bhagwan jis par prasann hote hain use kya dete hain? Matsya avatar ki katha // 02/09/26
pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.
pura pravachan
Vrindavaneswari tvai padarvindm premik makrand rasaugh purnam hridyarpitam madhupte smarta mugram nirvai param shital mashyam param shital mashyam param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladlele pranaaradhy pran priy yugal sarkar shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi tarulta yamuna ras rani rajrani samasth brajvasi parikar shri Vrindavan dham vas matra se bhagwat prapti shri Vrindavan dham vayu sparsh matra se vishv ke jitne bhi tirth hain wo jo samanta nahi kar sakte.
jo Vrindavan ki vayu sharir mein sparsh karti hai usse jo pavitra hoti hai, paap nash hote hain. Aisa kisi tirth se nahi hota. Yah bada durlabh hai. Bas bhavheen jeevan hai. Isliye jo labh hamko mila uska anubhav nahi ho raha aur jo anubhav hona chahiye wah abhi labh mila nahi. Donon baten hain. Jo anubhav hona chahiye wah abhi labh nahi mila. Jis anubhav ke baad sochna aur chah donon khatm ho jati hai. Koi soch nahi, koi chah nahi. Wah abhi anubhav nahi hua. Aur jo kripa hui hai bahirmukhta ke karan uska anubhav ham nahi kar rahe.
ham par jo hetu ki kripa hui bahirmukhta ke karan anubhav nahi kar rahe. Ek baat pakar le ananyata buddhi se nischay kar le ki ab jaise bhi hain ham shyama Shyam ke hain. Is par koi antar aae nahi. Iske beech mein kuch nahi ho. Bahut jaldi paramarth pusht ho jaega. Bahari vihaar prapanch mein jab sadhu se milte hain bahari to koi birla hi antarmukh bhagwat prapti ki lagan wala hota hai. Nahi to sab prapanch mein hi khel khalne ka sukhanubhuti karne ka sab vichar chalta rahta hai. Wah antar mein vichar shunya hokar paramatma mein sthit hone ka yah bahut kathin hai.
yahi hamen karna hai. Jo kathin hai wahi karna hai. Bahari sab badi vichitra leela hain. Paramarth ke naam par na jane kya-kya man ki vilasta hoti hai. Na jane kaun-kaun se prapanch ekatrit kiye jaate hain. Aur paramarth ka swaroop hi hai. Ekmatra apne atma swaroop mein sthit ho jana. Atma Harivansh pragat parmanand pragat parmanand swaroop acharya charnon mein purn samarpan ho jana unki bataai hui upasna mein chitt nirantar lagae rakhna bas aur duniya ka agar aur prapanch sabhi hai to bahut dur hai abhi paramarth jab padharte hain vartaen hoti hai tab pata chalta hai nahi to apne to shri dham Vrindavan ki sharan mein hai na koi anya sthan jana na kisi se milna na anya koi varta wahi jo samay hai usi samay mein tab prichay prapt hota hai ki kitni kripa hai ladli jo ki sadhako ki sadhna ka jo param labh hai lakshya wah dridh ho gaya to bas sab ho gaya.
hamari buddhi vyabhcharni ho chuki hai. Isko pavitra karna hai. Abhyacharni vyabhcharni kisse hoti hai? Bhogeshwar prasakta naam tahat chetsha jo bhog aur aishwarya mein rat buddhi hai apit ho chuki hai yah nischay kar rahi ki isi mein sukh hai wo vyabhcharni buddhi hai. Jo ekmatra paramatma mein sthit hone ke liye vyakul hai, wah pativrata ki tarah param pavitra buddhi hai. Param pavitra buddhi hai. Jab tak prabhu ke liye samarpan ki vritti buddhi mein nahi aati tab tak wo vyabhcharni buddhi kabhi bhi dhokha de sakti hai.
jaise vyabhcharni stri ka vishwas nahi kab wah vishvasaghat kar de kab wah daga de de aise hi jo hamari buddhi hai abhi vyabhcharni hai kabhi yah vishay kabhi yah vishay kabhi yah vishay kabhi yah vishay wo parmatmand aatmand bhagwanand iski taraf to purn samarpan ki vritt nahi uth rahi kyonki wo apvitra ho chuki hai. Bhogon mein buddhi apvitra ho chuki hai. Ab samay hai abhi pavitra kar lo, marjan kar lo. Buddhi ka marjan hai. Jab ek nischay ho jae paramatma ke siva na kuch tha na hai na rahega aur usi ki anubhuti karni hai.
tab mani jaegi ki aapki buddhi pavitra hai. Sabha mein nahi ekant mein ekant aapka paramatma chintan mein tanmay ho. Sabha mein nahi. Sabha to sabka pavitra hai. Sabha mein to sab koi pavitra aacharan karega. Pavitra baithna, uthna, bolna kyonki sabha hai. Ekant aapka kitna pavitra hai. Ekant mein aap kitna chintan vishay karte hain ya kitna chintan paramatma ka. Yah khas baat aapko apne andar dekhni hai. Goswami tulsidas ji kah rahe hain ki meri buddhi param pavitra pativrata ki bhanti aapka varan kar liya hai. He hari ab anya aashray ismen nahi hai.
yah sadhak dekhta hai ki hamari buddhi anya aashray liye ya nahi liye. Ise dusra koi pramanit thodi karega. Aapka hriday pramanit karega. Aap khud praman hain ki aapki buddhi vishay abhilasha yukt hai ya vishay abhilasha shunya hai. Ye jo prem lakshna bhakti hai iske liye purn pativ dharm se yukt buddhi chahiye. Hari guru ke charnon mein samarpit anya aashray anya abhilasha anya kamna ye shunya bilkul shunya koi kamna nahi koi abhilasha nahi koi anya asha nahi ekmatra paramatma asha paramatma abhilasha paramatma anubhuti buddhi shuddh yah shuddh buddhi ka lakshan hai goswami ji kah rahe hain ki prabhu aap to sabke hriday ki janne wale hain.
antarjami hain. Nath ni ke janbi theek jan ji ki theek jan ji ki apne jan ke hriday ki theek baat aap samjhte hain to aap jaan lijiye he nath aap neeke ke janbe theek jan ji ki aap achchhi tarah se theek theek jante hain apne janon ke apne bhakton ke hriday ki baat ko to ravarro bharo so na ke supem nem leo ruchar rahni ruch mati gati ti ki janbi theek jan ji ki aap antarjami ho aapse kuch chhupa to hai nahi aap hamare hriday ki baat dekh lijiye he nath yah jo meri buddhi hai yah param pavitra hai kyonki ab yah kisi ka varnan nahi kar rahi.
ekmatra aapki hi asha aapka hi bharosa. Yah aapke charnon mein pativrata ki tarah tanmay ho rahi hai. Aap hriday ki janne wale ho. Aap jaan jao. Hamare hriday ki theek theek baat jaan jao. Ham to nivedan kar rahe hain ki hamari buddhi rupi pativrata ye aapka varn kar rahi hai. Aap theek theek hriday ki janne wale ho. Aapke bhrose ko hi hamne apna sarvasv Swami man liya. Bharosa sirf aapka aapse hi ab vishuddh pyar karenge. Yah niyam le liya aur aap jisse prasann ho aise aacharan karenge. Yah ruchi hai ab hamari. Kya sundar sthiti hai.
meri buddhi rupi kanya ne aapka varan kar liya. Bhishma ji bhi antim samay kahte hain bhagwan shri Krishna se aaj tak ise dushit nahi hone diya. Apni buddhi rupi kanya ko bahut bacha ke rakha nath ab antim samay hai. Iska varnan kar lijiye. Aap ise sweekar kar lijiye. Meri buddhi ko sweekar kar lijiye. Aur bhagwan kahte bhi hain mav man aat ma buddhim niveesh yadi mere mein man buddhi arpit kar diya to mere mein hi vas karoge ismen koi sanshay nahi goswami ji kahte maine apni buddhi ko aapke prati pativrata bankar arpit kiya hai.
meri ruchi aapko prasann karne wale karmon mein hai aur mera bharosa sirf aapse hai. Are badi nishchintita ka marg hai. Keval samit jao. Yah jo bhagwan ka marg hai yah zyada idhrudhur daud, bhag chintit pareshaan yah sab wah pareshaan hai jinko satsang nahi mila. Aapko satsang mila hai. Sab pareshani nahi honi chahiye. Ek ek baat ko samjhna hai. He prabhu aap antarjami ho. Sabke hriday ke theek theek jante ho. Jo main kah raha hoon wo aap samjh lijiye. Meri buddhi param pavitra kunvari kanya ki tarah hai. Isne kisi ka varnan nahi kiya.
aaj ye varn karti hai aapko pativrata ki bhanti. Meri ruchi ab usi karm mein lagegi jo aapke anukul hoga jo aapki prasannata ka hetu hoga. Mera bharosa sirf aapke hi aapka hi bharosa hai. Bilkul anya koi bharosa nahi. Kukrit sukrit bas sab hi so sang parkhi parai gati aapne hoon ki mere bhale ko gosai poch ko na soch shankh hohu kiye kaho so sanchi si pi ki aa paap aur punya ke vash hone ke karan mujhe do prakaar ke vyaktyo ka sang mila. Jab paap ka prabhav badha to mujhe kusang mila aur jab punya ka prabhav mila to mujhe satsang mila.
khub achchhi tarah se dekha hai. Kusang ka bhi prabhav aur satsang ka bhi prabhav. Paap ka bhi prabhav aur punya ka bhi prabhav. Donon chal chali hai aur donon ki chal ka anubhav kiya hai. [gala saaf karne ki aawaz] goswami ji kah rahe hain. Kusang ki chal aur satsang ki chal. Punya atma ka sang aur papatma ka sang. Donon sang kiye hain aur donon ki chal dekhi hai. Parkh chuka hoon prabhu nath. Mujhe apni buraiyon ki ab koi parvah ya chinta nahi rah gayi. Aur na mujhe un buraiyon ke parinaam se koi dar lagta hai.
kyon? Kyonki aapki sharan mein hoon. Ab mujhe koi parvah nahi. Aapki sharan mein hoon. Bhale bure ki chinta lagi rahe, bhay bana rahe to phir aap mahan ki sharanagati kaise? Bilkul khule hue shabdon mein varnan ho raha hai. Yadi aap inko pakar lo to nishcint ho jao. Paap aur punya ke prabhav se bhale aur bure donon sang hue. Bhale aur bure donon chale chali. Khub parkh ke dekh liya nath. Ab mujhe apni burai ki koi parvah nahi. Mere mein burai hai. Iski koi parvah nahi. Kyon? Kyonki main aapki sharan mein hoon.
aapki sharan mein hokar apni chinta karna sharanagati ka kalank hai. Main aisa hone nahi dunga. Ab apni chinta nahi karunga. Ab aapka chintan karunga. Swami ki sharan hokar ke aur chinta nahi main to nishcint hoon. Nirbhay ho chuka hoon. Prabhu aur is baat ka main si piy ki kasam kha ke kahta hoon. Bahut badi baat hai. Ho kiye kaho so sanchi si piye ki sitaram ji ke charnon ki kasam kha ke kahta hoon ki ab mujhe apni chinta nahi. Goswami ji kah rahe mujhe apni burai ki chinta nahi rah gayi. Na dar hai burai ka kyonki main aapki sharan mein hoon aur aapki sharan mein hokar apni chinta karna yah sharanagati ka kalank hai.
nath gyan ho gira ke Swami bahar antarjami yahan kyon durgi baat mukh ki aur hi ki tulsi taharo tum hi pe tulsi ke hit aise mahapurush hai adwati bas yahi hriday ki sthiti chahiye tulsi taharo tum hi pe tulsi ke hit Rakhi kaho ho to jo pe hoe ho makhi ghee ki prabhu main sach kah raha hoon bhala aap sarvagya ke samne banavti baat chalegi kya aap to sarvagya hai gyan ho gira ke Swami bahar antarjami aap gyan aur vani ki jo swamini Saraswati unko bhi buddhi dene wale hain. Saraswati ko buddhi kisne di?
prabhu ne. Girag ke Swami aap vani ke aur vani ke adhishthatri devi Saraswati unke bhi Swami hain. Unko bhi gyan dete hain. To nath aap bahar ki to sab jante hain. Bhitar ki bhi sab jante hain. Kyonki aap antarjami hain. Aisa nahi hai ki tulsi muhn se kuch aur kah raha hai. Hriday se kuch aur ho. To aap jante hain. Aap yah baat jante hain. Aapse chhip nahi sakti. Aapse kapt nahi chal sakta. Yah tulsi aapka hai. Aur hit hoga tulsi ka to sirf aapse hoga. Ismen yadi koi kapt rakhkar ke kah raha hoon to ghee ki ma ghee ki gati paun.
jaise makkhi ghee mein giri turant mar gayi. Usi prakaar mera lok parlok sarvnash ho jae. Yah jo main thodi bhi banavti baat kahun aap antarjami hriday ke hain. Jante hain. Phir bahut jor ki baat hai is pad mein nath aap hriday ki sabki theek theek baat janne wale hain. Meri buddhi pavitra kunvari kanya hai aur yah pativrata ki bhanti aapka varan karti hai aur bharosa sirf aapka aur karmon mein ruchi usi karm mein jisse aapki anukulta ho. Aapki prasannata ho. Yah bilkul theek sharanagat ka jeevan hai. Nath paap aur punya ke prabhav se bhale aur bure sang donon prapt hue.
donon chalon chali aur parkh ke dekh liya. Kuch nahi. Parkh ke dekh liya. Donon chale chal ke kuch nahi. Isliye ab mujhe koi soch nahi, koi shanka nahi, apni burai ki chinta nahi. Kyonki main aapki sharan mein hoon aur jo aapki sharan mein hai, apni chinta karta hai wo sharanagati ka kalank hai. Aur yah main baat banavti nahi kah raha. Aap bahar aur bhitar ke antarjami ho. Janne wale ho. Agar main jara bhi jhooth bol raha hoon to mera lok parlok sab nasht ho jae. Tulsi sirf aapka hai aur tulsi ka hit mangal sirf aapse hi hoga.
ye pakki baat bhagwan se baat kar rahe ho. Bhagwan ki shpath kha ke kahte Sita nath aapki shpath kha ke kahta hoon. Tulsi ka hit sirf aapse hoga. Tulsi sirf aapka hai. Bas yah baat baithani hoti hai. Zyada ismen prapanch nahi hai. Yah baat hriday mein baithalni hoti hai ki main priyal ka priyal mere bas. Ab hamko apni koi parvah nahi, koi chinta nahi. Bas prabhu ke bhrose. Kab tak ham bojha dhote rahe? Ham ye aise ham aise ham aise ab ye nahi vikar theek ho raha ye nahi ye kab tak rona dhona sab sambhalo bure bhale ham jaise he hari tere bas bharosa dridh hai ki mangal hoga param mangal hoga aaj tak kisi ka mangal nahi hua jo dves karke krodh karke bhagwan se nafrat karke jude unka mangal ho gaya unka unka chitt juda.
bhagwan ko marne ki cheshta karne walon ko bhi param pad mila. Phir jo bhav se bhagwan se jude hain unka mangal. Ab hamen apni parvah nahi, apni chinta nahi. Sharanagat ko apni chinta nahi hoti. Wo nirbhay nishcint nishuk hota hai apne aradhya dev ke bal par. To shripad kah rahe hain ki Vrindavi bhavan pavan kirti vrinda vrinda ka sulabh yadi bhagya labdha tribhuvan ko pavan karne wali ye Vrindavi hai. Bade sundar bhagya wala purush hai jisko Vrindavan ane ko mila. Vrindavan mein baith ke satsang sunne ko mila.
phir nirnay hua Priya pritam ki upasna. Phir hriday mein dridta ai aur Vrindavan vas sweekar kar liya. To bole aradhyatra rasat saraya shri Govind chin mukharwindam koti koti chandramaon ki bhi shobha ko he kar dene wale yugal sarkar radhaya sah Govind aur kishori jo jahan yahan adbhut vilas kar rahe hain. Aise Vrindavan ka vas aashray bade bhagyashali ko prapt hota hai. Vrindavan sakal bhagyavta varishtha labhyam surabhya Anil pavit sarv sabhyam Anil vayu yahan ki vayu jisko sparsh kar liye hai wah param pavitra ho jaata hai.
anya tirthon mein to avgahan karen, snaan karen, amuk amuk siddhanto ka palan karen. Tab kahin dirgh kal mein phal ki utpatti hoti hai. Yahan kah rahe hain yahan to vayu sparsh karte hi uske sare paap nasht ho jaate hain. Aur Vrindavan ye kalpatar hai. Yahan jo kamna karoge aur aradhna karoge to wah kamna purn ho jaegi. Yah dham sabki kamnayen purn karta hai. Priya pritam ki bhi to apne to jeev hain. Vrindavan sakal bhagyavta varishtha jitne bhagyawan apne ko mana rahe hain koi bade-bade pad prapt karke koi aishwarya koi apni kamnao ki purti ki ham bade bhagyashali ham bade bhagyashali lekin shripad kah rahe kaun bhagyashali bole wahi bhagyashali jise Vrindavan mil gaya jise dham ka sanidhy mila dham ka vas mila mil gaya to Vrindavan sakal bhagyavta varishtham samasth bhagyashaliyon mein shreshth bhagyashali bhai jise bhagwat dham mil gaya kyonki yahan ki vayu bhi sparsh karke nishpap kar deti hai lobhyam paresh ramyo rup sarv bhawa Ramapati bhagwan narayan bhi lobhyo wah bhi lubhayaman hai Vrindavan mein.
Vrindavan ki adbhut kunj nikunj shobha vrindavnadheeshwar ki adbhut leela vilas yah dekhkar wah bhi lobhyam lubhayaman hai shobhyam prashant hridyan sada vasantu to tumhara hriday is baat mein aandit ho jae ki ab kabhi Vrindavan ka ham aashray sanidhy vas nahi chhodenge. Kyonki Ramapati bhi jis Vrindavan ki shobha saundarya aur anand ke liye lubhayaman hai. Jahan ki vayu hi param pavitra kar deti hai. Jahan ka aashray aur vas bhagwat prapti kara deta hai. Aise durlabh Vrindavan ka sanidhy kadpi nahi chhodenge. Yachchha maha param pumartham navas parishram mal kanch Vrindavan jhat ta priyya mayah lambit bhaya vidhi samukhya yadi tumhen charon purusharth nahi chahiye dharmartha kam moksh to Vrindavan ki ichchha karo kyonki prem purusharth ye Vrindavan pradan karta hai.
pancham purusharth yahan thoda bhi parishram bahut labh deta hai. Ye jo seva mein lage hue jan hain raat din ye bade saubhagyshali bas apne charit ko pavan rakhen. Aacharan ko pavitra rakhen. Sahjanand mein doob jaoge. Yahan thoda bhi parishram bahut labh deta hai. Kis baat ka parishram? Bhajan ka parishram, bhagwat seva ka parishram. Jo hamari dincharya hai man nahi kar raha lekin hamko apni dincharya mein sammilit hona hai. Yah jo shram hai ye jo tap hai bahut bada labh dega. Dham hai dham mein kal prashn hua ki kashi mein marne par moksh prapt hota hai to jo akar ke hotlon par gande aacharan karte hain, madirpan karte hain aur is tarah vihaar karte hain.
phir marte hain to unko bhi moksh prapt hota hai. Nahi kadpi nahi bhut bante hain. Aise log nich yoniyon ko prapt hote hain. Aisa nahi hai ki tum dham aur puri ki mariyada ke khilaf aacharan karo aur dham aur puri tumhen param pad dega. Aisa nahi hai. Wahan rahne se raho. Jis rahne se raha jaata hai aur phir tumhare bhajan mein truti hai, kami hai to usko mahadev ji nahi dekhte. Kal charcha mein kaha ki wahan ke machchar ko to mil jaega moksh lekin manushya ko nahi milega. Jo manushya puri mein rah ke dham mein rahkar ke madira pan kare, vybhchar karne ave aur soche hamara moksh ho jaega.
manmani aacharan karen to bhut banega. Durgati ko prapt hoga. Ye anya yoniyan nich yoniyon ko prapt hokar pehle praarabdh ka marjan hoga jo tumne paap kiya hai. Phir age mahadev ji vichar karenge. Jo asmarth jeev hai unke liye hai. Tum vivekvan hokar manmani papacharan karo. Jaise upjau bhumi mein accha bij par jae to accha phal dega aur to bura par jae to phir wo upjau bhumi hai wo. Usi tarah badhaegi. To tirth ka paap, puri ka paap, dham ka paap ye sab vajr ki leek kaha gaya hai. Is bhav mein mat rahna ki yahan aa ke manmani paap aacharan kiye, hotel book kar liye, khub gande aacharan kiye aur bada haan to yah jo hisaab kitaab hai tribhuvan mein kahin tum nahi de paoge.
ise bhogna hi padega. Bahut buri tarah bhogna padega. Yah dham hai. Bahut savdhani se jeevan yapan karo. Bahut savdhani se dincharya vyatit karo. Yah tap bhajan Priya pritam ko rijhane ka desh hai. Ye bhogon ka desh nahi hai. Haan aise truti ho jae to dham kshma karta hai. Lekin aap aae hi isiliye ho. Yahan manoranjan karne kya ho jaega? Tumhare aise paap yahan ikttha hokar phlibhut honge ki kaat nahi paoge, bhog nahi paoge. Isliye bahut savdhaan jinko bhajan nahi karna jinko prabhu se matlab nahi hai mat avdhan yahan ke paap mat karo papacharan mat karo yahan ke madira mans aur vybhchar aur gande aacharan idhrudhur ka sab ye kuda karkat itna badh jaega ki phir aag nahi laga paoge tribhuvan mein kahin bhi paap ho jae uske prayashchit ke liye Tirtharaj prayag hai Tirtharaj prayag mein paap ho jae to puriya hai bhagwan ki unka sevan karo puri mein agar truti ho jati hai to ekmatra vastuta hai bhagwat dham shri Vrindavan Priya pritam ki aradhna karo naam sevan karo to mahadev bhi kshma kar denge kripa karke ab dham mein papacharan ho jaata hai phir kahan phir kahin shanti ki to isliye bahut savdhaan yah jo mahima hai to agar tarne ki mahima hai to usmen phir papacharan karke parvat ke parvat paap ho jaate hain.
wah yah bhi mahima hai. Isiliye jab Ravan ke shish kaat rahe to wahan udaharan goswami ji ne diya ki Ravan ke shish aise badh rahe hain jaise tirth mein kiye hue paap badh jaate hain. Tirth are phir kashi aadi aur phir Vrindavan dham aadi aake tum manoranjan karo hotel le lo aur aise gande gande aacharan karo to bahut durgati hogi tatkaal thodi kuch samjh mein aata hai tatkaal sare sukrit nasht hote hain phir uska vidhan banta hai ye jaise manmani nahi jab man aaya tab kapde pahan liye jab jaise man aae waise bhash bana liye jab man aaya utara bhag gaye jab man aaya to aise logon ki aisi durgati hogi samay jaise kal bal ji kah rahe the apne parsado se bhag jao abhi samay nahi samay samay aayega na jo purkha hai na wo bhi santapta honge are jo theek se chalte hain to kadam chalna mushkil hota hai aur ye jo papacharan kar rahe hain inko mauj milegi inko masti milegi sambhal ke sambhal ke samay aayega aisa dand dega ki tumhare purkha bhi tript ho jaenge.
jab paap ka dand aata hai na phir koi saath nahi deta aur aisa jal buna hua dikhayee deta hai apne logon ko fansa fansa ab wo usko lag raha hai bahut mukt ho gaye jhanjhat khatm ho gayi jagna uthna bhajan karna ye karna wo yatagya visma parinaam amrito upmam yatagya amrito upmam to parinaam vishka amrit jaisi shuruaat bhog paap ye sab amrit jaise lagte hain. Inka parinaam vish jaisa hoga. To kah rahe hain yahan thoda sa bhi parishram bhagwat marg ka mangal kar dega. Isliye Priya pritam bade kripalu. Shri Vrindavan dham bada kripalu.
inki sharan mein ho jao. Anya aashray mat lena kyonki anya aashray samannya phal de sakta hai. Bhagwat prapti nahi kara sakta. Vrindavan dham Priya pritam ka aashray yah sidhe bhagwat prapti karata hai. Chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran prasang chal raha hai. Maharaj param udaar param yashaswi maha bhagwat bali ji maharaj pranam hai. Koti sa pranam hai. Aisi nishtha bhakti ki to Prahlad ji ke poutr mein hi pai jaegi. Dusri jagah milna bada kathin hai. Bhala tribhuvan ko dan karne wale mahapurush ko Varun paas mein Garud ji se bandhwa diya aur bade kathor shabd bhagwan bol rahe hain.
he abhimani kahta tha teen pag dan karunga. Do pag mein samasth bramhandon ko nap liya. Ab kahan pura karega? Tisra pad bali ji ne kaha prabhu pehle to hamara pranam sweekar kijiye. Abhi tak to dan dene ke baad jab aap napna shuru kiye to pranam karne layak nahi rakha. Aapne bandh ke dal diya. Prabhu ham kabhi mithya nahi bole. Kabhi jhooth nahi bole. Aur aapko galat bharosa bhi nahi diya. Teen pag prithvi ka kaha hai to aap sweekar karte hain. Do pag mein sab kuch nap liya. Ab tisra pag sampattivan ko napie.
mujhe apna shri charan mere mastak par rakhiye. Isi samay Prahlad ji ankhon se aansu chhalak rahe hain. Anand purn hriday se sir jhukae hue bhagwan ko sashtang dandvat kiya jake. Prahlad ji ko dekhkar ke bhagwan muskurae. Prahlad ji ne kaha prabhu aapne hi bali ko aishwarya purn indra pad diya tha aur aapne hi le liya to aapka lena sundar aur aapka dena bhi sundar tha. Main samjh raha hoon ki mere upar badi apaar kripa ki hai aur usi kripa ka phal bali ko prapt hua kyonki aapne atma ko mohit karne wali rajya lakshmi se alag kar diya.
ye vishesh kripa aapki hai. Dekho bhakt har sthiti mein kripa ka darshan karta hai. Yaya vid muhte yat koshte gatino yatha tasmai namaste jagdeeshwaray va narayan akhil lok sakshan ye lakshmi bade bade vidvannon ko bhi mohit kar leti hai aur aapse vimurkh kar deti hai. Bhala is lakshmi ke rahte hue vastvik theek theek tatv se aapko kaun jaan sakta hai? Aapne lakshmi chheenkar mahan upkar kiya. He samasth jagat ke mahan ishwar sabke hriday mein virajman sabke param sakshi bhagwan shri hari main aapko namaskaar karta hoon. Prahlad ji namaskaar karke anjali bandhkar khade unke samne bhagwan vaman ji itne mein raja bali ki param sadhvi patni vindhyavli apne pati ko bandha dekhkar bhagwan ke charnon mein pranam kiya hath jod ke muhn nicha ke bhagwan se boli prabhu aap apni krida ke liye is sampurn jagat ki rachna karte hain.
wah kubuddhi hai jo apne ko iska Swami mante hain. Swami to aap hi hai. Ek se ek bhakt hai. Pura parikar mahan bhagwat hai. Vindhyavli ji bhagwan ke charnon mein pranam kiya aur kaha wah kubuddhi hai jo apne ko is jagat ka Swami mante hain. Yah jagat to aapne apni krida ke liye racha hai. Iske Swami to aap hain. Jab aap hi iske karta hain, bharta hain, sangharta hain. To aapki maya se mohit hokar apne ko jhuthmath Swami manne wala nirlajya aapko kya arvan karega? Kyonki aap hi Swami iske hain.
sampurn jagat ke jeevan data ye aapko kya arvan hai? Ye to nirlajja hai. Apne pati ke paksh mein nahi bola. Jagat pati ke paksh mein bola vindhyavli jile usi samay shri bhagwan ke samne brahma ji prakt hue aur brahma ji ne kaha prabhu bardast nahi ho raha kyonki jitna bali ne samarpan kiya uska phal to hona chahiye kuch aur aur phal kuch aur de rahe ho prabhu usko bandhan mein bandhe hue ho Varun paas mein bhut bhavan bhute dev dev jaganmay munat sarwaswam na marahti nigraham prabhu prabhu bilkul theek nikle aap ise abhi chhodie abhi chhodie jisne apna sarvasv aapko de diya wah dand ka patr hota hai are
prabhu thoda kuch aapko samarpit kar de to aap rijh jaate ho isne to sarvasv samarpit kar diya apni atma ko samarpit kar diya aur aisa karte samay iski buddhi sthir rahi aap khud dekh rahe hain ye dhairya se chit nahi hua prabhu prabhu jo manushya sache hriday se ek anjuli jal chadha de ek dhoop chadha de duvadal chadha de to usko uttam gati prapt hoti hai aur bali ko bandhan sarvasv de diya bandhan triloki ka dan karne wala aise dukh ko kaise prapt ho sakta hai prabhu prabhu bas bhagwan vam vaman ji muskura diye aur kaha ki brahm yamnagrahnam tasho vidhnoham bahut kathin hai sunkar ke aandit hona yada purush stabdho lokam mam chav manyate brahma ji main jis par kripa karta hoon to aisa hi karta hoon.
chahiye kripa jis par kripa karta aisa hi aisa hi karte bilkul khub anand karo khelo pyare aapka hai sab kuch hain kaise bhi khelo aapka hai joi joi pyaro kare soi mohi bhave bhakti mein samarpan jitna jor ka hoga utna hi sheeghrati shighr anand mein duboge samarpan ki baat hai. Keval samarpan ki baat hai. Brahma ji main jis par kripa karta hoon aisa hi karta hoon. Uska sarvasv chhin liya karta hoon. Sarvasv chhin liya kar. Dar gaye honge. Sab kuch le lenge. Are badhiya hai. Ye le le nahi to marne ke baad yahi chhut jaega.
le le to kam se kam apni di hui vastu le le. Ham to beimani kar rahe hain. Nahi de rahe hain. Le lena. Pran man tan jo kuch hai unhin ne to diya tha. Kahan se laye ho? Kuch bhi laye ho kya? Kuch bhi nahi. Tumhen jo kuch mila hai wo prabhu ne diya hai. Aur isi janm mein wo sab prabhu ko samarpit ho jae to jhanjhat khatm ho jae. Ham samarpit nahi kar pa rahe hain to wo chhin lete hain aur unka chheenna bhi bahut mridu hai. Bahut mangalmay hai. Bahut anandmay hai. Kyonki jab dhan badhta hai to usmen unmad aata hai dhan ka ahankaar aata hai aur wah mere bhakton ka aur mera tiraskaar karta hai aur wo durgati ko prapt hota hai.
isiliye jis par main kripa karta hoon to do prakaar se kripa hoti hai. Ek hoti hai ahankaar ka nash kar dena to sarvnash ho jaata hai. Sarvnash karne wala ahankaar hi hai. Ahankaar ka nash matlab sarvnash. Yah mara sab theek ho gaya. Ab agar dekha ki ahankaar aise nasht nahi hoga to phir jisjis ka ahankaar hai wah sab hata dete hain. Yah kripa karte hain. Vishuddh kripa karte hain aur yah jaldi kripa nahi karte. Aisi kisi vishesh mahan bhagwat par kripa karte hain. Prarthna karna chahiye ki prabhu hamara bhi number is kripa mein laga lo.
khelo na vinash ka khel khelo aapki vastu hai aap khelo jis par vishuddh kripa hoti hai bas ye hai ki bada kathin hai bada kathin hai jhal pana agar satsang sun sun ke pusht ho gaye ho to ho jaega pujiya Baba ke ashram mein wo sant bhagwan rahte the parikrama mein prayah mila karte the to mile unka Vrindavan mein sadhu seva bahut phlibhut hoti bahut labh pradan karti sant seva santo ko bhojan pavana santo ko vastr aur ye seva bahut accha badi kripa jaise pujya shri Sudama kuti ke mahant ji aae the unhone kaha sant seva ka turant phal milta hai turant phal milta hai aur sab sadhan ka to baad mein sant seva ka to badi mahima to wo apne aap sunane lage ki ek Delhi ke kai phaiktriyan thi bade aadmi the to wo yahi Vrindavan mein kinhin sant se kaha ki ham to vishay jeev hain.
sansaar mein hain. Hamara udhar kaise ho sakta hai? Kaha tumhare paas dhan hai mahine 15 din mein aa jaya karo Vrindavan ek bar sadhu seva ki aur chale gaye bole isse udhar ho jao pakka udhar ho jaega to unke liye lakh do lakh rupya mahina mein kharch karna koi badi baat nahi thi ab to jab wo do char varsh pavaye to aur anand badhne laga phir dhire-dhire yahan bhi pavana aur Delhi bhi le jana achhche se bhet aur vyvastha sab karte to sant bhagwan to shraddha ke bhukhe unki shraddha ke karan Delhi bhi jane lage to basen khadi thi raman reti mein to ek sant
bhagwan kabhi Vrindavan se bahar nahi jaate the baith gaye to kai santo ne toka maharaj ye barsane nahi ja rahi hai ye Delhi ja rahi hai wahan bhagat bhandara kar raha hai kuch nahi baithe rahe wahan gaye to sab ne bataya ki tumhare aaj sant seva ke bhagya khul gaye kyonki yah kisi ke yahan bhandare nahi jaate aur tumne bulaya bhi nahi apne aap hi bas mein chadh ke aa gaye bhagwan tumhare upar vishuddh kripa kiye samjho aise sant jo aae wo prasad paye seth ki bahut mahat buddhi hui santo ke kahne se baad mein kaha maharaj ham par bhi kripa karo.
unhone kaha Vrindavan lene aae hain. Chalo Vrindavan. Unka kaha Vrindavan to jaate hi rahte hain. Kuch nahi bole. Dobara kuch nahi bole. Basen ai aankh chhuti. Sham ke ek hi ladka tha. Gaadi se accident hua aur wo radheshyam. Ab to sarvnash kyonki pura sab vaibhav ka wahi wo ladka gaya. Dhire-dhire udasinta badi. Sab bech dala. Sab bech ke gau seva aur alag-alag taston mein sab dan kar diya. Vrindavan akar pati patni base. Tab unko yad aaya ki sant gaye the. Kah rahe the ham lene aae hain. Chalo Vrindavan aur Vrindavan ki raj mein unhone sharir chhoda.
yah sarvnash ka khel hota hai. Jis par bhagwan ki vishuddh kripa hoti hai. Darna mat. Phd ka prashn kahara padhne walon ke saath nahi kiya jaata. Aap aisa mat darna. Muradhwaj ke charit mein padh ke dekho ara chalwaya. Wo bhagwan ke vishuddh bhakton ki leela jis par vishuddh kripa karte hain. Brahma ji main jis par kripa karta hoon uska sab kuch chhin leta hoon. Are ye koi bhayava wali baat hai. Sab kuch chhin lete hain. Aap apni har kimti vastu locker mein rakhte ho ki nahi? Bank mein sarkari bank mein. Kyon?
kyonki surakshit hoti hai. Are samjho ghuma ke bol rahe hain bhagwan. Main puri jimmedari uski le leta hoon. Ek chhoteechhoti vastu ki bhi sarvasv main sarvasv par apna adhikar kar leta hoon. Phir jo locker mein surakshit hai na to jo bhagwan ko samarpit ho gayi aapki vastu surakshit ho gayi. Accha aap sab kuch le lo. Aap aa jao hamare paas. Ghata hua ki munafa hua? Munafa hua. Ek aadmi paras mani ke sparsh se kiya hua sona le chala gaya aur ek aadmi paras mani mili to mahan kaun hua jo paras mani kyonki jitna chahe sona bana le to jagat banane wala hamare paksh mein aa gaya aur jagat ki maya ki kuch chand vastue jo hamare hisse mein thi wo usne le li to ham ghate mein hai kya are bhai daro mat nahi to sarvnash shabd sunkar dar jaate hain ki phir bhakti kam karo karo aisa nahi hai.
chakravarti samrat amrish ji ki bhakti sarvshresht aur kaun sa nash leela hui? Kyonki ahankaar hi nahi tha. Jahan ahankaar hai usko nash karne ke liye bhagwan leela karte hain. Manushya yoni mein janm lekar yadi kuleenta ka, karm ka, avastha ka, vidya ka, aishwarya ka, dhan ka ghamand na ho jae to samjhna chahiye bhagwan ki bahut badi kripa hai hamare upar. Ghamand na ho jae. Nahi ghamand to ho hi jaata hai. Kulinta aadi bahut se aise karan hain jo abhiman aur jadta aad utpann karke manushya ko sache kalyan se vanchit kar deta hai.
parantu jo mera sharanagat hota hai. Main inke ahankaar mein phasne nahi deta. Kitni kripa hai. Wo ghuma ke bol rahe isliye samjh mein nahi aa raha hai. Kitni kripa hai jo ham nahi bach sakte hain. Usse prabhu hamen bacha rahe hain. Ye bali danav aur daitya donon hi vanshon mein agraganya aur unki kirti badhane wale hoga. Isne aaj us maya par vijay prapt kar li jise jitna bade-bade munio ke liye bhi kathin hai. Dekh lo ab raj khol rahe hain. Tum dekh rahe ho hamne itna dukh diya. Par ye dukh se mohit nahi hua.
hamne iska dhan chhin liya. Rajpath chhin liya. Guru virodh kar diye. Hamne bandh liya. Bhai bandhu chhodkar chale gaye. Yah Varun paas mein para yatna bhog raha hai. Gurudev ne data phatkara saaf de diya. Parantu is dridh vritt ne tanik bhi vichlit nahi hua. Apni pratigya nahi chhodi. Maine chhal bhari baten ki. Maine chhal dharm ka updesh kiya. Parantu ye apne bhagwat dharm ko nahi chhoda. Ye baat. Aaj main wah sthan deta hoon bali ko jise Devraj indra kya bade-bade devtaon ke liye bhi durlabh hai. Savni manvantar mein yah indra pad par virajman honge tab tak vishwakarma ke banae hue sutal lok mein rahenge aur wahan main sadaiv isi vaman rup mein rehunnga.
yah kisi devta ko thodi mila hai aur main har samay in par kripa drishti ka inko anubhav karaunga. Isliye aaj ke baad kabhi shareerik ya mansik rog ya thakavat, tandra ya bahari ya bhitri shatruo se kabhi bali parajit nahi ho sakte. Yah bhagwan kah rahe yah diya hai. Koi bhi vighna bali ke samne tik nahi sakta. Aur bali ko sambodhit karte hue kaha maharaj indrasen tumhara kalyan ho. Jao nirbhay hokar sut lok mein jao. Devta bhi tumhari kirti ka gaan karenge. Bade-bade lokpal bhi tumhari puja karenge.
jo daitya aaj ke baad tumhara ullanghhan agyaa ka ullanghhan karega mera sudarshan chakra uske tukde-tukde kar dega. Ravan gaya tha digvijay karne. Mara ek lat bhagwan vaman ne to dahine anguthe ke prabhav matra se na jane kitne yojana dur gira jake wahan pravesh nahi bhagwan vaman virajman hai. Dekho kya bhagwan kah rahe main tumhari tumhare anuchron ki tumhari bhog samgri ki sabki raksha ka theka aaj se main leta hoon yar aisa saubhagya khelo na khelo karo jo ek bar aao samne aise bolo iske isi ke liye to aradhna upasna ki jati kya bali ji ko mila hai jo bali ji ko mila wo kisi ko nahi mila.
bhagwan kah rahe hain dekho nashvan vastu ka bhi theka le rahe hain. Tumhari bhog samgri ko bhi koi vighna nahi pahuncha sakta. Tumhare ko to baat jane do. Bade-bade lokpal aaj ke baad tumhari puja karenge. Dusron ki baat kya jo daitya tumhari agyaa ka ullanghhan karne ki sochega. Mera sudarshan chakra tukde-tukde kar dega. Main tumhari tumhare anuchron ki tumhari bhog samgri ki sab prakaar se raksha karunga. Veerbal tum mujhe sutal lok mein sada sarvda apne paas isi vaman rup mein dekhoge.
danwon daitya ke sansarg se tumhara jo kuch asur bhav hoga mere sang ke prabhav se wo sab nasht hota rahega. Sanatan param brahm paramatma bhagwan ne is prakaar sadhuan ke adaraniy mahanubhav Daitraj bali se jab kaha to asuon ki dhar bah rahi bali ke yar nihal ho gaye itne mein isse badhkar aur kya ho sakta hai yahan ek jhalak pane ke liye pura jeevan rishi muni tap karte rahte hain bhagwan kah rahe main har samay sanidhy mein rahun. Tumhari bhog samgri ki bhi raksha karunga. Koi vighna nahi dal sakta.
kya ekdam nihal kar diya. Nihal kar diya. Gala bhar aaya bali ji ka. Hath jodkar gadgad vani se bhagwan se kahne lage prabhu abhi to pura pranam bhi nahi kiya. Keval pranam karne ki cheshta ki hai. Usse mujhe wah phal mila jo keval aapke sharanagat anannya bhakton ko prapt hota hai. Bade-bade lokpal aur devtaon par aapne jo kripa kabhi nahi ki wah mujh jaise nich asur ko sahaj hi prapt ho gayi. Parikshit bali ji aisa kah hi rahe the ki Varun paas se mukt ho gaye. Varun paas tatkaal antardhan ho gaya. Bhagwan brahma ji, bhagwan mahadev ji ye sab bali ki bai kar rahe hain.
bali dhanya hai. Phir bhagwan ka ishara hua to brahma ji aur mahadev ji aadi ko pranam karke bhagwan ke saath sutal lok ki yatra maharaj bali ne ki. Is prakaar bhagwan ne bali se swarg ka rajya lekar indra ko de diya aur mata dev mata Aditi ki kamna purn ki. Swayam upendra bankar sare jagat ka shasan karne lage. Jab Prahlad ne dekha ki mere vanshdhar poutr raja bali bandhan se chhut gaye aur unhen bhagwan ka wo divya kripa prasad prapt ho gaya to ve bhakti bhav se bhar gaye. Us samay unhone bhagwan ki is prakaar stuti ki prabhu yah kripa prasad nemam vincho labhte prasadam na shri na sarv kimta parte y surana masi Durg palo aha durgapal vishwande rup vandita yad padm kar nishan brahma daya sharanda sunavte vibhuti kasyam kutya khal naste dakshan drishti pad bhavta praneeta ye kripa prasad to brahma ji ko bhi kabhi nahi mila na kabhi lakshmi ji ko mila aur na kabhi aisa mahadev ji ko to dusron ki baat kya aho vishv vand brahmad bhi jinke charnon ki vandna karte hain wahi prabhu swayam se ham asuron ke durgapal bankar ke rahenge.
swayam sweekar kiya. Sharanagat vatsal prabhu brahma aadi lokpal aapke charan kamlo ka makrand ras sevan karne ke karan srishti rachna ki shakti aadi anek vibhutiya prapt karte hain. Prabhu ham to janm se hi khal aur kumargh gami hai. Ham par aapki aisi anugrah purn drishti kaise ho gayi ki aap tribhuvan pati hokar hamare dwarpaal ban gaye. Kripa aapne apni yog maya se khel hi khel mein tribhuvan ki rachna kar di. Aap sarvagya sarwatma aur samdarshi aapki leela badi vilakshan jaan padti hain. Prabhu aapka swabhav kalpavriksha ke saman hai.
kyonki aap apne bhakton se atyant prem karte hain. Isi se kabhi-kabhi upasako ke prati pakshpat aur vimukhon ke prati nirdayta bhi aap mein dekhi jati hai. Shri bhagwan ne kaha vats Prahlad tumhara kalyan ho. Ab tum bhi sut lok mein jao. Wahan apne poutr bali ke saath anand purvak raho aur jati bandhuon ko sukhi karo. Wahan tum mujhe nitya hi gada hath mein liye khada dekhoge. Isi rup mein aur mere darshan ke parmanand mein magn rahne ke karan tumhare sare karm bandhan nasht ho jaenge. Parikshit samasth daitya sena ke Swami vishuddh buddhi Prahlad ji ne jo agyaa kahkar hath jodkar bhagwan ka adesh mastak par chadaya phir unhone bali ji ke saath aadi purush bhagwan ki parikrama ki unhen pranam kiya aur phir sutal lok ki yatra ki.
parikshit us samay bhagwan shri hari ne brahmavadi itwajon ki sabha mein apne paas hi baithe hue Shukracharya ji se kaha brahmin aapka shishya yagya kar raha tha. Ab usmen jo truti rah gayi wo aap purn karo. Yagya ki purnata honi chahiye aur aapki kripa drishti honi chahiye. Agyaa kari bhagwan ne Shukracharya ji ko ki ab yagya purn karo aur kripa drishti karo. Shukracharya ji ne kaha jo agyaa bhag bhala bhagwan ki agyaa ka ullanghhan kaun kar sakta hai? Jisne apna samasth karm aapko samarpit kar diya. Yagyeshwar kya abhi uske yagya mein koi truti hai?
Shukracharya ji ne kaha ki hamare shishya ne to sarvasv aapko arpit kar diya. Ab kya truti rah gayi? Ab to purnata hi purnata hai. Kyonki mantro ke anusthan paddhti ki desh kal patr vastu ki sari bhulen aapke naam sankirtana matra se sudhar jati hai. Yah prashn hota hai ekantik mein ki jaise ham sanskrit mein chuk kar dete hain. Is shlok ke ucharan mein koi matra, koi shabd chuk ho jati hai ya kisi karm mein koi chuk ho jati hai, puja mein koi chuk ho jati hai to uski purti kaise hoti hai?
to yahan shri Shukracharya ji maharaj kah rahe hain ki mantro ki anusthan paddhti ki desh kal patr vastu ki sari bhulen keval naam sankirtana se sudhar jati hai. Koi bhi puja, koi bhi anusthan, koi bhi path tabhi purn mana jaega jab naam sankirtana uske saath hoga. Bhale panch minute karo. Naam sankirtana jarur karo kyonki naam sankirtana se matra ki, shabd ki, akshar ki, mantr ki, anusthan ki, puja ki, paddhti ki jo bhi truti hui hogi, galti hui hogi wo sab mit jaegi. Aapko purn phal milega.
path ka, anusthan ka, puja ka. Har puja, har path, har anusthan ke baad panch minute chahe karo. Naam sankirtana jarur karo. Tathapi he anant jab aap swayam agyaa kar rahe hain to main aapki agyaa ka avashya palan karunga. Manushya ke liye sabse bada kalyan ka sadhan yahi ki wo aapki agyaa ka palan karen. Shri Sukhdev ji kahte hain parikshit bhagwan Shukracharya ji ne bhagwan shri hari ki agyaa sweekar karke dusre brahm rishiyon ke saath bali ke yagya mein jo kami rah gayi thi use purn kiya. Parikshit is prakaar vaman bhagwan ne bali se prithvi ki bhiksha mangkar apne bade bhai indra ko swarg ka rajya diya jise unke shatruo ne chhin liya tha.
iske baad prajaptiyon ke Swami brahma ji devrshi pitr Manu daksh bhrigu angira Sanat kumar aur bhagwan shankar ke saath Kashyap evam Aditi ki prasannata ke liye sampurn praniyon ke abhuday ke liye samasth lok aur lokpalon ke Swami ke pad par vaman bhagwan ka abhishek kar diya gaya. Parikshit ved samasth devta dharm yash lakshmi mangal vrat swarg apvarg sabke rakshak ke rup mein sabke param kalyan ke liye sarvshaktiman vaman bhagwan ko upendra ka pad diya. Us samay sabhi praniyon ko atyant anand hua. Iske baad brahma ji ki anumati se lokpalon ke saath Devraj indra ne vaman bhagwan ko sabse age viman par baithaya aur apne saath swarg liva le gaye.
indra ko ek to tribhuvan ka rajya mil gaya. Dusre vaman bhagwan ke kar kamlo ki chhatrachhaya. Sarvshresht aishwarya lakshmi unki seva karne lagi. Ve nirbhay hokar anand utsav manane lage. Brahma bhagwan shankar Sanat kumar bhrigu aadi muni pitr sare bhut siddh aur viman ruhi devag bhagwan ke is param adbhut evam atyant mahan karm ka gaan karte hue apne apne lok ko chale gaye aur dev mata Aditi bhi bahut prasann hui. Parikshit tumhen maine bhagwan ka yah sab leela charit sunaya jo baman avatar ke is leela charit ko sunta hai.
wah samasth papon se mukt ho jaata hai. Bhagwan ki leela, bhagwan ki mahima, bhagwan ki kripa jo sunta hai, jo gaan karta hai, uske hriday mein bhagwan ki vishuddh bhakti jagrit hoti hai. Jo is charit ko sunta hai adbhut leela bihari vaman bhagwan ke avatar ke charit ko usko nischit param gati ki prapti hoti hai. Dev yagya, pitr yagya, manushya yagya kisi bhi karm ka anusthan karte samay jahan vaman bhagwan ki is leela ka kirtan hoga, wo karm safalta purvak sampann hoga. Usmen koi vighna nahi hoga aur bade-bade mahatmaon ka anubhav hai ki uska param mangal nischit hua jo bhagwan vaman ke pavan charit ka gayan aur shravan karega.
raja parikshit ne pucha bhagwan ke bade adbhut karm hai. Hamne suna bhagwan ne matsya avatar dharan kiya. To matsya avatar mats yoni ek to yu hi lok nindit hai. Dusre tamoguni aur ashi partantrata se yukt hai. To sarvshaktiman hokar bhagwan ne yah matsya rup kyon dharan kiya? Bhagwan mahatmaon ke keertaneey param pavan charit karne wale hain. Isliye ham sunna chahte hain bhagwan ke matsya avatar ko. Sut ji kahte hain sonkad rishiyon jab raja parikshit ne bhagwan shri Sukhdev ji se yah prashn kiya tab unhone Vishnu bhagwan ke pavan charit jo matsya avatar se yukt hai uska gaan kiya shri Sukhdev ji kahte hain parikshit to bhagwan sabke ekmatra prabhu hain.
parwe gau brahm rishi devta sadhu ved dharm arth inki raksha ke liye jab jahan jaisa avsar aaya vaisa sharir dharan kiya. Ve sarvshaktiman prabhu vayu ki tarah niche unche chhote bade sabhi praniyon mein antarjami rup se leela karte rahte hain. Parantu un un praniyon ke buddhigat gunon se ve chhote bade ya uncheche nahi ho jaate kyonki ve samasth prakrit gunon se rahit nirgun hai. Ab suno matsya avatar ki katha. Pichle kalp ke ant mein brahma ji ke so jane ke karan brahmin namak naimitik pralya hua tha.
us samay bhoor lok aadi sare log samudra mein doob gaye the. Pralya kal aa jane ke karan brahma ji ko nind aa rahi thi. Wah sona chahte the. Usi samay ved unke mukh se nikal pare aur unke paas hi rahne wale hayagreev namak bali daitya ne yog bal se cura liya. Sarvshaktiman bhagwan shri hari ne danavraj hagreev ki cheshta jaan li. Isiliye unko matsya avatar dharan karna para. Usi samay satyavrat naam ke ek bade udaar evam bhagwat paraayan raj rishi keval jal pi ke bhagwan ka mantr japte hue tapasya kar rahe the. Wahi satyavrat vartman mahakalpa mein vivaswan surya ke putr shradh dev ke naam se vikhyat hue aur unhen bhagwan ne vaivsat Manu bana diya.
ek din rajshi kritmala nadi ke jal mein tarpsn kar rahe the to unki anjali mein ek chhoti si machhli aa gayi anjali mein satyavrat ji ne dekha ki anjali mein machhli aa gayi to aise nadi mein chhod diya to awaz ai bade karunamay ho bade dayalu ho rajan satyavrat aur aap jante hain ki yahan badi-badi machhliyan mujhe khangi. Mujhe bahut dar lag raha hai. Isliye to main aapki anjuli mein ai thi. Aur aapne mujhe phir nadi mein chhod diya. Main aapki sharan mein hoon to aapko raksha karni chahiye. Unko pata nahi tha ki yah awaz kinki hai.
unhone turant machhli ko phir hath mein utha liya aur kaha nirbhay ho jao ab nadi mein nahi dalenege tumhen aur tumhen koi nahi khega daro mat satyavrat ne apne kamdal mein rakh liya machhli ko ashram par le aae ashram mein lane ke baad raat mein hi dekha ki machhli surakshit hai kamdal mein to awaz ai maharaj main is kamdal mein bahut kasht purn hoon. Mujhe koi bada sthan chahiye. Dekha to machhli kamdal mein puri bhari hui. Itni badh gayi raat mein. Kahan sukh purvak rakh sakta hoon. Satyavrat ne machhli ko kamdal se nikaalkar ek bahut bade matke par rakh diya.
abhi do hi ghadi vyatit hua. Phir awaz ai maharaj main is ghade par sukh purvak nahi rah sakti. Dekho na main ab badi ho gayi. Satyavat ne dekha ki matka bhi chhota par raha hai. Itni machhli badi ho gayi. Kahan sukh purvak inko rakh sake aur ye bar-bar kahte hain ki main tumhari sharan mein hoon. Satyavrat ne wahan se machhli ko uthakar ek bahut bade sarovar mein dal diya. Thodi hi der hui awaz ai maharaj yah sarovar bahut chhota hai. Main bahut vishalkay sharir wali hoon. Dekha to pure sarovar mein machhli pura bada bas.
raja ne kaha ye abhi itni badi to hamare hath mein ai thi. Kamdal chhota par gaya, matka chhota par gaya, sarovar rajan main aapki sharan mein hoon. Jalchar prani hoon. Sarovar ka jal mere liye sukh purvak rahne ka sthan nahi. Ab wo atuut jal wale bahut bade sarovar mein le gaye. Je bhi chhoda te vishal ka swaroop phir maharaj ye bhi chhota par gaya. Ab hamare liye sthan khojo. To unka samudra hi bacha. To bole wahan bade-bade magarmachch kha jae. Bole ab hamko bhramit mat karo. Itne mein to itna bada swaroop to aple dharan kar liya.
ab samudra ke siva kuch bacha le aur samudra mein le ja rahe to kah rahe ho mujhe dar lag raha hai. Tum kaun ho matsya ka rup dharan karne wale aur mujhe kyon mohit kar rahe ho? Ek din mein 400 kos vistar ka sarovar gher liya. Aaj tak aisi machhli to hamne dekhi nahi. 400 kos ka na maine suna hai na maine padha hai kahin. Aap suna padha dekhe se bhi alag ho koi kaun ho aap anugrah karke kripa karke aap apna prichay dijiye tab dekha ki Shyam varn bhagwan matsya rup mein jhalak rahe kaha oo aap to sakshat sarvshaktiman sarvantaryami avinashi shri hari hai matsya rup mein ye to param param anugrah kiya.
jalchar rup dharan kiya. Purushottam aap jagat ki utpatti, sthiti aur pralya ke Swami hain. Aapko main namaskaar karta hoon. Ham aapke sharanagat bhakt hain. Aapke ashrit hain. Aapke sabhi leelavtar praniyon ke abhriday ke liye hai. Par main janna chahta hoon ki is samay prabhu ne yah matsyavatar kyon dharan kiya hai? Iska kya karan ho sakta hai? Parikshit bhagwan apne anannya premi bhakton par atyant kripa karte hain. Jab jagtapti matsya bhagwan apne pyare bhakt raj se satyavrat ki prarthna suni to unka param priy aur hit karne ke liye saath hi kalpant ke pralya kalin samudra mein vihar karne ke liye unse kaha satyavrat aaj ke satav din pralyankari jal pure brahmand ko doob dega.
us samay tino log pralya kalin jal mein jab dubne lagenge to tum ghabrana nahi mere bhakt ho. Keval tum hi bachoge. Tumhare paas meri prerna se ek nauka aayegi aur tum samasth praniyon ke sukshm sharir ko lekar sapt rishiyon ke saath us nauka par chadh jana. Aur kuch jau dhanya aadi anek prakaar ke bij ye sab us nauka par rakh lena. Ekmatra pure tribhuvan mein mahasagar jal hi keval hoga aur kuch nahi. Koi prakash nahi hoga. Keval rishiyon ki divya jyoti ke sahare kisi prakaar ki vikalta tum mein nahi honi chahiye.
bhay nahi hona chahiye. Sanshay nahi hona chahiye. Tum nav par chadkar baith jana. Je hi nav tumhari dagamgaegi usi samay main is rup mein aaunga. Matsya rup mein aur Vasuki nag tumhari nav ko hamare seeng se bandh denge. Bas jab tak yah pralyankari raat rahegi brahma ji ki tab tak main tumhen isi jal mein kheenchta hua vichran karta rehunnga. Tumhari nauka dubegi nahi. Darna mat. Us samay jab tum mere se prashn karoge to main tumhen gyan ka updesh karunga. Mere vastvik mahima param brahm jo mera swaroop hai use jab tum tum theek theek jaan jaoge to tumhen koi bhay nahi rahega koi shanka nahi rahegi aisa satyavrat ko adesh karke bhagwan antardhan ho gaye raja satyavrat usi samay se pratiksha karne lage bhagwan ki aur bhagwan mats ka chintan karne lage sat din vyatit hone mein der nahi lagi.
usi samay dekha bhaykar samudra apni mariyada chhodkar ke charon taraf se prithvi ko dubone laga. Sari prithvi doob gayi. Anya lok bhi doob rahe hain. Raja ne bhagwan ka smaran kiya to dekha nav aa gayi. Tab dhanya anya bij sapt rishiyon ko lekar nav par baith gaye. Aur sapt rishiyon ne bade prem se raja satyavat se kaha rajan bhagwan hi bacha sakte hain kyonki pralyankari tufan chal raha hai isliye jaldi tum smaran karo matsya bhagwan ka je dhyan kiya to jaise swarn ka pahar aise dedipyaman kant sharir ki bhagwan matsya wahan padhare aur Vasuki nag bhagwan ki prerna se akar ke nauka aur bhagwan ke ek si tha matsya bhagwan usmen aise satyavrat prasann hokar bhagwan ki stuti ki ki he prabhu sansaar ke jeevan ka atmjyan anadi avidya se dhak gaya hai.
isi karan ve sansaar ke anekanek kleshon ke bhaar se pidit ho rahe hain. Dekho ye aayega vinaskaari pralya aayega. Samyasmay par sab hota hai. Unke liye to mat se bhagwan aa gaye. Nauka aa gayi. Kah rahe the sab khanpan ki samgri aur sapt rishi apne liye jugad nahi hai. Isliye bhajan karke pehle hi bhagwan ko prapt ho jao. Bahut yah sansaar bada bhyawah hai. Bada dukhad hai. Bahut dukhad hai. Kis samay kab kaun si jara sa prithvi hili ki pure prant ke prant nasht ho jaate hain. Jara sa jal apne shasan se upar utha ki prant ke prant ko dubo deta hai.
isliye mrityu ke pehle bhagwat prapti kar lo. Khub naam jap kar lo. Maharaj satyavrat ne matsya bhagwan ka stavan kiya. Matsya rup dhari Purushottam bhagwan ne pralya ke samudra mein vihar karte hue unhen apne atma tatv ka gyan karaya. Je bhi rajshi satyavrat ko brahm bodh hua kritkrit ho gaye. Ye apne swaroop ka bodh hote hi krit krit ho jaate. Jo updesh kiya matsya bhagwan ne use matsya puran kahte hain. Satyavrat ne rishiyon ke saath nav mein baithe hue sanatan brahm swaroop atma tatv ka bodh prapt kiya.
aur jab brahma ji ki nind tuti tab bhagwan ne hayav asur ko markar usse ved chheenkar brahma ji ko diye. Bhagwan ki kripa se raja satyavrat gyan vigyan se sanyukt hokar is kalp mein vaivsat man hue. Apni yog maya se mats rup dharan karne wale bhagwan aur rajsha satyavrat ka ye jo shreshth samvad sunega wo samasth dosho se mukt ho jaega. Jo bhagwan ke matsya avatar ka pratdin kirtan karega wah sankalp siddh ho jaega aur use param gati ki prapti hogi. Pralya kalin samudra mein jab brahma ji so gaye to unki srishti shakti lupt ho chuki thi.
us samay unke mukh se nikli hui shrutiyon ko churakar hagav datya patal le gaya tha. Bhagwan ne ve shrutiyan brahma ji ko louta di evam satya rishi aur satyavrat ko brahm tatv ka updesh kiya. Samasth jagat ke param kalyanmay leela matsya avatar bhagwan ko namaskaar hai. Abhi itne dino mein ek khand Shrimad bhagwat ka pura hua. Kal se dviti khand jo navam skand dasham skand aur phir ekadash aur dwadash puri sampurn bhagwat sat din mein kaise ho sakti hai bahut kathin hamen lagta hai do mahina to ho gaye honge bhagwat hote hue do mahina ho gaye do mahine mein abhi ek khand hua aur agle khand mein aur bhi badhkar ke ismen bhagwan shri Krishna chandra ji ki janm leela se lekar ke paramdhaam leela tak aur phir age kalyug ke vistar ka varnan bada varnan hai.
ekadash skand to prayah gupt hi rahta hai. Ekadash skand vishuddh updesh bhagwan ne jaise matsya bhagwan ne satyavrat ko jo updesh diye wahi bhagwan shri Krishna chandra ji ne Uddhav ji ko updesh kiye. Wahi updesh hai jo Shrimad bhagwat mein kyonki matsya puran ka wahi updesh brahm tatv to wahi hai na usi ki anubhuti hai to aaj pratham khand sampann hua kal se dviti khand shri Radha vallabh lal ki jai jai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…
- Vrindavan ki diksha ka kitna bada phal hai? / bhagwan shrikrishna ka prakty // 20/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand [gala saaf karne ki aawaz] raso purnam hrid pritam madhupte smarta mugam nirvapay param shital masya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj…