santo ke sankalp se papiyon ka udhar: krur jagaai-Madhai ke kalyan ki kahani
shri Krishna chaitanya mahaprabhu ke samay mein navadweep mein jagaai aur Madhai namak do krur vyakti nivas karte the. Yadyapi inka janm brahmin kul mein hua tha, parantu donon bahut hi raaksasi swabhav ke the. Jagaai aur Madhai donon bhai ek-dusre ke bahut kareebi the. Sharab pina, mans khana, vyabhichar karna, aur garib logon ko satana unke dainik karm the. Unke raaksasi swabhav ka koi ant na tha. Badshah ki or se inhe sena aur suraksha prapt thi, jiske karan ve navadweep ke kotwal bankar aae the. Bina kisi niyantran ke, ve shahar mein atyachar karte aur logon ko pida phuanchte. Dharm, sadhu-sangati, aur naam jap kya hai, unhen kuch pata nahi tha. Ve jahan bhi kisi dhani vyakti ke bare mein sunte, apni puri sena ke saath wahan jakar lutpat kar lete the.
Nityanand mahaprabhu ki jagaai-Madhai se bhet
jagaai aur Madhai ka shivir mahaprabhu chaitanya dev ke vas sthan ke paas para. Aaspas ke mohallon ke log bhayabhit ho gaye ki ye Rakshash apni sena ke saath pata nahi kya karenge. Ek din ye donon madira mein unmatt hokar nagar mein ghum rahe the, tabhi Nityanand mahaprabhu aur haridas thakur ji se unki bhet hui. Jagaai aur Madhai ne unhen sant vesh mein dekhkar galiyan dena shuru kar diya. Nityanand mahaprabhu ne logon se pucha, “yah kaun log hain jo sant vesh ko dekhkar galiyan de rahe hain?” log bole, “prabhu, inse duri banae rakhiye. Yah donon bahut krur aur hinsak hain. ” logon ne Nityanand mahaprabhu ko chetaya ki inse dur rahe, kyonki ye kisi ko bhi sammaan nahi dete aur kisi par bhi hamla kar sakte hain.
Nityanand mahaprabhu ne kaha, “asli adhikari to yahi hain. Ham inhe bhagwan ke naam jap ka updesh karenge. Yadi aise logon ka Bhagwad naam ke dwara udhar nahi kiya jae, to phir naam ki mahima hi kya rahi?” Bhagwad premi mahatmaon ka sankalp matra bade se bade papi ko param pad mein pahuncha sakta hai. Nityanand mahaprabhu aur haridas ji ne tay kiya ki ve jagaai aur Madhai ko naam updesh denge, chahe ve kitne bhi dusht kyon na hon.
naam jap ka prachaar aur kathinai
Nityanand mahaprabhu aur haridas thakur ji ek-dusre ka hath pakadkar savdhani se chal rahe the, taki yadi koi apriy ghatna ho to ve turant bhag sake. Jaise hi ve jagaai aur Madhai ke shivir ke karib pahunche, unhen badshah ki phauj aur kadi suraksha dikhayee di. Sainikon ne unhen roka aur pucha, “kaha ja rahe ho?” donon ne uttar diya, “hamen andar bulaya gaya hai, hamen jagaai aur Madhai se baat karni hai. ” sainikon ne unhen andar jane diya. Andar pahunchne par unhone dekha ki jagaai aur Madhai sharab pi rahe the aur unki ankhen lal ho chuki thin.
jab Nityanand mahaprabhu aur haridas thakur ji unke paas pahuche, to jagaai aur Madhai ne pucha, “kya chahte ho?” Nityanand mahaprabhu ne kaha, “Krishna kaho, Krishna bhajo, lehu Krishna naam! Krishna mata, Krishna pita, Krishna dhan pran! Hare Krishna hare Krishna, Krishna Krishna hare hare, hare Ram hare Ram, Ram Ram hare hare. ” yah kahkar ve harinam sankirtana karne lage. Yah dekhkar jagaai aur Madhai krodhit ho gaye aur chillane lage, “are! Inhe yahan se bhagao! Kisne inhe andar ane diya?” itna kahkar unhone Nityanand mahaprabhu aur haridas thakur ji ko marne ke liye unke piche daudna shuru kar diya.
Nityanand mahaprabhu ne thakur haridas ji ki or dekha aur kaha, “bhag lo!” donon teji se waha se bhag nikle. Jab ve thoda surakshit sthan par pahunche, to hamphte hue haridas ji bole, “dekha prabhu! Kya prachaar hua? Kya koi fark para un par? Main kahta hoon ki aise logon ka sang nahi karna chahiye, yahi hamare liye accha rahega. Ye log kabhi nahi sudhrenge. ” Nityanand mahaprabhu hanskar bole, “hamne naam ka bij bo diya hai, ek din unka kalyan jarur hoga. ”
chaitanya mahaprabhu ko sunaya gaya jagaai-Madhai ka vritant
jyon hi Nityanand mahaprabhu aur thakur haridas ji chaitanya mahaprabhu ke samip gaye to mahaprabhu ne kaha “dekho prachaar mandal ke mukhiya aa gaye. Aaj ke nagar prachaar ka kya vritant hai?” haridas ji ne kaha “prabhu Nityanand mahaprabhu bahut chanchal hain. Aaj ham pitte-pitte bache hain. ” yah kahte hue haridas ji ne unhen pura vritant sunaya. Jab chaitanya mahaprabhu ne suna to hanste hue kaha ki “Nityanand ji ki kripa hone par aisa koi papi nahi hai jiska udhar na ho sake. ” yah kahkar mahaprabhu shri Krishna chaitanya dev ne mano nischit kar diya ki jagaai-Madhai ka udhar zarur hoga.
Nityanand mahaprabhu aur thakur haridas ji ko ganv walon ne akar bataya ki kirtan walon ke upar vipatti ane wali hai. Ab to kirtan karne walon ka nagar mein rahna theek nahi hai. Nityanand mahaprabhu ne kaha kisi ko darne ki zaroorat nahi hai. Shri Krishna kripa se keertankar surakshit hain.
Madhai ne kiya Nityanand mahaprabhu par prhar
ek raat Nityanand mahaprabhu ghar laut rahe the jab unhone dekha ki jagaai aur Madhai sharab ke nashe mein, unmatt hokar nagar ki or ja rahe hain. Mahaprabhu ne jor se pukara, “Krishna Krishna!” mano unhen chidha rahe hon. Madhai ne gusse mein pucha, “kaun ga raha hai? Kaun mujhse nahi darta?” Nityanand mahaprabhu ne uttar diya, “tujhse kyon daren? Kya hai tujhmen jo main darun?” Madhai ne kaha, “tu kaun hai? Mera naam nahi suna? Kaha ja raha hai itni raat mein?” Nityanand mahaprabhu bole, “sankirtana mein ja rahe hain, jo tumhare bhagya mein nahi hai. ” Madhai ne pucha, “kya naam hai tera”. Nityanand mahaprabhu ne kaha, “avdhut!”. Madhai ne unhen chidhte hue kaha, “avdhut? Ye kaisa naam hai? Tujhe meri takat ka pata nahi!”
gusse mein Madhai ne paas padi surahi uthyi aur Nityanand mahaprabhu ke sir par jor se mari, jisse unke mastak se khun bahne laga. Unke kapde lal ho gaye, par mahaprabhu ne koi krodh nahi kiya, balki bhagwan se prarthna ki, “prabhu, ab inka udhar kar do. Inki durdasha mujhse dekhi nahi jati!” Madhai aur krodhit ho gaya aur phir se prhar karne ko tayyar hua, lekin jagaai ne uska hath pakar liya. Jagaai, jo Madhai se komal swabhav ka tha, bola, “tumhen pata hai wo tumhare liye prarthna kar rahe hain! Sharab ke nashe mein tumhen samjh nahi aa raha hai, wo tumhare bhale ke liye bhagwan se prarthna kar rahe hain. Dobara hamla mat karna. ”
jagaai ne Madhai ko shant kiya aur use ghasit kar dur le gaya. Madhai ne naraz hokar kaha, “tune mujhe roka kyon? Main use mar dalunga. ” jagaai ne samjhate hue kaha, “wo sanyasi hain, unka marg sahi hai. Avdhut ka kya ganv, kya naam? Shant ho jao. ” is beech, Nityanand mahaprabhu khun se lathpath the, lekin unhen koi parvah nahi thi. Ve anand mein harinam kirtan karte rahe, jabki unki deh se rakt bahta raha.
chaitanya mahaprabhu ne krodh mein akar kiya sudarshan chakra ka aavahan
jab mahaprabhu chaitanya dev kirtan shuru karne hi wale the, ek vyakti dauda hua aaya aur bola, “mahaprabhu! Nityanand mahaprabhu par Madhai ne hamla kiya hai. ” yah sunkar chaitanya mahaprabhu stabdha rah gaye aur bole, “Nityanand ko mara! Jo mere pran se bhi pyare hain, un Nityanand ko mara!” mahaprabhu chaitanya dev turant daud pare, unke piche bhakton ki mandli bhi dhol-manjeera aur mridang lekar bhagne lagi. Jab ve pahunche, Nityanand mahaprabhu anand mein nritya kar rahe the, jabki unke kapde aur bhumi rakt se sane hue the.
Nityanand ji ko is dasha mein dekhkar chaitanya mahaprabhu ne gusse mein hunkar bhari, jaise sudarshan chakra ka aavahan karne wale hon. Lekin Nityanand mahaprabhu ne unke charan pakar liye aur kaha, “prabhu, nahi! Aapka avatar papiyon ke sanhaar ke liye nahi, balki unke udhar ke liye hua hai. In par daya karen aur inka udhar karen. Nityanand mahaprabhu ne chaitanya ji se prarthna ki, “main chahta hoon ki ye papi bhi bhagwan ke premi banen. ” chaitanya mahaprabhu shant ho gaye, aur baqi bhakton ne bhi unse prarthna ki ki Nityanand ji ka sankalp pura ho. Sabhi ne mehsus kiya ki sudarshan chakra akash se ane wala tha, lekin Nityanand mahaprabhu ki prarthna se wah antardhyan ho gaya.
jagaai-Madhai ka hriday parivartan aur udhar
thakur haridas ji ne mahaprabhu se kaha, “prabhu, ab der nahi. Inka udhar hona chahiye. Madhai ne Nityanand ji ko mara, lekin jagaai ne unhen bachaya. ” yah sunkar chaitanya mahaprabhu ka sharir pulkit ho gaya. Unhone kaha, “jagaai ne mere Nityanand ki raksha ki? Wah kaha hai?” chaitanya mahaprabhu ae daudkar jagaai ko gale se laga liya aur bole, “tumne mere priy Nityanand ki raksha ki. Tum rakshak ho, tumse pyara mujhe aur kaun ho sakta hai?” mahaprabhu ke aalingan se jagaai murchhit ho gaya. Jab use chetna ai, to wah unke charnon mein lotne laga. “prabhu, mera udhar kar do. ” mahaprabhu ke aalingan se uske paap nasht ho gaye, aur wah rone laga. “prabhu, yadi aap mujh par prasann hain, to mere bhai Madhai par bhi kripa karen. Uske aparadh ko kshma karen. ”
Madhai kanpne laga, use glani hui ki usne mahapurushon par prhar kiya. Sochte-sochte wah gir para aur chaitanya mahaprabhu ke charan pakadkar bola, “prabhu, main bhi papi hoon. Mujh par bhi kripa karo. ” donon bhai bar-bar unke charnon mein lotne lage. Pura nagar un rakshasaon ko is dasha mein dekhkar achambhit tha. Yah sab mahaprabhu chaitanya dev ki kripa ka swaroop tha. Mahaprabhu ne rote hue kaha, “Madhai, main tumhen kshma nahi kar sakta, kyonki tumne Nityanand mahaprabhu par prhar kiya hai. Yadi ve tumhen kshma kar den, to main bhi tumhen kshma kar dunga. ”
Madhai bhagkar Nityanand mahaprabhu ke charnon mein gir para aur rone laga. Nityanand mahaprabhu ne kaha, “bhaiya, maine to tumhare aparadh ko mana hi nahi. ” jab Madhai jor se rone laga, to Nityanand mahaprabhu ne use gale se laga liya. Phir, Nityanand mahaprabhu ne ishara kiya, aur Madhai chaitanya mahaprabhu ke charnon mein gir para. Chaitanya mahaprabhu ne Nityanand ji ka ishara samjhkar Madhai ko gale lagaya aur kaha, “Nityanand, tumne jagaai aur Madhai ka udhar kar diya. Main aaj inhe abhay pradan karta hoon. Ab koi paap inhe sparsh nahi karega. ” Nityanand mahaprabhu ne kaha, “prabhu, yah aapka pratap hai. Yah aapki kripa hai ki aap sadaiv apne janon ko shrey dete hain. ” chaitanya mahaprabhu ne donon bhaion ko gale lagaya aur kaha, “aaj main tumhen samasth punya pradan karta hoon aur maha bhagwat ki padvi deta hoon. Ab tum purn paap rahit ho gaye. ” jagaai aur Madhai phir unke charnon mein girte rahe, aur unka hriday nirmal hota chala gaya. Mahaprabhu ka prabhav aur aise rakshasaon ka udhar dekhkar pura nagar aandit ho gaya. Bade jor se mridang aur dhol bajte hue bhagwan ke naam ka kirtan hua.
jagaai-Madhai ke papon se chaitanya mahaprabhu ka gaur rang hua sanvla
chaitanya mahaprabhu ne jagaai-Madhai se kaha, “tum donon ganga ki dhara mein khade ho jao. Gangajal uthakar kaho, aaj tak jeevan mein jo paap kiye hain, main unhen aapko pradan karta hoon. ” donon ne Gangajal phenk diya aur bole, “nahi, mujhe dand mile. Main papi hoon, mujhe dand mile. Bas itni kripa bahut hai ki aap shant hain. Main jeevan bhar naam jap karunga aur aapki sharan mein rehunnga, lekin main apne paap aapko nahi de sakta. ” mahaprabhu ne kaha, “hamare adesh ka palan karo. ” sabhi bhakton ne bhi kaha ki unhen chaitanya mahaprabhu ke adesh ka palan karna chahiye. Chaitanya mahaprabhu ne Gangajal lekar sankalp kiya ki inhone jo aaj tak paap kiye hain, sab mujhe pradan karo. Chaitanya mahaprabhu ka gaur rang kuch kshan ke liye sanvla ho gaya, kyonki unke paap bahut the. Mahaprabhu ne ganga mein khade hokar jagaai aur Madhai ke sabhi paap le liye aur unhen maha bhagwat bana diya. Unka shesh jeevan ashru pravahit karte hue Bhagwad naam jap karte hue bita.
margdarshak: pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj
pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj jagaai-Madhai ke udhar ki kahani sunate hue
sambandhi video: YouTube
mul lekh: bhajanmarg.com
sambandhi
- Shri vitthlnath ji ka jeevan charit | mahapurush ko kasht dene ka mila bhaykar parinaam — jo shri vitthal nath ji the yah Shrimadd Vallabhacharya ji ke dviti suputra hai. Aapka janm pradurbhav Vikram 1572 mein kashi ke nikat chunargadh mein hua. Shri acharya mahaprabhu Vallabhacharya ji…
- yamuna bai ji ka charit aur ek badi seekh — sadhna jaldi siddh ho jae. Apni taraf se kya upay karna chahiye? Bhagwan ka dridh bharosa. Dridh aashray sadhna siddh hone ka upay sab dosho se mukt hone ka upay bhagwan ka dridh bharosa. Ham wahi…
- mitti mein daba bhakt 30 din baad jivit nikla – chamatkari katha | Shri Hit Premanand Ji Maharaj — keval Ram ji maharaj bahut hi garib parivaar se the par sant se bhi the. Unke yahan sant mandli ai pawane ke liye kuch swabhavic tha hi nahi. Kai logon ke paas gaye ki hamen udhar de dijiye. Hamare yahan…
- jab agni bhi na jala saki bhakt ko – holika dahan ki katha | Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj — hiranyakashyap itna pareshaan ho gaya ki usko laga ki hamen lagta hai ki meri mrityu isi se hogi. Bahut chintit baithe the. Itne mein unki bahan ji ai. Bahan ji ne agni ko tapasya ke dwara prasann…
- bure ka bhi bhala karna sikhna hai? To yah kahani sunen. — jo tumhare saath bura kare yadi uske saath paropkar karo bhalai karo to aur dabal labh milta hai. Ek aapse virodh kar raha hai. Aap uska bhala soch rahe ho. Bhala bina bhagwan ki kripa ke aisa kaise socha ja…
- do mahan bhakton ki katha. — maharaj ji bhagwan par pura vishwas iska kya tatparya hai? Pura vishwas ho jana. Haan iska tatparya yah hai ki hamen bhari dukh ki samay vipatti ne gher liya. Bhari dukh ka samay aa gaya. Hamen dridh…