naam jap se hriday jalta hai, to paap nasht hote hain. Par mujhe to bilkul jalan nahi ho rahi.
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
maneesha kaushik ji chennai se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji aapke shri mukh se suna hai ki naam jap karne se hriday jalta hai to paap nasht hote hain parantu maharaj ji mujhe naam jap karte hue bilkul bhi abhi jalan nahi ho rahi kya mere paap nasht nahi ho rahe maharaj ji abhi abhi us koti ka naam jap nahi ho raha abhi us koti ka naam jap nahi ho raha jab ekagrata purvak naam jap hone lagega to ek asantushtata ta paida hogi. Ek tap paida hoga jo kuch accha nahi lagta.
sab kuch bhasm hona shuru ho jaata hai. Paap vasnae, sanskar aur achhche sadgun prakt hone shuru ho jaate hain. Hriday mein ek jab anand prakt hoga. Phir bhagwan ka rup prakt hoga. Phir bhagwan ka sakshatkar ho jaega. Jeevan ka pura ho gaya. To pratham jab hota hai to abhi us koti ka naam jap kahan ho raha hai? Aur badao naam jap. Jitna adhik badhaoge utna hi apna prabhav dikhata chala jaega. Jaise ham ek do kaval kai din ke bhukhe ho aur ek do kaval bhojan karke to kuch samjh mein aayega kya? Kam se kam aadha pet bhojan ho tab samjh mein aayega ki haan khir kaisi hai?
puri kaisi hai, sabji kaisi hai. Ek do kaval to keval bharne matra ki zaroorat rahegi. Ek do kaval karke rukwa diya jae. Aapse pucha jae aapko kaisa laga? To aap kahoge ab bura laga. Isse to accha tha na pate to chain thi. Jab pana shuru kiya to pane do. To abhi shuru kiya hai. Ek do kaval hai. Wah apna kam kar raha hai. Ek do kaval utni bhookh mitaya par samjh mein nahi aayega. Mitegi tab jab kam se kam aadha pet ho. Aise hi ham kam se kam 12 ghanta 24 ghante mein bhajan ho. Tab hamare ko samjh mein aayega ki hamse bhajan ho raha hai.
12 ghante chalte phirte uthte baithe karya karte hue naam jap chalta hai. Naam jap adhik hoga tab wo baat aati hai. Kabhi to 500 ho jaate hain aur kabhi 2000 bhi nahi hoti. Iska kya karenge? 1000 2000 abhi shuruaat hui japo aur japo abhi jaban se japo pehle vachik japo Radha Radha Radha Radha Radha Radha jibh mein dard hone lagta hai jibh mein dard hone lagta hai zyada japne se sir mein dard kya prapanch ghanta agar bar batana pare to jaban nahi dard karegi nahi ladai ladni pare to Radha naam mein jaban dard kar le kyon bhai aap logon ka kya anubhav hai jaban dard karti hai nahi kar yar raat din bhajan karne par bhi hriday mein aaj tak yahi hai ki kaash hamse bhajan ban jae kaash hamse bhajan ban jae bhajan na chhute jitna bhajan hota hai utna thoda lagta hai lagta hai aur ho ho jae aur ho jae aur ho jae anand aata hai jawan thodi dard karte hain shuruaat mein thoda paap hai na papvant kar sahaj swabhav bhajan murt bhav na kaun jo paap hai wah bhajan mein nahi lagne dete to agar yahi naam jap karen to yahi paap ko nasht kar dega jaise mishri mithi hoti hai par pitt badh jae to mishri bhi aapko mithi nahi lagegi.
kadvi lagne lagegi. Lekin wahi mishri roz anupan se pai jae to pitt ka saman karke theek kar degi. Aise hi naam jap accha nahi lagta. Man nahi lagta. Lekin wahi naam jap yadi niyam purvak kiya jae to man ko anand ane lagega. Paap bhasm ho jaenge. Paap ke ghade hazar do hazar hamari koi swas khali na jae. Aise bhajan karen tab bhajan ka rang aayega. Abhi to bahut pahar jaise paap jama hai janm janmantar ke isliye megha ji har har mahadev maharaj ji mujhe bachpan se hi bade-bade siddh santo ko dekhne ka aur milne ka atyant utsah hai.
main adham aisa kya karun ki devra Baba neem karori Baba jaise divya santo ke darshan mujhe prapt ho prapt ho age matlab aisa kya sadhan karun naam jap jitna naam jap karoge abhi ek din satsang mein charcha hui thi ki ek karod naam jap karne wale ko divya santo ke devtaon ke darshan hone lagte hain. Aise 11 karod tak ki sankhya ka charcha hui thi. To ek karod jo naam jap karega usko swapna mein darshan honge aur shayad chha karod ya aisa tha ki wo siddho se baat karega. Jaise ham aapse baat kar rahe hain sanak sanandan devrshi narad yah jo bade-bade mahapurush hai inse milna chha karod naam jap kar yahan do char mala to chalae le ja to bhai sthiti banani padegi bhajan ki sthiti jaise ab divya mahapurush se baat karna hai tumhare andar divya sthiti ani chahiye na divya bhav ana chahiye tabhi to ham dekh sakte hain jaise arjun ko bhagwan ne apne divya rup ke darshan ke liye divya drishti pradan ki na to aise bhajan divya drishti pradan karta hai.
jab ham naam jab badhate hain karodon ki sankhya mein naam to naam hamare andar inheen netron mein chidanand bhav lata hai. Tab ham in divya santo ke darshan kar pate hain. Aur sant darshan ka matlab hai sant ban jana. Sant darshan ka matlab sant ban jana. Agar ham santo se milte rahe to hamara swabhav sant ho jaega. Bhale bhash sant na ho lekin sthiti hamari santo jaisi ho jaegi.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…