॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1393

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji meri Radha Krishna ji mein purn astha hai. Unmein main sakhi bhav rakhti hoon. Maharaj ji naam jab bhi yathasambhav karti hoon. Maharaj ji mujh mein ghamand ya eego naam jaisi koi bhi chij nahi hai. Phir bhi yahi ghamand hai. Pehle marij kah raha hai doctor se main bimar nahi hoon. Doctor kah raha hai tum bimar kumar ji phir bhi mujhe sab aisa samjhte hain ki main ghamandi hoon. Sahi sahi sahi samjha sahi samjha. Ismen aap bhi aisa hi samjh rahe hain. Dekho ghamand na hone par aapko aisa anubhav hoga ki main samasth jeevan se nich hoon.

dekho hanuman ji maharaj ko koi ghamand nahi to vibhishan se kaise kah rahe hain bhagwan ke mahan bhakt mahabali hai je gir charan de hanumanta chale suga patal turanta jim yamog Raghupath kar bana yahi bhat chale hanumana buddhimtam varishtham gyaninam agraganyam balon mein mahabal mahabali hanuman param gyani kya kahte hain asmay adham sakha sun mohu par Raghuvirr main aisa adham hoon prat le jo naam hamara te din tai na mile hara asmay adham sakhas ye abhiman dahat vani Shabri ji mahan bhakta kaise Ram ji se kah rahe adham te adham adham ati nari tinu mati mand aghari he papon ka nash karne wale prabhu main matimand nari mein bhi bahut adham bheelni jat ki prabhu aapko kaise prasann karun he bhagwan mere mein ahankaar nahi hai aisa aaj tak ek bhakt ne nahi kaha yahi ahankaar ka lakshan hai ki aapne kaise final kar diya ki aap mein abhiman nahi kisne anubhav karaya aapko ahankaar ne ye to koi sant bolenge ki ye nirabhimani hai aur aap bologe ki nahi prabhu sare dosh mere mein hai main to bahut nich pravriti ka hoon dekho Ram ji se

hanuman ji mil rahe hain vipr rup mein kah rahe ek mein mand moh bas shabd par dhyan do ek mein mand moh bas kutila hriday agyaan muni prabhu moh bisarau din bandhu bhagwan mand kutila agyani apne ko kah rahe hain wahan hai kaun gyani naam varishtham buddhimtam varishtham aise to kiska prashn tha haan ab abhi sambhal karo aisa shabd abhiman janit hai ye kisne anubhav kiya ki mere mein abhiman nahi anubhav kisne kiya kisi ne pramanit kiya aapko? Aapne aapke man ne praman aapke abhiman ne pramanit kar diya.

yah Shastri shabd hai ki jo aisa bolta hai ki mere mein abhiman nahi hai. Yahi abhiman uske andar hai. Dekho goswami tulsidas ji likh rahe hain jo main apne avgun kaun baadh katha par nahi laun. Main agar apne avgunnon ki katha kahun to pura ek granth likh jaega. Goswami ji kah rahe hain jo abhiman rahit mahapurush hai unka hriday aisa hota hai. Priyanka ji mumbai se Radhavallabh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ishwar ka gyan bada hai ya ishwar ka prem prapt karna bada hai apne hriday mein ishwar ka bin jane na hoe pratiti bin pratit hoe nahi priti bina gyan ke prem ho jaega kya jab tak ham aapko jante nahi hai to aap par pratiti vishwas nahi hoga phir aapse prem kaise hoga to agar ham kahe ki prem bada hai to bina gyan ke prem kaise ho jaega aap kaun hain aapka swabhav kya hai?

aapka prabhav kya hai? Aapki mahima kya hai? Ye jab ham jananenge na tabhi to aap par vishwas hoga. Tabhi aapse priti hogi. To gyan ati aniwarya hai. Bina gyan ke shuddh prem nahi hota. Jab yah gyan ho jaata hai ki sab mein hamara prabhu virajman hai. Ye krura ap papino nasta samas drishya sarvan vastut nireeksh param swadhya buddhimam mere aradhya dev bhagwan hi sab rupon mein virajman hai. Pehle yah gyan hona ati aniwarya hai. Is gyan ke baad aavagaman chakra se mukt ho jaata hai. Tab wo premi hota hai.

jo bandhan mukt hota hai tab vastvik mein prem hota hai. Ye do char bund aansu gir jana ye prem ka lakshan nahi hai. Prem ka lakshan hai. Apne pritam ki jo shobha hai, jo rup gun madhuri wo hriday mein, man mein, buddhi mein, netr mein, aam mein sab mein sama jae. Pi murti nainan base te ras raha samae yah lakshan sun prem ke aur na kachu suhaye aur na kachu suhaye phire apne ras ma to kutumb deh te jae chhut sab hi vidhi nat to ekmatra bhagwan ke prem mein mat wala wo premi tabhi ho sakta hai jab use gyan hua hai.

ye sansaar bhagwan ka swaroop hai. Ismen bhagwan ke siva koi nahi hai. Jo bhi hai wo mithya hai. Brahm satyam jagan mithya yah gyan hone par hi vastvik bhagwan se prem hota hai aur prem ho gaya to gyan sarthak agar gyan aur prem donon jeevan mein nahi hai to phir pashu jeevan hai bas wahi nidra bhay ahar maithun yahi chal raha hai sampurn sansaar aavagaman se mukti thodi hai gyan aur prem se hi aavagaman ki mukti hai to bada chhota nahi kah sakte ham kyonki ye aankh badi ki ye aankh badi ye hamen priy ki ye priy donon priy hai na to jab tak hamen gyan na hoga to prem nahi hoga to

gyan ati aniwarya hai kyonki ham jisse prem karte hain jab tak uska gyan nahi hoga to prem kaise ho jaega hota hi prem gyan se hai jankari se hi to prem hota hai aap yahan baithe to kaise aae jankari se hi to aae na aapne YouTube mein suna aapne baten suni aapko thoda gyan hua to laga chalo dekhte hain chal ke to aapko ane ki jo jignyasa hui shravan sujas sun ayo prabhu bhanjan bhav bhir jab main aapki mahima suni prabhu to aapki sharan mein aae vibhishan ji kah rahe hain to bina shravan ke gyan nahi hua aur bina gyan ke sharanagati aur prem nahi hota isliye gyan bahut mahatwapurn hai.

usko aisa nahi kaha ja sakta ki gyan chhota ki prem bada nahi kaha ja sakta. Jaise donon ankhen hamari do hain par drishti ek hai aur donon pran priy hai. Aise hi gyan aur prem donon saman hai. Donon mein antar nahi hai. Ji maharaj ji sukshm ahankaar ka nash kaise hota hai? Guru kripa hi kevalam jaise ham sadhna karte hain na iska bhi ahankaar hota hai. Iska ahankaar nasht hota hai guru kripa se. To sansarik ahankaar to dur karna kathin hota hai. Usse bhi zyada kathin hota hai bhakti janit ahankaar dur karna.

kyonki sansarik ahankaar ko ham dosh rup mein dekhte hain to dur ho jaata hai. Lekin bhakti ahankaar ko gun rup mein dekhte hain ki maine aisa kiya maine aisa yah jo sukshm ahankaar maine maine maine iska ahankaar ka nash guru kripa se hota hai. Jab Gurudev hamare ahankaar ko dhul dhushit karte hain tabhi hamen moksh milta hai. Isiliye dhyan mulam guru murti puja mulam guru padam mantr mulam guru vakyam moksh mulam guru kripa jo moksh ka mul hai wo guru kripa hai ek bar akaal para to shivaji ne pura khajana khol ke sabko khawaya pyas akaal kisi ko vyapt nahi kar paya koi akaal mein mar nahi paya samarth guru Ramdas ji ke paas gaye aur kaha Gurudev aapki kripa se kisi ko bhi kasht nahi hone diya akaal mein hamne sabka poshan kiya shivba tumne poshan kiya uthao ghan ghan ek majbut hota hai lohe ka usmen hota hai uthaya le gaye kaha is patthar mein maro patthar mein toda hataya patthar to niche mendhak bahut tandurusta baitha hai isko khawaya unhone kaha nahi ye kaise pusht hai tum keval nimit matra ho bhagwan sabko pusht karta hai ye guru nahi to maine maine akaal mein kisi ko bhukhe nahi marne diya.

bahut badhiya kam hua. Lekin andar ek pusht ho raha hai. Aham maine akaal mein kisi ko marne nahi diya. Maine nahi bhagwan ne. Ye dikhaya ki is mendhak ko to tum poshan nahi kar rahe ho. 8399 yoniyan aur bhi hain. Manushya yoni chhodkar sabka bharan poshan kaun kar raha hai? Bhagwan hi kar rahe hain to guru vani guru kripa hi ahankaar ka jo sukshm ahankaar hai uska nash karte hain. Sunil sambhaji rav maharashtra se maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam. Gurudev 2023 se aapka satsang aur ekantik vartalaap YouTube se madhyam se sun raha hoon aur aapke vachno ke bal se naam jap bhi karne ki koshish kar raha hoon.

Gurudev shri ji ki kripa se Gurudev bhagwan teen din vrat nirjala aur maun rahkar karta hoon. Us din naam jap nirantar chalta rahta hai aur shri ji mein man bhi lagta hai. Baki din vaisa naam jap nahi chalta. Maharaj ji kya bhookh ki vyakulta ke karan zyada naam jap mein man lagta hai? Agar aisa hai to sansaar mein rahkar yah marg apnana sahi hai kya maharaj ji dekho baat sumiran ki hai. Agar ham ek roti subah ek roti sham pave to upvas hi hai. Nirjala rahkar kai din bhajan kar loge. Jal pina aur jal na pina koi khas baat nahi hai.

khas baat hai aapka chitt kahan hai? Kitne aise jeev hain jo keval jal pikar rahte hain. Hamari srishti mein kya unko bhagwat prapti ho jati hai? Ye operation hai teen din jal na pi ke upvas karne ka karo. Lekin uska kahin bhi rekha nahi kheenchni chahiye. Kitne aise jeev jo mitti khakar jite hain? Kitne aise jeev jo phal pakar jite hain. Kitne aise jeev srishti mein jo vayu pikar rahte hain. Kitne aise jeev hai jo napunsak hain. Kabhi bhog hi nahi karte hain. Kya inko bhagwat prapti ho jati hai? Jiska chitt bhagwadakaar hai usko bhagwat prapti ho jati hai.

ab hamko dekhna hai matahar satvic bhagwat prasad yah vrat se bhi badhkar hai. Matahar [gala saaf karne ki aawaz] mane thoda agar ham char roti khate hain to do roti khain aur dharm ki kamai pavitra bhojan aur bhagwan ko arpit karke aur roz bhajan ho raha hai sab kuch ho raha hai. Khas baat bhajan hai apne bhi ye sab par baad mein jab samjh mein aaya to chittritti ka bhagwan ke charnon mein arpit karna. Gopi janon ka sabse bada pad hai hamare bhakti rajya mein. Agar bhakti rajya mein kahin bhi kisi ka pad diya jaata hai to yatha braj gopika naam jaise braj ki gopikaen aisa prem kahin nahi dekha gaya.

bade-bade maha bhagvato ne inheen ka anusaran kiya hai. Jaise mahaprabhu chaitanya dev gopi prem ki bhavna mein dube hue aa Krishna aa pritam yatha braj gopika naam ab gopikaon ki dincharya dekhiye. Subah uthti hain. Gauen dhona hai, ghar lipna hai, bhojan banana hai, pati putr aadi ko pavana pura ek grihasth ki nari jaise karte hain. Bhagwat mein likha hua hai. Wahi hai dincharya. Antar kya hai? Unko paramhansa ne bhi puja. Kyon? Kyonki ek ek chittritti shri Krishna ke liye hai. Kriyaen bahari sansari hai.

shringar sansari hai. Lekin andar ka anurag shri Krishna se hai. Murari padarpit chitt vritti ek ek vritti jaise samudra mein trange uthti hain. Aise chitt mein vrittiya uthti rahti hain. Hamari har vritti sansarik uthti hai. Agar har vritti bhagvatik hone lage. Bas yahi sadhna ka lakshan hai. Chitt vritti bhagvatik ko hone lage. Durvasa ji doob ka ras keval pite hain. Amrish ji chakravarti samrat hai. Naveen naveen raniyaan har bhog har samgri Durvasa ji tap mein aham hai. Amrish ji Krishna sav man Krishna padarwind bhagwan ke charnon mein to jab bhagwan ki sabha mein devrshi narad ji ne gaan kiya ki mrityu lok mein is samay sarvshresht mahan bhakt shri amrish ji maharaj to Durvasa ji ko jalan hui ki wo chakravarti samrat achchhi poshak pahanta hai simhasaan par baithta hai rani hai praja hai sukh vaibhav hai hamara naam kyon nahi liya gaya dhoop ka ras pita hoon balkal ki langoti lagata hoon.

mahan tap se sanlagna hoon. Dekhta hoon kaisa amrish hai. Ab unko aparadh dhundne mein to koi mila nahi. Dwadashi paraayan ka samay ja raha tha. To brahmano se pucha vidvannon se brahm rishiyon se to unhone bataya bhagwan ka charanamrit jalpan kar lena. Paraayan bhi mana jaega aur atithi satkar mein koi vighna bhi nahi hoga kyonki aapne atithi Durvasa ji ko kiya hai. Wo pan hi kiye bas aa gaye. Durvasa ji ko to dosh dekhna tha. Unhone kaha bahut bada tu bhagat banta hai. Abhi main tujhe dand deta hoon aur bhari krodh karke unhone krutya prakt kar di marne ke liye.

amrish ji aise hi khade rahe. Dainyta ki murti bhagwan ke sudarshan chakra ne prakt hokar krutya ko nasht kiya aur tribhuvan mein daudaya Durvasa ji ko. Daudaya nahi to bhasm to ek minute mein kar dete. Daudaya keval bhakt hai na bhagwan ke. Daudaya. Ab wo bhagwan brahma ke brahma ji ne kaha hari ka sudarshan chakham shiv ji ne kaha ye to bhagwan ka nitya parsad sudarshan is wo bhagwan ki sharan mein jao Durvasa ji bhagwan bhagwan ne kaha aham bhakt paradheeno asutantra main is samay asutantra sudarshan mere kahne se nahi rukegaa Ambrish [gala saaf karne ki aawaz] ke panv pado jake jab amrish ji ke charan hoon to amrish ji ne jal liya aur kaha man vachan karm se aaj tak maine jitna bhajan sadhan punya kiya sab Durvasa ji ko prapt ho jae aur he sudarshan iske prabhav se aap Durvasa ji ke aansu bhar gaye ki jisko main marne aaya jisko main dukh dene aaya apmanit karne aaya usne pure jeevan ka bhajan mujhe de diya bole aao aaj maine dekha hari ke daso ka kitna bada mahatva hai.

to nirabhiman bhajan aur tapasya antar hai. Nirabhiman bhajan aur tapasya mein antar hai. Ham vrat rahe lekin vrat ka abhiman na ho aur hamara bhajan nirantar nitya chale to hamara vrat sahi hua. Ek din kas ke bhajan ho gaya aur do din prapanch raha to theek nahi. Hamen aisa abhyaas karna chahiye ki anya dino mein bhi bhojan ko pavitra dhan ke dwara kamaya hua ho aur bhagwan ko bhog lagaya hua ho aur hamara man bar-bar bhagwan ke charnon ka chintan karen. Khas baat chintan hai. Puri gita ji aap uthakar dekhiye. Bhagwan ne kahin anya sadhno ko chhwa bhi nahi hai.

anannya chinto mam anannya cheta satatam aisa abhyaas karo abhyaas yog yukt chetsa gamina mere mein chitra man manabh mad bhakto myaad mam namaskaar bhagwan kahte man aat buddhim niveesh mere mein man laga do mere mein buddhi laga do khas baat yah hai sanakaad jab bhagwat ke paraayan ki baat kahte hain to kahte hain ek bar phal kha ke bhagwat suno. Yadi usmen vikshep parta hai to bhojan par ka. Lekin aapka chintan bhojan ka nahi hona chahiye. Aapka chintan bhagwan se hatna nahi chahiye. Khas baat chintan hai. Aap roti daal kha ke bhajan kar rahe ho.

nirantar bhagwan mein vritti aap jaisa koi mahatma nahi. Wo aap vayu pikar rah rahe ho. Chintan hai jal ka aur bhojan ka. Baat nahi. Chintan kahan hai aapka? Antarik chintan se bhagwat prapti hoti. Bahari kriyon se nahi. Bahari kriyon se prapt nahi hoti. Bahari kriyon ka to kabhi-kabhi aham bhi jagrit ho jaata hai ki main nirjala rahta hoon. Rahta hai. To wo jo main nirjala rahta hoon yah bhagwat prapti mein badha pahuncha dega. Ekdam dainya yahi darbar yad bhi nahi ani chahiye. Yahi darbar din ko aadar riti sada prabhu main kisi yogya nahi.

isiliye kaha suneri maine nirbhal ke bal Ram apbal tap bal ye tap bal aur bahubal chautha bal hai dam surya kishor kripa te sab bal hare ko hari naam sun ri maine nirbhal ke bal ham ye nahi kahte nirjala na rahe raho lekin jis din jaise waise bhajan hota hai aise roz bhajan hona chahiye kaise ho alphar pavitra ahar aur hamara chintan jae prabhu ki taraf hamara chintan nirjala ki taraf na jae hamara chintan prabhu mein ho so sab dharm karm jar jau ja na Ram pad pankaj bhav wo dharm karm mein aag lagi bhagwan ka chintan na ho bhagwan ka chintan ho raha hai sab theek ho raha hai mangal bhavan hai bhagwan amangal hari hai unka chintan ho raha hai sab mangal ho raha hai theek hai har samay bhajan ki vritti bane isliye pavitra ahar aur thoda ahar aap dekho ek roti pa ke char roti ki bhookh hai ek roti pao aadha pet pani se bharo aur chintan karne ka abhyaas karo to dekho aapka chitt bhagwan mein laga rahega aur char roti pani to char roti paye upar se pani phir vayu to bas pachne mein sari urja lag jaegi bhajan mein nahi lagegi alphar bhajan

ke liye alpahar ati avashyak Soni balaji maharaj ji main ek sarkari karmchari hoon Delhi mein wahan mera mere paas kuch karmchari kam karte hain. Kai bar pressure mein tej veg se bola jaata hai. Maharaj ji aise mein kaise apne aap ko control karen us samay nahi bolna koi aparadh thodi hai. Agar apne anuyayiyon ko shasan mein lekar ham jo karya pranali ko theek karate hain phir koi aparadh to nahi hai. Ye to karna hi padega. Jaise apne bachchhe hain to unko hamen kabhi thappad bhi marna padega, kabhi shasan bhi karna padega.

jaise apne shishya hain to kabhi unko shasan mein lena padega. Aise apna pad hai aur 10 20 log apne 50 log 100 log apne anuyai hain jisse ham us karya pranali ko theek se kara pate hain. To unmein jo pramad karega to usko dantna hi padega. Krodh karna padega. Zyada pramad kare to uske khilaf karwai bhi karni padegi. To yah koi aparadh nahi hai. Ismen koi yah nahi ki gussa aa jaata hai ya main avesh mein bol deti hoon. Nahi karna hi chahiye aur karna hi padega. Agar guru kahe ki main shishya ko kabhi dantunga nahi.

ticher kahe main vidyarthi ko kabhi dantunga nahi. Mata-pita kahe putr ko nahi dantunga to bina shasan ke inki jivni vyarth ho jaegi. Inka jeevan sachiv vaid guru teen jo priy bole bhay as raj dharm tan teen kar ho begah nash. Agar guru shishya ki priyata bolta rahe aur doctor marij ke anukul chalta rahe aur mantri raja ke anukul chalta rahe to to rajya ka nash ho jaega sharir ka nash ho jaega shishyata ka nash ho jaega [khansne ki aawaz] usmen shasan ki zaroorat hoti hai ab ham rahe chahe na rahe hamara bhay rahega sabko yahan bhale pulis main jo hai chor se kahe tumhare hath jodta hoon pair chhuta hoon chori mat kiya karo bura aacharan hai wo manega ab wo soche ki yar danda marla aparadh deta hai.

aisa nahi hai. Dar zaruri hai. Dar zaruri hai. Bina bhagwan ke dar ke aur bina dharm ke dar ke aur bina shasan ke dar dar ke. Abhi raaksasi bhav ka tandav ho jae. Dar hai. Dar hai. Tumhen bhi dar hai. Kanun ke khilaf karenge. Danda bajega. Aajeevan karavass milega. Zyada galti ho gayi to phansi milegi. Bina dar ke andar ek Rakshash baitha hua hai ham sabke andar sumati kumti sabke urai nath puran nigam as agar wo Rakshash chup hai to dar ke karan chup hai samaj ka dar bhagwan ka dar guru ka dar shastr ka dar aur ye kanun ka dar agar yah dar hai to samaj dar ke surakshit hai aur agar dar na ho to abhi tandav mach jae raaksasi dar ki koi sima to nahi kah sakte to aparadh ki bhi sima nahi hai na aparadh ki sima hai kya?

to isliye dar ki sima nahi rakhi gayi ki tum jitna bada aparadh sochoge utna bada dand aapke upar vidhan lagu ho jaega. Pure sansaar ko gaur se dekho to tumhen karmon ka khel dikhayee dega. Agar is sansaar ko bhagvatik chashme se dekho to aapko karmon ka ek khel dikhayee dega. Jo jaisa karm kar raha hai vaisa bhog raha hai. Agar dar bhagwan ka na ho. Kisi ko bhagwan ka dar nahi hai to yahan dande ka dar hai. Pulis ka dar hai. Agar dar na ho to samaj control mein hi na rahe. Jahan dar nahi hai wahan aap dekh lijiye.

patni ko pati se dar nahi, pati ko patni se dar nahi to dekh lo donon ka charit. Nahi haan. To ye to chalta hai. Dar to rahna hi chahiye. Dar rahna hi chahiye. Dar ke bina samaj suvyavasthit nahi rah sakti. Jo parikar aapke paas rahta hai aap unko to hath ke hath dand de dete hain aur jaise ham dur rahte hain aur hamse guru dant to hamen kaise aapke agar aap hamare ko samarpit ho to aap dekho tumhare hriday mein jalan hoti hai ki nahi inko to bahari tumhare hriday mein itni jalan hogi ki main kaise Gurudev ke samne jaun main kaise unse baat karun aur bar-bar hamara chehra nachega aur yahi aayega ki main bahut aparadhi hoon main ye dand nahi mil raha ye jalan ho rahi main aaj se kasam khati hoon kabhi aisa nahi karun

Gurudev mujhe kshma kar do bhale hamare samne samne nahi hoon lekin tum ekant mein kshma mangoge Gurudev mujhe kshma kar do main aaj se galti nahi karungi tab hriday mein shanti hogi nahi bahari jalan se zyada antarik jalan aapko sataegi aur guru sambandh aise to guru har samay hamare saath rahte hain hamare mind mein baithe hain hamare hriday mein baithe rahte hain vikrant ji Prayagraj se Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji sansaar mein kisi ke dwara aapki galti na hone par bhi kisi ke dwara aapko uski saja dilai jati hai to aise se insaan ko safai deni chahiye ya yadi safai na den to apne antarman mein uthte dwaand ko kaise shant karen?

aur apna kahin na kahin koi ashubh praarabdh hai jo apne ko girama chahta hai [gala saaf karne ki aawaz] purv ka jaise jis point pe aapki ninda ho rahi hai ya aapko giraya ja raha hai us point mein aap bilkul karekta hai lekin satya maniye ye koi praarabdh bhog hamara purv ka paap ka karm hai jo mujhe dand de raha hai agar wo mujhe dand na de to andar dwaand na chale andar bhi jalo aur bahar bhi uska kasht bhogo kyonki koi aisa paap hai jiska dand nahi mila aur wo akar hamen gira raha hai. To ismen hamen andar se vichar karna chahiye ki mera hi praarabdh hai.

agar aapka praarabdh nahi hoga aur aapko koi nicha dikhana chahe pura shadyantra rach le to aapke andar khushi rahegi. Wah praarabdh na hone ke karan aapka koi aparadh bhi nahi hai aur purv aparadh bhi nahi hai aur aise hriday jalenga aur dwaand hoga ki maine to paap kiya nahi hai. Maine galti ki nahi aur aapko nicha dekhna padega. Yadi wah paap hai to aap bilkul puri safai pesh kijiye. Phir bhi aapko nicha dekhna padega. To wo yah jankar ke bhog lena chahiye ki mera hi koi purv praarabdh hai. Aur agar nahi hai to aap maun rahie.

apne aap prakashit ho jaoge. Aap aapko safai dene ki zaroorat nahi padegi. Apne aap samne wale ko bhagwan nicha dikha denge jo aapko nicha dikhana chahta hai. Par kabhi-kabhi aisa hota hai ki jaise kai hamne paap kiye jaise bahut janmon mein bahut se paap ho jaate hain. Na us kanuni dand mila aur na bhagvatik dand mila. To wo paap waise surakshit badhta rahta hai aur hamko aisi jagah phansata hai jahan ham nirparadh hote hain. Par wo hota hamare paap ka dand hai. Ek sajjan purush rahte the to unke ghar ke samne ek swarnkar ka makan tha.

wo apne makan mein hi dukan rakhe hue tha swarnkar ki to uska bahut beimani ka swaroop tha aur wo unke paas jab ratri mein gashta [gala saaf karne ki aawaz][nak se ki jane wali aawaz] dete ate to do karm sarkari karmchari unhin ke paas baithe khate pite raat mein wahin shayan karte ab unko dhire-dhire mitrata ho gayi raj karmchariyon ko pura pata chala kaun se box mein kahan kya rahta hai kaise ab unka man kharab hua raj karmchariyon ka ki agar iski hatya kar di jae to iska itna dhan to unhone aisa kar diya aur wah box lekar nikal rahe the ki wah accha aadmi jo samne rahta tha makan mein usne dekha to unhone kaha iska matlab hai tum kuch gadbad karke aa rahe ho to unhone kaha dekho ham tumhen box mein jitna hai iska aadha de denge chupchap apne ghar wapas chale jao ham log bhi chup chale jaenge phir subah aake ham sab bana lenge to usne kaha aisa nahi hone denge ham halla machate hain usne halla macha diya aur rajkiy karmchari unko ganit sab pakki hoti hai aur jo hi halla machae

so hi unhone pakar liya usko aur bos ko uske nazdik rakh diya aur kaha hamen pata hai tu mar ke aa raha hai aur bachne ke liye natak kar raha hai ab puri samaj mein yah baat faila di ki isne swarnkar ko mara aur ye box le ja raha tha hamne pakda isliye isne halla bacha diya pura kes ulta ho gaya aur sabko 100% samjh mein aaya aisa hi hai kisi aur wo wo chilla chilla ke kah raha hai lekin uski koi baat nahi sun raha. Mukadma hua jaj ke samne jab khada hua wo to ro diya aur kaha jiski kasam khwa lo yadyapi main phas chuka hoon.

unke paas praman hai. Mere paas praman nahi par main aapse ro ke kahta hoon ki main satya hoon. Is kes mein mere dwara koi paap nahi hua. Jaj ne kaha ki theek hai iska ham praman nikalva lenge. Ek jinda aadmi murde ka show banaya ise usmen aur kaha lavaris lash thi. Ab iska antim sanskar karne jana hai. Un raj karmchariyon ko bhi adesh kiya. Do char logon ko aur kaha aap piche rahie. Ek taraf usko bhi pakdaya jo mujrim tha. Wo gaye jab ekant dekha to kaha kahte the aadha bag swarn le le to bach jaata na fansa diya na ab puri zindagi jail bhogega aur wahan direct wo lagae hue the jisse unko sunai de to usne kaha chahe phansi ho jae lekin ham ismen doshi nahi hai doshi tum log ho aur dekh lena bhagwan tumhen dand denge aisi baat ab jaj ke samne to praman mil gaya ki doshi raj karmchari hai to usne kaha itne dino se main jail bhog raha hoon itne mere dukh aur apman hua ye kyon?

aisa kyon hua? Jaj se kaha, main nirdosh tha. Main chilla chilla kah raha tha. To jaj ne kaha sahi batao. Ham kisi aur janm ki baat nahi puchte. Is janm mein koi aisa paap kiya hai jo gupt ho aur bada ho. To usne kaha haan. Hamari ek premika thi. Hamara manmutav hua. Wo hamare upar prhar kiya. Hamne aise prhar kiya to ham chahte nahi the lekin wo mrit to phir ham apne ghar mein hi gad diya. To bole dekho wo paap ka dand is rup mein tumhare aaya jo gupt paap hamse ho jaate hain jinka na sarkari dand milta hai na bhagvatik dand milte jaise Bhishma pitamah ji chha mahina banon ki saya par hai wo kah rahe prabhu is janm mein to bal brahmachari aapki bhakti karne wala koi dosh nahi phir chha mahina banon ki saya par aur main kai janmon tak dekh raha hoon bhagwan ne kaha 100 janm ke baad ka yah paap hai to ham logon ke bahut janmon ke papon ka kram chal raha hai.

jaise 11 varsh se Baba ji hain. Bhagwan ke marg mein chal donon kidney phayl hai. Ab kya hai? Ye purv janm ka koi paap hai jo hamko dand de raha hai. To ab is janm ka jo bhajan hai wo hamari vyvastha ki hui hai ki hamara bhajan bhi chal raha hai. Aur bilkul agar ham sansaar mein hote to kya durdasha hoti? Aur bhagwan mein hai to na paise ki chinta hai na doctor ki chinta hai. Ye kyon hai? Ye bhagwan ki sharan mein tabhi to hai na to hamare bhajan ka hamari sharanagati ka yah hai aur purv ke paap ka yah hai to hamko vivek ke dwara pata hai ki sharir badte rahte hain jeevtma to wahi hota hai na to jo karta hai karta to wahi hai na man lo vardi badal jae aap pajama kurta mein aa jao pat shirt mein aa jao aap kisi bhi to aap to aap hi hai na to agar dand ya accha kam kiya to puraskar ya tiraskaar aapko hi milega kapde se koi matlab nahi hota to yah kapda hai.

purush ka kapda hai, stri ka kapda hai. Pashu pakshi ka kapda hai. Yah vasa jeerna yatha gita mein bhagwan ne kaha to yah sharir hamara naya hai. Lekin ham bahut purane hain. Anekon janmon se ham karm karte chale aa rahe hain. Wo hamen hamen dhairya purvak rahna chahiye aur bhagwan se prarthna karni chahiye ki hamen itna sahas do. Mana ki mera hi karm koi hoga. Par mujhe itna sahas do ki main bina [nak se ki jane wali aawaz] vikar ke andar se sah jaun aur age badhun aur naam jap karte hain aap maharaj aise to nahi baat nahi karna padega manushya jeevan vyarth ho jaega naam jap ye pad kitne din rahega vichar karo ye sharir kitne din rahega purv mein punya bhi bana na to aap aise pad par aae aap hamare bharat ki seva mein hai ab aapko aisa banna chahiye ki isse bhi age pad hai na ki agar hamara manushya janm ho to ham bharat ki un pado par pahunche jisse ham adhik se adhik samaj ki seva kar sake.

kabhi bhi bhay ya pralobhan se kisi nirdosh ko dand mat dena aur doshi ko bakhashna nahi. Isi kartavya ki puja ko bhagwan ko samarpit karna aur naam jap jitna man mein ave ham kah rahe paisa to lagta nahi naam jap mein na jaise aap aise ho Radha Radha Radha Radha Radha Radha aap khud dekhna aapko shanti mil jaegi. Aapki buddhi praveen ho jaegi. Aapka atambal badh jaega. Aap naam jap jo priy ho Ram Krishna hari jo naam priy ho aapko wo naam jap kijiye aur har ghante mein apne ek ek ghante ke samay ko shri krishnarpanamastuu he prabhu ek ghante mein jo bhi hamari sansarik seva hui wo main aapko samarpit kar kuch din karke dekh lijiye phir aap hamen bataiega ki har ek ghante ko bhagwan ke charnon mein samarpit kijiye naam jap jitna ban sake kijiye koi nasha to nahi hai bas phir aap dekh lijiega aur kabhi bhay ya pralobhan mein mat aiega.

hamari yah baat ganth bandh lena. Kabhi pralobhan mein mat ana. Jo bharat sarkar de rahi hai usi mein namak roti khana aur apne adhikar [nak se ki jane wali aawaz] ka shasan purvak palan karo. Apne dwara kabhi koi galti na hone paye. Dekho aise singhwat chaloge aur chand rupaye mein agar aapki baat open ho jati hai to zindagi bhar aap kabhi aise nahi chal sakte. To wah rupya kis kam ka jo hamen itna jhuka de, raund de. Hamko apne sammaan se chalna hai. Kabhi pralobhan mein mat phasna aur kabhi bhay mein mat ana. Koi bhi adhikari bade se bada adhikari yadi aapke dwara galat karana chahe aur bhay de to hamari vardi bhale utar jae lekin ham galat nahi karenge.

to bhagwan yahi vardi thodi hai. Wo aur position de denge. Isliye dharm purvak chalna aur bhagwan ka naam jap karna. To dekho aapko antarik anand milega. Bina antarik anand ke ham khali rahte hain. Bas man chintan karta rahta hai. Aur yah man agar khali raha aur zyada chintan karne laga to ye depression ki taraf le jaata hai. Agar negative zyada chintan banne lage na nakaratmak to ye dimaag ko pareshaan karke depression mein bhi le ja sakta hai. Isliye isko khali mat rakho. Radha Radha Radha koi bhakti ka bahari lakshan nahi.

andar hi andar naam jap karo. Dharm se chalo aur koi vyasan nahi karte. Bahut badhiya jeevan bhagwan ki bahut badhiya aradhna ban jaegi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…