॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त कथा · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bas samjh lo ! Bhajan badhane wali ye divya baat // 08/09/26

▶ YouTube

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ka satsang — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jai jai shri hit vansh shri ji ki kripa se shri ji ke sumiran karne ka seva karne ka hamen avsar mila. Yadi ham aise sanyog mein manush tan vrinda vipin rasikan sang ye durlabh vastu prapt hui hai. Ye bar-bar nahi milegi. Shri ji ne kripa ki hai sanskriti chakra se aavagaman se mukt karne ke liye maha sukh ki prapti ke liye hamen shri Vrindavan bulaya. Hamen vairagya marg mein chalaya. Hamen bhajan marg mein chalaya. Ab ham unki kripa ka anadar na karen. Shri dhruvdas ji maharaj kah rahe hain ek soch man mein raho aru aavat jilaj adbhut manush deh dhari kiyo na kachhue kaj kah rahe ab badi soch ho rahi hai shok ho raha hai.

bhagwan ne ahetu ki kripa karke hamen ye mano de diya. Lekin jo kaj hamen karna chahiye wo kaj kar nahi paye. Ye badi soch hai man mein. Kya karya karna hai? Hamara karya hai shri Vrindavan dham mein vas karke rasikon ka sang karte hue nirantar bhajan karte hue yahi pran tyag den. Yah hamara karya hai. Hamara pradhan lakshya hai Vrindavan. Kyonki ab nij dharm apno kahat tahan nitya Vrindavan rahat wah prem sagar jahan hamara lakshya Vrindavan hai aur hamare lakshya ki purti Vrindavan hi karega. Vrindavan ke yah chandrama hai donon Priya pritam inhi se Vrindavan prakashit ho raha hai aur Vrindavan se hi ye pratiphal anand se pulkit rahte hain Priya pritam to hamara karya hai akhand Vrindavan vas karte hue rasikon ka sang karte hue nirantar bhajan karte hue ham yahan pran tyag de bhajan nirmal bhajan milavat rahit bhajan ab ya mein miloni mile na kachu jab khelt raas sadavan mein nigam nir mili ik bhyo bhajan dugdh samshat shri Harivansh hans nyaro kiyo pragat jagat jagat ke het nirgun sagun upasna ved ke aur bhi karmkand aadi sab mahaprabhu ne sabko alag kar diya.

jaise doodh aur pani ek jagah mila ke rakh do to hans jo hai wo doodh pi jaega. Pani chhod dega. Yah keval hamse hi kar sakta hai. Nahi doodh aur pani ka nirnay to prem lakshna shuddh bhakti priyal ki vedatit hai. Mahaprabhu ne samasth purannon aur shastron aur vidhi nishedh aadi se pare jo adbhut ras hai. Priya pritam ki dasata Priya pritam ki seva wah hamen pradan karen. Atho pahar shri shyama Shyam ke chintan mein unki seva mein unke janon ke sang mein to hamara kaj ban gaya. Nahi kah rahe hain ki bada shok man mein hai.

bhagwat prapti hona koi sahaj nahi hai. Jara si chuk mein ek mahapurush hiran ban jaata hai. Jara si chuk mein maha pratapwan na ajgar ban jaate hain. Bahut vichitra bhagwan ki maya ki gati hai. Isliye kah rahe hriday mein bada soch hai aur ji mein badi lajja hai ki adbhut manushya sharir hamen prabhu ne diya keval bhajan karne ke liye aur ham apna samay bhajan mein na dekar prapanch mein lagate hain. Re man chanchal taj vishay dharo bhajan ki or chhar kumti ab sumati gayi bhaj le naval kishor ae man ab tu ye vishay vish khana band kar de baat pakki samjh lo jab tak shuddh vairagya nahi hota tab tak prem ras ka anubhav nahi hota.

yah pakki baat hai. Ashudh vairagya kya hota hai? Bahari bhesh vairagi ka hai aur antar mein vishay sevan ki lalsa hai. Shuddh vairagya ka kya lakshan hai? Paas vishay hai par bhogna nahi hai. Ichchha hi nahi hai. Bhogne ki ichchha hi nahi hai. Ya agar ichchha bhi hai to prabhu ke liye tyag karte. Tyaga shanti anantam tyag se shanti prapt ho jati hai. Bina vairagya ke prem ka anubhav nahi hota. To re man chanchal taj vishay yah chanchal man bhavre ki tarah jaise bhaura anek foolon mein mandrata rahta hai aise anek vishyon ki taraf bhagta hai to kah rahe ye chanchalta chhod do dharo bhajan ki or bar-bar bhagwan ka smaran karo Priya pritam ka smaran karo naam kirtan karo, naam jap karo, vani gayan karo.

yah hai hamara bhajan. Seva karo shri ji ki. Chhadi kumti ab sumati gah bhajle naval kishor. Kumti ka tyag karo. Jahan kumti tahan vipatti nidana. Jahan sumati tahan sampatti nana. Sumati hai to daivi sampada aur laukik sukh bhi aapko gher lenge. [gala saaf karne ki aawaz] ye laukik sukh jinke liye log pran de rahe hain, pareshaan hain. Goswami ji ne likha hai ki jaise bina chahe samudra mein sab nadiyan daudti hui jati hai. Aise vishv ka samasth vaibhav jo bhagwan ke charnon ka aashray le liya hai aur nirantar bhajan karta hai uske paas samarpit ho jaata hai.

bina mange sampurn vaibhav sampurn sukh wo uske jo bhagwan ka ashrit hai aur nirantar bhajan karta hai. Laukik parloulik ae parlok sakal sukh pavat meri so bhaiya Krishna gun san ye kumti hai jo hamare sansaar ki priyata mein phas gayi. Sharir ki priyata mein phas gayi. Bhogon mein phas gayi. Ek bar himmat karke niklo. Agar bar-bar aap bhogon ka hi swad indriyon se chakhate rahoge man ko to ye man bhi sahi ho jaega. Phir bhagwan se vimurkh kar dega. Bahut badhiya avsar mila hai. Kumti ka tyag karo aur sumati ko dharan karo.

sumati kaise badhti hai? Kumti ko daba karke sumati kaise badhti hai? Satsang se mati failaya hai. Sumati jo hai wo mati hai. To mati keeti gati bhuti bhalai. Jab je jatan jahan je pai so jano satsang prabhav. Satsang se sumati badhti hai aur bhajan se sumati badhti hai. Sajet Harivansh chandra namo vardhit sada subuddhi wahi mati ka matlab buddhi agar shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh to sumati badhegi. Kumti ka nash ho jaega. Kumti vishyon ki taraf le jati hai. Sumati Priya pritam ki taraf le jati hai.

to ab lagi man keeno sui jo jo kaho te moh hat kar lena chahiye ab lag man keeno soi jo jo kaho te moh ab tu mero kaho kare jugal charan chavi jo ai man ab tak tumne jo jo kaha wah kiya yah samjhaya dhruvdas ji ne apne man ko jaise kah rahe hain nimit bankar sare jagat ke liye jo jo man ne kaha wo kiya ab nahi ab mero kaho mero kaho shri Harivansh bhaj re man shri Harivansh bhaj jo chahat agar mangal chahte ho, kalyan chahte ho, sukh chahte ho to Harivansh bhajo. Haan hari Radha ba Vrindavan sa Vrindavan mein virajman Priya pritam ka bhajan karo.

use hi kah rahe hain jugal charan chavi jo. Ab to tumhen mera kahna manna padega. Hamko hath karna padega. Isse ladna padega man se. Nahi ab ham raat din bhajan karenge na nind na khanpan ab kuch nahi bas ek baat dikhayee de rahi sharir chhutna hai jaldi se jaldi adhik se adhik bhajan kar lo aisa bhajan karo ki antim samay Priya pritam ave aur ek ek hath pakde aur le jae isi chah mein ki pura bachpan se ghar se nikle hain ab antim hamara ek hath Priyaju pakde, ek hath Lalu pakde aur le jae nikunj mein ghasit ke kyonki ham jane layak to hai nahi.

unki kripa hi pahuncha sakti hai. Hamari samarth nahi hai. Ham aise pavitra nahi hai. Ham aise divya nahi hai ki ham nikunj mein swayam jae. Wo pakar ke le jae. Wo kripa karen. Ab mera kaha man ab nahi. Ab lo nasani ab na nash ho ab tak jeevan nasht kiya ab nahi ab raat din keval bhajan keval bhajan raat din bhajan jugal charan ka tatparya hai mantr naam seva teen baten mantr aur pranam vani aur seva ye tino jugal charan chavi joh tak pahuncha denge. Nahi jugal charan muni man dhyan dharat nahi pavat. Bade-bade muni jan dhyan dharte hain lekin Priya pritam ki chavi unke dhyan mein nahi aati.

ab ham Harivansh pratap se guru mantr bahut badi vastu hai. Ye jo nij mantr hai yah siddh mantr hai guru parampara se sharanagat mantr 18 lakh japne ke baad yadi nij mantr diya jae to wo ho jaega jugal charan prakashit ho jaenge yadi nij mantr Radha vallabh shri Harivansh naam sharanagat mantr inko japa jae vani ji ka gayan kiya jae aur yugal sarkar ki chakri ki jae dasata ki jae unki seva to ye jugal charan chavi jo ab bas keval jugal sarkar mein hi hamen lagna hai ye dridh nischay kar le man gaj taj ke vishay mag chalhu bhajan ras mahi shri Radha vallabh lal bin tero ko na ye achhche se samjh lo gaj shabd ka prayog kiya matlab hathi hathi ka tatparya kahne ka hai matwalapan ye itna matvala hai ki ise samjhate raho samjhate raho lagta hai samjh gaya aur phir aise bhag jaega aise vishay mein gira dega yar phir phir wahi phir wahi ye bahut mat wala hai samjh mein nahi aata hai ki ye kab hamko kahan kaise mod ke gira de.

isliye dhruvdas ji kah rahe hain man gaj taj ke vishay mag ye vishay ka rasta hi chhod do. Duri banao. Jin bhogon mein priyata hai unse duri banao. Bhog priyata nasht hone par hi prabhu prapt hote hain. Prabhu ka bhajan hota hai. Jitna vishay bhogoge utne hi bhajan na karne ki vritti aapke andar uday hogi aur jitna tyag karoge utne bhajan karne ki vritti aapke andar uday hogi. Isiliye bhagwat rishi ji ne kaha bin vivek vairagya bhakti bin satya na ek ko mano bhagwat vimurkh kapt chaturi so pakhand nahi jano wo pakhand hai agar vivek nahi vairagya nahi bhakti nahi to sab pakhand hai vivek vairagya pradan karta hai vairagya bhakti pradan karta hai isliye bin vivek vairagya bhakti bin satya na ko mano hoe vivek moh brah bhaga tab sab vishay vilas viraga vishyon se vairagya vivek karata hai vairagya hi prem pradan karta hai agar vairagya nahi hai to prem prakt ho hi nahi sakta

jagte bhyo phire bairagi Vrindavan ras mein anuragi anurag kaise aaya Vrindavan ras ka jagte bhyo phire bairagi vairagya bahut amritmay vastu hai to ai man rupi hathi tu vishay rupi marg ka tyag karke bhajan ras mein chalo ras swaroop jo bhajan hai Priya pritam ka is marg mein chalo Harivansh pradatt marg mein chalo kyonki ye pakka man lo shri Radha vallabh lal bin tero ko na dekho jab tak sharir aapka kam kar raha hai aapke paas arthvyvastha aur yah sab achchhi hai to ho sakta hai koi aapko pyar dikhave nahi sharir rugan ho paas mein paisa na ho phir aap dekho kaun pyar karta hai aapko prabhu ke siva kaun pyar karta hai reman aru sab chhar ke jo atke ek thor Vrindavan ghan kunj mein jahan rasik sir mor are man ye sab labh lobh chhod de rasik shiromani Harivansh mahaprabhu jahan Radha vallabh lal ko dular kar rahe hain aise Vrindavan vipin mein vas karne ka niyam than le atal niyam jo kachu likh lilat dukh sukh deh sang bhugtego jahan jaego ya siddhant abhang ya siddhant abhang tajat kyon dhiraj prani Vrindavan parihre

Priya pritam rajdhani jis minute mein marna hai us minute mein maroge aur nahi marna hai to aise hi chalta rahega aise hi chalie siddhant Vrindavan nahi chodna. Jaise hamse kidney transfer ke liye kitne log bole apni wo sab swasthya ke kaagaz aur rupya bhi main kidney bhi dunga, rupya bhi lagaunga aur swasthya ka kaagaz dekh lo. Main purn svasth hoon. Aisa hamare man mein bas ek hi baat rahi hai ki agar hamko 10 varsh jeena hai to hamari yahi kidney hamko 10 varsh jilaegi aur agar nahi jeena hai to chahe jiski devta ki kidney dal di jae to bhi mar jaenge.

wo nischit samay hai jane ka yahan ka. Na koi doctor bacha sakta hai na koi dawa bacha sakti hai. Davaon mein jo aushadhiyon mein samarth hai wo bhagwan ki samarth hai. Bhagwan ke ashrit hokar ke Vrindavan ka atal vas le lo to tumhara bhagya palat jaega. Bole bhagya mein likha hai ki ham Kolkata mein marenge. Lekin niyam le liya akhand Vrindavan vas ka to tumhara bhagya palat dega Vrindavan aur tum Vrindavan mein hi maroge. Bhagwat prapti ho jaegi. Yah chans hai atal. Bilkul kaisi bhi paristhiti ho hamen Vrindavan se bahar nahi jana hai.

yah niyam le lena hoga. Itni kripalu ladli aise thodi dekhti rahti hai ki bhai kasht mein para hai. Wo dekhti hai ki kasht mein para hai to ek rasta de deti hai apne charnon tak ka jahan anand ki sukh ki dhara bahti rahti hai. Barsant mein sahjadbhut saukhya dhara shri Radhika charan renu maham smaram shri ji ke charan se adbhut sukh ki dhara bahti hai. Sukh dhara aur wah us hriday ko seenchti rahti hai jo anannya bhav se kishori ji ke charnon ka aashray lekar nirantar bhajan paraayan hai. Ananyata ananyata mein bahut bada bal hai.

to Vrindavan dham ki dridh pratigya purvak vas vritti kaise bhi ho Vrindavan nahi chhodenge. Yah hamne chamatkar dekha hai. Ismen chamatkar dekha hai. Vrindavan ki nishtha banae rakhna chahiye. Nishtavan hi nahi to antim samay koi aisa rog ho gaya, aisi koi paristhiti ho gayi to bhagna padega. Isiliye chahe ang ang kat jae, gal jae, ham Vrindavan se bahar nahi jaenge. Khand khand hoe jae tan ang ang sat tuk Vrindavan ne chhadiyo chhadi wo hai badi chuk badi chuk to bole re man aru sab chhar ke jo atke ek thor wo thaur kya hai Vrindavan ghan kunj mein jahan rasik sir mor rasik sirmaur shyama Shyam ko dular karte hue shri Harivansh mahaprabhu jahan virajman aise Vrindavan ko dridta purvak vas karte hue aajeevan nirvah karo.

re man ali sun chhue jin vishay suman sath mand jugal charan Arvind ko karah pan makrand. [gala saaf karne ki aawaz] ai man rupi bhaura tu vishay rupi parag mat chuna. Yah jahr hai. Vishyon ka sevan vishwat hai. Antahkaran ko malin kar deta hai. Bole jis sukh rupi parag ke liye tu chhote-chhote foolon ka rupi vishay ka sevan karta hai. To bhari sukh jinke bhari parag jis kamal mein hai wah jugal Arvind jugal charnarvind Arvind kahte hain kamal ko jugal charan kamal rupi makrand ka pan kar arthat prabhu ki dasata rupi sukh ka priyaju ki dasata rupi sukh ka anand anubhav kar chhod vishay sukh bhogna kar pan makar makrand jo hai wo prem ras Priyaju lal ke charnon ka prem ras rupi makrand pan kar ai man rupi bhaura shri jugal charnarvind ke prem ras rupi makrand ka pan kar vishay vishv rupi ras ko mat bhog ye bina tyag ke baat banegi nahi tyag atyant aniwarya hai.

agar ham sab indriyon ko Priya pritam mein laga den to bahut jaldi bhagwat prapti ho jae. Bahut jaldi bhagwat sakshatkar ho jae to hamko samay barbad nahi karna. Har minute har second naam jap karo. Man panchhi ab parah jin jagat moh ke jal tab to ko hai kathin ba hai dukh vishal. Jagat moh mein na fase. Rishte nate sage sambandhi agar inka waise hi vihaar bana raha aapka jagtiik to bhajan nahi hoga inheen ka chintan hoga agar isi janm mein bhagwat prem prapt karna hai to dhruvdas ji kah rahe hain ai man rupi panchhi tu is jagat rupi jal mein mat phas agar tu tu fansa to tujhe dukh bhogna padega.

yah jagat moh ka jal aisi baat kara dega. Bahut se bairagi janon se aisi galti ho jati hai. Accha sweater accha kambal bhej diya. Paisa bhej diya. Yah durgati ka karan banta hai. Tumhare dene se unka mangal nahi hone wala. Unke bhagya mein jitna hai utna hi milega. Aap aparadh kyon kar rahe ho? Aap to chodo aap aparadhi kyon bano? Durad paas sujnam. Vishay chuga jin chug man chugat kachuk sukh hoi phir phansi aisi pare te sam dukh na koi vishyon ka bhog karte samay to thoda lagta hai ki anand mil raha hai lekin baad mein vishay chintan jo jalata hai vishay chintan jo durgati karta hai bole vishay chuga jin chug man chugat kachu sukh hoe phir phansi aisi lage te sam dukh na ko bada bhari dukh prapt hota hai phir isse punarp jannam punarp maranam kal ki charcha mein tha ki janm lete samay aisa kasht hota hai jaise jinda manushya ki chamdi utar li jae aisa pratiphal kasht hota hai us jeev ko jis samay se swas sanchan ho jati hai aur chetna jagrit hoti hai garb mein jail mein bandha hua jeev to usko aisa pratiphal kasht hota hai jaise manushya ki jinda chamdi utar li jae.

kal likha hoga satsang mein kal kaha tha aisa hota hai. Janmat marat dushahat khoi. Yah vishyon ke chintan aur vishyon ke bhog ne hi hamen prabhu se vimurkh kar rakha hai. Isliye satvic ahar ka sevan karte hue sansaar prapanch se vairagya dharan karte hue na kisi se mitrata na kisi se shatrutha na kisi ki ninda na kisi ki stuti keval Priya pritam mein lage raho. Naam vani jugal charnarvind ki seva vishay Prahlad ji ne kaha jaise taji daad ho daad aur khujla to thoda sa accha lagta hai lekin baad mein wahi phav karke jalan paida karti hai aise vishay sukh hai thoda kshan matra ke liye lagta hai sukh aur phir wahi chintan wahi trishna bhogne ki wahi vasna uski durgati kar deti hai re man kabahu jae jin bhul vishay ban rang manmat thag marat tahan liye bahut thag sang bhul ke sansaar rupi van mein vishay bhog ki lalsa se mat jana nahi to kam dev rupi maha thag krodh lobh moh mad aadi liye hue apne saath tumhen aisa fansh lega ki nikal nahi paoge traahimaam bhagwan hi nikaalte hain.

sachchi maniye bhagwan hi nikaalte hain. Nahi to bade-bade tyagi bairagi sabko girane ki samarth rakhta hai. Jo Kamdev hai koi sadharan nahi. Bhagwan shankar ki samadhi ko bhang kar diya to auron ki to baat jane do. To jo kamad dosh hai yah sansaar se mitrata karne par jagrit hote hain. Sansaar mein jo mitrata karta hai sabse milna julna batchit aur phir to ye kam aadi dosh jagrit ho jaate hain. Ye sadhna karne par mitte nahi hai. Kam hote hain. Jaise chingari aur agar phus mil jae to phir jwala aise hi tarang ki tarah rahte hain aur jahan sanyog mila to samudra ki tarah ho gaye.

phir nivaran karna kathin hai. Aisa nahi ki aap ek minute mein tyag do. Jo bhoga hai uska chintan hoga. Jab chintan hoga to phir bhogne ki ichchha hogi. Bhogne ki phir ichchha hui phir bhoga to agla janm nischit ho gaya. Yah accha sansaar mein isi baat ko sukh mana jaata hai ki ham bade sukhi hai lekin wahi unke janm maran ka hetu hota hai. Bhagwan ne kripa kari apne sab bairagi Vrindavan vasi bane to ab dridh ho jao mat phis lo vishyon ka sevan mat karo aur shri ji ke paas chalna hai jab lag man chhadat nahi sab batan ko lobh tab lag hi upjat nahi jugal prem ki go jugal prem ka ankuran tab tak nahi hoga jab tak sab baton ka lobh labh ye chhod doge kuch bhi log ye hamari vyvastha kar rahe kuch bhi ham kahte sache man se prabhu ki sharan mein ho jao swayam vyvastha karne lagenge wo swayam sab dekhne lagenge aur aapki vyvastha wo karva denge ya kar denge aap nirlep rahie aap nirvikaar rahie aap kisi se apeksha mat rakhiye nirapeksh rahie bhagwan kam sab karva denge pakka samjho sab karva denge jo ichchha kar ho man mahi aur ichchha nahi karoge to unki apni vyvastha chal jaegi isliye jab lag man chhadat nahi sab batan ko log kisi bhi tarah ki koi chah nahi karni chahiye jaise prabhu rakh rahe hain wo prabhu ka vidhan hai hamen waise hi rahna chahiye hamen apni taraf se koi chah nahi karni chahiye nahi phas jaoge chah hi mitana sadhna hai.

jahi na chah kabahu kachu kuch koi chah nahi sab prabhu ki ichchha se ho raha hai. Agar ham chah karke karenge to phas jaenge. Hamen apne liye kutia banani hai. Yah karna hai, yah karna hai, yah karna hai. Aise hain. Jaise aap rakho, jaise aap vidhan karo, wo aapke vidhan se ham kisi ki apeksha nahi rakhte. Nirapeksh rahna. Jab tak ham keval Priya pritam ke ashrit hokar, keval Priya pritam ka bhajan Priya pritam ki prapti ke liye nahi karte tab tak hriday mein prem utpann nahi ho sakta. Sab papan ko chhattar yah lobh te man hi ghatae nishpreh santosh kar rahe bhajan chit laye bhagwan kripa karte hain prabhu ke ashrit rahe to apne ashrit ko wo nirvikaar kar dete hain.

wo badhiya bana dete hain. Jo kuch gadbadi hai wah sab hata dete hain. Sab papan ko kshatra name bhakt prannasati mere bhakt ka nash nahi ho sakta isliye bhagwan bacha lete khinch lete hain karo sada tikhwari jim balak rakhe balak to gandi vastuon se bhi khalne ke liye chal para lekin hath pakar kar maa ne chanta mara aur side mein kiya ye gandi chijon nahi ye khalne layak nahi aise bhagwan kripalu nishpreh santosh kar rahe bhajan chit laye kisi se koi chah nahi aur nirantar bhajan ham kah rahe har vastu aapke charnon mein gir padegi aap bhajan karke to dekho har vastu jo avashyak hai wo sab chij aa jaegi nishpah kisi se spraha na rakhe chah na rakhe ki ye aadmi ye vyakti hamara bharan poshan kare kisi ke adhin nahi rahna chahiye.

virakta ko kisi ke adhin nahi rahna chahiye. Hari guru ke siva kisi se nahi. Hari guru ke dwara bharan poshan aur sab vyvastha hai. Kisi ki bhi nahi. Agar koi kar raha hai to hari prerit kar rahe hain. Wahi kar raha hai. Ham uski matlab wo ki ham aapki kripa banae ki aapne badi kripa kar di. Sahanubhuti wo krtjnta ye sab nahi krtjnta sahanubhuti ye sab nahi vairagya mein mere prabhu wo tumhen prerit karke bhej rahe hain wo karva rahe hain to prabhu se pyar karenge na ki aapse aapka kabhi nahi manenge ham is baat ka ki aapne hamara bharan poshan kiya nahi prabhu ne hamara bharan poshan kiya wahi bhejte hain wahi nimit banate aise nishpra rahna chahiye.

chahe zindagi bhar rabri khavave lekin jhaad ke chal de. Ham nahi jante tumhen. Wo kahe bhi ki hamne to itne to bhagwan se prerit hai. Unse prerit hokar aap aisa kar rahe ho. Isliye ham sambandh nahi mante. Aapse kitna bhi aap seva karo ham aapko ki krtjnta nahi prakt karenge. Yah bairagi ka sansaar mein krtjnta prakt karna kisi ne pani pila diya to bole thank yu dhanyavaad. Krtjnta prakt karna ye karna chahiye. Lekin paramarth mein ekmatra isht ki chah, isht ka bal, isht ki as, isht ke dwara vyvastha agar ismen chuk hui to fansa fasaya hai.

us parivaar se fas jaega. Us shishya par se fas jaega jahan ye man raha hai ki mera bharan poshan iske dwara ho raha hai. Gudiya Baba ne kaha Brihaspati ke saman pavitra bhi ho aur gyani bhi ho to bhi uske yahan barabar virakta ko bhojan nahi karna chahiye. Ek din bahut ho gaya ya madhukri barabar nahi karna chahiye. Nahi wo fas jaega. Man to chanchal sabte kije kaun upay sadhan ko hari bhajan hai kah satsang sahai bole man bada chanchal hai kya upay kiya jae isko paramarth mein lagane ke liye to bole satsang suno aur sadhna bhajan ki karo bhajan kahte hain seva ko thakur seva sant seva guru seva seva paraayan rahte hue bhagwan ka smaran karte hue aur satsang sunte hue ham apne man ko vash mein kar sakte hain.

dhruvdas ji ne do baat bataai. Bhagwan ne do baat bataai. Abhyasen cha vairagya abhyaas bar-bar jahan man jae wahan se hatakr naam mantr mein lagao. Vairagya bhogon ka tyag karo. Man vash mein ho jaega. Dhruvdas ji ne bataya sadhan ko hari bhajan hai [gala saaf karne ki aawaz] wahi bar-bar man ko hatakr bhajan mein lagao aur satsang aapko bhajan ki prerna dega utsah dega aur ham bhajan paraayan rahenge to hamara man shant kahin nahi jaate kahan goswami ji ne kaha jaise jal jahaj samudra mein kauva baitha ho panchhi baitha ho wo ude to ud ke usko wahi ana padega jaega kahan koi thor hi nahi hai aise hi jab ham anannya hokar sab kaat dete hain tar kisi se koi sambandh nahi to phir man jaega kahan wahi Priya pritam mein wahi Priya pritam mein kamna vasna man te kar sab dur Radha vallabh lal bhaj rasikan jeevan mori kam Jnendra bhog kamna anya indriyon ke bhog vasna purv janm ke bhoge hue bhogon ki jo dabi hui vritti hai kam kamna vasna durvasan mam sada parikarshati jnendriay janit bhog kam aur anya indriyon janit kamna aur purv ke bhoge hue bhogon ki vasna in tino ka tyag karna hoga.

kabhi-kabhi purv bhoge hue vishay ki vasna hriday ko itna malin karke hamen parast kar deti hai ki use vivash ho jana parta hai. Purv janm ka praarabdh itna prabal ho jaata hai ki wo sambhal hi nahi pata hai. Lekin jo bhagwan ke ashrit hai wo use kaat dega. Wo phas nahi payega. Girta hua nazar aayega to bhi gireega nahi. Kam kamna vasna man te kar sab dur shri Radha vallabh lal bhaj raskhan jeevan mor har samay Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh naam jap karo vani path karo Priya pritam ki seva karo kisi se sambandh mat rakho isi se jeevan dhanya ho jaega shri Radha vallabh lal ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)

sambandhi