॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त कथा · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kaise jane ki marte samay hamen bhagwan ki yad aayegi ya nahi ? // 24/08/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jai jai shri hit shri Radha vallabh lal ki jai sabka janm hua hai bhagwan ki prapti ke liye. Bhagwan ki prapti usi ko hoti hai. Bhagwan ne Shrimad bhagwat gita ji mein kaha antkale chamame smaran muktava kalevram yah prya samad bhavam ya na sanshay bhagwan kah rahe hain ant kale chamamev smaran muktava kalevram jisko ant samay mein bhagwan ka smaran aa jaata hai marte samay sharir jab chhota hai aur bhagwan ka smaran aa gaya to kah rahe yah prayat sam yaat nast sanshya wo nischit mere ko prapt ho jaata hai ismen koi sanshay nahi hai antkale chama mein jeevan bhar bhajan sadhan kuch kiya nahi to antkaal mein smaran kaise aa jaega goswami tulsidas ji ne likha likha janm janm muni jatan karahi aur ant Ram kah aavat nahi iske do arth hai ki janm janm tak rishi muni tapasya ke dwara bhajan ke dwara aisa man banate hain ki ant samay mein bhagwan ka smaran ho jae par ant kal mein aisi maya ka pravah rahta hai ki buddhi man yah murchhit ho jaate hain.

to bhagwan ka smaran hota hi nahi. Pahla arth ye ki janm janm muni jatan karahi aur ant Ram kah aavat nahi. Mukh se ant mein Ram nahi nikal pata. Bhagwan ka naam smaran antim samay nahi ho pata. Aur dusra sahi arth yah usse juda hua arth hai. Lekin uska jo andar ka arth hai wo yah hai ki jo rishi muni janmjanm bhagwan ka bhajan karne ka prayas kiya wo ant Ram kah phirwat nahi. Ant mein bhagwan ka naam smaran karke phir punah janm ko prapt nahi hote. Aavat nahi wah is mrityu lok mein phir nahi ate.

bhagwan ne kaha ant kale cha mamev smaran muktwa smaran muktava bas smaran matra se mukti y smaran matre janm sansaar bandhnat janm aur mrityu se mukti ke liye kya zaruri hai bhagwan ka smaran aur wah kab ant samay mein to jisne jeevan mein abhyaas nahi kiya to bhagwan ki kripa se kabhi-kabhi aisa sanyog ban jaata hai. Jaise Ajamil ka sanyog ban gaya ki uske putr ka naam narayan tha aur ant samay mein apne putr ke naam ko pukara narayan bas wah pukara to putr ke liye lekin naam to bhagwan ka hai na narayan smaran mukt bhagwan ke parsad aa gaye aur yamduton ke paas kaat di aur usko avsar diya ki bhagwan ka smaran karke sacchidanand dham ko prapt hua.

agar jeevan mein bhajan ka abhyaas nahi karoge to marte samay bhajan nahi hoga. Bada kathin hai bhajan karna. Aap log sab bhajan marg ke pathik hain. Hamari shri ji ke sharanagat hai. Aap dekho kitna kathin hai bhajan karna. Jinka bahut abhyaas hai unko bhi vismaran karwata hai man jinka bahut varsho ka bahut abhyaas hai khanpan mein koi kriya mein kisi se milne julne mein batchit mein ya chuk jane par antarmukhta nahi bahirmukhta hai to bhajan chhut jaata hai. Antkaal mein jo ham jeevan mein karte hain wahi nachne lagta hai. Agar hamne prapanch kiya paap kiya to antkaal mein wahi smaran mein aayega.

aur jo smaran mein aaya wahi aapke agle janm ka swaroop ban gaya. Hamen abhyaas karna hai. Bhagwan kah rahe hain antkale cha mamev smaran muktava kalevram kya sundar baat hai. Sharir chhut raha hai. Radha Radha Radha baat ban gayi. Ye kab jab aap jagrit swapna [gala saaf karne ki aawaz] sushupti smurat mein Radha parag chhata. Jab aap jagte hue khub bhajan karenge to apne log anubhav karte hain. Dekho na aap so rahe hain phir bhi naam chal raha hai, mantr chal raha hai, koi pad chal raha hai. Jo achhche bhajan karne wale hain wo ye baat ka anubhav karenge.

karavat badli naam chal raha hai ya pad chal raha hai pata hi nahi chalta ki nind hai ya jagrit hai tandra hai ya turi hai aisi sthiti hoti hai jo khub bhajan karte hain mame smaran kai tarah se hota hai antim samay jaise ek bar parikrama laga rahe the to ek lomdi jisko kutton ne bilkul maranaasan mein chhod diya tha. Parikrama 2:00 baje ratri ke us samay pakki nahi bani thi. Dhul thi raj thi. To rajrani mein khun se lathpat wo antim samay bas baith gaye hath pharaya Radha Radha Radha do char minute hi sunaya wo padhar gaya gaya ismen likha hai sunna bhi antim samay smaran mana jaega agar koi mar raha hai aur aap uske samip jakar Radha Radha Radha aisa suna diye to jitni yagya hoti hai unmein utna phal nahi jitna wo phal aapko prapt hoga.

bhagwan ki kripa prapt hogi. Us jeev ka kam ho gaya. Chahe wo kutta ho, gay ho, koi bhi jeev ho, manushya ho yah karne ka agar avsar mile to karna chahiye. Chukna nahi chahiye. Koi pashu pakshi manushya yah sune ki maranaasan mein Radha Radha Radha Radha use ucharan karva de. To usko bhagwat prapti ho jaegi. Smaran wo smaran nahi kar sakta. Aapne karva diya. Aapne Radha naam suna diya ya likha aisi jagah mar raha hai jahan Radha naam likha hai. Uski drishti par gayi aur Radha smaran aa gaya. Wo drishti par gayi.

Radha naam sunana ya naam padhna smaran muktava keval smaran aa jae aur ek ismen badi kripa ki baat kahi ki jaise aap wo koma mein chale gaye ab to na sun sakte hain na padh sakte hain na sam smaran kar sakte hain koma ek sthiti hoti hai na prayah antim samay koma wali sthiti hoti hai murchhit wali agar aap aath ghanta pehle Radha naam sune ya padhe ya 10 din pehle Radha naam sune ya padhe ya bole aur aap kama mein chale gaye aur 10 din koma mein rahne ke baad aapka sharir chhuta to aapko bhagwat prapti ho jaegi.

itni chhut hai kyonki uske baad aap kuch soch nahi paye. Kuch kriya nahi ki kuch bola nahi. Aapki chetna ka antim shabd tha Radha ya jo bhi Ram Krishna hari bhagwan ka jo bhi naam usse bhagwat prapti ho jati hai. Mad bhavam bhagwat bhav inko ji to jite ji bhagwat prapti ho jati hai. Ab jo bhajan jeevan bhar kiye unko yah thodi hota hai ki antim samay hamara Bhagwati smaran hoga ki nahi hoga kyonki abhyaas yog yukt chetsa nyagamina divyam shashwatam pursham ya parthan chint bhagwan kah rahe hain swayam jab ham jeevan bhar bhajan kar rahe hain to antim samay hamare keval bhajan nachega hamare man mein, hamare mein, hamare dimaag mein wahi hoga.

jaise pariksha uski ham jab adhik kasht mein hote hain to keval shri ji ka hi smaran hota hai. Kyonki unke siva koi hamara hai nahi. [gala saaf karne ki aawaz] yah jeevan mein mana aur yah baat jab bahut kal tak mani jati hai to siddh ho jati hai. Siddh ka matlab wo chhaa jati hai. Wo phir uski manyata nahi hatti. Jaise sansari purush siddh ho jaata hai moh aur mamta mein. Wah manne ke liye tayyar hi nahi hai ki mere nahi hai. Bhagwan mere hain. Wo siddh ho gaya hai. To antim samay uski wahi siddhvastha wahi moh aur mamta use ghasit kar narak le jaegi.

narak kyon jaega? Are bhai apne parivaar ka palan poshan karta raha, mehnat karta raha, beti beta ka byah karta raha. Isiliye thodi bheje gaye the. Bheje gaye the ki manushya janm pakar ke tum mera bhajan karo aur ant mein mujhe prapt karo. Isiliye kaha gaya jo na tare bhavsagar as samaj nar paye swati nindak mandamti atman gati jae wo atmahatyara durgati ko prapt hota hai jo manushya sharir prapt karke sadhu sang na kiya bhajan na kiya bhagwan ki katha na suni bhagwan ki seva na ki aur in sabko karte hue bhagwat bhav mad bhavam bhagwat bhav ko prapt na kiya so durgati ko prapt hota hai.

kyonki bhagwan ne sab yoniyon se bhatkte bhatkte tumhen dekhkar unko beech mein rok diya aur aapko manushya sharir de diya. Sevak ji maharaj kahte sanskriti man bariyai ke payo manush deh vathakat dharat sanskriti ke chakra ko rok kar kabahu ka karuna nar dehi aur det i binu het snehi bina het prem karne wale shri bhagwan ne hamen manushya sharir diya bhajan karne ke liye jab jeev garb mein hota hai aur navam mas lagta hai jab tab use bhagwat kripa se smriti jagrit hoti hai. Anek janmon ke paap karmon ko dekhta hai aur us karm ke parinaam ki durgati koi us smriti aati hai.

bhayanak kasht hota hai usko. Tab bhagwan se prarthna karta hai. Ek bar mujhe mata ke garb se nikal do. Ab jakar main bhajan hi karunga aur bhajan karke aapko prapt karunga. Pakka vada lekin bada jhutha hai. Bhumi parat bhavar pani tim jeevah maya laptani. Jaise shuddh jal gira to bhumi mein akar malin ho gaya. Aise janm hote hue maya ka aisa prabhav para ki ye mummy papa bhai jija ji bua phupha dada dadi ye sab hamare dimaag mein bhar gaye aur bhagwan se jo vada kiya tha wo bhul gaye phir balyvastha jawani budhapa aise prasang chal mad bhav sadhak ko upasak ko anya bhavon ka jitni jaldi tyag ho sake tyag kar dena chahiye.

chahe grihasth ho chahe virakta. Agar bhagwat prapti karni hai to madad bhavam ka matlab hota hai jaise kal satsang mein kaha tha shri bhagwan mere hain aur main shri bhagwan ka hoon. Yah bahut bada siddh mantr hai. Priyal mere main priyal koi apna nahi yar. Wo aisa bhram maya ka para hua hai ki hamari baat aapko samjh mein nahi aayegi. Jab shri ji samjhati hai tab yah baat samjh mein aa jati hai ki koi apna nahi hai aur sahi koi paraya bhi nahi hai kyonki sab mein jo mere hain wo virajman hai mere jo prabhu hain wo sab mein virajman isliye koi paraya nahi aur prabhu agar mere nahi hai aisa bhav nahi aaya to phir sab vyarth ho gaya sab vyarth ho gaya sab jeevan vyarth ho gaya to sadhak mad bhavam bhagwan ke bhav ko prapt ho jae.

kahte hain bhagwat bhav ko prapt ho gaye. Pujypad shri devra Baba ki vani mein sunao wo media wala pooch raha tha. Bole avastha avastha ishwar leen avastha ishwar leen avastha hamen bahut jor ka anand mila is baat se ishwar leen avastha Baba kah rahe hain hamari avastha kripa karke bata rahe the ise kahte hain madad bhavam bhagwat bhav ko prapt mahapurush ishwar leen avastha har samay ishwar mein hi jagrit swapna sushupti aise dekh rahe hain to ishwar andar hai antarmukh hai to ishwar so rahe to ishwar jagrit swapna sushupti sab mein to use kahte hain ishwar leen avastha use kahte hain madad bhav to shri bhagwan ki jab tak ham upasna nahi karte tab tak deh bhav jagtiik bhav ye jaata nahi hai aur deh bhav nahi jaata to deh sambandhi bhog aur deh sambandhi rishte the natedar inse priti bani rahti hai.

bhagwat bhav mein aap akele tabhi rah sakte hain kamre mein jab bhagwat bhav hoga. Nahi ekant mein aapko bahut man pila dega ya to bhogon ka chintan karaega ya mobile mein phasaega ya kisi se baat karaega. Ise bhagwat bhav nahi kahte. Mat bhav. Samaj mein hai to bhagwan mein, ekant mein hai to bhagwan mein, kriyasheel hai to bhagwan mein aur shant baitha hai to bhagwan mein. Mad bhavam yah bhagwat upasna karte karte aata hai. Jaise aap log lage hain. Prat kalin se sayam kal tak sayam kalin se prat kal tak Priya pritam ki atho pahar seva vani ji ka gayan naam jap naam kirtan jo lage hain imandari se bin vivek vairagya bhakti bin satya na ek ko mano bhagwat vimurkh kapt chaturi so pakhande jano bin vivek vivekvan vairagywaan bhaktivan nirantar bhagwan mein sharir se seva man se khub dat ke bhajan ek minute bhi koi prapanch nahi tab wo jake dheeredheere bhav bhagwan mein sthit hota hai deh bhav hata jagat bhav hata tab mad bhavam bhagwat prapti kisse

hoti hai mad bhavam mama janm maran mokshay hai mama kal charcha hui thi aaj ho rahi madad bhavam mera bhav mera smaran to ant kal mein mera smaran hone par wo mujhko hi prapt hota hai jo upasna nahi karte unko ant kal mein kaise bhagwat smaran yad aayega nahi yad aa bada kathin hai bhagwat smaran ant ant kal mein ana bhajan ke bina goswami tulsidas ji ne isiliye bahut soch samjh ke usmen likha hai bar mathe ghat hoe bar sikata te bar tel aur binu hari bhajan na bhavatri yah siddhant pel bharat ji maharaj bhagwan Rishabhdev ji ke putr hain.

bhagwan ke sidhe putr hain. Bhagwan, putr, mitra, shatru iska koi bhed nahi rakhte. Smaran kiya hiran ka to hiran bano. Ham tum to bahut duri baat hai. Bhagwan ke avatar hain Rishabhdev aur unke putr hain bharat ji aur smaran hua hiran ka to hiran bano. Aur wahi smaran hoga jo adhik priy hai. Antim samay smaran jo adhik priy hai. Jaise puranjnopakhyan mein puran stri ka chintan karta hai to agla janm stri banta hai jake. Agar jeevan mein bhajan sadhan sadharan gati se bhi chaloge sadharan ek hoti hai teevr gati.

teevr gati mein ugr vairagya hota hai. Na khanpan accha lagta hai na sona accha lagta hai. Kuch accha nahi. Har samay bhagwat smaran. Yah teevr chal. Mand chal hai ki khate pite anand se apni dincharya karen. Koi galat aacharan nahi kar rahe. Koi bhagwat vimurkh baat nahi kare. Par matlab wo bhi baat nahi ki nahi khanpan te bhave hai nahi komal vasant suhave hai sab vishay lage te khara hai hari ashik ka mal nyara ye hai ugr ye uttam lekin aisa na bhi ho aur madhyam chal ho lekin ashubh aacharan na ho galat aacharan na ho to bhagwan kahte hain antim samay jab wo jeev murchhit hota hai to main uska smaran ban jaata hoon.

yah kripalu ki kripa isiliye kahte hain bhagwan ki kripa se bhagwat prapti hoti hai. Jeevan bhar ham sadhan bhajan jitna so bana lekin antim final bhagwan ki kripa karegi kyonki ham bhagwan ki sharan mein hai to us samay bhagwan smaran kara dete hain ya kisi sant se jud jae aur unki kripa ho jae santo ki kripa kai tarah se hoti hai. Ek hoti hai samip jakar kripa aur ek sunkar kripa hoti hai. Accha unka swasthya bahut kharab hai. Sharir pura hone wala hai. Shant hue. Ekdam bhagwan ke chintan mein doob gaye aur prarthna ki to uske hriday mein smaran swaroop pahunch kar ke sankalp ke dwara drishti ke dwara vani ke dwara chu karke kisi bhi tarah se sant jan kalyan kar dete hain.

aapka sant smaran na bane lekin sant ka smaran aapke prati ho gaya to aapke hriday mein bhagwan ka smaran hone lagega. Yah mahima hai antim samay mein ya to khub sadhu sang sadhu seva ho aur ya phir dat ke bhajan ho. Sadhu sevi ko alag se bhajan nahi karna parta. Uska kalyan usi se ho jaata hai. Ab jaise jo seva mein lage hain wo itni ekagrata hai ki naam jap nahi ho pa raha hai to unka theka hai. Wo theke mein hai. Ye nahi ki tum bhai hathauda chala rahe the, fawda chala rahe the to tumhara wo theke mein hai. Wo kripa ke theke mein hai.

nischit unka kalyan hoga. Mala wale ka to chuk ho sakta hai. Uska chuk nahi ho sakta kyonki wo agyaa mein jeevan ko arpit kiye hue hai. Ya bhajan aur ya seva kisi sant ke ashrit hokar seva thodi seva bhi bhagwat prapti kara degi. Gita vatika ka prasang hai ki pujya Radha Baba ki kutia ke aaspas Sohni ek mai roz aake laga deti thi. Kabhi Baba se baat nahi hui. Kabhi kisi ko pata nahi ki Baba ki drishti mein wo hai. Santo ki drishti hoti hai. Chalte phirte aise dekhte hain. Seva mein jaise aapne nahi dekha lekin wo dekh rahe hain wo sab aur sant aur bhagwant ek hi hote hain.

Ram jharokha baith ke sabka majra le aur jaki jaisi chakri tako taisa de. Varsho se wah Sohni roz niyam se lagati aake doti din ho gaye nahi aae to Baba ne pucha wo mai nahi dikhayee de rahi jo Sohni lagane aati thi to kaha wo to bahut bimar hai hamen lagta hai wo bachegi nahi bole accha khade hue bole hamko le chalo uske paas keval Sohni lagane aati Baba gaye wo aise mathe pe hath rakha aur kaha kuch dikhayee de raha hai bole haan Priyaju aur Lalu Radha Krishna donon samne khade kah rahe chalo to bole jao Baba uthe aur chale aae sidhe bhagwat prapt ya to santo ka aisa mahapurushon ka sang unki seva aur ya phir swayam mein itna bhajan swayam mein bhajan bhi tabhi bhi hota hai jab bhajnanandi santo ka sang ho.

bhagwan ka chahe jaise bhajan kiya jae wah param mangal hi karta hai. Par bhagwat bhav ko prapt hona kathin baat hai. Yah bahut kathin baat hai. Isiliye bas ek hi upay hai. Mama nritya bhagwan ka aashray Priyalal ka aashray vyas bhrose kunwar ke sot pav prasad ladli jo ab aap hi dekh lo ham mein to samarth na hai ki ham aapka smaran antim samay kar to aap kripa karo yah bharosa pakka hai ki antim samay shri ji ayengi antim samay shri ji ki koi sakhi aayegi antim samay shri ji ka smaran aayega aur ham shri ji ko nischit prapt honge.

ye bharosa dridh kar lo. Bharoso dridh in charan kero shri vallabh nak chandra chhata binu sab jag maah andhero. Agar ham shri charnon ka aashray liye hain pakka phir isse badhkar koi sadhan nahi. Sadhna bhrose ki prapti ke liye hoti hai aur bhrose se jo sadhna hoti hai bahut jor ki hoti hai. Bharosa bahut badi chij hai. Aap log bhajan sadhan to kijiye, seva kijiye. Par ladli ji ka bharosa dridh kar lijiye. Hamare mai shyama. Yah dridh bharosa hamari shri ji badi karunami hai. Chahe avgun kare samudra sam ganat na apno jaan rai ke sam bhajan ko manat mero saman samudra ke saman aparadh ban jae to shri ji use aparadhi hi nahi mante.

rai chhota dana hota hai. Agar itna bhajan ban jae to use pahar ke saman samjhti hai. Aisi kripalu ladli ki Harivansh pratap se ham sabko sharanagati prapt hui hai. Ham aisa smaran aisi seva aise bhav mein rahe ki hamara antim ban jae. Antim bhagwat smaran mein vyatit ho jae to hamare jeevan ki jo baji hai wah ham jit jaenge. Jo lakshya hai uski prapti ho jaegi. Chuk mat karo. Prapanch mein idhrudhur ki drishti mein ek dusre ki ninda mein kisi ke dosh darshan mein apna samay kyon nasht karte ho? Tere bhave jo kare bhlo buro sansaar narayan tu baith ke apno bhavan bhag kum naam jap karo seva pran ro shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi