॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

pujya Premanand ji maharaj ki jeevanyatra | kashi se Vrindavan

terah varsh ki umr mein ghar chodna

jab main ghar se nikla, tabhi meri khoj shuru hui. Do–teen din baad sabse pehle mere bade bhai aae. Maine unhen kathor uttar dekar wapas bhej diya. Phir pitaji aae. Unka swabhav bahut kadak tha—dharmatma, nange pair hal chalane wale kisan, jinhone jeevan bhar na to jute pahne, na sile kapde. Jab ve mere paas pahuche to mujhe laga ab to pitai hogi.

pitaji lene aae wapas

unhone kaha—”khade ho jao. ” main khada ho gaya. Ve bole—”kyon bhag aae ho? Maine kaha main bhagwan ka bhajan karke bhagwan ko pana chahta hoon. Unhone kaha, “aise bhajan se bhagwan milte hain? Mare–mare phirne se bhagwan nahi milte. Bhagwan ki prapti sadhna se hoti hai, aur wah grahasti mein rahkar bhi ho sakti hai. ”

maine kaha—”hamen to virakta hokar hi bhajan karna hai. ” yah kahte hue meri ankhon se ansu bah nikle. Main chahta tha ki ve mujhe ghar na le jain. Vastav mein koi dukh ya samasya mujhe yahan tak nahi lai thi. Matra terah varsh ka tha, navin kaksha mein padhta tha, par purv janm ke sanskaro se bhagwan ki prapti ka chaska lag gaya tha.

tab pitaji ne mujhe gale lagakar teen bar kaha—”Ram, Ram, Ram. Beta, beta, agar tu usar (banjar) zameen par bhi baitha hoga, to bhi tere upar phool barsenge. Yah mera ashirwad hai. ” lekin unhone saath hi chetavni di—”agar jeevan mein hamne yah suna ki tumhari drishti kisi mai–bahan par gandi padi hai, to yah jeevan vyarth ho jaega. Agar Babaji banna hai to aisa jeevan jio ki hamen kabhi yah shikayat na mile. ”

pehle Gurudev ka varan

phir ve mujhe mere pehle sadgurudev ke paas le gaye, jinse maine diksha li. Ve saimsi mein ek parna kuti bankar rahte the. Guruji ne mujh par kathor niyam lagae. Kai bar mujhe bhojan nahi diya jaata, dusron ko mithai milti aur mujhe nahi. Par mere man mein sankalp dridh tha—mujhe bhagwan ki prapti karni hai, chahe kaisi bhi pariksha ho. Ek saptah baad Guruji ne mujhe ganga snaan ke baad shivmantra ki diksha di aur kaha—”beta, jitna jap karoge utna gyan milega. ” bas wahi mere jeevan ka adhar ban gaya.

do varsh baad Guruji deh tyag kar chale gaye. Tab main anath sa ho gaya. Pandrah–solah varsh ki ayu mein sukhdevashram ji maharaj se mila aur unhone mujhe age ka marg dikhaya. Kai varsho tak unke paas raha. Phir ganga kinare gahan virakti mein sadhna ki. Maine kabhi jeevan mein ek rupya tak nahi rakha, na aaj hai.

ganga ka kinara aur kashi

phir main kashi phucha. Wahin laga—yahi mera jeevnasthan hai. Ghato par rahta, ashraomo mein nahi. Kai–kai din bhukha rah jaata, par santosh bana rahta. Wahin bhagwan ne prerna di aur dhire–dhire mera rukh Vrindavan ki or ho gaya.

kashi mein mujhe purnata ka anubhav hua tha. Waha baitha–baitha peepal ke ped ke niche santo ka sang milta aur anand hi anand tha. Par jab ek sant mujhe raas leela dikhane le gaye, tab pahli bar bhitar se laga—yah to meri maang hai. Ek mahina raas dekha aur bhitar prabal akanksha jagi. Tabhi tay hua—ab Vrindavan jana hai.

Vrindavan ki kripa

mera kabhi uddeshya shri radharani ke darshan karne ka nahi tha. Mera man to shiv bhakti mein hi tallin tha. Lekin Vrindavan ne swayam apni chah mujh par prakt ki. Raas ki or khichav, Priyaju ki chah—ye meri vyktigat ichchhaen nahi thin. Yah sab Vrindavan ki ichchha thi, bhagwan ki yojana thi.

guru kripa hi kevlam

piche mudkar dekhta hoon to lagta hai—yadi ham guru ki sharan mein puri tarah samarpit ho jain aur unke batae marg par chalte rahe, to age ka sab prabandh swayam bhagwan karte hain.

sambandhi video: YouTube

mul lekh: bhajanmarg.com

sambandhi