hiranyaksha ka vadh kaise hua? / kapil bhagwan ke avatran ka divya rahasya // 01/07/26
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm premik makrand rasog purnam radpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital mayam chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran bade-bade devta bhagwan brahma ji ke samip gaye aur kaha sabka tej aphrn ho raha hai. Surya bhi nishtej hote ja rahe hain. Ham devtaon ki shakti ksheen hoti ja rahi hai. Maharaj mujhe pata nahi ki iska karan kya hai. Aap kripa karen. Tab brahma ji ne bataya chinta mat karo. Yah dviti ke garb mein virajman bhagwan ke divya parsad jai aur vijay wahi amangalkari rup aacharan karne wale jab prakt hone ki bhavna Kashyap ji ne bataai to dati ne rok liya.
100 varsh ho gaye. Prasav hi nahi hone diya. Yah sanak sanandan sanatan Sanat kumar ke saap se jai vijay dati ke garb mein virajman hai. Dekh lo bhagwat premi mahatmaon ka aparadh karne par vaikunth se bhi niche patan ho gaya. Jo kadpi aisa shastron mein nahi paya gaya. Baikunth mein pravesh pane ke baad phir is jagat mein ana nahi hota. Yadatwa na nivatte ta dham param mam lekin dham mein bhi bhagwat premi mahatma ka aparadh ban gaya to jai vijay ko teen janm ke liye daitya bhav asur bhav se is bhutla par ana para. Jab brahma ji ne samasth devtaon ko samjhaya ki aap shant ho jaiye.
bhagwan shri hari sabka mangal karenge. Yah aur koi anisht nahi hai. Yah dati ne apne garb ko apne tapobul se 100 varsh tak rok rakha hai. To un garbhsth tejo mein bhagwat parsado ke prabhav se sabka tej ksheen ho raha hai. Aap shant hokar ke jaiye. Koi chinta ka vishay nahi hai. Brahma ji ke kahne se andhkar ka karan jankar devtaon ki shanka nivitti hui aur wo punah apne apne sthan ko laut gaye. Idhar dati ko apne patidev ke kathna anusaar putro ki or se bhari amangal ki ashanka thi. Is srishti ka mangal kar denge.
yah bhagwan ke vimurkh hain. Yah bhagwan se var karenge. Aisi ashanka se 100 varsh ho gaye. Garb ko gambhirta purvak dharan kiya. Inko ham ane hi nahi denge bahar. Phir jab Kashyap ji ne adesh kiya aisa uchit nahi hai. Sab loko ka waise hi amangal ho raha hai. Pati ki agyaa ka palan karte hue unhone jo tapobul se roke hue the prasav kiya yamaj putr utpann hue judwe hi unka janm hua janm hote hi swarg prithvi antariksh mein bhari utpat paida hone lage prithvi kampayamaan ho gayi dishaon mein aag lag gayi.
bijliyan tadap kar girne lagi. Akash mein anisht suchak dhumketu puchchhal tare prakt ho gaye. Bar-bar bhari tufan uthne laga. Jo vrikshon ko ukhadkar dhul bhari andhi. Bijli jor se chamak rahi hai. Ghataen saghan rup dharan karke garjan kar rahi. Surya chandra aadi ka tej lupt ho gaya. Kahin kuch dikhayee nahi de raha. Ghor andhkar janm lete hi jo dviti ke garb mein virajman hai. Mahan tejasvi yashaswi bhagwan shri hari ke parsad hi hai. Badi khalabli mach gayi. Chandrama ke aaspas mandal baithe lage. Geedad ulluon ki bhayanak awaz.
kutte gardan uthakar bhook rahe hain. Jhund ke jhund gadhe apne kathor khuron se prithvi ko khod rahe hain. Rek rahe hain. Bada ashubh. Gauen dar gayi. Gaun ke dugdh ki jagah rakt nikalne laga. Dev murtiyan kampayamaan pasina aur aansu nikalne lage. Shani Rahu aadi krur grah prabal hokar Brihaspati aadi saumy graham ko lang kar vakra gati se chalne lage. Aisa bhaykar utpad dekhkar keval sanakaad bhayabhit nahi hue kyonki unhen pata hai unhone hi to shraap diya hai. Kya sabko aisa lagne laga mano pralya ka samay aa gaya kya?
sankadi ke siva ek bar sabko shanka hui kya srishti ke pralya ka samay aa gaya kya aisa anisht suchak utpat ab ye donon prakt hote hi inka sharir itna badha ki pure akash ko chu liya prakt hote hi kyonki 100 varsh to garb mein hi rahe bhaykar parakram balshali akash ko ghere aisa sharir wo itne unche the ki unke mukut ka agr bhag swarg ko chu raha tha. Mukut ko aap nahi dekh sakte. Itne unche the. Unke chati aur bhujao se dishaein achchhadit ho gayi. Bhujao mein aisi chamak ki dishaein prakashit ho rahi thi.
ab je unhone prithvi par kadam rakha to aise bhukamp aa gaya. Prithvi kamp gayi. Kashyap ji ne manglachran kiya. Bade bhari tapasvi Kashyap ji hain. Namakran sanskar kiya. Unmein se jo dviti ke garb mein pehle sthaapit hua uska naam hiranyakashyap aur jo dviti ke garb se pehle nikla uska naam Hiranaksh sthaapit hue hiranyakashyap pehle aur prakt hue Hiranaksh isliye bade bhai Hiranaksh mane gaye. Hiranyakashyap to aisa mat wala balvan ki apni bhujao ke bal se marta parvaton ko to chaknachur ho jaate. Lokpal tharra gaye hiranyakashyap ka bal dekhkar.
aur Hiranaksh to hath mein gadha lekar ke har lok mein jakar garjan karta. Koi samne nahi aata Hiranaksh ke pairo ki dhamak as thi wah pairo mein bade-bade napur pahne vijay suchak mala dharan kiye vishal gada liye jidhar jaata koi usse ladne wala hi nahi Hiranaksh devta to aise dar kar bhagte jaise chhote bachchhe bhedie ko dekhkar dar ke jaise Garud ke dar se saanp aise devta bhayabhit hokar bhagte. Hiranaksh ne dekha ki uske samne koi ladne wala hi nahi to har lok mein jakar ke garjan karta hai. Phir wo gehre samudra mein ghus gaya.
aur apni gada ka prhar lahron par karta hai. Sab jalchar jeev ghabra gaye. Anek varsho tak samudra mein ghumta raha. Koi ladne wala hi nahi mila hiranyaksha ko. Bas vayu veg se tarang jo uthti usi par gada ka prhar karta. Jal mein ghumte ghumte lokpal Varun ji ki vibhwa puri jo rajdhani hai Varun lok ki usmen pravesh kiya. Jal ke Swami Varun ji ne dekha bada matvala veer aa raha hai. Ladna sambhav hai. Hiranaksh hasi udate hue kaha maharaj pranam ek hath se sant bhagwant shri vigrah inko nishedh kiya gaya pranam karna.
aise ek hath se nahi hamare yahan donon hath jodkar pranam yah uphash kaha jaata hai sant ya bhagwan ka shri vigrah ya jo apne bade gurjan hain unko aise nahi kiya jaata unko hath jodkar pranam kiya usne ek hath se aise uphash karte hue pranam mudra mein kaha maharaj main ek bhiksha mangta hoon kya yuddh ki bhiksha milegi aapse aap bade lokpal ho bade veer ho keerta keertishali ho to aap apni mariyada rakhne ke liye mujhe ek bhiksha doge. Aao hamse yuddh karo. Madhommat Hiranaksh ko dekhkar Varun ji ko krodh to bahut aaya aur unhone vichar kiya jita nahi ja sakta kyonki yah bhagwan ka parsad hai.
ise to keval bhagwan hi jit sakte hain dusra nahi. To unhone kaha chinta mat karo tumhare jaise ran kushal viron ko yuddh mein santusht karke sari manokmana purn karne wale ek Mahavir hain. Tumhare jaise veer wahan ghutne tek dete hain. Tum bade veer ho par tumhen zyada der nahi lagegi veer saiya mein shayan karne ki. Tum jaise duston ko niyantran karne ke liye wah vivid rup dharan karte hain. Varun ji ki baat sunkar ke bada prasann hua. Bola batao to jara aisa veer tribhuvan mein kaun hai jo meri bhujao ko yuddh mein tript kar sake?
unka kaha tript nahi to unke hath mara jaega. Usne kaha tum batao to phir thodi der mein suchna tumhen milegi kaun mara gaya itne mein devrshi narad ji aa gaye narad ji ne kaha veer ka to pata main janta hoon narad ji ek aise mahatma hai chahe jahan chale jae chahe jisse mile sab sammaan karte hain kans se bhi milte hain Krishna se bhi milte sab kahin bhi chale jae narad ji ek aise vishv pujya mahatma hai jahan asuron ke yahan bhi inki puja hoti hai. Koi inse dves nahi karta. Sab jante hain ki hit ki baat bataenge.
narad ji ne bade hit ki baat bataai. Vishv vijay Hiranaksh tumhari bhujao ko tript karne ke liye rasatal mein ek veer hai jo Varah rup mein virajman hai. Prithvi lene gaya hai. Tum jao purn tript ho jaoge. Aise veer hai jo yuddh mein tumhen purn tript kar wo khilkhila ke hansa aur kaha jangli pashu suar se mera yuddh are kya baat karte ho narad ji narad ji ne kaha nasmajh abhi tum nahi jante ho ek bar jao to rasatal par phucho jal ko cheerta hua Mahavir hiranyaksha jab gaya to dekha Shyam varn vishal sharir koi sadharan sukar thodi the.
wo to bhagwan ne Varah rup dharan kiya tha. Jakar ke dahada hirnakshar nasmajh chhod prithvi ko aur mujhse yuddh kar suradham. Main tujhe hi khoj raha tha. Main dekhkar tujhe samjh gaya ki tu sukar nahi hai. Tu hari hai. Bhagwan ka parsad hai. Ye maya se luka chhipi tu dusron ke samne kar. Theek baat kah rahe. Ye luka chupi ham agyaniyon ke samne kar. Wo gyan shiromani hai. Mere netron ke samne tera maya ka jadu nahi chalega. Par bhagwan ne kaha tha dridh var dekh lo dridh var yah divya parsad hai. Ham bahut hriday se pranam karte hain ki bhagwan ki agyaa palan ham mata kaikei ko bahut pranam karte hain.
ekant mein bhagwan Ram ji ne kaha tha mata yah baat na kaushilya ji purn kar sakti hai aur na sumitra ji purn kar sakti hai. Maa to mujhe bahut pyar karti hai. Mera avatar jagat kalyan ke liye hua hai. Maa yadi kal prat kal rajya abhishek sweekar kar liya to jis karya ke liye aaya hoon wo karya nahi ho paya. Isliye maa tu kripa karke mera 14 varsh ka vanvas aisa tu maang. Kaikei ji ne wo baat sweekar ki. Dekho apne pyare Ram ji ki ichchha ke liye apni ninda sahi. Apne pyare bharat ka viyogsha.
bharat ne kabhi maa nahi kaha aur vaidhavya shah jagat ki ninda sahi. Yah vishesh jo bhagwan ke priyjan hote hain inko samjh pana bada kathin hota hai. Teri maya dusron ke samne chalegi. Mere samne nahi chalegi. Main tera nash karne ke liye samarth hoon. Hiranaksh kah raha hai. Mudh tera jo bal hai wo yog maya hi hai na. Tujh mein koi purusharth nahi. Keval yog maya se tu bali hai. Aaj main tumhari yog maya ko chaknachur karunga. Jab mere hath se chhuti hui gada tumhare sir par padegi to tumhari yog maya nahi bacha paegi tumhen.
tab jitne teri aradhna karne wale bhakt devta rishi gan hai na yah tab samjh payenge ki tere se bhi balvan hirnaksha hai. Hiranyaksha bhagwan ko aise durwachan bol raha tha. Bhagwan apne dant par puri sampurn prithvi ko prithvi bhayabhit ho gayi. Bhagwan ne kaha tum chinta mat karo. Bilkul chinta mat karo. Tum hiloge bhi nahi. Tumhen thodi bhi koi pareshani nahi hogi. Bhagwan wo bolta gaya, piche lalkarta gaya. Bhagwan aae aur prithvi ko sthaapit kiya. Teekhi daad wala wo Hiranaksh bhagwan se kahta jaata hai. Bade veer ho tumhen bhagne mein lajja nahi aati.
lekin tum kuch bhi kar sakte ho. Tumhen sankoch sharm to hai nahi. Are main lalkaar raha hoon mujhse yuddh karo. Bhagwan ne jab adhar shakti ka prayog karke prithvi ko sthaapit kiya. Brahma ji foolon ki varsha kar rahe hain. Prabhu karya sampann hua. Manushya shatrupa ki santan isi mein palenge. Aap prithvi lakar bada jagat ka upkar kiya, mangal kiya. Phool baraste dekhkar Hiranaksh bahut accha lag raha hoga 12 bhagwan se. Ab meri gada ki bhi barsa ho. Aur usne bhagwan ko kat vachan kahte hue gada ka prhar kiya.
bhagwan ne sahaj mein uski gada phenki hui pakar li. Are dusht tujh jaise mrityu paas mein bandhe hue apni atma prashansha karne walon par mahapurush jan dhyan nahi dete. Atma prashansha karna. Apne sare punyeon ka nash kar lena hai. Atma prashansha ka matlab hota hai apne mukh se apni bai karna. Kabhi nahi karna chahiye. Isse sare punya nasht ho jaate hain. Tum kya samjhte ho? Hamne ye kiya, hamne ye kiya. Wo sab ja raha hai. Sab khatm ho raha hai. Agar koi tumhari prashansha karne lage Radha Radha Radha turant kaat do.
Radha Radha Radha are bhagwan ki kripa guru ki kripa se kuch ban jae to ban jae. Mujh jaise adham se kya aise apni prashansha karna aur dusre ki ninda karna. Sare punyeon ka nash kar lena. Bhagwan kah rahe hain tu apne muhn se atma slagha kar raha hai. Are abhage tu mrityu ke paas mein bandhne wala hai. Haan tujh jaise veer se main bhayabhit hokar bhagunga. Are bhai meri samarth kahan hai ki tumhare samne khada ho jaun. Bhagwan Varah dev nishank hokar aisa uttar de rahe hain. Ab jab daitya ne dekha ki bhagwan uphash kar rahe the krodh se tilmila utha aur bade veg se mushtika ka prhar kiya.
ghase ka prhar bhagwan par dekho bhagwan ke shri ang ka sparsh prapt kar rahe bhagwan tedhe hokar ke apne ko pravinta purvak bacha liya hai. Jaise yog siddh purush par mrityu aakraman karti hai to wo paramatma chintan mein sthit hone ke karan us par mrityu ka koi prabhav nahi parta. Jaise bataya ki jab bhakt ka sharir chhutta hai to jaise mat wale garjaj hathi se gale ki mala tut kar gir jae usko pata bhi nahi chalta aise janmat marat dusadhu koi wo yogi ko jo jiska chitt paramatma mein laga hua hai bhakt ko jiski chittritti bhagwan mein lagi hui hai aur brahm gyani ko jo atma bodh prapt hai tino ko mrityu ka dukh nahi hota ab to wo krodh se oth chabata hua hiran raksha gadha lekar bar-bar ghumakar bhagwan par jhapta.
prabhu wo gadha prhar kar hi pata ki apni gada se uski daen bhav par prhar kiya. Par Hiranaksh ne apni gada mein wo prhar rok liya. Ab bhagwan aur Hiranaksh ka bhaykar yuddh. Devta log to phool liye khade hain. Bhagwan isko zyada khilaie mat. Yah bahut balvan hai. Brahma ji bhi kahne lage dev yah dusht daitya bada prabal hai. Yah bhakt devta, brahmin, gau, nirparadh jeev inka nash karne wala hai. Aur jo inka nash sochta hai aap uska vinash jarur kar dete hain. Isliye mahakantak rup hai prabhu isse khilwad mat karo.
yah dusht bada mayavi ghamandi nirankush hai. Prabhu aap aise khilwad kar rahe hain jaise koi Garud saanp ke bachchhe se khele. Prabhu aap khilwad mat karo. He dev yah mahabalwan hai. Brahma ji ke kapt rahit vachan sunkar bhagwan muskurate hue kataksh kiya ki aap shant rahie. Jhapat ke nirbhay vichran karne wale Hiranaksh ki thaddi par komud ki gada se prhar kiya. Hiranaksh ne aisi gada mari ki gada bhagwan ki dur giri jakar chakkar katti hui. Par Hiranaksh ruk gaya aur kaha aur astr uthao ham yuddh ka dharm janne wale hain niyatthe par war nahi karte bhagwan uski is baat par muskura diye aur kaha bahut dharm buddhi rakhte ho smaran kiya apne parsad sudarshan chakra ka garjan karte hue sudarshan ji bhagwan ke hath mein virajman hue.
sudarshan chakra upasthit hua. Bhagwan ke hath mein chakkar lagane laga. Kintu phir bhagwan ne vichar kiya ki apne priy parsad ko abhi aur khilaya jae. Isliye sudarshan ji ko phir kaha accha shant ho jao. Antar dhyan sudarshan are ham aise bhagwan ke das hain. Divya bhagwan ke parsad sab divyastr kin ke liye hai bhakton ki raksha bhagwan ko apni raksha karni hai kya? Are ham sab ki raksha ke liye hi hai to hain. Hiranaksh ne dekha ki kamal dal lochan hari ne sudarshan ko bulaya aur phir shant kar diya. Tilmila utha aur danto se unt chabane laga.
mano bhagwan ko ab bhasm hi kar dega aur uchal kar bola le ab tu nahi bach sakta. Bhagwan ke upar gada ka prhar kiya. Bhagwan ne apne hath se gadha ko rok li. Punah wapas phenk diya. Bhagwan sarwashakti sampann hai. Mahadaiti Hiranaksh ka ghamand badhta ja raha hai. Aur bhagwan par vivid prhar kar raha hai. Kabhi trishul bhagwan par marta hai. Kabhi gadha kabhi mushtika ka prhar ghase ka prhar karta hai. Bhagwan uske in praharon ko sah rahe hain. Khilwad kar rahe hain. Usne asuri maya ka jal prakt kiya mayapati bhagwan par.
bhagwan ne sudarshan ji ko agyaa ki maya ka nash kar do. Maya ka nash kar diya. Deeti ka hriday kamp utha. Bhagwan ne kisi astrashastra se Hiranaksh ko nahi mara. Ulta hath aise upeksha karte ulta hath ek jevi tamacha mara ulta chakkar chakkar khata hua Hiranaksh khun ugalte hue gir para aur nishpran ho gaya brahma ji samasth devta shri bhagwan par pushpo ki varsha ki devta log kahne lage prabhu namaskaar namaskaar namaskaar yah namaskaar tabhi karte hain jab inka virodhi mara jaata hai. Bade anand ki baat prabhu aapne ham logon ko bada sukh pradan kiya Hiranaksh ka udhar karke vara bhagwan prithvi ko sthaapit karke Hiranaksh ka udhar karke sab devtaon se vinati sunte hue antardhya ho gaye.
ab prithvi pakar ke maharaj swayambhu Manu bade prasann hue kyonki isi se anna aadi jisse hamara manushyon ka jeevan poshan hota hai aur yahi santti ki vridhi aadi vidur ji bhagwan ke bade bhakt hain. Bhagwan shri Krishna ke anannya bhakt hain. Maharshi dwaipayan ke putr hain. Sakshat dharm hai. Krishna bhakton ke anugami hain. Tirth sevan se antahkaran pavitra aur ho gaya hai. Ab wo tatv gyanyon mein shreshth maitre ji se sarv paap nashkari bhagwan ki lilaon ke vishay mein prashn karte hain. Vidur ji ne kaha brahm aap paroksha vishyon ko janne wale hain.
at bataiye ki brahma ji ne jab mareech aadi un 10 rishiyon ko sanak sanandan sanatan Sanat kumar char ye brahm rishiyon ko aur phir Manu shatrupa ko prakt kiya to iske baad srishti age kaise badi? Tab maitri ji ne kaha vidur ji brahma ji ne tamishta tamishta tam moh aur mahamoh ye panch avidya utpann ki. Brahma ji ne socha ye to agyaan aur avidya prakt kar di to bada accha nahi laga. Bada unko shok sa hua aur unhone apne jis sharir se racha tha tam moh mahamoh tamishta andh tamishta ye panch prakaar ki avidya sharir ko chhod diya hi sharir ko chhoda to usse yaksh aur Rakshash prakt ho gaye chode hue sharir se aur wah brahma ji ko hi khane ke liye daud pare brahma ji bhage awaz aati ja rahi kha jao raksha mat karo bade bhookh se vyakul ho to brahma ji ne jinhone kaha raksha mat karo unko Rakshash kha jao asur aur yaksh ye naam diye to yakshon ki rakshasaon ki asuron ki utpatti aise kaise hui?
brahma ji ne ab sankalp karke divya tejomay sharir dharan kiya. Usse sat devtaon ki utpatti hui. Aur krida karte hue brahma ji ne jo sharir tyaga usse din hua aur jisse rakshasaon ki utpatti hui thi usse raat hui. Din raat ki utpatti yaksh asur rakshasaon ki utpatti aur devtaon ki utpatti. Phir brahma ji ke jaghan desh se atyant agyani kamasakta raaksasi swabhav ke logon ki utpatti hui. Ab wo itne kami the ki brahma ji ko dauda liya. Yah dekhkar brahma ji hase ki yah nirlaj hamare putr hokar hamare piche daud rahe hain.
kamasakta hokar unhone bhagwan ka smaran kiya. Bhagwan bachao. Yah srishti rachna hai. Isiliye bhagwan ka bagichi hai. Ismen har prakaar ke phool hain. Bhagwan ka smaran karna para. Jo jaghan desh se paida hue wo brahma ji ke upar kam bhav se bhage. Brahma ji bhage. Dekha bach nahi payenge to bhagwan ko pukara. Prabhu raksha karo. Aapne kaha tha srishti rachna aur ye aisi srishti hai ki hamare ko tang karne chale traahimaam traahimaam ye hamare upar hi paap drishti kar liye nath ekmatra aap hi bacha sakte ho brahma ji ko atur dekh ke bhagwan ne kaha sankalp karo sharir ko chodo na sankalp kiya sharir ko je chhoda to sharir ek divya sundari stri ke rup mein ho gaya jiska naam hua sandhya devi.
sandhya devi bada sundar rup sandhya devi ka alaukik naveen avastha un kam peediton ne sweekar kiya sandhya devi ko. Kubuddhi daitya ne stri rupni sandhya ke vishay mein tarah-tarah ke tark karke phir aadar purvak unko sweekar kiya. Sandhya kal mein bahut savdhaan nahi to buddhi bhrasht ho jaegi. Khanpan bhog samgri ye duniya ka us samay nahi bhagwat chintan nahi to raaksasi buddhi paida ho jaegi. Prat kalin sandhya sayam kalin sandhya in do mein to bahut savdhaan hokar panch minute hi sahi naam jap karen.
bhagwan surya ko pranam karen. Un mudhon ne sandhya ko stri samjhkar sweekar kar liya. Aur wah paap swabhav ke ho gaye. Papi brahma ji ne apni divya kant punah prakt ki aur hanse. Jab hanse to apsraon ka pradurbhav ho gaya. Chandrika jyotna ka pradurbhav ho gaya. Aur sharir jab chhoda to usse vishwasu aur gandharwon ka pradurbhav ho gaya. Iske baad brahma ji ne dusra sharir dharan kiya. Usse bhut aur pishachon ko prakt kiya. Jo digambar aur dusron ko kasht dene wale aur ye kiske upar bhut pisach aakraman kar sakte hain?
jamai rup sharir chhoda bhut pisha prakt karke to jamai rup ho gaya. Jhutha muhn aur jamai bhagwat vimurkh inke upar pret ka pisach ka ye jitne bhi anishtakari hain inka avesh aa jaega. Jab jamai ho aaj shishya to Radha Radha Radha goswami ji kah rahe hain Ram Ram kah je jamhi tin na paap punj samai bole jamhai sharir mein bhut pret avesh ka karan jab jamwai aae to jarur naam waise to naam har samay jab jamwai aae to Radha Radha Radha jai ho prabhu aapki jai shyama Shyam Radha Radha goswami ji kah rahe hain Ram Ram kaho nidra ke samay achman karke pavitra hokar soo nahi bhut pret pisach inke aagman ka ho sakta hai jhuthe muhn kabhi bhi mat raho kuch bhi khao achman karo pavitra ho tab yatra karo ya baitho jo bhi jhutha muhn jamwai apvitra dasha mein nind lena inhi mein preton ka aakraman ho jaega pisach aadi karke unmad paida kar dete hain.
pakki baat hai. Sarvatra hai bhut pret pisach. Jhuthe muhn mat raho. Jamwai ke samay naam jap karo. Jab nind ave to pavitra hokar ke achman karke shayan karo. Aur bhagwan ka naam smaran chal raha hai to koi bhi jite Vinayak shubh ashubh vighna kare nahi koi vighna kare nahi koi dare kalikaal kasht bhay ye bhut pret unhin ke upar aakraman karte hain jo bhut pret ke aacharan aur swabhav wale hote hain aisi kshamta nahi ki kisi ko chu le kisi ko dand de de kisi ko pakar le aisa nahi jo bhut pret aacharan wale hain na jin acharno se bhut pret bane wahi aacharan jo karta hai jhuthe muhn rahta hai bhagwat vimurkh rahta hai apvitra rahta hai unhee ke upar aakraman hota hai.
phir brahma ji ne us sharir ko chhoda. Ek naya sharir dharan kiya tejomay. Usse sadhya gan aur pitr ganon ki utpatti hui. Aur us sharir ko jab chhoda to sadhya ganon ne kramash kavya aur havya pind dan aadi ke rup mein sweekar kiya. Phir brahma ji ne naveen sharir dharan kiya. Usse siddho ki utpatti ki. Vidyadhron ki utpatti ki aur antardhan namak tejomay ek sthiti antardhya ho jana. Phir brahma ji ne pratibimb dekha to bada sundar rup laga to usse kinnaron ki utpatti ki. Kim purushan ki utpatti ki.
phir brahma ji us sharir ko tyag diye to Usha kal apni patniyon ke saath milkar ke yah kim purush aur kinnar brahma ji ke gungan karne lage. Phir brahma ji vichar karne lage ki vishesh srishti ka vistar nahi ho raha to krodhit hokar hath pair aise aise to usse sarpon ki utpatti ho gayi. Aise kiya phan wale sarp bina phan wale sarp bade bhaykar kuru swabhav ke nag inki inki utpatti ho gayi krodhit hokar hath pair aise avaywon ko phailakar hath pairo ko phailakar jab aiseise kiya to usse nag utpann ho gaye sarp utpann ho gaye phan rup dharan kiye hue bade bhaykar vishdhari brahma ji ne kaha yah bhi ek bhayanak srishti ye sab brahma ji ke andar wahi sankalp hota ja raha hai jo bhagwan karana chahte hain.
phir brahma ji ne pavitra hokar manuon ki srishti ki jisse sab praja ki vridhi ho. Phir us apne purushakar sharir ka tyag kar diya. Devta gandharv aadi manuon ki srishti dekhkar bahut prasann hue. Bole vishwakarta brahma ji aapne manuon ki srishti ki. Isse bahut sundar srishti prakt hogi. Bhagwan swayambhu Manu ka vansh bada adaraniy mana gaya hai. Isi se maithun dharm se praja ki utpatti hui hai. Vidur ji ne pucha swayambhu Manu ke putr priyavrat aur uttanpad ye bade mahan hue hain. Phir aapne bataya ki dehuti ji kardam ji ko byahi gayi thi to dehuti ji to bade yog lakshan se sampann mahapurush thi unka kardam ji se kaise byah hua aur dehuti aur kardam ji se kaun-kaun si santane hui?
vidur ji ne prashn kiya. Tab maitri ji ne kaha vidur ji jab kardam ji prakt hue to bhagwan brahma ne adesh kiya jao srishti ka vistar karo to srishti ke vistar ke liye to byah chahiye to 10,000 varsh tak Saraswati nadi ke tir par ekaagr chitt se sharanagat vardayak bhagwan shri hari ki aradhna ki patni prapt karne ke liye 10,000 varsh tak yah Satayug ke arambh mein kamal nayan bhagwan shri hari ne dekha kathor tapasya kar rahe murtiman brahmamay bhagwan bhavya divya rup dharan karke prakt hue. Gale mein shwet kamal kumud ke foolon ki mala dharan kiye.
mukh kamal Shyam varn ka neeli neeli alkavli nirmal Pitambar dharan kiye jhilmilata hua swarnamay mukut kano mein jagamgate hue kundal kar kamlo mein shankh chakra gada padm aur unke ek hath mein krida ke liye shwet kamal liye hue prabhu madhur muskan bhari chitvan chitt ko jo churae leti hai shri charan kamal Garun ji ke kandhe par virajman hai vaksha sthal mein Shri vats chinh aur kaustubh mani hai. Prabhu kardam ji ke samne akash sthit Garud par virajman hokar darshan diye aur kaha aankh kholo tumhari tapasya purn hui.
ye bhi dekha Garud par virajman bhagwan shri hari sashtang pranam kiya aur prem purn chitt se hath jodkar bhagwan ki stuti ki. Kardam ji ne kaha stuti karne yogya parmeshvar aap sampurn satgun ke adhar hain. Yogi jan uttarottar shubh yoniyon mein janm lekar ant mein yog ke dwara aapke darshan se hi purn bhagwat prapti hoti hai. Uttarottar janok mahalok tap lok satya lok lekin ismen jeevan mukt ya parbrahm prapti ya bhagwat darshan nahi bole uttarottar shubh loko ko prapt hokar phir ant mein aapke darshan ki akanksha karte to unko darshan prapti hoti phir wo is sansaar samudra se par jane ka ekmatra upay aapke shri charan kamal rupi jahaj hai.
ye mayate hat das padarwindam bhav sindhu potam is bhav samudra ka jahaj hai bhagwan ke charnarvind upaste kamte rashi kam niray piy shiv jinki buddhi mari gayi hai ve aapke charnon se vimurkh hokar ke narki papacharan karte hain aur narak bhogte hain. Swami jisne aapke charan kamlo ka aashray le liya uske sampurn manorath purn ho gaye. Prabhu yadyapi aapka darshan bada durlabh hai. Par mujhe prapt hua. Par prabhu main kaise kahun ki aapse kya mangna chahta hoon. Kyonki badi hansi ki baat hogi. Aapko prapt karke aapko na maang karke main aapse patni manta hoon.
kyonki mere pita brahma ji ki agyaa hai srishti vistar karo. Aap swaroop se nishkriya hone par maya ke dwara sare sansaar ka vihaar chalane wale hain. Thodi si bhi aapki upasna kar le to uski durgati nahi hogi. Ye baten pakdne wali hai. Thodi si bhi hari ki upasna ho jae to durgati nahi hogi. Aise aapke shri charan kamal vandneey hai. Main aapko bar-bar namaskaar karta hoon. Maitri ji kahte hain bhagwan pranay bhari muskan se karunamay chitvan se dekh rahe the. Kardam ji ki taraf Garun ji ke kandhe par virajman the.
shri bhagwan ne kaha tumne bada atmasyam kiya. 10,000 varsh tak jitendra rahkar ekaagr hokar meri aradhna ki. Main pehle se vyvastha kar diya jo tum chah rahe ho. Prajapati meri aradhna kabhi nishphal nahi hoti. Ek ek baat pakdna. Ek bar aapne Krishna kaha hai, Radha kaha hai, Ram kaha hai, hari kaha hai, ek bar aapne bhagwan ko pranam kiya, ek bar thodi bhi patr pushpad se bhagwan ki seva ki kabhi nishphal nahi hogi. Aur jinka chitt nirantar mere mein laga hua hai un mahatmaon ka to kya kahna thodi si bhi jiski aradhna ho gayi wo nishphal nahi hogi wo durgati ko prapt nahi aur jo raat din bhajan kar rahe hain un mahatmaon ka kya kahna tumhen patni chahiye aadi samrat maha yashaswi swayambhu Manu jo brahmavarta mein rahkar sat samudra wali sari prithvi ka shasan karte hain.
param dharmagya maharaj maharani shatrupa ke saath tumse milne parso yahan aaenge aur unke ek rup Yavan shil gunon se sampann Shyam lochna kanya jo yog se sampann hai wo vivah ke liye swayam lekar aapke paas aaenge bhagwan se manga patni to patni kaisi mil rahi aadi samrat maharaj Manu ki putri yog sampann devi devti wah yahan akar ke tumhen kanyadan karenge, arvan karenge. Jaisa tumne bhavna mein socha hai waisi hi wah patni hai. Wo raj kanya tumhare yogya hai. Tum yogi wo yogi badi sundar dehuti ji.
nau kanyaen tum utpann karoge. Aur unke anusaar mareech aadi rishi gan sweekar karenge usi se srishti badhegi. Tumne meri aradhna ki. Sare karm phal mere ko samarpit kiye. Isliye tumhen atmjyan pradan karne ke liye main swayam tumhare putr rup mein prakt hounga. Ye apni taraf se bhagwan ne vardan diya. Yahi kripa bhagwan ki hoti hai. Jeev jab vishay mangta hai to bhagwan vishay ke saath apni kripa de dete hain. Jisse uska param kalyan ho jaata hai. Isiliye kisi aur se mat mangie. Mangie to prabhu se mangie aur prabhu ke upar chhod dijiye.
pura karen ya na karen shraddha par fark na pare to mahamangal ho jaega. Bhagwan kah rahe hain ki main swayam tumhare yahan putr rup se avtrit hounga. Vidur ji kardam rishi se is prakaar kahkar bhagwan shri hari Saraswati nadi se antardhya ho gaye. Garud ji par to virajman hi the. Bhagwan bade karunam mein hai. Hamen lagta hai ki agar vishay bhi mange to bhagwan se hi mange. Dekho vishay to diya hi aur swayam kah rahe ki main swayam aaunga. Putr rup mein bhagwan kapil ke rup mein aae aur bahut sundar gyan ka updesh karke donon ko kardam ji ko bhi aur dehti ji ko bhi param pad pradan kiya.
shri hari ke chale jane par bataya tha parso aaenge maharaj Manu shatrupa devti ko lekar ke intazar karne lage. Manu ji bhi maharani shatrupa ke saath swarn jatit rath par savar hokar apni kanya ko bithe ke vicharte hue shanti pran Maharshi kardam ji ke ashram par pahunche. Wahi bindu sarovar ban gaya. Kab? Jab 10,000 varsh tapasya ka phal manga patni to bhagwan ke aansu gir pare ki gazab hai meri prachnd maya ki leela ki main samne hoon aur mere 10,000 varsh mere ko prasann karne ke liye tap kiya aur uska phal manga patni to jo aansu ki bund giri usi se bindusar tirth ban gaya.
bindu sarovar bada pavitra tirth hai. Bada hi sundar ashram jahan kardam ji virajman hai. Unmatt mayur paksh faila phailakar jagah-jagah nritya kar rahe hain. Kokila kuk rahi hai. Kadamb champak Ashok karanj bakul asan kund mandar kutaj inke bade-bade vriksh hain. Jal kag batakh hans kur jalmurga saras chakwa chakor chakwi ye sab kalrav kar rahe hain aur wahan jangal mein harin suar syahi neelgay hathi langur sinh vanar nevla kasturi mrig sarp ye sab dikhayee de rahe hain. Aisa ghor jangal jahan kardam ji vas kar rahe hain. Manu ji wahan pahunchkar dekha tapasya se astha matra ho rahe sharira kardam ji ka sharir aisa ek valkhal ki langoti pura sharir krish garmi sardi barsat sab sah rahe vishal netr sir par jata sushobhit valkal ka cheer dharan kiye hue prasann mudra mein swayambhu Manu padhar rahe dekhkar ke argh dan kiya.
raja ka bhagwan ka swaroop mana jaata hai. Argh dan kiya aur pranam mudra mein hokar ke kaha atithya sweekar kijiye. Manu ji ne kardam ji ke dwara di hui puja sweekar karke phir kardam ji ki puja ki. Raja rishi ko bhagwan ka swaroop man karke to rishi raja ko bhagwan ka swaroop mankar donon donon ki aradhna kardam ji ne kaha dev aap bhagwan shri hari ki palan shakti swaroopa hai raja hai nisandeh sajjanon ki raksha aur duston ka sanhaar karne ke liye bhagwan hi raja rup se virajman hai. Main aapse janna chahta hoon ki aapki kya seva karun.
aapka prayojan kya hai? Mere liye agyaa kya hai? Jo agyaa karoge main niskapat bhav se use sweekar karunga. Manu ji ne kaha ved murti bhagwan brahma ne vedmay vigrah ki raksha ke liye tapasya vidya aur yog inki rachna ki hai. Jo tapasya vidya aur yog se pusht hota hai usi se ham surakshit hote hain. Ham raja log aur ham rajaon se puri praja surakshit hoti hai. Manu ji maharaj ne kaha isiliye har raja ke upar ek maharaja virajman rahta hai. Devraj indra tribhuvan pati to upar Brihaspati ji maharaj videhraj Janak to sadanand ji chakravarti samrat maharaj dashrath to Vashisht ji har jagah aur jis raja ka sambandh kisi Maharshi se nahi hai wo theek nirnay karne wala raja nahi hoga.
kisi raja ke upar jab maharaja ka shasan hota hai to shastr sammat praja palan rupi param dharm ka wah nirvah kar pata hai. Jo tapasvi hai jo vidya yog aur gunon se sampann aise mahapurush ke dwara ham raja log surakshit hote hain. Ham rajaon ke dwara puri praja surakshit hoti hai. Aisa maharaj Manu ji ne kaha. Waise mujhe koi sandeh nahi kyonki aapke darshan matra se mere hriday mein apaar anand hai. Manu ji maharaj ne kaha aapka darshan itendra purush ko ho hi nahi sakta hai. Mera bada bhagya hai jo aap jaise Maharshi ka darshan charan sparsh aur raj mathe par chadha saka.
mere bhagyoday se hi aapka darshan hua hai. Prabhu yah meri kanya hai aur iske var ke liye main bahut chintagrasta ho raha tha. Bhagwat ichchha se mere hriday mein aaya ki ye kanya main aap rishi ko pradan karun. Yah priyavrat uttanpad ki bahan hai. Avastha shil gun yog sab purn hai. Kya aap is kanya ratna ko sweekar karte hain? Maharaj Manu ji ne prarthna ki kardam rishi se aur yah bhi aapko bahut prem karti hai kyonki ek bar devrshi narad ji ne akar aapki shil vidya rup ayu gun tapasya ka varnan kiya tab se isne man mein aapko hi pati ke rup mein varan kiya hai.
main badi shraddha se apne is kanya ratna ko samarpit karta hoon. Aap ise sweekar karen aur grihastochit karya ke liye aap sab prakaar se samarth hain. Arthat yog sampann hai. Aap sab vyvastha kar sakte hain. Jo prapt bhog ka tiraskaar karke phir dusron ke age hath phailata hai to uska man bhang hota hai. Prapt bhog ka to jo bhogon ka tyag karta hai usi ko to virakta kahte hain. Maine suna hai dekho age jo bol rahe maine suna hai aapki virakti ek sima tak hai kyonki aap vivah karna chahte hain.
ab ye baat samjh lijiye kyonki aapka brahmcharya ek sima tak hai. Yah baat nahi Manu ji aise kaise bol sakte hain? Aap nashtik brahmcharya ka niyam nahi liye hue hain. Isiliye maine aapse aap prarthna ki ki kanya ratna main aapko pradan karta hoon. Kardam muni ne kaha theek hai main bhi vivah karna hi chahta hoon. Aur aapki kanya ka abhi tak kisi purush ne vagdan nahi liya. Isliye ham brahma vidhi se vivah karenge. Yah sarvshresht vidhi hoti hai. Brahm vidhi, da vidhi, arsha vidhi, prajapatya, asur, gandharv, Rakshash aur paishach ye aath prakaar ki vivah ki vidhiyan hain.
ismen sabse shreshth vidhi hoti hai brahma vidhi. Jismen madhyastha brahmin hota hai jo mantro ke dwara pani grahan sanskar karata hai aur pita sammaan ke saath kanyadan karta hai aur var pani grahan sweekar karta hai. Wah vaidik siddhant ke anusaar rajan hamari kanya abhushan aadi shobha ko tiraskrit karne wali sundari hai. Abhushan se shringar karne par sundarata badhti hai. Lekin hamari kanya itni sundar hai ki abhushan ka tiraskaar karti hai. Aur wah aapke yogya hai. Ek bar yah mahal par virajman chat mein thi ki vishwasu gandharv upar se viman se nikle aur hamari kanya ko dekha murchhit hokar chat par gir gaye.
itni sundar devuti ji hai. Aur is samay main swayam akar prarthna kar raha hoon ki aap sweekar karen to iska matlab aap sweekar karenge. Yah hamari bahut dulari ladli hai. Uttanpat ki pyari bahan hai. Aur yah adya shakti ki bahut badi upasna kar chuki hai. Isliye aap is sadhvi kanya ko sweekar karen. Par ek shart main aapke samne rakhta hoon. Jab tak santan nahi hogi tab tak aapko grihasth dharm sweekar karna padega. Kyonki aap bairagi ho aisa nahi ki do char 10 din ke baad bhi vairag le lo. Jab tak santan samarth nahi ho jaegi tab tak aapko vairagya nahi lena hai.
iske saath rahna hoga. Yah shart sweekar karen. Maitri ji kahte hain param dharm ka gyan rakhne wale vidur ji kardam ji se itna kahkar maharaj Manu shant ho gaye. Devti ji ne drishti dali. Kardam ji par haddi haddi keval sharir mein tvacha alag dikhayee de rahi. Haddi netr tejo mein jajulyaman surya ke saman pranam kiya charnon mein Manu ji ne dekha putri ki swikrati di. Phir shatrupa ji ki taraf dekha unhone swikrati di. Aise pita ki, mata ki aur jiska pani grahan hona tino ki sahmti barabar honi chahiye.
dekho kalyug ka mata-pita se koi matlab nahi hai. Aur ek aur papacharan chal gaya hai. Liv in relation bhagwan bachave. Kaisa kalyug ka tufan chal raha hai ki pavitra dharm mariyada iska koi matlab nahi. Kaisi sundar pavitra paddhti hai. Phir unhone kardam ji ko bhagwan ko sakshi karke gunavti kanya ka kanyadan kiya. Yah bahut bada dan mana jaata. Maharani shatrupa ne beti aur damad ke liye jo bahumulya vastr abhushan kuch laye hue the wo pradan kiye. Kuch samay tak wahan rahe. Phir jab chale to beti ka viyog na sahakar sakne ke karan hriday se laga ke ashru mochan kiya maharaj Manu ne.
asuon ki jhadi lag gayi. Dehuti ji ke sir ke bal bheeng gaye. Mata-pita ke asuon se. Phir munivar kardam ji se agyaa lekar ke rath par savar hokar rani aur sevkon sahit wo apni rajdhani mein chale gaye. Brahmavarta rajdhani hai maharaj manuki. Sab prakaar ki sampdaon se bhari hui brahmavarta kshetra mein barhasmati badi sampatti bhagwan ke bhajan mein Manu ji har samay dube rahte the. Je nagri mein pravesh hue sab ne swagat kiya maharaj man shatrupa ka ab bhagwan shri hari mein jinka chitt laga hai kardam ji koi varta nahi ki Devki ji se dhyansth aur nasha chadha hua hai bhajan ka da hazar varsh tak bhagwan ke dhyan aur yah bhi dekhne ke liye inka kitna pati prem hai.
sadhvi devti ji kardam ji ki seva mein lag gaye. Kam vasna dum dves lobh paap ye to chu bhi nahi gaya tha. Dehuti ji ke andar pavitra gaurav sanyam susa prem madhur bhashan inke dwara patidev ki aur wo nirapeksh ekdam koi matlab nahi devti ji se devti samjhti thi ki mere pati kaun hai yogi hai isliye shant koi chah nahi koi maang nahi bas seva hi seva bahut samay tak ab kahan Rajkumari aur kahan rishi ke paas to unka bhi sharir durbal ho gaya khanpan wahan halwa puri thodi rakhe kand mul phal rishi ke paas aur suna kaisa jangal jahan sinh bhalu saanp sab kardam ji bahut dino ke baad drishti dali dehuti ji par jab unka bhi sharir sharir aisa sukh ke ho gaya.
tab kardam ji bole Manu Nandini tumne aaj tak hamse kuch kaha nahi. Keval seva hi karti rahi. Sharir dhariyon ko sharir bahut priy hai. Aapne sukha diya meri seva mein. Itna sundar sharir. Tumne koi ksheen hone ki parvah nahi ki. Maine dekh liya ki tumhare andar koi kamna nahi par dharm ka palan karna hai. Ab tum dekho meri tapasya samadhi aur upasna ke prapt hue tej ka swaroop. Mujhe jo vibhutiya prapt hui hai unka tum tej dekho. Ab main tumhen divya drishti pradan karunga ki main kaun hoon.
tum mujhe jaan jao. Yah jab dekh liya seva mein purn samarpit koi kamna nahi tab kaha abhi tak tum kardam ko rishi swaroop mein jo dekhti rahi ho abhi to dekha nahi mujhe jana nahi aaj main divya drishti pradan karta hoon dekho main kaun hoon tribhuvan mein koi aisa pad aur koi aisa bhog nahi hai jo main tumhen pradan na kar sakun. Ab main tumhen wah sab bhog pradan karunga jo chakravarti samrat ke paas bhi nahi hai. Kardam ji samasth yog vidyaon mein kushal praveen siddh mahapurush dehu ji ne kaha swameen main janti hoon mere Swami kitne samarth hain.
mujhe apne Swami ke sukh ke alawa koi akanksha nahi. Yah dharmpati ka swaroop hai. Apne priy pati ki prasannata ke alawa koi akanksha nahi. Aap jismen prasann hai usi mein main prasann hoon. Par prabhu mere pitaji ki baat yad kijiye. Aapne pratigya ki thi ki main grihasth dharm ka aadar karta hoon. Use sweekar karta hoon. To aaj tak sweekar nahi kiya to kya prabhu grihasth dharm ki purti hogi jo hamara grihasth dharm ka labh hai kya hamen santan prapt hogi kardam ji ne kaha avashya to bole prabhu sharir to yogya hi nahi hai aapki bhi sharir astha matra aur idhar bhi sharir sukh gaya hai na bhavan hai vriksh ke niche rah rahe prabhu kya aise grahasti hoti hai?
devti ji ne prashn kiya. Kardam muni ne muskura ke kaha accha to tum hamari grahasti dekhna chahti ho. Ishara kiya nau khand ka viman jaise nau lok ho. Aise viman ki rachna ho gayi. Udega jahan chaenge. Nau lok ho aisa viman aisa nahi ki koi chhota mota 10 panch log baith jae aisa viman nau khand ka viman mano nau lok ho aur wo udega aur vishv mein koi yahan se lekar brahmlok tak aisa bhog nahi jo un nau khandon mein na ho. Atyant sundar ratna atyant sundar vastr dharan kiye hue lakho karodon dasiyan mani ke khambhon se sushobhit aur har khand mein har ritu itna bada khand kahin varsha ho rahi kahin shrad kahin shir har ye dekho kardam ji ka jitni divya samagriyan wo sab sochne matra se bhog prakt ho jae.
rasgulla bane tayyar hain. Banane ki zaroorat nahi. Gas silendar chulha ki zaroorat nahi. Yog siddhi sab reshmi wastron se susajit foolon ki mala pahne hue sugandh pran sevak sevikaen prakt ho gayi. Lakho ki sankhya mein sundar palang saya sab munge ki deheliyan hire ke kivan indra Nilmani ke shikhar swarn ke kalash maharaj ankhen chakapakchaundh ho gayi devti ji ke ki mere pati kitne samarthyshali hai. Par apni taraf dekha to unka devi yah bindu sarovar hai. Ismen snaan karke aao. Je dehuti ji us sarovar mein pravesh kiya to us samay unke phate purane vastr jo pahna gaye the maharaj wahi sir ke bal chipak kar jata ho gaye the.
sharir mein mail sharir kantheen je bhi gota lagaya to 1000 divya deviyan unke saath aise karke uthi to 1000 divya deviyan aur sharir nau kishor avastha kamal ki si gandh tejomay ka devti ji dekhkar ke chakachaud ho gayi ki sarovar mein kaun si jadi buti ki ekdam aur wo sab deviyan hath jod kar khadi hui aur kaha ham aapki dasi aap hamari swamini agyaa kijiye jo bal jatayen ban gaye the ekdam ghunghrale mulayam kes sab chamatkar ho gaya sankalp matra se ab divya nirmal vastr dharan ki hui damakti hui dehuti ji ye bhagwan ka bhajan karne se lok parlok samasth sukh prapt hote hain.
par ek bar to dat ke bhajan karen. Harivansh mahaprabhu kahte hain i parlok sakal sukh pavat meri so bhaiya Krishna gun son divya bhojan samagriyan itne prakaar ke amrit itne swadisht asav pine wale itne padaarth pane wale bina banae sab ab devuti ji ne je darpan dikhaya un deviyon ne je hi apna swaroop dekha to khud lajja yukt ho gayi. Itna sundar swaroop dehuti ji kantman divya abhushan se sushobhit mukh sundar dantavli shastron deviyan stuti kar rahe hain. Kardam ji ne ab devti ji ko dekha vivah kal se abhi tak grihasth dharm ki drishti se nahi dekha.
drishti alag-alag bade prem se hath pakar kar viman par chadaya aur kardam ji ne nau rup dharan kiye apne agar bhagwan ki aradhna to phir sansaar ka bhi jo sukh hai na haan wo sab prasade sarv dukh naam hani ras upajte jaise aise barfi khao aur Radha vallabh ji ko bhog laga ke pa to prasad ho gayi wo prasad dukh ka ab ye sab prasad hai. Chadh gaye viman par chal para viman nau khand ka kuber ki ghatiyan indra ki ghatiyan Kamdev ki shital mand sugandh vayu sab akash ganga patal ganga jahan manave wahan ghatiyon pe viman pe nau rup dharan karke bade-bade siddh ganon ke viman aaspas vinay karte hue ja rahe hain.
kardam ji ka viman vaishambhakshak sursan nandan pushpabhadra chaitra the devtaon ke udyan mein vidur ji ye bhagwan ke bhav bhayari pavitra charnon ka aashray lene ka phal hai kaun si aisi tribhuvan mein vastu hai jo bhagwan ke bhakt ko na prapt ho jae mahayogi kardam ji ne sare bhumandal mein sare sare dapon mein sare loko mein apni Priya ko ghumaya deti ji ko kaha chalo aaj brahmlok chalte hain aaj mar lok chalte hain aaj sursan van aaj nandan van anand mach raha hai bhajan ka phal hai bhajan nahi karoge to lok parlok sab bigad jaega bhajan zaruri hai nau rupon mein dehuti ji ke saath nau khand ke viman viman mein bahut varsho tak bhramn karta raha viman.
petrol deejal ki zaroorat nahi. Sankalp se chal raha hai. Viman mein na driver hai aur na petrol deejal ki zaroorat hai. Bole chalo brahmlok pahunch gaya brahmlok. Amuk ghati wahan pahunch gaya. Aise aur khatra kuch hai nahi. Ki agar viman beech mein phayl ho gaya to sab nasht ho jaega. Nahi bahut sundar vyvastha bhagwan ki isliye bhajan kar lo ghata to hai hi nahi bhajan karne mein bhagwan na prapt hue to aisa vaibhav prapt hoga aisa bhajan prapt hoga ki agle janm bhagwan prapt ho jaenge name bhakta prannasati thoda bhi bhajan karne wale ka nash nahi ho sakta isliye man lo Radha Radha Radha Krishna Krishna Krishna Kamdev aur rati bhi lalchae aisi vyvastha thi un viman mein Kamdev aur rati bhi lalchae.
aisi vyvastha thi. Kitne varsh tak vihar hua? Saikadon varsho tak. 10,000 varsh to tapasya kiye hain. To agar 10,000 varsh vihar karen to kaun si badi baat hai? Aur yah sab samay aisa laga mano minute bhar mein nikal gaya bhogon mein. Kardam ji ne vichar kyon vichar bhakt hota hai vichar itna lamba samay aisi aisi sukh suvidhae phir bhi man mein tripti nahi indriyon mein wahi lalsa ab nau kanyaen prakt hui shri devuti ji se jab nau kanyaen prakt hui iske iske baad kaha bas ab viman bhi antardhya ho jaega.
sari bhog samgri antardhya ho jaegi. Grihasth dharm ka labh mil chuka aur main ab kathor sanyaas vrat ka palan karte hue bhagwan ki prapti karunga. Devti ji ke aansu aa gaye aur unhone kaha bhagwan abhi nahi aapne jo pratigya ki thi wah nirvah kar di. Lekin mere ko abhaydan dene wala bhi kaun aaya hai? Yah kanyaen to main de dungi lekin mere ko abhaydan phir inke liye var kanyaon ke liye prabhu nahi abhi aap sanyaas nahi le sakte abhi aapke dharm ki purti nahi hui paramatma se vimurkh rahkar ke koi agar purush aisa bole to baat alag hai aap to paramatma ke samukh aur aradhna kar chuke hain.
putriyon ke liye var khojie aur mere kalyan ki baat bata karke tab aap ja sakte hain. Aise nahi agyanwash yadi aap jaise mahapurushon ka sang ho jae to amogas vasangta pradan karke bhagwat prapti karata hai. Prabhu na to abhi hamari putriyon ka byah hua hai aur na hamen abhi gyan hua hai bhagwat prapti ka. Isliye main abhi aapko jane ke liye anumati nahi di aur bina patni ki anumati ke sanyaas liya nahi jaata. Ye jo manmani karte hain unko bhagwat prapti nahi hoti. Devuti ji ne jab aisi baat ki to kardam ji ne kaha ek baat yad aa rahi hai us samay aap nahi thi bhagwan ke jab hamen darshan hue aur unhone aapka prichay bataya ki aap patni rup mein prapt hongi tab unhone yah kaha tha nau kanyaen hongi aur dav mein main swayam aaunga tumhara udhar karne ke liye dusre Rajkumari tum khed mat karo tumhare kalyan aur hamare kalyan ke liye avinash bhagwan padharne wale hain.
tum vraton ka palan karo. Sanyam se raho. Nirantar naam jap karo, bhajan karo. Ab bhagwan ane wale hain jo hamare tumhare ahankaar ki dehabiman ki granthi ka bhhedan karenge. Bahut prasann hui devbhuti ji. Purn vishwas tha ki mere prati sakshat bhagwan hi hai. Nirvikaar jagat guru bhagwan shri Purushottam ki aradhna mein jo har samay laga hua hai wo bhagwan ka hi swaroop tasmit jane bheda abhav jaise kaasht se agni prakashit hoti hai. Aise hi det ji se bhagwan prakt hue. Megh garjan hone lagi. Gandharv gan gaan karne lage.
apsraen nritya karne lagi. Akash mein devtaon ke nagade bajne lage. Divya pushpo ki varsha hui. Saraswati nadi ke tat par kardam ji ke ashram mein swayam bhagwan brahma ji aae aur sakshat param brahm paramatma bhagwan shri hari sankhya shastr ka updesh karne ke liye apna avatar dharan kar rahe hain. Isliye sab ne akar ke wahan vandna ki. Brahma ji ne kaha priy kardam tumne jo tapasya ki dusron ka man diya uska phal ye hua ki aaj swayam bhagwan tumhare yahan padhar rahe wo kitna mangalmay grihasth jeevan jiske ghar mein bhagwan padhare ya bhagwan ka koi premi bhakt padhare so kul dhanya umas sun jagat pujya supneet wo jagat pujya param pavan kul hai jismen bhagwan ka koi premi bhakt padhare ye to sakshat bhagwan padhar rahe hain.
main janta hoon sampurn praniyon ki nidhi bhagwan kapil ke rup mein avteerna ho rahe hain. Ye bhagwan ka avatar kapil dev ji ke rup mein hai. Brahma ji ne devti se kaha Rajkumari yah tumhari pati bhakti ka phal hai ki swayam bhagwan tumhare garb se prakt ho rahe hain aur tumhare agyaan ki granthi ka chhedan karenge. Bade-bade siddho ko sankhyacharyon ko updesh denge. Inka naam kapil bhagwan hoga. Brahma ji is prakaar sab vinay karke devtaon ke saath hans par arudh hokar brahmlok chale gaye.
kardam ji ne unki agyaa ke anusaar mareech aad prajaptiyon ke saath apni nau kanyaon ka vivah kiya. Kala naam ki kanya mareech ko Anusuya naam ki kanya atri rishi ko shraddha naam ki kanya angira rishi ko haveebh naam ki kanya pulast rishi ko samarpit ki aur pul ko unke anurup gati naam ki kanya di. Kritu ke saath param sadhvi naam ki kanya ka vivah kiya. Bhrigu ji ko khyati naam ki kanya aur Vashisht ji ko arundhti naam ki kanya samarpit ki. Atharwa rishi ko shanti naam ki kanya jisse yagya karm ka vistar kiya jaata hai.
kardam ji ne nau kanyaon ka nau maharishiyon se vivah karke khub satkar kiya. Vivah ho jane par sab rishi kardam ji ki agyaa lekar anand purvak apne apne ashraomo ko chale gaye. Kardam ji ne dekha ki sakshat devdhidev bhagwan shri hari ne hi avatar liya hai. To apne putr kapil bhagwan ke paas ekant mein gaye aur ekant mein pranam kiya aur kaha prabhu apne papon ke karmon ke karan dukh mein sansaar mein nana prakaar se pidit hote hue in manushyon par aap kripa karke yah rup dharan kiya hai. Waise to aap hamen saubhagya diya ki main pita hoon par main janta hoon aap kaun ho isliye ekant mein aapko main pranam kar raha hoon.
bhakton ki raksha karne wale ham vishay lopon ke dwara hone wali apni avagya ka kuch bhi na vichar karke kya kardam ji kah rahe avagya kyonki aap prakt hue the. Maine aapko na mangkar patni mangi thi. To aapne hamari raksha ke liye aaj hamare ghar par avteerna hue. Vastav mein aap bhakton ka man badhane wale hain. Prabhu prakrit rup se rahit alaukik rup bhakton ko priy lagne wala aap tatv gyan ki ichchha se prakt hue hain. Aap mein samgr gyan, samgr virya, samgr yash, samgr vairagya, samgr aishwarya virajman hai.
nath main aap bhagwan kapil ki sharan le raha hoon. Aaj main tino rinon se mukt ho gaya. Jise bhagwat prapti ho jati hai wahi tino rinon se mukt hota hai. Dhyan rakhna. Kya aapki agyaa ho to main sanyaas grahan karun. Kyonki main sanyaas dharan karke kathor vrat ke dwara aapki aradhna karna chahta hoon. Shri bhagwan ne kaha mun vaidik laukik karmon mein sansaar ke liye mere vachan hi praman hai. Isliye maine tumse kaha tha main tumhare yahan janm lunga aur maine satya kiya main prakt hua hoon. Is bar mera janm hua hai updesh dene ke liye.
main jeevan mukt sthul sukshm karan tino shariron se rahit atmanubhav sankhya shastr atmjyan ka sukshm marg jo lupt ho gaya hai use varnan karne ke liye sthaapit karne ke liye main prakt hua hoon. Jao main agyaa deta hoon. Ichchha anusaar sanyaas dharm sweekar karo aur samasth ichhao ka tyag karke durja mrityu ko jeetkar mere ko prapt ho samne baithe hain kah rahe mere ko prapt ho yahi arjun ji se kah rahe bhajan ke bina nahi bhagwan samne baithe kah rahe ichhao ka tyag kar mera bhajan karte hue mere ko prapt ho ichchha hi bandhan hai main swayam prakash sampurn sampurn jeevan ke antahkaran mein rahne wala paramatma hoon.
jab tum buddhi ke dwara samasth indriy aur man ko samet kar mere mein laga doge to antahkaran mein hi tumhen mera sakshatkar ho jaega. Hriday mein hi usi samay tum moksh padvi ko prapt kar loge. Mera sakshatkar karke aur tum aaj se mata devuti ki chinta mat karo. Unko to main param pad pradan karunga. Unke sansaar rup bhay ko par karne ke liye main aaya hoon. Aap jao sanyaas grahan karo. Bhagwan kapil ke is prakaar kahne par Prajapati kardam ji ne bhagwan kapil dev ji ki char parikrama ki. Pranam kiya aur usi samay kathor sanyaas ka vrat lekar ke nikal pare.
ahimsa mein sanyaas dharm ka palan karte hue ekmatra bhagwan ki sharan mein hokar maun ho gaye. Samasth agniyon ka tyag kar diya. Samasth karm karm phalan ka tyag kar diya. Nisang jadwat jadwat ye sthiti jaise bhagwan rishbh dev karya karan se atit sat aad gunon ke prakashak nirgun anannya bhakti se pratyaksh hone wale parbrahmma paramatma ka kapil bhagwan ke rup mein jo prakt hue the sakshatkar kar liya. Vani se maun sharir se nisang karm aur karm phal bhagwat samarpit jadwat ekmatra bhagwan ke chintan mein to jo bhagwan putr rup mein avtrit hue the unhin ka sakshatkar kar liya par brahmamay sthiti shri kardam ji ki ahankaar mamta sukh dukh aadi dwandon se chhutkar bhed ka nash karke apne swaroop mein abhed sthiti jo bhagwan wahi sthiti abhed sthiti ko prapt hokar jaise shant lahron wala samudra aise kardam ji bhagwan ko prapt hue.
param pad ki sthiti mein kardam ji maharaj sthit ye bhagwan ki kripa se bhagwan ajnma hai. Apne bhakton ke liye wah janm lete hain. Yogi pravar purush shreshth bhagwan kapil ji ki adbhut kirti hai. Vidur ji jaise atma gyan vishyak aapne prashn kiya aise hi mata devti ji ne bhagwan kapil dev ji se prashn kiya jab dekha ki kardam ji to sanyaas lekar chale gaye. Unka to kam ho gaya. Ab mera kam banane ke liye to prabhu swayam aae hue hain. To jis din shant mudra mein bhagwan kapil dev ji virajman the unke samip pahunch ke dehuti ji ne kaha bhuman prabhu main janti hoon aap mere putr nahi ho putr banne ki leela kiye ho aap jagat pita ho swayam bhagwan ho prabhu main in dusht indriyon se bhog bhog karke chhak gayi ub gayi par yah nahi man rahi yahi baat hai nirna nit bhuman nas tarna sambhavya mane prapan tam prabhu prabhu ye dusht indriyan itna bhog bogi phir bhi main to ub gayi lekin ye indriyan phir bhi nahi ubi unhee bhogon mein ja
rahe prabhu ab inki ichchha purti karna band ye ghor andhkar mein mujhe le ja rahe hain nath mere ko ab chinta to hai nahi kyonki mere kalyan ke liye aap mere putr bane ho akar ke par main ab janm parampara mein nahi jana chahti mera akhiri janm ho prabhu kripa karo main ab is agyaan andhkar mein nahi dubna chahti mere netr aap ho nath mujhe dikhao rasta ab main janm nahi chahti bahut chhak gayi in indriyon se badi dusht hai he aadi purush aap mere netr ho jo surya ki bhanti gyan ka marg
dikhaoge ye agyaan ka nash kar agyaan andhkar ka nash karke gyan rupi prakash karne wale jo main deh geh mein phas gayi ye duragrah kaise mitega main stri hoon aap mere putr hain ye duragrah ye mera mahamoh kaise dur hoga nath ye jo dehabiman ye kaise dur hoga prabhu mere to aap hi ho sansaar rupi asat vriksh ke katne ke liye aap hi kuthar ho. Main aapse prakriti aur purush ka gyan prapt karna chahti hoon. Main aapki sharan mein hoon. He bhaktavatsal main aapko pranam karti hoon. Aap aise updesh kijiye jisse mera dehabiman nasht ho jae.
agyaan andhkar nasht ho jae. Jab mata dehuti ne aisa prashn kiya to bhagwan kapil dev ji unhen uttar de rahe hain. So shesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…