॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sadhna mein man ki chalakiyon ko kaise samjhen ? // 07/06/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashyam nirvapay param shi shital may param sacchidanand ghan Premand swaroop navan nibhat nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal chandra pranadhar har shri shyama Shyam jo samasth hit parikkar nij par yah manushya jeevan mrityu mala ka ek man ka hai. Jaise dori mein man ka piroya hua hai. Aise hi mrityu rupi dori mein is sharir rupi man ka piroya hua hai. Bahut se man ke aise ho gaye.

yah mrityu mala ka bhanjan karna hoga. Ise todna hoga. Is chakra ko rokna hoga. Aur yah keval samay abhi aapko diya gaya hai. Sanskriti maajh bariyai ke payo manush deh vritha kat darat abhi samjh mein nahi aa raha avidya ke karan agyaan ke karan bhagwan ne sanskriti chakra ko rok karke hamen avsar diya hai maha sukh prapti ka durbhagyavash hamne sukh ka bhav kar liya is pragat jagat ke vastu vyakti sthan mein ekmatra sant samagam santo ki vani shastr sammat vani isi mein samarth hai ki aapke is moh nidra ko bhang karke jaga de aur aapke jagte hi ye mrityu ki mala tut jaegi.

yah swapnik hai. Jab tak main tu tera mera tab tak aap swapnik purush hain. Aap jage hue purush nahi. Jage hue purush ka lakshan hota hai dwandatit gunatit kaalatit kinchin matra kahin koi chah nahi achah sthiti soch hi nahi rahti. Jage hue purush ke hriday mein kisi bhi vastu vyakti sthan ka astitva hi nahi hota. Jaise swapna se jage hue purush ko swapnik vastu vyakti sthan ka astitva hi nahi rahta. Aise hi is jagat mein avidya moh se grasit jo bhule hue apne swaroop ko vichran kar rahe hain.

jab guru kripa se guru vachno se satsang ke dwara wo jagte hain to sampurn charachar jagat mein astitva hi nahi rahta. Nana to ka brahm satyam jagan mithya swapnik vilas se wo jag gaya. Yah bahut kathin hai. Isliye bahut kathin hai ki bahut janmon se hamara rag, asakti, moh yah pusht ho raha hai. Ab avsar mila hai inko nasht karne ka. Inke bandhan se mukt hone ka. To ismen sabse pehle upasak ki ek chaturtaen honi chahiye. Bahut anubhav gam mein baat hai. Aapka man aap nahi hai aur jab yah aapko vastu vyakti sthan ke bhogne ka dekhne ka sukh lene ka sankalp banana chahe to aap isse nirapeksh ho jae.

bhagwat kripa se agar yah baat samjh mein aa rahi ho to aap bahut bade paramarth ke pathik ban sakte hain. Bas ek hi baat hai yahi ham phayl ho jaate hain. Iska swabhav hai tanmay kar lena. Jahan ye koi vishay dekha hua, suna hua, bhoga hua, chintan mein aaya hua, yah usi samay hamen tadatma kar leta hai. Uski baat meri baat ho jati hai. Main ki baat ho jati hai. Main dekh raha hoon, main sun raha hoon. Main bhog raha hoon. Maine dekha, maine suna, main bhogung. Bahut point ki baat hai. Badi sukshm baat hai. Yah pakdne layak baat hai.

sab sansaar isi mein vichar raha hai. Ko ek pav bhagat ji moh jo kaho Harivansh ras birlo samjhanhar ek doi jo pai khoji sab sansaar yah samjhne ki cheshta kijiye. Bilkul aandit hokar aap kabhi parajit nahi honge vikaro se. Aap jab man mein aae hue purv abhyaas purv sanskar vash bhogon ka sphuran hota hai. Manan hone lagta hai bhogon ka. Ladne ki zaroorat nahi usse. Rokne ki takat bhi nahi hai. Nirapeksh hone ki baat hai. Bahut achhche se samjh lijiye. Agar aap jalan mehsus karke unmein tanmay ho gaye rokne ke liye bhi to wo aapko gira dega.

ye kuch baten hriday ki abhyaas mein lai hui baten hain. Aap usmen ye kyon nahi hona chahiye. Nahi aap uski satta de rahe hain. Aap uska chintan kar rahe hain. Aap kamzor ho rahe hain. Nirapeksh ho gaye. Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha suno mat uski us samay par bahut praveen sadhak aisa kar sakta hai. Nahi hamare kahne mein der lagi. Usko tanmay karne mein der nahi lagti. Man tanmay kar leta hai. Itna bolne mein samay zyada lag gaya. Isse kam samay mein tumhen tanmay kar lega. Tanmay kar liya sankalp banega paramarth se vilag hone wali baat aa jaegi wo minute wo second wo vritti vilag ho gayi paramarth se nirapeksh uski suno hi mat jaise pagal aadmi bahut hi pagal hai man bahut hi pagal hai ye ham anubhav ki baat mein kahte hain kabhi aisi sthiti paida kar dega bada bhajan mein man lag raha hai.

kabhi aisi sthiti kar dega na bhagwan mein vishwas na sadhan mein vishwas. Ek khinnatasi kabhi itne bhog priy lagne lagenge ki lagega agar bhagwan prasann ho to yah bhog hamen de de. Dekho aapko tanmay kiye hue hamen de de. Jnendriay rasd, netrendar, granendra inke bhogon ko ham mante hain. Bhogta bane baithe hain. Main bhog raha hoon. Maine bhoga main bhogung. Isi ka naam agyaan hai, avidya hai, bandhan hai. Yah bahut vivek ki zaroorat hai. Iski satta hi nahi hai jise aap man rahe hain. Agar aap uska virodh karte hain to satta hai.

aur aap ragatmak sweekar karte hain to satta hai. Aur bhagwan kah rahe hain nashtu vidyate bhav inki satta hi nahi agma pano anityas tas titas bharat ye ane jane wale hain chupchap sah jao sahashat baadh hai bhagti mat bolo ki mujhe ye jalan ho rahi hai kama agni krodha agni moha mat bolo nahi bolne se satta dridh hoti hai mat akarshit nahi hai jhutha hai wo bolta rahega bolne do bol do udasin ho jao aur yah udasinta tabhi mani jaegi jab bhagwat smriti chal rahi hai bhagwan naam chal raha hai nahi keval baton mein hoga andar aapko tanmay kar lega bahut bada khiladi man hai agar aap isse udasin nahi rahe to aapke guru sambandh mein isht isht sambandh mein paramarth marg mein ya shraddha paida kar dega.

itne din ho gaye abhi kam sata raha hai. Bhi krodh aa raha hai. Bhi jalan ho. Ye wo bada prapanchi hai. Aur ye bhagwat swaroop hai. Yadi yah prabhu ke naam rup mein prabhu ke charnarvind mein lag jae to iska vastvik swaroop bhagwan hi hai. Indriy naam manushya bhagwan bolte main hoon. Bas abhi sudharna hai. Isse nirapeksh ho jana hi isko vash mein kar lena hai. Is anubhav ki baat kah raha hoon. Iski sunenge aap naraz honge to ye fansa lega. Sunenge aap raji ho jaenge to to fanse hain hi. Na naraz hona hai na raji hona hai.

udasin nirapeksh yah tabhi ho payega jab aap satsang ke vakyo ka manan karenge. Jab aapka lakshya ho jaega jeevan mukt hona. Jab aapka lakshya ho jaega bhagwat prem prapt karna. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain param vimukti sakshat [gala saaf karne ki aawaz] param vimukti sakshat bhu ras sarvasv mein wa sakshat aha sakshatat vishv bhagyam jiya Vrindavan shrat mrigyam he bhai moksh sakshat rakha hua hai tumhare samne utha bhar lo arthat tumhen mukt hona nahi hai tumhen kabhi koi bandh hi nahi sakta tumne pakar rakha hai tumhen kisi ne nahi pakda hai tumne pakar rakha hai dekho tumne man ko apna main man liya buddhi ko man liya indriyon ko man liya bhogon mein sukh ye aapki hai aapki galti hai aap abhi nakarie nahi nahi abhi aap unche chadhe chale jaenge aapki swikrati bilkul sahaj mein samjh lo hamare shastron mein do paddhtiyan rakhi gayi hai bhagwat prapti ki anvay aur vyatirek anvay wo hai vyatirek ye jo dikhayee de raha hai yah nahi hai yah nahi hai yah [gala saaf karne ki aawaz] rup nahi hai yah satya nahi parivartit hone wala hai.

jo bhi dikhayee de raha hai gochar jahan lag manujai so sab maya jano bhai vyatirek nahi lekin inme hai wahi hai wahi hai jahan hamara rag hai nahi nahi mithya iske baad jo vairagya ki sthiti mein bacha wo hai siddhant se chaloge to bahut jaldi anand ka anubhav hoga satya maniye jise tum sukh samjhte ho jab thoda sa bhagwat anand hoga to tumhen bhayava lagne lagega wo alam vishay vartaya narak koti vibhatsaya karodon narkon se bhi bhayavni bhaddi baat lagegi ye vishay sukh vishay varta ghrinaspad hai ye kab jab bhagwanand ki sfurti hogi tab tak baat man ke chal do to anubhav age ho jaega.

sakshat mukti samne rakhi hai. Aap mukti ko sweekar na karke bhakti ko sweekar karen. Bhog aapki swikrati hai. Yah swatantrata aapko di gayi hai. Sab kuch hai. Aap jo chaho le sakte ho. Aap aise aacharan karo ki bhut ban sakte ho. Aise aacharan karo Rakshash ban sakte ho. Aise aacharan karo suar kutta ban sakte ho. Aap aise aacharan karo devta ban sakte ho. Brahma ban sakte ho, brahm swaroop ho, aap narayan ban sakte. Jo chaho aapko manushya janm mein itni swatantrata di gayi hai ki aap swayam chah kar sakte hain. Aap acha ho sakte hain.

yah swatantrata hai aapki. Is swatantrata ka durpayog karke aap partantra hote ja rahe hain. Gulam hote ja rahe hain. Vysanon ke indriy sukho ke kaise-kaise man ke kaise-kaise sphurnaen kaisi baten kaisa jalan aap us asat man ki baton ko cheshaon ko satya man rahe hain. Param vimukti sakshat bas anubhav karna hai. Yahi nirapeksh hote jao. Aap itne tanmay hain sharir mein ki isi ko main mankar ke kaise mukt aapka kaun hoga? Aap to sharir ko pakde. Main aap indriyon se bhoge hue vishay kabhi bhogte samay chintan karo ki ann ahar hai.

prannon ka Rasendra iska swad le rahi hai. Aur main to iska drashta matra hoon. Phir is sharir ka ek praarabdh racha gaya hai. Praarabdh se aaj isko accha mila hai. Koi harsh nahi. Aaj sukha mila hai. Koi shok nahi. Aaj mila hi nahi hai. Koi shok nahi. Is sharir ka praarabdh hai. Vivek ke dwara chintan kiya jaata hai. Harshit hokar kamna kar sukhaspad bhav rakh ke kisi bhi indriy ke bhog mein aap phaaste chale jaenge. Phasne ka tatparya aapka andar ka chintan usi ka hoga. Aap dekh lo anubhav karke. Mahapurush kah rahe hain param vimukti sakshat samne rakhi utha lo sweekar kar lo.

kya pehle asweekriti karo vyatirek ye nahi chahiye. Ye nahi chahiye. Ye nahi chahiye. Ja na chah kabahu kachu samne rakhiye. Kya chahiye tumhen? Kahte mujhe bhagwat darshan chahiye. Theek hai. Bahut jaldi ho jaenge. Par aapke andar aur chah nahi honi chahiye. Bole wo to hai to usko mitao. Lago bhajan mein lago. Sadbhavna se yukt hokar sat kriyon ko karo. Bhagwat arpit karo. Naam jap karo. Bhagwat leela gungan karo. Mahapurushon ka sang karo. Anya chah jis din mita di to yah prashn khatm ho jaega ki bhagwan hai ki nahi hai aur bhagwan hai to kaise hain?

unki prapti kaise ye sab khatm ho jaega. Wo aap hain. Aap wo aap hi aap hain. Gun bhasha hai. Wo wo nahi hai. Wo aap hi aap hain. Apne aap anubhav ho jaega. Bahut bahut sujh karke hamari baat jo hriday ki hai use samjho. Ekmatra man se nirapeksh hona hai. Iski ek bhi baat jo bhagwat vimurkh karne wali hai wah tumhari nahi hai. Tum use swikrati ke dwara itne phesal gaye, itne kamzor ho gaye ki uski baat mane bina aap samjhte hain ki main ji nahi paunga. Yahi bhari bandhan hai na hote hue bhi. Nahi to kah rahe param vimukti sakshat ek adbhut nasha ek adbhut anand nasha jisse nashebaj shithil ho jaata hai usko bahya shuddh nahi rahti Shrimad bhagwat mein likha hua hai jaise koi adhik madirpan kiye hue purush usko pata nahi hota ki hamare vastr hain ki nahi hai.

main kahan para hoon. Main kis halat mein hoon. Bilkul shuddh nahi rahti. Aise hi mana sthiti jab brahmaakar ho jati hai. Ab sharir ka sanchan prakriti swayam karti hai. Wo maa ki tarah uski raksha dular poshan kar usko koi sudh nahi hoti. Gyani mahapurush ko aise bhakt deh kutumb te jae chhut sab hi vidhi to ab swayam uske aradhya dev sambhal karte hain uski deh ki. Usko bilkul koi chinta koi aapko lagega ki kha raha hai, pi raha hai, chal raha hai, snaan kar ye sab aradhya dev hi baithkar swayam karva rahe hain.

wahan uski satta nahi rah gayi hai. Usmen leen ho chuka hai. Tanmay ho chuka hai. Main sama gaya hai. Prem galiyti sa karita mein do na samae. Ek hokar ke leen ho raha hai. Tanmay ho raha hai. Sakshat vimukti bole mukti to hamen nahi chahiye. Ek baat achhche se samjh lo. Mukti ka tatparya hi hai jise kaha jaata hai ki mujhe moksh nahi chahiye. Us moksh sukh ko lekar ke mujhe seva sukh chahiye. Par agar moksh mukti ki baat to dekho mahaprabhu Harivansh chandra jis yahan kah rahe hain vibhem kaivalyata mujhe kaivalya pad se bhay lagta hai.

wahi mukt hone ki baat kah rahe hain. Duradpas swajan mukt hoiye. Parivaar ke sharir sambandh rag se mukt hoiye. Duradpas swajan sukhmartha koti dhan ke dwara prapt hone wale sukho ke prati sukhad bhavna tyag kijiye mukt hoiye isse sarve sadhan nirasha uttam uttam sadhanao ka phal aur sadhna mukt hoiye isse phir kya milega bole varsh sahjadh shri Radhika charan renu maha swamini ji ke charnarvind mil jae mukt parivaar ke rag se mukt ho, dhan ke abhiman se, dhan ke bhog se mukt ho, sadhan sukh se bhi mukt ho.

tab maha prem ras sandranand ghan prem murti kishori inke charnon ka sanidhy mil jaega. Agar ham dwandon mein hain to ham kaise premi ho jaenge? Dekho mukt hone ki jo dasha bataai gayi hai ki shatru mein, mitra mein, man mein, apman mein, stuti mein, ninda mein wo jeevan mukt mahapurush saman hota hai. To sevak ji maharaj kah rahe shatru mitra samjani man apman sam dukh sukh labh na hani ye kya hai? Jeevan mukt mahapurush ki sthiti hai. Tab prem ras ki baat kahi hai. Premi janon ke sang se phir nit ek dharm sang rang badhat nit nit saras nit nit prem abhang ab us abhang prem mein nirakhat nitya vihar pulkit tan rumavli anand nain sudhar yah jo kripa Harivansh ki tapit manat nain kunjandra avlokitan yah sukh kahat banain yah jo kripa Harivansh ki aisa nahi ho sakta ki aap koi sampradaywad laga ke koi upasna marg laga ke ki hamare mein aisa nahi koi bhi marg ho is jagat ke dwandon se vishay bhogon se akarshan se upar uthne par hi hai.

isiliye sab rason ke mul mein rakha hua shant ras koi bhi dwaand aapko vikshep na pahuncha pave. Koi bhi bhog akarshan na paida kar pave. Koi bhi dukh aapko vichlit na kar pave. Iske upar phir das sakhya vatsalya kanta sahachari param vimukti sakshat nahi chahiye mano moksh to bhu ras sarvasv menva sakshat jise shrut mrigyam ved khoj rahe hain neti neti kah ke wo bhu ras sarvasv mein hua sakshat wahi param ras Priya pritam yahan sakshat virajman bas dekh lo bole hamen to nahi dikhayee de rahe to dur ho durad paas swajan sukhmartha kotim sarve sadhan varishtham nirasa ladli ki charnarvind ki sharanagati hriday mein sweekar karke ek bharoso ek bal ek as vishwas abhi dekho aapko dikhayee denge yahi yugal sarkar karuna karke viharte hue sakshat vishwabhagyam chiya yad aha vishv mein maha bhagyashali wahi hai usi ka jeevan jeevan hai jisne nischay kar liya ki ab yathalabh santosh sthiti se rehunnga aur nirantar sacchidanand prabhu mein apni sampurn vrityio ko samarpit karunga.

bade bhag bhor bhag hai aho bhagya hai prabhu ko apna mankar nirantar chintan karna yah janm keval ham sab karya karte hue prabhu ko samarpit karte hue prabhu ki prapti mein laga den nahi to bahut ghata ho jaega bahut dhokha ho jaega iski purti pata nahi kis kalp mein ho kab aisa avsar mile tumhen yah sharir mila hai asli dhan kamane ke liye. Param purusharth prem tum itne bhul bhulaiya mein phas gaye ho ki ye bahya mayakrit samgri mayakrit shariron ko apna lakshya bana rahe ho. Dekh lo rupya paisa sharir svasth bhog samgri ki bahutayat aur bhog pravriti tumhen kabhi yah prashn nahi uthta hai hriday mein ki main kaun hoon mujhe kahan jana hai kya karna hai yah sab kya hai kabhi prashn uthta hai hriday mein jignyasa hoti hai nahi kyonki tumhari buddhi shariron ki mamta aur bhogon ki asakti se yukt ho gayi isliye prashn nahi uthta nahi hai hai mach jaata hai hriday mein ab to bas jo satya vastu shastron mein likhi hui hai jo gurujanon ne prapt kiya mujhe wahi prapt karna hai ab bhul bhulaiya mein nahi ab dhoke mein nahi ab to kitna bhi kasht ye man buddhi hamen den ab inki baat wahi manenge jo bhagwat marg mein adesh mila hai anytha inki baat bilkul nahi manenge abhi ekdam hriday mein virag paida ho jae, rona aa jae, vikalta aa jae ya gadh udasinta khinnta narayan hari bhajan mein panchon subhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat nahi jahr lagta hai baat karna jahr bhagwan kripa karen.

aisi mana sthiti ho ki unke naam mein lage tab aap ye baat samjh payenge. Bolna aise jaise ki koi dand de raha hai hamen. Aisa lagta hai. Ek saras chintan nitya nirantar usko chhod ke bolna. Ab kitna bhi ho vritti to lagi rahi tabhi to vani nikal rahi hai. Us gadh ras ke chintan ko chhod ke bolna. Tabhi ki bhai man lo bahut bada saubhagya hai apne logon ka ki kathan shravan ka prabhu yah saubhagya de hai pakka man lo ye sab din hot na ek saman ye jo mil raha hai na nahi milega abhi aushadh hai pan kar lo shravan indri ke dwara vachnamrit ko aur balvan hokar vikaro par vijay prapt karke jai ko prapt ho bhagwat prapt ho agar is savdhani nahi to pravah hai maya ka bahata chala jaega kahin ant nahi hai bah hi rahe jab se srishti hui aaj tak bahte chale ja rahe hain tum kaun ho kahan se aae ho kahan jana hai socha hai kabhi ye sharir tum nahi ho ye sharir ka naam tumhara nahi hai ye sharir bilkul tumhara sambandhi nahi hai.

tum kitne aasakt ho is pe is sharir ko koi fark nahi parta. Yah apni hi gati ko jaega. Tumse bilkul pyar nahi karta. Jad hai ye sharir. Tum mamta shakti karke iske saath itna rag kar liye ki jo janm mrityu se pare tumhara swaroop hai. Wahi tum janm dukh ko prapt hote ho. Mrityu dukh ko prapt hote ho. Iska karan yah sharir hi hai jisko tum main mane hue ho. Tum kabhi utpann hone wale nahi ho. Sachchi baat sachchi baat. Tum kabhi marne wale nahi ho. Tumhen koi dukh chu nahi sakta.

tum tum aise ho. Bhul gaye. Ye bhul gaye. Aise hi bhul gaye jaise sthul sharir saiya mein para hua. Swapna mein chaku chal rahi hai. Aur aap chilla rahe ho. Kuch nahi. Ek bhi kharoch tumhare sharir mein nahi. Aur wahan khun khachar sab dikhayee de raha hai aur jage to koi ghav nahi koi kuch nahi aise ye swapnik sharir hai jis par aap baithe hue hain ye moh ke karan dukh sukh man apman bhog sukh sab dikhayee de raha hai jab aap jagoge to na kabhi koi sparsh kar paya hai aapka na bhi koi sparsh kar raha hai na age koi sparsh kar sakta hai kyonki aapke siva koi hai hi nahi aap mat partram na kinchit Dhananjay hai satya vastu satya vastu isi moh ke vashbhut hokar ke tumhari buddhi pashuta ko prapt ho gayi hai.

pashuta pashuta aap dekho aap dekho yahan kisi ke praman ki zaroorat nahi. Apne hriday rupi register ko padh ke dekho. Tumhari buddhi ne kitni pashuta ki hai aur abhi kitni pashuta hai khud dekh lo kisi ko praman bahari praman ki zaroorat nahi aap apne hi register ko padh ke dekho isi janm ke ye kitne dusht hain man buddhi kahan kahan kaise kaise vichar karke dekho is pashuta ko pisach avastha mein mat badalne do jahan buddhi thi wahan pashuta mein aa gayi. Pashuta se raaksasi ho jaegi. Pashuta se utho. Kya pashuta hai?

sharir aur indriyon ko man ko main mankar bhogon mein vicharna yahi pashuta hai. Kartva bhog tatv bhav yahi mudhta hai. Ahankaar vimudhatma karta manyate maine ise kiya. Maine aisa bhoga main aisa bhogung. Main aisa karunga. Yahi mudhta yahi pashuta hai. Tumhari ye sthiti tumhare bhavishya ka nirman kar rahi agli yoni ka. Agar pashuta nahi chhoda to raaksasi buddhi badh jaegi aur andhkar anant narakmay dukhmay mrityu mein tumhara agla hisaab hoga. Jo siddhant hai usmen kisi ki koi bhi chalbaji nahi chalti.

yahan mrityu lok mein bhale tum chalbaji chala lo bhagwan ke vidhan mein nahi kyonki wo sarv sakshi ek ek second ki tumhari baat dekh raha hai. Badhiya avsar mila hai. Abhi chet jao to tum apna udhar kar sakte ho. Abhi savdhaan ho jao to vinash ke gart mein girne se apne ko bacha sakte ho. Tum bhagwan ke ansh ho. Paramatma ke swaroop ho. Sansaar ke bade se bade bhog tumhen mil jae to bhi tum shant aur sukhi nahi ho sakte. Mahapurushon ke vachan hai. Maniye tum ek vilakshan sukh ki chah lekar dekh lo.

ek vilakshan anand ki kitna bhi bogi ho usko hota hai chahe kuch kshan ke liye ho ab nahi par wah rasta usko pata nahi sache sukh ka to phir usi malin sukho mein tum ek vilakshan sukh ki bhogta ho ye bhautik sukho ke nahi samjh hi nahi pa rahe tumhara bada anupam sukh hai usko udaharan mein nahi diya ja sakta upma rahit ho tumhare jo sukh ki maang hai wo upma rahit hai upma rahit kaun hai bhagwan upma rahit kaun hai aatmand ye vishyand tumhara vishay nahi hai sansaar ke kisi bhi sukh ke liye apne is parmanand mein paramarth marg mein thodi bhi badha bardast mat karo dhyan se suno tumhen ek anupam sukh chahiye anupam shanti chahiye.

ek vilakshan anand ke tum bhogta kyonki tumhara swaroop hi hai anand mein. Ab idhar jo tum bhogta bankar us sukh ko khoj rahe ho nahi hai. Ab tumhen jo paramarth marg mila hai to kah rahe hain apne paramarth marg mein paramarth sukh ki jara bhi badha ko bardast mat karo. Agar bardast karoge chalega itna to wo girata chala jaega aapko nahi savdhaan ho jao bina dand ke ye sudhrane wale nahi hai pyar se sudhrane wale sudhar jae badhiya hai samjh lo aur agar aap apne ko bhogta mankar inko thoda bhi paramarth badhak baton mein support denge ye aapko gira denge bahut phislan wala marg bahut phish bahut sambhal sambhal ke bahut kadam dridh rakhte hue chalna hai.

badha bardast nahi karni hai. Are jahan tribhuvan ki raj lakshmi dene par bhi adhe pal ke liye bhagwat vismaran nahi hona us marg ke tum pathik ho. Tum ghanton baat kar rahe ho. Vyarth ki baat hansi majak ki baat ya aise khanpan vishay mein kisi mein bhi bhagwat vismaran matlab rang nahi aa raha tumhari sadhna mein tumhare marg mein. Kisi bhi halat mein is marg ke pathik mein bhajan ki shithilta nahi ani chahiye. Kisi bhi halat mein ye anubhav ki baat kah rahe. Kabhi-kabhi mana sthiti itni ashant swabhavic ho jati hai.

kuch accha nahi lagta. Bhajan mein bhi ruchi nahi. Ek andhera sa ek ghbarahat ki sthiti jab tak bhagwat sakshatkar ki taraf age nahi na vishay ki chah hai na bhagwat chah hai na bhajan hai na kisi kriya mein ek ashant sthiti hilna nahi darna nahi darna nahi us sthiti mein bhi agar jitni buddhi kam kar sake naam ko pakde raho naam ko pakde raho wo kohra aaya hai abhi hat jaega ghabrane ki zaroorat nahi bhagkar dusre vishay ki zaroorat nahi hai ki aap us sthiti se bachne ke liye koi vishay sevan karne lage koi vyasan karne lage koi kriya karne lage nahi kabahu to

tho bhajan kabahu hot vishal man ko dhiraj chhute nahi aur gaye na duji chal wo thodi der ke liye sthiti hat jaegi phir prakash aa jaega wo sthiti mein bahut sambhalne ki zaroorat hai jo achhche upasak hain kabhi-kabhi ekdam aisi kabhi-kabhi ekdam bhavatmak sthiti aisi lagta hai aap to par ho gaye koi vikar nahi koi sansaar ki nahi bhajan mein tan ye abhi ek ras sthiti nahi ai hai ye gun ke antargat hai ye satvic vritti jagrit hui hai wo tamsik vritti pramad mudhta aisi sthiti andhkar chhaa raha hai antar mein koi bhi satvic snaa nahi ho rahi ghabrana nahi abhi trigunnatt ras nahi mila hai dhairya purvak age chalte ho isiliye bina satsang ke sadhak ladkhda jaata hai, gir parta hai kyonki aisi sthitiyan aati hai.

phir use kisi na kisi ke sang ki zaroorat hoti hai. Aur agar sant sang nahi hua kusang ho gaye to gaya ya to asang ya bhagwat vrat ka anusthan bhagwat bhajan mein lage hue uttam sadhak ya bhagwat prapt mahatma tabhi hamari bachat ho sakti hai. Agar inse niche mila to gir jaenge pakka. Wo aisi baat hogi, aisi salah hogi wo gir jaega. Apne nirdosh sadhan ko bina kisi bhay sankoch lok lajja apne sadhan mein lok lajja bhi nahi. Ham tilak lagaenge, kanthi bandhenge, naam jap karenge, subah itne baje naha snaan karke baithe.

ghar ke parivaar ke log ya koi bahari upha to bhagat hai ya kuch bhi na lok lajja na koi bhay na koi sankoch apne sadhan ko nirdosh rakhte hue chale use niyam kahte hain. Jo aapko niyam mila hai, dincharya mili. Usmen tumhen badha bardast karne ka. Ham log bahut kamzor hai. Ham har badha ko swagat purvak aao. Sweekar kar lete hain. Bhajan chhuta, sadbuddhi chhut rahi hai. Ham manoranjan mein lage hain. Are bhai yahi avsar hai man bhanjan ka. Yahi avsar hai indriyon ko samaahit karke bhagwat swaroop mein lagane ka. Ab aap bardast kar rahe ho vighna to aap jano.

phir kya ho sakta hai? Kyonki aapki swikrati hai. Bahut bahut savdhani ki zaroorat. Sadhan mein kahin bahari dikhava bhi na aa jae. Yah bhi dhyan rakhen kahin bahar logon ko yah dikhane ke liye ki ham bhagat hain. Dekho abhi pehle kaha lajja nahi sankoch nahi bhay nahi apni dincharya bilkul wah bhagwat rijhav ke liye jagat rijhave ke liye nahi agar kahin aapka lakshya ban gaya bahari logon ko dikhana pranam namaskaar vandna yash kirti char lok aisa phir to asli vastu ko nahi prapt kar paoge bahut lamba samay nasht ho jaega haan agar bhagwan ki sharan mein ho to aise dhakke lagenge aapko ki aapko bhagna hi padega prabhu ki taraf.

aise vighna upasthit ho jaenge ki udhar kadam nahi badha paoge. Bhagoge prabhu ki taraf. Par pata nahi wo kab samay den. Hosh mein apne sadhan ka dikhava. Dikhava andar pata chalta hai. Aap hi andar se janch kar lijiye. Dusre ko dikhava aur prayah ahankaar devta yah bahut pasand karte hain. Jo ahankaar hai wo ye bahut pasand uski pasand chij hai. Damb pakhand dikhava ye uski pasand ki chij hai. Isi se pusht hota hai. Balvan hota hai. Wo prerit karega. Ham aisa bole jisse char log samjhe ham gyani hain. Ham aise baithe jise char log samjhe yogi hai mahatma hai.

ham aisa drishya upasthit karen jisse hamen sabit kiya jae. Bahut bade Bhajanand ji ye antar ki vritti hai. Sudhar kijiye. Sadhan mein kahin bahari dikhava na aa jae. Agar bahari dikhava aa gaya to asli jo tatv hai asli jo baat hai asli jo sacchidanand paramatma sukh hai usse tum vanchit ho jaoge hamen prabhu ko rijhana hai ya jagat ko rijhana hai jab aap prabhu ko rijhane ki cheshta karenge to sara jagat aapse rijh jaega ja par kripa Ram ki hoi ta par kripa kare sab koi prabhu pyar karne lage to pura vishv pyar karne lagega andar se yah dekhte raho.

bilkul shuddh paramarth ki baat hai. Andar se dekho jab aap andar se sache sadhan mein lage bahar se tumhen koi kahe na pakhandi dambhi dikhava ye wo to muskurahat aayegi. Andar se damb kar rahe ho. Phir tumhen koi damb bhi kahega to tum gali doge, lad jaoge aur ninda karne lagoge. Yah pehchan hai ki damb hai tumhare andar. Usko bura laga. Jaise koi ninda kar raha hai aapke kan mein para to sabse pehle buddhi ka karya hota hai. Wo turant janch karegi. Agar satya marg mein chal rahe ho ye jo jo bola gaya koi lakshan hai andar puri janch kar nahi theek hai.

prabhu ki badi kripa hai. Muskuraya chal diya. Usko burai jaise aap gore hain. Aapko kahe kala kaluta to aap naraz ho jaenge kya? Kyonki aapko pata hai aap gore hain. Aap nahi naraz honge. Kala kaluta hai aur usse kahe bhi ki kya yar gore ho tum usko bura lagega kyonki wo nahi gora hai aise hi yadi sachchai se tum bhagwat marg mein chal rahe ho aur tumhen koi kah raha hai kami hai kroadhi hai lobhi pakhandi dambhi hai to aapko pata hai na ki guru kripa se in dosho ka prashn aapke andar uttejna nahi paida hogi aur yadi hai to aap yah sabit karne ke liye ki nahi hai aap lad padenge aap ye andar ki baat hai.

sukshm baat hai. Aap bahut sundar-sundar padaarth kha ke nikle aur bahar koi kah raha hai aith ke chal raha hai. Bhukho marta hai. Hamen pata hai to aapko kya hoga? Hansi aayegi ki abhi-abhi to khir puri sab pa ke aa rahe hain. Ye to aisa bol raha hai. Accha theek hai. Aur aap bhukhe ho kai dino se upar se aise ghee pochh ke aise chale aur log bahut kahe ki yar halwa kha ke aae. Chati jalegi ki nahi? Roti bhi nahi mili. Tum halwa ki baat karte ho. Theek aise hi aise hi damb aur sachchai ka hai. Aap sache bhagwat marg ke pathik baenge.

pujya shripad odiya Baba ji maharaj kahte hain ki jab apni bhasha mein jaise jo ham jante ho baat karta hai to hamen samjh mein aati hai. Lekin videshi bhasha mein jaise tumhen gyan na ho tumhen bal bhar gali de raha ho ninda kar raha ho to tum kya karoge? Pata hi nahi wo bhasha na to aise sunoge kuch bol raha ho chal doge. Jab tumhari bhasha mein aise tumhen gali de, ninda de aur tum chal do to jaan lo ki tum sachchai ke marg mein chal rahe ho. Nahi to ekdam jalan kyonki hai jalan paida ho jaegi.

sadhan mein kahin bahari dikhava na ho. Sadhan mein bahari dikhava wahi sachchai ka sadhan hai. Wahi bahari dikhave ka sadhan hai. Priyal ka shringar kar rahe hain. Andar se mere priyal sukh unka shringar unke sukh ke liye aur dur se khade ho gaye darshan karke alhadit antar ka bhav badal gaya. Dikhava ho gaya. Andar ka bhav prabhu ke liye sadhan ban gaya. Bhagwat prapti ka sadhan ban gaya. Andar se dekhta rahe upasak kahin bahari dikhava to koi bas bahut sukshm vishay hai jab lakshmi Priyalal hai to hamara gana nachna bhajan karna rona sab sarthak hai agar yahi bahari vyakti ke rijhane ke liye to yahi dum ho gaya yahi pakhand ho gaya natak ho gaya ye antar ki baat hai isko bahar se nahi pahchana ja sakta bahar se nahi pahchana jana ja sakta.

ek bar thakur haridas ji jo mahaprabhu chaitanya dev ke parikar naam har samay chalta ja rahe the to ek parikar tha jo leela anuran aur leela gayan karte hue bahut sundar sangit nrityavad bahut bhid lagi hui thi. Wo gaye vivid prakaar ki kabhi kali deh leela kabhi giriraj than aisi leela pado mein ga ke wo nritya karte the unka parikar hota tha usmen striyan bhi purush bhi aur bada bhav mein sunte hi hunkar bhari murchhit hokar gir gaye ha ab to upar daraj le rahe sab pranam kar rahe jo dekhna ki bahut unchi ek aur bhi khade the to aur wah bhi waise hi hawa usne dekha to jaise dhol baja raha tha jo ek suit ke bhag pare logon ne pucha aap aise kyon kiye bole yah vastvik swaroop sthiti mein hai aur ye inka natak kar rahe the agar ye bhav mein hote to hamare is dhol bajane ke ek do dande mein inke hosh hi nahi ate inka matlab hi nahi hota sharir rag se yukt hokar ye natak kar rahe the dum nahi sachchai jo hriday mein hai wo chhupti nahi hai.

usmen ek akarshan hota hai kyonki sab mein bhagwan baithe hue hain. Apne aap aapko sampurn jagat ke hriday mein baithe hue bhagwan ka pyar milega. Natak karne ki zaroorat kya hai? Aap andar dekhte rahie. Hriday mein kam, krodh, lobh, hinsa, vair, damb, darpa yah dosh jaisejaise aap sachchai se chaloge ksheen hote chale jaate hain. Nasht hote chale jaate hain. Sachchai se chalne par bahut dirgh kal tak sanyam mein rahna. Yah koi mahina do mahina wali baten nahi hai. Bahut sanyam se yah har sthiti mein asweekriti hi hamare hriday mein rahe.

kabhi swikrati na ho. Chahe jaisi paristhiti ho. Isliye kah raha hoon ki chali hui baat hai. Ye bahut unchai tak spharan hote rahte hain. Bas tatastha bhumika rakhni hai. Ye kuch bigad nahi payenge. Phir ek sthiti aati hai jahan yah bhi bhagwat swaroop ho jaate hain. Inka malin swaroop khatm hokar pavan swaroop ho jaata hai. Ab kam kam nahi rahta hai. Krodh krodh nahi rahta hai. Sab bhagwat swaroop ho jaate hain. Bahar se tumhen koi accha batave, sadhak batave, sant batave yah tumhara koi labh nahi hai. Antar se tum nirvikaar ho rahe ho.

yah labh hai. Tumhara sadhan uttarottar badhta ja raha hai aur bahar se log tumhari ninda kar rahe hain to tum bade bhagyashali ho. Ye dekho paramarth hai ye. Kyonki jo paap tumhen purv ke the sharir se bhogne padte wo apni jaban se ninda karke tumhare papon ko le rahe hain. Tumhara paramarth ujjwal ho raha hai. Aap unko gali mat dijiega. Andar se unka bura mat manaiega. Santo ne to ashish diya hai ki hamari ninda karne wala sadaiv svasth rahe. Is lok parlok mein kabhi koi dand na mile. Nirog hokar svasth hokar vaisa karta rahe.

sadhu nindak mitra hamara wo bahut bura. Par wo wahi sachchai se chalne wale ko aisa lagega. Nahi ninda karne wale ke prati ruddha drishti ho jaegi. Bade bhagwan ke kripa patr ho tum. Tumhara sadhan theek chalna chahiye. Phir ninda hogi to tumhen koi kasht nahi hoga. Aur galat hai to sachchi baat kah raha sudhar kar lo. Agar nahi hai to phir tumhari pariksha ho rahi. Tum aise bhav se ki mujhe gussa nahi karni. Mujhe ismen dosh darshan nahi karna. Mujhe yah cross karna hai. Nikalna hi hai isse. Ye bandhan hai chhote-chhote.

inko aapko nikalna hai. Kabhi koi aapka apman kar raha paas baithe hain bar-bar wo dhakka mar raha hai. Agar aapka man bhi ja raha hai sharir shant. Ek bar kah de phir to aap samjhiye ki ab aapke andar gussa paida karne ke liye bhagwan uske andar prerna kar rahe hain. Shant hokar naam jap mein ekdam kitna bhi wo kare. Ab dobara na usse kahiye ki hamne aapko kaha aap kyon bar-bar dhakka mar rahe hain? Phir wo krodh aa jaega. Bilkul aap savdhaan ho jaiye. Hamari pariksha ho rahi hai. Is samay mujhe isse nikalna hai.

na mujhe dukhi hona hai na isko dukh dena hai. Shant phir aap dekhna kitna accha lagega. Jab aap wahan se bach ke nikal jae hriday mein ek anand aayega. He bilkul gussa nahi aaya. Bahut kripa ho. Dhire-dhire hamko ek ek baat mein nikalna hai. Ham log nikalne ki jagah phaaste jaate hain. Ek ek baat mein to yantr hai. Usmen tumhara Swami baithkar ke jo tumhare ko paramarth mein lagaya, paramarth ka sadhan bataya, paramarth mein chala raha hai. Wahi to uske andar baithkar tumhari pariksha le raha hai. Tumhen sahenshilta sikha raha hai.

itna vishay ho yah vishay jao. Mahatma banana hai. Mahatma aise thodi hota hai. Jo tatiksha ka dhani hota hai wahi mahatma hota hai. Uske paas sahenshilta dhairya rupi dhan bahut bada hota hai. Kisi bhi sthiti mein vichlit na hona sadhan mein purn shraddha vishwas savdhani sanlagnata aur niyam ye bahut avashyak hai. Niyamavli na tutne pave. Bilkul pakka. Aap kuch varsho tak niyam aap pakde rahie. Phir niyam aapko pakar lega. Niyam kise kahte hain? Soch santosh tap swadhyayashwar prandhanni niyma soch santosh tap swadhyay ishwar pranidhan aapka sharir pavitra rahna chahiye, vastr pavitra rahne chahiye.

tab hriday ke pehle bahar ki pavitra ko sambhalo. Phir hriday ki pavitra ki taraf jo abhi satsang mein shuruaat mein kaha ki man se nirapeksh hona. Ye param pavitra hone wali baat hai. Man se nirapeksh tabhi jab Radha Radha chal raha hai. Naam chal raha hai. Ye aapko bahut pavitra kar dega. Hriday jab aap usmen ragatmak bhav se man mein lag jaate hain to apvitra ho jaata hai. Jaise swarn ko tapaya jaata hai to mal chhod deta hai. Nirmal ho jaata hai. Aise man mein jab jalan hoti hai to pavitra ho raha hai. Aap samjh nahi pate aur vichlit ho jaate hain.

wo man hi ki malinta nasht ho rahi hai. Aap use apne mein lekar ke dukhi ho rahe hain. Usko jalne dijiye. Wah nirmal ho raha hai. Tapne par jaise swarn chamakne lagta hai. Aise jo tap sah jaata hai, man nirmal ho jaata hai. Tan ko pavitra se yukt rakhen to mantr aur naam aap dekhiye swatah bahut jaldi-jaldi aapki unnati hogi. Ye apvitrata rahe. Niyam mein sabse pahla hai soch pavitra. Aapka uthna, baithna, khana, pina, dekhna, sunna, chalna, phirna bhagwat smaran karte hue pavitra bhav se aur sharir ko bhi pavitra rakhna.

dekho jinko aisa saubhagya nahi mila hai grahasti mein nana prakaar ke karyo mein rat hain. To apvitra pavitrova sarwavasthangat viva jaisi bhi sthiti mein ho tum Radha Radha bolo. Par aapko to saubhagya mila hua hai ki aap har samay asang aur pavitra rah sakte. Labh lijiye aur us labh ko jagat mangal ke liye prabhu ke charnon mein arpit kijiye. Aapke liye to bahut badhiya avsar mil gaya hai. Aapka pavitra par dhyan hona chahiye. Aapka sharir pavitra hona chahiye. Asan pavitra hona chahiye. Shauchachar ke vishay mein piche satsang mein bataya gaya hai.

mitti jal aadi se sharir ki aur rag dves aadi tyag kar bhagwat smaran karte hue hriday ki pavitra [gala saaf karne ki aawaz] hoti hai. Santosh chahe grihasth ho chahe virakta ho bhagwat prapti karna hai to yah lana hi hoga hriday mein bin santosh na kam na sahi achat kam sukh sapne nahi yadi santosh nahi hai to kamnao ki baadh jahan kamnayen hain koi koi to kahte ki mans wagairah khate hain par aapke adesh se ham brahmcharya ka nirvah karna chahte chahte trikal mein nahi kar sakte. Raaksasi bhojan paoge aur tum brahmachari banoge.

tum asuri pravriti dharan karoge aur sacchidanand mein bina chitt jode tum in divya vraton ka palan kar sakte ho. Kadpi nahi. Are yahi to dushta rasdri yahi to bhrasht karti hai. Isi se sare vikar shuru ho jaate hain. Jiski Rasendra shasan mein nahi khana pina sahi nahi. Paramarth ki keval baten karen. Kya rakshasaon ko gyan nahi tha kya? Daitya ka gyan nahi tha kya? Aap dekho jab wah apne parivaar janon ko updesh karte hain na kisi sankat mein to pure brahm rishi jaisa bolte hain gyan hai aisa nahi ki nahi gyan bahut bhul rahe lekin aacharan mein bilkul gyan nahi hai to isiliye tumko Rakshash kaha gaya tumhare aacharan rakshasaon jaise ho kah rahe ho ki ham amuk amuk sadhan vyarth ki baat niyam se chalo soch santosh bhagwat kripa se jaisi bhi paristhiti tumhen di gayi hai jo bhi dhan bhojan parivaar jaisa bhi ya virakta marg jaise santusht raho yatha labh santosh sada kahu so kachu bada shant marg hai bada gambhir marg hai ye bada sahenshilta ki zaroorat hai aur sahi pocho to aapko koi dukh hai hi nahi aapko kuch chahiye hi nahi aapke andar dukh aur chah jo ai wo sharir ko lekar sansaar ko lekar ai hai isiliye isliye aapko santosh agar santosh dharan karoge to ashaen nasht ho jaengi.

ashaen nasht hongi to dukh ka namonishan mit jaega. Asha hi param dukham narashyam param sukham jaisi bhi prabhu ne paristhiti di jo bhi aapke paas wo bhagwat kripa se usi mein santusht rahna sikho. Tisra tap tapasya. Ab bhagwat marg mein jo aapko niyamavli di gayi hai uske palan mein pramad nahi hona chahiye. Ye bhagwat kripa se jo bhi sache marg ka pathik hai usmen dekhne ko milega. Kaisi bhi dukhad paristhiti ho niyam itna bada balvan hota hai ki apne aap use samay se ye pakka aap pehle niyam pakdo phir niyam aapko pakar lega.

bhari se bhari kathin paristhiti mein bhi niyam mein bada bal hai. Apne aap dincharya ko jiski asakti ho gayi dincharya mein wahi is uttam upasak hai. Agar teen baje se aapki dincharya hai to pau:ne baje aap akar baith gaye. 6 baje jana hai to 6 baje ke baad pranam karke sabse naam jap karti thi. Aisa nahi ki ham phir 4:30 baje aa jaate hain. Ek ghanta ki gaye to ham hain ye dincharya nahi ye pramad hai. Jis samay jo aapki dincharya ban rahi hai. Dekho aajeevan 2:00 baje nind tyagne ka Gurudev ne bachpan mein abhyaas bana diya.

samip hi wo aap takhat par sahan karte samip uthe uth dekh uth do baj gaye mala le baith ja ji maharaj ji wo aap baithe aise aur niche guru kripa se aaj tak kasht ho ya kuch bhi ho jo dincharya hai wo dincharya hai wahi dincharya hamara bhagwan hai dincharya hi hamara swaroop hai dincharya hi hamari tapashcharya hai uske liye pramad nahi hota agar sharir mein jaan hai to dincharya mein badha nahi. Dekho bade-bade siddh mahapurushon ki dekho shri sanatan goswami ji Vrindavan se giriraj ji ki parikrama roz lagane jaate hain.

jab vayovriddh ho gaye to giriraj ji lal ji maharaj prakt hue aur kaha Baba dekho ham to har samay aapke manas patal par chhae rahte hain. Aapka sharir vayovriddh ho gaya. Aap kahe ko ate ho? Ab aapko parikrama ki kya zaroorat? Ab mat aaya karo. Ji dusre din phir phucho. Lal ji ne kaha ki kaha tha Baba kyon aa gaye aap? Hamen pida hoti hai. Aapka bahut vridh sharir prabhu raha nahi ja raha hai. Us sharir ka ek abhyaas ban gaya. Raha nahi ja raha hai. Tab wo aaj bhi shri Radha Damodar ji mein charan chinh gau ka bansi lakut ye chinh rakh ke diye ki aap wahi char parikrama kar lo.

puri giriraj ji ki parikrama ka swaroop ho jaega. Hamari baat man lo, hamari prarthna man lo. Prabhu kah rahe hain jab aap apne samay to jo aapko kasht mil raha hai, tapashcharya kise kahte hain? Jo aapko kasht sahan karna par raha hai. Man lo 2:00 baje kisi ko nind na aati ho to do teen baje to aa hi jaegi. Char panch chha aram se thanda mausam ho jaata hai. Badhiya yahan de:30 baje se shuru ho gaya. Ab jo nind ka samay to ismen ja raha hai. Ab yah jo kasht aapko sahna par raha hai yah aapki bhari tapasya ho rahi hai.

aapke dushkrit nasht ho rahe hain. Roz ka roz aap aur ham siddh mahapurushon ko dekha hai. Ye 2:00 baje ki dincharya bade-bade siddho mein dekhiye shainpur mein to Swami shri magnanand 2:00 baje pura parikar sahit 2:00 baje. Are bhagwat prapti ke liye jeevan mila. Sone ke liye thodi mila hai. Thodi der vishram kar liya. Lag gaye dincharya mein jab zyada shithilta hui to din mein ek adh ghanta vishram kar liya bhagwat prapti karni hai yahan so ke samay thodi gavana hai yahan bhogon ki bhul bhulaiya mein thodi fasna hai prabhu ke paas chalna hai apne swaroop mein sthit hona hai to jo aapko niyam mila hai usmen wo niyam hi kya jiska nirvah na karo aur nirvah karne mein to kasht milta hi hai niyam purvak koi karya kiya jae to phir kasht koi parvah nahi ki jati hai aur kasht na ho to niyam kaisa niyam ka wahi matlab hai

ki kitna bhi kasht ave aapka niyam nahi tutna chahiye sadhak ki aisi dincharya honi chahiye is samay haan is samay to satsang mein honge is samay is samay to shringar mein honge puri jeevan ki dincharya honi chahiye aap pujya Sadgurudev bhagwan 25 26 varsh se to wahi dincharya dekh utni dincharya wahi right time koi koi utsav seva badhava mein samay ka thoda parivartan dincharya wahi sahcharya bhav ke ras ka rasaswadan karane wale mahapurush dincharya wahi agar hamari dincharya theek nahi to brahmcharya theek nahi hai.

dincharya theek nahi to pramad sthiti hai. Dincharya theek nahi to aapka bhagwat prapti lakshya nahi bana hai. Nahi to dincharya mein aapka koi bhi gunjaysh dincharya par bilkul krishna ashram Swami ji bade-bade mahatmaon ko dekha sui ki ghadi ki sui ki nok mein dincharya ek minute ka antarray wo man ko apne vash mein kar liye indriyon ko vash mein kar liye apne niyam palan mein dharm palan mein sadhan marg mein jo kasht milta hai sheet ushna man apman in sabko sahna yahi tapasya hai. Ab aap brahmachari hain.

kabhi-kabhi kam ki vritti aati hai. Wo aapko jalati hai. Prerit karti hai. Shant kisi se kahna nahi kahne se satta dridh hoti hai ki aaj ham bahut vikship hai. Shant Radha Radha kaise ho? Muskura haan bahut kripa hai. Nahi koi pareshaan koi pareshani nahi. Joi pyaro kare soi mu Radha Radha 27 hi khatm swadhyay acharya granth ka mahapurushon ki vaniyo ka shastron ka swadhyay niyamit hona chahiye jaise apne yahan vani gayan sab niyamit swadhyay hona chahiye aur ishwar pranidhanani apne aradhya dev jo Gurudev ne bataya hai apnapan tabhi siddh hota hai jab guru pradatt hota hai.

apni manyataen badti rahti hai. Lekin guru pradatt jaise apne ko Gurudev bhagwan ne diya ki hamare aradhya dev shri shyama aur shyamaju ka sukh shri Lalaju maharaj Lalaju ke pran shri ladli to ladli ke maha sukh vardhan karne ke liye unke prannath se lal ju mein adbhut priti adbhut priti tad bhavatsavta param bhavat mein tat prannath hamari yugal upasna aisi hai gore charnarvind ki thesak aur yugal ka upas Lalaju mein atyant priti hai aur kaise hai meri pyari jo ke prannath hai pyari jo ke param sukh hai tad bhavatsavta param bhavat mein tat prannath aise shri shyama Shyam ki thesak mein har samay rahna unke chintan mein rahna aham unke dastv mein samarpit ho jana apna unse alag kuch bhi na rah pave use ishwar prandhan kahte hain.

soch santosh tapa swadhyay ishwar pranidhanan niyma Priya pritam se sambandhi sab kuch hai. Kuch bhi aisa alag nahi hona chahiye. Apne aap aap mahatma ho gaye. Dekh lo. Kuch bhi aisa nahi khaenge jo priyaju ko arpit na karen. Kuch bhi aisa nahi piyenge jo priyaju ko arpit. Kuch bhi jeevan mein aisa nahi hoga jisse priyaju ka samarpan na ho. Abhi satya marg ke pathik ban jaoge. Kai log to aisa karte hain ki bhog lagane ke liye alag banate ho, apne liye alag banate hain. To aapki phir buddhi kaise prabhu mein tanmay kaise hogi?

tum apne ras indri ko tripti karne ke liye agar bhav rakhte ho to upasna kya yah thodi ki prabhu bhukhe baithe hain unko pavada. Hai Vishvambhr sare jagat ka bharan poshan karte hain. Wo aapka keval bhav pate hain. Bahari jo sharir ki pavitra rakhta hai uska vairagya badhta chala jaata hai. Ye jitna aap malin sharir rakhoge utna hi bhoga badhegi. Shareerasakti badhegi. Bahari is niyam soch rupi niyam ka palan karne se sharir par rag rahit vritti ho jati hai. Vairagya ho jati hai. Sharir ka rahasya prakt ho jaata hai.

main nahi hoon. Pavitra sharir rakhne se nahi tikau nahi isse rag khatm ho jaata hai aur antar se pavitra rakhne se man prasann rahta hai. Buddhi ekaagr rahti hai. Indriyan nirvishay ho jati hai aur use atma bodh prapt karne ki yogyta aa jati hai. Bahut sundar baat hai. Aur santosh dharan karne se samasth sukh samagriyan uske anukul ho jati hai. Raah se dekho kamna karne se bhatakna padega aur santosh dharan kar lo to sare sukh vaibhav aapke samip aa jaenge. Santosh ki siddhi yahi hai aur jo apne marg mein chalne wale kasht ko sahta rahta hai tap usse anima lagima mahima durdarshan dur shravan ki siddhiya apne aap prapt ho jati hai ye koi is baat mein nare ki main itna kasht sah raha hoon iska matlab kya wo bada sukhi ho raha hai yah ham andar ki baat bata rahe hain bahut dhyan se samjhna agar aap kuch minute bhajan kar liye, kuch minute path kar liye, thakur seva kar liye, koi pareshani aapko nahi.

aur agar aapne soch liya hai ki nirvishay hokar bhagwat prem mein dubenge ya moksh pad prapt karenge, ab hosh mein rahna. Bhagwat prapti ke liye abhi sab dushman bilkul taynaat ho jae. Accha nikalna chahta hai. Ab ek ek aapke aphansheel sahnseel aashay udaar dhiraj sahit viveki ab yuddh prarambh hone ja raha hai. Unke liye yuddh thodi hota hai. Do char mala ki aarti puja kahe pe mauj masti film dekh rahe hain. Sab balance ban ke chal raha hai. Man kahe ko man jaan raha hai. Tumhare andar chah hi nahi paida ho sakti bhagwat prapti ki.

Bhogeshwar prasakta naam jahan bhog mein aa sakti hai chitt ka aphrn hai bhogon mein do char mala badhiya hai prayah aisa hi bhajan accha lagta hai lekin nirvishay hokar kasht sahte hue niyamavli ka palan karte hue bhajan ye usko kah ye bhagvatik siddhiya hai ima lagima mahima garima durdarshan dur shravan indri ye sab siddhiya uska varnan kar leti hai jo apne marg mein, apni dincharya mein bilkul fark nahi dalta aur sahan karta hua kisi se kuch nahi kahta. Age badhta rahta hai. Bhagwan bade kripalu hai.

agar aap in baton ko man lenge to kripa karke aapki jalan shant kar denge. Samay ka intazar karo. Bahut anand denge. Aap roro ke kahoge ki aap jaisa kripalu koi hai nahi. Jo nitya swadhyay karta hai to isht darshan ki yogyta uske andar aa jati hai. Chaurasi Harivansh krit padhe sune nish bhor chhut chaurasi bhramte nirkhay jugal kishor niyam purvak niyam purvak aur jo ishwar pranidhan hai wah age chalkar samadhi sthiti pradan kar deta hai. Ishwar pranidhan koi bhi vastu vyakti sthan koi bhi vritti prabhu se alag nahi hai.

sab prabhu mein samarpit dridh nishtha apne aradhya dev ki to chalte phirte samadhi lagne lagti hai. Bhav mein ekdam tanmay hai. Sharir se kriyaen ho rahi hai ya nishkriya usse koi matlab nahi. Swami ji maharaj isi samadhi ke liye gaye aao samadhi bheetrit na dulae agrit dulae to agla janm ho jaega aao shyama Shyam ke charnarvind ke chintan mein unke leela gayan mein unke leela chintan mein aisa jahan saundarya rup aisa jahan prem ras baras raha hai wo kunj nikunj jhalakne lagega bhari samadhi sthiti hai. Upasak ko chahiye jiska sharir rogi hai, vayo vridh hai, unke liye baat nahi kah rahe.

yadi aap jawan hai, aapka sharir svasth hai to asan par baithna sikhen. Bahut zaruri hai. Indriy sanyam ke liye, manonigrah ke liye aur sharir ki jo vayu hai usko pachne ke liye. Ab naujawan hain. Koi rog nahi hai. Kursi mein baithe bhai kaise banega? Aapki vriddhavastha hai. Aapki tange dard kar rahi hain. Ghutne dard kar rahe hain. Kamar dard kar rahe hain. Grahasti se aae ho. Baitho. Aap bal brahmachari hain. Bhagwat marg ke pathik hain. Ya aap grihasth se sanyam purvak rahkar aae to kursi sukh asan par baithe ki cheshta na karen.

ek asan par baithe ek asan sukhasan aise laga liya shant baith usse aapke sharir mein jo pida hogi wo vayu pachegi jaisejaise vayu pachegi sharir halka hota chala jaega sharir rag halka hota chala vismaran hone lagega sharir ka shant jahan hath rakh diye rakh diye gambhirta shanti sthir bhav tak kam se kam 48 minute 48 minute ek sthiti mein baith are kai kai ghante ka Padmasan ya siddhasan 30 minute ke baad kasht shuru hua har nas nadi pida ko main sharir nahi hoon ye bhram hai ye kasht nahi ye bhram hai thodi der baad shunya shunya ke baad shant ab baithe raho aram se par wo samay cross karna jo bahut kasht prad yahi to hai sab indriyon ko adhin kar lena shant har nas nadi shuddh vayu jo vayu dosh paida karne wali wo bhasm ho jati hai usse kab aapki vritti sambhlegi yahi to samay hai agar aap satsang mein baithe ho lagaya asan aur baith gaye sham ya to vakta ki taraf drishti ya nashagra drishti ye is samay jo apna satsang hota hai yahan mund ke sunne wala nahi hai.

aankh mund ke to phir nind aa sakti hai. Alasya aa ya to nashagra drishti aur ya to vakta ki taraf ekaagr drishti shant aapka sharir svasth hai. Aap jawan hai. Asan bahut avashyak hai. Bahut avashyak hai. Aapka sharir svasth hai. Aapka bhojan kam ho jaega asan mein baithe par. Kyonki doge agar adhik bhojan pa liya to asan mein nahi baith paoge pet bada ho gaya to asan mein baith paoge nahi uchit ahar apne aap sab theek hone lagega asan ham kahte hain na Padmasan lagao na siddhasan lagao to aise palthi althi palthi jaise palthi mar ke aise bas ab aise rakh diya hath waise shant baithe sun rahe ab dard ho raha hai to chupchap naam jap karte hue apne man ko lagane ki cheshta karo satsang mein naam ko chupchap sa ho sahte sahte abhyaas ho jaega.

abhyaas ho gaya to bhajan mein dubne ka avsar ane lagega. Siddhasan, Padmasan, sukhasan ye bhajan ke asan hote hain. Hamen lagta hai koi viral Padmasan lagata hoga. Siddhasan ka to ho sakta hai bhai pravachan mein suna hai to gyan ho. Yah bahut anand pradan karne wale hain. Siddhasan jaise na ab to kidney kharab hai. Shant thodi der ke baad ek nasha sa dimaag mein aur aadha paun ghanta vyatit hone ke baad shunyakar sthiti kabhi pankha nahi chala jab aasnan pe shant pasina se lathpat thanda sharir thodi der shant ab do ghante dhai ghante ek asan pe phir laghu shanka aadi se phir lagaya dusra asan matlab siddhasan mein dhai ghante Padmasan shant sa mach jaata uske baad ghanton mantr chalana nahi parta chal raha hai apne aap ek adbhut sthiti aati hai.

ye Bhagvati mein aap din bhar idhar udhar tahal rahe hain. Tange veg idhar bhajan mein man lagega. Are samjho aap kis marg ke pati ko jo dincharya hai wo dincharya mein man lo vani path ho raha hai. Samne vani rakhi asan mein baithe hain. Kabhi kano se sun rahe kabhi ankhon se dekhte hue idhar udhar upasak to wahi ki aapke tisre number mein piche kaun baitha tha. Aapko pata nahi hona chahiye. Agal-bagal uthe chal kutia mein gaye jo apni dincharya baith ke raat din bhajan yahan to thodi shithilta ekant mein pahunchte hain ekdam savdhaan par wo lakshya nahi ban pa raha hai bhagwat prapti isliye aisa pran vayu ka sansodhan atyant avashyak hai.

bilkul sahaj aapko bata rahe hain. [nak se ki jane wali aawaz] 10 bar kheenchie. [nak se ki jane wali aawaz] koi aise waise pakdne ki zaroorat nahi. Aram se aise baithe. Aap dekh lena jai bharat aap asan pe baithiye. 10 bar kheenchie. Pura kheenchie aur phir pura chhod dijiye bina ruke. Donon sanson se. Ye ham mahapurushon ki baat bata rahe hain. Swayam anubhut baat bata rahe hain. Phir aap bhajan mein baithiye. Dekhiye aapki kam se kam agar teen bar din mein aap aisa karenge to aapke pran bina ye rechak pura kumbhk inke bina kiye anulom vilom inko bina [nak se ki jane wali aawaz] aise pura bhar ke vayu aram se chhod diya aram se bhara 10 bar phir aap dekho bhajan mein naam jap karte hue aisa kiya phir aap dekho ek shanti si aayegi ek man usmen jis naam mein lagana chaho lagega pran vayu ka sansodhan atyant avashyak hai.

pratyahar indriyon ke vishyon ka jo atyant jeevan ke liye avashyak hai unka prayog jeevan yapan ke liye na ki bhog ke liye. Jab ham bhojan pate hain to rasendriy aur prannon ke poshan ka vishay hai. Mera nahi hai. Agar mera main pata hoon aisa man ke to uska aap bhog kar rahe hain. Aap phas jaenge uski asakti mein. Aapko swad phasa lega. Rasendra bigad jaegi aapki. Pratyahar kahte hain apne apne vishyon ke saath sambandh na rahne par indriyon ka chitt ke anusaar ho jana. Arthat hamare chitt mein jo bhagwat chintan chal raha hai wo chal raha hai aur hamse ahar vihar aad ki jo kriyaen hain ho rahi unke sukh swad ki taraf hamara akarshan nahi.

yah pratyahar hai. Agar aapka bhagwat vismaran ho raha hai to aap jis indriy ki kriya mein hain aap uska sukh bhog rahe hain. Ye aapki sadhna mein badha pahuncha degi. Pa rahe hain prasad jai ladli jhuki aur naam chal raha hai. Naam ke chintan mein chitt se naam nahi hat raha hai to aapko koi fansa nahi payega. Agar indriy jo vishay ka sahyog kar rahi hai usi mein aap tanmay ho rahe hain to aap phas rahe hain. Aap sadhna mein badha khadi kar rahe hain. Dharana hamari pusht honi chahiye. Shyama Shyam ke siva koi mera nahi.

mere chitt ki sthiti ekmatra shyama Shyam ke bhrose shyama Shyam ke aashray mein shyama Shyam ki hi chintan mein ise kahte hain dharana. Aur yah dharana jiski siddh ho jati hai wo shyama Shyam mein ho jaata hai. Man buddhi chitt ham sab shyama Shyam mein dharana bahut uttam sthiti hai. Swapna mein bhi jagrit mein bhi har samay apne aradhya dev chhae rahte hain. Mahaprabhu kah rahe jagrit swapna sushupti sphurat mein Radha pad ye dharana chittritti ka aradhya dev mein tel dharavat jana use dhyan kahte hain.

jaise aajkal dhyan ka matlab na samjhne ke karan aisa kuch der aankh mund ke baithe AC chal rahi bade ankul shant ekdam baithe aap shant rah hi nahi sakte andar dekho aap bahar se aankh mund li aise baith gaye use shanti kahte hain kya aapka man shant aapki chittritti shant koi sankalp vikalp nahi ho raha use shant kahte hain ye kab hoga jab tel dharavtit ki sthiti chitt chor prabhu mein hogi. Naam jap karte karte rup ki jhalak aa gayi. Sampurn chitt vritti ghasit gayi prabhu ki taraf use dhyan kahte hain. Isiliye ham prya dhyan par jor na dekar naam dhyan ki baat kahte hain.

Radha to yahi Radha naam Radha rup prakashit karega. Jab rup to phir dhyan dharna nahi padega. Har samay uthte baithe chalte phirte wo dhyansth rahenge prabhu to chitt vritti ka dhey padaarth mein tel dharavat sthir rahne ka naam dhyan hai kuch der baith ke aankh mund ho lekin dhyan kis kise kahte hain tail dharavat akhand vritti apne aradhya dev mein lagi hui yah dhyan chalte phirte uthte baithe khate pite har samay samadhi jab dhyan paripushta ho jaata hai to dhyata dhyan aur dhey ki triputi mit jati hai. Main dhyan rupi kriya dhey prabhu unmein kar raha hoon.

abhi dhyan nahi hoga. Main dhyata jo dhyan kriya dhey mein kar raha hoon. Abhi dhyan nahi laga. Jab dhyan lagega to dhyata aur dhyan donon lay ho gaye. Keval dhey rah gaya. Dhey keval prabhu main prabhu ka dhyan kar raha hoon aisa nahi. Keval prabhu hi prabhu usi sthiti ko samadhi kahte hain. Use samadhi kahte hain. [gala saaf karne ki aawaz] jab main dhyan kar raha hoon. Dhyata dhyan rupi kriya dhey ke prati tab tak jab main aur dhyan kriya donon ka lay ho gaya keval dhyata hai use samadhi kahte hain.

ye do prakaar ki hoti hai. Saj aur nirbeej savij mein triputi ke na rahne par sukshm sanskar rahte hain. Hamen dhyan ho raha hai sukshta se. Nirbeej mein bilkul nahi keval wahi brahmaakar vritt ya bhagwadakaar vritt ya shyama Shyam mein jeevan ka param labh isi janm mein Priya pritam ke sanidhy ko prapt karna sharir rahte to aapka ye jo satsang mein shravan manan hai ise nishtha purvak apne hriday mein utare aur naam na chhutne pave. Naam hi sab sthitiyan la dega. Pramad ki koi gunjaysh na rahne pave.

ham log bahut pramadi hain. Badi chhut de dete hain man buddhi ko. Isliye bada antray hota hai. Phir aisa lagta hai is marg mein sukh hi nahi hai. Phir bhag padte hain sansaar ki taraf. Bahut dhokha ho gaya. Bahut badi ham parajay ko prapt ho gaye. Yadi prabhu ka marg chhut gaya to pata nahi kis janm mein kis kalp mein milega. Isliye savdhaan hokar nirantar ek ek kshan prabhu ke chintan manan mein lagaen. Shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi