kya chintan karen ki antim samay mein bhagwan mil jain ! // 31/08/26
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
jai jai shri piche ek din charcha hui thi purn nahi ho pai thi par bade mahatva ki hai isliye use ham dobara karte hain aur bahut chintan yogya yah satsang hai iska jarur chintan manan karen jisse aapka param mangal aur param kalyan hoga. Jagat guru bhagwan shri Krishna chandra jo arjun ji ko nimit bankar updesh kar rahe hain. Kah rahe antkale chamame smaran muktava kalevram yah prayag samad bhavam ya nastatra sanshya jo manushya antkaal mein mera smaran karte hue kalevlam arthat sharir ko chhota hai. Wah mere swaroop ko prapt ho jaata hai.
ismen sandeh nahi hai. Bhagwan ne kaha apni prapti ka upay ki agar jeevan mein bhajan nahi hua aur ant kal mein bhagwan ka smaran aa jae to bhagwat prapti ho jae. Chahe jaisa nich purush ho ant kal mein bhagwan ka smaran ho jae par bada kathin hai siddhant hai jo ham karte hain waise hi swapna ate hain. Purv janm se lekar abhi tak jo ham karm kiye waise hi swapna ate hain. To antim samay kaise Bhagwati smaran aa jaega? Jo jeevan bhar prapanch mein raha hai, prapanch karta raha hai, usko antim samay mein mansik prapanch ka hi chintan hoga.
bhagwan ka chintan nahi ho sakta. Haan, kripa se bhagwan ki koi bhagwan ka naam suna de. Bhagwan ki chavi dikha de, bhagwan ki katha suna de, bhagwan ka charanamrit pila de ya kisi sant ka sanidhy mil jae us samay nischit wo jeevan bhar kitna bhi paap kiya ho bhagwan kah rahe hain antkale chamav smaran muktwa kalevram sharir sharir chhote samay jisne bhagwan ka smaran kar liya bhagwan kah rahe hain mamev wo mujhe hi prapt hoga ismen koi sanshay nahi hai apne logon ka to danv lag gaya baji jit gaye koi parvah nahi apne ko antkaal mein smaran ho ki na ho kyonki jo ki Vrindavan dham mein ham log vas karte hain.
shastr mein aaya hai Ayodhya, Mathura, maya, kashi, kanchi, aravantikapuri, daravti yah sab mokshadayika hai. Agar yahan sharir chhutta hai to chahe jitna papi ho lekin puriyon ke pratap se use bhagwat prapti hoti hai. Jaise koi kashi mein sharir chode ya Dwarika mein chode ya Mathura mein Ayodhya mein ye dham ka prabhav hai. Phir sarv dhamo mein sarvshresht Vrindavan dham hai. Kaise? Kahin ki raj ka mahatva nahi varnan hua hai. Braj raj ka varnan hua hai. Kisi bhi puri ya dham ki mahima amog hai. Par raj ka varnan nahi hua.
aur yahan ki raj ka varnan itna mahapurushon ne kiya hai ki agar ek kan raj kahin bhi koi mar raha ho aur uske mukh mein dal di jae ya sharir se sparsh kara di jae Vrindavan ki raj to bhagwat dham ko prapt hoga. Uski durgati nahi hogi. Apne to sampurn sharir se is raj mein vas kar rahe hain. Je Renu par marbo mangal ay is raj par agar sharir chhutta hai to param mangal hota hai. Par dhyan rakhiye praarabdh bhi balvan hai. Yadi aapne niyam purvak Vrindavan ki nishtha nahi li to praarabdh aapko antim samay bhaga dega.
yah kai udaharan hamne dekhe. Ab nishtha ki avshyakta hai. Pran tajo banna tajo kaho baat ko labh. Chahe lakho prakaar se samjhao ham pran tyag sakte hain lekin Vrindavan nahi chhod sakte. To antim smaran jo hoga wo yahan kishori jo ki sakhiyon ke pratap se badi dayalu hai sakhiya kishori se bhi badhkar dayalu hai jo shri ji ki sakhi hai asht pradhan sakhi phir vrinda sakhi phir yamuna ras rani phir aur bhi bahut si sakhiya shri ji se zyada kripalu hai kyonki ye shri ji ka poshan karte hain. Itni dayaluta kripaluta vatsalya hai ki sakhiya Priya pritam ka poshan karti hai.
jis samay yahan kisi ka sharir chhutta hai kya na karen. Karne par durgati ho jaegi. Isliye bol rahe hain ki jaise koi agyaan mein soche ki haan sharir chhorne se bhagwat prapti hoti hai to ham kisi bhi tarah se sharir chhod den. Ham sharir chhorne ka adhikar nahi rakhte. Ham apne karmon ko bhogte rahe aur swabhavic sharir yahan chhute to vrinda sakhi ke ishare se koi na koi sakhi uske hriday mein Radha namit kar degi, kripa kar degi aur wah ladli ji ko prapt hoga. Par dham nishth badi chuk ho jati hai. Bahut varsho baad bhi hamara moh nasht nahi hota.
hamari sharir ki asakti nasht nahi hoti. Isliye akhri mein bhagwan ka smaran usi ko hota hai jo jeevan bhar bhajan karta hai. Mad bhavam bhavita mere bhav se jo bhavit hai bhagwat bhav mein rahna bahut siddho ka kam hai. Ye sadharan kam nahi hai. Mala chala lena, thodi der thakur seva kar lena, path kar lena yah ho sakta hai. Lekin bhagwat bhav mein har samay prabhu mein har samay aapke antarik bhav mein keval Priya pritam hi hai. Bas nirantar jaise Harivansh mahaprabhu kahte hain jagrit swapna sushupti mein Radha pda chhata Radha pda chhata jagrit mein hai ya swapna mein hai ya sushupti mein hai sushupti mein hamara kya adhikar?
jagrit mein to hamara adhikar hai ki ham Radha Radha lekin swapna mein sushupti mein to tadbhav bhavita jab aap nirantar bhajan karenge jagrit mein to swapna aapke achhche ane lagenge. Aur sushupti mein bhi bhagwat smaran chalta rahega. Jiska jagrit swapna aur sushupti tino mein bhagwat smaran hota hai. Wah jite ji jeevan mukt mahapurush hota hai. Uska yah nahi ki antim kal antim kal har samay wo bhagwat paraayan hai. To antim kal bhi bhagwat paraayan rahega. Bhagwat kripa se wo bhagwan ko prapt hoga. Jis jagah bhagwan ke naam ka kirtan hota hai bhagwan ki katha hoti hai, satsang hota hai.
agar us jagah mrityu ho jae to tumhare smaran ka bhav nahi liya jaega. Us jagah ke prabhav se aapko bhagwat prapti ho jaegi. Puriyon mein, bhagwat dham mein ya bahar kahin jahan roz satsang hota hai, bhagwat katha hoti hai, naam kirtan hota hai, wahan mrityu ho jae to use bhagwat prapti hogi. Ya ant kal mein koi bhagwat prapt mahatma ka darshan ho jae. Ab yah badi durlabh baat hai. Sant daras yah bahut durlabh baat hai. Bin hari kripa mile nahi santa. Waise bhi bina bhagwan ki kripa ke sant sang nahi milta.
phir antim samay jeevan bhar bhajan nahi kiya lekin antim samay mahatma ka darshan ho gaya. Ab wo bhagwat prapt ho jaega. Ant kal mein bhaykar paristhiti hoti hai. Bada kasht hota hai. Janmat marat dusha dukh ho. Usmen hamko bhogna hai. Ham sabko marna hai. Aaj nahi to kal. Ye panch tattvo se bana hua sharir ye bikhrega. Nasht hoga. Isse zyada pyar mat karo. Jite ji iska rag mitakar bhagwan se pyar kar lo. Tumhara janm lena sarthak ho jaega. Agar aapne marte samay tak keval vihaar aur prapanch ka poshan kiya to aapki durgati pakki hai.
par apne logon ka to saubhagya uday ho gaya. Vrindavan dham, vani path, naam jap, naam kirtan, satsang yah sab prapt hai. Par savdhaan rahna kyonki Vrindavan mein swar, kutta aadi bhi jeev hai. Agar hamse aparadh ban gaya to antim mein phir bigad jaega. Aur ek janm keval ek janm hamen aur yoni mein jana padega aur phir hamen bhagwat prapti ho jaegi. To ek janm kyon jae isliye Vrindavan bas ke itno bo sayan jugal charan ke bhajan bin nimish na deej ja ek pal ke liye bhi Priya pritam ko mat bhulo shyama Shyam radheshyam Radha vallabh shri Harivansh Radha Radha Radha Radha Radha yadi sharir se kutumb se rupaye se prem hai to antim bigad jaega.
jite jit se sambandh hatao. Sharir se prem mat karo. Sharir ko uchit bhojan do. Uchit vishram do. Raat din isse bhajan karao. Seva karao. Sad granthon ka swadhyay shravan karao. Aalsi mat bano. Abhyaas se sab kuch prapt kiya ja sakta hai. Abhyaas se nind par vijay prapt ki ja sakti hai. 8:00 baje soe the 11:00 [gala saaf karne ki aawaz] baje jag gaye the tab se aur ham hi nahi jo 101 sant yahan rahte hain wo sab sab 11:00 baje bahar kamal kund ke paas baithkar bhajan karte hain. Sab baithe beech mein ham baithe kursi mein aaspas sab baithe hain.
din mein thoda vishram raat din lago aise jaise garib aadmi dhan kamane ke liye lagta hai. Zyada soo mat. Yadi adhyatmvan banna hai to nind par vijay prapt karni hai. Hansi majak par vijay prapt karni hai. Bhookh pyas par vijay prapt karni hai. Aur jagat priti se bachna hai. Jagat se priti nahi karni. Aaj ek bahut bade mahatma ke darshan hue swapna mein. To unse kuch satsang unhone sunaya. Bahut brahmaleen mahatma the. Shri omkaranand Saraswati ji to pahla unhone shabd yahi kaha beta jab tak brahm sakshatkar na ho jae tab tak updesh nahi dena chahiye.
[nak se ki jane wali aawaz][gahri sans lene ki aawaz] dusra shabd kaha sansarik purushan se milne se unki malinta nasht hoti hai. Lekin wo malinta us sant ke upar aa jati hai. Bahut se sutra unhone batae. Aaj swapna mein bada kritarth kiya. Bade-bade mahapurushon ka sanidhy milne lagta hai. Jab shri ji ke charnon ki shuddh sharanagati ho jati hai. Sharir keval bhagwat prapti ke liye mila hai. Isliye isko khub ragdo. Jag karke khub bhajan karo. Yadi nind aati hai to tahlo. Bata rahe hain abhyaas mein badi takat hai.
hamko koi jagata nahi kabhi alarm nahi lagaya jeevan mein. 10 panch minute ke antar ki baat nahi kahte. Theek samay se netr khul jaenge. Aap log abhyaas kijiye. Nind par aur bhojan par aur jnendriay par jisne vijay prapt kar li uske liye kuch durlabh nahi hai. Jab mera makan hai aisi dridh bhavna ho jati hai to antim samay makan mein vritti phas jati hai. Mar raha hoon chhut raha hai. To wo makan to banega nahi. Wo makan ki chhipkali banega. Chuha banega. Aise jeev jantu jo makan mein hi chipke rahe makdi banega wahi jala lagega dhan mein saanp banega bahut si durgatiyan parthiv vastuon ke chintan se ho jati hai.
antim samay parthiv chintan hua aur uski durgati ho gayi. Jisne ye jeevan mein man liya ki bhagwan ke siva mera koi nahi hai. Yah sab kuch bhagwan ka hai. Andar se man liya uska antim samay bahut accha jaata hai. Kyonki us samay jimmedari bhagwan ki hai. Uska Bhagvati ki smaran banna. To jisne jeevan mein ye mana ki priyaju meri hai. Main priyaju ka hoon. Priyaju ke siva mera kuch nahi hai. Ye manne matra se aapka kalyan ho jaega. Kuch dena dena nahi. Yah manne matra se main prabhu ka hoon aur prabhu mere bahut bada mantr hai.
ye andar baith jae. Hriday mein aa jae ki prabhu ke siva mera koi nahi. Andar baithna bada kathin hai. Baba ji banne par bhi ghar parivaar ka rag bana rahta hai. Andar se rag bana rahta hai. Bahar se ham katuta ka vihaar bhale kar de jao nahi milna lekin andar se rag bana rahta hai. Bahar se milo andar se rag mat karo. Na apne sharir se na sharir sambandhi se, na makan se, na dhan se, na vihaar se. Koi sadhak ya koi prani mrityu ke samay mein swayam bhagwat smaran kar sake. Ye bahut kathin baat hoti hai kyonki us samay kamon ki sthiti hoti hai.
murcha ki sthiti hoti hai. Bahut dukh ki sthiti hoti hai. To jeevan mein jab hamne bhajan kiya to antim samay hamara smaran bhagwan bante hain. Chahe murcha mein ho chahe ham kama mein ho. Isliye bhajan mat chodo. Pratiphal bhajan karo. Jo chahat hai nitya sukh ar man ko vishram hit dhruv hit so bhajat raho pal pal shyama Shyam pavitra ho ya apvitra kisi desh mein ho apvitra desh mein man lo aapka sharir chala gaya uttarayan ho ya dakshinayan Shukl paksh ho ya Krishna paksh din ho ya ratri prat ho ya sayam kisi bhi kal mein jagrit swapna sushupti murcha koi bhi avastha ho bhajnandi ki durgati nahi hoti.
jaise kahte hain na dakshinayan mein sharir chode to phir kuch bhi ho koi bhi desh kal pavitra pavitra dakshinayan uttarayan prat sayam to bhi jo bhajan karne wala hai use bhagwan ki prapti hoti hai ye sab nahi rok pate agar bhajan nahi hai bhagwan ka smaran nahi hai to aap kisi bhi tithi ko mare mein kisi bhi uttarayan aadi pavitra to aapko swarg aadi ki prapti ho sakti bhagwan ki prapti nahi ho sakti bhagwan ki to madad bhavam bhagwat bhav se hi bhagwan ki prapti ho sakti hai anya se nahi sadhak jis din se bhagwan ko apna man leta hai to uska manna to jhutha ho sakta hai lekin bhagwan usi dil se usko apna man lete hain.
isliye roz yah smaran karo main Priyaju ka priyal ka aur priyal mere to mera manna jhutha ho sakta hai. Mera bolna jhutha ho sakta hai. Lekin prabhu sacchidanand Rupa hai. Prabhu satchidanandmay hai. Wo aapki baat sweekar kar lenge ki tu mera isi se kalyan ho. Bahut se kalyan ke sadhan batayen. Dhamo mein vas karna, santo ka sang karna ya jahan satsang naam kirtan aadi hota ho, wahan vas karna ya apne ghar ko hi aisa bana lena ki roz satsang ho, naam kirtan ho, bhagwat katha ho ya nirantar bhagwan ka smaran karna, sant mahatmaon ka andar se prem karna, unka sang karna, bahut se sadhan hai jinke dwara hamara kalyan kalyan ho sakta hai.
sadhako ke siwai jin manushyon mein thoda bhi astik bhav hai bhagwan hai. Bhale usne mera nahi mana aur bhagwan bade kripalu hai. Par wo sansaar ke rag mein to ant samay mein uski unnati ho jaegi. Bhagwan koi na koi aisi kripa karenge ki na moksh ko prapt hoga to agla janm phir hoga aur wah bhajnanandi banega. Jisne keval itna man liya hai ki bhagwan hai to bhagwan bade kripalu hai. Shri bhagwan kahte hain yam yam wa smaran bhavam tajatte kale varam tam tame kaute sada tad bhav bhavwita he Kunti putr arjun manushya jeevan bhar jis jisaj bhav mein bhavit rahta hai ant kal mein wahi bhav rahta hai.
antkaal mein jo bhav rahta hai wo usi sharir ko prapt hota hai. Usi yoni mein chala jaata hai. Bhagwan ne badi daya karke ye baat bataai. Nahi ham to bhule hue sansaar mein hain. Bhagwat bhav ke bina hamara kalyan nahi hona. Aur dekho kitni sasti baat hai ki agar ham chuha ka smaran kiya to chuha ban gaye aur bhagwan ka smaran kiya to bhagwan ban gaye. Bhagwat swaroop ho gaye. Matlab jitne mein chuha ban sakte hain utne mein bhagwan ban sakte hain aap. Antim smaran ke samay yadi aapka bhagwan ka yam yam wa smaran bhavam taj tate kalevram jis jisaj bhav se bhavitra rahoge aur sharir chhutega wah aap usi bhav ko prapt honge swatantrata di hai bhagwan ne aapko aap jo chaho chintan kar sakte ho paap ka chintan kar sakte ho punya ka chintan kar sakte ho bhagwan ka chintan kar sakte ho.
ab aapko dekhna hai ki aap kya chintan karte ho. Iska parinaam hai. Aisa na socho. Aap 10 minute chintan kar rahe hain. 10 minute chintan aapke jeevan ko prakash mein pahuncha dega. 10 minute ka bhajan aapke jeevan ko unchai par pahuncha dega. Bhagwan ka bhajan kabhi vyarth nahi jaata. Ye mat socho mera man nahi lagta. Ye hai wo hai. Nirantar bhajan nahi kar pate. Jitna kar pa rahe ho utna aur dhire-dhire badhate raho. Thoda bhajan bhi bhakti ka thoda bhi ansh agar aapke hriday mein aa gaya hai to ham ye to nahi kahte moksh ko prapt ho jaoge, bhagwan ko prapt ho jaoge par aapki unnati ho jaegi.
aapka agla janm aisa avsar bhagwan denge jisse aap accha bhajan kar paoge. Agar pashu pakshi bhi banoge to bhakt ke ghar ke banoge. Jahan bhagwat charcha sunne ko mile, bhagwat naam sunne ko mile. Bhagwan kah rahe hain ki dusre janm ki antkaal nirnay karega ki aap kya banoge. Antkaal ka samay jaise photo kheenchne ka samay hota hai na waise hi hota hai. Bilkul par wo ek second ka hota hai. [gala saaf karne ki aawaz] jaise photo kheenchne wale ne ek se kaha theek se baitho thoda muskurao. Ab wo muskurane ki cheshta ki to makkhi baith gayi nak pe.
usne makkhi ko hata diya. Na utne mein photo khinch gayi. Dusre din photo lene gaya. Usne kaha paisa nahi denge. Photo bigad di. Bole hamari camera ne nahi bigadi. Photo tumne bigadi hai. Bilkul vaisa hi antim samay hiran ka chintan hua. Hiran ban gaye. Bharat ji maharaj jo bhagwan ke putr the. Bhagwan ne koi gunjaysh nahi rakhi. Dekh lo. Apne putr mein koi gunjaysh nahi rakhi. Agar antim samay hiran ka hua to hiran ban gaye. Puran ka stri ka hua wo stri ban gaye. Hamara antim samay jo agla janm hona hai wo isi janm mein nirnay karta hai ki ham kya baenge aur yadi madadbhavam tadbhav bhavita to isi jaise hamne kai bar kaha hamara kam ho gaya to koi wahan se likhat thodi aaya ki hamara kam ho gaya.
andar ki baat dekh ke kahte hain shri ji ke charnon ki anannya aashray wali vridhi guru kripa se aur bhagwan ke chintan ka prayas nirantar usse pata chalta hai ki hamara kam ho gaya. Koi akanksha nahi, koi chah nahi hai, koi kamna nahi hai, kisi se rag nahi, kisi se dves nahi. Guru kripa se to ham kahte hain hamari atchi tayyar hai. Bilkul fit. Ab koi hamen yah nahi nazar aa raha hai prabhu kripa se ki yahan man atak sakta hai kyonki dikhayee deta hai na apne ko pata chalta hai. Bandhan ya moksh kisi dusre ko pata thodi chalta hai.
wo apne hriday ko pata chalta hai. Jaisa swabhav bana loge, jaisa chintan karoge, vaisa hi tumhara agla janm hoga. Nahi to ye antim janm hoga. Yadi nirantar bhagwan ke chintan mein raho. Antkaleen ki gati ko sambhalna hi manushya jeevan ka param labh hai. Jo jite ji sambhal jaata hai use antim ki parvah nahi rahti. Jite ji sambhal jana har paristhiti mein khate pite sote jagte uthte baithe karm karte hue nirantar jo bhagwan ke bhav mein naam jap chalna aur bhav mein rahna antar hai. Ho sakta hai tumhara naam jap na chal raha ho lekin aap bhav mein bhavit hai.
tad bhav bhavita bhagwat bhav bhav aapka param mangal ho jaega. Bhav ana bada kathin hai. Yah deh bhav ye jagat bhav ye bhog bhav ye tad bhav nahi ane dete. Bhagwat bhav nahi ane dete. Nahi bhav bhajta ras kamdhenu shri ji hain. Isiliye bhagwan ne age ke shlok mein kaha tasmat sarveshu kaleshu mamma yuddh marpit mano Buddha mame vaishy sanshyam bhagwan kah rahe hain isliye tu sab samay mera smaran kar mera bhajan kar bhagwan adesh kare maha manushma aur yuddh bhi kar arjun se kah rahe hain yuddh bhi kar aur mera smaran kar isse kya hoga mere mein man buddhi arpit ho jaegi aur nisandeh tu mujhko hi prapt hoga vasna yas yatras sa swapne pashyati jaise ham jaisi vasna se hote hain vaisa hi swapna dekhte hain aise hi swapnav marne gay vasna tapur nanam marte samay vasna rup dharan karti hai aur wahi agli yoni ko prapt hota hai.
jaise suar banna hai to agle samay vasna suar ki aisi smriti aayegi aur aapka mansik rup wahi suar rup hoke agli bar jo janm hoga wo sukar ke rup mein hoga. Kutta ham kahte hain pyar karo sab mein bhagwat bhav se pyar karo lekin aisa pyar mat karo ki aapko agli bar kutta hi banna pare. Hamen sab jeevan se priti karni hai lekin bhagwat bhav se karni hai. Namdev ji ne kutte mein bhagwan ko prapt kar liya. Usmen bhi bhagwan vas karte hain. Ham nishedh nahi karte ki dekhte hi kisi bhi jeev ki taraf ghrna mat karo.
sab mein bhagwan vas karte hain. Charachar jagat mein jad chetan jag jeev ja sakal Ram mein jaan sab mein bhagwan. Lekin vihaar sabka alag-alag hai. Vihaar agar hamara theek nahi raha to hamari durgati ho jaegi. Arth ki prapti ke liye ya sammaan ki prapti ke liye shastr rahit baat kahna ye sant vesh mein shobha nahi deta. Kyonki sant vesh guru pad hai. Koi bhi sant ho wo grihasth ashram se guru pad mein hai. Grihasth ashram ke guru to har sant ki vani grihasth sunte hain aur usko apnate hain. To aisi vani bolna chahiye jo shastr pramanit honi chahiye.
to yahan hamen yah savdhaan rahna hai ki pashu pakshi ki seva karni hai. Yahi to chuk ho gayi bharat ji ko. Hiran se prem kar liya. Gale mein liptae ghum rahe hain. Kandhe mein baitha le ghum rahe hain. Hari hari ghas ka tinka pawa rahe hain. Bahut pyar kar rahe hain. Beta tera mangal ho. Aap padh ke dekho bhagwat mein aise dular karte ho kahte beta tera mangal ho. Sarv mangal ho. Aur bas sari bhagwat bhakti chhut gayi aur usi beta patni putr parivaar jis prabhu ke liye chhoda tha aur hiran ke bachchhe se pyar hone ke karan agla janm hiran ka hua.
to hamko yah savdhaan rahna hai ki hamari jo prabhu ke prati apnapan hai us apnepan mein koi na ane pave nate ne Ram ke manat suhad suse ja lo anjan kaha aankh je phute bahut kaho kaha lo wo pyar kya jisse hamari durgati ho jae wo anjan kya jo aankh mein lagae aur aankh phod de bhagwan ke sambandh se bhagwan ke sambandh se hamko vihaar karna hi padega kyonki vihaar mein ji rahe hain. Vyakti vastu sthan sab ka prayog karna hi padega. Par bhagwat bhav se tasmat sarveshu kaleshu mas yuddh mane kartavya karm jo bhagwan ka nirantar smaran karte hue seva kisani vyapar nokri aadi sab karte hain.
ye sab bhagwat bhakt hai. Ye sab bhagwat prapt honge. Nirantar bhagwan ka smaran karte hue koi bhi kriya nirantar nahi rahti. Kriya chahe yuddh ho, chahe vyapar ho, chahe kisani ho, kriya nirantar nahi rahti. Lekin bhagwan ka smaran nirantar rah sakta hai. Uthte baithe, chalte, phirte, kam karte hue ya bina kriya ke man lo aap baithe to bhi bhagwat smaran. Sab samay mein smaran karne ke liye kahne ka tatparya hai koi bhi kriya koi bhi samay prahar minute bhagwan ke smaran se rahit na ho. Sona jagran ab jaise sote samay jo sadhak jan hai wah sote nahi hai bhagwan ka smaran karte hue behosh ho gaye aur jab jage to phir bhagwan ka smaran to nidra samadhi sthiti unki nind samadhi mani jaegi.
aise hi ham kisi kriya mein lage seva mein aur naam chhut gaya aur seva hui aur phir naam smaran to wo naam hi smaran mana jaega. Nirantar hi mana jaega. Jaise aap Soni laga rahe hain, fawda chala rahe hain aur aap tanmayata purvak karya kar rahe hain. Naam chhut gaya. Pehle naam smaran kar rahe the aur jab kriya band hui tab phir naam smaran hua. To beech mein jo samay gaya wo naam smaran bhajan hi mana jaega. Wo nirantar bhajnanandi mana jaega jo aise kar raha hai. [nak se ki jane wali aawaz] bhagwan bade kripalu hai.
yadi ham bhagwan ki kripa ka aashray le le to bhajan hone lagega. Bina bhagwan ki kripa ke bhajan nahi ho sakta. To pakki baat hai. Sab kuch ho sakta hai. Bhajan nahi ho sakta. Isiliye sevak ji ne bahut vichar karke kaha Harivansh kripa Harivansh kahe Harivansh kahe Harivansh laye Harivansh ki jiske upar kripa hai wahi Harivansh bol sakta hai. Krishna ki jiske upar kripa hai wahi Krishna Krishna bol sakta hai. Kishori ji ki jiske upar kripa hai wahi Radha Radha bol sakta hai. Ham kripa banae prabhu ki. Waise to bahut kripa hai. Phir bhi ham kripa ki yachna karen aur jo bhi karm karen bhagwat arvan karen aur nirantar naam jap karte hue antim tayyari karen ki hamen shri ji ke paas jana hai.
hamen divya Vrindavan mein divya Priya pritam ki seva mein jana hai. Aisi bhavna banao. Jaisi bhavna karoge waise hi bhagwan aapki bhavna ko purn karenge. Jo ichchha kar ho man mahi hari prasad kuch durlabh nahi isliye sab bhajan pray raho jeevan ka param labh bhajan hi hai shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…
- Vrindavan ki diksha ka kitna bada phal hai? / bhagwan shrikrishna ka prakty // 20/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand [gala saaf karne ki aawaz] raso purnam hrid pritam madhupte smarta mugam nirvapay param shital masya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj…