Janmasthami Special - bhagwan shri Krishna ke janm ki adbhut katha //05/09/26
pujya maharaj ji ke Shrimukh se bhakt-charit — puri katha upar video mein sunen.
pura pravachan
yah prachin kal ki baat hai Dvapar ki. Ab chal raha hai kalyug. Yaduwanshi raja the us samay sursen. Mathura Puri mein hi vas karte the. Mathur mandal matur mandal samasth braj 84 kosh aur sab jo Mathura ki sima ke antargat ate hain unka rajya shasan karte the. Mathura hi samasth yavanshiyon ke naraptiyon ki rajdhani hua karti thi. Aur us samay ke raja the surse Mathura mein sarvda shri hari virajman hai. Sevak ji maharaj ne kaha Mathura nitya Krishna ko vas nish din Shyam na chhaa paas tas sakal leela kahi Mathura mein nitya bhagwan virajman hai.
Mathura bhagwan yatra nityam sanhito hari bhagwan hari Mathura mein nitya virajman hai. Aisa shastron mein varnan hai. Sevak ji ne bhi varnan kiya hai. Mathura nitya Krishna ko vas shri Krishna ka nitya sanidhy mana gaya hai. [gala saaf karne ki aawaz] surya ke putr Vasudev ji bahut hi sundar susheel aur bhagwan ke premi mahatma the. Aisa sundar var dekh ke apni putri Devki ka vivah vasudev ji ke saath kiya. Bahut khub anand purvak hua kyonki pita sarv samarthyshali hai. Khub aishwarya diya. Hathi, ghode, rath, divya dasiyan aur sab vaibhav vivah hua to Devki ke saath rath par savar hue Vasudev ji aur apne nivas sthan ghar ko jane ko ugrasen ka putr tha kar.
isne vichar kiya meri chhoti bahan hai. Chacheri hai abhi to kya hua? Isko swayam ham vida karen. Bade bhav se usne sarathi ko utar diya. Aur rath ko swayam hath mein laga. Rath ko swayam haak raha tha. Devki vasudev ji rath par virajman the. Saikadon sone ke bane hue rath dahej mein diye gaye the. So saath mein chal rahe the. Devki ke pita the devak. Unka apni putri par bada prem tha. To kanya ko vida karte samay unhone sone ke haron se alankrit 400 hathi 15,000 ghode 1800 [gala saaf karne ki aawaz] sone ke rath aur sundar sundar vastr abhushan se vibhushit 200 sukumari dasiyan dahej mein li sukumari wo jeevan mein byah nahi karegi keval Devki ji ki seva mein rahenge vidai ho rahi hai vardhu ke mangal ke liye sat shankh tahi mridang dhundhiya bajne lagi marg mein jis samay ghodo ki ligam pakar kar kans rath aa raha tha usi samay akashvani hui are murkh jisko tu rath mein baithakar liye ja raha hai uski athav garb ki santan tujhe mar daalegi.
akashvani akashvani sunte hi kans bada papi tha. Wo to na jane kaise bhav aa gaya ki wo bhag raha tha. Nahi to mahabali aur papi dimaag ka tha. [gala saaf karne ki aawaz] jo papi dimaag hota hai usmen vichar nahi hota. Wo itna dusht tha ki uski dushtata ka varnan nahi kiya ja sakta. Dusht ki dushtata ki sima hoti lekin kans ki dushtata ki sima nahi thi. Bhojwansh ka kalank tha. Akashvani sunte hi rath se kud para. Talwar khinch li. Aur apni bahan Devki ke bal pakar liye aur use ghasit karke marne ke liye tayyar hua.
krur to tha hi paap karm karte kathor aur nirlaj bhi ho gaya tha. Vasudev ji ne dekha ye to turant mar dega Devki ko. Abhi byah hua hai to Vasudev ji ne kaha shalagneey gur bhavan bhos kath bhag [gala saaf karne ki aawaz] stri muva karmani ruko ruko ruko rajkumar kar aap bhoj vansh ke honhar vanshdhar hai apne kul ki kirti badhane wale hain. Bade-bade Shurvirr aapke gunon ki sarahna karte hain. Idhar ek to stri, dusri bahan, tisri abhi vivah ka shubh avsar. Aisi sthiti mein aap kaise mar sakte hain?
beerbal bhayabhit kyon ho rahe ho? Jo janm lete hain unke sharir ke saath mrityu hoti hai. Sharir ke saath hi mrityu lag jati hai. Kab mar de koi bharosa nahi. Aaj ho ya 100 varsh ke baad jo janma hai uski mrityu nischit hoti hai. Jab sharir ka ant hona hi hai to paap karm kyon karen? Jab sharir chhutta hai to phir apne karm ke anusaar dusri yoni mein jaata hai. Pehle sharir ko chhodkar ke vivash hokar use dusri yoni mein jana parta hai. Jaise chalte samay manushya ek pair jama kar hi dusra pair uthata hai. Jaise jo kisi agle tinke ko pakar leti tab pichhla tinka chhodti hai.
aise hi manushya sharir chhote hi dusre sharir ko pakar leta hai. Pehle dusra sharir nirman hota hai bhav mein. Jaise use pakshi banna hai to pehle pakshi ka chintan hoga tabhi sharir chhutega. Phir wo pakshi banega. Jaise koi purush jagrit avastha mein raja keshwar ko dekhkar indra aad keshwar ko dekhkar uski abhilasha karne lagta hai. Uska chintan karte karte unhee baton mein ghul milkar ke ek ho jaata hai aur apne ko swapna mein raja ya indra ke rup mein anubhav karta hai. Apni daridra avastha ko bhul jaata hai.
aise hi wo jo chintan hota hai antkaal mein wo usi swaroop ko prapt ho jaata hai. Jeev ka man vikaro ka punj hai. Dehant ke samay anek janmon ke sanchit praarabdh karm aur uski vasna uske dimaag mein ghumti hai aur wo maya ke dwara rache hue shariron mein jismen aasakt ho jaata hai wahi sharir dharan kar leta hai. Jaise surya, chandrama chamkeeli vastue jal se bhare hue ghadon mein ya tel adil padartho mein pratibimbit hoti hai. Hawa ke dhoke se unke jal aadi ki dolne par surya chandrama ka pratibimb bhi hilta dulta jaan parta hai.
aise hi yah sharir pratibimb hai. Jeevtma surya chandrama ki tarah jaise wo akash mein aise nirmal rahta hai. Apne swaroop ke dwara swaroop ko bhul karke agyaan rachit chintan karke jin shariron ka chintan kiya usi mein apna karm pan moh kar lene ke karan use bar-bar janmna parta hai. Bar-bar marna parta hai. Isliye maharaj jo kalyan chahta hai, pahli baat kisi se droh na kare. Kyonki jeev karm ke adhin ho gaya hai. Kiseese bhi droh karega to usko is jeevan mein bhay aur marne ke baad parlok mein bhayabhit hona padega.
jite ji bhayabhit aur parlok mein bhay. Agar kisi se dushmani karega, kisi se droh karega, kisi se var karega to is jeevan mein bhay aur parlok mein bhay. Kansh ye aapki chhoti bahan abhi bachchi aur bahut din hai. Ye to aapki kanya ke saman hai. Is par abhi abhi vivah hua hai. Vivah ke mangal chinh iske sharir se nahi utre. Aisi dasha mein aap dheer sir purush ko is bechari ka va hatya nahi karni chahiye aur bal pakde talwar khinche hue khada Vasudev ji use updesh se shant kar rahe hain. Shri Sukhdev ji kahte hain parikshit jis prakaar Vasudev ji ne badi prashansha ise sam niti kahte hain.
ki apne dushman ko Shyam niti ke dwara vash mein karna. [gala saaf karne ki aawaz] Shyam niti mane madhur vachno ke dwara prashansha ke dwara use raji kar dena. Kans ko bahut samjhaya. Wo krur rakshasaon ka anuyai ho raha tha. Isliye usne ghor sankalp nahi chhoda aur waise hi bal pakde hue Devki ko marne ke liye udyat hai. Vasudev ji ne vikat hat dekhkar kans ka ye vichar kiya ki kisi prakaar ye samay taal dena chahiye. Tab ve is nischay par pahunche ki buddhiman purush ko jahan tak uski buddhi aur bal saath de mrityu ko talne ka praytn karna chahiye.
praytn karne par wo na tal sake to phir praytn karne wale ka koi dosh nahi jaisa praarabdh aisa nahi hai ki koi marne aa raha ho gala prayas karna chahiye apne ko bchane ka. Aur jab na bacha pave to phir bhagwan ki jaisi ichchha. Isliye is mrityu rupi kans ko jo bhay hua akashvani se ki athwen putr se tumhari mrityu hogi to main isko vachan de du ki jo jo putr hoga wo main tumhen pradan karunga. Main apne putro ko de dene ki pratigya karun aur is din Devki ko bacha lun. Ab mera ladka hoga tab wo kans ko mar dega ya ye kans mar jaega us samay kya hoga is samay hamen vachan de dena chahiye pratigya karni chahiye aur Devki ko bacha lena chahiye ye to pakka hai akashvani satya jyoti ulta mera ladka hi isko marenga par is samay main vachan de deta hoon vidhata ke vidhan ko par pana bahut kathin hai.
kabhi-kabhi mrityu samne akar tal jati hai aur kabhi-kabhi dur tali hui mrityu bhi akar ke mar deti hai. Jaise bhar mein aag lagti hai to kaho aaspas ki sab lakdi jal jae. Beech ki lakdi bachi rahe. Kuch pata nahi aaspas ke sab nasht ho gaye. Ek bacha rah gaya. Kyonki mrityu jiski nahi hai use koi mar nahi sakta aur jiski mrityu hai use koi bacha nahi sakta. Is baton ko keval adrishta paramatma hi janta hai. Waise hi kis prani ki kab mrityu ho jaegi? Kaun sa sharir nasht ho jaega? Kis hetu se nasht hoga? Is baat ka pata laga lena bahut kathin hai.
apni buddhi ke anusaar aisa nischay karke Vasudev ji bahut sammaan ke saath papi kans ki badi prashansha karte hue baat kahi. Yadyapi vasudev ji ko bahut andar pida ho rahi thi jaise nich papi ki prasannata par is samay Devki ki raksha karni hai. Upar upar se mukh prasann karke hanste hue kaha vasudev ji ne kaha saumy kansh aapko Devki se koi bhay hai? Devki se to koi bhay hai nahi. Kyonki akashvani ne kaha iska athwa putr marenga. Bhay hai putro se athav ki baat kya? Pratham se lekar jitne putr honge wo main sab aapko de dunga.
pratigya karta hoon. Aap Devki ko chhod dijiye. Parikshit kans ye pakka janta tha ki Vasudev ji kabhi jhooth nahi bolte. Papi purush ko bhi vishwas tha. Itne bade mahatma vasudev ji the ki kans ko vishwas tha ki vasudev ji pran de sakte hain lekin jhooth nahi bol sakte. Jo kuch kaha wo baat ki sangat hai. Mujhe Devki se koi vair nahi. Mujhe to athav putr se var hai aur ye ek se lekar athav tak de denge. Isliye usne apni bahan Devki ke kes chhod diye. Marne ka vichar chhod diya. Vasudev ji bahut prasann hue aur kans ki vandna karte hue prashansha karte hue Devki ko saath liya aur apne ghar chale aae.
Devki ji badi sarthi thi. Jo bhagwan ki mata banne ka saubhagya prapt karenge. Unki mahima ka kya varnan karen? Unke sharir mein sari devi shaktiya virajman thi. Ab ek varsh hone par garb raha aur putr utpann hua. Putr ka naam tha keertiman. Vasudev ji ne use lakar kans ko de diya. Aisa karte samay vasudev ji ko kasht to bahut ho raha tha ki pratham putr hai aur wah bhi is Rakshash ko arpit kar rahe hain. Lekin satyavan purush apne vachan se badhkar kuch nahi mante. Pran jae par vachan mein jae.
pran chahe chale jae agar hamne vachan de diya to phir waise to apne putr ko lake kans ko de diya. Jo dusht purush hai wo kya nahi kar sakte? Sab kuch bura kar sakte hain. Aur jo sangram purush hai wo bade se bada kasht sah bhi satya nahi chhota. Jo gyani purush hai usko kisi ki apeksha nahi hoti. Jo nich purush hai wo koi bhi bura kam kar sakta hai. Jo jitendra hai bhagwan ka bhakt hai wo sab kuch tyag sakta hai. Kans ne dekha ki Vasudev ji ka apne putr ke jeevan aur mrityu mein saman bhav hai.
Vasudev ji satya mein purn nishtavan hai. Wo bahut prasann hua. Hanskar bola vasudev ji le jao is balak ko. Bhagwan ki leela badi vichitra hoti. Kaha le jao is balak ko. Isse koi bhay nahi. Kyonki akashvani ne aisa kaha tha ki Devki ke athav garb se utpann santan ke dwara meri mrityu hogi. Athwan lana ise le ja. Vasudev ji ne kaha theek hai us balak ko lekar laut kar par prasann nahi hai kyonki jante dusht hai kabhi buddhi badal sakti iski unhen malum tha kans bada papi hai uska man uske hath mein nahi wo kisi kshan badal sakta hai isliye kuch nahi hue narad ji ne dekha ki ye to bada dayavan ban raha hai aur daya karega to phir bhagwan ke ane mein vilumb hoga papi ka ghada bhare jaldi to bhagwan ka avatar ho.
devrshi narad ji akar ke bole ye kya kar rahe ho? Tumhen pata hai braj mein jitne bhi nanda aad gop hai unki striyan hai vasudev aadi vrishtivshi Yadav Devki aadi Yaduwanshi ki striyan nand vasudev sajati bandhu sage sambandhi ye sab bade bade devta avatar liye hain aur ye sab datyon ke karan dhal badh gaya hai. Isliye devtaon ko pehle bheja gaya hai daitya ke vadh ki tayyari ke liye. Ye sab devi devta aae hain aur tumhare vadh ki tayyari ki hai. Sab devta jitne hain wo sab tumhare vadh ki tayyari ke liye janm liye hain.
bade-bade papiyon ka nash karne ke liye swayam bhagwan shri hari aa rahe hain. Devrshi narad itna kah ke chale gaye. Kans ko nischay ho gaya ki yadi vashi devta hai to avatar bhagwan Vishnu lenge, hari lenge aur mujhe marne ke liye paida hone wale hain. Isliye usne turant adesh kiya Devki vasudev ko bandi bana liya jae. Ghor karagar mein hathkadi aur bediyon se jakad diya gaya aur rakshasaon ka phra laga diya gaya. Aur jo pratham santan wapas ki thi use bulaya aur pair pakar kar patthar mein patak kar use mar dala.
ab jo jo vasudev ji ke santan hoti har bar use shanka hoti ki kahin bhagwan hi to nahi aa gaye is rup mein aur har bachchhe ko mar dalta. Parikshit prithvi mein prayah dekha jaata hai ki apne prannon ka poshan karne wale jo raja log hote hain jo swarthi log hote hain apne mata pita bhai bandhu isht hitshi mitra sabki hatya karne mein sankoch nahi karte jo swarthi log hote hain kans ko yad aaya ki main kalnemi asur tha aur mujhe shri hari ne hi mara tha a usne yaduvanshiyo se ghor vair than liya. Kans bada balvan tha.
usne yadu bhoj aur andhak vansh ke adhinayak apne pita ugrasen ko apne pita ko kaid kar liya aur jail mein dal diya aur swayam raja ban ke wo rajya karne laga. Parikshit ek to kans swayam bada balvan tha. Dusre magadh naresh Jarasandh ki uski badi sahayata thi. Kyonki Jarasandh uski putriyon ko kans ke saath jo byah hua to sasur hua. Jarasandh sasur tha. Bada balvan Jarasandh tha aur bada pratap tha. Jarasandh ka bada pratap tha. Aur kans waise hi papi aur usko Jarasandh ka bada sahyog mila. Aur uske sathi the prabhasur bakasur chanuvar dagasur mushtikasur da Putna kesi dhenukasur banasur bhamasur jitne prithvi ke bade-bade raja the sab kans ke mitra the aur sab Rakshash the asuri swabhav ke the sabne milkar jahanjahan yaduvanshiyo ke dere the ya ganv the nagar the unko nasht karna prarambh kar diya.
log bhayabhit ho gaye Yaduwanshi aur wo bhag pare hue. Koi kuru desh, koi panchal desh, koi kaikay, shalwa, vidarbha, nishad, videh, kaushal aadi deshon mein jakar ke vas karne lage. Kuch log jo buddhiman zyada the. Unhone socha bhag ke kahan jaenge? Bahut bada iska vaibhav pratap hai. To mithi mithi baten karke usi ki paksh ki baat karke uske saath rahne lage. Mathura mein braj mandal mein jo wo kahta wo agyaa ka palan karte, kar dete, seva dete aur uski prashansha karte. Jab kans ne ek ek karke Devki ke chhah balak mar dale.
tab Devki ke satav garb mein bhagwan anant ji padhare. Anant kahte bhagwan sheshnath ko. Bhagwan sheshnath swayam Devki ke garb mein pehle aae. Satav garb ke rup mein anand swaroop bhagwan shreshth ji ke garb mein ane ke karan dev ki ko swabhavic bada harsh hua. Par phir yad ai ki kansi ne bhi na mar dale. Isliye bada bhay aur shok badh gaya. Aur wo bhagwan se prarthna karne lagi. Prabhu mere is garb ki raksha ho kyonki anand swaroop shesh ji ke garb mein ate hi Devki ko bada anand hua. Vishwatma bhagwan ne dekha ki mujhe hi apna Swami aur sarvasv manne wale Yaduwanshi kans ke dwara bahut satae ja rahe hain.
to apni yog maya ka chintan kiya. Turant yog maya prakt ho gayi. Aur kaha devi kalyani tum braj mein jao. Wah pradesh gwalon aur gaon se sushobhit hai. Wahan nand Baba ke Gokul mein vasudev ki patni Rohini nivas karti hai. Kyonki bhayav sab bhag gayi thi. To Rohini ji nand Baba ke yahan nivas karti thi. Unki aur bhi patniyan kans ke dar kar kans se darkar gupt sthano mein rah rahi hai. Jao is samay mera ansh jise shesh kahte hain. Devki ke udar mein garb rup se sthit hai. Tum wahan se antardhya karo.
unko aur Rohini ke pet mein rakh do jake. Shesh bhagwan jab jab bhagwan avatar lete hain tab tab shastr rahte bahut pyar karte hain. Agar Vishnu rup se bhagwan hai to wo saiya rup bane rahte hain. Shesh rup Ram rup se avatar liya to lakshman rup se avatar liya shesh bhagwan ne. Yahan vichar kiya ki lakshman rup chhota bhai rahkar agyaa mein rahna parta tha. To seva mein badi ham jaisa chahte hain waisi seva nahi isliye bada bhai bankar chaluga jo agyaa karunga wahi bhagwan karenge isliye bhagwan se pehle aae to yog maya ko adesh diya aur kaha ki wo garb tum Rohini ke garb mein rakh lo jake kalyani ab main apne samasth gyan balashon ke saath Devki ka putr banunga aur tum nand Baba ki patni Yashoda ji ke garb se kanya ke rup mein janm lo jakar tum logon ko muhn mange vardan dene mein samarth hogi.
manushya tumhen apni samasth abhilashaon ko purn karne wali jankar dhoop deep naivedya aur sab samagriyon se tumhari puja karenge. Prithvi mein tumhare liye log bahut se sthan banayenge aur tumhara naam hoga durga bhadrakali vijya vaishnavi kumuda chandika krishna madhvi kanya maya narayni eeshani sharda ambika aadi namon se tum pukari jaugi bhagwan ki shakti hai Devki ke garb mein khinche jane ke karan shesh ji ka naam hoga sankarshan lok rang karne ke karan Ram mahabali balwaron mein shreshth hone ke karan bal isliye Balram naam padega unka [gala saaf karne ki aawaz] jab bhagwan ne is prakaar adesh diya tab yog maya ne jo agyaa aisa kah karke bhagwan ko pranam karke unki agyaa shodhar ki aur unki parikrama ki ye devi shaktiya sab bhagwan ke adhin hai aur prithvi lok mein ai aur bhagwan ne jaisa kaha tha Devki ke garb se yog maya ne wo garb lekar shesh ji ko Rohini ke udar mein virajman kar diya.
ab Devki ko aisa mehsus hua ki mera garb sraav ho gaya, nasht ho gaya. Jab yah khabar faili to purwavasiyon ko bada kasht hua ki waise hi bhagwan vipatti vipatti chha to kans ne mar dale aur satva bhagwan swayam garb shraav garb nasht ho gaya sabko aisa laga aur vilumb ho raha tha isliye bhagwan ne aisa kiya ki ab jaldi se jaldi main avatar lun bhagwan bhagwan vishwatma bhakt naam bhaykar abha man mein bhagwan bhakton ko abhay karne wale hain. Bhagwan sarvatra sab rup mein hai. Bhagwan ko kahin ana jana nahi hai.
pehle bhagwan Vasudev ji ke man mein prakt hue. Vasudev ji ke man mein vidyman bhagwan sabke man mein hai par Vasudev ji ke man mein apne ko prakt kar diya. Hi bhagwan Vasudev ji ke hriday mein prakt hue. Jaise surya aise tejasvi ho gaye Vasudev ji. Logon ki ankhen chaudhiya jati vasudev ji ko dekh nahi pate itne tejasvi ho gaye aisa prabhav ki koi daba nahi sakta kyonki bhagwan prakt ho gaye. Bhagwan ke us jyotirmay swaroop ko jo jagat ka param mangal karne wala vasudev ji ke dwara dhar kiye jane par Devki ji ne use grahan kiya jisse purv disha chandra dev ko dharan karti hai waise shuddh shatru se sampann devi Devki ne vishuddh man se sarwatma swaroop bhagwan ko dharan kiya ascharya ki baat hai bhakti ka prabhav dekho wo bhagwan sare jagat ke nivas sthan hai.
Devki unka bhi nivas sthan ban gayi. Parantu jaise ghade aadi ke bhitar band kiye hue deepak ka prakash bahar nahi jaata. Waise hi kans ke karagar mein band Devki ki bhi utni shobha nahi hui jitni honi chahiye. Devki ke garb mein bhagwan virajman ho gaye. Unke mukh par pavitra muskan thi. Unke sharir ki kant se bandi grah jagamga raha tha. Jab kans ne dekha to man mein kahne laga abki bar mere prannon ka haran karne wale bhagwan hi padhare hain. Kyonki pehle kabhi Devki aisi nahi thi jaisi ab hai. Use vishwas ho gaya.
par dekho ab usko chahiye tha ki Devki ke pran le le to khatm ho jae sab jo lekin bhagwan baithe to buddhi kam nahi ki usne kaha nahi nahi jab santan hogi to marenege ek to stri hai dusre garbhvati hai aur tisre isse hamara kya bai to putr se hai to putr hone do use marenege nahi to jaise jaise Devki ko rath se khinch kar marne laga tha. Aise mar deta lekin bhagwan garb mein virajman hai to buddhi uski kam nahi ki. Buddhi satvic ho gayi. Palat gayi. Usne vichar kiya ki iske marne se to tatkaal meri kirti, lakshmi, ayu sab nasht ho jaegi.
log hamen gali denge, ninda karenge. Itna hi nahi aur mujhe narak ki prapti hogi. Ye sab gyan kahan se aa raha hai? Kyonki bhagwan hai is samay Devki ke garb mein. [gala saaf karne ki aawaz] yadyapi kans Devki ko mar sakta tha kintu swayam atyant turta ke vichar se nivatt ho gaya aur pratdin bhagwan ka intazar karne laga janm lene ka. Bair ki ganth bandh li. Jab wo bhagwan ke prati vair kiya to aisa bair kiya. Prashansniy vair kiya. Prashansniy kya uthte baithe khate pite sote jagte chalte phirte keval Krishna ye ye vai bahut sundar vai aseena samas paryatan chintan ras ke pashcha karta Krishna Krishna Krishna Krishna Krishna uske dimaag mein chhaa gaye.
itna bair ki uthte baithe khate pite chalte phirte har samay wo krishnakar ho gaya. Use jahan kuch dikta rahta Krishna hai. Ye sara jagat Krishna mein dikhne laga kans ko. Ye bade-bade mahatmaon ki sthiti nahi hoti. Koi hota hai Vasudev durlabh lekin kans ko bhagwan se da hone ke karan ye sthiti prapt ho gayi. Ab bhagwan shankar aur brahma ji kans ke kaid khane mein aae. Aur apne anuchron ke sahit samasth devta aur Narda rishi bhi aae. Sab log sumdhur vachan se sabki abhilasha purn karne wale garb mein virajman Devki ke bhagwan ki stuti karne lage.
sab ne kaha satyam satya param tri satyam satyas nihitam satya satyas satya satya netram syatmakam tam sharanam prapna samasth devta bhagwan shankar brahma ji prarthna karte hain prabhu aap satya sankalp satya hi aapki prapti ka shreshth sadhan hai. Srishti ke purv pralya ke pashat sansaar ki sthiti ke samay in asatya avasthao mein bhi aap satya hai. Prithvi, jal, tej, vayu, akash in panch drishyaman satyon ke aap hi karan hai aur unmein antarjami rup se aap hi virajman hai. Prithvi mein, jal mein, agni mein, vayu mein, akash mein swayam bhagwan virajman hai.
is tarah se samasth devtaon ne stuti ki. Bhagwan ki. Bhagwan ki stuti kar rahe hain. Brahma ji, shankar ji, narad aadi bade-bade devta ye dekh ke Vasudev ji ko pakka ho gaya ki jaise bhagwan ne hag Kashyap sinh vara hans Ram parshuram vaman avatar dharan kiye aise hi bhagwan avatar dharan kar rahe hain. Bhagwan swayam padhar rahe kyonki itne bade-bade devta aae hain aur stuti kar rahe hain. Parikshit samasth shubh gunon se yukt suhavna samay aaya. Jab devta log sab vandna karke chale gaye. Devki vasudev ji ko ye bodh ho gaya ki sakshat param brahm paramatma bhagwan hamare yahan prakt ho rahe hain.
bhagwan ne chaturbhuj rup dharan karke pehle unko ye anubhav karaya Devki vasudev ji ko. Samasth shubh gunon se yukt suhana samay Rohini nakshatra akash ke sabhi nakshatra grah tare shant saumy ho rahe the dishaein swachchh prasann thi nirmal akash mein tare jagamga rahe the prithvi ke bade-bade nagar chhote-chhote ganv aheeron ki bastiyan hire aadi khanon se prakt ho gaye hire javahrat ki khane prakt ho gayi thi. Bhagwan ke prakt hone ke pehle samasth braj mandal mein nadiyon ka jal nirmal ho raha tha. Yadyapi varsha ritu mein malan ho jaata hai.
par bhagwan avatar le rahe hain. Dekho donon baten yahan varnan ki gayi. Akash mein tare jagamga rahe hain. Ghor varsha ho rahi hai. Kyonki bhagwan ka jab avatar hua to us samay khub varsha ho rahi thi. Chakacha andhiyari raj dur dur dekho andhiyari chhaa rahi. Aise andhkar chhaya hua tha. Nadiyon ka jal nirmal ho gaya. Ratri ka samay tha par phir bhi kamal khil gaye. Van mein vrikshon ki panktiyan rang biringe pushpo ke guchchhon se lag gayi. Pakshi chahachha uthe. Bhare gungunane lage. Us samay param pavitra shital mand sugandh vayu apne sparsh se logon ko sukhdan karti hui bah rahi thi.
brahmano ki agnihotri ki kabhi na bujhne wali agniyan jo kans ke atyachar se bujh gayi thi wo apne aap prajvalit ho gayi kyonki bhagwan ka avatar ho raha hai. Sant purush sab pehle se hi intazar kar rahe the bhagwan ke avatar hone ka. Sahsa sabka hriday prasannata se bhar gaya. Jis samay bhagwan ka avirbhav ka avsar aaya devtaon ki dudbiya bajne lagi kinnar gandharv madhur swar mein gane lage siddh charan bhagwan ke mangalmay gunon ki stuti karne lage vidyadhar aur apsraen nachne lagi bade bade devta rishi muni sab kans ke karagar mein pushp ki varsha kar rahe hain ab jal se bhare hue badal garjan karte hue aae aur bhari varsha kar rahe hain.
janm mrityu ke chakra se chudane wale janardan ke avatar ka samay tha nid kahte 12 12:00 baje theek 12:00 baje ratri ke bhagwan ka avatar hua. Bhagav ka mahina ashtmi tithi Krishna paksh abhiya 12 baje ki raat us samay bhagwan prakt hue. Usi samay sabke hriday mein virajman bhagwan shri hari dev rupni Devki ke garb se prakt hue. Jaise purv disha mein 16 kalaon se purn chandrama ka uday hota hai. Vasudev ji ne dekha ki unke samne ek adbhut balak hai. Uske netr kamal ke saman komal vishal hai aur bhagwan pehle chaturbhuj rup se prakt hue.
Devki ke garb se shankh, chakra, gada aur padm mane kamal ye char bhujao se balak ke rup mein prakt hue. Vaksha sthal par Shri vats ka chinh atyant sundar swarnamay rekha bahumulya vaidumni ke kireet aur kundal ki kant se sundar ghunghrale bal surya ki kirano ke saman chamak rahe hain. Bhagwan ki badi sundar shobha. Devki aur vasudev ji ne dekha ki putr ke rup mein swayam bhagwan padhare hain. Asim ascharya hua. Bade anand se hriday nash para. Parmanand rom rom khil utha. Samne bhagwan virajman hai. Ab to sara bhay jaata raha kans ka aur Vasudev ji ne bhagwan ki stuti ki.
phir Devki ji ne bhagwan ki stuti ki. Devki aur Vasudev ji ki jo is samay buddhi hai wo param brahm paramatma swaroop bhagwan ke sundar gyan se yukt hai. Bhagwan ne chaturbhuj rup dharan kiya tha. Isliye Devki ji ne kaha prabhu jab aap hamen sukh dene ke liye aae hi hai to jaise ramayan mein kaushilya ji ke samne bhagwan pehle chaturbhuj rup prakt hue aise Devki ji ke bhi samne wahan mata pun boli somti doli tajta Rupa ki jai shileela ati sheela jo sukh param anupa to sun vachan Sujana rodan thana wahi balak surbhupa aise Devki ji ne prarthna ki ki prabhu aap chatur to bhagwan usi samay sundar Nilmani balak ke rup mein aise neel ka jo sundar balak do bhujaye kamal jaise netr Devki ji ro padi ki prabhu yadyapi [gala saaf karne ki aawaz] aapki mahima janti hoon phir bhi kans bada dusht hai wo aae aur aapko kuch kasht pahunchave.
is baat se main bhayabhit hoon. To bhagwan ne kaha vasudev ji se ki aap hamen Gokul mein chhod aie. Nand Baba ke yahan aur jo kanya wahan prakt hui usko utha laie. Varsha ka samay hathon mein hathkadi pairo mein bediyan jo hi bhagwan ne adesh kiya fatafat hathkadi bedi khul gayi vasudev ji ne bhagwan ko tal par virajman kiya aise rup mein leke aur jo hi chale bade-bade darwaze khul gaye jitne Rakshash pahredar the tab so gaye andheri raat ek ek kadam rakhna mushkil jaise andheri raat hai kidhar jae kaise jae aur to bhagwan shesh piche chalne lage varsha ho rahi thi to bhagwan par pha ka chhata lagae hue unki manyon se rasta dikhayee dene laga pata nahi bas ji ko ki rasta kaise dikhayee de raha piche bhagwan shesh ji bhagwan par chhattar kiye hue chal rahe dheeredhi jab yamuna ji ke paas aae.
Mathura ke paas paas hi Gokul hai. Mathura ke paas beech mein yamuna ji hai. Ab yamuna ji ufan mein thi. Waise hi anand mein thi ki hamare Swami padhar rahe hain. Baadh ka samay aur ufan. Vasudev ji ne ek kshan khade hokar vichar kiya ki khade rahne se kya hoga? Ab jo hoga so dekha jaega. Bhagwan ne adesh kiya hai to balak ko to nandalay pahunchana hi hai. Je chale to yamuna ji aur utha bhagwan ke charan sparsh karne ke liye to piche se bhagwan ne apne charan to je hi yamuna ji ne charan sparsh kiya wo chati se aa gayi.
bade aram se puri yamuna ji ko par karke gaye. Ascharya ki baat wahan bhi sab so rahe the. Koi jaga hua nahi tha. Aisi yog maya ka prabhav Yashoda ji ko keval itna mehsus hua tha ki hamari santan hui aur wo murchhit thi. Unko pata nahi tha kya hua kisi ko bhi nahi pata tha. Bhagwan ko wahan virajman kiya aur us yog maya kanya ko lekar ke aae. Je kanya ko lekar aae kaid khane mein ghuse darwaze band pahredar jag gaye. Hathkadi biya jakad gaye. Kanya rone lagi. Kans ko pata chala athwa garb hua bhagta hua ratri mein aaya aur zabardasti Devki ki god se us yog maya kanya ko chhirao Devki ji ne kaha bhaiya aap to bade dayalu hai hamare sat putr mar gaye to aap kripa karo athwin kanya hai kanya ko kyon marogey akashvani ne to putr kaha tha aap usko bhi bada sanshay hua ki akash vani kabhi jhuthi nahi ho sakti.
kaha tha athwin santan to ye kanya kachi phir bhi meri shatru main marunga aur zabardasti pair pakar ke usne ratri mein hi patthar par prhar kiya to hath se chhut kar bijli ki tarah chamki aur anant shaktishali maa Bhagwati durga ke rup mein prakt hui aur kaha dusht tere marne wala kahin paida ho gaya aur wo antardhya ho gayi bas bhagwan shri Krishna ke avatar ka prasang yahan tak aur phir subah is samay tab phir yog maya ke dwara sushupti ko prapt ho jaate hain. Jab subah hota hai tab nand grah mein nand utsav manaya jaata hai.
shri Radha vallabh lal ki jai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Shri Hit Radha Kripa (YouTube)
sambandhi
- ananyata se hi hoga sab kuch prapt ! // 26/09/26 — ham log bhagwan ke sharanagat jan hai. Priya lal ke sharanagat jan hai. Lekin sharanagati ka rahasya na janne ke karan bahut varsho tak ya janm pura vyatit hone tak hamara jo bhagvatik anand hai wo spurit…
- hamen jeevan mein mushkilen kab tak sahni padengi ? //25/09/26 — koi na koi sa kisi na kisi seva seva mein panch 10 15 20 ka ek hota hai amach rag dves banne se bahut zyada dubhavna rahti hai uske karan kya vikshep hota rahta hai aur ek dusre ki ye matlab…
- is ek baat se aapka pura jeevan badal jaega ! // 24/09/26 — dekho sabse pahli baat ki jo hi ham sharanagat hote hain hamari baat hi hamare sare jeevan ka bhut bhavishya vartman ka pura bhaar isht par hota hai. Ab hamko jo kartavya karna hai is samay sharanagati ka wah…
- yadi sadhak swayam par kripa kare, to yah labh mil sakta hai/ kakasur, shaktasur evam trinavarta ka udhar — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta nirvapay param shital mashryam param shital mashray [nak se ki jane wali aawaz] param sacchidanand ghan Premand swaroop…
- shrikrishna ka chathi pujan evam Putna vadh / bal Krishna ke darshan ko ko aae mahadevji ! // 22/09/26 — Nilmani ne sakla vaywana kurwind nev bimba dharas kamal ragene pan padasya shikhar manne nakhar nikas nirman kada chin manamyova indavre sakla vaywasya bandhu kenev bimba dharosh japa kusumev pan padasya…
- aisa kuch kama lo jo mrityu ke baad bhi saath jaega / Gokul mein Nandlala ka janm // 21/09/26 — Vrindavaneswari tav padarvindm prema makrand raso purnam hridpitam madhupte smarta mugam nirvai param shital mashryam param shital mashryam krishnay Vasudevay Devki nandnay cha nand gop kumaray…