee de raha hai saanp nahi hai rassi hai aap dekho na brahm satyam jagat mithya kya dekh rahe ho mithya ko satya

man rahe ho sudhar karo apna wo to hai to phir hai hi nahi na jo hai hi nahi rassi mein saanp tha nahi hai nahi rahega nahi par is is baat ko mano to pehle bhagwan the baad mein bhagwan hai to madhya mein kaun hai bhagwan hi hai burai nahi na pehle burai thi na baad mein rahegi beech mein bhas rahi hai uski satta nahi na sato vidyate bhav na bhav vidyate sata vichar karo burai ki satta hai kya andhkar ki satta hai kya to kahe ko man rahe ho tumhari manyata hi to tumko anubhav karayegi jo anubhav karna

chahte ho jaisi manyata karoge vaisa anubhav hoga abhi anubhav karna chaho koi bura nahi koi papi nahi sab mein mere bhagwan virajman to koi burai nahi koi papi nahi vichar karke batao aap kahoge bhagwan ne burai kyon banai to bhagwan ne banai nahi banai nahi wo hai vidyman to hai to phir un vidyman ko tum bura kah sakte ho kya ae jab ham film dekhne jaate hain na to ek hi abhineta abhinay karne wala kabhi wo hiro ka role karta hai kabhi kabhi accha role karta hai aur kabhi wo khalnayak ka role karta hai.

lekin pahchanane wala ye kahta hai bahut accha aadmi hai par role bada taip ka kar leta hai. To jagannatak vaibhava mein shri Krishna role kar rahe hain teen gunon ka satogun ka, rajogun ka, tamogun ka. Ab tumhen jo role pasand ho us paksh mein ho jao. Tumhen role agar khalnayak pasand hai to udhar ho jao. Burai ki taraf aur agar aapko achchai ki taraf to achchai. Bas is natak manch par yah dekhna hai ki natak karne wala kaun hai. Accha usmen kya hota hai? Director alag hota hai. Manch alag hota hai. Natak karne wale alag hote hain.

ismen manch bhi wahi hai. Director bhi wahi hai. Natak karta bhi wahi hai aur natak drashta bhi wahi hai. Ye baat nahi samjh mein aati. Ya raste Raghunath kar veg le ja koi jo jale Raghupath kripa to sapne moh na ho. Kuch nahi keval bhagwan hi bhagwan hai. Burai hai hi nahi prabhu marji drishti paripak kaise hogi bhajan isiliye to bhajan karna chahiye bina bhajan ke nahi bina bhajan ke nahi bhajan karoge tabhi baat samjh mein aayegi bar mathe ghat hoevar shikta te varu tel binu hari bhajan bhari ya siddhant pe yahi to bhav hai bh mane sanshay bhram kahan samudra hai bole bh samudra se par laga do ek bund pani le samudra mein ek bund pani nahi samudra kaha ja raha hai kya dimaag ka theek hona chintan theek hona tabhi kah rahe hain naam let bhavsindh sukhahi karo vichar sujan man mahi ai sujan jan vichar karke dekho bhagwan ka naam jap karte hi bhavsindh sukh jaata hai bhasi sindhu matlab vichar pavitra ho jaate hain ab koi bura nahi raha apne upar marne wala jo pida de raha hai jo gali de raha hai jo apman kar raha hai usmen bhi bhagwan ka pyar aur dular dikhayee deta hai bhakt ko aur abhakt ko burai dikhayee deti hai to ham khud apna sudhar karen.

to hamen pehle ye vichar karna hai. Dekho aap jahan prashn kar rahe ho adhyatma ki jagah par prashn kar rahe ho aur hamen jab apna sudhar ho jaata hai. Jaise ham dekho lal chashma lagaen to lal dikhayee dega. Hara dikhae to hara. Aap dekho jara hamen uttar dena to aapko samjh mein aa jaega. Jaise hydrogen hai, yah AC hai, yah pankha hai, fridge hai, kular hai. Inme sab heater hai. Inme sab alag-alag kriyaen dikhayee de rahi hai. Lekin aapse pucha jae inko chalane wala kaun hai? To aap ek shabd mein kahoge bijli. Accha bijli mein kya dosh hai?

wo garm hai ki thandi hai ki wo katti hai ki kya kar? Wo prakash bhi de rahe hain. Wo ye karnon ke prabhav se bijli ka alag-alag rup dikhayee de raha hai. Haan matlab aap dekhna prakash bhi to wahi de rahi hai. Lekin ye karan ke prabhav se hai. Karan hai na upakran unke prabhav se alag-alag de rahi. To ab ek mind tamoguni ab wo bada dusht swabhav prakt karega. Lekin power usmen power usmen power wahi hai na to hamen power dekhna hai. Power jo dekhta hai karan tatv ko jo dekhta hai wah kriya mein fansa nahi aur jo kriya mein phas jaata hai wah karan tatv ko nahi dekh pata.

accha achchai aur burai ye donon hamare bhagwan ke bagiche ki shobha hai. Samjhna agar kadak dhoop na ho to chhaya ka anand nahi milega. Agar Ravan paida na hota. Samjhna agar kans ka atyachar na hota to Krishna ka dular nahi milta. Bhagwan apne avatar ke pehle vyvastha burai ki bhi karte nahi karte. Aap vichar karke dekhna agar ye kans, Hiranaksh, hiranyakashyap, Ravan, Kumbhkaran inka yah bhaykar rup na hota to mere prabhu ke priy avatar nahi hote. Krishna avatar, Rama avatar, bhagwan ka narsingha avatar, bhagwan ka Varah avatar yah sab inhi ke liye to hua.

to yah hamare prabhu ka leela vinod hai. Dekho divya parsad hai aur wahi burai ka rup dharan kar lete hain. To bhagwan us burai ko mitane ke liye avatar le lete hain. Aur ham bhakton ke jeevan palan poshan ke liye unke pavan charit pavan naam pavan gun unhin ko gakar ham jeevan mukt ho jaate hain. To hamen lagta hai burai kuch nahi. Bhagwan ki ek leela ka wah bhi hissa hai. Aapne shastr swadhyay kiya hoga to agar pata chalega bhagwan ki chati se dharm prakt hota hai aur pith se adharm prakt hota hai. Pith se bhagwan ke adharm prakt hota hai aur chati se dharm prakt hota hai.

to pith mein ghusa maro to bhagwan ke lagega aur chati mein maro to bhag. Isiliye sant jan hath jodte hain sab mein. Ye krura papino nach satam sambhas drishya ye dekho adhyatma ki baat kah rahe hain agar aap rajniti ki baat karoge to phir siddhant dusra ho jaega lekin adhyatma ki baat karoge to jeevan mukt hone ke liye phir to sab mein bhagwan ka bhav karke kahin koi burai nahi hai. Wo khel kar raha hai. Burai se hi ham achchai ki pehchan kar pate hain. Ek paksh mein to ham pehle aapka khandan kiya ki burai hai hi nahi kyonki na sat vidhte bhav asat ki satta hi nahi ab dusri baat mein kah rahe agar leela mein burai na ho to maja nahi aayega aap pakka samjh lo ai agar koi natak ho koi film ho aur usmen jor ka viliyan kahte hain viliyan vilyan na ho to anand aayega bole ismen viliyan bole amuk hai are bole bada maja aayega kyonki agar vipaksh jor ka hai aur bole phir hiro kaun hai?

bole ham bole ab to aur maja aayega. Aise hamare bhagwan ki leela hoti hai. Bole ismen vipaksh kaun hai? Bole Ravan Kumbhkaran kaun hai? Bole bhagwan ke parsad jai vijay aur phir paksh mein kaun aa raha hai? Bole Ram ji bole bada anand aayega. Ab to leela bahut jor ki hogi. Bhaiya wahi vipaksh banta hai. Wahi paksh banta hai. Aur bina burai ke burai mitane ka leela kaise banegi? Bhagwan kah rahe yada yada dharmas gan bhavat bharat to glani kab hoti hai? Jab adharm ki vridhi hoti hai. Jab buraiyon ki vridhi hoti hai.

to buraiyon ki rachna aur vridhi aap aise hi se to ho rahi sarkar aap kyon kar rahe hain? Ye unka leela vinod hai. Kyon ka to kahin bhi vishram nahi ho sakta. Yah leela vinod kyon hai? Ye bhagwan ki ichchha ye bhagwan ki ichchha kyon hai? Ab kyon ka kahin vishram nahi hoga. Usko ham yah mante hain yah bhagwan ka leela vinod. Mujhe ye pahchanana hai ki bhagwan ka leela vinod hai. Isi se ham mukt ho jaenge. Wahi Ravan hai wahi Kumbhkaran hai. Jo bhagwan ke divya parsad jai vijay kahlae. Dusra koi nahi.

wahi Hiranaksh hiranyakashyap divya parsad wahi chashpal dantwak bhagwan ke divya parsad ye leela kar rahe hain to burai bhi bhagwan ki pith se prakt hui aur achchai bhagwan ke hriday se prakt hui donon mein bhagwat bhav karke nikal chalo agar phas ja faso to phir janm maran ke chakra mein phaaste chale jao nikalna hai phasna nahi hai nahi aur bhagwan sabki sevae lagae hue hain to sabki seva safal ho rahi hai. Achchai aur burai donon ka bahut bada yog hai. Jitna yog achchai ka utna hi burai ka yog hai. Bhai bahut bada astitva unhin se prakt hui hai.

dekho prakash ka mahatva andhkar se hi hai. Tumhen manna hoga. Prakash ka jo mahatva hai wah andhkar se hai. Aise mrityu se jeevan ka mahatva hai. Jeevan ka mahatva mrityu se hai. Aise achchai ka mahatva burai se hai. To ham yah nahi kah sakte ki bhagwan burai kyon rache? Nahi zaruri hai. Ye bahut sundar ghar ho laitrin bathroom na ho. Laitrin bathroom kitni gandi chij hai. Nai chij hai. Kyon durgandh wali chij honi chahiye? Lekin aap batao hona zaruri hai ki nahi? Zaruri hai na? Yahan letring bathroom hai. Yahan aise hi rasoi leting bathroom, achchai, burai yah sab zaruri bhaiya.

sab zaruri hai. Amrit ka mahatva vishv se hai. Pakka samjh lijiye. Isiliye hamen anand lena hai. Hamen buraiyon ke burai mein phaskar apne ko agle janm ka vistar nahi karna. Hamen anand lena hai. Jab apna koi priyjan patr mein hota hai tab bahut anand aata hai. Aap dekhiyega agar wah jokar bana ho na aapka koi prichay ka ho rishtedar natedar mitra to aap bade gaur se dekhoge uski jhukkar par anand aayega par aapko pata chalega jokar nahi bahut graduate aadmi ham jante kaun hai aise hi ham jante kaun hai matta partar nyat kinchit Dhananjay mera shri Krishna hai wo stri bana wo purush bana hua wo jad wo pashu pakshi chaitanya wo accha bura sab role kar raha hai lekin na accha hai na bura hai na stri hai na purush hai na jad hai na chaitanya hai wo sacchidanand ghan paramatma hai yahi jankar Paramhans jan aandit rahte hain aur yahi janna hi vastvik jalnala hai dusra kuch nahi hai pyare ye vihaar hai aur vihaar mein donon ki avshyakta hai agar nahi hoga to phir sabka kam nahi chal payega nahi kam chal payega nahi bura aacharan ka parinaam hi rog hota hai agar burai nahi hogi bure aacharan nahi honge to rog nahi hoga shok nahi hoga phir hamen lagta hai mrityu lok mrityu lok hi rahega isliye bhagwan bhagwan ne lok ke anusaar racha hai.

yahan aapko burai bhi milegi aur yahan bhalai bhi milegi. Bhagwan ki meri bazar hai, dukan hai. Aap khareedna kya chahte ho? Agar bhalai khareedna chahte ho to bhalai kharid lo. Burai khareedna chahte ho to burai milegi donon chijon. Yah baat hai. Aur ye ham dusri baat mein kah rahe hain. Pahli baat mein to khandan karte hain ki burai hai hi nahi. Kyonki na sato vidyate bhav na bhav vidyate sata. Sat ka kahin abhav nahi hai aur asat ki kabhi satta hi nahi hai. Jaise rassi mein kabhi saanp na tha na hai na rahega. Aise paramatma mein maya na thi na hai na rahegi.

ye bhas rahi hai wo paramatma hi paramatma hai. Sarvam khalmidam brahm aur dusri baat vihaar ki ki ki vihaar mein iski zaroorat hai. Lekin apne ko nahi dharan kar raha. Puri srishti mein iski zaroorat hai. Iska mahatva hai. Jo bhagwan ne racha usko yah na samjhe ki kyon racha kyonki zaroorat hai srishti mein uski jitna amrit ka mahatva utne vish ka mahatva hai. Pakka samjh lijiye agar vish na ho to kam nahi chalega srishti ka. Vish chahiye. Jitna nirwasan hone mein anand hai utna hi ek srishti mein vyasan ki bhi zaroorat hai.

racha hai bhagwan ne. Kitni ausdhiya jahreeli vastuon se banti hain? Bade-bade rogon ka nash karne wale jaise sankhya hai usko aise kha lo to mar jaoge aur vaidya shodh ke de de to dama aad bade-bade rogon ka nash karne wala banta hai. To sab bhagwan ne jo kiya hai wo bahut sundar kiya hai. Bas keval samjhna apne ko hai. Apne pratikul parta hai to ham phir gali dene lagte hain. Nahi to apni anukulta pratikultaa agar samtulta mein aa jae to bhagwan ke ye bazar bahut anandmay bazar hai. Na khao use dosti na khao use bair.

Paramhans jal aise nikal jaate hain bazar se sansaar se. Na kisi se dosti, na kisi se bair. Wo apne log phas jaate hain anukulta, pratikultaa, rag dves mein. Ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…