Vrindavan aise jeev ko bhi aashray deta hai / prachetaon ko bhagwan shankar ka updesh / puranjnopakhyan // 17/07/26
shri dham Vrindavan par pujya maharaj ji ke vachan — upar video mein sunen.
pura pravachan
vrindavanneshvari tav padarvindm prema makrand raso purnam had pitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashryam param shital maya param sacchidanand ghan prem anand swaroop shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar shri shyama Shyam samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi yamuna ras rani rajrani samasth brajvasi gan ahetu ki kripa ahetu ki kripa shri shyama ji ki ahetu ki kripa mano deh shri shyama ji ki ahetu ki kripa paramarth mein yat kinchit ruchi shri shyama ji ki hetu ki kripa shri dham Vrindavan vas Priya pritam ke prem rang ki upasna ab hamen apne mein din bhav rakhkar bahut chhote bankar is maya ke jal se nikal jana hai.
jo bada banta hai ya to itna bada ban jae ki maya ke jal ko lang jae wah brahm gyani mahapurush hota hai aur ya itna chhota ban jae ki jal sparsh hi na kar pave aur nikal jae wah dainya bhakt hota hai. Gyani sarvatma bhav mein sthit ho jaata hai. Isliye maya naam ki vastu nahi rahti. Bhakt dayanya hokar nikal jaata hai. Isliye uske samne koi prashn nahi hota. Beech wale sab phas jaate hain. Yah jo maya ka jal hai ahmta mamta ye sabko fansa leta hai. Ati chhote ko aur bahut bade ko in do ko nahi.
bahut bada brahm bodh sampann mahapurush aur ati chhota danya tanad suneeche yah bhakt shripad param prem rasmay bhakti ko prapt mahapurush hai. Badi danyata hai. Kah rahe hain patit manatham mudham deenam dushtit kartam ma Radha hi kamal duram nave Vrindavan katham kurte se main bahut mudh hoon, anath bhi hoon, patit bhi hoon, aur bahut din bhi hoon. Dekho mahapurushon ka hriday kaisa hai. Jahan kinchin matra dosh nahi hai. Kaisa nirmal bhakt ka hriday hota hai. Patit manatham mudham deenam aur dushtit ratam mam jitni bhi dusht cheshta hain unmein main sanlagna hoon.
gazab ki danyata hai. Bhala aise dainya mein dosh kahan ho sakte hain? Dost ahankaar mein hote hain. Aise dainya mahapurush tabhi to hamari pyari jo apni seva mein rakhti hai. Yah dainyta bahut durlabh hai. Jagat mein ahankaar ka rajya chalta hai. Aur bhagat mein dainya ka aur dainya hi ek aisi vastu hai jo hamen bhagwan ko bahut pyari lagti hai. Bhagwan bahut pyare lagne lagte hain aur bhagwan ko bahut pyari lagti hai. Priya pritam pran ho jaate hain aur Priya pritam ka pran ho jaata hai. Dainya banavti dainyta nahi hriday se danyata sabse laghu.
ek bar pujypad shri odiya Baba ji maharaj se pujya Swami shri Akhandanand ji maharaj ne pucha Swami ji aap sakshat brahm hai. Unhone kaha kyon drishti se brahm ko dekh sakte ho kya? Chup ho gaye. Kya in netr se brahm ko dekh sakte ho? Agar dekh sakte ho to brahm drishya hua. To kya brahm drishya hai? Chup ho gaye Swami shri Akhandanand ji maharaj. Wah to Baba se bhav janna chahte the. Baba phir aap hi bata do ki aap kaun hai? To unhone kaha charachar ka sevak hoon. Vani ji mein likha hai Baba ki charachar ka main sevak hoon.
murtiman chalte phirte brahm kah rahe the charachar ka sevak hoon. Bole goswami ji ki yah chaupai hamara jeevan hai. Siyaram main sab jag jani karo pranam jo pani sab mere prabhu hain aur main charachar jagat ka sevak yah bahut priy bhagwat bhav hai. Prabhu ko bahut priy hai. Bas samjhna hai. So anannya gati jake as mat na tare Hanumant main sevak sachrachaar rup Swami bhagwant main sevak hoon charachar jagat mere Swami ka rup hai jiski ek kshan bhi kabhi aisi mati is sthiti se hatti nahi wahi anannya bhakt hai so anannya gati jake as mati na tare Hanumant ek kshan ke liye bhi is sthiti se mati nahi hatti main sevak chara charachar jagat mere Swami ka swaroop aur hai yah manne ka vishay hai.
man lo to jaan jaoge aur jaan gaye to wahi ho jaoge. Charachar mein aap bhi to hain. Aap bhi bhagwat swaroop hai. Par yah baat aayegi jab ati dainyta aa jaegi. Charachar jagat hamara Swami ka rup ham sabke sevak kahan gun dosh ki baat rah gayi. Kahan kisi dwaand maya ki baat rah gayi? Main sevak sachrachaar rup Swami bhagwant ye sthiti to ham isko abhyaas mein lave agar hamare Swami hamse kat vihaar karen to ham kaisa vihaar karenge? Namr. To charachar jagat hamara Swami ka swaroop hai. Yadi pratikultaa deta hai, ninda karta hai, apman karta hai to hamen namr vihaar karna hai.
jaise Swami se kiya jaata hai to hamara yah bhav siddh hoga sachrachaar ki ham sevak hain. Yah bhav siddh hoga. Agar yah bhav siddh ho gaya to mukt ho gaye. Ek bhi vyakti se yadi rag rah gaya ya dves rah gaya to phir ana padega. Ek bhi vyakti se puri srishti mein na rag ho na dves ho. Aisa hriday nirmal nirvikaar nishpriy kisi ki prati koi bhi apeksha na rakhne wala hriday ye bhagwat swaroop ye sab sthitiyan tabhi aa jati hai jab ham bhagwan ki sharan mein hokar khub naam jap karte hain. Jo naam jap nahi karte nahi wo keval baten rahti hai sthiti nahi aati yadi gyani ho to sarvam khalmidam brahm yadi bhakt ho to main sevak sachrachaar rup Swami bhagwant phir aur charcha kahan rah gayi Uma ji Ram charan rat vigat kam mad ko to nij prabhu main dekh jagat ke kaisen karen virodh hamen sthiti prapt karni baten nahi dekho sthiti prapt mahapurush kaise kah rahe hain kah rahe hain patit manatham mudham deenam dushtit [gana gane ki aawaz] kartam ma Radha kamal duram nave Vrindavan katham kurte he Vrindavan mera kya hoga main to patit hoon anath hoon mudh hoon din hoon aur ekmatra dusht cheshaon mein sanlagna hoon aur Radha charnarvind ki priti se bahut dur hoon na ved mein maine nahi janta ki mera kya hoga.
par he Vrindavan maine aapko pakar liya hai. Aapka aashray le liya hai. Arthat jo nich hai, patit hai, anath hai, mudh hai, gandi cheshaon mein sanlagna hai, priyaju ke charnon mein bilkul priti nahi hai, wah bhi yadi Vrindavan ka vas sweekar kar le to Vrindavan use shri ji ke charnon ki prapti kara dega. Bhav yah hai ki kitna bhi nich purush ho yadi dham ka aashray aur vas sweekar kar le to jis maya se par hona bahut kathin hai us maya se par karke Vrindavan bhagwat prem pradan kar dega atyant kumti mat shrankhal mati soch socham ma shri Vrindavan mein swadbhut kripyatma sa kurtam shripad kah rahe hain jiski atyant kumti hai bilkul buddhi bhrasht hai ati uchh shrankhal hai aur ati sochneeyon se bhi sochneey hai mati soch sochyam mam aise ka kalyan kaise ho sakta hai?
jo kumti unkhal swabhav sochneeyon mein atyant sochni ye aspataal hai Vrindavan serious se serious marij ko svasth kar de. Svasth [nak se ki jane wali aawaz] swaroop mein sthit kar de. Vishwas karo. Bahut kripa hai dham ki. Jab aap apne aham ko shri dham Vrindavan mein arpit kar denge to aham ka connection hai. Phir aapko pata chalne lagega Vrindavan ki mahima kya hai? Prakashit hone lagegi. Parashwa mein priyal khade hain. Aisa anubhav hota hai. Yah thodi ki apvitrata ya pavitra ka kahin bhed rah gaya ho.
savayabhyantar suchi bah aur abhyantar param pavitra jis samay shri dham ki kripa se har samay smriti jagrit ho jati hai. Moh ka nash hua, gyan ka nash hua, har samay bhagwat sanidhy shri dham Vrindavan sakshat vardan hai jo atyant sochni se bhi sochneey hai uchh shrankhal hai jinki kumti hai aise jan bhi Vrindavan ka yadi vas sweekar kar le aashray le le to kah rahe hain shri Vrindavan mev swa adbhut kripya atma sat kurtam Vrindavan apni kripa se use atmasat kar lega. Priya pritam ki sahachari mandli mein mila dega.
bas nishcint ho jao. Apne mein shrankhalta to hai. Sochneey bhi hai lekin ati sochneey nahi hai. 24 ghante mein kuch minute aise hain jinme hamen man pareshaan karta hai. Nahi aisi dincharya hai ki usko avsar hi nahi milta. Jahan kah rahe hain ati kumti hai, unkhalta hai, sochni se sochni hai. Usko bhi Vrindavan apni kripa se atmasat kar leta hai. To apne log to pankti mein khade hi hain. Kahe ko chinta karte ho? Ab ek baat dhyan deni hai. Age ke shlok ki jo baat kah rahe hain. Vrindavanne prajalpan gachchha tan swapan shasanwa smar taral gaur neel jyotir dwandam kada pur kalay agar aapko Vrindavan vas mil gaya hai aashray mil gaya hai to kah rahe hain prajalpan gao bolo Vrindavan Vrindavan Vrindavan Vrindavan [chikne ki aawaz] Vrindavan Vrindavan Vrindavan [hausla badhane ki aawaz] Vrindavan jai jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jaywan [hausla badhane ki aawaz][chikne ki aawaz] jai pran Vrindavan jeevan Vrindavan sarvasv Vrindavan jai [chikne ki aawaz]
Vrindavan pran jeevan sarv jai [chikne ki aawaz] Vrindavan jai Vrindavan [chikne ki aawaz] jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan jai ho jai [chikne ki aawaz] Vrindavan jai Vrindavan jai Vrindavan prajalpan gayan karo he yahan ka yahi bhajan hai gungunate hue prabhu ke leela naam rup dham se bhare hue pado ko ya kabhi naam kirtan jai jaykar unki kar rahe pare hain usht pa rahe hain wahin pahunchna hai zyada yahan dimaag ladane ki zaroorat nahi hai ye prem prem ye hriday ka vishay hota hai ye dimaag ka
vishay nahi hota prajalpan arthat gayan karna bar-bar pukarna gachchha chalte hue bhi ham naam ucharan kar rahe hain. Jab ham Vrindavan bolte hain na to Priya pritam sahachari gan khag mrig pashu panchhi lata raj rani sabki kripa milti hai. Kyonki sab Vrindavan ko pran pyare hain aur ye sab Vrindavan ke pran pyare hain. Sabki kripa milti hai. Tabhi atyant uttam sabse durlabh pad sahachari pad ki prapti hoti hai. Shri swamini jo lal ji ke sang rahne ko milta hai. Anadi kal se anant kal tak ye divya Vrindavan ye koi maya rachit dham thodi hai ki jab brahma ki ayu puri hui to phir ye pralya ko prapt ho jae.
nahi mahapralay bhi yahan pravesh nahi pata. Chalte hue gachchha tashthan baithe hain Vrindavan ke hi chintan mein Priya pritam ke hi chintan mein swapan shwas le rahe hain ek ek shas mein kai kai bar naam shwas niche utri to naam shwas upar shripad kah rahe swapan shasan vapi ham so rahe hain to ekagrata purvak Priya pritam ka Vrindavan ka chintan karte hue so rahe hain. Pura bhajan mana jaega aapka sona. Agar sote samay aap Priya pritam ka chintan karte hue so rahe hain. Jarur dhyan dena chahiye. Shayan ke samay sab baten hata deni chahiye.
ekmatra prabhu ka chintan karte hue shayan karna nidra samadhi sthiti uska sona bhi bhajan ho jaata hai. Wo shayan bhi shri ji mein hi kar raha hai. Jagrit swapna sushupti ye shri ji ke charnon mein jagrit mein to ham uthte baithe chalte phirte khate pite gaan kar rahe hain. Lekin swapna hamare bas ka nahi hai. To jab ham har samay shri ji mein lage rahte hain to swapna bhi shri ji ka aata hai aur jab ham shayan ke samay shri ji ka chintan karte shayan karte hain to hamari sushupti bhi shri ji ke charnon mein bhajan hi mana jaega nidra samadhi sthiti shayan bhi samadhi mani jaegi jo uthte baithe chalte phirte khate pite har swas mein shri dham Vrindavan ka naam yugal kishor shyama Shyam ka naam mantr pad isi mein chal raha hai.
nishcint ho jao. Sabse badi baat aa gayi hai. Sevak sharan sada rahe anat nahi vishram. Kah vani Harivansh ki kah Harivansh naam. Ye siddhvastha hai. Har samay vani ji mein ya naam mantr mein nishcint ho jao param pavan shri dham Vrindavan ka aashray aur vas ab durlabh nahi hai bhagwat prem ya bhagwat prapti haan thodi savdhani itni kar li jae ki yadi shrankhalta bani rahi to ant to badhiya hoga ismen to koi sanshay nahi par vartman mein aapko bhagwat anand ka anubhav nahi hoga vartman mein prem anand ka anubhav karne ke liye hamko har indri ke dwaar band karne honge.
agar indriyon ke dwaar swachchhand khule rahe to vartman mein anand nahi hoga. Yah to pakka samjh lijiye ki shri Vrindavan mein sva adbhut kripya atmasat kurtam aapka antim Vrindavan mein vyatit hua sharir chhuta to sva adbhut kripya atmasat kar lega. Par vartman mein ham khali dol rahe hain. Parmanand ka anubhav nahi ho raha. Prem ka anubhav nahi ho raha. Uske liye hamko savdhani rakhni. Koi papacharan na ho. Chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran jismen maharaj prathu paramdhaam ko prapt hue aur unhin ke sharir ko lekar maharani archa chita mein pravesh kar gayi aur wah bhi param pad ko prapt hui.
maharaj prathu ke baad unke putr param yashaswi vijtashwa ye maharaj prathu ke simhasaan par virajman hue. Apne bhaion se bada prem tha. Ye panch bhai the. To aap to maharaj prithvi ke simhasaan par virajman hue aur apne char bhaion ko char dishaon ka raja bana diya. Haraksha ko purv disha ka dhrumkesh ko dakshan disha ka vrik ko paschim ka dravin ko uttar disha ka inme antardhan hone ki shakti thi isliye inka ek naam antardhan bhi hua. Inki patni ka naam shikhandni tha. Unse teen putr hue jo sakshat agni the.
bhagwan Vashisht ji ke shaap se agni pavak, pavman aur suchi inke putr rup mein prakt hue. Aur yah balyvastha se hi yog mein yukt hokar apne agni swaroop ko prapt ho gaye. Antardhan maharaj vijitas ki nasti naam ki patni se haveerdhan naam ka ek putr hua. Yah bade udaar aur bade bhagvatik swabhav ke. Inhone vichar kiya dand lena, praja se judwana, kathor vihaar karna, shasan karna yah sab mayakrit hai. Isliye deerghakaleen yagya mein dixit hokar ke nirantar bhagwan ke bhajan mein raj kaj sab chhod diya.
jise bhagwan se thoda bhi lagav hota hai use sansaar priy nahi lagta. Ye jhutha maya ka khel natak dikhayee deta hai. Yah natak use accha nahi lagta. Yagya karya mein lage rahna. Aur bhagwan ki aradhna nirantar bhagwan ke sumiran mein magan rahna haveerdham ki patni haveerdhani se barishad gay Shukl Krishna satya jitwat naam ke chhah putr hue yah barishad bahut yagya swabhav ke the inka ek tarah se vyasan tha yagya karna itni yagya ki ki pure bharat mein koi jagah hi nahi bachi jahan yagya na ki ho. Kushon se paat diya. Agrabhag yog phailae hue kushon se puri bhumi nap gayi.
itni yagya ki inka naam para prachin barah barshad ko hi prachin barhi kahte hain. Prachin barhi ji ne brahma ji ke kahne se samudra ki kanya satad se vivah kiya. Ye sarvang sundari thi. Itni sundar thi ki jab ye bhavne dene ke liye ai to agni prajvalit ki jati to agni devta mohit ho gaye. Aur pragat mein jaise jaise bhavavre ghumti waise darshan karte. Itni sundar thi. Satad ke garb se prachin bar ke pracheta naam ke 10 putr prakt hue. Ye bade mahabhagvat hue. Ye dason ka naam ek hi rakha gaya.
pracheta aur dason ek hi swabhav ek hi aacharan wale the. Inko pita ne adesh kiya ki santan utpann karna hai. Par uske pehle tapasya ke dwara brahm bodh prapt karna hai. Pehle bhagwat prapti phir santan utpann karna. Yahan pura jeevan vyatit ho jaata hai. Bhagwat prapti ka lakshya hi nahi ban pata. Pita ne kya adesh kiya ki tumhen santan utpann karna arthat grahasti mein jana hai. Par pehle jao tapasya karo aur bhagwat prapt ho. Phir santan 10,000 varsh tak unhone tapasya ki bhagwan shri hari ki.
jab ye tapasya ke liye ja rahe the to devdhidev mahadev bhagwan shankar ka darshan aur updesh prapt hua. To vidur ji ne pucha brahmin devdhidev mahadev bhagwan shankar ka darshan to bada durlabh hai. Yah ja rahe the tapasya ke liye to inko raste mein kaise darshan de diya? Aur bhagwan shiv ne updesh kiya ho to bada gadh hoga. Bhagwan shankar atmaram hai. Kaise unka darshan hua prachetaon ko aur kya updesh yah main sunna chahta hoon. Shri maitri ji kahte hain vidur ji jab pita ne agyaa kari 10 pracheta gan ki jao pehle tapasya ke dwara bhagwan ki prapti karo.
to pita ko pranam kiya aur tapasya ke liye paschim ki or chal diye. Jab koi bhagwan shri hari ki prapti ke liye chalta hai to mahadev ji us par drishti rakhte hain. Dhyan rakhna bahut kripalu bhagwan shiv hai. Param vaishnavacharya hain. Aur bina bhagwan shankar ki kripa ke shri hari ka prem prapt nahi hota. Kisi na kisi janm mein agar is janm mein aapne shankar aradhna nahi ki aur hari ke bhakt ho to kisi na kisi janm mein shiv aradhna bani hai. Yah tapasya ke liye ja rahe the to raste mein dekha ek vishal sarovar bada nirmal aur bade rang biringe jaljeev matsya aadi neelakmal lal kamal raat din mein sayank kal mein khilne wale kamal indeevar bahut sundar sarovar aur uske tat par hans saras chakwa karando jal pakshi chahak rahe jhumjhum kar latae jal ko sparsh kar rahi badi madhur dhvani vayu kamal kosh se parag ki khushbu lekar ghanendra ko madhommat kar rahi aur ascharya ki baat yah ki sarovar ke jal se mridang pan aadi anek vadya baj rahe hain aur rag ragniya prakt ho rahi hai.
pracheta ganon ko bada ascharya hua ki aisa sarovar to aaj tak hamne nahi dekha. Jahan se rag ragniya aur pado mridang aaj baj rahe the. Us dhvani ki taraf lakshya kiya to dekha devdhidev bhagwan shankar apne anuchron ke sahit sarovar se bahar aa rahe hain. Ta he manikaya shit kantham trilochnam prasad sukham viksha pranam jat kotka shatan prapan haro bhagwan dharm vsala dharm gyan shil sampann prit preetavach pracheta ganon ne dekha bhagwan shankar ka gaur varn sh swarn kant prakashit ho rahi gaur mein bhi swarn kant tapt hem nikayabham shri ji ke shri ang ki kant ko jab mahaprabhu varnan karte hain to kah rahe hain ki sat Kumbh tanu gori tapt hem nikay abham bhagwan shiv ke Shri ga ki abha kaisi ekdam gore aur swarnnim abha prakt ho rahi hai swarn rashi
ke saman kant tapt hem nikayabham shit kantham trilochnam jo samudra manthan ke samay vish nikla tha use kanth mein to neelkanth trilochnam teen netr prasad sumukham viksha pranaymar jat kautuka apne bhakton par kripa varsh kar rahe hain aisa swaroop bada ascharya hua prachetaon ko bhagwan shankar ka sahsa darshan pakar dason ne sashtang dandvat ki sharanagat bhayari devdhidev mahadev bhagwan shankar prasann mudra mein un rajkumaron se prasann hokar bole tum log raja prachin var ke putr ho tumhara kalyan ho jo bhagwan shri hari ki ara aradhna karna chahta hai ya karne ke liye chalta hai.
main uski ek ek vritti ko dekhta hoon. Tum jo kuch bhi karna chahte ho mujhe pehle se pata hai aur is samay tum logon par kripa karne ke liye maine tumhen apne darshan diye hain. Jo vyakti bhagwan shri Krishna ki sharan leta hai wo mujhe pran pyara hai. O ho yum ved sada putra vitam va kitam anugrah bhadram wa evam darshan kritam yah param rangsa sakshat triguna jeev sangeetat bhagwantam vasudevam prapan priyo mein jo bhagwan Vasudev shri Krishna ki sharan leta hai wo mujhe pran priy hai. Mahadev ji kahte hain aur iska ulta bol de jo bhagwan mahadev ji ka pran priy ho jaata hai use bhagwan shri Krishna ke charnon ki vishuddh bhakti prapt ho jati hai.
ja par kripa na karah purari so na pav muni bhagti hamari shiv drohi mam das kahava so nar mohi sapnehu nahi bhawa bhagwan shankar kah rahe hain jo bhagwan shri Krishna ki sharan leta hai mujhe pran priy ho jaata hai. Dhyan se suno. Bhagwan shiv kah rahe swdharm nishtha sat janm bheeman vichta ta param avyam bhagavto vaishnavam padam yatha vidha kalat jo 100 janm tak apne varnashram dharm ka bhaleebhanti palan karta hai. 100 janm tak dharm ka bhaleebhanti palan karta hai. Wo brahma ka sakshatkar karne ki yogyta rakhta hai.
aur usse bhi adhik jo tapasvi bhajnanandi hai wah mujhe prapt karta hai. Parantu jo bhagwan shri Krishna ka sharanagat hai wo isi janm mein sidhe param pad ko prapt hoga jisko brahma bhi namaskaar karte hain. Sarv prapanchateet param pad ko prapt hoga. Jise Rudra rup mein sthit main tatha anya adhikarik devta brahma ye sab namaskaar karte hain aur ant mein jab srishti ka lay hota hai to us param pad ko ham prapt hote hain. Wah param pad shri Krishna sharanagat ko isi janm mein sidhe prapt hota hai. Ath bhagavtayam priyasta bhagwan yatha nam bhagwata naam cha prya ananyasta karit idam viviktam japavyam pavitram mangalam param nishrekram chapayta tadam bhagwan shri Krishna se judne ke nate se ham tumhen bahut pyar karte hain.
kitne pyar karte hain. Mahadev ji kah rahe isht bhagwan yatha ath bhagavtay Priya to is bhagwan yatha main jitna shri Krishna ko pyar karta hoon utna shri Krishna bhakt ko pyar karta hoon. Tum bhagwat bhakt ho is nate se bhagwan ke saman mujhe pyare ho. Mahadev ji kah rahe hain is prakaar bhagwan ke bhakton ko main bahut pyar karta hoon. Bhagwan shiv kah rahe apne aap ahetu ki kripa se pyar karte hain. Tumhare bina poohe tumhen jahan jana hai aur jo siddhi prapt karni hai uske liye main ek tumhen param pavitra mangalmay kalyankari strot ise shuddh bhav se jap karna.
bahut jaldi bhagwat sakshatkar ho jaega. Ganga kinare iska anusthan kiya tha. Bahut bhagwan shiv ka diya hua statra samarthyshali hai. Ab ek ki lago jab tak lagoge nahi tab tak anubhutiyan thodi hoti hai. Shri rudravach jitam tam atma vidhurya swasta swastame bhatara saram sarwas atmane namah namah pankaj nay bhut sukshmendriyatmane Vasudevay shatay kutasthay surochse bhagwan shiv ne ye stotr bataya aur stotr ka phal hai bhagwat sakshat sakshatkar bhagwan Rudra bole stotr he bhagwan aapka utkarsha uchh koti ke atmagyaniyon ke kalyan ke liye nijanand labh ke liye hai.
aapka utkarsha mera kalyan kare. He prabhu aap sarvda apne niratshay parmanand swaroop mein sthit rahte hain. Aise sarwatmak atma swaroop bhagwan aapko namaskaar hai. He padmanabh aapko namaskaar hai. He bhut sukshm aur indriyon ke niyanta shant swayam prakash shri Krishna aapko namaskaar hai. Sankarshanay sukshmay durtayantkay cha namo vishv prabodhay pradyumnayantratmane namo namo aniruddhay hasi keshriyatmane namah param hansay purnay nivtatmane swargavarga dwara nityam suchde namah namo hiranya veeray chatur tave nam utraya pat yagya rese tapta ji naam nam sarv rasatmane he prabhu aap sabse sukshm hai anuyan chhote se chhote sabse chhote kaun bole bhagwan aur sabse bade kaun bole bhagwan anuyan mahto to mahan to beech mein kaun bole shri bhagwan aap hi sukshm hai aap hi anant hai aur aapke dwara hi sampurn loko ka sanhaar hota hai.
dhyan se suno to agyaan khatm ho jaega. Sukshm se sukshm chhote se chhote bhagwan bade se bade shri bhagwan aur aap hi sansaar ka sanhaar karte hain. Aur is sansaar ka sanghar karne wale ahankaar sankarshan udgam buddhi ke adhishthata pradyumn aapko namaskaar. Indriyon ke Swami man tatv ke adhishthata bhagwan Aniruddh aapko bar-bar namaskaar. Aap apne tej se jagat ko vyapt karne wale surya dev hain. Aapko namaskaar. Sidhe bhagwan hain surya dev. Sidhe bhagwan ke darshan hote hain. Kahan gyan hai? Purn hone ke karan aap mein na vridhi hai, na kshay hai, na aap mein badhna hai, na vinash hai.
ye leela hai. Aapko namaskaar hai. Aap swarg aur moksh ke dwaar hain jo nirantar pavitra hriday se aapka chintan karte hain. Jo chahe prapt ho jae. Swarg moksh prem aapko namaskaar hai. Aap hi swarn rup veer se yukt chatur hotra karm ke sadhan vistar karne wale bhagwan agni dev hain. He agni dev swaroop shri Krishna aapko namaskaar. Aap hi pitr aur devtaon ke poshak som hai. Chandra dev aapko namaskaar. Tino vedon ke adhishthata ved swaroop aapko namaskaar. Samasth praniyon ko tript karne wale jal swaroop aapko namaskaar.
samasth praniyon ke deh aap hain. Prithvi aap hain. Ye virat sansaar aap hain. Isi triloki ko palan karne wale aap hain. Aap hi sabki swason mein vayu rup se pran vayu rup se aapko namaskaar. Bhagwan hi bhagwan. Aap apne gun shabd ke dwara samasth padartho ka gyan karane wale bahar bhitar akash rup se isliye he akash swaroop shri Krishna aapko namaskaar aap hi vaikunth lok hain. Aapko bar-bar namaskaar. Aap hi pitr lok ki prapti karane wale pravriti karm rup devlok ki prapti karane wale nivitti karm rup aur adharm ka phal rup narak dukh mrityu ye aap ye aapko namaskaar.
aap hi dukh rup bhi hain. Aap hi mrityu bhi hain. Aap hi narak bhi hain. Isliye bahut hosh se aapka kaun swaroop pasand hai aapko? Moksh swaroop, prem swaroop, dharm swaroop, sukh swaroop to wo sweekar karo. Bhagwan hi sab kuch bane hue hain. Nath aap puran purush sankhya aur yug ke adheeshwar bhagwan shri Krishna hain. Aap sab prakaar ki kamnao ki purti karne wale mantr murti mahan dharm swaroop hain. Aap mantramay hain. Ye jo aap mantr dhyan karte ho sakshat bhagwan hai. Sakshat prabhu hain. Karo na dhyan. Dhyan karte hue mantr japo.
dekho abhi kaisi shakti jagrit hoti hai. Aap gyan shakti hain aur aap jiske hriday mein gyan shakti rup se prakt hote hain usko maya kunthit nahi kar sakti. Wo gyan shakti kunthit nahi kar sakti. Padh likh ke jo gyan hai use maya aphrn kar legi. Lekin bhajan se jo gyan hoga use maya kunthit nahi kar sakti. Aapko namaskaar hai. Namaskaar hai. Prabhu aap hi karta karan karm tino ko shakti pradan karne wale hain. Aap hi bhagwan Rudra hain. Aap hi gyan hai. Aap hi kriya rup hain. Aap hi char vani hai.
para pashyti madhyama vaikri ye char prakaar ki vani aap hi hai. Prabhu yah ham aapki vinay kar rahe hain kyonki aapke darshan karna chahte hain. Atah aapke bhakt jan jinka pujan karte hain. Aap apne nij janon ko pran pyare hain. Main us rup ko dekhna chahta hoon. Aap wo rup hamen dikhaie. Aap hamen apne darshan dijiye. Aapka wah rup samasth indriyon ko tript karne wala hai. Suna hai ki wah varsha kalin megh ke saman snigdha Shyam sampurn saundaryon ka sar sarvasv hai. Sundar char vishal bhujaye manohar mukharvind kamal dal ke saman netr sundar bhahe sugh nasika manmohini dant pankti bahut chikre kapol manohar mukh mandal shobhashali saman Karna yugal prabhu tirchhi chitvan Shyam varn ghunghrali alke kamal kusum ke kesar ke saman phahrata hua Pitambar jhilmilate hue kundal chamachmate hue mukut kankan har napur mekhla vanwala kaustubh mani apurv shobha aisa suna hai aapka rup aur wo main dekhna chahta hoon he bhakton ke bhay ka aphrn karne wale he jagatguru agyanavrat praniyon ko apni prapti ka marg batane wale aap hamara bhav sweekar karen aur hamen sakshat darshan den.
prabhu jo apni chitt ki shudhi ki abhilasha karne wale purush hain unko chahiye ki aapke isi rup ka dhyan karen. Isi rup ka aashray le. Isi rup ki bhakti karen. Arthat shri Krishna shri hari rup bahut jaldi chitt shuddh ho jaega aur prabhu aap abhay karne wale usko apna darshan denge bhul mat karna aap jaisa sochoge vaisa hi aapko anubhav hoga yatham prapaddyate tas tath bhajamyam aur shastr kahta hai jab aap bhakti karoge dekho thoda bhav se dekhna aap jitni bhakti karte ho kya aapke bhav desh mein waise bhagwan dikhayee dete hain?
ham jo pooch rahe hain usko aap samjh rahe hain. Aap dekho aankh band karo ya aankh khol ke aap jitni samarth rakhte hain bhav ki aapko waise prabhu jhalakte nazar ate hain ki nahi? Ate hain ki nahi? Aap dekh lo. Pata nahi dekh lo aap. Agar vishay chintan bahut hota hai to phir yah nahi aayega jo ham kah rahe hain aur agar bahut gadh chintan karte ho to aapke samne abhi dikhayee denge. Yat kinchit jaisa aap bhav karte hain waise aise hi samne prakt ho jaate hain. Jab gadh chintan prabhu ka hota hai. Sansaar sharir ka chintan bhulne lagte hain.
waise hi bhagwan chhane lagte hain. Bhagwan ka yah rup abhay kar dene wala hai. Sada sada ke liye man chor rup hai. Yah man ko cura lete hain. Prabhu bade-bade devtaon ke liye bhi durlabh hai. Aapki bhakti aapka bhajan devta nahi kar sakte. Yah manav deh se hi ho sakta hai. Satpurushon ke liye bhi durlabh anannya bhakti se bhagwan ko prasann karke jinki prasannata kisi anya sadhan se nahi anannya bhakti se hoti hai. Aisa kaun hoga jo bhagwan ka prem chhodkar usse vishay mange. Anannya bhakti ke badle mein prem chhodkar ke aur koi vishay mange.
kitna durbhagya hoga jo bhagwan se vishay mange. Prabhu yah tribhuvan ke vishay to jis samay aapki bhrakuti tedhi hoti hai usi samay kal sanhaar kar dalta hai. Aapke charnon ki sharan mein gaye hue prani par kal ka adhikar nahi hota. Samjh jae sharan te darat na kal dar. Prabhu aapke premi bhakton ka yadi adhe kshan ke liye samagam ho jae kshanaradh na pit tule na swargam na punrabhwam bhagwat sang sangas marta naam kimtash yadi aapke premi janon ka adhe kshan ke liye bhi samagam ho jae to uske samne main swarg aur moksh ko kuch nahi samjhta ki mrityu lok ke tuchch bhogon ki to baat hi kya hai prabhu jo aapke charnon ka bharosa rakhte karte hain.
unke sare paap aap nasht kar dete hain. Sarv dharm parityaj mamekam sharanam braj yah bahut mithi baat hai. Aham tam sarv papabh mokshyam mascha jo aapke keval charnon ka bharosa rakhte hain. Yahan bhrose ki baat kahi. Sare paap rashi ke rashi nasht ho jaate hain. Prabhu jo aapke charanamrit ka aur aapke kathamrit ka charanamrit aur kathamrit inka jo pan karte rahte hain wo rag dves rahit saralta purvak satogun rajogun tamogun par vijay prapt karke wo aapki prapti kar lete hain. Aapka charanamrit aur aapka kathamrit khub leela katha sunna aur charanamrit bhagwan ka pan karna.
jin sadhak ka chitt bhakti yog se anugrahit evam vishuddh hokar yah bhagwat prapt hone ki sthiti ka varnan hai. Ismen na yasitam bahirartha vibhramam tamo guhayam cha vishuddh ma vishat y bhakti yoganugrahi manjsa munar vichashta nan tatrate gatim aisi sthiti mein bhagwat sakshatkar hota hai saral bhasha mein odiya Baba ne isi ko kaha jiska kisi bhi naveen vishay bhog bhogne ki ichchha ka bhav khatm ho gaya hai jo pure vishv mein rag dves se rahit hai wah bhagwat prapt hai ya bhagwat prapti hone wali hai. Yahan varnan karte hain na yasitam bahirartha vibhramam jis sadhak ka chitt kisi bhi vishay mein nahi ja raha hai.
na accha na bura na sat na asat jise kaha gaya na sochti na kati na yasitam bahirartha vibhramam duba hai naam mein mantr mein rup mein leela mein na koi bahar vishay na koi andar vishay chintan tamog guhayam jo agyaan rupi andhkar mein prakriti mein akarshit hokar jana yah sab khatm ho chuka hai. Itna bhajan mein sthiti hai ki jo agyaan ke karan mana khashtan indran prakriti sthan karti wo khatm ho chuka hai. Na andar vishay chintan na bahar koi lubhayaman vishay na bahar bhatakna na andar se kisi gun ka pravah bole wo anyas hi aapka darshan pa jaata hai.
anayasi bhagwan ka kisi bhi kshan darshan ho sakta hai. Ab jiske andar kisi bhi bhog ki ichchha nahi. Mantr naam mein itna duba hua hai ki bhtak hi nahi raha man ja hi nahi raha. Ab wo kisi kshan bhagwat sakshatkar kar sakta hai. Kitna vijay mein sukh hota hai wah wahi jante hain jo vijay ko prapt hote hain. Socho jab sadharan khelon mein vijay hoti hai to pura bharat utsah manata hai. Nahi bole amuk khel mein wo vijay prapt kiye to pura bharat aandit. Socho jo is maya khel mein sampurn tribhuvan par vijay prapt kar liya.
sampurn tribhuvan ko parajit karne wali maya par vijay prapt karke mayadheesh bhagwan ka sakshatkar kar liya. Kya anand ho? Uska anand ka kaise varnan karen? Kisko hota hai? Bole nitam bahi vibhramam tamo guhaya vishuddh ma y bhakti yoganugrahit manjsa munar vich na tatrate gatim jiskit bhakti yog arthat bhagwan mein itna tanmay hai ki bahar ke vishay ka koi bhi akarshan nahi wo andar jo man vishay deta rahta hai wo bhatakna band kar diya satogun rajogun tamogun ka koi prabhav uske ke upar nahi par raha.
har samay bhajan mein duba hua bole wo anyas hi aapke swaroop ka darshan pa jaata hai. Kisi kshan bhagwat sakshatkar ho sakta hai. Bhagwan aapki maya anek rup dharan karti hai. Koi yah nahi kah sakta ki yah maya hai. Aisi praveen hai. Wo anek rup dharan karke chhal karti hai. Rachna palan sanghar yah sab isi ke rup hai. Parantu aap mein koi vikar maya paida kar de jaise sambhav nahi. Aise us bhakt mein maya vikar paida kar de sambhav nahi jo aap mein chitt jude hue hain. Maya jo aapse vimurkh log hain unmein bhed buddhi paida karti hai.
jo aapke samukh bhakt jan hai unmein nahi. Jaise aap paramatma par maya koi prabhav nahi dal sakti. Aise jinka chitt har samay prabhu mein juda hai us par maya koi prabhav nahi dal sakti. Jaise aap param swatantr hain waise wah bhi bhakt param swatantr ho jaata hai. Jo aapka pujan karte hain. Aapki upasna karte hain. Aapka naam jap karte hain. Aapki sharan mein hain. Unhone hi ved aur shastron ka sacha gyan prapt kiya hai. Wahi kovida hai. Wahi sache shastr ke gyani hain jo aapka pujan karte hain. Isi ko pakar lo.
bhagwat seva karna. Ab ham tumhen kaise batayen? Thakur ji jarur virajman kar lo. Seva mein yah pakar lete hain. Yah khalne lagte hain. Yah chitt churate hain. Matlab shabd hamare paas nahi hai. Ham is baat se anwigya the. Ham to itna hi jante the. Apni indriy aur man ko adhin karke apne swaroop mein sthit ho jana. Ye to Vrindavan ki leela kahte hain na Vrindavan ki leela mat samjho guru ko cheera. Yahan rishi muni gaye har jape ja Radhe Radhe. Are gazab ki gazab ki thakur ki leela hain. Gazab ki ashcharyamai leela hain.
ham ye kahte sabse prarthna karte hain ki jarur chahe chhote hi shri vigrah yugal sarkar ke jarur virajman karo. Jarur unko shringarit karo. Jarur unko dular karo. He agar aise char patte ki tahni bhi lekar aise unko shringarit kar doge na wo rijh jaenge. Bahut rijhwar thakur seva jarur karo. Dekho yahan jo purush shighr siddhi prapt karna chahta hai. Siddhi ka tatparya hota hai bhagwat prapti. Wah bhagwan ke shri ang ka pujan seva naam jap bhagwan ki sharan to vede cha tantre chat ev kovida bole shastr mein tantr shastr mein ved mein jo rahasya hai wo sacha gyani hai wo jaan gaya yahi rahasya hai bhagwan ka pujan karna bhagwan ki aradhna karna naam jap karna unko pad sunana unko ko dular karna.
are pocho mat. Bas shabd nahi hai. Ham itna kahte hain ki seva jarur karo. Jarur seva karo. Jarur seva karo. Chhoti si chhoti seva ko bahut karke mante hain aur phir ye chitt mein savar ho jaate hain. Phir ye jo kitna dular hota hai jab wo kahte hain ki hamen ye do. Kaisa lagega? Jab prabhu aapse kahe hamen ye pahnao. Hamen pavao hamko wahan ghumao kaisa lagega aapko rona aayega rona rona aayega aap jab aapse baat karenge to aapko pata chalega aur baat tab karenge jab aap kisi se baat nahi karoge keval unhin se baat karoge unhin ka shringar karoge unhin ko dekhoge to baat karne lagenge anannya bhakti prabhu is srishti ki purv maya aapki hi shakti se soi rahti hai.
aapki hi shakti se jagti hai aur aapki shakti se hi sab kuch rach deti hai. Yah aapki shakti hai. Prabhu aap apni maya ko sweekar karke hi jarayu dandat shwad ubhit char prakaar ke 84 lakh yoniyon ke rup mein aap hi prakt hote hain. Khula likha hua hai hamare dikhayee nahi de raha wahi hai prabhu in sharir aur indriyon mein rahkar tuchch vishay ko jo bhogta hai wo ansh ya purush jo jeev kahlata hai wo aap hi hai. Bas yahi samjhna hai. Yahi samjhna hai. Bhul gaye ham prabhu ko dosh dene ke liye bahut jan ate hain. Bhagwan ne aisa kyon kiya?
bhagwan ne aisa kyon racha? Are bavar re tu kaun hai? Dekh tu kaun hai? Jab dekhega to sare prashn samapt ho jaenge. Brahm bhuta prasann atma na sochti na kati prabhu jaise vayu apne ashniya prachnd jhonkon se meghon ko titar vitar karke nasht kar dalti hai. Aise hi maya ka prabal veg moh grast karke jeev ko pramad va daudae hain. Yah karya karna ye karna ye kar liya ye karunga aisa ho jaega. Prachnd jhonka maya ka chain nahi lene deta aur jab bhagwan ki kripa ho jati hai maya hatti to goswami ji kah rahe jaki kripa lavleshte mati mand tulsi das payo param vishram kam mit gaya kamna mit gayi vasna mit gayi kitni apaar shanti jab tak aapka bhajan nahi tab tak lobh aur vishay bhogne ki lalsa ye mit mit nahi sakti.
lobh bhog bhogne ka vastuon ka sangrah karne ka rupya paisa man pratishtha naam kirti vishyon ki lalsa aur lobh ye mit nahi sakta. Aur wo pura jeevan vishay purush isi mein vyatit karta hai aur aap kal rup se usko nasht kar dete hain. Wo jaan nahi pata. Jo aapki avhelna karte hain, wah apni ayu ko vyarth nasht karte hain. Vyarth nasht karte hain. Ye naam jap na chhute naam pakar lo nahi to pura jeevan vyarth chala jaega. Prabhu yah kal aapka ansh hai. Kisi ko nahi bakhashta. Hamare pita brahma ko bhi nahi.
swayambhu ko nahi koi bhi aisa nahi jisko kal chat na jae. Ek baat hai bas shraddha se jitna jeevan ab bacha hai naam jap bhagwat katha suno bhagwat seva karo. Agar sharir mein thodi bhi samarth ho to thakur seva jarur virajman kar lo. Jiske koi nahi honge unki ye seva swayam karne lagte hain. Swayam seva karne lagte hain. Ye virajman karo. Thakur seva jarur sab virajman karo. Thakur seva kuch na hoe to ek tulsi dal charnon mein chadha do Vrindavan ka koi patta lake aise do char patte aise usi mein hamare thakur Vrindavan ke thakur bahut jaldi rijhwar thakur hai aur jo aap pao bhog laga do bahut saral seva hai accha yahan koi mantro wali hai nahi seva ki hamen to mantr nahi ate hamen bhog lagane ke mantr kuch nahi Radha Radha Radha puri seva isi se kar lo yahan bhav ki bhavotsaven bhajta ras kamdhenu karmabai paddhti se khichdi pavati thi kya sab paddhti alag bhav ki paddhti alag he brahmin ye sara jagat kal se bhayabhit hai he parmatman jo aapki sharan mein aa gaye wahi bhay shunya ho jaate hain.
bhagwan shiv kah rahe he rajkumaron yah jo maine stotr kaha tum param pavitra hokar stotr ka jap karo bahut jaldi bhagwat sakshatkar ho jaega. Bar-bar jab shri hari ko pukara jaata hai, unka chintan kiya jaata hai, unki seva ki jati hai to hari vivash hokar aa jaate hain. Vivash hokar aa jaate hain. Maine tumhen yah yogadesh naam ka stotr sunaya. Ise tum manan karna. Munivrat aacharan karte hue ekagrata purvak aadar purvak is statra ka gayan karna. Yah mahmmahim stotr hai. Yah purv kal mein jagat vistar ke ichchhuk prajaptiyon ke pati bhagwan brahma ji ne praja utpann karne ki ichchha wale ham bhrigu aadi apne putro ko sunaya tha.
phir iska vistar hote hue age badha. Jo is ye hamne guru kripa se iska anusthan kiya. Ganga kinare anusthan kiya. Bade divya anubhav bahut ganga ke kinare bahut anand aata tha kyonki kisi se milna julna nahi tha. Wah raat din wo to jaise ashraomo mein rukte the to granth hote the aur agar bhramn mein chal diye to bhi koi granth paas nahi hote. Yah to mantrakaar vritt devi ji ki jab jis samay kyonki sa upasna us durga Saraswati ka jab anusthan to ye sab divya hai divya ab apne log samay khanpan vyarth nasht kar rahe hain.
agar anushthanon mein lage to abhi divyta tumhen jaisejaise yogyta badhti jaegi waise waise aapko darshan hone lagenge. Sant mahapurushon ke darshan, daivi shaktyon ke darshan, bhagwat darshan ye sab hone lagenge. Bhagwan ki aradhna bahut kathin hai kyonki man lagta nahi hai. Parantu jo is stotr ka path karega sunega to sugamta purvak uska man bhagwan ki aradhna mein lagne lagega. Bhagwan shiv kah rahe hain mere dwara gaye hue stotr ka jo gaan karega shravan karega wo jo chahe prapt kar le is statra ke gayan shravan se jo purush Usha kal prat kal uthkar shraddha purvak hath jodkar gata hai ya sunta hai wo is stotr ke prabhav se karm bandhan se mukt hokar bhagwan ko prapt karta hai.
he rajkumaron maine tumhen param purush paramatma ka stotr sunaya. Ekagrit se tum tapasya karo. Tap purvak is stotr ka gayan karo. Bhagwan shankar prachetaon ko updesh abhi diye aur tatkaal antardhan ho gaye. Na wah sarovar na wah koi pashu wahan pakshi na koi sangit na ragrag kuch nahi sab khatm wo bhagwan shiv ne prakt kiya tha pranam kiye us disha ko aur samudra mein jakar ke bhagwan Rudra ke batae hue is stotr ka 10 hazar varsh tak jap karte rahe kalyug bhagwan ki jai 10,000 100 varsh ki ayu agar puri ayu aur usmen bacchapan to aise hi chala gaya.
sone wala samay aise chala gaya. 10,000 varsh tak na sona na koi khana na pina samudra ke jal mein khade hokar tab hari ki jai ho kalyug ki. Ham to kahte jai ho kalyug ki jo bahut jaldi bhagwat prapti karata hai. 10,000 varsh tak tapasya mein aur idhar unke pita jo prachin bar the wo yagya mein jab koi kisi bhi tarah se bhagwat aradhna karta hai to usko purn karne ke liye mahapurushon ka sanidhy milta hai. Atma vidya visharat param kripalu narad ji ne dekha ki yah to keval yagya swaha swaha rajan itni yagya kar dali ki koi bharat mein bhumi hi nahi bakaya rah gayi kya phal chahte ho dukh ke atyantik nash aur parmanand ki prapti karmon se nahi milti raja ne kaha prachin bari jinke putr putr abhi tapasya mein 10,000 varsh tak yah yagya mein unhone kaha meri buddhi to karm mein aisi phas gayi hai ki mujhe lagta hai iske siva aur main kuch kar nahi sakta yagya ke siva aur aap kahte karmon se dukh ke antik nash aur parmanand ki prapti nahi hoti to kaise hoti parmanand ki prapti kyonki ham to grihasth mein putr stri dhan yagya aadi karke yahi param purusharth mante hain.
devrshi narad ji ke charan pakar ke prachin barhi ne kaha mera param kalyan kaise ho? Aap updesh kijiye. Devrshi narad ne kaha updesh to baad ke pehle akash mein dekho. Dekho tumne in jo yagno mein bali di hai wah sab akash mein tumhara intazar kar rahe hain aur ye bhi tumhara sharir chhuta yah sab tumhari durgati ke karan bane ye sab tumhen bhayanak pida denge ye mat samjho ki tumhen bhagwan ki prapti ho jaegi jo tumne in jeevan ko kasht diya hai yah sab lohe ke seengon se yukt tumhen chhed chhed kar marenege.
yah tumhen bahut kasht denge. Suno yahan jo bhi karm kiya jaata hai uska dand milta hai. Phal milta hai. Tumne in jeevan ko mara. Shikar mein jeevan ko mara. Ye sab tumhen marenege. Akash mein dekho. Suno main ek tumhen charit sunata hoon. Jis charit ka naam hai puran upakhyan puran charit savdhaan hokar suno purv kal mein ek puran naam ka bada yashaswi raja tha aur uska avigyat namak ek mitra tha avigyat jiska pata nahi hai puran yah dekho pur hai aur is pur mein jo anand manane laga use puran kahte hain.
puran hua jeev aur avigyat sakha hamare abhigyat sakha hai bhagwan bahut sundar upakhyan hai agar samjh mein aa jae par jab tak pavitra buddhi nahi hogi tab tak puran naam ka ek bada yashaswi raja tha aur uska avigyat namak ek sakha tha. Sabke sakha bhagwan hai. Pukar ke dekh lo. Agar aap keval bhagwan ko apna mitra mante hain to aapko uttar milne lagenge. Kyonki avigyat sakha apni ahtuki kripa se sabse prem karte hain. Sammam priy sammam upjae. Avigyat namak sakha ki cheshaon ko koi samjh nahi sakta tha.
wah aisa mitra tha. Sahyog karta hai par koi jaan nahi pata ki bhagwan mera sahyog kar gaye. Kis rup mein akar ke aapka sahyog karenge. Ab rajan wo jo puran naam ka raja tha wo ghum raha tha. Kyonki use bhogon ki lalsa thi. Bhog bhogne ke liye usne jitne nagar dekhe unmein se koi pasand nahi aaya. 8399 nagar dekhe lekin koi pasand nahi aaya. Ek din usne Himalay ke dakshan tatwarti shikhron par karmabhumi bharat khand mein nau dvaron ka ek mahal dekha. Nagar dekha. Sab prakaar se sulakshan sampann nagar tha. Nau dvaron ka kitne dwaar hai ismen?
nau. Yah pasand aaya puran ko. Jeev ko yah sharir pasand aaya. Bada sundar ab wo to rupak mein varnan kar rahe. Bada sundar nagar. Aisa lag raha tha usko ki abhi tak jitni mehnat ki uska mujhe phal mil gaya. Khoj karne ka phal mil gaya. Jidhar dekho udhar akarshan hi akarshan. Ab puran ne socha bahut sundar mahal bahut sundar hamen vishram sthal mil gaya. Sweekar kar liya. Lekin jo hi usmen pravesh kiya to ek sundari aati dikhayee di. Aur wah aksmaat udhar se aa rahi thi aur us sundari ke saath 10 sevak the jo pratyek 100 100 nayikaon ka pati tha aur panch phan wala saanp us nau dwaar wale nagar ki raksha kar raha tha.
ek sundari aati dikhayee di. Jiske saath 10 balvan sevak the. Un balvan sevkon mein ek ek ke paas 100 100 patniyan. Panch phan wala sarp us nagar ki raksha karta tha. Wah sundari nav yuvati mano vivah ke liye shreshth purush ko khoj rahi thi. Badi hi sundar mano koi devi ho sakshat. Nasika dant pankti kapol mukh sab sundar aur kishoravastha lajjavash apne anchlon ko dhakte hue age badh rahi thi. Panch phad wala sarp raksha kar raha tha. 10 mahan sevak uske saath the. Ab wah je bhi prem purn tirchhi chitvan se puran ko dekha to puran ghyal ho gaya nari nayan sir jah na laga chahe jitna veer ho muskura ke tirchhi chitvan to sidhe hriday par prhar hota hai bol bhi na pave puran ekdam aasakt ho gaya aur kaha kamal dal lochne tum kaun ho?
kiski kanya ho? Kahan se aa rahi ho? Tum is puri mein ho. Kya karna chahti ho? Ye 10 sevak kaun hai? Aur ye bahut si saheliyan tumhare samne kaun hai? Aur ye panch phan wala sarp kaun hai? Sundari tum kaun si devi ho? Kamla ho to tumhara krida kamal kahan gaya? Lajja devi ho. Kaun devi ho? Nahi nahi tum koi devi to ho nahi kyonki tumhare charan prithvi ka sparsh karte hain aur deviyon ke charan prithvi ka sparsh nahi karte. Yadi tum manwi ho to main tumhen dekhkar aasakt ho gaya hoon.
main bahut veer hoon, parakrmi hoon. Par tumhare kataksh ne mere man ko bekabu kar diya hai. Isliye kya tum mujh par apni kripa karogi? Suchismate main tumhare darshan se bik chuka hoon. Narad ji kahte hain veerwar jab raja puran ne adhir hokar dainya hokar yachna ki yah Kamdev aisa vichitra dhanurdhar hai ki koi kitna bhi balvan ho jab yah baan sandhan kar deta hai to ghutne ke bal ho jaata hai. Wo pair chhuega hath jodega vinay karega jaisa chahe vaisa adhinta puran adhin ho gaya us navyuvti ko dekhkar us navyuvti ne kaha nar shreshth mujhe pata nahi ki main kaun hoon.
bahut sundar upakhyan hai. Mujhe pata nahi utpann karne wala kaun hai. Main na apne ko janti hoon na dusre ko janti hoon. Mera gotr kya hai? Kul kya hai? Naam kya hai? Main kaun hoon? Kahan utpann hoon? Mujhe kuch pata nahi. Bas itna dekh rahi hoon ki main is puri mein hoon. Samne tum ho. Yah bhi mujhe pata nahi ki puri kisne banai priywar yah mere sakha aur meri saheliyan hain aur yah sarp is puri ki raksha karta hai. Aap yahan padharo aapka mangal ho aur main aapko vishay bhogon ki ichchha purti karti rahungi.
apne saathiyon ke saath jo bhog kahoge wah bhog prastut karti rahungi. Ab wah puran nau dwaar wali is nagri mein bahut aandit ho gaya. Puranjni ne kaha ki main anannya hoon. Aapko chhodkar kisi ke saath mein raman nahi karungi. Aur main bahut praveen hoon. Har bhog ko parosungi aapke paas. Jo chahoge ab kya tha puran waise hi pahli drishti mein aasakt ho gaya tha ab to aur aasakt ho gaya sansaar tyagi yatijan jis maha sukh ko prapt hote hain us sukh ko bhulane wali puranjni ke chakkar mein par ke raja raja puran apna astitva hi samarpit kar diye.
puranjni ne kaha ki veerwar lok mein meri jaisi stri jisko prapt ho jae phir use koi thukra sake aisa koi purush nahi. Aur aap jaisa purush mil jae main thukra du aisa ho nahi sakta. Ab un donon ne baat pakki kar li aur 100 varsh tak us nau dwaar ki puri mein rahkar anand bhogna prarambh kiya. Vishay anand us nagar mein jo nau dwaar the unmein sat nagri ke upar the. Nagri ke upar ek do teen char panch chha sat aur do niche ke dwaar jab jab is nagri ka jo raja hua to inhi dvaron se aaya inhi dvaron se nikla panch purv ki or ek do teen char panch ek dakshan ki or ek uttar ki or do niche paschim ki or dwaar purv ki or pahla dwarak khadta avi mukhi naam ke do dwaar ek jagah raja puran apne mitra daman ke saath vibhrajit nagar desh ko jaata hai.
abhi to kathanak rup mein nalini nalini naam ke do dwaar ye avdhut sourabh ke saath aur purv disha ki or mukhya naam ka pancha dwaar unse hokar rasag vipan ke saath bahudan aap desh ko jaata hai. Puran inhi dvaron mein jo paschim disha ki or asuri namak dwaar hai wah durmat ke saath gramak desh ko jaata hai. Nairti naam ka jo dusra paschim dwaar hai wo lubdhak ke saath vais namak desh ko jaata hai. Puran inheen dvaron mein ghumta raha. Is nagar ke nivasiyon mein nirwak aur peshkrit yah do nagrik andhe the.
inka aashray lekar ke jaata hai. Ab wo puranjni ko prasann karne ke liye hi pura jeevan laga diya. Kaise? Thaga gaya. Ramni ke hath thaga gaya. Thaga gaya ramni ke dwara adhinta par adhinta adhinta par adhinta ab wo madhyapan karti isko bhi madhyapan karati yah mad se unmatt hokar ke agar puranjni gati to yah gata puranjni hansti to puran hansta wo roti to yah rota jo kare bas waise hi wo daudti to aap daud dauda wo khadi ho jati to aap khade jo wo kahti wahi thaga gaya sundari puranjni ke dwara raja puran thaga gaya pura ka pura puranjni ka jo parikar tha is raja ko raund diya apne adhin kar liya wo murkh apne ko ghar pale hue bandar ke saman bana liya iska rupak age age varnan karegi.
ab ek din raja puran apna vishal dhanush sone ka kavach akshay tarkas dharan karke 11va senapati ke saath panch gunon ke sheeghragami rath mein baithkar panchaprastha naam ke van mein gaya. Do pahhie, ek dhwari, teen dhvaja, panch dori, ek ligam, ek sarathi, ek rathi baithe ka sthan jahan puran baitha. Bahut sundar narad ji rupak de rahe hain. Ab wo shikar khalne ke shauk mein kaun parvah karta hai? Kya kar matlab kisko marna chahiye, kisko nahi marna chahiye? Shikar ke shauk mein bade aparadh kiye. Arthat bhog vasna ke shauk mein manmani asuri pravriti se jo is puranjni ko prasann karne ke chakkar mein fansa hua puran hai wah nahi jaan raha main aise aacharan kar raha hoon jinke karan mujhe adham yoniyon mein narak mein jana padega.
gandh chandan mala yah sab bhojan samgri jutana puranjni ko bas prasann rakhna kaise puranjni muskura de puranjni muskurati to hai par adhin karke jaise jaise jeev adhin ho jaata hai waise waise buddhi usko aasakt karti chali jati hai are bahut durdasha hai is khel ko jaan jae to jeevan mukt abhi ho jae bhag pado. Yah puran ka natak hai. Ismen puran bhog ichchha se phas gaya. Ichchha chhod do. Puran kaun hai? Abhigyat sakha aur puran donon ek ho jaenge. Jaise darpan hatao to pratibimb khatm. Ab jo hi wo shikar khel ke aaya to puranjni boli nahi.
wo dasiyom se hath jod ke pucha puran ki mera to sarvasv lut gaya. Kya aparadh ban gaya mujhse? Dasiyom ne kaha narnath mujhe malum nahi tumhari priy patni ne kya thana hai wo aaj to bolegi hi nahi naraz hai. Puran aasakt ho chuka tha. Astavyasta hokar charnon mein gir gaya. Puranjni asakti ko to koi asaktivan purush hi samjh sakta hai. Bogi aur asakti thoda hat karke hai. Bogi ko kahin bhi bhog mile usse koi matlab nahi. Asaktivan bhi bogi hota hai. Par asakti pradan hone par wo jis par aasakt hua usi par aasakt rahega.
dusre ki taraf nahi aankh utha ke dekh sakta. Ye puran puranjni se aasakt tha. Bahut vyakul hokar charnon mein gira aur bola sundari ve sevak to bade abhage hote hain jo apne Swami ko prasann na kar pave aur mere se yadi aparadh bana to uchit dand dijiye kyonki apne pyare ke dwara diya hua dand bahut mitha hota hai par aap na bole aisa theek ye dand mat dijiye ab jo jo vinay stran purush karta hai wo sab puran ne vinay ki. Bade nakhre dikhae. Likha hai nakhra. Bade nakhre dikhae. Aur jab dekha ki puran pure adhin ho chuka hai.
tab phir muskura diya. Ab us kamini mein aasakt chitt ko pata hi nahi chala ki ayu vyatit ho gayi. Us ramni ne aisa aasakt kiya puran ko ki jis karya ke liye wah aaya tha wah bhul gaya aur puranjni mein aasakt hokar pura jeevan vyatit kar diya. Puri jawani puran ki aise bit gayi mano abhi aadha kshan hi bita ho. Puranjni se 1100 putr aur 110 kanyaen hui. Sab vrittiya hai. Vrittiya yah pura parivaar pauranjni naam se vikhyat hua hai. Sab ek dusre ke byah putr ka kisi vadhu se putri ka pura jeevan stri lampt vriddhavastha ko prapt phir bhi puranjni se duri nahi itne mein chandweg naam ka ek gandharv raha 360 mahabalwan gandharv uske andar mein rahte hain 365 din hote hain.
360 mahabalwan gandharv aur inke saath mithun bhav se utni hi gandharwiyan mithun bhav Krishna paksh Shukl paksh bari-bari se chakkar lagakar bhog vilas samagriyon ki bhari puri is nau dvaron wali nagri ko yah nasht karti rahti hai. Chandweg apne anuchron ke saath raja puran ke nagar ko vidhvans karna prarambh kiya to panch khan wale sarp ne roka. Ye puran puri ki chauksi karne wala 100 varsh tak akela ladta raha. 720 gandharv gandharwiyon se yuddh karta raha. Bahut se viron ke saath yuddh karne ke karan wo balheen ho gaya.
ab stri ke vashbhut mahal mein para hua puran budha stri ke samip hi use pata chala ki ab to aaspas shatruo ne gher liya. Ek din kal ki ek kanya var ki khoj mein triloki mein bhtak rahi thi. Kisi ne sweekar nahi kiya. Kal ki kanya vriddhavastha jara use durbhaga kahta the to isliye koi use sweekar nahi kiya. Usne zabardasti akar ke puranjan ko sweekar kiya. Budhi avastha vridha avastha [gala saaf karne ki aawaz] bahut ham logon ki ham yahi durdasha hai. Isi puran pura isi mein age chalkar iska vyakhya bhi karte hain.
yavanraj apne shreshth viron ke saath upar se chadhai kar di puran ke upar. Aur yah gupt rup se pata hi nahi chal paya puran ko. Yah kal kanya jiske yahan jati jiske samip jati jajar kar deti hai. Aur yamanraj mrityu phir use nasht kar deta hai. Prajwal namak uska bhai hai. Yah bhaykar gati se tribhuvan mein vicharte rahte hain. Ab balat itna aakraman hua uski nagri mein sab nasht bhrasht ho gayi puri nagri ankhon se dikta nahi hai. Kan se sunta nahi hai. Dant bhi kam nahi kar rahe. Ye sab vriddhavastha yavnon ne balat uska aishwarya lut liya.
ab jab puran ne dekha ki sab kuch nasht bhrasht ho gaya to puranjni ka aalingan kiye hue para hai. Ab bhi agar chhod de to bach jae par wo bhogon ki lalsa ab bhi hai. Wo apni stri mein ab bhi waise hi aa sakte hain jaise pehle din mila tha waise se. Ab jab bichhadne ka samay aaya kal mrityu jara in sab ka aakraman prajwal ne aag laga di puri puri mein nagri jalne lagi puran bada vyakul hua kal kanya ne sarp ko pida pahunchakar usko adh adhin kar liya. Prajwar ne aakraman kar diya. Ab jaise kotar mein rahne wala sarp aag lagne par bhag jaata hai.
aise panch phan wala sarp bade kasht se is puri se nikla. Wo panch pran puran ab bhi buddhihin hai. Ab bhi apni stri ke prem paas mein puranjni ke prem paas mein aisa fansa hua gale se lagae hai. Marne ja raha hai. Phir bhi uska wo bas yahi soch raha hai. Itni sundar bharya meri itna samarpan itna prem isi ka chintan gyan drishti bilkul nasht ho chuki hai agyanwash itna shokakul hokar ke apni puranjni ka chintan kiya ki ye usi mein tanmay ho gaya. Ab agyanwash is sthiti mein usne apne avigyat sakha ka smaran nahi kiya nahi wo bacha sakta tha.
ab nirdayi yamanraj ne usko bal purvak mar dala. Balpuk mar dale. Zabardasti prannon ko khinch kar baat aur antim samay wah apni puranjni ko dekh raha hai. Isiliye goswami ji ne manga hai kami nari piya jim lobhi jim priydam tim Raghunath nirantar priy lago mohe bahut sundar sthiti agar wahi idhar aa jae to bahut sundar sthiti stri ki asakti mein durgati ho gayi uski ab wo apni puranjni ke gale laga usi ka chintan karte hue to agla janm usko vidarbha raj ke yahan sundari Rajkumari ke rup mein vidarbha raj puran se puranjni ki asakti ke karan Rajkumari bana.
stri chintan to stri bana. Phir jab wo sayani hui puran Rajkumari rup to vidarbha Nandni vivah yog ke hui to phir vidarbha raj ne ghoshit kar diya ki sarvshresht parakrmi veer isse byah karega. To malay dhvaj ne sab rajaon ko jeetkar us Rajkumari se vivah kiya. Phir usse sat putr utpann kiye. Sat putr kaun hai? Puran Rajkumari bana. Bada. Ab jab malyadhwaj avastha age badi to to bhajnanandi the bhagwan shri Krishna ke bhajan ke liye malay parvat par to wo Rajkumari jo rani thi puran jo bana tha wo piche piche unke maharaj main aapke wo aasakt chet purush mein ye aise chal raha chakra aur kisi ki katha nahi hamari tumhari katha hai abhi jab age chal ke bataenge kaun hai puranjni yahi buddhi yahi buddhi jo buddhi kahe wahi wahi durgati karati chali ja rahi ab wo bade tapasya purvak bhajan karke maladhwaj ne apne sharir ko chhod diya.
ab yah sharir ko pakde ro rahe haan mere pritam haan mere pritam aap mujhe chhodkar chale gaye. Bhagwan ne us samay kripa ki. Tu kaun hai? Kiski putri hai? Kiske liye shok kar rahi hai? Brahmin ke rup mein bhagwan prashn kar rahe hain. Yah soya hua purush kaun hai? Bata sakte ho aur meri taraf dekho. Main tumhara avigyat mitra hoon. Ham tum ek saath khelte hain. Lekin tum hamen bhul gaye ho. Ham tumhen nahi bhule. Sakha meri yad kar. Main tumhara abhigyat namak sakha hoon. Tu bhogon mein bhul karke mera vismaran kar diya.
lekin maine tera vismaran nahi kiya. Main aaj bhi tujhe yad karane ke liye tere piche khada hoon. Dekh tu ham donon hans hain. Yahi baat hai. Shastron varsh ham donon ek hi hokar rahe hain. Bada gadh vachan hai. Kintu mitra tum vishay bhogon ki ichchha se hamen bhulkar is lok mein raman karne lage. Tumne ghumte ghumte ek stri mein aasakt ho gaye. Panch bagiche, nau darwaze, ek dwarpaal, teen parkote, chhah vaishy kul, panch bazar, panch upadan karanon se bana hua uski swamini, ek stri aur is stri ke chakkar mein to mara gaya.
stri buddhi. Indriyon ke panch vishay shabd sparsh rup ras gandh yah bagichi hai aur ye nau dwaar is nagri ke tej jal ann ye parkote man aur panch gyanendriay chhah vaishy kul aur kriya shakti ye karmendra bazar panch mahabhut kabhi na ksheen hone wale upadan karan aur buddhi hi puranjni hai. Isi mein phas gaya buddhi mein buddhi se hatna hai. Is buddhi se sakshi bhav rakhna hai. Iska nirnay nahi manna. Drashta bhav nahi jab tak aayega tab tak buddhi mein aasakt hai. Jo kahegi wahi abhi buddhi than le man ke saath ki ye karna hai to tumhen ghutne tekna padega.
wahi karva deti hai jo chahegi. Yah hai ham puran. Puran jeev aasakt ho gaya buddhi par. Age badhiya nirnay hai. He mitra tu stri nahi hai. Dekh tu stri nahi hai. Khada ho. Ab apne pati ka shav pakar kar ro rahi vidarbha. Tu pehle puran tha. Puranjni ke chakkar mein ab tu stri bana. Kitni bar teri durdasha ho chuki. Tu stri nahi khada ho ja. Aur dekh apne swaroop ko main tera sakha hoon. Jinke sang se teri durdasha hui uske liye tu ro raha hai. Apne swaroop mein yahi guru hai. Yahi avigyat sakha apne swaroop mein kahan bhul gaya na tu stri na purush.
are dekh na tu vidarbha raj ki putri na maladhwaj tera pati hai. Tu savdhaan. Pichle janm mein tu puranjan tha. Puranjni ke chakkar mein para. Is janm mein tu Rajkumari hua. Malyadhwaj ke chakkar mein para. Are tu uth mera sakha hai. Kahan phas gaya? Pehle janm mein tu purush samjhta tha. Is janm mein apne ko stri manta hai. Dekh dekh meri taraf dekh mera aur tera swaroop ek hai. Main hans hoon. Ab wo jo ro rahi thi haan pati hapti ab to savdhaan hui aur prabhu ki taraf dekha. Prabhu ne kaha bahut sundar aham bhavan cham tameva viksha dekh dekh tu meri taraf mere aur tere mein koi bhed nahi jo tera swaroop mera swaroop main aur tu ek hai aham bhavan charastam tu anya nahi hai main hi tu hai tu hi main hai vichar kar vichar kar tu wahi hai jo main hoon jo main hoon wahi tu hai dekh tere mere mein thoda bhi antar nahi.
ek purush apne sharir ki parchhai ko shishe mein kisi vyakti ke netr mein alag-alag dekhta hai. Par wo keval shishe aur netron mein aise dikhayee deti hai. Wo ek hi hota hai. Isliye main atma tatv hoon. Wahi tu hai. Mere mein tere mein bhed nahi. Jo tu jeev hai wo main ishwar hi hoon jo main ishwar hoon wahi bhul ke is nau dwaar ki deh mein phas gaya tu jag ae hans tu jag ae manas sarovar hans tu jag bhagwan jise jagae wo jag na pave bhala aisa kaise tatkaal jo Rajkumari rani bani hui ro rahe the na puran tatkaal kal se atmjyan hua aur wo bhagwat swaroop ho gaya.
tatkaal sab rag moh nasht hua. Bhagwat swaroop arthat abhigyat sakha mein leen ho gaya. Prachin barhi tum wahi puran ho. Jiska maine katha sunai paroksha rup se varnan kiya. Uska spasht rup se varnan suno. Puran upakhyan ka tatparya devrshi narad ji age sar baat hai bhaiya ham sab buddhi aur man ke chakkar mein phas gaye aur phas ke bar-bar janm maran ka chakkar bhog rahe hain. Kuch nahi karna hai. Ek minute mein hisaab ho gaya. Purn Sadgurudev mil jae aur ke itna ki uth tu aur koi yah sadhna keval asadhnon ke tyag ke liye ek ko chale bas jagna hai jaise jagaya nahi uth uth wo ro rahe hain ye kram punarp maranam punarp jannam punarp ye kab tak chalta hai ae jago kaise jage jage to hai agar naam jap chal raha hai aur savdhani se dekho ki buddhi agar hamko ko bhogon ki taraf le ja rahi hai to hamari durgati karane wali hai.
ham drashta bhav se rahe sakshi bhav se rahe. Isse lade iske anukul na ban jae. Ghutne na tek den. Aur itna jalata hai hriday ye antakran. Dekho na aap jab na kar do to kitna jalata hai. Jo aap bhog bhog rahe hain jo bhi usko na keval karo aap. Phir inka tandav dekho. Man aur jab buddhi khilaf ho jae na tumhari phir dekho tum bar-bar samjh mein nahi aata karen to kya to samjh mein kya phir aata hai phir ghutne tekne padte hain haan batao bole hamko ye khana hai late hain abhi late hain ye dikhao ye dikha dete hain yahi to chal raha hai pura isi pur ke andar sara khel ho raha hai dekh lo na isi pur ke andar sara khel ho raha hai pat phan wala sarp pran hai puranjni buddhi hai jaisa buddhi nirnay kare waise buddhi kahe ye Rakshash to ham chahe jitna bada mahatma ho hamari buddhi di kah di to man liya aur hai kaun sakshat paramatma ka ansh hai paramatma swaroop hai aur bhagwan hamare saath hain har samay saath hai bhagwan abhi gyaat sakha ko bulaya thodi vidarbha Rajkumari ke rup mein jab hua bhagwan ne kaha lash pakde uth dekh ham tum donon ek hans hai na tu stri hai na koi purush hai paramatma swaroop hai bhai yahi janna hai yahi jankar vihaar karo isiliye pehle guru gurukul mein shastr padhaey jaate the.
sanyam, niyam, tapasya, aradhna, bhagwat sakshatkar aur phir grihasth maya mein jao bazar mein ab koi tumhen nahi pakar sakta. Aur yahan janm se mat pita balak bulawe, udhar bhare so jatan sikhave samadhan hai bhagwan ki prapti. Isliye khub satsang dhyan se suno aur savdhaan hokar yah janm avigyat sakha bhagwan ki prapti ke liye khub naam jap karte hue apne kartavya ka palan karo. Vishesh charcha age shri Radha vallabh lal
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…