॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

badi se badi pida mein bhi anand chahiye to yah sunen / Mohini rup mein mahadev ji ki asakti // 29/08/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mayam param shital maya param sacchidanand ghan Premanand swaroop navni nikunj mahmmahim param pavan shri Vrindavan dham shri Vrindavan dham ke ladle yugal sarkar pranaaradhy pran priy shri Priya pritam jo samasth sahachari vrind khag mrig pashu panchhi taru lata yamuna ras rani raj rani samasth samasth brajvasi par pratiphal prabhu ki ahetu ki kripa hamare upar baras rahi hai. Yah hamen anubhav karna hai. Bhaykar pida bhi hamare prabhu ka prasad hai aur apaar sukh samriddhi bhi hamare prabhu ka prasad hai.

prasad mein kadva ya mitha nahi dekha jaata. Prasad dekha jaata hai. Aur prasad ka parinaam hota hai prasade sarv dukh naam hani raste wo samasth dukho ka nash karke prasannata pradan karta hai jo pratiphal apne prabhu ki kripa ka aadar karte hue nirantar naam jap ka prayas karte hue jeevan vyatit karta hai. Wah prabhu ko aise prapt ho jaata hai jaise pita ki sampatti par putr ka adhikar ho jaata hai. Jahan tak bane tahan tak indriyon ko kumargh marg se hataen. Man ko priyal ki taraf lagaen. Jitna prayas aap mein hai shesh to sharanagat vatsal yugal sarkar apne aap dekh lenge.

hamko jitni buddhi di hai, jitna bal diya hai, uska ham durpayog na karen to age ka jo marg hai, age ki jo chadhai hai, wo ham sahaj mein chadh jaenge. Jaise koi age se pakar kar ghasit raha ho aur piche se thel raha ho to chadne wale ko koi prayas nahi rakhta. Aise hi guru kripa isht kripa guru kripa age age ghaseetti ja rahi hai. Isht kripa hamko piche se wo bal de rahe hain jisse ham guru agyaa par chal pa rahe hain. Bas agar is janm mein Priyalal tak pahunch gaye jeevan ki sham hote hote to asli ghar mil jaega.

anant janmon se bhtak rahe hain. In shariron ka koi vishwas nahi. Kis minute, kis second mein, kis din, kis mahine, kis varsh mein iska ant ho jae. Iska ant hone ke pehle hi anant se hamara sambandh ho jae. Priyalal se hamara sambandh ho jae jo hai. Aur usi dridta mein ham kis kaisi bhi paristhiti ho, usi dridta mein rahe. Ham priyal ke hain. Har samay pryasrat bhishan kasht mein bhi naam ka smaran us kasht ki vedna mein bhi priyal ke prati prem bhav ye nahi ki hai hai aap hamko itna kasht de rahe hain.

kuch to karo na khelo aap muskurao. Haan itni samarth de do ki aapka smaran na chhute bas kyonki yah jeevan hai hi sangharsh mein kisi ka bhi jeevan ho koi aisa nahi kisi ek vyakti ka hai ye sampurn sharir dhariyon ka hai kabhi sukh kabhi dukh kabhi accha kabhi bura kabhi man kabhi apman kabhi ninda kabhi sthiti ye dwaand gherte rahte hain lekin dwandatit sthiti bhagwan ka smaran hai jitna ham naam jap karenge, naam smaran karenge, utna hi ham dwandatit ho jaenge. Shri goswami tulsidas ji kah rahe hain jo pe jinki nath na jane yadi tumhen Priya pritam se prichay nahi hua to tumhari zindagi kis kam ki sachchi maniye pani ka bulbula kabhi bhi foot sakta hai anjuli ko kitna kaskar pakdo pani nikal hi jaega.

patte mein latki hui bund gir hi jaegi. Yah kacchi matki ka ghada kabhi bhi foot jaega. Is jeevan ka param phal hai prabhu se prichay ho jana. Prabhu ko janna. Prabhu ko kaise janoge? Wahi jaan sakta hai jise wah jana de swai jane je dev janae ab wo kaise janaenge jab aap nirantar pukar karoge Radha Radha vallabh Radha vallabh Radha vallabh har samay naam jap karoge naam kirtan karoge vani path karo lage rahoge wo dekh rahe hain ki ye hamen pana chahta hai ye hamen janna chahta hai to jana denge yadi aap Priya pritam ka naam, Priya pritam ki sharanagati, Priya pritam ki seva yah sab chhodkar ke aur koi anusthan karen to sab karm dharm shramdayak aise hi kahat saye jo pai jith na jane jo

viveki purush gyani jan hai saye mahapurush jan hai unhone bataya ki wah dharm karm sab bekar yadi prabhu se prichay na ho prabhu se apnapan na ho yah thesak na ave ki hamare mai shyama ji ko raj to tumhare sab shram hi hue koi hath nahi laga inka phal to sab karm dharm shramdayak aise hi kahat saye jo pe jie Janaki nath na jane yadi Priya pritam ko nahi jana to sare karm dharm sab shram hi hue bahut punya prabhav se swarg jaoge bhog bhogoge phir punya chhan mrityu lok vishti mrityu lok ana padega je sur siddh muni saj jog vid ved puran bakhane puja let det palte sukh hani labh anumane jo pai jith na jane ved puran kahte hain ki jitne devta hain, siddh hai, munashwar hain, yogi hain, yah sab aapke pehle punyeon ko lete hain, puja ko lete hain.

iske baad wo aapko nashvan sansarik padaarth dete hain. Dhokha hamare saath. Wah nashvan sansarik sukh dete hain. Sansarik unnati dete hain. Par uske badle mein hamara punya, hamara anusthan, hamara sadhan wo lete hain. Aise free nahi de dete. Koi bhi devta, koi bhi munashwar, koi bhi yogi aur wo dete samay yah vichar nahi karte ki iska labh hoga ki hani nahi hoga. Jo manga so de diya. Lekin hamare prabhu hain aise ki 100 bar mango to bhi nahi denge yadi usse hani hone wali hai aur wo tumhare punya nahi tumse kuch nahi lenge.

apni taraf se denge par shart hai jo pe ji jankeenath na jane yadi apne jankeenath man liye apne Priyalal man liye ab wo dekh lenge. Ab aapke punyeon ki, aapke satkarmon ki, aapke anusthan ki zaroorat nahi hai. Lekin yadi aisa nahi hai to hamare prabhu aise pura jagat mangta rahta hai. Aise nahi dete. Bhagwan ke do siddhant samjhne honge. [nak se ki jane wali aawaz] ek siddhant hai prabhu se apnapan karke mangna. Wah bhi ar hai, artharathi hai, jignyasu hai. Bhagwan ne gyani ko bhi bhakt kaha. Char prakaar ke mere bhakt hai.

yadi ham Priyalal ko apna mante hain aur phir koi baat mante hain to usmen hamare anusthan ka kharch nahi hoga. Hamare punya kharch nahi honge. Hamare malik hain. Ham unke naukar hain. Hamare Swami hain. Ham unke sevak hain. Agar wah dene layak vastu hai to denge nahi to nahi denge. Chahe hazar bar mango. Aisa kripalu kaun hoga? Ham log agyani jeev yahi sochte hain agar yah kam ban jaata to sab ban jaata. Bhagwan ne hamari ek nahi suni. Nahi suni isliye ki kam nahi banta. Uske bade maya ke vichitra dav hain.

bhagwan ne dekha ki na dene mein hi iska hit hai. Aur ek hai ki bhagwan se apnapan nahi kiye. Mandir gaye bhagwan se mange tab aapko utna anusthan karna padega. Tapasya karni padegi. Utna anusthan aur tapasya ke bal se jab mangoge tab tumhen vardan milega. Ek hai apnepan ka aur ek hai jaise dukan mein jakar khareedna. To prabhu aap hi ek aise swabhav wale hain jo ahetu ki kripal aur iska hit hoga ki nahi tabhi denge nahi denge chahe jitna narad ji ne shraap de diya lekin byah nahi hone diya lekin jitne devta siddh muneeshwar aur yog ke gyata hain ve sab lekar hi badle mein kuch dete hain.

bap ke siva aisa kiska naam hai jo dhoke se bol de Radha Radha Radha agar aise hi chilla pare Radha Radha Radha to paap ke samuh ke samuh bhasm ho jaate hain. Karodon duston ne is naam ke prabhav se sthiti prapt ki hai. Karodon duston ne Ajamil brahmin vyabhchari vaishyagami putr ke bahane narayan bulaya param pad ka adhikari ho gaya vyyadh hinsak swabhav wale jo Ram nahi kah sakte the mara mara kahkar brahm rishi ho gaye Gajendra jo mudh yoni ko prapt tha purv janm ke bhajan ka smaran aaya aur bhagwat prapt chaturbhuj narayan swaroop ho gaya.

Jatayu bhagwan ke smaran ke prabhav se geedh deh taj dhari hari Rupa hari rup hokar vaikunth dham ko gaya. Par uska chintan bahut gadh tha. Jab bhagwan ne dekha to age para Jatayu dekha sumirat Ram charan ki rekha bhagwan ke charan chinnon ka chintan kar raha hai. Aa antim samay hai. Pura kaat diya hai dashanand ne. Pankh kaat diye. Bahut tarah se ghyal kar diya. Samjh rahe hain pran nikalne wale hain. To Jatayu ji kya kar rahe hain? Sumirat Ram charan ki rekha. Bhagwan ke charan chinnon ka chintan kar rahe hain. Ye bhagwan ne dekha.

age badha Jatayu dekha sumirat Ram charan ki rekha. Bhagwan ne daud ke god mein utha liya. Aur jo antyashti kriya dashrath ji ko saubhagya nahi mila wo Jatayu ji ko saubhagya mila. Antyashti kriya bhagwan ne ki apne sharanagat naam japak Jatayu ki karodon duston ka udhar bhagwan ne kiya kako naam dhoke sumirat patak punj parane vipr badh gaj geedh koti khal kaun ke pet samane kaun aisa hai jo nich patiton ko duston ko udhar kare apne gale se lagae aisa koi nahi hai aap ho prabhu dhoke se bhi aapka naam nikal jae to aap param mangal karne wale ho he prabhu me se dosh dur kar jan ke aa Renu se gun ur ane Sumeru parvat sabse bada parvat hai Sumeru parvat ke saman paap ho dosh ho avgun ho prabhu mante nahi kyonki wo sharanagat hai.

aur kah rahe hain renuk chhota thoda sa bhi gun thoda sa bhi bhajan thoda bhagwan ki seva bhagwan use bahut karke mangte hain. Meru se dosh dur kari jan ke Renu se gun ani tulsidas teh sakal as taji bhajah na ajhu ayani are agyani abhi samay hai sari ashaon ki purti ho jaegi. Tum chodo anya se asha karna. Ekmatra prabhu ke das ban jao. Bas ho jaega sab kuch. Prabhu ki sharan mein aa jao. Are ayane are murkh samay kyon nasht kar raha hai? Koi aisa tribhuvan mein prabhu jaisa nahi hai. Prabhu ke saman nahi.

phir prabhu se badhkar kaun hoga? Ek niyam le lo jaban se vyarth bakwad na karke naam jap karen. Naam ka aisa abhyaas ki jitna kasht ho usmen aur naam chale. Jab vishesh kasht hota hai tab kasht ki smriti hone lagti hai. Abhyaas pusht na hone ke karan. Aur jab bhishan kasht hota hai to bhagwan ki vismriti nahi hoti. Abhyaas pusht hone ke karan abhyaas pusht kar lo kahe na rasna Ram hi gavah nish din par apwad vrithakat rat rat rag badhavhi kahe na rasna Ram hi gavah are jeev tujhe bolna hi to hai to bolna bhagwan naam kyon vyarth ka bakwad bolti hai raat din dusre ki varta dusre ki ninda dusre ki chugali kyon paap kama rahe ho yah to bahut ghatak vastu hai upasak ko band kar dena chahiye ya to prabhu ki charcha bole ya phir maun rahe kisi ke vishay ki charcha na accha na bura koi tumse kah raha ho bahut accha

hai bhagwan ki kripa hai wo bahut bura hai kya lena dena hai shri Harivansh chal de kuch nahi uske vishay mein na accha bole na bura tat suno mayakrit gun dosh anek gunya ubhay na dekhi dekhi sva vivek he tat ye gun dosh mayakrit hai uttam baat yah hai ki na kisi ke gun dekhe na kisi ke dosh dekhe kyonki gun dosh dekhna agyaan hai usmen shri bhagwan ko dekhe bhagwan baithe hain to nish din par apwad vrithakat rati rati rag badhavah kahe na rasna Ram hi gavah he jibhya tu vyarth mein chugali ninda stuti ye kyon kisi ki karte ho prabhu ki taraf apni vani ko lagao unke charit gao unke naam gao unka naam ka kirtan karo khub bada anand bhagwan mein chitt jud jae to chahe jitne kasht mein ho bada anand bhagwan mein chitt na juda ho to rag dves ka hi chintan hota nar mukh sundar mandir pavan basi janta hi lajavah sash samip rahi tyag sudhakat Ravi jal kahan dhaav goswami ji kah rahe hain yadi tum apni jibhya se naam ratne ka bhagwat leela charit gane ka niyam le to ye mukh rupi sundar ghar

pavitra ho jae. Yah ghar na rah jaega. Phir mandir ban jaega. Kyon lajja wali baten karte ho? Vishay ki baten chodo. Bhagwan ka naam rato jisse tumhara mukh mandir ho gaya. Chandrama ke paas rahte hue bhi amrit ko chhodkar kyon mrig trishna jal ke liye daud laga rahe ho kabhi pyas nahi bujhegi amrit hai naam amrit Radha naam sudharam ye naam amrit ras ise piyo tript ho jaoge sari kamnayen purn ho jaengi shant ho jaengi aur ise chhodkar mrig trishna jal kahte jahan bund bhar pani nahi keval dur se dikhayee deta hai wo ret mein aisa wahan tum daudo pani ek bund nahi milega sansaar ke bhogon ki baten ye kalyugi hriday ko aisa lagta hai harsh hota hai ki bahut badhiya baten ho rahi dusre ki ninda dusre ki chugali aisi baten kam katha kal kavach chandini sunat shravan de bhav hi kabhi satsang aise bhav se nahi sunte do ghanta parai ninda parai charcha vyarth ki baten ek bar bhi nind nahi aayegi aur ek ghanta satsang mein nind aa jaegi ye kam ki katha ashleel baten gandi baten kal kalyug ki kuchal badi vichitra hai ismen kalyugi jeevan ka man rupi kumudni khilta hai.

kalyugi jeevan ka wo bahut shravan dekar ke man lagakar ke dusre ki ninda dusre ki baten sunte hain. Tinhi hatak kah hari kal ki rati karn kalank nasha savhi danto apne man ko indriyon ko danto bhagwan naam rupi amrit na pan karke idhrudhur ki kam katha lok katha vyarth katha yah kahti hain sunti hai inko danto are jeev vishay charcha karte hue to anant janm vyatit ho gaye. Ek bar yah jeevan hari charcha mein to laga de. Hari yash shravan mein laga de kan aur hari yas gane mein laga de jibhya ko khub naam jap kar jisse kano ka kalank dur ho jae.

gandi baten sunte hue apvitra ho gaye kan. Jab ham bhagwat charcha sunte hain to hamare kan pavitra ho jaate hain. Jab ham naam jap karte hain, naam kirtan karte hain to hamara mukh mandir ho jaata hai. Jat rup mati jugti ruchar mani rach rachhar banavah sharan sukhad Ravi kul saroj Ravi Ram nap rav he buddhi tu yukti rupi sundar manyon ki swarnamay mala rach khub naam jap karne ki yukti, bhagwan ki leela katha sunne ki yukti, bhagwat puja ki yukti, bhagwat bhakton ke charit sunne ki asakti ye sab maniya hai. Inko po aur apne pranaaradhy maharaja adhiraj akhil koti brahmand nayak paraatpar is prabhu shri hari ko pahnao.

roz yahi puja karo. Khub naam jap khub katha khub kirtan bhagwat seva yah sab pushp hai ye sab maniya hai inko piroya din bhar yahi karte rahe aur inko phir prabhu ke gale mein pahna taday vastu Govinda ta mein samarp koi kamna nahi koi chah nahi baad vivad swad taj bhaj hari saras charit chit lavah tulsidas bhav tarah tahu pur tu punit jas gavah tu punit jas pav yadi vad vivad chhod de kisi se koi varta mat karo bhagwat varta ke siva aur koi swad ke chakkar mein mat pado khanpan kitne kitne din ka maroge to hai hi hai jana to

hai hi hai yar kab jana hai pata nahi par jana hai yahan sab waise hi para rahega bank balance rupya paisa patni putr parivaar sab ye mayakrit hai man lo baat bhajan kar lo to kalyan nahi to sab aise rah jaoge bhajan ment abhi kahne par nahi laga phir koi kahne wala nahi milega kaun kahne wala hai aap dekh lo koi tumhen dantne karne wala ho koi tumhen kahne wala ho koi tum par ankush rakhne wala ho na na aap manmani karo iske baad jail jao koi bolne wala nahi koi puchkarne wala nahi koi sharan mein lene wala nahi koi dular karne wala nahi abhi avsar hai nikal chalo apni nishtha bana lo sharir svasth hai to har samay Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri ye amritmay hai shri Harivansh chandra shubh naam sab sukh sindhu prem ras dham jam ghati bisre nahi sevak ji kah rahe hain mere ko jo Vrindavan nitya vihar ras sab kuch prapt hua isi naam se prapt hua yadi aap ghar se nikelte samay shri Harivansh shri Harivansh shri Harivansh shri Harivansh sab vind nasht ho jaenge prabhav dekhiye aap kaise ye

divya naam hai ye divya naam apne aap prakt hokar shraddha vishwas dridta kharid liya kharid liya ab jo kuch hai wo shri Harivansh hai. Yah kripa hai is samay vad vivad swad taj bhaj hari saras charit chit laav. Prabhu ke aise mangalmay pavan charit hai jinko sunkar hamara chitt prabhu mein aasakt ho jae. Isliye swadisht bhojan ka tyag vad vivad ka tyag kisi se bhi ham kisi bhi tarah koi sambhshan na karke naam jap adhik se adhik badhaye jaise hamko kal yahan se jana hai to jaldi se jaldi samet le kimti chijon kyonki jana hai to kimti chijon hain bhagwan ka naam bhagwan ki katha dusre ko sukh pahunchana bhagwat seva karna ye kimti hai ye nasht nahi hongi kisi kal mein nasht nahi hongi tulsidas ji maharaj kahte hain sansaar sagar se tu mukt ho jaega.

tino loko mein tera yash ho jaega. Teri pavan kirti fail jaegi. Yadi tu vad vivad kam katha lok katha vihaar katha raj katha tyag karke bhagwan ki charcha bhagwan ki charcha sirf bhagwat prapti ke liye hai. Uska uddeshya yadi aur hua to ham bhagwat prapti hogi. Ye baat nahi kah sakte bhagwan ki katha dekho isiliye goswami tulsidas ji ne likha chauth bhagti mam gungan kare kapt taj gaan kapt matlab apne swarth ki purti ke liye bhagwat katha kahna ye alag ho gaya aur bhagwat prapti ke liye bhagwat charcha karna bhagwat charcha sunna ye alag ho gaya tu tino loko ko pavan karne wala ban jaega.

isliye jeevan ka param labh bhagwan ke ashrit hokar yah jaan lena ki hamare Swami hain shyama Shyam aur raat din unki seva mein unke sumiran mein rahna. Chalte hain Shrimad bhagwat mahapuran jismen bhagwan ne samudra manthan kara ke divya ratnnon ko prakt kiya. 14 ratna jo kuch daitya ko mile, kuch devtaon ko mile aur kuch swayam shri bhagwan ne sweekar kiye. Akhri mein bhagwat avatar dhanwantri ji amrit ka kalash lekar to amrit ka kalash dekhte hi daitya ne bal purvak chhin liya. Bhagwan sarv samarthyshali hai.

devta bade chintit ho gaye ki jiske liye ham itna prayas kar rahe hain wo prayas to nishphal ho gaya. Bhagwan to amrit kalash dekhte hi rah gaye. Dhanwantri ji aur daitya chhin le gaye. Bhagwan ne kaha tum chinta mat karo. Main abhi amrit tumhen pan karata hoon. Isse ek bal milta hai. Sadhak jab sadhna karta hai to uski sadhna ko badha pahunchane ke liye maya uski pahunchte pahunchte hata deti hai. Jaise sab kuch ho gaya. Amrit nikal aaya par pine ko nahi mila. Daitya le gaye. To bhagwan ki yadi ashrit hai to koi bhi badha use parast nahi kar sakti.

seem ki chap sa ko tasu bal rakhwar Ramapati jasu bhagwan ne Mohini rup dharan kiya aur spasht bhagwan ne kaha ki dekho ham kulta hai swachchhand charni hai ham par vishwas na karna aur muskurakar stri itne sulabh kataksh aise sundar aise sundar ki bhagwan shankar mohit ho gaye the. Socho paas mein Tripura sundari amba rahti hain. Tripura sundari hai. Tribhuvan mein koi sundar amba jaisa nahi hai. Amba paas mein rahti hain. To bhala wo sundarata se mohit kya hone wale? Par bhagwan ki aisi sundarata thi ki bhagwan shiv mohit ho gaye.

to ye daitya becharey kaise nahi mohit ho jaate? Inhone amrit kalash hath mein de diya. Bhagwan ne kaha uchit aur anuchit jo bhi ham karen tum hamen dosh nahi doge to ham amrit kalash mein amrit bantne ke liye tayyar hain. Daitya ne kaha nahi tokenge. Pehle bhagwan daitya ki taraf se gaye par netron ke kataksh se bandhte hue amrit kisi ko nahi pilaya. Par jab devtaon ki taraf pankti mein gaye donon pith ki panktiyan baitha li thi ki ek dusre ko dekh na sake. Badi raftar se bhagwan pilate chale ja rahe to drishti daitya ki taraf thi.

itne mein Rahu naam ka ek daitya ne socha ki akhirkar ho kya raha hai? Usne dekha turant mudna hi tha. Aise kiya. So surya chandrama ke beech mein tha. Surya chandrama ne kaha prabhu ye Rahu daitya bhagwan ne sudarshan chakra ka prayog kiya jisse amrit abhi niche nahi utar paya tha to niche to mrit ho gaya. Upar ka divya ho gaya. Amrit pan karke wo aaj bhi surya aur chandrama ko purnima aur amavasya ko grahan lagte hain. Pura amrit pila diya. Devtaon ko kalash samne fenka daitya ke aur apne swaroop mein aa gaye.

are unka ye to hari hai. Hamare saath to bada dhokha hua. Bhagwan Garud ko bulaya. Garud par baithe ud gaye. Ab devta aur daitya mein bhari yuddh prarambh ho gaya. Param purush bhagwan ki ahetu ki kripa se devtaon mein koi ghbarahat nahi thi kyonki amritpan kar chuke the. Naveen utsah ka sanchar vivid prakaar se daitya aur devtaon ka yuddh hua. Bali ne kaha indra jo log kal shakti ki prerna se apne karm ke anusaar yuddh karte hain wo jit aur har yash aur apyash aur mrityu inki parvah nahi karte.

isi se gyani jan is jagat ko kal ke adhin samjhkar na to vijay hone par harsh se phool uthte hain aur na to abkeertihar aur mrityu hone se shok ke vashbhut hote hain. Tum log tatv gyani nahi ho isliye phool rahe ho ki amrit pi liya hai. Tum log apne ko jai parajay aadi ka karan karta mante ho. Isliye mahatmaon ki drishti se tum sochni ho. Ham tumhare marm sparshi vachan sweekar hi nahi karte. Phir hamen dukh kyon hoga? Prahlad putr vochan putr bali itne mahabhagvat hai. Sukhdev ji kahte hain veerwar bali ne indra ko phatkara.

bali ki fatkar se indra kuch jhep gaye. Phir viron ka man mardan karne wale bali dhanush ko kan tak khinch khinch kar bahut se baan indra ko mare. Indra ka atyant tiraskaar kiya. Par indra marne wale to hai nahi kyonki amrit pi chuke hain. Bhagwan ne daitya ko amrit kyon nahi pilaya? Mehnat karwai. Kyonki unko pata hai ki inke paksh mein mrit sanjivni vidya janne wale Shukracharya hain. Ek bhi daitya mara nahi rahega. Jahan marta hai mrit sanjivni dal dete. Devtaon ke paas ye thi nahi kyonki daitya guru Shukracharya ji ko ye pata the.

dusre ko pata nahi hai. Isiliye bhagwan ne vichar purvak ki inke paas mrit sanjivni vidya hai aur inko amrit pila dete hain. Donon saman ho jaenge. Devraj indra aur bali ka bahut samay tak yuddh hua. Tashta ki tapasya ka sar jo vritrasur prakt hua tha. Indra ne kaha maine vajr ke dwara usko mar dala. Anek daitya jo bahut balvan the kisi astr shastr se nahi marte the unko mrityu ke ghat isi vajr se utar diya wahi mera vajr ye namuch naam ke daitya ko kyon nahi mar pa raha yah brahm tej se bana hua vajr iske gale mein kharoch bhi nahi kar pa raha indra bahut vishad karne lage namuch aakraman par aakraman kar raha hai par Devraj indra ka vajr kam nahi kar raha to akashvani hui ki ye danav na sukhi vastu se marega na geeli vastu se ise var mil chuka hai.

sukhi ya geeli vastu jo na hogi usse mar jaega. Isliye indra is shatru ko marne ke liye vichar karo jo sukhi aur geeli vastu na ho. Akashvani sunkar ke badi ekagrata se vichar karne lage ki kaun si aisi vastu hai jo sukhi ya geeli nahi hai usse mara ja sake. To dhyan mein aaya bhagwat prerna se phain. Phain na sukha hai aur na gila hai. Isliye unhone samudra ka phen liya aur phen fenka to phen se uski gardan kat gayi jo vajr se nahi kati thi. Gandharv shiromani vishwavsu tatha paravshu gaan karne lage.

devtaon ki dhundhbhiya bajne lagi. Nartakiyan anand se nachne lagi. Is prakaar vayu, agni, Varun aadi dusre devtaon ne bhi apne shatruo ko parast kiya. Ye bhagwan ki leela hoti rahti hai. Kabhi daitya parast karte, devtaon ko, kabhi devta daitya ko, kabhi sadhu janon ki vijay hoti, kabhi asadhu janon ki vijay hoti hai. Par jo bhagwan ki chhattar chhaya mein rahte hain unka sada mangal hi hota hai. Narad ji aae aur kaha devta aur daitya aap log apne apne bal ko lagakar dekh chuke ho. Ab hamari agyaa hai ki donon sukh samriddhi ko prapt ho aur yuddh band karo.

Sukhdev ji kahte hain devtaon ne devrshi narad ki baat mankar apne krodh ke veg ko shant kiya aur phir daitya bhi daitya ne bhi wahi baat mani aur yuddh band hua. Narad ji ek aise mahatma hain ki devta matlab kans ke paas jaate hain to waise sammaan vasudev ji ke paas to kahin bhi jae inka kahin tiraskaar nahi aur sabko aisa lagta hai mere hit ki hi baat kahte hain. Jo mare hue daitya the. Dekho Shukracharya ji ne apni mrit sanjivni vidya se unko jivit kar diya. Kisi ke koi ghav nahi, koi kate ang nahi, sab svasth.

isiliye bhagwan ne devtaon ko amrit pilaya. Bali ji bhagwan ka chintan karte hue na dukh na sukh. Jab yah suna ki bhagwan ne Mohini avatar dharan kiya hai. Asuron ko mohit karke devtaon ko amrit pila diya. To sati se kaha dekho ham ja rahe hain bhagwan ke jahan jahan avatar hote hain wah avtaron ke darshan karte hain. Ab ham is Mohini avatar ke darshan ke liye ja rahe hain. Devi ne kaha ki ham bhi saath chalenge mata ji ne to kuch ganon ne nitya parsad jo hain unhone kaha ham bhi saath chalenge bhagwan ke darshan karenge.

bhagwan Gauri shankar aur unke parsad yah sab bhagwan ke dham pahunche. Bhagwan muskurae sarvantaryami hain. Khade hokar pranam kiya bhagwan shri hari ne. Virajo maharaj. Aaj ye shiv parikar kaise pura aagman hua? Karan kya hai? Mahadev ji ne kaha samasth devtaon ke aradhya dev aap vishv vijay Jagdishwar jagat swaroop hain. Samasth charachar padartho ke mul karan ishwar aur atma bhi aap hi hain. Is jagat ka aadi arthat prakt karne wale madhya arthat palan karne wale ant arthat pralya karne wale aap hi hain. Aap avinashi hain.

aap hamare swaroop hain. Aap drishtadrishya bhogta bhog bhav se rahit hai. Vastav mein aap chidanand matra brahm hai. Prabhu yah hamne aapka avatar suna hai. Mohini avatar. Bade-bade rishi munio ko sukh dene wale avatar to hamne prabhu dekhe lekin daitya ko mohit karne wala yah avatar shri Sukhdev ji kahte hain jab bhagwan shankar ne aisa kaha to bhagwan shri hari hans diye aur bole rahne do is chakkar mein mat pado aur avatar alag baat hai yah hamne mohit karne wala avatar liya tha. Shankar ji amrit ka kalash daitya ke hath mein chala gaya tha.

dusra koi upay nahi tha. Devtaon ka kam banane ke liye kauthalwash wo maha sundar rup maine dharan kiya ki wo apne aap kalash hamare hath mein de diye. Dev shiromani waise yogi purush ko is rup ko nahi dekhna chahe. Par aap dekhna chahte hain. Main dikhaunga. Parantu yah aap mein bhi uttejna paida kar sakta hai. Pehle bata diya aap mein bhi uttejna paida kar sakta hai. Sankalp prabhudyam kam sankalp aapke andar uday ho sakta hai. Bhagwan shankar ne kaha prabhu aap hi to hai na koi aur to nahi hai na ham dekhna chahte hain bas jahan bhagwan virajman the wahan se antardhya to jab koi samne ho aur ankhon se ojhal ho jae to idhar udhar drishti jati hai to dekha ki ek gend uchhalte hue wahi 141 varsh ki avastha ki nav kishori hoti bada sundar rupwan bhat bhaant ke aisi latae vriksh phule hue jhoom rahe hain.

lalal kople aur gend uchhal rahe hain bhagwan aur gend uchhalte samay vastr idhrudhur ho rahe hain. Kamar ki kar dhvani kar ki chudi aur shri charnon ke napur ye dhvani bhi kar rahe hain. Ab mahayogi bhagwan shiv ko mohit karna chahte hain to phir shri charan ekdam lala lal sukumar naveen pallo ki tarah aur wo thumuk thumak kar chal bade leela bihari dhire se gend aisi mari jo mahadev ji ke nazdik jae uthane ke liye gaye wo aur ye bhul gaye mahadev ji ke abhi hari se kaha tha Mohini rup dikha dena unko yah nahi pata ye Mohini rup bhagwan ka gend uthaya aur bhag pare.

[khansne ki aawaz] mahadev ji ki taraf tirchhi nazar se dekha mano bula rahe hain. Dekh lo shabd sparsh rup ras gandh vijay hote hain jo mahadev ki upasna karte hain. Are ye to yogendhr munindron ke guru hain. Itne aasakt ho gaye Mohini mein ki Tripura sundari Gauri Bhagwati paas mein virajman hai. Dekha bhi nahi bhag pare. Aur vibhal ho gaye. Gan bhi ashcharyachkit ho gaye ki kya leela kar rahe hain mahadev. Bas mahadev ji ke laga ki ek bar gale se laga le. Ek bar gale se laga le. Mohini utna hi bhagti thi jismen mahadev ji ko lage ki main abhi pakar liya.

ab dhire-dhire vayu aisi jor ki ai ki sari ud gayi. Kyonki yogendhr munindron ke guru agar thoda bhi avsar mila to turant gyan jagrit ho jaega. Kardhni khul gayi aur sari ud gayi. Ab to Mohini bhagwan ka ek ek ang itna sundar jahan ankhen jati wahi man ram jaata. Bhagwan shankar atyant akrishta ho gaye aur Mohini bhi aisi havbhav priti dikhane lagi ki wah bhagwan shankar par aasakt hain. Wo bhagwan Mohini par aasakt hain to Mohini bhagwan shankar ji par aasakt hain. Mahagyan samudra bhagwan shankar Mohini ke hav bhav se lajja chhodkar ke daud pare.

Mohini ka aalingan karne ke liye aise bhag rahe hain jaise kulavti koi stri lajjavan bhag rahi ho. Aise bhagwan bhag rahe hain. Chuna mat aise cheshta karte hue aur ek daudti hai ek vriksh ki aad mein hokar phir mahadev ki sthiti dekhti hai. Aur hansne lagti hai. Phir ishara karti hai. Bhagwan shankar bar-bar savdhaan hona chahte hain. Lekin dekh lo atyant veg se daud ke Mohini ka joda pakda aur hriday se laga liya. Je bhi hriday se lagaya to shanti ho gayi kyonki bhagwan hi to hai na param shant. Ab wo bal khul gaye the.

jab bhuj paas hataya to dekha hari jab bhuj paas kiya to Mohini aur jab bhuj paas hataya bole prabhu gazab ka rup gazab ka rup aisa avatar to hamne kabhi bole mana kar rahe the na ki yogiyon ke liye nahi hai ye to bhogiyon ko akarshit karne wala hai bhagwan shri hari unhone kaha dev shiromani bhagwan hi to hai na koi dusri stri thodi hai ki wo kamsakta ho gaye. Bhagwan ne kaha shri hari ne dev shiromani main yah dekh raha hoon ki yah sab hua par aapki nishtha mein koi fark nahi hai. Yah bade anand ki baat hai ki meri apaar maya ka prayog aapke upar hua.

aise havbhav kiye par aapki sthiti wahi rahi. Sthiti mein aap yah to bhagwan hi dekh sakte hain na sthiti nahi bigdi leela bahari hui par sthiti leela bahari isiliye hui ki hari hi hai wo jaan rahe hain shiv ji ki hari hai to hari aur har mein koi antar thodi hai. Yadyapi meri ye gunmay maya bado bado ko mohit kar deti hai. Phir bhi ab ye aapko kabhi mohit nahi karegi. Kyonki srishti aadi ke liye samyasmay par use shobhit karne wala kal main hi hoon. Isliye meri ichchha ke viparit yah rajogun aadi ki srishti maya nahi kar sakti.

jis par main kripa karta hoon use maya parast nahi kar sakti. Shri Sukhdev ji kahte hain parikshit is prakaar bhagwan shri hari ne bhagwan shankar ka satkar kiya. Tab unse vida lekar ke evam unki parikrama karke ve apne ganon ke saath Kailash ko chale gaye. Bharatwansh shiromani bhagwan shankar ne bade-bade rishiyon ki sabha mein apni ardhangini sati devi se apne hari rup ki anshbhuta mayamai Mohini ka is prakaar prem se varnan kiya tha ki devi tumne dekha param purush parmeshvar bhagwan shri hari ki maya dekho yun to main samasth kala kaushal vidya aadi ka Swami aur swatantr bhagwan hoon hoon.

phir bhi us maya se vivash hokar mohit ho gaya. Phir dusre jeev partantra hain. Wah mohit ho jae. To ismen kaun se ascharya ki baat hai? Jab main 1000 varsh ki samadhi se utha tha tab tumne mere paas akar yah prashn kiya tha ki tum kiski samadhi lagate ho? To yah wahi sakshat atma swaroop sanatan shri hari hain jinko main samadhi mein dhyan ke dwara unke rupanand ka pan karta rahta hoon. Na to shri hari ko kal hi sima mein bandh sakte hain aur na ved hi varnan kar sakte hain. Inka vastvik swaroop anant aur anirvcni hai.

shri Sukhdev ji kahte hain parikshit maine Vishnu bhagwan ke aishwarya purn leela tumko sunai jismen samudra manthan ke samay apni pith par mandrachal dharan karne wale bhagwan ka varnan hua. Jo purush bhagwan ka ye samudra manthan Mohini avatar dharan karna bhagwan shankar ka Mohini rup mein aasakt ho jana ye charit sunega wo bhagwan ki maya se mohit nahi hoga. Yah leela sansaar ke samasth klesh mitakar bina parishram ke bhagwat prapti karane wali hai. Yah jo leela suni aapne chahe bhagwan ke charnon ki sharan grahan karen ya na kiye ho koi bhi sune charit bhagwan ke to bhagwan ke prati sharanagati ka bhav aa jaega aur bina parishram ke uska bhajan banne lagega aur bhagwan ki usko prapti hogi.

aaj yahi vishram karte

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi