॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ekantik vartalaap evam darshan #1397

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

vijay kumar ji Rajasthan se Radha shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke bal se dincharya nit nirantar achhche se chal rahi hai wo shri ji saath hone ka samay-samay par anubhav bhi karati hain kintu iske saath hi upasna karte samay jo man mein vikar utpann hote hain unse baki sab vikaro ko to aapki kripa se sambhal pa raha hoon. Lekin bar-bar man vikar utpann nahi hote. Vikar jo hamari chip mein bhare wo delete hote hain. Man rupi ek aisi chip hai jismen karodon janm ki baten bhari. Karodon janm ke.

aap jitna jitna gyan prapt karenge to aapko bhut bhavishya vartman ka utna gyan hota chale. Dekho maya ka kam hai parda dalte rahna. Abhi ham poohe parso dopahar ke aapne kya khaya? To aapko sochna padega parso dhire se lautoge agar poohe ek mahine ki ek tarikh ko aapne kya paya asamabhav hai bata pana bilkul nahi dekho isi janm mein ham maa ke garb mein 9 mahine rahe ek second ka bhi hamen gyan nahi ki kaisa anubhav ho raha tha maa ke garb mein isi janm mein ham rahe hamen gyan nahi ki ek second ka bhi kaisa hamen anubhav ho raha tha aise hamari smriti lupt hoti jati hai anek janmon ki gandi adte, achchhi adte sab usmen bhari hai man mein.

jab ham bhajan karte hain to niklti hai kyonki nirmal man jan so pava. To agar ham bhajan na karen to bharti rahti hai. To jaise seesi camera apne aap sab kawar karta rahta hai. Aise man netr ye milkar ke shravendra wakendra mein sab gandagi bharte rahte hain. To hamen jab bhar raha hota hai tab pata nahi chalta hai. Jaise yahan kuda kab bhara pata nahi lekin abhi khade ho aur sone lagao to kuda nikelte dikhayee dega. Ate kuda nahi dikhayee diya. Aise hi hamare man mein kab kuda aaya hamen pata nahi chala. Ab jab ham bhajan mein baithe to wah shuru ho raha gandi gandi baten prapanch ki baten bade galat sankalp to usko lagta hai aisa to bhajan nahi karte the tab nahi tha jab se bhajan shuru kiya itni gandi baat kaise matlab mahan gandi se gandi baat aayegi wo aa nahi rahi hai wo janm janmantro ki man mein bhari hui chip hai wo nikal rahi naam pahru divas nish dhyan tumhare ka ab raat din naam ka phra to aa to sakti nahi gand gandagi aur andar gandagi tik nahi sakti kyonki naam bhagwan chal rahe hain to wah nikal rahi hai bar-bar.

ab jaise ek bar kam ki baat nikli dusri bar phir wahi kam ki tisri bar phir wahi kam ki to sochta hai delete kab hui? Kah rahe the delete hui. Agar ek arab message hai kam ke to ek arab bar aayega. To hamare man mein jyadatar gandagi bhari hai to hamen dhairya purvak bhajan karna chahiye. Bahut jaldi jaldi delete hote sab ja rahe hain aur jahan man nirmal hua to bhagwan ki prapti ho jaegi. Naam japne wale ke andar vikar ja nahi sakte kyonki naam paharu divsis naam ka phra hai wo vikar nikal rahe hain to aapko bhi anand milega jap karte samay dekho ye nikal rahe hain.

aap use soch rahe ho aa rahe hain aur aap ladne lage to aapka chintan kamzor ho gaya. Wo tik gaye. Aapko ladna bhi nahi. Buri se buri baat ko bas dekhna hai ki nikal rahe usmen ras nahi lene lagna man mein puri film bhari hai. Aap dekho na main chitra sahit dikhega. Agar rasgulla ka chintan hoga to main swad se hi to kabhi zindagi mein jo paye ho to us din us tarikh ke swad ko lakar dikhega. Dekho kya aao khao rasgulla chodo mala wo kahega ki chodo mala rasgulla aap chup raho kuch bolo na dastakhat karna hai haan na chup radhav se Radha vallabh nikelte chale ja rahe hain Radhavallabh ye anubhav ki baat kah raha hoon ye padhi likhi baat nahi kah raha hoon ye nij anubhav ki baat kah raha hoon wo nikelte chale ja rahe hain tabhi man nirmal hota hai bhajan karne se dhire dhire dhire dhire man nirmal hota hai dekho uski pehchan ye hai ki jab bhajan nahi karte the.

ek minute mein man bhagwan mein nahi lagta tha. Aaj bhajan karte ho to aaj aap satsang ki baten samjh rahe ho. Man bhagwan mein lag raha hai. Aur aap pahchanane lage ki yah man ganda hai aur yah man ka part accha hai. Yah salah iski gandi hai aur yah iski achchhi hai. Pehle gande karya ho jane par ek abhiman jagrit hota tha. Aaj ganda kam ho jane par aapko rona aayega. Jalan hogi. Bahut bada pavitra ho gaya man. Aur pehle hota tha ki aaj maine yah karya kar liya. Ab agli bar yah karenge. Usmen ek utsah aur garv janit ahankaar janit baat aati hai.

maine ye bhog bhog liya. Maine ye karya kar liya. Aaj agar anand purvak bhogne ki baat kaho to anand nahi rah jaega. Bhog bhi ho gaya to jaloge aur rooge. To wo galti jab jiske prati dukhi hoge wo dobara bahut kam karke aayegi. Aur agar aur dukhi ho gaye to ana hi band ho jaegi. Jab ham harsh thokar bhogte hain to hamare ghar mein adda bana leti hai. Hriday rupi ghar mein wah vasna adda bana leti hai. Wo bar-bar vikshep dalti hai. To bhajan karne se hamari vasnae nasht hoti hain. Aisa hamen anubhav karte hue bhajan karna chahiye.

ji ravikant Shri vastava ji Varanasi Radhehe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji paramatma ka ansh hokar bhi manushya se galtiya kyon ho jati hai aur in galtyon par nirantar kaise sambhav hai? Kyonki wah paramatma ka ansh apne ko man kahan raha hai? Wah to apne ko manav man raha hai. Purush man raha hai. Sharir bhav hai. Wo paramatma ka kahan chintan karta hai? Na paramatma ke ansh ki swikrati hai. Swikrati to hai ki main purush hoon. Bhai prakriti ka ansh hai. Paramatma ka ansh thodi hai. Kiska prashn hai?

to samjh pa rahe hain aap? Manushya to nimit matra hai. Us nimit matra ban rahe ho. Tum imandari se ho nimit matra ki karta ho. Tum karta samay ya nimit matra ho karta hai to phir bhogna padega tumhen nimit matra ban jao to abhi sab kam ban jae nimit matra keval nimit matra bhav Sachin main karunga tu keval mein pratyancha chadhai main sab karwaunga bhagwan kah rahe na aap main kar rahe ho aap swayam kyonki agar yahan jhooth bologe to durgati ho jaegi yahan koi prapanch ka sthan to nahi hai na yahan prapanch se nivraat hone ka sthan hai to andar se dekho aap swayam sankalp karte hain.

aap swayam karmon ko karte hain. Aap swayam bhogon ko bhogte hain. To aap nimit matra nahi hai. Aap karta aur bhogta hai. To ahankaar vimudh atma bhagwan ke vachan hai. Karta manyate aur wo ahankaari ko phir uske karm ke anusaar durgati ya sadgati hoti hai. Shubh karm karega to swarg lok jaega. Ashubh karm karega to nark lok jaega. Shubh ashubh mishrit honge to mrityu lok aayega aur shubh ashubh donon ko mita de to bhagwan ki prapti ho jaegi. To ham log nimit matra kahan hai? Agar nimit matra ban jae to jaise rahat chal raha hai jhule mein to jhula chal raha hai.

aap keval baithe hain. Sari prakriya to jhule se ho rahi hai na. Wo rahat aise se chal raha hai. Upar niche aa ja raha hai. Ab usmen aap vyarth ko apna man lenge to aapka vyarth hi ahankaar hoga. Prakriti ke sanchan ke jhule mein aap jhool rahe hain. Kabhi satogun kabhi rajogun kabhi tamogun. Satogun ka aaya to satvic bhav. Rajogun ka aaya to rajsik bhav. Tamogun ka hai to tamsik bhav. Lekin aap yah nahi man rahe hain ki maya ke gunon ke dwara prerit hokar yah kriyaen ho rahi. Aap man rahe hain mujhe gussa aaya.

ye maine khaya, ye maine piya, ye maine kiya. Hai na andar? Isi ka parinaam bandhan hota hai. Isi ka parinaam durgati hoti hai. Yah chhod de bas itna hi to janna hai. Nimit matra. Itna hi jisko anubhav ho gaya ki nimit matra keval hai. Sara khel prakriti se ho raha hai. Maya se to jeevan mukt ho gaya. Wo vishyan grahan munch hua. Wo vishay bhog yaag de koi fark nahi parta. Wo pure srishti ka sanhaar kar de to koi fark nahi parta. Kyonki wah to nimit matra hai. Jo kuch ho raha hai ho raha hai.

bura ho raha hai ya bhala ho raha hai. Gunon ke anusaar ho raha hai. Gun maya se prerit hai. Maya brahm se prerit hai. Aap nimit matra hain. To jeevan mukt ho gaye. Lekin aisa nahi hai. Ham karta hain, ham bhogta hain. Ham sukh lete hain. Ham sukh dekhte hain. To yah sab phir prapanch hai. Isi se to nivraat hone ke liye hai. Jaise nimit matra mein aata hai. Bhagwan ki satta ke bina ek patta bhi nahi hil sakta. Hai na? To aap ye kab sochte hain? Aap ye kab sochte hain? Keval pravachan bolne mein bol diya.

aap sochte hain kabhi? Har samay yah baat dekh rahe hain ki ho raha hai. Main to keval drashta hoon. Main to keval nimit matra hoon. Sab kuch ho raha hai. Radha Radha Radha Radha Radha sab ho raha hai. Abhi tum atma ban jaoge. Andar se mahatma ban jaoge. Keval ek baat pakar lo. Main nimit matra hoon. Sab paramatma ke dwara karaya ja raha hai. Main ek nimit matra hoon. Sab paramatma ke dwara karaya ja raha hai. Bar-bar tumhara ye chintan chale to na kam ka chintan na krodh ka chintan. Kam krodh ka jab chintan hota hai tab galat kam hote hain aur jab nimit matra ban jaoge paramatma ke dwara chalaya ja raha hoon main paramatma ka ansh hoon to phir ye sab baten hi nahi rah jaenge aap mahatma apne aap ban jaenge to ham log kya karte hain ki Shastri kisi ek baat ke point ko pakar lete hain aur uske nirnay ko to samjhte nahi to jahan ham sant sabha mein baat bolenge to pheeki par jaegi nahi baat yahi satya hai ki sab nimit matra hai teen gunon se prerit hokar maya ke sampurn jagat ke karya ho rahe hain aur sampurn maya ko prerna dene wala brahm hai.

brahm se prerit maya maya se prerit trigun trigun se prerit pura charachar jagat brahma Vishnu Mahesh bhi rajogun se prerit hokar wo srishti rachte hain. Satogun se prerit hokar srishti palan karte hain. Tamogun se prerit hokar srishti ka sanhaar karte hain. Ab wah karte nahi hai. Wah prerit hai. Isliye wah bandhte nahi wah ham karte hain shubh karm aapne unko galat drishti se dekha ashubh karm aaj main satsang mein gaya tha aaj main sant se mila tha aaj maine bihari ji ke darshan kiye shubh to ashubh bhi maine kiye to donon ka phal milega na ki moksh kabhi aisa aata hai bihari ji ki ichchha se nimit matra bana unke darshan ho gaye bihari ji ki ichchha se satsang gaye satsang ho gaya nahi aap satsang nahi bhagwan ne phir har jagah bhagwan ko lagana dekh shuru kar do abhi aap dekho jeevan mukt hone lagoge to har jagah bhagwan nahi hai kyon isliye isliye ham log jo hai kachu gyani hai sache gyani ho jae to baat aisi hi hai ki jaise ek train mein aadmi baitha tha wah daud raha tha dibbe mein to usse logon ne pucha bhai teri kya samasya hai?

tu baith ja. Kaha mujhe amuk station jaldi jana hai. To bole train chal rahi tu baith ja. Tu baith ja. Train chal rahi hai bas kalchakra chal raha hai. Tu baith ja bhagwan ke charnon mein. Unko jab jo karvana sab vaisa ho jaega. Lekin ham log aise nahi hai. Imandari se hai. Ham karta hain. Ham bhogta hain. To isiliye ham ko bandhan prapt ho raha hai. Aur karta bhogta bhav hat jae to hamara koi bandhan nahi. Kabhi kisi bhi tarah ka bandhan nahi. Jeevan mukt the. Jeevan mukt ho aur jeevan mukt rahoge. Bhagwan ke ansh ko koi bandh nahi sakta.

wo swayam fansa hua hai. Bandh kir markat ki nai. Goswami ji ne kaha hai ki jad chetan granthi par gayi yadyapi mrisa chutati kathinai jad chetan ki aisi granthi par gayi yadyapi granthi par hi nahi sakti mrish par chhutat kathinai bandh kir mar kathinai jaise tota hai usko pakdne ke liye ek aise pol dal diya jaise pol ka matlab pankha ghumane wala hath wala pankha mein aise karo na to ghumta hai wo pol aur upar lasa koi gond taip rakh ke us pe dane chipka diye aur wo aake jo hi aise baitha dana chunne ke liye sola ghum gaya ab wo aur jor se pakar liya agar wo

chhod de to mukt hai par wo chhod na wo sochta hai agar main chhoda to mar gaya kyonki ulta tang jaata hai na wo ghum gaya pola wajan pa ke to bandhe kir agar wo chhod de to ud jae ab aise matki mein chhuare bhar diye ya dan chana bhar diye aur bandar lobhi jat aise donon hath dal ke aise pa ab wo nikal nahi raha bandhu ki markat kinare agar wah mutti chhod de to nikal jae lekin wah samjhta hai mujhe kisi ne pakar liya aise upay karega aise nahi karega aise hi ham log hain stri putr parivaar sharir sabki mamta bhog nana prakaar ke makan dhan vivid prakaar ke aur inko pakde panch gnyanedryo ke dwara shabd sparsh rup rasgandh sansaar rupi matke mein to kal rupi baheliya aata hai aur mar karke hamko chala jaata hai.

nahi to ham hamen koi nahi pakde. Batao kaun pakde? Ham khud pakde. Hamne sharir ko apna mana, sharir sambandhi ko apna mana, bhogon ko apna mana. Yahi hamara bandhan hai aur yahi nipat ho jae ki yah to sab chal raha hai. Aap keval nimit matra hain. Itna aapko andar gyan ho jae aur aap har samay bhagwan ke chintan mein dekh rahe ho raha hai to aap nishpap mahapurush ho jaenge. Aapko koi bhi dand nahi milega. Chahe jeev mar jae, chahe jeev jae, chahe bada punya ho jae, chahe bada paap ho jae. Aapko kuch nahi bhogna padega.

tabhi to jeevan mukt ho jaata hai wo. Jeevan mukt mahapurush ke punya paap nahi bante hain. Apne baenge kyonki apne ahankaar se yukt hain. To wah andar wala mit jae. Juban se bhale kuch ho jaban se aap bolo maine kiya lekin andar se aapke chal raha hai ki ye sab to bas phir wo aapko bandhan karak nahi hoga. Abhi hamara jaban se hai andar se hai ki main dekho darpan mein dekho to lagta hai main hoon. Bas yahi bandhan hai. Yah bandhan kat jae to aap paramatma swaroop hai. Aap kabhi apne swaroop ka chintan hi nahi karte.

aap apne swaroop ka chintan kabhi karte hain kyonki aapne apne ko jana hi nahi. Keval suni baat kah rahe hain ki aap paramatma ke ansh hain. Hai na? Aur jab aap jaan jaenge apne ko to paramatma ka ansh nahi hai. Aap paramatma hi hai. Gangajal chahe ek chamach ho to Gangajal hai, chahe ek tanker ho to Gangajal hai. Aur chahe ek dhara ho to Gangajal hai. Gangajal to Gangajal hai na. To purnamda purnamdam purnat purn mudte purnas purnamaday purn mevashishyate wo paramatma purn hai to uska avshishya jo hai ansh jo hai wo bhi purn hai ishwar jeev avinashi chetan amal sahaj sukh rashi sahaj sukh rashi paramatma swaroop hai wo usko kuch nahi chahiye wo apta kam hai lekin ham wahi apta kam hote hue bhi sharir rag ke karan kamna se ho gaye.

sharir rag ke karan hi hamari durgati ho gayi. Hamen jo sharir milta hai usi ko apna swaroop man lete hain. Sharir milte jaate hain. Karm bante jaate hain. Bichhadte jaate hain. Phir sharir mein punarpi jannam punarp maranam punarp janani ja ye chakra chal raha hai. Ab gyan ho jae is baat ka aur kartva bhoktatwa mit jae to jeevan mukt ho gaya. Isiliye sataarg hai. Isiliye adhyatma hai aur ye bhajan ke bina hoga nahi. Keval buddhi ke vichar se nahi hoga. Bhajan hona chahiye. Khub naam jap karo. Bhagwan ka naam jap karte ho?

haan. Khub naam jap karo aur paropkar karo. Aur koi paap karm na banne pave. Aur yahi vichar rakho ki sab yantravat chal raha hai. Mere kuch sambhale nahi sambhlega. Mere kuch banae nahi banega. Yah prakriti ka pravah chal raha hai. Main to paramatma ka ansh hoon. Thoda-thoda chintan karo aur naam jap karo. To dekho dhire-dhire andar hi aapko prakash samjh mein aa jaega. Gali mil jaegi jahan aap apne swaroop mein pahunch jaenge. Paap ho jaata hai. Anubhuti hoti hai baad mein lag kar rahe hain. Yah pata nahi chalta ki ham ye paap kar rahe hain.

haan. Kyonki kamna us samay hoti hai na jaise hamari kamna bhookh se pidit ho tab hamko kuch nahi sui dega. Pehle bhojan chahiye. Aise jab kam ki vyakulta hoti hai tab kuch suva nahi. Wo kam bhog ke baad nirnay karo baith ke ki paap tha ki punya tha. Us samay to kamna ka bhut savar tha. Usne ghar bithala aur kamna ka bhut hota hai sukh bhogne ki ichchha. Sukh ke liye hi sari cheshta kamnayen hoti hain. Aur sukh hai paramatma mein. Ham use prakriti mein aropat karte hain. Isliye aaj tak nahi sukhi ho paye.

prakriti ka bar-bar bhog karte hain. Sukh to milta nahi. Aur ichchha hai hamen sukh ki aur wah hai paramatma mein. Paramatma se ham vimurkh isliye kabhi sukh nahi mil paya. Aaj tak jab se srishti hui bhogte hi chale aae. Agar ham yah vivek dharan karke aur apne ko mode aur paramatma ki taraf mode to abhi sukh ka anubhav hone lagega. Par paramatma se vimurkh hai ham. Sanukh hoe jeev moh jab janm koti y nash ta bhagwan ke karodon janmon ke paap nasht ho jaate hain. Jab jeev bhagwan ki sanukhta prapt karta hai. Isliye bhagwan ke sharan mein ho.

bhagwan ke pavan leela kathaon ko shravan karo. Khub bhagwan ka naam jap karo, naam kirtan karo aur logon mein bhagwat bhavna karke unki seva karo. Mata pita kabhi kisi ki seva mil jae to jarur karna chahiye. Usse sharir pavitra hota hai. Vandna Mishra ji chhattisgarh se shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji aapke shri mukh se yahi jana hai ki maya par vijay vivek ke dwara prapt kiya jaata hai. Gurudev premi bhakt aur viveki bhakt mein kya antar hai? Premi na maya se tarna chahta hai na kisi dukh se bachna chahta hai.

wah keval bhagwan se pyar karna chahta hai. Usmen kamna rahit hoon. Kisi bhi tarah ki koi kamna nahi hoti. Lekin viveki purush vivek ke dwara asat ka tyag karke sat mein sthit hokar moksh prapt karna chahta hai. Premi aur viveki mein antar hai. Viveki ko apna bal hai aur premi ko bhagwan ka bal hai. Premi sirf bhagwan se pyar karna chahta hai. Uska bar-bar bhagwan ke charnon mein yahi vinay bhara pukar rahti hai ki dharm na arth na kam ruchi gati na chah nirvaan janmjanm rati Ram pad yah vardan prabhu mujhe na arth chahiye na dharm chahiye na kam chahiye na moksh chahiye mera bar-bar janm ho par aapke charnon mein anurag ho wo moksh nahi chahta wo dukh dukh nivitti nahi chahta.

bhagwan se prarthna nahi karta. Mere dukh ko nivaran kar do. Mujhe sampatti de do. Mujhe man pratishtha de do. Mujhe sansarik sukh de do ya parloulik sukh de do. Wo keval bhagwan se hi chahta hai. Janam janm rati Ram pad yah vardan. He bhagwan aapke charnon mein bar-bar hamari yahi prarthna hai ki main apne karm vash kahin bhi janmu lekin har janm main aapse prem karun. Aapka naam jap karun, aapki bhakti karun. Yah premi janon ki maang. Viveki hota hai asat ka aur sat ka gyan rakhne wala. To jitna bhi sharir aur sansaar asat hai iska wo tyag karke wo moksh chahta hai.

wo mukt hona chahta hai. Lekin premi mukt hona nahi chahta. Wo bar-bar janm ho lekin bhagwan main aapka naam jap karun. Aapka naam kirtan karun. Aapki leela katha sunun. Aapke prem mein roun, aapke prem mein tadpu. Yah bhakti premi chahta hai. Maharaj ji bhakti gyan ka hetu hai ya gyan bhakti ka hetu? Aap donon ek dusre ke purak hain. Sadharan gyan se ham bhakti ki taraf chalte hain. Sadharan gyan yah shraddha se prakt hota hai. Shraddha se jab ham pratham bhagat santan kar saan jab ham pehle satsang sunte hain to hamko gyan hota hai ki yar yah nahi karna chahiye.

mere se to bahut galtiya ho gayi. Bahut paap ho gaye aur yah karna chahiye wo to maine kiya nahi. Na bhajan kiya na sadhna kiya. To yah gyan prapt hua na ab wo sadharan bhakti mein pravesh paya jo sadharan bhakti se phir prem lakshna bhakti ki taraf asdhran bhakti ki taraf badhta hai tab use vishuddh gyan ho jaata hai. Donon ek dusre ke purak hain. Jaise vriksh ke bina bij nahi, bij ke bina vriksh nahi. Samjh rahe hain na? Aise gyan ke bina bhakti nahi, bhakti ke bina gyan nahi. To donon ek pehle sadharan gyan asdhran bhakti phir asdhran bodh janat tumhen tumhen ho jae wo brahm swaroop bhagwat swaroop ho jaata hai jo bhagwan ko janna chahta hai pana chahta hai jahan bhakti shuru ki to soi jane je dev janai janat tumhen tumhen ho wo bhagwat swaroop ho jaata hai to na gyan kam hai na bhakti kam hai donon avashyak hai.

jaise gyan ke dwara ham aapko jana aap kaun hain? Aapki mahima kya hai? Aapka swabhav kaisa hai? Yah janna gyan hua na. Ab ham aapse pyar karte hain. Yah bhakti hui. To bhagwan ko janna gyan hai. Aur phir jaan karke hi to prem hota hai. Hamare bhagwan itne mahimashaali hain. Hamare bhagwan itne karunamay hain. Hamare bhagwan ham par bahut daya karte hain. Kripa karte hain. Hamare bhagwan har jagah hamari raksha karenge. Yah sadharan gyan hai. Yahan se bhakti prarambh hoti hai. Jab bhagwan ki aradhna hoti tab yah gyan ho jaata.

sab mein bhagwan hai to yahan bhi bhagwan hai. Sarvatra bhagwan hai to hamare paas bhi bhagwan hai. Sabke bhagwan hai to mere bhi bhagwan hai aur wo bhagwat swaroop ho jaata hai. Phir raksha karna bachav paksh ya koi maang iski zaroorat hi nahi rahti. Bhagwat swaroop ho jaata hai. Wo mam darshan phal param anupa jeev pav nij sahaj swaroopa bhakti ka phal hai. Bhagwat sakshatkar hua to jeev apne atma swaroop ko prapt ho jaata hai. Shuddh gyan hai. Wahi brahm swaroop anubhuti hone lagegi. To gyan bhakti parak hai aur bhakti se hi gyan vairagya ka pradurbhav hai.

par sadharan gyan se bhakti bhakti se asdhran gyan doctor narendra dev ji Radhe-Radhe maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji bhakti mati Meera ji ka ek pad hai gali to charon band hui hai main hari se milun kaise jaun unchi nichi raah rateeli panv nahi thahraun aur ant mein kahte hain ki jugan jugan se bichhdi Meera satguru dai milai maharaj ji ismen Meera ji ka kin galiyon ya ghatiyon ki baat kar rahe hain jinme Meera jaise bhakt bhi phaskar apne priyatam se na milne ki vedna se kara rahi hain.

kah kya pad hai? Kah rahe hain ki gali to charon band hui hain. Main hari se milun kaise jaen. Unchi nichi raah rateeli panv nahi thahraen. Jugan jugan se bichhdi Meera sadguru dai milaen. Dekho hamare antahkaran mein char hain. Man, buddhi, chitt, ahankaar. Charon maya mein lage hue hain. Agar charon mein se ek bhi bhagwan mein lag jae to ek gali to khul jae na man bhagwan mein na buddhi bhagwan mein aur na chitt bhagwan mein na aham bhagwan mein charon to band hai. He nath jis antahkaran ke liye aap kah rahe ho man aadat ma buddhim niveesh to na wah man lag raha hai na buddhi lag rahi hai na chitt lag raha hai na aham lag raha hai chalu gali band hai age maharaj ji unchi nichi raah rateeli paam nahi thahrae haan yahan bhagwat marg mein kabhi man bhajan ki taraf chalta hai kabhi bhogon ki taraf chalta hai.

kabhi unchai bhajan ki taraf, kabhi neechai bhogon ki taraf. Man thaharta nahi hai. Jo hamare pair hain usmen tik nahi pa rahe hain. Par Sadgurudev ki balhari ki aisi band galiyon mein aisi unchai neechai ke raston mein bhi unhone jab hamara hath pakda to ghasit liya aur hamko param pad ki prapti karva di. Gurudev ke bina aisi kahin samarth nahi hai. Meera ji ye bata rahi ki mere liye to charon galiyan band thi. Dharm arth kam moksh man buddhi chitt ahankaar aur uncheeneechi vrittiya kabahu to tharo bhajan kabahu hot vishal.

lekin meri to dasha ban gayi Gurudev ki kripa se. Nahi to is maya prapanch se nikal pana bahut kathin hai. Matvala madmasta hathi jaise janjeeron se bandh ke nahi rakha ja sakta. Aisa to man hai. Aisi praveen buddhi hai. Aise hi praveen chitt hai. Chitt sansaar ke chintan mein buddhi sansaar ke nischay mein man sansaar ke sankalp mein ahankaar karta bhogta mein charon galiyan band hai. Kabhi uttam vritti aati kabhi adham vritti aati hai. Oonch nich chalna aur bhagwan ki prapti se vimurkh hone wali hi vrittiya nichi hai.

bhagwan ki taraf chalne wali uttam hai. Lekin man ki dasha hamare hriday ki dasha kabhi to bhajan mein lagta hai kabhi bhogon mein lagta hai kabhi tyag mein lagta hai kabhi rag mein lagta hai ye to sadguru ne bah pakar li to baat ban gayi kyon bhai samjh mein aa gaya na par ji inka ek bhav yah bhi tha ki Meera ji to param bhakta thi wo kya ham jaison ke liye haan ye jo bade bhakt hain wo ham jaison ke man ki dasha ke liye varnan karte wo to shri Krishna ke anurag mein dubi hui unke liye koi baat nahi hai wo to spasht spasht apni sthiti ka varnan karte hain.

jake sir mor mukut mero pati soi mere to Giridhar gopal doosh to sthiti ka varnan kar rahe hain. Ab to bel fail gaye jane sab koi santan dhag baith baith lok laj khoe. Bahut unchi sthiti mein raji ki wo to ham logon ke liye aise bade-bade santo ne dainya bhav prakt kiye to hamare liye prakt kiye. Wo to sthiti prajya hai. Wo to bhagwan ki sthiti mein hai. Mrityunjay pande ji Radha vallabh shri Harivansh maharaj shri Harivansh maharaj ji maharaj ji bhagwan ya satya aur maya aur asatya ka anubhav kya keval buddhi se hi kiya ja sakta hai ya ye prem shraddha aur vishwas ke madhyam se hriday ka gahra aur atmeey anubhav hota hai.

kya satya ko janne ke liye buddhi ki gahrui aur tark avashyak hai? Nahi shraddha avashyak hai. Tark avashyak nahi hai. Shraddha avashyak hai. Gyan prapt karne ke liye ya bhakti prapt karne ke liye shraddha avashyak hai. Shraddha ke baad vishwas avashyak hai. Vishwas jab ho gaya to pratiti mein vishwas hota hai na aur vishwas ke baad jo gyan prapt hota hai wah bhagwat prapti hai. Shraddwan labhte gyanam tatpar aur gyanam labdh do bar gyan shabd aaya na to shraddwan Shastri gyan ko prapt karta hai Shastri gyan sanyam niyam vrat upvas dharm karm kaise karna chahiye to tatpar jo gyan prapt hua uske wo paraayan hua to sante apni indriyon ko antarmukh kiya aur jab indriyon ko antarmukh kiya to phir gyan prapt hua wo anubhav janny anubhav janny jo gyan prapt hua to bole param shanti machre gachati wo param shanti ko prapt ho jaata hai shraddwan labhte gyanam tatpar santendra gyanam labdh param shanti mana gachati bhakti mein Bhawani shankro vande shraddha vishwas rupno yabhyam bina na pashyti siddhantmeshwaram jo hamara ishwar mere hi hriday mein virajman hai.

bina shraddha vishwas ke ham use prapt nahi kar sakte. Tark ki mein jo buddhi ki kshamta hai to buddhi prakriti ki hai aur wo paramatma ke prakriti janny vishyon ki hi charcha kar sakti hai. Prakriti se pare paramatma tatv ko chu bhi nahi sakti. Goswami tulsidas ji ne likha Ram atarka buddhi man bani mati hamar suno Bhawani he Bhawani mera mat hai ki bhagwan shri Ram man buddhi se atarkaneey hai tark ke dwara nahi jane ja sakte to kaise jane ja sakte hain to bole jab shraddha vishwas kiya to soi jane je dev to janat tumhen tumhen ab baat ho gayi maharaj ji vishwas kya buddhi ke karan vishwas hota hai ki vishwas hriday shraddha ke karan vishwas hota hai.

shraddha aur vishwas ka sangam hai. Buddhi aur tark ka sangam. Jab buddhi se ham koi janna chaenge to wo kasauti par kasegi apni. To buddhi prakritik hai. Wo prakriti jan ye kaise bolte hain? Ye kaise chalte hain? Ye kaise khate hain? Ye kya pite hain? Inka kya wo prakriti janny kriyaen dekhegi. Paramatma sthiti to nahi dekh sakti na isliye uska dekhna andha hai. Kisi ki bahari kriya se antarik sthiti ka prichay aap prapt nahi kar sakte. Tab brahm bodh sampann mahapurushon ke darshan kiye unke saath rahe.

sharir ki vishuddh ne aisi brahmaakar vritti hai. Ab log darshan karne aa rahe hain. To unke shishya kapda dal diye. Aise bade vishalka sharir ekdam parmanand Swami ji ladka bitiya bhariya aise baithe bahriya tum kadhi bana lete ho haan maharaj bahut din ho gaye kadhi nahi khaya aap sochoge yahan brahm charcha sunne wale kadhi maang rahe hain ab kaise aap pahchanoge unko ki hamen pata hai ki kitne uchh koti ke mahapurush tumhare gay hai bachchha haan maharaj ji rabri bahut din se nahi paya ab aap socho kya natak kar rahe hain.

natak bhi nahi kar rahe. Aap pehchan hi nahi sakte ki kis koti ke mahapurush hai. Jaise jad bharat ji ko itna bada satsangi rahug jo kapil bhagwan se satsang karne ja raha palki mein baithe bhala jaan paya aur palki mein jot diya divya mahapurush ko to ham bahari prakriti ko dekh sakte hain. Apni buddhi ke dwara paramatma sthiti ko nahi dekh sakte. Paramatma sthiti to shraddha aur vishwas se hoti hai. Par ji shraddha aur vishwas kaise utpann hote hain? Mahapurushon ke sang se jab ham satsang isiliye bhakti ka pratham sopan hai.

pratham bhakti santan kar Sanga. Pahli bhakti kahi gayi. Kyon? Kyonki isi se purnata ho jaegi. Jab ham satsang karte hain na pahli bhakti shravanam suna shravanam kirtanam smrnam Vishnu pad sevnam archanam vandnam dasyam sakhya atma nivedan ye atma nivedan purnata hai to ye kab hui shravan se jab ham santo ke mukh se suna brahmanand bhagwanand bhagwan ki prem swabhav karuna mangal ki baten to hamare hriday mein shraddha utpann hui jab shraddha utpann hui ham satmarg mein chale to kuch kuch kuch anubhutiyan hone lagi to vishwas hone laga samjh rahe hain na haan ismen sahi pooch to buddhi ko bechna hai.

lekin maharaj ji puri padhai likhai sansarik shastr sab to buddhi ko hi prakhar karne mein lage hue hain. Kitna sharpa koi dekh sakta hai? Kitna samjh sakta hai. To iske baad wo kya mukt ho paye kya? Nahi bhai ji hanuman prasad podar ji ka ek pad hamen buddhihin bana do. He jitna daudegi na utna hi phansati jaegi. Maharaj ji kuch samay jaise aap kahte hain mani sankhya laga ke chalte rahe to guru pe vishwas karke ki ham jaise guide kahan leke ja raha hai ham keval vishwas kar rahe hain to chalte rahe lakshya ki prapti ho jaegi yahi iska bhav hai maharaj ji kuch samay matlab apni buddhi ko ek side mein rakh pratham hriday shraddha jo kare acharya jan jae anusare jahanjahan Harivansh ke aur rasikan ki seva jab hoe prit sahit bujho sab koi kaun dharm Harivansh ko kaun sureeti kaun aacharan jab ham shraddha karenge pratham tabhi ham age badh payenge.

bas maharaj ji antim ek sant ke beech mein rahna sant janon ke beech mein rahna ya unki sun ke aur unke sanyam pe rahna kya baat donon ek hi jaisa hai us zyada hai jo sant se dur rah ke aur unki keval agyaa par apna jeevan vyatit kar raha hai. Wah usse zyada hai jo unke nazdik rah raha hai. Kyon? Kyonki nazdik wale ko to virah nahi sataega. Usko to hai ki main inke nazdik hoon. Lekin usko wah agyaa ka palan kar raha hai nazdik wala aur unke sanidhy mein hai to usmen ek kami hai ki use virah nahi vyapt hai.

agyaa ka palan wo bhi kar raha hai. Unke dusra unke sanidhy ka pragat mein anubhav nahi kar raha lekin tadap raha hai. Unki agyaa ka palan kar raha hai. Apne mein kami mehsus kar raha hai. Kaash main bhi Gurudev ka sang kar pata. Main bhi unki charan seva kar pata. 24 ghante unke mukharvind ko dekhte hue unki agyaa ka palan karta usko rona aayega usko tadpna aayega aur isko garv hoga wo age nikal jaega ham videsh mein hai maharaj ji wahan pe ham sabhi apne aap ko yahi koste rahte hain haan bataiye kya haan nahi bhagwan ne brahmin patniyon ko jab Mathura ki ai na to unhone kaha ab to ham aapki sharan mein aa gaye ved aisa kahte hain jo aapki sharan mein aata hai uska kabhi aap tyag nahi karte to bhagwan ne kaha mere samip rahna hi prem ka lakshan nahi hai.

mere prem ki vridhi mere ang sang se jitna nahi hoti utna meri leela katha shravan se naam kirtan se mere dhyan se hoti hai. To ang sang avashyak nahi hai. Avashyak hai unki agyaa ka palan. Agyaa palan mein ang sang ka anubhav hota rahega. Jaise aap mere guru ji ne ye kaha hai. Mere guru ji ne tumhare dimaag mein guru ji baithe. Tumhare hriday mein guru ji baithe aur iske baad ek abhav hai dainyta ek abhav hai ahankaar ka hriday mein danyata ki yar sab kuch to hai par main apne Gurudev ki charan seva aaj tak nahi kar paya aaj tak Gurudev ko bhojan nahi pavaya aaj tak Gurudev ko snaan nahi kar hamare bhagya itne kahan to ye dainyta aur wo bhajan usko age badha degi to ye lage raho bhagwan ne badi kripa ki

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…