ekantik vartalaap evam darshan #1390
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
shri kumar ji america se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji deh bhav tyagne ke liye vidhi kya hai aur jisne tyag diya hai deh bhag uska lakshan kya hai bahari lakshan se nahi samjh sakte bahari lakshan se bilkul ek sansari purush jaisa hi uska aacharan aapko dikhayee de sakta hai. Jaise maharaj Janak ji raja adhiraj pure sab kaise janoge ki Paramhans Sukhdev ji jaise ke guru hain Janak ji jinki raja hai raniyaan hain aur shishya banne gaye hain Sukhdev ji jinke sharir mein langoti bhi nahi hai to aapko lagega ki Sukhdev ji jaise deh bhav rahit ho sakte hain jinko vastr ka bhi gyan nahi lekin jo rajadhiraj bane hue mukut pahne baithe hain to wah shishya hue aur wah guru ji hue to deh bhav rahit mahapurush uski pehchan kisi bahari lakshan se nahi ho sakti.
jo sthiti prajya hai wah dekhkar pehchan lega uski sthiti netron se vani se uski cheshta ho rahi hai par wo kar nahi raha. Wo alag hi samjh mein aata hai. Jab tak swayam sthit prajya nahi hoga tab tak dusre ki sthit pragyata ka anubhav nahi kar sakta. Kyonki hamari drishti parthiv mayakrit hai. To ham jo kuch dekhenge mayakrit dekhenge wo sthiti nahi hogi. Wo bahari leela hogi. Karan bodhita nit kurant kurant ma rasaga vishay grahan munt kava bhav rahasya paragti shri Radhika priysa bole wo shastr ke anusaar karm kare ya na kare wo vishay bhoge ya tyag de wo vishay purushan ka sang kare ya ekant baitha rahe koi fark nahi parta jo dehadhyas rahit brahm prapt mahatma hai ab uske ab wo man lo vishay sevan kar raha hai kuch kha raha hai pi raha dekh raha hai kuch bhi kar raha hai to aapko lagega ki ye to mahatma hi nahi bhagwan shankaracharya ji ne dekha machhli bik rahi hai to machhli liya aur khane lage to unke 10 shishya sat the char ne bilkul nahi khaya aur chhah ne pa liya shankaracharya ji ne dekha age gaye to galaya ja raha tha kanch khapar mein bhara nariyal ko galta hua kanch pi gaye ab koi nahi piya unse kaha ki tumne piya kyon nahi jinhone machhli khai thi.
prabhu kanch kaise pi sakte hain? To bole machhli kaise pa li? Bole aapne paya tha. To bole ham kanch pi rahe hain. Piyo na aise kiya jivit machhli nikal ai. Wo to yogi the. Unki anton mein phas gaye. Bach gaye. To char se pucha aapne kyon nahi khaya? Bole agyaa nahi kari. Haan theek hai. Mahapurushon ka bahari aacharan dekhkar ham sthiti nahi laga sakte ki kahan hai. Ab rahi dehabiman ko mitane ki baat wo hoti hai bhagwat premi mahatmaon ke sang se. Jab tak ham kisi sant ka aashray lekar unki agyaa ke anusaar nahi chalenge.
to ham koi bhi sadhna karen hamare hriday mein bana rahta hai ki main main ke age kuch laga jo laga wahi mayakrit hai aur wo mukt nahi hone deta aur jab guru kripa se chalte hain to agar khub bhajan ban raha hai to lagta hai Gurudev ki badi kripa hai badi tapasya brahmcharya sanyam aadi niyam to andar aata hai ye to sab Gurudev ki kripa se to abhiman nasht hota chala jaata hai tniki sangati rahat jati kul mad sab nasai santat sevak sada bhajat shri Harivansh jo Priya pritam mein jo brahm mein jo paramatma mein tanmay hai aise sadguru dev ka aashray lekar yadi ham unki agyaa ke anusaar sadhna karen to hamara dehabiman nasht ho jaega aur dehabiman nasht hue mahapurush ki jo antarik pehchan hai wo hai nirman man rahit hona amoha moh rahit hona kisi bhi sang ka unke upar rang na chadhe jaise shri Sukhdev ji ki pariksha pariksha li Janak ji ne jab wah poochne aae the kya mujhe jo anubhav hua hai wahi satya brahm hai to pariksha jo hi gate mein aae pradhan dwaar pe to kaha maharaj ko suchit kar do ki shri Sukhdev ji aae
hain sevkon ko anya logon wo to avdhut sthiti vritt bhagwadakaar shri Sukhdev ji ki Janak ji ne kaha khade rahne do ise sat din sat raat koi varta nahi koi uttar uttar to harkat mein aa jaega ki nahi aa jaega dehabiman agar hoga ki bhai kuch to uttar dijiye na haan na milna kuch koi uttar nahi wo aise hi sat din sat ratri ek mudra mein khade rahe bole mahlo mein le jao wahan sab nau yuvatiyaan aap nang dhadang 16 varsh ki avastha sat raat sat din nau yuvatiyaan seva mein rahi bole jaise gate ke bahar the waise hi hain koi unke hriday mein koi fark nahi aae unka jo tumhen brahm tatv prapt hua hai wo vastvik wahi satya brahm hai.
bas itni baat ke guru hue praman dene ke liye to yahi praman ki man aur apman chu na jae aur sang dosh na chu jae chahe jitna vishay bhog ho uska andar harkat nahi honi chahiye. Koi cheshta ki vritti nahi uday honi chahiye. Jis sang dosh nirantar atma swaroop mein raman karne wala samasth kamnao ka tyagi sukhdukh mein saman bhav rakhne wala dwandon se atit mahapurush param pad ko prapt hai jo dehabiman rahit bhagwat prapt hai uske ye lakshan hai ki wo man rahit hoga wo moh rahit hoga kisi bhi sang ka uske upar koi prabhav nahi padega nitya atma swaroop mein sthit rahega har kamnao ka wo tyagi hota hai sukh-dukh mein saman bhav har dwaand mein saman bhav wo param pad ka adhikari hai wo param pad ko prapt hai samjh pa rahe hain aap?
anwi Gautam ji Gurugram se. Radhehe Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji hamko kaise pata chalega ki bhagwan ji ko jo hamne prarthna ki hai wo unhone sun li hai jaise ham bhagwan se prarthna kar rahe hain aur hamara hriday shital hota ja raha hai. Ek anand ki anubhuti hoti ja rahi hai. To hamari baat bhagwan sun rahe hain aur wah baat wahi sunenge jo bhav bhari hogi. Anya aashray shunya ar bhav aur phir pukar hui to bhagwan hamari baat sunenge aur jab sunenge to takshan uska uttar mil jaega aapko hriday mein aa jaega hamara kam ho gaya kam baad mein hoga andar pehle aa jaega hamari baat bhagwan ne sun li aur wo tab jab bhav bhari ho ar pukar ho bhav bin suni pukare main kabhi sunta nahi bhav purit terror hi karti mujhe lachar hai.
bhagwan kahte hain agar bhav se rahit pukar hai to main sunta hi nahi. Aur bhav se jab ham pukar rahe hain to hamare bhav mein hi uttar aa jaata hai ki bhagwan ne meri baat suni. Hamne second mein dekha apni baat ko puri hoti hui. Second agla second wo karya pura matlab par uske liye samay hota hai waisi paristhiti hoti hai ki ab bhagwan ke siva koi bacha hi nahi sakta. Keval bhagwan ab sidhe bhagwan ke paas baat jaegi aur baat ekdam se second mein ek aadmi nashe mein aa raha hai motorcycle ko khub raftar mein chalate hue aur masti se ja rahe hain darshan karne thakur ji ke aur wo itne nashe mein kyon hamare donon pairo ke beech mein pahiya aise par aadha wo band ho gayi motorcycle wahin thap ho agar wah band na hoti to upar chadh jati to unhone kaha bhaiya ye kya hai to usne kaha pehle batao band kaise hui kaha hamne nahi hamen koi iska gyan thodi ki kaise band hui hamne
thodi band kiya hai ye to aap batao band kaise bole hamne bhi band nahi kiya to hamen turant uttar mila ki agar bhagwan meri raksha na karte to to motorcycle upar chadh jati aise aa rahe hain giriraj ji se parikrama dekar ke sab log baithe hue hain kar mein aur kar chadh jati divaid haan us pe aur driver driver so gaya hamari kar pe gaadi aisi Radhe Shyam thap gaadi band aur aram se na piche koi gaadi na koi disturb wo driver ekdam utha aur kaha zindagi mein pahli bar main so gaya mujhe kshma karo nahi aap svasth hoiye aur punah gaadi chalaie kabhi bhi kahin bhi sankat vipatti par jab keval bhagwan ka bharosa aur keval bhagwan ki pukar to uttar kya ek second mein uska ka parinaam dekhne ko milta hai.
bhagwan kartum kartum anytha kartum sarv samarth to unke liye samay thodi lagta hai. Par chhal kapt bhari swarth bhari pukar bhagwan phir apne karm ko bhogo avashya mein bhoktuvi kritam karm shubhasham yadi bhagwan se ar bhav se pukara to galti aapki hai phir bhi aapko bacha lenge galti hone par bhi bacha lenge par chhal kapt nahi hona chahiye us samay aa bhav hona chahiye ki prabhu hamse galti ho gayi ab aap hi bacha sakte ho to aap dekhoge koi na koi karya hamne to matlab kai bar bataya hai ki ham train mein hamko ko baithaal diya.
zyada ham padhe likhe nahi. Angrezzi zyada hamen aati nahi. Kaksha nau tak padhe to chhah se ae bi si di shuru hoti thi. Ganv mein chhah se ae bi si di shuru hoti thi. To angrezzi ganv ke skulon mein zyada to unhone card jaisa de diya to dal liya. Ab jab baithe the usmen AC tha badhiya wala aur tha general ka aur teen station ka ticket tha. Usi ne bataya teeti ne aur ham Banaras ja rahe hain. Usne kaha ki tika bole pahli baat to aap baithe kahan ho? To ham kaha train mein bole nahi ye jo hai wo matlab alag koch hota hai.
uski AC koch haan AC to ham kaha hamen pata nahi hamko jisne baitha diya to ham yahan baith gaye to ticket dikhaya to kaha ye to teen station ki aur general ki hai wo to kab station nikal gaye to wo matlab sabhyta se baat nahi kar rahe the. Us samay hamari avastha ho sakta hai ki 23 24 varsh ki rahi ho to jawan sharir aise to unhone bade katu vachno se wo hamara apman karna hi chahte the ki itne mein ek aadmi upar se nahi utra angrezzi se usse baat ki aur paisa diye aur kaagaz wali ticket hamko di aur kaha aap aram se baith kaun hai dekhne ko lag raha hai ki aadmi hai lekin wo bhagwan hai wo utha aur tatkaal kal mere apman ko rok karke aur unko angrezzi se baat ki chup kiya paisa diya kaat diya wo palpal mein sunta hai palpal mein dekhta hai
pal-pal mein sambhalta hai par uske siva koi hona nahi chahiye bas ye shart hai agar koi aur bharosa hota to phir wo baat nahi hoti keval bhagwan bhrose hain to har ek jagah nahi hazaron jagah hamne dekha hai ki bhagwan ne har vyvastha har baat sambhali hai to jab hamari pukar anya aashray rahit ho keval bhagwan se ho ham keval bhagwan ko apna mante hain to pukar chali jaegi hriday shital ho jaega turant uttar samjh mein aa jaega Kartik kapur ji Delhi se shri Harivansh maharaj shri Harivansh maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji jaise ek sadhak prabhu se milne ke liye unke virah mein tadpata hai magar bahut mushkil koi aisa hoga bahut mushkil koi aisa hoga jo bhagwan se milne ke liye tadpata ho yah sab matlab aisa samjho karodon bhakton mein koi ek hoga bhajan kar lena kha pi ke sab wo balance bana ke chalna bhagwan ke liye tadpna matlab is baat par jara aie jaise bhookh se koi tadap raha hai pyas se koi tadap raha hai aise wo bhagwan ke liye tadap raha hai ye to karodon bhakton mein karodon sansari
purushan mein nahi karodon bhakton mein koi ek aisa hoga jo tadap raha hoga hriday se thodi der ro ke aansu dikha dena baat alag hai. Man lo ham ro rahe hain. Charcha bhagwan ki chal rahi aur chintan koi aur chal raha hai. Andar se chintan chal raha hai kisi dukhad ghatna ka sansarik aur uske prabhav se ham ro rahe hain. Aur samne dikhayee de raha hai ki kitna bada bhagat hai. Bhagwan ki charcha mein ro raha hai. Aisa nahi hai. Bhagwan ke liye tadap karke jo ro raha hai. Satar satar sa lok tarti wo swayam tar jaata hai. Swayam tar jaata hai.
lok ko tar deta hai. To aisa bhakt koi birla hi hota hai. To kya prashn hai? Maharaj ji kah rahe hain ki kafi bar mahara ji aapko dekha ki koi pad chal raha hai ya naam chal raha hai. Shri ji ke vishay mein sunte hi aap shri ke netron se ashru pravah hone lagta hai. Maharaj ji ye prem ka kaisa swaroop hai? Khas baat nahi aansu to bahut log dalte rahte hain. Ab hamare prabhu ki charcha ho. Mere prabhu hain unke liye to wo khas baat andar ki hoti hai. Bahari nahi. Khas baat jaise koi dil ko masla kare shayad isko hi ishq kahte ho.
ishq mane pyar. Urdu mein use ishq kahte hain. Hindi mein use prem kahte hain. To shayad jaise hamare dil ko koi masla kare har samay. He prabhu kab miloge? Haan nath. Kyonki ab aapke siva koi hai nahi. Pura jeevan ho gaya aapke liye. Jeevan ki sham hone ja rahi hai. Ab bhi nahi miloge. Kaise miloge? Kab miloge? Ab wo vikal ho gaya. Ab rona aa gaya. Ab andar hi andar tadap raha hai. Gambhir shant hai. Andar andar tadap raha hai. Ab wo jo andar kuch hota hai use prem kahte hain. Bahar rona ya ha Krishna kah ke chilla dena wo ek minute ke liye ham banavti bhi kar sakte hain.
lekin andar banavti nahi hota. Andar asli baat hoti hai. To shayad isko hi ishq kahte ho jaise koi dil ko masla kare. Jo main aisa janti priti kiye dukh hoe. Nagar dhindora pitati aji priti na kariyo koi Meera ji kah rahi agar main aisa janti ki priti karne se aisa dukh hota hai main pure nagar ko bol deti prem mat karna Krishna se kyonki wo pida sahan karna mushkil hota hai daras bin dukh na lage nain jab se tum bichure pyare kabahu na payo chain daras bin dukhan ha Krishna ha patit pav wo andar ka vishay bahar se maun baitha hai andar se prem ka koi bahari lakshan ye jaise kam aa jana ro dena yah to kisi aur karanon se bhi ho sakta hai wo andar ka vishay anubhav swarup sukshmatram pratishan vardhmaanam kamna rahitam jo prem ka swaroop hai koi kamna nahi sukshm se sukshm keval anubhav mein ane wala aur pratikshan badhta rahta hai prem ye bhagwan ki kripa se milta hai kisi bhagyawan ko madhvi ji mumbai se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji Gurudev jaise ki aap sadaiv kahte hain ki shri ji ka aashray lena chahiye lekin mujhe mujhe yah samjh nahi aata ki shri ji ka aashray kaise liya jaata hai.
kya wah ek antarik anubhav hai? Aap kripya margdarshan haan hai to antarik par bahari ham fanse hain to bahari kriya se ham shuru karen. Pehle ham Gurudev ka aashray lete hain. Gurudev ki khoj karte hain. Gurudev ki sharan mein hote hain. To Gurudev shri ji ka hamen sharan aashray banate hain. Shri ji ka mantr dete hain. Shri ji ki upasna dete hain. To dhire-dhire bhav mein jab shri ji se apnapan hone lagta hai. To aashray tab mana jaata hai jab jaise koi dukh aaya aur sidhe shri ji par hamara man gaya. Sukh aaya to sidhe shri ji par man.
bada dular kar rahe ladli jo dukhaya badi kripa kar rahe hain ladli jo donon sthiti mein dukhad paristhiti ya sukhad paristhiti mein hamara man yadi prabhu mein jaata hai shri ji mein jaata hai to hamara aashray shri ji ka hai. Agar kisi vyakti vastu mein jaata hai to phir vyakti vastu ka hai. To yah aashray hota hai pratham bhagat santan kar Sanga. Santo ke sang se bhagwat sharanagati pusht hoti hai. Bhagwat sharanagati se hamara aashray dridh ho jaata hai. Aashray dridh ho gaya to phir kalyan aashray se hota hai. Goswami ji kah rahe hain bigdi janm anek ki ab sudhre aaj abhi aaj abhi abhi sudhar jaegi.
anek janmon ki bigdi hui aashray le lo. Ram ko aaj se main prabhu ko jaise Meera ji kahti hai na mere to Giridhar gopal dusro na koi ise aashray kahte hain janani Janak bandhu sutdhara tan dhan dham suhad parivara sabki mamta tag batori mam pad manah bandh bar dori ye aashray hamare matapita bhai bandhu rishte natedar sab kuch bhagwan hai bhagwan ke siva hamara koi nahi ye aashray hai aur ye andar hona chahiye vani mein ho ya na ho andar hriday mein aashray hona chahiye. Andar bhagwan ka chintan prabhu main aapke bhrose hoon ya andar ka phir wah jeev ka nistar ho jaata hai.
phir wo bhagwan ke aashray hone ke karan maya ke dwara parajit nahi hota. Bhrasht nahi hota. Wo dhire-dhire kramash vishyon ka tyag karte hue bhagwan ki kripa se bhagwan ko prapt ho jaata hai. Aashray bahut badi vastu hai. Jab hamara bhagwat aashray jaisejaise hone lagega ham nirbhay ho jaenge. Nishcint ho jaenge. Nishok ho jaenge. Ham dekhenge hamare dimaag mein baithkar bhagwan wahi karate hain jo karna chahiye. Wahi bulwate hain jo bolna chahiye. Wahi sochwate hain jo sochna chahiye. Wo apni soch bolne aur kriya tak ka karta nahi banta.
wo bhagwan sab kuch karva rahe hain. Wo dekh raha hai sab kuch bhagwan karva rahe. Hamare hriday mein baithkar hamare mind mein baithkar hamari vani mein baithkar hamari drishti mein baithkar sabko pavan kar rahe hain. Wo ye bhavna aashray antarik aashray bhagwan ka aashray. Aashray mein bahut bada bal hai. Ek granth mein padha tha aashray ki baat ki ek bhed chalane wala bahut si bakriyon ko aur bhedon ko chara raha tha. Unmein se ek bakri sham ke samay tha to jhadi chugne mein itna mast ho gayi ki sab bhede bakriyan chali gayi aur wo akeli rah gayi.
ab jab use sudh ai to usne kaha ki yah to ghor jangal hai aur hamara rakshak to chala gaya. Hamara samuday chala gaya. Ab to mujhe koi bhediya hinsak jeev kha jaenge. To pyas lagi thi to pani ki taraf badi to nadi ke kinare ek panja dekha bahut jor ka usne dekha jiske panje mein itni jaan hai ki itna gahra dhasa hua itna tejasvi to shayad ye kisi balvan ka panja hoga. To pani piya itne mein aa gaya lal tapkate hue bakri ko dekhte bakri ne kaha ae is panje ko dekh lo yah mujhe isne dekha are panja to sher ka sher se baithal gaya bhediya bhaga jo jo pashu ave ab usko to aur vishwas hota gaya na jaise-jaise vighna hatta gaya us panje ke bal se akhiri mein sher jab pani pine aaya to bakri ko dekha to unhone kaha ai sham se is panje ke bal se baithi hoon kisi ne mujhe kharoch bhi nahi mari.
tum hamari taraf mat ana. Dekh lo ye panja main iski sharan hoon. To usne kaha panja kisi aur ka nahi mera hi hai. Jab tumne mera bharosa le liya to is jangal mein ab kisi ki takat nahi hai. To bhav usmen tha santo ke dwara kaha bhav usmen tha ki sansaar ke is bakhede mein bhogon mein ham bhul gaye. Aur kal rupi bhediya aaya wo mar hi daelga. Agar jabardasta panja bhagwan shri hari ke charnarvind apaar sansaar samudra madhya madhyato to sharanam ki masti is sansaar samudra mein doob raha hoon to kiski sharan mein jaun to guru kripalu kripya vadet shri Vishveshwar padambuj deerghanoka shri bhagwan vishvanath ji ke charnarvind to jo bhagwan ke charan ashrit ho gaya mrityu kal sankat vipatti sab bhag jaate hain aur bhagwan usko atyant dular karte hain jo bhagwan ke ashrit it hota hai.
ham log bhakti karte hain lekin aashray vyakti ka hai. Aashray rupya ka hai. Bhagwan ka aashray nahi hai. Koi birla hota hai bhagwan ke ashrit. Apni kamna purn karne ke liye to ham kah sakte hain ki bhagwan dekho ham tumhare sahare hain. Ye kam bana do. Lekin bhagwan ka aashray andar se hona wo bahut kathin hai. Jabki kuch nahi lagta. Keval hriday se samarpit hona hota hai. Par wo sunri maine nirbhal ke Balram jo apne mein nirbalta dekh li anashrit dekh liya asran dekh liya ki ab mera koi nahi jaise Draupadi ne akhiri baat dekhi ab dant se sari hati to nirwasta ho jaenge to Dwarika vasin Govind bhagwan cheer avatar dharan kar Gajendra ne dekha ab koi bal nahi jitne hatheeniya thi wo chali gayi sab ab ab to jara se jhaatke mein bas doob jaun.
he hari wo aashray jo antim samay Gajendra ne aashray liya, Draupadi ne aashray liya, anya aashray sab chhod ke aise hi jo anya aashray chhodkar ekmatra bhagwan ka aashray aur kuch karne ki zaroorat nahi. Jahan ashrit hue to aashray data bhagwan ka madhur madhur naam chalta rahta hai kyonki smriti hoti hai aur jahan andar se smriti hui dekho bank mein rupya rakha hai tumhare paas to nahi lekin smriti mein tumhare baitha hai aur usi ka ek garv bana rahta hai mere paas itne aur jisko jahan jaise rupaye ka apbal tapbal aur bahubal chautha bal hai dam sabse alag surya kishor kripa te sab bal hare ko hari naam jo bhagwan ke ashrit ho gaya to jaise lobhi purush dhan ka chintan karta hai kami kamini ka chintan karta hai
vivash hokar aise swabhavic bhagwan ka chintan us bhakt ke hriday se hota hai jo bhagwan ke ashrit hota hai to ye bhagwan ke bhakton ki kripa se bhagwan ka aashray milta hai aur bhagwan ka aashray mil gaya to bahut bada sahara ho gaya isse bada koi sahara nahi aur isi se jeev par ho jaata hai bigdi janm anek ki ab sudhre aju aaj abhi sudhar jae yadi aap bhagwan ke ho jao aur unka naam jap karo aur kumarggami vrityio ka tyag kar do to aaj hi aap jeevan mukt ho aaj hi bhagwat prapt ho goswami tulsidas ji kah rahe hain bigdi janm anek ki abhay sudhre aaj hoe Ram ko naam jap tulsi taj kumaj Gurudev bhagwan kabhi-kabhi aisa hota hai ki padhai karte karte lagta hai ki chaturasi jagah aur pad kar lo lekin phir lagta hai ki padhai bhi karni hai abhi haan karni hai bilkul lekin 87 ka pad ya phir sevak vani log ke pad karne ka aur karne jaise aapke niyam se zyada karne ka kabhi-kabhi ichchha hoti hai.
aisa lagta hai pal dekho suno hamare paas 24 ghante hain. Kitni der chaturashi ji padhoge ek ghanta do ghanta 24 ghante aapke paas hain. Agar 12 ghante aap padhai karenge to bhi teen ghante aapko chaturashi ji ke liye bhajan ke liye milte hain. Hamne hisaab laga ke ek din bataya tha. To aap socho jab hamara man kah raha hai ki is samay main chaturashi ji padhun to padho. Uske baad jo samay bache usmen apni padhai padho. Khub lamba samay hai aapke jeevan mein vidyarthi jeevan mein bahut sa aisa samay hai jo aap log barbad karte hain. Use keval barbad mat kijiye.
gem hai, serial hai, apne mitron ke saath idhar-udhar ki udandta hai. Agar yah na karen aur aap avashyak karya karen. Ek din hamne ganit laga ke bataya tha ki jaise 12 ghante koi karya karen, 6 ghante so le, do ghante bhojan sajan ke liye kitne hue? 20 ghante hue. Abhi char ghante bache. Ek ghante manoranjan ke liye teen ghante. Teen ghante bhajan kar le. Pura dincharya chhod diye. Waise koi bhi karya 8 ghanta tak karta hai. Sarkari kam aath ham 12 ghanta chhod dete hain karya ke liye. Do ghanta bhojan ke liye paryapt hai. 6 ghanta sone ke liye paryapt hai.
ab beimani karo to baat alag hai. Pare raho to baat alag nahi. Chha ghante mein nind ho jaegi. Chha ghante bahut hote hain 24 ghante mein aur teen ghante bache bhajan ke liye. Ek ghante manoranjan ke liye chhod diya. Agar uska vibhag sahi karke aap prayog karo to bhajan ke liye bahut samay. Teen ghante naam jap aur vani path bahut ho jaega. Aap karke to dekho to ham pramad sthiti mein apna samay nasht na karen. Uska sahi sadupyog karen. To hamare paas bhajan ke liye bahut samay hai. Shastr swadhyay satsang ke liye bahut samay hai. Ab jaise school ja rahe hain.
jaate samay satsang sun rahe hain kan mein. Filmi gane ki jagah ham satsang sun rahe hain. Ham samay ka sadupyog karen. Keval durpayog na karen. To aapki padhai ke liye bhi bahut samay milega. Aapko manoranjan ke liye bhi samay mile. Man lo manoranjan karna hai to gande manoranjan na karke satvic manoranjan karen. Gande serial na dekhkar satvic dekhiye ramayan hai, mahabharat hai, krishna hai. Aise bahut se satvic serial chale jinme hamen apne bhagwan ki mahima janne ko milti hai. Ab aise gande serial dekho jinme gande acharno ki badhotri hai to hamare andar gande bhav aaenge.
to agar hamara manoranjan kahne ka matlab ki ham gandagi se hatkar manoranjan karen. Gandagi wala manoranjan na karen to hamare jeevan ko bahut anand mein vyatit karne ke liye bhagwan ne 24 ghante diye hain. 24 ghante mein ham samay ka vibhag karke yadi apni dincharya banain to hamen satkar karne ke liye bahut samay hai. Bahut samay hai. To ham ab aaj ke bachchon ki dincharya ho gayi ki ek do baje tak jagte hain aur phir so jaate hain. 10 11 baje tak sote hain. Aise ye adhyatmik unnati to ho hi nahi sakti. Bhagwan surya uday ho rahe hain.
aap shayan kar rahe ho to aapki ayu, shri, buddhi, kirti yah sab nasht ho jaegi. To hamen lagta hai birla hi koi bachchha aisa hota hoga jo 4:00 baje uthe nahi to 8 9:00 baje tak uthne ka abhyaas ban gaya hai. Agar itne logon mein pucha jae to do char log brahm muhurt mein uthte honge kyonki vaishnav hain. Nahi to sab surya uday ke baad hi uthte honge. Kyon? Haan jo satsang sun rahe hain diksha liye hain unka to shayad jeevan pehle se sudhar mein hoga nahi waise ab prayah ye chal para hai 9 10 baje tak sone ka to bachchhe nahi uthte matlab jo jaise unko 810 din uthao bhi 12 din phir wo ek do [gala saaf karne ki aawaz] din to roti rahenge phir wahi jaega kyonki jab tak apna uddeshya nahi hoga man lo bachchon ka uddeshya swayam nahi hoga tab tak zabardasti kitni bar jagaya ja sakta hai utha ke baitha la tum gaye phir so gaye.
agar 10:00 baje sahay kar jae to 11 12 ek do teen char theek 4:00 baje 6 ghanta pure ho jaate hain. Ham kah rahe hain ek ghanta aur le lo panch sat ghante to agar 5:00 baje uthoge to surya uday ke pehle aapki dincharya hone lagegi. To bahut accha jeevan ho jae. Ham sabse prarthna karte hain ki ek bar aap surya uday ke ek ghanta pehle uthna sikho. Gurudev Baba ham jo hai 4:00 baje matlab uthte hain deli 45 baje aur seva bhi puri do-ti ghante ki rahti hai lekin usmen kya hota hai mere andar ek bhay bana rahta hai hamesha ki jaise meri jara sa bhi tabeeyat kharab hui jaise bukhar hua hai kuch bhi hua mujhe to mujhe lagta hai mera meri akhiri bimari hai main chala jaaunga khub naam jap karo accha hai kam se kam dar to bana rahega ki jane ka haan naam jap karte raho main bhi jaise padhai kar raha hoon to main kai bar dekhta hoon ki din mein thoda distarbens rahta hai ghar mein to main padh nahi pata hoon to main sivil sarwis ki tayyari kar hoon to mujhe 6 aath ghante chahiye hota hai.
to raat ko mere ko jitna peesphul time mil pata hai padhne ke liye utna din mein nahi mil pata hai. Us wajah se mera kafi samay par imandari se yadi padhai karen to koi hani nahi hai. Padhai agar imandari se aap sachchai se padhai padh rahe ho. Aapko aisa lagta hai ki ratri ekantik to ratri mein tapasvi log bhi jagte hain. Matlab jaise ab ham log hain to ham 12:30 12 baje baith jaate hain. Maharaj jab 3 baje ka samay hota hai na main kai bar sochta hoon ki main padhai karun ki dhyan karne baith jaun? Padhai karo.
padhai tumhara dhyan hai. Dhyan karne ke baithe ki zaroorat nahi. Radha Radha Radha bole apne padhai ke karya mein lago. Kyonki is samay aapka kartavya karm padhai hai. Thoda bhajan karo. Har samay padhai mein lage raho. Jab aapke paas samay ekstra ho to use satmarg mein de do. Nahi to padhai ko bhi bhagwan mein arpit kar do. Ham nishedh karte hain gandi baton ke liye. Agar imandari se aap ratri mein uthkar padhte ho to dhanyavaad hai. Aapko dhanyavaad hai. Aap apne vishay mein to lage hue ho. Vishay se hatkar samay vyatit mat karo.
ab jaise kai aise sarwismain hain jinki ratri duty hoti hai. Ab wah 4:00 baje chhuti hui. Wahan se aae ab wo 4:00 baje ke baad agar soenge to 10 11:00 baje tak soenge. Ab unke paas samasya hai. Ab 4:00 baje se akar 6:00 baje tak baithe to nahi rahenge ki surya uday ho tab phir ham argh aadi de ke shayan karen. Wo to thake mange aae aur so gaye 10 11:00 baje tak. To kuch aise vishay hain jin par nirnay nahi kiya ja sakta ki aapko jagna hi aniwarya hai. Lekin yadi bhagwan ne aapko aisa samay diya ho ki aap sadupyog karke surya uday ke pehle jag sakte hain to jag kar dekhiye aapke jeevan mein ek naveen prakash aayega.
bhagwan surya dev buddhi pradan karne wale hain. Shri aishwarya vaibhav yah sab inheen se aata hai. Yah sakshat narayan ka swaroop hai. To kam se kam uth ke naha dho ke argh diya hath jodkar pranam itna hi kar le. Itne se wo prasann ho jaenge. Doti sal ke bachchhe ke liye bhi yahi niyam hai. Sabke liye sharir to do-ti sal ka lekin bahut purana jeev hai. Jeev to puratan hai. Sanatan hai. Bhagwan ka ansh hai. Chhote-chhote bachchon ko yadi sanskar dal diye jae to pure jeevan chahte hain. Pure jeevan chalte hain. Ab jaise ham logon ko Gurudev ne 2:00 baje jagne ka abhyaas dalwaya tha.
jab jin Gurudev ki sharan mein gaye to aaj ham 1:00 baje bathroom mein pravesh kar jaate hain shauch snaan ke liye. To hamara ek abhyaas ban gaya. Ab puri dincharya chal rahi. Dekho 7:30 bajne ja rahe hain. Matlab ham apne hisaab se 7:30 ghanta jap chuke. Aur abhi-abhi kisi kisi ki nind nahi khuli hogi. Hain. Haan. Jab wo bal bhog pale baithenge tab ham rajbhog payenge. Jab unki dincharya shuru hogi to ham aram karne lagenge. Nishu ji Gurudev ki jai. Maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev bhagwan jab shri ji ke naam bina sab kuch nashvar hai na to pehle kuch tha na baad mein rahega to phir bachchon ke liye kaisa marg chayan karen padhai karaen ya inko bhakti marg par laga nahi bhakt banate hue bhi sansaar ke karyo ko karana hai kyonki bhagwan ne hamen role diya hai na jaise ham kisi ki patni hain kisi ki maa hai aise yah bhi kisi ke pati bane kisi ke bete bankar ke jo abhi kartavya kar rahe hain wo hamare rashtr ki seva mein ave to bhakt ka matlab matlab keval Baba ji ban jana nahi hai.
bhakt ka matlab dekho hamko kya karna para. Ham 20on varsh ekant mein rahe lekin akar samaj seva karni pare ki nahi karne ratri se lage 1:00 baje ratri se lage barabar anuvrat lage to yah bhi kartavya karm karen. Manushya janm vyarth na jae. Naam jap karo bhaktivan bano aur grihasth bankar ke samaj ki seva karo. Man lo padh likhkar achhche paddhikari bane to bhakt paddhikari hai. Isliye paap nahi karega. Adharm nahi karega. Wo ek samaj ko bahut achchhi vyvastha de dega. To hamen chahiye ham apne putr ko bhakt baname aur bhagwan ke bhajan se yukt ek sansaar ka vyakti bhi baname.
wo kisi ka pati bane, kisi ka bhai bane, koi rashtr ki seva karen jisse ana uska sarthak ho jae. Arjun ji kah rahe hain main sanyaas lekar bhajan karunga. Bhagwan kah rahe nahi yuddh karo. Yuddh rupi kartavya karm ko karo. To bachchon ko padhaey likhae aur bhagwan ki bhakti se yukt karke ek sad grihasth banae. Ab jinme vairagya hai jaise apne logon ko tha ki Baba ji banna hai to phir updesh kisi ke nahi mane jaate. Phir bhag para jaata hai bhagwan ki taraf. Ab bachpan se bhagwan ne prerna ki to ab inme se kisi ko sant banna hoga.
to tum banane se thodi hota hai. Wo to uski ruchi ho jaegi ki main sansaar mein nahi jaaunga. Main bhajan mein lagunga. To hamara kartavya hai ki ham use sansaar aur bhagwan donon ke layak baname. Uski kya sthiti hai wo use bata denge. Gurudev aaj ka jo mahaul hai usse dar lagta hai ki jab padhne ke liye bahar bhi jaate hain to abhi yahan rahte hue bhi bachchon mein aapas mein itna kampteeshan hai chhote-chhote bachchon mein. Haan. Yah to matlab bahut vicharneey vishay ho gaya ki bachchon ke sanskar bacha pana bahut kathin hai.
aisa mahaul banta chala ja raha hai. Par aap maa hai. Aap aise sanskar de rahi hain. To isliye inko itna paripakva kar do ki kusang ka inke upar prabhav na pare. Inko pehle se dost ki tarah samjhao. Tumhen koi galat aacharan ke to hamko turant batana. Inko itna paripakva kar do ki ye galat kusang ko aap tak pesh kar pave. To sanskar dale jaate hain. Ab aap apne bachchon ke achhche sanskar aise dal rahe hain to yah maya par vijay prapt karenge. Naam jap kar rahe hain to darne ki zaroorat nahi. Bhagwan hai na. Gurudev ek bhav aaya tha jaise main sochta tha ki aap aur aapke shishya itne pyare aur saral kyon hain?
to kal main Gurudev bhagwan se bhagwan ke mujhe darshan hui. Vatika Radha vatika mein to mujhe sab kuch sara question ka ansar wahan pe mil gaya. Wo itne pyare itne saral the matlab mujhe ehsas ho raha tha ki aap bhi wahan par ho aaspas nahi unhin ka sab kuch hai Baba ko dekho to pita ka lakshan samjh mein aa jaega aur pita ko dekho to apne lakshan samjh mein aa jaega nahi aa jae to bap Baba se jo paramanu ate hain to jaise hamare Gurudev bhagwan agar Gurudev bhagwan ke Gurudev bhagwan ko dekhte jo hamare Gurudev bhagwan ke Gurudev bhagwan hamne dekhe hain bachchon jaise vridh the sab shastron ka gyan lekin aapko aisa lagega ki jaise 10 12 sal
ka bachchha ekdam nirmal ekdam shant to mahapurushon se hi to sab swabhav parivartit hota hai to [nak se ki jane wali aawaz] ye swabhav hamare andar aa sakti hai Gurudev agar ham roz naam ja bas man vachan karm se Gurudev ka ho jane par Gurudev ke siva hamara koi nahi to jo Gurudev mein hai wo aise aa jaega jo yahan tanmayata karega wo aise chala jaega aa to raha hai parampragat Gurudev ke Gurudev Gurudev ke Gurudev aise aata ja raha hai na to waise hi chala jaega waise hi aap mein aa jaega par ham tanmayata dharan karen tab
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…