॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

naam jap ki mahima: ek papi baitha shri Ram ki god mein

karmachanda aur dharmachanda naam ke do bhai the. Dharmachanda bhagwat bhakt the aur karmachanda vishyi purush tha aur sharab aadi ka sevan karta tha. Bade bhai dharmachanda santo se nivedan karke unko ghar late, unki aarti karte aur prasad khilate. Yah sab dekhkar karmachanda santo ko gali deta. Wo dusht swabhav ka tha. Bade bhai ne vichar kiya ki is dusht ka kaise kalyan hoga kyonki santo ko galiyan dene se to durgati pakki hai.

sant bade kripalu hote hain!

ek bar Ayodhya ke santo ki mandli unke waha se nikli, dharmachanda ji ne unko apne yahan bulaya aur unki aarti utari aur prasad khilaya. Itne mein sharab pikar karmachanda waha aaya aur un sabko gali dene laga. Uska kamra upar tha, wo sabko galiyan dete hue apne kamre mein chala gaya. Santo ne dharmachanda ji se kaha aap to hamen adarpurwak laye the, lekin yah kaun hai? Dharmachanda ji ne kaha maharaj ji kshma karen, yah mera chhota bhai hai, galat sang se iski durdasha ho gayi hai. Unhone pucha, maharaj kya iska kalyan ho sakta hai? Santo ne kaha pakka ho jaega, aap chinta mat karo.

unmein se ek sant hasht-pusht the, wo upar gaye, darwaza khatakhtaya. Karmachanda ne darwaza khola, sant bhagwan samjh gaye ki yahan vinay se baat nahi banegi. Unhone karmachanda ko niche giraya aur uski chati par chadh kar baith gaye. Sant ne kaha, “Ram bol”, karmachanda ne kaha, “nahi bolunga”. Sant ne kaha agar Ram nahi bola to main tumhara gala daba dunga, yahan koi tumhen bchane wala nahi hai, Ram bol! Kafi der vichar karke karmachanda ne socha ki ab bachne ka koi aur upay nahi hai. To bachne ke liye usne kaha, “Ram Ram”. Sant uske upar se hat gaye aur bole beta is naam ki qeemat kabhi mat lena, ise bechna mat. Kuch din sare papon ka phal karmachanda ko mila, use janleva rog hua aur uski mrityu ho gayi.

papi phucha yamlok, Yamraj hue hairan!

karmachanda Yamraj ke darbar mein phucha. Yamraj ne jab uska lekha-jokha dekha to keval paap hi paap tha, bas do bar usne kisi sant ki kripa se Ram bola tha. Yamraj ne bola ki yah Ram naam japna hi ek matra punya hai tumhara, kya loge is Ram naam ke badle mein? Karmachanda ko un sant ki baat yad rahi ki beta is Ram naam ke phal ko bechna nahi. Karmachanda ne pucha ki pehle to hamen qeemat bataiye is do bar Ram naam japne ki. Yamraj ji phans gaye. Yamraj ji ne socha ki bhagwan ke naam ki qeemat lagane se to bahut bada aparadh ban jaega. Unhone thodi der vichar kiya aur socha Devraj indra se salah lete hain.

Yamraj ji ne li Devraj indra aur brahma ji se salah

Yamraj ne Devraj indra ko bulaya aur unhen sab kuch bataya. Devraj indra ne kaha iska nirnay to main bhi nahi kar sakta. Iska nirnay to bhagwan brahma ji kar sakte hain. Karmachanda bahut chatur tha, usko bhi naam ki mahima samjh ane lagi. Usne kaha ye bhaykar rup wale yamdoot mere samne se hata diye jae. Aur jaha bhi tumhen mujhe le jana ho, main paidel nahi chalunga, mere liye palki bulai jae. Devraj indra aur Yamraj ji ne karmachanda ko palki mein baithaya aur brahm lok le gaye.

brahma ji ne pucha ki kya punya hai is jeevtma ka ki aap donon swayam ise palki mein bithakar laye hain. Yamraj ji ne bola ki yah to mahan papi hai, par isne do bar Ram-Ram bola hai aur ab bol raha hai ki uski qeemat batao. Brahma ji bhi sir khujlane lage kyonki Ram naam ki qeemat wo bhi kaise hi bata den. Brahma ji ne kaha Ram naam ki mahima ko bhagwan shiv jante hain. Ham sab Kailash chalte hain aur shiv ji se naam ki mahima sunte hain. Wo papi jeevtma brahm lok mein sukh prapt karke bahut hi prasann tha.

Yamraj, Devraj indra aur brahma ji gaye bhagwan shiv ke paas

ab sab log bhagwan mahadev ji ke paas Kailash pahuche. Bhagwan shankar ke darshan karte hi jeevtma ko param anand mehsus hua, uske sare paap nasht ho gaye. Shiv ji ne pucha aap sab ka kaise aagman hua? Yamraj ne bola ki is jeevtma ne do bar Ram-Ram japa hai aur uski qeemat poonchh raha hai. Ham aapse Ram naam ki qeemat poochne aae hain. Shiv ji ne kaha ra kah kar main halahal vish ko pi gaya aur ma kah kar usko apne kanth mein rok liya. Main bhi raat din Ram naam hi japta hoon aur isi Ram naam se kashi mein mare hue jeevan ko moksh pradan karta hoon. Par Ram naam ki qeemat batane ki to meri samarth bhi nahi hai. Unhone bola sidhe Saket dham chala jae aur sidhe shri Ram ji se hi iski qeemat punchhi jae. Jeevtma ko bahut anand prapt hua.

Yamraj, Devraj indra, brahma aur shiv ji pahuche shri Ram ke paas

sab log jeevtma ko dulhe ki tarah lekar Saket dham pahuche. Bhagwan shri Ram ne pucha kaise aagman hua. Yamraj ji ne bataya ki prabhu ye jeevtma bahut papi hai, lekin isne aapke ek premi mahatma ke kahne par do bar Ram-Ram japa hai aur ab ye uski qeemat poonchh raha hai. Bhagwan shri Ram ne kaha isko meri god mein bithao. Bhagwan shri Ram ne us jeevtma ko apni god mein bithaya aur usko dular karte hue kaha ki qeemat to main bhi nahi bata sakta, par mahima aap dekh lo, ye papi hote hue bhi meri god mein baitha hai.

nishkarsh

Ram naam ki mahima dekho ki sharab pine wala, kumarggami jeev, jo sant droh karta tha, ek sant ki ahaituki kripa se usne keval do bar Ram naam japa, to khud shri Ram ne use apni god mein bithaya aur dular kar rahe hain. Yah aviswas na karen ki kya do-char bar naam japne se bhagwatprapti ho jaegi ya nahi. Ek hi naam kafi hai bhagwatprapti karwane ke liye. Agar naam jap ke saath koi aparadh na bane to prabhu ke naam mein ras aa jaega, uska swad lekar aap prabhu ko apne adhin kar sakte hain. Naam jap se aapko prabhu ki lilaon mein pravesh karne ka aur unke shri ang ki seva karne ka bhi saubhagya prapt ho sakta hai.

margdarshak – pujya shri hit Premanand ji maharaj

shri hit Premanand ji maharaj Ram naam ki mahima sunate hue

sambandhi video: YouTube

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi