ekantik vartalaap evam darshan #1335
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
ham kahte hain ki ham aapse prem karte hain. Aapko utha ke bhagwan tak pahunchane ke liye prem karte hain. Aapko hamen zaroorat pare bolne ki kya zaroorat? Hamen zaroorat pare to ham apne pran aapko samarpit kar sakte hain. Aap chalo bhagwan ki taraf chalo. Har kasht ki sthiti mein bhi chal ke ana, aapse baat karna, aapse milna aur kaun sa swarth hai aap batao? Bolo aap kaise param pad ko prapt honge? Hamari baat kaise manenge? Pyar ka matlab hota hai aapko sukh pahunchana. Aapse sukh lena wo dhanda hai pyar nahi. Pyar shabd bahut nirmal hota hai aap.
wo sirf sirf apne pyare ko sukh pahunchana. Bas itni baat. Agar aap dridta purv ham kah rahe hain kutte se bhagwan prakt kar liye. Namdev ji ne nahi prakt kar li yar agar ham kisi se pyar karen to usmen bhagwan nahi prakt kar sakte ham pashan ki murti mein bhagwan prakt kar lete hain pyar ke bal se ham mitti ki murti mein bhagwan prakt kar lete hain ham chavi mein bhagwan prakt kar lete hain to inme bhagwan nahi prakt kar sakte ham jise pyar karen use apna bhagwan man le aur usko sukh pahunchane lage aur puja ki zaroorat nahi wahi bhagwan prakt ho jaenge jaise mata-pita se pyar kiya pundrik ji ne to aaj bhi vitthal bhagwan jo unhin ko darshan dene ke liye aae the.
agar ham kisi se bhi pyar karen aur aisa pyar karen jise pyar kahte hain to usi mein bhagwan ka darshan kyonki sab mein bhagwan hai kaho so kahan jahan prabhu nahi sab mein lekin ham vasna ka khel khelte hain pyar nahi jab hamare dharm ki paddhti hai ki ham pani grahan karke hi phir is karya ko karte hain to hamari mariyada mein raho shastr mariyada mein raho pavitra dekho aap chaho aapko kaisa sathi mile jab aapse ekant mein pucha jae ki aapko jeevan sathi kaisa aisa mile to aap yahi kahoge ki kuch bhi ho lekin wo hamen pyar karne wala mile.
hamare siva kisi ki taraf dekhe na to dusra kya mangega? Yahi mangega na? To kya us layak ho tum? Ek baat suno. Tumne apne jeevan ko pavitra rakha nahi rakha. Tumne apne jeevan ko apvitra kar diya. Ab wo aadat kahan jaegi? Aap ek patni vrat ek pativrat rah sakte ho. Aur agar yah pyar nahi to grahasti kis kam ki rah gayi? Aap dekh rahe ho aapki patni kisi se aur se mil rahi hai ya patni dekh rahi pati aur se mil raha hai. Kya jeevan hai yar narak jeevan hai. Din bhar mehnat karke gaye gale se mile pyar se baithe to wo parivaar parivaar hai.
wo ek sadgrihasti ek puja hai. Hamara bharat desh hai. Ye ye koi videsh nahi hai ki aaj inke saath kal unke saath wo lakshan ate ja rahe hain videsh ke. Nahi hamara desh din bhar mehnat karke chahe nokri vyapar kisani karke ghar mein gaya muskura ke baat ki prem se mile aur ek atmeeyta ek apna priyata ab to wo rahi nahi gayi hai kitni pavitra thi pati aa jae to patni uthkar khadi ho jati thi aadar kar aur pati use apna pran manta tha kitna pavitra matlab byah dekh ke nahi hota tha bujurg log tay karate the dekhte to tab the jab pati patni ban jaate the aur usi mein pura jeevan nirvah karte kitna pavitra to vanshavli kul pavitra sab pavitra ab pata hi nahi chal raha hai ki kaise hamare dharm ki raksha ho bada vichitra khel chal raha hai.
ab ek aur chal gaya liv in relation. Ye aur kaun si riti hai? Ek bar jiska hath pakar liya jisse dosti kar li to bole aisa ki agar aapko pasand na ave to aap chhod sakte hain to matlab ye koi dukan ki vastu hai yar hamare jeevan ke saath khilwad kyon ham pasand nahi aae aisa kaise yar phir matlab maharaj ji kal kal ki baat hai maharaj ji ek koi sharanagat bachchha tha 21-22 sal ki umr ho gayi maharaj ji uski uski shadi hui abhi aath mahine pehle abhi kya kal aake sidha milna chah rahe the to itna roye itna roye kah rahe hain ki abhi wo jo dharmpati thi, wo kisi aur se baat pak karte hue uski rikording usne sun li aur kah raha ki ab itna zyada ho gaya.
pehle socha tha ki aisa-sa jeevan vyatit karenge Vrindavan mein. To abhi pura dil hi tut gaya. Abhi matlab kahan jaen? Har bachchon mein rog fail raha hai. Vybhchar pravriti badh rahi. Sabke paas mobile hai. Wo bade wale smart kahte hain. Haan smart. Haan. Ab usko aap search karo. Duniya aa jaegi usmen. Ab ye jab duniyadari dekhoge to duniya ke nahi to hamen lagta hai ki wo grahasti bahut sundar jeevan hai. Bahut sundar jeevan apna bachchha apni patni apna parivaar dinbhar mehnat kiya aae thodi der aarti puja bhagwan ka naam jap hanse khele pura jeevan kitna kitna badhiya jeevan lekin grahasti narak ho jaegi agar yah jaisa chal raha hai na ye grahasti narak ho jaegi aap ye samjho age chalkar aisi samasya apne samaj mein ane wali hai ki pata nahi chalega ki kaise grahasti chalai jae kaise chalai ab wo aadmi din bhar jal raha hai dimagi aur wo kahan nokri karega jahan jaega wahan uska dimaag jal ki yar mera sathi bebhchari hai.
wah kisi ke bhi saath ja sakta hai. Ab na to arth uske hath mein de sakte hain aur na apna dil hath mein de sakte hain. Ab donon chijon se alag kaise ek makan mein rah sakte ho. Kaise ardhangini aur pati ban ke rah sakte? Ab ye samasyaen badhti chali ja rahi hai. Mera vishwas hi tut gaya hai. Matlab main baat bhi nahi kar pa raha usse. Haan bilkul bilkul bilkul nahi ham is vishay ko bahut ab par hamare bas mein nahi hai na. Aap log sudhro tabhi sudhar sakte ho hamko hamare bas mein nahi ham to aapko har ekantik mein chahte hain ki yah baat jae naye naujawan bhai hamare hath jodkar prarthna hai wo samjhe sudhre nahi aap man rahe ho tum kisi ladki ke saath aisa kar rahe ho aur sochte ho ki byah to dusra kar lenge to phir tumhen jo ladki milegi wo waisi jab hogi tab bhagwan sab mila dete hain waise hi waise bhagwan ka karya hi yahi hai jaise ko taisa milana aur jab jaise ko taisa milega to jeevan kya rahega yar pavitra mein
hai anand prem mein anand hai nahi anand vybhchar mein anand nahi aap sachchi maniega jise ham pyar karte hain usko dekhne mein sukh milta hai usse baat karne mein sukh milta hai uske paas baithe mein sukh milta hai to ham kahte hain bhagwan ne racha hai ye khel racha hai to ek sima bhi apne yahan rakh di pyar jaise unhone kaha to pyar karo to usko sukh dene ke liye karo jiske prati samarpit ho gaye bahut hriday lujluja hai sabka koi kitna kitna bhi gande swabhav ka ho agar pyar kiya jae to use apne adhin kiya ja sakta hai.
par jo vybhchar pravriti ka hota hai wah dhokha dega. Wah adhin nahi hoga. Wo aapse pyar ka natak kar sakta hai. Lekin aapko kyonki ganda hriday ho gaya na. Gandi aadat ho gayi. Isiliye ham bahut pareshaan hai ki hamare jo samaj mein girlfriend, boyfriend living relation ye chalne laga. Ye bahut nashkari hai. Hamen lagta hai sudhar jana chahiye. Sudhar jana chahiye nahi. Ye char din ke boyfriend girlfriend hai. Puri zindagi tumhari barbad ho jaegi. Jab tum apne jeevan ki shaili par khade hoge tab kisi kam ke nahi rahoge.
ab kya zindagi hai? Ab ise kaise sambhale? Kaise sambhale? Aap log matlab apni buddhi ko roke, galat acharno se, apne putro ko roke, apni putriyon ko samjhaen. Ham to kahte hain mitra jaise baithna chahiye. Mata-pita ko aaj ke bachchon ke saath dost ki tarah baithna chahiye. Aao baitho. Aur unko samjhana chahiye. Jo galti ho gayi ho gayi. Aaj se sambhalo. Aaj se tum pavitra jeevan karo. Ham har jagah se tumhara sahyog karenge. Kai bachchhe nahi karna chahte to blackmail hota hai. Ek bar galti se ho gaya kisi mitra ke saath to phir ab usko blackmail kiya jaata hai.
phir wo bachchhe apne jeevan ko kar lete hain. Ki aap kisse mata-pita batayen? Mata-pita bade garm dimaag ke wo galti mata-pita se nahi bata sakte. To hamen lagta hai thoda dost to bhav lana chahiye bachchon mein jawan bachchon mein aur mitrvat baithaal kar samjhana chahiye ki aiseeaisi galtiya aise fansa sakti hain. Yadi tum kahin phas rahe ho to mujhe batao main tumhen bacha sakta hoon. Nikal sakta hoon. Tumhare sukh ke liye tumhari vyvastha kar sakta hoon. Yadi wo vastvik tumhara dost hai to uska saath tumhara byah kara sakta hoon.
aise mitrvat vihaar karna chahiye. To usse hamare bachchon kiyan sudhrengi aur agar aise chhod diya to phir wo nasha mein pahunchne lagenge. Phir galat acharno mein pahunch jaenge. To hamen lagta hai pyar ka yahan durpayog hi hai. Shabd ka sadupyog to ekmatra koi bhagwan ka aashray ya dharm ka aashray lene wala karta hoga. Nahi to pyar ka to maharaj ji hamare bachchhe aapko sunte hain ham bhi sunte hain. Hamare bete 10 sal ka beta hai aur 13 sal ka beta hai. Donon roz shri ji ki puri seva karte hain.
haan kyonki satsang sunne wale ki buddhi pavitra ho jati hai aur usmen acharno mein parivartan hota hai. Waise bahut se bhai log kahte hain hamara parivartan ho raha hai. Satsang sunkar ke bahut se bhai log kahte hain isiliye ham prayasat hain. Bhagwan se prarthna hai ki jinaj ke kan mein pahunche wah shabd unki buddhi unko pakde. Maharaj ji aapko dekh ke hi ham sabka jeevan badla hai. Roz aapko dekh ke ye kahte hain ji ham jaise nastik bhi badal gaye. Ji nahi nahi nastik nahi sab bhagwan ke jan ho. Haan bhagwan ke jan ho.
maharaj ji ham log america mein rahte hain. Wahan ke har ek school mein ab mobile mein ladkiyaan aur ladke sab ab aapka video dekhna shuru kar diye hain. Jab bhi samay mil raha hai jaise risej mein mil raha hai tiphin khane ate hain ya kuch karne ate ho to aapka chalta rahta hai. Un log bhi sochte hain ki kaun se hi pile kalar ka aap kya dekhte rahte ho kya? America mein bhi har ek school mein jitne bahut sare indiyans hain indiyans ke bachchhe hain to sab aapki daya se sab log dhire dhire dhire dhire ek to ye prabhu ka kabhi-kabhi hawa chalti hai to is samay jaise bhagwan ne mangalmay ek hawa chalai hai ki har jeev ka parivartan ho jae har jeev mangalmay ye kabhi-kabhi hota hai ismen hamara kuch nahi hai ye unka hai karen karave aap sab jane badhai den apne das ki bai karate karte prabhu wahi sab kar rahe hain to hamari yahi ichchha hai ki kisi tarah ye vybhchar aur vyasan do baten bandhu ye jo kuch nahi hona apne ko badlo apne ko badlo ek ek badlo hamara pura bharat badal jaega harshavardhan sinh ji shri Harivansh radhav shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji yadyapi jeev jagat ko nashvan samjhta hai aur yah bhi manta hai ki nahi kahan samjhta hai are bachchha ye baten samjhta kahan hai samjh gaya to phir rona kya jag gaya to sona kya samjh kahan gaya?
samjh to yah keval baten hain. Bachchha samjh rahe ho na? Yah samjho jo ham kah rahe hain. Keval baten hain pravachan ki. Pravachan ko jeevan mein utar lena yah bachchha alag baat hai. Agar yah baat samjh mein aa jae ki sampurn jagat nashvan hai. Brahm satyam jagan mithya to bahut unchai par pahunch chuka mahapurush hota hai. Koi sadharan thodi hota hai. Wo bhagwan ke bilkul nazdik pahunch chuka hai. Yahi to bandhan hai sansaar aur wah jaan chuka hai. Nashvan hai. To ab nashvan mein asakti jaise abhi ham ₹000 ki ek tali aapke samne palta den.
aapko itna itna bhi akarshan nahi hoga kyonki jante ho ye chalta nahi hai aur ek 500 ka note para ho raste mein to jhula jhulne lagenge. Ek kadam age ek kadam piche nahi hoga. To iska matlab hai ki abhi note ke prati asakti nahi gayi. Wah pata hai ki chalta nahi isliye asakti ismen nahi hai. Yah chalta hai to ismen asakti hai. To ham un bhogon ke liye kah sakte hain jo hamare ko aprapta hai. Sab jhuthe hain. Lekin jinme hamari asakti jo hamen prapt hai unko ham bhog rahe hain. Isliye yah gyan adhura hai.
is gyan ka mahatva nahi. Ab aap prashn karo. Isi ko karo. Accha jeev aap apne se sambodhan kar rahe hain. Yah bhi manta hai ki jeev deh ka tyag karke alag ho jaata hai. Phir bhi uske man mein jagat ki pradhanata nahi milti. Yadyapi wah parmeshvar ko samasth sukho ka sindhu manta hai. Phir bhi paramatma mein usko ye bachchha likhi padi baten hain. Tumhari ek bhi baat ismen nahi. Ye to man lo granthon se likhi padi baten hain. Ye tumhari likh hamare yahan uttar hota hai jo tumhare ko samasya ho kyonki wo to sab ho hi raha hai.
sidhe jo tumhare hriday mein samasya ho sadhna mein to us samasya ka samadhan ho. Tumhare ko kya samasya hai? Maharaj ji waise hamen pata hai ki bhagwan ke alawa hamara koi bhi nahi. Use ekantik suna hai aapne ki nahi suna? To hamne kai bar kaha jo tumhen pata hai jiska prayog nahi kar pate ho to tumhare andar bhajan ki kami hai. Apni jankari ka sahi samay par sahi prayog na kar pana bhajan ki kami hai. Agar aap naam jap karoge to theek samay par apni jankari ka prayog kar paoge. Jaise mujhe jankari ki aisa drishya nahi dekhna chahiye.
aisi kriya nahi karna chahiye. Aisa padaarth nahi khana chahiye aur hamse zabardasti ho jaata hai. Hamen pata hai. Uska karan hai atambal ki kami. Adhyatma bal ki kami, bhajan ki kami. Adhyatma nitya vinivritta kama. Adhyatma nitya to vinivritta kama. Agar adhyatma sthiti hai to samasth kamnao ka tyag swabhavic ho jaega. Naam jap karo bachchha. Hamare paas ek hi dawa hai kyonki jaise deh aur unke sambandhi mein jaisi priti rahti hai aise santan aur prabhu mein kam rahte hain. Malan hriday jab nirmal hoga to nirmal jan man so mohe pava moh kapt chhal chhidr na bhawa jab nirmal man ho jaega to prabhu aur prabhu ke jan pran pyare lagne lagenge.
isliye nirmal man ke liye vivek chahiye. Kyonki vivek vichar ke dwara hi ham asat kriyon ko tyag kar sat anusthan karke man ko nirmal kar pate hain. Aur vivek hota hai satsang se wah tumhen prapt hai. Ab naam jap karo. Jitna naam jap karoge utna hi man nirmal hota jaega. Utna hi aapko sansaar jhutha nazar ane lagega. Yahan tak ki agar bhagwat tatv ka bodh ho jae to sansaar gayab ho jaata hai. Je hi jane jag jae. Jage jatha swapna bhram jai jaise swapna mein jagne par pura mithya swapna lagta hai aise hi jab hamen paramatma tatv ka gyan ho jaata hai to sansaar jhutha nazar aata hai par ye sab baten likhi hui hai inko anubhav karne ke liye pura jeevan lag jaata hai bahu naam janm namte gyanvan naam mam prapaddyate vasudeva surmitsa mahatma sudurlabha bahut janmon ki sadhna to naam jap menne lago to bachchha baat banegi brahmcharya se raho.
gande drishya mat dekho. Gande bachchon ka sang mat karo. Ganda ahar mat karo. Naam jap karo. Sab ye jo likha hai wo tumhare dimaag mein chalne lagega. Wo tumhari anubhuti ban jaega. Wo anubhuti hi kam karti hai. Nahi to pravachan kar le aur maya ke sang khele. Maya ke parsado ke sang khele kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar to kis kam ka gyan? Kis kam ka? To isliye naam jap karo pavitra bhojan pao. Achhche aacharan karo mata-pita ki seva karo maharaj ek meerabai ka ek bhav ek line mein suna de ek line sunana hai to suna do guru ke gyan rangu tan kapda guru ke gyan rangu tan kapda man mudra ye guru ke gyan gyan ka tatparya guru ke gyan se main tan ka kapda rangungi gyan gyan gyan aap nan bol rahe ho na gujrati mein ham gyan bolte gyan gyan accha accha to gujrati to hamen aati nahi haan guru ke gyan guru ke gyan rangu tan kapda man mudra pahungi man mudra pahungi prem prit se main hari gun gaun prem prem prit se main hari gun gaun charan lipt rahungi ho main to charan [gana gane ki aawaz] lipt rahungi main vairagya [gana gane ki aawaz] rahungi ji mukesh ji Vrindavan se shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji mera prashn hai ki kya bhagwan se kuch maang sakte hain yadi haan haan to ye kya manga jana chahiye?
kyon nahi maang sakte? Hamare bap hai. Apne bap se nahi mange to padosi se mangenge. Kaun aisa jiske andar kamna nahi? Tum apne bap se mange wo to akhil lok brahmand pati hain. Jo chahiye wo mangie. Bhagwan ne charon ko bhakt kaha hai. Ar artharathi jigyas gyani sabko kaha hai. Yadi hamen laukik sampatti chahiye to ham kisse mangenge? Aapne hamare ko parivaar diya hai. Aapne vihaar diya hai to hamko upay bhi dijiye. Aap direct na dijiye to upay dijiye jisse ham apne parivaar ka poshan karen jisse ham samaj ki seva karen agar hamen arth chahiye to ham aapse mangenge hamare dukh nivitti chahiye to aapse ye sadharan bhakti mein hai prem lakshna bhakti mein nahi ham iska mandan bhi karte hain aur iska khandan bhi karte hain prem lakshna bhakti mein nahi jab hamne apna tan apna jeevan sab kuch aapko de diya to phir mera raha kya jisse main mangu mera kya hai jo main mangu man lo main aapke hath bik aapke naam mein sharir kar diya, pran kar diya, hriday kar diya, jeevan kar diya.
to he jeevan nath ab iska bhaar to aapke upar hai. Ham kya mange? Aap sarvagya ho aap jante ho. Yah hai yahan se prem lakshna shuru hoti hai. Wo hai sadharan bhakti jismen mera parivaar hai. Main parivaar ko jimmedar ek vyakti hoon. Aur prabhu aapse main maang raha hoon ki mere parivaar ka aur ek hai nath sakal sampada tumhari. Main sevak samet sut nari. Aap sarvagya ho. Aapse kya mangna hai aapko jo manave jaisi paristhiti do ham usi mein raji hain joi joi pyaro kare soi mohe ra samjh pa rahe hain aap mangna bhi theek hai sadharan bhakti aur mangna bilkul nahi theek hai kyonki hamen pata hai aap sarvagya ho yah asdhran prem lakshna bhakti ki taraf ja raha hai to ab yah dekhna ki hamari gati kahan hai agar hamari gati sadharan bhakti mein to mangna bhi aayega agar prem lakshna bhakti mein to hamen aap jo vidhan karoge wo aapke paas paas se hi hokar aayega.
ham usi mein raji rahenge. Ham kabhi aapse yachna nahi kar sakte. Aur agar yachna karen to sirf aapki hi karen hamara man ki aap mil jao. Prabhu mil gaye jinke prapt hone ke baad phir kuch prapt karna baki nahi rahta. Jinke jaan lene ke baad phir kuch janna baki nahi rahta. Ham wo baat mange. Agar ham prabhu se mangenge bhi to kya? Jaise ek ganv ka aadmi kisi seva karya mein tha to usse prasann ho gaye. Chakravarti samrat badshah bulaya. Kaha jo tumhari ichchha ho tum maang lo. Ganv ke aadmi ne socha ki do bhens unke liye sal bhar ke liye bhusa mil jae.
char log ghar mein hain unke khane bole malik do bhens hain. Sal bhar ke liye bhusa mil jae aur sal bhar ke liye bhojan mil jae. Kaha are bavare tu kisse maang raha hai? Samrat se maang raha hai. Nagar ka nagar de sakta hoon. Jo chahe maang uski himmat nahi thi. Garib aadmi ki himmat nahi padi ki wah apni aukat se hi to mangega. Apni samarth se hi to to sahi pocho to mangne mein ghata hua na uska. Agar wo ye kah deta badshah se ki malik jo aap chaho de do. To wo apni sthiti se deta hai. To uchit yah hai chaturi yah hai ki ham bhagwan se yahi kahe ki jo tumhen accha lage wahi karo.
to wo apni sthiti se denge aur ham mangenge to aise hi kuch mangenge jo us taip hoga. To hamen lagta hai bhagwan se kahna chahiye ki aapki jo raji ho wahi karo. Hamari raji ki kabhi mat karna. Aap apni raji ki karna. Kyon? Maharaj ji yahi prashn tha ki hamko to mangne ki tameej nahi hai to hamen kya mangna chahiye? Mil gaya na uttar. Ji haan maharaj ji Vrindavan mein kis bhav se rahna chahiye maharaj ji? Jis bhav se rahna chaho us bhav se rah sakte ho. Nahi jismen hamara kalyan ho. Ghar bhav se rahna chahiye.
mera ghar hai. Mere ghar wale Priya pritam hai. Main unka hoon. Bhul gaya tha. Pardesh chala gaya tha. Laut ke ghar aa gaya. Aae milo parivaar aapne hari hasi kanth lagayo bo bhag Vrindavan payo hamara ghar hai hamare Priya pritam ke ghar mein to hamara ghar to ham jaise apne ghar mein darwaze par dona para ho to usko hata ke phenk denge na to ham Vrindavan ko ganda na karen Vrindavan ko apvitra na karen aur ab apne ghar mein matlab Priya pritam ke ghar aae hain to yahan koi gandi baat na karen koi gandi kriya na karen aur ghar jaisa bhav rakh ke rahe to badhiya rahega agar ham aise bhav rakhen ki Priya pritam ka dham to phir aparadh phir papacharan jo ban jaega phir to ye jaise bhav se rahoge waise aap agar ghar bhav se rahoge galti bhi ho jaegi to Vrindavan prabhav sun apno hi gun det jaise balak malin ko mat god bhar let dusra dekhega ki balak soch lapete hai lekin maa dekhegi nahi maa mera balak hai aise Vrindavan dekhta hai mera aashray liye hue hai to uske malin paap aacharan ko nahi dekhta aur agar aap is bhav se rahe bhagwat ke bhav mein to phir kanun lagu ho jaega.
jaise rashtrapati ke parivaar wale wahan rahte hain to unke upar koi kanun to nahi hai. Koi janch to nahi hai lekin koi rashtrapati se milne jae bahari bankar. Ab puri puchhtachh janch ho aur har aap kyon milna chahte ho? Kya to aap apna ghar mankar kyonki dastv hai na ham log Priya pritam ke hain. Ismen sanshay hai kya? Priya pritam ke yah pakka hai na nahi sahi bolo haan to phir apne ghar mein aa gaye apne ghar mein agar pakka nahi hai to phir sanshay phir to bhagwan manoge aap aur bhagwan manoge to kanun lag jaega rashtrapati hi mankar milne jaoge to kanun lag jaega hamare ghar ke hain hamare dost hain phir kanun nahi lagega to ghar ke matlab hai dasy bhav sakhya bhav vatsalya bhav gopi bhav sahachari bhav koi na koi bhav to hai na to apne ghar ke hai na Priya pritam aur Priya pritam ke ghar mein ham nahi rahe bas is
bhav se raho samjh pa rahe ho ji maharaj ji main brajvasi hoon main pehle bhi aaya tha aapke paas main man ko saaf nahi kar pa raha hoon aur mera man swachchh nahi hai aap kahte hain ki nirmal man donon baten suna hoga abhi ek hi baat pakde ho donon baten suna satsang suna wo to yad dila rahe hain jab aapke bas ki baat na rah jae to shri Krishna ko de do tan de do tanwang man ramle shubham ta vastita yah makan jaisa hai vaisa ham jiske naam kar dete hain phir hamari jimmedari khatm ho jati hai yahan ka makoda yahan ka chhipkali yahan ka sab usi ke naam ho jaega jisko makan denge to hamare man ki malinta hamari indriyon ki vasna wo sab bhagwat swaroop ho jaegi jis samay tanwang manobh malai soham tavita do siddhant pakdo yadi tumhare aham mein takat hai to nirmal karke bhagwan ko samarpit kar do yadi nahi takat hai to jaise ho jo nar hoi charachar drohi ave sab sharan tak mohi koti vipr badlave jahu aae sharan tajo nahi tahu to do ek marg pakar lo to aap kahte hain maharaj ji ki [gala saaf karne ki
aawaz] nirmal man so moh pehle hamari donon baat pakar liye na to aap kya puchna chahte ho main ye kahna chahta hoon ki mere andar itna samarth nahi mere andar itna bal nahi hai. To ye marg bata to diya jab ek goli kam mein na rah jae kam layak to sarendar to tabhi hota hai na sarendar ho jao sharanagat ho jao bhagwan ke wo bhagwan kah rahe hain jo sabhi tava sharnai rakh tai pran ki nai isiliye marg batae gaye hamare shastron mein bahut marg isiliye batae gaye ki agar apne ko jante ho main kisi yogya nahi rah gaya to he Priya lal main aapki sharan mein hoon sharanagat ho jao sara bhaar prabhu sambhal lenge jan avgun prabhu man na kaun din bandhuti mridur swabhav samjh rahe ho na rahat na prabhit chuk kiye ki karat surat sah bar ye ki hriday se tumne bhagwan ko man liya isi se kam ban jaega wo apna nirmal kar lenge man hamare paas sabun nahi hai ki ham man nirmal kar le ham jitna nirmal karna chahte hain utna ganda hota jaata hai ham prayas kar rahe hain mere banae banegi na koti kalap lo aapke banae banegi pal pav mein aao is marg mein aao ek siddhant pakar karna hoga.
ek siddhant hai ki prabhu aap agyaa kijiye main waise hi chaluga. Yah hai nirmal man karne wala aur ek ki agyaa karo ya na karo maharaj ham pehle batae de rahe hain. Ham are bas ki baat nahi ki main ham aapke layak ban jae. Aap apne layak bana lena prabhu to chahe jitna adham ho wo bhagwan ka ladla ho jaega. Samjh rahe hain aap? Vinod kumar ji. Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji pichle 3 varsho se desh mein rahte hue 3 ghante aur bete ke paas videsh mein 5 ghante aapko sunta hoon. Gurudev aapke prati mere man mein apaar aadar aur apnapan hai.
Gurudev bhagwan gita ke satwen adhyay mein satwen shlok mein bhagwan kahte hain ki mat partram na kinchit Dhananjay maharaj ji mere ilava dusra koi karan nahi hai. Bahut sankoch aur aadar ke saath das puchna chahta hai ki jab koi dusra nahi hai to apni pujya shri Radha ji aur kya lal ji wahi Radha ji aur wahi lal ji haan rasoya parmanand ekav dudha sada shri Radha Krishna rupabhyam tas tasmai namo namah jo paramanandmay ras tatv hai wahi do rup dharan karke Priya pritam ke rup mein khel raha hai aur wahi bahut rup dharan karke stri purush jad chaitanya ke rup mein khelnaa matta partar nyat kinchitta Dhananjay mere siva kinchin matra kuch aur nahi hai.
par yah anubhav karna hoga. Jaise hamne ye padh liya ye yad kar liya par hamko stri stri dikhayee deti hai. Purush purush dikhayee deta hai. Accha accha dikhayee deta hai. Bura bura dikhayee deta hai. Ab hamko sadhna ke dwara yah drishti prapt karni hogi ki sampurn srishti shri bhagwan hi bane hue hain. Ab jab tak yah drishti nahi hogi tab tak hamen dukh hoga. Bura milne par, accha milne par sukh hoga. Yah sab bana rahega. To wah gyan kis kam ka? Jisse ham dwaand na mita paye, dukh na mita paye. Gyan to wahi jo prayog mein aa jae.
gyan to sabko hai lekin prayog nahi hai na. Sharir mein dukh aaya to billane lage. Vipatti ai to hai hai karne lage. To phir gyan kis baat ka? Mrityu ka avsar ane par bhi muskurahat na mite. Tab to gyan samjh mein aaya. Nahi. Ab sab mein bhagwan hai to yahan bhi bhagwan hai. Jab kinchin matra koi aisi jagah nahi jahan bhagwan to yahan bhi bhagwan hai na. Jab sab bhagwan hai samjho to phir ye kya hai? Khatm khel ho gaya. Jeevan mukt ho gaya. To hamen abhi gyan keval padh likhkar hai. Anubhav wala gyan to hai nahi na.
jab anubhav wala gyan aayega tab jeevan mukt mahapurush ho jaega. Isliye bhagwan ne kaha bahu naam janm navante gyanvan mam prapajte vasudeva bahut janmon ki sadhna ke baad ye gyan prapt hota hai ki sara jagat bhagwan ka swaroop hai. Jaise goswami ji ko gyan prapt hua. Siya Ram main sab jag jani karo pranam jor jug pani sab Siyaram virajman hai ab apne to aisa nahi dekh pa rahe to isliye gyani purush dekhta hai jaise Upnishad tatwadarshi mahapurush sarvam khalmidam brahm sab brahm hai lekin aisa anubhav hona yah jeevan mukt baat hai aur aisa keval gyan hona isse jeevan mukt nahi ho jaega.
gyan ka matlab hamen jankari ho gayi lekin anubhav nahi hai. Stri dikhayee deti hai. Purush purush dikhayee deta jad chaitanya accha bura sab aur bhagwan adesh kar rahe hain vidya vinay sampann brahmin gavistani swani chav swapake cha pandita haan jo kutte mein chandal mein hathi mein gau mein vidya vinay sampann brahmin mein ek hi paramatma ko dekhta hai wahi pandit hai. Wahi gyani hai. Bhagwan aisa kah rahe hain to ham khub naam jap karen, achhche aacharan karen, shastron ka swadhyay karen aur paropkar karen.
[gala saaf karne ki aawaz] paropkar ki bhavna se hriday bahut jaldi pavitra ho jaata hai. Aur pavitra hriday mein hi gyan sphurrit hota hai. Pavitra hriday mein hi vairagya hota hai. Pavitra hriday mein hi prem hota hai. Aur jahan manmani aacharan hai to pravachan bhale ho jae lekin anubhav nahi hoga. Aur anubhav ke bina phir pravachan kis kam ka hai? To gyan wahi jo prayog mein aa jae. Prayog tabhi jab bhajan hoga. Bhajan tabhi jab aacharan aur bhojan shuddh hoga. Aacharan bhojan shuddh hoga to bhajan hoga. Bhajan hoga to bal aayega.
bal aayega to kam krodh se lad paoge. Kam krodh se vijay hue to gyani ho gaye. Bhagat ho gaye. Premi ho gaye. Sab ho gaye. Phir sab jagah bhagwan nazar aaenge. Gurudev naam jap ki kranti ki hai aapne. Naam jap ka itna prasar jo bhai ji pehle ham bachpan se padhte the aur wo jo itna kiya hai aapne ek kranti ho gayi hai. Sab naam jap mein lage hue hain. Log jo hai jo bhi aapke anuyayi hai wo naam jap yahi pratham hai. Mukhya hai usi se gyan aayega. Gurudev aap jo kahte hain to naam jap ka ashirwad den. Ham naam jap bahut bada.
nahi khub sab naam jap karen. Hriday se chahe jaisi sharir ki paristhiti ho isiliye ham samay dete hain. Ye ₹1.5 lakh aadmi tha. Aaj to Gurudev itni bhid aaj haan. Raat bhar ham ab aap socho aap socho sardi ka samay log rajaaai se nikalna nahi chahte chhote-chhote bachchhe mai sab rod mein khade hain ab ham kah den ki ham aram karen kaise hamen aram aa jaegi aram to tabhi hai jab bhagwan hamare hriday mein na to ye bada sab rupon mein bhagwan ke darshan karte hain haan ye jarur hai ki praarabdh bahut bura aaya kidney phayl kar di ab sharir ki sthiti nahi hai aisi par phir bhi accha ham yah soch rahe hain ki jaise hamen pata hai ki beiman naukar bhagega to jitna kam karva lo kam karva lo
nahi to bhagega ki nahi bhagega aise mujhe pata hai ye sharir chhutega to isse jitna kam karo jitna jagat mangal ho jae jai din jie jagat mangal ho jae hamara bhajan hamari sadhna hamari swas swas hamare jan samuday ke liye aapka wo jo yuvaon mein wo chij ai hai na ekdam kranti Radha naam ko leke bhagwan ke prati matlab ekdam se samarpan gande aacharan chodna khanpeen chodna darubaji matlab jo karte hain na bachchhe wo chodna mere saath ke khud jo do teen log the main hamne unko samjhaya ki bhai ye sab chij sahi nahi hai to unhone chhoda hai aapka keval video dikha ke aapki jo pravachan hai aapki jo baten hain sir Gurudev maharaj main to itna dhanya ho gaya hoon ki meri meri do bachchyan mere ghar mein sare log aapko bahut achhche se mante hain pujte hain aur kahte hain ki sabka bhagwan bhagwan mangal kare sab vastav mein kranti ki hai vastav mein kranti naam kranti hamen lagta hai na aaj tak kabhi zindagi mein kahin pyar nahi mila to bhagwan ne antim samay pyar hi pyar dila diya dekho log sab itne pyare
hi to kar rahe bhagwan ke jan hai to bhagwan ne antim film sambhalne ke liye ye leela ki hai guru ji aapse seekhi hai ki mata-pita ka jo sammaan aur wo ghar pe karna chahiye bachchon ko wo aapse maine aapse behtar koi nahi bata paya aaj tak matlab ke kitne jo bachchhe hote hain ki wo apne mata-pita ke saath kis tarike se vihaar karte hain. Lekin maine dekha hai ki aapne jis tarike se jo aap aadar dilaya hai apne mata-pitaon ko apne parivaar janon ko maa-bap ke liye aap is tarah se baat karte hain na to maa-bap ke prati rag bahut badh gaya hai logon ka aur aadar badh gaya hamen videsh bulata hai bachchha to ham wahan aur zyada sadhna hoti hai jo aapne bataya wo panch ghante kar lete hain wahan se ye kahte hain ye pehle to aisa tha ab isko ho kya gaya hai ye mera dost hai aur ye bhi thoda ghar se thoda aise hi matlab pitaji ki nahi baat manna lekin abhi ye sthiti hai ke jo dhokne ke jo charnam karte hain na wo kam karte hain.
bahut sundar bahut aur hamen kafi matlab bacha liya aapne sir bahut logon ko harshit Sharma ji haridvar se Radhe-Radhe maharaj Gurudev aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj shri aapke dwara satsang mein kai bar aur kai prakaar se samjhane ke baad bhi ki guru aur hari do nahi hai. Meri asakti Gurudev ke prati hi hai aur shri ji ya thakur ji ke prati koi bhi bhav nahi hai. Lekin aisi sthiti hone par bhi guru agyaa mein bar-bar parast ho jaata hoon. Sthiti mein na idhar ka hoon na nahi ye to bahut sundar baat hoti hai ki guru Govind do khade kake lagu paye to balhari guru apne pehle hamare Gurudev dusre number par isht dev pehle Gurudev jab guru prasann sahab anukula miti sakal kalpit bhay sula je guru charan Renu anuragi te lokhu vedhu bhbhagi je guru charan Renu sir dharah te jan sakal vibhav bas karah ab yah baat hai ki anant janmon se ham man aur indriyon ke adhin rahe hain.
ek do janmon ke nahi. Jaisa man indriyan hamari kahti rahi vaisa ham karte rahe. Ab ham man indriyon ko adhin karna chahte hain. To ab ye ladai thoda lambi chalegi. Ye 10 20 din ya mahina do mahina sal do sal mein hi vijay prapt khub bhajan karo. Achhche aacharan karo to jahan har jao wahan dekho hamne kya shastr virudh baat ki. Agar shastr virudh baat nahi hogi bachchha guru ki agyaa ke virudh nahi chaloge to maya kabhi parast hi nahi kar sakti to guru agyaa lakshman rekha samjho aur jahan lakshman rekha nange to phir Ravan le hi jaega to hamare ko jo galtiya hoti hain wo ham unki agyaa ka ullanghhan karne ke karan agar agyaa ki ki nahi bhai ab guru agyaa hai to pran chahe nikal jae ham aisa nahi karenge bas guru agyaa mein bahut samarth hai bahut samarth hai kyonki bhagwan ne samarth rakhi guru agyaa mein tabhi to jagat ka kalyan hota hai.
hamen thodi pata hai ki hamse kya ho raha hai. Hamare bhagwan kar rahe hain wahi vani mein baith ke wahi hriday mein baith ke wahi sab kar rahe hain. To ab jaise aapke liye adesh hua ki aap aise chalo aur aap waise chalne lage to bhagwan ki kripa aap pe hui. Hamen pata bhi nahi hai aur aap nihal ho gaye. Bhagwan ki kripa hoti hai. To guru aur bhagwan do nahi hai. Wah ek hi hai. Par bhagwan sabke hriday mein virajman hai. Par sab dukhi hai. Sab pareshaan hai aur sab maya bandhan se yukt hai. Lekin wahi bhagwan jab Gurudev rup dharan kiye to maya mukt kar diye.
isliye bhagwan se bhi badhkar guru ka pad hai. Aur swayam bhagwan kah rahe hain mote adhik guru hi ji mere se bhi adhik guru ko manna chahiye. Bhagwan ka adesh hai to bhagwan hi Gurudev bante bando guru pad kanj kripa sindhu nar rup hari mahamohtam punj jasu vachan kar to jab hamse galti ho jae to phir ham hath jodkar Gurudev bhagwan se wahin se prarthna karen ki prabhu aapki agyaa ka ullanghhan hua aur mere se galti ho gayi kshma karo age ham sudhar karenge phir age galti ho jati phir ham yahi prarthna karte hain kyonki yodha kamzor nahi hai kam krodh lobh moh mad matsar ye chhotemote yodha nahi hai.
jab kam ne panch baan sandhan karke bhagwan shankar par prhar kiya to unki samadhi bhang ho gayi. Ham to jeev hai. Wo shiv hain. Jab shiv ki samadhi bhang kar sakta hai to jeev ki samadhi bhang karne mein usko kya der lagegi. Isliye ham bhagwan ka aashray rakhen aur ye kabhi har na mane ham. 100 bar hazar bar harne par bhi ham apni har na mane to ham jit jaenge. Aur agar har man ke nirash ho gaye ki yar ab to to phir ham gande acharno mein nikal jaenge ki yar zindagi mein hamne prayas kiya lekin asfal har prayas asfal hone par bhi ham asfal nahi honge ek din to safal honge hi ham to ham age badhte rahe bahut kasht saha jaata hai andar se tab in par vijay prapt hoti hai ye jlate hain andar kam krodh aadi jlate hain akarshit karte hain abhi to tum naye bachchhe ho to jab us jalan ko sah jaya jaata hai yam hi nathte pursham purush sam dukha sukha dheeram swamritatway
kalpte wo amrit pad ka adhikari hota hai isliye sah jao sah jao jahan har ho jae wahan prabhu se prarthna karo phir prabhu bal denge aur waise hamara pakka samjho bhagwat prapti nischit kiski jisne bharosa kar liya bhagwan bhrose ko nahi talte ek bar bhagwan sweekar ham abhi kal satsang mein sunaya tha ki Jagannath ji ki seva mein ang seva mein rahte the aur unka galat sang ho gaya vaishyagami ho gaye to jab sabko pata chala jo anya sevak the to sangoshti mein unhen bithala gaya aur kaha gaya ki Jagannath ji ke ang sevi ho ya to aap Jagannath ji ko sweekar karo ya vaishya ko to unhone vaishya ko sweekar kiya Jagannath ji ko chhod diya ab kuch samay baad un rog hua sharir pura ho gaya kyonki sharir to kab pura ho jae iska koi bharosa nahi to Jagannath ji ne swapna mein apne parsado se kaha ki uski ant kriya karo jaise hamare parsado ki hoti to unhone kaha prabhu usne to aapko chhod diya tha to kaha uska swabhav hai wo chhod sakta hai mera swabhav chhorne ka nahi hai Jagannath ji ne
usko param pad diya thode din ang seva ki aur vaishya kitna malin kam lekin Jagannath bhagwan jise sweekar karte hain use chhote nahi to ab ye ham kaise jane ki bhagwan ne hamen sweekar kiya hai agar bhagwan ne sweekar na kiya hota to sadhu samagam na milta ab moh bhav bhros hanumanta binu hari kripa nihar hamen sant samagam mila to iska matlab hai bhagwan ne mujhe sweekar kiya hai jab dravah din dayalu raghav to sadhu sangati paie to Vrindavan mein baithkar sant samagam kar rahe ho iska matlab bhagwan aap par prasann hai bhagwan ne aapko sweekar kar liya hai jitna bane khub naam jap karo jitna bane ladai lado jahan phayl ho jao wahan aise ho jao ki dekh lo prabhu hamari hamari samarth nahi aap samarth do to ham isko pachhade aur nahi doge to ham aise hi bane rahenge lekin kahenge aapke is par sanshay nahi hoga ham nich hain adham hain patit hain par he nath ham kahenge aapke haan ha kahavat sab kahat Ram sahit uphash Swami Sita nath so sevak tulsidas tulsidas ji kah rahe sab log kahte hain ki tulseeram ka aur ham bhi
thesak se kahte hain Ram ka ab maharaj aap dekh lo hamko kaisa banana hai wah aap dekh lo. Agar hamen kamni bana ke aap raji ho to ham raji hain maharaj. Aur agar aap na chaho to kam hamko attack kaise kar sakta hai? Aapki samarth sabko di gayi hai. Aapki ichchha ke bina kisi ki samarth ka prayog ho hi nahi sakta. Hamen kaise sata sakte hain kam krodh? To prabhu aap hi bachao mujhe. Mere banae na banegi koti kalp lo. Aapke banae banegi pal pav mein. Ji dharmesh ji Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji har wakt sone ka man karta hai nind nahi aa rahi ho phir bhi bistar par pare rahne ka man hota hai nahi nahi ye galat aadat hai is par sanyam rakho chha ghanta sone ke liye samay rakho hamne bachpan se abhyaas kiya nind na ane ka kyonki bhajan mein nind aati thi na aaj nind naam ki chij nahi hai to abhyaas kiya to nind ne hamko namaskaar bol diya yah log kahte hain doctor kahte hain ki aap vishram kijiye aur mere vishram ki aadat nahi bachpan se jab Baba ji bachpan se rahe to dopahar mein ham jaise lete na thodi der lete uth ke baith gaye round ham wahi tahal rahe hain usi mein ek asan rakha usmen bhi phir baith gaye phir to hamne apne pet mein chutki kati hai thanda pani apne upar dala hai nind ke liye khade hokar bhajan kiya hai jhopdi thi anusthan chal raha tha ek pair keval khade hokar aise pakar pakar kar to nind kaise aayegi?
nind aayegi to ham se gir jaenge. To nind ke liye lade to aaj ham nind se apne aap ko bacha paye. Par ji aap batte hain ki aap choti bhi bandh lete the. Haan upar nahi ab kya hai ki nai avastha mein ye baat hoti hai. Jaise nai avastha mein zyada nind aati hai. Budhe janon ko to tablet hi khana padega. Ab raat ko bhi raat ko bhi nind achchhi aati hai. Din mein 12:00 baje se 2:00 baje to aisa hota hai bas nind aa rahi hai. Nahi ham chha ghante ka niyam dete hain. 6 ghante aap khub aram se so lo. Iske baad lado isse zyada nind kahe ko jeevan barbad kar rahe ho.
sone ka matlab hai vyarth samay jana. Dekho hamen sone mein jo bal milta hai hamari indriyon mein jo phlash bhav aata hai wo hota hai sansaar ka chintan chhut jana. Chha ghante sansaar ka chintan chhuta to hamari indriyon mein punah power aa gaya aur ham phir power se sansaar ke karyo mein lag gaye. To yadi ham chha ghante bhagwan ke chintan mein den sansaar ka chintan chhod den to mahapurush ban jae to ham kah rahe hain 6 chauko 24 ghante mein ek bhag sone ka rakh lo chha ghante ek bhag padhne ka rakh lo chha ghante aur nokri pesha jo jaise kar rahe ho aath ghante uske hote hain.
agar milaya ho to teen char ghante to aise bachte hain jo aap vyarth mein nasht karte hain. Wo vyarth mein nasht karne wale samay ko bhajan mein laga do. Aapko bhagwan mil jaenge. Kuch bhajan karte ho? Nahi matlab aadat beech mein lagi thi hanuman chalisa padhne lag gaya tha teen char mahine phir chhut jaate. Siddh ho gaye. Phir iske baad chhod diya. Phir matlab hafta hafta hota hai phir hafte ki aadat chhut jati hai. Nahi yar aisa suno aaj se hamare paas aae ho to 24 ghante mein 24 minute tum Radha Radha japle karo. Dawai man ke aaj se karoge?
promis 24 minute Radha Radha aur agar aapko bahut nind aati hai to 8 ghante le lo isse zyada mat sona isko bhi promis karo promis aath ghante bhai itna prayas karo phir aap agli bar jab kabhi ana to hamen batana ki aapka jeevan kaisa ho raha hai theek hai haan ji 24 minute Radha naam aur aath ghante sona 8 ghante sona aur shesh apni dincharya mein rahna aur ek prarthna aur hai jo naye bachchon mein ham hatana chahte hain girlfriend boy boyfriend wala system to nahi hai? Nahi hai. Nahi sachchi batana aur koi aise aacharan to nahi hai jo ekant mein apne aap ko nasht karte ho to bas phir aap phir achhche bachchhe ban jaoge.
theek hai? Aap in baton ki taraf dhyan mat dena. Abhi jab mata-pita ki sahmti se byah ho phir usmen anand rahta hai. Apni taraf se koi galti mat karna. Theek hai? 24 minute Radha naam jap 8 ghante sona aur thodi der satsang sun liya karo. Sunte ho? Char panch bar hi suna hai. Char panch bar hi keval sun nahi yar din mein char panch bar sunna chahiye par ek ek 10 minute ki klip roz sun liya karo. Iska bhi promis promis nahi to 24 aur 10 minute 34 ye hamne liye aapke aur 8 ghanta to sone ko aap hi ko de rahe hain na aur shesh samay karyrat rahna phaltu mat baithna.
chahe vidya adhyan ho ghar mein chahe Sohni lagni ho pocha laga matlab karyrat rahna sharir ko karyrat karna atyant avashyak hai nahi to wo vyarth ke overthinking mein laga dega vyarth ke chintan mein manorajya mein laga dega aur wo aapko pareshaan karne lagega overthinking haan nahi overthinking se bahut bachna chahiye bahut zahrila vishay hai ye overthinking agar badhti chali gayi to jaise bachchha nahi kaha ki main nirash hoon hatash hoon aise pahuncha deta hai samay mat dijiye samay mat dijiye ham ham ek minute bhi khali nahi rakhna chahte man ko.
aap prabhu mein lagae hain, karya mein lagae hain to ek man aandit rahta hai. Agar pare pare keval aise sochte rahoge to pareshaan ho jaoge. Aath ghante ke siva letoge nahi koi tum bimar nahi ho. Theek kursi mein baith jao apna koi koi vani padho, koi granth padho. Mein padhte ho 12th 11 12 mein. Haan. Baat aur kya abhi to bahut padhna hai, digriyan padhni hai. To padhai ko bhi bhagwan ki puja samjhkar use samay-samay se adhyan karo. Theek hai? Haan ji. Haan. Vyayam karte ho ya 10 minute vyayam ke liye dete ho?
Guruji fas gaye aaj ye. 10 minute de doge? Savere savere thodi dikkat ho jati hai. Kya? Nind. Nahi. Kai baje sote ho aap? 12:00? 12 se 8 9 [gala saaf karne ki aawaz] baje uth jaata hoon. 12 se 8 9 baje yar ye samay sone ka to theek nahi hai. Sone ka samay to 10:00 baje hona chahiye. Kyon 12:00 baje kya karte ho? 12:00 baje tak kya karte ho? Bas 9:00 baje khana khaya. Ekad ghanta padh liya do teen ghante ekad ghante phone chala liya. Nahi phone kyon chalaen? Vyarth mein kyon chalao? Vyarth mein samay nasht mat karo.
hamen lagta hai agar aap 10:00 baje so jao to 11 12 ek do teen char panch chha 6:00 baje uthe aur garm pani karke piya vajrasan mein baithkar ke shauch snaan kiya aur 15 20 minute daud laga di sab vyayam daud mein ho jaata hai nahi to aajkal tred mel wali vyvasthaye chal gayi hai jahan wo kya kahte hain jahan ye chijon hoti hain jim jim jim wahan chale gaye 10 15 20 minute karo naye bachchhe ho theek hai promis karo kya-kya hamne kaha 8 ghante sona 24 ghante Radha naam 24 minute haan waise bahut badhiya baat hai agar promis aur 10 minute kam se kam vyayam kar lijiega theek hai haan ji bahut achchhi
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…