॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त कथा · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ye prarthna aapke sabhi kasht mita degi / gajendra moksh ki adbhut katha // 25/08/26

▶ YouTube

pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta tap mugram nirvai param shital mashryam param shital mashray param sacchidanand ghan Premand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri shyama Shyam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta yamuna ras rani rajrani samasth brajvasi paridh prabhu ke naam mein apaar samarth hai. Par jab tak vishay sevan adharmacharan purvak hoga tab tak naam japte hue bhi [gala saaf karne ki aawaz] naam ka jo param sukh hai wah anubhav mein nahi aayega.

jab tak naam ka sukh anubhav mein nahi aayega tab tak man sthir nahi hoga achal nahi hoga ekaagr nahi hoga aur jab tak ekaagr achal sthir nahi hota tab tak Bhagvdanand jo hai wo chhata nahi pure hriday mein pura hriday bhagwanand se chhaa jaata hai bhar jaata hai isi sthiti mein jeev ko swaroop bodh hota hai. Wah buddhigat nahi hai. Anand se labalab hriday hai. Koi anya chintan hi nahi. Usi samay usko swaroop bodh hota hai. Hamara prayas papacharan se purn mukt hone ka hona chahiye. Grihasth dharm mein hai to dharmochit vishay bhogon ka sevan karte hue unke prati rag rahit buddhi agar rag rahega to phir dharmochit bhog bhi bandhan karak hai.

isiliye taj lok dharman isiliye taj lok dharman lok dharm bhi jab prem ya moksh tatv bodh prapti ki utkrisht abhilasha jagrit hoti hai to wah bhi fike lagne lagte hain. Dharm yukt bhog bhi adharmacharan ki to gunjaysh hi nahi hai. Paramarth ke pathik mein hamen pura prayas apni taraf se karna hai. Jitna hamen bhagwan ne samarth di hai. Bhagwan bas itni hi akanksha aapse rakhte hain ki aapko jitni samarth di hai utna prayas aap kar le. Safalta unki taraf se hogi. Aap prayas bachne ka na karke dubne ka karte hain.

phir bhagwan nahi bachayenge. Dhyan rakhna prayas bachne ka ho raha hai. Phir aap phesal rahe ho bacha lenge. Nirvikaar kar denge. Prayas aapka prabhu ke charnon ki taraf nirvikaar hokar chalne ka ho to kripa sindhu karunamay bhagwan chahe jitna koi patit ho use mahatma bana dete hain. Chhipam bhavti dharmatma bahut jaldi use nirvikaar kar dete hain. Bahut jaldi mat chitta sarv durgan mat prasada trati jisne mere mein chitt arpit kar diya to mere kripa prasad se sare durgunom se wo mukt ho jaata hai.

wo mahatma ho jaata hai. Mahatma shabd wahi lagta hai jahan kisi bhi prakaar ka koi vikar nahi. Bhagwan ki yah haitu ki kripa se hamen avsar mila hai. Maya prapanch se mukt hokar nirantar bhagwan ke chintan mein dubne ka. Ab is avsar ko ham vyarth na jane den. Jab hamara bas na chale ham har rahe ho to hamare paas ek mahabal hai hamare isht dev ham unka chintan karen unse roen unse prarthna karen ki ham chahte hain aapko par meri indriyan mera man mera antahkaran ye aapse vimurkh hokar prakriti ke bhogon mein lag raha hai he nath aap kripa karo mujhe bal pradan karo jisse indriy aur man ka nigrh karke hata karke ham aapke charnon ka nirantar chintan kar sake aur bahut kal tak aisi prarthna karte rahie.

ek samay aisa aayega ki prarthna safal hogi aur ham nirvikaar honge. Hamen bilkul chinta nahi karni. Bilkul chinta nahi karni. Hamen chintan karna hai prabhu ka dhyan dijiye mat chitta sarv durgani mat prasadat jitne bhi durgun hain wo mat chitta jo bhagwan mein nirantar chitt ko jodte rahte hain to mat prasad trati mere kripa prasad se samasth dosho se utar jaate hain mukt ho jaate hain nirdosh ho jaate mat chitta khas baat hai mat chitta bhagwan mein chitt jodne se mat chitta sarv durgan samasth durgun mat prasad trati mere kripa prasad se tar jaate hain.

bahut kripalu shri bhagwan hai. Haan kabhi-kabhi na chahne par bhi purv praarabdh itna prabal hota hai ki vasnaon ki taraf modta hai. Jeev jo bhagwat ashrit hai wah na chahte hue bhi bar-bar vikshiptata aur badha ko prapt hota hai. Purv praarabdh bada prabal hai to use badha pahunchata rahta hai. Par wo vivek ke dwara bhoge na to praarabdh ka kshay ho jaega aur wo bhagwat prapti ke yogya ho jaega. Agar aisa na hota to pashu mein aur manushya mein kya antar phir koi bhagwat prapti nahi kar pata. Sab praarabdh ke adhin keval dukh sukh bhog bhogte rahte hain.

ham praarabdh ke adhin pashu nahi hai. Ham manushya hain. Ham kriyman naveen karm karke bhagwat aradhna ke bal se praarabdh ko kshay karen. Yadyapi praarabdh bahut balvan hai. Na chahte hue bhi vivash karke bhogon mein aapko laga dega. Yadi bhagwat vismaran ka aapke hriday mein gunjaysh hai. Bhagwat vismaran ka swabhav hai to laga dega aur agar akhand smriti hai to takat praarabdh ki nahi ki wo aapko badhit kar sake. Agar badhit karne ki praarabdh mein itni samarth hoti to koi bhi bhagwat prapti nahi kar sakta tha. Bhajan mein bahut badi samarth hai.

kal bhi badhit nahi kar sakta. Praarabdh ki to baat jane do. Samjh aae sharan te darat na kal dar jo bhagwat mahima samjhkar prabhu ki kripaluta samjhkar unki sharan mein aae wah kal se bhi bhayabhit nahi hote. Praarabdh ki to baat jane do. Isliye ham prabhu se vinay jarur karte rahe. Kabhi na kabhi to deenana ke kan mein hamari awaz pahunchegi. Jis din pahunchegi us din nihal kar denge. Aur koi samarth apni nahi hai. Apni jo samarth bhi hai wah unhin ki di hui hai. Jab hamari samarth kam na karen to hamari samarth ki purnata hamare isht ki samarth se hai.

shabd par dhyan dijiye. Hamare samarth ki purnata isht ki samarth se hai. Ham apne purn bal ko pukare. Mere bal shri Vrindavan rani he maharani ab aap hi kripa karo goswami shri tulsidas ji maharaj vinay patrika ji mein kahte hain kahe te hari mohi bisare hari jab aap patit pavan hai, din bandhu hain, anathon ke nath hain to yah to sab main hoon. Phir kyon vichar diya? Agar aap hamara vismaran na kiye hote to maya ki samarth nahi thi ki hamko apne vishay sukh pralobhan mein phasa sakti. Bahut din bit gaye hari.

ab to kripa karo. Ab to main nirantar keval aapka hi sumiran kar sakun. Bahut gayi rahi thori jitni bhi ab svase hain he nath wo keval aap mein jae. Anya koi chintan anya koi chah anya koi bhav hi na rah jae. Par yah tabhi ho sakta hai jab aap kripa karen. Aap yah smaran kar le ki mera das hai. Mera apna jan hai. Goswami ji kah rahe hain kahe te hari mohi bisari janat nij mahima mere ag tadap na nath [chikne ki aawaz] sambharo kahe te hari mohi bisaru apni mahima to aap jante ho prabhu aur mere papon ko bhi aap jante ho nath aap patit pavan ho ved shastr puran kahte hain jinka koi nahi jo jagat mein tiraskrit hai jagat ne jiski upeksha kar di hai unko aap gale lagate hain.

he hari main papi hoon. Mere papon ko aap jante ho aur aap apni mahima jante ho ki aap kitne mahan patit pavan udaar karuna varunalay hain. Phir aapne kyon mujhe bhula diya. Agar aapne bhula na diya hota to aaj meri yah durgati na hoti ki aapki kripa se manav deh, paramarth, path aur ham vishay chintan karen. Yah durgati hi to hai. Badshah ka rajkumar hokar footpath mein ek ek rupya mange durgati nahi aur kya hai? Aapka sevak hokar kshadra vishyon ki lalsa karen nath ye durgati nahi to aur kya hai? Yah aapke upeksha karne par aisa hua hai.

yadi aap upeksha na karte to he hari ye maya sparsh bhi nahi kar sakti thi. Aapki mahima ved shastron mein bhari padi hai ki aap patit pavan ho aur aap mere papon ko bhi jante ho to aap kyon nahi ham par kripa kar rahe kahe te hari moh bisaro patit punit din hit asar anusar kahat shruti charon charon ved kahte hain ki aap patit pavan hai. Aap din hin ko apnate hain. Prabhu aap asran sharan hai. Aisa shastr kahte hain. Ved kahte hain. Sant jan kahte hain. Ho nahi adham sabhi din kya main adham nahi hoon kya main din nahi hoon kya main bhayabhit nahi hoon is maya se nath ab aap kyon ham par kripa nahi kar rahe kya ham mein nahi hai ham sadgun ki baat nahi kah rahe ham patitta ki baat kar rahe ham adham hai din hai patit hain to aap adham udaharan hai asram sharan hai deenanath hai patit pavan hai aisa ved kahte hain ho nahi adham ye nahi shabd prashnavachak hai ho nahi adham sabhi din kidho vedan mrish pukaro kahe te hari mohi patit ko pavan karne wale deenon ke hitkari

asran ko sharan dene wale charon ved aisa kahte hain kya ye jhooth bol sakte hain ved kidho vedan mrisha pukaro kya ved aisa jhooth kahte hain nahi ved satya apaurush bhagwat swaroop hai kabhi kabhi mithya nahi bol sakte to nath phir aap kyon bhul gaye kyonki main adham hoon main patit hoon main din hoon main bhayabhit hoon is maya se phir aap kaise vichar diye he hari khagan ka [chikne ki aawaz] gaj vyyadh pati jahan tahan hohu baitharo ab ke laj kripa kripa nidhan parsat panwaro pharo he hari kahe te moh bisaru he hari aap hamen ye batao Jatayu ji ganika Gajendra vyyadh kya main inki pankti mein baithe layak nahi hoon?

prabhu main adham hoon, patit hoon, nich hoon. To mujhe bhi isi pankti mein baitha lo na. Jaise Jatayu ko god mein lekar antim kriya ki. Jaise Gajendra ko bachaya. Jaise vyyadh ko brahm rishi bana diya. Nath jaise ganika ko pavan kiya. Hamko bhi usi pankti mein baitha lo. Sweekar kar lo prabhu ki adham hai, nich hai, papi hai. Aap adham udaharan hai. Aap din bandhu hain. Aap patit pavan hai. He kripanidhan. Ab aapko kiski laj hai? Kiski sharm hai? Aapko kiski sharm hai? Yadi aapne aisi pankti ko na Tara hota to sharm ki baat hoti ki yah nich adham papi hamari sharan layak nahi.

par aapne sada aise janon ko hi Tara hai to aapko kya sharm? Aap to pehle aisa kar chuke ho na. Kitne patiton ko pavan kiya hai. To prabhu main bhi isi pankti mein aa gaya hoon. To paroson hi pattal kyon faad rahe ho? Arthat ab bilkul nazdik aa chuka hoon aapki sharan mein. Sab kuch chhodkar jaise bhi hai ham aapki sharan mein aae. Prabhu aap kyon pattal faad rahe ho? Arthat ab to paros do. Ab to apni kripa paros do jisse sab jagah se man purn rup se hatkar keval aapke charnon mein lag jae. He hari jo kalikaal [chikne ki aawaz] prabal ati ho to tu nidesh te nyaro to hari rosh bharosh dosh gun teh bhajte tajgaro kahe te hari moh bisaro kripa nidhan yadi kalikaal aapse badhkar ke balvan hota ki bhai kalyug hai bahut balvan hai to kya aapse badhkar balvan hai?

hari yadi kalikaal aapse badhkar balvan hota to main aapki baat na manta ki aap patit pavan adham udharan sharan sharan hare he hare he hare aapke hi bal se balvan hai kalikaal aapse badhkar balvan nahi hai aur aap kripa karen kalikaal aap ke sharanagat ki buddhi malin kar de aisa kaise ho sakta hai he hari hamen to sirf aapka bharosa hai aur aapka hi gungan chhodkar ham kalikaal par dosh lagave maya par dosh lagave ham is jhanjhat mein nahi padenge aapse badhkar koi hai nahi. Agar hota to ham thoda sochte jahan kahin kisi ko bal hai chahe maya ko ya kalikaal ko aapka hi bal hai to ham kiska bhajan karen?

kalikaal ka maya ka ki aapka aapke hi bal se sab balvan hai. Aap kripa karo. Aap kripa karo. Ab aapki ham sharan mein hain. Prabhu masak biranch biranch maskas aisa to prabhav hai aapka mas kah viranch masakte brahma ko machchar bana de machchar ko brahma bana de aisa to prabhav hai aapka masak winch viranch masak sam karahu prabhav tumharo yah samarth achat moh tyago nath tahan kachu charo aapki to aisi samarth hai ki machchar ko brahma bana do brahma ko machchar bana do aise samarthyavan prabhu yadi aap hamen tyag de to phir hamari samarth kya hai ham kiske paas jae kiski sharan ho jae.

haan aisi samarth aapki ki ek second mein brahma ko machchar bana do. Machchar ko brahma bana do. Jo chetan ka jad kare jade kare chetan. Jad ko chaitanya chaitanya ko jad. Aise samarthyavan hai hari. Main aapki sharan mein hoon. Yadi aap mujhe chhod de, aap tyag de to hamare paas koi aur rasta nahi hai. Koi gunjaysh nahi, koi chara nahi. Yah samarth achat mohi tyago to nath tahan kachu charu yah samarth hote hue yadi aap mujhe tyag den to mera bas kya hai? Mera kya hai? Mera kya hoga? He nath na narak parat mo kahhu dar yadyapi ho atiharo yah badi tras das tulsi prabhu namhu paap najaro prabhu namhu paap najaro nath mein ta hokar narak jaaunga.

is bhayabhit hokar vinay nahi kar raha hoon. Yah prarthna isliye nahi kar raha hoon. Mujhe narak jana pare. Nahi bahut bar bhog chuke. Abhyaas hai. Yah avinashi jeev bahut bar bhog chuka hai. Narak swarg sab bhog chuka hai. Bahut bar abhyaas ye dur se dar lagta hai. Sab bhog chuke hain. Jab jo pida aati hai sab sahan kar jaata hai. Sunkar keval bhay lagta hai. Jab upar gujarti hai to sab kasht sah jaata hai. Nath main narak ke bhay se bhayabhit hokar vinay nahi kar raha hoon. Mujhe to yah lag raha hai ki aapke naam ki itni mahima hai aur us naam ne abhi tak mujhe aapke layak nahi banaya.

abhi main papi hoon. Aapka naam jap karta hoon. Phir bhi main aisa papi hoon ki aap kripa nahi kar sakte. Aapke naam ne aaj tak mujhe nishpap nahi banaya. Bada ascharya lag raha hai ki aaj bhi aap kripa nahi kar rahe kyonki aapke naam ka bharosa aapke naam ko rat raha hoon. Nath ab to kripa kijiye. Hamen nirash nahi hona. Hamen prabhu se vinay karni hai. Kyonki prabhu ke siva hamara koi hai nahi. Aur is vishay ko koi sambhal bhi nahi sakta. Koi nahi sambhal sakta. Yah bada sukshm vishay hai. Uma Ram sam hit jag ma guru pitu ma bandhu ko na agar avguni hai nich hai patit hai siddhant se nahi chal raha to guru bhi tyag dete ja nahi rakenge.

nahi tu hamare kam mein kahan jaun? Aapke siva koi itna udaar dayalu nahi hai ki nich ko rakh sake. Nich sadguni ko to sab koi rakhta hai. Sab gale lagate. Ek bhagwan hi aise karunamay hai jo patiton ko gale lagate hain. Neechon ko gale lagate hain. Jo jagat se tiraskrit hai unko bhagwan gale laga lete hain. Ye keval bhagwan ya bhagwan ke saman sant dusre koi nahi. Dusre to avguni ko aur ulta hai ismen yahan jahan sansaar avgun samjhkar tyag karta hai wahan avguni ko gale lagaya jaata hai. Sabse zyada pyar avguni ko kiya jaata hai.

sabse zyada najdeeki avguni ko di jati hai. Ye ulta hai hamare prabhu ka swabhav ulta hai. Jahan dand wahan puraskar. Aisa darbar kahan milega? Jahan dand milna chahiye wahan puraskar milta hai. Wahan uski anand vritti rupi vetan badha di jati hai. Prabhu aap jaisa kripalu to sirf aap hi hain. Bhagwan shiv kah rahe hain Uma bhagwan ke jaisa koi nahi. Guru pit mat bandhu ko nahi. Koi nahi. Ham kisse kahe? Sadguni ko sab gale lagate hain. Lekin durguni ka gale laga lena. Ye to keval priyal ki baat.

keval priyal ki baat. Dusra koi nahi. Bejajjati ho jaegi hamari. Ye durguni hai. Agar hamare paas rahega to log kya kahenge? Bade-bade ijjatdar, bade-bade yash kirti wale durguni ko nazdik nahi ane dete. Lekin sabse bada yash jinka hai ved bhi neti neti kahte hain. Wo sadaiv patiton ko gale lagaya hai. Aisa ved kahte hain. Ved kabhi jhuthe nahi ho sakte. Hamen kabhi nirash nahi hona. Sadaiv apne prabhu ke charnarvind ka dridh aashray lekar is vishwas par rahna hai. Jeena hai. Pura jeevan lamba jeevan jitna bhi hai.

aaj kripa nahi to aaj kripa hogi. Aaj kripa nahi to aaj kripa hogi aur jis din kripa hogi hamara swabhav badal jaega. Hamare aacharan badal jaenge. Hamare hriday ka chintan badal jaega. Meri samarth nahi hai. Kalpon tak agar ham prayas karen to bhi asfal rahenge. Aur second mein wo aisi sthiti de denge jo bade-bade sadhna se bhi lalchane par sthiti nahi aati. Wah sthiti prabhu karuna karke de dete hain. Udaar masya asumadhmev karunya masyavibh rasyate bhut vrindav tanam udarta mein dekho to asmadh udaar koi samanta nahi kar sakta dham dhami naam nami aise udaar hai dham naam rup leela udaar masya asmadh menv asmadh udarta hamare Vrindavan dham ki vrindavnadheeshwari shri Priyaju ki shri lal ji ki aur karunya masyastu ganya menv kisi se mila nahi sakte aise karuna mein hai bade udaar, bade karuna mein.

aapko lag raha hai kyon udaar hain, karuna mein hai. Agar nahi lag raha ho to aap abhi dekh nahi paye ki unki kitni karuna aapke upar hai. Agar aap dekh paye ki kya aap manushya banne layak the? Anya yoniyon mein kaun sa aisa aacharan kiya ki manushya bane kyonki vivek hin yoniyan hain. Matra vivek pradhan manushya yoni hai aur yah bhagwan kripa kar diye hain. Ek jal lakho jal maya ke hain. Un maya ke jalon se aapko hatakr shri dham Vrindavan jo atyant durlabh bade-bade rishi munio dwara vanchhneey raj ki akanksha karte wahan hamen vas mila.

yah asmurdha kripa nahi hai. Yahan hamara bhajan bane na bane. Atho pair bhajan ban raha hai ki ham Vrindavan vasi hain. Atho pair hamara bhajan ban raha hai. Aur antarik jo unnati hai adhyatma ki hai. Wo ye rajrani ki kripa se apne aap hoti rahegi. Upjau bhumi mein bij par jae phir zyada suraksha ki zaroorat nahi. Wo apne aap vriksh ban jaega. Vrinda devi ke dwara kripa varsha yahan hoti rahti hai. Jo bhi sadhak jo bhi grihasth vas karte hain vrinda devi unko ghaseetti rahti hai antar se Priya pritam ki taraf yadi vishesh aparadh na ban jae to bahut jaldi premankur hriday mein ho jae.

karuna ka aisa swaroop hai Vrindavan ka Priyaju ka ki udaharan mein nahi de sakte ki koi priyaju ki samanta karne wala ho priyaju jaisi priyaju Vrindavan jaisa Vrindavan asmurdha karuna vibhuti rasya shatesh vibhuti vaibhav kamlahu lalchat Vrindavan ka vaibhav dekhkar tribhuvan ka vaibhav prakashit karne wali lakshmi ji bhi lalchati hai. To vibhuti rasya shatesh bhuti ishwar ki sampatti par abhi to puri vaibhav ko dekh hi nahi sakte tum ishwar ke. Ishwar ke vaibhav par bhi uphash ho jae. Aisa Vrindavan ka vaibhav prem ka hai.

shiv Shri pati yadyapi lal chah man pravesh tino ko nahi nigmagam ki kaun chalave maha Vishnu ke man nahi ave ya ras ko tab hi adhikari kripa kare shri Radha pyari kripa ladli tab hi karen jab shri Harivansh jo kar sir dhare hit sajni jo ki kripa ho jae to ladli jo baras padti hai phir yah wahi bhav Vrindavan ka anubhav mein aayega Vrindavan adbhut vaibhav sampann adbhut karuna mein asmordha mahima koi par nahi pa sakta aise dham mein hamen vas mila ab ham savdhani purvak ek ek shwas shyama Shyam ke charnon mein samarpit karte hue vyatit karen kaisi bhi paristhiti ho dham na chode jeevan ko bhagwat samarpit karna bahut kathin hai baten banana alag hai jab vipatta sankat kasht tiraskaar koi saath na de phir bhi tumhara man dham aur naam nishtha mere tab mana jaega har ek jeevan ki baji lagai jati hai prannon ko samarpit kiya jaata hai ab aapke mahal ko nahi chhorne wale sada do chahe ek ek rom rom sad jae khand khand ho jae tan ang ang sat tu border mein khade desh ke liye goli khane ke liye aur khate hain bharat par

shahid hue tum deshbhakti ke mein apne prannon ko balihar karne walon ko udaharan mein dekho tum bhagwat bhakt hai sharir poshi sharir ko dular karte ho aag mein jalenga sadega kisi kam mein ane wala nahi sharir ye dulhan dulha koi nahi bacha payega sharir ko nash ko prapt hota hai ye samjhe mein nahi aa raha hai wahi sansaar wahi sansaar priy lag raha hai bhagwat prapti aise hai kuch lena na dena magan rahna guru kevtiya se mile rahna kuch lena na dena magan rahna ab jo kaha karen ham soi ayas liye chale nij dasi ab jaisi agyaa hogi usi ke anusaar chalenge jeevan ka param labh prapt ho jaega lekin param labh chahta kaun hai Vrindavan yadi vas mila hai to Vrindavan ke bal se Priya pritam ki prapti hogi tum itne bade sadhak nahi hoon ki tumhari chitt vritti sadaiv Priya pritam mein lagi rahe.

to dham ko pakdo. Yahan jo aushadhi mil jae mil jae nahi to ham roenge tadpenge dekhenge to Priya ji hamne dekha hai Vrindavan ka chamatkar jo Vrindavan nishth hai bhagwan unke rogon ka shaman kar dete hain kal kalesh na vyape thor vishta te nyari nagri dasi janam jitayo balhari balhari bhagwat aashray pusht nahi bhagwat sharanagati pusht nahi wo jinka connection ghar parivaar sansaar se hai durgati ke chans pakke rahte hain kyonki jahan vipatti hui tahan phone hua Priya ji se matlab nahi lal ji se matlab nahi phone nazo se girama na chahe jitni saja dena nazo se jo gir jae to mushkil hi sambhal paye ye bhagwat marg hai pusht raho are har janm hamne sansaar ke liye diya ek priyaju ke liye de denge to ham muskura muskura kar Radha Radha kahenge.

bolo chahe jitna tum kasht do. Kya kaha abhi goswami tulsidas ji ne? Yah mat sochna prabhu ki main vinay kar raha hoon narak ke bhay se. Narak ke bhay se vinay nahi kar raha. Ye bahut bar bhog chuka hoon. Upasak thodi nishtha to rakhni chahiye. Thodi nishtha, isht nishtha, dham nishtha, guru nishtha, naam nishtha koi ek nishtha to hriday mein honi chahiye. Pran nikal jae par apni nishtha ko na chode use nishtha kahte hain. Upasna kriya pradhan nahi hai. Bhav pradhan hai. Bahut kriyaen karta hai. Koi khas baat nahi.

bhav kya hai uske andar? Koi kriya nahi karta. Lekin bhav mein rahta hai har samay prabhu ke bhav mein rahta hai brahm bhav mein rahta hai bhagwat bhav mein jit gaya maya pad bahut kriyaen ho rahi hai prapanch bhara hai dimaag mein maya bhari dimaag mein bhav hai hi nahi to bhavotsav bhajta ras kamdhenu tam Radhika charan renu hamare sharir par adhikar priyaju ka hai wo aae agar ham sad rahe to wo aae unki sakhiya aae unka vidhan ave dekho priyaju aati hai ki nahi unki kripa aati hai ki nahi yahan koi bhukha nahi rah sakta hamari maharani yahan koi tadap nahi sakta hamari maharani jo ka rajya hamne dekha hai yahan tadap nahi sakta koi kishori jo ka rajya hai wo har aur waise bhi vishv mein vishwatma bhagwan teen prakaar ki leela kar rahe hain palan srijan sanhaar unhee ke dwara ho raha hai to ham unke das hain chhoti chhoti baat mein udas hokar apni nishthaon ko chhod de nahi ek nishtha pakar pakar lo bhagwat prapti karni hai.

koi naam nishth koi guru nishth koi dham nishth koi rup leela gungan nishth kuch to pakdo sare bharoson ka bharosa hari ka bharosa Priyaju ka bharosa hota hai. Abhi dekha kahan hai? Age se age dular kar rahe hain. Jaise mata pehle se chinta karti bete ko kya zaroorat hai? Kaise tumhen batayen? Paramarth par vijay bhagwan nishtha se pai jati hai. Rupya nishtha se nahi. Havai jahaj se param pad ki yatra nahi hoti hai. Jameendari se nahi hoti hai. Parivaar balishth ho khub sukh suvidhae ho isse param pad nahi mil jaata hai.

bhagwat nishtha aur bhagwan nishtha ki abhi to pariksha nahi hui. Pariksha nahi hui. Abhi pariksha kahan? Jab tak jeena hai tab tak kasht se jeena hai. Ek minute kasht se alag nahi. Ek minute are tumhen bukhar aayega, koi rog aayega, 10 20 din baad to theek ho jaoge. Ya jab tak jeena hai, swas jab tak ghaseetna hai, har minute kasht, pure sharir mein kasht shikayat hai kya priyaju se? Nahi. Tumhari jai ho. Agar mev mein bol rahe hain kya? Dahad rahe hain. Dahadte yahan dahad rahe hain. Yahan suna rahe hain. Wahan bhi sunaenge.

dekho mai sundarata ki sima. Wahan bhi sunaenge. Yahan dad rahe hain. Wahan bhi dadenge. Yahan nach rahe hain. Wahan bhi nachenge. Yahan jai jaykar kar rahe. Wahan bhi jai jaykar. Yahan aur wahan koi bhed thodi hai. Marne se dar lagta hai na. Vrindavan mein baithkar kah rahe hain marne ka aisa anand hai ki wo kab ghadi aayegi jis ghadi mein is nashvan sharir se vida honge aur apni maharani ji ki pragat seva mein pahunch jaenge. Ye jeevan chhutna hi hai yar. Nasht hi hona hai. Ab ismen agar bhagwat prapti nahi hui. Itna bada sanyog milkar ke dhrudas ji kahte hain bar-bar to banat nahi ya sanjog anup manush tan vrinda vipin rasikan sang virup bar-bar nahi banta aisa sanyog jaisa ban gaya Vrindavan dham manushya sharir rasikon ka sang are ab to ham jit gaye nagri dasi janm jeetayo balhari balhari ab ab kya chinta karni lekin ye jo sansarasakta jeev hai thodi to nishtha dikhao, thodi to nishtha dikhao.

isht nishtha guru nishtha thodi to. Iske baad chamatkar dekho. Aisi aisi paristhiti dekhi ki keval ek hi upay ki ab doctor ke paas jana hi padega. Wo doctor yahan nahi hai. Kshetra mein nahi hai. Na wo aushadhi hai na doctor hai na wo jana padega aapko. Delhi, bambai, Bhopal. Sadhak ne kaha, nahi mar jaaunga nahi jaaunga. Parivaar kah nahi tumhara adhikar nahi apne aap theek ho gaya apne aap theek ho seva mein lage agar nishtha nahi hai to phir kya hai kya hai abhi parso ek aae the unhone kaha ki unhone to bahut dialysis kiya abhi hamare yahan peshent bahut peshent hai aap bhi dialysis ke aap ye sab kaise kar rahe hain to ham kaha ham sharir dhari manushya thodi hai shareerdhari ham manushya nahi hai.

ham priyaju ke dasi hain. Tumhare netr ho to dekh lo. Sharir ki kharab hai bani rahe. Sharir ka dialysis ho tab bana rahe. Hamara mind bhi wahi hai. Hamara swaroop bhi wahi hai. Ye mila tha chhut jaega. Beech mein mila hai. Beech mein chhut jaega. Na pehle tha na baad mein rahega. Iska koi mahatva hai? Jinko mahatva hai wo liye pare hain. Bahut savdhaan is keval nishtha se bhagwat prapti hoti hai. Hamari baat man lo keval nishtha se marne ke liye chhod diya apne aap ko Vrindavan mein. Kuch nahi kuch nahi. Unka hisaab kitaab hai.

wah dekhen unke liye hai. Agar wo kahte hain to chalo ham darwaze par khade agar wo kahte nahi hai. Ham apne isht ke bhrose rahe. Masti are jitne din jio taal thok ke jio mast jio avinashi ke bachchha ho yar he ye pravachan nahi chati ki baat kah rahe hain utho tum sacchidanand bhagwan ke ansh ho garjo naam jap karo sinh raho aur jab jao to muskurate hue hari ke paas jao tumhare hain tumhare bachchhe hain tumhare ansh hain to tum bahut galat galat ho to yar tumhare rache hue khel mein tum na chaho to kaun par ho sakta hai agar hamse truti hui to tumhare hi khel mein to hui tumhari maya baji pasari vichitra sun muni mohe kaki kod kahe haridas tum hare ham jite to na tod he mast bahut kabhi man aaya thodi der ghagiya bhi liye kabhi aae to dahade bhi unhin ke hain.

unhin ke hain. Yah sharir ko lekar rona, sharir ke bhogon ko lekar har samay ghate rahna. Thoda to utho satsang sunne walon. Kam se kam jinko satsang nahi mil raha hai unki to baat jane do. Tumhen roz satsang mil raha hai. Tum mein to singhwat hona chahiye. Thoda ladne ki takat honi chahiye. Bahanebaji man ki, indriyon ki. Nahi. Chalte hain ek bimar ko svasth karne ke liye Shrimad bhagwat mahapuran mein [gala saaf karne ki aawaz] ahankaar ka bimar Gajendra jab grah ne grah rupi rog ne pakda pura upay kar liya 1000 varsh tak upay hi upay hathi hathi sab prayas kiye apna bal laga liya vidhata ki mano phansi grah ne pair nahi chhoda 1000 varsh tak kheenchatani chalti rahi hathi thal mein balvan hota hai aur grah jal mein balvan hota hai yahan tak ghasit le gaya har chuka shithil ho gaya Gajendra ahankaar ka rog utra yah bahut vichitra hota hai.

ham tum to maa ke garb se paida hue hain. Draupadi ji yagya kund se paida hui hai. Divya hain. Lekin mahal mein jab kes pakar ke Dushashn ne ghaseeta to Draupadi ji ko yah bal tha ki panch Pandav Bhishma jaise dharmatma bal rahta hai koi hai apna koi hai akhri mein jab dekha Draupadi ji ne pura itna sab hone ke baad ki koi mera nahi tab pukara hazar varsh Gajendra ke beette nahi minute mein hari bacha lete lekin ye ahankaar ka rog ye ahmta mamta ye nasht nahi hoti. Aham mam mera koi hai main kuch kar sakta hoon.

aham mam ye bhagwan se judne nahi deta. Ek ahmta mamta ye jag mein hai dukhdai. Ye jab shri ji ki or lage to hot param sukhdai. Bade dalidur hai. Ahmta mamta bhagwan se vimurkh karti rahti hai. Jab Gajendra ne dekha ki ab ek jhaatke mein main doob jaaunga to usko purv janm mein jo stotr jap karta tha uski yad aa gayi. Usne vichar kiya ki agar bacha sakte hain to keval hari bacha sakte hain. Om namo bhagavte tasmai yat chidatmakam purushayad beejay pareshaya dheemhi yasmindam yatam enem yadam swayam yoshmat parasmat parastam prapde swayambhav jo jagat ke mul karan hain.

sabke hriday mein purush rup se virajman hain. Samasth jagat ke ekmatra Swami hain. Jiske karan sansaar mein chetna ka vistar ho raha hai. Unmein Pranav swaroop onkar swaroop bhagwan ko namaskaar karta hoon. Prem se unka smaran karta hoon. Yah sansaar yasmin nidam yat chedam yedam ya idam swayam aha swayam bhagwan ye sansaar bane hue hain. Swayam bhagwan bas yahi baat samjhni. Bhagwan mein sthit hai. Bhagwan hi vyapt hai. Bhagwan hi sansaar rup bane hue hain. Yah sab hone par bhi is maya se sarvatha pare hain. Swayam prakash swayam siddh aise sattatmak bhagwan shri hari ki main sharan leta hoon.

ya swatma needam nijmayapitam kach vibhatam kachrohitam avi daksha bhay takshate sa atma mul vatma parat par ye vishv prapanch unhee ki maya se unmein adhyasta hai ye kabhi kabhi pratit hota hai aur pralya ho jane par kabhi pratit nahi hota parantu wo ek ras rahte hain. Srishti rahne par bhi aur srishti ka pralya ho jane par bhi wo iske sakshi hain. Wo donon ko dekhte rahte hain. Sabke mul hain. Aur apne bhi mul wahi hai. Unka koi dusra mul nahi hai. Ve samasth karya aur karanon se atit prabhu meri raksha karen.

pralya ke samay lokpal aur in sab ke karan sampurn rup se nasht ho jaate hain. Us samay keval atyant ghana gahra andhkar andhkar rahta hai. Parantu anant paramatma usse sarvatha pare virajman rahte hain. Ve hi prabhu meri raksha karen. Bhagwan ki lilaon ka rahasya janna bahut kathin hai. Ve nat ki bhanti anekon vesh dharan karte hain. Bhagwan ke swaroop ko na to devta jante na rishi jante phir dusra prani kaun jaan sakta hai? Jo wahan tak ja sake aur uska varnan kar sake. Aisi kisi ki samarth nahi. Aise mere prabhu meri raksha karen.

jinke param mangalmay swaroop ka darshan karne ke liye mahatma gan sansaar ki samasth asaktiyon ka partyag kar dete hain. Aur ekant mein akhand bhav se brahmcharya aadi alaukik vraton ka palan karte hue apne atma ko sabke hriday mein virajman dekhkar swabhavic hi sabki bhalai karte hain. Ve munio ke sarvasv bhagwan mere sahayak hain. Meri gati hai na unke janm hai na karm hai na naam hai na rup hai phir bhi unke vivid naam hai vivid rup hai vivid janm hai vivid karm hai vishv ki srishti aur sanhaar karne ke liye samyasmay par wo apni maya ko sweekar karte hain.

unhin anant shaktiman sarveshwar param brahm paramatma ko main namaskaar karta hoon. Wah arup hain. Unke koi rup nahi aur wo bahurup hain. Unke bahut se rup hain. Wo akarm hai. Wo koi karm nahi karte aur sarv karm unhin se hote hain. Aur unke karm bade atyant aashcharyamay hote hain. Aise sarv aashcharyamay bhagwan ki main sharan mein hoon. Main unko namaskaar karta hoon. Swayam prakash sabke sakshi paramatma ko main namaskaar karta hoon. Manwani chitt se atyant dur un bhagwan ko main namaskaar karta hoon.

viveki purush karm sanyaas athva karm samarpan ke dwara apne antahkaran ko shuddh karke jinhe prapt karte hain. Swayam to nitya mukt parmanand gyan swaroop ho jaate hain. Wah dusron ko bhi bhagwat prapti kara dete hain. Aise bhagwan shri hari ko main namaskaar karta hoon. Bhagwan satogun, rajogun, tamogun in teen gunon ke dharm ko sweekar karke shant, ghor aur mudh avastha bhi dharan karte hain. Aur wo tino gunon se pare bhi rahte hain. Aise bhagwan ko main namaskaar karta hoon. Bar-bar namaskaar karta hoon.

he prabhu aap sabke Swami hain. Samasth kshetron ke ekmatra gyata sarv sakshi hain. He sarv sakshi prabhu main namaskaar karta hoon. Aap swayam hi apne karan hain. Purush aur mul prakriti rup mein bhi aap hi hain. Aapko barambar namaskaar hai. Aap samasth indra aur unke vishyon ke drashta hain. Samasth prateetiyon ke adhar hain. Ahankaar aadi chhaya rup asat vastuon ke dwara aapka hi astitva prakt hota hai. Prabhu samasth vastuon ke rup mein aap bhas rahe hain. Gazab hai. Sab bhagwan bane hue hain. Samasth vastuon ke rup mein aap hain.

main aapko namaskaar karta hoon. Aap sabke mul karan hai. Aapka koi karan nahi tatha karan na hone par bhi aap mein vikar ya parinaam nahi hota. Isliye aap anokhe hain. Aapko mera bar-bar namaskaar hai. Jaise samasth nadi jharne kahin bhi ho wah sab samudra se hi nikle. Samudra mein hi jaenge. Samudra se surya rashmiyan jal kheenchti hain, varsha karti hain. Usi se talab, jharne, jheel, nadiyan aur sabka pani phir wahi pahunch jaata hai. Waise hi aap samasth ved shastron ke param tatparya hain. Aap moksh swaroop hain. Sant jan aapki sharan grahan karte hain.

at bhagwan aapko namaskaar hai. Jaise yagya ke kaasht aranya mein agni gupt rahti hai aur manthan karne par prakt hoti hai. Aise is jagat mein maya se aap dhke hue hain. Par manthan karen vichar gyan to aapka anubhav hota hai. Prabhu gunon mein shobh hone par unke dwara vivid prakaar ki srishti ki rachna ka aap sankalp karte hain. Jo log sanyasi hain, wah karm sanyaas karke jo bhakt hain, wah karm samarpan karke atma tatv ka gyan prapt karke wo ved shastron ke upar uth jaate hain. Aise atma ke swaroop mein aap hi sabke virajman hai.

aise shri hari ko main namaskaar karta hoon. Jaise koi dayalu purush phande mein pare hue pashu ka bandhan kaat de waise hi aap sharngat ke maya bandhan ko kaat dete hain. Aap nitya mukt hain. Param karunamay hain. Bhakton ka kalyan karne mein aap kabhi alasya nahi karte. Aapke charnon mein mera namaskaar hai. Samasth praniyon ke hriday mein apne ansh ke dwara antratma ke rup mein aap uplabdha hote hain. Aise sarveshwar purn anant mahimashaali bhagwan ko main namaskaar karta hoon. Jo stri mein aasakt hai, sharir mein aasakt hai, putr mein aasakt hai, bade budhon, mata pita, grih sampatti inme aasakt hai aur aapka bhajan nahi karta.

badi kathin maya hai. Par karna bada mushkil hai aur wah durgati ko prapt hote hain kyonki jab tak aapka bhajan nahi hoga, jab tak aap mein asakti nahi hogi tab tak maya mukt nahi hua ja sakta. Jeevan mukt purush sadaiv aapka nirantar hriday mein chintan karte rahte hain. Aise sarveshwar gyan swaroop shri bhagwan ko namaskaar hai. Jinki atyant chhoti kala se anekon naam rup ke bhed brahma aadi devta charachar lok ki srishti hoti hai. Un bhagwan ko main man se, buddhi se, indri se, sharir se namaskaar karta hoon.

aapki maya ahankaar prakt karti hai jisse jeev apne swaroop ko bhul jaata hai aur deh bhav mein aa jaata hai. Jeev apne swaroop ko na janne ke karan aap sarvshaktiman mahadhury mein bhagwan ke sukh se vanchit rah jaata hai. Parikshit Gajendra ne badi gyanmay bhagwan ki stuti ki. Bhinnabhinna naam rupon mein bhagwan hi prakashit hai. Par Gajendra ki stuti sunkar ke swayam bhagwan daud pare. Vishv ke ekmatra adhar bhagwan Gajendra ki taraf daude dekha ki wo bahut pidit hai. Vedam Garud par savar hokar chakradhari bhagwan badi sheeghrata se daud pare.

sarovar ke bhitar balvan grah ne Gajendra ko pakar rakha tha. Gajendra bas dubne hi wala tha. Usne dekha ki akash mein Garud par savar hath mein sudarshan chakra liye hue bhagwan shri hari usne sarovar se pushp swarn mein liya aur upar uthaya aur bade ar bhav se bhagwan ko pukara he hari he narayan he jagatguru he bhagwan aapko namaskaar hai. Kud pare bhagwan Garud ji ko chhod diya aur ek hath se pakar kar ke grah aur Gajendra donon ko bahar nikala aur sudarshan chakra se grah ko param pad diya. Aur Gajendra ko bhagwan dular kiye.

parikshit brahma shankar aadi bade-bade devta bhagwan shri hari ke upar pushpo ki varsha karne lage. Sudarshan chakra ke sparsh se grah ko wo gati mili jo bade-bade rishi muni tapasya karke chah karte hain. Grah turant ascharya mein divya sharir dharan kiya. Yah hu naam ka shreshth gandharv tha. Deval rishi ke shaap se usko yah gati prapt hui thi. Bhagwan ke priy parsad sudarshan chakra ke sparsh se wo shaap mukt ho gaya. Sarveshwar bhagwan ke charnon mein pranam kiya jo grah sharir chhodkar ke divya tejomay gandharv iske baad bhagwan ke suyas kayak yash gaan karte hue avinashi bhagwan ki kripa se wo manohar rup dharan karke antardhan ho gaya.

bhagwan ki kripa se sudarshan ji ke sparsh se sare paap tap uske nasht ho gaye the. Ab Gajendra bhi bhagwan ka sparsh prapt kiye tha. Uska bhi agyaan bandhan nasht ho gaya aur atma swaroop ka bodh prapt bodhwan mahapurush aur wo usi samay hathi ke sharir ko chhodkar Pitambar dhari chaturbhuj Shyam sharir bhagwat parsad rup Gajendra bhi ye Gajendra ko bhagwan ki smriti kaise aa pashu swaroop mein to ana hi nahi chahiye. To kah rahe hain purv janm mein dravid desh ka pandyavanshi raja tha. Uska naam indradumna tha.

wo bhagwan ka shreshth upasak atyant yashaswi raja tha. Ab jab bhagwan mein man lagta hai to sansaar aruci sansaar ke prati aruci hone lagti hai. To rajpat chhodkar malay parvat par jakar jatayen badha li aur tapasvi ka vesh dharan karke maun lekar bhagwan ki aradhna karne laga. Lekin yah nishedh hai. Grihasth dharm mein apne aap jata rakhana, apne aap vesh dharan kar lena yah nishiddh hai. Kisi guru, kisi mahapurush, kisi acharya ka anusaran karo. Unki sharan mein jao. Unki agyaa ke anusaar aisa karo. Manmani karna aparadh hai.

usi samay August rishi apni shishya mandli ke saath malay parvat par pahunche. Raja se pucha kiski agyaa se jata badha li? Ab wah aise tapasvi apne ko samjh liye ki na khade hue na pranam na koi yahi udandta hui. Do prakaar ki udandta mana tumhara man grihasth mein nahi lag raha tha. To kisi virakta mahapurush ke paas jaate. Unki agyaa ke anusaar parivartan karte. Ab wo apne aap grihasth dharm ke vesh ka tyag kar virakta dharm ke vastr dharan kar liye aur tab unhone kaha ki praja palan gastochit atit seva dharm ka partyag karke ye tapasvi ki tarah vesh dharan kiske dwara kiya indradev waise baithe kaha hathi ki tarah baitha hai bahut kruddha hue jahan gurujanon se shiksha nahi li diksha nahi li abhiman vash is tarah ka vesh tapasvi ka dharan kar liya aur apman karta hai rishiyon ka ja jad buddhi hathi ki yoni ko prapt ho par kaise bhi bhagwan ka sumiran kiya jae wah mangal karta hai saap vardan dene mein samarth August rishi ke saap se yah indradum hathi ki yoni ko prapt hue.

par bhagwan ke naam jap ka aisa prabhav ki agle janm mein antim samay mein bhagwan ki yad aa gayi. Sab kam ban gaya. Hathi ki yoni mein bhagwan ki smriti aa gayi. Bade sundar stotr ka gayan kiya aur bhagwan ka sakshatkar ho gaya aur param pad ko chaturbhuj rup narayan rup hokar bhagwan ke dham ko gaye. Kurwansh shiromani parikshit maine bhagwan shri hari ki mahima aur Gajendra ke udhar ki ye katha tumhen sunai. Yah prasang jo sunega to use yash, unnati aur manokamnaen uski purn hongi. Agar koi prat kal pavitra hokar iska roz path karega to uske samasth sankat nivatt ho jaenge.

jo prat kal indra nigrh purvak ekagrachit se bhagwan shri hari Gajendra sarovar parvat trikut parvat aur kandra aur yahan ki jo leela vriksha aadi inka smaran karega wo mere paramdhaam ko prapt hoga. Bada mangalmay prasang hai. Prat kal ki bela par bhagwan shankar ka smaran chheer sagar shwet dhoop Shri vsa kaustubh mani vanmala komod ki gada sudarshan chakra panchjan shankh paksheeraj Garun bhagwan shesh ji lakshmi devi brahma ji devrshi narad bhaktaraj Prahlad mats Kashyap Varah avatar surya chandrama agni omkar satya mul prakriti gau brahmin avinashi sanatan dharm som Kashyap dharm ki patni daksh kanya aae ganga ji Saraswati yamuna ji alaknanda eravat hathi bhakti shiromani dhruv sat brahm rishi aur nal yudhishthir Janak aadi mahapurushon ka jo smaran karta hai wo samasth papon aur sankat se mukt hokar ant mein mere swaroop ko prapt hota hai.

pyare parikshit yah jo ganjendra moksh ki katha hai brahm muhurt mein yadi suna jae jo aad se suni gayi to mrityu ke samay use bhagwan ki yad aa jaegi mrityu ke samay use bhagwan ki yad aa jaegi yadi brahm muhurt brahm muhurt 4 baje se lagta hai apni sava char char beech se shuru ho jati hai brahm muhurt mein jo katha sunega to kah rahe hain use antim samay mrityu ke samay bhagwan ki yad aa jaegi. Vrindavan mein kah rahe ho maharaj yad aa jani chahiye. Yone pratibaddha nishatya te pranathe chah dadam vimla mati Vimal mati hari smriti hari smriti bhagwat smriti ye apne logon ke kalyan kalyan ho gaya hai mast raho.

bhagwat smriti mein mast raho. Parikshit bhagwan shri Krishna ke in vachno par vishwas rakhna chahiye. Bhagwan ne panch jan shankh bajaya aur Garud par savar hue aur aisa kahkar antardhya ho gaye. Shesh charcha aa gayi. Shri Radha vallabh lal ki jai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi