bhakt-vesh dekhkar log hamari tulna bhakton se karne lagen, to kya karen?
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
sonali ji chandigarh se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji mera prashn yah hai ki aksar vaishnav vesh dekhkar parivaar wale bade-bade bhakton se kampeyar karne lagte hain bade-bade bhakton se tulna karne lagte hain hamari ki tum Meera bhai jaisi ho us wakt man mein itna vichlit hota hai ki jin bhakton ki ham charan raj bhi nahi hai unke barabar mujhe rakh ke us wakt mujhe kya karna chahiye haan bilkul aise hi bura lagna chahiye andar se aaj ka satsang suna jab kisi ka bhajan badhta hai to ye badhai namaskaar pranam ye sab us samay andar hi andar ki he bhagwan mujhe sammaan se bachao he nath main in mahapurushon ke charan dhul bhi nahi hoon aur ye kaisi baat karte hain to sansari jan hai ye hamare marg ke badhak log hain.
sammaan kalyat ghor garlam nicha apmanam sudha shri Radha murleedhro bhaj sake Vrindavan mat sammaan ye ghor vish hai sammaan vish hai bahut bachna chahiye aap to avatar ho aap to bhagwan ho aap to sarkar ho aap ye sab narak jane wali baten hain. Bhagwan sirf bhagwan nahi hai. Dusra koi bhagwan jaisa nahi ho sakta. Jaise samudra mein trange lakho hain. Samudra lakho trange paida kar sakta hai. Lekin ek tarang samudra nahi paida kar sakti. To jitne bhi vishv brahmand mein mahatma hain, bade-bade bhakt hain ye bhagwan ki tarang hai.
bhagwan hai samudra aur tarang hai sab sant jan sab charachar jagat. To bhala socho koi kitna bhi tejasvi ho surya ki samanta kar sakta hai kya? Aap ek vichar karke dekho ek bhagwan hai surya narayan inki samanta koi kar sakta hai yah apne tej mein jab hote to bhasm kar den ye to apne tej ka savran karke prakashit hote to dekho pasina pasina sab aur sab pura charachar jagat prakashit ho jaata hai to shri Krishna chandra ji ke nakh ki jo kant hai wo shastr koti surya samprabha hazaron karodon suryon ke saman tej hai wo to apne bhakt par kripa karke apne tej ko chhupakar tab darshan dete hain.
nahi to bhagwan ka jo vastvik swaroop hai aaj tak koi anant hai unka par nahi pa sakta. To aise hi ham vichar karen ki jo bhagwan ke bhakt hain wo kitne mahan hai jin aise bhagwan ko jo apne prem ke adhin kar liya. Ham to unka naam jap kar len. Unke agyaa ke anusaar chal len. Yahi bade bhagya hain. Jahan thodi bhakti hui to are ye to bade bhagat hain. Are ye to bade bhagwan hai. Ye to bhagwan ki samanta koi nahi kar sakta. Ham unke das hain. Aur bhagwan ke bhakton ke ham daso ke das hain. Hamen aisa bhav rakhna hai aur kano mein jo aise shabd pare to anguli dal le.
agar aise samjhe ki anguli dalenege to uphash karenge to man hi na de. Are sab bekar ki baten hain. Ye kahan hamari samarth Meera ji jaisi narsi mehta ham ban sakte hain waise hi kyonki ham bhagwan ke ansh hain. Ham bhagwan ke anus waisi bhakti kar par abhi hamari kahan waisi bhakti hai hamko apne mein dainya lana chahiye kahan wo akash aur kahan ham jo jamin se ham akash ke bauna purush akash chuna chahe to chu sakta hai kya to ab jaise narsi mehta ka jo samarpan Meera ji ka jo samarpan in bade-bade mahapurushon ka hamara samarpan kahan hai kis koti ke hain ham to inka jas ga ke inke naam pe ji rahe hain aisa vichar karna chahiye ki in bade mahapurushon ki kripa mein ham ji rahe hain.
inka jas gakar ham apna jeevan bhagwat marg mein chala rahe hain. Hamari kshamta unki samanta karne ki thodi jaise ek surya ki samanta tribhuvan mein koi nahi kar sakta. Ratri mein pure vishv mein light faila di jae. Bade-bade daval laga diye jae to kya din ho jaega kya? Lakh upay kar lo. Surya ke bina din nahi ho sakta. To jaise bhagwan ki srishti mein surya advitiy hai unke saman koi nahi ho sakta. Aise ye mahapurush advitiy hai. Hanuman ji ke saman hanuman ji Bhishma ji ke saman Bhishma ji samjh rahe ho na?
bade-bade jo siddh mahapurush hai unke saman wahi hai. Dusra koi nahi ho sakta. Adwateey mahapurush hai bhagwat prem. Meera ji ke saman koi hua hai kya? Haan waisi bhakti karne ki bhavna hui. Lekin Meera to advitiy hai na. Narsi ji to adwati hai na Tukaram ji to adwati hai na ye sab aise mahapurush to ham in sabka jas ga ke unke batae marg par chalte hain hamen dainya rahna chahiye koi hamari bai kare to usko dekhna chahiye hamen girane wala aadmi hai sammaan kalyat ghor garnam jab koi sammaan de to samjhna chahiye hamen vish pila raha hai ye hamko gira dega aur jab apman kare to aandit hona chahiye ki hamara ye apman bhagwan se jod raha hai jaise hamen koi kah raha hai nich pakhandi dusht pusht to ham bhagwan ki taraf ki dekh lo bhagwan ham jaise bhi hain aapke hain aur jab koi kahta hai sammaan deta hai to dehabiman pusht hota hai ham bhagwan se vimurkh ho jaate hain isliye sammaan ko vish kaha gaya hai aur nich purushan dwara kiya hua apman amrit kaha gaya hai kyonki jab apman hota hai ninda hoti hai to sidhe bhagwan mein chittritti aur jab sammaan hota hai yash kirti hoti hai to deh abhiman apne mein gun abhiman aata hai to isliye sadhak ko savdhaan rahna chahiye
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
- agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
- ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
- jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
- ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…