॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

naam jap ka chamatkar / prabhu ki adbhut leela mein pravesh kaise milta hai? // 28/08/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

vrindavanneshvari tav padarvindm prema makrand raso purnam haditam madhu te smarta mugam nirvai param shital mashyam nirvapyt param shital Shyam bhajo nit Radha naam udaar Radha naam udaar bhajo nit Radha naam udaar jah Shyam nit ratat rahat ha bhari ullas apaar chauh bhavan [gana gane ki aawaz] lok tre Swami akhil jagat adhar akhil jagat adhar bhajo nit Radha naam udaar nirantar Radha Radha Radha aisa bhajan karo kyonki naam param udaar hai. Ati udaar vi sundar surat sur sukumar tatv jo Priya pritam hai. Inki sahaj mein prapti samasth kamnao se nivitti adbhut anurag ye sab udaar Radha naam se prapt ho jaata hai.

karm sanskaro ko bhasm karna bahut kathin hai. Nirantar karm ho rahe hain. Yah nishphal ho jae. Praarabdh bhogne ki samarth aa jae. Bhagwat prem prakt ho jae. Samasth kamnao ki nivitti ho jae. Ye sab jo hamari chah hain ye Radha naam se purn ho jaegi. Kyonki swayam Shyam sundar is Radha sudha amrit ka pan karte rahte hain. Radha Radha Radha akhil log tribhuvan pati hokar ke bhi ashubh pravah karte hue Radha naam jap karte hain. Vrindavan rajo upsevi rasik janon ne apni bhav desh mein dekha hai. Yah koi kalpna nahi hai.

bhav mein nirantar dube hue mahapurushon ne dekha hai ki Kalind tanya yamuna ji ke pavan pulind par virajman navni nikunj mein sakhiyon ke madhya mein Radha naam ka gaan karte hain. Ye ekant mein yogiyon ki bhanti Radha naam ka dhyan karte hain. Radha naam ka jap karte hain. Yah para vidya Radha naam swayam akhil lokamni tribhuvan pati bhagwan shri Krishna iska rasaswadan karte hain. Isliye nirantar param prem pradan karne wale is Radha naam ka bhajan karo. Soi nit jake hath bikano karat rahat manuhar jake daras het muni tarsat janisar ko sar sumiro soi Radha pad pankaj nishidin barambar bhajo nit Radha naam udaar jinke bas mein samasth lokpal jitni bhi shaktiya hai sab adhin hai wo prabhu shri Krishna chandra jo soi nit jake hath bikano karat rahat manohar wo hamari shri ji ke hath bike hue hain aur manohar karte rahte hain manate rahte hain ladli ju ko jinke darshan ke liye bade-bade rishi muni yog sadhna karte hain.

wahi prabhu hamari shri ladli jo ki charan seva ki yachna karte hain raat din. Isliye aise maha sukh ko pradan karne wale Radha naam ka nirantar ratan karo. Pyari jo pyare ju ke prem ras mein sabse pahla sadhan hai naam jap. Jitna adhik naam jap karoge utna hi aapke hriday ki malinta nasht hogi. Jo nirmal siddh sant hain, wah bhi nirantar naam jap karte rahte hain. Sadhan naam sam nahi an naam ke barabar koi sadhna nahi hai. Naam mein man nahi lagta. Na lage aap japte rahie. Phir iska prabhav dekh lijiye. Man to aise phas jaega jaise chita geele gur mein phas jaata hai.

uski tange phas gayi. Ab wo nikal nahi sakta. Aise naam man ko fansa leta hai. Aap japiye to bhagne do isko kitna bhagega? Jaega kahan ye? Hamare siva iska koi adhar nahi hai. Jaise samudra mein jal jahaj ka panchhi kitni bhi udan bhare use ana jahaj mein hi padega kyonki uske liye koi aashray nahi. Aise hi hamara man kitni bhi udan bhare usko ana hamare hi paas padega kyonki ham hi uske aashray hain. Hamari bina swikrati ke wo kuch nahi kar sakta. Isliye jo log ye dar rahe hain ki naam jap karte samay man bhagta hai.

kya karun? Bilkul darne ki zaroorat nahi. Bahut dhairya purvak jahanjahan jae wahan se hata ke naam mein lagao ya jahanjahan jae wahan prabhu ko dekho. Agar aisa bhi nahi ho raha to chhod do. Naam par dhyan do. Radha Radha Radha ye jaega kahan? Bhag ke ise ana padega. Japat shiv sanakaad sharad nardad sujan sadhan naam sam nahi aa bhagwan shankar ko kya chahiye samasth bodh shastron ka swaroop ka siddhion ka inhi ke charnon ki aradhna se hota hai devdhidev mahadev ki aradhna se wah bhi hari naam japte hain.

wah bhi bhagwan naam jap karte hain. Sanakaad ko kya ye to param siddh hai. Par hari sharanam hari sharanam hari sharanam Saraswati ji to sabko buddhi pradan karti par ye bhi naam jap karti hai. Narad ji ka to prasiddh hi narayan narayan narayan yah sab sujan ishwar koti ke mahapurush nirantar naam jap karte rahte hain. Isliye naam se badhkar koi sadhna nahi hai. Naam ke bal mitat bhishan ashubh bhagya vidhan ashubh bhagya vidhan jo hamen nana prakaar ke dukh vipattiyan sankat dete hain jo khub naam jap karta hai uske upar kisi ka prabhav nahi parta vipattiyan ashubh Vinayak bhut pret pisach yaksh Rakshash kisi ki takat nahi kuch log kahte hain ki aap kahte hain ki pret satata nahi hai to kya pret yoni nahi hai kya?

hai yoniya hai par ye unke liye hai jinka karm bhog upasthit ho gaya hai. Jaise srishti mein saanp hai par sabko kaat lega kya? Usi ko kateega jiska sanskar hai, karm bhog hai. Aise hi har yoniya hai. Koi hamen kasht tabhi dega jab hamara praarabdh karm aa jaega bhogne ke liye. Usko sahan karne ki samarth ya mitane ki samarth bhagwan naam mein hai. Vishwas kijiye Radha vallabh bhajat bhaj bhali bhali sab hoe. Jite Vinayak shubhshubh vighna kare nahi koi vighna kare nahi koi dare kalikaal kasht bhay hare sakal santap haras hari naam japat jai jiske mukh mein naam chalta rahta hai jo ashubh praarabdh hai wo bhi bahut ksheen hokar prapt hota hai.

jaise hamne kai bar satsang mein sunaya ki kashi mein ek bahut naam japak yugal upasak rahte the. Pujya shri Mathura das ji ke shri mukh se suna. Wah kabhi vishvanath ji ke darshan karne nahi jaate the. Samay hi nahi tha. Jo upasak ekantik bhajnanandi hai usko samay nahi hota. Apne thakur seva, apni dincharya to unko kabhi aisa mehsus bhi nahi hota ki ham prabhu se alag hai kyonki prabhu ke naam rup leela dham mein har samay chitt juda rahta hai. To kashi vishvanath ji ki jo seva ke pradhan the wah bahut bade jyotish acharya the.

unke man mein ek jalan hui ki yah kashi mein rahkar Vishveshwar vishvanath ke darshan karne nahi ate aur bade vaishnav hain, bhagat hain. To us samay ke anusaar tatkaal vichar karte the. To vichar kiya unke jeevan ke vishay mein to likha tha ki parso mleksha sena aayegi aur unka sarvnash kar degi. Unhone kaha haan vishvanath ji ke darshan na karne se ashubhon ka nash nahi hota. Jarur inko ashubh bhogna padega. Aur wo naam japak the. Unka praarabdh tha. Unhone jyotish ke dwarachara aur parso gaye wo jab wahan gaye to pucha ki bhagat ji kaha bole snaan kar rahe hain.

bole madhyan mein snaan. Bole yah to pata nahi par snaan kar rahe hain. Snaan karke aae to unhone kaha meri jyotish aaj tak kabhi galat nahi hui. Bhagwan vishvanath ji ke vardan se mujhe jyotish ka gyan hai aur 12:00 baje aapke paas mil sena ani chahiye thi aaj aur wo aapka vinash karne to wo ai nahi iska matlab meri jyotish jhuthi ho gayi. Bole nahi aapki jyotish jhuthi nahi hui. Mileksha sena ai thi. Bole yahan to sab yathavat hai. Bole pragat mein nahi ai. Main jab bhog padhrakar Priya pritam ka dhyan kar raha tha.

bhog ka usi samay mleksha sena mere dhyan mein ai aur sab kuch vinash kiya. Phir mera dhyan tuta to hamne socha chalo pragat mein na sahi bhav mein to ai to isiliye snaan karne gaye the. Ab bhog utarenge thakur ji ka. Yah hai thakur seva aur naam jap ka prabhav ki ashubhon ko bhav mein mita diya. Swapna mein mita diya ya thoda bhaar kasht dekar mita diya naam ke bal mitat bhishan ashubh bhagya vidhan bhishan ashubh bhagya ka vidhan naam jap se mit jaata hai naam bal mano lahat sukh sahaj man hanuman jaisa sukh chahiye tumhen jo sukh chahiye tumhen wo tumhen prapt hoga keval naam jap badao jo ichchha kar ho man ma hari prasad kachu durlabh nahi jaise bazar mein aap jo chij chaho le sakte ho par aapke paas rupya hona chahiye aise hi tribhuvan mein jo chaho prapt kar sakte ho aapke paas bhajan bal hona chahiye naam bal hona naam bal mano lahat sukh sahaj man anuman naam terat tarat darun vipti shok mahan sadhan naam sam nahi aa naam ke barabar koi sadhna nahi jo mano har samay naam ratta rahta hai to man ke ichchha ke anusaar usko bhogon ki prapti ho jati hai.

bhogon ki prapti na chahe to bhagwat sakshatkar ho jaata hai. Bhagwat sakshatkar bhi na chahe to adbhut prem prakt ho jaata hai. Naam ka prabhav naam terrat tarat darun vipatti shok mahan koi kitni bhi vipatti shok mein ho khub naam jap karo. Dekho har vipatti kohre ki tarah nasht ho jaegi. Jaise surya ke uday hote hi kohra sab vidhvans ho jaata hai. Aise hi naam ka jab prakash uday hoga har dukh vipatti nasht ho jaegi. Ar kari nar nari dhruv sab rahe such sah dan naam ke pratap te jal par tare paash jisne ar bhav se naam jap kiya ho chahe stri ho chahe purush ho balak ho chahe vridh ho dhruv mane param satya sab param pavitra ho gaye aur nihal ho gaye jo bhagwan naam jap kiye sab anand mast ho gaye.

are naam le le ke jab nal neel aise patthar rakhte the to wo dube nahi. Naam ka naam mukh se lekar ke rakhte the. Aisa koi na samjhe ki pashan par naam likh ke rakhte. Naam ucharan karte jai shri Ram aur patthar rakh diya to tara nahi kyonki muni ka ashirwad aur naam ka pratap naam bal sagar ula sahaj hi hanuman hanuman ji maharaj bhagwan ke charnon ka chintan karte hue jai shri Ram pure samudra ko laagh gaye ye samudra se bhi badhkar bhav samudra hai agar theek se naam jap karo to laghna hi nahi padega. Sukh jaega. Naam let bhav sindhu sukha karahu vichar sujan man ma naam jitna japoge to uska prabhav hoga ki bahut samudra sukh jaega.

sansaar se par hona hi nahi padega. Sampurn sansaar bhagwat swaroop hai. Aisa anubhav mein aa jaega. Naam bal sambhav sakal je kachu asamabhav [gana gane ki aawaz] jaan naam dekho bas man lagane ki baat hai. Ek baat man jao. Kuch bhi asamabhav nahi hai. Kuch bhi asamabhav nahi. Naam se sab kuch prapt ho jaega. Sab kuch ye naam ka apaar pratap 18 20 sal se kidney phayl hai. Chal rahe hain. Jeevan chal raha hai. Jo dincharya chahiye wo dincharya chal rahi hai. Asamabhav ye asamabhav jo sambhav shabd mein badalta hai wo naam se keval badalta hai.

sachchi mane naam bal sambhav sakal je kachu asamabhav jaan jo asamabhav lagta hai ki aisa nahi ho sakta wo saaf sambhav naam bal se abhi kaise tumhen ek ek pal ki ghatna batayen ki jis samay jo seva hai usi samay ek apaar bal aata hai wo seva karva ke chala jaata hai dhanya te nar rahat jinke naam rat ki ban paap punya praj vehit prabal pavak khan hot chhin maha chhaar niksat naam jaan azaan naam ki mahima amit ko sake kari gungan Ram te ba naam jeh bal bikat shri bhagwan bhagwan ko kharid sakte ho naam jap se bikat shri bhagwan naam ki mahima ko sake kar gungan Ram na sak naam gun gai kaho kahan lagi naam badhai dhanya hai wo upasak jisne pradhanata naam jap ke li tumhara jeevan is samay bilkul tejomay hona chahiye agni swaroop tum brahm brahmachari ho, bairagi ho, bhagwan naam jaap mein tum kahan hai?

bhajan mein baithe accha hriday shital ho jae. Do teen ghante aram kar liya. Iske baad bhajan mein lage hain. Nirantar bhajan mein lage hain. Dhanya unke age lag dhanya te nar rahat jinke naam ratki ban. Ye aadat par gayi hai naam japne ka. Naam kamane ka ek swabhav ban gaya hai. Adhik se adhik jap karke naam jap karna. Unke paap aur punya donon nasht ho jaate hain. Kyonki punya bhi bandhan hai. Shubh ashubh donon bandhan hai. Donon ko nash kar deta hai. Naam rupi agni aur bhagwat sakshatkar kara deta hai. Jo upasak is rahasya ko samjh gaya.

wah is kalikaal mein bahut jaldi bhav ki prapti kar leta hai. Kal keval mal mul malna [gana gane ki aawaz] paap payo nidhi [gana gane ki aawaz] jan man meena. Jaise machhli jal mein hi anand manati hai. Aise man paap mein hi anand manata hai. Kalyug mein kalyug ka prabhav hai. Man paap chintan karta hai. Paap karke anand manana chahta hai. Agar isse nikalna chahte ho to ekmatra upay hai. Ram naam kal abhimat data hit parlok lok pitu mata nahi kal karm na bhagti viveku Ram naam avlamban eku ye kalikaal nana prakaar ki durwasnaon ko prakt karke sadhak ko phasa leta usko jiska nirantar naam nahi chal raha hai.

yadi naam chal raha hai to lok mein mata ki pita ki tarah poshan aur dular naam karta hai aur parlok mein abhimat data jo chah ki hai jo bhavna ki hai waise hi tumhen prapti hogi. Prakt mein bhav ke sambandh mein ek bada rahasya prasang hai ki upasak jab naam jap karta hai aur apne aradhya dev ke prati bhav karta hai to bhav ki jhanki aati hai. Yahan kahte use kalpna mat mano. Use kalpna mat mano. Prabhu aapke bhav mein padhare hain. Jitna aap bhav naam ke dwara prakt kar paye hain. Yah bhav naam ke dwara hota hai.

yah kori kalpna nahi hota. Naam japak mein hi bhav ka pradurbhav hota hai. Jaise aap shyama Shyam to aapke samne jo shyama Shyam ka rup prakashit hua jitna aapne bhajan kiya hai usi ke anusaar wo prakashit hoga aur aapka yadi bhajan nirantar chal raha hai aur bhav gadh hai to sakshat shyama Shyam aapke samne dikhayee denge. Bhav ka tatparya hai chintan. Bhavna karte karte rup ka samne pradurbhav ho jana. Naam jap karte karte bhav aur bhavna karte karte rup ka pradurbhav. Manovatti bhavukta mein itni doob jae ki aapka dhyan sakshat dikhayee dene lage ki mere Priya pritam hai.

naam ka yah prabhav ye vivekheen jo log kahte hain maine bhagwat sakshatkar kar liya hai. Ye unki baten nahi prapanch wali baten nahi. Yahan theek satya baat ko samjho. Bhav antasthal mein aisa draveebhut hua ki aradhya dev ka rup jhalakne laga. Yah naam japak sadacharan karne wale bhavuk upasak ki baat bataai ja rahi hai. Jahan bhakti ki drishti sarvatra se hatkar keval apne isht dev mein hai. Jahan keval bhagwat varta bhagwat chintan bhagwat prabhav bhagwat rup ye kalpna ki baat nahi kar raha hoon. Wahan sarvatha yatharth mein bhagwan ka pradurbhav hota hai.

jaise aap dekho jitna bhajan karte ho aap dekho abhi bhavna karke aapke prabhu waise dikhayee dene lagenge. Agar nahi dikhayee dete nahi bhavna ban rahi to abhi naam jap aur badhiye. Nahi aapke samne waise hi khade hain. Aap dekho aapke bhav mein aa rahe hain ki nahi aa rahe hain. Wo hai. Har samay aapke paas hai. Agar bhav mein nahi aa rahe to naam jap aur badhiye. Abhi naam jap rang nahi laya hai. Bhavna jis rup ki hoti hai use Shastri bhasha mein dhyan kaha jaata hai. Yah tabhi paripakva mana jaata hai. Dhyan se suniega. Aapko dhyan mein bhavna mein apne prabhu ko bolte hue dikhayee dega.

shabd prabhu aapka sparsh kar rahe hain. Aapko bilkul aisa sparsh dikhayee dega jaise koi pragat mein sparsh karta hai. Ras parmanand swaroop prabhu ka rasaswadan ho raha hai. Aur gandh prabhu ke shri ang ki gandh usko anubhav mein. Sugandh adbhut sugandh is dhyan mein ye bhavukta nahi hai wo sparsh kar sakta hai prabhu ke charnarvind prakt mein wo nirakh sakta hai prabhu ko wo prabhu ka aalingan kar sakta hai wo prabhu se sambhshan kar sakta hai yahi baat kapil bhagwan ne kahi Shrimad bhagwat mein ki mera jo anannya bhakt hai wo mere ko keval dekh hi nahi mere se sambhshan kar sakta hai mere se batchit kar sakta hai.

prabhu ka sparsh karke divya pulkavli prabhu ke shri ang ki divya sourabh ho usko gandh aa rahi sugandh aa rahi hai. Wo prabhu ka sparsh kar raha hai. Prabhu unka sparsh kar rahe hain. Prabhu se sambhshan kar raha hai. Prabhu uttar de rahe hain. Aisa gadh bhav mein hota hai. Wah bhavuk upasak apne aradhya dev ke charan sparsh kar raha hai. Aradhya dev uske mastak par hath rakh rahe hain. Yah sari baten param satya aisa nahi ki keval bhavna hai. Keval kori kalpna hai. Par ye un upasako ki hoti hai jinka bhav paripakva ho gaya hai.

bhav siddh ho gaya hai. Wo manorajya mein nahi vichran karte. Ye unka manorajya nahi hai. Ye inka bhav rajya hai. Prabhu unse jab shabd kahte hain to unki shravendra shabd sunti hai. Netr rup dekhte hain. Ankhen mudi hui hai par netrendar rup dekh rahi hai. Ghanendra sugandh le rahi hai. Rasd ras ka aswadan kar rahi hai. Shabd sparsh rup ras gandh iska spasht anubhav bhav mein dube hue mahabhagvat ko hota hai. Yah sadharan sthiti nahi hai. Yah badi unchi sthiti hai bhav desh ki. Yah kalyan swaroop upasak jo ho chuka hai uski sthiti hai.

par isko bahut unchi sthiti man ke chhod nahi dena hai. Apne gaur se dekho apne aradhya dev jhalak rahe hain ki nahi wo hai. Waise hi Priya waise hi Lalu jaisa aap sambandh sabse hata paye hain. Jitna jitna naam jap jitna gadh bhav utna hi aapko anubhav ho raha hai. Dekho bhala dikhayee de rahe hain. Kuch kuch to jitna aap naam jap kar rahe hain. Bhav mein to aa hi rahe hain. Nahi aa rahe. Bhav mein aa rahe hain. Wo wo aa rahe hain. Agar andhera dikhayee de raha hai to abhi naam ka prakash nahi hua. Khub naam jap karo. Jaldi karo.

zyada aaj samay nahi rah gaya. Gaadi ane wali hai. Bas bhagna hai yahan se. Bhagna hai. Kuch samet nahi paoge. Jaldi samet lo. Man aur indriyon ko aur laga do naam pe aur bhav ki prapti karke bhav deh se apne desh mein jana hai. Apne Priya pritam ke paas jana. Man lo ye sab agyaniyon ki baat na suno. Are hamne upasna ki bhakti ki hamare amuk mar gaye amuk kya tum bhi maroge sab marenge yahan jana hai yahan aae ho kamane ke liye bhav banane ke liye bhajan ekatrit karne ke liye jiski samjh mein na aae na aae aap to satsangi hain aap to bade kripa patr hain aap to samjh lijiye jana hai tayyari kar lo jitna bhav hai utna hi aapki unchai hai tarkik logon se bchie are koi dhyan hai koi prabhu hai ye to tumhare hamari kalpna hai nahi yahan kah rahe hain aapko jitna anubhav mein aa raha hai wo prabhu hai pakka

vishwas karo prabhu aae hain aapke dhyan mein gad bhav gayi yatha mam prapaddyate ta bhajamyam pulkit ho jaoge ki Priyaju aa gaye dekho hamare dhyan mein Lalaju aae Lalaju Priyaju kaise gal bhaiya diye hui kitna sundar nikunjay kitna sundar lata bhavan sundar pushp ke pavde bichhe hue hain parag ki gaddi lagi hui us par yugal sarkar kaise virajman hai ye bhav mein dekho adhon par bansi hai galvaiya diye hue yugal sarkar Priyaju Lalaju ki taraf dekh rahe Lalaju Priyaju ki taraf dekh rahe aur bansi se naam gungan

kar rahe Priyaju ka kisi ko kabhi pramanit karne ki koshish mat karo ki aapka bhav ban gaya hai. Avishwasi se kabhi yah varta bhi mat karo. Nahi tumhare bhav mein thes pahunch jaegi. Yah sakshat bhagwat darshan hai. Sakshat bhagwat darshan. Isi se gadh avastha mein bas baat ban jati hai. Yahi gadh avastha shraddha vishwas karo. Sadhan ka mul mantr hai shraddha aur vishwas. Jo naam jap kar rahe ho jo bhavna mein prabhu aa rahe hain wo aa rahe hain aapke. Vishwas karo aa rahe hain. Par ye kisi se kahna nahi hai. Kisi tark ke dwara apni shraddha ko nasht nahi karna.

are ye to kalpna hai nahi sakshat prabhu aae koi unke liye kalpna bhi nahi kar sakta agar wah na padhare to koi bhav muni man dhyan dharat nahi pavat bhakt jab gadh bhav naam ke bal se karta hai to dekh sakta hai jo shastron mein rup varnan hai wo ek ansh matra hai jo rup hai uska to varnan ho hi nahi sakta bole sajal megh neel megh ki kant kya ham sajal megh ko dekh le to Shyam sundar ke ang ko dekh lenge nahi koi bhi prakritik udaharan chidanand deh mein banta hi nahi par bhavna karne ke liye shastron mein jo rup hai wo ansh matra keval vani se prakt hai purn ka to varnan hi nahi ho sakta bhagwan ka wo rup wo vesh wo wo prakash naam japak anya sambandh tyagi upasak ke hriday mein prakt hota hai.

jaisa rup bhakt chahta hai vaisa rup prabhu prakashit kar dete hain. Bhakt ki jaisi ichchha hoti hai, jitni samarth hoti hai, utna hi bhagwan apna rup prakashit karte hain. [nak se ki jane wali aawaz] aur dheeredheere usko divya lilaon ka rasaswadan karane lagte hain. Jo sadhna abhimani hain unko thag lete hain. Kam, krodh, lobh, moh, mad, matsar wo bhav desh tak nahi pahunch pate. Jo sadhna abhimani hai. Kabhi-kabhi inko marg bhrasht karne ke liye updevta vighna dalne lagte hain. Chhote-mote chamatkar chhote-mote man ki baat jaan lena chhota mota aisa akarshan aur marg se bhrasht kar dete hain.

lekin ye unki baat hai jo sadhna abhimani hai. Jo kripa patr jan hai wah na kisi se bhayabhit hote hain aur na koi vighna unke jeevan mein dal sakta hai. Mat chitta sarv durgan mat prasadat tarsi bhagwan kah rahe hain meri kripa se unke sare dosh nasht ho jaate hain. Meri kripa se har vighna se wo par ho jaate hain. Mera bhakt aankh mund karke chale main hath pakar kar chalata hoon. Koi devta updevta koi vighna Vinayak kisi bhi tarah ka updrav nahi kar sakte unki sadhna mein anannya shri bhagwan ka dhyan rakhiega sadhna abhimani ko bhrasht hona padega anannya aur nishkam bhav se jo priyal ki sharan mein hai unke yogkshem ki jimmedari swayam bhagwan lete hain.

prapti ki raksha karna aprapti ki prapti karana unki jimmedari isliye koi bhi vighna use prapt nahi kar sakta jo prabhu ka anannya hai aur unhin se sari kamnayen hain prabhu se hi bade veg se bhagwan ki taraf aankh mund kar dauda hai par wo girta nahi hai na koi gira sakta hai usko kyonki aaspas aise se bhagwan chalate hain bhakt ko jaise chhote bachchhe ko maa idhar gire to bahu mein idhar gire to azaan bahu abhay bhuj dand mul badi masti rahti hai koi vighna nahi arpit atma jo bhagwat arpit ho chuka hai uske jeevan ka bahut anandmay swaroop hota hai koi vighna nahi aankh mund ke daudne par bhi wah nahi gireega bas avshyakta hai bhagwan mein man ko bhagwan mein prannon ko bhagwan mein samasth sambandho ko arpit karna yah kathin baat hai.

ye daragar putra prana vitt mam param vitt mam param hitwa mam sharanam yata katham ta mutsahe jisne stri putr ghar bade bujurg pran dhan ilok parlok sab ko mere liye atmsamarpan kar diya hai. Meri sharan mein aa gaya hai. Main vichar bhi kaise kar sakta hoon ki usko chhod du aur jab prabhu pakde hue hain to kiski takat hai ki koi vighna dal sake isiliye upasak ko bahut jaldi ek kam karna hai kahin mamta na rah jae nahi jahan mamta rah jaegi wahi vighna par jaega bhagwat prapti mein tan man dhan sarvto bhaven ekmatra aradhya dev shyama Shyam ke charnon mein samarpit nishpriy nireeh hai moksh ki bhi ichchha nahi shri hari charnon mein purn samarpan tab puri jimmedari bhagwan le lete hain aap nishcint ho jao nishuk ho jao nirbhay ho jao sadhna ka jo paripakva swaroop hai wah bhavna hai bhavna ke mul mein shraddha aur vishwas hai bhavna kabhi mithya ya kalpna nahi hoti.

upasak ko bhav se hi rasaswadan milta hai. Bhavsaven bhajtam ras kam dhenu tam Radhika charan renu ma yadi bhav nahi utpann hua to abhi jeevan sun sadhna ki avastha mein aapko labh mila kya bhav bhav sadhu ko sadhak ko bhakt ko upasak ko uplbdhi hui hai to kya uplbdhi hui bhav jaise gyan marg mein bhi bhav hai brahm bhav bhagwat bhav mein sakha bhav das bhav vatsalya bhav gopi bhav sahachari bhav bhav ki prapti hona shraddhaheen mithyachari manmani aacharan karne walon ko bhav ka prichay hi nahi jante nahi ki bhav kya hai sachchi maniye jis din aap bhav mein dubne lagenge aapko kahin jane ane ki zaroorat nahi yahan ke thakur ka darshan nahi hua to vishv mein kahin bhi darshan kar shanti nahi milne wali.

isliye jo bhagwat kripa patr hote hain antar mein ghusna prarambh kar dete hain. Antarmukh hokar ke apne hriday desh ke thakur ke darshan ki cheshta karte hain. Hriday ke bhagwan ka sakshatkar ho gaya to sarvatra hoga. Aur sarvatra ghum hriday ke thakur ka sakshatkar nahi to kuch hath nahi lagega. Karke dekh lo. Man charae aao, man ko ghumae aao, ankhen charae aao. Lekin hriday ke thakur ka sakshatkar nahi hua to vishram nahi milega. Dekho yah bhav rajya hai. Ismen sthul se sukshm sukshm se sukshm tar aur sukshm tar se sukshm tam mein pravesh hota hai.

yah divya bhavna ka lok hai. Sthul sukshm karan bhav Chinmay panch bhed hai. Pehle sthul bhav banta hai. Kaise sharir se prakt seva mein khub tanmayata sharir se jaisi agyaa hui jahan hamen khada kar diya gaya wahi sharir pradhan phir antar mein ghusta hai antahkaran pradhan sukshm sharir chintan pradhan ab bahar ki kriyaen to pehle se hi sanyamit ho chuki hai. Ab jaisi guru agyaa vaisa andar chintan pradhan phir karan swabhav pradhan ho gaya. Ya jo par sahaj swabhav shri Harivansh naam ras cha shrat Radhika keertita swabhave ab uska swabhav ban gaya bhagwat leela gana bhagwat leela sunna bhagwat naam jap karna bhagwat kirtan karna bhagwat seva karna tab prakt hota hai bhav sthul sukshm karan tino ka parivartan jo kar de uska naam bhav bhav ke age Chinmay deh ki prapti hoti hai jise bhav deh kahte hain.

yah bhala vilakshan hota hai na sthul hota hai na sukshm hota hai na karan hota hai. Na yatna deh hota hai na dev deh hota hai na swapnik deh hota hai. Ye ek alaukik Chinmay bhav deh hai. Ye nitya jaise Priya pritam vaisa ye nitya hai. Chinmay deh. Yah deh keval kahne matra ko shuddh bhagwat swaroop hai. Ismen deh janit kuch nahi hai. Haddi mans ya purush stri ke chinh ye sab nahi hai. Bhav deh mein ab aap vichar kijiye. Yah jo leela hain yah Chinmay deh se ho rahi hai. Jahan na stri chinh hai na purush chinh hai.

na rakt hai na mans hai na majja hai na haddi hai na vikar hai. Nirvikaar chidanand Chinmay deh kaise janoge kaisi raas ho rahi hai? Yahan deh aur dehi ka bhed nahi. Jaise atma alag hai, deh alag hai. Yahan maya ka parda nahi hai. Yahan bahirang prakriti ka pravesh nahi hai. Yahan antranga yog maya ka bhi pravesh nahi hai. Yahan maya ki chadar dalkar bhagwan nahi khelte. Yahan khula khel ho raha hai. Chidanand mein. Jaise yahan to maya ki chaddar padi hui hai. Pehle deh phir andar baitha hua chidanand tatv hai.

use koi birla gyani janta hai. Samatma sudarlabha vasudeva is Chinmay bhav deh ki jab prapti hoti hai to keval Priya pritam ke milan anand ki vyvastha karna aur usi anand mein purnand mein dubna jaisi dharivansh lal lalna mili to ha siravat mor chidanand bhav desh se chari ismen jo charm sukh hai uske age moksh sukh kadva lagta hai. Yah rahasya tabhi khulta hai jab divya leela rajya ke bhav ras mein dube hue kisi bhavuk mahapurush ki sharanagati mil jae aur unki bataai hui upasna ke kram se sthul sharir sukshm sharir karan sharir tino se pare bhav bhav se bhi gadh bhav de chidanandmay ki prapti tab is leela mein pravesh hua prabhu ki prapti ke anekon nischit marg satya hain jo moksh pradan karte hain, prem bhi pradan karte hain.

parantu yah kuch vilakshan hai. Leela sandoh mein pravesh karne ke liye sakhi bhavapanna hona hi padega. Dekho jab narad ji ne hath kiya ki mujhe aapki braj leela raas dekhna hai to unko narad ji se gopi banna para. Arjun ji ko bhi gopi banna para. Bhagwan shankar ji ne jab chaha to inko bhi gopi banna para. Braj leela ke raas mein arjun ko narad ji ko bhagwan shankar ko gopi bankar ke pravesh dilaya. Lekin navnivatta nikunj mein to sahachari bhav ke bina pravesh tin gopin te durlabh mai nitya vihar sahaj sukhdai yahan dham parikar khag mrig pashu panchhi sab chidanand yahan do nahi sab ek hai Priya lal khag mrig pashu panchhi Vrindavan sahcharya sab sab ka sab ek hi param tatv hit prem prem ye prem ka vaibhav is nitya parikram mein bhav deh se sammilit hua jaata hai bhav deh ke bina raas aur vilas yah param guh rahasya hai.

ise koi nahi jaan sakta. Yah tarkon ke dwara, vidhwata ke dwara, shastron ke dwara pramanit nahi kiya ja sakta. Kyonki jitne praman doge sab yog maya ke antargat honge. Yog mayatit pehle to mayatit malin trigun maya satogun rajogun tamogun phir isse bhi vishuddh jo yog maya hai uske upar jab jao tab nav nivat nikunj ka ras na lok sangrah hai na jagat ke prani hai na jagat ki bhawnaen hain na jagat ka bhog hai ek alaukik divya dham navni nikunj jahan yahan ek se bhinn kuch bhi nahi.

na lok na jagat na prani na vastu na surya na chandrama na sharir sab chidanand sab premay Vrindavan premay khag pashu panchhi premay yamuna ji premay Priyalal prem ke khilauna do khelt hai prem prem prem prem aur chidanand deh ko sun chuke hain aap nirvikaar stri purush chinnon se rahit chidanandmay deh tumhari vigat vikar jaan adhikari nitya divya rasmei raas leela ka rahasya yah maya mugdh manav kisi bhi tarah se nahi jaan sakta. Hriday mein jab tak koi bhi vasna hai tab tak Priyalal ko koi nahi jaan sakta.

raas ke gyan ko janne ke liye brahm gyani bhi nahi paripurn hai ki brahm gyan ho gaya to raas ka gyan use ho jaega. Bada kheenchatani karke kahte hain atma vilas ho shayad ye alag desh hai. Agar ye kheenchatani wahi gyan se hota to param gyani jo mahan purush shri Sukhdev ji hain wo sidhe atma vilas ka varnan karte. Jagat ke vishyon se tyag vairagya uprati moksh sukh ka tyagi wo raas ras ka adhikari jo purush hota hai uski sthiti ka varnan karte hue kahte hain jahan kinchin matra bhi main ka khyal hi nahi rah gaya.

dekho raas mein pravesh pane wale bhav deh ko prapt hue mahapurush ki sthiti kaise hoti hai. Wah dekh raha hai mere dwara hota jo kuch karte wo sara bhagwan main na raha mera na raha karta kaun kahan abhiman dhancha ek bana rakha hai apne se hi apne kam niyamit sab chalte kal purje hoti dikhti kriya tamam keval dhancha dikhayee de raha hai andar sirf bhagwan baithe hue hain. Ab jo kuch ho raha hai wo sirf bhagwan kar rahe hain. Dhancha dikhayee de raha hai vyakti ka wo andar baitha hai paramatma wahi sab kuch kara raha hai.

tumne jo kahlaya mujhse wahi kaha maine avikal tumne jo karwaya mujhse wahi kiya maine nishchal tumne jo sikhlaya mujhko sikha maine wahi sakal tumne jo dikhlaya mujhko dekha maine wahi akal ye jo kuch bhi kaha kriya sikha dekha maine pritam so sab tumne hi apne mein apni ki leela uttam tumne jo kahlaya mujhse wahi kaha maine avikal tumne jo karwaya mujhse wahi kiya maine nishchal ye us jo bhav dev ko prapt ho raha hai kinchin matra nahi rah gaya wo dekh raha hai prabhu kara rahe hain man mati kaise hote mujh mein jab main hi hoon nahi swayam bana tumhara sukh sadan tumhi se rahte hardam man buddhi aham sab kuch aapne aphrn kar liya karya to aapke dwara ho rahe hain wo shabd mein truti ho sakti hai haeejaik kahte haeejak kahte kar liya haeejaik bhagwan ne pura system haeejak kar liya man buddhi chitt ahankaar indriyan sabko bhagwan ne ab wo dikhayee de raha hai keval dhancha karta hua lekin kriya kisi ne prashn kiya tha ki aapko man pareshaan karta hai jaise ham logon ko pareshaan karta hai.

tha pareshaan karta tha. Jab mera man tha tab jab mera man tha tab pareshaan karta tha. Aur jab unka man ho gaya to ab anand deta hai. Pareshaan nahi karta hai. Ab anand deta hai. Kya sthiti hoti hai? Mere man mein nit pravesht rahe. Ishwar ka man karta kam. Ishwar ke man ke hi hote uday divya sankalp lalam. Ab jo mera man tha usmen ishwar ka man akar baith gaya. Ab jo sankalp vikalp ho rahe hain ab jo kriyaen ho rahi jo bhi baat ho rahi jo prashn uttar ho rahe jo cheshta ho rahi wo ishwar ke dwara ho rahi wo kisi jeev ke dwara nahi ho rahi.

jeev ke dwara kisi ka parivartan nahi hota. Dhyan rakhna jo ismen main tha uska aphrn kar liya gaya aur us main pe jo main hai wo baith gaya. Ab apna karya wah kar raha hai. Raha na mere man mein kuch bhi ishwar ke man ke atirikt rahta sada isi se wo madhurmay bhagwat ras se abhishikt ab mera man nahi rah gaya. Ab prabhu ke man ne hamare man par pura ka pura adhikar karke baith gaya to prem ras abhishikt man sukhe man mein kam krodh lobh moh mad matsar hote hain. Bhagwat ras se abhishikt man mein nahi hote. Pareshaan bhukha aadmi karta hai.

tript aadmi to aram karta hai. Ab shri Radha jug charan nivas ab tript ho gaya. Ab iske bhagne ki jagah nahi bachi hai. Mere man ko nitya banae rakhte prabhu nij man ka yantr. Karte usse apne man ki Manmohan ve param swatantr. Raha na koi mujh mein karne wala ab such asuch vichar antradwand mit gaye sare mite moh ke sabhi vikar ek ne kaha ki hamne aapko jaan liya nahi bhai nahi jaan chati se lage raho phir bhi nahi jaan paoge chati se lagoge phir bhi nahi jaan paoge vachan se lag jaoge to jaan jaoge vani ko pakar lo uske anusaar chal do to jaan jaoge nahi jaan paoge prabhu ke man mein nij ko khokar man ho gaya aman mera utha asat asha trishna ka mamta ka sara dera amna ho gaya man kuch nahi chahiye jab bahut badi vastu mil jati hai to uske pane ke baad kuch pana baki nahi rahta uske janne ke baad kuch janna baki nahi rahta.

ek bar chitt ko lagao to ek bar prabhu mein lagao. Phir jab prabhu tumhare chitt ko sweekar kar lenge to krida karte ab man mein swayam pritam ichchha anusaar karte rahte. Nit usmen usse ve ab swachchhand vihar ab man rupi bhavan mein hamare pritam swachchhand vihar kar rahe hain. Jitni bhi malintaen thi jitni bhi ichchhae thi wo prabhu se vimurkh hone ke karan aur jab prabhu padhare man mein sab apne aap khatm kriyaen waise hi ho rahi hai. Mera jo kuch tha sab hi par hua ek unka adhikar ve hi ab sab kuch bane pran hriday man pranadhar bhagwat premi mahatma ke pran kaun prabhu man kaun prabhu to pranadhar kaun prabhu hriday kaun prabhu swayam prabhu ban jaate rahe kahin bhi kaisa bhi yah deh panch bhautik savikar swikar main unmein ve mujh mein ve main nitya nirantar ekakar ye bhav deh mein pahunchne ki sthiti hai.

mere dwara bol rahe hain. Keval mere shri bhagwan mere dwara chherd rahe hain. Ve mithi Murli ki tan mere jeevan mein ab to ekmatra unka hi sthan atah unhin ka hota mujh mein kriya nitya kshadra mahan kriya kshadra ho ya mahan ho ve unhee bhagwan se ho rahi ab main mera kahin astitva nahi rah gaya is sthiti mein bhav ka pradurbhav ho jaata hai aur bhav deh ki prapti ho jati hai. To kah rahe is lok mein aradhya dev se bhinn kahin bhi jiski mamta nahi hai. Uske liye koi sansaar nahi hai.

uske liye koi prani nahi hai. Yahan tak ki apna bhi astitva nahi rah gaya. Dekho sadhna ko samjhiye. Apna bhi astitva nahi rah gaya. Tab wo nitya divya raas leela ka rahasya uske hriday mein swayam prakashit ho jaata hai. Yah maya mugdh manav apni buddhi ladakar raas ko samjhna chahe to kadpi nahi kaun adhikari hai? Bole jiska is lok mein koi bhi nahi hai. Apni mamta kahin nahi hai. Jagat mein pure na koi prani padaarth mein yahan tak ki apna bhi astitva kho gaya wah raas ka adhikari. Isiliye kah bachchha ke pet bachchha ban jao acharya sharanagat ho jao.

sthiti wo pradan kar denge. Hriday mein jab tak thodi bhi vasna ka andhkar hai wah is raas ke gyan se alokit nahi ho sakta hai. Jagat ke vishyon se tyag vairagya uptiti ke anantar rasik mahapurush ki vishisht kripa tab wo raas rahasya ka gyata hota hai. Shri shyama Shyam ki akinchit kripa se yah rahasya prakashit hota hai. Yah lok nahi rah jaata. Mrityu lok nahi rah jaata. Uski drishti mein ye sab divya Vrindavan ho jaata. Kahin bhi ho rahe uski drishti Vrindavan mein hi rahti. Uska divya raas lok alag alaukik uske netron mein chhaya rahta hai.

hamara hriday to vasna se grast hai. Divya lok ki baton par vishwas hi nahi hai. Paap ki taraf hi akarshan hai. Yahi sukh dikhayee de raha hai. Is mike jagat ko hi satya man rahe hain. Are abhi mike jagat ko tyag karke yog maya ke awran ko bhed karke age badhna. Raas mein jahan shri shyama Shyam vyavdhan rahit adbhut raas rang mein magan hai. Yah maya ka awran aur yog maya ka awran hate bina wahan pravesh nahi hota hai. Wahan ka vastr wahan ke sharir wahan ke khel sab vyavdhan rahit mayatit yog mayatit divya premay hai.

vastr bhi prem ke hain. Vastr abhushan bhi premay yah nitya parikar jo Priya pritam ka hai isi ke aashray se is parikar mein pravesh hota hai. Ye jo sakhi ai shri Swami haridas ji maharaj Lalita sakhi ji shri Harivansh mahaprabhu hit sajni ji ye jo nitya parikar hai kishori kishor ka inhi ki kripa se idhar soch badhti nahi kalpna bhi nahi kar sakte aap sambhavya winch narad shiv swayambhya itna awran maya ka hai isi ko bhed pana bada kathin hai dekho us din kah rahe the kal ke bhi mahakaal jinki seva mein rahte hain.

yahan likha hai jahan kal ke bhi mahakaal nitya kaalatit prabhu dainya bhav liye hue virajman hai. Dainya bhav yadyapi sakal lok chudamani din apan ko mane priti ki riti ranghilo hi jane is khel mein prem path mein raas ras mein maya ki god mein baithkar ke aur isko samjhna chahe asamabhav bina braj raj ka sevan kiye bina braj raj upasak rasikon ka sang kiye ham soch bhi nahi sakte kaise raas ka kya swaroop hai. Jab kisi rasik mahapurush ka aalingan prapt ho. Aalingan ka tatparya turant bahari bhav mein aata hai ki wo hamko gale se laga le.

lekin yahan is aalingan ki baat nahi kah rahi. Tadatma ki baat aap mein sama gaye. Koi rasik mahapurush aap par kripa karen aur hriday se aapke hriday ka aalingan kar le aur aap purn tribhuvan mein kam vijay ho jae koi tribhuvan mein mrityu lok ki sundarata kya dev gandharv lok ki bhi sundarata brahmlok ki bhi sundarata aapko akarshit na kar pave is koti ka vairagya jahan yat kinchin matra brahmlok tak ka koi bhi bhog akarshan na paida kar pave. [nak se ki jane wali aawaz] wo is malin maya ko par karke theek us raas leela paramdhaam ki taraf jane ka adhikari hota hai.

kitni unchai chahiye isiliye bachchha ban jao. Bahut unche nahi ban paoge. Bachchha ban jao. Sadharan manav samaj apne dharm mein to chal nahi pa raha. Varnashram dharm ki to baat hi dur ho gayi. Vaidik siddhanto tak to pahunch hi nahi ho rahi hai. Dharm ka jab tak palan nahi tab tak paap vasna bhrasht kiye hue kaise koi samjhega Priya pritam ki baat isiliye bade bhagyashali hain apne log jo Priya pritam ki baat kathan ye sab mahmmahim baten ye sunne ko nahi mileng nahi milegi aajkal shravan kathan ka swaroop hi badalta chala ja raha hai ek uphash ek manoranjan ek aisa ye jo mayakrit hai kaise jananenge raas kaise jananenge bhagwan ke is prem vilas ko are bhakt to dharm rajya vaidik siddhant rajya yahan tak ki moksh padvi se upar utha hua prem rajya mein jab pahunchta hai tab yah dikhayee deta hai raas kya hai Radha Krishna ka swaroop kya hai bhav leela mein manwi karm cheshta ka pravesh hi nahi hai yah manav jagat adarsh ke shikhar tak manav karm pahunchte hain.

raas leela mein nahi. Yah raas leela bhav leela hai. Yah bhav de se hoti hai. Jaise braj mein jo raas hui jab bhagwan shri Krishna ki bansi baji to sab gopiyan bhagwan shri Krishna ke samip pahunchi. To har gopi apne pati ke paas soi hui thi. Jahan jo jaisi thi vyvastha mein sharir se ek bhi gopi nahi gayi. Pujya maharaj bhai ji maharaj kah rahe gopi apne apne pati putro ke paas thi. Manav deh manav ke paas tha aur bhav deh chidanandmay divya rup se wo bhagwan ke samip gayi. Raas mein sammilit hui. Yah sthul sukshm karan deh nahi the.

bhav deh chidanandam mein sthiti gopi ki Chinmay deh bhav deh mein divya alaukikta hoti hai. Usmen stri purush ke chinh ye sab bhav nahi hote. Is maya deh ko wahi chhod diya tha apne apne gharo mein aur sab bhav deh se pahunchi hui thi. Pujya bhai ji maharaj ismen likh atmaram shri Krishna ka aalingan atma se hota deh se nahi wo atma deh swaroopa gopangnaen thi isliye prabhu ko jo raas vilas mein to kaha sva pratibimb vibh jaise balak apne pratibimb se khelta hai arthat sab shri krishnamay chidanand dedhari gopiyan thi koi laukik striyan nahi thi jab brajdas ko hi nahi samjh pa rahe hain to nav nibhat nikunj ka raas yah bhavuk janon ka vishay hai.

yah kalpna ka lok nahi hai. Yah paraatpar prem ka divya lok hai. Isliye hamari prarthna un premi upasako se hai ki aise bahirmukh janon ka aise bahirmukh vihaar ka aise bahirmukh varta ka tyag karke apne bhav ko bachhate hue bahut unchai par prabhu ne ghasit liya hai. Priya pritam ki upasna to sirf shyama Shyam ka naam shyama Shyam ke rup shyama Shyam ki leela shyama Shyam ke gunon ka gayan karte hue sansaar ki lok parlok ki koi parvah na karte hue kisi ki samalochna ka ye vishay nahi ye apne hriday ke bhav ka vishay hai to jaisa acharya Gurudev ne updesh kiya vaisa ham age badhte rahe pujya shripad Prabodhanan ji maharaj yadi aapko Vrindavan ka vas mil gaya hai.

Vrindavan ane ko mil gaya hai. Ab yahan aapko koi katu vachan bolta hai, aapke saath duryvhaar karta hai to aapko pavitra kiya jaata hai. Kal ek prashnta ne prashn kiya ki ham prayah bahut mahapurushon ko dekhen ki bahut bura kasht bhogna parta hai santo ko. Aisa kyon? Bade bade papi hain aise unko kuch nahi kasht hota aur sant jo bhajan kar rahe hain unko bahut hi kasht hota hai. Aisa kyon hota hai? Aisa isliye hota hai uske do karan hote hain. Pahla to itne karunamay hote hain ki wo apne janon ke agami praarabdh ko dekh liya aur wo jaan bhi nahi paya aur praarabdh ko ghasit kar apne sharir par dal liya aur bhog liya.

itna karunamay hriday hota hai ki anant matao ka hriday bhi utna karunamay nahi hoga. Koi jaan nahi sakta is baat ko. Wo dekha ki hamare amuk jan par praarabdh ka aakraman hone wala hai to praarabdh to mitaya nahi ja sakta. Bhoga ja sakta hai. To aao ham bhogne ke liye tayyar hain aur wah unke praarabdh ko le lete hain. Dusra anant janmon ka hisaab barabar hona hai. Bhagwat prapti honi hai. Ab akhiri janm hai to jo hisaab hai anant janmon ka pahar ka pahar jama tha chhota-chhota bhog bhogte hue to unko lagta hai ki jo sant mahatma unko bahut kasht hai.

bilkul kasht nahi hai. Keval praarabdh bhog ki leela hai. Wo do prakaar ki ek karuna karke apne janon ke praarabdh ko le lena. Ek dusra apne anant janmon ke praarabdh ko bhog kar pavitra hokar bhagwan ke dham jana. Dusra jo papatma jan hai unke jo vartman ke paap hai purv ke punya unke kam kar rahe isliye unko kasht nahi dikhayee de raha. Lekin jab purv ka punya samapt ho jaega. Vartman ka paap aur purv ka paap lagega tab unki durgati ho jaegi. To aise hi jab ham dham mein ya naam japne mein ya bhakti mein chalte hain to log hamara uphash karte hain.

log hamen katu vachan bolte hain. Unko dves hota hai bhakton se. Wo ninda karte hain. To duravya sahastrasa paribhwa nich kritan kotish karodon prakaar se koi hamen durwachan kahe to bhi hamko chup rahna hai. Kyon chup rahna? Hamen apna kam banana hai. Wo durwachan bolegaa hamare paap nasht ho jaenge. Hriday mein jalan hogi na to hamara hriday pavitra hoga. Hriday bhagwan ke liye sundar mahal hai. Sundar nikunj hai. Narayan ya gaur Shyam ko hriday nikunj bas hai. Bahut kuda karkat jama kar liya galti karke uska nash hoga.

durwachan shastr sa paribhwa nich kritan koti nich purush dwara karod karod se tumhen kasht diya jae. Gali de rahe hain, ninda kar rahe hain, uphash kar rahe hain. Aisa vihaar kar rahe hain jo hriday ko jala raha hai. Ae sah jana palat kar jawab mat dena. Bahut jaldi tumhara hriday pavitra ho jaega aur tum sada sada ke liye sukhi ho jaoge. Aur wo jo bol raha hai wo dukhi ho jaega. Uma kshma saphute bhari tum chup raho mat bolo. Bhakshadan vas kut milna dukham kotisha ho sakta hai ki tumhen bhojan aadi ki vyvastha ho.

bans ki sahi vyvastha na ho. Garmi sardi aadi sahni par rahi. Chupchap sah lo. Thode din ka jeevan hai. Bhagwat prapti karni hai. Dham mein aisi nishtha se raho. Bhojan bhi nahi milega. Kasht bhi milega, galiyan mileng to bhi ham dham ko nahi chhodenge. Kamad peedya manso vaikalyamantikam. Ab itne bade bhajnanandi to nahi hai ki ham kam vijay ho to yah kam aadi dosh hamare hriday ko jalaenge pida denge par ham kisi se kahenge nahi koi cheshta nahi karenge sah jaenge vaikalya matantikam bhari vikalta hone par bhi ham kisi se nahi kahenge ham koi cheshta nahi karenge ham sah jaenge ye vasant ke vipne krishnaste namah jo aise shri Radha aur Krishna kel vilas yukt mahal Vrindavan mein vas karte sab kuch sahte hue shripad kahte hain main unko namaskaar karta hoon doshan sthir jangme kal kasyajan

tumhen udwagna karenge yahan log tumhen pareshaan kar sakte hain par tum unki ninda mat karna udwigna mat hona unki ninda mat karna apne aap ko bacha ke nikal jana ye mano paramarth mein age badhne ke liye zaruri zaruri hai ye baat doshan sthir jangmeshu yahan kisi bhi jad chaitanya mein dosh darshan na hone pave yadyapi wo tumhen udveg pradan karenge bhagwat parsad hai prerit hokar aaenge tumhen aise vachan bolenge aisi cheshta karenge aise udveg pradan karenge par tum udveg mat karo kinchit dat datna labdhit bhitte pakshana yadi tumhen kaval do kaval hi bhojan jan mil jae to usi ko kha ke din vyatit kar lo.

abhyaas mein bahut badi samarth hai. Bahut badi samarth abhyaas mein hai. Ye bhagwat prapti jab lakshya ho jaegi tabhi sah sakte ho. Anytha nahi sah paoge. Agar kaval do kaval bhi bhojan mil jae to udhar mein dal liya. Pura din vyatit. Kaval do kaval to bahut hota hai. Teen char din mein kabhi aise gur mil jaata tha na ganga kinare gur to gur pake ek kamdal jab Gangajal pite the to waise bhagwan ki tarah kitne kripalu bhagwan ho aise ekant mein bhi aap hamare udar poshan ko dete ho aaj tum teen bar pate ho ek bar bhi hriday se jai nahi bolte hoge hriday se jai nahi bolte hoge ki aa ha kitne kripalu prabhu aap ho aap kitna pyar karte ho kabhi rote ho prabhu ke prati kitna pyar hai prabhu ka har vyvastha hai lekin kabhi ekant mein jai jaykar hriday se nahi kar ki aapki kitni apaar kripa hai nath ham par aur kah rahe hain mitabh chitap stri kshana ek kshan ke liye bhi vritti kam bhog ke liye kisi mata bahan ki taraf gandi bhavna se na jane pave dham mein vas karte ho aisi galti na hone pave shri Radha Murli dharojjalyas saha shanwan gran sansmaran yo Vrindavan mavsen madhur dheer dhanya tasmai namah jo har samay Radha murleedhar ka nirantar naam jap karta hai.

yashogan karta hai. Kisi mata bahan ki taraf kam bhav se ek kshan bhi nahi dekhta hai. Thoda kaval do kaval mil jae usi se kam chala leta hai. Raat din bhajan mein hai par log use gali dete hain. Log usko durwachan bolte hain par wo kuch nahi bolta sah jaata hai to shripad kah rahe hain dhanyay tasmai namah wo dhanya ho gaya main use namaskaar karta hoon aisa hamara jeevan shri dham Vrindavan ke prati samarpit ho nirantar naam jap karen aur jo bhav mein jhanki aa rahi use kalpna mat mano bahut romanchit ho ki prabhu padhare Priyalal hamare dhyan mein aa rahe aur jaisa tumhara gadh dhyan hota jae.

kisi se kabhi kahna mat ki swapna mein bhagwan aae hain ya hamare dhyan mein bhagwan aae hain. Aaj to hamne aisa anubhav kiya waise kuch mat bolo. Paramarth ki anubhutiyan chhupane se age badhti hai. Agar ham jara bhi bol diye to usi din se band ho jaengi. Isliye savdhaan raho. Khub naam jap karo. Apne bhav ki baten kisi ko batao mat. Aur kisi ke dwara aapke prati jo durwachan hai, apman hai, ninda hai, inko sah jao. Jaisa rukha sukha mile usse udar poshan karo. Yahan se jana hai, sharir chodna hai, bhagwat prapti karni hai.

yah dridh nischay rakho. Vishesh charcha age shri Radha vallabh lal ki jai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi