॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Vrindavan ke chintan aur vas se kya milta hai? Shri dattarey va shri Prahlad samvad // 19/08/26

▶ YouTube

shri dham Vrindavan par pujya maharaj ji ke vachan — upar video mein sunen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smartap mugam nirvai param shital mashyam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi taru lata yamuna ras rani rajrani samasth brajvasi parkar asakti yah param bandhan ka bhi karan hai aur yahi moksh ka bhi karan hai. Apne swaroop mein asakti atma swaroop mein gyani mahapurush apne aradhya dev mein asakti premi mahapurush deh mein asakti agyani bhogon mein asakti ghor agyani ab dekh liya jae apne log kya hai aradhya dev mein asakti jagrit swapna sushupti surat mein Radha pda chhata swaroop bodh mahapurush kinchin matra bhi koi snaa shakarkaram har samay param shant aur deh asakti har samay ashant bhogakti param ashant shanti tyagant nirantram jisne ne bhogon ka tyag aur sharir asakti ka tyag kar diya hai.

wahi shant purush hai. Nahi to ashant hai. Aur ashant purush ko swapna mein bhi sukhanubhuti nahi hoti. Ashantasya kuta sukham asakti ka kendra hamare char hain. Naam, rup, leela, dham. In charon [gala saaf karne ki aawaz] mein asakti na ho pave do mein asakti kar le dham mein aur naam mein rup aur leela apne aap prakashit ho jaegi aur do mein asakti na hone pave to ek mein asakti kar le naam mein naam dham ko bhi prakashit kar dega rup ko bhi prakashit kar dega aur leela ko bhi prakashit kar dega kyonki dham mein vas bada durlabh hai.

sab koi vas nahi kar sakta. Lekin naam to sab koi jap sakta hai. Koi kahin bhi ho desh videsh kahin bhi naam to sarvatra japa ja sakta hai. Aur jahan naam jap ho raha hai wahin aradhya dev hai. Jahan aradhya dev hai wahi sab kuch virajman hai. Kyonki naam vani jahan Shyam shyama tahan naam vani sunat Shyam shyama subas naam vani nikat Shyam shyama pragat to jahan bhi aap ho desh videsh kahin bhi yadi naam chal raha hai to sab kuch aapko prapt ho jaega dham bhi rup bhi leela bhi sab prakashit ho jaegi sarvopri Priya pritam ka prem bina naam jap kiye nahi sarvopri Vrindavan dham bina naam jap kiye anubhav mein nahi aayega dham mein rahte hue bhi jab tak nirantar bhagwat smriti nahi tab tak chidanand dham thodi spurit hota hai.

pragat dham mein rah rahe hain to maya krit netr hain. Maya ka hi darshan kar rahe hain. Priya pritam yahan khel rahe hain. Kahan darshan ho raha hai? Kahan ham prem mein unmat ho rahe hain. Shripad varnan kar rahe hain. Kya hai Vrindavan dham? Kah rahe hain Shrimad Vrindavan rasmatta Radha asdhran rati matta shri Krishna tyad rati trishna leela dhate smaran sheela shri Vrindavan dham kaisa hai? Bole rasmatta ras mein mast kar dene wala hai. Priya pritam ki rup madhuri gun madhuri leela madhuri chitt mein premmad prakt karti hai.

jo dham vasi hai. Par apne dham vas kar rahe hain. Har samay rupaye ki ganit har samay nana prakaar ke bhogon ka chintan har samay labh hani rag dves ka chintan to Priya pritam ke dham ki rasmattata kaha yah to chintan se aati hai yah rasmatta chintan se aati hai Vrindavan ko chintwan yah deep ari hriday mein Vrindavan ke chintan rupi deepak ko jalao to agyaan andhkar ka nash hokar karodon janmon ke papon ka nash karke rasmattaha ras mast kar dega. Vrindavan ko chintwan yahan chintan to dhan ka ho raha hai. Bhogon ka ho raha hai.

rag dves ka ho raha hai. Kaise kaise baat bane? Vrindavan ko chintwan yah deep uti janm ke agatmay kaat kare ujiya karodon janmon ke agyaan andhkar se kiye hue paap karmon ka nash karke gyan ka prakash prem ka prakash Vrindavan ko chintwan kaisi sundar kunj nikunje hain jo aap sunte hain waisi bhavna kijiye dekha to nahi par bhavna to kar sakte hain na Vrindavan ki jo mahima sunte hain jo Vrindavan ka rup sunte hain jo Vrindavan ki kunj nikunje sunte hain jo Vrindavan ki leela yat kinchit jo bhi to aap chintan to kar sakte hain kalpna kar lijiye bhavna mein pravesh nahi to kalpna kijiye aisa hoga Vrindavan Vrindavan pyaro adhik yate prem apaar ja mein khelt ladli sarwasu pran adhar sabse pyara Vrindavan kyon lagta hai ismen hamen apaar asakti ho gayi hai kyonki hamare aradhya dev shri yugal sarkar hamare pran aradhya shri ladli jo maharaj yahan khelti rahti hai.

Priya pritam yahan khelte hain. Pragat khelte hain. Bas netr badalne ki zaroorat hai. Wo netr bhi Priya pritam hi dete hain. Chashma nitya bihar ko diyo biharin moe. Nitya vihar dekhne ke liye jo chashma chahiye netr chahiye wo diyo biharin moh. Ladli jo deti hai jab unke rasikon ka sang karke nirantar ham smaran paraayan rahte hain. Kabhi vani gayan kabhi naam jap kabhi mantr jap kabhi seva to wo rijh jati hai. Rijh ke hamen drishti pradan karti hai. Wo drishti se ham Priya pritam ko dekh pate hain na ki in parthiv drishti se.

Vrindavan hamen adhik pyara hai. Isse apaar priti isliye hai ki ismen hamare isht dev shri kishori kishor jo shri ladli lal jo har samay khelte rahte hain. Sab sakhi sab saujh le rangi jugal dhruv rang samyasmay ki jaan ruchi liye rahat hain sang samasth sakhiya shri Priya pritam ki seva sukh mein jo pagi hui hai shri yugal sarkar ke prem rang mein jo rangi hui hai wo wo samay-samay ke anusaar dular karti rahti hai Priya pritam ko jaisi ritu jaisi shobha waise hi Priya pritam ko krida ke liye prerit karti rahti hai aur seva sukh samgri sab sanjo karke atyant pran priy shri yugal sarkar ko samyasmay ke anusaar sukh pahunchati rahti hai.

Vrindavan vaibhav ji to kaho nahi jat dekht sampatti vipin ki kamlahu lalchat yahan braj mein hi bilwal mein yamuna ke par lakshmi ji baithkar tapasya kar rahi hai. Vrindavan mein Priya pritam ki sakhiyon ki mandli mein hamen bhi seva ka saubhagya mile isliye tapasya kar rahe hain lakshmi ji sab lakshmi ji se lalayit hai aur lakshmi ji lalayit hai ki kabhi hamen Radha sahachari banne ko mile aur sakhiyon ke saath Priyaju ki seva ka saubhagya Vrindavan ki kunj nikunjon mein bhramn karne ka saubhagya Priyaju ke saath mile.

Vrindavan ka jo vaibhav hai wah vani se nahi varnan kiya ja sakta kyonki Vrindavan prem swaroop hai aur prem anirvchaniyam prem ka varnan nahi kiya ja sakta aur Vrindavan prem samudra hai. Ab nij dharm apno kahat tahan nitya Vrindavan rahat bahut prem sagar jahan ise Vrindavan bhi kahte hain aur ise prem dham bhi kahte hain. Ye prem dham hai Vrindavan. To jaise anirvcni prem ka swaroop hai aise Vrindavan bhi anirvcni hai. Yat kinchit mahapurushon ne varnan kiya. Mahaprabhu dekho varnan karna chahte hain Harivansh chandra kah rahe pratham yathmati Pranav ye kaha yathmati varnan karun nahi jo hi mahima prakashit hui to sabse pehle pranam kiya pratham yathmati Pranav shri Vrindavan ramya ati ramya shri Radhika kripa binu sabke manan agamya agar Vrindavan ka kuch yat kinchit varnan ho sakta hai to shri kishori jo vani ji mein akar virajman ho jae to kishori ju ke arthat prem kishori jo kya hai prem priti murtimti sandra nand ghan prem murti kishori to jab prem vani mein virajman ho jae to Vrindavan ka yat kinchit varnan ho sakta hai.

isliye hit mahaprabhu prem swaroop hai. Wah varnan karte hain. Sevak ji maharaj kah rahe ho laghumti nahi lahna janat shri Harivansh Sujana. Vrindavan kitna aur kaisa hai main varnan nahi kar sakta kyonki meri chhoti buddhi hai. Vrindavan ka varnan to janat shri Harivansh Sujana. Shri Harivansh chandra jo sujan wahi jante hain Vrindavan ko. Hamari buddhi to bahut thodi hai. Vrindavan ka jo vaibhav hai wah anirvachniy hai. Itna samjh lijiye ki sampurn tribhuvan mein jitna vaibhav hai wo lakshmi ji ke ek ansh se hai aur wah lakshmi ji Vrindavan ki shobha mahima dekhkar lalchati hain.

dekht sampatti vipin ki kamlahu lalchat Vrindavan ki lata sam koti kalp taruna nahi raj ki tul vaikunth nahi aur lok ki mai Vrindavan ki ek lata ki samanta karod kalptar nahi kar sakte jo swarg mein virajman hai ek kalptar samasth kamnao ko purn karne mein samarth hai laukik. Lekin Vrindavan ki lata yadi kripa kar de to Priya pritam ke prem ki prapti ho jae. Priya pritam ka sakshatkar ho jae. Priya pritam ke nitya dham ki prapti karane mein samarth Vrindavan ki lata. Aur durbhagya hai jo Vrindavan ki lataon ko katte hain.

durbhagya hai kyonki bahut bada aparadh hai Vrindavan ki lata ko katna. Vrindavan ki lata ki ek shakha katne par karodon gau hatya brahm hatya ka paap lagta hai aur gau hatya brahm hatya ban jae bhul se ho jae to uske liye dham sevan se wo nasht ho jaata hai lekin dham ki lata se yadi aisa paap ban gaya to kahan dhoge jake isliye bahut savdhaan bhale Vrindavan vas mat karo lekin yahan ki latae mat kato yahan latae lagao. Agar tumhare paas 100 gaj jagah hai to 10 gaj jagah mein ek chhoti si lata laga do. Wahi chauki bana do.

gobar se leep ke char pushp rakh do. Priya pritam aaenge. Yahan virajman honge. Yahi bhavna to ye dham mein ki jati hai. Aae badi-badi lataon ko kaat diya. Ab to aisi nirmam hriday ki vritti ho gayi ki kisi ko daya bhi nahi lagta ki ye Priya pritam ke liye tapasya karke latae bani hai. Jahan Uddhav aadi mahatma gulma lata aushadhi banna chahte hain. To ye latae koi sadharan nahi. Bade-bade Bhajnandi mahatma hain. Aur in mahatmaon ki hatya karne wale ko kaun si shanti kaun sa labh prapt hoga? Ye Vrindavan ki lata koti kalp tarunae karodon kalp tarun aur raj ki tul vai Baikunth nahi aur lok ki mae aur log to maya mein hai mayatit vaikunth dham bhi Vrindavan ki raj ki samanta nahi kar sakta kyonki jo raj shiv sankaadik yachat so raj shish chadhaun kishori tere charan ki raj paun ye raj sanjivni murya Lalaju ko vashbhut karne wali hai.

jo is ras ka sevan karte hain wah prem unwad ko ek din prapt ho jaate hain. Shri pati shri mukh kamal kaho narad so samjhae Vrindavan ras saban te rakho dur durae. Bhagwan shri hari devrshi narad ji se kahte hain ki Vrindavan hamara gupt mahal hai. Ise sabse chhupa ke rakha gaya hai. To adhikari ko hi Vrindavan vas ka updesh karna anadhikari ko nahi. Vrindavan ki mahima, Vrindavan ki kheli, Vrindavan ke gun yah jab adhikari mile koi Priya pritam ke anurag ras mein rangne ki bhavna wala Priya pritam ko tan man pran samarpan karne wala to Vrindavan ki mahima sunana nahi to Vrindavan ki mahima ko gupt rakhna.

ye hamara ekantik krida kshetra hai. Yahan hamen agar saubhagya se vas mila to bahut bade bhagya ki baat hai. Priya pritam yah ek bhi kshan Vrindavan se kabhi bahar nahi jaate. Yahi khelte hain aur yahan hamko vas mil gaya to hamen bahut savdhaan rahna hai. Ye bahut bada ratan mil gaya. Bahut badi sampatti mil gayi. Ab ye chhutne na pave. Vrindavan ras saban te rakh dur durae. Vrindavan ka jo prem ras hai iska sab koi adhikar nahi prapt kar sakta jab tak rasikon ka sang nahi hoga re man rasikan sang bin ranchna upje prem jab rasik sang hota hai tab prem hota prem hai to Vrindavan dekh sakte ho ye Priya pritam ka param pavan dham tapasvi bhajnanandi jeevan samarpit kiye hue Priya pritam ke prem mein asuon se bheege hue mahapurushon ka hai Vrindavan bahut gupt mahmmahim ismen jo vas kar liya ismen jo rahne se rah gaya Priya pritam jo durlabh tatv hai jo Radha tatv shri Krishna tatv ka atma hai rahasya hai wo prakashit ho jaata hai gali gali prem mein matvale hokar Priya pritam ka jas gate hue ye rasikon ki bhumi hai hath mein karva hai guddi hai pure sharir mein raj hai ha kunj bihari ha Radha vallabh ye wo desh hai jahan asuon se bhigoya jaata hai.

bhumi ko isi janm mein bhagwat prapti ho jae. Yah to param pavan mukut mani tribhuvan mein param vandni Vrindavan dham hai. Braj chaurasi kosh hai. Yah to sakshat shri krishnamay bhumi hai. Ansh kala avatar je te sevat hai ta aise vrinda vipin ko man bach ke avgahi bhagwan ke jitne avatar hain jitne acharya hain jitne ansh kala aadi ye sab dham ka sevan karte hain. Kahin bhi kisi bhi upasna ke ho sab dham ka sevan karte hain. Aur jo jahan chahega dham wahi bhej dega. Agar yahan Ram ji ki upasna karoge to yahi dham aapko Saket hokar ke milega.

shiv ji ki upasna karoge to yahi dham Kailash jis bhavna se wahi bhavna ki purti shri dham Vrindavan kar deta hai. Aise Vrindavan dham ko man se vachan se karm se avgahan karo. Shiv vidhi Uddhav saban nik yah asha rahe cheet gul lata hoe sir dhare Vrindavan rajneet bhagwan shiv bhagwan brahma aur Uddhav aadi bade-bade mahapurushon ke man mein nirantar yahi asha hai ki jab ham Vrindavan ki koi lata taru koi veeradh ban jae jisse hamen brajvasyon ki charan dhali yah Vrindavan ki raj hamare mathe par lage bhagwan shankar bhagwan brahma aur Uddhav aadi mahapurush Vrindavan ki raj ka sevan karne ke liye akanksha karte hain ki yahan ka koi vriksh koi lata koi aushadhi gulma ham ban jae chaturanan dekhyo kachuk

vrinda vipin prabhav dhrum dhrum prati arulta prati aur bano banao jab brahma ji ko Vrindavan ki kripa dekhne ko mili to sab bhagwat swaroop sab shri Krishna mein sab chidanand jab bacchhron ka aur sakhaon ka apran kiya to dekha Vrindavan ko dekha sakhaon ko dekha bacchhron ko sab shri Krishna mein yah hai sab shri Krishna swaroop hai chid chid lakshanam sarvam Radha krishnamyamm sab bhagwat swaroop hai Vrindavan ki mahima ko dekhkar kamp gaye stavan kiya bhagwan ka parikrama ki teen pradkshina karke brahmlok ko gaye par aaj tak saubhagya nahi mila ki wo dham mein vas kar pave kya dekha brahma ji aap sahit sab chaturbhuj sab tha raho nihari prabhuta apni bhul gayo tan man ke rahohar sarvatra bhagwan shri hari sarvatra bhagwan shri hari apni maya dikhane chale the shri hari ko aur maya pati ki maya ko dekhkar tharthar kamp rahe the brahma ji prabhuta apni bhul gayo tan tan man kah raho hari lok chaturdas thurai sampatti sakal samet sab taj bas vrinda vipin rasikan ko ras khet yadi tumhari badi mahima hai tum bahut bade paddhikari ho koi

bhi ho to akhirkar sharir to chhutega chahe jitni sampatti ho sab chhutegi phir kya hoga jo paap aur punya kiye unko avashya mein bhoktuvi kritam karm Subha shubham bhogna padega agar bachna chahte ho to bhagwan ke dham ka aashray lekar khub naam jap karo yah naam jap ye dham aashray aapke paap aur punya donon ko bhasm karke bhagwat prapti ke yogya bana dega ye mayakrit khel hai zyada din nahi chalega kisi ki nahi chalti zyada din yahan yahan sab aise hi ek bar utthan ek bar patan ek bar unnati ek bar avnti aise chakra chalta rahta hai.

jaise rahat ka chakra chalta rahta hai aise chalta hai. Unnati avnti dukh sukh sampatti vipatti ye aise chalta rahta hai. Isliye sakah to vrinda vipin basi chhin chhin ayu bihar aiso samay na pai hai bhali bani hai baat bahut chhoti ayu hai brahmlok mein ek kamal ki pankhudi mein sui aise jitne samay mein jati yahan ka ek varsh ho karta hoon. Aise apne 80 sal ke 100 sal ke kitni ayu hai hamari? Agar is ayu mein apna ham param mangal karna chahte hain to prabhu ka naam jap karte hue dham aashray lekar samay vyatit karen. Agar Vrindavan vas nahi milta to aashray le lo aur khub naam jap karo.

bahut chhoti ayu hai. Apna mangal kar lo. Bhogon mein mangal hone wala nahi. Yahan sab samet ke mar ke chale gaye. Naam rup sab mit gaya. Rup to jala hi diya jaata hai aur char din ki baat rahti hai. Phir iske baad kaun kisko yad karta hai? Kaun ek se ek chakravarti samrat hue. Itihas mein likhe rah gaye. Kaun kisko yad karta hai? Isliye apna kam bana lo. Chhadi swad sukh deh ke aur jagat ki laj. Man hi mar tanhar ke Vrindavan mein gaaj jaban ka swad chhod ke deh ke sukho ka tyag karke aur jagat ki lok lajja ka tyag karke shri dham Vrindavan vas karo man ko marna hota hai dham mein tan ko samarpit karna hota hai man hi mar tan harik ke man ko marna chalo chalo wahan ghum ave wahan dekh ave us tirth ho ave ya nana prakaar ki bhog vasnaon mein man jaata hai to man ko marna parta hai marna bada kathin hai man ko marna ka matlab man ki umang tarang ai jis bhog ke liye usko nahi bhogna man ki trangon ko marna hi man ko marna hai man ki vishay janit trange jo uthti hain unko rokna hi man ko marna hai man ko nirvishay karna hi man ko marna hai.

man mara tan bas mein kina hua bhram sab dur. Je bhi man ki vishay vasnae nasht hui. Ye agyaan nasht ho gaya ki bhogon mein sukh hai. Isliye man hi mar aur tan har ke jaise jue mein tan har gaye. Danv mein laga diya Draupadi ji ko. Apne ko bhi lagae hue the. To kuch virodh nahi kar sake Pandav. Aise ham kuch virodh nahi kar sakte. Ab Vrindavan chahe mahlo mein rakhe, chahe jhopdi mein bas de, chahe sukh de, chahe dukh de, chahe apman karave, chahe bhukha rahe, chahe halwa pavave. Bilkul jeevan Vrindavan ko samarpit man hi mar tan har ke Vrindavan mein ga Vrindavan mein rahna.

man ko mar ke aur tan ko samarpit karke Vrindavan ke basat hi antar jo kare tah sam shatru na ko man bach ke yah jani Vrindavan ke vas mein jo vighna dal de rupya paisa rishtedar natedar koi bhi wo apne pyar mein ya apne akarshan kshan mein hamen Vrindavan se bahar le jae to usse bada dushman koi nahi. Vrindavan ke basat hi antar jo kare aa Vrindavan jis din pratham din pravesh hua tha wo yad hai din pata hi nahi tha kya kaun kahan kaise kuch nahi keval Tirtharaj prayag mein jab ek mahina ruke the jab Kumbh para tha to raas leela dekhne ke liye jaate the to ye raman reti shabd yad tha ki Vrindavan mein kahin raman rahti hai to Mathura mein shri thakur ji ne hi hamko Vrindavan bheja hamare paas arth to tha hi nahi bilkul aise bhagwat vyvastha se to jab Mathura mein wo jo thakur ji virajman hai janmabhumi janmabhumi keshavdev ji to je hi pat khule to puri raat jagran karke aur bhav mein ekdam chilla ke rona hua.

pahli bar devi prayah darshan to bhagwan Vishveshwar vishvanath ji ke hi bas iske baad pahli bar kahin shri vigrah ke darshan lalit tribhangi Murli manohar thakur ji ke ab wo bhash jatajut wala aur arun vastr bhagwa vastr ab wo prabhavit hue rudan dekhkar ke wahan ke jo to andar se tulsi dal makhan mishri mala ye je prasad mila aur dhan kyonki wo ek alag dasha hoti hai jab pratham ab wahan to paisa chadna shuru ho gaya hamara [achanak zor se sans lene ki aawaz] koi 100 koi 50 bhavuk janon ka desh hai chal diye to isse aur pujari ji prabhavit the ek vayovriddh phir aae kahan kahan se aae ho Baba to kaha kashi se kahan jana hai Vrindavan Vrindavan mein kahan raman reti haan raman reti ab hamen kya pata ki raman reti Gokul wali raman reti to unhone ek temo par bithala atla chunge par utar diya ekadshi ka din tha parikrama chal rahi thi to kaha raman reti kahan hai unhone kaha kaun si raman reti do raman reti hai.

ab to sanshay mein par gaye. Ham to keval raman reti jante hain. Bole le chalte hain. Yahan aake utar diya. Ye jo chauraha hai bhagwan das chaura jise kahte yahi apne sun wala bole yahi raman rahti hai. Ye itni bhid kahan ja rahi? Bole parikrama ho rahi Vrindavan ki. Kuch nahi. Ek rupya paas nahi. Ek vyakti ko nahi jante. Bas ek alaukik akarshan aap dekh rahe hain shri dham Vrindavan ki sharan mein hue to aap dekh rahe hain Vrindavan kaise vas de raha hai kisi ke bhi bahkave mein akar ke aapki vyvastha ham Vrindavan vas ki kar denge aap Delhi aa jao aap amuk jagah aa jao aap amuk vihaar nahi Vrindavan ke basat hi antar jo kare aa te sam shatru na aur ko man bach ke aa jaan uske barabar koi shatru nahi jo hamen Vrindavan se bahar kar de.

chahe rupya ho, paisa ho, mitra ho, koi yah niyam lena chahiye. Le lena chahiye niyam nahi to dhokha ho jaega. Seva kunj mein roz Sohni seva aur Vrindavan vas aur kuch aae bahar ke jan unhone kaha ki ab jaise paas baithe lage priyata dikhane lage to bataya na ye unhone bataya ki hamari 500 sugar hai aur Baba aap chalo na ham achhche daktron se dawa kara dete hain. Ab ye log to jante nahi sansari log ki ham kitna bada ahit kar rahe hain. Agar inke pran chhut gaye bahar to hisaab kitaab ham thodi de payenge.

Vrindavan ke jeev ko bahar isiliye nahi le jana chahiye. Wo kahe bhi to nahi le jana chahiye. Wo le gaye aur wahi sharir pura hua. Aur jab suna ki amuk ka sharir wahan pura ho gaya aur bahut andar klesh yadyapi jo priyal ke ho kahin bhi to priyal sambhate hain par chuk ho gayi na. Te sam shatru aur ko man bach ke yahan jane sharir to chhutna hi hai jis ghadi chhutna hoga us ghadi chhutega jaise chhutna hoga waise chhutega ham Vrindavan nahi chhodenge Vrindavan chudane wale ko sabse bada shatru manna chahiye ek bar to ghar aa jao na 10 panch din ruk ke chale aao usi 10 panch din mein sharir chhut gaya to nahi tumhen ana hai Vrindavan dham aao hamse milo darshan karo bihari bihari ji tumhara saubhagya ham nahi jane wale aisi nishtha rakhni chahiye Vrindavan ke vas ko jinke na hu laas mata mitra suta dviti taj dhruv tin ko paas Vrindavan ke vas ka jinke hriday mein utsah nahi ullas nahi aise logon ka sparsh bhi nahi karna chahiye jo hamen Vrindavan vas ke liye nishedh kare.

Vrindavan ke prati hamari bhavna mein antar dal de. Hamko usse duri bana ke rakhna hai. Hamen sparsh bhi nahi karna hai. Aisi nishtha se yadi ham Vrindavan vas karen to shripad Prabuddhanand ji kah rahe hain ki shri Vrindavan rasmatta Radha asdhran rati matta ye kishori jo ki asdhran rati se aapko mat kar dega mast kar dega rasmat kar dega shri Krishna tanmad rati trishna leela dhatta smaran sheela shri Krishna jis prem ras ki trishna se yukt hai wo prem ras wo leela ye shri dham Vrindavan aapke hriday mein sphurrit kar dega.

isliye man vachan karm se shri dham Vrindavan ka ham aashray le. Chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran jismen shri yudhishthir ji maharaj rajsui yagya mein devrshi narad ji se prashn karte hain. Us prashn mein brahmcharya ashram ka brahmin kshatriya vaishy aur chaturwa aur brahmcharya grihasth vanprasth sanyaas in sab ashraomo ka yathavat varnan kiya. Shri yudhishthir ji ne prashn kiya ki ham yati dharm ko aur sunna chahte hain. Narad ji kahte hain ki jo yati hai usko keval sharir ka parigreh lena chahiye. Parigreh keval sharir rupi vastu sharir ke atirikt aur sab kuch chhod dena chahiye.

sanyaas dharm yahan se prarambh hota hai. To jab sanyaas diya jaata hai to badi karunik sthiti hoti hai. Digambar kara diya jaata hai. Nang dhadang aur ganga ji mein khada kiya jaata hai. Aur ye jo pahla sutra hai ki deh matra avsheshita aise hath utha ke bolo kaun hai is jagat mein tumhara kya hai? Bole ganga mein khade hokar kah rahe bhagwan shri narayan ke siva aur koi nahi tab shuruaat hoti hai sanyaas dharm ki jo prakriyaen hain sanyaas dharm ki pahla yahan se ki ganga mein khade hokar bolo kaun hai tumhara bole bhagwan narayan ke siva koi nahi hamara ab yahan se sanyaas prakriya phir shuru hoti hai uski wo sharir ke atirikt sab kuch ka sanyaas le le phir kisi vyakti se apnapan nahi.

sabke prati saman bhav. Yah nahi ki ghar walon ko dekha to khil gaye. Iska matlab tum jhooth bole the ganga mein khade hokar ki tumhara koi nahi. To ab kaun hai tumhara nikal aaya? Sansaar mein ab kaun nikal aaya? Yah bahut kathin hai. Bahut kathin hai. Virakta sanyaas yah bahut kathin hai. Guru kripa se jis din se ghar se nikle the us din ke baad kabhi ek kaval bhojan nahi kiya. Kabhi ek raat nahi ruke. Sanyaas ke baad kabhi zindagi mein dobara us kshetra mein nahi gaye. Us nagar ganv ghar to bahut dur ki baat us blok mein us blok mein nahi gaye pura jeevan ho gaya kisi bhi vyakti se ghar walon ko pata bhi nahi raha jinda hai ki mare kuch samay ke baad jab hamari yatra ganga kinare ki ye to Vrindavan mein pata chala unko ki haan hai nahi to piche ganga ki yatra kashi ki vas yah kahe kisi ka koi phone ho to unki srishti to bahut kam samay mein hui hai aur ganga kinare kahan phone kaun phone kisi bhi vyakti se apnapan nahi sanyasi ka pahla lakshan kisi bhi vyakti se apnapan nahi kisi vastu se apnapan nahi kisi sthan se apnapan nahi guru kripa se aisa hi sanyaas dharm bhagwan ki badi vishesh kripa rahi ki kabhi jhola nahi raha ki usmen do char achla rakhe hain.

ek achla pahne, ek langoti pahne hain. Ek kamar mein langoti bane aur yahan ek achla upar nahi ek hi achla do langoti aur ek kamdal bas sardi, garmi, barsat waise hi ek sthiti mein rahna. Sanyaas dharm bada kathor dharm hai. Ham kabhi roye ho aisa kabhi nahi. Kabhi bhav aa gaye aur ro gaye ya kabhi aisa nahi hua. Kabhi nahi. Kiske prati roye? Kabhi aisa nahi aae. Ek ganv mein ek raat thaharne ka niyam lekar vichran karen. Pure ganga kinare bhramn mein ek bar ek ganv mein gaye the. Varsha ho rahi thi. Sardi ka samay tha. Sharir ekdam sanvla par gaya ki ab laga ki ratri katne ke liye kuch garm jagah chahiye.

nahi to ho sakta hai ki ab ham kal subah chal na pave. Ekdam shital wo jab sardi ka samay to ek ganv mein gaye ki dar lagta tha kyonki jawan sharir hai aur banavat aisi sharir ki thi ki koi vishwas nahi manega ki mahatma hai ya banavti hai natak hai. Ab 23 24 25 ki avastha kaun rakhega apne darwaze pe? To ganv ke bahar dekha ek janvar bandhe hue the to unse kaha ki aap hamen ek ratri ke liye vas ki vyvastha karenge to unhone kaha haan vyvastha karenge jahan bhens bandhi wahi kinare tum bhi let jao kaha haan to unhone kaha udne ke liye to dekho ham ganv ke log hain kambal denge nahi tum le bhag jao to kaha to to bole jo bhens ko udate hain wo ham bora de sakte hain ham kaha pakka de dijiye aap wo bora aise dala to sharir garm hua ham kaha 4:00 baje yahan se nikal jaenge bora milenge aapko pure ganga ji ki yatra mein ek yah keval vas raha hai nahi to vriksh ke niche ya kisi ashram mein aise kabhi kambal nahi liya ashram vasiyon se jaisi sthiti waisi sthiti bada anand rahta tha brahmcharya ka ek prabhav hota hai lakshya ka ek dridh niyam hota hai usmen ek adbhut anand rahta hai yah sanyaas dharm vastr pahne mein keval langoti aur uske upar dhakne ke liye kopin ke upar dhakne ke liye thoda sa vastr jisse gupt ang dhak jae.

iske alawa koi kapde sanyasi ke liye yadi vastr pahne to pehle to keval kopi lavta khal bhagyavanta keval langoti dharan karen. Agar aisa hai to jitne se jaang dhak jae bas utna vastr ek gamchha ki tarah aise dharan karen. Ham ek hi vastr aise dharan karte the jo yahan chati se bandh le bas yahi jaan tak jae aur jab tak koi apatti na ave tab tak koi dusra vastr na le. Apatti ka matlab jaise bhishan bukhar hai. Sharir khub thandi se yukt ho raha hai to kuch vastr us samay tatkaal ke liye le le. Nahi to nahi. Ashram ke chinh keval dand aur kamdal ashram ke chinnon ko tab tak dharan karen jab tak avdhut sthiti nahi aati.

nahi wo bhi jaise odiya Baba ne dand bhi ganga ji mein visarjit kar diya. Sanyasi ko chahiye kuch bhi sangrah parigreh nahi. Likho ismen likha hai wah koi bhi vastu sangrah na kare. Sangrah ke liye bas pet hi hai. Jo mila dal liya nahi mila to nahi mila. Kal ke liye kyon rakhe? Parso ke kyon? Itni hareetki ka tukda rakhne ke karan mahaprabhu chaitanya dev ne apni seva mein jo the unse kaha chalo grahasti mein jao. Tum virakti sanyaas ke layak nahi ho. Ek haritki ka tukda jo mahaprabhu bhojan prasad pane ke baad mukh shudhi ke liye har ka tukda aise wo rakh liya mahaprabhu ke liye.

mahaprabhu ne kaha chalo tum byah karo ghar grahasti mein raho tyag sanyaas ke yogya nahi. Sanyasi ko chahiye shant. Har samay shant bhagwat paraayan kisi bhi vyakti ka aashray na le isiliye ghat ka aashray liya ki ghat mein keval mahadev ji ka adhikar ghat mein rah rahe jo mahadev ji vyvastha karenge wahi varsha hoti to jo mandir hai khule rahte chhote-chhote unke darwaze bas usi mein let gaye nahi to bahar ghat mein is sampurn vishv ko karya karan se atit paramatma swaroop dekhkar bas shant apni atma mein raman bada anand ka marg hai.

aisa na samjhe ki ye jaise kaha jaata hai ki bada shushk marg hai. To kabhi swad hi nahi liya to janu kya brahmanand brahmand hai. Kitna anand hai shankar sahaj swaroop samara to lagi samadhi akhand apara apaar akhand anand ki samadhi lag gayi ye koi sadharan marg hai ab nahi jante ho to kah doge ki bada shushk marg hai atmadarshi sanyasi jagran aur sushupti ki avastha mein rahe. Jagran aur sushupti ki sandhi na sota hua na jagta hua har samay paramatma mein sthit apne swaroop mein bhav bandhan se mukt hone ke liye jab sanyaas liya gaya to keval sharir ka parigreh ek kopin ek vastr koi aur parigreh nahi.

rakhne ke liye koi patr nahi. Pet hi patr hai. Kisi vyakti se bada anand ka marg hai. Bada anand ka marg hai. Sachchi maniye wo anand ki lahren jismen kai kai din bhojan na milne par bhi ek adbhut anand wo dekha hai. Na to sharir ki peedaon ka aur na sharir ki vandna ka abhinandan. Sharir ki peedaon ki parvah nahi koi pranam namaskaar bilkul kahin koi uska aadar hi nahi jeevan keval paramatma swaroop ek sant bhagwan ko dekha wahan se aur vairagya badha ye kannauj ki taraf phatehgadh ke age ghatiya ghat hai.

ab kuch naam parivartan ho gaya hai. Us ghat mein jab ham kuch din ruke ganga ke kinare to ek sant ko dekha ki wo keval ek patli si markin aur ek langoti ek se ek tyagi maa aur sardi ka samay aur hamen laga ki yar hamare jeevan ko dhikkar ham apne ko tyagi samjhte hain aur ye vayo vridh hai aur itna tyag duratma se maharaj ji yahan ashram mein to vyvastha ek chhota sa kambal aap odh lijiye aise muskurate maun haddi haddi sharir mein markin keval har samay are bhajnanandi mahatmaon ki to ganga kinare jaise jeeti rod mein badi-badi gadiyan chalti rahti hai aise ganga kinara jeeti rod hai bade-bade mahapurushon ka ek se ek brahm bodh sampann mahapurushon ke darshan bas phir andar se laga ki kamand mandal fenka, achla fenka, langoti fenka, digambar ham to jawan hain.

ye to bhyo vridh hain. Aise kafi samay tak aise hi tab ek sacchidanand Swami ji mile. Kaha digambar hai aise paras mein bithala. Bole guru agyaa se vastr ka tyag kiya. Kaha nahi shrata accha accha hai accha hai bade gyani mahatma the to vastr ka tyag kyon kiya jab sharir hi nahi hai to phir vastr ki kya haan haan yahi baat jab aap sharir nahi to vastr pahne mein aapko kya pareshani is sharir mein vastr dal lene mein kya pareshani ham kaha koi pareshani to bole lijiye pahnie usi tarah se phir to bhagwan ka adesh kyonki ana is marg mein tha nahi to is is ki koi sambhavna hi nahi thi.

koi sambhavna nahi thi. Jo marg chal raha tha sambhavna nahi to mahadev ji aise mod diye aur Harivansh mahaprabhu ne pakar kar ke ras mein nahi to sambhavna hi nahi thi. Na to sharir ki hone wali pida ya mrityu na sharir ki vandna abhinandan kisi se koi matlab nahi. Atma vastu ka pratipadan karne wale shastron ka swadhyay keval aur jeevan nirvah ke liye koi praytn nahi. Ek ganv mein agar rukna hai to ek raat wah bhi ganv ke bahar koi mandir pathshala ya vriksh aadi ke niche ek ganv mein bhiksha kar le.

ek bhiksha ki kai paddhtiyan hain. Yadi pavitra vichar wala hai ek jagah baithkar ke pa liya ya panch gharo se maang liya par dobara uske yahan phir nahi. Bada sanyaas dharm ka. Ab to koi birla hi ab to bhikshavitti hi nahi rah gayi. Ab sab apne dhamo mein, tirthon mein, kashi aadi puriyon mein vas kar rahe hain kyonki ab samay nahi rah gaya hai ki ham kin ke gharo mein bhiksha le. Jeevan nirvah ke liye koi prayas na karen. Jeevan nirvah bhagwan ke dwara hoga. Apne virakta hokar jeevan nirvah ke liye vyvastha na karen.

koi vyvastha nahi. Aur kai kai din bhojan na milne par bhi wah shobh ko prapt na ho. Praytn na karen. Ki chalo aaj bhiksha nahi mili hai kahin phir nahi ek bar maang liya nahi mila praarabdh khatm bahut si mandli na jutave vyakhyan na de bade-bade karm ka arambh na karen yah sanyasi ke liye nishedh hai shant maun samdarshi ekant sevi sanyasi apne rahne ke liye ashram na baname nishedh kiya gaya. Apne rahne ke liye ashram na baname. Sadhu ke rahne ki vyvastha aise honi chahiye jaise chuhe ne bil banaya aur saanp rah gaya aur apna nikal gaya.

aise hi apne ye mera hai. Aisa kahin sambandh nahi hona chahiye. Bas ek jaise thodi der station mein baithe hain. Badhiya hai. Lekin bhaiya jana hai. Gaadi aayegi apni gaadi mein baithenge chale jaenge. Hamara kuch nahi station mein. Aise hi jeevan vyatit karna chahiye. Hamara nahi apna kuch nahi hai. Kahin bhi apna nahi hai. Aur guru kripa se aise hi jis jagah rah rahe hain wo jagah le hamari. Uska bil bhi jiska phlait hai aaj bhi bhar raha hai har vyvastha kar raha hai bhagwan ki kripa se aaj bhi aisa nahi ki Premanand mar gaye angootha laga lo yar dastakhat karva lo nahi to chala jae kuch nahi jaise ghar se bhagwan ne nikala tha aaj bhi waise hi hai koi vastu hamari nahi hai haan ab satsang hai to unhone hal banva diya hai aur uske liye ek vyvastha kar diye satsang kar liye vas hai to vas uski vyvastha unhone kar di.

apna nahi hai kuch. Sarkari kaagaz mein kahin bhi Premanand naam nahi hai. Kahin bhi bank mein kahin bhi kahin bhi nahi hai. Aur jeevan mein kabhi nahi. Ise sweekar isiliye kiya hai ki bhagwat karya ho raha hai to chalo haan kar do. Lekin tum char milkar ke ham kahin nahi hai aur tumhara theka ham lete hain. Yadi agyaa ke anusaar dharm ke anusaar chaloge to na tumhen yah fansa paegi na maya fansa paegi. Na ye meri na ye teri ye Vrindavan bhumi hai. Shri ji ki hai. Shri ji ka jas gao chalo shri ji ke paas.

iske liye vyvastha hai. To sanyasi ko chahe apne rahne ke liye bhi wo nirman ki vyvastha na kare. Aisa shastr agyaa karte hain aur wah chahe to apne ashram ke sanyaas chinnon ko chhod sakta hai. Shastr agyaa kar raha hai. Agar wo chahe to sanyaas ke chinh na yate ashram prayo dharm hetu mahatum shantas samitas vibhyat vaat wo apne ashram chinnon ko tyag sakta hai. Uske paas koi ashram ka chinh na ho. Parantu apne atmanusandhan mein hi magan rahe. Vihaar mein nahi. Ekant aise bhi sanyasiyon ke darshan hue.

kisi bhi tarah ka aap jaan hi nahi sakte sanyasi hai. Kisi bhi tarah ka koi bhi lakshan ek Paramhans ji rah rahe hain apne Vrindavan mein. Unko bahut varsho se to ham hi jante hain. Baniyan kisi ke ghar mein sukh rahi hai to angootha kisi ke ghar mein sukh raha hai. Bhojan kahin hoga to shayan kahin hoga. Bal bhog kahin hua to brajvasyon ke ghar mein rahte hain. Kiske ghar mein milenge ye kuch pata nahi hai. Ek do bar aae hain. Hit dham mein bhi to aae hain. Uchh koti ke jo mahapurush hote hain unko samjhna bada mushkil.

wo ashram ke chinnon ko dharan karen chahe chhod den. Unke paas koi ashram ka na chinh ho par wo atmasandhan mein magan rahe. Vihaar prapanch mein nahi. Atyant vicharsheel hone par pagal jaise dikhayee dene chahiye. Shastr agyaa karta hai. Bahut gyani hone par bhi paaglon jaisa vihaar hona chahiye. Aise bahut se sant hamen kashi mein mile. Jo uchh koti ke brahm gyani lekin vihaar aisa log kulhad chai pi ke aise upar mar rahe hain. Dekha to hamka gazab ho gaya hai. Vishvanath ji badi vichitra leela hai.

wo aise ja rahe nang dhadak aise kulla chai pi ke aise taliya baja rahe hain. Aise aur wo gambhir mudra mein ja rahe hain. Atyant prabhavsheel tapasvi hone par bhi sadharan purushan ki drishti mein pagal aur gunge se zyada nahi. Aisi sthiti dikhao ki pagal hai, gunga hai, bilkul dimaag nahi hai. Asdhran prabhav sankalp kar le to ek kshan mein nasht ho jae. Asdhran prabhav. Yudhishthir ji is vishay mein mahatma log ek prachin itihas varnan karte hain. Wo param avdhut shiromani dattatray ji ka aur bhaktaraj Prahlad ka sammaan.

ek bar bhagwan ke param premi bhakt shri prahalhad ji kuch mantriyon ke saath logon ke hriday ki baat janne ke liye gupt rup se vichran kar rahe the. Pehle raja log kuch apne nij ang seviyon ko lekar bhash badal karke ghumte the. Sadharan vesh mein samaj mein kya ho raha hai? Kya shasan shaili chal rahi hai? Swayam raja log aise sadharan vesta mein ghumte the. To ghum rahe the to dekha ki prithvi par ek avdhut lete hue hain. Par Prahlad ji uchh koti ke mahatma drishti gayi to bole sadharan to hai nahi. Inke netron ki jyoti bata rahi ki koi uchh koti ke hain.

par koi ashram chinh nahi kanthi tilak koi kuch nahi. Bahari koi aisi veshbhusha nahi jisse jana ja sake mahatma. Par Prahlad ji samjh gaye ki koi siddh purush hai. Bhagwan ke param premi Prahlad ji samip gaye aur sashtang dandvat pranam kiya. Vidhi purvak puja ki. Aur yah prashn kiya bhagwan aapka sharir udyogi aur bogi purushan ke saman bahut hasht pusht hai. Udyogi nana prakaar ke vyapar aadi karne wala, achhche-achhche padaarth khane wala, vyayam aadi karne wala aisa balishth aapka sharir hai. Sansaar ka niyam hai ki udyog karne wale ko dhan milta hai.

dhan wale ko bhog prapt hota hai. Bhogiyon ka hi sharir pusht hota hai jo achhche-achhche padaarth pate hain. Par aap pare hain koi udyog to kar nahi rahe hain. Par aapka sharir bata raha hai ki bahut hasht pusht hai. Aur aapke paas dhan bhi nahi hai kyonki digambar pare ho. Phir bhog kahan se prapt honge? Aur bina bhog ke itna svasth sharir kaise hai aapka? Yadi sunne yogya baat ho to hamen batao. Dekhne mein to aap bade vidvan, samarth aur chatur dikhayee dete hain. Bade adbhut aap hain. Par aap padhe hue hain.

dekhne mein aap lag rahe hain ki aap koi bahut bade vidvan gyani mahatma hain. Aap pare hue hain. Iska kya karan hai? Narad ji kahte hain dharmraj jab Prahlad ji ne bhagwan avdhut shiromani datrate ji se prashn kiya tab dattatrate ji ne kaha bhaktaraj shreshth purush tumhara sammaan karte hain. Suno manushyon ki karmon ki pravriti aur unki nivitti ka kya phal milta hai? Yah tum to gyan drishti se jante hi ho. Dekho tumhen kya samjhana anannya bhakti ke karan devdhidev bhagwan narayan sada tumhare samip rahte main dekh raha hoon.

avdhut shiromani dattatrate ji kah rahe hain tumhari anannya bhakti se prabhavit hokar kabhi bhagwan tumhara saath nahi chhote. Har samay bhagwan narayan tumhare saath hai. Yah main dekh raha hoon. Jaise surya andhkar ko nasht kar deta hai. Aise hi bhagwan ne tumhare agyaan ka nash kar diya hai. Tabhi pehchan paye itne bade mahapurush ko. Prahlad maine jaisa kuch jana uske anusaar main tumhen uttar deta hoon. Prahlad ek trishna aisi vastu hai jo bogi purushan mein rahti hai aur kabhi wah puri nahi hoti.

trishna kahte hain bhoge hue bhog ko bar-bar bhogne ki ichchha. He Prahlad, trishna trishna ek aisi vastu hai jo bogi purushan ke paas rahti hai. Bar-bar bhogne ki ichchha. Aur usi trishna ke karan janm maran hota hai. Aur usi trishna ke karan log jhulas rahe hain. Chinta, shok, bhay, udyagna, janm, mrityu nana prakaar ki trishna se karm karte hain aur karm se shubh ashubh hote hain. Isi se unki yoniyan badti rahti hai aur bhatkte rahte hain. Kabhi swarg, kabhi narak, kabhi tiryak yoni, kabhi manushya yoni nana prakaar ki yoniyon aur yah trishna mere mein nahi hai.

main asht pusht kyon hoon? Kyonki na bhog ki kamna hai aur na trishna hai. Jiske hriday mein trishna nahi hai bhogon ki. Bada mast. Jahi na chah kab kachu tum san sahaj sneh. Dekho Prahlad sansaar ke stri purush karm to karte hain sukh prapti ke liye ki dukh kabhi aae na lekin ulta phal kyon ho raha hai wo dukh hi dukh bhog rahe hain ye karmon ka ulta phal kyon ho raha hai wo nahi samjh pa rahe hain. Sab prani chahe stri ho chahe purush karm karta hai sukh ke liye par parinaam mein use dukh hi milta hai.

sthai sthai parinaam sukh nahi hai. Kyon? Kyonki sukh to hai atma mein. Paramatma mein bhagwan mein aur uske liye koi cheshta kar nahi raha. Bhogon mein sukh dhund raha hai. Samasth cheshaon ki nivitti ho jae to param sukh mile. Dekho dekho bada sukshm vishay ham cheshta se sukh chahte hain. Avdhut ji kah rahe hain ki jab samasth cheshaon ki nivitti ho jati hai to atma swaroop aatmand prakashit ho jaata hai. Iske liye bhogon ke manorajya matra samjh ke bhogon ka tyag karna hota hai. Trishna ka tyag karna hota hai.

main bhogon ki trishna aur kamna se rahit hokar keval sharir ka praarabdh bhogta hoon. Aur para rahta hoon. Sharir ka jo praarabdh hai manushya apne sache swarth vastvik sukh kya hai? Vastvik sukh kya hai? Sacha swarth kya hai? Bhagwan ka bhajan karna. Apne swaroop mein sthit ho jana. Sache swarth ko bhulkar mithya dvait ko satya mankar bhaykar vichitra janm mrityu ke jangal mein phas gaya. Jaise agyani manushya jal mein utpann tinke aur savar se dhke hue jal ko jal na samjhkar wo pyasa marubhumi mein jo jal dikhayee de raha hai usmen ja raha jae ek bund jal nahi.

aise hi mal vikshep awran in teen se dhaka hua aatmand isko chhod ke wo vishyand mein jahan marubhumi ek bund jal nahi aise vishaynand mein jahan ek bund anand nahi pura jeevan usmen kho raha hai. Isiliye uska jeevan vyarth ho jaata hai. Manushya sada shareerik mansik dukho se akrant rahta hai. Uska sharir bhi maransheel hai. Bade-bade shram karke wah dhan ikttha karta hai aur markar yahan se chala jaata hai. Koi labh nahi. Yah lobhi, yah bogi, ye mohi ye dukh hi dukh bhogte hain. Bhay ke mare unko nind nahi aati. Dhan ki chinta se nind nahi aati.

bhogon ki kamna se unhen vishram nahi milta. Jo dhan ke lobhi hain. Raja, chor, shatru, swajan, pashu, pakshi, yachak aur kal se yahan tak ki kahin main bhi bhul na kar baithun. Adhik na kharcha ho jae. Is ashanka se wo jalte rahte hain. Buddhiman manushya ko chahiye shok, moh, bhay, krodh, rag, kayarta, shram ka shikar na hona pare. Isliye bhog dhan nana prakaar ki trishna inka tyag kar de nahi to dukh hi dukh hath lagega main sabse mast rahta hoon na dhan ki chinta hai na kisi se moh hai aur na main sharir ki chinta karta hoon iska praarabdh hai jo ho jaata hai kabhi-kabhi achhche padaarth mil gaye kabhi bhukhe rah gaye sharir ka praarabdh is lok mein sabse bade guru hain mere ajgar aur madhumakkhi.

wo 24 guruon ki ekadshi skand mein hai. Ismen kah rahe hain Prahlad ji se ki mere sabse bade guru hain ajgar. Ajgar kare na chakri panchhi kare na kam. Das maluka kah gaye sabke data Ram. Avdhut pare hain. Sanyog bana koi bahut sundar-sundar mitha padaarth ye sab pawa diye. Sahyog nahi bina kai kai din tak bhukhe pare rahe. Shiksha hamne li vairagya ki aur santosh ki. Dekho madhumakkhi shahd ikttha karti hai. Parantu dusre log us shahd ka bhog karte hain. Isliye yah jeevan bhar dhan ikttha karte hain. Bhog dusre log karte hain.

maine madhumakkhi ko guru banaya. Usse shiksha li ki sadhu ko kabhi kuch ikttha nahi karna chahiye. Mast rahna chahiye. Mast raho. Sharir ka praarabdh hai. Agar yahan tumhen bhojan nahi likha praarabdh mein to kuch aisa tadam aa jaega ki aap bhojan nahi karoge ya aapke man mein aa jaega ki do din bhojan nahi karenge. Kyon praarabdh bhog hai isliye aur ajgar se maine shiksha li ki jaise wo nishchashta para rahta hai. Ahar swayam aa jaata hai nazdik. Aise sadhu ko rahna chahiye. Ahar swayam aa jaega. Apne aap aa jaega.

vishwas kar lijiye vyvastha apne aap ho jaegi. Davash bhagwan ki prerna se sadhu ke paas jo thoda na aa jae, sukha aa jae, niras aa jae, beswad aa jae ya bahut gunon se yukt swadisht aa jae bas pa lena chahiye. Ye bahut masti ka marg hai. Bahut masti ka Baba ji banna bahut masti ka marg hai. Par sahi marg hota pakhand natak mein to jalte rahoge phir. Kabhi badi shraddha se koi bhojan pawa deta hai to kabhi badi ashradha se pawa deta hai. Kabhi koi sammaan karta hai to kabhi apman. Kabhi-kabhi to raat mein bhojan mil jaata hai to raat mein pa liya.

kabhi din mein mil jaata hai din mein pa liya. Kabhi ek bar mila to ek bar pa liya. Kai kai kai din nahi mila to kai din nahi paya. Ye is sharir ke main praarabdh ko dekhta rahta hoon. Dattarey ji gaye isliye kabhi koi aaya reshmi vastr pahna gaya kabhi koi aaya usko utar le gaya haan kabhi koi aaya khwa diya kabhi ghas mein pare hain kabhi prithvi mein pare hain kabhi rakh ki dher par bhi pare hain to kabhi rajaon ke mahlo mein bhi pare hain ye Daitraj kabhi sharir ko bahut naha dhokar chandan vastr foolon ke har saja aur kabhi pisach ki saman nang dhadang aise vichar rahe.

main na kisi ki ninda karta hoon, na stuti karta hoon, na koi cheshta karta hoon, na koi trishna karta hoon, na koi kamna karta hoon. Ek paramatma swaroop mein sthit rahta hoon. Yah avdhut sthiti hai. Satya ke marg mein chalne wale upasak ko chahiye kisi bhi tarah ki koi kamna chittritti mein na ane de. Sharir ka praarabdh jaisa hoga bhog rahega. Ham isko dekhenge keval drashta hai. Ham koi bhogta nahi hai. Man ko sadaiv paramatma mein sthit rakhen. Sadaiv paramatma mein bhogon mein nahi. Prahlad meri atmaktha hai.

tumne pucha tha ki tum itne svasth kyon ho? Kyonki main prasann rahta hoon. Koi kamna nahi karta, koi trishna nahi karta, koi kriya nahi karta, koi chah nahi karta. Har paristhiti chahe man, apman wali sukh dukh, labh ane wali ho, usmen saman aandit rahta hoon. Narad ji kahte hain Prahlad ji ne punah avdhut shiromani dattatray ji ko pranam kiya. Unki puja ki aur ashirwad lekar wo apni rajdhani ko gaye. To yati ko chahiye, sadhak ko chahiye, bairagi ko chahiye ki ek sharir matra ka keval parigreh aur tan dhakne ke liye vastr aur iska praarabdh dekhta rahe.

kabhi apman ho raha hai to kabhi sammaan ho raha hai to iska praarabdh hai. Isko bhogne do. Tum nirapeksh raho. Tum shant raho. Tum man apman mein lipt mat ho jao. Kabhi achhche padaarth mil rahe hain to nirapeksh hokar pao. Kabhi sukhe padaarth mil rahe hain to nirapeksh ho ke pao. Sharir ko dekho ki ye iska praarabdh hai. Aaj pavaya ja raha hai. Aise masti mein rahne ke liye vairagywaan ye jo nivitti marg hai maha sukh ka marg hai. Koi chinta nahi. Koi chinta nahi. Nish chah miti chinta miti manva beparwah.

jinko kachu na chahiye wo shahan ke saath aur agar grihasth mein bhi aise ho jae koi chinta nahi bhagwan ka bharosa apne kartavya ka palan aur khub naam jap to usko bhi wahi gati mile jo ek avdhuton ko gati milti hai jo paramhansa ko gati prapt hoti hai wahi grihasth ko bhi gati prapt ho apne kartavya ka palan karte hue bhagwan naam jap karte hue sare karm bhagwan ko samarpit kar de iske parinaam mein use bhagwat prapti ho jaegi shesh charcha aa gayi shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi