sab sukho ka mul kya hai? / sharanagati ka vastvik swaroop // 30/08/26
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhupte smarta mugam nirvai param shital maya param shital ma ya shri swamini jo hit sajni jo se ekant mein jab pritam Priyaju ki veni guthne ke liye sameepastha kunj se pushp chayan kar rahe hain. Usi samay hit sajni jo se apne hriday ki baat shri Priya jo kah rahi hai joi joi pyaro kare soi [gana gane ki aawaz] mohi bhave bhave mohi [gana gane ki aawaz] joi soi soi kare pyare [gana gane ki aawaz] mu ko to bhavati [gana gane ki aawaz] thor pyare ke nainan mein [gana gane ki aawaz] pyaro bhyo chahe mere nainan ke tare pyaro bhyo chahe mere nainan ke tare mere tan man pran hote pritam priy apne koti pran pritam so hare jai shri hit Harivanshas hans hansini saval gaur [gana gane ki aawaz] hans hansini saval gaur kaho kaun kare jal tarang nyari joi jo hi pyaro kare soi mohi bhave bhave mohi joi soi soi kare pyare pyari jo kahte hain he sajni joi joi pyaro kare mere pyare jo vidhan rachte hain jo karte hain wahi mujhe mujhe accha lagta hai.
priti ka yah swaroop hi hai. Tera kiya mitha lage. Agar apni koi chahat, apni koi manyata aur uske pratikul pritam ka vihaar hai, nirnay hai to mujhe agar pratikul bhasta hai to hamari sharanagati hi nahi. Upasak upasya dev mein samarpit hai. Upasya dev sarvagya hain, sarvatra hai, sarvshaktiman hai aur hamen bahut pyar karte hain. Yah sharanagat ko hriday mein dharan karna hoga. Hamare aradhya dev jo bhi hamare liye vidhan karte hain, wah param mangal ke liye karte hain. Pakka. Ham alp soch wale apni anukulta ko lekar sochte hain ki inka kiya hua vidhan hamari anukulta ke pratikul hai.
yah hamari sharanagati mein bahut bada kalank hai. Pyari ji kya kah rahi hai? Joi joi pyaro kare soi mohi bhave. Mere pyare jo jo karte hain pritam wah mujhe accha lagta hai. Yah pahli samarpan vritti apne pritam ke prati jab is koti ka samarpan upasak ka hota hai to upas dev yatha mam prapaddyate taath bhajamyam bhagwan shri Krishna chandra jo gita mein kahte hain jo mujhe jaise bhajta hai main use waise hi bhajta hoon. To dusri pankti mein pritam ki baat kah rahe hain ki bhave mohe joi soi soi karen pyare jo mujhe bhata hai wahi mere pyare karte hain.
ismen kya hua? Ruchi ek ho gayi. Pritam ki aur pyari jo ki ek ruchi hai. Aise hi sharanagat ki aur sharan ki ek ruchi. Sharan jaisa vidhan karta hai sharanagat ko vaisa hi ruchikar hona chahiye. Aur hota hai. Agar nahi hota hai to aap sharanagat nahi swarth ka vyapar karte hain. Aur jis samay aap apne sharan ki ruchi mein ruchi mila diye to sharanya aapki ruchi ke anusaar chalne lagega. Bhave moh joi soi soi karen. Pyare yah siddhant hai. Yahan to pyari jo apne hriday ki baat kah rahi hai ki mere pritam jo jo karte hain wahi mujhe accha lagta hai.
jo vidhan rachte hain aur mujhe jo accha lagta hai wahi mere pyare karte hain. He hit sajni jo moko to bhavati thor pyare ke nainan mein upasak ki ek ek vritti apne aradhya dev ki ruchi ke anusaar unke rukh ko dekhte rahte hain. Hamare pritam ki kya ichchha hai? Kya ruchi hai? Pritam ke netron ko, mukharvind ko, pritam ke bhav ko upasak dekhta rahta hai to bole to bahut unchi sthiti hai. Chodo to shastr jo agyaa kar raha hai wo pritam ki hi agyaa hai. Tasma shastram prmanam te karya karya vyvasthit yadi aapko apne aradhya dev ki anukul chalna aa gaya to aap sadaiv aradhya dev mein hi nivas karenge.
agar aisi sthiti hui to aap apne netron se dekhenge pyaro bhyo chahe mere nainan ke tare yahan pyari jo kah rahe mo ko to bhavati thor pyare ke nainan mujhe rahna accha kahan lagta hai pritam ke netron mein aur pyaro bhyo chahe mere nainan ke tare wo to mere netron ki putli bane hue hain jab ham ise siddhant bhav mein lete to jab upasak sarvatra apne prabhu ko dekhta hai yomam pashyati sarvatra sarvam cham pashyati tasyah na pranasyami sach mein na prannasati jo mujhe sarvatra dekhta hai sabko mere mein dekhta hai main uske netron se kabhi ojhal nahi hota main sadaiv uske netron mein vas karta hoon arthat uski bhagwadakaar vritti ho jati hai.
yahan to pyari jo kah rahi mujhe rahna accha lagta hai pritam ke netron mein aur pritam to mere netron ki putli hi ban gaye. Tisra pehle mein ek ruchi dusre mein ek drishti tisre mein ek pran. Dekho pyari jo kah rahi mere tan man pran hu te pritam priy yah sthiti upasak ki premavastha mein hoti hai. Sharanagati mein ise samarpit kiya jaata hai. Tan man [gala saaf karne ki aawaz] aur pran jeevan samarpit kar diya. Bahut kathin hai ye. Keval pravachan kar lena aur sun lena saral hai. Lekin tan man pran samarpit karna bahut log bolte hain aise apne se sab kuch samarpit hai aapke charnon mein anukulta mein pratikultaa mein bilkul nahi paya jaata.
100 mein ek pratishat nahi paya jaata. 100 mein ek pratishat nahi paya jaata. Yah satsang hai. Ise dimaag mein baitha lo. Na tumhara koi putr hai, na putri, na patni, na pita, na mata, na wahi ek sacchidanand natak kar raha hai. Usi sacchidanand ke is maya vilas se mukt hone ke liye guru ka aashray lekar tas shastram prmanam isse chala jaata hai. Tab maya mukt ho jaata hai. Khilwad samjhte ho maya se mukt hona. Ham tan mein fanse hain. Ham apne man mein fanse hain. Apne prannon ke poshan ke liye manmani aacharan kar rahe hain.
sharanagat hokar ke sharanagat hokar ke bilkul sharanagati ke virudh aacharan bhagwat prapti karni hai. Parmanand mein sthit hona hai. To mere tan man pran hote pritam priy yah sharanagat ki sthiti honi chahiye. Jab aap paramarth mein chalte hain to aapki paramarth ki paripakwata ke liye prashn khada hota hai jeevan mein. Aapke nahi har paramarth ke pathik ke jeevan mein prashn aata hai. Ek taraf hota hai sansaar aur ek taraf hote hain bhagwan aur sadguru. Ab tumhare kadam kidhar badhte hain? Sadguru ki taraf, ishwar ki taraf, isht ki taraf ya sansaar ki taraf.
to prayah 100 mein 99 dekhe gaye wo sansaar ki taraf khade ho jaate hain aur prashn mein har jaate hain. Uttar nahi de pate. Aur agar prabhu ki taraf khade ho jao to sansaar tumhara ujjwal ho jaega. Bada mangalmay ho jaega. Jo bandhan karak hai wahi moksh ka karan ban jaega. Aise vastu pao to bhagwan kahte hain mere ko arpit kiye bina jo pata hai wo paap hai. Aur prabhu ko arpit kar diya to prasad hai. Prasad sarv dukh naam hani raste. Jab sansaar ki taraf khade hue to ab paap gher lega aur prabhu ki taraf khade hue to prasad ho jaega.
yah sansaar ye param mangalkari sukh pradan karne wala ho jaega. Par bahut kathin hai. Phir main kah raha hoon hamare man ke anukul to hamara tan samarpit man samarpit pran samarpit aisa ham bol denge aur jab prashn khada ho jaega to sansaar ki taraf khade milenge. Isht guru ke paas nahi. Yahi dhokha hota hai. Yahi dhokha hota hai. Samarpit janon ka ek nishth swabhav hota hai. Sharan ke prati jo samarpan hua uski yad bhi na ave. Samarpan samarpan ki smriti ka bhi tyag yantravat. Ek bar ekant mein muradhwaj ki charcha bhagwan kar rahe the ki aise mahan bhagwat jo mujhe adhin kiye rahte hain arjun tumse satya kahta hoon tribhuvan mein muradh jaise premi jan samarpit jan bahut kam hote hain.
to arjun ji ne kaha prabhu aapki aksharsa baat satya hai par kya main aapka samarpit das nahi hoon kya bhagwan ne kaha hamne yah to nahi kaha par yah kaha moradhwaj jaise bahut kam hote hain. Bole prabhu kya ham us pankti mein nahi hai kya? Prabhu ne kaha nahi aap nahi. Kaha prabhu main aapke saath vinod karta hoon, prasad pata hoon, khelta hoon. Aap hamare pran priy hain. Hamara astitva hi aap hain. Aur aap kah rahe hain moradhwaj ki pankti mein nahi. Kya hamare samarpan mein kami hai? Bole chalo pehle tumhen moradhwaj ki mahima dikhate hain.
phir tumhen batte hain. Gaye sant bhesh mein bhagwan aur maya se sinh rup diya bhiksham de koi bhagwan ka rup nahi sant rup wo nikle sashtang dandvat kiya aho bhagya hamare bada anugrah hua aaj mere hari ka ki aaj hamare yahan atithi rup mein sant bhagwan padhare jo prabhu moh anugrah kina to tum ai daras hat dina badi kripa badi kripa kripa aao prabhu padharo charan prakshaln kiye charanamrit liya prabhu bas kuch kshan virajie uttam uttam bhog lagakar shri bhagwan ko abhi prasad pawate hain nahi mujhe bhookh nahi lagi mere sinh ko
lagi prabhu sinh ke liye kya kya vyvastha kar sakte hain sinh to koi ghas shiv santra ya chappan bhog thodi pata hai wo to mans khata hai prabhu mans ki vyvastha ham vaishnav hai kahan se kar sakte hain to na bol do nahi na bhi nahi bol sakte aap atithi rup mein padhare hain ab ham pata lagate hain kahin koi kasaeevada hoga wahan se ham kharid ke layenge aapke sinh ko jarur pavaenge bole nahi aaj main sinh ko kasai vade se pawane ke liye aapke yahan bhiksha nahi karni hai to kisi ke yahan bhi kar leta
aap apne ghar se pavaie bole prabhu hamare ghar mein to vaishnavta hai, satvic ahar hai. Bole aapka putr hai na? Haan prabhu to phir aap usko kaat ke pawa dijiye. Haan prabhu aisi to hamari smriti hi nahi gayi thi. Badi kripa ki aapne avashya avashya. To kuch kshan ruke. [gala saaf karne ki aawaz] putr se kaha beta aaj tumhara jeevan safal ho gaya aur mera pita hona sarthak ho gaya. Sant aae hain aisa aisa kah rahe hain. Kya tum is vishay mein swikrati dete ho? To unka putr ka tan pran [gala saaf karne ki aawaz] sab pita ke liye hota hai.
aur mere pita dharm ke liye mera jeevan de rahe hain. Isliye main sahas sweekar karta hoon. Aap abhi katie aur sinh ke samne saath le gaye aur kaha ya to sinh hi aakraman karke pale ya phir adesh karun main kaise pavaun to unka kaha tum aur tumhari patni ise khada kare beech mein se are se cheer kar phir pavaye na tumhare ashru na putr ke ashru aisa satya maniye aisa hi aur bade hi vajrad kathoran bhagwan kushmadap komlani to vajrad kathoran ka swaroop dikhaya bilkul nirapeksh bada charit hai wo to bhagwan sarvlok maheshvar aisa hua ki arya se cheera aisa wo divya tejomay balak kahin koi
kharoch bhi nahi leela thi bada charit hai ekant mein arjun ko le gaye mere bole mere bhanje hain Abhimanyu ji tumhare putr hain aur veeragti ko prapt hue main lakh bar samjha raha tha tumhara moh nahi gaya rona nahi gaya aur wo ek sinh ke liye mujhe shri Krishna jaan ke nahi shri Krishna ka das sant jaan ke meri agyaa ke liye ada chala diya isliye uski samanta tum kadpi nahi kar sakte arjun jisne tan man pran samarpit kar diye ise kahte kahte hain samarpan pakka 100 sharngat mein ek bhale nikalna chahe ek ho koi birla nahi aisa aur chahte hain ham Divya divya bhagwanand ki prapti dekho kisi kriya ya kisi tap ke dwara bhagwanand ki anubhuti nahi hoti tan man prannon se mamtv hatane se hoti hai.
sabki mamta tag batori. Isi mamta rupi avidya ne mujhe sacchidanand sukh se vanchit rakha ya mujh sacchidanand ko maya mein fansa diya. Donon baten mujhe sacchidanand sukh se vanchit rakha ya mujh sacchidanand ko avidya mein fansa diya. Yahan to prem ki baat ho rahi hai. Par sharanagat ka swaroop hai mere tan man pran hote pritam priy? Ab iska prashn aayega apne jeevan mein. Tumhen tan priy hai? Tumhen pran priy hai ya parivaar priy hai ya dhan priy hai? Kya priy hai? Man priy hai? Man priy hai?
mere man ko accha nahi laga. Khatm. Mere tan ke pratikul hua khatm mere prannon ke pratikul vidhan hua khatm shraddha bole ab hamari shraddha nahi rah gayi thi ab shraddha apne swarth ki apni vasna ki apni anukulta ki vritti ko shraddha shraddha kaha jaata chalwa diya phir bhi koi fark nahi para unki shraddha mein tan man pran samarpit kah de yah to katha hai to phir sab katha hi hai agar shraddha hai to aaj bhi aise bhakt hain jo apna sarvasv samarpit kiye hue aah nahi nikal rahe. Bhayanak se bhayanak pratikul paristhiti mein shri Krishna anukul le.
har upasak ke gaur se samjh le. Tumhare jeevan mein jab tak bhagwat sakshatkar nahi hota tab tak kram bye kram prashn ate rahenge. Ek taraf prabhu Gurudev isht Gurudev ek taraf parivaar maya pad pratishtha lok lokantar ki ye sab vaibhav kirti prashn aayega priy kaun hai prabhu ya ye to aap ludhak ke usi mein ho jaoge sansaar ki taraf yadi sharanagati ki pushta nahi hai shabd sthiti ka bodh karate hain jo tumhare mukh se shabd shabd nikelte tatkaal jo vign jan hai wah jaan jaate hain ki kis sthiti mein hai ye purn sharanagati ka swaroop hai mere tan man pran hote te pritam priy likh lo kaagaz mein mere tan man pran hoon te pritam priy ye sharanagati ab aapki pariksha hogi tan man pran tan rog ho gaya accident ho gaya parivaar ke log chhod diye kai tarah ke us samay jai Priya lal ki jai shyama ji ki ye sharir mera nahi aapko samarpit hai jit gaye sahi uttar de diya man nana prakaar ki vasnae nana prakaar ki pratikultaen ab aap man ke paksh mein ya prabhu ke paksh mein?
mera man nahi lag raha. Tum man ke paksh mein. Mera man aisa tum man ke paksh mein. Are mera man kya? Wo to prabhu ko de diya na. Wo ganda soche to prabhu jane. Accha soche to prabhu jane. Shant hai to prabhu jane. Ashant hai to prabhu jane. Aandit hai to prabhu jane. Shokit hai to prabhu jane. Mera man wo to de diya. Santusht hai inke nava. Har paristhiti mein wo prasann atma rahega. Yah hai man samarpit. Pran bhukhe rahe, pyase rahe, chahe jitni vikshiptata aa jae, chahe jaisi pareshani har paril ke anukul bhav mein koi fark nahi para.
tab mere tan man pran hoon te gate to apne sab log hain. Mere tan man pran hoon te pritam priy to agar pritam ki priyata itni jor ki hai to abhi mrityu ho jae to mujhe kya fark abhi galit kushta ho jae to kya fark abhi nana prakaar ki apman ho jae to kya fark nahi pritam hote tan man pran priy yah milenge aapko 99 sharanagat mein koi birla kripa patr jo mere tan man pran hoon te pritam pri to parinaam kya hoga apne kotik pran pritam mos so hare aham bhakt paradheeno aswatantra iz main param swatantr kahlaane wala paramatma aswatantra hoon apne bhakt ke adhin hoon ham bhakt paradheen par yahan to Priya jo prem ki baat kahe ki mere sacchidanand sundar vapu mere pran mere man swayam prabhu hi bane hue hain.
koi dusra nahi hai. Priyaju ka man shri Krishna Priyaju ka tan shri Krishna Priyaju ke pran shri Krishna Lalaju ka tan man pran sab kuch Priya ji Shyam rang shyama rangi shyama ke rang Shyam ye to kahne ko keval do hai pyari jo apni pran pyari hit sajni jo se kahti hai mere tan man pran hote pritam prit hamare pritam karodon pran ham par nyochhavar kiye hue hain to hit sajni jo kahti jai ho jai ho yugal sarkar aap to hansni ki jodi ho bhala jal aur tarang kahin nyare nyare kiye ja sakte hain bhala sharanya aur sharanagat kabhi alag ho sakte hain ye bahut bada siddhant ka swaroop hai.
pahli pankti se shuru karo apne jeevan ki dhara ko aradhya dev mein samarpit karne ke liye. Bhagwat prapti keval samarpan se hoti hai. Pyare andar ki baat samjh lo. Jitni sadhna hain wah aham mitakar samarpan ke liye hai. Khub hazar bar yad ho gaya hoga kyonki hamne lakho bar ye chaupai gai hai. Sabko yad ho gaya hoga. Jo roz pravachan sunte hain to ham shlok shuru karte hain. Uske pehle wah bol dete hain. Kyonki siddhant ke lakho bar bole janani Janak bandhu sutara janani Janak bandhu sut dara tan dhan dham suhad parivara sabki mamta tag batori mam pad man hi bandh bar dori sabki mamta hatakr mere charnon mein laga do mamta mere charnon mein to bole phir ab sabko chhod den inka palan poshan kaun karega?
to abhi jana kya apne Swami ko? Tumne Swami ko kya jana? Ye Swami keval tumhari sharanagati ki uttarwatti dekhne ab kya tum bologe? Ab kya tum sochoge? Ab kya tum karoge? Yah prashn dekho. Jaise vaman rup se bali ji se jakar bhiksha mangte hain. Bhala akhil lok data ko mangne ki zaroorat hai. Hari rup mein prakt hokar adesh kar dete hain. To agyaa ullanghhan karne ki samarth na Shukracharya ji mein hai. Unke guru mein aur na chela bali mein. Lekin bhagwan bhikshuk rup mein jaate hain.
bhiksham de kya chahte ho? Apne pag se teen pag prithvi diya. Saransh ne Shukracharya ji ne mana kiya. Jante ho ye kaun hai? Yah kapt vapu dharan kiye hue baman dikhayee de rahe hain. Lekin yah sarv lok maheshvar ishvaro ke bhi ishwar bhagwan shri hari hain. Main kah raha hoon phas jaoge mat do. Kaha ab nahi yadi hari bhiksha mangne aae to itna saubhagya jo hamen mila wah ham chukenge nahi. De diya. Guru ji ne shraap de diya ja aishwarya bhrasht ho ja. Koi dar nahi, koi chinta nahi. Ek tarah se guru ji ne sarvasv nasht hone ka saath de diya.
ishwar bhrasht ho jaata. Koi shikan nahi. Sankalp kiya. Samarpit sharanagat bhakt ki mahima. Kyon? Aisi sharanagati uchh koti ki bali ji ki kyon hai? Kyonki Prahlad jaise maha bhagwat ke ansh hain. Vochan putr bali Prahlad putr vochan vochan putr bali unhee ke ansh hai. Prahlad jaise mahabhagvat ka ansh is koti ki sharanagati ki bhagwan ne ek mein brahmlok tak upar niche dusre aur kaha bandho isko Varun paas mein [gala saaf karne ki aawaz] bahut hi chintneey vishay hai ye is par bada anand aaya saikadon bar chintan karke ab aap sochiye jara isht hai prabhu bandh isko aur Varun paas mein bhayanak pida hoti bandh diya bol bada dani banta tha guru ne mana kiya unki baat nahi mani ab bol tisra pa kahan se pura karega bali ji ki jagah agar koi aur hota to bahut namrata se baat karta bhi to kahta bahut chhalia ho tum sarvasv aphrn karne ke liye ye leela ki aur iske baad ham hi ko dant rahe ho sab kuch de diya to aapko to namr hona chahiye lekin aisa nahi.
bali ji ne ankhon mein ashru barkar aur kaha prabhu main hath bhi nahi jod pa raha hoon kyonki aapne aisi dasha mein pahuncha diya. To pehle to main vachan se bolta hoon ki main hath jodkar aapke charnon mein pranam karta hoon. Hamara pranam sweekar karo. Muskurahat yukt bole aur dekho jis napne se mangne aae the chhote se vaman wo rup dharan karo aur mujhe napo do mein sampatti nap li tisre mein sampattivan ko nath abhi sampattivan bakaya hai mere mathe par charan rakho aur na nihal kar diya bhagwan bik gaye aaj bhi dwarpaal bane hue vaman bhagwan bali ji ke yahan rasatal mein virajman hai shastr sa kya hamari sharanagati hai kya hamara aradhya dev ke prati samarpan ham aapko hriday ki baat kah rahe bhagwan keval apnepan se prapt hote hain bhagwan keval samarpan se prapt hote hain.
gyan se dekh lo to keval avidya ke tyag se hi swaroop bodh hota hai. Ye avidya hi hai. Main mor ta isi ko to maya kahte hain. Main aur mor tor ta maya jeh bas kine jeev nikhaya to kaise ham is maya ke prapanch se bache to bole mame prapaddyate maya mein tam tarteete meri sharan mein ho ja bole sharanagati bhi nahi aati kaise ho bole mere santo ki sharan mein ho ja unke samip ja pranpate sashtang dandvat kar namrata se prashn kar uttar milega vaisa aacharan kar meri samarpit vritti aapke andar jagrit ho jaegi bada sukshm swaroop bhagwat prapti ke liye yadi aapke hriday mein satsang prapt vivek ke dwara utsah ho raha hai to
yah jo pad likha hua hai ismen ek prem ka rahasya Priya jo varnan kar rahi hai aur dusra bhari siddhant prem ka chhupa hua hai joi joi pyaro kare soi mohi bhave itna to yad hi ho gaya hoga sabko to jab vipreetta aati hai apman hota hai pratikultaa aati tiraskaar hota hai nishkasan hota hai to yah baat samne rakho joi joi pyaro kare soi mohi bhave phir jab aap ye samne rakhoge to to tumhare samne ka drishya badal jaega jab prashn ka uttar de doge tab avega bhave moh joi soi soi kare pyare
bhagwat [gala saaf karne ki aawaz] rasik ji kahte hain jo main chahta hoon waise keli karte hain ek kshan ke liye netron se ojhal ho jaun to bhagwat bhagwat bhagwat aise pukar padte hain. He chuko mat samarpan nahi karoge to chhin lega kal kal chhin lega kal ke adhin hai deh ye pran kal ke adhin hai nasht ho jaenge samarpit kar do nasht hone wali chij to avinashi mil jaega janm janmantar se jis mahasukh ke liye bhtak rahe hain kahin samarpan jakar likha padhi nahi karwani hai. Bas aapko prashn ka uttar dena hai.
aur prashn jab aata hai to prashn ke rup mein nahi aata hai. Samasya ke rup mein aata hai. Dhyan rakhna hamare adhyatma ka prashn aise nahi aata ki aao baitho uttar dijiye. Khade hoiye. Ye itne prashn ka uttar mukh se dijiye. Itne likhat dijiye. Aisa nahi hota kuch. Yahan ghatna hoti hai. Ab us ghatna mein tumhara gyan vigyan khinch liya jaega. Ab tum bolo iska uttar do sansaar ki taraf ho ya hari ki taraf aur agar us samay narad ji ki tarah jaise narad ji ka sab kuch aphrn ho gaya tabhi unko wo Rajkumari pyari lagi us samay bhi wo sochte hain ki hari ke saman hit karne wala mera koi nahi aur ekant mein hari ki sharan mein hokar kahte hain jeh vidhi hoy nath hit mura karahu subegi [gana gane ki aawaz] das main tora balhari hai acharya hain bhakti ke prachnd maya ki sthiti mein wo kah rahe hain je vidhi hoe nath hit mora karahu subegi kya bigda kuch nahi he tiraskaar apman nishkasan nana prakaar ki viparit paristhitiyan us samay tum kis paksh mein ho isht aur guru ke paksh mein ho ya swajan sambandhi vyvastha bank balance apni sampatti apni nokri apna vaibhav kya kidhar ho ye uttar hai uttar aur ek second mein kapi janch ji jati hai aapka uttar aaya usi class mein rahoge class se to niche nahi jaoge na mein bhakta prannasati par upar bhi nahi uth paoge.
abhi phir padho phir aayegi samasya rupi prashn. Is marg mein prashn ke do swaroop hain. Ek bhaykar lubhavna suhavna do. Bhaykar ek prashn ek lubhavna aur suhavna. Itna sukhad jo kabhi socha tha kalpna mein wah bhogne ko milega. Ab us samay prashn hai wah bhog bhogoge ya prabhu agar aapko aaya nahi nath bachao bachao prabhu karuna mein nahi main phesal sakta hoon prabhu mujhe bachao sachchi maniye drishya hi gayab ho jaega wo drishya hi le rahe bhavna wahan hari milegi pakka karo sada tin ke rakhwari jim balak rakhe mhatri par hamen lagta hai ekant samay hai bhagwan ki ichchha se hi ye sab sukh samgri ai bhogo bhai sukh samgri swikrati bhagwan ki swikrati nahi ki to gaye lubhavna suhavna prashn aur bhaykar prashn yah do jeevan mein ate hain.
hath jodkar prarthna hai sauda bahut sasta hai bhagwat prapti ka. Bas tumko keval uttar dena hai aur roz ye padhai hi hai. Roz padhai padhai ja rahi hai. Jo satsang hai na sarv sangopo hemam samasth asaktiyon ka tyag karakar bhagwat asakti pradan karne ke liye. Isliye bahut dhyan mein raho. Tum bhagwat prapti ke liye kadam badha rahe ho isliye sarvasv nash ho jae par bhagwat prapti nahi chhodenge to kuch nash hi nahi hua kyonki jo nashvan hai wah to keval natak tha maya ka kuch nasht thodi hona hai kuch nasht nahi hota kuch bhi keval akriti parivartit hoti hai aag aag mein jal jal mein prithvi prithvi mein vayu vayu mein akash akash mein bhagwan ka ansh bhagwan swaroop hai.
kya nasht hoga? Kuch nahi. Aapka param mangal ho jaega. Yadi aap prabhu ke paksh mein rahenge. Upasak jeevan bhar kadam apne prabhu ke pale mein rakhe us pale mein na rakh de par chuk ho jati hai. Agar aap prabhu ke pale se kadam na hataen to aapke liye prabhu sab kuch banne ke liye tayyar hai. Sachchi man lena hamari baat ko hriday se samjh lijiye. Aapko lag raha hai yadi main sansaar ke paksh mein nahi hua to nasht ho jaaunga. Aur ham kah rahe hain agar prabhu ke paksh mein ho gaye to tumhara sansaar bhi shashwat ho jaega.
tumko sansaar mein bhi Govind hi nazar aayega. Wahi shashwat sacchidanand jaise rassi mein saanp bhas raha hai to na pehle saanp tha na madhya mein saanp hai na akhri mein saanp rahega. Saanp ki jo bhavna bani wo mul rassi mein bani. Aise hi brahm mein hi yah sansaar hai. Rassi mein hi saanp bhas raha hai. Aise shri Krishna mein hi nana bhas raha hai. Ma partram na kinchit Dhananjay mere siva he arjun kuch nahi hai. Na pehle kuch tha na ab kuch hai na age kuch hai. To pala mein pair rakh shri Krishna ke. Main aapke paksh mein hoon.
yah bilkul satya samjh lijiye. Kabhi bhi prashn aa sakta hai. Din raat kabhi bhi aa sakta hai. Aapko ek baat keval pakdni hamara paksh prabhu se hai. Sab kuch nasht ho jae. Prabhu ko nahi chhod sakte. Ham kaise bhi hain kuch nasht nahi hoga. Swayam prabhu hi sab kuch bane hain. Pakka vishwas hamari chuk ho jati hai. Bhagwan ko chhodkar aur mayakrit vastu vyakti sthan ka aashray le lete hain. Bahut dur ho jaate hain isht aur guru se. Pyari ju aur pyare ju paraspat ek hi tatv hai. Acharya charan is pad ki rachna karke ek ruchi ek drishti ek pran ek swabhav wale yugal kishor ki antarik bhavna ka varnan kar rahe hain.
aur hamare bhav mein sharanagati ke siddhant ki charm sima siddhant ka bhi varnan charm sima jo andar bhav diye abhi jiski charcha hui aur prem ka hamare pyare jo pyare jo bole pritam kishori gori rasik rangili jori prem hi ke rang bori shobha kahi jat hai pyari jo aur pyare jo kahne ko keval do hai ye ek hi hai. Inki aisi shobha hai ki dhruvdas ji kahte hain ki hamari vani ki samarth nahi ki main inki shobha ka varnan kar sakun. Yugal sarkar aise atulneey anand data aisa adbhut asim saundarya kah rahe prem ke hi rang mein dubi hui jugal sarkar ki pritam aur gori kishori ki jholi vani ki samarth nahi ki main inki shobha inki mahima inke prem ka varnan kar sakun.
ek pran ek vaish ek hi swabhav chav ek baat dohni ke man hi suhat hai ek kunj ek sej ek pat odhe baithe ek ek bi do khandi khandi khaat hai ek ras ek pran ek drishti hit dhruv heri heri badhe chau kyon na aghat hai pritam kishori gori ye rasik rangili jori prem hi ke rang bori shobha kahi jat hai hamari pyari jo pyari jo ek pran ek hi avastha ek hi swabhav ek hi bhav chav ek hi baat donon ko donon ke man mein ek hi baat aati aise hamare yugal sarkar ki jo sahaj karunami swamini ki kripa se leela sthal ka aashray aur upasna na mili.
ab hamko chukna nahi hai. Kisi se ham kah rahe the bhai kuch bhi ho shri ji ko mat chodna. Shri ji ko chhod diya to phir ye atha samudra hai. Tum nikal nahi paoge. Aur andar se shri ji ko pakde rahe to samudra hi nahi rahega. Sukha hi jaega. Badi karunamay shri ji. Shripad Prabodhanan ji maharaj kah rahe sarv dukh dasha gharavram Vrindavane prakrita aprakrita shesh vibhuti rapanyat donon baten aa gayi prakrit aprakrit kitna bhi mujhe lubhayaman kiya jae main kabhi Priya pritam aur Vrindavan ko nahi chhod sakta wahi baat aa gayi aur sarv dukha dasha ghora de do sare dukh tumhari srishti mein jitne ho ye bhajan bal hai bhajan bal shri ji ka naam jab jitna karoge to tum bhi garjan karne dev aur dukh do puri srishti ka dukh hamen de do sabko sukhi kar do dati dev ji prabhu
mujhe itni samarth do ki sabke hriday mein baithkar dukh main bhogu aur sab sukhi ho jae ye bhagwan ke bhakt ka vishal hriday sarv dukh dasha ghora prabhu sab dashaen dukh ki hamen de do par na ham aapka chintan chhorne wale na aapka aashray chhorne ye pees haddi nahi hote bhagwan ke bhakt aajkal bhakti jante ho kaise hoti hai aise pair rakha jaata hai bhakti marg mein aanch na lage ho agar aanch lagi to hata liya aise kabhi koi paramarth mein nahi chalta narayan ati kathin hari milan ki bat ya mein piche dhare pratham shish de kaat ye viron ka marg hai kayron ka nahi isliye himmat pakki talwar gale tak aayegi har ban jaegi war nahi kar paegi ki talwar aur hamare gale ke beech mein naam hai.
vishwas karo. Vishwas dukho se darakar maya aapko hata degi ya bhulwe mein fansa kar hata degi. To is shlok mein donon baten kah rahe hain shripad ki sarv dukh dasha ghora de do jitne dukh chaho ya prakrita aprakrita shesh vibhuti rapna prakrit apakrit samasth aishwarya dekho hamen lubha kar nahi lubhayaman honge chahe dukh de do chahe bhog samgri de do donon se main aapko bhulne wala nahi aapka aashray aapka chintan kuratya maharadra updrav manukshanam ye dekho ye padhai hai padh lo phayl nahi hoge prabhu bhejo aise upadravi ko bhejo jo Rudra rup rakh ke hamara apman kare hamari pitai kare hamen gali de kuratya mahadra mupadro Manu kshanam aap kahoge kahe ko jhagda vipatti mol le rahe ho nahi nahi padhaku jo hota hai wah chahta hai ki hamse koi prashn kare aur main uska uttar du.
jo pahlvan hota hai wo chahta hai koi mile dod hath karun. Uski bhujao mein phadkan hoti hai. Aise sadhak ye chahta hai ki mera apman ho. Meri ninda ho phir mujhe kaisa lagega? Ek sant the wo kabhi paisa nahi lete the. Par sal mein ek bar paisa lete the. Phirojabad jaate the. Pujypad odiya Baba ke wo sangi the. Kahe ke liye phirojabad jaate the? Chudiyan pahne nahi, chudiyan todne. Chudiyon ki dukan lagi hoti thi. Is area mein to koi unko peet nahi sakta tha kyonki pehchan wale the. Phirojabad jaate aur chudiyon ki dukan mein khade hokar do teen lat marte to chudiyon ke der na aur paisa saath rahte aur jo Baba ji dekha do teen char lat mare phir are pagal aadmi chudi tu dalna mar thappad mar thappad do char aur dukan wale ate pigte thodi der khade rahte pitne ke baad gali dete bhagate dur tak bhag ke jaate phir pigte shant andar puchte kaise kya halchal hai?
bole theek hai koi pareshani nahi. Wah dukan wale ke paas bole bhaiya kitne ki chudi thi? Bole tum to pagal jaise the. Bole hamara ek kam tha wo ho gaya. Aapne badhiya kam kiya. Kitne ki chudi thi? Badi namrata aur sabhyta se maharaj galti ho gayi aapko. Bole nahi nahi aap chudi ke paise aur jo ekatrit karke gaye the to agar 100 500 ki chudi hongi to 10 5000 wahi chhod ke wo log dekhte rahte ki Baba ji hai kya chij apni kasauti ke liye Swami anang bodha ashram Swami ji bachpan se digambar aur ganga ka sevan karne wale jahan bhiksha hoti wahan jakar dandta karte do char jab chapate unke lagte to andar puchte kya halchal hai theek hai yah saubhagya se milta hai.
apman ninda chahiye aapko saubhagya saubhagya se milta hai. Apman, ninda, tiraskaar, vipatti, sankat kyon? Isi mein bhagwat prapti hoti hai. Isi mein aapki bhumika badti hai. Lekin ham ye dekhte hain jab bhumika badalne ka avsar aata hai to wo niche dharm se gir jaata hai. Salo se sevae hoti hain. Guru seva se ki, santo ki seva, ye seva, wo seva. Ab aaya number uska utthan ke liye fouran zero number mein gir gaya jake dham mein se chal phir padhai kar phir ana prashn hoga phir uttar aa gaye he bhai sabse prarthna hai tumhen bahut jaldi bhagwat prapti karane ke liye satsang ho raha hai bas yahi baat ko tumhen pakdna hai sacha sadhu chahta hai ki hamara apman ho hamari ninda ho tiraskaar ho phir hamen kaisa lagega agar bura lagta hai to hamari sadhna bahut kamzor hai aur agar muskura ke nikal jaate to bahut accha kah rahe kuratya maharadra updrav
manukshanam pratikshan hamare saath updrav ho aur kaisa maharadra rup ghor phir bhi bhakti Vrindavi sa tata main tatv ka chintan karte hue kabhi bhi apni bhakti ko badhit nahi hone dunga tatv kya sar tum hi to pitne aae ho pyare peet lo tum hi gali dene to bika hua aapka de do na gali tum hi apman kar rahe ho to aapka samarpit tan man pran hai uttar sahi to aapka jo sthiti hai wo age wale class mein pahunch yahan class mein nahi jana chahte yahan to school se bhagne ke liye har samay party basta liye tayyar hai bas tum kaho ki ham bhage maya mein sukh mein jaenge ham koi padhaku chahta hai hamare prashn ka uttar ho sachchi mani aap bhakti karoge aapke jeevan mein prashn hi aaenge aur yahi prashn hai jo roz padhaey ja rahe hain bina aisa nahi ki kaksha char wale ko 101 ka wale class ka prashn kiya jae nahi roz ye satsang padhaya ja raha hai aap kuch nahi hai ye swapna hai ek dirgh swapna hai bada swapna hai badhiya dulhan badhiya ladka bachchha badhiya makan phule ghum rahe mara chata
kal ne khatm na dulhan na ladka na bachchha ab chal aaya tha bhagwat prapti ke fas kar phir jeevan nasht kar diya to kya karen Baba ji ban jae tumhari tarah nahi ham nahi kahte unhee mein bhagwat bhavna karke sat bhav se bhagwan ko samarpit hui satwa ka matlab hota hai satvic nirmal antakran bhagwan ko samarpit se ek ek shas bhajan karte hue apna koi sambandh kisi se na mante hue apna sambandh bhagwat bhav se rakhte hue nate neh Ram ke manat sud sush ja anand ki anubhuti ho jaegi shri Radha Madhav ke charnarvind
ke ashrit ko aisi sthiti prapt hoti koi dukh shok bhay chinta sparsh nahi kar sakta sant vani jo mahapurush sadaiv bhagwan ke chintan mein nimgn hai wo kah rahe hain bhay bhaya namah sthit manaste mam kutra tash yasmin smate janm jarakad bhaya sarwa prya tat he dost mitron tumhen koi bhi kasht nahi hoga na mrityu ka na rog ka na apman ka na koi bhay chu sakga kaun sa aisa jadu hai bhai bole samasth bhayam bhayana harni sthiti samasth bhay bhay ka aphrn karne wali ek sthiti jagrit hoti hai. Kaise jagrit hoti hai?
anant mahimashaali bhagwan ke naam ka jo smaran karta rahta hai. Ham apni kalpna se bhayabhit hote hain. Kahin koi bhay nahi hai. Jahan bhay laga hai wahan hamne dekha hai. Hamari kalpna hamko bhayabhit karti hai. Naam jab chal raha hai to tumhen bhay koi parast nahi kar. Bhay bhaya naam harini samasth bhayon ka aphrn karne ke liye naam virajman hai. Chauthi stej mein cancer ab kabhi bhi sharir chhut sakta hai. Pura tilak lagae muskurate hue baat kar rahe the. Bole bas bal hai Radha naam ka. Abhi kuch dino se jude the. Yahi ekantik mein unka para bhi hai.
he bhay bhayanaharan sthit samasth bhyo ka aphrn ho jaega. Vishwas karo tum kitne din paisa kama loge? Kitne din bhog bhog loge? Kitne din parivaar ko sambhal loge? Hari guru ka antar se bhav tumhare nahi jud pa raha hai. To kya tum avinashi ho? Agar aaj mar gaye to tumhari patni tumhare putr tumhara parivaar kaun chalaega? Vishvambhr bhagwan. To aaj vishwas kyon nahi karta bhagwan par? Apne par kyon le raha hai ki agar nahi hua to main barbad ho gaya hoon. Barbad tu to hai hi. Abad kab tu hua tha?
abad to us kshan hota hai jab us ishwar ka aashray le leta hai aur pura bharosa ishwar par chhod deta hai. Use kahte hain abad hona. Ahankaari kabhi apne ko karta manne wala kabhi abad nahi hota. Yahi samay hota hai uttar dene ka. Main aapka sarvasv nasht ho jae to bhi Swami main aapka aapki agyaa ke anusaar aapke virudh kabhi nahi chal sakta chahe pran chale bhagwat prapti aise hoti hai naukaen kabhi dubti nahi ladkhdate nahi chhed hoti nahi navik ne aaj tak kisi ko dubne nahi diya par kar diya hai chupchap baitha rahe daud kyon macha raha hai idhar se udhar pura balance bigadne ki koshish kar raha hai ek aadmi train mein daud raha tha dibbe mein ye sadhu the bhai main dekh raha hoon tu daud raha hai kyon daud raha hai bole
hamko bahut jaldi pahunchna hai amuk station pagal train chal rahi tu baith ja tu baith ja train chal rahi aise hi tu sachchi man adhyatmik ki koi daud bhag nahi hoti adhyatma koi kilomeetron wali yatra nahi ki bahut bhagna pasina chhuvana hai samjh samjh vivek ka marg vivek ka aram baith ja kan ke bal bhajan ko kan ke achar vyas bhrose kunwar ke sovat pav prasad antim samay surdas ji ka pad bharoso dridh in charan kero ye hai puri jeevan ki sa nate neh Ram ke man jake priy Ram vaidehi taj ta koti
baim ja param snehi pulapa nahi chalta yahan thos chalega thos ghaneebhut bhakti aur wo hoti bhakton ke charnon se hari bhakton ke charnon se jara bhi aap prashnavachak chinh aapke samne lag gaya to sharanagati mein kalank lag jaega nahi bhagwat prapti ka mike se theka lete hain sharanagati bhagwat prapti bilkul sahaj saral sab kuch unka tha unka hai unka hi rahega tumne jo apna man liya hai bas wahi samarpit karane ke liye roz satsang ho raha usi ko samjh lo. Bhagwan hi tumhare putr parivaar ke rup mein hai. Wahi aisa prashn khada karenge ki tum bhagwan ko dekhte ho ya putr ko dekhte ho.
hamen shri bhagwan ki taraf dekhna hai to wah bhi ho jaega. Sab mangal hi mangal ho. Agar paksh le liya sansaar ka to gaye. Number se aap niche utar jaenge. Isiliye kah rahe agar bhay mukt hona sabse bada bhay mrityu ka hai. Jo bach nahi sakte wah ane wala hai. To bole jab sadhu bhi marta hai, grihasth bhi marta hai to bhajan se kya hai? Sadhu marta nahi hai. Saanp jaise apni kechul chhota hai aise sadhu apne sharir ko chhota hai aur bhagwat dham jaata hai. Marta hai vishay purush janmat marat dusa dukh hoi isliye bhay bhayanap jo nana prakaar ke bhay nana prakaar ke dukh aapko chinta shok unse mukt hone ke liye bar-bar kahte hain Radha Radha Radha naam jap karo prabhu ke ashrit ho jao apni chinta chodo apne parivaar ki chinta chodo bhagwat chintan karo bahut badhiya jimmedari bhagwan le lenge sachchi maniye kartavya chhorne ki baat nahi kah rahe chinta chhorne ki tumhare chinta karne se hoga overthinking tumhare sochne se hoga ki ham ye ye mahal banega mahal
ke upar atari chadhe phir ye hoga phir wo hoga phir hoga to bole ham kuch soche na nahi Radha Radha Radha vartman mein Radha Radha jap jo age hota chala jae usko karta chala ja to jeevan mukt ho jaega grahasti mein rahte hue soch hamko nahi soch hamare prabhu denge age kya karna hai wo karenge ham sankalp vikalp karke fas jaenge bale kreedan ka yavne vishay mukh agya nay shakta cha vadhkam samasthitam tasmat bal vivekatma shreyse sada bal Yavan vridh deh bhav rasta sansarik jan balyvastha khel kud mein vyatit kar dete hain.
ham pranam karte hain un mata-pita ko jo apne bachchon ko balyvastha se naam japna, samay se uthna, prithvi mata ke charan chuna, surya bhagwan ko namaskaar karna, achhche-achhche aacharan sikhate hain. Aajkal mate-pita nahi uthte prat kal to bachchon ko kya uthaen prat kal? 11 baje tak uthte hain. Balya kreed ka shakta yavne vishay mukha balyvastha to khel kud mein chali gayi. Jeevan wahi dhanya jo bhagwan se mil jae. Wo jeevan kis kam ka aajkal kah rahe hain ki balya kreedan ka shakta balkon ko to krida avastha mein aisa laga diya ki balyvastha kab nikal gayi pata nahi chala.
yauvne vishay mukha yauvan avastha bhogon mein fansa de. Are bhai bhagwan kripa karen sabko achhche mata-pita mile. Kaise achhche mata-pita jo bhagwan mein lagate hain jo satdharma mein lagate hain jo sat karyo mein lagate bahut bada yogdan hota hai mata ka. Phir dusra pita ka sabse bada guru mata phir pita kyonki wahi satmarg mein chala. Ganv mein ek bar natak aaya tha dikhane ke liye wo kya kahte hain? Nautanki wo sultana daku pura dikhaya gaya raat bhar dekha tha bachchhe the ham us samay to wo jab usko phansi ki saja di gayi to usse pucha gaya tumhari antim chahat kya hai wo ham puri zindagi bhar dhyan rakha bole hamari mata ko hamse mila do mata ko jo hi mata milne ai to gale lage aur dant se puri nak kaat li mata ki to aap ishwar ne pucha yah kyon kiya?
bole mujhe aaj phansi ke phande mein chadne wali yah hai. Pahli bar hamne pensil churai thi aur jab isko kaha ki maa main pensil cura ke laya to isne kaha bahut accha beta likhne ke kam aayegi. Bas usi din se mujhe laga ki bahut accha karya hai aur aaj main sultana daku bana aur mujhe iski phansi ki saja mil rahi. To sabse badi apradhneey meri maa hai jo mujhe istemal. Maa pratham guru hai. Aap apne bachchhe ko jaise garb se shiksha agar ham prarthna karte hain grihasth mein wo bachchha garb mein aa jae to sahwas band kar do.
satvic bhojan pao bhagwat naam kirtan suno. Bhagwat katha suno. Mahan tirthon ka bhramn karo. Agar kar sakte ho. Usse tumhare balak ke bahut satvic sanskar honge. Yane vishay mukh jawani bhogon mein vyatit karne ke liye prerna de di gayi aur andar aur bahar donon se sanyog bane vishyon se hriday malan ho gaya phir kah rahe hain agyaa nay asaktya jo agli avastha ai budhapa wo to asakta indriyan waise hi chanchal man waise hi chanchal sharir asakta ab wo andar baithe baithe bhogon ka chintan kar raha hai uski durgati ho jati durgati isliye tasmat balya vivekatma yatet shreyse sada vivekvan hokar balyvastha se wo mata-pita dhanya hai jo apne bachchhe ko shasan mein lekar ae bal bhog bana rahe hain panch minute Radha Radha kirtan kar abhi tujhe pawate hain thoda sa naam sanskar daalie bhagwat kirtan ka bhagwan naam jap ka baith panch minute baith ke katha sun dekho satsang sun ya swayam sunane lage koi na koi granth granth ki baat sanskar padhte hain.
garb se sanskar padhte hain. Abhimanyu ji ko garb mein hi chakravyuh todna aa gaya tha. Prahlad ji ko garb mein hi param maha bhagwat bana diya tha narad ji ne. Agar aap garbhsth shishu se shiksha prarambh karenge to koi mahan rashtrabhakta mahatma paida hoga. Vivek ki purush ko chahiye ki jis samay balyvastha hai wo pure jeevan ki adbhut shaili banane ke liye usko aap shiksha dijiye. Jitne gandagi vyasan hai wah sab mata-pita ke acharno ka prabhav bachchon par parta hai. Bahut hosh mein mata-pita apna vihaar rakhen.
nahi bachchhe phir wahi jante ho kya karte hain? Budhape mein mar thappad ghar ke bahar kar dete hain ki tumne hamko yahi shiksha di hai adhnikta ki bhogon ki vishyon ki to usi ka sukh lo. Isliye tade tado mayatam yadi jantam tadasmat prit Vishnu smatya band mukti da mitron main tum logon se prarthna kah raha hoon tum jhooth mat samjhna agar samasth dukh aur bandho se chhutna hai to tum keval hari smaran prarambh kar do unka smaran karne ke pashat koi bhi vipatti usko parast nahi kar sakti. Hari smriti samasth vipad vimokshanam jitni vipattiyan hai sabse mukt kara degi.
tum meri baat man lijiye. Tadasmat prit Vishnu smatya bandh muktida samasth bandho se mukt ho jaoge. Mrityu ka bhay nasht ho jaega. Keval hari smaran prayas smaran ko smrito yati shobhan papakshas bhavti smarta tam ahrisham smaran matra bhagwan ka param mangal param kalyan karta hai kya jaata hai hari sharanam hari sharanam Ram Krishna hare Radha Radha hare namah jo pasand ave hamare bhagwan ke to anant naam hai. Radha vallabh shri harivant jo pasand ave khub naam kirtan khub naam smaran jo naam smaran karta hai samasth mangal samasth kalyan ho jaata hai.
ab aap bahut dhyan yahan dijiye. Naam smaran prarambh karenge to do prakriyaen hongi. Yadi aapke paap adhik hai to tatkaal paap nasht hona prarambh ho jaenge. Ab uske liye ghatnayen ghatna prarambh ho jaengi. Vipatti dukh pareshaniyan aap ub mat jana aur agar aapke punya adhik hai to punya shuru ho jaenge. Yah labh yah labh ye labh to aap wo naam jap ka labh mat man lena. Wo naam jap se dukh aa raha hai aisa mat man lena. Wo shubh ashubh donon ko nasht karke aapko akhand anand prasannata ki taraf le ja raha hai.
isliye dhairya chahiye naam japak mein. Sukh dukh naam ka phal nahi hai. Sukh dukh paap aur punya ka phal hai. Anand aur prasannata ye naam ka phal hai. Prasannata ye brahm swaroop hai. Prasannata har samay prasann rahna. Brahm bhuta prasann atma jo raat din prabhu ka smaran karte hain. Unke sab paap nasht ho jaate hain. Prabhu mein ahrish buddhi lagne ke karan prabhu param sukh samudra hai isliye sukh samudra ho jaata hai. Har samay sukh mein duba rahta hai. Tapatrayan bheetam yade tadkhilam jagat tada soche bhute dwesham pragya karot kaha ye sansaar teen tapon se jal raha hai.
tum sochni purushan jaise jalne ke liye tayyar mat ho. Agar tum bachna chahte ho to bach sakte ho. Naam jap ke nahi to kaise kaise mrityu aphrn kar rahi hai. Baithe hain aram se kursi mein piche se puri divar giri mar gayi. Ek ek kshan mein mrityu to kal kaval kar rahi hai. Aur ham soch rahe hain sab kuch kam ho jae phir ek baithkar bhajan karenge ya tirth yatan karenge. Mrityu tumhen tirth yatan aur bhajan ke liye samay nahi degi. Aaj abhi se bhajan shuru karo. Bara bhut dves kurti chet susho mohan vyapta niti maneeshna yahan bhajan to karte nahi ek dusre se var kar rahe hain ek dusre se chhal kapt kar rahe hain papacharan kar rahe hain vicharvaan kabhi kisi se var nahi karta ye papacharan nahi karta tum mahamoh se vyapt hokar kisi se yahan len den mat kar lena paap ka koi aisa paap kar liya koi var kar liya ana padega tribhuvan mein kisi se var nahi hona chahiye tab tum jeevan mukt hoge isiliye ajat shatru hota hai bhagwan ka bhakt aur kisi se kuch lena na dena magan rahna karja na rahe nahi to akar dena padega ana padega kuch na kuch aisa ban karke uska hisaab karke tumhen yahan se jana padega bole jaise hamara jawan ladka tha.
bahut mehnat karke bahut wo apne mein kam kharch karta tha. Sab ham hi ko deta tha kyonki karja niptane aaya tha. Aur karja nipta chala gaya. Wo tumhara ladka thodi tha. Wo apna karja dene aaya tha. Aur karja lene aaya tha. Bole bachpan se bimar kuch dino ke baad wo padhar gaya to apne lene aaya tha hisaab kitaab. Bahut hosh mein jeevan mukt hone ke liye kisi se lena nahi, kisi ka dena nahi. Kisi se var nahi, kisi se mitrata nahi. Sabse bhagwat bhav. Main tum sabse agarh karta hoon. Tum is asar sansaar ke vishyon mein kabhi santusht nahi ho sakte.
meri baat samjh lo. Chahe jitna bhog bhog lo kabhi aisa nahi ho sakta. Haan. Ab aaj ke baad mujhe nahi chahiye. Ye aise bhut ke laddu hain. Khao to pareshaan, na khao to pareshaan. Jo nahi bhog rahe hain wah lacha rahe hain aur jo bhog rahe hain wo pachta rahe hain. Bada vichitra maya ka khel hai. Aur jo sansaar mein hai wo pachta rahe hain ki ham socha tha ismen sukh hai wo hai nahi. Hamen lagta hai ki sukh auron mein hai. Pura jeevan unko pachhtate chala jaata. Ye bhoga ye bhoga ye bhoga. Aur agar sahi bhajan nahi hua to pura jeevan is bhash mein pachhtate chala jaata hai.
idhar udhar taak jhaank pura jeevan vyarth chala jaata hai. Yah ham bhramn karte hue jeevan mein dekha ki agar sadhna nahi hai to avasthagat indriyan shant nahi hoti. Upasak ko chahiye ki yah soch le ki vishv ke chahe jitne bhog bhog lo kabhi santusht nahi hone wali. Achit bhagwan ki aradhna kar lo. To tript ho jaoge. Phir aisa hriday ki sthiti ho jaegi jaise goswami tulsidas ji kah payo param vishram Ram saman prabhu nahi ko hriday shant ho jaega. Ab kachu nath na chah more hriday se ane lagega. Sarvshaktiman bhagwan shri hari samasth praniyon mein virajman hai.
aise bhavna karke jisse milo pehle bhagwat bhav karo. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar in chhah shatruo par vijay prapt kar leta hai. Wahi bhagwan ka darshan prapt karta hai. Tab bada ascharya hota hai jab ekantik mein bhagwat prapt ate hain aur phir kahte hain mujhe bhagwat sakshatkar ho gaya. Phir kahte hain man mein badi pareshani hai. Ghar ke log hamko bahut virodh karte hain ki kaun si bhagwat prapti kiye hain jo shastr mein kahin nahi hai. Aajkal aise bhagwat prapt ho rahe hain zyada shastr mein kahin nahi hai.
bachchon kahin nahi shastr mein aisi koi shastr mein prapanch nahi hai. Koi prapanch nahi. Shastr keval bhav bandhan ke mukt karne ke liye yah sadhna bata raha hai. Yah chhoti moti siddhiya ghas phus ki tarah hai. Ghas phus ki tarah hai. Tum isko bahut bada samjhte ho. Tumhara ye naam hai. Tum wahan se aa rahe ho. Tum ye bahut badi baat thodi hai. Do char chha mahine tumhen niyam se ham bata den. Waise raho satvic ahar karke. Agar aapke andar na ane lage to hamen batana. Jeevan mein kabhi madira jaban mein na rakhi ho.
mans kabhi khaya na ho. Ye anda mans machhli. Keval yah tumhare jeevan chha mahina mein tumko ham bata denge ki jiske man ki baat chahoge uske man ki jaan loge. Tum khel samjhte ho. Mantro mein itni samarth par pavitra pavitra aap apvitra ho rahe hain to isliye kuch samjh mein nahi aa raha hai. Apvitrata parda dalti chali jati hai. Ye dhundhi ashram mein shayad aap jante hain dhundhi ashram hai. Bahut siddh mahatma hai. Darshan ke liye bhage to 9:30 baje tak keval darshan subah dete the. Ab guru ashram se chale to par vilumb ho gaya.
10 baj gaye hamen raste mein bas mata ji ka mantr ekdam smaran kiya hamara jana vyarth nahi hona chahiye hamen darshan hone chahiye aap sachchi maniye akele maharaj ji baithe the je hi gaye to pahla shabd tha ki bole aao mahatma intazar kar rahe hain unka kaha Swami ji badi karuna bole karuna nahi tumhari mata ji akar ke mujhe rok liya hamari mata ji bole haan haan Jagdamba jinka tum mantr padh padh rahe the aisa mantro mein aap yah bhav bandhan mukt karne tapatranam yade tadkhilam jagat tum kya samjhte ho ye samjhte ho ki ye chhoti moti baat are ek hi samay mein kai jagah upasthit ho jana parvat ko bhi chhed de dena vivid prakaar ki siddhiya ek bhi siddhi sweekar kar le to bhagwat prapti nahi hogi hamare braj mein aise aise ki akhil koti brah brahmand nayak pat piche ghume do char logon ne milkar thappad diya peet gaye roti manga khaya koi janta nahi ki ye kya hai aur yahan jo koi siddh dikhane ki koshish ki to sima ke bahar kar diya gaya hai sima ke bahar yahan wo rahe jo Priya pritam
ki siddhi mein dube hue hain aur koi chamatkar nahi sabse bada chamatkar ki man ka parivartan karke Priya pritam mein jis drishti gayi to shyama Shyam ke prem rang mein matvala kar diya gaya bhulo mat Priya pritam ki kripa se aise dham mein aae ho aise satsang ko sun rahe ho jisse keval bhav bandhan mukt hota hai. Ye keval bh bandhan ye tapatra vinash ayae un sacchidanand prabhu ka yash hai jo kano mein pahunch jaega to bhagwat prapti nischit hai. He bhai chahe devta ho ya daitya ho ya manushya ho ya yaksh ho ya gandharv ho koi bhi ho mere prabhu shri hari itne kripalu hai ki unke charnon ka jo aashray le le aur naam jap shuru kar de to param kalyan ho jaata hai.
bhagwan ko prasann karne ke liye brahmin ke kul mein janm lena ya devta banna ya sadachari ya vivid gyanon se sampann hona ya dan karna ya yagya karna shareerik mansik pavitra bade-bade vrat ye sab paryapt nahi hai. Bhagwan keval prem se prapt hote hain. Prem se wo koi bhi purush napunsak narwa jeev charachar koi aho supchito gariya jibhya warte naam tyam bhale wo chandal hai par uski jibhya par hari naam hai to tribhuvan vandneey hai wo dekh lo dekh lo devta daitya manushya yaksh gandharv koi bhi kyon na ho jo hamare bhagwan ka aashray lekar unka naam jap karta hai uska param mangal param kalyan ho jaata hai prabhu ki prapti ke liye zaruri nahi hai ki wah brahmin ho ya devta ho ya wah sadachari ho ya gyan se sampann ho.
dani, tapasvi, yagik, shareerik, mansik, pavitra, bade-bade vrat inke dwara bhagwan mil jae aisi zaruri baat nahi hai. Bhagwan sirf milte hain prem se aur prem mul ya naam hai jo naam jap karta hai. Uske hriday mein prem hota hai. Premi wo koi bhi ho bhagwan usko bahut pyar karte hain. Bahut kripa ki. Bhagwan ne bahut kripa ki. Agar koi shart rakh dete to bada kathin hota. Sirf prem aur prem sabke hriday mein hai. Us prem ko aapne bant diya hai sansaar mein usi ko samet lo. Bhagwan ki taraf kar lo.
bhagwan ki prapti ho jaegi. Is sansaar mein sabse durlabh vastu manushya sharir hai. Is manushya sharir mein sabse durlabh vastu satsang hai. Satsang mein sabse durlabh baat bhagwan ki anannya bhakti hai. Bhakti ka swaroop sada sarvatra bhagwan ki bhavna karte hue nirantar smaran karna. Sab kuch prapt hai. Dekh lo is sansaar mein sabse durlabh vastu manushya sharir hai. Manushya sharir mein sabse durlabh vastu satsang hai. Satsang mein durlabh vastu shri Krishna bhakti hai. Bhakti ka swaroop sada sarvatra bhagwat bhavna aur naam smaran [gala saaf karne ki aawaz] sab sulabh hai.
sab durlabh sulabh hai. Yadi ab bhagwat prapti nahi to matlab abhagi samjho abhagya jo na tare bhavsagar samaj nar paye suti nindak mandamti atma hanand gati jae tumhen jo log marna chahte hain wo nahi mar sakte tumhen vish dekar bhi nahi mara ja sakta tumhen aag bhi nahi jala sakti tumhen bade-bade parvaton ke niche dabaya jae to bhi tumhari mrityu nahi hogi saanp se dasaya jae to bhi mrityu nahi hogi yadi 100 100 rup rakh ke mrityu ave to to bhi nahi hogi. Bas meri baat man lijiye. Nirantar naam jap kijiye.
bhagwan aisi sthiti de denge ki mrityu tumhen chu nahi paegi. He bhai bas sar baad bhagwan ki sharan mein hokar apne kartavya ka palan karte hue naam jap karo. Isi janm mein anand ko prapt ho jaoge. Prapanch mein mat faso. Yah maya prapanch aapko phasaega. Prashn karega aap shri ji ki taraf rahna ham bure hain bhale hain jaise apne shri ji ke hain paksh shri ji ka rakhna jit jaoge maya ghaseetegi apne paksh mein aao kabaddi ka khel hai kabaddi ka khel ye hamko maya ke paksh mein jana padega jaise pala hota hai na to usmen do sharten rahti hai ek to tumhari sans na tutne pave school mein sikha dikhaya gaya tha nahi kabaddi kabaddi Radha Radha Radha Radha sans na tutne pave nirantrta naam ki bana aur dusri baat tumhen pakdenge wo char panch milke pale tak nahi ane denge pala kaun sa hamare mai shyama ji ko raj pakdenge kaun kam krodh lobh moh mad matsar aapko ghaseetna hai kaise Radha Radha Radha Radha aur aap pale mein aa jaoge aur agar jo hi pakde to khatm Radha naam to aap har gaye.
jis samay pakdenge to aapka Radha naam chhut jaega. Dekh lena aur agar Radha naam nahi chhuta to chhayon ko ghasit ke pala mein le aoge. Kam, krodh, lobh, moh, mad matsar kabaddi mein jit jaoge. Ek taraf hai maya apne parsado ke saath aur ek taraf hai bhakti bhagwan ke saath. Aapko apne paksh se us paksh mein jana hai. Us paksh ke aapke paksh mein bole yahan maya pravesh nahi kar sakti. Kyon nahi pravesh kar sakti? Bole ham bhagwan ke hain. To maya kiski hai? Ghas phus ki hai. Wo bhi bhagwan ki hai. Mam maya datt aur mamwa vansho tum aur pala beech mein rakha hua hai.
donon bhagwan ke khiladi hai. Ek taraf maya ek taraf maha bhagwat wo udhar bhi jaega wah udhar bhi aayegi. Sans na tutne pave Radha Radha Radha khel mein jit jaoge jiske mukh mein naam chal raha hai to kam krodh lobh usko dabaenge gira denge phir bhi wo ghaseetta chala hai sans na tode to jit jaega chhayo shatru upar lade hain gir chuka hai khuli sab baat samjho kam krodh ne gira diya hai kabaddi wala girta nahi phir bhi wo ghasit raha hai Radha Radha Radha Radha bole pala bahut dur ho to bole is kabaddi mein pala hi chal ke nazdik aa jaata hai pale tak aapko nahi pahunchna chhayo ne daab liya hath aise karoge bologe Radha to pala hi chala aayega aur pala samjh rahe na wo maya bhi soche ki bahut buri jagah fansa hai hamara pala bole nahi abhi kya jana kaise se pala para to pala aake par jaega aapke hath mein.
ye ham pravachan nahi kar rahe. Ye ham andar ki chati ki baat kar rahe. Bas chodna mat. Radha Radha naam mat chodna aur apna pala samjhna. Rakh pala ka hai hamare mai shyama ko. Ye agar ham pakde to hamara kam ho gaya. Pakki baat kah rahe hain. Ham ye sab sujh karke samjh karke kah rahe kyonki is janm mein yar bhagwat prapti honi. Aise sadhan mein lago kyonki sadhan ke bina tumhara samarpan purn nahi hoga. Aise aaj ham roz ek nai yukti sochte hain aur ghuma ghuma ke usi ko samjhate hain. Hamara kabaddi ka khel hai.
ek taraf maya hai. Ek taraf prabhu hai. Hamko Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha bolte rahna. Ye hamko giraenge. Ham gir jaenge. Kyonki ham itne balvan nahi ki chhahon ek to pure vishv ko nachae hain. Kam, krodh, lobh, moh ye chhahon jab ham par aakraman karenge to gir jaenge nahi. To gir jaenge tab bhi aise karenge Radha to wo pala jo hai na wo hamare nazdik aa jaega aur ham jit jaenge aur ham jit gaye nahi jit gaye tumhen aisa nahi lagta tumhen bhagwat prapti hogi sahi batao hriday se batao tumhen accha nahi ye aisa anubhav hota hai ki nahi ki tumhen bhagwat prapti ho jaegi tumhen is janm mein shri ji mil jaenge hota hai are jor se bolo yar haan ye shri ji ke bal se kahte hain ham andar nahi aata apne to har samay aise utsah rahte hain jaise kisi ka vivah hona
ho na to kaise nahi phul phul ghumta hai ki aise hamko lagta hai ki hamara shri ji ke paas jana hai shri ji ke paas jana hai shri ji ke paas jana hai kaun si shri ji jinke paas hai tan man ke bichhre ve chah badhe din rahan wo aapko sachchi kahte hain jinke man mein ane laga mere ko shri ji ke paas jana hai paas pakka bana banaya hai tabhi man mein aayega nahi to prashn aa jaega ham jaise papi kahan jaenge shri ji ke paas nahi nahi is paap ko mat pakdna wo to jal chuke jo galti ho gayi thi wo jal chuke kyonki itna satsang sun rahe ho tum shri ji ka naam sun rahe ho are satsang ek bar jo satsang sun liya bahut badi baat ho gayi ye satsang hai ye bhagwat aradhan hai khub himmat karo apne pale mein pahunchna hai is bar is bar suklali agli bar kabaddi mein pakka haroge.
agla jo ane wala hai, ab age samay nahi rah gaya. Ham roz isi baat ka dhyan dila rahe. Bas bhagwat prapti karni hai. Bhagwat ashrit hokar nirantar naam jap karte hue apni taraf na dekhte hue apne isht ki taraf dekhna hai. Shri Radha vallabh lal ki jai
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…
- Vrindavan ki diksha ka kitna bada phal hai? / bhagwan shrikrishna ka prakty // 20/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand [gala saaf karne ki aawaz] raso purnam hrid pritam madhupte smarta mugam nirvapay param shital masya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj…