brahma ji ko chatuhshloki bhagwat ka updesh / bhagwat ji ke 10 lakshan // 26/06/26
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tvai padarvindm prema makrand raso purnam pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital maya param shital maya chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran bhagwan shri Sukhdev ji virajman hai. Bahut se divya mahapurush parikshit ji ko ghere hue hain. Parikshit ji ko shrringi rishi ka shraap hai. Sat din mein bhayanak takshap sarp payega aur apne vish ki agni mein tumhen bhasm kar dega. Dekho jo bhagwan ka bhakt hota hai kaisi bhi bigad jae paristhiti uska bal banka nahi hota. Jaise Duryodhan ne shakuni ke kapt bhare pase se maharaj yudhishthir ko parajay karke 12 varsh ka vanvas ek varsh ka agyat vas lekin us samay bharat ke divya Maharshi brahm rishi ye sab yudhishthir ji ke saath the.
jab dharmatma purush kabhi sankat mein hota hai to mahatma jan unka saath dete hain. Aaj parikshit ko shastron divya mahatma ghere hue hain aur Paramhans avdhut shiromani shri Sukhdev ji maharaj uchh asan par virajman hai. Parikshit ji ne prashn kiya bhagwan ved vedtaon mein aap shreshth hain. Main yah janna chahta hoon ki jab brahma ji ne kal prasang tha devrshi narad ji ne prashn kiya tha ki aapse bhi badhkar koi paramatma hai kya jo aap dhyan karte hain tap karte hain jap karte hain aur is srishti ka adhar kya hai srishti kaise bani ham tatv se janna chahte hain to kal aapne suna devrshi narad ji kin-kin baton ko brahma ji se pucha kaise brahma ji ko bhagwan ka darshan hua.
kaise brahma ji ko gyan hua? Yah main sunna chahta hoon. He Paramhans shiromani Sukhdev ji aap mujhe aisa updesh kijiye ki main apne asakti rahit man ko sarwatma bhagwan shri Krishna mein tanmay karke ye apna nashvan sharir chhod du. Jo log bhagwan ki lilaon ka shraddha ke saath roz shravan karte hain aur gayan karte hain to pahli baat unke andar kubhav bhi aa jae to narak nahi jaenge jo roz bhagwan ki leela katha sunte hain. Thode hi samay mein unka kubhav nasht ho jaega aur unke hriday mein bhagwan apni bhakti prakashit kar denge.
bhagwan shri Krishna ki jab koi katha sunta hai to pravishta karan ran swana bhav saroham aha dhuno samlam Krishna salis yatha sir jab koi kano mein bhagwan ki charcha sunata hai dhyan purvak ham use sunte hain to thode hi dino mein Karna chhidon se bhagwan katha shabdon ke antargat baithkar hamare hriday mein pahunch jaate hain aur bhagwan prakashit ho jaate hain. Jo hi bhagwan prakashit hue to jaise shrad ritu ane par jal ka gandhlapan mit jaata hai. Ekdam nirmal ho jaata hai. Waise hi man nirwasnik ekdam nirmal ho jaata hai.
katha sunne matra se bhagwan pravishta Karna randhen snaa bhav saroham uske hriday mein bhav prakt kar dete hain. Karna randhon se swayam bhagwan hriday mein jakar prakashit ho jaate hain. Dhatatma purush Krishna pad mulam namuti mukt sarv pariklesh patha swa sharanam yatha jab bhagwan hriday mein pravesh kar jaate hain man nirmal ho jaata hai tab uski aisi dasha ho jati hai wo kshan kshan mein rota hai kshan kshan mein aandit hokar nachta hai kshan kshan mein hriday se gata hai badi adbhut dasha ho jati hai wo phir ek kshan ke liye bhi kabhi bhagwan ka vismaran nahi kar sakta wo samasth kleshon se chhutkar aise kaise vishram ko prapt hota hai.
jaise pardesh gaya hua aadmi ghar ane par vishram prapt karta hai. Hamara ghar kya hai? Vrindavan. Ghar wale kaun hai? Priya pritam sahchariya. Ham bhul se maya ke bhram mein phaskar sharir aur sharir sambandhi mein apna moh kar liye. Yahi hamari durgati ka karan hai. Sabki mamta tag batori. Mam pad manah baajh bar dori. Hamko bhi yah jeevan mein karna hai ki ekmatra mamta Priya pritam ke charnon mein bhagwan waise to jeev ka is panch bhautik sharir se koi sambandh nahi hai. Jaise vastr waise hai ye par agyaan ke karan ham ise main aur mera man liye.
kaise jeev maya mein aasakt ho jaata hai? Yah kya hai bhagwan ki maya? Parikshit ji kah rahe yadyapi jeev ka is panchbhut sharir se koi sambandh nahi. Phir bhi wo main mera man ye kya hai maya? Ye kya baat hai prabhu? Ki jo jeev hai wo paramatma swaroop hai. Nirvikaar hai. Phir bhi wo vikar ko prapt ho raha hai. Uska panchbhuton se koi sambandh nahi. Phir bhi panchbhuton mein main mera kiye hue prabhu aapne pehle bataya ki virat bhagwan se hi loko ki rachna hui aur lokpalon ki rachna hui. Ab ham aapse prashn karte hain ki mahakalpa aur unke antargat antarkalpa kitne hain?
bhut bhavishya vartman kal ka anuman kaise kiya jaata hai? Kya sthul dehabhmani jeev ki ayu bhi nischit hoti hai ya ghatai badhai ja sakti hai? Yah jo dehabhmani jeev kya iski ayu nischit hai? Isko ghataya badhaya ja sakta hai kya? Anusthan ke dwara jaise Mrityunjay, mahamrityunjay aadi he brahm rishi kal ki sukshm gati hai to uska main varnan sunna chahta hoon. Samay ka truti se lekar ke parardha tak prabhu main ye janna chahta hoon ki jeev kis karm se kaun si gati ko prapt hota hai. Ye devta manushya aadi yoniyan teen gunon ke phal swaroop prapt hote hain.
satogun, rajogun, tamogun. To kaun sa karm karne par jeev ko devta banna parta hai? Kaun sa karm karne par Rakshash banna parta hai? Kaun-kaun si yoniyon mein ja yah aap divya drishti sampann mahapurush hai. Main janna chahta hoon. Prithvi, patal, disha, akash, grah, nakshatra, parvat, nadi, samudra, dweep yah sab bhagwan virat ke sharir se prakt hue. Aapne piche suna. To bhagwan is brahmand ka bhitar aur bahar ka pariman kya hai? Nap kya hai? Kitna bada hai brahmand? Bahar se kitna hai? Bhitar se kitna hai?
main mahapurushon ke charit sunna chahta hoon. Yugo ke bhed janna chahta hoon. Yugo mein kaun-kaun sa dharm hota hai? Kaun se yug mein kaise prani hote hain? Unka swabhav kaisa hota hai? Yah main janna chahta hoon. Tattvo ki sankhya kitni hai? Tatv ka swaroop kya hai? Aur tatv ka lakshan kya hai? Bhagwan ki aradhna kitne prakaar se ki ja sakti hai? Jo Yogeshwar hai unki kya gatiyaan hoti hai? Prabhu pralya ke samay jeev kahan chala jaata hai? Phir iski utpatti kaise hoti hai? Pakhand kise kahte hain?
kaise jana jae ki ismen pakhand hai? Uski utpatti kaise hoti hai? Atma ka swaroop kya hai? Atma kaise bandhan ko prapt hoti hai? Aur atma ka moksh kaise hota hai? Atma ka swaroop kya hai? Uska bandhan kya hai? Uska moksh kya hai? Bhagwan to param swatantr hain. Apni maya se wo kis prakaar krida karke partantra jeev ke rup mein bandh jaate hain. Bahut dhyan se sunoge to bhram khatm ho jaega. Bhagwan param swatantr hain. Wo apni maya ko sweekar karke kis tarah se partantra jeev ke rup mein ho jaate hain.
bhagwan main aapka sharanagat hoon. Main aapko bar-bar pranam karta hoon. Aap meri bhookh pyas ki chinta na karen. Mere pran aise nikalne wale nahi. Ab to keval brahm rishi ke saanp se hi nikelnge. Takshak ke katne par main aapke shri mukharvind se bhagwan ki amritmay leela katha pan kar raha hoon. Na mujhe thakan ho rahi hai, na nind aa rahi hai, na bhookh, na pyas. Sonkadi rishiyon jab raja parikshit ne santo ki sabha mein bhagwan ki leela katha sunane ke liye is prakaar prarthna ki tab bhagwan Sukhdev ji bade prasann hue aur bhagwan shri Sukhdev ji ne kaha parikshit jaise swapna mein dekhe jane wale padartho ke saath swapna dekhne wale ka koi sambandh nahi tha.
na hai na rahega sab jhutha swapna theek aise hi jagrit avastha mein ye deh deh ke sambandhi bhog aur deh ke rishte nate na the na rahenge aur na hai vartman mein keval agyaan ke karan jaise swapna dekhta hua purush accha ya bura dukh ya sukh ka anubhav karta hai jaga to kuch nahi aise hi jab gyan hoga to yah sab kuch nahi hai. Anubhav swaroop atma maya ke bina drishya padartho ko kaise dekh sakti hai? Yah maya ka swaroop hua ki main apne swaroop ko bhulkar deh bhav se aur ye sab rishte nate bhog aadi mein phas gaya.
yah main hoon. Yah mera hai. Wo aisa manne laga. Jab yah gunon se shubdha hokar moh utpann karne wali maya ke adhin ho gaya aur moh se yukt hokar maya mein raman karne laga tab wah atma main aur mera mein phas ke durgati ko prapt ho gaya. Yadyapi wah avinashi amal chaitanya ghan anand swaroop wah kaun? Tatwamsi tam as tum hi ho wo jise wah kah ke sambodhan kiya ja raha hai wo tat tat mane wah jise tum tam as tum hi ho tat tamsi tum apne ko bhul gaye ho aur deh bhav mein aa gaye ho bhagwan brahma ji jab prakt hue unko bhi gyan nahi tha.
aadi guru tino loko ke jab kamal par baithe to koi gyan unke andar nahi tha. Bilkul dhyan se suno. Na srishti prakt karne ka na main na tu koi gyan nahi. Tab unhone gyan drishti prapt kar main kaun hoon? Yah kamal kaun hai? Mera uddeshya kya hai? Mera kartavya kya hai? Is prakaar unke andar chintan prarambh hua. Ye gyan ki pratham bhumika hai. Jab prashn uday hota hai. Main kaun hoon? Mera kartavya kya hai? Ye jagat kya hai? Yah sambandh kya hai? Yahi se marg nikalta hai. Yahi se bhagwat marg prakt hota hai.
mera kaun hai? Mera uddeshya kya hai? Mere jitne kahne wale to sab maran dharma hai. Phir mera kaun hai? Main kis liye aaya hoon is mrityu lok mein? Ye jab kisi ki paramarth yatra prarambh hoti to inheen prashan se hoti hai. Brahma ji ke andar ye prashn utpann hue. Usi samay mahan samudra se ek awaz ai vyanjan ka 16wa akshar aur 21wa akshar ta pa ta pa teen bar tap karo tap karo tap karo brahma ji ne vakta ko charon or dekhne ke liye aise kiya to char mukh ho gaye kahan se awaz ai rahi par awaz ai par awaz kisse ai yah nahi jaan paye par unhone kaha ki mujhe agyaa hui hai ki tap karo isliye main apne man ko tapasya mein lagata hoon.
brahma ji tribhuvan ke sabse bade tapasvi hain. Pratham tapasvi hain. Ghor tapasya ki 1000 divya varsh paryant chitt ko ekaagr karke prannon ko rok karke man ko sanyam mein karke karmendra gnyanedryo ko vash mein karke aisi tapasya ki ki amog gyan prakt ho gaya. 1000 divya varsh tak man ko ekaagr prannon ko rok liya. Ko ekaagr karmendriy aur gnyanedryo ko vash mein karke 1000 divya varsh tak tapasya ki. Unke andar amog gyan prakt ho gaya. Sab lok apne mein dikhayee dene lage. Bhagwan prasann hue tapasya se.
to brahma ji ki drishti mein dikhayee dene laga bhagwan ka divya dham tasmai lokam bhagwan sabhit sandarshaya mas param nayat param bhagwan ka swadham brahma ji ke divya netron ke samne prakashit hua. Isse pare koi lok nahi. Bhagwan ke dham mein na klesh hai na moh hai na mrityu hai na bhay hai na kisi bhi tarah ka dukh hai. Dukh naam ki chij nahi. Ek bar jise bhagwan ke dham ka darshan ho jaata hai, wah itna mahan ho jaata hai ki devta bhi uski bar-bar stuti karte hain. Surachita bhagwan ke dham mein na rajogun hai, na tamogun hai, na mila hua satogun hai, na kal ka pravesh hai, na maya hi kadam rakh sakti hai.
phir maya ke bal bachchhe kam krodh aadi to pravesh hi kaise kar sakte hain? Dekha bhagwan brahma ji ne ki divya parsado se surakshit hai bhagwan ka dham. Bade-bade rishi muni devta sab namaskaar kar rahe hain. Dham ki taraf sir jhuka rahe hain. Ab dham ke andar drishti pravesh ki to dekha ujjwal abha se mahan tejomay Shyam sharir satdal kamal ke saman komal netr pile rang ka divya bijli jaisa Pitambar ang ang se raas raas saundarya bikhar raha hai. Komalta, saundaryata mano murtiman hokar virajman ho aur aise hi bhagwan ke sab parsad hain.
jaise bhagwan ka swaroop aise bhagwan ke parsad sabki char char bhujaye mahan tejasvi divya astr liye hue bhagwan ke parsad sab divya manimay suvarna prabhay abhushan dharan kiye hue tejomay dham ki bhumi chavi adbhut kahin munge ki kahin vaidur mani ki kahin kamal ke saman kahin ujjwal spatik mani ke saman aisi bhumi dham ki sabke kano mein kundal mastak par mukut kanth mein divya malaen jaise akash bijli se chamak uthta hai. Aise brahma ji ke netr bade tejomay ho gaye. Bhagwan ke vaikunth dham ka darshan, vaikunth dham ke parsado ka darshan.
ab dekha ki mahalakshmi sundar rup dharan kiye hue apni dasiyom ke saath vibhutiyon ke saath bhagwan ke charan chap rahe hain. Bhagwan ki madhur madhur lilaon ka gayan karte hue bhagwan ke charan chap rahe hain. Lakshmi ji unmatt ho rahi bhagwan ke charnon ke sparsh se aur saundarya se. Brahma ji ne dekha ki divya lok Baikunth dham mein bhakton ke rakshak mahalakshmi pati yagyapti vishwapti bhagwan virajman hai aur bhagwan ke ekdam nazdik jo parsad hai wo sunand nand prabal aur arhan aadi ye bhagwan ke saman balshali vaibhav ye mukhyya parsad gan bhagwan ki seva kar rahe koi chvar dula raha hai koi vyajan dula raha hai koi chhattar liye wo sab bhagwan ke mukh kamal ki taraf ek takitwatta se dekhte rahte kya adesh ho kya ishara ho tatkaal seva ho ankhon mein lal lal doriyan badi mohak madhur chitvan aisa lagta hai ki prabhu apne premi bhakt ko apna sarvasv bhi dan de denge sir par mukut kano mein kundal kandhe mein Pitambar vaksha sthal mein sunahri rekha sundar char bhujaye aur bhagwan bahumulya asan par virajman hai.
bhagwan ke paas purush prakriti mahatatwa ahankaar man da indriyan shabdadi panch tan matraen panch mahabhut ye 25 shaktiya murtiman hokar hath jode khadi hai. Usi man se sampurn srishti ka man banta hai. Unhin 10 indriyon se sampurn srishti ko indriyan milti hai. Yah murtiman vaikunth mein bhagwan ke samne hath jodkar khade purush prakriti mahatatwa ahankaar man 10 indriyan panch shabd tan matraen shabd sparsh rup ras gandh aur panchamhabhut ye 25 shaktiya murtiman hokar bhagwan vaikunthnath ke paas aaspas hath jode khadi hai.
samgr aishwarya, samgr dharm, kirti, shri gyan, vairagya ye chhah nitya siddh rup dharan kiye hue bhagwan ke samne hath jode khade hain. Gyan, vairagya, kirti, shri dharm, ishwar yah sab murtiman hokar sarveshwar bhagwan anandmay swaroop mein chhake hue virajman hai. Brahma ji ne jab hi darshan kiya to rona aa gaya. Hriday labalab anand se bhar gaya. Ankhon se ashru chalne lage. Sharir pulkit ho gaya. Netron se premashu dhara bahne lagi. Brahma ji ne bhagwan ke un charan kamlo mein jo paramhansa ke nivitti marg se prapt ho sakte hain.
sir jhukakar pranam kiya. Brahma ji pyare apne aradhya dev bhagwan vunthnath ke prem mein itne anand nimgn hai ki ab kuch hosh hi nahi hai. Vichar karke dekho ki shiv Shri pati yadyapi lalchahi man pravesh ton ko nahi yahan vunthnath ke darshan se halat brahma ji ki ho rahi hai aur shiv Shri pati vunthnath yadyapi lalchahi jahan galavya diye hamare Priya pritam Vrindavan nat nikunj mein wahan kya dasha hoti hogi premi ki brahma ji ki dasha hai koi sudh nahi ankhon se ashrudhara bah rahi. Hriday anand se labalab bhar gaya.
yah keval dhyan hi nahi hai. Ye sakshatkar hai. Bhagwan bahut prasann mudra mein brahma ji ka hath pakda. Ye keval dhyan nahi hai. Hath pakda aur mand muskan se alankrit vani mein kaha brahma dekho meri agyaa ka palan karne ke karan tumhare hriday mein samasth gyan uday ho chuka hai. Bhagwan ki agyaa palan tap bas lag gaye tapasya mein. Tumne gyan prapti ke liye tap kiya to srishti rachna ki puri samarth aur pura gyan tumko prapt ho chuka hai. Tumne hamari agyaa mani aur hamen dekha nahi aur hamari agyaa man li isliye main bahut prasann hua.
apne kalyugi bhakton par bhagwan bahut prasann hai kyonki itne bhari vighna mein itne bhari adharm ka hahkar macha hua hai aur hamne bhagwan ko dekha nahi koi prichay batane wala nahi aur keval unka bharosa vishwas karke jeevan samarpit kar diya aur chal diye to bhagwan is baat se bik jaate hain. Brahma ji se kya kah rahe? Tumne mujhe dekha nahi tha. Par meri agyaa palan ki isliye main bahut prasann hua aur apna sampurn vaibhav tumhen dikha raha hoon. Dham ka aur sampurn srishti prakt karne ki samarth aur athah agadh gyan tumhare andar prakashit ho chuka hai.
khas baat pakdo. Bhagwan ko bina dekhe bhagwan ke liye sarvasv samarpit kar rahe ho. Wo dekh rahe hain. Ek ek second ka hisaab hoga. Vyarth nahi jaega tumhara samarpan dekh lena jo log man mein kapt rakhkar dikhave ke liye yog sadhna aadi ka main unse kabhi prasann nahi hota tumhara kalyan ho ab jo tumhari abhilasha ho mujhse vardan mango kyonki main muhn mangi vastu dene mein samarth hoon brahma ji jeev ke samasth kalyankari sadhno ka vishram mera darshan pana hai. Jaise tum pa rahe ho. Yah darshan aisa nahi hota ki bhav mein keval ho raha hai.
bhagwan ka sparsh bhagwan ne hath pakda brahma ji ka. Bhaktjan sparsh karte hain. Bhaktjan gale lagte hain. Tumhari jo ichchha thi sune jal mein ki kiski vani thi wah meri thi. Maine kaha tha tumne agyaa ka palan kiya isliye mere is divya lok ka tumhen darshan hua jo bada hi durlabh hai. Tapasya mera hi swaroop hai. Tapasya se durlang shakti hriday mein jagrit ho jati hai. Brahma ji ne kaha bhagwan aap samasth praniyon ke antahkaran mein sakshi rup se virajman rahte hain. Bhagwan kahan rahte hain? Sabke antahkaran mein virajman hai.
sabke jahan man, buddhi, chitt, ahankaar hai wahin virajman hai. Chitt mein bhagwan virajman hai. Chitt mein bhagwan Vasudev ka sthan hai. He bhagwan aap sabke antahkaran batao itne nazdik hain. Aur phir bhi durlabh hai unka darshan kyonki ham bahirmukh hokar bahar chittavatti diye hain. Yah gyan aapse hi hamen prapt hua hai ki maine antahkaran mein aapka sakshatkar kiya hai. Nath aapne kaha ki vardan mango to main aapki kripa se aapke nirgun rup aur sagun rup donon ka gyan to pehle hi prapt kar chuka hoon.
Swami aapki agyaa kabhi vyarth nahi hoti. Yah jagat ki utpatti palan sanhaar ye aapki ek krida hai. Main marm janna chahta hoon ki aap kaise jagat ko prakt karte hain. Kaise palan karte hain aur kaise iska vinash karte hain. Jab aap natak mein dekhte ho nat kalakar jadugar apne ko kai hisson mein kaata hai to aap taliya bajaate ho ki rote ho baith ke? Jab apne jan ko kaata hai. Kapda dal diya. Ganv mein dekha hai aapne? Hamne to dekha tha bachpan mein aise ek aadmi ko lita diya aur kapda dal diya aur aise aise karke panch chhah tukde kar diye alag-alag sab taliya baja rahe hain kyonki sabko pata hai ye sahi nahi hai.
ye uske mantr ka jadu hai jo hamari ankhon mein jo chahta hai wo dikhwata hai. Aise kiya rupaye ki gaddi itna bada samarthyshali hota to do rupaye mangte thodi ghumta hai. Ye aankh bandh ke chhota jadugar hamare samne bhram paida kar sakta hai ki jadugron ke bap hai bhagwan indrajol kitna bada apne aap se apne aap mein apne aap ka srijan karta hai apne aap ka palan karta hai jo is rahasya ko jante hain unko to brahma ji bhi kahte hain main rahasya janna chahta hoon bhagwan aapki agyaa hai ki main sajag hokar srishti apni rachna karun aur rachna ke abhiman mein na banu to prabhu aisa kaise ho sakta hai?
kartva bhav aa hi sakta hai. Nath aapne vardan mangne ki baat kahi to mujhe wo gyan dijiye jisse main srishti rachun aur uske karta bhav mein na aun. Kabhi abhiman na ho jae. Savdhani purvak keval aapki agyaa ka palan karun. Bahut sundar bhagwan ne gyan diya hai. Agar samjh jaoge to aap bhi nihal ho jaoge. Bahut bada nahi hai. Char shlok mein gyan diya hai. Ab use pakar lena. Bhagwan kah rahe hain gyanam param guham mein yadi vigyan samanwitam sasyam tadangam cha gan gaditam maya brahma ji tum mere bhakt ho.
meri agyaa ka palan karte ho. Isliye main atyant gopneey apne swaroop ka gyan main tumhen de raha hoon. Tum ise grahan karo. Yah gyan bada gopneey hai. Meri kripa se hi keval gyan hota hai. Padhne likhne se nahi hota. Kisi sadhna se nahi hota. Meri kripa se hota hai. Ab jo gyan de rahe hain use sun lo. Ise baitha lena. Guru kripa se bachpan mein bachpan mein jab chale the usi samay yah baat baith gayi thi dimaag mein to uski shuruaat jaise bachchha the usi bhav se hui thi kutte ko dekhte the ismen bhagwan hai kutta bhagwan kaise ho sakta hai yar upar ka khol kutta hai andar to bhagwan hai na ismen aise shuru kiye the nazdik aayega to danda to marenege hi to dande mein bhi to bhagwan hai bahut ladai ladni padi thi ab us samay uttam gyan to tha par uski shuruaat bada us shuruaat mein hi bada anand prarambh hone laga tha.
brahma ji ko bhagwan kah rahe ahwa samevane nyat sadsat param pashat y ta yosh soham jittem yat prati na pratini tatmano yatha bhaso yatha tam yatha mahti bhutani bhute chavche pravishtya pravesht tatha te sute eta dev jigyasam ta jigyasatman anwayarya yasya sarvatra sarvda matam sama parme samadhina bhavan kalp vikalpeshu nati karit bhav suno brahma ji jab tum bhi paida nahi hue the to keval main hi tha srishti ke purv mein keval main hi main main mein kuch nahi juda tha. Keval main mere atirikt na sthul tha, na sukshm tha, na karan tha, na agyaan tha, na maya kuch nahi.
main hi main jab srishti nahi rahegi to main hi main jab srishti nahi thi purv mein to main hi main aur jab srishti nahi rahegi to main hi main to beech mein jo kuch pratit ho raha hai wo main hi main dusra kuch nahi matta partram na kinch Dhananjay he Dhananjay mere siva kuch nahi main hi main hoon bas isi ka anubhav karna hai bada anand prarambh mein hi bada anand bhagwan hi bhagwan sab mein bar-bar anubhav karna sab mein bhagwan jo srishti ke baad kuch bachega wah main brahma vastav mein na hone par bhi jo kuch yah dikhayee de raha hai na ye netr dosh hai jaise netr dosh ho jae to do chandrama dikhayee dene lagenge to hai to ek hi par netr kharab hai to do dikhayee de ye jo dvait bhas raha hai mere mein maya main murt tor ye keval agyaan mujh paramatma mein do chandramaon ki tarah yah jagat mithya hai jo dvait dikhayee de raha hai.
main hi main keval bhagwan hai. Main sab mein virajman hoon par meri maya ke karan main nahi dikhayee deta aur sab kuch dikhayee deta hai. Jaise praniyon ke panchbhut rachit chhote bade shariron mein akash aadi panchamhabhut un shariron ke karya rup nirmit hone ke karan pravesh bhi karte hain aur pehle se un sthano mein un rupon mein vidyman hai to pravesh bhi nahi karte. Aise hi ham praniyon ke sharir ki drishti mein unmein atma ke rup mein pravesh kiye hue hain aur atma drishti se ham kahin pravesh bhi nahi kiye hue hain.
yah sharir mein jaise panch bhauton se bana hai. Ab kaha jae inme panchbhut pravesh nahi karte. To pravesh kya karenge? Wo panchbhut se bana hua hai. To bole is jagat mein bhagwan pravesh nahi karte. Pravesh kya karte? Bhagwan hi bane hue hain jagat baat ko samjho pravishtanya pravishtani tatha teham ve mere mein nahi main unmein nahi hoon kyon kyonki main hi main hoon do nahi hai ve aur main nahi keval main hi main hoon yahi samjhna hai bhagwan kah rahe yatha mah bhutani bhute va pravishtan pravishtani tatha te kah rahe hain wah mere mein nahi aur main unmein nahi hoon kyonki unmein aur mere mein ye do shabd nahi hai keval main hi main hoon.
pehle bata chuke hain main hi main hoon to main mein kya pravesh karen? Jal jab barf rup hua to usmen jal hi jal hai aur kuch nahi hai. To bhagwan jab jagat rup bhale to keval bhagwan hi bhagwan hai. Kuch nahi hai. Wahi hai wahi trigun hai. Wahi panchbhut hai. Wahi da indriyan hai. Wahi achtur antahkaran hai. Wahi sab kuch bane hue hain. Ho gaya gyan. Isi se jeevan mukt ho jaata hai. Yah anubhav ki baat hai. Yah anubhav mein pura jeevan lagta hai. Pura jeevan bhagwan hi bhagwan bhagwan mukt ho gaye. Kuch nahi hai. Keval bhagwan ek bhagwan anek rupon mein anek ko ek mein samet le.
wahi sadhna bhagwan ne kya kiya? Eko ham bahu shyama. Ek se bahut rupon mein ho jae. Tumhen kya karna hai? Bahut rupon ko ek mein samet do. Bas sawal hal jeevan mukt paramdhaam pahunch gaye isse pind nahi chhut raha yahi bahut bada rog hai sharir rag brahma ji samjh paye mere atirikt kuch nahi hai bade leela bhi aa rahi hai sab rupon mein bhagwan hai par aise aise unke rup hai ki manna hi nahi par ye bhagwan kaise ho sakte hain nahi aur wahi sab hain aur yahi jaan gaya so mahatma samatma su durlabh vasudeva sarwamit samatma su durlabh ye bhagwan nahi hai ye bhagwan nahi hai ye nishedh paddhti do prakaar se jana jaata hai vyatirek aur anvay anvay
vyatirekabhyam yatsya sarvatra sarvda pehle kya karen ki nahi mein ave ye nahi ye nahi parivaar maya moh rupya paisa ye sab maya moh bhagwan ka hatte hatte jab bhagwan mein chittritti tanmay hui phir sarvam khalmidam brah siddhant chalta hai brahm satyam ye jagan mithya ye jhutha hai ye satya nahi hai aur hai satya par sawal hal karna hai to brahm satyam jagan mithya aur jab satya chintan mein pahunche to bole sarvam khalwidam brahm sab kuch brahm hi hai bhagwan hi bhagwan sada sarvatra svaroopon mein hai.
jisko gyan prapt karna hai to isse badhkar koi gyan nahi hai. Bhagwan hi purnata sachchi maniye badi purnata hai. Ganga ki reti mein Padmasan lagakar ke jab yahi baat ka chintan hota hai na romach hota hai. Kai kai ghante shant ganga ekdam brahm swaroop hai. Brahm drav kaha hi gaya hai ganga ji ko. Bahut vishuddh gyan ki prapti ganga ji se ganga ji se param asakti ganga ji ka kinara chhodkar hamko kahin koi tirth jana ya kahin koi kuch accha nahi lagta tha bas jeevan mein agar hamare kahin kuch tirth sthan mein to sab ganga ji ke kinare Chitrakoot isliye gaye kyonki Vrindavan wahin se kashi se Chitrakoot aur Chitrakoot se Vrindavan nahi kahin aur nahi gaye kahin nahi gaye vishv mein bas wahi ganga ka kinara bas yahi lagta tha purnata ganga ji kaise tumhen batao kaise kaise bhav prakt karti yahi baat ganga ji ke kinare ye ye jo hai yahi ganga kinare ki aradhna iske baad hai ye jo Vrindavan ki padhai hai na ye vasudevamit ke baad hai ye degree hai ye kakara matra wali padhai nahi hai ye degree hai ye upar ki degree sabse upar ka mahadhury ras shri ji badi kripalu hai ki apne adhmon ko aise maharas mein nimgn karne ka avsar diya.
agar itna jaan loge to brahma ji tumhen moh nahi hoga. Itna jaan lo ki main hi main bhagwan hi bhagwan hai. Moh nahi hoga. Bas yah janna hai andar. Vihaar nahi karna. Vihaar nahi karna. Janna hai drishti rakhna. Vihaar nahi karna. Agyani jo hote hain na wah vihaar mein utar jaate hain to bhrasht ho jaate hain. Unko bodh nahi ho pata. Jaisa vihaar waise hi karna hai lekin drishti sab mein rakh li. Ek hi paramatma ye to maya ka natak ho raha hai. Ek hi parma swang jaisa hai vaisa pita ho to pita ka swang karo.
putr ho to putr ka shishya to shishya guru to guru jo swang mila waise hi karo lekin hai wahi bas yah drishti rakhna hai vihaar mein nahi vihaar mein utarna murkhta hoti hai wo gyan nahi hota vihaar mein utarna jaise vidya vinay sampann brahmin gavi hastach supakecha pandita samadna vidya vinay sampann brahm rishi mein chandal mein kutte mein hathi mein gay mein ek hi drishti rakhni hai ki sab mein paramatma hai par vihaar nahi karna. Vihaar mein alag-alag hota hai. Kai bar charcha hui vihaar mein bhed drishti rahti hai.
jo kahte hain ki are to gyani nahi bhed drishti rakhte to wo murkh hai jo is baat ko nahi samjhta. Sam drishti darshan karni samwartan nahi karna. Sam vihaar nahi ho sakta. Nahi ho sakta. Bilkul nahi ho sakta. Ek ghar hi mein dekh lo. Beti hai, bahan hai, mata hai. Yah stri sharir hai. Tino mein bhagwat buddhi rakhni. Lekin vihaar mein ek param pavitra beti hai. Ek param pavitra bahan hai aur ek ardhangini hai aur ek maa hai. To vihaar mein bhed ho jaega. Charon ke vihaar alag-alag honge. Lekin brahm charon mein ek hi virajman hai.
to vihaar drishti alag-alag rahe. Ek guru ji ne yahi sunaya shishya ko. Sab mein bhagwan hai. Kyonki shastr ke yah sabse bada gyan hai. Ab ek hathi pagal hathi chala aa raha tha. Mahavat ankush se usko vash mein kar raha tha. Vash mein nahi hota. Chillaya Baba ji bhag mera hathi pagal mar daelga. Sab mein bhagwan hai guru ji ne kaha hai jai bhagwan. Hathi aaya utha ke patak diya aise sab. Ab wo lad ke gaye guru ji ke paas. Unka kya ho gaya beta? Bole durdasha. Bole to kisi ne roka nahi. Bole nahi rok to raha tha.
mahavat jo hai bahut duri se chilla raha tha Baba ji bhagna mera hathi pagal hai to bole hathi mein bhagwan dekha mahavat mein nahi dekha mahavat mein nahi mahavat chilla raha tha ki bhagwan wahi bhi to hai chilla rahe the bhag duri hathi pagal to aisi murkhta na kare sab mein bhagwan hai par vihaar mein bhed rakhna hai nahi vihaar mein bhed rakhna hai sab mein bhagwan hai vihaar mein bhed rakhna hai drishti sam rakhni sam drishti ki baat ai samwartan ki baat nahi samdarshan karne ki baat ai. Bhagwan shri Sukhdev ji kahte hain he parikshit lok pitamah brahma ji ko is prakaar updesh dekar ke tatkaal dham parsad bhagwan sab antardhya ho gaye.
kuch nahi. Abhi tak bhagwan ka sparsh kar rahe the. Bhagwan se varta ho rahi thi. Aise hi hota hai. Brahma ji bar-bar prayas karne lage. Na wo rup, na wo dham, na wo parsad. Bhagwan ne hata liya apne aap ko. Tab anjali bandhkar punah usi dham aur bhagwan ko pranam kiya aur jaisi srishti purv mein rachna ki thi. Wah puri kala unke hriday mein aa gayi. Dharmapti Prajapati brahma ji ne sari janta ko prakt karne ke liye bhagwan ki aradhna ki thi. Devrshi narad ji mayapati bhagwan ke maya ka tatv janne ki ichchha se bade saumy hokar brahma ji se yah varta kahin se chal rahi.
shri Sukhdev ji suna rahe parikshit ji ko aur sut ji suna rahe shaunak ji ko aur bhagwan brahma ji suna rahe hain devrshi narad ji ko brahma ji aur bhi prasann hue aur phir devrshi narad ji ko da lakshan wale is mahmmahim bhagwat puran ka updesh kiya shri Sukhdev ji maharaj kah rahe parikshit is bhagwat puran mein sarga visarga sthan poshan uti manvantar eeshanuktha nirodh mukti aur aashray in 10 ka varnan kiya gaya hai. Inme jo daswa aashray tatv hai isi ka theek theek nischay karne ke liye upar ke nau ka varnan kiya gaya hai.
yah daswin baat aa jae to mukt ho jae aashray main bhagwan ke ashram mein priyaju ke aashray ho are yahan tak kah diya hariram vyas ji ne ki kahu ke bal bhajan ko koi bhajan bal rakhta hai koi jitendriya aadi sadachar vrat lekin ham to kunwar ke bhrose mein hai sovat pav pasar kahu ke bal bhajan ko kahu ke achar vyas bhrose kunwar ke sot pav prasar iska bhi theek theek chintan hua aashray tatv ka bas hamen lagta hai ki purv se hi gyan ka marg to tha lekin aashray tatv par bahut jor tha isiliye bhakti ka yah rang aaya ya ana tha to aashray tatv par jor diya tha prarambh mein hi aur is aashray tatv par ye jo theek theek baat kahi ja rahi ki theek theek is aashray tatv ko samjhne ke liye hi yah nau upar ka varnan kiya gaya hai.
hai aashray tatv phir naudha bhakti ki navam bhakti par drishti gayi atma samarpan aashray atma samarpan sarvatra bhagwan teen baton ko bahut ganga kinare manan hota usi ka bhav kahin na kahin andar hriday mein tha to kaisa hoga Vrindavan ye prakt hua raas dikhayee mahadev ji ne kaha chalo jahan jo jahan ka hai wahi bhed dete hain. Bade kripalu ab varnan karte hain ki sarga visarga sthan poshan uti manwantri eeshanu katha nirodh mukti aur aashray ye kise kahte hain? To jo ved hai unka tatparya hai theek theek aashray tatv mein sthit karna.
jitne shastr hain wah ghumakar aashray tatv mein sthit karte hain. Koi atma ashrit hai. Atma swaroop mein sthit koi bhagwat ashrit hai. Par aashray tatv hi hai. Mahatmaon ne iska anubhav kiya hai. Jab ishwar ki prerna se gunon mein shobh hota hai. Uska rupantran hota hai. Akash aad panchbhut shabda aad tan matraen indri ahankaar mahat tatv ki utpatti hoti hai ise sarga kahte hain. Ye jo tattvo ki utpatti hoti hai ise sarga kahte hain. Us virat purush se utpann brahma ji ke dwara jo vibhinn charachar srishtiyon ka nirman hota hai usko visarga kahte hain.
pratiphal nash ki or badhne wale srishti ko ek mariyada mein sthit rakhne wale bhagwan Vishnu ki jo shreshtha siddh hoti hai uska naam sthan hai. Sarga visarga sthan. Apne dwara surakshit srishti mein bhakton ke upar unki jo kripa hoti hai bhagwan ki uska naam hai poshan. Manwantron ke adhipati jo bhagwat bhakti aur praja palan rup shuddh dharm ka anusthan karte hain use manvantar kahte hain. Sarga visarga sthan poshan aur manvantar aur phir uti jeevan ki ve vasnae jo anant kal se dabi hui hai wo jab uthti hai to aise karya karwati jisse bandhan ho jaata hai use uti naam se kahte hain.
jeevan ki vasnaon ke karan jo hone wale karm hai unko uti kahte hain. Bhagwan ke vibhinn avtaron ke aur unke premi bhakton ki jo vivid kathayen hain unko i katha kahte hain. Jab bhagwan yog nidra sweekar karke shayan karte hain tab is jeev ka apni upadhiyon ke saath leen ho jana nirodh kaha jaata hai. Agyaan kalpit kartva bhog tatv anatma bhav ka partyag karke swaroop paramatma mein sthit ho jana ise mukti kahte hain. Aur charachar jagat ki utpatti aur palan aur pralya jinse hota hai wo hai bhagwan wo hai param brahm bhagwan.
bhagwan ka aashray hi sabki purnata hai. Aashray bhagwan ka jo netra aad indriyon ke abhimani drashta jeev hai wahi indriyon ke adhashthatra devta aad surya ke rup mein jo netr golak aadi se yukt drishya deh hai wahi un donon ko alag-alag karta hai. Tino mein ek ka abhav ho jae to do ki uplbdhi mein bhi drishya nahi dekha ja sakta. Netr golak, netrendar aur surya tino ki upsthi mein hi drishya dikhayee dega. Ek bhi ka abhav ho jae to darshan nahi ho sakta. Drishya nahi dikhayee de sakta. Isi prakaar sab ke adhishthatra bhagwan hai.
bhagwan ke abhav mein kuch nahi hai. Unka abhav hai hi nahi. Jahan dekho ta wahi virajman hai. Unhee ka aashray lena chahiye. Dusre ka aashray nahi. Ekmatra sansaar se par hone ka upay bhagwan ka aashray hai. Piche varnan hua tha ki virat purush ka pind jal mein para hai. To jal ko kahte hain nar. Shastri bhasha mein jal ka ek naam hai nar. Aur usi nar mein pare rahne ke karan 1000 varsh tak para rahta. Piche dhyan hoga. To isiliye us jo usmen chaitanya ghan paramatma pravesh kiya to uska naam hua narayan.
wo virat purush hi bhagwan narayan. Narayan bhagwan ki kripa se hi dravy, karm, kal, swabhav aur jeeva aadi ki satta hai. Narayan bhagwan ke siva kisi ka koi astitva nahi hai. Sab unhin se prakt hue. Sab narayan ki nabhi kamal se brahma brahma se sab to mul sabke narayan hue aur narayan mein kaun pravesh kiya tha bhagwan shri Krishna jab bhagwan shri Krishna ne dekha 1000 varsh tak wo pind para raha chetna nahi ai to aap swayam usmen pravesh hue tab naam hua narayan arthat bhagwan shri Krishna ke ansh se hi us nar mein shayan karne wale mahan narayan naam se kahe gaye nar mane jal un adti bhagwan narayan ne yog nidra se jagkar jab anek hone ki ichchha ki to wahi akhil brahmand ke anant jeevan ke rup mein ho gaye.
wahi bhagwan hi bhagwan hai. Dusra koi nahi. Yah jo dusra dikhayee deta hai yahi maya hai. Bas yahi sab baten padh ke sun ke man shant ho jaata hai. Kahan bhatkoge? Wahi wahi hai dusra koi shant ekdam. Tabhi pahla bhav kya aata hai apne bhakti mein? Shant bhav. Phir dasy sakhya vatsalya. Kyonki hamare bhagwan ka swaroop kya hai? Shatakaram. To sabse pahla bhav upasak ka hai shant bhav. Wahi apne ko teen bhagon mein vibhakta kar diya adhav adhyatma adhbhut parikshit sacchidanand bhagwan apne aap ko hi virat rup mein aur virat rup se apne aap ko hi is jagat rup mein prakashit kar diya.
shaunak ji ne pucha maharaj yah to baat aap bataai ki piche aapne ek baat kahi thi wah chhut gayi. Aapne ham logon ko bataya tha ki vidur ji Hastinapur tyag kar tirth yatra ke liye gaye. To kin-kin tirthon mein gaye? Aur suna ki vidur ji ki Uddhav ji se varta hui thi. To Uddhav ji to bhagwan ke bade gyani bhakt. Kya varta hui? Phir suna ki vidur ji maitre ji se mile the. To maitre ji to bahut uchh koti ke mahapurush hain. To unse jarur koi tatv varta hui hogi. Wo ham sunna chahte hain. Shaunak ji ne sut ji se prashn kiya.
bhagwan shri Sukhdev ji ne parikshit ji se bhi yahi kaha kyonki wah bhi prashn kiye the. Jo piche prashn kiye the unmein bahut se prashn the. To usmen yah bhi prashn tha ki bhagwan ke tatv ka swaroop ka varnan bhagwan ke avtaron ke swaroop ka varnan bhagwan ek hokar ke apni maya ko kaise vistar karte hain? To kaha parikshit jo tumne piche baat puchi thi wahi purv kal mein ghatit ghatna ko ham bata rahe hain ki vidur ji ne samasth sukho ka tyag kar tirth yatra kyon ki aur maitrey ji se mile Uddhav ji se mile kya varta hui jab yah ghatna us samay ki hai sarveshwar bhagwan shri Krishna pandavo ke dut bankar gaye tab unhone Duryodhan ke mahal mein ek bhi koi vastu sweekar nahi ki.
khanpan vihaar ki aur bina bulaye vidur ji ke ghar gaye. Pavitra atma vidur ji ko apna mana prabhu ne aur Duryodhan ne vivid prakaar se bhagwan se kaha bahut si samgri aap bhagwan ne kaha do hi bhav se bhojan paya jaata hai to yahan donon baten nahi tum mein priti nahi ho ham mein bhookh nahi hai aur usi samay vidur ji ke ghar jakar kah rahe bahut bhookh lagi hai lao vidurani chilka pavati hai aur guda phenk deti hai. Parikshit ji ne pucha prabhu maitrey ji to asdhran mahapurush hain. Vidur ji ka samagam kahan ho gaya?
aur maitrey ji jaise mahatma vidur ji jaise prashn karta to sadhu shiromani bada sundar uttar hoga. Ham sunna chahte hain. Bhagwan Sukhdev ji ne kaha parikshit raja Dhritarashtra apne anyay putro se bahut mohit the. Jante the ki anyay kar rahe hain. Lekin dashkhat wahi karte the jo Duryodhan kahta tha. Wah apne bhai pandu ke anath balkon ko laksha bhavan mein jalane ke liye bhej diya tha. Aag lagva di par bhagwan ki kripa aur vidur ji ki pravinta se wo bach gaye. Phir unki putravdhu maharaj yudhishthir ki patrani Draupadi ke kes ghaseetta hua Dushashn sabha mein lata hai.
Draupadi ke ashrudhara chal rahi hai. Kintu Dhritarashtra ne apne kukarmi putro ko us samay bhi nahi danta. Wahan bhi dashkhat. Aur kya batayen? Satya paraayan dharmraj yudhishthir ko chhal purvak anyay purvak jue mein hara diya gaya aur unhen vanvas diya gaya. Vanvas bhogne ke baad phir laut kar jab aae aur apni paitrik sampatti mangi to unhone unka hissa dena aswikar kar diya. Jab is vishay par bhagwan shri Krishna kauron ki sabha mein hit bhare sumdhur vachan jakar ke bole jo bheeshma aadi ko to amrit jaise lage par kurraj ko vish jaise lage phir bhi Dhritarashtra ki buddhi kam nahi ki aur putr moh vasad bhagwan ki baat nahi mani kyonki sare punya unke nasht ho chuke the mante bhi to kaise jab vidur ji ne dekha ki bhagwan ki agyaa ka ullanghhan ho raha hai to vidur ji ne Dhritarashtra se kaha jise vidur niti kahte hain.
maharaj ajat shatru mahatma yudhishthir ko unka hissa de dijiye. Aap ashniya aparadh kar rahe hain. Bhagwan ki bhi baat nahi man rahe. Pandav vanvas karke aae phir bhi unka hissa nahi de rahe. Hamen bahut dar lag raha hai ki ye Pandav agar krodhit ho gaye to maharaj aapke vansh ka vinash ho jaega. Yah bhim saanp ki tarah sans le raha hai. Bas bhagwan ki agyaa ka intazar kar raha hai. Iski phuphkar mein tumhare ek putr nahi bachenge. Maharaj ham aapko batae dete hain. Aapko pata nahi hai ki pandavo ke paksh mein akhil koti brahmand nayak ye shri Krishna hai.
yah paramatma hai. Ye yadwon ke aradhya dev koi manushya nahi hai. Ye param brahm paramatma hai. Ye Dwarika mein virajman rahkar hi tumhen nasht kar sakte hain. Ane ki zaroorat bhi nahi. Prithvi ke bade-bade raja ya bade-bade brahm rishi devta yah usi paksh mein rahte hain jis paksh mein bhagwan hote hain. Sur nar muni prasannata upar soi vijay vinay gun sagar tas sujas trilok ujagar ja par kripa Ram ki hoi ta par kripa kare sab koi ye jise tum apna putr mankar pal rahe ho maharaj jiski haan mein haan mila rahe ho ye Duryodhan murtiman dosh hai dosh ye dosh tumhare ghar ka nash kar dega ye itna mahan doshi hai ki bhagwan se bhi dves karta hai.
yah bhagwan shri Krishna se vimurkh Shri hin adharm aacharan karne wala kul kalank mera agar vachan aapko sunai de raha ho to aap is dusht ka turant isi samay tyag kijiye aur Hastinapur se nikalva dijiye. Vidur ji mahan neetigya dharmraj ka sakshat swaroop hai. Sadhu jan bhi vidur ji ka aadar karte bhagwan bhi aadar karte. Yah baat sunte hi Dushashn, Duryodhan, Karna, shakun sab krodh se yukt ho gaye. Aur Duryodhan to bahut hi kadva bola. Are is kutila dasi putr ko yahan kisne bulaya updesh dene ke liye? Iski jaan to mat lo lekin isko turant isi samay nagar se bahar nikal diya jae.
maharaj Dhritarashtra sun rahe hain. Ek bhi shabd nahi bole. Ye bade bhai ke samne aise kano mein vishaile shabd vidur ji ne kuch bhi bura nahi mana. Samjh rahe the ki bhagwan inka vinash karvana chahte hain. Isliye aisi inki bhasha nikal rahi. Dhritarashtra ko pranam kiya aur samne dwaar par dhanush baan rakh diya aur Hastinapur se nikal pare. Ab aise rajya mein nahi rahna jo bhagwat vimurkh jahan aise duston ka bolbala, adharm ka bolbala ho. Kaurvon ko vidur jaise mahatma updesh dene wale bade bhagya se mile the.
je bhi Hastinapur se chale to sabke punya nasht ho gaye. Kurav paksh ke apman kar diya vidur jaise mahatma ka sadhu avagya turat Bhawani kar kalyan akhil ke hani. Vidur ji Hastinapur se chalkar bhumandal ke tirthon mein vichran karne lage. Jahan shri hari brahma rudra aadi in mahan ke dwara jo tirth sthaapit hai un tirthon mein vichran kiya jahan jahan bhagwan ke pavitra van parvat kunj nirmal jal sarovar un sab mein snaan karna wahan anusthan karna aise vidur ji tirthon mein vichre aur aise bhash mein rahte koi yah jaan na paye ki vidur ji hain sadharan jo bhojan mil jae shuddh vritti se bhumi mein shayan karna sharir ko malna nahi bas aise snaan kar lena aur kathor vraton ka palan karte hue bhartvrsh ke pratyek tirthon mein vichran kiye jab ve prabhas kshetra mein pahunche tab tak bhagwan shri Krishna ki sahayata se maharaj yudhishthir phir sarvnash ka khel khel chuke the.
karodon ka vinash ho chuka tha aur wo chakravarti samrat pad par Hastinapur mein virajman ho chuke the yudhishthir ji. Prabhas kshetra mein jab suchna mili ki kaurvon ka vinash ho gaya to Saraswati nadi ke paas jakar chupchap maun hokar baith gaye. Vidur ji kafi der bhagwat chintan karte hue apne man ko sambhala. Phir wahan se trit, ushna, Manu, prithu, agni, asit, vayu, sudas, gau, guh aur shradh dev naam ke prasiddh 11 tirthon ka sevan kiya, avgahan kiya. Iske baad bhagwan ke anek mandir anek tirthon ka sevan karte hue har samay bhagwan ka naam jap shri Krishna chandra ji ka wahan se phir chale saurashtra sauveer mats kur jangal hote hue yamuna ke kinare aae to ye dekha ki yamuna kinare bahut hi ashubh pravah karte hue Uddhav ji virajman hai.
bada ascharya hua ki aise bade mahatma aur aansu pravah kah rahe hain. Uddhav ji ko dekha vidur ji ne. Yah bhagwan ke prakhyat sevak mitra Brihaspati ji ke shishya param gyani shant swabhav vidur ji nazdik gaye. Dev Uddhav ji ne dekha gadhan kiya. Vidur ji ne ashru dekhkar ke samjh liya kuch to aisa hai. Jo nahi sunna chahiye. Par Uddhav ji se pucha Uddhav ji puran purush Balram ji aur bhagwan sacchidanand shri Krishna jinki nabhi kamal se brahma ji prakt hue aur brahma ji ki prarthna se ye prakt hue sakushal hai na Vasudev ji aadi sakushal hai satwat vrshti bhoj dasar Vanshi Yadav ugrasen ye sab sakushal hain.
maharaj yudhishthir apni arjun aur shri Krishna rupi donon bhujao ki sahayata se ab nyay purvak praja ka palan kar rahe hain. Sakushal hain. Bolo Uddhav ji ye donon parivaar sakushal hain. Shri Sukhdev ji kahte hain ki jab vidur ji aisa poochne lage to Uddhav ji aur rone lage. Apne Swami ka smaran aa jane se kuch bhi uttar na de sake. Balyvastha se bhagwan shri Krishna mein aasakt the. Uddhav bhagwan ke saath rahe hain. Ab to vridh ho gaye hain. Balyvastha se bhagwan ke chintan mein bhagwan ke hi gungan mein.
ab to vridh ho gaye. Bhagwan ke saath rahte aur vidur ji ke poochne par to aur phaph kar rone lage. Vidur ji ka hriday ghabra gaya. Uddhav ji shri Krishna ke charnarvind makrand ke sudha sarovar mein bol na sake. Anand magan hokar divya bhakti ke dwara unki badi unchi sthiti vridh sharir sharir mein romach munde hue netron se premashrudhara vidur ji aise Uddhav ji ke darshan karke bahut krit krit ho rahe hain. Kuch samay baad Uddhav ji bahya dasha ko prapt hue aur vidur ji se kahne lage vidur ji jo aap pooch rahe ho us ham un prabhu se vanchit ho gaye hain.
bhagwan shri Krishna rupi surya ast ho gaya hai. Vidur ji main kya kushal sunaun. Ab yah manushya log bada abhaga ho gaya hai. Aur Yaduwanshi to nitant abhage bhagyaheen ho gaye. Kyonki jab shri Krishna ke saath rahte the. Unhone pahchana hi nahi ki parbrahmma paramatma hai. Jis tarah samudra mein amrit tha. Par machhliyan nahi pehchan pai ki samudra mein amrit hai. Aise hi Yaduwanshi log bas bhagwan ko ek shreshth yogi samjhte. Ye nahi samjh paye ki sarwatma bhagwan hai. Sarvantaryami bhagwan ko ek shreshth yogi ek shreshth Yadav bhagwan ki maya se mohit in yaduvanshiyo ne bhagwan ki ninda tak ki Shishupal aadi yah nahi samjh paye aaj main unhee bhagwan se vanchit ho gaya hoon.
Uddhav ji kah rahe jinhone kabhi tapasya nahi ki thi un logon ne bhi darshan bhagwan ka paya. Vidur ji aaj wahi tribhuvan mohan rup antardhya ho gaya hai. Ab bhagwan pragat mein apne rup ko nahi rakha. Antardhya kar liya. Mere netr hi chhin gaye aur Uddhav ji rone lage. Bhagwan ne yog maya ka prabhav dikhane ke liye manav lilaon ke yogya jo divya shri vigrah prakt kiya tha bada hi sundar bada hi Naina abhiram maharaj wo rup ab antardhan ho chuka hai. Bhagwan ne leela samran kar li hai. Dharmraj yudhishthir ke rajasva yagya mein jisjis ne bhagwan ke us nainabhiram rup ko dekha triloki mein sab koi lubhayaman ho gaya.
unka prem purn hansna vinod bhari baten karna leelam mein dekhna maharaj chitt ko cura liya. Jaise koi kathputli chalane wale ke anusaar chalti hai waise jisne ek bar rup dekha wah kathputli ban gaya unka bade-bade mahatmaon ke dwara aradhan karne yogya rup ajnma bhagwan ne vasudev ji ke yahan janm lene ki leela ki. Sabko abhay dene wale hone par bhi kans ke bhay se braj mein jakar chhipe rahna. Anant parakrmi hone par bhi kal Yavan ke samne Mathura Puri ko chhodkar bhagna jab main leela yad karta hoon to main bechin ho jaata hoon.
mujhe yad hai jab Devki vasudev ki charan vandna karke unhone kaha tha pitaji mataji kans ka bada bhay rahne ke karan mujhe aapki koi seva na ban sake isliye mere aparadh ko kshma karke aap prasann ho jae yah baten jab main yad karta hoon to he vidur ji mera chitt vyathit ho raha wo paramatma hokar kaise bol rahe the jinhone kal rup apni bhakuti vilas se prithvi ka sara bhaar utar diya. Un shri Krishna ke pad padm parag se yukt aisa kaun hoga jo unko bhul sake. Aaj main unse rahit ho gaya hoon.
aap logon ne rajasva yagya mein pratyaksh dekha tha ki gin gin kar galiyan de raha tha Shishupal bhagwan shri Krishna ko. Aur jab bhagwan ne sudarshan chakra se prhar kiya to usko wo gati mili jo bade-bade yogi munio ke dwara vanchhit hai. Bhala aise shri Krishna ka main kaise vi sakta hoon? Hamare samne bhagwan ka mukh raha. Hamare samne bhagwan ki sab baten krida rahi. Ab wo sab chali gayi. Ab kaise jiu? Bhagwan paramdhaam ko chale gaye hain. Are wah tino loko ke adheeshwar unke saman koi nahi to unse badhkar kaun ho sakta hai?
vidur ji mujhe wo drishya yad hai jab simhasaan par maharaj ugrasen aur unke niche khade hokar hath jodkar kahte hain he dev agyaa kijiye main kaun si seva aapki karun. Wo mere chitt ko bahut lubhayaman karti hai. Kahan bhagwan aur kahan ugrasen hath jodkar kahte he dev agyaa kijiye. Mujhe wo bhi yad hai jab papni Putna ne apne stan mein halahal vish lagakar shri Krishna ko mar dalne ki niyat se unhen doodh pilaya to usko bhagwan ne wo param gati di jo dhaay maa ko milti hai. Bhagwan shri Krishna ke atirikt aur kaun dayalu hai?
jiski sharan grahan karen. Main un asuron ko bhi bhagwan ka bada kripa patr samjhta hoon jinhone vair bhav se hi sahit bhagwan shri Krishna ka sada chintan to kiya. Ranbhumi mein sudarshan chakra dharan kiye hue daudte hue bhagwan ka darshan karte hue pran tyag kiya. Un asuron ko bhi main bhagwan ka bhakt manta hoon. Brahma ji ki prarthna se prithvi ka bhaar utar kar use sukhi karne ke liye kans ke karagar mein vasudev Devki ke yahan bhagwan avatar lete hain. Kans ke dar se pita vasudev ji ne unhen nand Baba ke braj mein pahuncha diya.
wahan ve Balram ji ke saath 11 varsh tak braj leela karke phir yamuna ke upvan mein hare vrikshon mein kalar karte hue pakshi ke jhund mein bachhde chalate hue gwal bal ki mandli mein brajvasyon ki drishti akrishta karne ke liye bal leela karte hue kabhi rote kabhi hanste kabhi khelte aise brajvasyon ko 11 varsh tak sukh diya braj mein bail bacchhron gaun ko charate hue apne adhon par bansuri bajakar gopiyon ko brajvasyon ko bada sukh dete hue kans ne unhen marne ke liye mayavi manmana rup dharan karne wale rakshasaon ko bheja.
agasur bakasur bhagwan ne khel khel mein mar dala. Jaise balak khilone ko todphod dalta hai. Kali nag ka daman karna, vish ko amrit bana dena, gwal balo ko punah jivit kar dena. Bhagwan shri Krishna ke in lilaon ka bahut hriday mein ab wo antardhya ho gaye. Maharaj nand Baba ne jab indra ki puja to bhagwan ne rukwakar Govardhan puja karai. Bahut gussa ho gaya indra aur vinaskaari pralyankari jal barsaya. Bhagwan ne khel khel mein Govardhan parvat ko sat din sat raat uthakar ke brajvasyon ki raksha ki.
maharaj sandhya ke samay jab sare Vrindavan mein shrad ki chandrama ki chandni chhitak gayi. Shri Krishna sammaan karte hue gopiyon ka aavahan kiya aur gopiyon ke saath prem mein raas vihar kiya. Aise mein shri Krishna se rahit ho gaya. Uddhav ji ne vidur ji se vinay ki aur age bhagwan ki vivid lilaon ka gayan karte hue Uddhav ji apne hriday ko santusht kar rahe hain. Shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…