Vrindavan kabhi mat chodna, phir dekhna chamatkar / gajendra aur grah ke beech bhaykar yuddh // 24/08/26
shri dham Vrindavan par pujya maharaj ji ke vachan — upar video mein sunen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tvai padarvindm prema makrand raso purnam had itam madhupte smarta mugam nirvapyt param shital mashyami param shital ma shrayami param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta yamuna ras rani raj rani samasth brajvasi paridh vishwas hi bhagwat prapti ka hetu hai. Jiska jitna dridh vishwas prabhu par hai, wah utni shighr hi maya prapanch se mukt hota hai.
kabhi-kabhi sadhak ko sadhan paksh par itna jor aham sthit hota hai ki wo bhagwat aashray par drishti nahi rakh pata aur aham se jab sadhan hota hai to girna bhi parta hai. Bhrasht hona parta hai. Aur jab bhagwat aashray se sadhan paddhti hoti hai to bhagwan kripa karke jahan wah girna chahta hai wahan usko bacha lete hain. Uski raksha kar lete hain. Jaise ghor maya ka prabhav devrshi narad par hai. Par unke hriday mein ek aashray ki bhagwan ke siva mera param hitaishi koi nahi hai. To prabhu se kaha je vidhi hoe nath hit mora karahu su veg das main tora prabhu main aapka das hoon jis tarah se mera hit ho wahi aap kripa karke kijiye bhagwan ne bacha liya virodh hua narad ji ke dwara to bhi bhagwan ne bacha liya bhagwan ko shraap diya to bhi bhagwan ne bacha liya aashray bahut mahan vastu hai aur is aashray par vishwas hona ye aur dridh baat hai.
bin vishwas bhagat nahi te bin dravah na Ram bina vishwas ke bhakti nahi aur bina bhakti ke bhagwan dravit nahi hote aur Ram kripa bin swapna jeev nal vishram bina bhagwan ki kripa ke jeev ko swapna mein bhi vishram nahi prapt ho sakta isliye aashray tatv wo vishwas se pusht hota hai hamen dridh vishwas paas hona chahiye ki ham jin Vrindavan Priya pritam ke ashrit hain. Inki kripa se sab theek ho jaega. Inki kripa se nischit bhagwat prapti ho jaegi. Inki kripa se nischit bhagwat prem prapt ho jaega.
par jeev ki badi durdasha hai. Wo bhagwat aashray par vishwas nahi kar pata. Wah apni kriyon par, apne sadhan par jo aham pusht karne wale hain un par to vishwas kar sakta hai par prabhu ke aashray par vishwas nahi aur aashray, bharosa, dridh sharanagati, purn samarpan, atma samarpan, purn prapatti ye sab ek hi shabd ke paryayvachi hai. Jab tak yah nahi hota aashray dridh tab tak bhatakna parta hai. Kabhi man kahta hai ki chalo bhramn karte hain. Are maang ke khate hain. Ekant vas karte hain. Kabhi man wahan jab hath nahi lagta.
phir aata hai ki chalo nahi gurujanon ki sharan mein rahte hain. Unki agyaa mein rahte hain. Iski badi durdasha hai. Vishwas aur aashray dridh na hone ke karan janm janmantar bhatakna parta hai. Vishwas aur aashray dridh ho jae to pair faila ke so bhagwat prapti nischit hai. Vishwas aur aashray yah vishwas aur aashray bahut badi uplbdhi hai. Jiska aashray dridh ho gaya, vishwas pusht ho gaya, wah bahut unchi sthiti ka mahatma hai. Isi ko dridh karna hai. Aashray aur vishwas kaisa bhi jhanjhwat maya ka ave bada vichitra vichitra maya ka jhanjhavat hai.
aisa tufan aata hai ki wo isht guru se alag kar de. Maya mein aasakt kar de. Kaisa bhi jhanjhwat ave hamara aashray tatv aur vishwas na tutne pave man ka vishwas tut gaya phir kya rah gaya aapke paas hriday mein dridh vishwas prabhu se prarthna karni chahiye hamen aisi samarth dijiye ki aap par kabhi hamara vishwas dagamgae na aur aapke charnon ka aashray kabhi chhute hamen aisi shakti dijiye. He prabhu hamen aisi samarth dijiye ki kabhi aapka aashray aur vishwas ye chhutne na pave. Shripad Prabuddhanand ji maharaj kah rahe hain iv vidya dravina sarv purv menvasta karmev tathap manda bhajant vrindav maho dev mundra vandyam bade bade devta aur munio ke dwara bhi vandneey is shri Vrindavan dham mein vidya dhan eeshwarya moksh prem ye sab kuch milta hai.
yahi vidya dravina aadi jo chahiye aapko dhan chahiye Vrindavan ki aradhna kijiye param dhan pradan kar dega. Vidya chahiye bina padhe likhe aisa vidvan bana dega ki bade-bade vidvan baithkar aapki baat sunenge. Moksh chahiye aapko aisa jitendra bana dega. Aisa mahan brahm chintan paraayan kar dega ki moksh ka adhikar mil jaega. Prem chahiye to Priya pritam mein aasakt kar dega. Sab kuch Vrindavan pradan karne mein samarth rakhta hai. Bade-bade devta munindra jinki vandna karte hain. Aise Vrindavan dham ka aashray dridh karo.
kaisi bhi paristhiti ho dham ka aashray dham ka vas agar mil gaya to ise kabhi mat chodna. Shripad kah rahe jo chahiye wo karat hai. Arthat tumhen nischit prapt hoga. Tum keval Vrindavan ka aashray Vrindavan ka vas mil gaya hai. To shri hit dhruvdas ji maharaj kahte hain kaisi bhi paristhiti ho sakta hai bhagwan ki leela aisi ho ki tumhen bhojan na mile. Vas ki badi samasya ho. Badi samasya hai divya Vrindavan vas karna. Bade kripa patr hain jo samasyaon se ladte hue Vrindavan vas kar rahe hain. Apne ko rona para hai kyonki na koi ek mitra aur na koi ek rupya aur na kisi se prichay sampurn Vrindavan mein aur jahan vas mila wahan itni bhajan virodhi vrittiya thi ki man raji hi nahi hua ki yahan raha jae.
ab phir man ne uchatan bhara ki chalo kashi ke ghato mein to jo Madan mohan ji ka mandir hai ismen khub akar roye ekant mein dopahar ka samay koi tha nahi prabhu se vinay kiya ki nath mujh adham ko Vrindavan mein kahin agar vas mil jae hamen kashi na jana pare to prabhu aapki vishesh kripa hogi aur aap jante hain aapke siva hamara yahan koi nahi hai bahut rudan kiya rona parta hai asmarth ka bal rona hota hai. Samarth hai to jamin kharid liye, banva liye, rah rahe apne asmarth to apni shri ji ki vyvastha hui. Ye shri ji ne vyvastha ki.
apni vyvastha nahi hai. Hamara koi prichay ka aaj bhi nahi hai. Aaj bhi koi prichay ka nahi hai ki hamare paas unka phone number hai. Unko bulaen. Wo hamari agyaa ka palan karenge. Ek bhi nahi. Koi ho to sabha mein bata dena ki hamara aapka personal sambandh hai aur aap hamse personal adesh karte hain. Nahi shri ji adesh karenge to aapko bata sakte hain jab aap shri ji ke sharanagat ho. Hamari taraf se koi maang hamari taraf se koi apnapan hamari taraf se kisi ka phone number kisi ka nahi. Shri ji ke siva hamara koi nahi.
vihaar mein kuch bhi ho. Aaj jo bhi wo hamari shri ji ki vyvastha hai. To shri dhruvdas ji kah rahe hain yadi Vrindavan vas mila hai yah jo likha hai iska anubhav kiya hai madhukri vritt thi bahar se tala lagva dete kutia mein chhoti kutia thi jal aur laghushank ka patr yah sab vyvastha karke ratri mein shauch ke liye nikalna teenti charchar din tala laga hua kisi se koi matlab nahi na mangne jana na khane jana ratri mein itni mishri ka bhog laga ke shri ji ko sahan kara dena wahi mishri kha ke jal duje teeje jo jure shaak patr kachhuai tahi so santosh kari rahe adhik sukh pai do din mein teen din mein yadi kuch jud jae saakh patta phal jo bhi pet mein dal le do-teen din mein ek bar kah rahe duje teeje jo jure kabhi-kabhi aisa abhyaas karna chahiye sadhak ko sab suvida hone par bhi ek din do din teen din abhyaas pusht rakhna chahiye ki bhojan na milne par par dincharya nahi bigadni chahiye koi janne na pave na uska prakash hone pave aur na dincharya mein truti honi chahiye.
tab to theek raha. Ab kamre mein pare bole do duje teeje wala abhyaas kar rahe hain. Wo nahi. Murari sharan ji aae aur kaha doctor ne adesh kiya hai ki ultrasound karakar unko report deni hai. To aaj kuch khana nahi. 10 11:00 baje pahunche the. To turant ga ke gaadi bole chalna hai. Aap kuch khana nahi. Unko kuch khane ki zaroorat. Teen din ho gaye kuch khaya nahi chahe jab ultrasound kara do wahan gaye to doctor ne kaha keval pani se rahte ho kya kuch hai nahi pet mein abhyaas aur kabhi udas nahi kabhi kisi ko samjhne nahi diya chahe jitni pida ho chahe jitna kasht ho apni dincharya pe ye guru kripa rahi hai aur yah sadhak ka ek dridh niyam hona chahiye agar ham ghasit sakte hain to ghaseete hue dincharya karenge bahut dhilai nahi rakhni chahiye apne jeevan mein.
har sthiti mein ek jujharu swabhav hona chahiye. Are char din ki zindagi hai mar jaoge. Dhruvdas ji kya kah rahe hain? Duje teeje jo jure saak pat kachhuaeee tahi so santosh kari rahe adhik sukh paye rahe adhik sukh paye adhik prasann hona chahiye jab do-teen din se bhojan nahi mila to adhik prasann hona chahiye adhik tej hona chahiye adhik srti honi chahiye agar aap mein ye nahi hai to aap sanyamsheel nahi hai. Aap brahmachari nahi hai. Aap vishay hain. Aap paramarth ke uttam sadhak nahi hai. Uttam sadhak kah do teen din bhi na mile to bhi koi fark nahi.
chehre mein sikudan nahi ani chahiye. Udasi nahi ani chahiye. Murjhana nahi chahiye. Waise hi khila hua chehra tab samjh mein aayega ki aap sanyami hain. Deh swad chhut jai sab kachu hoe chhin sharir prem rang u mein badhe bihre yamuna tir jaban ka swad mita diya wahi sadhu nahi to swadhu sadhu aur swadu mein yahi antar hai jo apni jaban ka swad mita diya nahi aaj to amuk padaarth banna chahiye to us amuk padaarth ko mila do sabji aur daal mein mila ke pao khir khane ko mana haan theek hai banwao khir khir le usi mein daal milao usi mein sabji mila do aur pao swad chahiye Radha Radha swad le to Priya pritam apne to prasad pate hain prasad pate hain bas yahi maya hai.
jnendriay rasd ye do indriyan aisi hai jo phasa deti hai bade-bade ko. Inko kabje mein kar lena chahiye. Maang nahi honi chahiye. Andar maang ho ki aaj yah pana hai to kisi se ko batao mat. Aur sankalp ke anusaar aa jae to uchit hai ki pao mat. Agar pao to swad bigad ke pao. Swad bigad ke. Santo ka bada vichitra khel hota hai. Isiliye swadhu aur sadhu mein antar hota hai. Ek bar odiya Baba ji maharaj pariksha ke liye bahut se sadhak rahte the. Bole aaj ham parsaenge pangat. Kacchi aur moti.
ek puri ki aise ghaan nikali aur ek patli aur chhoti chhoti phuli hui paki hui aur paraswayu paki hui pehle paraswai uske upar kacchi paraswai sabji paraswayu khade ho gaye narayan narayan narayan pavsa to unmein jo praveen sadhak the uttam sadhak jaise parosi gayi thi to upar ki kacchi puri se shuru kiya aur jo swadu the wo palat diya niche wali Baba khade the. Unko samjh mein nahi tha ki Baba pariksha le rahe hain. Bole ae khade ho kyon kiya aisa? Jitne the khade karo. Aisa kyon kiya? Kyonki wo paki hai wo swadisht hai.
chal ghar jao. Swad ghar mein purn karo. Baba ji bane swad ke liye nahi. Pet bharna tha to jaise parosa tha waise pate. Aise kaise pa liya? Bole galti galti nahi. Chalo hato. Paramarth aur vairagya swad nasht karne ke liye hai. Swad ki purti agar ki to bhagwan naam ka swad nahi aayega. Jiska bhojan swadisht uska bhajan aswadishta bhajan mein swad nahi aayega. Agar bhojan saras to bhajan niras ye pakka samjh lo. Bhagwan se manao ki hamen samarth de ki Jnendra rasd ke swad ki taraf hamari vritti na jae. He nath aap hi sambhal bilkul bhagwan hi sambhalnge.
yah pakki baat kah rahe hain. Apne logon ke bas ki baat nahi. Apne unse prarthna karen ki hamen aisi samarth den ki hamara swad bhav chhut jae. Bhojan mein sambhog ki akanksha khatm ho jae. Deh swad deh swad mein sare sukh hai deh swad chhut jae sab kachu hoi chhin sharir thoda charbi ghatni chahiye sharir ko utna hi bhojan do jitna kam chalao mehnat khub adhik bhojan wala mehnat nahi kar sakta dhyan rakhna thoda sa kam pare aise lambi sans chalne lagi phulne lage itna bhari pet ho gaya charbi are kahe ko bojha badha rahe ho lakdiyaan ka dher zyada lagega jalane mein marna hi hai marne hai iske liye bole subah subah Baba ji marne ki baat jarur karta hai subah subah marne ki baat isiliye subah subah kahte pura din tumhara badhiya jae marne ki baat karne se badhiya jaega haan hosh mein rahoge ki marna hai to bhagwan ka naam jap karna hai paap nahi karna hai.
dusre ko sukh dena hai. Bhagwan ki prasannata wale karya karne kyonki marna hai bhai. Sharir chhutna hai. Aaj nahi to kal chhutega. Jab sharir ka sukh chhutta hai tab bhagwat sukh jagrit hota hai. Aatmand kisi sadhan se nahi prakt hota hai. Asadhnon ka tyag karo swayam spurit ho jaata hai. Ye ham anubhav ki baat kahte hain. Padhi likhi baat nahi kahte. Jo aatmand hai yah kisi sadhan paksh se nahi jagrit hota. Sadhan paksh asadhnon ko mitane ke liye hai. Aatmand swatit ho raha hai. Ye swatah swaroop hai hamara. Ye koi sadhan sit hone wali chij nahi hai.
ye swatah swaroop hai hamara. Hamara swaroop hai aatmand. Bhagwat anand. Deh swad chhut jae. Sari ki sari baten deh swad mein fansi hui hai. Bas jaisa man kahe vaisa chalna, jaisa indriyan kahe vaisa chalna. Bas kabhi paramarth ki gandh bhi nahi mil pati sadhak ko. Kaisa paramatma anand hota hai ye anubhav hi nahi kar pata. Ek bar anubhav kar lo. Phir aap dekh lo. Din raat aap bechin rahenge. Usi anand badhta jaega aur anand ki aisi anubhuti usmen bechaini badhti jati hai. Isi maha sukh ko Meera ji dukh kah rahi jo main aisa janti priti kiye dukh hoe nagar dhindora pitati ji priti na kariyo koi kyonki yah anand aisi vikalta aur aur jaise hamare priyaju ka rup ab aur ab aur aise hi anand ab aur ab aur prati kshan vardhmaanam sachchi kahte hain ye deh sukh bhagwan kripa karen buddhi shuddh ho deh sukh se umang bhajan samutkantha naam gane sada ruchi ye premi ka lakshan hai.
utkantha ke saath utsah ke saath naam aur bhagwan ke leela gun gayan aaj bhagwan ke is charit ka gaan karenge. Aaj puri chaturashi ji ka path karenge. Aaj utsah aaj gopal sahasra naam ka path karenge. Aaj pure din bhojan na karke khub bhajan karenge. Ye samutka naam gane sada ruchi. Tab kah rahe prem rang u mein badhe bihre yamuna tir bhav desh mein yamuna ras rani ke sameepastha kunj nikunjon mein hamare pran aradhya shri shyama Shyam viharan kar rahe hain. Upasak bhav desh mein unki samipita ka anubhav karte hue rudan kar raha hai.
chhin chhin rudan karant chhin gavat anand bhari chhin chhin har hasant yah jo kripa Harivansh ki jugal rup ki jhalak u nain nirahe jhalkai aise sukh ke rang mein rakhe man hi rangai yugal sarkar netron mein jhalak rahe aur usi sukh mein nimgn sadhak nishdev se janat na sajni ek ras bhi rahe gop gopin aadi durlabh te sukh din prati ye wo sukh hai kab din gaya kab sham ai kab ratri gayi iska koi pata nahi Priya pritam Priya pritam bas unhee mein magan hai aise sukh ke rang mein rakhe man hi rangai Vrindavan ki kripa se Priya Priya pritam netron mein jhalakne lage aur unhin ke prem rang menga hua upasak na tithi na war na nakshatra na grah kuch sudhi nahi bas usi mein ave chavi ki jhalak u to jhalke nainan wari yahan kaise rudan hota hai samne shyama Shyam hote hain unki rup madhuri ka pan karte hue anand ki umgan mein aansu bahte hain.
ave chavi ki jhalak u jhalke nainan wari chintat shyamal gaur tanu sakah na tanah sambhari man bhi unmad ko aur tan bhi beshuddh Priya pritam ke gaur saval sharir ka chintan karte hi netron se ashubh pravah aur anand ki umgan mein man duba hua hai aur sharir ki shuddh nahi rah gayi. Yahi to hai pancho bhule deh shuddh. Priya pritam ke chintan mein deh shuddh ka vismaran ho gaya. Aavagaman se to mukt hi ho gaya. Param sukh mein nimgn ho gaya. Vrindavan vas ke liye kah rahe hain. Kaise vas karen? Bole jeen pat ati din lat ha saras anurag vivas saghan van mein phire gavat jugal suhag jeeran par phate purane kapde premion ke kya pate tal late kapde phate tan late krishnan kaun shuddh hai sharir ki shudhi vastr ki shudhi shringar ki shudhi ye sab bah hai antarik chintan ek shlok Shrimad Radha sudhanidhi mein aata hai ki kab aisi sthiti hoti hai guru bhajan ke mahan bal se jo guru ke dwara diya hua bhajan hai us bhajan ke bal se kaisi sthiti hoti likhti bhuj mul to na khal shankh chakradam vichitra hari
mandiram na rachti bhaal sthale last tulsi malika dati kanth peethe nava gur bhajan vikramte maha buddhaya likhti bhuj mul to wo shankh chakra aadi ki chap tilak dwadash tilak kanthi koi shuddh nahi raat din guru ke dwara diye hue antarik bhajan mein itna itna nimgn hai ki na mastak mein tilak hai na gale mein kanthi hai na koi chap hai koi vaishnav chinh nahi dharan kiye hue hai yah banavti nahi sthiti hai guru bhajan vikramate maha buddhaya jab tak sthiti na ave tab tak tyag nahi karna chahiye swayam acharya lagae hue
hain isht lagate hain tilak Gurudev lagate hain to apne ko bhi lagana hai lekin ek bhajan ki wo sthiti aati hai avdhut sthiti jahan na kanthi hai na tilak hai na mala hai na koi chinh hai ye sthiti dehateet sthiti to kah rahe hain jeen pat ati din lat ha saras anurag phate purane kapde sharir ksheen ho gaya hai kyonki kuch accha hi nahi lagta nahi khanpan te bhave hai nahi komal vachan suhave hai sab vishay lage te khara hai hari ashik ka mag nyara raha hai. Maharaj ji ke paas aisi guddi thi jo kapton se judi hui bhishan sardi mein bilkul garm na kare.
kapton ke aise bahut purani bahut purani ki agar use ek taraf dabakar phada jae to phat jae. Wahi odhe the. Bahut pida hui ki hamare Gurudev bhagwan ka waise hi krish sharir us samay ek ek haddi gin sakte hain aap jis samay ham seva mein the hamare Gurudev bhagwan ki chavi rakhi hui us samay ki jo ham yamuna snaan karke charnon mein pranam kiya to aise langoti pe hain to maharaj ji aise kar kamal sir par rakhe hue hain us samay ke aap ek-ek haddi gin sakte hain aise bilkul krish sharir sanvla to aise hi to krish sharir ekdam aise wo dekha hai hamne ne puri puri raat asan par baithe hue maharaj ji ko kinchin matra bhi sharir swad nahi sharir sukh nahi kahin kisi se koi pratigarh nahi kabhi kisi se sambhshan nahi maun netr niche kaisi kaisi sthiti mahapurushon ki kaisi sthiti jab hamare hriday mein Priya pritam ki prapti ki lagan lagti to yah sab accha nahi lagta.
khanpan komal van to aag ke kuch ab bhi ate hain wo bhagat log kisi aur se jude hain par wo prem man ke ate the. To unse ham kaha ki hamari badi vivasta hai ki hamare Gurudev bhagwan ne aise vastr ko odhte aur sardi bahut hai aur unka krish sharir hai kya ek kambal ki vyvastha ho sakti hai apne to bhiksha se jite the kaha are maharaj aapne kaha ki bas do din ka samay dijiye to wo matlab aaj ke 22 23 varsh pehle 7000 ka kam bade yahan mulayam aur accha laye bade anand se guru ji ne kaha nahi nahi ye nahi kyon mangae kamar wo maharaj ji guddi dekhkar aisa laga ki bahut sardi hai aur iska un logon ne kaha
maharaj ji ham kisan aadmi hain aur ham logon ne chanda karke ekatrit kiya bhiksha samjho isko aap Baba ka ismen koi role nahi to keval ekdam avesh mein uthe aur phool mala banane wali kainchi kainchi uthyi usko 20 jagah se kata hoga kambal ko kaat karke aur phir wahi phate purale kapde jod ke aise to ham socha ki sham time ham guddi le lenge sham ke gaye to itni rakh padi thi guddi ki aur wo kam usko 20 jagah se kaat ke sil karke phir usko ko nahi komal van suhave hai nahi khanpan te bhave hai sab vishay lage te khara hai hari ashik ka mag nyara hai vivas saghan van mein phire gavat jugal suhag aa braj 84 kos mein koi aisi jagah nahi jahan Gurudev bhagwan na bhramn karae ho kai kai mahine saath aise nikal jaate the to raat raat main pad gayan kar rahe raat dandvati laga rahe hain to ekant mein baithe hue bhajan phir dandvati aisa nahi ki aram mudra mein pare hain aise kabhi nahi dekha thodi der shithil hue phir lage tab bhagwat tatv ka gyan bhagwat prem subah jaise ham chal rahe hain to chaturasi ji sunte hue maharaj ji chal
rahe hain jahan baithe chaturasi ji ka koi chaturasi ji maharaj ji ka jeevan jo sevak ji kah rahe hai pran ram rahi Harivansh vani yah maharaj ji ke jeevan mein dekha pran ram rahi Harivansh bani rasoi mein hai to tali baj rahi hai aur pad gayan ho raha hai vivas saghan van mein phire gavat jugal suhag vivas saghan van mein phire gavat jugal suhag aur jaise kabhi mil gaye dandvat karke chalne lage saath khade ho gaye chalo age niklo jao kahan ja rahe the chalo yahan se jao kabhi saath chal chal jaise braj bhramn mein bhi saath hai na to 10 20 hath ka antar hona chahiye age tum chale jao ya piche par 10 20 hath ka antar saath nahi chal sakte wo apne swaroop mein apne chintan mein ras mein dekht phire ban nain ban rahe ai kahun kahun anand rang bhari pare dharan thahrai jab drishti rasmei ho jati hai to Vrindavan rasmay dikhayee deta hai.
netron mein Vrindavan chhaa jaata hai. Yah Vrindavan kuch aur hai. Hamare u Vrindavan aur wo netron mein jo Vrindavan chhata hai kaisi-kasi shobha jagrit hoti hai. Aap soch bhi nahi sakte. Is prakriti mein hai hi nahi. Pure vishv brahmand mein are Vrindavan ki lata sam koti kalp tarunai raj ki tul Baikunth nahi aur lok ki mai to kaise koi udaharan de ki Vrindavan ki kaisi shobha jagrit hoti dekhtede ritu parivartan dekhtede drishya parivartan Priya pritam ka adbhut dham uske netron mein sama jaata hai nainan ban rahe ai aur kah kah anand rang bhari pare dharan thahrae bade gambhir mudra mein maharaj ji giriraj ji mein saath chal rahe the.
aise varta sun rahe to Madan terror ke andhe Baba ka charit sunane lage. Hamne charit padha maharaj ji kaise mahan sant wo kahne lage ki hamne to pura jeevan vyatit kar diya. Kabhi ladli juaa ek bar bhi darshan nahi diye. Waise hi main abhagi hoon. Ankhon ka andha hoon. Hamen lagta hai hriday ka bhi andha hoon. Pura jeevan vyatit ho gaya. Kabhi darshan nahi. Waise to ladli jo badi karunami hai. Lekin lal ju ke sang se wah bhi aur wo apne bhav mein pukar rahe the. Ladli jo samip thi haan chhin chhin bihrat sang Priya pritam wahi hai jahan naam vani hai naam vani jahan Shyam shyama tahan aur unko pata nahi tha ki Priya jo sun rahi to Priyaju ne kaha na Baba main kathor na aur Baba ka sparsh kar le lal ji ne kaha Priyaju aap itni bhori ho Priyaju pakar liye Baba ko kaha na Baba main itni kathor aur na piche dekha to maharaj ji ki dasha badli hui thi.
ankhon se asuon ki dhar chal rahi thi. Rom rom pulkit aur chalne mein asmarth ho baith gaye. Maharaj ji to ekdam shithil bas is shabd mein ki na Baba main kathor na hai. Bas maharaj ji kis bhav dasha mein pahunch gaye. Baith gaye. Chalne ki samarth nahi rahi. Ek ghanta tak wahi Priyaju aur lal jo yah wahi virajman hai jahan naam vani hai. Naam chal raha hai. Vani ji ka gayan chal raha hai. To bole kah kah anand rang bhari pare dharit hai. Aisa anand are shadra vishyon ke anand se hato dekho bhagwat anand priyal ek ek second aapko dekh rahe hain.
ek ek second aap sharanagat hain. Aap unke yahan hain. Aap yah mat samjho ki aapko nahi koi dekh raha. Priya pritam ek ek second dekh rahe hain. Aap kya chahte ho? Aap kya karte ho? Aapka uddeshya kya hai? Isiliye wo chhupe hue hain. Jis din aapka uddeshya keval Priyalal honge. Us din wo chhup nahi sakte. Aise khuli aankh darshan dene lagte hain. Akanksha karni chahiye. Dhruvdas ji kah rahe hain aisi gati hoi hai kabahu mukh nisrat nahi bain dekh dekh vrinda vipin bhari bhari dhare nain kya meri kabhi aisi gati hogi ki mukh se awaz na nikle gala rundh jae aur ankhon se asuon ki dhar bahe aur Vrindavan ki kunj nikunj mein Priya pritam haran kar rahe hain.
dekh ke main rudan karun anand mein rudan karun. Nirakhat nitya bihar pulkit tan romavli anand nain sudhar yah jo kripa Harivansh ki Vrindavan taru tarure dhare nain sukh nir chintat phire avesh bas shyamal gaur sharir Vrindavan ki kisi lata ke niche niche khade hokar rudan kar rahe Priya pritam ke dekho zindagi mein kabhi yah avsar mila Vrindavan ki kisi ekant lata ke niche khade hokar uske sahare rudan kar rahe Priya pritam ke chintan kab miloge shyama Shyam kab hamare par kripa hogi unke liye rudan chintat phire avesh bas shyamal gaur sharir ek avesh chadha hua hai bas Priya pritam ka mantr chal raha hai unhin ke dhyan mein magan param sacchidanand ghan vrinda vipin sudesh ja mein kabhut nahi maya kal pravesh ye satchidanandmay dham hai.
bada pavan adbhut shobha se yukt Vrindavan hai. Ismen kabhi maya ka pravesh nahi hota. Ham mein pravesh hai isliye maya mein dikhayee de raha hai. Jahan hamare hriday ki trigun maya hati to chidanand Vrindavan mein kabhi maya ka pravesh nahi hai. Sharad jo satkoti mili kalpan karen vichar. Vrindavan sukh rang ko kabahu na pave par. Karod karod Saraswati kalpon tak yadi vichar karen to bhi Vrindavan ki mahima ka par nahi pa sakti. Vrindavan sacchidanand swaroop hai. Saraswati karodon karod karod Saraswati kalpon tak vichar karen to bhi chidanand divya Vrindavan ki mahima ka par nahi pa sakti.
Vrindavan aand ghan sabse uttam ai mote nich na aur ko kaise pa ho tah Vrindavan anand ghan sarvottam dham hai aur main sabse nich adham hoon kaise divya Vrindavan ko prapt kar paun it bauna akash phal chahat hai man mahi tako ek kripa bina aur jatan kachu na kahan bauna aur akash sthit phal ko prapt karna chahe aise kahan main adham aur kahan divya Vrindavan yah to sirf kripa se ho sakta hai. Ladli jo kripa karen aur hamare netron ka maya mal hate aur ham divya Vrindavan ki kunj nikunjon ka darshan karen. Kaise kripa upje to bole kunvri kishori naam so upjo dridh vishwas karuna nidhi mridu chit ati tate badh jaya as hamari swamini ji bahut karunamay hit [nak se ki jane wali aawaz] mein isiliye asha dridh ho rahi hai ki swamini jo kripa karenge par wah kripa kab hogi kunwar kishori naam so hamare hriday mein har samay Radha Radha Radha Radha Radha sab kripa ka anubhav ho jaega kunvri kishori naam so hamari kunvri jo kishori ju ka jo Radha naam hai yadi hamara dridh vishwas is Radha naam mein ho jae to
Vrindavan bhi prakashit ho jaega prem hriday mein prakashit ho jaega jaega tatv bodh bhi ho jaega sab kuch ho jaega is Radha naam se bas vishwas hona kathin hai ruchi hona kathin hai yadi param dhan Radha naam par vishwas ho jae to dhruvdas ji kah rahe sab baat ban jae kunwar kishori naam so upaj dridh vishwas Radha Radha Radha karuna nidhi mridu chit tate ba as badi badi karunami hamari swamini si ladli jo hai jab ham Radha Radha pukarenge to kripa kareng aur hamare hriday ka yah jo awran mal vikshep hai hat
jaega aur hriday mein hi Vrindavan prakashit ho jaega jinko vrinda vipin hai kripa tah ki [gana gane ki aawaz] hoi Vrindavan mein tabah to rahan pai hai soi jinka Vrindavan wahi kripa karen to yahan Vrindavan vas isiliye kisi basi par dosh darshan mat karo ye sab shri ji ke kripa patr hain. Jab shri ji ne kripa kar di to ham dosh darshan karne wale kaun hote hain? Vrindavan ka vas sirf ladli ji ki kripa se hota hai. Aur jinko yah vas mila hai, ladli ji ki apaar kripa hai. Isliye ab kripa ki avhelna na karen.
nirantar Radha Radha naam jape. Vrindavan ka aashray Vrindavan ka vas sweekar karke jeevan ko premay banain. Chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran. Shri yudhishthir ji ke prashan ka devrshi narad ji ne uttar diya aur apne purv janm ki baat bataai ki ek janm mein main upbarhan naam ka gandharv bada sundar tha. Itna sundar tha ki striyan par aasakt rahti thi. Mujhe is baat ka garv ahankaar rahta tha. Ek bar brahma ji ke bulawe par samasth dev rishi munio ki sabha mein mujhe bhagwan ke pavan yash ka gayan karne ka adesh mila.
par ham ahankaar vash stri lubhavavne gane gane lage jisse mujhe shraap mil gaya. Jao tum nich yoni ko prapt ho. Kaha main upabhran bada sundar gandharv phir dasi putr hua. To dekho santo ki sabha mein aparadh karne se santo ki avhelna karne se main apni uchh padvi se bhrasht ho gaya. Lekin bhagwan ki kripa se dasi putr ke rup mein mujhe chaturmas mein santo ki seva mili. Un santo ki kripa se aisa bhav bana ki pura jeevan bhajan mein to agla janm devrshi narad ka prapt hua. Shri devrshi narad ji kahte hain maharaj yudhishthir aapke saubhagya ki ham kya charcha karen?
kyonki aapke apne shri Krishna hai. Aapke wo agyaa palak dut bhi bane, sarathi bhi bane. Aapko jitna bhagwan ne pyar kiya, ham aapki mahima kahan tak kahe? Is rajasva yagya mein bhaktavatsal bhagwan ki sampurn aradhna hui. Devrshi narad bhagwan shri Krishna aur raja yudhishthir se vida lekar satkar pakar bhramn karte hue brahmlok ko gaye. Bhagwan shri Krishna param brahm paramatma hai. Yah sunkar yudhishthir ke hriday mein sarwa hua aur bhagwan ke charnon mein priti badi. Parikshit maine tumhen yah bhagwan ke pavan yash ka varnan karke sunaya jismen daksh putriyon ke vanshon ka alag-alag varnan isi mein devta asur manushya sampurn charachar ki srishti hui hai.
raja parikshit ne pucha Gurudev swayambhu Manu ke vansh ka vistar maine sun liya. Is vansh mein unki kanyaon ke dwara mareech aadi prajaptiyon ki vansh parampara chali. Ab ham dusre manuon ka varnan sunna chahte hain. Brahmin gyani mahatma ka sang jisko mil jae ab usko apne udhar ke liye aur koi sadhan karne ki zaroorat nahi padti. Mahatma ka milna hi bhagwat prapti hai. Bhagwan vibhinn vibhinn manwantron mein avatar leela prakashit karte hain. Aap trikaldarshi mahatma hain. Aap kripa karke sunaaiye aur hamari sunne mein badi shraddha hai.
bhagwan vishv bhavan bhagwan bite hue manwantron mein jo jo leela kar chuke hain vartman manvantar mein jo kar rahe hain age manwantron mein jo kuch karenge wo ham sab sunna chahte kyonki bhagwan ki charcha sunne se samasth paap nasht hote hain. Hriday mein bhakti ka pradurbhav hota hai. Shri Sukhdev ji ne kaha is kalp mein swayambhu aadi chhah manvantar bit chuke hain. Unmein se pehle manvantar ka maine varnan kar diya. Usi mein devta ki utpatti hui thi. Swayambhu Manu ki putri akuti se yagya purush ke rup mein dharm ka updesh karne ke liye tatha dehut se kapil bhagwan ke rup mein gyan ka updesh karne ke liye bhagwan ne avatar grahan kiya.
kapil bhagwan ka avatar piche varnan kar chuke hain. Ab bhagwan yagya purush ne akuti ke garb se avatar lekar jo kuch kiya uska varnan karta hoon. Parikshit swayambhu Manu ne samasth kamnao aur bhogon se virakta hokar bhagwan ki prapti ke liye apna rajya chhod diya. Kabhi koi kamnao se purn nahi hota. Kamnao ko tyagna hota hai. Aadi samrat hai maharaj Manu. Kamnao aur bhogon ka tyag kiya. Kabhi inse tripti nahi hoti. Koi agar soche ki amuk amuk bhog mil jae to main tript ho jaun. Kabhi nahi.
inke tyag se hi shanti milegi. Tyagantam ve apni patni shatrupa ke saath tapasya karne ke liye bhagwan ki aradhna ke liye rajpat chhodkar van ko chale gaye. Parikshit unhone sunanda nadi ke kinare prithvi par ek pair ke bal khade rahkar 100 varsh tak mantr japte hue ghor tapasya ki. Ek pair ke bal 100 varsh tak khade hokar tapasya karte hue bhagwan ki wo ye roz stuti karte bhagwan ki stuti karte chetayte vishwam vishwam chetayte nayam yo jag saye nayam tam ved ved sa atma vasdam vishwam y kin jagtam jagat ten tan bhajeeta madhya kasu yam na pashyati pashyantam chakshuras naristi tam bhut neelyam devam suparnat nasya madhyam cha swantam bah vishwasya yadi vishwam cha tatam mahat jiski chetna ke sparsh se hi ye vishv chetan ho raha hai.
jitni ye chetna hai ye sab bhagwan hi hai. Jitna power hai shariron mein wah chahe devta ho chahe manushya ho chahe Rakshash ho sab mein bhagwan ki hi shakti virajman hai. Samasth vishv ko chetna jahan se prapt hoti hai wo shri bhagwan hai. Kintu yah vishv jinhe chetna ka dan nahi kar sakta. Vishv ko chetna ka dan jo karte hain wah shri bhagwan hai jo is vishv ke pralya ho jane par bhi jagte rahte hain. Yah vishv jinko nahi jaan sakta parantu jo is vishv ko jante hain wahi paramatma hai. Yah sampurn vishv is vishv mein rahne wale charchar prani sab mein paramatma virajman utaprot hai.
jaise barf mein jal otaprot hai. Barf keval naam hai. Hai keval jal hi aise stri purush jad chaitanya keval naam hai. Paramatma hi paramatma hai. Lekin dekho hamare aankh hote hue bhi ham nahi dekh pate. Kisi sujh wali aankh ne pehchan ki kan kan mein jhanki bhagwan ki sansaar ke kisi bhi padaarth mein moh na karke kisi bhi vyakti se apna na karke apna bhav na karke jo bhajan karta hua trishna ka tyagi hai wahi sarvatra bhagwan dekh sakta hai. Sarvatra bhagwan hai par dekh wahi sakta hai jo na kisi vastu vyakti sthan se apnapan rakhta hai na kisi se moh karta hai ekmatra bhagwan ka bhajan karte hue jeevan nirvah karta hai wo sarvatra bhagwan dekh sakta hai bhala ye sansaar ki sampatti kiski hui hai kisi ki nahi isi jagah ko karodon log apni apni kah ke padhar gaye bhagwan sabke sakshi hain.
buddhi, vrittiya, netr, indriyan in sabke wo sakshi hain. Isliye wo nahi dekh sakte. Bhagwan sabko dekh sakte hain. Lekin indriyon ke dwara, buddhi ke dwara, man ke dwara bhagwan ko nahi dekh sakte. Bhagwan chahe tabhi bhagwan ko dekh sakte ho. Bhagwan ki gyan shakti akhand hai. Samasth praniyon ke hriday mein rahne wale swayam prakash asang paramatma ki sharan grahan karo. Jin bhagwan ka na aadi hai na ant hai. Phir madhya to hoga hi kaise? Jinka na koi apna hai na paraya hai na bahar hai na bhitar hai.
ve vishv ke aadi mein ant mein madhya mein apne mein parae mein bahar mein bhitar mein sab jagah virajman hai. Bas yahi anubhav karna hai sadhna ke dwara. Unhee ki satta se vishv ki satta hai. Wahi anant vastvik satya paramatma param brahm hai. Paramatma vishv rup hai. Paramatma ke anant naam hai. Ve sarvshaktiman satya swayam prakash ajnma puran purush hain. Ve apni maya shakti ke dwara vishv ka srijan karte hain aur isi mein apne ko chhupa lete hain. Dekho chupae hain. Stri purush jad chaitanya iska parda dal liya aur aap baithe hue hain.
adhyatma vidya ke dwara unko dhundha jaata hai. [gala saaf karne ki aawaz] adhyatma vidya ke dwara unko dhundha jaata hai. Inheen sab pardon mein chhupe hue hain. Chhupa chupi ka khel khel rahe hain. Isiliye rishi muni nashkarma sthiti arthat brahm se ekatva prapt karne ke liye karm yog ka anusthan karte hain. Prayah theek theek karm yog ka anusthan karne wala hi ant mein nishkriya hokar karmon se upar uth jaata hai. Jo theek theek karmon ka anusthan karega. Isiliye ham kahte hain pehle satkarma se asatmar ka tyag karo.
phir satkarma apne aap karta bhav ka tyag kara dega to aap akarta ho jaenge. Par bina satkarma kiye nahi. Wo yahan Shrimad bhagwat mein Manu ji maharaj kah rahe prayah theek theek karm karne wala purush hi ant mein nishkriya hokar karmon ke upar uth jaata hai arthat karta bhav rahit ho jaata hai. Yu to sarvshaktiman bhagwan ko koi karm karne ki avshyakta nahi. Par jab avatar lete hain to wah bhi karm karte dekhe jaate hain. Wah atma labh se purn hone par bhi karm karte hain par karm phal mein aasakt nahi hote.
yahi shiksha dete hain ki hamara karm karne par adhikar hai phal mein nahi. Atah ham sabko unhee bhagwan ka anusaran karke anasakt rah ke karm karna chahiye. Tabhi karm bandhan se mukt honge. Bhagwan gyan swaroop hain. Isliye unmein ahankaar ka les nahi hai. Parantu jeev mein agyaan hai. Isliye wo ahankaar karta hai. Maine yah kiya, main yah karunga. Isliye kisi bhi baat par ahankaar na karo. Kisi vastu ki kamna na karo. Do baten bahut jor ki hai. Kisi vastu ki kamna mat karo aur kisi karm ka ahankaar mat karo.
ye bhagwan jab avatar lete hain to kisi ki prerna se nahi swachchhand karm karte hain. Apne log jab karm karte hain to kamna ki prerna se karm karte hain. Kamna ka tyag kar de to jaise bhagwan karm karte hain lipt nahi hote. Aise hi ham kamna rahit hokar karm karte hue bandhenge nahi. Par kamna se yukt hokar hi karm hota hai isliye bandhte hain. Samasth dharmon ke pravartak aur unke jeevan data bhagwan shri hari ki main sharan mein hoon. Unko namaskaar karta hoon. Ek pair keval khade hokar mantr jap karte hue yah stuti karte hue aradhna ki.
swayambhu Manu ekagrit se is mantr mein Upnishad swaroop shruti ka path kar rahe the ki unhen achet samjhkar ke bhukhe asur Rakshash wo tapasya paraayan the unko kha dalne ke liye aakraman kar diya Manu ji ke upar. Yah dekhkar bhagwan yam namak devtaon ke saath yagya purush ke rup mein prakt hue aur kha dalne ke nischay se aae hue un asuron ka sanhaar kiya. Bhagwan ne raksha ki maharaj Manu ki. Jab wo bhajan mein dube hue the to asuron ne aakraman kar diya unko khane ke liye. To bhagwan yagya purush ne avatar dharan karke yam aadi devtaon ke saath unki raksha ki.
dusre Manu hue surochis. Is pehle Manu jinka charcha aap sune wo swayambhu Manu. Phir dusre Manu hue surochis. Ye agni ke putr the. Unke putro ke naam the daman susen rochishman aadi alag-alag manvantar mein Manu aur indra aadi devta aur sapt rishi ye badte rahte hain. Aisa thodi ki ek indra jo ban gaya wo indra hi bana rahega. Aise jiska punya bal jitna badha wo Devraj indra ban gaya. Is manvantar mein indra ka naam rochan pradhan devta tashit urja stambh aad ved vadi gan sapt rishi the. Us manvantar mein ved shira naam ke rishi ki patni tushita thi.
unke garb se bhagwan ne avatar grahan kiya aur vibhu naam se bhagwan prasiddh hue. Ve aajeevan naisthik brahmcharya vrat ka nirvah kiya. Unhee ki shiksha se 88 hazar rishi brahmachari naisthik brahmachari hue. 88,000 rishi brahmcharya vrat ka palan karte hue aajeevan naisthik brahmachari. Phir tisre Manu hue. Ve priyavrat ke putr the. Unke putro ke naam the pawan, shanjay, yagya hot aadi. Is manvantar mein uttam naam ke Manu aur Vashisht ji aadi sapt rishi satya ved shrut aur bhadra namak devta pradhan gan indra ka naam satyajeet us samay dharm ki patni suneeta ke garb se Purushottam bhagwan satyasen ke naam se avatar grahan kiya aur unke satyavrat naam ke devag bhi the.
indra satyajeet ke sakha bankar bhagwan ne asatya paraayan dusheel, dusht, yakshon, rakshasaon aur aise drohiyon ka sanhaar kiya jo jeevan ko dukh phuanchte hain. Phir chauthe Manu unka naam tamas. Chhah Manu ho chuke hain ab tak. Tisre Manu uttam ke sage bhai the. Ye tamas Manu unke prathu khyaat nar ket ityadi 10 da putr satyak hari aur veer namak devta pradhan gan indra ka naam trishik us manvantar mein jyotir dham aad sapt rishi parikshit us tamas naam ke manvantar mein vidhti ke putr vaidhti naam ke aur bhi devta hue unhone samay ke fer se nasht prayah vedon ko apni shakti se bachaya isliye isliye ye vaidhti kahlae.
is manvantar mein hari medha rishi ki patni harni ke garb se bhagwan hari ka avatar hua. Hari naam para. Isi avatar mein unhone grah se Gajendra ki raksha ki thi. Raja parikshit ne pucha munivar bhagwan hari ne Gajendra ki grah se kaise raksha ki? Sab kathaon mein wahi katha sunni chahiye. Wahi mangalkari jismen bhagwan hari ka pavan yash ho. Sut ji kahte hain sonkad rishiyon raja parikshit amran anshan vrat lekar ke katha sun rahe. Ek bund pani nahi. Unhone jab shri Sukhdev ji maharaj se katha kahne ke liye prerna ki to Sukhdev ji maharaj ne parikshit ka bada abhinandan kiya ki aap bhagwan ki charcha sunne ke bade rasik hain.
bada sundar prashn kiya. Sukhdev ji ne kaha parikshit chhar sagar hai. Wah trikut namak parvat hai. Bada sundar parvat hai. 10,000 yojana uncha parvat hai aur uski lambai chaudai bhi 10 da hazar yojana hai. Bahut hota hai 10,000 yojana aur yah parvat teen dhatuon se bana hua hai. Sona chandi aur lauh 10,000 yojana choda 10,000 yojana lamba aur sone, chandi aur lohe se pura parvat dishaon mein jagamgata rahta hai. Aise shikhar hai aur ratan dhatu yah to bikhri padi hai. Ratan trikut namak parvat aur vivid prakaar ke vriksh latae, jhadiyan, jharne charon or samudra takrata rahta hai.
aisa jaan parta hai mano trikut parvat ke panv pukhar raha ho samudra apni lahron se aur wah wahan ki bhumi mein bade-bade ratna aise ate rahte hain samudra se. Wahan badi-badi kandraen hain jismen bade-bade siddh, vidyadhar, nag, kinnar, apsraen aadi vihar karte hain. Sangit ki dhvani guphaon se pratidhwanit hoti rahti hai. Bade-bade garbeele sinh rahte hain. Parvat ki talahti par bahut se jangli janavron ka jhund devtaon ko bhi mohit kar lene wala trikut parvat. Wahan sarovar jal bada nirmal manimai bhumi manyon se jatit.
devangnaen wahan vihar karti hai. Wahan manushya nahi ja sakte. Parwatraj trikut mein hi bhagwan lokpal Varun ka ek udyan hai. Uska naam rituman hai. Wahan siddh aur devta log hi pravesh kar sakte hain. Aise divya shobhayaman vriksh mandar parijat gulab Ashok champa tarhatrah ke aam payal kathal amra supari nariyal khajur bijora mahua sakhu taad tamal asan arjun reetha gular pakar bargad palas chandan neem kachnar sal devdar daakh i kela jamun ber rudraksha har anvla bel kaich neembu bhilava aise vrikshon ke jang jangal ke jangal aur ek bahut bada sarovar athah usmen bade sundar sundar kamal khile hue kumud utpal kalhar satdal aadi kamlo ki anuthi chhata chhitak rahi thi hans karando chakravag saras dal ke dal pandubbi batakh papeeha gunj rahe aur rang birangi machhliyan kachhue usmen ghum rahe pushpo ka parag jhad ke bada sugandhat mitha jal ho gaya tha.
kadamb bet narkul kadamb lata ben aadi vrikshon se ghira hua vishal sarovar kund kararwak Ashok siras van malika lasoda har shringar sonjuhi nag punag jati mallika satpatra madhvi mogra ye charon taraf se us vishal sarovar ke aaspas sugandhat latae vriksh us parvat mein bahut si hathi hathniyon ka Swami ek Gajendra rahta tha. Wo bada shaktishali don hazar hathiyon ka bal rakhne wala khud tha. Sardar sab hathiyon ka ek din apne pure parikar ke saath jangal ko ujadta hua raundta hua balshali pedon ko ukhadta hua uski gandh matra se bade-bade sinh bhag jaate the.
garjaj Gajendra ki gaile baagh hathi sinh yah sab usse dekh dekhkar darte the Gajendra se jo chhote-chhote pashu pakshi the wo bahut anand purvak wahan rahte the aur jo bade-bade wo sab darte the Gajendra se hazaron hathi hathniyan uske saath chalti thi wo wah bade ghamand mein vrikshon ko ukhadta pahar ko kapata hua mad tapkata hua jal pine ke liye usi bhari sarovar par gaya vyakul ho gaya tha pyas se dur se suvasit jal ko sarovar mein chal para jal piya aur bahut jalkel kar raha tha apni hathniyon ke saath abhi thakan nahi miti thi ki bade bhaykar grah ne uska pair pakar liya.
jab wo unmatt hokar swarn se jal apni hathniyon par dalkar aandit ho raha tha. Usi samay praarabdh ki prerna ne ek balvan grah uske pair ko pakar liya. Ab aksmaat vipatti mein par gaya. Sari shakti laga di par grah se nahi chhuda paya. Ab jab dusre hathi hathiniyon ne dekha ki hamare Gajendra ko grah ne pakar liya to sab surna se ek dusre ka sahyog karne lage. Wah bhi prayas vyarth gaya. Ab jo dusre hathi hathniya the jab dekha ki ab grah ne pakar liya bahut samay ho gaya chhut nahi rahe to sab chale gaye dekh lo sankat mein koi saath nahi deta sab hathi hathiniya chale gaye ab grah ne mara jhatka Gajendra ko aur andar khincha 1000 varsh tak ye kheenchatali chalti rahi 1000 varsh kabhi grah Gajendra ko jal mein le jaata kabhi Gajendra grah ko bahar lata da hazar hathiyon ka bal rakhne wala Gajendra tha ant mein jalchar jeev balvan nikla kyonki wo to jal mein hi hai aur Gajendra ka sharir thak gaya shithil ho gaya utsah bhi ksheen ho gaya aur grah thahra jalchar ji uska utsah aur bal donon badha aur bade jor se Gajendra ko khinch kar andar le gaya.
ab dehabhmani Gajendra dekha ki koi sathi nahi. Piche mud ke dekha koi hathi hathiniya koi nahi. Bahut der tak wo vikal ho gaya ki ab mere pran nikal jaenge. Yah grah vidhata ki phansi hai. Ismen phaskar main murunga. Ab agar koi bacha sakta hai to dekho Gajendra ke hriday mein purv mein bhajan hua tha raja indrajumna ke rup mein age charit aayega to yad aa gayi bhagwan ki ki agar koi mujhe bacha sakta hai to bhagwan hari bacha sakte hain. Bhayabhit hokar usne aat bhav mein bhagwan ko pukara. Usko vishwas tha ki bhagwan mujhe avashya bacha lenge.
usne bhagwan ko hriday se pukara aur bhagwan ki stuti ki jise Gajendra stuti kahte hain. So age hogi shesh charcha age. Shri Radha vallabh lal ki jai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…
- Vrindavan ki diksha ka kitna bada phal hai? / bhagwan shrikrishna ka prakty // 20/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand [gala saaf karne ki aawaz] raso purnam hrid pritam madhupte smarta mugam nirvapay param shital masya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj…