॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

prasad ki mahima: bhakt Angad ji ki kahani

kabhi bhi aisa ahar grahan na karen, jo bhagwan ko bhog na lagaya gaya ho. Jo bhojan bhagwan ko bhog lagaya gaya hai, wahi prasad rup mein grahan karen. Ek bhakt hue hain, jinka naam Angad ji tha. Waise to ve swabhav se pehle nastik pravriti ke the, lekin unki patni bhagwan ki bhakt thin. Unke mayke mein santo ki seva hoti rahti thi, aur wahan unke Gurudev ke updesh sunne ko milte the. Vivah ke baad jab ve Angad ji ke saath sasural ain, to dekha ki wahan raj vaibhav to tha, lekin na kisi sant ka darshan sambhav tha, na kisi sant ka ana-jana, na Bhagwad charcha hoti thi aur na hi satsang.

rani ki vyakulta aur santo ka amantran

rani bahut vyakul ho gain. Unhen mayke mein roz santo ka uchchhisht milta tha, sadguru dev bhagwan ke darshan hote rahte the, lekin yahan bhakti ka koi bhi vatavran nahi tha. Halanki, Angad ji ki ek visheshta thi—ve apni patni ko Bhagwad bhakt mankar bahut shraddha karte the aur unke bhakti marg mein koi virodh nahi karte the. Lekin swayam na to bhakti ka aacharan karte the, na sant-mahatmaon ke prati koi shraddha rakhte the, aur na hi bhagwan ki aradhna karte the.

kafi dino tak santo ke darshan na hone ke karan rani atyant vyakul ho gain. Unhone apne mayke patr likhkar prarthna ki ki sadguru dev bhagwan se nivedan karen ki kripa karke ek bar yahan padharen aur darshan den, kyonki main yahan se bahar nahi ja sakti aur mere pati santo ke prati shraddwan nahi hain. Jab mayke ke raj parivaar ne Gurudev se prarthna ki, to ve karunamay hone ke karan ane ke liye sahmat ho gaye.

Gurudev ke aagman se rani atyant harshit ho gain. Unhone charanamrit grahan kiya, aarti utari, bhog arpit kiya aur Gurudev ko asan par virajman kiya. Phir ve dhire-dhire unke charan dabane lagin. Itne mein Angad ji wahan aa gaye aur apni rani ko kisi sant ke charan pakde hue dekha. Yah drishya dekhkar ve krodhit ho gaye aur sant bhagwan se bigdne lage. Rani ke to hosh ud gaye! Itni prarthna ke baad Gurudev swayam padhare the, aur ab unke pati hi unka apman kar rahe the! Lekin Gurudev ne rani ki or dekhkar shant rahne ka sanket diya, phir uthe aur wahan se chale gaye.

rani ki pratigya aur Angad ji ka parivartan

rani ne dridh sankalp lete hue kaha, “ab main apna jeevan nahi rakhungi. Jab mere Gurudev bhagwan ka apman ho gaya, to na main tumhara sparsh karungi, na tumse koi vartalaap karungi, na hi tumhare ghar ka ann-jal grahan karungi. Main apne sharir ko nasht kar dungi, kyonki mere hi bulane par mere Gurudev ka apman hua. ”

Angad ji apni patni par atyant aasakt the. Unki yah pratigya sunkar unka hriday vyakul ho utha. Unhone bhi ann-jal ka tyag kar diya. Jab kai din bit gaye, to ve apni patni ke charan pakadkar bole, “tum janti ho ki main tumhare bina nahi ji sakta. Kripya mujhe batao ki tumhen kaise prasann kar sakta hoon?”

rani ne kaha, “yadi tum sach mein mujhe prasann karna chahte ho, to hamare Gurudev bhagwan ke charan pakadkar unse kshma yachna karo, unhen manakar wapas lao aur yahan akar unhen bhog lagwao. Yadi ve yahan bhog grahan kar len, to ham unka uchchhisht payenge aur hamari dincharya phir se purwavat ho jaegi. ”

Gurudev ki kripa aur Angad ji ka hriday parivartan

Angad ji bhakti bhav se nahi, balki apni patni ke prati asakti ke karan ve unke Gurudev ke paas gaye. Unhone charan pakadkar kshma mangi. Santo ka swabhav hi karunamay hota hai—kitni bhi bar koi unka apman kare, lekin jab koi sache hriday se dandvat karta hai, to ve sahaj hi kripa kar dete hain. Gurudev unke saath jane ke liye man gaye.

donon ne milkar unke charan dhoe, bhog lagaya, aur phir charanamrit grahan kiya. Halanki, Angad ji yah sab bhakti se nahi, balki apni patni ko prasann karne ke liye kar rahe the. Lekin jaise hi Gurudev ka charanamrit grahan kiya, unke hriday mein pashchatap hone laga. Ve sochne lage, “main kitna nastik raha! Santo ke prati kitni durbhavna rakhta tha! Aur dekho, ye sant kitne kripalu hain!”

ab unki buddhi, jo pehle viparit chintan karti thi, anukul chintan karne lagi. Unhone apni patni se kaha, “hamara ab tak ka jeevan vyarth gaya. Kripya mujhe batao ki bhakti kaise karni chahiye?” dhire-dhire ve thakur seva mein sahyog dene lage. Ab bina bhog lagae ve kuch bhi grahan nahi karte the. Varsho se unki yahi dincharya ban gayi—pehle thakur ji ko bhog lagana aur phir keval prasad hi grahan karna. Saath hi Angad ji ne char parsad niyukt kar diye, jinka karya tha ki jahan kahin bhi sant dikhayee den, unhen ghar bulakar bhog lagwaen.

Angad ji ne Jagannath ji ko ek amulya hira arvan kiya

Angad ji bahut veer purush the, aur raja ke bhateeje bhi the. Ek bar unhone kisi raja par aakraman kiya aur vijay prapt kar uska mukut jeetkar le aae. Us mukut mein 101 hire jade the, jinme se ek hira atyant amulya tha. Angad ji ko is vishesh hire ka mulya aur mahatva gyaat tha. Unhone shesh hire vijay prapt raja ko louta diye, lekin wah amulya hira apne paas rakh liya aur kaha, “yah hira Jagannath ji ke mukut par jadega. ”

raja ke kuch mantri aur vishyi swabhav ke darbariyon ne raja ko uksaya, “us hire ki keemat aapke pure khajane se bhi adhik hai. Aapko ise har hal mein wapas lena chahiye!” raja ne vinamrata se Angad ji se agarh kiya, “kripya wah hira hamen de dijiye. ” lekin Angad ji adig rahe, “nahi, yah hira hamne Jagannath ji ko arpit kar diya hai. ”

raja ne racha Angad ji ke virudh shadyantra

manushya ki buddhi badalne mein der nahi lagti. Raja ki buddhi mein bhi vikar aa gaya, aur usne than liya ki Angad ji ko mar diya jae. Lekin kyonki ve uske chacha the, unhen sidhe marna uchit nahi lagta tha, varna rajdarbar mein ninda hogi. Raja ne ek shadyantra racha.

usne Angad ji ki bahan, jo rajamhal ki rasoi tayyar karti thi, ko apne paksh mein karne ka prayas kiya. Rajaprivar mein bhojan atyant vishwasneey logon dwara hi banaya jaata tha, aur Angad ji ki bahan isi karya mein lagi hui thi. Raja ne use lalach dete hue kaha, “tum jitna dhan chahogi, utna dunga. Bas, tum Angad ji ke bhojan mein vish mila do. ”

raja ne apne samne vish lakar diya aur use bhojan mein milwa diya. Angad ji ko is shadyantra ka koi abhas nahi tha. Jaisa unka niyam tha, unhone bhojan ko pehle thakur ji ko arpit kiya, bhog lagaya, aur phir bhojan karne baithe.

prasad ki mahima – Angad ji par vish ka prabhav viphal

Angad ji ki bahan ki beti, jo pratdin unke saath baithkar bhojan karti thi, achanak ghar se gayab kar di gayi thi. Angad ji ne pucha, “bitiya kahan hai? Use bulao!” bahan ne jhooth kaha, “wah khalne chali gayi hai. ” Angad ji ne dridta se kaha, “nahi, jab tak wah nahi aayegi, tab tak main bhojan nahi karunga. ” unke in shabdon ka gahra prabhav unki bahan par para. Wah vichar karne lagi ki “jo vyakti meri putri se itna prem karta hai, kya main use vish dekar mar sakti hoon?” anttat usne rote hue kaha, “bhaiya, bhojan mat grahan karna!” Angad ji chaunk gaye, “kyon?”

wah foot-phutkar rone lagi, “raja ne mujhe pralobhan dekar prerit kiya tha. Meri buddhi bhrasht ho gayi, aur maine is bhojan mein vish mila diya hai. ” Angad ji ne apni bahan se kaha, “tumhen chinta karne ki avshyakta nahi hai. Maine yah bhojan pehle hi thakur ji ko arpit kar diya hai. Yadi yah bhojan vishakta tha, to ab yah thakur ji ka prasad ban chuka hai. Main ise kaise tyag sakta hoon?”

iske baad, Angad ji ne sampurn bhojan grahan kiya—yahan tak ki juthe patr bhi chatkar kha liye. Parantu ascharya ki baat yah thi ki vish ka un par koi prabhav nahi para! Ve purnta svasth aur surakshit rahe, jaise kuch hua hi na ho.

prasad ki mahima – nishkarsh

pujya pandit gaya prasad ji maharaj kahte hain: “arpit kiye bina bhojan kabhi mat grahan karo. Jab bhi bhojan pao, use thakur ji ka prasad mano. Yadi tum aisi sthiti mein ho jaha thakur seva sambhav nahi hai aur bhojan samne aa gaya hai, to ek minute ke liye ankhen band karo, apne isht dev ka smaran karo, prabhu ko arpit karo aur phir do-char bar naam japkar grahan karo. ”

bina prabhu ko arpit kiye jal bhi na pien. Aisa karne se aapki buddhi shuddh aur nirmal ho jaegi.

margdarshak: pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj

pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj Angad ji ka prasang sunate hue

sambandhi video: YouTube · YouTube

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi