॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

pujya maharaj ji ne bhagwat gita padhne ke liye kya updesh diye?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

punit ji, karauli Rajasthan se. Radhe-Radhe maharaj ji, aapke charnon mein koti-koti naman. Maharaj ji, main apni manodsha, adhyatmik vikas tatha mansik shanti ke liye ah Shri madbhagwat gita ko padhna chahta hoon, kintu mujhe iske niyamon ka gyan nahi ki main isko kaise padhun. Kya kyonki kabhi samjh nahi aae. Waise pehle kisi sant se ya bhagwat premi bhakt se ise suno baithkar chupchap. Aur phir swayam karoge to zyada anubhav hoga. Adhyatmik unnati ke liye man shanti ke liye pratham sune bhagwat bhakt mukh bhagwat vani.

bhagwat vani gita ya bhagwat kisi bhagwat premi mahatma se sune. Theek hai na? Agar aisa avsar nahi mil raha to pujya Swami shri Ram Sukhdas ji dwara rachit bahut sundar tika ki gayi hai. Sadhak sanjivni naam hai uska wo kharid lo aur snaan karke ekant mein pehle bhagwan naam jap karo aur phir padho arth sahit vistrit tika hai phir samjh mein aa jaegi sadhak sanjivni tika gita pras se mil jaegi aap usko kharid lo pujya Swami shri Ram Sukhdas ji maharaj naam suna hoga nahi suna haan abhi naye jagat mein aae ho to naam nahi suna wo padhar chuke antardhya ho chuke bade mahapurush the.

gita ji mein aisi sundar tika Swami ji maharaj ne ki hai shri Swami Ram Sukhdas ji ne ki ek bar agar theek se samjh kar padh le to phir aur kisi tika ko padhne ki zaroorat hi nahi padegi. Bahut sundar vistrit badhiya anandmay matlab jaise nahi kahte anand aa gaya. Rasoi chakra bani ho na to jaise kahte anand aa gaya. Aise Swami ji maharaj ne jo gita ji ki tika ki bilkul saral bhasha mein divyta khol ke rakh di gita ji ki. To pehle to naam jap karo aur kisi sant maha bhagwat ke mukh se gita suno aur phir ekant mein jab manan karoge to zyada labh milega aur gita manan karne ke liye sabse pahla niyam hai ki shri Krishna bhagwan ko apna man le apna Swami man le mitra man le guru man le sarvasv man le yahi se gita ji prarambh hoti hai shishyastam sadhimam prapannam main aapka shishya hoon main aapki sharan mein hoon yahi se bhagwan gita prakt karte apne shri mukh se to ham gita ka anand tabhi le sakte hain jab bhagwan ko apna mane.

he Krishna he karunamay aap hi hamare guru ho. Aap hi hamare mitra ho. Aap hi hamare pita ho. Aap hi hamare sarvasv ho aur phir gita ji padhe Krishna ke hoke tab wo gita samjh mein aayegi aur wo apne anand ke liye adhyatma unnati ke liye dusron ko updesh dene ke liye nahi apne adhyatma unnati ke liye. Tab phir gita ji rang gita ka rang aa gaya to phir jeevan mukt kar deti hai. Gita jeevan mukt kar deti hai. Samjh pa rahe naam jap karo achhche aacharan karo yahi gita ji ki yogyta hai. Man lo bahari snaan karke baith gaye phir kya hai?

bahari snaan kya hai? Ham bahari snaan ka zyada mahatva nahi rakhte bachchha. Aisa nahi teen bar snaan karte hain par bahari snaan ka mahatva nahi. Trikal snaan karte hain bachpan se bas bahari snaan ka mahatva nahi rakhte kyonki pata hai yahi soch bhari hai nahi soch laghu shanka yahi to bhari mutrashay malashay yahi hai ab jaise ek badhiya resham ki thaili ho aur usmen soch bhar di jae aur upar se pack kar di jae ab aap usko badhiya jal se dho lo aur agar jisko pata hai ismen soch bhari hai to wo chuna chahega kya lagega na apvitra hai yar tum bahar se 100 bar dho hai to socha hi to ek chamdi ka bhar khel hai nahi hai malashay mutrashay hai to kya pavitra pavitra man ki man ki pavitra tan ki pavitra to chahe jitna dho lo apvitra hi bana rahega man ki pavitra man kaise pavitra hota hai man apvitra hota hai sansaar ko apna manne se aur man pavitra hota hai bhagwan ko apna manne se bhagwan ko apna mankar jab ham naam jap karte hain to apvitra pavitrova sarwangto ya smare pundri ksham savayabhyantar suchi wo bahya aur antar se param pavitra ho jaata hai.

jo bhagwan ko apna mankar kamal nayan shri hari ka smaran karta hai. To bhagwan ko apna mankar unka smaran karte hue jab gita padhoge to bhagwan samjha denge. Soi jane je dehu janae jise bhagwan apna gyan de dete hain wahi sacha gyani hota hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi

  • bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
  • bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …
  • agar ek naam ka itna bada phal hai, to nirantar naam kyon japen? — nikhil ji mumbai se Radha vallabh shri hariv shri Harivansh maharaj ji maharaj ji ek naam ka phal pura tribhuvan se bhi bada hai to phir nirantar naam jap kyon kaha jaata hai kyonki ek naam jisko kaha…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1399 — jai prakash Prajapati ji gaurav ji Gurudev bhagwan aapke charnon mein pranam maharaj ji pichle do salo se pratdin aapko sun raha hoon naam jap bhi kar raha hoon parantu kuch mahino se sansaar ki banavti…
  • jiska lakshya bhagwat prapti hota hai uske kya lakshan hote hain? — ras shekhri sharan ji Vrindavan se maharaj ji jiska dridh lakshya bhagwat prapti ho gaya hai us sadhak ke kya lakshan hai narayan hari bhajan mein pancho na suhat vishay bhog nidra hansi jagat prit bahu baat ye…
  • ekantik vartalaap evam darshan #1398 — ajay Mishra ji Pune maharashtra se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji Gurudev main sabhi devtaon ki puja karta hoon parantu meri shri Ram ji mein shraddha hai. Main shri Ram ji ke prati eknishtha…