Parvati ji ki sapt rishiyon dwara pariksha | vishyon ka akarshan kaise vinash ka karan banta hai? // 09/07/26
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm premik makrand rasaugh purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvapay param shital mashyam param shital masya param sacchidanand ghan anand samudra shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele pranaaradhy yugal sarkar shri shyama Shyam samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi rajrani yamuna ras rani in sab ki ahetu ki kripa se hamen shri dham Vrindavan ka aashray vas aur sadhan bhajan karne ka saubhagya mila hai. Yah baat aapki samjh mein aa jae. Apni samjh mein aa jae to hamara jeevan kritarth ho jae.
jeevan ka param labh mil jae. Shri ji ne to kripa kar diya. Dhikkar hai hamari buddhi ko, hamare man ko, hamari cheshaon ko jo aisi prabhu ki ahetu ki kripa ki jahan pare rahne se hi bhagwat prapti ho jaegi. Pare rahne matra se aur desh ke basat hi adhik bhajan jo hoe sam to pujat nahi Vrindavan rahe soe para rahe keval uski samanta koi bahar ka bhajnanandi nahi kar sakta par yahan pare rahna nahi aata kabhi apne ko dhikkar dene ka man nahi hota ki prabhu ki itni asim kripa aur hamari kitni kitni gandi soch, kitne gande aacharan, kitna ganda vihaar, pachtana padega.
yadi ham ahetu ki kripa ko thukraenge to pachtana padega. Sant, Sadgurudev, shastr yah tabhi phlibhut hote hain jab unki agyaa ka palan kiya jae. Guna sun lijiye. Sant sang Gurudev kripa shastr kripa yah tabhi phlibhut hoti hai jab unki agyaa par chala jae. Guru ke hriday mein jo prem deepak jal raha hai usi se shishya ko agyaa palan karte hue apne hriday mein prem deepak jalana padega. Bhakti kar deep prem kar bati sadhu sangati kare anudin rati jab tak agyaa palan karke apne hriday mein bhakti deep ko prajvalit nahi karte prem prakash nahi hota tab tak chahe jitne bade siddh mahapurush ke paas raho aapka parivartan nahi hoga kyonki aap agyaa palan nahi karte thoda bhi antray rahne par paras mani Divya ko sona nahi bana pati kyonki beech mein rui ka antray hai.
avhelna kisi bhi bade mahapurush ke samip raho kabhi kuch prapt nahi hone degi. Sirf aparadh ke siva agar aap agyaa palan kar rahe hain to lakho kos dur hain to bhi aapke dimaag mein wo sant wo Gurudev baithe dikhayee denge. Har samay gurujanon ke samip hi thodi koi rahta hai. Lekin agyaa chakra par Gurudev asan lagae baithe rahte hain. Ek kshan ke liye bhi kabhi guru ji se vimurkh thodi hua jaata hai. Har samay baithe rahte hain. Darshan sparsh sambhshan to kabhi-kabhi saubhagya milta nahi. Har samay yahi baithe jaise bhagwan arjun ke ghodo ki ligam pakde hue aise sadguru dev hamari indriy aur man ko apne kabu kiye hue baithe hue hain.
ham unke sharanagat hain. Ham to jo agyaa kar rahe hain wahi unhin ki samarth se ho raha hai. Bas bhagwat prapti nischit. Agar manmani aacharan karte hain to pura jeevan khali chala jaega. Pura jeevan kitna saubhagya milta hai kisi ko jab apne gurujanon ke samip unki seva karne ka saubhagya hota hai. Us saubhagya ko sab log us swad ko nahi jante. Jis samay guru seva karke ate the to aisa lagta tha sare tirthon ka snaan ek taraf aur guru charan seva ek taraf. Aisi masti hai. Us masti ko kaise batayen? Jab 10 11 baje wapas hote phir shri ji ki seva karke 2 baje tak madhukri maang kahin bal bhog nahi koi vyvastha nahi koi mili to radheshyam nahi to radheshyam ek masti bhagwat anand ki hoti hai bhagwan ne to aisi suvida kar di ki ann ki to kami koi hai nahi ki bhukhon mar raha ho na koi sadhu mahatma na koi grihasth aisa nahi hai bhukhon to koi mar nahi raha lekin vasna ki bhookh kaise mite yah gyan se mitti hai.
yah chintan se mitti hai. Aapka mahatva ek taraf bhagwan hai. Ek taraf bhog hai. Ek taraf maya ka racha hua jhutha natak hai. To ek taraf satya sacchidanand bhagwan hai. Aapka mahatva kidhar jaata hai? Ghrinit bhogon ke chintan ke liye bhagwat chintan chhut jae. Ghrinit bhogon ke liye hamara paramarth bhrasht ho jae use kya kahte hain? Murkh kahte hain. Isse zyada murkh kaun ho sakta hai? Harivansh mahaprabhu kahte hain braj mani indra Nilmani brajapti ko chhar ke kanch bator raha hai. Isse zyada buddhi bhrasht aur kya ho sakti hai?
prabhu ko chhodkar prabhu ka chintan chhodkar prabhu ke aashray ko chhodkar aap sab satsangi hain. Kai bar ye kaha hai ki har vishay par ek beech mein rekha rakho aur dekho ki is samay mera man bhagwan par mahatva kar raha hai ya bhog par. Prabhu mahatwashali hai ya bhog mahatwashali hai? Prabhu mahatwashali hai ya hamara man mahatwashali hai? Par ye sadhak nirnay kar sakta hai. Vishay thodi kar sakta hai. Bas yahi yahi yuddh hamen jitna hai. Manig punj brajapti chhanat hit Harivansh kar gayi kanch. Kanch ke liye bhagwan ko chhod diya. Ye jhuthe bhogon ke liye sansaar ko.
are samjh jao durgati samne hai. Agar hosh mein ho jao to sadgati samne hai. Mal mutron ke dvaron par aasakt hokar anant janm bhagwan se vimurkh kar diye. Ab nahi thoda to ro kabhi baithkar ekant mein yar. Thoda to ro prabhu kab tak Lalaju ki muskan matra se karodon kam murchhit ho jae aur aise Lalaju ko kaise tumhen batayen kaise batayen bhakut nirjit Madan mand sasit badan kiye ras vivas Ghanshyam piy gori bina lal mol ke bik gaye na dhak badan ambuj mridu sarashas madhu bolan ati aasakt lal al lampt bas kinhen binu molan ye keval pravachan ki baat nahi agar hriday mein maharani ji ke gore charnarvind ka aashray nahi liya Shyam sundar ke Shyam charnarvind ka aashray nahi liya to durdasha ye kab tak chalti rahegi kaisi muskan hamare lal ji ki kabhi baithkar chintan karo aisa pritam ka rup hai.
koti-koti kam murchhit ho jae. Ham aise priyaju ki dasi hain jahan pritam aise adhin hai. Par man vistha ki makkhi ki tarah hai. Khir hui to us par baith gaya. Vistha hui to us par baith gaya. Ye durdasha hai man ki. Nahi anannya bhav lao. Agar ham prabhu ras ke liye nikle hain to hamen prabhu ras hi chahiye. Hamse chuk ho sakti hai. Hamare prabhu bahut karuna samudra hai. Prabhu kshma kar denge. Kal aapne suna Bhawani ji sati ji kahti hai ki mahapurushon mein kabhi krodh nahi aata. Shobh nahi hota. Lekin unki charan raj usko bhasm kar deti hai.
usko nasht kar deti hai. Unki charan shakti nasht kar deti hai. Daksh se kah rahi thi mata ji updrav pe updrav sagar ke putr karte chale ja rahe the. Bhagwan kapil dev ji kuch nahi bole. Unki tapas shakti ne bhasm kar diya unko sabko. Sabko rakh bana diya. Mana bhagwan ki maya prabal hai par bhagwan ki hai na kisi gair ki to nahi hai na aur ham bhagwan ke bhakt hain bhagwan ka bhajan karte hain tu ham par dular karegi ya pratikultaa pratikultaa tab karegi jab ham avhelna karenge agyaa ki avhelna karenge tabhi hamara patan ho sakta hai anytha nahi isliye samasth grihasth virakta upasako se sabse prarthna hai.
sacchidanand bhagwan ki pata nahi kaise kripa ho gayi ki hamen bhajan karne ka samay diya hai. Aap jise samjh nahi pa rahe. Yadi tumhare upar kripa hui aur tum sweekar karte ho ki hamare upar bhagwan ki badi kripa hui to iska mahatva do. Tumhare samne bhog free ave to bhi tumhen nahi dekhna kyonki tum bhagwat marg ke pati ho. Bahut savdhaan. Ye jo ham bar-bar aapko savdhani yah bahut upjau bhumi hai. Vrindavan kalptar hai. Yadi aap is bhumi mein galat bij dal doge aisa aap kaat nahi paoge fasal aur sahi bij dal doge to anand magan rahoge.
bahut savdhaan. Bahut savdhaan. Hamara jeevan alp hai. Ham bahut kamzor ho chuke hain vishyon se. To ham roen na ekant mein baithkar prabhu se badi samarth milti hai. Bade se badi samarth milti hai. Jahan prabhu se prarthna ham aapko kaise batayen. Bin roye kin pya prem piyara mit wahi shanti pradan karte hain. Wahi andar se marg de dete hain. Isliye sab upasako se prarthna hai. Kam aadi ki vrittiya ana koi ascharya ki baat nahi hai. Purv janm ke abhyaas vat is janm ki galat harakton ke karan hamare man mein sphurna aa sakti hai.
lekin is phurna ko sankalp banana, sankalp ko kriya mein utar dena aur kriya ko chupana yah sarvnash ka karan hai. Pahli baat to is purna ke liye hi hamen samay nahi dena. Har samay Radha vallabh shri hariv Radha vallabh shri is ke liye samay nahi dena agar chuk ho gayi ho gayi to sankalp nahi banne dena agar sankalp ban gaya to gurujanon ke samne pesh kar do maharaj ye sankalp ban gaya ab aap isko wo dant fatkar ke kripa se karuna se kaise aap prabhu ke paas hai Vrindavan hai Priya pritam yahi rah rahe hain he ro Priya pritam se prarthna karo prabhu aap dekh rahe ho na aapke ghar mein rahkar mera man kahan bahar le ja raha hai nath aap kripa kabhi apni dasha par roen kabhi apni dasha
ko prabhu ke samne pesh karen prabhu ka swabhav aisa hai Sugriva ji ko bhagwan ne jab bhay dila ke bulvaya bhagwan thoda rosh drishti se dekhe to unhone kaha nath vishay har leen se jana mera koi dosh nahi ismen nath jeev to maya moha so nistari tumhari chhoha bilkul saaf kah rahe hain prabhu ye aap karuna karo aap dular karo to nikal paye nahi to ham to gaye ham to dube aise gale laga liya apne guru apne pritam apne aradhya se chhal kapt nahi moh kapt chhal chhidr na bhawa jaise ke waise samne raho theek hote chale jaoge agar kapt karke to kya aap samjhte ho bhagwan sarvagya nahi hai?
wah sarvagya hai. Aap chahe jitna chhupa lo wo samay par prakashit ho jaega aur aapko dand dega. Haan ham galat hain. Prabhu hamse galti ho rahi hai. Hamari samarthaheenta hai. Aap hamen samarth pradan karo. Aap sab sahi ho jaega. Chaturta nahi. Shri Vrindavan parmeshbhut karuna kshamad gun swar samp prapt niho anannya gati resho ham nopeksha shri vrindavnadheeshwar shyama Shyam aur shri Vrindavan dham adbhut karunam mein hai badi kshma shakti hai avgun kare samudra sam gat na apno jaan par jo baat jahan kshma hoti hai usko dekhiye swarsam praptya nano anannya gati resho ham no apeksha kisi ki apeksha nahi anannya gati hamare shyama Shyam hai par main dava pesh kar sakun ki main ras ka adhikar hoon so nahi main nich hoon bas ye baat hamare prabhu ko prapt karne ke liye sarvshresht baat hai main bahut nich hoon.
bhagwat ras prapt kar sakun. Aisi yogyta nahi. Par shyama Shyam Vrindavan dham ke siva mera koi nahi hoon. Main kisi ki apeksha nahi rakhta. Anannya gati resho ham anannya gati meri. Bas yah shabd aaya ki sab maaf ho jaata hai. Aapke siva hamara koi nahi. Bas usko nischit bhagwat tatv ki prapt. Bahut kathin hai maya par vijay prapt karna. Hai jo baten banate hain wo kya jane jo sadhak hai wo jante hain kyonki pratiphal phislan pratiphal akarshan mahina do mahina ke liye koi niyam de do to jo ek bal bhar kahin truti nahi hogi nikal jaega pure jeevan bhar ke liye hai ham bar-bar kahte 25on varsh aap sanyam se chal rahe panch minute phesal gaye bardast nahi hoga na jagat ko aur na bhagat ko bahut savdhani isiliye param pad brahma bhi jise namaskaar karte hain brahma ka parmesthi pad hai jise namaskaar karte hain wah param pad bhakt ko sahaj mein anchahe dhang se bhi prapt ho jaata hai jaise pita ki property par putr ka adhikar ho jaata hai anannya moh kapt chhal chhidr koi kapt mat rakho jaise ho waise dekh lo aap sab jaise manao waise sambhalna aapke siva hamara koi hai nahi ham chhod sakte nahi aapko aur jaise aapko nahi chhod sakte aise hamari man ki dasha ki vishay nahi chhod pa raha.
aap dekho prabhu main aapki sharan aaj tak jitne mahan bhakt hue hain isi prarthna se hue. Koi bhakt aisa nahi hai ki jo maya ko chailenj karke nikal gaya ho. Aisa koi aaj tak nahi hua. Sab hath jode dainyta se sab bade-bade mahapurush jitne bade mahapurush hain sabke Harivansh mahaprabhu kya kah rahe hain? Jinke ham sevak hain. Kwaham tachchha gazab ho gaya hitsa sajni ji ke avatar bansi ke avatar swayam bhagwat swaroop kwaham tachchha param adhma pran ho garma ye danyata Radha naam ke data hai. Kah rahe hain jo Radha naam chal raha hai main to tuchch adh aparadhi ye to keval Vrindavan ki kripa se chal raha hai.
kwaah mumti kwam parmanand kahan main mudamti kahan parmanand pradan karne wala Radha naam koi bhi bhagwat prapt mahapurush kabhi bhi kahin bhi ahankaar bhare shabd nahi ahankaar bhari cheshta nahi jo main apne avgun kahun baadh katha par nahi laun goswami tulsidas ji kah mausam kaun kutila khal kami surdas ji maharaj asmay adham sakha suno moh par Raghuvirr gyani namagni hanuman ji maharaj adham te adham adhamti nari tan ma mati mandghari maha bhagwat param pujya shri Shabri mata ji kisi ki bhi tarah Meera ji kah rahe hain mat wala hathi man prabhu sab janjeere tod kar bhag raha hai nath ise rok lo sab dainya se par hue hain koi aham se par nahi are jaise ham hain waise prabhu ke samne Vrindavan tav sharanam gato vagti dushtatma hari hari tava anukampa vishyasyam nich to pik muneech jisne vani se bhi kah diya he Vrindavan main aapki sharan mein hoon wo chahe jitna bada dusht atma ho wah Vrindavan ki kripa ka patr ban jaata yah dekho vani ki sharanagati hai hai wo nich se suneech hokar bhi Vrindavan ki karuna kripa ka patr ban
jaata hai. Ham aise Vrindavan ke vachan se sharanagati ki baat kya jeevan arpit kar diye sharanagat man vachan karm se purn hamare kalyan mein koi kami ham kalyan nahi chahte bhai ham shri ji ko chahte hain kalyan nahi chahte hamen shri ji ke paas jana hai to hosh mein ho jao jo marg hai us par chalenge tabhi to ham lakshya ko paunchenge jaise bihari ji ka marg hai. Ye Radha vallabh ji ka marg hai. Ab aap chathi kala ki taraf aankh mund ke daudo. Zindagi bhar daudo. Pahunch jaoge kya? Marg to yah hai. To kalyan ka marg bahut se shastron ne varnan kiya hai.
lekin priyaju ki Shri ga seva ka marg to sahcharya hi janti hai. Dusra nahi. To jo acharya prakt hokar marg kahe waise chalo. Paye jaan jagat mein sab jan kapti kutila kalyugi ta kabhi to socho baithkar ekant mein kya tum sochte ho kya chahte ho kya tum bhogna chahte ho dhikkar hai sacchidanand prabhu jahan akrishta hue hain aisi hamari ladli jo swamini unka chintan chhodkar unka naam chhodkar unki gun leela shravan chhodkar sansaar ki charcha sansaar ka chintan bhogon ka chintan ghrna honi chahiye rama vilas Ram anuragi tajat baman jim jan bhbhagi wo bhbhagi bhagwan ke das lakshmi ke vaibhav ko baman ke saman tyag dete hain brahmaadik ke bhog sab visham lagat tai narayan braj chand ki lagan lagi hai ja he bhagwan ke dastv ka billa lagakar maya ki dasta sweekar karna kitni kalank ki baat hai isliye anant janmon se ham yahi har sweekar kar karte chale aae hain.
ab nahi ab hamen bhagwat bal mila hai. Guru rup mein, sant rup mein, satsang rup mein, dham kripa rup mein ab ham harenge nahi. Ab ham jeetenge nagri das yah janm jitayo balhari balhari chalte hain mahamangalmay Shrimad bhagwat mahapuran jismen bhagwan devdhidev mahadev ji ka pavan charit chal raha hai. Namaste namaste vibho vishv murt namaste namaste chidanand murt namaste namaste tapo yog gamya namaste namaste shruti gyan gamya prabhu shul pan vibho vishvanath mahadev shambhu Mahesh trinetra shivakant shant smarare purare tadanya var na manyo nagya shambhu Mahesh karunamay shul pan Gauri pate pashupte pashupasnasin kashi pate karuya jagdes tam ha viddhasi maheshwaro Bhagwati sati ji ne apne sharir ko yogag mein bhakshma karte samay ek vardan manga ki janmjanm bhagwan shiv hamare pati rup mein ho aur shivmay bhav karke sharir ko chhod diya.
yogagni ne sharir ko bhasm kar diya. Ambaji Himachal aur maina se Parvati ke rup mein prakt hui. Bade-bade rishi muni Himalay mein akar vas karne lage. Kyonki agyaa shakti param gyan ka bhandar Parvati ji ke rup mein prakt hui. Himalay mein vivid ratna apne aap khane prakt ho gayi ratnnon ki. Siddh muneeshwaron ka nivas sthal ban gaya Himalay. Ridhiyaan siddhiya laut rahi hain. Kyonki Bhagwati Parvati ji prakt hui. Bada anand utsav roz ka roz man raha hai. Ek din bhagwan ke param priy mano swaroop devrshi narad ji padhare.
himanchal ne charanamrit utara. Charanamrit aarti puja karke bhog pavaya aur phir kaha aapki kripa se param kushal mangal hai. Hamare yahan ek kanya ratna ki prapti hui hai. Maina ji ko adesh kiya Parvati ji ko laye. Bahut Tripura sundari Bhagwati hain. Devrshi narad ji drishti se dekhte hi samjh gaye oo yah to agyaa shakti hai. Bade sadgun varnan kiye. Kaha ab savdhaan hokar ke suno samasth sadgunan ki khan tumhari kanya hai parish mein kuch dosh jo mujhe dikhayee de rahe hain isko jo pati milega wo thoda jogi jatil akam man nagan amangal vesh as Swami yahi kaha mil pari hast as dekh yogi ab yogi kya yogendron munidron ke guru hain bhagwan shiv jatadhari aisi waisi jata thodi hai ki jan sadharan jatayen ho nahi jab ganga ji ne bhageerath ji se kaha ki main brahmlok se jab mrityu lok utrungi to mera veg sahne ki samarth bhumi mein nahi hai.
main sidhe rasatal ko chali jaoongi to tumhara uddeshya apne purkhon ko tarne ka phir bhi pura nahi hoga. Aur dusri baat jab main bhutla par jaoongi papi log sparsh karenge main malin ho jaoongi to mujhe nirmal kaun karega? In do prashan ka samadhan lao. Main brahm kamdal se tumhare saath chal dungi. Pahla samadhan devdhidev mahadev ji ke samip jakar hua. Aradhna ki bhagwan shiv prasann hue. Prakt hue kya? Prabhu brahmlok se ganga ji aaenge. Unko bhutla mein rokne ki keval aap mein hi samarth hai.
aap rok lijiye. Hamare purkhon ka udhar ho jaega aur jagat ka mangal hoga. Dusri baat vichar ke dwara dusre prashn ka hal hua aur ganga ji se kaha shiv rokenge to ganga ji ne socha ki kaise hamare veg ko shiv rokenge dusre prashn ka samadhan bhageerath ji ne kaha hamare desh ke pavan jo bhajnanandi premi mahatma hai bhagwat prapt jab sparsh karenge to aap nishpap ho jaenge samadhan donon prashan ka hua ganga ji bade veg se chali. Bhagwan shiv netron se bhi ganga ji ko rok sakte the. Sankalp se rok sakte the.
lekin bhagwan shri hari ka charamodak hai to jata khol diya. Ganga ji ko laga jataon mein kaise rok payenge? Lekin bhagwan shiv aisi jata thodi hai jata kata sam bhram bhram vilumb nirjhari vilovi chav lari virajman moradhni bhul gayi ganga ji nikalna jata rupi katah mein aur bandh liya bhageerath ne kaha prabhu hamara uddeshya to to phir ek jata kholi jisse teen dharaen alaknanda akashganga dev ganga mandakini patal ganga aur bhagirathi ganga mrityu lok mein wo shiv hai jinki jata rupi katah mein ganga ji ko rasta hi nahi mila.
bhul gayi ganga ji ko jata rupi kadah se niklne ka rasta hi nahi. Jab bhagwan shiv ne diya tab aisi jatajut dhari aur kah rahe hain akam kam hai hi nahi. Unke hriday to akam man aur kabhi digambar rahte hain. Kabhi bagambar dharan kar liya aur amangal vesh chita ki bhasm lagana mundon ki mala pahnna saanp bichhi ke abhushan dharan karna bhut preton ka saath karna as Swami yahi ka mili parihasta mata ji to prasann ho gayi sunkar ke ki bhagwan hamare pran pritam shiv ka is hamari rekha mein likha hua hai pati rup mein varan karna.
lekin maina hemwan sakhiya sab shok ashru vimochan karne lagi. Anand ashru maiya ke Parvati ji ke ankhon se aur shokashru maina himanchal aur se itni Tripura sundari aur inke liye aisa var himwan ji ne kaha koi upay hai jiske dwara ham apni putri ke is bhagya ko palat sake kyonki hamare paas koi kami to hai nahi aisa koi anusthan koi upay to kaha muneesh himwant sunu jo vidhi likha leela dev dhanuj nar nag muni ko na men har aisa koi devta hi nahi paida hua. Aisa koi daitya nahi, aisa koi manushya nahi, aisa koi nag nahi, aisa koi muni nahi ki jo bhagya mein likha hua hai usko palat sake.
baitha lo dimaag mein. Satsang sunte ho is baat ko baitha lo dimaag mein. Kahin bhatakne ki zaroorat nahi ki koi tumhare chhuchha kar dega. Tumhara bhagya palat jaega. Jo kachu likho leela dukh sukh deh tan bhago jahan jaego ya siddhant abhang bhagwat rishik ji tumhare bhagya mein jo dukh sukh ja bhag ke jao wo bhogna padega tumhen bhogna padega avashya bhoktuvi hemwahan ne kaha ki prabhu phir koi upay nahi ki rekha palti ja sake kaha tadap ek main kahun upai hoi kare jo dav sahai jas baru main barne tum pa milah umah tas sanshay na je bar ke dosh bakhane te sab shiv pa main anuman jo vivah sankarsha hoi do gun sam ka sab koi devrshi narad ji ne kaha ek upay sujh raha hai yadi bhagwan sahayata kar de karya siddh ho sakta hai.
jaisi rekha mein dulha ke lakshan likhe hain, wah sab bhagwan shiv par hain. Agar bhagwan shiv se vivah ho jae to sab gun hi gun mangal hi mangal ho jae. Dekho bhagwan shesh saiya par sote hain par koi dosh thodi lagata hai. Bhagwan surya dev agni dev achhche bure sab ka bhakshan kar jaate hain. Par koi unko bura thodi kahta hai. Ganga ji mein shubh ashubh sab bahta hai. Par koi ganga ji ko apvitra thodi kar sakta hai. Ganga ji, surya, agni yah sab bhagwat swaroop hai. Yadi koi in mahapurushon ki hod kare to kalp bhar ke liye narak padega jake.
kahin jeev ishwar ki koti ke mahapurushon ki samanta kar sakta hai. Aise hi jeev iski samanta nahi kar sakta. Ismen tanmay ho jaata hai. Ismen mil jaata hai. Wah baat alag hai. Bhagwan shankar samarth hai kyonki bhagwan hai. Isliye jitne hamne baat varnan kiye sab mahadev ji mein milte hain. Mahadev ji ko prapt karna bada kathin hai. Par wo Ashutosh hai. Yadi chahe to bahut jaldi prasann ho sakte hain. Aradhna kathin hai. Durara jape aa maheshu para Ashutosh pun kiye kaleshu yadi wo kripa karen aur dekh le ki hamare liye tadap raha hai to badi jaldi prasann ho jaate hain jo tap kare kumari tumhari bhati sakah tripurari yadpi barne anek jag mahi yahi kaha shiv taji dusar na yadi tumhari kanya tap kare aur bhagwan shiv kripa karen to bhaal ki rekha ko mitarne ki samarth bhagwan shankar mein bhaat sake tripurari ab ham ek shabd mein kah sakte hain ki param mangal tumhari putri ka bhagwan bhagwan shiv ko pati rup mein varan karne se bhagwan shiv bahut jaldi vardan dene walon mein sharanagat ke bhay ka bhajan karne wale kripa sindhu sevak apne bhakt ke man ko anand pradan karne wale hain.
shiv ji ki aradhna kiye bina karodon yog aur karodon prakaar ki sadhna kabhi manwanchhit phal nahi de sakti. Ichchhit phal bin shiv avradhe lah na koti jog jap sadhe as kah narad sumiri hari girjah din ashish hoi yah kalyan ab sanshay tajhu gireesh kah as brahm bhavan muni gahuu agil charit sunhu jas bhay bhagwan shri hari ka smaran karte hue narayan narayan narayan aur Parvati ji ko ashish diya aur kaha parwatraj hanuman bhagwan ab tum nishcint ho jao iska param mangal hoga. Veena mein narayan naam ki dhvani karte hue vichransheel mahatmaen narad ji brahmlok ki taraf chale gaye.
ab age jo charit hua suno unke jaate hi maina ne himwan ji se kaha main muni ke vachno ka arth nahi samjh pai. Kya kah rahe the devrshi narad ji ham aapse kah rahe sun lo jo ghar bar kul hoi anupa kar vivah suta anurupa nat kanya varu raho kunvari kant Uma mam pran piya ham aapse ek baat kah rahe hain. Yadi hamari Parvati ke anukul kul aur var hoga to vivah karungi. Nahi to chahe jeevan bhar kunvari kanya rahe ham aise waise se byah karne wali nahi. Parvati mujhko prannon se bhi adhik priy hai.
ye ham aapko baat bata rahe hain. Jo na mil heeh baru girijah jogu girijad sahaj kah sab log sui bichri pati karehu vivahu jeh na baho hoi udahu yadi aapne vichar purvak Parvati ke yogya varavran nahi kiya to log kahenge ki parvat to jad hota hi hai na. To isliye ham aapse kah rahe hain vivah suyogya var ke saath jisse piche hriday mein jalna na pare. Aur charan pakar liya hemwan ke. Mastak rakh diya maina ji ne. Tab hemwan ne uthaya aur kaha aap kaisi baat kar rahe ho? Aap kya samjhte ho? Ham kisi ko bhi Parvati ji de denge.
par itna jarur samjh lo dev rishi narad ke vachan kabhi anytha nahi ho sakte. Priya soch pariharhu sab sumirhu shri bhagwan Parvati nirmayo jeh soi kar kalyan. Aap kyon vyarth ka chintan kar rahe ho? Shri bhagwan ka bhajan karo. Jinhone Parvati ki rachna rachi hai, wahi var ki bhi rachna rache honge. Unka kalyan karenge. Aap to keval bhagwat smaran karo. Himwan ne kaha yadi tumhen apni kanya par prem hai, bahut prem hai to wahi shiksha do jo devrshi narad ji ne kaha. Yah tapasya karen aur isko var rup mein bhagwan shiv mile.
dusra koi upay nahi hai. Narad ji ke vachan rahasya yukt hai, sakaran hai, koi vyarth nahi. Aur shiv ji to samasth gunon se vibhushit gunon ke bhandar jagat bandhneey hai. Sandeh chodo bhagwan shiv nishkalank hai aur unko pati rup mein prapt karne ke liye Parvati ji ko prerna karo ki wo tapasya karen. Sun pati vachan harsi man mahi gayi turant uthi girja pahi umah biloki nayan bhar bari sahit sneh god baithari apne pritam himwan se ekant ta varta karke maina ji Parvati ji ke samip gayi aur bada dular karke god mein bithala abhi nav kishor avastha ki taraf mata ji ka padarpan ho raha hai bar-bar hriday se laga rahi matha choom rahi gala bhar aaya Parvati ji sarvagya hain.
mata ji ke man ki baat jankar ke boli ki main jaan rahi hoon aap jo bolna chahti hain aap prem vivastha vash bol nahi pa rahi sunah ma tumas sapan sunavhu to sundar gaur su vipravar ar as updeshhu moh bhaiya maine ek swapna dekha hai ek bade tejo mein gaur varn ke brahmin akar mujhe updesh kar rahe hain. Karah jai tap shail kumari narad kaha su satya bichri. Unhone swapna mein adesh kiya hai ki he parvat Rajkumari tum jakar tapasya karo. Bhagwan narad ji ne jo kaha hai wo satya hoga. Bhagwan shiv tumhen pati rup mein prapt honge.
jao. Mata ji ne kaha ye to mere mukh ki baat chhin li. Yahi main kahne aa rahi thi. Yahi tumhare pitaji ne hamen prerit kiya ki main aisa bade sukhe hue hemwan aur maina ji. Tapasya ek bahut bhagwan ko prapt karne ke liye bada bal hai. Jo kasht sahte hue bhajan karta hai. Bahut jaldi bhagwat prapti hoti hai. Tapasya ke bal se hi brahma ji ne sansaar ko racha. Tap tap piche suna satsang mein do akshar prakt hue the. Tap mata ji ne bahut prakaar se samjhaya. Aur pranam kiya mata-pita ko Parvati ji ne aur apne pran pyare bhagwan shiv ke liye tapasya karne ke liye chali.
kutumbi pita mata sab vyakul ho gaye. Sabke ashu chal rahe hain. Usi samay vedashra naam ke muni ne akar samjhaya ki koi tumhari sadharan kanya nahi hai. Agyaa shakti hai. Tum chinta mat karo. Inhe jane do tapasya mein. Ekant Himalay ke kshetra mein uradhri Uma pran pati charna jai vipin lagi tap kar na bas ekant mein asan jamaya bhagwan shiv ka dhyan karte hue garmi sardi barsat khule ati sukumar na tanu tap jo pati pad sumiri taj sab bhog nit nav charan upaj anurag basri deh tapah Manu laga bhagwan shiv ka dhyan sab dwandon ko sahna sharir ki shuddh bhul gayi shivakar vritti kitna samay vyatit ho gaya 1000 varsh 1000 varsh samvat sahas mul phal khae sahu khai sat baras gavae 1000 varsh tak ek bar keval thoda phal pa liya.
phir 100 varsh tak saag ki patti mukh mein rakh li. Phir usko bhi chhod ke keval jal kachu din bhojan bari batasa kiye kathin kachu din upwasa bel pati mah parah sukhai teen sahasra samvat sui khai puni par hare sukhane par umah naam tab bhay aparna bhari batasha bahari jal batasha vayu patte bhi khana jo saag ke the unko chhod diya bahut samay tak keval jal ek bar usko bhi chhod diya jal ko bhi chhod diya keval swas chal rahi hai bhari tapasya phir bel patr jo jamin par gir ke sukh jaate 3000 varsh tak aise bel patr ko mukh mein sukhe hue bel phir usko bhi chhod diya
puni par hare sukhal parna ab to pran bhi sukh gaye mata ji ka naam Parvati ji ka aparna hua dekh tap khi sharira brahm gira bhay gagan gambheera bhyo manorath suphal tav sun giriraj kumari parihari dush klesh ab parih dush klesh sab ab mili hai tripurari akashvani hui he aparna he Parvati ji tumhara manorath safal hua to ab is kathin klesh tapasya ko tyag do bhagwan shiv tumhen pritam rup mein milenge as tap kahu na keen Bhawani bhay anek dheer muni gyani aisa aaj tak kisi ne tap nahi kiya bade-bade brahm rishi bade-bade muni mahatma kisi ne aisa ab is akashvani ko tum satya mano nirantar param pavitra hriday mein baat dharan kar lo bhagwan shiv tumhen pati rup mein milenge tumhare pita tumhen bulane ke liye aaenge brahma ji ki prerna se tumhen hat chhod ke pita ki agyaa ka palan karna chahiye.
jaan lena jab pita bulane aae shabd rishi mile meri vani satya hai. Aisi akashvani hui. Sunat gira vidhi gagan bukhani pulak gat gir ja har shani pulkit ho gaye. Safal manorath ho gaya. Kitna abhagya pritam rup mein bhagwan shiv milenge. Ab idhar bhagwan shankar ki dasha vichitra hai. Sati swaroop se sharir tyag karke Parvati rup mein bhagwan shiv ke liye tap paraayan ambaji Parvati ji lekin jab te sati jai tanu tyaga tab te shiv man bhay viraga samadhi har samay swaroop mein sthit chidanand sukhdha dham shiv vigat moh madad kam bichre ma dhar hriday hari sakal lok abhiram sacchidanand bhagwan shiv moh rahit mad rahit kam rahit bhagwan atmaswarup prabhu ke nirantar chintan mein magan kabhi samadhast kabhi unmattya vichran kar rahe hain asang kabhi-kabhi koi muni muni jan aa jaate prashn karte to updesh kar rahe hain.
yadyapi bhagwan akam hai phir bhi sati ji ke viyog se dukhi hai. Yadpi akam tadpi bhagwana bhagat virah dukh dukhit Sujana sati ji bahut prem karte bhagwan se usi prem ka chintan karke bhagwan shiv kabhi-kabhi vikal ho jaate akam siddh gyan swaroop hai bodhmay hai lekin prem ki yahi prabal mahima hai ki bodh swaroop Janak ji bhi virah ko prapt ho rahe jab Janaki ji vida ho rahi unke bhi astru chal rahe hain. Bhagwan shiv nirantar samadhast ya munio ke saath atma bodh ki charcha bhagwan shri hari prakt hue aur kaha prabhu main ek prarthna karna chahta hoon aapse.
bhagwan shankar ne kaha adesh kijiye. Parvati ji ka janm aur tapasya mein sanlagnata aur akashvani ye sab puri baat mahadev ji se bataya. Sati ji ka janm ho chuka hai Parvati ke rup mein aur unhone aapke liye bhari tapasya than rakhi hai. Akashvani hui hai ki aap hi unko pati rup mein prapt honge. Pura Parvati charit sunaya aur kaha prabhu ab vinati mam sunhu shiv jo mo par nij nehu jai vivah shail jah yah mohi mange dehu ab samadhi mein mat baitho prabhu hamara ye jo vachan hai vinay purvak ise sweekar karen aap jaen dulha bane aur Parvati ji se vivah karen.
hamari ichchha hai aisi yahan ja vivah ho shailje Swami rup se kah rahe ya moh mange dev sevak rup se kah rahe donon baten yahan hari ji ne prakt ki ki aap hamare Swami bhi hain ye moh mange dev aur dekho aap hamko bhi Swami mante ho isliye jae vivah shail le jae. Hamara adesh hai, agyaa hai jao vivah karo Parvati ji se aur ya moh mange dev prabhu main aapse maang raha hoon ki aap jakar vivah karen. Bhagwan shiv ne kaha waise is samay to hamari sthiti vivah ki nahi hai. Par nath vachan pun met na jae.
Swami ki agyaa shirodhar hai. Sirdhar ayas kari tumhara param dharm ya nath hamara aapki agyaa ka palan karna yadyapi ka jad uchit asna is samay jo hamari sthiti hai wo aap jante hain prabhu par aapki agyaa Swami ki agyaa palan karna hi sabse bada dharm hai aap to param hitkari hamare hain. Agyaa sir par nath tumhari prabhu to seu suni shankar vachna bhakti vivek dharm jut rachna prabhu ki baat sunkar shiv ji ke bhagwan bahut santusht hue aur kaha ab u ra jo ham kaho dhyan rakhna vivah karna hai aapko nahi pheel laga do samadhi 88 hazar varsh ki to vivah karna hai yah baat hamari baat bhagwan shiv ne kaha jaisi aapki agyaa antardhan bhay asi shankar soi murt ur Rakhi tabah sapt rishi shiv pa aae bole prabhu ati vachan suhaye Parvati pa jae tum prem pariksha lehu girah pe pathhu bhavan dur karehu sandehhu bhagwan shri hari antardhya ho gaye itne mein dekha sapt rishi aae bhagwan devdhidev mahadev ki dandvat ki mahadev ji ne kaha bahut achhche avsar par aae jao ek seva tumhen de rahe hain.
tum Parvati ji tap kar rahi hain mere liye. Tum unki prem pariksha lo aur phir pariksha mein paas ho jane par himwan ko prerit karke unko ghar wapas karo. Parvati ji ka sandeh dur kar do. Jao. Pranam kiya. Sapt rishi agyaa ka palan karte hue Parvati ji ke paas pahunche. Us samay dekha rishi Gauri dekhi tahan kaisi murti mant tapasya jaisi dekha mano murtiman tapasya baithi waise bhagwan shiv ke dhyan mein magn amba bole muni sun shail kumari karahu kavan karan tap bhari rishi jan gaye to socha mata ji aankh kaise kholeng namah Parvati pate har har har mahadev mata ji ne aankh khula kyonki pritam ka naam hi aankh khulwa sakta hai.
sapt rishiyon ko dekha aadar diya aao virajo. Sapt rishiyon ne kaha bas aise hi ja rahe the dekha aap tapasya mein sanlagna ho itni kathor tapasya to bhuto na bhavishyati par aap chahti kya hai ke hi avradh ka tum chahau ham san satya maram kin kahhu kya chahte ho kiski aradhna kar rahe ho kya phal hai aapki ki is tapasya ka aap kripa karke varnan karenge. Muskura diya mata ji ne kahat vachan mano ati sakuchai has ho suni hamari jad tai parvat se prakt ho hasoge pakka hasoge man hat para na sunai sikhava chahat bari par bheeti uthava man ne ha than liya hai.
hasoge isliye ki jaise koi bahti hui prabal dhara ko balu ke bandh se rokna chahe aise main rokna chahti hoon kyonki main parvat se prakt hoon aur main apne Gurudev ke vachan ko kabhi nahi taal sakti. Narad kaha satya soi jana binu pankhan ham chahe udana dekhhu muni abhi hamara chahiye sada shiv hi bhartara tum hamara abhivak dekhkar hans loge kyonki main bhagwan shiv ko apne suhag rup mein dharan karna chahti. Mere bhartar mere pati bhagwan shiv ho. Mano main bina pankhon ke akash mein udna chahti hoon. Meri samarth to aisi nahi par meri chah hai.
mera hath hai ki main bhagwan shiv ko apne pati ke rup mein prapt karna chahta. Hans pare rishi. Sunat vachan bih se gir sambhwat de narad kar updesh suni kaho baso ki kisuke hans pare aur bole aap pakka pakka parvat se prakt hui ho are narad ke updesh se aaj tak kiska ghar basa hai narad ka updesh sunne ke baad kisi ka ghar basa hai suno daksh sutan updesh nijai tin phir bhavan na dekhai daksh ke putr the updesh kar diya aaj tak laut kar ghar nahi aae Chitraketu kar ghar un ghala Chitraketu ka ghar barbad kar diya kanak Kashyap kar punis hala hiranyakashyap ka ghar barbad kar diya Prahlad ji ko updesh de diya
sab choupat ho gaya narad Sikh je sunah nar nari avas bhavan taj ho bikhari narad ka jisne jisne updesh suna ghar chhodkar ke barbad ho gaya aur aap batayen aap jin guru ki itni mahima ga rahi ho narad ji ki man kapti tan sajjan cheena aap saris chahe sab kina man kapti hai bade sajjan bhash mein rahte hain lekin upay yahi rahta hai sabko apne jaisa hi banana chahte hain un narad ji ki baat kar rahe ho aap teh ke vachan mani vishwasa tum chaho pati sahaj udasa nirgun neelaj kubesh kapali akul agah digambar vyali narad ji
ki baat to kar rahe na aaj tak kisi ka ghar nahi basa sab choupat hua jisne jisne unka updesh suna aap bhi kaisa pati chah rahe ho narad ji ke updesh se udasin kisi se matlab hi nahi gunheen koi gun nahi kyonki gunatit hai lajja ka pravesh hi nahi aur aapko bata den kubesh bada hi kubesh dharan karne wale nar mundon ki mala aur ghar bargad ka ped hai unke liye itna kathor tap kar kahu kavan sukh as baru paye bhal bhuleehu thag ke barae aisa dulha milne se kaun sukh milega narad ji ke chakkar mein akar ke aap bhi itni kathor tapasya shiv ke liye kar rahe ho pariksha le rahe sapt rishi jan mata ji ki pariksha le rahe dekho ab sthiti kya hai shiv ki ham batayen aapko ab sukh sovat soch nahi bhikh mangi bhav khai aur sahaj ekakin ke bhavan kabahu kinari khatai ghar to hai nahi akele rahte hain aur aise ke liye aap tap kar rahe ho ham log bahut vichar kar aae hain ajhu manhu kaha hamara ham tum kahhu barneek bichara ati sundar suchi sukhad susheela gavah ved jasu jas leela dushan rahit sakal gun rasi Shri pati pur vuth nivasi asu
tumah milani sunat bihas kah vachan Bhawani aise ke ghar mein kahin stri khatati hai aur aap aise ke liye suno ham baat karke aa rahe hain baikunthadhipti ved jinke net net karke gun gate hain saaf sadgunan ki raas lakshmi ji jinke charan chapti rahti hai ham baat karke aa rahe hain aise prabhu se aapka byah kara denge chodo tapasya aur tayyari karo byah ki. Ham to baat kar hi aae hain. Mataji bahut hanste hue kaha accha accha satya kaho gir tanu eha satya satya kaha ki pahar se parvat se jad parvat se hamari utpatti hui hai.
to aapko yah bhi pata hona chahiye ki parvat ko koi diga nahi sakta. Chahe jitna bada tufan aa jae to hath na chhut chhute bar deha ham parvat se utpann hui hamara hath nahi chhutega bhale sharir chhut jae aapko pata hona chahiye ki parvat se hi swarn ki khane paida hoti hai aur swarn ko jitna jalaya jaata hai utna hi wo tej prakashit karta hai. Tum jitna hamare viparit bologe utni hamari nishtha aur pakki hogi. Aapne narad ji ke prati hamare Gurudev ke prati aisa kaha ki wo kapti hai to aap sun lijiye narad vachan na main parihrau base bhavan ujre nahi darau guru ke vachan pratiti na jeh sapne sugam na sukh siddhi teh main apne Gurudev narad ji ke vachan nahi chhod shakti chahe bhavan base chahe ujad jae aaj hi sab nasht ho jae iski mujhe koi parvah nahi jisko apne Gurudev ke vachno par vishwas nahi use kabhi bhi sukh aur siddhi ki prapti nahi ho sakti tumne kaha ki main bhagwan baikunthadhipti ko tumhare liye to mahadev avgun bhavan Vishnu sakal gun dham jeh kar manoram jah san teh san kam mana ki mahadev ji samasth avgun bhavan bhagwan Vishnu samasth sadgunan ki khan par tumhen pata hona chahiye sapt rishiyon jisse man jiska ram jaata hai usko usi se kam hota hai haan agar pahli bar tum milte narad ji se pehle to shayad tumhari baat ham kuch vichar karne ka avsar karte jo tum milte ho pratham munish sunti hoon Sikh tumhare dhar shisha ab main janm ye upasak ki nishtha honi chahiye.
ye mata ji ke dwara jo nishtha di ja rahi apne isht mein aisi nishtha honi chahiye. Ab main janm shambhu hit hara. Ko gun dushan kare bichara. Ab to yahan tumhari koi baat nahi chalegi. Main apna janm bhagwan shankar ke liye har chuki hoon. De diya apna jeevan bhagwan shiv ko. Waise aap bade kautuki dikhayee dete ho. Vivah ki batchit karne mein aapko bada sukh milta hai. To ham aapko bata den ki is samay sansaar mein lakho kanya lakho dulha hai. Jakar baat karo. Aap unke vivah ka anand lijiye. Hamari agar baat sunna chahte ho to janm koti lagi nagar hamari barhu shambhu nata rahhu kunvari tajau narad kar updesh aap kah sat bar maheshu meri to main karod janm ki baat kahti hoon.
har bar janm lungi aur tapasya karungi aur pati rup mein bhagwan devdhidev mahadev ko prapt karungi. Apne Gurudev narad ke updesh ko nahi chhod sakti. Chahe bhagwan isht shiv ji akar saikadon bar mujhe samjhaen to bhi nahi man sakti. Sapt rishi sashtang dandvat ho gaye. Kyonki aae hi the pariksha lene main paap kah Jagdamba tum grih gavan bhyo vilamba dekhi prem bole muni gyani jai jai jai jagdambe Bhawani jai jai ho jai ho jai ho amba ji ne kaha main tumhare hath jodti hoon. Ab ek bhi shabd mat bolna jao yahan se.
kaha jai ho jai ho jai ho he amba he Bhawani aapki sada hi jai ho jai ho. Aap aur bhagwan shiv alag nahi hai. Aap donon jagat ke mata-pita hain. Sashtang dandvat sapt rishi sir jhukaya aur jai jaykar karke pulkit hokar ke chale gaye. Aur himwan se kaha jakar ke Parvati ji ki tapasya purn hui. Bhagwan shankar var rup mein milenge. Jao unko leva lao. Aur bhagwan shankar ke paas jakar kaha prabhu bilkul anannya aapki hai. Kinchin matra kahin anya koi gunjaysh hi nahi hai. Bhay magan shiv sunat saneha haras sapt rishi gavne gaha sapt rishi to pranam karke vichran karne ke liye chal mahadev ji amba ji ke anurag mein doob gaye man thir kari tab shu Sujana itna prem uday hua ki doob ja rahe the amba ji ke prem mein phir man man ko savdhaan kiya.
bhagwan jagat mangal ke liye har leela karte hain. Us samay ek bhayanak Rakshash prakt hua tha. Tarkashur itna prabal pratapi tha ki tino lok mein koi bhi lokpal koi devta koi rishi muni apne shraap se ya astr shastr se divyastr se mar hi nahi pa rahe the tarkasur ko ajar amar jita nahi ja sakta tha sab brahma ji ke paas gaye aur brahma ji se kaha ki hamen to lag raha hai is daitya daitya ki mrityu hi nahi hogi. Koi bhi devtaon ke astr shastr rishi muni ke saap aur kuch nahi iske upar prabhav par raha.
to brahma ji ne kaha main dekhkar bata sakta hoon ki tum jitne bhi lokpal ho sab milkar maro to bhi nahi mara jaega. Ise bhagwan shankar ka putr ho tab mara jaega. Bhagwan sahayata karen aur main jo kah raha hoon wo baat dhyan se suno. Sati ji ne daksh ke yagya mein deh ka tyag kiya aur Himachal ke ghar mein Parvati ji ke rup mein janm liya. Bhagwan shankar ko pati banane ke liye ghor tap kiya. Idhar bhagwan shiv ji to sab kuch chode hue punah samadhi mein. Je hi Parvati ji ki suchna mili to prem mein magan hokar man ko sambhala aur samadhi mein gaye.
ab bade asmanjas ki baat hai ki byah ke liye inki samadhi bhang ho. Aur samadhi bhang karne ke samarth tribhuvan mein kisi ke nahi. Ek upay ho sakta hai. Yadi tum sab jakar Kamdev ki vinay karo. Kamdev jae bhagwan shiv ko kam se yukt karen to vivah hone mein deri na lage. Shiv ki samadhi kam bhang kar sakta hai. Jakar shiv ji ke charnon mein ham turant mana lenge. Samadhi keval yah bhang karen aur vivah ke liye raje kshan mein ham unhen kar lenge. Brahma ji ne kaha kyonki brahma ji ko pata tha hari ji ne pehle vachan le liya hai.
lekin Parvati ji ke prem ko sunte hi itna um gaye aur bas samadhi mein pahunch gaye. Ab devtaon ne Kamdev ko bulaya. Kamdev upasthit hue. Panch baan dharan karne wala aur machhli ki dhvaja devtaon ne Kamdev se kaha ki ham sab pure tribhuvan ki raksha is samay tumhare hath mein hai. Jao aur bhagwan shiv ki samadhi bhang kar do. Kamdev laga tumhara sabka dimaag to sahi hai. Jwala mein jhonk rahe ho hamko. Bhagwan shiv ki samadhi ham bhang kar denge. Sabne vinay kiya ki aap pure tribhuvan ki baat hai. Tarkasur atank machae hue hain.
kisi bhi devta ka bhagwan shiv ki samadhi ham bhang kar denge. Sab ne hath joda aur kaha bada yash milega aapko. Sabki raksha ka aapko uttardayitwa brahma ji ne aapko diya hai. Tab unhone kaha accha yadi aisa uttardayitwa diya hai to parhit lagat sant prashans de mera nash to hai hi shiv ki samadhi bhang karne mein par agar sabka kalyan hai main to apne prannon ki baji lagakar bhi wahi upay karunga sabko sharanwaya brahma ji ka smaran kiya ki pitamah ki agyaa hai aur apne sahayak basant ritu ko lekar kar panch baan man mein nischay kiya shiv virodh ka matlab hai mrityu par main jagat mangal ke liye karunga bas wahan se je bhi chala apna prabhav faila diya pura sansaar kam ke vash mein ho gaya pura sansaar jitne brahmcharya niyam sanyam dhiraj dharm gyan vigyan sadachar jap jog vairag vivek sab kam ke prati vyakul ho gaye.
bhag vivek sahai sahit subhat sanjug mahire sad granth parvat kand jae te avsar ye sanyam niyam brahmcharya jog gyan vairagya sab granth hai mein likha rah gaya sab log kah rahe hain kya ho raha hai sabke hriday mein kam bhav jagrit ho gaya je sajeev jag achar char nari purushas naam te nij nij marjad taj bhay sakal bas kam stri purush sangya wale char achar prani sab apni mariyada chhodkar kam ke adhin ho gaye sabke hriday mein ek hi abhilasha kam bele vrikshon mein chadne lagi nadiyan samudra mein taal talaiya sab jad mein jab jad ki dasha to chetan jeevan ki dasha kya akash jal prithvi mein vicharne wale pashu pakshi sab apne ritu ko bhulakar kam vivash ho gaye gaye kam chakwa chakwi raat din ka bhed chhod diya daitya manushya kinnar sarp pret pishad bhut preta to sab kam ke gulam hai inki dasha kya varnan karen ham dasha unki varnan karte hain jo brahmaakar vritti mein the bole bhay kam bas jogees tapas pamran ki ko kahe dekh charachar nari mein je brahm mein dekht rahe abla vilokah pursham mein jag purush sab avlamyam dund bhar
brahmand bhitar kam krit kautuk ayam jogi ji tapasvi ji brahm gyani ji ye sab jo hai jo brahm mein dekh rahe the wo nari mein dekhe aisa kam ka prabhav are bhai stri purush jad chaitanya jogi gyani brahmachari niymi sanyami vairagi tapasvi sab kam ke adhin dhari na kahu dheer sabke man man sij hare aur je rakhe Raghuvirr te ure tehu kal ma jo bhagwan ke chintan mein dube the un jo bhagwan ke das the unmein koi fark nahi kyonki kam ka fark aham mein parta hai 48 minute mein pure pure bramhandon mein kam ka kabja koi aisa nahi bhagwan jisko bachhae uske siva koi aisa nahi jo kam ke adhin na ho gaya ho ab je hi Kamdev bhagwan shiv ke paas pahuncha hi shiv ji ko dekha dar gaya shant swaroop bhagwan ke dhyan mein nimgn samadhi shivah vilok sash umaru bhyo yathathi sab sansaar 48 minute baad jab bhagwan shiv ko dekha ghabra gaya jo ghabraya to pura brahmand chain se ho gaya kam ghabrae to brahmand chain se aur kam agar ghabrae na to pure brahmand ko bechin kar de ab jaise koi nasha utar jae aise utar gaya
sabke ye kya ho raha tha abhi 48 minute tak maha bhaykar bhagwan shiv ko dekhkar tharthar kanpne laga ki kai kaise in par baan sandhan karen? Akhirkar usne kaha wapas to lautenge nahi. Bhagwat karya ke liye aae hain. Brahma ji ka adesh hai marna to pakka hai. Basant ritu se kaha prakt karo apna prabhav. Malay marut ko kaha shital mand sugandh vayu. Van upvan sab sundar aphraon se kaha samne ham nahi rahenge. Piche se nritya karo piche se. Aisa jal racha ki yog yogendron munindron ke guru hai bhagwan shiv jitni kam ki takat thi saka kala kar koti vidhi haro sen samet chali na achal samadhi shiv kop hriday niket sab kala kar liya kuch fark nahi para bhagwan shiv ki samadhi mein wo apne hi swaroop mein bahut krodh aaya kam ko ki jis kam ke liye aaya wo to kam hi nahi bana.
samne ek vriksh vat vriksh ke niche bhagwan shiv dur kitna dur aapne kal suna 75 yojana dur 75 yojana dur ek aam ke vriksh ki dal mein chhipkar panch baan ka sandhan karke bhagwan shiv ke upar ek saath chhoda. Kan tak khinch karke Kamdev ke teeksha ba panchon jakar bhagwan shiv ke hriday mein lage. Aankh khol diya. Ye dekho kitna prabal hai. Bhunga ho ke taal thokte hain. Apne log bhunga hokar taal thokte hain. Are socho pancho baan mare to shiv ki samaj bhang ho gayi. Isliye Radha Radha Radha Radha shiv ji ne aankh kholkar ke kaun aisa jo meri samadhi ko khol sakta hai?
bhagwan shiv ki drishti amog hai. Turant dekha aam ke pallav par chhupa hua kam baan sandhan karke mara. Shiv ji do band kar liye. Tisra khol diya. Do se dekha aur do band kiye jo tisra main ped sahit bhasm ho gaya shiv ji ki tisra netr kholte hi rakhe mili wahan na kam na kam ke dhanush na baan na ped thodi mutti bhar rakh padi thi wahan shiv hai ab to hahkar mach gaya pure sansaar mein jitne sadhak the yogi vairagi gyani bole jai bhagwan kam bhasm ho gaya. Sari jhanjhat to isi ki thi. Bade-bade darte isse.
sab ne kaha bhagwan tumhari jai ho. Zindagi bhar ke liye ab koi chinta nahi kyonki yahi chinta hai. Bade-bade sadhak aur sab nachne lage. Yogi dhyani gyani bairagi. Ab kya kam bhasm ho gaya. Vijay jogi akantak bhae patigat gati sunat rati murchhit bhai. Rati ne suna hamare pati ko bhagwan shankar ne bhasm kar diya. Rote hue gaye. Charan pakda Ashutosh kripalu shiv aap hamari raksha karen aapne to hamare suhag ko bhasm kar diya prabhu aap kripa karo to kaha theek hai tumhare pati ka naam aaj se anang hoga sharir to nahi denge ham samarth de denge bina sharir ke sabke hriday mein apna prabhav rakhega anang sharir rahit par sabko apne adhin karne ki samarth aur sharir se tum milogi jab jadwansh Krishna avtara hoeeh haran mahamhi bhaar Krishna tanay hoeeh pati tora vachan anytha hoi na mora thoda jao intazar karo jab bhagwan Dvapar mein Krishna rup se
avtrit honge to unke putr pradyumn ke rup mein tumhara pati sharir dhari tab tum miloge abhi to anang rup se rahkar pure jagat par shasan karega rati prasann hokar bhagwan shiv ki kripa manati hui chali gayi ab devtaon ne sab samchar suna sidhe Baikunth pahunche brahma ji ko brahmlok se Baikunth se hari ko aur kaha prabhu turant Kailash chalo dobara samadhi na lagne pave kyonki phir wo apne man ko samadhi mein laga lenge vivah ki baat turant rakh do chal ke ab samay mat do sab gaye aur bole kripa sindhu bridhwaj yad honi chahiye aapse kaha vivah aap samadhi mein baith gaye to bhang to ho gayi samadhi sakal suran ke hridyas shankar param uchhahu nij nain dekha chahe nath tumhare vivah kaise aae sab bhole prabhu ham to sab barati banne ke liye bilkul tayyar hai dulha ban jao aap aur vivah ab samay nahi denge aapko samadhi ka prabhu Parvati ne apaar tapasya ki aapki prapti ke liye ab angeekar kijiye.
bhagwan shiv muskurae. Brahma ji ne kaha dhundh bhi bajna shuru ho gayi. Jai ho. Brahma ji ne kaha sab tayyari karo. Barath ki tayyari karo. Kyonki inke paas tayyar hone ke liye koi vyvastha thodi tab tayyari karo. Nagade bajne lage. Jai ho jai ho. Bhagwan shankar ne kaha ki sab rishiyon ne hamen bataya tha Parvati ji ke prem ko to brahma ji ne kaha hamne unko ghar bhej diya hai aur hamne suchna bhi ki vivah ki tayyari karo wahan to tayyari pehle se shuru hai ab aap tayyari kar lo brahma ji ne kaha deri ki baat nahi hai lagan idhar lagan mangal kalash himwan ke darwaze par Kailash mein kya mangal kalash suman vrshti ho rahi hai brahma ji ne kaha dekho dulha rahoge aap par age nahi rahoge sabse piche tumhari barath rahegi sabse piche bhagwan shankar lage savaran sakal sur bahan vivid viman ho shagun mangal subad kar Apsara gaan ab apne apne sab wahi Kailash mein shringar ho raha hai bhagwan Vishnu ki alag brahma ji ki alag Devraj indra ki alag vayu devta ki alag Varun devta ki alag bhagwan shankar ne hunkara bhara ki aa jao bhai hamare parsad hamari bhi to barath saath hai to aao sab hamen shringar karo.
to dulha ka shringar ho raha hai. Dulha kaun hai? Bas yahi dhyan rakhna hai. Devdhidev mahadev to ab inka shringar kaisa hoga? Aur inki barath kaisi hogi? Aaj kar lene do shringar. Kal vivah karte hain.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…